• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Beintehaan Mohobbat (Completed)

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
Update 64
Agle din sablog college mein aate hai par unke dimaag mein abhi bhi wahi sab chal raha tha.

Radha: Kyaa hua tum sab kyaa soch rahe ho.

Sab: Kal aaplogo ne jo shock diya hai usi ko leke soch rahe hai.

Yash: Jyaada mat socho. Jo hona tha hogya. Aur ab jo hona hai woh hoke rahega.

Soniya: Par bhai agar kisi ko pata chal gaya aapke baare mein toh aapki life barbaad hojayegi. Puri family ki jaan aap mein basti hai. Agar aapko kuch hogya toh humlogo ka kya hoga.

Yash: Mujhe kuch nhi hogaa. Main apna pura dhyaan rakhta hu. Aur agar humne kuch nhi kiya toh sabkuch tabaah hojayegaa.

Abhi koi kuch bolta tabhi waha woh trimurti aajate hai. Par issbaar inke paas naa aake inke bagal wale chair mein baith jaate hai.

Inko dekh kar unsab ko bahot gussa aaraha hota hai par woh kuch nhi kar paate. Isiliye sablog chup chaap class mein chal dete hai.

Recess mein sablog chup chaap baithe hue the. Tabhi Yash ke mobile mein ek call aata hai.

Yash: Haa bolo.

Saamne se Rishi kuch bolta hai.

Yash: Kyaaaa. Lagta hai uske din pure hogya hai tabhi usne yehsab karne ka socha hai. Kab karne wala hai woh.

Rishi: Aaj.

Yash: Thikkk hai. Aaj uske kaam ko achhe se kardete hai.
Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Siya: Kyaaa hua. Kiska call thaa.

Yash: Dad ko fhasane ka plan bana hai.

Radha: Kisne bana hai.

Yash: Hai kuch dushman. Jinki akal aaj thikane lagegi.

Aarav: Bhai puri baat bataiye naa. Aakhir hua kya hai.

Yash unhe batata hai aakhir mamla kya hai.

Avi: Inki toh. Usko toh chorenge nhi. Bhai aap kab jaayenge.

Yash: College ke baad sham ko

Aarav: Hum bhi jayenge.

Avi: Bilkul. Ab hum bhi aapke saath chalenge har jagah. Aakhir yeh humari family ka bhi matter hai.

Yash aage kuch nhi bol paata. Woh ek call karta hai.

Yash: Mangal bhai.

Mangal: Haaa Yashh bolo.

Yash: Dad kaha hai.

Mangal: Sir toh abhi meeting mein hai. Kuch hua hai kyaa.

Yash: Hua toh nhi hai hone wala hai. Dad ki car aur driver kaha hai.

Mangal: Woh toh neeche honge. Kyaa hua hai.

Yash: Woh baad mein bol raha hu. Abhi aap ek kaam kare. Ek dusri car mangwaye aur usme dad ko le jaaye. Aur dusre driver ke saath. Aur jo car neeche khadi hai usko abhi ke abhi bahar nikale. Aur uss driver ko jara nashta paani karwana hai.

Mangal: Samaj gaya. Main abhi karwata hu.

Phir yehlog class mein chale jaate hai aur chutti ke baad ghar aate hai.

Yash phir Mangal bhai ko call karke kuch bolta hai. Aur woh bhi apne kaam mein lag jaate hai. Phir Yash bahar nikal jaata hai. Aur ek jagah jaake Aarav Avi aur apni team ka wait karne lagta hai.

Thodi der mein wohlog bhi aajate hai.

Yash: Aarav Avi yeh hai Karan Rishi Maya aur Ritika. Aur tumlog toh inndono ko jaante hi ho.

Avi: Rishi ko dekh kar. Tum tumhe kahi toh dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.

Rishi: Muskurate hue. Hospital mein dekha hoga. Jaha Thakur ki betiyan admit thi.

Avi: Haaa yaad aaya. Tum reception ke waha mujhse takraye the. Par tum waha kyaa kar rahe the. Kyaa bhai ne tumne waha bulaya tha.

Rishi: Aisa hi samaj lo. Main apna kaam hi kar raha tha. Yash chale. Wohlog kabhi bhi waha pahonch sakte hai. Uske pehle humhe apna kaam karke nikalna hoga.

Aarav: Aree karna kya hai humhe bhi toh batao. Aur kaun log pahonch sakte hai aur kyaa kaam karna hai.

Yash: Achha ek baat batao. Abhi hum yaha kisliye hai.
Avi: Isiliye taaki Mamaji ki gaadi mein unke driver ki madad se jo drug implant hone wala hai jisse unhe fhasya jaaye woh plan fail karna hai.

Karan: Good. Ab tumne woh kahawat toh suni hogi jo kisi aur ke liye gaddha khodta hai woh usme khud hi girta hai.

Aarav: Haa suna hai.

Karan: Toh yaha bhi wahi hoga. Jisne Ishant Uncle ki car mein drug implant karne ki sochi hai usi ke ghar mein woh drug implant hoga.

Avi: Matlab jaise ko taisa.

Karan: Exactly.

Ritika: Yash Mangal bhai ka msg aagaya hai. Bag unke haath lag gaya hai. Aur woh driver bhi.

Yash: Great. Chalo ab chalke uss bag ko uske sahi jagah deke aate hai.

Phir sablog waha se nikal jaate hai aur raaste se Yash Mangal bhai se woh bag leke sidha chale jaate hai uss aadmi ke ghar jisne yeh plan banaya tha.

Yash: Aarav Avi Karan aur Rishi tumlog apne face ko achhe se cover karo aur jaakr unn guards ka dhyaan bhatkao. Tab tak main kaam khatam karta hu. Ritika Cameras ka kyaa hua.

Ritika: Bas ho hi gaya. Lo cameras ab meri control mein hai.

Yash: Tumlog jaao. Aur apna chehra kisi ko naa dikhana. Kyoki abhi yaha pe Narcotics wale aayenge.

Charo: Thikk hai.

Phir woh charo chale jaate hai security ka dhyaan bhatkane. Jaise hi security ka dhyaan idher udher hota hai Yash jaldi se bungalow ke andar jaata hai aur pichhe bane outhouse mein jaake woh bag ek almari ke pichhe chuppa deta hai. Aur aise chupata hai jisse aise lage usko kisine achhe se chupaya hai.

Woh bag chupane ke baad Yash chupke se waha se nikal jaata hai. Jaise hi Yash waha se nikalta hai woh charo bhi nikal jaate hai aur cameras bhi pehle jaise hojaate hai.

Sham ko harjagah news faill gayi ke Narcotics Department ne ex-minister ke ghar chaapa maara aur 30 kg cocaine baramat kiya. Unko aur unke bete ko drugs supply karne ki jurm mein giraftar kiya gaya. Unhone drugs ka bag apne ghar ke pichhe bane outhouse mein chupaya tha par NCB ne woh drugs baramat kiya.

Jab Ishant aur Mahendra ne yeh news dekhi toh undono ko alag alag tarike ka jhatkaa laga.

Ishant ko jhatka laga kyoki usko sirf shak tha par yakeen nhi tha ke ex-minister drugs ka dhandha karta hai.
Aur Mahendra ko jhatka laga kyoki uska plan jo fail hogyaa.

Mahendra: Yeh kyaa hai. Yeh kaise fhass gaya. Yaha toh Ishant ko hona chahiye thaa. Maine toh isko kaha tha ekdum dhyaan se woh bag Ishant ki car mein rakh de. Aur usne kaha tha Ishant ka driver uske saath hai. Aur bag ko car mein sambhal ke rakh diya hai. Phir yeh sab kaisee huaa.

Mahendra isi soch mein ghumm tha tabhi uske paas kisi ka call aata hai.

Mahendra: Hello.

Yash: Apni ulti ginti karna start karde. Tere banaye har plan ka satyanash main karunga. Jaise aaj kiya hai.

Mahendra: Tu hai kaun. Ekbaar saamne aaja. Tujhe aisi maut dunga ke teri rooh kaanp jayega.

Yash: Mujhe maarna tere bas ka nhi hai. Aur rahi tere saamne aane ki baat toh woh jaldi hi aaunga. Aur jab main saamne aaunga wih tera aankhri din hoga.

Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Idher Minister aur Shivam ko NCB walo ne drugs ka dhandha karne ke jurm mein giraftaar karliya aur unko jail mein dhaal diya. Aur isi ke saath Minister ka chapter Yash ke life mein khatam hua.

Idher Rohan Rashi Aanchal ko bhi jhatkaa laga. Kyoki unko bhi Shivam ne iss plan ke baare mein bata diya tha. Par jab inko pata chala Shivam hi fhas gaya hai unko yakeen hi nhi hua.

Idher Yash jab ghar aaya toh Siya bhagg ke aayi aur uske gale lag gayi.

Yash: Kyaa huaa Siyaaa.

Siya: Tumne toh kamaal hi kardiya. Humhe fhasane chale the ab khud hi fhas gaye.

Yash: Humari family ke upar buri nazar rakhega toh yehi hoga. Uske paas option tha. Khud ko.aur apne bete ko sahi raste pe laake izzat ki zindagi jiye. Par woh kutte hai aur unki dum humesh tedhi ki tedhi hi rahegi. Ab sadte rehenge jail mein. Unke khilaf aur bhi cases darj hai ab woh kabhi bahar nhi aayenge.

