- 16,277
- 109,838
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Acha aisa bhi hota haiMega updates will be delivered after 7 updates. Last mega update was update number 14.
So next mega update will be update number 21.
Kamaal Ki update bhaiUpdate - 17 ~ Captured
Ab tak...
Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?
Bhumika : Jii!
Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.
Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.
Ab aage...
Do din guzar chuke the. Aur inn do dino me Veer ki life me jo bhi badlaav aaya tha wo tha points badhaane ke baad uska shareerik badlaav.
Nidhi ke saath bhi ab uski acchi jamne lagi thi. Nidhi bhi Veer ko jese ab apne hi parivaar ka sadasya maan'ne lagi thi. Wo uske saath shopping par jaati, kabhi koi bhi samaan lena hota wo aur Veer saath saath jaate aur ek dusre ki madad karte.
Veer ke aane se bhale hi uske khane peene ka kharcha badh gaya tha par Veer uski boht madad bhi kar deta tha. Ye baat Nidhi ko khud bhi mehsoos ho rahi thi. Uske upar se jese kaam ka load kam sa ho gaya tha.
Juhi ke saath bhi Veer ki acchi dosti ho chuki thi. Veer time to time Juhi ke saath khelta toh kabhi usse padhaata, uske aane ke baad se hi Nidhi ke ghar ka mahaul ekdum khushnuma sa ho gaya tha.
Chahal pahal badh gayi thi. Ghar me ab baat cheet hua karti thi. Boriyat naam ki toh jese koi cheez hi nahi thi ab Nidhi ke ghar me. Na hi usse ab utna akelapan mehsoos hota tha.
Bas yadi kuch bacha tha toh wo tha Veer aur Shreya ka ek dusre ko jawaab dena chorrna.
Dono hi bas ek dusre ke peeche pade rehte the. Kahi Shreya Veer ki taang kheechti toh kahi Veer Shreya ki. Aur unn dono ka yu jhagadna bhi kahi na kahi Nidhi ko accha lagne laga tha. Usse aisa lagta tha jese wo dono ziddi bhai behan hai jo bas ek dusre se ladte jhagadte rehte hai.
Nidhi ne apne ghar me bhi ye baat bata ke rakhi hui thi ki uske saath uska ek student bhi reh raha hai. Halaki, shuruaati samay me uske gharwaalo ne iska virodh zaroor kiya tha ki ek naujavaan ladke ko apne saath rakhna sahi nahi hai par jese jese kuch din beete aur Nidhi ne roz ki daily report apne gharwalo ko dii, toh unka darr bhi andar se kam ho gaya aur Veer pe unka vishwaash bhi kayi hadd tak badh gaya tha.
Bhale hi Veer ki zindagi yaha pehle se kaafi behtar ho chuki thi par yahi baat Veer ke ghar ke liye kehna thoda mushqil tha.
Veer ke bangle me iss waqt ek behad hi khubsoorat aurat saamne sheeshe me dekh apne baal bana rahi thi. Uska saundarya alag hi starr pe the. Apni ghani zulfo me wo iss tarah apne haath chala rahi thi jese maano wo zulfe nahi, pani ki lehre ho. Uske teekhe nain aise prateet ho rahe the ki kisi ko bhi nasheela bana de. Uski ek jhalak acche se acche sanyaasi ko madhosh kar de.
Aur ye koi aur nahi, Veer ke bade bhai ki patni, yaani ki uski Bhabhi~ Ragini thi.
Ragini apne aap ko sajaate hue dressing table se uthi aur wo baahar nikalne hi waali thi ki tabhi uska bed par rakha phone baja.
*Ring* *Ring*
Aage badhte hue, Ragini ne apna phone uthaaya aur screen pe Papa likha dekhte hi uske chehre pe muskaan aa gayi.
Usne phone utha ke apne kaano me lagaya par kuch second baad hi uski wo muskaan uske chehre se gaayab ho gayi. Aur chehre pe bas shikan, tension aur darr chhaa gaya.
Jese hi usne phone utha ke hello bola tabhi dusri taraf se awaaz aayi,
"Beta!!! Sab kuch lutt gaya, barbaad ho gaya... Lutt gaya beta mein..."
Apne Papa ki aisi awaaz sunn Ragini ki rooh kaanp gayi. Uske Papa Dinesh ki aisi awaaz shayad hi pehle Ragini ne kabhi suni hogi.
Ragini (ghabraate hue) : Papa!!! Kya keh rahe ho aap? Kya hua? Bataaiye!!
Dinesh : Beti!!! Sab kuch barbaad ho gaya meri bacchi!! Sab kuch barbaad ho gaya.
Aur Dinesh ki achanak rone ki awaaz Ragini ko sunaayi dene lagi.
Bechaini me wo uthi aur room me ird gird ghumne lagi,
Ragini : Papa! Aap daraaiye mat mujhe. Please bataiye mujhe! Sab kuch theek toh hai na!?
Uske baad Dinesh apni aapbeeti apni bacchi Ragini ko sunaata hai jisse sunn ke Ragini ke khud ke hosh udd jaate hai. Wo bhauchakki sii bas khadi apne Papa ki baat sunti rehti hai par jese uska dhyaan kahi aur hi tha. Jese maano sadma sa lag gaya ho usse.
Ragini : Nahi!! Ye nahi ho sakta... Aisa kese bhala!? Aapne police me...!?
Dinesh : Beta! Kya kahunga police me!? Police saboot maangti hai. Aur kuch nahi dekhti. Mene unhe sach bataaya hai par wo toh jese meri baat sunn'ne taiyaar hi nahi hai beti. Sab kuch chala gaya beta sab kuch...
Ragini : Aise kese Papa... Aise thodi... Mein... Aap aap... Haa! Hum sheher ke sarvashreshth lawyer ko hire karenge... Bhala aise kese Police hamaari baat nahi maanegi? Hum F.I.R karenge Papa... Jaach padtaal me sab kuch baahar nikal aaega dekhna... Aur akhir himmat kese hui police ki hume ignore karne ki?
Dinesh : Nahi beta! Kuch nahi ho sakta ab. Mene thodi derr pehle hi na jaane kitne sheher ke jaane maane lawyer logo se baat kari. Sabhi peeche hatt gaye beti. Jese maano wo jaante ho ki unka jeetna naamumkin hai. Wo log bade hi khatarnak prateet hote hai beta. Ab toh yadi koi kuch kar sakta hai toh woh Vivek hi hai. Zara bolo beti... Uski acchi pakad hai aur pehchaan bhi.
Ragini : Itna sab kuch ho gaya Papa aur ye baat aap mujhe ab bata rahe ho??
Dinesh : Beta! Sab kuch achanak hua beta... Sab kuch achanak. Pehle jo kaam sabse zaroori tha wahi kiya. Mujhe laga tha police hamaari madad karegi par yaha toh wo sunn'ne taiyaar nahi hai. Vivek hi ab kuch kar sakta hai beta... Zara baat karna ho sake toh uss se...
Ragini : Ye bhi koi kehne ki baat hai Papa? Bilkul! Mein... Mein abhi jaa ke unse bolti. Mein khud jaati hu company me aur inse baat karti hu. Theek? Aap... Aap bilkul tension mat lena Papa. Kuch nahi hoga okay? Sab sahi ho jaega. Ye hai na... Dekhna! Abhi sab sulajh jaega... Mein... Mein abhi jaati hu...
Aur itna bol Ragini call cut karke fataafat unhi kapdo me baahar nikal, Vivek ki company ki orr car nikaal ke akele chal deti hai.
Kuch minute ki duri tay karne ke baad, jese hi wo company pohuchti hai toh uski mulaaqaat receptionist se hoti hai.
Aur kuch hi palo ke intezaar ke baad wo finally apne pati Vivek se milti hai. Jesi jesi baatein usse pata chali Dinesh se wo sab kuch wese hi Vivek ko bata deti hai, jisse sunn Vivek bhi kaafi tension me aa jaata hai.
Vivek : Ye toh boht hi serious maamla hai. Itna sab kuch ho gaya aur ye baat ab bata rahe hai wo?
Ragini : Mene unse yahi baat boli thi Dear... But tab shayad halaat hi kuch aise the... Maybe wo hume tension me nahi daalna chaahte the. Mein jaanti hu Papa ko acche se...
Vivek : Theek hai! Tum tension mat lo. Mein baat karta hu.
Ragini : Thank you dear!
Ragini apni aankho me aasu laate hue boli. Aur usne phone laga ke apne Papa ko aasvashan diya ki jald hi Vivek kuch na kuch hal zaroor nikaal lega unki pareshani ka.
Ab aisa kya ho gaya tha achanak ki Dinesh ke kaaran Ragini sang Vivek bhi bhaari tension me aa pade.
Toh aaiye nazar daalte hai,..
Pichli raat...
Mausam halka thanda tha. Thandi mand mand hawaein vatavaaran me faili hui thi aur raat ke 11:30 baj rahe the.
Dinesh, Ragini ke pita iss waqt apne T.V.S ke ek showroom se baahar nikal rahe the.
Aaj kaagzi kaam aur deals wagarah kuch zyaada hi hui thi jis kaaran se unhe aaj rukna pad gaya. Guards toh the hi showroom ke liye aur saath hi kuch workers bhi, jinko wo showroom band karne ka bol ke Showroom se baahar nikal aaya.
Apni car me baithane ke baad Dinesh apne ghar ki orr prasthaan kiya.
Aaj wo behad khush tha. Kayi saare logo ne aaj gaadiya khareedi thi saath hi saath uski aaj kayi logo se acchi khaasi deals bhi hui. Aaj ke acche din ke baare me soch ke wo mann hi mann prafullit ho utha.
Aisi acchi khaasi kamaayi waale din keval warna tyohaaro me hi aksar aate rahe.
Dinesh khush hote hue gaadi chala raha tha. Uska ghar thoda door padta tha aur wo driver prefer nahi karta tha. Wo khud hi drive karna prefer karta tha hamesha. Uska maan'na tha ki driving ke maamle me aap keval apni khud ko driving skills par bharosa kar sakte ho, kisi dusre ki nahi.
Ghar ki orr aane jaane waala raasta thoda sa sunsaan jagah se hoke bhi guzarta tha. Sunsaan toh nahi kahenge par haa ye kehna ki wo area thoda outer area lagta tha ye galat nahi hoga.
Aadhi raat hone ko aa rahi thi aur Dinesh ne tabhi gaadi roki, apne jeb se phone nikaala aur caller ka naam dekh wo sar hilaate hue muskuraaya. Uski patni Rohini ka call tha. Shaadi ke itne saal guzar gaye fir bhi Rohini ko hamesha Dinesh ki boht chinta lagi rehti thi. 11 baje nahi ki call aana shuru.
Muskuraate hue Dinesh ne wahi side me gaadi rok phone uthaaya,
"Kahiye madam jii! Kya hua?"
Rohini : Kya hua? Arre kitna baj raha hai? Samay bhi toh dekhna chaahiye! Na jaane kab se raah dekh rahi hu aapki. Par aap ho ki koi phone hi nahi uthaate. Ek baar call karke bata toh dena chaahiye na ki aane me derr ho jaegi.
Dinesh : Arre! Ho jaata hai kabhi kabhi late. Aaj kamaayi acchi hui na, aur deals bhi hui kayi. Thoda samay lag gaya.
Rohini : Hmm! Chalo accha aa jao abhi. Fir baat karte hai.
Dinesh : Haa haa! Bas aa raha hu.
Aur call cut karke wo abhi gaadi chaalu hi karne waala tha ki tabhi driver seat ki window se ek haath aaya aur seedha uska gala daboch liya.
Sakpakate hue Dinesh apne gale par haath ki pakad ko hataane ka prayaas karne laga. Darr ke bhaav uske chehre par saaf jhalak rahe the. Usne toh bas kuch pal ke liye window kholi thi jab wo Rohini se baat kar raha tha. Usse kya pata tha ki aisa kuch ho jaega.
Par agle hi pal uska virodh poora ka poora samaapt hp gaya. Kyu??
Kaaran tha uski kanpati par rakha revolver. Isse dekhne ke baad toh acche accho ke paseene choothne lagte hai aur fir Dinesh toh ek sadhaaran sa showroom ka maalik tha. Ladaayi jhagde se koso door.
Uss par tana revolver uske virodh ko choor choor kar diya. Bolti band aur kaapte hue haatho se wo bas aankh tedi karke aadmi ko dekh raha tha jo dikhne me ek normal 28 29 saal ka ladka lag raha tha.
"Boht acche! Yadi zyaada aur hilta na, toh tera ye bheja ko mene kahi aur bhej diya hota. Samjha!?"
Uss ladke ki attitude se bharpoor awaaz Dinesh ke kaano me padi. Aur usne apni mundi haa me hilaayi,
Ladka ne agle hi pal gate khola, usse baahar nikaala, uska mobile zabt karke, usse band karke apne jeb me daala aur waapas se Dinesh ko driving seat par baitha diya.
Yaha kya ho raha tha koi dur dur tak dekhne wala nahi tha. Pehla kaaran tha itni raat ka samay aur dusra kaaran ki wo ek outer area tha.
Uss ladke ne Dinesh ko baitha ke bagal ka door khola aur uski bagal ki seat se baith gaya.
Dinesh ne dekha ki ye ladka akela hi tha, yadi jese tese karke wo uska revolver chhina le toh baazi palat sakti thi.
Par agle hi pal usne apna ye khayaal mann se nikaal diya. Kyuki agle hi second ek scorpio uske bagal se aake khadi hui jisme 4 se 5 launde aur aadmi ghuse pade the. Aur sabke haatho me ek ek revolver tha.
