• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

bd sharkar

Active Member
1,827
5,074
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA BRAWNY KI TRAINING SHURU KAR CHUKI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ THE GIFT NAAM KI ACTIVITY ME SABSE ZYADA EXCEL KARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-86



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST


(THE DAY CONTINOUS)





CHINTA AUR CHITA ME BAS EK MAATRA KA FARK HOTA HAI.... ISILIYE JITNA HO SAKE,IS CHINTA NUMI BHAAV SE DOOR REHNA CHAHIYE...

KYUNKI HO SAKTA HAI KI YE CHINTA TUMHARE SHARIR KO NAA MAAR PAAYE,PAR ISKE ASAR SE TUMHARI EKAAGRATA,TUMHARA FOCUS, TUMHARA LAKSHYA ZAROOR MAR JAAYEGA....


ye baat maine kahi thi ALFREEN se,jo pehle toh yun achanak meri awaaz sunkar thodi hadbadayi,par fir mujhe dekh aur meri baat sun ek fika sa muskurahat apne chehre par laaya usne....

first ACTIVITY khatm ho chuki thi jisme mere performance yaa fir ye kahun ki jo baat maine kahi thi,uspar taarifon ke kaside padhne ke baad saare WHIZZES aur WHIZZDERS humare aaj ke second activity spot,joki kareeb 1 km aur andar tha,us taraf badh gaye aur unke piche ho liye hum aur issi dauran ALFREEN ko akela aage badhte dekh mai uske paas pahuncha aur ye saari baatein kahin...

wahin meri baat sun smile dene ke baad....


ALFREEN-congrats RAAZ....MIRACLE par tumhara defination wakayi out of the box aur behatarin tha...

CHAMATAR shabd ka aisa bhi koi defination ho sakta hai,ye thought mere dimag me kabhi nahi aaya tha...


topic ko change karte hue kahi ye baat ALFREEN ne jispar...


RAAZ-thought agar sahi ho toh usse apne life me implify kar lena chahiye...

ALFREEN-agreed....

RAAZ-defination ka last part toh yaad hi hoga tumhe...har galti ke baad jab saza milti hai toh insaan GOD ki taraf jhukta hai aur apne saza ko maaf karne aur solution paane ke liye pray karta hai...

is line ke hisab se iska pehla bhaag face kar chuki ho tum...galti bhi kar li,aur shayad saza bhi mil chuki hai tumhe...

toh ab bacha last segment...GOD se maafi ki arzi....its time ki tum wo bhi kar hi lo..

ALFREEN-aur ye kahan karun mai...???yahan toh koi holy place bhi nahi hai....

MAI-dil me agar shraddha ho toh har jagah paakh hai...aur inspiration ke liye mai toh saamne hun hi...

ALFREEN-tum, tum kya GOD ho tumhare saamne pray karun mai...????

MAI-GOD kya khud aakar madad karenge tumhari....he will send his ANGEL, right...!! mujhe wahi angel maan lo...

ALFREEN-tum aur ANGEL....???

MAI-oh common yaar,maine kaha maan lo...aur waise toh,maan lo toh patthar bhi bhagwan hain aur naa maano toh har ishwar bhi patthar..


meri baat sun aage badhte hue ALFREEN ke kadam rook gaye aur woh mujhe dhyan se dekhne lagi aur fir...


ALFREEN-u are more deep then anybody can imagine.....

MAI-jo meri taarif ko justify kar saken,waise shabd abhi ijaad nahi hue hain,isiliye ye part rehne do...

aur apni woh baat kaho jisne tumhari aankhon ki chamak kam kar di hai...

chalo shuruat mai hi kar deta hun...kuch problem ho gayi hai tumhare,MABEL aur MAHI ke beech,right...!!!


meri baat se hairan hui ALFREEN aur...


ALFREEN-how do you know...???

MAI-simple hai... CHOSENS se yahan aane waale vehicle me tum un dono se alag baithkar aayi ho..

beech beech me tumne MABEL se baat karne ki koshish bhi ki but usne avoid kiya tumhe....

yahan tumhare performance ke baad jab tumhara first REFINER average power tak activate hua,toh sabne tumhe congrats kaha siwaye
MABEL aur ALFREEN ke....

toh itna kuch kaafi hai mere khayal se jo maine kaha tha,us natije par pahunchne ke liye...!!!

ALFREEN-tumne itna kuch note kiya,kyun...???

MAI-ab genius hone ke fayde hain toh nuksaan bhi hain..naa dikhne waali cheezen bhi anjaane me hi sahi,dikh jaati hai...

toh ab bhi koi sawal baaki hai yaa fir situation sahi ho jaaye,iske liye wakayi GOD se help maangogi....???

ALFREEN-haan,jaise maine help maanga aur turant meri problem solve ho jayegi,kyun...???

MAI-arre,pehla step toh lo,phir dekho,wo kadam tumhe tumhari manzil ke paas pahunchta hai yaa nahi....!!!!


meri baat sun ALFREEN ne aankhen band ki aur...


ALFREEN-please GOD.....mere aur MABEL ke beech ki misunderstanding khatm kar do...


ye pray kar jab ALFREEN ne apni aakhen kholi toh hairan ho gayi...

reason...

mai saamne nahi tha..mujhe gayab dekh jab usne apne nazar right ki taraf ki toh mai usse aage jaata hua dikha jisse dekh ek muskaan tair gayi uske chehre par aur...


ALFREEN-pagal hai ye...


muskurate hue hi ye baat kahi usne aur thik ussi waqt mai uski taraf palta aur jab maine usse muskurate hue dekha toh...


MAI-dekha,pray karte hi uska asar hona shuru ho gaya naa...!!!

ALFREEN-matlab,kaisa asar.....???

MAI-aaj dil se pehli baar hasi ho tum...


jahan ye bol mai bhi muskura diya aur wapas palat aage badh gaya wahin meri baat sun ALFREEN ki smile bhi badh gayi aur woh waise hi muskurate hue woh bhi aage badhne lagi...

khair,abhi mai thoda hi aage badha tha ki...


KYA BAAT HAI, NORMAL KYA HUE,BILKUL HUMANS KI TARAH BEHAVIOR BHI HONE LAGA TUMHARA....!!!!


mere baaju me aakar mere saath chalte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jispar....


MAI-ab sharir maanav ka mila hai,toh harkatein bhi ussiki tarah hongi naa....!!!!

VIDEOUS-hmmm.. aur jo jawab tumne diya tha,wo bhi is human body ki den thi kya...????

MAI-woh den nahi suboot tha ki jab kisi challenge ka saamna RAAZ se ho,toh us challenge ko haarna hi padta hai...

aur uske saath haarte woh sabhi hain jinka mukabla RAAZ se hota hai..

VIDEOUS-jashn manao RAAZ....tumhare liye ye lamha wakayi keemti hai...

kyunki is normal SAVENT aur human form me hi sahi, kamsekam tum mere barabar toh aa paaye...

kyunki iske alawa tum aisa kabhi nahi kar paaoge...jis din humara saamna hoga,jis din humari asli shaktiyan takrayengi,tumhare is sharir ke saath tumhari aatma tak ko fanaa kar dunga mai...


VIDEOUS ki baat sun mai rooka,uski taraf ghuma aur...


MAI-us din ek pact tumhare kehne par humne kiya tha,chalo,aaj ek pact mere kehne par hum karte hain...!!!

VIDEOUS-is khel me meri har baat tumhe maanani hi hai aur isiliye hi tumne us pact ko maana tha...

but having said that,chalo,sun lete hain tumhara bhi pact...

agar rakhne layak laga,toh rakh bhi lenge...

MAI-jis din bhi humara aamna saamna hua,hum dono apni asli shaktiyon ke saath ek dusre se takraye,us din agar mai bach gaya toh ek chiz,jo bhi mai chahun,wo yahan CHOSENS me hogi....


meri baat sun uske andar ke chippe ganit ko samajhne ki koshish me lag gaya VIDEOUS par jab usse samajh me nahi aaya toh uske dimag ne meri baat ko counter karne ka ganit banaya aur aisa hote hi...


VIDEOUS-thik hai..maan leta hun tumhari baat magar meri bhi ek shart hai...

aur wo ye hai ki jab bhi hum dono takrayenge,us din,us waqt agar tum apne ghutno par aa gaye,agar tumhare sharir me itni shakti hi nahi bachi ki tum agla waar kar paao,us waqt bhaagoge nahi tum..

us samay jab mai tumhare upar apna aakhri waar karun toh tum usse bachne ke liye naahi gayab hoge aur naahi us waar ko rokne ki koshish karoge....

phir bhi agar tum us waar se bach gaye toh wo ek chiz jo tum CHOSENS me karna chahte ho,wo kar sakte ho....

MAI-DEAL.....!!!!


ye bol maine apna haath aage badhaya, jiske baad....


VIDEOUS-DEAL.....






BACK TO BRAWNY & HIDA......




YE KYA KAR RAHI HAIN WHIZZ HIDA...????


behad dheere khudse kahi thi ye baat BRAWNY ne...

reason....

is waqt HIDA aur BRAWNY FOREST ke ek behad hi ghane bhaag me the...

is jagah par pahunch HIDA ne BRAWNY ko us jagah se alag alag pedon ke stems with leaf laane ke liye bola,aur jab is kaam ko kar BRAWNY louta toh usne HIDA ko paalthi maar neeche ghaas ke upar baithe paaya...

par wo paused CEREBRATION process me nahi baithi thi balki waise baith wo kuch aur hi kar rahi thi...

is waqt unka left hand unke seene ke upar tha aur dusra haath zig zag hawa me ghum raha tha aur uske aisa karne se ek strong energy force bhi release ho rahi thi jisse BRAWNY ne bhi mehsoos kiya tha aur isiliye hi usne khudse dheere se ye sawal pucha tha par iske baawjud iski awaaz ki tarango ko HIDA ke kaano ne catch kar liya aur isiliye....


HIDA- TRIKAYAPALOTHANA...matlab sense the usefuls....is kriya ko anjaam de rahi hun mai...


ye bol HIDA ne apni aankhen kholi aur BRAWNY ki taraf ghum gayi jispar....


BRAWNY-TRIKAYAPALOTHANA...ye kya hota hai...???

HIDA-tumhari wo inherited GIFT, SENSING DANGER ke antargat aati ye hai kriya...

isse sahi se istemal kar paane se ek nishchit doori me hone waali saari choti si choti wo gatividhiyan jinse hume nuksaan pahunch sakta hai,usse hum sense kar lete hain....

saath hi har woh cheez jisse hume faayda ho sakta hai,uske baare me bhi jaankari deti hai hume ye kriya....

BRAWNY-wow...par nishchit doori matlab, exactly kitne door tak sense kiya jaa sakta hai....???

HIDA-ye toh is kriya karne waale ke determination ke upar hai...par tumhe isme bhi ek advantage hai...

aur wo aise ki jahan baaki sab is kriya ko apne 50 percent focus ke saath karne par jitni door tak khatre ko sense kar paayenge,utna tum apne inherited gift ki wajah se 10 percent focus me hi kar loge...


BRAWNY-aur ye stems aur branches,inka kya kaam hai abhi...???

HIDA-jaisa ki maine kaha ki wo chizen jinse hume faayda ho sakta hai,woh bhi batati hai kriya,ussike demonstration ke liye hain ye saare stems aur leaf...

mere saamne baitho aur in stems ko hamare beech rakho....


HIDA ke kahe anusar apne aur uske beech un stems ko rakh BRAWNY baith gaya jiske baad...


HIDA-ab apni aankhen band kar apne antarman me jhaank apni DANGER SENSING ability ki urja par focus karo...

tumhare aisa karte hi jab wo energy chamke,tab TRIKAYAPALOTHANA shabd ko uccharit karna...

tumhare aisa karte hi tumhari wo inherited shakti khudko bahar nikalegi aur jab aisa hoga toh apne seene ke upar apna ek haath rakh dena....

tumhare aisa karte hi us energy ka bas ek bhaag chaaron disha me bat aage badh jaayega aur dusra bhaag yahin tumhare chaaron taraf ghumne lagega...

aur tab apne dusre haath se us energy ko sense kar unhe apne saamne laakar rokte hue tumhe usse aage rakhe stems ki taraf dhakelna hai...

is pure process ke dauran tumhe apna man aur dimag bohot bhari lagenge aur woh bhaar har beethete waqt ke saath badhega bhi...

tumhe us bhaar ko sehte hue is kriya ko karna hai..jitna strong tumhara determination hoga,utna zyada tumhara focus hoga aur utna hi behatar tumhe result milega...

ready...????

BRAWNY-ready...


ye bol jaisa HIDA ne kaha, BRAWNY karta gaya...

TRIKAYAPALOTHANA spell ko uccharit karte hi uske andar se uski inherited shakti ki urja bahar nikal gayi jiske baad BRAWNY ne apna left haath apne chest ke upar rakha aur uske aisa karte hi us urja ka ek bhaag chaaron dishaon me aage badh gaya....

jab wo urja chaaron dishaon me aage badhi toh us pure maarg me jitne bhi ghaans,ped aur anya cheezen aayi,wo sab BRAWNY ke dimag me ek film ki tarah dikhne lagi thi....

wahin us urja ka dusra bhaag BRAWNY ke chaaron taraf ghumne laga jisse apne haathon ko ghumakar dhakelte hue usne apne saamne laaya aur jab aisa hua toh usne us urja ko saamne rakhe stems ki taraf dhakel diya...

par is pure dauran BRAWNY ka man aur sir dono itne bhaari ho gaye the ki uski wajah se usse bohot zyada thakaan aur kamzori mehsoos hone lagi aur yahi wajah thi ki jaise hi urja ke us bhaag ne saamne rakhe stems ko chhua, BRAWNY ki ankhen khul gayi aur jab aisa hua toh uski urja ke dono bhaag wapas aa uske andar sama gaye...

lambi lambi saansein lete BRAWNY
ko kuch pal lage normal hone me aur jab woh normal hua aur saamne dekha toh ek nayi hairani ne usse gher liya...

darasal,kuch der pehle jo usne apne saamne stems aur unme lage pattein rakhe the,unme se bohot se stems gayab the aur bas ek ya do hi ab wahan moujud the..

un bache hue stems ko dekh jab aankhon me sawal liye BRAWNY ne HIDA ko dekha toh...


HIDA-maine kaha tha naa ki jo chizen hamare kaam ki hoti hain,unke baare me bhi batata hai ye kriya....

toh ye jo stems yahan ab bhi hain,ye humare koi naa koi kaam ke hain aur jo stems gayab hain,unke kisi kaam ka na hone ki wajah se us urja ne unhe fek diya....

acha ye batao,tumhari urja ke dusra bhaag,kitna aage tak gaya tha...???wapas aate hi us urja ki doori ko tumhare mastishk ne naap hi liya hoga.???

BRAWNY-haan,kareeb 100 metre tak hi jaa paayi thi meri urja...

HIDA-woh bhi sirf kuch seconds me..jitne der tak tumne apna focus rakha,utni der agar kisi aur ne ye kiya hota toh uski urja 20 metre bhi paar nahi kar paati par tumhari urja ne kamsekam 5 guna tak zyada cover kiya hai...

BRAWNY-haan,par ye kriya kaafi exhausting hai....

HIDA-sirf tab tak jab tak tumhara mastishk aur antarman us bojh ke aadi nahi ho jaate...ek baar aisa ho gaya toh tum bina kisi pareshani kayi kms door tak bhi har khatre ko bina thake sense kar paaoge..

par filhal tumhari thakan mitane ke liye tumhe apne dusre GIFT physical pressure ko use me laana hoga..

BRAWNY-mai samjha nahi...

HIDA-arre ye jo stems aur patti hai naa,isse apne haathon ke bal se maslo,in dono se nikle ras ko peene se tumhari thakan khatm ho jaayegi....


HIDA ki baat ka anusaran karte hue BRAWNY ne apne left hand ki hatheli ko katora shape dete hue apne dusre haath se pehle stems aur phir patte ko masla aur uske aiaa karte hi uske dusre hatheli par ras tapakne laga jiske baad usne usse pi liya...

HIDA ne sahi hi kaha tha...us ras ko peene ke kuch minutes baad hi BRAWNY wapas fresh feel karne laga jisse dekh...


HIDA-badhiya...sirf yahan FORBIDDEN FOREST me karne waali hamari aaj ki activities ho chuki hai...

aur ab baaki ka pura waqt tum apni dono hi gifted shaktiyon ko apne SOUL ke saath merge karne me bitaoge...

process mai bata chuki hun tumhe isiliye chalo,shuru ho jaao....

HIDA ki baat sun ek baar fir paalthi maar kar baith gaya BRAWNY aur aisa karne ke agle hi pal paused ho chuka tha uska CEREBRATION aur shuru ho chuki thi uski process wahin BRAWNY ke hi saamne HIDA bhi ussiki tarah same process karne me lag gayi thi....






BACK TO STELLARS & GROOMERS





TOH YAHAN HONI HAI AAP SABKI SECOND ACTIVITY,THE FAULT CORRECTOR.....


kareeb 50 metre tak faile ek circle shaped jagah ko jo thik hamare pichle task waali jagah EMBRACER ki hi tarah glow kar raha tha,uski taraf point karte hue kahi thi ye baat ROVEL ne...

ye activity spot,FAULT CORRECTOR,hum sabse kareeb 20 metres door thi,par is ke baawjud hume is jagah se nikalti energy waves saaf mehsoos ho rahi thi....

khair,ROVEL ki baat ko aage badhate hue...


PETRA-is jagah ke naam se aap sabne andaza is jagah ke speciality guess kar hi li hogi...

is jagah par ye jo roshni dikh rahi hai,woh darasal EMOTIONS ki nurturing energy hai....

jaise hi koi is roshni ke daayre me aata hai,toh uske agle hi pal uske man me uski ab tak ke REFINER activation process me ki gayi saari mehnat,aur us mehnat me hone waali kami ke baare me pata chal jaata hai...