Siya: Achha hua. Ek toh kam hua.

Yash: Bahot jald bache hue bhi khatam hojayenge.

Aise hi kuch din guzar jaate hai. Inn kuch dino mein bahot kuch badal chuka tha. Yash ki zindagi puri tarah se badal gayi thi.

Agarwal House ke charo taraf police ka pehra tha. Bahar Parking mein se kuch gaadiyan jaa rahi thi toh kuch gaadiyan aarahi thi.

Hall mein bahot jan maujud the. CM bade bade businessman Minister Media high ranked Police officers Yash ki puri family Vikram Sanjana Sangeeta Varun Arushi Megha Dev Thakur Mahendra Thakur Rashi Aanchal maujud the.

Hall ke beecho beecho Yash zameen mein baitha hua tha.

Uske saamne 4 tasveer mein maalayen lagi hui thi. Sablog safed kapdo mein the. Yash and Family Vikram Sanjana ki aankho mein aansu the. Kyoki woh 4 tasveere kisi aur ki nhi Ishant Mehak Siya aur Radha ki thi. 2 din pehle hi inn 4 jan ki maut hogyi thi. Yeh charr ek car se kahi jaa rahe the.

Tabhi inki car ka break fail hogya car ek ped se takra gayi aur blast hogyaa. Charo wahi pe maare gaye.

Yash ko jab yeh pata chala woh puri tarah se pagal hogya tha. Sanjana ne toh ro ro ke apna bura haal karliya tha.

Vikram bhi apni beti ki gumm mein pagal hogya tha.

Yash ke parivaar wale bhi iss accident ke baad zinda laash ban gaye the khaan peena sab chorr diya tha. Yash ne toh bolna hi band karidiya tha. Bas har waqt unn charo ki tasveer liye baitha rehte the.

Sangeeta aur Shalini ne badi mushkil se sabko thoda khilaya. Yash toh khaane ko taiyaar hi nhi tha par unn 4 jan ki kasam deke usko bhi thoda khilaya gaya.

Rashi aur Aanchal ki aankho mein tear drops ke aansu the. Unko bahot khushi hui thi iss accident se. Aakhir Radha ke jaane se unka raasta saaf hogya tha. Ab woh Yash ke kareeb aasakti thi. Inn 2 dino mein inn dono ne Yash ko bilkul bhi akela nhi chora tha. Bhale hi uski family uske saath thi. Par yeh dono bhi uske saath the. Soniya Arushi Megha Aarav Avi aur Varun ko inka rehna bilkul bhi pasand nhi aaraha tha par woh chupp the.

Thodi der baad sablog chale jaate hai. Bas ghar ke log Vikram Sanjana Mahendra aur uska parivaar hi tha.

Mahendra: Yash mujhe malum hai iswaqt yeh kehna sahi nhi. Par phir bhi main kuch bolna chahta hu.
Yash: Boliye na.

Mahendra: Dekho ab jo hogya hai usko badla nhi jaa sakta tha. Par ab humhe bhi apni life mein aage badhna chahiye. Kab tak unki yaad mein iss tarah rahenge. Isiliye yaha pe sabse bada hone ke naate main kahunga tumhe aur baaki sab ko ab apni apni life mein aage badhna chahiye. Vikram main samjhta hu tumne kya khoya hai. Par ab tumhe bhi apni life mein aage badhna chahiye.

Vijay: Yash Vikram Uncle sahi bol rahe hai. Ab aage badhna chahiye. Humne jo khoya hai usko chah kar bhi hum nhi paa sakte. Par kab tak aise hi rahenge. Humhe aise dekh kar unhe bhi takleef hogi.

Yash: Ji fufaji.

Mahendra: Beta Ishant ke baad business ka kyaa hogaa. Ab itne bade empire ko kaun sambhalega.

Yash: Aap uski chinta naa kare. Yeh pura Empire ab mere naam pe hai. Toh isse main hi sambhalunga.

Dev: Par abhi tum chote ho. Aur tumhari padhai bhi baaki hai. Business aur padhai eksaath kaise karoge.

Yash: Manage hojayega Uncle. Phir mere saath Mamaji aur Vikram Uncle bhi hai toh.

Dev: Bemann se. Haa sahi kaha. Phir hum bhi hai. Agar kabhi bhi koi bhi jarurat padhe toh humhe jarur yaad karna.

Aur apne aap ko bilkul bhi akela mat samjhana. Hum humesha tumhare saath hai.

Rashi aur Aanchal: Haa Yash. Radha aur Siya nhi hai toh kyaa hua. Hum toh hai. Hum humesha tumhare saath rahenge. Tum apne aap ko akela mat samjhana.

Yash kuch nhi bolta bas halka sa muskura deta hai.

Phir baaki sab bhi chale jaate hai. Ab ghar mein sirf family members hi the. Sablog bas ekdusre ko dekh rahe the. Phir kuch baate karke apne apne kamre mein chale jaate hai.
Idher ek aadmi kisi se phone pe baat karta hai.

Aadmi: Kaisa hua sabkuch aaj.

Saamne se: Jaisa humne socha tha sab waisa hi hua hai
Aadmi: Yaani Agarwal House mein maatam chaa gaya hai.

Saamne se: Jiii.

Aadmi: Aur kab tak yeh sab chalega.

Saamne se: Jiii bahot jald khatam hojayega.

Aadmi: Jo bhi karna sambhal ke karna. Koi garbar nhi honi chahiye.

Saamne se: Chinta naa kare. Koi garbar nhi hogi. Sab plan ke hisaab se hi hoga. Bas aap jaha hai wahi rahiye.

Aadmi: Hmmm. Sahi time aane pe main aajunga.

Saamne se: Jiii.

Phir call cut hojaata hai.

Yasha jhataa nado sir ji

Isko Rashi aur Aanchal ka sapna hi banadena ye jhatka nadena meko
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Nadan Dill

Well-Known Member
3,249
7,271
158
Nixe update bhaii maza aya giea par kar ab new update ka intazar ha bhaiii wating new update
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
Update 62
Tabhi class mein Rashi aur Aanchal aajati hai. Arushi aur Megha bhi pichhe pichhe aate hai.

Rashi: Yash kya tum humhe 1 months ke notes de sakte ho.

Yash: Main notes nhi likhtaa. Mera pura notes Radha sambhalti hai.

Ab Rashi aur Aanchal toh Radha se maangegi nhi. Unhe laga tha notes ke bahane Yash se baat karengi uske kareeb aayengi. Par yaha bhi ulta hogya. Radha ke liye aankho mein gussa aur nafrat leke woh baith jaate hai.

Arushi: Kya baat hai Yash. Aaj toh pura hi badla hua roop dikh raha hai.

Megha: Haaa. Warna tum toh kabhi bhi aise muh pe jawaab nhi dete the. Khaas kar inlogo ko.

Yash: Hai kuch baat.

Kuch der baad teacher aajate hai aur sab padhne lagte hai. Recess mein sab canteen mein aate hai.

Aarav: Bhai agar hum kuch puche toh aap batayenge.
Yash: Pucho.

Avi: Bhai humne aajtak aapko kabhi bhi kisi ko bhi aise muh pe jawaab dete nhi dekha. Khaas kar ladkiyon ke saath toh nhi sunaa. Phir aaj aapne aisa kiyaa. Koi khaas wajah.

Soniya: Aur woh bol rahi thi family friends hai. Hum samjhe nhi bhai.

Aarav: Aap humhe kuch chipaa rahe ho bhai.

Yash: Lagta hai ab tumlogo ko sach batane ka time aagaya hai. Ke maine 8 saal london mein kyaa kiyaa. Aaj waisa behave kyo kiyaa.

Soniya: Kaisa sachh bhaiii. Aur aap toh london mein padhai karte the naa.

Yash: Aisa sabko pata hai. Maine waha 6 saal sirf padhai ki thi. Par aakhri 2 saal bahot kuch hua tha. Jiske baare mein Siya aur Radha ke alawa kisi ko nhi pata.

Aarav: Aakhir aisi kya baat hai jo aapne humsab se chipaai.

Yash: Yaha nhi. Tumlog sham ko ghar aana. Waha bataunga.

Sab: Thikk hai.

Yash: Bua fufaji Mamaji mamiji ko kuch mat batana.

Sab: Thik hai.

Phir sab wapas class mein aate hai aur chutti ke baad sab ghar chale jaate hai.

Ghar aake Siya Mehak se bolti hai.

Siya: Mom. Mom kaha hai aap.

Mehak: Ghar mein aayi nhi ke chillana start. Bolo kyaa huaa. Kyo chilla rahi ho.

Siya: Mom aaj Aarav Avi Arushi Megha Soniya Radha aarahe hai sham ko.

Mehak: Kyaa baat hai aaj sab shaitaano ki toli yaha pe kis liyee.

Siya: Bas socha aaj thoda sab milke enjoy karle.

Mehak: Achhi baat hai. Par tumlogo ne Varun ko nhi bulaya.

Siya: Mom woh abhi kaise aasakta hai.

Mehak: Aree kyo nhi aasakta. Woh bhi thoda enjoy karlega. Warna abhi toh harwaqt kamre mein hi band rehta hai. Radha ko call karo bolo usko bhi leke aaye.

