• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
Bhaukal mcha diye re baba...khamkha..kisi ghayal sher ko chhedna kaha ki samjhdari h bhla...achha khasa baitha enjoy kr rha tha wo pr nhi chull machi thi mit gyi chull...wahin viraaz ne use moka diya wohi moka ki khao piyo kuchh din achhe se fir maarunga tumko...aisa na ho khwab saza kr baithe the ki raaz ki maarenge ulta khud ki.hi marwa baithe..... Khair buddhi me wo bhi km nhi hoga pr beta baap se uppr ho jaye aisa ho skta h kya...khair ye sab to baad ki baat h...wo to aage kya hoga dikh hi jaayega...par mahi ki improvement bhi kaafi achhi h...aur jaise jaise uske dono form aur kreeb aate jaaayenge..wo aur bhi khatarnak hoti jayegi.. To chliye dekhte h aage kya hota h ab intzaar rhega brother
 
Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI THE GREAT HALL ME APNE DOSTON SE MIL UNHE APNE AUR RAAZ KE SAFAR KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KI MULAKAT USKE SABSE BADE COMPETITOR VIRAAZ SE HOTI HAI....

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

UPDATE-137

PLANET-ELYSIAN

PLACE-THE GREAT HALL

VIRAAZ........

ACCHUTA ke muh se is naye SOVEREIGN ka naam ko sun us naam ko dohraya MAHI ne par woh aage kuch kehti ki tabhi...

ROARRR........

ek behadh hi tez dahadh se pura GREAT HALL hil gaya..

us dahadh ko sun jahan ek taraf us HALL ne moujud sabhi dar gaye the wahin MAHI ke face par ek smile aa gayi aur...

MAHI-relax guyzz...ye WOOGER ki dahad hai.. WOOGER RAAZ ki urja se bana WOLF aur TIGER ka CROSS BREED hai...

woh bas RAAZ ke wapas aane ki suchna de raha hai...

MAHI ki baat sun wahan moujud sahi wapas se relaxed hue jiske baad...

MAHI-guyz.. RAAZ aane waala hai..jo bataya tha,woh yaad rakhna... khudse RAAZ ke paas jaakar uske body contact me mat aana...

ACCHUTA-nahi MAHI..agar RAAZ wakayi hume maarna chahega toh hum khushi khushi uske haathon mar jaayenge...

waise bhi,bina sach jaane humne uske saath us din jo kiya,uske liye hume saza milni bhi chahiye..

apne hi mom dad ko maarne ke gum aur sadme me tha woh,aur hum,uske so called dost,uske us NEGETIVE situation me saath dena chhod,ulta usse maarne nikle the...

nahi MAHI,agar RAAZ ke haathon taklif paana yaa phir mar jaana hi hamari niyati hai, toh hum apni us niyati se door nahi bhaagenge...

SLUNDER-sahi bol raha hai yaar... waise bhi,yahan har din zillat bhari maar toh hum khaate hi hain,agar uske haathon mare jisne hume taakatwar hone ka,khaas hone ke ehsaas dilwaya tha,toh acha hi hai naa...!!!!

ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sun MAHI ne unhe baari baari se hug kiya aur...

MAHI-ab samajh me aa raha hai ki kyun tum sabko is kahani me bhumika mili...

RAAZ ki asli taakat naa toh uske andar locked hui taakat hai aur naahi koi aloukik shakti..

woh taakat tum sab ho...bas itni request hai yaar,agar RAAZ kuch negetive ya kadwa bole,toh dil par mat lena...

ACCHUTA-arre fikar not..itne dino se maar kha khakar self respect ki pehle hi waat lag chuki hai..

rahi sahi kasar in do manhuso (SLUNDER,BRAWNY) ki shakal dekhne se puri ho gayi..

toh dil me lene ke liye kuch bacha hi nahi..

jahan apne purane form me aate hue ACCHUTA ne light hearted baat ki wahin uski baat sun SLUNDER aur BRAWNY usse ghurne lage aur...

BRAWNY/SLUNDER-kya bola be...???

ACCHUTA-lo,ab gidadh sher ko darayenge...

apni taraf un dono ko badhta dekh ACCHUTA ne ye baat kahi aur jhat se NAOMI ke jo ab ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi apna beta hi maanti thi,uske peeche jaakar chhup gaya..

aur is beech wahan moujud sabhi ACCHUTA ke mazak par has diye the..

muskurahat toh MAHI ke face par bhi aayi thi par phir usse kuch yaad aaya aur..

MAHI-ek second...guys... where's ALFREEN & MABEL...???dono hi yahan nahi dikh rahi....!!!

MAHI ke is sawal par saare muskurate chehre turant hi serious ho gaye .

aur ACCHUTA,jisne masti ki shuruat ki thi,MABEL ka zikr sun uske chehre par dard dikhne laga tha...

khair,MAHI ke sawal ko sun..

SLUNDER-pata nahi yaar..hum sabne un dono ko hi khojne ki bohot koshish ki,par woh kahin nahi mile...

infact,jis din se tum aur RAAZ yahan se gaye the,ussi din se MABEL aur ALFREEN bhi gayab hain..

MABEL ke parents bhi nahi dikhe...

MAHI-strange...

saari possibilities ke baare me sochte hue kahi thi ye baat MAHI ne..

ALFREEN RAAZ ki sister thi..uski hidden capabilities se toh anjaan thi MAHI par itna usse yakin tha ki ALFREEN bhi khaas hi hogi aur shayad kisi tarah usse use karne ke liye VIDEOUS ne usse hide kiya hoga..

par MABEL....!!!woh kyun gayab hui...???uska kya role hai..???

ALFREEN ke saath hi gayab hui hai woh,iska matlab kirdaar uska bhi strong hi hai...

par hai kahan woh dono...!!!!

ye saari baat ghum chuki thi MAHI ke brain me par usse pata tha ki jawab usse future me hi milega aur filhal ke liye ye mudda bhi ek RAAZ hi hai...

BACK TO RAAZ:-

RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL...IN SHORT....RAAZ.....

NICE ACRONYM....

pehli baar apna mooh khola tha VIRAAZ ne aur aisa hote hi usne mera naam aur woh naam kaise bana,iske baare me baat ki jispar muskura bhar diya mai jisse dekh...

chalo,tumhe THE GREAT HALL tak chhod dun....

MAI-VIDEOUS ne tumhe GUIDE ka kaam de rakha hai...!!!!

aage ki taraf kadam badhate hue kahi ye baat maine jispar mere saath chalte hue...

HAHAHA.....

meri baat sun mere hi andaz me hasa VIRAAZ aur..

VIRAAZ-ek tarah se dekhen toh haan...tumhare personal guide ke taur par oppoint kiya gaya tha mujhe...

zindagi ke raaste se hokar tumhe maut ke darwaze par chhodkar aane ki duty thi meri...

kaafi excited bhi tha mai is kaam ko anjaam dene ke liye..

par ab nahi...tumhe saamne dekh meri puri excitement chali gayi....

i can see through you RAAZ...pehle si baat nahi feel kar paa raha hun mai...

ek weakness feel ho rahi hai mujhe tumhare andar..aise me tumhe maarne ka maza nahi aayega...

MAI-aisi hi kuch soch tumhare maalik ki bhi thi...par jitne baar saamna hua,bechare ko haar hi mili....

VIRAAZ-really RAAZ..tumhe wakayi lagta hai ki tumme VIDEOUS ko maarne ka dum hai...

jitni baar bhi tumhara unse saamna hua hai,woh jaanbujh kar haare hain...

aur us haar ka hi natija mere roop me unki sabse badi jeet bankar tumhare saamne khadi hai...

woh ab tak bas khelte aaye hain tumhare saath...