EDWINA-ab is statement se aapko ye lag raha hoga ki ye sab toh ANLYZER me bhi hota hai toh fir isme alag kya hai....????

toh jawab ye hai ki haan,ye jagah alag hai,bohot alag hai aur wo isiliye kyunki ANYLIZER me aap sirf apne saare gatividhiyon ko dekh bhar sakte hain par yahan is jagah FAULT CORRECTOR me aap naa sirf apni kamiyon ko dekh paayenge,aapke emotions se bhari energy ka woh pravah jo har REFINER activation process ke dauran aapke pure sharir me ghumta hsi,usse uski har misplaced jagah se uski sahi disha me divert bhi kar paayenge,jisse ki future classes me aapki us proccess me aapko results jaldi milne lagenge...

aur yahan ek advantage ye bhi hai ki apne emotions ki energy ko dekhne ke liye aapko apne cerebration process ko pause karne ki zaroorat nahi hai...

aap sabke normally ankhen band karne se hi aap sab apne antar man se jud jaayenge....


WHIZZ ki baaton se hum sab jaan gaye the ki ye ek wakayi kamal ki jagah thi....

har REFINER activation process ke dauran us emotion ki energy bohot tezi se body ke andar ghumti hai aur jab jab us movement me us energy ka takraw humare AMPLIFICATION modes se hota hai,toh uski disha kabhi kabhi badal jaati hai resulting accessive pain aur saath hi energy ACTIVATION me deri hoti hai....

toh is tarah hamari ye upcoming activity wakayi kamal ki thi...

amyways,is jagah ki khubi ko describe karne ke baad...


SAPIUS-okay then,kyunki ye ghera bada hai,isiliye isme at a time kaafi log enter kar sakte hain par taaki aap sabko kaafi space mile isiliye ye task aap sab 2 baar me pura karenge..

aap me se aadhe pehle is ghere me enter karenge aur uske baad baaki bache aadhe SAVENTS ki baari aayegi...

toh shuru karen,aadhe SAVENTS ek line fomat karenge aur ek ke baad wo sab is ghere me enter karenge..


SAPIUS ki baat sun sabhi first group ka hissa banane ke liye tezi se line formation ne lag gaye the,par mai shaant hi khada tha kyunki baari pehle aaye baad me, result toh same hi hona tha...

khair,MAHI,VIDEOUS,VALDIS aur MABEL ko issi first group ka hissa banana tha,isiliye wo sab sabse pehle line formation me aage badhe the,wahin mai aur mere saath ACCHUTA, SLUNDER aur ALFREEN ko first attempt me koi dilchaspi nahi thi isiliye hum sab apni jagah par hi khade rahe...

is beech ek baar maihe gour kiya tha ki MABEL ne ek baar ALFREEN ki taraf dekha tha par jab ALFREEN ki nazar uspar padi toh usne apni nazaren ghuma ki thi...

anyways,line formation ho chuka tha jiske baad wo sabhi SAVENTS ek ke baad ek us FAULT CORRECTOR jagah ki roshni me chale gaye aur aisa hone par un sabne apne antarman me jhaank naa sirf apne emotions ki energy ko dekha,uski movement aur disha ko samjha par saath hi saath us enegy ke movement ke jis disha par unhe shak hua, usse sirf soch maatr se hi unhone thik kar liya...

pehle group ke baad baari aayi humare group ki jisme humne bhi wahi kiya ko first group ne kiya tha par in sabke beech bas ek mai hi tha jisse kuch bhi sahi karne ki zaroorat padi hi nahi...

reason.....

last activity me jab mere emotions ki stability badho thi,toh aisa karte waqt usne meri inner energy movement ki disha khud hi thik kar di thi...

khair,ye activity bhi puri ho gayi thi aur woh bhi last activity se bilkul ulat ek dum shaanti se without any test...

par abhi ek aur activity baaki thi aur uske saath saath ek aur test bhi...





PLACE- A CAVERN OF FORBIDDEN FOREST




RAHOTARA VARTIYAM AURAVANAM

HIDA THE ACTUAL AURA



FORBIDDEN FOREST ke sabse densiest area me ek badi si gufa thi,jiske andar apne kaale labade se dhak is SPELL ko uccharit kar rahe the saathon WICKEDS....

reason.....

is SPELL ke prabhav se body ki asli AURA jisse har kisiko detect kiya jaa sakta hai,wo completely chhup jaata hai aur usko jagah sirf BLACK ENERGY ki tarange hi sense ki jaa sakti hai...

aur abhi wahi proccess chalu bhi tha aur uska asar bhi dikhne laga tha..

WICKEDS ke SPELL uccharan se unke sharir ke chaaron taraf ek black energy ke parat ghumne lagi thi jo bohot hi dheere dheere unki body se chipak unki original identify ko chhupate chali jaa rahi thi aur ye sab wo isiliye kar rahe tge kyunki yahan FORBIDDEN FOREST me RAAZ par in logon ne jis tarah ka humla plan kiya tha,usse karne ke baad woh kisi ki bhi nazar me aana nahi chahte the..

kyunki bhale hi ye sach hai ki CHOSENS me bullying allowed hai,kisiko bohot zyada mental aur physical assault dena bhi galat nahi maana jaata par iske baawjud black energy ka istemal kar kisiko aisa aghaat pahunchana jisse uski zindagi mout jaisi ho jaaye,ye allowed nahi hai par karna toh yahi tha in sabko aur isiliye hi pure focus ke saath wo saathon lage hue the is kaarya ko pura karne me wahin unke saamne baithi MABBA ke chehre par ek devilish aur vijayi muskaan ka combination naach raha tha aur man me chal rahi thi ye baatein...


MABBA-tu ek example banega RAAZ....wo example jiske baad koi bhi MABBA ke saamne awaaz uthane ke baare me sochega tak nahi...

bas ek hi din hai tere paas,jee le jitna jeena hai,uske baad toh teri zindagi mout se bhi badtar hone waali hai...





BACK TO STELLARS & GROOMERS




AB BAARI HAI AAP SABKE AAJ KE AAKHRI ACTIVITY KI JISKA NAAM HAI THE FIRST THREE SWALLOW..

apne aaj ke second test ke baad jab hum sab ek saath ikattha hue tab hamare saamne khade REGIS ne kahi ye baat jiske baad EDWINA ne apna haath lehraya aur uske aisa karte hi uske saamne ek bada sa page khul gaya..

ye page FORBIDDEN FOREST par likhi kitab ka hi ek panna tha jo is waqt ek bade size me hum sabke saamne tha..

khair,,us page ko prakat kar...


EDWINA-is page ki identity toh aap sab samajh hi gaye honge...

FORBIDDEN FOREST ke book ka ek panna hai ye...dhyan se dekhiye isse....

is page par jo ye lambi red line gayi hui hai,iska ek sira yahin ka hai jahan hum sab khade hain,aur dusra hisse hai us bhaag ka jahan aap sabko jaana hai...

THE INTRIGUED FRUIT....yahi hai us jagah ka naam jahan ye tedhi medhi line gayi hai aur jahan abhi aapko jaana hai...

aur is red line ke baaju me jo 10 blue lines dikh rahi hain,ye us jagah ka jahan aapko jaana hai,uska short cut hai....

ye puri jagah ghane pedon ke patton ka border hai aur un patton ke saath hi latakthe hai line se teen alag alag fruits....

ye fruits kaafi maatra me un pedo me paaye jaate hai.....

in fruits ka hi haam hai THE INTRIGUED FRUIT....

aur ye naam isse isiliye mila hai kyunki iske sewan se aapke emotions numa REFINERS ka koi bhi ek bhaag kuch samay ke liye trigger ho jaata hai...

baaki dono activities ki tarah in fruits ke ras ko swallow karne se koi permenent faayda toh hoga nahi but haan,aap me se kisi ek ko ek khitab zaroor milega,aur wo khitab hoga,SAVENT OF THE DAY ka....

toh karna aap sabko ye hai ki is red line ko yaa fir iske aaju baaju bane baaki ke 10 shortcuts ko apne dhyan me baitha un shortcuts ka istemal kar sabse pehle us pointed jagah par pahunchna hai aur wahan pahunch ped par lage un teeno fruits ko todna hai,aur bas task complete..

REGIS-aur isiliye taaki koi bhed bhaav naa ho,ye doud aapko apne AMPLIFICATION power se nahi balki apne normal SAVENT speed se pura karna hai..

in shortcuts ko zariya bana,jo bhi un fruits tak pehle pahunchega,wo jeet jaayega....

jo sabse pehle apne target point par pahunche, sirf wahi un teeno fruits ko todega..

ek aur baat,aap sabka second test competition based nahi tha par aap sabke first test me RAAZ jeeta hua hai, isiliye ek advantage usse zaroor mila hua hai...

aur saath hi MAHI aur VIDEOUS,ye dono bhi us test me second aaye the, isiliye,inhe bhi advantage hai...

ab agar is test me RAAZ phirse jeet jaata hai,toh woh clear winner ban jaayega,par agar is test me VIDEOUS yaa fir MAHI jeet jaate hain,toh woh RAAZ ke barabar ho jayega aur aise me hoga un dono ke beech ek SWALLOW competition jisme jeetne waala banega SAVENT OF THE DAY...


REGIS ki baat sun MAHI aur uske saath hi khade VIDEOUS ne mujhe ghoor kar dekha maano keh rahe hon ki is baar tu nahi jeetega..

unke is expression par bas muskura utha mai..

khair,saari baatein clear ho chuki thi aur isiliye...


ROVEL-okey then..ek baar is map ko dekh saare short cuts ache se samajh lijiye....uske baad race start hogi....


ROVEL ki baat sun hum sabne ek baar us map ko aur uske har raaste ko apne dimag me baitha liya jiske baad...


PETRA-ok then....lets begin...

ON YOURS MARKS,GET SET,GO.....


wahan PETRA ke mooh se GO nikla,aur yahan hum sabke body kisi spring ki tarah aage ki taraf ucchle aur kuch seconds me hi hum WHIZZES aur WHIZZDERS ki nazar se gayab ho chuke the..

jahan hume pahunchna tha,uski doori humse kareen 20 km thi jisse apne SAVENT speed se hi hum kareeb 10 minute me hi cover kar sakte the aur shortcuts use karne par ye timing 1 minute se 2 minute tak kam ho jaani thi,ab chahiye tha sabse best short cut lena...

khair,ek point tak bhaagne ke baad hum sabhi apne soche hue short cuts ki taraf mood gaye par jab aisa hua toh ek ajeeb ittefaq hua aur woh ye ki VIDEOUS ne bhi wahi shortcut liya tha,jo maine liya tha..

but mera focus apni manzil par tha aur isiliye mai bas apne dhoon me doudne laga tha par tabhi.....

ek moti di tehni jo neeche padi thi,usse bina apne speed me fark laaye VIDEOUS ne mere pairon ke taraf fekh di...

wo tehni pakka mujhe lag jaati par jabse maine VIDEOUS ko apni disha me hi mudte dekha tha,tabse maine BRAWNY ke danger sensing capability ki AURA ko apne chaaron taraf lapet liya tha aur yahi wajah thi ki jaise hi VIDEOUS ne us tehni ko meri taraf feka,us AURA ne naa sirf mujhe khatre ka abhaas karaya balki uske agle hi pal meri body hawa me thodi aur upar ucchalte hue aage badhi jiski wajah se wo tehni mere pairon ke neeche se hote hue dusri taraf chalo gayi...

par zyada upar ucchalne ki wajah se mere speed me ek minor dheemapan aaya tha jiski wajah se ab VIDEOUS mujhse kuch 2 metre aage doud raha tha...

wahin doudte doudte mujhe ek katili badi si dandi dikhi jisse maine utha liya par usse VIDEOUS ki taraf feka nahi kyunki mujhe maalum tha ki VIDEOUS aisa hi kuch expect kar raha hoga..

khair,tezi se aage badhte hue wo waqt aaya jab hume ek right turn lena tha aur jab humne us turn ke liye body halki twist ki toh...


SOOBH....

maine tezi se feka us katili dandi ko VIDEOUS ke chehre ki taraf jisse ghumte hue bhi sense kiya VIDEOUS ne aur neeche jhuk gaya...

VIDEOUS us hamle se bach toh gaya par aisa karne ki wajah se uski speed halki kam hui,natija,ab mai aur wo phirse barabari par doudne lage the...

jo shortcut hum dono ne liya tha,wo hamari manzil ke raaston me se one of the best short cut tha aur yahi wajah thi ki hum dono hi us THE INTRIGUED FRUIT naam ki jagah par shayad sabse pehle pahunchne waale the..

air finally doudte hue woh waqt bhi aaya jab hume apni manzil dikhne lagi..

apni puri jaan lagakar doudne lage the hum dono aur yahi kaaran tha ki sirf kuch hi seconds me hum us THE INTRIGUED FRUIT naam ki jagah par pahunch chuke the par jab aisa hua toh...


MAI-SHITTT....

dheere se nikla mere mooh se ye shabd...

reason...

MAHI wahan pehle se moujud thi jo humse bas 5 seconds pehle hi wahan pahunchi par aisa naa hua hota agar VIDEOUS ne beech doud me mera raasta rokne ki koshish nahi ki hoti...

khair,ab jo ho gaya tha,woh ho gaya tha...

jahan us ped ke neeche VIDEOUS aur mai,hum dono hi us shaant khade the wahin MAHI ne un teen FRUITS ko toda,meri taraf palti aur...


MAHI-kya hua champ,haar kaise gaye tum...!!!! bohot bura lag raha hoga naa...

MAI-mujhe bura lage naa lage,tujhe toh acha lag raha hai naa..jee le in palon ko, bohot rare naseeb honge tujhe aise pal...


ye bol mai VIDEOUS ki tarad palta aur...


MAI-mera raasta rok kya mila tujhe...mere saath khud bhi haar gaya tu...

VIDEOUS-koi aur jeete,mujhe usse koi matlab nahi..tu haar gaya,itna bohot hai mere liye..

MAI-mai nahi hum haar gaye...aur agar tujhe harane ke liye aaj ki tarah firse mujhe haarna bhi pade naa,toh aisi haar par sau jeet kurbaan...


yahan hum dheere dheere baat kar hi rahe the ki itne me baaki ke sabhi SAVENTS bhi humare paas pahunch chuke the aur MAHI ke haath me teeno fruits dekh sabhi samajh gaye ki MAHI is task me jeet chuki hai..

sabhi usse congrats keh hi rahe the ki itne me paanchon WHIZZES aur WHIZZDERS hamare saamne prakat hue aur..


REGIS-weldone MAHI..ye task tum jeet gayi..humne competition ka ye bhaag jahan tum sabse pehle pahunchi ho,dekha hai...

tumhare baad RAAZ aur VIDEOUS, dono hi is task me ek saath second aaye hain jiska matlab hai ki SAVENT OF THE DAY ke liye tum aur RAAZ,dono hi barabar points par ho...

aur isiliye ab raat ko tumhare aur RAAZ ke beech ek chota sa but kaafi interesting competition hoga,jisme jo bhi jeetega,wahi SAVENT OF THE DAY banega.....

RAAZ,tum bhi apne liye teeno fruits tod lo... competition ke waqt zaroorat padegi inki tumhe..


REGIS ki baat sun sabhi kaafi excited dikhne lage the..sabhi apne apne speculations lagane lage the ki hum dono me kaun jeetega ye khitab...

wahin REGIS ki baat ko aage badhate hue...


SAPIUS-aaj ke jeetne bhi aise task the jinse aapko aapke apne REFINER activation process me madad mil sakti hai,woh ho chuke hain..

and now it's for some fun activities....aur isiliye humara next stop hai THE MAGICAL FOUNTAIN jo yahan se zyada door nahi hai..

so let's walk there guyzzz..


ye bol SAPIUS aur unke saath baaki sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS aage badh gaye aur unhe follow kar sabhi SAVENTS bhi nikalne lage..


maine bhi apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi mere kandhon par ek haath aaya joki MAHI ka tha...


aur jab mai uski taraf palta toh....


MAHI-is task ki hi tarah raat ka competition bhi mai hi jeetungi...


dheere par bohot hi confident se bhari hui awaaz me kahi ye baat MAHI ne jispar mai pehle toh muskuraya aur


MAI-OVER CONFIDENCE.....




bas yahi aadat toh teri bohot BURI HAI.....

mujhe maat de sake,iske liye bohot tay karni tujhe abhi DOORI HAI....

par sochne me kya jaata hai,sochti reh,

waise bhi jeene ke liye ek galatfehmi ZAROORI HAI.....










AAJ KE LIYE ITNA HI......











AAPKA APNA V....J.......
Marvelous update
 

bd sharkar

Active Member
1,827
5,074
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA BRAWNY KI TRAINING KARWA RAHI HAI WAHIN DUSRI TARAF MAHI THIRD TASK ME WINNER BAN JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-87



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST



THE DAY CONTINOUS





IS JAGAH KE BAARE ME TOH AAP SAB JAANTE HI HONGE....????


apne next stop par pahunchne ke baad REGIS ne kahi ye baat jispar bohot excitement se bhar ek saath sabhi SAVENTS ke mooh se nikla...


THE MAGICAL FOUNTAIN...


THE MAGICAL FOUNTAIN...jab first time SAVENTS ko pata chala tha ki unki do din ki training yahan FORBIDDEN FOREST me honi hai,tab ye wahi jagah thi jiske baare me MAHI ne class ke waqt apne WHIZZ aur WHIZZDERS ke saamne zikr kiya tha...

bohot hi kamal ki hai ye jagah jiske baare me with pics,sabhi SAVENTS jaante the aur yahi wajah thi ki is spot ko dekhte hi iska naam sabke zuban par aa gaya tha...

khair, SAVENTS ki baat sun...