Siya: Okk Mom.

Phir woh apne room mein aake Radha ko call karke boldeti hai. Aur fresh hoke lunch karke apna second favourite kaam mein lag jaati hai matlab so jaati hai.

Sham ko sab Agarwal House aate hai. Mehak hall mein hi baithi thi.

Radha Arushi aur Megha jaake Mehak ke pairr chutte hai.

Mehak: Aaj Shaitaano ki toli yaha pe.

Soniya: Bas socha aaj yaha pe hungama karee.

Mehak: Achhi baat hai. Aur Varun kaise ho abb.

Varun: Kya batau Aunty. Jail ke kaidi ke jaisi halat hogyi hai.

Soniya: Mera bas chale toh haath aur pair mein bediya baand du.

Varun: Dekha Aunty. Mujhe lagta hai isine Mom aur Mami ko bola hai.

Mehak: Ekbaar thik hojaao. Phir toh azaad panchi ho.

Soniya: Buaa Bhai aur Siya kaha hai.

Mehak: Yash toh apne room mein hai. Aur woh alsi yaa toh Yash ke kamre mein so rahi hogi nhi toh apne kamre mein so rahi hogi. Jao uthao.

Phir sab upar jaane lagte hai.

Soniya ke dimaag mein shararat sujhti hai.

Soniya: Radha Arushi Megha ek plan hai.

Aarav: Kya plan hai. Kya karna hai ab tujhe.

Soniya: Tumlog jao naa. Yeh humara kaam hai.

Megha: Kyaa karna hai tumhe.

Soniya: Chalo mere saath.

Phir charo Siya ke kamre mein aati hai. Jaha woh besudh sorahi thi.

Radha: Dekho humhe bula ke kaise sorahi hai. Ruko abhi batati hu.

Soniya: Aree rukooo. Thod alag style mein uthate hai.

Arushi: Kya karnaa hai.

Soniya sabko batati hai kya karna hai.

Sab Soniya ki baat sunke hasne lagte hai

Phir charo Siya ke paas aate hai.

Soniya aur Megha ek taraf Radha aur Arushi dusri taraf aajate hai. Phir Siya ke kareeb aake uske kaan ke paas jorr se chillate hai. Siyaaaaaaaaaa uthoooooooooo.

Siya neend mein hue iss humle ghabraaa jaati hai.

Siya: Chillate hue. Mummmmmmyyyyyyyy bachhhhoooooo. Siya ki awaaz neeche Mehak ke kaano tak jaati hai.

Mehak: Hogyi inki badmaashi suru. Pata nhi ab kyaa kiya hai inlogo ne. Phir Mehak upar aane lagti hai.

Bagal ke kamre mein bhi sab yeh sunke darr jaate hai.

Aarav: Jarur Soniya ne kuch kiya hai. Chalo dekhte hai.

Siya ke aise uthne se sab jor jor se hasne lagte hai.

Siya ko normal hone mein thoda time lagta hai. Normal hone ke baad jab woh saari situation samajti hai toh woh Soniya Radha Arushi aur Megha ko maarne lagti hai.

Siya: Tumsab ko sharam nhi aati. Ek masoom bachhi ko koi iss tarah se neend se uthata hai. Agar mera heartfail hojaata toh kyaa hotaa. Abhi toh meri Yash se shaadi bhi nhi hui.

Yeh sunke sab aur jor jor se hasne lagte hai.

Tabhi room mein sab aate hai.

Mehak: Kyaa huaa kyo chilla rahi ho kyaa huaa.

Siya Mehak ke gale lag jaati hai.

Siya: Momm yehlog naa bahott buree hai. Ek masoom si bachhi ko sone bhi nhii dete. Pata hai main kitna aaram se so rahi thi. Par innsab ne mere kaan ke paas aake itne jor se chillaya ke main darr gayiii.

Siya ki baat sunke woh charr hasne lagte hai. Par issbaar inke saath baaki sab bhi thoda thoda hasne lagte hai.

Mehak: Woh sab toh thik hai par masoom si bachhi kaha hai.

Mehak ki baat sunke woh charr pet pakad ke hasne lagte hai.

Siya: Mommmm. Woh masoom bachhi mainn hu.

Mehak: Tum aur masoom bachhi. Tum toh shaitaani mein insab ki leader ho.

Siya: Mom aap bhiii. Jaiiye main baat nhi karti aapse.

Mehak: Aree mera bachha. Phir aage jake unn char janke kaan pakad leti hai. Kyo tumsab ne meri masoom bachhi ko dara diya. Dekho kitni masoom si bachhi hai Siyaa.

Siya: Aur jorr se momm. Choriyega nhiii.

Mehak: Achha achha hogyaa ab. Baitho mein kuch naashta laati hu.

Yash: Mom mere kamre mein bhijwa dijiye.

Mehak: Thikkk hai. Phir woh nichhe chali jaati hai.

Yash: Tumsab chalo ab. Aur tum fresh hoke jaldi aao.

Thodi der baad sab Yash ke kamre mein baithe the nashta karke.

Yash achhe se room ke door ko lock kardeta hai. Room sound proof tha isiliye awaaz bahar jaane ke koi chance nhi tha.

Aarav: Bhai ab toh bataiye. Aakhir baat kya hai. Aaplog aakhir kya chipa rahe hai humse.

Yash: Pehle yeh batao mere upar kitna bharosa hai.

Soniya: Khud se bhi jyaada. Aur aaj toh yeh baat kehdi aapne. Aainda phir na kehna.

Avi: Bhai ab suspense naa badhaiye. Bataiye naa aakhir baat kyaa hai. Kyo aap unse iss tarah ka behave kar rahe the.

Yash: Kya tumlog jaante ho humare dada dadi aur nana nani ki death kaise hui thi.

Soniya Aarav aur Avi: Haa wohlog kahi jaa rahe the tabhi unka bahot buri tarah se accident hogya tha aur usi mein unki death hogyi thi.

Yash: Thoda gusse se. Accident hua nhi thaa accident karwaya gaya tha. Woh ek preplanned murder thaa.

Siya aur Radha ko chorke sab chilla uthte hai. Kyaaaaaaaa.

Yash: Haaaa. Woh ek preplanned murder tha. Unka accident hua nhi tha accident karwaya gaya tha.

Teeno: Kisne karwaya thaa. Kyo karwaya tha. Aur aapko yehsab kaise pata. Kyoki uss waqt aap bhi toh humare age ke hi the.

Yash: Mujhe yeh sab london mein pata chala tha. Mujhe london gaye 6 saal hogye the. Siya uss waqt mere paas thi. Dada dadi aur nani nani ki death ka dard uss waqt bhi mere saath tha. Kyoki puri family mein sabse kareeb main unke hi tha. Unki maut se mujhe bahot bada dhakka laga tha. Ekdin main school naa jaake samundar ke paas baitha tha. Kyoki jab bhi mujhe takleef hoti ya main dukhi hota main uss samundar ke paas chala jaata aur waha baithke leharo ke ufaan ko dekhta rehta.

Mujhe baithe hue kuch time hi hua tha tabhi mujhe kuch awaaze aarahi thi. Awaaze hindi mein thi. London mein hindi naa ke barabar hi sunne ko milta tha. Woh awaaz kisi aur ki nhi Mahendra Thakur ki thi yaani Rashi aur Aanchal ke dada ki. Jo waha kisi meeting ke liye aaya tha. Aur woh waha pathar ke pichhe sabse durr aake apne bete Dev Thakur se baat kar raha tha.

Aarav: Aisi kyaa baat kar raha tha woh bhai.

Yash: Dev Thakur bol raha tha ke Agarwals ne aaj phir unse koi business deal Chinn ki hai. Yeh deal bahot badi thi. Agar yeh deal usse mil jaati toh uss time pe woh dad ke aaspaas hota. Aur woh deal naa milne ki baat hi woh apne baap se kar raha tha. Par phir Mahendra Thakur ne aisi baat boli jisse sunke mujhe bahot bada jhatkaa laga.

Soniya: Kaunsi baat.

Yash: Usne kaha thaa:-

( Mahendra: Chinta mat karo Dev. Bahot jald unn Agarwals ka naam-o-nishan mita denge. Unse apna badla jarur lenge. Aadha badla toh Rajveer aur Ajeet ko unki biwiyon ke saath maarke le liya hai. Aur aadha badla uss Ishant aur uski biwi ko maarke bhi le lenge. )

Yehsunke sabke upar pura bijli ka khambha girr gaya ho aisa haal hogya tha. Woh kyaa bole unko samaj nhi aaraha tha. Unko toh abhi bhi apne kaano mein vishwaas nhi horaha tha.

Sab bas Yash ko hi dekhe jaa rahe the. Jiski aankho mein dard gussa nafrat sab nazar aaraha tha.

nice update ..rashi se direct baat karne par sabne yash se puchha ki wo aisa kyu kar raha hai to yash ne bhi ab sabko sach batane ke liye ghar pe bula liya .

siya ke saath sabne milke majaak kiya 🤣. majedar tha wo scene .

yash ko kaise pata laga ki uske dada ,nana ki hatya huyi hai ye bhi pata chal gaya sabko .
 

parkas

Prime
23,016
52,921
258
Update 64
Agle din sablog college mein aate hai par unke dimaag mein abhi bhi wahi sab chal raha tha.