Aur yaha Dinesh uss aadmi se revolver chhinaane ke baare me soch raha tha. Usne apna thook nigla aur upar waale ko dhanyavaad diya ki hey bhagwaan tumne mujhe antim pal me kuch galat karne se bacha liya. Warna ab tak toh uska bheja udd chuka hota.
Dinesh : De... Dekho! Dekho! Tumhe jo bhi chaahiye wo mein dunga. Mujhe chorr do. Jo bhi chaahiye wo batao, mein sab de dunga... Bas... Bas mujhe chorr do.
Apni jaan kisko pyaari nahi hoti bhala?
Aur jab apni jaan pe aati hai toh bade sa bada aadmi keval guhaar hi laga sakta hai aisi sthiti me.
Yahi kaam Dinesh ne bhi kiya.
Ladka : Bilkul bilkul! Wo bhi lenge... Ussi ke liye toh hum hai yaha. Chal! Fataafat! Gaadi badha aage. Aur ghar chal apne.
Dinesh : Gh... ghar!? Ghar kyu jaana hai?? Mein... Jo... Jo bologe wo de dunga... Par ghar...
Ladka : Saale! Jitna mein bol raha hu utna kar samjha?
Dinesh : Beta! Dekho! Kya milega tumhe mujh jaise budhe aadmi ko loot ke? Mein koi hasti nahi hu. Keval showroom ka maalik hu. Aur...
Ladka : Ayyyeee chuupp!!
Uss ladke ne itni zorr se chillaaaya ki Dinesh ki shareer sihar utha.
Ladka : Ab baat ko dhyaan se sunn! Samjha? Chup chaap jesa jesa mein kahu, wesa wesa kar. Warna tu toh jaega hi, par shayad tere saath teri patni ka ticket bhi katega lagta hai...
Dinesh : Nahi!! Nahi!!! Meri patni nahi... Usse kuch mat karna... Mein... Mein... Jesa jesa kahoge wesa hi karunga.
Ladka : Hmm! Ab chup chaap apne ghar ki orr gaadi le. Aur haa!!! Zyaada smart nahi bann'na thik? Ghar bola hai toh ghar ki taraf hi lena. Yadi tune ek bhi mod galat liya, toh tera game bajj jaega samjha!?
Dinesh : haaa haaaa!!
Kaapte hue Dinesh ne apna sar hilaaya. Ab usse ye baat sataaye jaa rahi thi ki kahi... Kahi... Rohini ko kuch na ho jaaye.
Rohini uska besabri se ghar par intezaar kar rahi thi. Aur na jaane aage kya hone waala tha. Ye sochte hi Dinesh ki haalat bigadti jaa rahi thi.
Gaadi start hui, aur Dinesh ne theek wesa hi kiya jesa usse bataaya gaya tha.
Kuch minute ki duri tay karne ke baad hi wo apne ghar ke baahar pohuch chuka tha aur uska dil zorro se dhadak raha tha.
Halaat hi aise the ki wo chaah ke bhi kuch nahi kar paa raha tha.
Ladka : Badhiya! Ab sunn! Mein aur tu andar jaenge yere ghar me... Samjha!? Tu apni patni ko ye bolega ki mein kuch kaagzi kaam ke chalte tere ghar aaya hu. Aur usse zara bhi shak na hone paaye ki kya chal raha hai. Samjha? Yadi zara si bhi mujhe bhanak hui ki tu police ko call kar raha hai ya koi ishaara kar raha hai. Toh tu toh jaega hi, tere saath teri patni bhi maregi...
Dinesh : Nahi! Nahi! Mein... Mein aisa kuch bhi nahi karunga.
Ladka : Badhiya! Chal, ab gaadi andar le ghar ke. Tere ghar ke baahar guard ko bhi nahi pata chalna chaahiye samjha!?
Dinesh : Haa! Haa!
Dheere dheere gaadi ko andar karne ke baad jese hi Ladka aur Dinesh gaadi se utre, toh guard bhi thoda hairaan tha. Itni raat gaye, Dinesh kisi aadmi ke saath car me!? Sawaal toh zaroor aaya tha uske mann me par wo jaanta tha ki ye pehli baar nahi tha, aur iske pehle bhi kuch kaam ki wajah se kayi baar Dinesh logo ke saath raat me aay chuka hai. Toh guard ne apne mann se wo sawaal agle hi pal nikaal diya.
Dono Dinesh aur wo ladka andar aaye aur jese hi Rohini ne darwaaza khola wo Dinesh ko dekh ke muskuraayi par fir bagal me khade ladke ko dekh ke wo thoda hairaan reh gayi.
Rohini (ishaara karte hue) : Ye... Kaun!??
Dinesh : Arre! Hahahaha~ Ye...!? Ye... hai...
Ladka : Namaste jii! Jii hamaari tyres ki company new abhi. Aaj boss ne deal kari thi Sir ke saath. Ussi ke kuch kaagaz chaahiye the, jo shayad Sir laana bhul gaye the. Isliye, mein lene aaya hu unke saath hi.
Rohini : Ohhh! Par... Itni raat... me...
Rohini kabhi uss ladke ko dekhti toh kabhi apne pati ko... Uski samajh nahi aa raha tha ki bhala itni raat gaye kaagaz lene kyu aaya hai ye banda? Kaagaz toh kal bhi le sakta tha!?
Iss se pehle ki Dinesh jawaab de paata, uss ladke ne forun bol daala,
Ladka : Aunty jii! Aisa hai ki... Kal boss London jaa rahe hai. Aur unke saath unki team bhi. Zaroori kaam se. Mein toh keval ek worker hu waha pe. Unhone kaha ki mujhe jald se jald kaagaz chaahiye kyuki mein yaha fir next month aaunga. Aur isliye unhone mujhe bejha hai... Ab isme mein kya hi karu aunty? Aap hi bataaiye!
Rohini : Ohh! Accha! Ni ni... Sahi baat hai. Suniye! Aap jo bhi kaagaz hai, inhe dedo...
Dinesh : Haa! Haa! Mein wo...
Aur Rohini ne hatt'te hue andar aane ke liye raasta diya. Wo ladka andar aake sofe par baith gaya, aur Dinesh theek uske saamne khada ho gaya. Uski samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Baar baar wo apni shirt ki aasteen se bas apna paseena pochhhe jaa raha tha.
Ek galat kadam aur uske saath saath uski biwi bhi maut ke ghaat utaar dii jaegi.
Ladka : Aunty Paani milega kya?
Rohini : Huh? Haa beta! Mein laati hu...
Jese hi Rohini andar gayi, wo ladka sofe se kood ke utha aur apna revolver shirt ke neeche se nikaal seedhe Dinesh ke maathe par tika diya,
Ladka : Sunn be! Andar jaa, aur apne dono showrooms ke kaagzaat leke baahar aa samjha? Ek accha panna le aur usme acche se likh ki tu apne hosho hawaas me ye dono showroom Aatish Khanna ke naam kar raha hai! Samjha!? Usme likh... Ki mere saath koi zabardasti nahi kii gayi hai, ye mein apni icchaa se unhe saup raha hu. Samjha? Jitne bhi paper hai sab laa aur jaha jaha sign lagne hai, sab me sign kar samjha!? Yadi ek bhi galti mujhe baad me mili toh teri biwi gayi...
Dinesh : Nahi! Nahi! Rohini... Rohini ko kuch mat karna... Mein... Mein laata hu...
Dinesh tezz kadmo ke saath jese hi andar gaya, Rohini paani leke kitchen se baahar nikli,
Rohini : Arre!? Ye kaha gaye?
Ladka : Aunty jii! Wo papers lene gaye hai.
Rohini : Accha! Ye lo beta paani!
Ladka : Haa aunty!
Rohini : Wese kya naam likhte ho beta?
Ladka : Mein!? Jii mera naam Ranga hai...
Uska naam sunn Rohini thoda soch me pad jaati hai. Ye naam toh bada hi atpata sa tha. Khaaskar uss aadmi ke liye jo ek company me kaam kar raha ho...
Ranga : Hahaha~ Darasal, baat ye hai ki mujje Bachpan se hi rango ka khub shauk tha, toh maa baap ne naam Ranga rakh diya, fir toh gali mohalle me yahi naam se mein famous ho gaya.
Rohini : Ohh! Accha!?
Ranga : Haa aunty! Mere boss aksar kehte hai ki... Kaam karo toh itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye.
Rohini : Ohh! Boht hi uche vichaar hai beta aapke Boss ke toh... Tab toh koi jaani maani hasti hi honge...
Ranga : Hahaha~ bilkul bilkul... Boht bade aadmi hai wo aunty, boht strict hai. Zyaada gussa aata hai toh seedha udaa daalte hai...
Rohini : Huh?
Ranga : Naukri se... Naukri se udaa dete hai.
Rohini : Accha! Kaafi hi strict hai beta. Aur thoda strict hona zaroori bhi hai wese... Mene inko bhi bola hai ki inke staff me bhi kayi log aise hi jo kaamchor hai. Ye meri baat sunte hi nahi...
Ranga : Ab sab sunenge aunty. Aur wese bhi... Ab Sir ke bas me nahi hoga kuch...
Rohini : Hmm?
Ranga : Kuch log sudharte nahi hai na aunty! Toh ab Sir ke bas me nahi hai unhe sudhaarna. Bas, aise logo ko seedha udaa do... Mera matlab hai naukri se hata do...
Rohini : Hmm! Sahi kaha beta tumne.
Inki baatein chal hi rahi thi ki Dinesh kaagaz lete hue baahar aaya. Wo chaahta toh andar se police ko call kar sakta tha par usne risk na liya. Kyuki baahar wo ladka uski patni ke saath baitha hua tha. Anjaam kya hota, iska wo anumaan bhi nahi lagaana chaahta tha.
Sofe par baithate hue Brijesh apne kaapte hue haantho se showroom ki saari ownership kisi anjaan aadmi ke haath dene jaa raha tha.
Jis aadmi ko wo jaanta bhi nahi tha, na kabhi usne uss aadmi ko dekha na uske baare me suna, wo aadmi raato raat uske dono showrooms ka maalik bann'ne jaa raha tha.
Rohini : Aapke haath kyu kaap rahe hai?
Ranga : Aunty inhe thand lag gayi hai. Car chalaate waqt window khol ke rakhe the. Mene samjhaaya bhi tha par Sir hai ki sune hi nahi...
Rohini : Kyaaaaa?? Thand lag gayi? Mene kitni baar kaha hai ki window hamesha band rakha karo. Kya pata kis type ka aadmi kab aake kya kar de...
Ranga : Hahahaha~ Aunty aapki baat se poori tarah mein sehmat hu.
Rohini : Dekha na aapne!? Ab ye kaam kar lijiye fir seedha araam karna ab. Aur kal jaane ki koi zaroorat nahi hai. Swaasth pehle hai...
Ranga : Bilkul! Ab toh inhe wese bhi ghar me rehna padega...
Rohini : Hmm?
Ranga : Matlab jab tak Sir ki tabiyat theek na ho jaaye, aunty aap bilkul bhi nikalne mat dena...
Rohini : Haa! Tum sahi kehte ho...
Idhar Dinesh ko uss ladke ki chaaplusi par itna twzz gussa aa raha tha par halaat ke maare wo majboor tha. Rohini ko wo chaah ke bhi kos nahi sakta tha. Wo toh saari baato se anjaan thi. Wo toh keval uski chinta hi kar rahi thi. Kaash...
Kaash usne window ka glass band kiya rehta toh ye sab na hota.
Par ab beeti galti ke baare me sochne se kya fayda? Ab toh jo ho gaya wo ho gaya. Ab iss situation se baahar safely kese aaya jaaye, yahi Dinesh ki top priority thi.
Kuch hi minute ke andar saara important kaam khatam hua aur Ranga muskuraate hue baahar jaane laga.
Ranga : Chaliye aunty! Yadi mauka mila toh dubaara mulaqaat zaroor hogi.
Rohini : Thik beta! Aate rehna... Ab toh hamaare se deal ho gayi hai aapki.
Ranga : Hahahaha~ Bilkul! Aap badi hi acchi ho aunty! Aapse baat karke mujhe boht accha laga.
Rohini : Bilkul beta! Mujhe bhi tumse baat karke accha laga.
Ranga : Chaliye chalta hu....
Par jese hi wo jaane laga, usse kuch yaad aaya...
Aur usne jeb se ek mobile nikaala aur Dinesh ko pakda diya,
Ranga : Sir! Aap mobile car me hi bhul gaye the. Ye raha aapka phone. Chalta hu.
Aur wo muskuraate hue ghar se baahar nikal gaya.
Baahar nikalte hi wahi scorpio aayi, usme wo baitha aur waha se rafu chakkar ho gaye sabhi.
Idhar uske jaane ke baad Rohini ne gate band kiya,
Rohini : Kitna imaandaar bhi tha hai na?? Chaahta toh wo phone rakh sakta tha... Par usne lauta diya.
Par Dinesh ki jaisi bolti hi band thi. Usse jese sadma sa lag gaya tha.
Rohini : Aap sunn rahe ho? Kaha kho gaye aap?
Aur Rohini ke usse hilaate hi Dinesh foot foot kar rone laga. Bechaari Rohini ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak se Dinesh ko kya ho gaya.
Wo tension me aa gayi, par Dinesh toh bas rota jaa raha tha.