SAPIUS-absolutely right...ye wahi MAGICAL FOUNTAIN hi hai jiske baare me kaafi kuch padha hai aapne...

iske is behte paani se apne human form ko spirit form me badla jaa sakta hai,aur saath hi in paani ke kano ko istemal kar uda bhi jaa sakta hai....

EDWINA-itna hi nahi, spirit form me pahunchne ke baad aap khudko kuch palon ke liye gayab bhi kar sakte hain....

aur in saari cheezon ko karne ke liye aapko kisi metaphysical capability ki zaroorat nahi hai...

jo jo cheezen abhi humne batayi hai,iske paani ko sparsh karne ke baad un bataye gaye chamatkaron ke baare me aapke sochne maatr se woh sab ho jaayenge...

but haan,ek baar yaad rakhiyega.jin jin magics ke baare me humne bataya hai,ye is jharne ke paani ki wajah se activate hote hain..

jiska matab hai ki aap uden, spirit form me aayen yaa fir gayab ho jaayen,ye sab aap sirf tab tak hi kar paayenge jab tak aapka sharir is jharne ke paani se bheega hua ho..

aur haan,kyunki is jharne ka paani normal paani ki tarah nahi hai,isme metaphisycal capabilities hain,isiliye iske use hone par iske dry hone ko speed bhi kaafi tez ho jaati hai...

toh isiliye spirit form me aana yaa fir gayab hona toh thik hai,para agar aap is paani ko use me laa udne waale hain,toh naa sirf ek nishchit doori tak uden par saath hi jaldi se wapas neeche bhi utar jaayen..

kyunki agar aapke aasman me rehte hue aapke body par laga paani sukh gaya,toh aap neeche gir jaayenge....


is precaution waali baat ke baawjud excitement double ho chuki thi sabki EDWINA ki baat sun aur ab sab bas intezar kar rahe the ki kab unhe us jharne ke neech behte paani me kudne ki permission mile....

wahin in sabke beech ACCHUTA toh double excited dikhne laga tha jisse notice kar...


SLUNDER-tu kuch zyada hi excited nahi lag raha...???

ACCHUTA-abbe baat hi itni sahi batayi hai WHIZZ ne...

yahan itni hot bandiyan hai jinke 5 metre tak paas nahi jaa paaye hai hum kabhi..

par ab zara soch,gayab hone ke baad yahan par in saari pariyon ke ek dum kareeb jaa unhe nihaar paayenge hum..

SLUNDER-hum nahi sirf tu tharki.... mujhe aisi wahiyad plans ka hissa nahi banana...

ACCHUTA-sidhe bol naa ki tere sirf naam me hi L***D hai,baaki originally tere neeche koi sarsarahat nahi hoti...


ACCHUTA ki baat sun usse ek baar ghur kuch kehne hi waala tha SLUNDER par tabhi...


EDWINA-toh,what are you guyz waiting for...jump....


isse pehle ki SLUNDER kuch kehta, EDWINA WHIZZ ki taraf se permission mil gayi thi aur aisa hote hi sabse pehle paani ki taraf bhaag ACCHUTA aur..

CHAPPPPAK.........

kood chuka tha ACCHUTA us jharne ke neeche ikattha hone waale paani par..

wahin ACCHUTA ko yun kudata dekh baaki saare ladke bhi ek ke baad ek paani me kudana lage aur ladkon ko yun enjoy karta dekh ladkiyan bhi dheere dheere paani ki taraf badh gayi...

is douran MABEL ne ek baar palat kar ALFREEN ki taraf dekha par fir baaki ladkiyon ke saath woh bhi aage badh gayi...

par ladkiyan paani me utarne se thoda hichkicha rahi thi aur shayad is hichkichahat ke jaane me waqt lagta par tabhi...


SOOBHHH...CHAPPAKKKK......

ACCHUTA jo sabse pehle paani me kooda tha,usne man hi man udne ke baare me socha aur uske aisa karte hi uski body se chipke paani ke kano ne usse upar hawa me utha liya aur kuch upar jaakar ek dolphin ki tarah wapas ACCHUTA ne neeche aane ka socha aur aisa sochte hi wo aa bhi gaya....

ACCHUTA ke is kartab ko dekh ladkiyon ki jhijhak jaise chhu mantar hi ho gayi aur woh sab bhi turant paani me kood gayin...

wahin ACCHUTA ko udte dekh jaise achanak is paani ke khubiyan yaad aayi baaki sabko aur fir sabhi iska faayda lene me lag gaye...

koyi ACCHUTA ki hi tarah hawa me uth gaya tha toh koyi wahin neeche paani me hi tha par spirit form me..

aur kuch SAVENTS gayab ho ek dusre ko push kar dara rahe the...

mahoul kaafi positive lag raha tha jisse dekh SLUNDER mere paas aaya aur...


SLUNDER-chalen RAAZ.....!!!!

MAI-tu chal,mai aa raha hun....

jahan meri baat sun SLUNDER us prakrutik pool ki taraf badh gaya wahin mai bhi ek disha ki taraf badha aur...


MAI-jo waqt beet gaya,woh loutega nahi,jo waqt aane waala hai,usme hamara bas nahi,bacha present,ek yahi waqt hai jisse control kiya jaa sakta hai,agar isse bhi yunhi sochon me gawa diya toh kya faayda...!!!


ALFREEN ke paas jo ki saamne MABEL aur baaki ladkiyon ko enjoy karte dekh, chupchaap khadi thi,mai uske paas pahuncha tha aur ye saari baatein kahi thi jispar ek baar muskurayi ALFREEN aur...


ALFREEN-jis RAAZ ko mai jaanti thi woh sirf apne aap se matlab rakhta tha...fir achanak ye drastic change...!!!!koi khaas wajah...

MAI-correction...tumne RAAZ ko sirf dekha hai aur apni soch se samjha hai,par jaana kabhi nahi....

aur meri baaton ke piche ka maksad samajhna chhod us baat ke maayne par dhyan dogi toh faayde me rahogi....

ALFREEN-wo maayne rishton ki taraf dhakelte hain..

aur faayda nuksaan business me dekha jaata hai RAAZ,rishton me nahi....

MAI-dekho yaa naa dekho,chaaho yaa naa chaaho,faayda aur nuksaan dono hi har rishte me hote hi hain....

ab is baat ko hi lelo..jab tumne dosti ki thi toh ek faayda hua tha tumhe,dil-e-sukoon ka faayda aur jab is dosti me darar aayi toh dil-e-dard ka nuksaan jhelne lagi tum....

ALFREEN-aap se nahi jeet sakti prabhu....


ye bol haste hue apne haath jod liye mere aage ALFREEN ne jispar mai bhi muskuraya aur...


MAI-chalen ab,yaa fir aur logics clear karne hain....


mere sawal par firse haste hue naa me sir hilaya ALFREEN ne aur fir hum dono hi jharne ki taraf chal diye....


ALFREEN-siiii......paani toh kaafi thanda hai yaar...


pair ko paani me daal ye baat kai ALFREEN ne jispar..

CHAPAAKKK........


maine bina kuch kahe piche se dhakka de diya ALFREEN ko jispar wo aage paani me gir gayi..

aur usko paani me fekne ke baad mai bhi paani me utar gaya...

wahin jaise hi ALFREEN paani me giri toh uske agle hi pal usne usne apna sir upar uthaya aur....


ALFREEN-shit,its cold...RAAZZZ......you.....i will kill you....


ye bol usne apni nazar saamne ki aur uske baad chaaon taraf ghumayi par mai usse kahin nahi dikha...

woh idhar udhar dekh hi rahi thi ki mai,jisne paani me koodte hi uske power se khudko gayab kar liya tha,uske piche visible hua aur uske hair ko pull kar diya maine...

mere aisa karte hi tezi se palti ALFREEN piche aur mujhe apne saamne dekh usne mujhe push karne ke liye apne haath aage kiye par woh aisa kar nahi paayi...

reason....

maine khudko spirit form me badal liya tha jiski wajah se uske haath mere aar paar ho gaye...

jahan aisa hote dekh halki chidh gayi ALFREEN wahin humse thodi door khade ACHHUTA ne jab hamari harkatein dekhi toh...


ACCHUTA-ALFREEN,woh RAAZ hai...itni asaani se haath nahi aayega....


haste hue ye baat kahi ACCHUTA ne jisse sun meri aur ALFREEN ki nazar mili aur uske agle hi pal maine khudko gayab kar liya...

mujhe yun achanak gayab hota aur ALFREEN ke chehre par shaharat dekh ACHHUTA chowkanna ho gaya...

woh samajh gaya tha ki zaroor mere aur ALFREEN ke beech uske saath masti karne ki isharebaazi hui hai..

is thought ke dimag me aate hi pehle ACCHUTA ne socha ki upar aakash me ud jaaye par fir socha ki agar maine usse akash me pakad liya toh lag jaani hai uski..

par phir usne socha ki kyun naa spirit form me convert ho jaaya jaaye aur woh aisa kar bhi leta par tabhi...

paani ke andar tairta hua mai uske paas pahunch chuka tha aur jab aisa hua toh maine usse uske pairon se pakda aur upar ucchal diya...

ab baat ye thi ki BRAWNY ki dono hi shaktiyon ka AURA mere body me ghumte rehte the aur yahi wajah thi ki mere ucchalne me itni power thi ki BRAWNY ka sharir hawa me kareeb 15 feet upar uth gaya..

achanak aisa hone ki wajah se ACCHUTA hadbada gaya aur khudko spirit form me convert karna bhul sa gaya aur tabhi...

DHOOBH.......

ALFREEN jo issi moment ka wait kar rahi thi, BRAWNY ko hawa me uththe dekh wo uski taraf udi aur ek bina taakat ka spear maara usne BRAWNY ko jispar ulta udta hua piche paani ki taraf gira BRAWNY..

ye sab itne sci-fi tarah se hua tha ki
jin jin ki nazar is drishya par padi, sabhi has pade aisa hote dekh aur fir hamari hi tarah woh sabhi bhi apne apne group ke saath aisi hi masti karne lage....

hum sab paani me masti kar rahe the aur paani se bahar alag alag disha me khade the VIDEOUS aur MAHI..

jahan ek taraf VIDEOUS ko in sabme koi interest nahi tha aur woh bina bhaav ke khada tha wahin
MAHI ka antarman do bhaagon me bata hua tha...

uska ek bhaag usse baaki SAVENTS ki tarah aur khaas kar hamari tarah masti karne ko keh raha tha aur uska dusra bhaag jisse BLACK ENERGY ke kan effect kar rahe the,woh usse kisi bhi positive activity ka part lene se rok raha tha...

khair,saanu ki...

in saare calculations se pare hum apne me hi lage hue the..paani me ulta girne ke baad ACCHUTA turant utha aur...


ACCHUTA-RAAZ, ALFREEN,soye hue sher ko jaga diya hai tum dono ne....ab tum dono...

AAAAAAAAA.....

ACCHUTA aage kuch kehta ki tabhi SLUNDER ne uske pair me chimat diya jisse hadbada halka sa chilla utha ACCHUTA jisse dekh....


SLUNDER-arre,jaagta hua sher bhi dar gaya yaar...ab koi aur jaanwar try kar...

ACCHUTA-teri toh mai,rook saale,bhaagta kahan hai...??


ACCHUTA ke aage badhte hi SLUNDER hawa me uth ud gaya jiske baad ACCHUTA bhi usse pakadne ke liye uske piche ud gaya...

ACCHUTA aur SLUNDER ki masti dekh ALFREEN has hi rahi thi ki tabhi..

CHAPAAKKKHHH...

ek baar firse dhakka laga ALFREEN ko jiske asar se paani me aage ki taraf gir gayi aur jab woh wapas uth piche mudi toh mujhe khade paaya...

MAI-kya yaar, SAVENT hokar tum itni laaparwah kaise hi sakti ho...??dhyan rahe,humla kahin se bhi ho sakta hai...

ALFREEN-jaise abhi saamne se hoga..


ye bol lapki meri taraf ALFREEN par isse pehle ki woh mujhe pakadti,mai bhi ud chuka tha aur mujhe bhaagta dekh ALFREEN bhi mere piche holi....

waise hum dono ke upar akash me uthne ke kuch pal baad hi ACCHUTA aur SLUNDER wapas neech aa chuke the..

anyways,mai kaafi normal speed me akash me upar uth raha tha wahin ALFREEN ki speed bhi shuru me meri hi tarah normal thi par jab us raftar ke saath woh mujhe nahi pakad paayi toh usne apni speed badha di...

is nayi aur tez speed ki wajah se uski aur mere beech ki doori kam hone lagi...

mai is waqt upar ki taraf dekh raha tha par fir achanak jaise hi DANGER SENSING shakti ke AURA ne kisi ka mere kareeb aane ka sanket diya toh maine turant apni disha badal di..

wahin mujhe disha badalta dekh ALFREEN ne bhi yahi kiya...mazak mazak ke is khel me ALFREEN EDWINA ki woh warning bhul chuki thi jisme usne kaha tha ki us MAGICAL water jiski wajah se hum ud paa rahe the,uske sookhte hi hamara udna bhi band ho jaayega,aur saath hi EDWINA ne ye bhi kaha tha ki ye paani normal paani se bohot jaldi sookhta hai..

aur kyunki is waqt mai aur ALFREEN kaafi tezi se ud rahe the, isiliye hawa ka pressure bhi zyada pad raha tha hum par..

yahi reason tha ki bas kuch pal aur hi ALFREEN yun araam se udi rahi par is dauran uske kapde jinpar paani tha,dheere dheere sukhte sukhte gayab ho gaya aur jab aisa hua toh..


ALFREEN-oh shit...acahanak hawa me rookne aur fir neeche girte jaane par ye baat nikli ALFREEN ke mooh se...

waise toh kapde mere bhi sookh gaye the par mai neeche nahi gira tha aur wo isiliye kyunki ab mai apne metaphisycal power se ud raha tha...

khair, jaise hi ALFREEN neeche girne lagi toh...


ALFREEN-RAAZZZZ...


halke zor se cheekhi ALFREEN par jab meri nazar neehe nahi gayi aur mai upar ki taraf udta hi raha toh ALFREEN samjhi ki hawa ka tez bahav ki wajah se uski awaaz mujhtak nahi pahunch paayi...

is waqt akash me bohot upar thi ALFREEN jiska matkab tha ki agar woh neeche zamin se takrayi toh uska marna tay tha par woh kuch kar bhi nahi sakti thi...

halka dar,bechaini aur ghabrahat ke beech apne hone waale anjaam ko nahi dekhne ke liye apni aankhen band kar li ALFREEN ne..

usse apna marna tay lag raha tha..aankhen band kiye woh bas zamin se uske dardnaak connection ka wait hi kar rahi thi ki tabhi...

do mazboot haathon ka ehsaas hua usse apne ird gird jisse mehsoos kar jab usne apni aankhen kholi toh...


ALFREEN-RAAZ tum....


hairani aur khushi ke mile jule combination ke saath kahi ye baat ALFREEN ne jispar..


MAI-haan mai..woh abhi aasman me sirf mai hi available tha nahi toh zaroor options milte tumhe...


jab tak mera mazak pura hua,tab tak hum neeche zamin par aa chuke the...

is waqt hum fountain se thodi door khade the...

ek baar khudko yakin dila ki woh zinda hai, ALFREEN ne mujhe dekha aur...


ALFREEN-thanks RAAZ..i owe you one... chalen...


ye bol muskurate hue ALFREEN palti aur aage badh gayi aur tabhi...


MAI-ofcourse ALFREEN..you do owe me...and you dont worry at all...

ab jab bina maange service de di hai,toh ab tum chaaho naa chaaho, keemat bhi wasool hi lunga....







SOME WHERE IN FORBIDDEN FOREST






ACHA SUNO ANWIR....RAAZ PAR WAAR MAI NAHI KARUNGI....


MORANA ki is baat par jahan baaki ke panchon WICKEDS shocked hue wahin ANWIR bas halke se muskuraya aur...


ANWIR-kya baat hai.....pyar toh nahi ho gaya usse....???

MORANA-pyar,love loosers ke liye hota hai darling....i lust him,and too badly...

uske chehra,uski body,usse nikalta manly aroma, it's like an addition to me....

aur is addiction ke saath i cant punish him..

ANWIR-par tumhari is addiction se uska future badlega nahi...he is going to suffer....

MORANA-i know that..aur isiliye mai chahti hun ki when you guyz punish him,beat the shit out of him,
toh make sure ki uski woh lusty body,uske face ka woh catchy look,sab bigad jaaye taaki meri addiction khatm so sake...

ANWIR-ye wish tumhari zaroor puri hogi...

1st WICKED-ANWIR yaar ek wish humari bhi puri kar de...last baar us parking area me sirf tune hi us RAAZ ko maara tha isiliye is baar ye mouka hume chahiye...

is baar we want to punish him....

ANWIR-all right then...kal raat STELLARS ki stay se usse bahar nikaal uski khatirdaari tum sab karoge par wo tormentation sirf physical hoga...

BLACK ENERGY ka woh waar jisse uske senses hamesha ke liye chale jaayenge,uske anduri sharir ke saare bhaagon par us energy ka aisa impact padega ki wo saare part dikhne me bhar sahi lagenge par asal me uske sabhi ang gal chuke honge,wo aakhri waar sirf mai karunga....

PAANCHON-done...







PLACE-NEAR THE MAGICAL FOUNTAIN...





SO NOW IS THE TIME WHEN WE GET OUR SAVENT OF THE DAY...


apne haathon ko rub karte hue bohot hi excitement se kahi ye baat PETRA ne...

raat ka waqt hai...ussi MAGICAL FOUNTAIN ke paas ek open area tha jahan aaj camping ki thi humne aur filhal saare camps ke beech ki ek jagah par born fire jala sabhi WHIZZES, WHIZZDERS aur hum sabhi SAVENTS ek round shape bana baithe the...

khair, PETRA ki baat sun jahan sabhi excited ho gaye the wahin MAHI ne ek baar mujhe ghoor tak dekha...