MAI-jaanta hun....khel tha tabhi toh sirf haraya,warna khatm nahi kar deta...

haan ye sach hai ki uski sabse badi rachna tum ho,par tum ye kaise bhul rahe ho,ki us rachna ka zariya mai hun...

mujhse tum bane ho,tumse mai nahi...aur baccha kitna hi bada kyun naa ho jaaye,baap se chota hi rehta hai...

VIRAAZ-bohot badbole ho yaar.. ghamand bhi koot koot kar bhara hai..

man toh kar raha hai ki abhi issi waat khatm kar dun tumhe lekin nahi...

aise nahi...

tumhe khatm karne se pehle tumhare us ghamand ko chur chur karne me zyada maza aayega..

tum CHOSENS VIDEOUS ko khatm karne aaye the,par issi zamin ke neeche kabr banegi tumhari...

aur ye kaam hum nahi,hamare bacche hi kar denge...

MAI-matlab mere pote....kamaal hai,jawani thik se aayi nahi,baccha saamne khada ho gaya hai...shaadi hui nahi,wahi baccha pote ki dhamki de raha hai...

pata nahi is CHOSENS me aur kya kya chutiyapa dekhna padega...

VIRAAZ-DEVIL'S HAVEN....ab ye CHOSENS sirf ek raasta hai jiski manzil hai DEVIL'S HAVEN....

aur mai us DEVIL'S HAVEN ka SOVEREIGN hun jisse hokar hi tum VIDEOUS tak pahunch sakte ho...

but mujhtak pahunchne se pehle tumhe DEVIL'S HAVEN me kadam rakhkar dikhana hoga...

yahi tumhari chunouti hai...aur yakin maano,tum is chunouti ko pura nahi kar paaoge....

MAI-milawat waale maal ki yahi kharabi hoti hai...asar bhi milawat waala hi hota hai..

agar mera purest form hote tum toh ye jaante ki jab jab kisi chunouti aur RAAZ ka aamna samna hua hai,toh dum RAAZ ka nahi chunouti ka hi nikla hai...

VIRAAZ-sahi kaha tha VIDEOUS ne... taakat ho naa ho,ATTITUDE tumhara kamal ka hai..

now,if i may,kya mai tumhe tumhari chunoutiyon ke naam aur pehli chunouti ka maarg dikha sakta hun....

apna ek haath mere sir ke paas karte hue kahi ye baat VIRAAZ ne...

ab tak hum THE GREAT HALL ke saamne aa chuke the jisse dekh mai samajh chuka tha ki VIRAAZ ki escort service yahi tak thi..

khair,VIRAAZ ka haath mere sir ke paas aane par bhi jab mai shaant hi raha toh us shaanti ko meri haami maan usne apne us haath ka index finger mere mathe par rakh diya...

aur jab aisa hua toh meri aankhen band hoti chali gayi...

mere band aankhon ke aage DEVIL'S HAVEN ke baare me jo baatein ACCHUTA and company ne
MAHI ko batayi thi,woh sab baatein process hone lagi aur saath hi saath INFERIOR LEVEL joki meri pehli chunouti thi,us tak pahunchne ka maarg joki aadha hi bataya gaya tha,dikhne laga..

jitni abhi ke liye zaroori thi,utni baatein jaan chuka tha mai jiske naad meri aankhen khul gayi par aisa hoti hi maine paaya ki VIRAAZ jaa chuka tha..

par uske saath saath WOOGER bhi gayab tha...

abhi maine ye baat realise kiya hi tha ki tabhi....

FIKR MAT KARO RAAZ...TUMHARA WOOGER,MAHI KI GRIFFIN AUR WOH PAKSHI,TEENO TUMHARI PEHLI CHUNOUTI KO AGAR TUM PAAR KARNE ME KAAMIYAB HUE,TOH USSI JAGAH PAR MIL JAAYENGE...

VIRAAZ ki ye awaaz sirf mere kaano aur dimag me gunji thi.

kuch pal rookne ke baad ek lambi saans chhod mere kadam THE GREAT HALL ki taraf badh gaye...

THE GREAT HALL:-

GRIFFIN...ANZU.....

ALFREEN aur MABEL ki soch me mashgul thi MAHI isiliye uska turant toh dhyan gaya nahi par phir kuch der baad jab usse GRIFFIN aur ANZU ki energy paas me feel hona band hua tak uski nazar pehle apne kandhe jahan ANZU thi,aur us taraf jagah GRIFFIN khadi thi,ghumi ..

par dono hi jagahon se ANZU aur GRIFFIN nadarad the aur ye dekh hi nikla tha MAHI ke mooh se unka naam...

unka naam lene ke baad uski nazar pure HALL me ghum gayi par woh dono hote toh dikhte..

MAHI ki hi tarah baaki sab bhi. ANZU aur GRIFFIN ko yahan wahan dekhne lage par woh kisiko nazar nahi aayi...

MAHI-kahan hain ye dono...inki energies bhi feel nahi kar paa rahi hun mai..

thode zor se par khudse kahi ye baat MAHI ne jispar...

INTERIOR LEVEL....TEENO WAHIN HAIN....

saamne hall ke darwaze se aayi ye awaaz jisse sun MAHI aur baaki sabki nazar us taraf ghum gayi jahan is waqt mai khada tha...

aur mujhe dekh hadh se zyada khush ho gaye mere X dost...

wahin mai araam se chalte hue andar ki taraf aa hi raha tha ki tabhi woh sab tezi se meri taraf badhe..

aisa hote dekh MAHI man hi man ghabra gayi par phir bhi woh apni jagah par shaant hi khadi rahi..

wahin ACCHUTA joki sabse aage tha,wahi sabse pehle mere saamne aaya..

mujhse bas aadhe feet ki doori par aakar woh rook gaya aur aankhon me khushi ke aansu lekar mujhe dekhne laga...

yahi haal uske just peeche khade baaki sabka bhi tha...

wahin ACCHUTA ko apne saamne dekh uski gardan pakad uthane ke iraade se maine apna haath uski taraf badhane ki sochi...

sirf sochi...kyunki isse zyada kuch kar nahi paaya mai...

ERRAPEL ne mere haath ko aage badhne se rok liya tha...

par ACCHUTA ne mere haath me ho rahi hulchul ko dekh liya aur shayad meri mansha bhi samajh gaya aur isiliye woh muskurate hue thoda aur age aaya aur khud mere haathon ko pakad liya...

uske aisa karte hi ERRAPEL ne mere haath se control hata liya..

par aisa hone ke baad isse pehle ki mai ACCHUTA ki gardan pakadta, ACCHUTA ne khud mere haath ko utha apne gale par rakh diya aur..

ACCHUTA-maar de yaar..tere haathon se marne ka koi dukh nahi hoga mujhe...

waise bhi,mere aur SLUNDER ke mom dad ko mukt kar,mujhe aur usse apne hi mom dad ki mout ka zimmedar feel karne ke guilt se bachaya hai tune...

itna hakh toh tera banta hi hai...aneko ehsaan hai tere humpar,agar apni mout se hum un ehsaano ko chuka sake,toh yahi sahi...