Fir Achanak hi uth ke usne Rohini ko uske kandho se pakda aur sab kuch bataaya, jisse sunn bechaari Rohini ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uske aasu bhi behana shuru ho gaye.
Jis ladke ko wo itna accha samajh rahi thi abhi kuch derr pehle, wahi unki barbaadi ka kaaran tha. Upar se wo khud nyota de rahi thi usse...
Ye jaante hi Rohini ke perro tale jese zameen khisak gayi. Na jaane kitni baatein kar lii hongi usne uss ladke se...
Wo kehte hai na, ki insaan ki shaqal pe kabhi nahi jaana chaahiye.
Rohini ne rote hue police ko call karne ke liye kaha, jo Dinesh ne kiya.
Dinesh ne saari baat Police ko jesi ki tesi bata dii.
Kuch derr me hi police aayi, saari baatein unhone suni aur apni raay bhi dii.
Ab chuki ye kidnapping ya life at stake case nahi tha isliye Dinesh ko police ne subah apni F.I.R darj karne ko kaha.
Filhaal ke liye toh Dinesh safe tha. Uspe koi bhi hamla nahi hua tha.
Aur agle hi din Dinesh ne bilkul wesa hi kiya. Par koi fayda nahi. Uski umeed jese ab marr chuki thi.
Aur aaj yahi din tha jab usne Ragini ko phone karke bataaya tha. Na jaane aage kya hone waala tha. Uski aakhiri umeed ab bas uska damaad hi tha.
***
Issi din Nidhi ke ghar me alag scene chal raha tha...
"Kya Veer Mama! Aapse ittu sa bhi nahi aata hehe~"
Juhi Veer ki goad me baith iss waqt TV me game khel rahi thi. Aur wo Veer ko baar baar haraaye jaa rahi thi, ya yu kahe ki Veer baar baar khud hi haare jaa raha tha.
Raat ho chuki thi aur abhi sab ka dinner ready ho raha tha, jo ki Nidhi aur Shreya dono milke kitchen me taiyaar kar rahi thi. Aur idhar Veer ki zimmedaari thi Juhi ko entertain karna jo ki wo bakhubi kar raha tha.
Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,
*Ding*
[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]
'Huh?????'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Nice updateUpdate - 17 ~ Captured

Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........Update -1 ~ Unforgetful Incident.
*Thud*
Ek zorrdaar dhakka Veer ki peeth par pada aur wo saamne ki orr girte girte bacha.
"Hahahahaha!!!"
Aur tabhi peeche se kayi logo ki hassne ki awaazein sunayi dii.
Veer ke haath kaanp rahe the. Dhakke ke kaaran uska mobile phone girte girte bacha tha, usne forun hi usse apne kaapte hue haatho me kass ke thaama aur phone ki screen on karke wo contact list me se kisi ka naam dhund ke usne apna phone kaano ki orr badhaaya hi tha ki tabhi...
*Thud*
Ek aur dhakka zorr se uski peeth par pada, par iss baar wo khud ko sambhaal na saka aur saamne ki orr dhadaam se gir pada. Uska phone haatho se chhutak kar kayi tappa khaate hue zameen par jaa gira. Pata nahi sahi salaamat bacha bhi tha uska phone ya nahi.
Veer ne karaahte hue apni nazre upar kari aur dekha. Kareeb 5 se 6 ladke uske saamne khade hue the. Aur unka leader jiska naam Ajay tha wo apni Duke bike par adab ke saath baithe hue uski iss haalat par mazze le raha tha.
Ajay : Hahaha! Kyu be chuze! Bol!? Karega aisi harqat dubaara?
Apne kaapte hue perro ko Veer ne badi hi mushqil se control kiya aur utha.
Akhir uski galti kya thi? Aaj uske apne college me 2nd year ka pehla din tha aur pehle din hi uske saath ye sab ho raha tha?
Shaam ke 7 baj chuke the aur Veer jisse 2 ghante pehle hi apne ghar pohuch jaana chaahiye tha wo yaha 6 se 7 ladko dwaara bully kiya jaa raha tha.
Veer shuru se hi ek kamzor yuvak tha. Usse dekh ke aisa lagta tha maano uski rachna bhagwaan ne badi hi kathorta se kari ho.
Na wo padhayi me hoshiyaar tha, na dikhne me koi boht handsome tha, shareer se bhi kamzor tha, bol chaal me bhi ekdum peeche aur usme koi bhi talent nahi tha. Kul milaake ek bhondu sa insaan.
Apne naam ka ulta hi tha Veer. Veerta naam ki toh koi cheez hi nahi thi usme. Par bechaare usme uski kya galti thi? Wo toh jesa tha, wesa tha. Kya uski iss baat ka fayda uthaana zaroori tha?
Aaj wo yaha college ke peeche ki sunsaan sadko me maujood tha. Wo aana nahi chaahta tha par usse yaha laaya gaya tha.
Saamne khade uske college ke seniors uspe atyachaar karne ke liye usse yaha sunsaan jagah par lae hue the.
Par isme Veer ki galti kya thi?
Uski galti ye thi ki aaj college ke departure ke waqt wo ek khubsoorat senior ladki ko dekh raha tha jo ki laazmi tha. Wo thi hi itni khubsoorat ki koi bhi usse dekh ke apni nazre na hata paata. Wo patli kamar, teekhe nain, bhaari stan, perfect figure aur wo qaatilaana chehra. Kisi ko bhi madhosh kar de.
Par badqismati se Veer jab uss sundar ladki ko taad raha tha, Ajay ne usse aisa karte dekh pakad liya tha.
Aur bas, yahi Veer ki galti thi.
Wo ladki Ajay ki kaafi acchi dost thi jiske peeche Ajay haath dhoke kaafi samay se pada hua tha. Uss ladki ka naam tha Pragya, jo ki Ajay ki classmate thi.
Veer ki nazar ne hi Ajay ko itna gussa dila diya tha ki uska mann kar raha tha ki wo ussi waqt Veer ki aankhein noch le. Akhir himmat kese hui kisi ladke ki uski hone waali gf ko taktaki laga ke dekhne ki.
College me kisi ne bhi aaj tak uske khilaaf jaane ki himmat nahi kii thi. Toh fir akhir iss Veer ki kese himmat ho gayi?
Yahi baat Ajay ko bilkul na khali.
Veer ko yaha laake aaj wo usse accha sabak sikhaane waala tha. Taaki, bhavishya me koi bhi uski Pragya ko ghurne se pehle 100 baar soche.
Ajay (gurraate hue) : Mene kuch pucha tere se chuze. Bol? Karega aisi harqat firse?
Veer bhale hi kamzor tha par wo apne khud ke prati imaandaar zaroor tha. Usse pata tha usne koi galti nahi kii hai. Akhir ek sundar ladki ko yadi aapne kuch seconds dekh liya toh kya wo aapki galti hai? Bilkul bhi nahi! Veer toh keval Pragya ki sundarta ki prashansha kar raha tha mann hi mann.
Isme pitaayi ki baat kaha se aa gayi?
Aur yahi dhyaan me rakhte hue usne Ajay ke sawaal ka koi uttar nahi diya. Wo bas chup chaap apna nichla honth daanto se dabaaye hue sar jhukae khada raha. Uski mutthi zorr se kassi hui thi.
Ajay : Ye aise nahi maanega. Dose do saale ko.
Uski baat sunn uske saare saathi Veer ki taraf badhne lage. Jese jese Veer peeche jaata, wese wese wo aur kareeb aate.
Aur kuch pal ke andar hi Veer ab 6 logo se ghira hua tha. Iske pehle ki wo kuch keh paata, unn 6 ke 6 laundo ne Veer pe mukke aur laate barsaana shuru kar dii.
"Aaarghhhhhhh"
Veer ki karaahne ki awaaz sunsaan road me gunj rahi thi par na toh koi sunn'ne wala tha aur na hi koi madad karne waala. Wo ladke rukne ka naam nahi le rahe the.
Koi uske pait me maarta toh koi uske gaal pe, koi peeth pe vaar karta toh koi uski pasli pe. Aur harr ek hamle par Veer ke muh se ek dard bhari cheenkh nikal jaati jo uss sunsaan sadak ki shaanti ko jhanjhor kar rakh deti. Dekhte hi dekhte kuch hi palo me wo ab neeche gir chuka tha.
Usne apne haatho se apna sar bachaaya aur perr sikode par ladko ko toh jese farq hi nahi padna tha.
Apni laate uthaate hue unn sabhi ne uspe itne vaar kiye ki uske maathe aur hontho se khoon behne laga.
Jab Ajay ne qareeb aake wo laal khoon dekha toh usse andar hi andar ek sukoon sa mila. Jese uska gussa kuch hadd tak shaant ho gaya tha. Usne forun hi apne pantaro ko rok diya.
Apni laat uthaate hue usne apna joota Veer ke sar par rakh diya.
Ajay : Samajh aaya chuze? Yadi tune itna keh diya hota ki ahinda se tu aisi harqat nahi karega toh tere saath ye sab nahi hota.
Veer ne koi jawaab nahi diya. Wo bas apni jese tese adhkhuli aankho se Ajay ko ghur raha tha.
Ajay : Par tujhe bann'na tha hero. Hai na? Toh lo fir! Ab banke dikha hero. Kaan khol ke sunn le chuze, ahinda se tu yadi mujhe galti se bhi Pragya ke aas paas bhi dikha na toh teri gaand tod ke rakh dunga. Samjha behanchod?
Kehte hue Ajay ne apne perr ka bhaar badhaate hue Veer ka chehra masal diya jiske chalte uski ek aur cheenkh nikal gayi.
Ajay : Aulelelele bacche ko dard ho raha hai? Ruko abhi dard dur kar deta hu. Zara wo lollipop toh laana. Dekho idhar ek baccha ro raha hai.
Aur uski baat sunn sabhi ladke zorr zorr se thahaake lagaane lage.
Unn ladko me se ek ne apna bag khola aur ek lollipop nikaalte hue Ajay ko thama dii.
Ajay ne forun hi lollipop ka wrapper khola aur Veer ki taraf neeche jhuk gaya.
Ajay : Tujhe pata hai mein ye lollipop leke kyu ghumta hu hamesha? Taaki tujh jese bacche jab udham karne lagte hai na toh unki aqal thikaane laga saku.
Itna bol wo lollipop zorr se Veer ke muh me ghusa dii jiske chalte ek aur karaah Veer ke muh se nikli.
Ajay : Par fir bacche rone lag jaate hai toh akhir bade hone ke naate mera farz bhi toh banta hai na? Ki mein unhe chup karwau? Isliye uske liye ye lollipop. Ab acche bacche ki tarah ye lollipop chuso aur apne ghar ki orr nikal lena. Samjha?
Usne Veer ka gaal thap thapaaya aur jaane ke liye uth khada hua par jaane se pehle wo ek baar aur peeche muda aur Veer ko dekha.
Ajay : Police ya ghar me kuch bhi bataane ki koshish karna bhi mat chuze. Baad me tu hi pachtaega nahi toh. Infact, kisi ke saamne bhi muh mat kholna.
Ladka 1 : Ajay bhai halki bunda baandi shuru ho gayi hai, hume nikalna chahiye.
Uske ek dost ne jataaya toh Ajay ne bhi haa me gardan hilaayi.
Aur Ajay samet sabhi ladke apni apni bike par sawaar hue par tabhi Ajay ko kuch sujha aur wo apni bike neeche pade Veer ke ird gird ghumaane laga aur uske dost bhi yahi karne lage.
*Crack*
Veer ne zorr se uss lollipop ka apne daanto se katra. Uski aankhein gusse se laal thi par wo kuch bhi nahi kar sakta tha. Ladke uske ird gird bike ko ghuma rahe the aur agle hi pal Ajay ne uski orr thuka jiske chalte wo thook seedha jaate hue Veer ki shirt par gira.
"Hahahahaha"
*Vroom* *Vroom*
Hasste hue Ajay apni toli ke saath, bike par sawaar waha se nikal gaya. Aur uss sunsaan jagah pe ab keval Veer hi akela pada hua tha.
Bijli kadki aur tezz baarish shuru ho gayi. Yahi Veer ki kismat thi. Ab toh uske kapde bhi bheeg jaane the. Par baarish se ek baat acchi hui. Wo ye ki Veer ki shirt me gira Ajay ka thook dhul gaya.
*Thuu*
Lollipop ko zorr se thukte hue Veer khada hua toh wo ladkhada gaya aur girte girte bacha. Harr jagah itna dard tha ki pucho mat. Baarish tezz ho chuki thi aur wo langdaate hue apni scooty ke paas jese tese pohucha aur seat par tik ke baith gaya.
Baarish ke pani se uske maathe se nikal raha khoon bhi saaf hone laga tha. Usne apna phone uthaate hue apne jeb me daal liya. Pata nahi zinda bhi tha uska phone ya nahi, kyuki screen ki light abhi tak jal rahi thi.
Par Veer ko toh jese kuch farq hi nahi padna tha. Wo haafte hue bas baitha sadak ko ghur raha tha jaha abhi wo kuch derr pehle buri tarah laato aur ghuso ka shikaar hua tha.
Ab toh usme apni muthhi kassne tak ke liye dum nahi bacha tha. Kya kismat dii thi bhagwaan ne usse.
Aaj pehla din aur uske saath ye vyavhaar hua. Upar se tab, jab uski koi galti bhi nahi thi. Kya ek khubsoorat ladki ko dekhna gunaah tha? Jab uss ladki ne usse kuch nahi kaha toh bhala ye Ajay kon hota tha uske saath aisa suluk karne waala?