PETRA ne competition start karne ka initiative le liya tha jisse aage badhate hue,


REGIS-MAHI,RAAZ.....ap dono yahan humare paas aayiye...


REGIS ki baat sun hum dono hi apni apni jagah se uth unke saamne pahunch gaye jiske baad...


REGIS-ek dusre kaa haath pakad apne antarman me us jagah par jhaank jahan se tumhe apne emotions ki energy mehsoos hoti hai,tum dono ko UDBHARATE EKASMIN SHAKTIYEM,is spell ko uccharit karna hai...

is spell ke prabhav se tum dono ke man me hi ek golakar chakra ban jaayga jisme tumhare REFINER ke paanchon part,HAPPY,SAD,ANGRY,LOVE,HATE,sabke sab us ubhre chakra me aa jaayenge jiske baad un paanchon shaktiyon me se kisi ek ko tumhara EMOTION select karega aur aisa hote hi tum dono ke mooh se is REFINER power ka naam apne aap bahar nikal aayega..

aur jo bhi naam yaa fir ye kahun ki shakti tum dono ki emotion chunegi,ussi ke base par tum dono ke beech competition hoga...


ab ye competition aur uska ye neev rakhne ka tarika wakayi interesting tha jisse sun sabki excitement aur badh gayi thi...

khair, WHIZZDER ke kahe anusar MAHI ne apna haath aage kiya jisse maine pakad liya aur aisa hone ke baad hum dono ne hi apni apni aankhen band kar ki aur....


UDBHARATE EKASMIN SHAKTIYEM....


apne antarman me jhaank apne emotion ko mehsoos kar is spell ko uccharit kiya hum dono ne jiske baad...

hum dono ke hi sharir ki joint urja hamare haathon se hote hue hamare andar pravesh kar gayi jiske baad wahi hua jaisa REGIS ne kaha tha..

hum dono ke andar hi ek golakar chakra bana jiske sabhi ends me ek ek kar 5 prakash ne janm liya joki hamare REFINER power the...

aisa hone ke baad wo sabhi powers halke halke chamakte rahe par fir unme se wo chakra jisse humare emotions ne chuna tha,woh tez chamakne laga jiske baad hum dono ke hi mooh se ek saath nikla...

LOVE...


jee haan doston,hum dono ke hi emotions ki shakti ne humare liye LOVE REFINER ko chuna jisse uccharit karte hi hum dono ki aankh jhat se khul gayi aur hum dono ne ek dusre ka haath chhod diya...

jahan hamare competition ka base LOVE sun WHIZZES aur WHIZZDERS khush ho gaye the wahin mere aur MAHI ki maansik sthithi usse puri ulti thi aur woh isiliye kyunki jaise har woh kaam jo kisi normal human ke liye next to impossible hota hai,wo ek SAVENT ke kiye easy hota hai thik ussi tarah LOVE jaisi feeling jo har human ke liye easy aur normal hoti hai,woh apne focus aur dedication ki wajah se ek SAVENT ke liye utni hi mushkil hoti hai..

aur uspar jis tarah ki life maine aur MAHI ne beetayi thi,without the love and affection of parents,uski wajah se is chune gaye competition me excell karna hamare liye next to impossible tha..

hamare facial expressions ko dekh hamari manosththi samajh gaye the sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS aur isiliye...


ROVEL-ghabraane ki zaroorat nahi hai MAHI, RAAZ....

jitna mushkil tum soch rahe ho,utna mushkil nahi hone waala hai ye competition tum dono ke liye...

ek baar apne antar man me firse jhaakon...dekho,kya tumhe bhi wahan koi prakash dikh raha hai...???


ROVEL ki baat maan jab humne apne andar dekha toh paaya ki LOVE REFINER ka prakash humare andar ab bhi jal raha hai aur ye dekh humne haan me apna sir hilaya jispar...


ROVEL-us SPELL ke prabhav se tumahare emotions dwara china gaya REFINER kuch der aise hi chamakta rahega..

ab un teeno INTRIGUED FRUITS ko nikalo jo tumne subah toda tha..

ROVEL ki baat sun jab humne un teeno fruits ko nikala toh...


SAPIUS-inhe INTRIGUED FRUITS isiliye kaha jaata hai kyunki inke ras me ek alag tarah ki shakti hoti hai..

us shakti ke prabhav se chune gaye REFINER par uske asal swabhav ka prabhav hota hai...

tum dono ko in teeno hi fruits ko nichod isse nikalne waale ras ko peena hai..

tumhare aisa karte hi jab tumhare andar pravesh kar in rason ka chhuvan tumhare man me prakashit shakti se hoga toh tumhe LOVE se related har ehsaas ki temporary knowledge milegi jiski madad se tum is competition me apne vivek anusar perform kar paaoge....


SAPIUS ki baat sun humne baari baari teeno fruits ko apne mooh ke upar rakh nichoda aur aisa hone par jab wo saare ras humare andar pahunch LOVE REFINER ki ujagar hui urja se takraye toh ek jhatka laga hum dono ke sharir ko aur humari aankhen band hone lagi..

band aankhon ke beech humare brain me LOVE se related kaafi kuch chalne laga jisse hum ek trance ki haalat me dekhne lage..

wahin is beech WHIZZDERS aur WHIZZES ne ye tay kiya ki kyunki ye competition LOVE par hai toh aise me isse handle EDWINA karegi aur woh isiliye kyunki uski kuch waqt pehle hi love marriage hui thi aur saath hi REFINERS me LOVE REFINER par EDWINA ka control baakiyon se zyada raha hai..

is discussion ke beech jo bhi hum dekh sakte the,dekh chuke the aur isiliye jaise hi hamari aankhen khuli toh...


EDWINA-ye competition best of three me hoga jiske task moukhik honge aur short honge...

jiska jawab mujhe zyada pasand aayega,point usse milega....

aur is tarah 3 me se jisne 2 part ko jeet liye,wo banega SAVENT OF THE DAY..

ready..????

MAHI/MAI-READY...

EDWINA-great...toh competition ka pehla bhaag kuch yun hoga ki mai LOVE se related ek ek sawal puchungi tum dono se jiska behad short way me jawab dena hai tumhe...

toh shuru karte hain,THE COMPETITION OF LOVE.....

MAHI.... pehla sawal tumse,aur sawal ye hai ki,


LOVE,PYAR,DIL se hota hai ya DIMAG se....


EDWINA ki baat sun ek baar MAHI ne apne brain ke us bhaag me jisme kuch der pehle LOVE se related kaafi infos feed ho rahe the,usme jhaanka aur....


MAHI-

naa DIL se hota hai,
aur naa DIMAG se hota hai...

ISHQ wo hunar hai,
jo ek khubsoorat ITTEFAQ se hota hai....


kaafi impressed hui thi EDWINA MAHI ke answer se..khair, MAHI ke jawab ko sun...


EDWINA-brilliant MAHI.....

ok,now your turn RAAZ.....

ISHQ me tadap ko with an example sirf ek line me discribe karkar batao....????


MAI-

RETH par laakar MACHLIYAN rakh do,PYAR ki tadap jaan jaaoge....


simple par to the point example jisse sun hairan bhi hue saare WHIZZ , WHIZZDER aur saath hi kaafi impress bhi...

khair,first round ho chuka tha aur isiliye....


REGIS-toh is round me kaun jeeta EDWINA....???

EDWINA-dono ke hi jawab to the point aur best the isiliye ye round draw hota hai....


EDWINA ki baat sun sabhi SAVENTS hooting karne lage the...

khair,first round ke baad ab baari thi second round ki aur isiliye...


EDWINA-toh ab baari hai second round ki jisme LOVE se related ek word jo mai abhi bolungi,usse base banakar ek two line poetry bolegi MAHI aur us poetry ke beech se ek word select kar bina time gap ke ek dusri poetry bolni hai RAAZ ko...

ye silsala kul teen poetries ka hoga... dono me jo bhi aisa nahi kar paaya,woh ye round loose kar dega....

so MAHI,ab tum start karogi and RAAZ,tumhe turant aage line banani hai....MAHI,your word is ASHK....


MAHI-uske yaad me behne waala ASHQ,
zameen par boh diya JAAYE toh AANKHEN ug AAYE...



MAI-JHEEL acha,KANWAL acha,ki JAAM ACHA HAI...

uske AANKHON ke liye ye teeno hi NAAM acha hai....



MAHI-rangeen duniye ke rangin logon me NAAM na likh mera...

touba kar lungi,marne se pehle ANJAAM na likh mera....



MAI-bujhe chirag ko ishq hua tha tez hawaon se,

ab ANJAAME-ISHQ toh kamaal ka hi hona tha...



MAHI-ISHQ ko bhi ISHQ ho toh phir dekhun mai ISHQ ko bhi...

kaise roye,kaise tadpe,ISHQ apne ISHQ me....



MAI-manzur hai woh TADAP,jis TADAP se uska DEEDAAR ho,

jisse dekh dil naa TADPE,ho hi nahi sakta ki woh PYAAR ho....


issike saath second round khatm ho chuka tha aur result,mahoul ek dum shaant ho chuka tha..hum dono ke jawab ko sun SAVENTS aur WHIZZ, WHIZZDERS dono hi shocked the..

INTRIGUED FRUITS ke sewan se humare andar ka LOVE QUOTENT bahar aayega,ye toh woh sab jaante the,par uske baahar aane se jawab aise niklenge,iski kisiko ummid nahi thi..

is hairangi ka sabse zyada quota EDWINA WHIZZ ke khaate me tha aur woh isiliye kyunki unke mutabik ye second round bhi tie par tha..

khair,ab kar bhi kya sakti thi woh siway is competition ko aage badhane ke isiliye


EDWINA-ye round bhi draw par khatm hota hai aur ab baari hai third aur last round ki....

kehte hain ki BUDDHI BAL ho,yaa fir SHARIRIK BAL,in dono hi balon se upar hota hai PREM ka BAL....

kaise,ye batana hai aap dono ko...????

MAHI,tum shuru karo...



MAHI-buddhi se lagi bal khudke dimag ko hi NICHODTI HAI...

sharir ki lagayi taakat apne hi angon ko bhi TODTI HAI....

bina khudko yaa kisi aur taklif pahunchayen,

ek PREM hi hai jo insaan ko ISWAR ke saath JODTI HAI...


MAHI ka ye example wakayi kaafi acha tha,yahi kaaran tha ki naa sirf SAVENTS balki WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi iski taarif bhi ki aur halki clapping bhi...

saath hi saath MAHI ke jawab ko sun sabko ye laga ki isse behtar jawab shayad mai nahi de paaunga,natija MAHI ki jeet..

khair, competition toh pura karna hi tha aur isiliye...


EDWINA-your turn RAAZ....

MAI-mere jawab ko sunane se pehle us jawab ke dono paatron ke baare me janana zaroori hai warna jawab ki ehmiyat samajh nahi paayengi aap..

isiliye,mere dimag se in dono paatron aur unki kahani ko pehle jaaniye aur samjhiye aap....


meri baat sun EDWINA ne baaki WHIZZES aur WHIZZDERS ki taraf dekha jispar..


SAPIUS-agar aisa hai toh fir un paatron,kirdaron ke baare me yahan moujud har kisko janana chahiye..

mai khudko aur yahan moujud sabhike brain ko tumhare brain se jodta hun..

iske baad tum apne brain me jo batana chahte ho,usse related chizen sochna shuru karna,jisse hum bhi uske baare me jaan jaayenge...


SAPIUS ki baat sun haan me sir hilaya maine jiske baad unhone apna ek haath mere sir par rakha..

unke aisa karne ke baad unke haathon se ek ray nikal mere brain me sama gayi..

iske baad SAPIUS ke brain se bohot se rays nikal sabhi WHIZZES WHIZZDERS aur SAVENTS ke sir ki taraf badh gaye jiske baad hum sabke brains interconnect ho chuke the..

aur ab shuru kiya maine un do kirdaron ke baare me jaankari transmit karna joki the RADHA KRISHNA jinke baare me maine VIKRAM ki di book me padha tha.

mere aisa karte hi sabhi ke BRAINS me in dono ke baare me sab kuch transmit hone laga aur jisse jaan woh sab surprised bhi hue aur impressed bhi...

par in sabke beech jab ek ray VIDEOUS ke sir par bhi padi aur jaise hi is ray ke through uske brain me RADHA KRISHNA ki chavvi dikhi,usse laga ek jhatka..

ek aisa jhatka jiski wajah se woh behosh hote hote bacha tha.. jiske baad usne turant apna connection us ray se hata liya tha..

khair,ab tak transmission pura ho chuka tha jiske baad SAPIUS ne apna aur baakiyon ka connection mere BRAIN se hata liya..


EDWINA-wow.. that was beautiful..haan toh RAAZ,ab hume tumhare kirdaaron ke baare me pata hai,toh ab apna jawab do...


MAI-


SUDARSHAN CHAKRA DHAARI SHREE KRISHNA se saare paapi DARTE HAIN....


BUDDHIMAAN HON,YA SHAKTIVAAN,inse takra woh sab buri mout MARTE hain...


phir bhi logon ko DWARKADHISH par nahi,balki prem waale KANHA par bharosa hai,


tabhi toh jis RADHA ka GEETA me door door tak naam tak nahi,

uske samapan par log,RADHE RADHE KARTE HAIN....




out of the box answer jiska result sirf ek hi ho sakta tha,aur woh tha..


EDWINA-genius....you win RAAZ.... & you truly and deservingly are the SAVENT OF THE DAY....


RADHA KRISHNA ki kahani se waise hi kaafi touched hui thi EDWINA aur rahi sahi kasar mere jawab ne puri kar di thi..

maine jo baat kahi thi,usse sun kaafi emotional ho gayi thi EDWINA
aur yahi wajah thi ki mujhe winner anounce kar woh dusri taraf badh gayi...

wahin baaki WHIZZDERS bhi khush aur emotional dono hi ho gaye the isiliye mujhe congratulate kar woh sab bhi nikal gaye...

saare SAVENTS ne bhi kaafi tarif ki mere jawab ki excluding VIDEOUS...

aur in sabke beech khadi thi MAHI jo shayad aaj first time tha,jab woh meri jeet par joki uske khilaaf hi hui thi,ghussa nahi thi..

iska ek reason tha RADHA KRISHNA ki woh kahani jo mere through jaani thi usne aur dusra reason tha woh INTRIGUED FRUITS ka ras jiske prabhaav abhi bhi bacha hua tha,aur yahi wajah thi ki uske brain me kaabiz BLACK ENERGY thodi shaant thi..

khair,sabke mujhe congratulate karne ke baad jab mai palat kar jaane ko hua toh..


MAHI-congrats RAAZ..you deserved to win...

MAHI ki baat sun mai palta aur..


MAI-i know MAHI....i am born to win....


MAHI mujhse thanks expect kar rahi thi but jo jawab maine diya usse sun...


MAHI-wait what....???oh common RAAZ... sportsmanship, courtesy,iske bina koi jeet jeet nahi hoti....

is ATTITUDE ke ilawa aur kuch hai bhi tumme....???

MAI-


SPORTSMANSHIP, COURTESY,ye wo shabd hain jinme chhupi DHOKEBAAZI HAI...

aur haan,RAAZ bana hi ATTITUDE se hai,

aur mere liye,ye ATTITUDE hi KAAFI HAI.....













AAJ KE LIYE ITNA HI........













AAPKA APNA V....J.....
Wow.... heart touching lines tha bro....
 

bd sharkar

Active Member
1,827
5,074
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA APNI BEHEN KE AURA KI MADAD SE PAANCHON WICKEDS KO THIK KAR DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF SHAILA AUR AKSHAANT RAAZ KO THE PROHIBITED ARCHIVE KE BAARE ME BATATE HAIN JAHAN WO APNI SHAKTIYON KO BADHA SAKTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-92



PLACE-SOME WHERE IN SPACE








JAHAN SE WOH DONO LADKE HAIN,ARROW AUR CARAPACE,DONO HI PLANETS AB DEAD HO CHUKE HAIN...???

KARODON ME BASE IN DO PLANETS KE LOG SOLAR SYSTEM KE ALAG ALAG PLANETS ME SHIFT HO GAYE HAIN...

PAR AISA KYUN HUA HOGA...???HAR LIVING PLANET KA LIFE SOURCE KARODON SAALON KA HOTA HAI AUR PHIR USME CHANGE BHI DHEERE DHEERE AATA HAI....

PAR YE DONO PLANETS TOH ACHANAK SE DEAD HO GAYE...

NATURALLY YE POSSIBLE NAHI HAI....YE BAAT TOH PAKKI HAI KI AISA RAAZ NE HI KYA HAI....????

PAR SAWAL FIR WAHI HAI,KI KYUN....????


pehle DEVOTEE ne khudse hi ye sawal kiya jisse uske baaju me khade baaki dono DEVOTEES ne bhi suna aur.....


DEVOTEE 2-ek aur baat bhi hai jo kaafi ajeeb hai...dono PLANETS ke log toh humne dhund liye par ACCHUTA aur SLUNDER ke parents hume kahin nahi dikhe aur naahi hum unhe khoj paaye yaa unka AURA sense kar paaye....

pehle laga tha ki taaki VIDEOUS un tak naa pahunch paaye, isiliye RAAZ ne unhe chuppa diya hoga par aisa koi living PLANET nahi hai jahan humare LORD ki pahunch nahi hai.....

hum bhale unhe khoj nahi paate,par ab tak unhe sense zaroor kar paa chuke hote...

apni kaali urja ka aadhe se zyada bhaag kharch karne ke baad bhi hum un dono royal families ko sense nahi kar paaye hain....


third DEVOTEE joki dhyan se pehle dono DEVOTEES ko sun raha tha,second waale ki baat khatm hote hi....