ACCHUTA ki baat sun ek pal usse dekh use gale se haath hatane ko hua mai aur ye feel kar ACCHUTA muskurane laga tha par tabhi...

mere haathon ki grip kas gayi uske gale me..

ye grip itni strong thi ki ek second me hi saans rukne lagi thi ACCHUTA ki..

wahin aisa hote dekh SLUNDER aur baaki sab kaafi dar gaye the par koi apni jagah se hila nahi...

kuch hi seconds me ACCHUTA ki aankhen halki halki palatne lagi thi aur aisa hote hi maine ek jhatke me uske gale ko chhod diya..

kisi kate pedh ki tarah lehrate hue neeche girte chala gaya tha ACCHUTA...

kuch seconds neeche murde ki tarah pade rehne ke baad..

KHONNN,KHONNNN....

lagatar ho rahi khaansi ke beech lambi lambi saansein le raha tha ACCHUTA...

aur phir jab uski saansein kuch sahi hui aur woh wapas khada hua toh..

MAI-tu tay karega ki RAAZ ko kya karna hai aur kya nahi... teri saansein sirf isiliye chal rahi hain kyunki tujhe maar tujhe mukt kar mai tujhe tere mom dad ke paas jaane ke sukh ka kaaran nahi banana chahta...

tu bolta hai naa ki bohot ehsaan hain mere tujhpar..

ek ehsaan aur kiya tujhpar...hisaab rakhta jaa...wasooli ke waqt kaam aayega....

abhi maine apni baat puri hi ki thi ki tabhi mere naak me silan ki smell aane lagi..

aur phir THE GREAT HALL ka pura drishya ajeeb ho gaya...

chhat par bade bade jaale lag gaye,floor jami hui mitti se bhar si gayi...

diwaar joki abtak white the,unme bhi barso saaf naa karne par jo halka kaalapan aa jaata hai,woh dikhne laga...

in short ek pal me hi pura GREAT HALL barson se band pade kisi haweli me badal chuka tha..

mere aur MAHI ke liye toh ye sab naya tha par wahan reh rahe baaki sab ke liye toh ye roz ki baat thi aur isiliye woh sab turant pure HALL ki safayi me lag chuke the..

ek pal mujhe dekh, ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA bhi palat gaye aur woh
sab bhi safayi me lagne ko hue par tabhi...

MAHI-sab rook jaaiye.. koi kuch nahi karega..jaise ab tak the,waise hi relaxed rahiye...

NAOMI-par beta,3 ghanton ke baad woh log aayenge, aur agar ye HALL saaf nahi hua toh..

MAHI-kuch nahi kar paayenge woh...aap sab completely relaxed rahiye...

MAHI ki baat sun NAOMI, SHALTON aur baaki parents toh abhi bhi thode tention me dikh rahe the..

WHIZZES aur WHIZZDERS jinhone shuru me un kaale labadon se dhake logon se ladhne ki koshish ki thi par puri tarah haare the,unhe bhi halki halki tention thi lekin in sabse ulat ACCHUTA,SLUNDER, BRAWNY aur HIDA kaafi excited dikhne lage the..

mujhe aur MAHI ko dekh woh jaan gaye the ki zindagi ka chakka wapas ghum chuka tha..

bhale hi mai un sabke liye negetive tha,par woh ye bhi jaante the ki sabse zyada agar mai kisike liye negetive hun toh woh hai VIDEOUS..

aur ab us negetiveness ki list me ek aur naam top par jaa chuka tha..VIRAAZ...

aur jo log yahan aane waale the,woh ussi VIRAAZ ke log the...

inhi wajahon se jahan ab tak woh un logon ke naa aane ki dua karte the,wahin aaj woh sab behadh besabri se VIRAAZ ke numayendo ka wait kar rahe the.

wahin in sab baaton se koi matlab naa rakhte hue mai aage ki taraf jahan ek arm chair rakha hua tha,jo shayad in sabne khud banaya tha,mai uski taraf badha aur wahan pahunch us chair par sir tikakar baiththe hue apni aankhen band kar li...

AFTER 3 HOURS:-

ARRE DEKHO TOH KAUN AAYA HAI...!!!AAKHIR FIRSE MULAKAT HO HI GAYI...

mere kaano me ye awaaz gunji jisse sun aankhen khol di maine..

mere saamne kul 5 DARK WARRIORS khade the..kaale labadon aur waise hi facial mask ki wajah se unke face nahi dikh rahe the..

khair,us DARK WARRIOR ki baat sunane ke baad bhi jab maine kuch kaha nahi toh...

1ST-kya hua...???the great RAAZ ke paas humare liye koi clue nahi hai...!!!

MAI-clue..!!tum jaise fisaddiyon ke liye mai clue rakhun,itni aukaad nahi hai tumhari...

FORBIDDEN FOREST me jo haalat ki thi maine tum sabki,uske baad normally kisiko bhi samajh aajaana chahiye ki kisse ulajhna chahiye aur kisse nahi...

par tum saale kutte ki doom,abhi bhi tedhi hi ho...

meri baat sun unki ek matra dikh rahi chiz,unki aankhein hairat se faile gayi..

woh samajh gaye ki maine unhe pehchaan liya tha..

aur isiliye un paanchon ne khud apna apna face open kar diya jisse dekh ACCHUTA SLUNDER, BRAWNY aur HIDA chownk gaye..

REASON..

kyunki ye paanchon aur koi nahi balki ANWIR ke wahi dost the jinhe FORBIDDEN FOREST me saza di thi maine...

ek aur baat hi bhi hairani ho rahi thi mere X doston ko...aur woh thi un paanchon ke sharir se nikal raha AURA jo unki shaktiyan bayan kar raha tha..

woh shakti pehle ke mukable 10 guna tak zyada thi...

khair,meri baat ko sun woh paanchon mujhe kuch der ghurte rahe par phir baaki logon ki taraf palat...

1ST-tum logon ko kya laga ki ye wapas aa gaya hai toh tum sab tumhe diye kaam se azaad ho gaye....

nahi...ulta ab toh tumhara kaam aur usse naa karne par saza aur badh gayi hai..

aur us saza ki shuruwat hogi abhi...

apni baat bol woh DARK WARRIOR apne haath ko ek bande ki taraf kiya hi tha ki tabhi us bande ke aage aakar khadi ho gayi MAHI jisse dekh....

1ST-apne number ki itni bhi kya jaldi hai MAHI...

MAHI-beta number mera nahi tera aur tere in sabhi sathiyon ka lagne waala hai...

apni baat bolte hue hi MAHI ne tezi se apne ek haath ko aage ki taraf dhakka sa diya....

VIDHIKA BALAM

PALM FORCE

yahi SPELL tha jo apne saare AMPLIFICATION modes ki power ke saath man hi man uccharit kiya tha MAHI ne aur aisa kar usne apna haath aage kiya tha..

aur uske aisa karte hi ek behadh strong energy force uske palm se generate hui aur us first DARK WARRIOR ko jaakar hit hui..

aisa hote hi halka piche ki taraf udta hua woh WARRIOR jaakar gira par girte hi woh turant wapas khada ho chuka tha...

hall ke farsh par jame dhool ki wajah se us DARK WARRIOR ke kapde gande ho chuke the jisse jhadate hue woh MAHI ko ghurta raha par phir....

MAHI ko apne piche ek strong magic feel hua aur aisa feel hote hi usne khudke body ko chhupane ki tarah pose kiya..

MAHI ke aisa karte hi uske chaaron taraf ek impenetrable barrier ban gaya jiske baad...

BHOOOBBB...

ek invisible wall ki shakal liye uski taraf aa raha force us barrier se takraya...

is collision se woh barrier aur woh force dono khatm ho gaye..

par jahan apne waar ko khaali jaata dekh woh DARK WARRIOR thoda jhunjla gaya wahin bina SPELL uccharit kiye hue usne jo waar kiya tha,usse dekh MAHI man hi man chownk gayi thi..