Na chaahte hue bhi Veer ki rulaayi chhuuth padi. Aur wo bina koi awaaz kiye zorr zorr se rone laga. Shareer poora bheeg chuka tha uska. Aur baarish ki boonde jese hi uske ghaavo par padti usse aur zyada dard deti.
Rote rote Veer ne apni scooty uthayi aur ghar ki taraf chal diya. Usse hi pata tha ki wo kitni mushqil se iss waqt scooty ko chala raha tha. Uske jeb me uska phone abhi bhi contact list show kar raha tha.
Shayad girne ke kaaran phone ki screen ek jagah jaa ke atak chuki thi. Uss contact list me uska koi bhi dost nahi tha. School me bhi uske dost nahi the aur aaj bhi college me wo akela hi baitha hua tha. Contact list me keval 3 hi naam the. Ek uske pita Brijesh ka, ek uski chachi Sumitra ka aur ek uski choti behan Kavya ka.
Jinhe call karne ki Veer uss waqt acting kar raha tha. Jii haa! Acting kar raha tha. Kyuki Veer jaanta tha, Brijesh ko pata chalega toh wo ulta aur maarega hi usse. Sumitra aur Kavya isme kuch nahi kar sakti thi. Rahi baat baaki family members ki toh unke numbers the hi nahi uske phone me.
Uske gharwaale uski madad bilkul na karte.
Akhir kyu?
Kyuki yahi toh uska parivaar tha. Keval naam ka parivaar tha baaki uski ghar me kya hi izzat thi wo bhali bhaati jaanta tha.
Ab tak usse ghar se nikaala nahi gaya tha yahi baat kaafi thi.
Usse itna prataadit kiya jaata tha ki pucho mat. Pata nahi kese wo unn sab ke beech itne saal tak jee liya.
Yadi koi aur hota toh gusse me khud hi bhaag gaya hota ya ab tak trast aa chuka hota aur na jaane kya kar liya hota. Par Veer chup chaap sab kuch sehta tha.
Kyuki usse pata tha ki virodh karne ka koi fayda nahi tha. Aur yadi wo jaata bhi toh kaha jaata? Wo 20 saal ka hi tha aur abhi toh usne college ki duniya bhi thik se nahi dekhi thi.
Par aaj jo hua uss se Veer ko itna toh samajh aa gaya tha ki college ki life ke bache hue baaki 3 saal uski school life se kayi guna battar hone waale the.
Veer tezz raftaar me gaadi chalaaye jaa raha tha. Baarish aur aasuo ke kaaran uski aankein dhundhli ho chali thi. Gaadiyo ki headlights ki roshni kisi jugnu ke prakaar uski aankho me aati aur jaati.
Kuch derr pehle hui ghatna uske imaan, uske gaurav, uski izzat ko chhalli kar ke uske dimaag me ghum rahi thi.
Par wo ruka nahi. Yu aasu bahaate hue wo apne ghar ki orr gaadi badhaata raha jo ab bas kuch hi dur tha.
'Badla toh mein lunga. I'll make them pay. Chun chun ke... Ek ek se chun chun ke badla lunga.'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Kahani shuru ho chuki hai.
Ab se mein aur aap iss kahani ka safar saath me tay karenge aur isse ant tak pohuchaenge.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........Update - 2 ~ The Family
Ab tak...
Kuch derr pehle hui ghatna uske imaan, uske gaurav, uski izzat ko chhalli kar ke uske dimaag me ghum rahi thi.
Par wo ruka nahi. Yu aasu bahaate hue wo apne ghar ki orr gaadi badhaata raha jo ab bas kuch hi dur tha.
'Badla toh mein lunga. I'll make them pay. Chun chun ke... Ek ek se chun chun ke badla lunga.'
Ab aage...
Mumbai, jisse Mayanagri ke naam se bhi jaana jaata hai, uss sheher me ek boht hi aalishaan bangle me kuch log badi hi serious hoke ek kamre me dheemi awaaz me baatein kar rahe the.
"Aaj kese bhi karke uska patta saaf kar do. Samjhe?" Ek ladke ne bhaari awaaz me kaha.
Uske peeche khade ek naujavaan ladke ne uski orr dekha aur haa me gardan hilaayi, "Tension mat lo Bhaiya. Aaj uska patta saaf ho jaega. Mene bada hi tagda plan banaya hai hahaha!"
"Kesa plan?"
"Bhaiya! Aap bas dekhte jao. Aaj Dada jii ke decision lete samay hi sab kuch hoega. Mein show grand rakhna chaahta hu hahaha!"
"Shabaash chote! Bas dhyaan rahe koi gadbad na ho. Aur yadi hoye bhi toh tumhara naam bilkul bhi saamne na aaye. Samjhe?"
"Haa Vivek Bhaiya! Don't worry! Ye Pranjal jo bhi karta hai ekdum solid karta hai." Pranjal ne apni chhaati thap thapaate hue kaha.
Vivek : Good!
Muskuraate hue Vivek, Pranjal ka bada bhai uske kamre se nikal gaya.
Abhi wo nikla hi tha ki darwaaze ke baahar hi uski nayi naveli patni, Ragini usse dekhte hi bol padi. "Arre! Tum yaha ho? Chalo jaldi! Kuch derr me Dada jii apna decision dene waale hai. Sabhi hall me ikkhatta ho rahe hai."
Ragini ek boht hi gazab ki stree thi. Uska jism itna perfect tha maano bhagwaan ne badi hi fursat se usse banaaya tha. 27 saal ki Ragini ke stan kasse hue the aur saree me toh wo qayamat hi dhaa deti thi.
Uska gora rang, patle hontho me halki gulaabi lipstick, kamar tak latakte khule kaale baal jo neeche se curled the, uske husn par chaar chaand laga dete the. Ragini ka baap TVS ke 2 showrooms ka maalik tha. Paiso ki toh koi kami hi nahi thi uske paas. Aur Vivek ko aisi patni mili thi, uski kismat ke akhir kya kehne the.
Par Vivek bhi koi aera gerra nahi tha. Jab aisi patni usse mili ho toh andaaza lagaana mushqil nahi tha ki Vivek ka khud ka parivaar kitna ameer tha.
Ragini ki baat sunn Vivek ne kamre me jhaanka.
Vivek (chillaate hue) : Chote! Chal baahar jaldi.
Pranjal : Bhaiya! Aap jao mujhe toh important kaam hai. Haha!
Ragini prashn bhari nazro se Vivek ko dekhi, "Pranjal ko kya kaam bhala iss waqt!?"
Vivek : Tum chalo! Aaj toh behatreen show hone waala hai. Hahaha!
Aur hasste hue Vivek Ragini ko leke waha se chala gaya.
Par Ragini ki toh samajh me hi naa aaya ki akhir chal kya raha tha. Ab jab uske pati ne kaha tha kuch badhiya hone waala hai toh Ragini keval intezaar hi kar sakti thi.
*Click*
Veer ne apne ghar pohuch kar apni scooty se chaavi ghumaate hue gaadi band kari aur usse jeb me rakhte hue wo gaadi se utra.
Wo apne ghar pohuch chuka tha. Keval naam ke liye ghar tha. Ek ghar me ek aadmi khushiya paata hai, apno ka pyaar paata hai, ghar me ekta rehti hai par uske ghar ka ekdum alag hi scene tha.
Jaha aadmi apne ghar pohuch kar sukoon paata hai aur khush hota hai, Veer iss waqt andar jaane se hi katra raha tha aur darr bhi raha tha.
Shaam ke 7:30 baj chuke the. Aur wo paani se bheega, halke khoon se sana hua yaha khada hua tha. Usne apni scooty ke mirror me apni shaqal dekhi toh paaya uski ek aankh poori neel pad chuki thi. Itni buri tarah dhoya tha usse Ajay aur uske saathiyo ne.
"Aaarghhhh!" Karaahte hue usne apna ek haath apni pasli par ferra.
Wo apne qadam aage badhaate hue darwaaze ki orr badha. Uska ghar jo ki nark se kam nahi tha. Wo itna aalishaan tha ki jisse log dekhne ke baad tareefo ke pul baandhne lagte the.
Par unhe kya pata tha ki uss bunglow me andar rehne waale log kese the.
Veer abhi badh ke darwaaze par aaya hi tha ki itne me uske kaano me kisi ki awaaz padi.
"Arre!? Ye mein kya dekh raha hu? Tau jii ka eklauta beta iss haal me? Aur wo bhi aaj apne college ke second year ke pehle din?"
Awaaz sunte hi Veer ke perr wahi tham gaye. Saamne nazar daudaayi toh dekha ki uske chacha ka chota beta, Pranjal saamne khada hua tha.
Jii haa! Wo bungalow Veer ka hi tha.
Pranjal forun aage badh usse sahaara dene ke liye hua toh Veer ne uska haath gusse me jhatak diya aur apne perro par hi khada raha.
Pranjal : Arre!? Arre!? Mein toh bas tumhari madad kar raha tha chote bhai! Tumhari ye haalat kisne kii? Naam batao tum khaali, dekhna tumhara Bhai kya haal karega uss shaks ka.
Par Veer jaanta tha. Jo kuch bhi iss waqt Pranjal ke muh se nikal raha tha, jhooth ke alaawa wo aur kuch nahi ho sakta tha.
Uske jaisa kapti aur sayaana insaan shayad hi Veer ne apni poori life me kabhi dekha hoga.
Pranjal : Chote bhai! Dada jii ka janmdin hai aaj. Gussa thook do bhai. Chalo accha meri madad karwa do.
Par Veer toh jese kuch sunn'na hi nahi chaahta tha. Wo andar jaane laga ki ek baar fir Pranjal ne uska kandha thaam liya.
Pranjal : Bhai! Aaj Dada jii apna decision sunaane waale hai. Unhe kitna accha lagega yadi tum unhe apne haatho se unke janmdin par gift doge. Hai na? Apna gussa apne upar haavi hone mat do chote bhai! Chalo! Andar tumhara sab intezaar kar rahe hai.
Veer bhale hi gusse me tha, par wo apne Dada jii ki badi hi izzat karta tha. Aur unhe maanta bhi tha. Aaj uske Dada jii ka janmdin tha aur usne pehle se hi apne Dada jii ke liye ek gift taiyaar kar ke apne kamre me rakha hua tha. Jese tese Veer ne apna gussa nigla.
Veer : Aap chalo! Mein apne kamre se Dada jii ke liye gift leke aata hu.
Pranjal : Arre kya keh rahe ho Bhai? Dada jii aur baaki sab pehle se hi tumhara intezaar kar rahe hai aur aise me tum unhe aur intezaar karwaoge? Tum apni haalat ke baare me mat socho. Hum sab toh tumhaare apne hi hai hai na? Fir humaare saamne kesi jhijhak? Aao...
Aur Pranjal usse kheechte hue bangle ke andar le gaya. Chaahte hue bhi Veer uska virodh na kar paaya.
Andar ghuste hi ek mini hall tha jaha baahari vyaktiyo ko baithaaya jaata tha. Aur khaas logo ko hi uske andar waale Bade hall me entry allowed thi.
Abhi Pranjal aur Veer dono hi mini hall me the jaha ek khubsoorat sa flower vase maujood tha. Uske ird gird ek laal ribbon lipta hua tha aur Happy Birthday ka ek tag bhi laga hua tha.
Jab Veer ki nazar uspe padi toh woh usse dekhte hi chaunk gaya. Jo ki laazmi tha. Wo flower vase itna mehnga aur itna sundar prateet ho raha tha ki koi bhi usse ek baar dekhne ke baad dubaara zaroor dekhta.
Pranjal (khush hote hue) : Yahi hai wo gift chote bhai. Tau jii yaani ki tumhaare Dad ne khud isse mangwaaya hai. Aur yadi tum Dada jii ko apne haatho se ye gift doge toh woh kitna khush ho jaenge nahi!?
Par Veer jaanta tha ki ye Pranjal jo iss waqt bhed jesa maasoom prateet ho raha tha wo asal me bhed nahi balki bhed ke vesh me ek bhediya tha.
Veer ne naa chaahte hue bhi haa me sar hilaaya aur vase uthaake wo dono hi andar bade hall me pravesh kiye.
Bada hall itna bada tha aur lights se itna jagmaga raha tha ki dekhne waale dekhte hi reh jae. Upar na jaane kitna mehnga ek jhumar latka hua tha jisse dekh ke bas muh se tareef nikalti.
Andar ek single seat luxury waale sofe par Veer ke Dada jii baithe hue the. Aaj unka 80th Birthday tha. Aur unke agal bagal waale sofe par unke do bete baithe hue tha. Bada beta jiska naam tha Brijesh. Aur chota beta jiska naam tha Karunesh.
Karunesh : Papa jii aapko party rakh leni chahiye thi.
Manorath : Hmph! Kabhi bhi ye galti mat karna. Ye sab party jo tum log karte ho na issi ke kaaran tumhaare dushman badhte hai. Jitni raeesi logo ko dikhaoge, utne hi galat iraade logo ke mann me umadte hai.
Veer ke Dada jii ne hidaayat dete hue kaha.
Idhar andar jese hi Veer aur Pranjal aae, sabhi ki nazre un dono par jaa tiki.
Veer ke pita, Brijesh ne jese hi apne ladke ki haalat dekhi toh uski aankhein phati ki phati reh gayi. Usne sofe ke hatte ko itni zorr se bheencha maano usse ukhaad ke hi fek dega.