3RD DEVOTEE-saare tarkon ko dhyan me rakhne ke baad hamari ab tak is asafalta ka ek hi kaaran bachta hai....

aur woh ye ki jin do PLANETS me is waqt sabhi CARAPACE aur ARROW ke log hain,wahan dono hi royal family moujud nahi hai...

woh kahin aur hain.....


DEVOTEE 1-mujhe bhi aisa hi lagta hai.. par sawal toh ab bhi wahi hai ki kahan ho sakte hain woh sab....???

aur itne bade bramhaand me hum unhe dhundenge kaha....???

DEVOTEE 3-humare liye jo mushkil hai,humare LORD ke liye bohot asaan hai..agar woh chaahe toh kuch hi palon me pure bramhand me base logon ki actual position sense kar sakte hain par aise chote kaam woh karen,ye unki shaan me gustakhi hogi...

ye hamara kaam hai aur hume hi isse anjaam dena hoga...

ek baat aur,mujhe lagta hai ki bhale hi apne logon saath nahi par ho naa ho,wo dono royal families issi sourya mandal ke kisi planet me hi honge...

isiliye hum teeno is system ke alag alag PLANETS me jaayenge aur apni kaali urja ko us PLANET ke vaayu me mila un sabke AURA'S ko khojenge...

DEVOTEE 1-idea acha hai...chalen fir..???


DEVOTEE 1 ki baat khatm hote hote hi woh teeno gayab ho chuke the..

gayab ho woh teeno hi us solar system ke teen alag alag PLANETS me prakat hue jiske agle hi pal....


RIGADHUNITA

SEARCH

apne dono baahein faila is SPELL ko uccharit kiya teeno ne jiske baad unke sharir se unki kaali urja ki ray nikal PLANETS ke vaayu ke saath mil gayi..

is ray ki speed light speed se bhi zyada thi...

yahi kaaran tha ki sirf kuch hi minutes me DEVOTEE 1 aur 2 ne apne apne PLANET ko scan kar liya tha par afsos unhe koi postive result nahi mila...

jahan apne negetive result se woh do hatash hue wahin third DEVOTEE ki ray abhi bhi jahan woh tha,us PLANET ko scan kar rahi thi..

aur iska reason ye tha ki is waqt third DEVOTEE jahan tha,woh planet is solar system ka sabse bada PLANET tha,MASSOR...

PLANET ke naam se ghanti baji...ye wahi planet hai jahan ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ne khudko shoot kiya tha yaa fir ye kahun ki WOOGER ne unhe aisa karne par majboor kiya tha....

khair,ab tak 90 percent tak third DEVOTEE ke AURA ne us planet ko scan kar liya tha par result negetive hi tha jiski wajah se usse bhi nirasha hone lagi thi par tabhi....

jaise hi us DEVOTEE ki search ray MASSOR ke sabse bade jungle ke madhya pahunchi,ek point par pahunch woh ray zor zor se vibrate hone lagi jisse mehsoos kar us third DEVOTEE ki aankhon me chamak aa gayi aur usne turant apne dono DEVOTEES ke mind me us jagah ka location send kiya jahan se uske search ray me vibrations ho rahe the...

aisa kar woh khud bhi us location par pahunchne ke liye antardhyan ho gaya...

agle hi pal woh DEVOTEE apne manzil par khada tha jiske kuch seconds baad baaki dono DEVOTEES bhi wahan prakat hue aur un dono ne bhi ek jagah par tez vibrations feel ki...

us kampan ko feel kar un teeno ne ek dusre ko dekh smile paas ki aur us pointed jagah ki taraf badh gaye aur....

vibration ho rahi jagah par pahunch woh teeno hi neeche baith gaye..

jungle ke madhya the woh teeno isiliye har taraf bade bade ghaans uge hue the....

khair,jahan woh baithe the,usse bas 3 feet aage hi kampan ho rahi thi aur isiliye un teeno ne apna haath aage kiya aur..

SATYATA VINAKARTEM

EXPOSE THE TRUTH


teeno ne hi is SPELL ko bola jiske baad un teeno ke haathon se ek ek ray nikal saamne vibrate ho rahi jagah ke andar sama gayi jiske kuch seconds baad...

ghaans ke andar ek moovement shuru hui maano kuch bahar nikal raha ho....

kuch seconds aisa hua par phir us ghaans ke neeche ke alag alag jagah se kuch mitti bahar nikal hawa me un teeno ke beech aakar rook gayi...

woh teeno hi un saare mitti ke kano ko dekh rahe the..

bahar aane par toh un mitti ka colour normal hi tha par phir SPELL ke prabhav ki wajah se un saare mitti ke kano ke colour me halka halka badlaw aane laga..

jahan kuch seconds pehle woh saari mitti sukhi lag rahi thi wahi ab un mitti ke kano me thoda sa geelapan dikhne laga tha jisse dekh un sabne un mitti ke kano ko chhua aur apne honthon se laga liya aur jab aisa hua toh...

un teeno ki hi aankhen badi ho gayi....

reason....

jaise hi mitti ke kano ko un teeno ne chakha toh unhe samajh me aa gaya ki wo gilapan aur kisine nahi balki khoon ki boondon se aaya hai..

saath hi saath mitti me lage woh khoon ke kan jaise hi unke jeebh ne chakhe toh uske agle hi pal un saare khoon ko bundo ki asliyat teeno DEVOTEES ke mind me chalne lagi..

is waqt unke brain me woh scene chal raha tha jab WOOGER ne ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko khudkhushi karne par majboor kar diya tha aur waisa hone ke baad un chaaron ke andar se unke emotions ki shakti nikal RAAZ ko transfer kar di thi....

ye sab dekh woh teeno wakayi shocked the..

bhale woh teeno hi VIDEOUS ke gulam the par aisa woh sirf uske andar base BLACK ENERGY ki wajah se the par abhi jo scene unhone dekha tha,usse dekh unhe RAAZ me bhi ek shaitan dikha tha..

ek aisa shaitan jo BLACK ENERGY ka uttaridhikari hone ke liye shayad utna hi qualified aur samarth tha jitna ki VIDEOUS..

khair, yahan teeno DEVOTEES ke dimag me ACCHUTA aur SLUNDER ke parents aur RAAZ ke andar base un chaaron ke emotions ki theory clear hui,aur wahan VIDEOUS ko bhi sab pata chal gaya tha jisse jaan...


VIDEOUS man me-hahahahahaha...waah....chalo,matlab parasti me hi sahi,kisi field me toh tum mujhe takkar de rahe ho....

kamaal hai RAAZ....ek taraf ACCHUTA aur SLUNDER ko bachane ke liye har waqt unke aage khade rehte ho aur dusri taraf unke maata pitah ko hi maar daala tumne....

kaaran toh mujhe iska nahi pata aur naahi is baat ki khabar hai ki ACCHUTA aur SLUNDER par tum itne meherbaan kyun ho...??

par itna toh andaza laga hi chuka hun mai ki zaroor,isme bhi tumhara koi faayda chhupa hai...

aur agar tumhara faayda ACCHUTA aur SLUNDER ke saath rehne me hai toh mai kaise aisa hone de sakta hun....???

par filhal tum enjoy karo....dosti par aur lectures aur gyan do...

dosti ka jo beej tumne un dono ke man me apne liye ugaya hai,ugne dete hain usse...

waise bhi,kacche phal ko khaane me swaad nahi aata...

tumhare dosti ke beej ko ped ka roop le lene do,usme lage phal ko pakh jaane do,aur aisa hone ke baad jab us phal ko khaane ki baari aayegi,kaat dunga mai us dosti ke ped ko...


filhal ELYSIAN me subah ka waqt hai aur class me baithe baithe hi soch raha tha ye baat VIDEOUS par tabhi.....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS





MORNING GUYZZZZ.....

MORNING WHIZZ, MORNING WHIZZDERS.....


ek saath hamare teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ne hume greet kiya jisse jahan ek taraf VIDEOUS apni soch se bahar aaya wahin hum sabne bhi morning greet ka jawab diya jiske baad....


SAPIUS-FORBIDDEN FOREST ke do dino ke exciting trip aur fir ek din ke rest ke baad finally,we all are back...

waise jitna socha tha,usse zyada faaydemand saabit hua hai ye added activity aap sabke liye...


sikhne ke nazariye se dekhen toh bhi ye ek acha experience toh tha hi par sabse bada advantage aap sab ko hua hai the GIFT activity me...

FORBIDDEN FOREST jaane se pehle jahan MAHI, VIDEOUS aur RAAZ ke baad sirf VALDIS aur MABEL ne hi apne apne first refiner ke average POWER ko activate kiya tha wahin us activity ke baad baaki sabhi ka REFINER average power activate ho chuka hai..

and MAHI ke toh second REFINER ne bhi apne average power ko touch kar liya hai..

aur jinhe sabse zyada us activity ka faayda hua hai aur jo is waqt head to head class me sabse aage hain,wo hain VIDEOUS and RAAZ....


REGIS-absolutely.... VIDEOUS ne toh FORBIDDEN jaane se pehle hi apne second REFINER ke average POWER ko ACTIVATE kar liya tha aur THE GIFT activity me diye jawab ki wajah se VIDEOUS ne apne second REFINER ko bhi COMPLETE POWER tak ACTIVATE kar liya hai...

well done my boy....

and lastly,what to say about you RAAZ....jis position me is waqt VIDEOUS hai, tum bhi wahi position hold karte ho but having said that,jo jawab tumne us din THE GIFT naam ki us activity me diya tha,aur phir MAHI ke saath SAVENT OF THE DAY me jeetne ke liye jo answer tumne diya tha,usse tumne saabit kar diya ki you are something else my boy...

SAVENTS,her performance ko execute kaise karna chahiye,i think you should all learn it from RAAZ...

uska initiative naa sirf sabse alag hota hi balki sabse efficient bhi....we are proud to have a SAVENT like you RAAZ....

jahan mere baare me ye saari baatein bolte waqt REGIS aur unke baaju me khade SAPIUS bohot khush dikh rahe the,wahin baaki class ke reactions alag alag the..

jahan ek taraf thi MABBA,jiske andar meri taarif sun toofan macha hua tha wahin ussiki tarah negetive the VALDIS aur VIDEOUS...

ALFREEN MABEL aur ussiki tarah kuch SAVENTS khush the toh in sabke beech sabse alag bhaav the MAHI ke jo naa khush thi aur naahi dukhi...

but haan,last me jo REGIS ne kaha ki "we are proud to have a SAVENT like you"is baat ko sun usse PHASE 1 yaad aa gaya tha kyunki us waqt same words uske liye use hua karte the...

but mai tha aage usse aur jo sach se bhaage,wo MAHI nahi...

usse maalum tha ki mai ek aisa competition hun jisse piche karna bohot mushkil hai but she was up for this challenge...

saath hi jab REGIS ne ye kaha ki apne performance ko execute karne ka tarika kaisa hona chahiye,ye RAAZ se sabhiko sikhna chaahiye,is baat ko sun uske andar chuppa ek PHASE MATE aur learner usse mujhse sikhne aur mere tarikon ko samajhne ke liye keh raha tha but at the same time mera ATTITUDE aur uske dimag me basa ego joki BLACK ENERGY ki hi den thi,usse aisa karne se rok raha tha...

in saare thoughts se ladhti MAHI ne apne dimag ko jhatka aur class me focus karne lagi jahan ab SAPIUS aage ke plan batane waale the..


SAPIUS-so kyunki ab aap sabhi ke REFINER ek hadh tak activate ho gaye hain,iska matlab hai ki ab aap sab apne second class joki THE CLASS OF ELABORATION hai,uske liye taiyar ho chuke hain aur isiliye aaj se infact abhi se aapki ye class shuru hoti hai...


SAPIUS ki baat sun sabhi SAVENTS excited dikhne lage the kyunki ab tak woh jo class attend karte aa rahe the,THE CLASS OF EXPANSION ki,woh unke is PHASE ke metaphisycal capabilities ki base class thi par asli metaphysical activities aur magic CLASS OF ELABORATION me hi sikhi jaati hai joki ab as SAPIUS said,shuru hone waali thi...

wahin SAPIUS ki baat ko aage badhate hue....


MABBA-CLASS OF ELABORATION me hota kya hai,iska defination toh first day de diya gaya tha aap sabko, isiliye without wasting any more time, ELABORATION class shuru karte hain...

SAPIUS-ek second...ELABORATION class ke baare me baaki sabhi ko pata hai par RAAZ ko nahi....

as a STELLAR, FORBIDDEN FOREST ke baad uska ye first class hai, isiliye pehle hume RAAZ ko ELABORATION class ke baare me batana hoga...


SAPIUS ki baat sun MABBA ke chehre par ek halki si smile aa gayi...

reason...

usne jo bhi abhi kaha tha,woh isiliye hi kaha tha taaki SAPIUS ya REGIS woh kahen jo abhi abhi SAPIUS ne kaha tha aur ab jab aisa ho chuka tha toh MABBA jo aaj karna chahti thi,us plan ko khud SAPIUS ne kick de di thi....


MABBA-oh common on SAPIUS...kuch der pehle kahi apni hi baat bhul gye kya tum...???

kya kaha tha just thodi der pehle tumne ki RAAZ is something else aur tumhe garv hai uske jaise SAVENT ko apni class me paakar...

toh aise me tumhe lagta hai ki RAAZ jaise brilliant SAVENT ko itni choti choti baatein batani padegi..

aisa karna uske talent aur self respect ki insult hoga... right RAAZ....!!!!


jo bhi abhi MABBA ne kaha tha,uske piche zaroor uski koi naa koi chaal thi,itna toh SAPIUS aur REGIS bhi samajh gaye the aur unke saath SAVENTS bhi aur sabko is baat ka bhi andesha ho gaya tha ki zaroor MABBA aaj phir kisi tarah
mujhe lapetne waali hai...

wahin is beech jab maine kuch kaha nahi aur bas saamne dekhta raha toh..


MABBA-kya hua RAAZ...???dont tell me ki tumhare jaise brilliant SAVENT ka base bhi clear nahi hai...

MAI-ELABORATION class me hume hamari chaaron shaktiyon ke sources ko inerlink yaa fir ye kahun ki ek kar spell bolna sikhaya jaata hai taaki spell bolte waqt uska asar man mutabik ho aur saath hi chaaron AMPLIFICATION modes ko ek saath merge karne se hamare sabhi organs itne strong ho sake ki bade se bade SPELLS ke asar ko hamari body jhel paaye aur iski recovery nano seconds tak tez ho jaaye.....

itna hi nahi,SPELL bolne ke baad uske asar ke beech ek naye SPELL ko uccharit kar kuch alag bhi kiya jaa sakta hai, aisa karna bhi is class me sikhaya jaata hai..

is MULTI SPELL uchaaran karne waale technique ko HOAX HIT kehte hain jo kisi bh competition yaa fir yudh me bohot kaam ki chiz hoti hai....


ek straight face ke saath ELABORATION class ka pura ganit bata diya maine jisse sun jahan ek taraf SAPIUS, REGIS aur bohot se SAVENTS khush ho gaye wahin MABBA ke chehre par ek second ie liye ghussa aur frustration dikha jisse usne turant cover kar liya tha...

wahin in sabke beech the MABEL aur ALFREEN jo aaj mere baanu me hi baithe the aur jo mere jawab ko sun halka halka smile kar rahe the...

reason...

as promised,aaj morning ka breakfast maine ALFREEN ke ghar hi kiya tha... MABEL bhi wahan moujud thi aur tab maine baaton baaton me classes ke baare me pucha tha aur tab ALFREEN ne expansion aur elaboration,in dono hi classes ke baare me details de di thi mujhe aur jo abhi mere kaam bhi aa gayi thi...

aur isiliye mere jawab ko sun halka sa smile de ALFREEN mere kaan ke paas aayi aur...


ALFREEN-samajh me nahi aata ki tu talented zyada hai yaa lucky..???

MAI-babes,the harder you work,the luckier you get...

yahan hum dheere se baat kar rahe the aur wahan mere jawab ko sun..


MABBA-fantastic...dekha SAPIUS, RAAZ knows it all...sab pata hai usse aur isiliye RAAZ ke talent ko dhyan me rakh is class ko start karne ka ek alag aur exciting tarika socha hai maine...


MABBA ki is baat ko sun ek alarn baj utha SAPIUS aur REGIS ke man ne..

woh samajh gaye ki MABBA ek baar phirse mujhe fasane ke liye kuch karne waali hai aur isiliye...


SAPIUS-koi zaroorat nahi hai MABBA...jo regular procedure hota hai,ussike saath class shuru karenge hum....


MABBA-ye kya SAPIUS....!!!ek baar phirse tum apni hi kahi baat bhul gaye..

kya bola tha kuch der pehle tumne SAVENTS se ki har performance ko kaise execute karna chahiye,ye sabko RAAZ se sikhna chahiye..

uska initiative sabse alag hota hai toh aise me RAAZ ke initiative ka ek live demo toh banta hi hai taaki SAVENTS completely charge up ho saken....

kyun SAVENTS...???


VALDIS-yes WHIZZ...us din flying demonstration me RAAZ ne jaisa performance diya tha,that was so motivating....

hum sab ek baar phirse waisa hi kuch dekhna chahte hain RAAZ se....


VALDIS ki baat sun jahan uske kuch friends ne uski baat ka saath diya wahin MABEL aur ALFREEN ne VALDIS ki taraf ghusse me dekha jispar..


VALDIS-what..sahi toh kaha maine..??kyun,tum dono ko bharosa nahi hai kya RAAZ ki abilities par....


isse pehle ki VALDIS ki baat ka koi jawab deta...


