• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-43
Aaj nizam ki shadi thi jiski tayyari zor shor se chal rahi thi.
Sabhi lage hue they koi tant walon ko sambhal raha tha toh koi bawarchi ( cook ) ko bata raha tha ke kya kya banana hai toh koi decoration walon ko samjharaha tha. Har koi busy hi tha.
Ajju iss waqt kuch guest ko lene gaya hua tha toh yaha mahi sabhi ghar ke kamon me nizam ki mom ki help karrahi thi.
Nizam mom : mahi beta zara dekhna toh ye sadi kaisi rahegi dulhan ki mom ko karne ke liye.
Mahi : bohat acchi hai aunty aur aap ye wali pahno ye aap per bohat hi acchi lagegi.
Mahi ne aunty ko ek strawberry color ki saree dete hue kaha tha.
Nizam mom : haan beti mai bhi yahi soch rahi thi pahanne ke liye ab tune kaha toh ab mai pakka yahi pahnongi.
Phir unhone ek packet mahi ki taraf dekar kaha.
Nizam mom : aaj shadi me tum ye pahno tum per bohat accha lagega.
Who ek mahroon colour ka half saree tha.
Mahi : arey aunty iski kya zarurat thi mai aaj apne pahnne ke kapde apne sath lekar ayi hoon.
Nizam mom : mujhe pata hai magar mai chahti hoon ke tu ye pahne.
Mahi : but aunty mai kaise….
Nizam mom : chup koi sawal nahi maine kaha na toh tumhe yahi pahanna hoga samjhi.
Mahi : ji aunty.
Mahi ki baat sunkar aunty mahi ke sar per pyar se hath pher kar kahti hai.
Nizam mom : chal ab aur bhi kaam hai.
Phir nizam ki mom aur mahi dusre kamon me lag jate hai.
Idhar imtiyaz aur ahmed nizam ko lekar saloon aye hue they.
Nizam : yaar mujhe samhaj nahi araha ke dadhi ( beard ) ko kaise set karwaon.
Ahmed : abbey isme sonche samhajne jaisa kya hai bhai hajam ko bolde who tere chahre ke hisab se set kar dega.
Ahmed ki baat sunkar imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : abbey oh ghareeb humesha gareebon wale idea hi atey hai tere dimag me kya, aaj iski shadi hai ye kisi ki shadi me nahi jaraha jo hajam iski dadhi set karega. Kabhi toh dhang ki baat kiya kar.
Ahmed : haan toh tu hi batana isko ke konsi dadhi set karaye.
Imtiyaz : haan toh bata raha hoon na.
Ahmed : toh batana.
Nizam ( chid kar ) : yaar tum log jhagra baad me karlena abhi mujhe batao toh sahin ke kon si wali banao. Sala mujhe bhi pagal kutte ne kat liye tha jab maine tum dono ke sath ane ke bareme socnha tha.
Nizam ki baat sunkar dono chup hojate hai.
Nizam : ab chup kyun ho batai ya mai aise hi jakar stage per baith jaon.
Ahmed : yaar ek toh tu gussa karna band kar aur chup chap baith hum abhi tere liye ek badhiya sa face cut dekhte hai.
Phir ahmed saloom me se ek catalogue utha kar dekhta hai aur imtiyaz bhi uske sath dekhta hai phir dono milkar uske liye ek achha sa hair cut aur face cut nikal kar usko dikhate hai phir baal katne wale ko bhi dikhate hai hai.
Idhar ajju sabhi mahmanon ko station se ghar lekar ata hai ke nizam ke dad ajju se kahte hai.
Nizam dad : ajju beta tune nasthta toh karliya na?
Ajju : ji uncle station ke paas hi ek restaurant me karliya tha.
Nizam dad : hmm toh thik hai tum abhi alauddin ko lekar marriage hall ki taraf jao wahan per sab kuch set hai ya nahi dekho agar kisi cheez ki zarurat hai toh tum dekh lena ab mujhe toh mahmanon se hi fursat nahi milne wali isi liye tumhe kah raha hoon.
Ajju : uncle aap befakar hokar apne mahmanon ko dekhiye mai sab kuch sambhal lunga.
Nizam dad : aur haan beta nizam ko bhi waqt per ready rahne ko kahna.
Ajju : ok unlce.
Phir nizam ke dad wahan se chale jate hai toh ajju ghar ke andar jata hai toh dekhta hai ke mahi mahmanon ko nashta serv karrahi thi toh ajju bhi uske paas chala jata hai.
Ajju : tum kab ayi ?
Mahi : mai toh subha se yahin per hoon tum hi ghayeb ho.
Ajju : who mai nizam ke kuch relatives ko lene gaya tha. By the way abhi kya karrahi ho?
Mahi : kuch nahi bas sabhi ko nashta den eke baad aunty se puch kar dusra kaam karongi…. kyun kuch kaam hai kya ?
Ajju : kuch nahi who mujhe apne liye kapde lene they toh soncha tum free ho toh tumhe sath le chalon.
Mahi : thik hai chalte hai mai abhi ye bartan ko kitchen me rakh kar ati hoon tab tak tum car nikalo.
Ajju bhi ok kah kar bahar chala jata hai aur alauddin ko call karta hai.
Ajju : hello kaha per hai abhi tu.
Alauddin : mai abhi marriage hall me hoon.