Kya Brijesh ka ye gussa apne bete ko iss haalat me dekh ke uska ye haal karne waale ke upar tha?
Bilkul bhi nahi!
Balki Brijesh iss waqt apne bete par gussa tha. Yadi abhi koi aur maujood na hota toh usne khade hoke pehle hi 2-4 jhaapad Veer ko raseed diye hote.
Uska beta wo bhi aise haal me? Veer ka ye roop maano Brijesh ki image par ek chaata tha. Na jaane uske baaki ghar waale kya soch rahe honge ab aise me.
Yahi sochke usse itna gussa aa raha tha par uske pita ka aaj janmdin tha aur wo kuch bhi bakheda khada karna nahi chaahta tha.
Nakli smile dete hue usne apne bete Veer ko dekha.
Brijesh : Aa gaye!? Kaha reh gaye the itni derr tak? Aur ye kya haalat bana rakhi hai apni? Kis se maar kha ke aa rahe ho?
Veer ki maano ye sawaal sunte hi sitti pitti gul ho gayi. Apne Dad ki bhaari bharkam awaaz sunte hi uske andar ka darr jaag utha. Uske haanth kaanpne lage the.
Iske pehle wo kuch jawaab de paata, bagal me khade Pranjal ne tapaak se bola.
Pranjal : Tau jii! Yahi baat mene Veer se baahar abhi puchi thi. Toh Veer kehne laga ki aaj usse ek senior ladki pasand aa gayi thi. Aur Veer uss ladki ko kahi le jaana chaahta tha par ladki ke premi ne virodh kia aur Veer ko ye bilkul bhi pasand na aaya aur wo dono ek dusre se jaa lade. Ye ussi ka parinaam hai Tau jii.
Pranjal ki baat sunte hi Veer ko ek zorrdaar jhatka laga. Usne apni phati aankho se palat ke Pranjal ko ghura toh paaya ki Pranjal bada hi masoom sa chehra banae waha khada hua tha, jese kuch hua hi na ho.
Pranjal : Mene Veer ko samjhaya bhi ki aise maar peet karna bilkul bhi acchi baat nahi hai. Veer ko toh fir bhi kam chot aayi hai. Na jaane Veer ne uss ladke ko kitni buri tarah peeta hoga.
Aisi vaani boliye, mann ka aapa khoye...
Auran ko sheetal kare, aaphu sheetal hoye...
Par Kabir ki ye panktiya iss waqt vyarth thi.
Pranjal ne jo madhur vaani boli thi wo Veer ko sheetal karna toh dur usse itna aag babula kar rahi thi ki yadi uski bas chalti toh wo issi samay Pranjal par toot padta.
Pranjal ki image ghar me ek boht hi sanskaari ladke ki thi, par wo asal me kesa tha ye baat sabhi nahi jaante the.
Brijesh (gusse me) : Tumhari itni himmat Veer!
Manorath : Shaant ho jao! Halla nahi!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Ssssshhhhhh!!!
Brijesh : Hmph!
Manorath : Veer! Tumhe pata hai kya kiya hai tumne?
Veer : Nahi! Dada jii... Wo mein...
Manorath : Jo hua so hua. Ab iski charcha koi nahi karega.
Aur sab shaant ho gaye.
Veer ne jab Hall me maujood sabhi logo par nazre firaayi.
Toh uski nazar apne Dada jii ke daayi orr rakhe sofe par gayi jaha uske Dad, Brijesh ke bagal se baithi hui uski sauteli Maa (Step-mom), Shweta usse bauhe sikode hue dekh rahi thi.
Fir uski nazar Shweta ke bagal se baithi hui Shweta ki ekmaatr eklauti beti, Bhumika par gayi. Jo usse dekhte hi apna muh ferr lii.
Jab Veer ne Dada jii ke baayi orr rakhe sofe par nazar daudaayi toh dekha ki uske chacha Karunesh aur unki patni Sumitra yaani ki uski chachi dono hi nazre gadaaye usse hi ghur rahe the.
Sumitra usse bauhe sikode uske chehre ko hi dekh rahi thi.
Unki hi bagal se uske chacha ke bade bete Vivek aur uski patni Ragini bhi baithe hue the. Wo dono bhi usse hi ghur rahe the.
Aur jab Veer ne stairs par nazre daudayi toh dekha ki uske chacha Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya dono hi saath me cake lete hue neeche aa rahi thi.
Wo dono hi neeche aayi aur cake ko saamne rakhi kaanch ki ek table par rakha aur side wahi sofe par baith gayi.
Jaha Arohi ne usse ek baar dekh ke apni nazre ferr lii, wahi dusri orr Kavya usse aisi haalat me dekh apni bauhe sikode usse badi hi hamdardi se dekh rahi thi par boli kuch nahi.
Kaha ek taraf uske parivaar waale jo naye kapde pehne, sajke baithe hue tha aur kaha wo jo pitne ke baad ekdum geela aur khoon ke nishaan aur ghaavo se bharpoor.
Manorath : Doctor ko dikhwa ke apni dawa karwana mat bhulna.
Veer : J... Jiii
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi dosto!
Dhanyavaad!
Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........Update - 3 ~ A Full Fledged Plan
Ab tak...
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
Ab aage...
Veer ke Dada jii, Manorath uss par kayi hadd tak bharosa karte the. Kyuki jitni bhi shikaayat wo sunte aa rahe the, unhone aaj tak Veer ko kabhi apni aankho se koi galat kaam karte nahi dekha tha. Aur aaj ye pehli baar nahi tha jab Pranjal ke muh se unhone Veer ki ghatna ke baare me suna tha.
Ye toh saalo se chala aa raha tha. Koi na koi aake Manorath ke saamne Veer ke karmo ki shikaayat karta tha aur Veer keval sar jhukae khada rehta tha. Veer virodh kiya karta tha par uske paas apni baat ko sahi saabit karne ka koi proof nahi rehta tha. Aur isliye ab usne virodh karna bhi chorr diya tha.
Aaj bhi kuch aisa hi tha. Veer ke paas koi saboot nahi tha apni begunaahi saabit karne ka. Aur kya kehta woh? Kon uski baato ka yakeen karta?
Pichle kayi saalo se jo image uski ghar me bani hui thi, uske chalte toh koi uss par reham bhi nahi khaata tha.
Jab Veer apne haatho me wo flower vase lete hue aage badha tabhi achaanak se pata nahi kya hua uska perr fisla aur wo buri tarah saamne ki orr jaa gira.
*Crash*
Flower vase uske haatho se chhuth kar gol ghumte hue ek tezz shor karte hue neeche jaa gira aur ek hi jhatke me wo sundar sa vase dherr saare tukdo me bikhar gaya.
"Aaaaaaaaaaa," Waha baithi mahilae aur ladkiyo ke muh se kuch aisi hi hairaani bhari awaaz nikli.
Aur fir ek shaanti sii chhaa gayi.
Sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Sabhi Veer ko aise dekh rahe the jese maano usne kisi ka khoon kar diya ho.
Dekhe bhi kyu na, akhir wo flower vase itna keemti jo tha. Manorath ko shuru se hi paudhe aur flower vases ka boht shauk tha, yahi kaaran tha ki unke ghar me ek alag se garden bhi tha.
Iss waqt Veer ki haalat kharab thi. Usne khud apne Dada jii ke liye ek flower vase chunn ke rakha hua tha jisse wo baad me unhe dene waala tha. Iss vase ke saamne uska vase toh kuch bhi nahi tha. Par ab kya? Ab toh wo vase uske haatho toot chuka tha.
Bas! Brijesh jo apna gussa pehle hi badi mushqil se control kiye hue tha wo uth khada hua aur chillaaya.
Brijesh : Haram khor! Tujhe pata hai wo tohfa kitna mehnga tha?
Apne Dad ki garajti awaaz sunn ek baar fir wo sihar utha. Brijesh usse aag babula hoke khaa jaane wali nazro se ghur raha tha.
Manorath : Brijeesshhhh!!!
Brijesh : Papa jii... Aap... Aap jaante hai ye tohfa kitne ka tha? Ye flower vase 3 lakh ka tha. Mene khud import karwaya tha China se isse aapke liye... Aur iss bewakoof ne...
Vase ki keemat sunte hi waha khade logo ko jese ek bada jhatka laga. 3 lakh unn sabke saamne yu barbaad hoke bikhar ke jo pade hue the.
Sabse zyaada haalat toh Veer ki kharaab thi. Uski samajh nahi aa raha tha wo kare kya.
Brijesh se ab raha na gaya, wo wese hi kayi saalo se Veer se pareshaan tha. Veer uski harr umeedo par paani ferr deta tha.
Veer ki taraf tezz kadmo ke saath jaate hue wo usse ek zorrdaar thappad maarne hi wala tha ki...
Manorath : Brijeessshhh!!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Aaj mera janmdin hai. Aur mere janmdin ke din tum aisa suluk karoge toh matlab hi kya. Jo hua usse ek galti maan ke aage badho. Vase kitna hi mehnga kyu na ho, wo toh ab toot chuka hai. Ab uske peeche rone ka koi fayda nahi. Rahi baat paiso ki toh iske paise mein de dunga.
Brijesh : Ye aap kesi baatein kar rahe ho Papa jii? Aapka janmdin hai. Mein bhala aap se paise kyu lunga?
Manorath ki baat sunn Brijesh ne apne haath rok liye par uska gussa abhi tak kam nahi hua tha.
Pranjal : Dada jii, mene Veer se kaha tha baahar hi ki apne shoes utaar de kyuki baarish se geele ho chuke hai. Par Veer ne meri suni hi nahi. Bola ki maids toh ghar me lagi hi hai, wo kis kaam aaengi?
Aur uski baat sunn sabhi ki nazre Veer ke perro par gayi jo geele jute pehna hua tha aur farsh ko ganda kar raha tha.
Aur ye dekh Brijesh aur krodhit ho gaya. Tabhi Veer ki stepmom Shweta uth khadi huyi.
Shweta : Veer din ba din laaparwaah hota jaa raha hai.
Pranjal : Veer! Apne jute utaaro, idhar aao ye sleepers pehn lo aur ab galti ho gayi toh ho gayi. Ye dekho bhagwaan ka prasaad rakha hua hai. Dada jii ko ye prasaad do aur unse maafi maang lo.
Pranjal usse haath pakad ke uske jute utarwaata hai aur usse wahi Dada jii ke paas rakhi ek sleepers ko pehna deta hai. Pranjal ne wahi table pe rakhe hue dahi shakkar jo ki bhagwaan ko chadhaaya gaya tha usse katori me laake Veer ko thama diya.
Pranjal : Jao Veer! Dada jii ko prasaad do aur maafi maango.
Veer bechaara itna seham gaya tha aaj ki ghatnao se. Aaj uski zindagi ka sabse manhoos aur bura din tha.
Veer ne prasaad ki katori haath me thaami aur wo aage badha hi tha ki firse uska perr na jaane kese fisla aur prasaad ki katori uske haath se chhatak kar seedhe uske Dada jii ki orr jaa giri.
Aur saara ka saara prasaad uske Dada jii ke kapdo par jaa gira.
Bas! Brijesh ka jo gussa abhi apni limit par tha, wo cross ho gaya. Wo aage badha aur...
*Chataak* *Chataak* *Chataak*
Thappado ki jhadi laga dii aur Veer ke gaalo par raseed raseed ke maarte gaya.
Thappado ki goonj se Kavya sehamte hue sab kuch dekh rahi thi. Usse waqai Veer pe taras aa raha tha. Arohi bhi bauhe sikodti hui saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.
Wahi Pranjal aur Vivek khushi se fule nahi sama rahe the.
Vivek (khuspusaate hue) : Yahi hai wo grand show... Haha!
Ragini : Ohhh! Toh tum iski baat kar rahe the. Par... Par ye kuch zyaada nahi ho gaya?
Vivek : Hmph! Zyaada kaha ye toh abhi bhi kam hai.
Ragini : Aur ye idea kis ka tha?
Vivek (smiles) : Chote ka...
Ragini (hairaani me) : Pranjal ka??? Devar jii kuch zyaada hi chatur ho rahe hai aaj kal...
Idhar thappado se Veer ke gaal laal ho chale the.
Brijesh (gusse me) : Tu jaanta hai aaj tune kya kiya hai? Haram khor!!! Wo prasaad hamaare kul ki devi ka tha. Aur tune usse zameen pe gira diya? Aur wo bhi Papa jii ke upar? Naye kapde bhi kharaab kar diye tune unke... 3 lakh ke tohfe ka chuna laga diya... Roz roz tere haath se kuch na kuch gadbad hoti hi hai. Beta nahi panauti hai tu... Mein kehta hu nikal jaa... Nikal jaa issi waqt ghar se... Aur ahinda se iss ghar me qadam bhi mat rakhna...
Aur Brijesh usko haatho se pakad ke ghaseet ke baahar le gaya aur zorr se dhakka dete hue usse darwaaze ke baahar fek diya.
Ghar me maujood sabhi log darwaaze ki orr tezz kadmo ke saath aae siwae Manorath ke...
Aaj tak Devi ke prasaad ka aisa apmaan unke kul me kisi ne bhi nahi kiya tha. Manorath khud abhi iss waqt atyant dukh aur gusse me tha. Issi kaaran usne Brijesh ko bhi iss baar nahi toka.
Aur wo wahi baitha hua chup chaap apne hi mann me Devi se shama maangne laga.
Brijesh : Nikal jaa! Nikal jaa iss ghar se... Aaj se tera aur mera koi sambandh nahi. Marr gaya aaj se tu mere liye... Mera koi beta nahi hai. Khabardaar yadi tune iss ghar me dubaara kadam bhi rakha toh...