MAHI jaan chuki thi ki woh DARK WARRIOR kuch zyada hi powerful hai...

par MAHI ke potential ko us DARK WARRIOR ke saathiyon ne bhi dekha aur usse zyada chance naa dene ka faisla kar unme se do DARK WARRIORS aage aaye..

MASA SVATI...

BLACK SWORD

VATALI KHADAGAM

HURRICANE BLADE

JIHIMI VINASHAKAM

LAZER DESTRUCTION

teeno DARK WARRIORS ne ek ek SPELL man hi man socha jiske baad ek ke haathon me kaali shaktiyon se bhari hui sword chamakne lagi..

dusre ke haath me ek bada sa blade aa gaya jiske chaaron taraf ek chota par utna hi powerful chakrawaat bana hua tha...

aur teesre DARK WARRIOR ki aankhen red hone lagi jinse ab nikalne waala the deadly ray....

jahan un teeno ne SPELL bolkar apna apna astra shashtra ready kar liya tha wahin...

MAHI- VAZUNDHATE HANIYEM

THUNDER HALTER

apne ANGELS FORM POWER SOURCE ko jo ab halka sa khisak chuka tha, dekhte hue man hi man uccharit kiya is SPELL ko MAHI ne jiske baad uske sharir ke chaaron taraf ek invisible thunder paida ho gaya jo hone waale har waar par double power se rok lagane waala tha...

wahin apne SPELL bol woh teeno DARK WARRIORS bijli ki tezi se MAHI ki taraf badhe aur uske paas pahunch jahan ek taraf SWORD aur BLADE waalon apne apne hathiyar MAHI par chalana shuru kar diya wahin dusri taraf teesre WARRIOR ne MAHI par apni aankhon se LAZER ray chhodne shuru kar diye..

waaron ki speed itni zyada thi ki wahan moujud SAVENTS, WHIZZDERS aur WHIZZES, parents,koi unhe dekh tak nahi paa raha tha..

par MAHI ke chaaron taraf bane THUNDER HALTER un saare waaron ko naa sirf rok rahe the par saath hi saath un waaron ko wapas un teeno WARRIORS par dhakel bhi rahe the..

aisa hone ki wajah se un teeno ko beech beech me hault lena pad raha tha jiska faayda uthate hue MAHI apne THUNDER HALTER se thodi thodi energy extract karte hue un teeno par waar bhi kar rahi thi..

lekin un teeno ki speed bhi kaabile taarif thi..woh MAHI ke attacks se kisi tarah khud ko bachaye hue the..

but haan,woh teeno milkar bhi MAHI ko koi nuksaan nahi pahuncha paa rahe the..

MAHI ki speed adhbhudh thi jisse dekh wahan moujud sabki aankhon me uske liye taarif thi..

meri bhi nazar ek baar MAHI ki taraf gayi thi aur uski raftaar aur ladhne ka tarika dekh mai bhi man hi man usse impressed hua tha..

sirf ANGEL aur HUMAN FORM POWER SOURCE ke trigger bhar hone se MAHI ki taakat me jo izaafa hua tha,usse dekh bas imagine hi kiya jaa sakta tha ki jab woh dono power source ek ho jaayenge yaa phir ek dusre ke paas bhi aa jaayenge toh uski taakat ka aalam kya hoga..???!!!!

khair,jab un teeno ne dekha ki woh milkar bhi MAHI ka kuch bigaad nahi paa rahe the hain toh man hi man unhone apne baaki dono saathiyon ko kuch kaha jiske baad..

AHHHHHHH.....

ye dard bhari awaaz nikli thi NAOMI ke mooh se..

reason...

us fourth WARRIOR ne ek hunter prakat kiya aur usse NAOMI par chala diya..

NAOMI ki dard bhari aah sun SHALTON aur BRAWNY turant uski taraf badhe par tabhi..

SATAAKKHH....SATAAKHHHHH....

fifth WARRIOR ne apna hunter un dono ke pairon par chala diya jiske baad woh dono mooh ke bal gir gaye...

apne friend aur uncle, aunty ko maar khata dekh ACCHUTA,HIDA aur SLUNDER bhi unki taraf badhe par abhi un teeno ne do kadam bhi aage nahi badhaya tha ki tabhi unpar bhi kode barasne shuru ho gaye jiske baad woh teeno bhi cheekhte hue neeche gir gaye..

in teeno ke baad same haalat SAPIUS, REGIS aur EDWINA ka bhi hua...

ab woh sab zamin par the aur aisa hote hi woh chownthe aur paanchwe DARK WARRIOR bijli se bhi tez gati se un sabke chaaron taraf ghumne lage aur apne hunter se unki chamdi udhedne lage..

par jahan ek taraf mai wapas aakhen band kar chill kar raha tha wahin MAHI apne doston ki haalat dekh distract hone lagi thi..

waise ab tak uspar koi waar laga nahi tha,par speed uski pehle ke mukable kaafi kam ho chuki thi...

yahi reason tha ki kuch aur der battle karne ke baad...

AHHHHH...

second DARK WARRIOR ka hurricane blade MAHI ke thunder halt ko halka sa kaaththe hue MAHI ke shoulder me lag gaya...

blade ki wajah se MAHI ka haath halka kat gaya aur thunder ray ki wajah se ek tez karah ke beech woh udte hue piche jaakar giri..

wahin jaise hi MAHI aur mere friends taklif me aaye,toh mere andar basi ERRAPEL ki shakti ne mere powers ko release kar diya...

mere powers azaad the jinhe feel kar mai muskura utha...

mai jaanta tha ki ERRAPEL ne aisa mere doston ko bachane ke liye kiya tha par jab woh mere hisaab ne nahi chalti toh mera uski khawahish pura karne ka sawal hi nahi uththa tha...

mai araam se sir ko peeche rakh aankhen band kar leta hi raha..

wahin is beech un teeno me se do DARK WARRIORS ne MAHI ke gale me apne apne hathiyar tika diye the..

chaahte toh woh usse ab zakhmi toh kar hi sakte the par woh chahte the ki MAHI jinke liye unse bheedi thi,unki buri gath hote hue dekhe..

aur aisa ho bhi raha tha..baaki ke dono WARRIORS behadh tezi se mere doston, WHIZZES aur WHIZZDERS aur NAOMI, SHALTON ki chamdi udhedh rahe the par aisa karte hue..

4TH WARRIOR-kya laga tha..!!!ye dono aa gaye toh tum mile hue hukm ki naafarmaani kar sakte ho...

SATAAKHHH.....

bilkul nahi...yahan sirf hum DARK WARRIORS ka hukm chalta tha,hai aur hamesha rahega...

SATAAKHHHHH.......

jaisa hum kahenge,tumhe karna hoga..tum sabko...

SATAKKKHHHH....

ye tumhare SHAILA, MOKALSAR, AKSHAANT KA CHOSENS nahi,THE DEVIL'S HAVEN hai....

yahan ke SOVEREIGN hain PRINCE VIRAAZ aur ye duniya hai hamare LORD VIDEOUS ki.....

VIDEOUS......

bas ye naam nahi lena chahiye tha usse...

ek jhatke me aankh khuli meri jiske baad....

MAHI ke gardan par jis DARK WARRIOR ne talwar tikayi thi,usne pehle apne piche aur phir apne ussi haath me kuch super strong power ko feel kiya par jab tak woh kuch samajh paata....