MAI-bring it on...batayiye kya socha hai aapne... demonstration ke liye taiyar hun mai...


saare speculations par purv viraam sa tha mera ye statement jiske baad sabhi chup ho gaye par ab ALFREEN mujhe ghoor kar dekhne lagi thi...

khair,meri baat sun MABBA ke face par ek smile naach uthi aur..


MABBA-fantastic..ab ye hua naa ek champ waala ATTITUDE....


ye bol MABBA apni jagah se hili aur class ke beech me jaakar khadi ho gayi....


MABBA-so class,now its demonstration time joki aapki class ke sabse honhar SAVENT RAAZ aap sabke saamne present karenge..

aap sab ek wide circle banakar baith jaaiye aur RAAZ,tum us circle ke beech me khade rahoge taaki tumhara DEMONSTRATION puri class thik se dekh sake.....


jaisa MABBA ne kaha,sabne waisa kiya..kuch hi der me ek circle bana sabhi SAVENTS baith gaye the aur mai un sabke beech aakar khada ho gaya tha....

SAPIUS aur REGIS MABBA ke dono side khade ho gaye jiske baad...


MABBA-so SAVENTS...RAAZ ke through aaj aap sab ELABORATION class me sikhayi jaane waali do chizen dekhenge aur RAAZ ke performance se inspire hokar sikhenge...

jaisa ki aap sabko pata hai ki ELABORATION class me apne chaaron AMPLIFICATION modes ko merge kar ek kiya jaata hai jisse ek toh SPELLS ki power badh jaati hai aur dusra external aur internal,dono hi body ke bhaag itne strong ho jate hain ki seconds me har damage recover ho jaata hai..

toh pehli chiz aap yahi organ recover hona dekhenge aur dusri cheez jo aap dekhenge,woh hai HOAX HIT ko use me laana...

par kyunki hamare saamne RAAZ hai jisne apne dono REFINERS ko ACTIVATE kar liya hai isiliye HOAX HIT ko sidhe use me laana iske liye maamuli baat hai aur isiliye is part ki hum thoda aur tough aur innovating banane waale hain....

au woh aise ki RAAZ ke saamne total do task honge..pehle task me RAAZ khudko internal aur external,dono hi tarah se recover karega jisse uske first three AMPLIFICATION modes thik honge aur dusra task ye hoga ki aisa karte waqt mai usse hypnotize,sammohit karungi....

ye summohan BRAIN par nahi balki RAAZ ke SOUL par hoga...

jiske baad uske senses kam ya fir khatm ho jayenge,toh aise me RAAZ ko in dono hi task me successful hone ke liye khudpar hi ek saath do SPELLS ko bol use me laana hoga...

summohit hote hue bhi kisi tarah RAAZ tumhe apne dono REFINERS ko activate kar MASTISHKA GRAHAVATE SPELL ko man hi man uccharit karna hai jisse tum apne SOUL HYNOTIZE state se bahar aa jaaoge...

aur ye dono hi task tumhe ek hi waqt par karna hoga...apne first task jisme tumhari external aur internal body jisme BODY ke saath BLOOD aur BRAIN bhi honge,usse thik karte hue second task jisme tum apne SOUL ko HYNOTIZE ke bandhan se chhudaoge...

aur agar tumne aisa kar diya toh demonstration successful maana jaayega....easy,right....???


MABBA ki baat sun pure class me ek shanti ne ghar kar liya tha..jis demonstration ko MABBA simple bol rahi thi,ek PHASE 2 SAVENT jisne abhi tak ELABORATION class ka ganit practically samjha tak nahi hai,uske liye ye task impossible jaisa tha..

SAPIUS aur REGIS jaante the ki jo task MABBA ne mere saamne rakha hai,woh task toh PHASE 3 SAVENT ke liye bhi tough hai toh phir mai bhala kaise isme excel kar paaunga...

par woh ye bhi jaante the ki isme ab woh dono kuch nahi ka sakte the khaas kar tab jab maine challenge eccept kar liya tha...

par MABBA ne abhi first task exactly kya hai,iske baare me kuch kaha nahi tha aur siliye...


REGIS-pehle task me kya challenge hoga RAAZ ke saamne...???

MABBA-ab ye hua sahi sawal....waise ye part sabse interesting hai...dekho...

ye bol MABBA ne apna haath aage kiya aur aisa karne ke baad uske mooh se ek naam uccharit hua...


MABBA-RICINNNNNNNN.....


MABBA ke is naam ko uccharit karte hi uske haath ke upar kaala dhuan uthne laga aur dekhte hi dekhte us dhuen ne ek aakruti leni shuru ki aur jab us aakruti ne solid form liya toh sabki aankhen hairat aur halke dar se baahar aane lagi..

reason.....

is waqt MABBA ke haath me ek bohot bada aur behad hi chamkila kaala SNAKE tha....

SAVENTS ko toh nahi pata tha par SAPIUS aur REGIS jaante the ki ye snake MABBA ka paala hua pet hai aur puri tarah BLACK ENERGY se grasth hadh se zyada zehrila saanp hai..

iske zehrile aur iske andar panap rahe BLACK ENERGY ka asar issi baat se pata chal raha tha ki iske prakat hote hi class me moujud sabhi ki saansen halki bhaari hone lagi thi...

khair,muskurate hue apne gale ne daal liya MABEL ne us saanp ko jispar...


SAPIUS-are you out of your mind MABBA...kya isse daswane waali ho tum RAAZ ko....


SHHHHHH....

isse pehle ki MABBA kuch kehti, SAPIUS ki tez awaaz ko sun apne fan ko utha ek fufkaar maari RICIN ne aur aisa hone par jo hawa uske mooh se nikli,uski chapet me aa gaya SAPIUS aur uska dum ghutne laga jispar...


MABBA-RICIN...galat baat...class hai ye..yahan aisa nahi karna chahiye tumhe....

aur SAPIUS,tumhe maalum hona chahiye ki RICIN ke saamne koi mujhse unchi awaaz me baat kare,ye pasand nahi isse...


ye bol MABBA ne apna haath SAPIUS ki taraf kiya jiske agle hi pal RICIN ki phoonk se nikla zeher ka prabhav hath gaya aur SAPIUS normal ho gaya.....


MABBA-aur haan, RAAZ ko ye dasega nahi,iska kaam hai bas RAAZ ki body ko apni giraft me lena...

iske aisa karte hi RAAZ ki BODY, BLOOD aur BRAIN teeno hi AMPLIFICATION modes ki work proccess slow hi jaayegi....

and RAAZ,tumhe dar toh nahi lag raha hai naa....agar lag raha hai toh relax ho jaao.. kuch nahi hoga tumhe..

RICIN khatarnaak zaroor hai par mera paala hua wafadar hai..mai jitna bolungi,utna hi ye karega...


MABBA ki baat par mai kuch kehta par usse pehle...


ALFREEN-RAAZ ye demonstration nahi dega...


behad ghusse me kahi ye baat ALFREEN ne jisse sun pehle toh MABBA chownki par phir..


MABBA-koi baat nahi.. RAAZ haar maan backout kar sakta hai...batao RAAZ,tum backout karna chahte ho....???

MAI-mujhe baat repeat karne ki aadat nahi hai WHIZZ..demo shuru karte hain...


meri baat sun jahan ALFREEN man maarkar reh gayi wahin MABBA ne muskurate hue apna CIRIN ko chhua jiske baad woh woh MABBA ke gale se utra aur meri taraf badh gaya....

zigzag chalta hua woh saanp mere paas aaya aur agle hi pal woh tezi se mujhe khudme lapeththa chala gaya....

ab ye ek magical saanp tha jiski length kareeb 7 feet thi par jaise jaise woh mujhe lapettha gaya,uski size badhti gayi aur yahi wajah thi ki kuch hi palon me CIRIN ne mujhe pair se lekar gardan tak lapet liya tha...

mere gardan ko lapet wo thik mere chehre ke saamne aaya aur apna fun utha mujhe ghoorne laga jispar meri aankhen bhi usse ghurne lagi..

chal rahe drishya ko saansein thaame dekh rahe the saare SAVENTS...

is waqt usne apne fun se nikata zeher rok rakha tha par uske pure sharir se ek negetive energy jo poison se mili hui thi, mere BODY se hote hue mere andar jaane lagi thi jiski wajah the mujhe bohot pain feel hone laga tha....

aur tabhi MABBA mere saamne pahunchi aur...


MABBA-tumhari BODY,BLOOD aur BRAIN par asar shuru ho chuka hai jiska matlab hai ki tumhara pehla task shuru ho chuka hai....

ASAMAVE.....ye woh SPELL hai jo tumhe apne BRAIN, BODY aur BLOOD ko ek karkar bolna hai...

par abhi mai tumhe HYNOTIZE karne waali hun...isiliye pehle SPELL ke saath saath tumhe apne SOUL ko bhi baaki teeni AMPLIFICATION modes se jodkar
MASTISHKA GRAHAVATE SPELL uccharit karna hai..

aur ek baat ka dhyan rahe,dono SPELL ek saath uccharit karne hain tumhe apne man me..agar tum aisa nahi kar paaye toh tumhare chaaron AMPLIFICATION modes temporarily damage ho jaayenge jiske baad tum kuch waqt tak behosh hi rahoge..


meri aankhon me dekh ye baat kahi MABBA ne jisse dekh mai uske man me chal raha ganit kuch kuch samajh gaya..

darasal woh mujhe ussi tarah ek lambe samay tak behosh karna chahti thi jaisa uske paanchon WICKEDS hue the...

itna maine samjha tha par puri baat ye thi ki MABBA mujhe pure ek mahine tak behosh karna chahti thi jiske baad meri aankhen sidhe EXERTION COMPETITION me khulti aur bina taiyari ke meri waat lag jaati....

khair,ab kiya kuch jaa sakta tha nahi isiliye maine bhi khudko ready kar liya...

abhi tak naa maine mere paas jo extra GOD GIFT shaktiyan thi,unhe use kiya tha aur naahi mai aage karne waala tha...

jaisa ki SHAILA ne bataya tha ki mujhme normally bhi bohot shakti hai toh aaj mujh uss shakti ko test karna tha...

khair,apni baat ko aage badhate hue...


MABBA-ek choti si warning aur...ye jo CIRIN ha naa,isse rules todte dekhna pasand nahi hai...

isiliye koi shortcut mat lena warna ye ghussa ho jaayega aur agar aisa hua toh tumhari taklif badh sakti hai..

MAI-jaise isse rules todne waale pasand nahi waise hi mujhe jab koi taklif deta hai,toh acha nahi lagta...

aur jab mujhe acha nahi lagta toh mujhe taklif dene waale ke saath dobara kuch acha nahi hota...


meri baat sun mujhe ek pal ghura MABBA ne aur phir mere seene par haath rakha MABBA ne aur....



YAVIDOHANA...

HYPNOTIZE THE SOUL....


MABBA ke aisa bolte hi uske hathon se ek ray nikal mere andar sama gayi jiske baad meri aankhen atak si gayi...

mujhe aisa laga maano kisine mujhe andar se pause kar diya ho....

aur saath hi CIRIN ke mujhe lapetne ki wajah se mere baaki ke teeno AMPLIFICATION modes bhi asthir ho gaye the jiski wajah se mujhe aisa lagne laga tha jaise meri BRAIN,BODY aur BLOOD ko kisine behosh kar diya hai...

mere chaaron AMPLIFICATION modes lagbhag nishkriya ho gaye the toh fir aise me mai kya kar sakta tha..???

sochne ke liye dimag bhi kaam nahi kar raha tha mera...ek jeevit mrit jaisi haalat me khada tha mai is waqt par tabhi....

ek hulchal mehsoos hui mujhe mere andar....

aur ye hulchul thi us eklouti chiz ki ko mere chaaron AMPLIFICATION modes ke daayre se bahar thi,meri EMOTION...

jo mere fifth AMPLIFICATION mode HEART me thi aur jo filhal tezi se mere blood se hote hue BRAIN tak aur fir BRAIN se hote hue SOUL tak doud rahi thi aur jab aisa hua toh mera pura focus mere EMOTIONS par kendrit ho gaya....

pehle meri urja shakti khudke andar sama apne emotions ke saamne pahunchi aur phir us shakti ne ek challang lagayi EMOTIONS ke saagar me aur jab aisa hua toh...

meri urja shakti us sagar me doobte chali gayi...par kamal ki baat ye thi ki jitne andar wo shakti jaa rahi thi,utni urja mai khudme feel karne laga tha aur meri BODY, BRAIN aur SOUL ki functioning bhi normal hone lagi thi....

itna hi nahi,bina koi mehnet ke mere chaaron AMPLIFICATION modes ek alignment bana ek dusre se judne lage the...

mai is condition me pahunch chuka tha jisme mai araam se dono SPELL bol is demo ko jeet sakta tha par maine aisa kiya nahi....

apni urja shakti ke sahare mai apne emotions ke saagar me doobta chala gaya...

reason...

jitna andar mai sama raha tha, mujhe apni chuppi hui shakti ka utna hi bodh hota chala jaa raha tha...

jaisa SHAILA ne kaha tha ki meri normal shaktiyan agar puri trigger ho jaayen toh woh bhi meri aloukik shaktiyon jitni hi powerful hai,ab mai bhi us sach ko mehsoos kar raha tha..

meri SOUL bhi ye sab dekh aur mehsoos kar rahi thi aur isiliye usne ek sandesh bheja mere BRAIN ko aur aisa hote hi mere BRAIN me woh paheli gunj uthi jo kal SHAILA ne mujhe boli thi aur jab aisa hua toh ek tasvir dikhi mujhe mere antar man me jiske dikhte hi ek current sa daud gaya mere pure sharir me aur...


ASAMAVE...... MASTISHKA GRAHAVATE.....


ek SPELL mere BRAIN,BODY aur BLOOD ne uccharit kiya aur dusra SPELL mere SOUL ne uccharit kiya par tabhi....


SHATRU VINASHAKAM.....

ENEMY DESTROY......


ek aur SPELL apne aap hi uccharit ho gaya mere andar se aur ye uccharit kiya tha mere fifth AMPLIFICATION HEART ne aur jab aisa hua toh ek saath teen chizen hui...


pehli....


ASAMAVE SPELL ke prabhav mere first three AMPLIFICATION modes free ho gaye...ab unme CIRIN ke sharir se niklate BLACK ENERGY aur poison ka koi prabhav nahi raha..

dusra...

MASTISHKA GRAHAVATE SPELL ke uccharit hone se mai apne hypnotize state se bahar aa gaya..

ar teersi aur sabse tagdi jo cheez hui thi woh hui thi third SPELL ke uccharan se...

mere fifth AMPLIFICATION mode HEART ne jaise hi VINASHAKAM SPELL uccharit kiya toh uske agle hi pal....


CIRINNNNNNNNN......

ek chikh se gunj uthi puri class....

ye cheekh aur kisiki nahi balki MABBA ki thi...

reason..

jaise hi mere andar se SHATRU VINASHAKAM SPELL uccharit hua toh mere pure sharir se ek WHITE ENERGY se bana poison ka antidote nikla aur mere sharir se lipte saanp par pada aur aisa hote hi saanp ki pakad mujhse chhut gayi aur woh zamin par pada chhatpatane laga aur yahi dekh MABBA ki cheekh nikli thi..

khair,jahan MABBA apne paaltu saanp ko chhatpatate dekh uske taraf lapki wahin baaki dono WHIZZDERS aur SAVENTS joki dil thaam is demonstration ko dekh rahe the,mujhe normal hota ayr demonstration ko jeettha dekh turant mere paas aaye aur mujhe badhayi dene lage...

jahan ek taraf SAPIUS aur REGIS ne toh meri taarifon ke pool baandh diye the wahin VALDIS aur uske kuch friends mere is jeet ko pacha nahi paa rahe the...

ALFREEN aur MABEL bhi mere liye bohot khush the par saath hi meri condition lekar thode chintit bhi the...

aur in sabke beech jab meri nazar ek side par gayi toh mere chehre par ek smile aa gayi...

reason...

CIRIN ka chhatpatana band ho chuka tha,inact uski saansein bhi band ho chuki thi aur filhal MABBA apne paaltu saanp ke mrith sharir ko haathon me thaam khadi thi..

wahin meri nazar aur smile ka piche jab baaki sabne kiya toh unhone bhi CIRIN ko mare hue aur MABBA ko sad dekha jisse dekh kisiko koi fark nahi pada...

par mai sabke beech se hota hua MABBA ke saamne jaakar khada ho gaya...

kisiko apne saamne khada mehsoos kar jab MABBA ne saamne dekha toh mujhe khada dekh uski aakhon me chingari doudne lagi jisse dekh mere chehre par ek smile naach gayi aur...

MAI-necklace haath me nahi,gale me shobha deta hai..

ye bol maine MABBA ke haathon se woh mara hua saanp liya aur uske gale me lapet diya..

MAI-perfect...waise kaha tha maine,jab mujhe acha nahi lagta toh mujhe taklif dene waale ke saath dobara kuch acha nahi hota...

ye bol mai wapas palatne ko hua par tabhi...

MABBA-you will pay for this RAAZ....

halke awaaz me gurrate hue kahi ye baat MABBA ne jispar mai wapas uski taraf palta aur...


MAI-


log baatein karte hain,hum
KAAM KARTE HAIN.....

aur jo bhi karte hain, KHULE AAM KARTE HAIN.....

agli baar takrane se pehle laga lena humari shohrat ka andaza....

yaad rahe,jinke saamne aap jhukte hain,woh hume SALAAM KARTE HAIN....













AAJ KE LIYE ITNA HI......













AAPKA APNA V...J.....
Wow... just awesome....
 

Emperor Virat

HARD BOY
427
2,009
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI THE GREAT HALL ME APNE DOSTON SE MIL UNHE APNE AUR RAAZ KE SAFAR KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KI MULAKAT USKE SABSE BADE COMPETITOR VIRAAZ SE HOTI HAI....


AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



UPDATE-137



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE GREAT HALL






VIRAAZ........