Veer kaapte hue sab kuch apni aankho se dekh raha tha, ye pal bhar me kya se kya ho gaya. Aaj kyu uske saath ye sab hua?
Veer ki sauteli Maa, Shweta saamne ke nazaare ko badi hi khushi se dekh rahi thi. Uski mann ki muraad poori jo ho gayi thi. Ab uski beti hi jaydaad ki maalkin banegi. Yahi sochte hue wo apni beti ki orr mudi toh dekha ki uski beti, Bhumika ke chehre par koi expression nahi the. Aur ye jaan kar Shweta ko khushi hui. Ki uski beti ke mann me bhi Veer ke prati koi bhaav nahi hai.
Veer ke aasu uski aankho se lagataar bahe jaa rahe the. Par wo kuch nahi bola.
Wo chup chaap utha aur baahar ki orr chal diya. Usne apne jeb me se gaadi ki chaavi nikaali aur wo gaadi on karne hi waala tha ki peeche se Brijesh ki awaaz aayi.
Brijesh : Ye gaadi teri nahi hai...
Aur Veer chaavi ko gaadi me lage hi chorr kar ghar se baahar nikal aaya.
Usne ek jhalak peeche mud ke dekha. Shweta aur Bhumika usse bina koi bhaav ke dekh rahi thi. Brijesh ki aankho me bhayaanak gussa nazar aa raha tha. Wahi uske Karunesh chacha bhi usse bina koi bhaav ke dekh rahe the.
Uski Sumitra chachi thoda chintit zaroor prateet ho rahi thi.
Vivek aur Pranjal ke chehro par halki khushi nazar aa rahi thi. Ragini aur Arohi bauhe sikode jese kisi soch me doobi hui thi. Jab uski nazar Kavya par gayi toh Kavya ne sehamte hue sar jhuka liya.
Bas! Uske baad Veer palat ke ghar se dur jaane laga. Ghar ke security guards bhi Veer ko jaata hua dekh rahe the.
Achanak baadal garje aur baarish firse shuru ho gayi.
Par Veer na ruka. Aur kuch hi palo me wo apne gharwaalo ki nazro se ojhal ho chuka tha.
Iss waqt Veer ko baarish acchi lag rahi thi. Usse apni lag rahi thi. Jab Ajay se maar khaate waqt wo ghar laut raha tha tab bhi baarish ne uska saath diya tha. Aur abhi jaha uske ghar waalo ne usse ghar se nikaal ke usse akela chhorr diya tab bhi baarish uska saath de rahi thi.
Uske saath saath mausam bhi yu ro raha tha. Veer bina koi awaaz kiye rote rote bas chalta jaa raha tha.
Usne apne seene par latka pendant apne haatho me thaam liya. Ek bada hi pyaara sa pendant tha, ekdum alag type ka.
Usse bheenchte hue Veer ke aasu aur tezzi se behne lage. Ye woh pendant tha jo uski asli Maa ne usse pehnaaya tha.
Veer ko apni asli Maa ke baare me kuch bhi nahi pata tha. Bas itna pata tha ki uss Maa ne usse janm diya hai. Jab bhi wo Brijesh se apni Maa ke baare me puchta tha toh Brijesh bas ek hi baat bolta~ "Naam mat lo uss kameeni aurat ka..."
Uski Maa ka naam tha Bhawana. Veer ke janm ke ek saal baad hi dono ke beech talaak ho gaya aur Bhawana ghar se chali gayi thi.
Kaha gayi woh, kis haal me hogi abhi, zinda bhi hai ya nahi uski Maa usse kuch nahi pata tha. Yaha tak ki uski Maa ka naam bhi uske Dada jii ne usse bataya tha. Na hi uss aurat ko lekar ghar me charcha hoti thi na hi koi uske baare me koi topic chedhta tha.
Veer ko toh ye bhi nahi pata tha ki uski Maa kesi dikhti thi. Koi bhi photo album nahi tha, uski Maa se judi koi bhi cheez nahi thi ghar me.
Baarish ke kaaran sadko par abhi gaadiya bhi kam chalti hui nazar aa rahi thi. Usse nahi pata tha wo kaha jaa raha hai. Jab tak uske perr chal rahe the wo bas chalta jaa raha tha. Usse apni sagi Maa ki yaad aane lagi. Yadi wo yaha hoti abhi toh uski Maa uske saath kesa vyavhaar karti? Kya usse pyaar deti? Ya fir Brijesh ki hi tarah wo bhi...!?
Paani se bheega hua Veer main road par aa chuka tha, abhi wo mudne hi waala tha ki ekdum se ek car mod se aayi aur Veer ne palat ke car ko dekha.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Car ka agla hissa uski pasli se takraaya aur thokar hote hi wo zorr se jaate hue dur gir pada.
"Ohhhh! Noooo...." Car me baithe ek aadmi ke muh se nikla.
Car ko jhatka lagte hi peeche baithi ek ladki forun hi aage ki seat se jaa bhidi, "Aaaahhhh!"
Aadmi : Madam aap theek toh hai na?
Ladki (sar malte hue) : Haa! Mein... Mein thik hu.
Fir jese hi uss ladki ne saamne dekha toh uski maano saasein hi atak gayi. Saamne ek ladka zameen par dala hua tha aur usse samajhne me derr na lagi ki abhi abhi uski car kis se takraayi thi.
Wo ladka waha baarish me car se bhid ke pada bheeg raha tha.
Ladki (ghabraate hue) : Ye... Ye....
Aadmi : Inn sab ka samay nahi hai Madam. Hume jald hi nikalna hoga.
Aur itna bol wo aadmi forun hi gaadi aage badhaane lagta hai.
Ladki (chillaate hue) : Ye kya bol rahe ho aap? Nahi... Hum aise usse chorr kar nahi jaa sakte...
Aadmi : Madam! Baat ko samajhiye... Iss waqt humaara yaha se nikalna boht zaroori hai.
Aur usne car ke accelerator par perr rakh car aage badha dii.
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Do leave a like!
Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........Update - 4 ~ In the Hospital
Ab tak...
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
Ab aage...
"Arre... Arre... Uthao... Uthao..."
"Jaldi... Jaldi..."
"Car wala madarchod bhaag gaya..."
"Uthwao bhailog..."
Aur waha maujood log forun hi Veer ke paas aake usse uthaane lage. Bina baarish ki parvaah kiye.
Yadi uske parivaar waale hote toh kya woh usse iss waqt uthaate?
Shayad haa? Ya shayad nahi!?
"Arre isse toh boht zyaada chot aayi hai, khoon beh raha hai kaafi, jaldi ambulance ko call karo koi..."
Waha khade ek aadmi ne chillaaya toh agle ne forun hi 108 dial karte hue ambulance bulwa lii.
Abhi wo log savdhaani se Veer ko utha hi rahe the ki itne me ussi mod se ek aur car aayi par bheed ke kaaran uss car ko rukna pada.
Car waale ne jab horn maari toh usse itni gaaliya padi ki usse na chaahte hue bhi rukna pada.
"Dhatttt behanchod!! Iski maa ki aankh..." Car waale ne steering pe zorr se haath maarte hue chillaaya.
Dusra aadmi : Ab kuch nahi ho sakta... Car ghuma lo...
Pehla aadmi : Boss ko pata chala toh woh hamaari gardan na udaa de...
Dusra aadmi : Mein Boss ko samjha dunga... Tum car ghuma lo...
Pehla aadmi : Thik hai.
Aur wo car reverse karke waha se nikal gaye.
Idhar log Veer ko utha ke ek shop ke neeche lita ke uski choto par rumaal ya kapda baandh ke jese tese khoon rokne ki koshish kar rahe the.
Kuch derr me hi ambulance aayi aur Veer ko leke hospital ki orr chali gayi.
***
Veer ke ghar me...
Sabhi log iss waqt Manorath ke kamre me maujood the. Manorath apne bistar par baitha hua tha toh wahi baaki sabhi khade hue usse hi dekh rahe the.
Manorath : Aaj tak prasaad ka aisa apmaan hamaare ghar me kisi ne bhi nahi kiya.
Pranjal : Dada jii! Veer ko waqai aisa nahi karna tha.
Kavya : Par... Dada jii! Wo toh... Unhone jaan bujh ke nahi kiya hoga...
Pranjal : Kavya? Ye tum kya keh rahi ho? Pehli baar maante hai ki uska perr fisal gaya aur wo vase toot gaya par dusri baar bhi?
Pranjal ki baat sunn bechaari Kavya kuch virodh hi na kar paayi aur sar jhuka lii.
Sumitra : Jeth jii... Aapko aise... Veer ko ghar se nahi nikaalna tha.
Brijesh : Mene jo bhi kiya hai boht soch samajh ke kiya hai. Mein ye kadam pehle hi uthaane waala tha par hamesha Papa jii ke kaaran ruk jaata tha. Lekin aaj toh usne hadd hi paar kar dii. Akhir uss kameeni ki kokh se jo paida hua hai, aisa hi hona tha... Mere toh ek bhi gud nahi hai usme...
Manorath : Wo jaisa bhi hai iss parivar ka hissa hai. Usse jaake wapas le aao. Abhi zyada dur nahi gaya hoga.
Brijesh : Bilkul bhi nahi Papa jii. Mene aapko pehle bhi bol ke rakha hai. Ki jis din ye apni hadd paar karega uss din mein isse ghar se nikaal dunga. Aur aaj yahi hua hai... Ab mein usse iss ghar me ghusne tak nahi dunga... Aap apna faisla sunaaiye Papa jii...
Manorath : Toh tum log usse wapas nahi laoge?
Brijesh : Bilkul bhi nahi...
Manorath : Toh fir mera bhi yahi faisla hai. Zameen aur jaydaad kisko milegi ye bhi tab hi nirnay hoga jab parivaar ka harr ek sadasya ghar me maujood hoga.
Brijesh : Papa jii!??
Vivek : Dada jii!? Ye aap...!?
Manorath ke faisle se maano sabko ek jhatka sa laga. Jiss pal ke liye wo sabhi bekaraar the ki akhir kisko zameen aur jaydaad dii jaegi wo pal toh aaya hi nahi. Ulta ab jab tak ghar me Veer nahi aa jaata tab tak faisla tal chuka tha.
Manorath ke paas dherr saari zameen thi jiski keemat crores me thi aur jaydaad bhi. Aur ye sab kuch ghar ke ussi sadasya ko milne waala tha jo Manorath ki aankho me iske liye sahi tha.
Uske 2 petrol pump bhi rahe jo usne apne beto ko de diye the. Ek petrol pump ka maalik jaha Brijesh tha toh wahi dusre ka maalik Karunesh.
Karunesh ne dimaag se paisa kamaate hue apne bete Vivek ki upar lagaya aur aaj Vivek ki khud ki ek automobiles ki company thi. Bhale hi worldwide nahi thi abhi par uska business zorro shoro se chal raha tha.
Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya, Veer ke hi college me thi aur wo dono bhi B.Tech kar rahi thi. Jaha Arohi aur Veer ki branch same thi ~ IT.
Wahi Kavya CS branch se belong karti thi.
Pranjal bhi same college me tha par wo B.com kar raha tha. Uski building alag thi par saari buildings saath me hi thi, jis kaaran wo break ke time Arohi aur Kavya se milne jaata rehta tha.
Karunesh ko apne bete betiyo ki koi chinta nahi thi.
Par Brijesh ka aisa nahi tha. Brijesh ko bhi ek petrol pump diya gaya tha Manorath dwaara. Usne bhi dimaag se apni ek luxury hotel khulwaayi jo sheher me kaafi mashoor thi. Jaha wo petrol pump sambhaalta tha toh wahi uski hotel uski dusri patni Shweta sambhaalti thi.
Shweta ke hi saath uski beti, Bhumika bhi uska saath deti thi.
Aur aaj yahi faisla liya jaane wala tha ki kisko zameen aur jaydaad milegi.
Par sab kuch dhara ka dhara reh gaya.
Manorath : Mera faisla saaf hai. Jao aur mujhe akela chorr do abhi.
Vivek : Par Dada jii...
Manorath : Mene kaha jao... Aur Brijesh... Yadi tum Veer ko wapas nahi laane waale toh mujhe uske baare me harr cheez batao... Iss waqt kaha hai woh... Kiske ghar theher raha hai? Wo mera pota hai. Mein jaan'na chaahta hu wo sahi salaamat hai ya nahi?
Brijesh : Thik...
Aur ghar ke mukhiya ki awaaz sunn sabhi bemann waha se nikal gaye.
Idhar kamre me aate hi Vivek Pranjal pe toot pada.
Vivek : Chote ye kya kar diya tune? Ye daav toh ulta hi pad gaya. Dada jii ne toh faisla hi taal diya. Ab jab tak wo Veer nahi aa jaata tab tak Dada jii koi faisla nahi sunaenge.
Pranjal : Bhaiya! Ab mujhe kya pata tha aisa ho jaega? Mene toh yahi socha tha aaj Veer ko Dada ji ki nazro me gira dunga toh Dada jii uska naam lenge hi nahi. Par mujhe nahi pata tha Tau jii usse ghar se baahar hi nikaal denge.
Ragini : Mene kaha tha ye kuch zyada hi ho gaya hai.
Pranjal : Aap log tension mat lo. Hum log kese bhi karke Dada jii ko mana lenge aur wo jald hi faisla le lenge. Filhaal ek musibat toh gayi.