Radha: Kyaa hua tum sab kyaa soch rahe ho.

Sab: Kal aaplogo ne jo shock diya hai usi ko leke soch rahe hai.

Yash: Jyaada mat socho. Jo hona tha hogya. Aur ab jo hona hai woh hoke rahega.

Soniya: Par bhai agar kisi ko pata chal gaya aapke baare mein toh aapki life barbaad hojayegi. Puri family ki jaan aap mein basti hai. Agar aapko kuch hogya toh humlogo ka kya hoga.

Yash: Mujhe kuch nhi hogaa. Main apna pura dhyaan rakhta hu. Aur agar humne kuch nhi kiya toh sabkuch tabaah hojayegaa.

Abhi koi kuch bolta tabhi waha woh trimurti aajate hai. Par issbaar inke paas naa aake inke bagal wale chair mein baith jaate hai.

Inko dekh kar unsab ko bahot gussa aaraha hota hai par woh kuch nhi kar paate. Isiliye sablog chup chaap class mein chal dete hai.

Recess mein sablog chup chaap baithe hue the. Tabhi Yash ke mobile mein ek call aata hai.

Yash: Haa bolo.

Saamne se Rishi kuch bolta hai.

Yash: Kyaaaa. Lagta hai uske din pure hogya hai tabhi usne yehsab karne ka socha hai. Kab karne wala hai woh.

Rishi: Aaj.

Yash: Thikkk hai. Aaj uske kaam ko achhe se kardete hai.
Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Siya: Kyaaa hua. Kiska call thaa.

Yash: Dad ko fhasane ka plan bana hai.

Radha: Kisne bana hai.

Yash: Hai kuch dushman. Jinki akal aaj thikane lagegi.

Aarav: Bhai puri baat bataiye naa. Aakhir hua kya hai.

Yash unhe batata hai aakhir mamla kya hai.

Avi: Inki toh. Usko toh chorenge nhi. Bhai aap kab jaayenge.

Yash: College ke baad sham ko

Aarav: Hum bhi jayenge.

Avi: Bilkul. Ab hum bhi aapke saath chalenge har jagah. Aakhir yeh humari family ka bhi matter hai.

Yash aage kuch nhi bol paata. Woh ek call karta hai.

Yash: Mangal bhai.

Mangal: Haaa Yashh bolo.

Yash: Dad kaha hai.

Mangal: Sir toh abhi meeting mein hai. Kuch hua hai kyaa.

Yash: Hua toh nhi hai hone wala hai. Dad ki car aur driver kaha hai.

Mangal: Woh toh neeche honge. Kyaa hua hai.

Yash: Woh baad mein bol raha hu. Abhi aap ek kaam kare. Ek dusri car mangwaye aur usme dad ko le jaaye. Aur dusre driver ke saath. Aur jo car neeche khadi hai usko abhi ke abhi bahar nikale. Aur uss driver ko jara nashta paani karwana hai.

Mangal: Samaj gaya. Main abhi karwata hu.

Phir yehlog class mein chale jaate hai aur chutti ke baad ghar aate hai.

Yash phir Mangal bhai ko call karke kuch bolta hai. Aur woh bhi apne kaam mein lag jaate hai. Phir Yash bahar nikal jaata hai. Aur ek jagah jaake Aarav Avi aur apni team ka wait karne lagta hai.

Thodi der mein wohlog bhi aajate hai.

Yash: Aarav Avi yeh hai Karan Rishi Maya aur Ritika. Aur tumlog toh inndono ko jaante hi ho.

Avi: Rishi ko dekh kar. Tum tumhe kahi toh dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.

Rishi: Muskurate hue. Hospital mein dekha hoga. Jaha Thakur ki betiyan admit thi.

Avi: Haaa yaad aaya. Tum reception ke waha mujhse takraye the. Par tum waha kyaa kar rahe the. Kyaa bhai ne tumne waha bulaya tha.

Rishi: Aisa hi samaj lo. Main apna kaam hi kar raha tha. Yash chale. Wohlog kabhi bhi waha pahonch sakte hai. Uske pehle humhe apna kaam karke nikalna hoga.

Aarav: Aree karna kya hai humhe bhi toh batao. Aur kaun log pahonch sakte hai aur kyaa kaam karna hai.

Yash: Achha ek baat batao. Abhi hum yaha kisliye hai.
Avi: Isiliye taaki Mamaji ki gaadi mein unke driver ki madad se jo drug implant hone wala hai jisse unhe fhasya jaaye woh plan fail karna hai.

Karan: Good. Ab tumne woh kahawat toh suni hogi jo kisi aur ke liye gaddha khodta hai woh usme khud hi girta hai.

Aarav: Haa suna hai.

Karan: Toh yaha bhi wahi hoga. Jisne Ishant Uncle ki car mein drug implant karne ki sochi hai usi ke ghar mein woh drug implant hoga.

Avi: Matlab jaise ko taisa.

Karan: Exactly.

Ritika: Yash Mangal bhai ka msg aagaya hai. Bag unke haath lag gaya hai. Aur woh driver bhi.

Yash: Great. Chalo ab chalke uss bag ko uske sahi jagah deke aate hai.

Phir sablog waha se nikal jaate hai aur raaste se Yash Mangal bhai se woh bag leke sidha chale jaate hai uss aadmi ke ghar jisne yeh plan banaya tha.

Yash: Aarav Avi Karan aur Rishi tumlog apne face ko achhe se cover karo aur jaakr unn guards ka dhyaan bhatkao. Tab tak main kaam khatam karta hu. Ritika Cameras ka kyaa hua.

Ritika: Bas ho hi gaya. Lo cameras ab meri control mein hai.

Yash: Tumlog jaao. Aur apna chehra kisi ko naa dikhana. Kyoki abhi yaha pe Narcotics wale aayenge.

Charo: Thikk hai.

Phir woh charo chale jaate hai security ka dhyaan bhatkane. Jaise hi security ka dhyaan idher udher hota hai Yash jaldi se bungalow ke andar jaata hai aur pichhe bane outhouse mein jaake woh bag ek almari ke pichhe chuppa deta hai. Aur aise chupata hai jisse aise lage usko kisine achhe se chupaya hai.

Woh bag chupane ke baad Yash chupke se waha se nikal jaata hai. Jaise hi Yash waha se nikalta hai woh charo bhi nikal jaate hai aur cameras bhi pehle jaise hojaate hai.

Sham ko harjagah news faill gayi ke Narcotics Department ne ex-minister ke ghar chaapa maara aur 30 kg cocaine baramat kiya. Unko aur unke bete ko drugs supply karne ki jurm mein giraftar kiya gaya. Unhone drugs ka bag apne ghar ke pichhe bane outhouse mein chupaya tha par NCB ne woh drugs baramat kiya.

Jab Ishant aur Mahendra ne yeh news dekhi toh undono ko alag alag tarike ka jhatkaa laga.

Ishant ko jhatka laga kyoki usko sirf shak tha par yakeen nhi tha ke ex-minister drugs ka dhandha karta hai.
Aur Mahendra ko jhatka laga kyoki uska plan jo fail hogyaa.

Mahendra: Yeh kyaa hai. Yeh kaise fhass gaya. Yaha toh Ishant ko hona chahiye thaa. Maine toh isko kaha tha ekdum dhyaan se woh bag Ishant ki car mein rakh de. Aur usne kaha tha Ishant ka driver uske saath hai. Aur bag ko car mein sambhal ke rakh diya hai. Phir yeh sab kaisee huaa.

Mahendra isi soch mein ghumm tha tabhi uske paas kisi ka call aata hai.

Mahendra: Hello.

Yash: Apni ulti ginti karna start karde. Tere banaye har plan ka satyanash main karunga. Jaise aaj kiya hai.

Mahendra: Tu hai kaun. Ekbaar saamne aaja. Tujhe aisi maut dunga ke teri rooh kaanp jayega.

Yash: Mujhe maarna tere bas ka nhi hai. Aur rahi tere saamne aane ki baat toh woh jaldi hi aaunga. Aur jab main saamne aaunga wih tera aankhri din hoga.

Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Idher Minister aur Shivam ko NCB walo ne drugs ka dhandha karne ke jurm mein giraftaar karliya aur unko jail mein dhaal diya. Aur isi ke saath Minister ka chapter Yash ke life mein khatam hua.

Idher Rohan Rashi Aanchal ko bhi jhatkaa laga. Kyoki unko bhi Shivam ne iss plan ke baare mein bata diya tha. Par jab inko pata chala Shivam hi fhas gaya hai unko yakeen hi nhi hua.

Idher Yash jab ghar aaya toh Siya bhagg ke aayi aur uske gale lag gayi.

Yash: Kyaa huaa Siyaaa.

Siya: Tumne toh kamaal hi kardiya. Humhe fhasane chale the ab khud hi fhas gaye.

Yash: Humari family ke upar buri nazar rakhega toh yehi hoga. Uske paas option tha. Khud ko.aur apne bete ko sahi raste pe laake izzat ki zindagi jiye. Par woh kutte hai aur unki dum humesh tedhi ki tedhi hi rahegi. Ab sadte rehenge jail mein. Unke khilaf aur bhi cases darj hai ab woh kabhi bahar nhi aayenge.

Siya: Achha hua. Ek toh kam hua.

Yash: Bahot jald bache hue bhi khatam hojayenge.