ACCHUTA ke muh se is naye SOVEREIGN ka naam ko sun us naam ko dohraya MAHI ne par woh aage kuch kehti ki tabhi...


ROARRR........


ek behadh hi tez dahadh se pura GREAT HALL hil gaya..

us dahadh ko sun jahan ek taraf us HALL ne moujud sabhi dar gaye the wahin MAHI ke face par ek smile aa gayi aur...


MAHI-relax guyzz...ye WOOGER ki dahad hai.. WOOGER RAAZ ki urja se bana WOLF aur TIGER ka CROSS BREED hai...

woh bas RAAZ ke wapas aane ki suchna de raha hai...


MAHI ki baat sun wahan moujud sahi wapas se relaxed hue jiske baad...


MAHI-guyz.. RAAZ aane waala hai..jo bataya tha,woh yaad rakhna... khudse RAAZ ke paas jaakar uske body contact me mat aana...

ACCHUTA-nahi MAHI..agar RAAZ wakayi hume maarna chahega toh hum khushi khushi uske haathon mar jaayenge...

waise bhi,bina sach jaane humne uske saath us din jo kiya,uske liye hume saza milni bhi chahiye..

apne hi mom dad ko maarne ke gum aur sadme me tha woh,aur hum,uske so called dost,uske us NEGETIVE situation me saath dena chhod,ulta usse maarne nikle the...

nahi MAHI,agar RAAZ ke haathon taklif paana yaa phir mar jaana hi hamari niyati hai, toh hum apni us niyati se door nahi bhaagenge...

SLUNDER-sahi bol raha hai yaar... waise bhi,yahan har din zillat bhari maar toh hum khaate hi hain,agar uske haathon mare jisne hume taakatwar hone ka,khaas hone ke ehsaas dilwaya tha,toh acha hi hai naa...!!!!


ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sun MAHI ne unhe baari baari se hug kiya aur...


MAHI-ab samajh me aa raha hai ki kyun tum sabko is kahani me bhumika mili...

RAAZ ki asli taakat naa toh uske andar locked hui taakat hai aur naahi koi aloukik shakti..

woh taakat tum sab ho...bas itni request hai yaar,agar RAAZ kuch negetive ya kadwa bole,toh dil par mat lena...

ACCHUTA-arre fikar not..itne dino se maar kha khakar self respect ki pehle hi waat lag chuki hai..

rahi sahi kasar in do manhuso (SLUNDER,BRAWNY) ki shakal dekhne se puri ho gayi..

toh dil me lene ke liye kuch bacha hi nahi..


jahan apne purane form me aate hue ACCHUTA ne light hearted baat ki wahin uski baat sun SLUNDER aur BRAWNY usse ghurne lage aur...


BRAWNY/SLUNDER-kya bola be...???

ACCHUTA-lo,ab gidadh sher ko darayenge...


apni taraf un dono ko badhta dekh ACCHUTA ne ye baat kahi aur jhat se NAOMI ke jo ab ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi apna beta hi maanti thi,uske peeche jaakar chhup gaya..

aur is beech wahan moujud sabhi ACCHUTA ke mazak par has diye the..

muskurahat toh MAHI ke face par bhi aayi thi par phir usse kuch yaad aaya aur..


MAHI-ek second...guys... where's ALFREEN & MABEL...???dono hi yahan nahi dikh rahi....!!!


MAHI ke is sawal par saare muskurate chehre turant hi serious ho gaye .


aur ACCHUTA,jisne masti ki shuruat ki thi,MABEL ka zikr sun uske chehre par dard dikhne laga tha...

khair,MAHI ke sawal ko sun..


SLUNDER-pata nahi yaar..hum sabne un dono ko hi khojne ki bohot koshish ki,par woh kahin nahi mile...

infact,jis din se tum aur RAAZ yahan se gaye the,ussi din se MABEL aur ALFREEN bhi gayab hain..

MABEL ke parents bhi nahi dikhe...


MAHI-strange...


saari possibilities ke baare me sochte hue kahi thi ye baat MAHI ne..

ALFREEN RAAZ ki sister thi..uski hidden capabilities se toh anjaan thi MAHI par itna usse yakin tha ki ALFREEN bhi khaas hi hogi aur shayad kisi tarah usse use karne ke liye VIDEOUS ne usse hide kiya hoga..

par MABEL....!!!woh kyun gayab hui...???uska kya role hai..???

ALFREEN ke saath hi gayab hui hai woh,iska matlab kirdaar uska bhi strong hi hai...

par hai kahan woh dono...!!!!

ye saari baat ghum chuki thi MAHI ke brain me par usse pata tha ki jawab usse future me hi milega aur filhal ke liye ye mudda bhi ek RAAZ hi hai...





BACK TO RAAZ:-





RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL...IN SHORT....RAAZ.....

NICE ACRONYM....


pehli baar apna mooh khola tha VIRAAZ ne aur aisa hote hi usne mera naam aur woh naam kaise bana,iske baare me baat ki jispar muskura bhar diya mai jisse dekh...

chalo,tumhe THE GREAT HALL tak chhod dun....


MAI-VIDEOUS ne tumhe GUIDE ka kaam de rakha hai...!!!!


aage ki taraf kadam badhate hue kahi ye baat maine jispar mere saath chalte hue...

HAHAHA.....

meri baat sun mere hi andaz me hasa VIRAAZ aur..


VIRAAZ-ek tarah se dekhen toh haan...tumhare personal guide ke taur par oppoint kiya gaya tha mujhe...

zindagi ke raaste se hokar tumhe maut ke darwaze par chhodkar aane ki duty thi meri...

kaafi excited bhi tha mai is kaam ko anjaam dene ke liye..

par ab nahi...tumhe saamne dekh meri puri excitement chali gayi....

i can see through you RAAZ...pehle si baat nahi feel kar paa raha hun mai...

ek weakness feel ho rahi hai mujhe tumhare andar..aise me tumhe maarne ka maza nahi aayega...

MAI-aisi hi kuch soch tumhare maalik ki bhi thi...par jitne baar saamna hua,bechare ko haar hi mili....

VIRAAZ-really RAAZ..tumhe wakayi lagta hai ki tumme VIDEOUS ko maarne ka dum hai...

jitni baar bhi tumhara unse saamna hua hai,woh jaanbujh kar haare hain...

aur us haar ka hi natija mere roop me unki sabse badi jeet bankar tumhare saamne khadi hai...

woh ab tak bas khelte aaye hain tumhare saath...

MAI-jaanta hun....khel tha tabhi toh sirf haraya,warna khatm nahi kar deta...

haan ye sach hai ki uski sabse badi rachna tum ho,par tum ye kaise bhul rahe ho,ki us rachna ka zariya mai hun...

mujhse tum bane ho,tumse mai nahi...aur baccha kitna hi bada kyun naa ho jaaye,baap se chota hi rehta hai...

VIRAAZ-bohot badbole ho yaar.. ghamand bhi koot koot kar bhara hai..

man toh kar raha hai ki abhi issi waat khatm kar dun tumhe lekin nahi...

aise nahi...

tumhe khatm karne se pehle tumhare us ghamand ko chur chur karne me zyada maza aayega..

tum CHOSENS VIDEOUS ko khatm karne aaye the,par issi zamin ke neeche kabr banegi tumhari...

aur ye kaam hum nahi,hamare bacche hi kar denge...

MAI-matlab mere pote....kamaal hai,jawani thik se aayi nahi,baccha saamne khada ho gaya hai...shaadi hui nahi,wahi baccha pote ki dhamki de raha hai...

pata nahi is CHOSENS me aur kya kya chutiyapa dekhna padega...

VIRAAZ-DEVIL'S HAVEN....ab ye CHOSENS sirf ek raasta hai jiski manzil hai DEVIL'S HAVEN....

aur mai us DEVIL'S HAVEN ka SOVEREIGN hun jisse hokar hi tum VIDEOUS tak pahunch sakte ho...

but mujhtak pahunchne se pehle tumhe DEVIL'S HAVEN me kadam rakhkar dikhana hoga...

yahi tumhari chunouti hai...aur yakin maano,tum is chunouti ko pura nahi kar paaoge....

MAI-milawat waale maal ki yahi kharabi hoti hai...asar bhi milawat waala hi hota hai..

agar mera purest form hote tum toh ye jaante ki jab jab kisi chunouti aur RAAZ ka aamna samna hua hai,toh dum RAAZ ka nahi chunouti ka hi nikla hai...

VIRAAZ-sahi kaha tha VIDEOUS ne... taakat ho naa ho,ATTITUDE tumhara kamal ka hai..

now,if i may,kya mai tumhe tumhari chunoutiyon ke naam aur pehli chunouti ka maarg dikha sakta hun....


apna ek haath mere sir ke paas karte hue kahi ye baat VIRAAZ ne...

ab tak hum THE GREAT HALL ke saamne aa chuke the jisse dekh mai samajh chuka tha ki VIRAAZ ki escort service yahi tak thi..

khair,VIRAAZ ka haath mere sir ke paas aane par bhi jab mai shaant hi raha toh us shaanti ko meri haami maan usne apne us haath ka index finger mere mathe par rakh diya...

aur jab aisa hua toh meri aankhen band hoti chali gayi...

mere band aankhon ke aage DEVIL'S HAVEN ke baare me jo baatein ACCHUTA and company ne
MAHI ko batayi thi,woh sab baatein process hone lagi aur saath hi saath INFERIOR LEVEL joki meri pehli chunouti thi,us tak pahunchne ka maarg joki aadha hi bataya gaya tha,dikhne laga..

jitni abhi ke liye zaroori thi,utni baatein jaan chuka tha mai jiske naad meri aankhen khul gayi par aisa hoti hi maine paaya ki VIRAAZ jaa chuka tha..

par uske saath saath WOOGER bhi gayab tha...

abhi maine ye baat realise kiya hi tha ki tabhi....


FIKR MAT KARO RAAZ...TUMHARA WOOGER,MAHI KI GRIFFIN AUR WOH PAKSHI,TEENO TUMHARI PEHLI CHUNOUTI KO AGAR TUM PAAR KARNE ME KAAMIYAB HUE,TOH USSI JAGAH PAR MIL JAAYENGE...


VIRAAZ ki ye awaaz sirf mere kaano aur dimag me gunji thi.

kuch pal rookne ke baad ek lambi saans chhod mere kadam THE GREAT HALL ki taraf badh gaye...




THE GREAT HALL:-


GRIFFIN...ANZU.....


ALFREEN aur MABEL ki soch me mashgul thi MAHI isiliye uska turant toh dhyan gaya nahi par phir kuch der baad jab usse GRIFFIN aur ANZU ki energy paas me feel hona band hua tak uski nazar pehle apne kandhe jahan ANZU thi,aur us taraf jagah GRIFFIN khadi thi,ghumi ..

par dono hi jagahon se ANZU aur GRIFFIN nadarad the aur ye dekh hi nikla tha MAHI ke mooh se unka naam...

unka naam lene ke baad uski nazar pure HALL me ghum gayi par woh dono hote toh dikhte..

MAHI ki hi tarah baaki sab bhi. ANZU aur GRIFFIN ko yahan wahan dekhne lage par woh kisiko nazar nahi aayi...


MAHI-kahan hain ye dono...inki energies bhi feel nahi kar paa rahi hun mai..

thode zor se par khudse kahi ye baat MAHI ne jispar...


INTERIOR LEVEL....TEENO WAHIN HAIN....


saamne hall ke darwaze se aayi ye awaaz jisse sun MAHI aur baaki sabki nazar us taraf ghum gayi jahan is waqt mai khada tha...

aur mujhe dekh hadh se zyada khush ho gaye mere X dost...

wahin mai araam se chalte hue andar ki taraf aa hi raha tha ki tabhi woh sab tezi se meri taraf badhe..

aisa hote dekh MAHI man hi man ghabra gayi par phir bhi woh apni jagah par shaant hi khadi rahi..

wahin ACCHUTA joki sabse aage tha,wahi sabse pehle mere saamne aaya..

mujhse bas aadhe feet ki doori par aakar woh rook gaya aur aankhon me khushi ke aansu lekar mujhe dekhne laga...

yahi haal uske just peeche khade baaki sabka bhi tha...

wahin ACCHUTA ko apne saamne dekh uski gardan pakad uthane ke iraade se maine apna haath uski taraf badhane ki sochi...

sirf sochi...kyunki isse zyada kuch kar nahi paaya mai...

ERRAPEL ne mere haath ko aage badhne se rok liya tha...

par ACCHUTA ne mere haath me ho rahi hulchul ko dekh liya aur shayad meri mansha bhi samajh gaya aur isiliye woh muskurate hue thoda aur age aaya aur khud mere haathon ko pakad liya...

uske aisa karte hi ERRAPEL ne mere haath se control hata liya..

par aisa hone ke baad isse pehle ki mai ACCHUTA ki gardan pakadta, ACCHUTA ne khud mere haath ko utha apne gale par rakh diya aur..


ACCHUTA-maar de yaar..tere haathon se marne ka koi dukh nahi hoga mujhe...

waise bhi,mere aur SLUNDER ke mom dad ko mukt kar,mujhe aur usse apne hi mom dad ki mout ka zimmedar feel karne ke guilt se bachaya hai tune...

itna hakh toh tera banta hi hai...aneko ehsaan hai tere humpar,agar apni mout se hum un ehsaano ko chuka sake,toh yahi sahi...


ACCHUTA ki baat sun ek pal usse dekh use gale se haath hatane ko hua mai aur ye feel kar ACCHUTA muskurane laga tha par tabhi...

mere haathon ki grip kas gayi uske gale me..

ye grip itni strong thi ki ek second me hi saans rukne lagi thi ACCHUTA ki..

wahin aisa hote dekh SLUNDER aur baaki sab kaafi dar gaye the par koi apni jagah se hila nahi...

kuch hi seconds me ACCHUTA ki aankhen halki halki palatne lagi thi aur aisa hote hi maine ek jhatke me uske gale ko chhod diya..

kisi kate pedh ki tarah lehrate hue neeche girte chala gaya tha ACCHUTA...

kuch seconds neeche murde ki tarah pade rehne ke baad..


KHONNN,KHONNNN....


lagatar ho rahi khaansi ke beech lambi lambi saansein le raha tha ACCHUTA...

aur phir jab uski saansein kuch sahi hui aur woh wapas khada hua toh..


MAI-tu tay karega ki RAAZ ko kya karna hai aur kya nahi... teri saansein sirf isiliye chal rahi hain kyunki tujhe maar tujhe mukt kar mai tujhe tere mom dad ke paas jaane ke sukh ka kaaran nahi banana chahta...

tu bolta hai naa ki bohot ehsaan hain mere tujhpar..

ek ehsaan aur kiya tujhpar...hisaab rakhta jaa...wasooli ke waqt kaam aayega....


abhi maine apni baat puri hi ki thi ki tabhi mere naak me silan ki smell aane lagi..

aur phir THE GREAT HALL ka pura drishya ajeeb ho gaya...

chhat par bade bade jaale lag gaye,floor jami hui mitti se bhar si gayi...

diwaar joki abtak white the,unme bhi barso saaf naa karne par jo halka kaalapan aa jaata hai,woh dikhne laga...

in short ek pal me hi pura GREAT HALL barson se band pade kisi haweli me badal chuka tha..

mere aur MAHI ke liye toh ye sab naya tha par wahan reh rahe baaki sab ke liye toh ye roz ki baat thi aur isiliye woh sab turant pure HALL ki safayi me lag chuke the..

ek pal mujhe dekh, ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA bhi palat gaye aur woh
sab bhi safayi me lagne ko hue par tabhi...


MAHI-sab rook jaaiye.. koi kuch nahi karega..jaise ab tak the,waise hi relaxed rahiye...

NAOMI-par beta,3 ghanton ke baad woh log aayenge, aur agar ye HALL saaf nahi hua toh..

MAHI-kuch nahi kar paayenge woh...aap sab completely relaxed rahiye...


MAHI ki baat sun NAOMI, SHALTON aur baaki parents toh abhi bhi thode tention me dikh rahe the..

WHIZZES aur WHIZZDERS jinhone shuru me un kaale labadon se dhake logon se ladhne ki koshish ki thi par puri tarah haare the,unhe bhi halki halki tention thi lekin in sabse ulat ACCHUTA,SLUNDER, BRAWNY aur HIDA kaafi excited dikhne lage the..

mujhe aur MAHI ko dekh woh jaan gaye the ki zindagi ka chakka wapas ghum chuka tha..

bhale hi mai un sabke liye negetive tha,par woh ye bhi jaante the ki sabse zyada agar mai kisike liye negetive hun toh woh hai VIDEOUS..

aur ab us negetiveness ki list me ek aur naam top par jaa chuka tha..VIRAAZ...

aur jo log yahan aane waale the,woh ussi VIRAAZ ke log the...

inhi wajahon se jahan ab tak woh un logon ke naa aane ki dua karte the,wahin aaj woh sab behadh besabri se VIRAAZ ke numayendo ka wait kar rahe the.

wahin in sab baaton se koi matlab naa rakhte hue mai aage ki taraf jahan ek arm chair rakha hua tha,jo shayad in sabne khud banaya tha,mai uski taraf badha aur wahan pahunch us chair par sir tikakar baiththe hue apni aankhen band kar li...






AFTER 3 HOURS:-





ARRE DEKHO TOH KAUN AAYA HAI...!!!AAKHIR FIRSE MULAKAT HO HI GAYI...



mere kaano me ye awaaz gunji jisse sun aankhen khol di maine..

mere saamne kul 5 DARK WARRIORS khade the..kaale labadon aur waise hi facial mask ki wajah se unke face nahi dikh rahe the..

khair,us DARK WARRIOR ki baat sunane ke baad bhi jab maine kuch kaha nahi toh...


1ST-kya hua...???the great RAAZ ke paas humare liye koi clue nahi hai...!!!