Vivek : Hmm!! Par chote tune wo sab kiya kese?
Vivek ke sawaal karne par Pranjal ne muskuraate hue jeb se kuch nikaala aur unn dono ko dikhaya.
Pranjal : Haha! Bhaiya! Saara kamaal iska hai.
Vivek (hairaani me) : Ye toh... Ye toh... Ye toh tufoil hai chote...
Pranjal : Haha! Haa bhaiya! Aapke hi yaha se laaya hu.
Tufoil ek aisa slippery oil jisse automobiles me use kiya jaata hai. Na keval ye automobiles ke liye balki ye apni slipness ke liye bhi jaana jaata hai.
Pranjal : Ye mene floor par daal diya tha. Aur mein Veer ko wahi se le gaya jaha ye oil mene daala tha. Bas! Fir kya tha, uska geela joota jese hi uspe pada, Veer fisla aur vase seedha neeche... Hahaha!
Ragini : Par wo prasaad ka kya?
Pranjal : Bhabhi! Wo bhi iska hi kamaal hai. Mene sleepers ke neeche bhi isse laga ke rakha hua tha.
Ragini (smiles) : Waah! Maan gaye tumhe bhi. Par wo chot ka kya jo Veer ko pehle se hi lagi hui thi?
Pranjal : Wo bhi mere kehne par hau tha Bhabhi. Mere kayi chelo me se ek hai wo Ajay. Mene usko keh ke rakha tha ki aaj pehla din hai toh koi bhi bahana bana ke aaj jamm ke thukaayi kar dena uss Veer ki... Aur usne yahi kiya hahahaha!
Vivek : Par chote, wo oil zameen par nazar kyu nahi aaya?
Pranjal : Kese aaega Bhaiya? Mene usse carpet ke ekdum bagal se giraaya tha hahaha!
Aur uske saath hi Vivek bhi hassne laga. Ragini muskuraate hue dono ko dekh rahi thi. Jaha ye jashn mana rahe the toh wahi koi aur tha jo iss waqt apni saaso se ladd raha tha.
***
Hospital...
Nurse : Iski haalat boht critical hai Doctor.
Doctor : I know... Humse jo bann padega hum karenge.
Nurse : Jii! But iski family...!? Iska mobile toh kaam hi nahi kar raha hai.
Doctor : Mene ward boy ko bola hai wo iske phone ki SIM apne phone me daalke iske ghar waalo ko call karega.
Nurse : Hmm!!
Aur Veer ka treatment shuru ho chuka tha.
Ward boy ne jab Veer ki SIM daal ke Brijesh ko call kiya toh Brijesh ne ye soch ke call nahi uthaya ki zaroor Veer ne paise maangne ke liye phone kiya hoga aur gusse me usne apna phone hi band kar diya.
Ward boy ne jab Sumitra ko call kiya toh call lag hi nahi raha tha. Kese lagta? Pranjal ne apni maa ke phone me Veer ka number block jo kar ke rakha tha.
Fir usne akhiri number jo ki Kavya ka tha usse call kiya.
Idhar iss waqt Kavya Arohi aur Pranjal ke saath hi baithi hui thi. Number dekhte hi Kavya soch me pad gayi.
'Veer Bhaiya mujhe kyu call kar rahe hai?? Phone utha lu? Thik hai utha leti hu.'
Par iske pehle ki wo phone utha paati, Pranjal ne uska phone chhina liya.
Pranjal : Zara dekho toh... Veer ab hamari Kavya ko phone laga raha hai. Kyu Kavya?
Kavya : Phone dijiye Bhaiya.
Pranjal : Nahi! Zaroor ab apni pyari behan se paise maangne ke liye phone kar raha hoga. Kyuki baahar ab usse paiso ki zaroorat toh padegi hi...
Aur usne forun hi phone kaat ke uska number hi block kar diya.
Pranjal : Ab tumhe disturbance nahi hoga behan hahaha!
Kavya : Hmm?
Pranjal : Accha wo sab chorro, chalo hum sab pizza mangwaate hai.
Kavya : Mera mann nahi hai Bhaiya aap hi khao. Aaj Veer Bhaiya ke saath itna sab kuch ho gaya aur aapko pizza ki padi hai?
Pranjal : Arre ye kya baat hui yaar. Kavya tum ab bhi usse apna bhai maanti ho? Wo bhai kehne laayak nahi hai Kavya. Kherr chorro! Arohi didi aap toh khaogi na?
Arohi : Nahi!
Pranjal : Thik hai toh mein hi mangwa leta hu...
Aur wo waha se chala jaata hai.
Kavya apna phone liye sochti rehti hai ki akhir Veer ne usse kyu call lagaya hoga. Wo sochti hai ki agli baar yadi phone aaya toh woh zaroor uthaegi. Par usse kya pata tha ki Pranjal ne Veer ka number hi block kar diya tha.
***
Idhar hospital me ek ward me ek ladki apni Maa ke paas baithi hui thi...
Ladki : Maa! Ab mein chalti hu... Tum dhyaan rakhna theek!
Aurat : Haa beta! Mujhe kya... Tumhaare Papa toh rahenge hi na mere saath. Ab tum jao... Raat ho rahi hai beta. Aur fir, Juhi akeli pados me zyada derr nahi reh paegi. Jaa beta...
Ladki : Jii Maa! Chalti hu. Tum dhyaan rakhna apna haa!? Koi bhi dikkat ho toh...
Aurat : Arre baba! Haa! Pata hai mujhe... Jaa ab tu...
Ladki : Thik!
Aur ladki apni Maa ke ward se baahar nikal aati hai.
Abhi wo aage badh ke nikalne hi wali thi ki usne dekha ki uski Maa ke bagal waale ward ke baahar doctor aur ward boy ke beech behas ho rahi thi jisse dekh wo rukk gayi.
Doctor : Dekho kese bhi karke iske parivaar walo ko inform karo.... Kese bhi karke...
Ward boy : Arre Sir! Kisi ne phone hi nahi uthaaya...
Doctor : Haa toh lagaate raho... Nahi toh fir police ko inform karo kyuki uske shareer pe maar peet ke bhi nishaan hai.
Inn dono ki behas chal rahi thi ki tabhi wo ladki jigyaasa purvak aage badhi aur usne ward me jhaank ke dekha, jab usne patient ka chehra dekha toh ekdum hi chaunk gayi aur uske muh se tezz swar me nikla, "Veeeeeeerr!????"
Doctor (palat'te hue) : Aap? Aap janti hai isse?
Ladki : Huh? Mein... Haa! Wo mera student hai. Mein usse pichle ek saal se jaanti hu.
Doctor : Bhagwaan ka shuqr hai chalo koi toh mila... Aapka shubh naam?
Ladki : Nidhi...
Doctor : Okay toh Nidhi jii... Aap idhar aaiye zara mere saath.
Kuch derr baad...
Nidhi Veer ke college me Maths padhaati thi. Aur iss saal wo Veer ki hi class ki classteacher thi.
Wo Veer ko jaanti bhi thi. Bhale hi Veer padhne me hoshiyaar nahi tha par Veer sabse shaant baccha tha uski class me. Aur ho bhi kyu na? Uske dost hi nahi the.
Aaj Nidhi apni Maa jinhe kal hi achanak minor heart attack aa gaya tha unhe hi dekhne ke liye hospital me aayi hui thi. Par ittefaaq se usse Veer bhi yahi mil gaya.
Veer ke liye saari kaagzi kaam Nidhi ne kiya aur yaha tak ki apne Pita jii se Nidhi ne Veer ke liye medical fees bhi advanced me kuch jama karwane ko keh diya.
Sab kuch itni jaldi hua ki Nidhi ki khud samajh me nahi aaya. Aur iss waqt wo ward ke darwaaze ki window glass se jhaakte hue Veer ko dekh rahi thi aur soch me padi hui thi.
'Ye achanak... Ye Veer haadse me kese...!? Aur iske Maa Baap phone kyu nahi utha rahe hai!? Kese Maa Baap hai? Mujhe kal jaake unse baat karni padegi.'
Nidhi ye soch hospital se nikal gayi.
Par uske jaate Veer ki haalat bigadna shuru ho gayi thi.
Nurse : Doctor...
Doctor : I know...
*Beep Beep Beep*
Uski heart beat bilkul band hone ki kagaar par aa chuki thi.
Ki tabhi achaanak se aisa kuch hua jiske chalte uski heartbeat waapas se normal ho gayi.
Doctor : Phew... He's out of danger now.
Aur kuch derr baad hi Doctors aur nurse Veer ki haalat stable roop me chorr ke baahar aa gaye.
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........Update - 5 ~ System Activation
Ab tak...
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
Ab aage...
Veer ke accident ke kuch ghanto baad hi jab Brijesh ka phone baja tha aur screen par Veer naam jab usne dekha tha toh pata nahi kyu Brijesh ne call nahi uthaaya.
Shayad kuch derr pehle usne khud hi apne bete ko dhakke maar ke ghar se baahar nikaala tha iss kaaran vash? Ya fir wo abhi Veer ke muh se koi bhi baat nahi sunn'na chaahta tha. Kuch tha jo usse rok raha tha Veer se baat karne ke liye.
Ki tabhi uske phone par firse call aaya par ye uske khud ke vyakti ka tha.
Brijesh : Hello?
Aadmi : Saahab! Veer jii ka car se accident hua hai. Abhi wo xxxxxxxxxx hospital me bharti hai.
Aur ye sunte hi Brijesh uth khada hua. Aur forun hi hospital ke liye jaane laga.
***
Agle din Kavya college me apni soch me ghum thi.
'Veer bhaiya ka call uske baad se aaya hi nahi. Kya karu? Call back karu? Iske pehle unhone kabhi mujhe call nahi kiya fir achanak kal kyu? Kahi koi dikkat toh nahi? Kal unke beech mein call na kar saki thi...'
Aur ye soch wo call lagaati hai par call nahi laga. Kese lagta? Ward boy ne Veer ki SIM waapas se uske phone me jo daal dii thi.
Ant me Kavya uske whtsapp par message daal deti hai ye puchne ki wo theek hai ya nahi?
Idhar Nidhi din me hi Veer ke ghar gayi thi taaki wo jaan sake ki kyu uske Maa Baap ne call nahi uthaaya tha.
Jab wo waha pohuchi aur jesa ravaiyaa usne dekha Brijesh, Shweta aur baaki ghar waalo ka Veer ke prati ye dekh ke usse itna gussa aaya ki wo khud ko control na kar saki.
Nidhi ek Maa bhi thi. Uski khud ki beti abhi choti thi aur aise me wo jaanti thi ki ek parent hona kya hota hai. Aise me jab usne Brijesh aur Shweta ka behaviour dekha toh bas wo bhadak uthi.
Nidhi : Kese Maa Baap ho aap log? Aapka Beta waha apni zindagi se ladd raha hai aur aap logo ko koi chinta hi nahi hai? Yaha tak ki aapne usse apne ghar se baahar hi nikaal diya!?
Brijesh : Dekhiye Madam! Veer ab iss parivaar ka hissa nahi hai. Rahi baat paise ki toh uske medical kharcho ki bharpayi mein kar chuka hu par iske baad ab wo jaane ki wo kaha rahega kese rahega... Aur aap hamare parivaarik maamlo se dur rahe toh hi accha hoga.
Nidhi : Bhul se bhi aise Maa Baap na de bhagwaan kisi ko...
Aur Nidhi apni namm aankhe liye waha se bhaag aayi. Usse Veer ke liye waqai boht bura lag raha tha. Kaha wo khud ko badqismat samajhti thi par ab Veer ko dekh usse mehsoos hua ki kam se kam usse Maa Baap ka pyaar toh mil raha tha par Veer ko toh wo bhi nahi mila...
Na jaane kya kya saha hoga uss bechaare ne ab tak?
Na jaane kese kese din bitaaye honge Veer ne unke beech rehke?
Idhar hospital me abhi shaam ke waqt Veer ko hosh aa chuka tha.
"Arrrghhh!" Ek karaah ke saath uski aankh khuli.
Aankho se dhundhlapan hata, saamne ka nazaara nazar aaya.
Usne dekha ki wo hospital me hai. Aankhein uski jal rahi thi. Usse sab kuch jese yaad aane laga...
Kya hua tha?
Haan! Aur kal ki saari vardaat flashback ki tarah uske dimaag me mandraane lagi.
Aur usne apna sar pakad liya...
Aankho se aasu behne lage...
Abhi wo soch hi raha tha ki itne me uske andar ek awaaz gunji jiske chalte uske raungte khade ho gaye.
[Sytem has been activated. You are now the owner of the system.]
Veer (ghabraate hue) : Huh? Kaun? Kaun hai?
Awaaz se maano Veer bechaara darr hi gaya. Usne apna sar idhar udhar hilaate hue dekha par wo awaaz kaha se aayi usse kuch bhi pata na chala.
[Name the System!!]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Mein puchta hu kaun hai?
Aur firse ek awaaz uske dimaag me gunji...
[Analyzing Hindi language from owner's mind...
Processing...
Process completed.
Hindi Language has been recognised.]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Saamne aao... Kiski awaaz hai ye jo mere sarr me gunj rahi hai...!?
Tabhi wahi awaaz firse uske mann me gunji...
Par iss baar uske bol alag bhaasha me the.
[Shaant! Mein System hu. Aur ab se tum mere master ho.]
Veer (darrte hue) : Kaun bol raha hai? Mujhe tum dikhayi kyu nahi de rahe?