Aise hi kuch din guzar jaate hai. Inn kuch dino mein bahot kuch badal chuka tha. Yash ki zindagi puri tarah se badal gayi thi.

Agarwal House ke charo taraf police ka pehra tha. Bahar Parking mein se kuch gaadiyan jaa rahi thi toh kuch gaadiyan aarahi thi.

Hall mein bahot jan maujud the. CM bade bade businessman Minister Media high ranked Police officers Yash ki puri family Vikram Sanjana Sangeeta Varun Arushi Megha Dev Thakur Mahendra Thakur Rashi Aanchal maujud the.

Hall ke beecho beecho Yash zameen mein baitha hua tha.

Uske saamne 4 tasveer mein maalayen lagi hui thi. Sablog safed kapdo mein the. Yash and Family Vikram Sanjana ki aankho mein aansu the. Kyoki woh 4 tasveere kisi aur ki nhi Ishant Mehak Siya aur Radha ki thi. 2 din pehle hi inn 4 jan ki maut hogyi thi. Yeh charr ek car se kahi jaa rahe the.

Tabhi inki car ka break fail hogya car ek ped se takra gayi aur blast hogyaa. Charo wahi pe maare gaye.

Yash ko jab yeh pata chala woh puri tarah se pagal hogya tha. Sanjana ne toh ro ro ke apna bura haal karliya tha.

Vikram bhi apni beti ki gumm mein pagal hogya tha.

Yash ke parivaar wale bhi iss accident ke baad zinda laash ban gaye the khaan peena sab chorr diya tha. Yash ne toh bolna hi band karidiya tha. Bas har waqt unn charo ki tasveer liye baitha rehte the.

Sangeeta aur Shalini ne badi mushkil se sabko thoda khilaya. Yash toh khaane ko taiyaar hi nhi tha par unn 4 jan ki kasam deke usko bhi thoda khilaya gaya.

Rashi aur Aanchal ki aankho mein tear drops ke aansu the. Unko bahot khushi hui thi iss accident se. Aakhir Radha ke jaane se unka raasta saaf hogya tha. Ab woh Yash ke kareeb aasakti thi. Inn 2 dino mein inn dono ne Yash ko bilkul bhi akela nhi chora tha. Bhale hi uski family uske saath thi. Par yeh dono bhi uske saath the. Soniya Arushi Megha Aarav Avi aur Varun ko inka rehna bilkul bhi pasand nhi aaraha tha par woh chupp the.

Thodi der baad sablog chale jaate hai. Bas ghar ke log Vikram Sanjana Mahendra aur uska parivaar hi tha.

Mahendra: Yash mujhe malum hai iswaqt yeh kehna sahi nhi. Par phir bhi main kuch bolna chahta hu.
Yash: Boliye na.

Mahendra: Dekho ab jo hogya hai usko badla nhi jaa sakta tha. Par ab humhe bhi apni life mein aage badhna chahiye. Kab tak unki yaad mein iss tarah rahenge. Isiliye yaha pe sabse bada hone ke naate main kahunga tumhe aur baaki sab ko ab apni apni life mein aage badhna chahiye. Vikram main samjhta hu tumne kya khoya hai. Par ab tumhe bhi apni life mein aage badhna chahiye.

Vijay: Yash Vikram Uncle sahi bol rahe hai. Ab aage badhna chahiye. Humne jo khoya hai usko chah kar bhi hum nhi paa sakte. Par kab tak aise hi rahenge. Humhe aise dekh kar unhe bhi takleef hogi.

Yash: Ji fufaji.

Mahendra: Beta Ishant ke baad business ka kyaa hogaa. Ab itne bade empire ko kaun sambhalega.

Yash: Aap uski chinta naa kare. Yeh pura Empire ab mere naam pe hai. Toh isse main hi sambhalunga.

Dev: Par abhi tum chote ho. Aur tumhari padhai bhi baaki hai. Business aur padhai eksaath kaise karoge.

Yash: Manage hojayega Uncle. Phir mere saath Mamaji aur Vikram Uncle bhi hai toh.

Dev: Bemann se. Haa sahi kaha. Phir hum bhi hai. Agar kabhi bhi koi bhi jarurat padhe toh humhe jarur yaad karna.

Aur apne aap ko bilkul bhi akela mat samjhana. Hum humesha tumhare saath hai.

Rashi aur Aanchal: Haa Yash. Radha aur Siya nhi hai toh kyaa hua. Hum toh hai. Hum humesha tumhare saath rahenge. Tum apne aap ko akela mat samjhana.

Yash kuch nhi bolta bas halka sa muskura deta hai.

Phir baaki sab bhi chale jaate hai. Ab ghar mein sirf family members hi the. Sablog bas ekdusre ko dekh rahe the. Phir kuch baate karke apne apne kamre mein chale jaate hai.
Idher ek aadmi kisi se phone pe baat karta hai.

Aadmi: Kaisa hua sabkuch aaj.

Saamne se: Jaisa humne socha tha sab waisa hi hua hai
Aadmi: Yaani Agarwal House mein maatam chaa gaya hai.

Saamne se: Jiii.

Aadmi: Aur kab tak yeh sab chalega.

Saamne se: Jiii bahot jald khatam hojayega.

Aadmi: Jo bhi karna sambhal ke karna. Koi garbar nhi honi chahiye.

Saamne se: Chinta naa kare. Koi garbar nhi hogi. Sab plan ke hisaab se hi hoga. Bas aap jaha hai wahi rahiye.

Aadmi: Hmmm. Sahi time aane pe main aajunga.

Saamne se: Jiii.

Phir call cut hojaata hai.
Nice and excellent update...
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
Update 63
Yash: Uss waqt yeh sunke meri halat tumlogo se bhi kharab thi. Meri aankho se aansu nikal rahe the. Mere se bas kuch kadam durr meri dada dadi nana nani ka hatiyaara khada tha. Mujhe samaj nhi aaraha tha main kyaa karu. Main jhatt se uss pathar ke pichhe gaya toh woh tabtak waha se chala gaya tha. Main bas usse jaate hue dekhta rah.

Main jaldi se ghar aaya Siya meri halat dekh kar pareshan hogyi thi. Usne mujhse bahot pucha par maine uski kisi baat ka jawaab nhi diya.

Siya: Uss waqt Yash ki halat dekh kar mujhe bahot tension hogyi thi. Mujhe samaj nhi aaraha tha aakhir Yash ko hua kyaa hai. Woh raat tak kamre mein band tha. Uske haatho mein dada dadi nana nani ki photo thi. Woh bas usko seene se lagaye roye jaaraha tha.

Maine bahot koshish ki tab jaake Yash shant hua aur usne mujhe sab bataya. Woh sab sunke mujhe bhi shock laga tha. Main bhalei unse kabhi nhi mili thi par Yash se unke baare mein bahot sunna tha.

Yash: Main uss waqt uss ka chehra toh nhi dekh paaya tha. Par mujhe uss aadmi ko dekhna tha usko apne haatho se saza deni thi. Isiliye maine waha apne padosh mein rehne wale Rishi ko call lagaya. Uske saath uska bhai Karan rehta tha. Dono anath the. Humare bahot achhe dost the.

College going student the. Rishi ko brain tumour tha. Par uske ilaaz ke liye unke paas paise nhi the. Tab maine dad se baat karke uska treatment karwaya tha. Tabse woh mere liye kuch bhi karsakte hai.

Maine Rishi ko sabkuch bataya. Usne jaldi se apni girlfriend Ritika ko call kiya jo ek IT expert thi. Hacking toh uska baaye haath ka khel tha. Usi ke madad se mujhe Varun ka pata chala tha.

Ritika ne uss beach ke aaspaas jitne bhi CCTV the unnsab ki footage check ki aur mujhe uski shakal dikhayi. Uski shakal dekhte hi mere aankho mein khoon utar aaya. Main ussko maarne ke liye tadal raha tha. Maine Ritika se kehke uski puri details nikalwayi. Uska naam uska khaandaan sabkuch.

Usse mujhe uske baare mein sab pata chala par humse dushmani ka koi reason nhi mila. Maine jhatt se Dad ke Security head Mangal bhai ko call lagaya tha. Unko puri baat batayi par Mom Dad aur kisi ko bhi batane se mana kiya. Unse maine uss Mahendra Thakur ke Dev Thakur ki puri kundli bahar nikalwayi. Sabkuch pata chala aur usse hi mujhe Thakurs ki dushmani ka kaaran bhi pata chala. Mujhe bas unn Thakurs ko unke kiye ki saza deni hai. Unko pura barbaad karke unn bhi waise hi maarna hai jaise unhone mere dada dadi aur nana nani ko maara tha.

Sab bas muh khole Yash ki baate sunn rahe the. Unko toh yakeen hi nhi horaha tha jo kuch Yash ne unko bola tha.
Sab: Humhe samaj nhi aaraha hai hum kyaa kahe. Yeh sab kuch bahot hi jyaada shocking bhara hai.

Siya: Jab humhe pata chala tha tab humari bhi yehi halat thi. Humhe bhi bahot gussa aaya tha. Par humne gussa daba diya aur unko barbaad karne ka socha. Jiske liye unhone yehsab kiya usko hi unse chinn lena chaha.

Aarav: Aakhir unki kyaa dushmani thi. Jo unhone yeh kiya. Kis chiz ka badla lena chahte hai wohlog.