AHHHHHHHHHHHHHH.........

ek hriday vidarak cheekh joki beech me hi atak gayi,padi uske aur baaki sabhi ke kaano par..

ye cheekh thi ussi DARK WARRIOR ki jisne kuch seconds pehle VIDEOUS ka naam bola tha..

uski taraf nazar padte hi jahan MAHI ke paas khade WARRIORS ki aankhein hairani aur dar, dono ke maare badi ho gayi wahin saamne waala DARK WARRIOR toh hadbadate hue neeche hi gir gaya tha..

reason....

jisne VIDEOUS ke naam se ding maari thi,uska sharir beech se kaaththe hue do bhaagon me bath neeche gir chuka tha..

aur usse kaata tha maine jo uske paas khada hadbadate hue neeche gir chuke WARRIOR ko dekh raha tha...

mere haathon me thi wahi kaali sword jo mere haathon me aane ke baad safedh ho chuki thi...

par filhal woh safedh nahi,us WARRIOR ke khoon se san laal dikh rahi chuki thi...

is scene ko dekh neeche gire hue mere dost, WHIZZES aur WHIZZDERS, parents bhi kaamp gaye the...

wahin us talwar par lage khoon ko apne index finger se saaf karte hue....

MAI-koi bhi jagah sirf tak VIDEOUS ki hai jab tak wahan RAAZ nahi aa jaata...

aur meri jagah par khade hokar usse kisi aur ka batana jurm hai jiski saza sirf mout hai...

baat khatm hote hote mai ek baar phir hila...

atleast itna hi dikh paaya sabko aur iske baad ka jo scene baaki sabko dikha, woh unhe andar tak kaampne par majboor karne ke liye kaafi tha...

woh DARK WARRIOR jo hadbadakar neeche gir gaya tha,uske paas pahunch uske mooh me upar waale daant ke section me sword ghussa diya tha maine jiske baad uske zubaan ke saath uske jabde aur phir tounsil neeche gir chuka tha...

bina awaaz ke chattpatata hua woh DARK WARRIOR neeche gir chuka tha jiske baad apne haathon me pakde SWORD ko uski taraf kar jhatka diya maine...

mere aisa karte hi us SWORD me laga khoon chithtakte hue us DARK WARRIOR ke sharir par pada aur jab aisa hua toh..

woh khoon AAG me badal gaya jo bas ek hi second me uske pure sharir me faile chuka tha...

tadapte aur ab jalte hue us DARK WARRIOR ki saansein band ho chuki thi...

un do DARK WARRIORS ka kaam khatm kar maine MAHI ke saamne khade baaki ke teeno WARRIORS ki taraf apni nazarein ki aur mere aisa karte hi un teeno ki jaan unke gale par aakar atak gayi..

pehle se kayi guna zyada taakatwar the woh teeno,par jis tarah maine un teeno ke saathiyon ko kaata tha,usse dekh unhe mere aage apni aukaad ka andaza ho chuka tha..

turant bhaagne ki niyat se woh teeno dhuen me badalne lage par tabhi...

first WARRIOR ke chaaron taraf WHITE ENERGY ki ek barrier ban gayi jiski wajah se woh uske beech kaid hokar reh gaya..

wahin DUSRA DARK WARRIOR jisne kuch der pehle MAHI par HURRICANE BLADE se waar kiya tha,uske dhuen banane se pehle hi uske chaaron taraf WHITE ENERGY se bana ek hurricane utha jisne naa sirf usse form badalne se rok liya balki agle hi pal...

AHHHHHHH......

us WARRIOR ki cheekh har taraf gunj uthi..

REASON..

is hurricane ne uske sharir ki pehle chamdi aur phir uske haddiyon ko galana shuru kar diya tha...

kuch palon me hi bina aag ke hi chita jal chuki thi uski..

LAZER DESTRUCTION....

woh astra jisse woh THIRD WARRIOR MAHI par waar kar raha tha..

achanak se hi usse pehle uski aankhon me jalan feel hui par phir...

AHHHHHHHHH....

uski bhi cheekh har taraf gunjne lagi...

REASON...

uski aankhon se jo kuch der pehle tak lazer nikal raha tha,is waqt wahi
lazer uske aankhon se hote hue uske pure andruni chehre ko jala raha tha..

par woh lazer wahin nahi rooka...chehre ke baad woh uske puri body me fail gaya jiske baad..

BOOM...

fath gaya uska sharir..

ia scene ko dekh waise toh sabhi dar gaye the,par sabse zyada buri haalat thi us aakhri bache DARK WARRIOR ki..

thartharate hue woh aankhon me rehem ki guhaar liye mujhe dekh raha tha..

ab mere jaisa rehemdil bhala uski guhaar kyun nahi sunta..

isiliye uske pass pahunch uske kandhe par haath rakha maine aur...

MAI-dar kyun raha hai..??? tujhe kya lagta hai,mai itna bereham hun ki tujhe maar dunga...??hmm!!!

meri baat me jo sardpan jhalak raha tha,usse sun us so called super strong DARK WARRIOR ke pasine chhutne lage the...

aur waise hi kaampte hue apne andar jhaanka usne aur...

SWATMANVADHA

PAINLESS SUICIDE

man hi man is SPELL ko uccharit kiya us DARK WARRIOR ne jiske baad mai muskura utha..

mai jaan chuka tha ki usne abhi kya kiya hai....

par isse pehle ki uska SPELL asar karta,maine uske chaaron taraf faila WHITE ENERGY usme daal diya jiske baad woh painless death ka SPELL painful death me badal gaya..

aankh,kaan,naak,mooh sabse khoon nikalne laga uske aur phir...

BOOM....

uska sharir bhi fath gaya..

jahan uss DARK WARRIOR ke khoon se naha chuka tha mai wahin mera ye kroor roop jisne us DARK WARRIOR aur uske saathiyon ko khatm kiya tha,usse dekh wahan moujud har koi stabdh reh gaya tha..

pin drop silence ke beech chalta hua mai thoda aage badha aur upar dekhte hue..

MAI-

jiski dushmani bhi YAARI LAGE....
WOH RAAZ HAI..

jiske aage har cheez BECHAARI LAGE...
WOH RAAZ HAI....

zinda rehne ke liye kya kuch nahi karte hain log....

par jiske saamne MOUT ZINDAGI se bhi PYAARI LAGE....

WOH RAAZ HAI.....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V....J....
Wow bhai kya update tha mind blowing bhai
jiski dushmani bhi YAARI LAGE....
WOH RAAZ HAI..

jiske aage har cheez BECHAARI LAGE...
WOH RAAZ HAI....

zinda rehne ke liye kya kuch nahi karte hain log....

par jiske saamne MOUT ZINDAGI se bhi PYAARI LAGE....

WOH RAAZ HAI.....
Aur bhai yeh line to kamal ki thi

Waiting for new Update
 
Rdx sam

New Member
38
249
33
VJENSTINE bhaiya....
Kya kahu achcha khasa chal raha tha mahi fight back kr rhi thi apne Raaz bhaiya maze le rhe the errepal madam ke full control dene ke baad v lekin VIDIOUS bhaiya ko bick me lane ki kya jarurat thi...
R...........z bhaiya ki sulag gayi or silagegi bhi
JISKI MAA BAHEN....
(Sorry to say iski to maa hai hi nhi or bahen(mahi) to allready fida h...)
Krne ke liye aaya h usko bagair exam ke topper anaunce karoge to dusere topper ki sulgegi hi....
SULGA diya apne Raaz bhaiya ne...
Unknown brother isliye main ise read nhi kr raha tha ab raat bhar nightmare aayega...
OR KON SA INVENTION KARENGE VJENSTINE SIR...
HEY GOD PLEASE SAVE ALL XFORUM...
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,579
18,876
188

very nice update
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,705
17,758
189
Supppeerrrrrrr fantastic update bro
 
bd sharkar

Active Member
1,827
5,074
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ APNE ABODE ME APNE EMOTIONS KI SHAKTI KO 5 PERCENT TAK STABELIZE KAR LETA HAI WAHIN DUSRI TARAF FORBIDDEN FOREST JAANE SE PEHLE RAAZ AUR MAHI KE BEECH EK COMPETITION HOTA HAI JISME RAAZ MAHI KO HARA DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)

UPDATE-85

PLANET-ELYSIAN

PLACE-BORDER OF FORBIDDEN FOREST

SO HERE WE ARE GUYZZZ.... THE BORDER,THE ENTRACE POINT OF FORBIDDEN FOREST,JAHAN AAP AGLE DO DIN AUR DO RAATEIN BITANE WAALE HAIN...