[Mene kaha na Shaant! Mein ek system hu. Meri koi physical body nahi hai. Mein tumhare andar hu.]
Veer (ghabraate hue) : Me... Mere andar?
[Haa! Kya tumhe yaad hai kal tumhare saath kya hua tha? Tumhara accident hua tha. Aur tum marrte marrte bache ho tumhe pata hai? Yadi mene samay par madad na ki hoti toh tum zinda nahi bachte.]
Veer (chillaate hue) : Kesi madad? Tum mere andar kese ho? Baahar aao...
[Arre! Itni zorr se mat chillao. Andar mann me hi kaho jo kuch bhi kehna hai. Mein tumhaare mann, dil, dimag sab se judd chuki hu. Aur tumhare mann ki baat sunn sakti hu. Aise chillaoge toh log tumhe pagal samjhenge.]
Aur uss vichitr mann ki awaaz sunn Veer apne mann me hi baat karne laga.
Veer : Meri... Meri kuch samajh me nahi aa raha hai. Ye sab kya chal raha hai?
[I know! Abhi tumhe samajhne me time lagega. Bas itna samajh lo ki mein tumhe koi nuksaan nahi pohuchaane wali. Ulta mein tumhari madad ke liye yaha hu.]
Veer : Meri madad?
Veer ne kaapte hue pucha.
[Haa! Tumhari madad! Mein tumhari madad karungi. Hamesha tum apni kismat ko koste the na? Ab mein tumhara saath dungi aur tum apni kismat palat ke rakh doge.]
Veer : Wo... Wo kaise?
[Yahi toh mera kaam hai. Yadi mera istemaal sahi se kiya. Toh tum duniya par raaj kar sakte ho.]
Veer : Sach!?
[Ekdum sach.]
Veer : Toh kya tum ladki ho? Kyuki tumhari awaaz ladkiyo jesi hai.
[Nahi! Mein na hi ladki hu na hi ladka. Mein kisi bhi gender me apne aap ko dhaal sakti hu. Mene tumhaare mann me jhaank ke dekha toh pata chala tumhe ladkiya zyada pasand hai ladko ke muqaable isliye mene apni awaaz ladki ki rakhi hui hai.]
Veer (blush) : Huh? Obviously Mujhe ladkiya pasand hai. Ladke nahi. I'm not gay...
[Yadi kaho toh awaaz ladke ki rakh lu!?]
Veer : Huh? Nahi! Nahi! Aise hi theek hai.
[Hehehe~]
Veer : ..........
[Accha! Ab apni aankhein band karo aur mann me hi kaho ~ Status]
Veer (aankhein band karte hue) : Status!
Aur Veer ke itna kehte hi uske mann me ek window khul gayi,
[ Name - Veer
Age - 20
Status - Abandoned student.
Stats :
Strength - 3/100
Intelligence - 4/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 6/100
Talents - 0
Points - 0 ]
Ye sab dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye.
[Baap re Baap! Tumhara toh boht bura haal hai. Itne bekaar stats mene kabhi nahi dekhe apne life cycle me. Ye kya? Zero talents? Baap re!!! Tum reh kese liye itne din? Hmm? Endurance bas zyada hai tumhara. Arre haa! Itni maar khaoge toh ye toh zaahir si hi baat hai. Hehehe~]
Veer : Udaa lo... Tum bhi mera mazaak uda lo... Ab toh mujhe aadat pad gayi hai.
[Hey! Hey! Sorry! But ab tension mat lo. Mein hu na. Mein tumhe dekhna kaha se kaha pohucha dungi.]
Veer : Aur tum aisa kyu karogi? Kya milega tumhe aisa karke?
[Mera kaam hi yahi hai. Mera kaam hai logo ko sabse sarvashreshth banaana.]
Veer : Toh tumne mujhe hi kyu chuna?
[Mene chuna nahi. Jab mein yaha se guzri toh tum hi paas me the aur mein tumhare shareer me pravesh kar gayi. Apne aap ko Lucky keh sakte ho tum.]
Veer (shocked) : Yaha se guzri matlab?
[Uss baare me mein zyaada baat nahi kar sakti.]
Veer : Toh? Toh Doctor ko pata nahi chala? Ki tum mere andar ho?
[Hahaha~ Doctor kya... Tumhaari Prithvi me rehne waala koi bhi vyakti ye nahi bata sakta ki tumhaare andar mein maujood hu.]
Aur ek aur jhatka Veer ko. Ye kya bala ghuss gayi achanak se uske andar aake?
Veer : Aur tumhe Hindi kese aati hai??
[Arre buddhu abhi toh bataya, mein tumhare mann, dimaag aur dil se jud chuki hu. Aur abhi abhi toh seekhi tumhaare dimaag se hi. Isliye jitni Hindi tumhe aati hai utni hi mujhe bhi.]
Veer : O... Okay!
[Par tumhaare stats boht hi bekaar hai. Mujhe khud taras aa raha hai dekh ke. Tumhe jald se jald apne stats badhaane honge.]
Veer : Ye? Ye stats kya hai?
[Ye tumhari asli shamtaaye hai. Tumhari strength 3 hai yaani ki jo taaqat hai tumhare andar usse yadi number se darshaaya jae toh woh 3 hai. Intelligence matlab tumhari buddhi, agility tumhari furti, endurance tumhari sehan-sheelta aur appearance tumhare physical features yaani ki chehra body haath perr ye sab.]
Veer : Aur mein inhe badha sakta hu? Toh mere asli shareer me badlaav aaenge?
[Haa!]
Veer (shocked) : Baap re! Aise me toh mein fir...
[Tabhi toh kaha ki ab mein tumhari kismat palat ke rakh dungi.]
Veer : Par wo points kese badhenge?
[Missions karke. Samay samay par tumhe missions milenge aur jese jese tum unhe complete karoge tumhe points milenge. Unn points se tum apne stats badha paoge aur saath hi saath nayi skills khareed paoge. Saath hi saath jitni uplabdhiya aur naam kamaoge tumhe points milte rahenge.]
Veer : Mein kuch samjha nahi...
[Hmm! Tumhara intelligence kam hai na isliye abhi sab kuch tumhare bheje ke upar se jaega. Bas itna samajh lo. Jese jese tum missions poore karte jaoge, mera level aur saath hi saath tumhaara level badhta jaega. Jiske chalte aur bhi anokhi skills unlock hoti jaengi. Dhyaan rahe! Yadi mission ko time limit me poora nahi kiya gaya. Toh tum hamesha hamesha ke liye mujhe kho doge.]
Veer : O... Okay!!
[Hmm! Ek aur akhiri baat. Kabhi bhi... Kabhi bhi ghamand mat karna. Jis din tumhe ghamand aana shuru hua, uss din se hi tumhara ant bhi shuru ho jaega.]
System ki baat sunn Veer ke raungte khade ho gaye. Apna thook nigalte hue usne firse kaha.
Veer : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha ki duniya me aisi bhi koi cheez hoti hai.
[Duniya me aisi koi cheez nahi hai. Saari duniya me mein hi ek hu jo tumhare andar iss waqt maujood hu. Mein iss planet se nahi hu. Aur planet ke baahar kesi kesi cheeze maujood hai ye tum insaan soch bhi nahi sakte.]
Veer : .........
Iske pehle ki Veer kuch aage keh paata, Nidhi uske ward me aa gayi.
Darwaaze ki aahat se jab Veer ne palat ke dekha toh apni ma'am ko dekh kar chaunk gaya.
Veer : Ma'am!?
Nidhi : Ohh God!! Finally... Tumhe hosh aa gaya.
Aur Nidhi tezz kadmo ke saath aage aayi aur Veer ka haath thaam lii...
Veer (shocked) : Nidhi Ma'am aap yaha!?
Nidhi ne fir saari baat usse bata dii. Jab usse pata chala ki Brijesh ne uska call nahi uthaaya tha toh uske chehre par dard bhari muskuraahat aa gayi. Nidhi usse bechain bhari nazro se dekh rahi thi.
Veer : Aapne mere liye medical fees dii!?
Nidhi : Mene toh sirf advance diya tha baad me tumhaare Dad ne saari pay kii.
Kehte hue usne Veer ka haath ek baar fir thaam liya.
Nidhi (bauhe sikodte hue) : Tumhe... Tumhe bura lag raha hoga na? Tumhare Maa Baap tumhe dekhne tak nahi aaye. Jese maano unhe koi parvaah hi nahi hai tumhari.
Veer (smiles) : Isme koi nayi baat nahi hai Ma'am. Ye sab toh roz ka hai. I'm not surprised. Haha~
Uski wo fake hassi dekh pata nahi kyu, par Nidhi ko apne dil me atyant hi dard mehsoos hua. Aur usne Veer ka haath aur zorr se bheench liya.
Tabhi Veer ke andar firse awaaz gunji,
[Apne mann me kaho 'Check' aur fir iss aurat ki taraf dekho.]
System ki baat sunn Veer ne wesa hi kiya aur jese hi usne check kehte hue Nidhi ko dekha toh uske hosh hi udd gaye.
Nidhi ke sar ke upar hawa me ek window mandraa rahi thi jisme kuch shabd likhe hue the ~
[ Name - Nidhi
Age - 30
Status - Divorce pending.
Bio - Nidhi ki ek beti hai jiska naam hai Juhi. Saath hi ek beta hai jisse wo apne saath rakhna chaahti hai par uske Pati Rajat ne usse apne paas rakha hua hai. Rajat se uska rishta kharaab chal raha hai jiske chalte Nidhi akeli apni beti ke saath ek ghar me rent dete hue rehti hai kyuki wo apne mata pita par bojh nahi bann na chaahti. Uski Maa ko do din pehle hi dil ka daura pada tha aur wo bhi issi hospital me bharti hai. Nidhi ki life boht hi dukh aur pareshaniyo se bhari hui hai.
Favourability - 20
Relationship - Student - Teacher ]
Ye sab kuch Veer ko Nidhi ke sar ke upar nazar aa raha tha.
Veer (ghabraate hue) : Ye... Ye aapke sar pe...
Nidhi : Huh? Kya hua? Mere sar pe!?
[Arre Buddhu! Ye sirf tum dekh sakte ho? Baaki koi nahi.]
Veer : Nahi! Ma'am! Wo mein aise hi...
'Itna toh mein ek saal me nahi jaan paaya Ma'am ke baare me jitna abhi jaan gaya. Kya kamaal cheez hai ye.'
Usne mann me socha.
'System? Ye favourability 20 ka kya matlab hai?'
[Iska matlab hai ki wo tumhaare baare me kya sochti hai. Ek prakaar se uske mann me tumhare liye jo bhaav hai usko darshaata hai.]
'Toh ye 20 matlab?'
[Matlab ki abhi wo tumhare liye sirf 20 favourability rakhti hai. Jese jese tumhara aur uska relation accha hoega ye badhta jaega. Yadi ye 80 ke upar hai matlab ki koi tumhe chaahta hai. Yadi ye 90 ke upar hai matlab ki koi tumhe dil se pyaar karta hai. Aur yadi 100 hai matlab ki dil-o-jaan se pyaar karne waala vyakti.]
'Samjha!'
Nidhi : Veer? Kaha kho gaye?
Jab Nidhi ne chutki bajaate hue apna haath uske saamne hilaaya toh Veer jese apne khayaalo se baahar aaya.
Veer : Haa! Wo mein... Ma'am...
Nidhi (haath thaamte hue) : Just forget about everything Veer! Aur kuch mat socho. Bas tumhe jald se jald thik hona hai. Okay? And don't think tumhara koi nahi hai. I'm with you okay? Abhi tum rest karo ab. Mein ab kal shaam ko hi aaungi. Aaj mene wese hi leave lii thi. Roz nahi le sakti.
Veer : Jii ma'am! Thank you!
Nidhi : Thank you kesa isme...?? *Smiles* Take care okay?
Veer : Hmmm!
Aur Nidhi uske ward se chali gayi. Veer keval Nidhi ko jaate hue dekhta raha.
Nidhi 30 saal ki ek aisi husn ki mallika prateet hoti thi ki maano keher hi dhaa de. Par limited paiso aur din bhar ki mehnat aur thakaan ke chalte jaise uska husn poora khil ke nahi jhalak paa raha tha. Kyuki wo dhyaan hi nahi de paati thi apne upar.
Ye dekh Veer ko waqai taras aa raha tha uss par. Uski khud ki Maa yaha admit thi par uske bawajood Nidhi ne uski madad ki aur uske liye advance me paise bhi bharwae. Wahi dusri orr uske gharwale jo saari sampatti se sampann hai unhone ek shan bhi nahi socha ki wo jee raha hai ya marr raha hai.
*Ding*
Aur achaanak hi uske dimaag me ghanti baji aur uske saamne ek window khuli.
[Mission : Solve Nidhi's problem.
Reward : ?? points
Time limit : 1 year ]
'Huh? Mission?'
[Haa! Mission mil chuka hai tumhe.]
'Nidhi Ma'am ki problem? Konsi problem?'
[Ye toh tumhe khud dekhna padega.]
'O... Okay!'
[Ab tumhara safar shuru ho chuka hai. Ya toh tum yahi ke yahi reh jaoge ya meri madad paa ke ek Badshaah banoge. Toh bolo? Kesa jeevan chahiye? Ek aam aadmi ki tarah jesa ki tum abhi jee rahe the ya fir ek Badshaah ka?]
Sawaal sunn ke Veer ne socha hi nahi. Usse pata tha usse kya jawaab dena hai.
Veer (smiles) : Ek Baadshah!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!