Ajju : ok mai abhi kuch kaam se jaraha hoon toh kuch der baad wahin per aunga ok.
Alauddin : thik hai aur ek baar nizam se bhi millena pata nahi un change mangu ne uska Holiya kaisa banaya hoga.
Ajju alauddin ki baat sunkar chonk jata hai.
Ajju : kyun ab tune unko kon sa kaam dediya yaar.
Alauddin : who maine unko kaha tha ke nizam ko saloon lekar jaye.
Alauddin ki baat sunkar ajju apne sar ko hath laga kar kahta hai.
Ajju : beda gharg kardiya hoga unhone abhi tak uska. Tujhe pata hai na woh log kaise hai phir bhi tune unko ye kaam diya.
Alauddin : pata hai yaar magar koi choice bhi nahi thi mujhe market se function ke dinner ke liye kuch samaan lana tha bawarchi ne phone kiya tha aur phir wahan se seedha yaha aya aur yahan per bhi puri tayyari nahi thi toh majburi me mujhe unhe bolna pada kyun ke mujhe pata that u nizam ke relatives ko lene gaya hai.
Ajju : accha thik hai mai dekhta hoon. Bas dua karo ke sab thik ho warna bechara nizam shadi ke din pata nahi kaisa dikhega.

Ajju ki baat sunkar alauddin hasta hai aur call cut kardeta hai.
Kuch hi der me mahi bhi ajati hai toh ajju usko lekar mall nikal jata hai.
Mall pohanch kar ajju apne liye ek sherwani aur ek tree piece leta hai jisko mahi ne pasand kiya tha.
Phir ajju mahi ke liye bhi ek green colour ka suit liya magar usne mahi ko bataya nahi bas lekar apne paas bags me rakh liya.
Mahi : ab shopping hogayi toh chalen.
Ajju : yaar subha se bhag daud karrahe hai toh bohat thakan si horahi hai toh ek coffee peete hai kuch refreshment bhi hojayega.
Mahi : haan sahi kaha mujhe bhi thodi thodi thakawat horahi hai.
Phir dono wahin ke cafeteria chale jate hai.
Ajju : meri wajha se tum bhi iss sab me phas gayi.
Ajju coffee order karne ke baad mahi se kahta hai.
Mahi : matlab ? mai samjhi nahi tum kis bareme baat karrahe ho.
Ajju : yahi nizam ki shadi ke bareme baat karaha hoon.
Mahi : arey isme phasne wali kya baat hai mujhe toh ye sab karte hue maza araha hai aur sach kahon toh maine isse pahle kabhi bhi kisi ki shadi ki tayyarion me madad nahi ki.
Ajju : phir bhi mujhe accha nahi lag raha dekho tum bhi kitni thak jati ho yaha ka kaam karte hue.
Mahi : itna toh chalta hai aur waise bhi nizam tumhara best friend hai toh mai itna toh kar hi sakti hoon apne best friend ke best friend ke liye.
Ye kah kar mahi ajju ko ek ankh marti hai.
Jise dekh kar ajju muskurata hai.
Kuch der me waiter coffee lekar ata hai toh ajju kahta hai.
Ajju : kya tum sach me mujhe apna best friend manti ho.
Mahi : kyun tumhe shak hai.
Ajju : nahi bas aise hi puch raha tha.
Mahi : agar mai tumhe apna best friend nahi samhajti toh abhi mai yahan nahi office me hoti.
Ajju : hmm ye bhi sahi hai. khair tumhe pata hai na jab koi friend apne friend ko kuch deta hai toh who use mana nahi karsakta.
Mahi : haan pata hai magar tum kyun puch rahe ho.
Mahi ki baat sunkar ajju apne shopping bags me se ek bag nikal kar mahi ki taraf karte hue kahta hai.
Ajju : iss liye.
Mahi uss bag ko dekh kar muh phula kar kahti hai.
Mahi : accha toh tum mujhe apni baton me phasaya. Jao mai tumse baat nahi karti.
Ye kah kar mahi jhoot moot ka gussa karti hai jise dekh kar ajju muskurate hue kahta hai.
Ajju : ab ye muh phulana band puri bandariya lag rahi ho.
Ajju ki baat sunkar mahi bhi haste hue kahti hai.
Mahi : accha toh mai bandariya toh tum bhi Bandar ho.
Mahi ki baat sunkar ajju ko achanak se alfisha ki yaad ajati hai kyun ke who bhi ajju ko aise hi kahti thi.
Ajju achanak khamosh hojata hai jise dekh kar mahi kahti hai.
Mahi : kya hua tum achanak se khamosh kyun hogaye.
Ajju kuch nahi kahta toh mahi uske hath per hath rakhti hai toh ajju mahi ke chahre ko dekhta hai jisme apne liye use fikar aur apnapan nazar ata hai toh ajju apne aap ko normal karte hue kahta hai.
Ajju : arey mujhe kya hona hai chalo chalte hai abhi bohat se kaam pade ha.
Ye kah kar ajju paise nikal kar table per rakh deta hai aur bags lekar bahar ki taraf chal deta hai.
mahi bhi uske peeche peeche chal rahi thi aur ajju ke behavior ke bareme sonch rahi thi ke ajju ko achanak se kya hogaya kya meri koi baat use buri lagi.
Phir dono car me baith kar wahan se nikal jate hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
 
Status
Not open for further replies.
Top