EXCITED....!!!!

SAB-YES WHIZZDER.....

REGIS ke is sawal par sabhi SAVENTS kaafi josh aur excitement me yes kaha jiske baad REGIS ya fir SAPIUS kuch kehte ki tabhi unhe kuch door hawa me ud kar aate hue kuch log dikhe jinme se jo sabse aage tha,usse dekh kar toh wo dono normal hi rahe,par unke saath jo log the,unhe dekh aankhen badi ho gayi SAPIUS aur REGIS,dono ki....

reason....

STELLAR'S ki bus me is catagory ke sabhi baith yahan aaye the siway MABBA ke jisne SAPIUS aur REGIS se kaha tha ki woh thodi der baad aayegi...

aur saamne ud unki taraf aati shaksh MABBA hi thi jisko dekh woh dono normal the par MABBA ke saath kul 7 log aur the jinme se do the ANWIR,MORANA aur baaki ke paanch inhi dono ke group WICKEDS se the,aur inhi saathon ko dekh hairan hue the SAPIUS aur REGIS...

unhe ye samajh nahi aa raha tha ki bhala MABBA WICKEDS ko joki PHASE 3 ke SAVENTS the,unhe yahan kyun laa rahi hai.....???

wahin un dono ko yun apne piche ki taraf ek disha me hairani purv dekhte paakar sabhi STELLARS ki bhi mundi piche ghumi aur aisa hone par unsabne bhi MABBA aur unke saath kuch WICKEDS ko apni taraf aate hue dekha...

un sabhi ke dekhte me hi MABBA aur uske saath ANWIR, MORANA aur baaki paanch SAVENTS unse kuch door par land ho chuke the aur ab wo sab unki taraf badh rahe the aur fir jab MABBA SAPIUS aur REGIS ke paas pahunchi toh....

SAPIUS-ye saathon yahan kya kar rahe hain..????

MABBA-jo baaki SAVENTS kar rahe hain...

REGIS-matlab....!!!!ye log yahan training karne aaye hain..!!!but ye kaise ho sakta hai..??ye 2 din toh sirf PHASE 2 SAVENTS ki training ke liye rakhi gayi hai...

MABBA-not any more...

ye bol MABBA ne ek circular REGIS ki taraf badha diya jisme likha tha ki kuch specific PHASE 3 SAVENTS ko FORBIDDEN FOREST me training karne ki permission hai, signed by SEBIL......

(SEBIL PHASE 3 ME WICKED CATAGORY KI WHIZZ HAI AUR SAATH HI MABBA KI BADI BEHEN BHI...AUR PHASE 3 KE KISI BHI WHIZZ KE PAAS YE AUTHORITY HOTI HAI KI WO APNE SAVENTS KO JAHAN BHI AUR JAISE BHI CHAHE, TRAINING PROVIDE KARE)

us circular ko padh padhne ke baad...

SAPIUS-par ye training karenge kiske under..inki authorised WHIZZ ya WHIZZDER toh aaye hi nahi hain...

MABBA-inhe training mai dungi...iski permission is institution ki sabse powerful WHIZZ,meri sister SEBIL,de chuki hai...

SEBIL ka naam sunane ke baad REGIS aur SAPIUS,un dono ke paas hi MABBA se argue karne ke liye kuch bacha nahi tha kyunki woh dono hi jaante the ki SEBIL ki sehmati ka matlab hai ek aisa order milna joki yahan ka koi bhi WHIZZ aur WHIZZDER disobey karne ki galti nahi kar sakte the...

par some how alag tarike se hi sahi,baat toh karni hi thi isiliye...

SAPIUS-par tum ek saath dono PHASE ki training kaise manage karogi...!!!

MABBA-bohot asaani se aur wo aise ki mai sirf PHASE 3 ko hi training dungi..

PHASE 2 ke liye tum dono kaafi ho... isiliye tum dono hi in sabki training handle karoge...

and i dont think ki isme koi problem honi chahiye...

PROBLEM...!!!!ye shayad pehli baar tha jab MABBA ke kisi decision se khush the SAPIUS aur REGIS...

reason....

MABBA ke rehte koi bhi training, training kam aur faltu ka show off zyada rehta tha jisme MABBA har demonstration me khudki quality aur taakat ka unnecessary dikhawa karti thi joki kamsekam is baar nahi hone waala tha..

khair,in teeno ke beech ki conversation sabhi SAVENTS bhi sun rahe the aur tabhi....

HEY SEXY.WHAT'S UP...????

mere kareeb aate hue kahi ye baat MORANA ne jisse sun mere paas khade sabhi SAVENTS ka dhyan naa sirf meri taraf divert ho gaya balki saath hi MORANA ki baat sun sabhi hairani se hum dono ko dekhne lag gaye the...

wahin MORANA ki baat sun...

MAI-mere batane se acha hai ki khud check kar lo....

MORANA-hmm.. charming,haan...!!!!well checkout bhi kar lenge,bas sahi waqt aa jaane do...aur us waqt ke liye all the best...

MORANA ne ye baat us waqt ke liye kahi thi jab ANWIR and group mujhse ek baar firse bhidne waala tha...

khair,apni baat keh MORANA ANWIR and group ke paas wapas mood gayi joki is waqt mujhe hi ghoor rahe the....

wahin jaane se pehle MORANA ne aur usse pehle jo maine kaha tha,usse sun mere sabhi PHASEMATES hairan the...

par unki ye hairani waala mood turant divert hua kyunki...

MABBA-so SAVENTS.all the best... yahan hone waali har activitiy ke waqt ye yaad zaroor rakhna ki tum sab STELLARS ho..

isiliye apne performance se keep the stakes high...

ye bol mujhe ek look de MABBA wapas hawa me uth gayi aur uske saath saath baaki saathon PHASE 4 ke SAVENTS bhi hawa me uth FORBIDDEN FOREST ke ek taraf ud gaye aur jab aisa hua toh jahan REGIS ek disha ki taraf badh gaye wahin humare saamne khade SAPIUS humari taraf mude aur....

SAPIUS-so SAVENTS....jaisa ki aap sabko pata hai ki aap sab yahan kul 2 din rehne waale hain jisme kuch rare but very interesting activies me aap log participate karenge.....

kal ki activities aap sabko kal hi pata chalegi isiliye filhal aa sab aap sabke aaj karne waali activies ke baare me jaan lijiye...

toh aaj aap sab kul 3 activies me participate karne waale hain....

aur kyunki aap sabhi is waqt apne apne REFINER power ki training le rahe hain, isiliye aapke aajki pehli do activities REFINER enhancement me kaam aane waali hai..

1st activity ka naam hai THE GIFT...