MAI-clue..!!tum jaise fisaddiyon ke liye mai clue rakhun,itni aukaad nahi hai tumhari...

FORBIDDEN FOREST me jo haalat ki thi maine tum sabki,uske baad normally kisiko bhi samajh aajaana chahiye ki kisse ulajhna chahiye aur kisse nahi...

par tum saale kutte ki doom,abhi bhi tedhi hi ho...


meri baat sun unki ek matra dikh rahi chiz,unki aankhein hairat se faile gayi..

woh samajh gaye ki maine unhe pehchaan liya tha..

aur isiliye un paanchon ne khud apna apna face open kar diya jisse dekh ACCHUTA SLUNDER, BRAWNY aur HIDA chownk gaye..

REASON..

kyunki ye paanchon aur koi nahi balki ANWIR ke wahi dost the jinhe FORBIDDEN FOREST me saza di thi maine...

ek aur baat hi bhi hairani ho rahi thi mere X doston ko...aur woh thi un paanchon ke sharir se nikal raha AURA jo unki shaktiyan bayan kar raha tha..

woh shakti pehle ke mukable 10 guna tak zyada thi...

khair,meri baat ko sun woh paanchon mujhe kuch der ghurte rahe par phir baaki logon ki taraf palat...


1ST-tum logon ko kya laga ki ye wapas aa gaya hai toh tum sab tumhe diye kaam se azaad ho gaye....

nahi...ulta ab toh tumhara kaam aur usse naa karne par saza aur badh gayi hai..

aur us saza ki shuruwat hogi abhi...


apni baat bol woh DARK WARRIOR apne haath ko ek bande ki taraf kiya hi tha ki tabhi us bande ke aage aakar khadi ho gayi MAHI jisse dekh....


1ST-apne number ki itni bhi kya jaldi hai MAHI...

MAHI-beta number mera nahi tera aur tere in sabhi sathiyon ka lagne waala hai...


apni baat bolte hue hi MAHI ne tezi se apne ek haath ko aage ki taraf dhakka sa diya....



VIDHIKA BALAM

PALM FORCE



yahi SPELL tha jo apne saare AMPLIFICATION modes ki power ke saath man hi man uccharit kiya tha MAHI ne aur aisa kar usne apna haath aage kiya tha..

aur uske aisa karte hi ek behadh strong energy force uske palm se generate hui aur us first DARK WARRIOR ko jaakar hit hui..

aisa hote hi halka piche ki taraf udta hua woh WARRIOR jaakar gira par girte hi woh turant wapas khada ho chuka tha...

hall ke farsh par jame dhool ki wajah se us DARK WARRIOR ke kapde gande ho chuke the jisse jhadate hue woh MAHI ko ghurta raha par phir....

MAHI ko apne piche ek strong magic feel hua aur aisa feel hote hi usne khudke body ko chhupane ki tarah pose kiya..

MAHI ke aisa karte hi uske chaaron taraf ek impenetrable barrier ban gaya jiske baad...

BHOOOBBB...

ek invisible wall ki shakal liye uski taraf aa raha force us barrier se takraya...

is collision se woh barrier aur woh force dono khatm ho gaye..

par jahan apne waar ko khaali jaata dekh woh DARK WARRIOR thoda jhunjla gaya wahin bina SPELL uccharit kiye hue usne jo waar kiya tha,usse dekh MAHI man hi man chownk gayi thi..

MAHI jaan chuki thi ki woh DARK WARRIOR kuch zyada hi powerful hai...

par MAHI ke potential ko us DARK WARRIOR ke saathiyon ne bhi dekha aur usse zyada chance naa dene ka faisla kar unme se do DARK WARRIORS aage aaye..



MASA SVATI...

BLACK SWORD

VATALI KHADAGAM

HURRICANE BLADE

JIHIMI VINASHAKAM

LAZER DESTRUCTION



teeno DARK WARRIORS ne ek ek SPELL man hi man socha jiske baad ek ke haathon me kaali shaktiyon se bhari hui sword chamakne lagi..

dusre ke haath me ek bada sa blade aa gaya jiske chaaron taraf ek chota par utna hi powerful chakrawaat bana hua tha...

aur teesre DARK WARRIOR ki aankhen red hone lagi jinse ab nikalne waala the deadly ray....

jahan un teeno ne SPELL bolkar apna apna astra shashtra ready kar liya tha wahin...



MAHI- VAZUNDHATE HANIYEM

THUNDER HALTER




apne ANGELS FORM POWER SOURCE ko jo ab halka sa khisak chuka tha, dekhte hue man hi man uccharit kiya is SPELL ko MAHI ne jiske baad uske sharir ke chaaron taraf ek invisible thunder paida ho gaya jo hone waale har waar par double power se rok lagane waala tha...

wahin apne SPELL bol woh teeno DARK WARRIORS bijli ki tezi se MAHI ki taraf badhe aur uske paas pahunch jahan ek taraf SWORD aur BLADE waalon apne apne hathiyar MAHI par chalana shuru kar diya wahin dusri taraf teesre WARRIOR ne MAHI par apni aankhon se LAZER ray chhodne shuru kar diye..

waaron ki speed itni zyada thi ki wahan moujud SAVENTS, WHIZZDERS aur WHIZZES, parents,koi unhe dekh tak nahi paa raha tha..

par MAHI ke chaaron taraf bane THUNDER HALTER un saare waaron ko naa sirf rok rahe the par saath hi saath un waaron ko wapas un teeno WARRIORS par dhakel bhi rahe the..

aisa hone ki wajah se un teeno ko beech beech me hault lena pad raha tha jiska faayda uthate hue MAHI apne THUNDER HALTER se thodi thodi energy extract karte hue un teeno par waar bhi kar rahi thi..

lekin un teeno ki speed bhi kaabile taarif thi..woh MAHI ke attacks se kisi tarah khud ko bachaye hue the..

but haan,woh teeno milkar bhi MAHI ko koi nuksaan nahi pahuncha paa rahe the..

MAHI ki speed adhbhudh thi jisse dekh wahan moujud sabki aankhon me uske liye taarif thi..

meri bhi nazar ek baar MAHI ki taraf gayi thi aur uski raftaar aur ladhne ka tarika dekh mai bhi man hi man usse impressed hua tha..

sirf ANGEL aur HUMAN FORM POWER SOURCE ke trigger bhar hone se MAHI ki taakat me jo izaafa hua tha,usse dekh bas imagine hi kiya jaa sakta tha ki jab woh dono power source ek ho jaayenge yaa phir ek dusre ke paas bhi aa jaayenge toh uski taakat ka aalam kya hoga..???!!!!

khair,jab un teeno ne dekha ki woh milkar bhi MAHI ka kuch bigaad nahi paa rahe the hain toh man hi man unhone apne baaki dono saathiyon ko kuch kaha jiske baad..

AHHHHHHH.....

ye dard bhari awaaz nikli thi NAOMI ke mooh se..

reason...

us fourth WARRIOR ne ek hunter prakat kiya aur usse NAOMI par chala diya..

NAOMI ki dard bhari aah sun SHALTON aur BRAWNY turant uski taraf badhe par tabhi..


SATAAKKHH....SATAAKHHHHH....

fifth WARRIOR ne apna hunter un dono ke pairon par chala diya jiske baad woh dono mooh ke bal gir gaye...

apne friend aur uncle, aunty ko maar khata dekh ACCHUTA,HIDA aur SLUNDER bhi unki taraf badhe par abhi un teeno ne do kadam bhi aage nahi badhaya tha ki tabhi unpar bhi kode barasne shuru ho gaye jiske baad woh teeno bhi cheekhte hue neeche gir gaye..

in teeno ke baad same haalat SAPIUS, REGIS aur EDWINA ka bhi hua...

ab woh sab zamin par the aur aisa hote hi woh chownthe aur paanchwe DARK WARRIOR bijli se bhi tez gati se un sabke chaaron taraf ghumne lage aur apne hunter se unki chamdi udhedne lage..

par jahan ek taraf mai wapas aakhen band kar chill kar raha tha wahin MAHI apne doston ki haalat dekh distract hone lagi thi..

waise ab tak uspar koi waar laga nahi tha,par speed uski pehle ke mukable kaafi kam ho chuki thi...

yahi reason tha ki kuch aur der battle karne ke baad...

AHHHHH...

second DARK WARRIOR ka hurricane blade MAHI ke thunder halt ko halka sa kaaththe hue MAHI ke shoulder me lag gaya...

blade ki wajah se MAHI ka haath halka kat gaya aur thunder ray ki wajah se ek tez karah ke beech woh udte hue piche jaakar giri..

wahin jaise hi MAHI aur mere friends taklif me aaye,toh mere andar basi ERRAPEL ki shakti ne mere powers ko release kar diya...

mere powers azaad the jinhe feel kar mai muskura utha...

mai jaanta tha ki ERRAPEL ne aisa mere doston ko bachane ke liye kiya tha par jab woh mere hisaab ne nahi chalti toh mera uski khawahish pura karne ka sawal hi nahi uththa tha...

mai araam se sir ko peeche rakh aankhen band kar leta hi raha..

wahin is beech un teeno me se do DARK WARRIORS ne MAHI ke gale me apne apne hathiyar tika diye the..

chaahte toh woh usse ab zakhmi toh kar hi sakte the par woh chahte the ki MAHI jinke liye unse bheedi thi,unki buri gath hote hue dekhe..

aur aisa ho bhi raha tha..baaki ke dono WARRIORS behadh tezi se mere doston, WHIZZES aur WHIZZDERS aur NAOMI, SHALTON ki chamdi udhedh rahe the par aisa karte hue..


4TH WARRIOR-kya laga tha..!!!ye dono aa gaye toh tum mile hue hukm ki naafarmaani kar sakte ho...

SATAAKHHH.....

bilkul nahi...yahan sirf hum DARK WARRIORS ka hukm chalta tha,hai aur hamesha rahega...

SATAAKHHHHH.......

jaisa hum kahenge,tumhe karna hoga..tum sabko...

SATAKKKHHHH....

ye tumhare SHAILA, MOKALSAR, AKSHAANT KA CHOSENS nahi,THE DEVIL'S HAVEN hai....

yahan ke SOVEREIGN hain PRINCE VIRAAZ aur ye duniya hai hamare LORD VIDEOUS ki.....


VIDEOUS......

bas ye naam nahi lena chahiye tha usse...

ek jhatke me aankh khuli meri jiske baad....

MAHI ke gardan par jis DARK WARRIOR ne talwar tikayi thi,usne pehle apne piche aur phir apne ussi haath me kuch super strong power ko feel kiya par jab tak woh kuch samajh paata....

AHHHHHHHHHHHHHH.........

ek hriday vidarak cheekh joki beech me hi atak gayi,padi uske aur baaki sabhi ke kaano par..

ye cheekh thi ussi DARK WARRIOR ki jisne kuch seconds pehle VIDEOUS ka naam bola tha..

uski taraf nazar padte hi jahan MAHI ke paas khade WARRIORS ki aankhein hairani aur dar, dono ke maare badi ho gayi wahin saamne waala DARK WARRIOR toh hadbadate hue neeche hi gir gaya tha..

reason....

jisne VIDEOUS ke naam se ding maari thi,uska sharir beech se kaaththe hue do bhaagon me bath neeche gir chuka tha..

aur usse kaata tha maine jo uske paas khada hadbadate hue neeche gir chuke WARRIOR ko dekh raha tha...

mere haathon me thi wahi kaali sword jo mere haathon me aane ke baad safedh ho chuki thi...

par filhal woh safedh nahi,us WARRIOR ke khoon se san laal dikh rahi chuki thi...

is scene ko dekh neeche gire hue mere dost, WHIZZES aur WHIZZDERS, parents bhi kaamp gaye the...

wahin us talwar par lage khoon ko apne index finger se saaf karte hue....


MAI-koi bhi jagah sirf tak VIDEOUS ki hai jab tak wahan RAAZ nahi aa jaata...

aur meri jagah par khade hokar usse kisi aur ka batana jurm hai jiski saza sirf mout hai...


baat khatm hote hote mai ek baar phir hila...

atleast itna hi dikh paaya sabko aur iske baad ka jo scene baaki sabko dikha, woh unhe andar tak kaampne par majboor karne ke liye kaafi tha...

woh DARK WARRIOR jo hadbadakar neeche gir gaya tha,uske paas pahunch uske mooh me upar waale daant ke section me sword ghussa diya tha maine jiske baad uske zubaan ke saath uske jabde aur phir tounsil neeche gir chuka tha...

bina awaaz ke chattpatata hua woh DARK WARRIOR neeche gir chuka tha jiske baad apne haathon me pakde SWORD ko uski taraf kar jhatka diya maine...

mere aisa karte hi us SWORD me laga khoon chithtakte hue us DARK WARRIOR ke sharir par pada aur jab aisa hua toh..

woh khoon AAG me badal gaya jo bas ek hi second me uske pure sharir me faile chuka tha...

tadapte aur ab jalte hue us DARK WARRIOR ki saansein band ho chuki thi...

un do DARK WARRIORS ka kaam khatm kar maine MAHI ke saamne khade baaki ke teeno WARRIORS ki taraf apni nazarein ki aur mere aisa karte hi un teeno ki jaan unke gale par aakar atak gayi..

pehle se kayi guna zyada taakatwar the woh teeno,par jis tarah maine un teeno ke saathiyon ko kaata tha,usse dekh unhe mere aage apni aukaad ka andaza ho chuka tha..

turant bhaagne ki niyat se woh teeno dhuen me badalne lage par tabhi...

first WARRIOR ke chaaron taraf WHITE ENERGY ki ek barrier ban gayi jiski wajah se woh uske beech kaid hokar reh gaya..

wahin DUSRA DARK WARRIOR jisne kuch der pehle MAHI par HURRICANE BLADE se waar kiya tha,uske dhuen banane se pehle hi uske chaaron taraf WHITE ENERGY se bana ek hurricane utha jisne naa sirf usse form badalne se rok liya balki agle hi pal...

AHHHHHHH......

us WARRIOR ki cheekh har taraf gunj uthi..

REASON..

is hurricane ne uske sharir ki pehle chamdi aur phir uske haddiyon ko galana shuru kar diya tha...

kuch palon me hi bina aag ke hi chita jal chuki thi uski..


LAZER DESTRUCTION....

woh astra jisse woh THIRD WARRIOR MAHI par waar kar raha tha..

achanak se hi usse pehle uski aankhon me jalan feel hui par phir...

AHHHHHHHHH....

uski bhi cheekh har taraf gunjne lagi...

REASON...

uski aankhon se jo kuch der pehle tak lazer nikal raha tha,is waqt wahi
lazer uske aankhon se hote hue uske pure andruni chehre ko jala raha tha..

par woh lazer wahin nahi rooka...chehre ke baad woh uske puri body me fail gaya jiske baad..

BOOM...

fath gaya uska sharir..

ia scene ko dekh waise toh sabhi dar gaye the,par sabse zyada buri haalat thi us aakhri bache DARK WARRIOR ki..

thartharate hue woh aankhon me rehem ki guhaar liye mujhe dekh raha tha..

ab mere jaisa rehemdil bhala uski guhaar kyun nahi sunta..

isiliye uske pass pahunch uske kandhe par haath rakha maine aur...


MAI-dar kyun raha hai..??? tujhe kya lagta hai,mai itna bereham hun ki tujhe maar dunga...??hmm!!!


meri baat me jo sardpan jhalak raha tha,usse sun us so called super strong DARK WARRIOR ke pasine chhutne lage the...

aur waise hi kaampte hue apne andar jhaanka usne aur...



SWATMANVADHA

PAINLESS SUICIDE



man hi man is SPELL ko uccharit kiya us DARK WARRIOR ne jiske baad mai muskura utha..

mai jaan chuka tha ki usne abhi kya kiya hai....

par isse pehle ki uska SPELL asar karta,maine uske chaaron taraf faila WHITE ENERGY usme daal diya jiske baad woh painless death ka SPELL painful death me badal gaya..

aankh,kaan,naak,mooh sabse khoon nikalne laga uske aur phir...

BOOM....

uska sharir bhi fath gaya..

jahan uss DARK WARRIOR ke khoon se naha chuka tha mai wahin mera ye kroor roop jisne us DARK WARRIOR aur uske saathiyon ko khatm kiya tha,usse dekh wahan moujud har koi stabdh reh gaya tha..

pin drop silence ke beech chalta hua mai thoda aage badha aur upar dekhte hue..



MAI-



jiski dushmani bhi YAARI LAGE....
WOH RAAZ HAI..

jiske aage har cheez BECHAARI LAGE...
WOH RAAZ HAI....

zinda rehne ke liye kya kuch nahi karte hain log....

par jiske saamne MOUT ZINDAGI se bhi PYAARI LAGE....

WOH RAAZ HAI.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......


















AAPKA APNA V....J....
Awesome update bhai....
 

Kingsingh

Enigma's fan
886
3,723
123
SUPER Bhai SUPER 👊👊👊👊👊👊
To Raaz aakhir CHOSENS me enter kar hi gya. Aur aate hi Acchuta aur baki sabki haalat patli kar di. Par vo ye bi jante hai ki Raaz unke liye kitna bi negative ban jaye par VIDEOUS ke khilaf ladai me vo unsabke sath hi hoga. Aur Mahi bi acha ladi bhai par ab tak uska Angel wala part aur human wala part ek nhi hua, jabki VIDEOUS ke sath jung ab shuru ho chuki hai. Aur last me to kya kamaal ka action dekhne ko mila bhai, un Pancho dark warriors ke sath sath Raaz ne Errapel ko acha sabak sikhaya ki Raaz kisi ki nhi sunta aur koi usse force bi nhi kar sakta. Bechare baki bache savents to confuse ho gye honge ki Raaz ke aane se khush ho ya phir uski darindgi dekhkar darre.
Awesome update Bhai.
 
Top