Yash: Unka badla lene ka main reason hai Ego aur Lalach. Issi ke liye unhone yehsab kiyaa.

Sab: Matlab.

Yash: Yehsab tab start hua jab Dadaji aur Nanaji achhe dost the Unka ek aur dost tha Mahendra Thakur. Par woh dost sirf aur sirf apne lalach ke chakar mein tha. Kyoki uss time pe bhi Dada ji aur Nana ji ka businesa achha tha aur Thakurs se achha tha. Usi ko hatiyane ke liye woh dost tha. Mom Dad ki shaadi nhi hui nhi thi. Woh achhe dost the. Inka ekdost aur bhi tha Dev Thakur.

Yehlog ekhi college mein padhte the. Mom Dad Bua fufaji Dev Thakur aur uski behen Rashmi Thakur.

Yehsab achhe dost the. Dad aur Mom ekdusre ko college ke first day se hi pasand karte the. Yeh baat sirf aur sirf Bua aur fufaji ko hi pata thi. Jo ke college ke pehle se hi committed the. Mom ko uss waqt dad ne yeh nhi bataya tha woh Agarwals ke bete hai. Bas title hi Agarwal tha.
Mom ko bhi isse koi matlab nhi tha. Unko dad se matlab tha naake unke status se.

Yehsab log bahot achhe dost hua karte the. Par iss dosti mein 2 jan dosti ke naam pe kuch aur hi matlab nikalte the. Woh the Dev aur Rashmi Thakur.

Dev Mom se one sided pyaar karta tha par Mom sirf aur sirf Dad se hi pyaar karti thi woh Dev ko achha dost maanti thi usse jyaada kuch nhi. Aur udher Rashmi bhi Dad se one sided pyaar karti thi par Dad sirf aur sirf Mom se hi pyaar karte the. Woh bhi Rashmi ko ek achhi dost aur behen ki tarah dekhte the.

Mom aur Dad ke relation ke baare mein unndono ko nhi pata tha.

Mom Dad ke relation ke baare mein dono Mama ko pata chal gaya tha par unko pata tha Dad kaun hai aur unko bhi isse koi problem nhi tha.

Dekhte dekhte college life ke end hone ka time aagaya. Aur tab tak Dev Thakur ki jidd bangayi thi ke unko Mom chahiye. Aur uski lalach bhi badh gayi thi paiso ke liye.

Usne apne Baap se baat ki ke usse Mom se Shaadi karni hai. Lage haath Rashmi ne bhi boldiya ke usko bhi Dad se shaadi karni hai. Rashmi dil ki achhi thi. Woh apne baap aur bhai ki tarah giri hui nhi thi.

Mahendra ko yeh ek achha mauka mila dono business ko apne naam karwane ka. Agar Mom ki shaadi Dev se hojaati toh Nanaji ka business ko Mom ke dwara le leta aur Rashmi ki shaadi agar Dad se hojaati toh woh unke dwaara Dadaji ka business le leta.

Mahendra Thakur alag alag jaake dono ke rishte ki baat karte hai. Teeno achhe dost the isiliye unhone rishta maan liya par kisi ne Mom aur Dad ko nhi bataya tha issbaare mein.

Woh apni padhai aur relation mein hi busy the unko aur kisi se koi matlab nhi tha.

Rishta tay hone ke kuch din baad jab Mom aur Dad ko iske baare mein pata chala unko bahot bada jhatka laga.

Unhone iss rishte se inkaar kiya toh Dadaji aur Nanaji ne unki baat nhi maani. Aur tabhi Mom ko bhi Dad ke real status ke baare mein pata chala.

Mom Dad ekdusre se milke iske baare mein discuss kiya. Unko koi rasta nhi mil raha tha. Bua aur dono mama ne Dada ji aur Nanaji se baat ki phir bhi woh nhi maane kyoki unhone Mahendra Thakur ko apni jabaan de di thi.

Mom aur Dad ne Dev Thakur se milke unse baat ki jab usse pata chala ke Mom Dad ekdusre se pyaar karte hai toh usko jhatka laga. Usne uss waqt kuch naa kaha par apna kaminapan dikha diya. Usne apne baap se boldiya aur usne Dadaji aur Nanaji ko iske baare mein boldiya.

Dadaji aur Nanaji ne Mom Dad ko bahot sunaya. Shaadi mein aur ek hafta hi baaki reh gaya tha aur unka ghar se nikalna band karwa diya. Dono ke phones bhi le liye the. Unse bahot request ki par Dadaji aur Nanaji ke hukum ke aage kisi na chali.

Idher Rashmi bas apne khayalo mein hi gumm thi. Usko Mom Dad ke baare mein kuch bhi pata nhi chala. Woh toh apne pyaar ko paane ki khushi mein khoyi hui thi.

Shaadi ke 1 raat pehle Mom aur Dad Bua aur Fufaji ki madad se ghar se bhaag gaye. Dusre din jab Dadaji aur Nanaji ko pata chala unke pairon tale zameen khisak gayi thi. Unhone bahot khoja par woh nhi mile.

Dusri taraf Mahendra Thakur ko jab yeh pata chala toh usne Dadaji aur Nanaji ko bahot sunaya. Rashmi ko jab pata chala woh toh jaise zinda laash hi bangayi thi. Usko bahot gehra sadma laga tha. Aur usne suicide attempt karliya tha.

Mahendra aur Dev Thakur ko bahot bada jhatkaaa laga tha. Woh innsab ke liye sirf aur sirf Mom Dad ko hi jimmedaar maante the.

Idher Mom Dad ne shaadi wale din toh Fufaji ke ghar mein chupee the. Dusre din unhone mandir mein shaadi karli aur jab Dad unko leke ghar aaye toh Dada ji ne unko ghar mein ghusne nhi diya. Unko ghar se nikal diya. Nanaji ne bhi unse har tarah ka rishta todd diya tha. Dadi aur Nani ki takleef ke baare mein kisi ne nhi socha.

Uske baad mere janam tak Mom Dad Fufaji ke saath rahe. Isi beech Bua Fufi aur dono Mamaji ki shaadi hogyi thi. Kyoki inka rishta pehle hi fix kardiya gaya tha.

Idher Mahendra Thakur aur Dev Thakur ko jab pata chala ke Dadaji aur Nanaji ne Mom aur Dad ko maaf kardiya tha unka gusse aur badle ki aag aur badh gayi.

Mere 10 saal hone ki khushi mein woh charo humare Kulguru ke paas jaa rahe the tabhi unnlogo ka accident karke marwa diya unlogo ne. Aur ab woh Mom Dad ko bhi marwana chahte hai. Taaki unka badla pura ho. Aur kuch waqt pehle unhone Dad ka accident karwane ki koshish ki thi par woh bach gaye. Uss incident ke baad hi main yaha aaya.

Itna kuch bolne baad Yash shant hota hai. Saamne wohsab bas sunte jaarahe the. Unke chehre pe bhi gussa aur nafrat bhara hua tha.

Arushi: Kaise kaise neech log bhare hue hai duniya hai. Lalach aur ego ke chakar mein kitna neech girgaye hai yehlog. Ek hasta khelta parivaar barbaad kardiya inhone.

Megha: Bilkul thikk kaha. Aise logo ko toh maar hi dena chahiye.

Aarav: Innlogo ki wajah se humne humare Dada Dadi ko khoya hai. Inko zinda nhi chorenge.

Avi: Bilkul. Inko unke kiye ki buri se buri saza denge.

Soniya: Bhai kyaa Bua aur Fufaji ko pata hai.

Yash: Nhii unko kuch nhi pata. Aur main nhi chahta woh yehsab abhi jaane. Ekbaar yehsab khatam hojaaye phir sabko batadunga. Abhi sirf humlog mere woh london wale dost aur Mangal bhai hi sab jante hai.

Avi: Matlab Dev Industries ko aapne tabah kiya tha.

Yash: Haaa. Uss Dev Thakur ki dono factories mein short circuit maine karwaya tha. Sirf yaha pe hi nhi london mein uska pura business maine hi khatam kiya tha. Aur kuch din pehle jo drugs pakda gaya tha woh bhi Dev Thakur ka hi tha. Yaha ka sabse bada Dada Raghu Bhai ko bhi maine hi maara tha kyoki usi ne Dad ka accident karwaya tha. Aur isme meri madad mere dosto ne aur Mangal bhai ke aadmiyon ne jo ab Mere aadmi hai unhone kiya tha.

Soniya: Yaani Rashi aur Aanchal pe humla bhi aapne.

Yash: Unko Maya aur Ritika ne maara tha kyoki unhone Radha aur Siya ko jaan se maarne ke liye gunde bhijwaye the. Kyoki maine unko pure class ke saamne thappad maara tha isikiye.

Aarav: Aap humhe bhi bata sakte the bhai. Aapne sabkuch akele kiya. Kya woh humare kuch nhi lagte the. Kyaa aapko humoe bharosa nhi.

Avi: Haa Bhai. Aarav ne thikk kaha. Woh humare bhi kuch lagte the. Mamaji ka accident hua tha yeh baat bhi humhe kisi ne nhi bataya. Aur aap akele itna kuch kar rahe ho. Kyaa hum aapki madad karsake iss layak bhi nhi.