2nd activity ka naam hai FAULT CORRECTOR....

aur 3rd activity ka naam hai THE FIRST THREE SWALLOW....

in teeno activities me karna kya hai,ye aap sabko un activities point ke paas pahunchne par pata chal jaayega...

one more thing, GROOMERS bhi aap sabke saath in saare activies me equally participate karenge...

SAPIUS ne apne right ki taraf ek baar dekh ye baat kahi thi jisse sun kab hum bhi us disha ki taraf palte toh saare GROOMERS ko unke teeno WHIZZEZ aur WHIZZDERS aur REGIS ke saath humari taraf aate dekha...

is waqt GROOMERS ke teeno WHIZZES aur WHIZZDER, EDWINA, ROVEL aur PETRA ke chehre par ek smile thi...

reason...

in do dino me hone waali saari activities waise toh STELLARS aur GROOMERS ki same thi,par GROOMERS ka chance STELLARS ke baad aane ka tha but thanks to REGIS and SAPIUS,ab woh sab bhi STELLARS ke saath as an equal,saare activities me participate karne waale the...

khair,ab tak woh sab hamare paas aa chuke the... STELLARS bhi joki last PHASE 1 me GROOMERS ke saath hi the,un sabko ek baar firse apne saath dekh khush the..

wahin ACCHUTA aur SLUNDER toh kuch zyada hi khush the...wo dono turant mere baaju me aakar khade ho gaye the..

SLUNDER-yakin nahi hota yaar...mujhe nahi laga tha ki hum teeno itni jaldi wapas ek saath training le paayenge....!!!

ACCHUTA -haan bhai...par ab toh saath hai naa..dekh liyo,faad denge har activity ki....

ACCHUTA ki baat sun mai bas muskuraya aur apni gardan ghuma sabko dekhne laga aur tabhi...

maine gaur kiya ki jahan ek taraf baaki sabhi SAVENTS ek dusre se baat kar rahe the,wahin dusri taraf ALFREEN bilkul chup chaap khadi thi...

khair, SAVENTS ki tarah sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS bhi ek dusre se mile...

GROOMERS ke teeno WHIZZ ne REGIS aur SAPIUS ke dikhaye gesture ke liye unhe thanks kaha jiske baad...

SAPIUS-okay then.. SAVENTS,yahan se hume chal kar hi jaana hoga.... hamari first activity spot yahan se kareeb 2 km door hai..so let's move.....

SAPIUS ki baat ke baad saare WHIZZES aur WHIZZDERS aage badh gaye aur unke piche ho liye...

thik ussi waqt jungle ke dusre chhor me....

PLACE-OTHER SIDE OF FORBIDDEN FOREST

HUM YAHAN TRAINING KARENGE....

HIDA ki baat sun halka sa udaas ho gaya BRAWNY...

reason...

FORBIDDEN FOREST par likhi book padhi thi usne jispar yahan ke har bhaag aur wahan paayi jaane har wo chiz jisse metaphysical activities ko nurture karne me madad milti hai,uske baare me bataya gaya tha...

aur uske hissab se is waqt jahan wo aur HIDA the, jungle ke is bhaag me aisa kuch bhi exciting nahi tha..

ye jagah lagbhag banjar hi thi..bade bade chattan jaise patthar jo chote chote pahadon ke chaaron taraf bhare pade the....

ped poudhe toh bohot the par un sabme metaphisycal capabilities nahi thi aur yahi wajah thi BRAWNY ki udaasi ki jisse bhaamp liya tha HIDA ne aur...

HIDA-yahi soch rahe ho naa ki jungle ke is bhaag me aakhir hum karen bhi toh karen kya...???

HIDA ke sawal par haan me apna sir hilaya BRAWNY ne jispar..

HIDA-jo instructions mujhe mile hain uske hisaab se chalen toh tumhe is puri jagah par apne teeno active AMPLIFICATION modes ke power ke sahare physical activities karni hai..

HIDA ki baat sun aur sad ho gaya tha BRAWNY kyunki ye saari chizen toh uske quater ke paas lage aneko pedon par bhi try kiya jaa dakta tha...

wahin apni baat keh BRAWNY ke face ko dekhne ke baad..

HIDA-tumne meri baat dhyan se nahi suni....maine kaha ki agar hum instructions ke hisaab se chalen toh tumhe ye sab karna hai..

maine ye toh nahi kaha ki hume instructions ke hisaab se hi chalna hai...

HIDA ki baat sun sawal dikhne lage BRAWNY ke chehre par jisse dekh..

HIDA-instructions ke hisaab se bohot chal liye hum..ab thoda apne tarike bhi aazma lena chahiye hume...

BRAWNY-mai samjha nahi WHIZZ...???

HIDA-pehli chiz jo tumhe samajhni hai,wo ye hai ki chizen hon,task ho yaa kuch aur...

jaisa hum dekhte hain,chizen humesha waisi hi nazar aati hai hume...

for e.g,isse dekho....

ye bol HIDA ne apna haath halka lehraya aur uske aisa karte hi uske haath ke aage hawa me ek glass aa gaya jiska aadhe bhaag me paani thi...

wahin HIDA ko yun magic karta dekh hadh se zyada hairan ho gaya tha BRAWNY....

reason...

bhale hi jo HIDA ne kiya,wo koi bada magic nahi tha par fir bhi us MAGIC ko bina spell mooh se uccharit kiye bas yunhi kar dena,ek umda sorcerer ki nishani thi...

wahin BRAWNY ko hairan hota dekh us hairani ke abhipraay ko samajh...

HIDA-jo mai thi,ab woh nahi hun BRAWNY,aur agar tum mujhpar bharosa kar thik se concentrate karo,toh tum woh ban jaaoge jiski kalpana bhi tumne apne liye nahi ki thi..

isiliye saari hairani aur dusre bhaav apne andar se nikalo aur is glass ko dekho...

is 6 inch ke glass me 3 inch tak paani hai...ab agar is situation ko describe karne ke liye kaha jaaye toh koi ye kahega ki ye glass aadha bhara hua hai aur koi ye kahega ki ye glass aadha khaali hai...

it's all about perceptions...what matters is ki hum chizon ko aur situation ko kis tarah dekhte hain...

isiliye negetive hona chhodo aur jaisa mai kahun,waisa karte jaao, results apne aap aane lagenge,par usse pehle,ek baat batao,do you trust me..???

BRAWNY-yes WHIZZ....i do...

HIDA-toh khulkar mujhe batao ki kya GOD GIFT mila hai tumhe...???

HIDA ki baat sun aur ya jaan ki usse uske extra aur unique GOD GIFT ke baare me pata hai,aakhen badi ho gayi BRAWNY ki aur...

BRAWNY-aapko is baare me kaise pata...???

HIDA-bas pata hai... mujhe ye bhi pata hai ki RAAZ ne help ki hai tumhari us GIFT ko unfold karne me...

bas ye nahi pata ki wo GIFT hai kya...???aur uske baare me mai puch isiliye rahi hun kyunki jab tak tumhara REFINER activate nahi ho jaata,tab tak tumhari aage ki kuch activities us GIFT ke according hi ki jaa sakti hai..

isse tumhara growth kaafi tezi se hoga...

HIDA ki baat sun ek pal usse dekhne ke baad BRAWNY ne apne hidden power, PHYSICAL MUSCLE POWER aur apni inherited power SENSING DANGER ke baare me usse bataya jisse sun...

HIDA-hmm, interesting....

ye bol HIDA ne apni nazar har taraf ghumayi aur aisa karte hi uske face par ek smile aa gayi aur...

HIDA-perfect....dekha BRAWNY,har chiz kaam ki nikal sakti hai,bas dekhne ki nazar chahiye...

BRAWNY-matlab..!!!!