Arushi: Haa Radha. Tumhe toh sab pata tha naa phir bhi tumne humhe nhi bataya. Sab kuch akele hi handle kiya.

Soniya: Haa Siya bolo. Kya humlog tumlogo ke kuch nhi lagte. Aur please yeh mat kahiyega humari fikr thi humhe kuch hojaata. Kyaa aapko kuch nhi hota. Agar aapko kuch hojaaye toh humara kyaa hoga. Mummy Papa Badi Mummy Badi papa bua fufaji inka kya hoga kabhi socha hai.

Yash Radha aur Siya muh nichhe karke baithe the.

Aarav: Ab aap akele kuch nhi karenge bhai. Humsab aapke saath hai. Jo bhi karenge saath milke karenge.

Sab: Aarav ne sahi kaha. Jo bhi karenge saath milke karenge.

Yash Siya aur Radha sabka muh dekhte rehte hai.

Avi: Aur please koi agar magar nhii karenge aaplog.

Teeno kuch nhi bolte bas unka muh dekhte rehte hai tabhi darwaze pe knock hota hai. Radha jaake kholti hai toh saamne Mehak thi.

Mehak: Yeh darwaza bandh karke kaunsi secret meeting chal rahi hai tumsab ki.

Siya: Nothing Mom. Humsab toh bas aise hi baate kar rahe the.

Mehak: Thikk hai. Chalo ab neeche aajao. Dinner ka time hogya hai.

Megha: Ohh God. Baato mein time ka pata hi nhi chala.

Bahot late hogya. Bua ji ab humhe chalna chahiye. Mom Dad wait kar rahe honge.

Arushi: Haa Mamiji. Ab chalna chahiye.

Mehak: Aree aise kaise. Dinner karke jaana.

Dono: Nhii next time pakka. Aaj nhi

Mehak: Aur tumlog.

Aarav: Bua hum toh karenge hi. Aur ghar mein bolke aaye hai aaj ki raat yehi hai.

Mehak: Achhi baat hai. Aur Radha Varun.

Varun: Nhii Aunty. Hum chalte hai. Mom wait kar rahi hongi. Warna phir tension karengi.

Radha: Yes Mom. Hum chalte hai.

Phir Radha Arushi Megha aur Varun nikal jaate hai.

Baakilog dinner table pe baith jaate hai. Aur khaane ke baad apne apne kamre mein sone chale jaate hai.

Sablog sote hue Yash ki kahi hui baato ko hi yaad kar rahe the. Unka dimaag pura hilaa hua thaa. Wohlog yehsab sochte hue hi so jaate hai.

nice update ..yash ke dost kaise bane london me aur kyu wo yash ki madad karte hai ab pata chal gaya ..
rishi ko brain tumor tha aur uske ilaaj ke liye paise diye the yash ne 😍..
pehle to sabne daanta yash ,radha ,siya ko ...
par baadme sabne sehmati se madad karne ki baat keh di 😍..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
Update 64
Agle din sablog college mein aate hai par unke dimaag mein abhi bhi wahi sab chal raha tha.

Radha: Kyaa hua tum sab kyaa soch rahe ho.

Sab: Kal aaplogo ne jo shock diya hai usi ko leke soch rahe hai.

Yash: Jyaada mat socho. Jo hona tha hogya. Aur ab jo hona hai woh hoke rahega.

Soniya: Par bhai agar kisi ko pata chal gaya aapke baare mein toh aapki life barbaad hojayegi. Puri family ki jaan aap mein basti hai. Agar aapko kuch hogya toh humlogo ka kya hoga.

Yash: Mujhe kuch nhi hogaa. Main apna pura dhyaan rakhta hu. Aur agar humne kuch nhi kiya toh sabkuch tabaah hojayegaa.

Abhi koi kuch bolta tabhi waha woh trimurti aajate hai. Par issbaar inke paas naa aake inke bagal wale chair mein baith jaate hai.

Inko dekh kar unsab ko bahot gussa aaraha hota hai par woh kuch nhi kar paate. Isiliye sablog chup chaap class mein chal dete hai.

Recess mein sablog chup chaap baithe hue the. Tabhi Yash ke mobile mein ek call aata hai.

Yash: Haa bolo.

Saamne se Rishi kuch bolta hai.

Yash: Kyaaaa. Lagta hai uske din pure hogya hai tabhi usne yehsab karne ka socha hai. Kab karne wala hai woh.

Rishi: Aaj.

Yash: Thikkk hai. Aaj uske kaam ko achhe se kardete hai.
Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Siya: Kyaaa hua. Kiska call thaa.

Yash: Dad ko fhasane ka plan bana hai.

Radha: Kisne bana hai.

Yash: Hai kuch dushman. Jinki akal aaj thikane lagegi.

Aarav: Bhai puri baat bataiye naa. Aakhir hua kya hai.

Yash unhe batata hai aakhir mamla kya hai.

Avi: Inki toh. Usko toh chorenge nhi. Bhai aap kab jaayenge.

Yash: College ke baad sham ko

Aarav: Hum bhi jayenge.

Avi: Bilkul. Ab hum bhi aapke saath chalenge har jagah. Aakhir yeh humari family ka bhi matter hai.

Yash aage kuch nhi bol paata. Woh ek call karta hai.

Yash: Mangal bhai.

Mangal: Haaa Yashh bolo.

Yash: Dad kaha hai.

Mangal: Sir toh abhi meeting mein hai. Kuch hua hai kyaa.

Yash: Hua toh nhi hai hone wala hai. Dad ki car aur driver kaha hai.

Mangal: Woh toh neeche honge. Kyaa hua hai.

Yash: Woh baad mein bol raha hu. Abhi aap ek kaam kare. Ek dusri car mangwaye aur usme dad ko le jaaye. Aur dusre driver ke saath. Aur jo car neeche khadi hai usko abhi ke abhi bahar nikale. Aur uss driver ko jara nashta paani karwana hai.

Mangal: Samaj gaya. Main abhi karwata hu.

Phir yehlog class mein chale jaate hai aur chutti ke baad ghar aate hai.

Yash phir Mangal bhai ko call karke kuch bolta hai. Aur woh bhi apne kaam mein lag jaate hai. Phir Yash bahar nikal jaata hai. Aur ek jagah jaake Aarav Avi aur apni team ka wait karne lagta hai.

Thodi der mein wohlog bhi aajate hai.

Yash: Aarav Avi yeh hai Karan Rishi Maya aur Ritika. Aur tumlog toh inndono ko jaante hi ho.

Avi: Rishi ko dekh kar. Tum tumhe kahi toh dekha hai. Kaha dekha hai yaad nhi aaraha hai.

Rishi: Muskurate hue. Hospital mein dekha hoga. Jaha Thakur ki betiyan admit thi.

Avi: Haaa yaad aaya. Tum reception ke waha mujhse takraye the. Par tum waha kyaa kar rahe the. Kyaa bhai ne tumne waha bulaya tha.

Rishi: Aisa hi samaj lo. Main apna kaam hi kar raha tha. Yash chale. Wohlog kabhi bhi waha pahonch sakte hai. Uske pehle humhe apna kaam karke nikalna hoga.

Aarav: Aree karna kya hai humhe bhi toh batao. Aur kaun log pahonch sakte hai aur kyaa kaam karna hai.

Yash: Achha ek baat batao. Abhi hum yaha kisliye hai.
Avi: Isiliye taaki Mamaji ki gaadi mein unke driver ki madad se jo drug implant hone wala hai jisse unhe fhasya jaaye woh plan fail karna hai.

Karan: Good. Ab tumne woh kahawat toh suni hogi jo kisi aur ke liye gaddha khodta hai woh usme khud hi girta hai.

Aarav: Haa suna hai.

Karan: Toh yaha bhi wahi hoga. Jisne Ishant Uncle ki car mein drug implant karne ki sochi hai usi ke ghar mein woh drug implant hoga.

Avi: Matlab jaise ko taisa.

Karan: Exactly.

Ritika: Yash Mangal bhai ka msg aagaya hai. Bag unke haath lag gaya hai. Aur woh driver bhi.

Yash: Great. Chalo ab chalke uss bag ko uske sahi jagah deke aate hai.

Phir sablog waha se nikal jaate hai aur raaste se Yash Mangal bhai se woh bag leke sidha chale jaate hai uss aadmi ke ghar jisne yeh plan banaya tha.

Yash: Aarav Avi Karan aur Rishi tumlog apne face ko achhe se cover karo aur jaakr unn guards ka dhyaan bhatkao. Tab tak main kaam khatam karta hu. Ritika Cameras ka kyaa hua.

Ritika: Bas ho hi gaya. Lo cameras ab meri control mein hai.

Yash: Tumlog jaao. Aur apna chehra kisi ko naa dikhana. Kyoki abhi yaha pe Narcotics wale aayenge.

Charo: Thikk hai.

Phir woh charo chale jaate hai security ka dhyaan bhatkane. Jaise hi security ka dhyaan idher udher hota hai Yash jaldi se bungalow ke andar jaata hai aur pichhe bane outhouse mein jaake woh bag ek almari ke pichhe chuppa deta hai. Aur aise chupata hai jisse aise lage usko kisine achhe se chupaya hai.

Woh bag chupane ke baad Yash chupke se waha se nikal jaata hai. Jaise hi Yash waha se nikalta hai woh charo bhi nikal jaate hai aur cameras bhi pehle jaise hojaate hai.

Sham ko harjagah news faill gayi ke Narcotics Department ne ex-minister ke ghar chaapa maara aur 30 kg cocaine baramat kiya. Unko aur unke bete ko drugs supply karne ki jurm mein giraftar kiya gaya. Unhone drugs ka bag apne ghar ke pichhe bane outhouse mein chupaya tha par NCB ne woh drugs baramat kiya.

Jab Ishant aur Mahendra ne yeh news dekhi toh undono ko alag alag tarike ka jhatkaa laga.

Ishant ko jhatka laga kyoki usko sirf shak tha par yakeen nhi tha ke ex-minister drugs ka dhandha karta hai.
Aur Mahendra ko jhatka laga kyoki uska plan jo fail hogyaa.

Mahendra: Yeh kyaa hai. Yeh kaise fhass gaya. Yaha toh Ishant ko hona chahiye thaa. Maine toh isko kaha tha ekdum dhyaan se woh bag Ishant ki car mein rakh de. Aur usne kaha tha Ishant ka driver uske saath hai. Aur bag ko car mein sambhal ke rakh diya hai. Phir yeh sab kaisee huaa.

Mahendra isi soch mein ghumm tha tabhi uske paas kisi ka call aata hai.

Mahendra: Hello.

Yash: Apni ulti ginti karna start karde. Tere banaye har plan ka satyanash main karunga. Jaise aaj kiya hai.

Mahendra: Tu hai kaun. Ekbaar saamne aaja. Tujhe aisi maut dunga ke teri rooh kaanp jayega.

Yash: Mujhe maarna tere bas ka nhi hai. Aur rahi tere saamne aane ki baat toh woh jaldi hi aaunga. Aur jab main saamne aaunga wih tera aankhri din hoga.

Yeh bol Yash call cut kardeta hai.

Idher Minister aur Shivam ko NCB walo ne drugs ka dhandha karne ke jurm mein giraftaar karliya aur unko jail mein dhaal diya. Aur isi ke saath Minister ka chapter Yash ke life mein khatam hua.

Idher Rohan Rashi Aanchal ko bhi jhatkaa laga. Kyoki unko bhi Shivam ne iss plan ke baare mein bata diya tha. Par jab inko pata chala Shivam hi fhas gaya hai unko yakeen hi nhi hua.

Idher Yash jab ghar aaya toh Siya bhagg ke aayi aur uske gale lag gayi.

Yash: Kyaa huaa Siyaaa.

Siya: Tumne toh kamaal hi kardiya. Humhe fhasane chale the ab khud hi fhas gaye.

Yash: Humari family ke upar buri nazar rakhega toh yehi hoga. Uske paas option tha. Khud ko.aur apne bete ko sahi raste pe laake izzat ki zindagi jiye. Par woh kutte hai aur unki dum humesh tedhi ki tedhi hi rahegi. Ab sadte rehenge jail mein. Unke khilaf aur bhi cases darj hai ab woh kabhi bahar nhi aayenge.

Siya: Achha hua. Ek toh kam hua.

Yash: Bahot jald bache hue bhi khatam hojayenge.

Aise hi kuch din guzar jaate hai. Inn kuch dino mein bahot kuch badal chuka tha. Yash ki zindagi puri tarah se badal gayi thi.

Agarwal House ke charo taraf police ka pehra tha. Bahar Parking mein se kuch gaadiyan jaa rahi thi toh kuch gaadiyan aarahi thi.

Hall mein bahot jan maujud the. CM bade bade businessman Minister Media high ranked Police officers Yash ki puri family Vikram Sanjana Sangeeta Varun Arushi Megha Dev Thakur Mahendra Thakur Rashi Aanchal maujud the.

Hall ke beecho beecho Yash zameen mein baitha hua tha.

Uske saamne 4 tasveer mein maalayen lagi hui thi. Sablog safed kapdo mein the. Yash and Family Vikram Sanjana ki aankho mein aansu the. Kyoki woh 4 tasveere kisi aur ki nhi Ishant Mehak Siya aur Radha ki thi. 2 din pehle hi inn 4 jan ki maut hogyi thi. Yeh charr ek car se kahi jaa rahe the.

Tabhi inki car ka break fail hogya car ek ped se takra gayi aur blast hogyaa. Charo wahi pe maare gaye.

Yash ko jab yeh pata chala woh puri tarah se pagal hogya tha. Sanjana ne toh ro ro ke apna bura haal karliya tha.

Vikram bhi apni beti ki gumm mein pagal hogya tha.

Yash ke parivaar wale bhi iss accident ke baad zinda laash ban gaye the khaan peena sab chorr diya tha. Yash ne toh bolna hi band karidiya tha. Bas har waqt unn charo ki tasveer liye baitha rehte the.

Sangeeta aur Shalini ne badi mushkil se sabko thoda khilaya. Yash toh khaane ko taiyaar hi nhi tha par unn 4 jan ki kasam deke usko bhi thoda khilaya gaya.

Rashi aur Aanchal ki aankho mein tear drops ke aansu the. Unko bahot khushi hui thi iss accident se. Aakhir Radha ke jaane se unka raasta saaf hogya tha. Ab woh Yash ke kareeb aasakti thi. Inn 2 dino mein inn dono ne Yash ko bilkul bhi akela nhi chora tha. Bhale hi uski family uske saath thi. Par yeh dono bhi uske saath the. Soniya Arushi Megha Aarav Avi aur Varun ko inka rehna bilkul bhi pasand nhi aaraha tha par woh chupp the.

Thodi der baad sablog chale jaate hai. Bas ghar ke log Vikram Sanjana Mahendra aur uska parivaar hi tha.

Mahendra: Yash mujhe malum hai iswaqt yeh kehna sahi nhi. Par phir bhi main kuch bolna chahta hu.
Yash: Boliye na.

Mahendra: Dekho ab jo hogya hai usko badla nhi jaa sakta tha. Par ab humhe bhi apni life mein aage badhna chahiye. Kab tak unki yaad mein iss tarah rahenge. Isiliye yaha pe sabse bada hone ke naate main kahunga tumhe aur baaki sab ko ab apni apni life mein aage badhna chahiye. Vikram main samjhta hu tumne kya khoya hai. Par ab tumhe bhi apni life mein aage badhna chahiye.

Vijay: Yash Vikram Uncle sahi bol rahe hai. Ab aage badhna chahiye. Humne jo khoya hai usko chah kar bhi hum nhi paa sakte. Par kab tak aise hi rahenge. Humhe aise dekh kar unhe bhi takleef hogi.

Yash: Ji fufaji.

Mahendra: Beta Ishant ke baad business ka kyaa hogaa. Ab itne bade empire ko kaun sambhalega.

Yash: Aap uski chinta naa kare. Yeh pura Empire ab mere naam pe hai. Toh isse main hi sambhalunga.

Dev: Par abhi tum chote ho. Aur tumhari padhai bhi baaki hai. Business aur padhai eksaath kaise karoge.

Yash: Manage hojayega Uncle. Phir mere saath Mamaji aur Vikram Uncle bhi hai toh.

Dev: Bemann se. Haa sahi kaha. Phir hum bhi hai. Agar kabhi bhi koi bhi jarurat padhe toh humhe jarur yaad karna.

Aur apne aap ko bilkul bhi akela mat samjhana. Hum humesha tumhare saath hai.

Rashi aur Aanchal: Haa Yash. Radha aur Siya nhi hai toh kyaa hua. Hum toh hai. Hum humesha tumhare saath rahenge. Tum apne aap ko akela mat samjhana.

Yash kuch nhi bolta bas halka sa muskura deta hai.

Phir baaki sab bhi chale jaate hai. Ab ghar mein sirf family members hi the. Sablog bas ekdusre ko dekh rahe the. Phir kuch baate karke apne apne kamre mein chale jaate hai.
Idher ek aadmi kisi se phone pe baat karta hai.

Aadmi: Kaisa hua sabkuch aaj.

Saamne se: Jaisa humne socha tha sab waisa hi hua hai
Aadmi: Yaani Agarwal House mein maatam chaa gaya hai.

Saamne se: Jiii.

Aadmi: Aur kab tak yeh sab chalega.

Saamne se: Jiii bahot jald khatam hojayega.

Aadmi: Jo bhi karna sambhal ke karna. Koi garbar nhi honi chahiye.

Saamne se: Chinta naa kare. Koi garbar nhi hogi. Sab plan ke hisaab se hi hoga. Bas aap jaha hai wahi rahiye.

Aadmi: Hmmm. Sahi time aane pe main aajunga.

Saamne se: Jiii.

Phir call cut hojaata hai.

emotional update ..yash ne minister ki chaal ko uske upar hi ulta diya aur ab dono baap bete jail me chakki pees rahe hai ..

par ye ishant mahek radha aur siya ki maut hajam nahi ho rahi hai mujhe 🤔🤔🤔..
kahani ke lead character marr nahi sakte ..
jarur isme kuch plan hoga yash ka ..
par agar sach hai to bahut hi dukh hua aur ab yash akela reh gaya hai 😔..
baaki sab hai uski family me par maa baap aur biwiya to sabse pyari thi yash ko ..

mahendra aur uski naatiya to ab yash ko control me rakhne ki raah par chal rahi hai ..
 
Top