HIDA-saamne dekho...wo bade gade chattan dekh rahe ho,jo us pahad par zigzag angle banaye khade hue hain,wo jagah aur chattan tumhari training ke liye best hai...

BRAWNY-wo jagah,kaise...???

HIDA-aao,batati hun...

ye bol HIDA is pahad ki taraf chal padi aur uske piche ho liya BRAWNY....

us pahad ke tale tak pahunchne ke baad HIDA ne ek baar firse dhyan se dekha aage...

wo saare chattan ek zigzag pattern me neeche se lekar upar pahad ki choti tak gaye hue the jisse dekh..

HIDA-ab dhyan se suno ki tumhe karna kya hai..???BODY toh AMPLIFIED hai hi tumhari...

tum apne body AMPLIFICATION ke pressure points se halka push karoge one by one har chattan ko..

pressure bas itna hi rakhna ki ye chattan sirf hilen,haten naa...

aisa karte hue upar choti par pahuncho,aage ka part wahin bataungi....

ye bol bina kuch sune HIDA tezi se pahad par chaddhne lagi aur kyunki pahad zyada bada nahi tha, isiliye jald hi wo uske choti par pahunch chuki thi...

wahin HIDA ke jaane ke baad BRAWNY ne jaisa uski WHIZZ ne kaha tha,karte hue aage badhne laga...

har chattan ki shakti ko naapta hua sa aage badhta gaya BRAWNY aur aisa karte karte kuch hi der baad wo bhi mountain ke upar tha...

HIDA-kitna fark hai har chattan ki shakti me...

BRAWNY-nominal hi hai...kuch kilograms upar,neeche,bas...

HIDA-mujh laga hi tha...acha ye batao ki kya tumhe har chattan ka exact pressure yaad hai...

BRAWNY-haan...

HIDA-fantastic...toh ab suno tumhe kya karna hai....

mai tumhare aankhon par ek patti bandhungi.

jiske haad ek baar apne CEREBRATION ko paused kar tumhe apne dono GOD GIFTED shaktiyon ko smaran karna hai...

tumhare aisa karte hi tumhari dono shaktiyan joki PHYSICAL muscle strength aur SENSING DANGER hai,wo tumhare pure sharir me activate ho jaayegi..

aisa hote hi tumhe paas waale dono chattano par apne shoulder se waar karna hai..

power activate hone ki wajah se ek waar me hi chattan toot jaayenge par tumhe aisa hone nahi dena hai...

jaisa ki tumne kaha ki tumhe har patthar ka exact pressure pata hai,toh us exact pressure ko tumhe apne pehli shakti PHYSICAL ENERGY me transfer karna hai aur apni us shakti ko apne SOUL ke hawale kar bas itne pressure ko release karne ke liye kehna hai jisse har chattan ke beech ek darar padh jaaye....

ye tumhara apni pehle shakti ko nikharne ka task hai..

but at the same time ek aur task bhi pura karna hai tumhe....

jaisa ki maine bataya ki tumhari aankhen covered hongi...

aise me first chattan ko hit karna toh tumhare liye aasan hoga kyunki wo tumhare side par hi hai par uske baad ka kya...???

saare chatton ko jo ki ek straight line me aligned bhi nahi hain,kaise proper hit kar paaoge tum un sabko...???

toh ye tumse karwayegi tumhari dusri shakti joki hai SENSING DANGER....

kyunki ab tumhari ye shakti activate ho chuki hai toh iska matlab hai ki tum is shakti ko alag alag tariko se kaam me laa sakte ho...

like abhi ke situation me thik apne first power ki tarah tumhe apne dusre shakti ko bhi apne soul se jodna hai....

iska baad jab tum apna task shuru karoge aur aisa karte hue jab tum ek chattan ko bina dekhe chot pahunchaoge toh us chattan ke pressure ko feel karte hi tumhari danger sensing power sakriya ho jaayegi aur fir turant wo power tumhare brain me waise hi pressure liye khadi koi cheez joki chattan hi hai,uski image aur tumse uski doori aur disha,dono hi dikhayegi aur aisa hote hi tumhe apna next target ki taraf badhna hai...

understood...

BRAWNY-kind off....

BRAWNY ke jawab ko sun muskura uthi HIDA aur fir...

HIDA-you got this my boy....bas confidence rakho khudpar...

HIDA ki baat sun ek lambi saans kheench...

BRAWNY-allright...i am ready...

HIDA-ok then...

ye bol HIDA ne ek kaala kapda baandh diya BRAWNY ke aankhon par...

jab HIDA ye kar rahi thi us waqt BRAWNY ne naa sirf apne CEREBRATION process ko pause kar liya tha balki uske agle hi pal usne apni dono shaktiyon ko apne SOUL ke saath jodna shuru kar diya tha aur usse ye dekhkar hairani hui ki bina kisi pareshani ya extra effort lagaye hi uski SOUL ne uske dono shaktiyon ko khudme merge kar liya...

khair, HIDA apna kaam kar chuki thi.. BRAWNY was completely blind folded aur aisa hone ke baad BRAWNY turant apne right ki taraf lage chattan ki aur khiska jiske agle hi pal...

DHAABBB.......

ek napi tuli force ke saath apne kandhe se jhatka diya BRAWNY ne us chattan ko aur jab usne aisa kiya toh jaisa ki HIDA ne bataya tha,uske brain me us chattan ki hi tarah pressure rakhne waale dusri cheez jo ki thoda aage jaakar left me rakhi chattan hi thi,uski aur uski distance aur disha ki image ubhar gayi jiske baad BRAWNY turant us disha ki taraf badh gaya...

aur issi tarah proccess ko repeat kar wo ek ke baad chattan par ek napi tuli pressure ko exert kar jhatka dete hue aage badhta chala gaya...

kuch 3 minute me hi BRAWNY mountain ke neeche aa chuka tha aur aisa hote hi jab usne apne aankhon ke aage lagi patti kholi toh
apne saamne HIDA ko khada paaya...

wahin HIDA ne bhi usse piche palatkar apne performance ko dekhne ke liye kaha jiske baad jab BRAWNY piche palta toh saamne ka drishya dekh wo khush bhi hua aur thoda upset bhi...

reason....

kuch chattanon me proper darar aayi thi jisse dekh wo khush hua tha par kuch chattane uske kandhe se nikle extreme power ko naa jhel pakar churra ho chuke the....

BRAWNY ke chehre par ek saath do bhaavon ko dekh aur samajh....

HIDA-upset hone ki zaroorat nahi hai BRAWNY..ye tumhara first attempt tha.. aur pehi koshish ke hisaab se tumhara performance kaafi acha raha hai...

isiliye fikr mat karo..jis jagah ko kisi kaam ka nahi samajh hume yahan bheja gaya,usme aisi bohot si jagah aur chizen hain,jinse tum apni performance ko pehle behtar aur fir perfect bana paaoge...

so,dont waste time and move your butt...

ye bol HIDA ne BRAWNY ke bum par ek chamat maar di jisse muskura utha BRAWNY aur chal pada HIDA ke piche....

BACK TO STELLARS & GROOMERS

SO GUYZ,FINALLY WE HAVE REACHED THE POINT JAHAN AAP SAB APNE FIRST ACTIVITY ME PARTICIPATE KARENGE...

ye bol apne se thoda door saamne ki taraf point kiya SAPIUS ne jiske baad humari nazar bhi hamare first activity spot par gayi....

THE GIFT...yahi naam bataya tha WHIZZDER ne humare first activity ka...par GIFT jaisa toh kuch tha nahi humare saamne..

darasal humare saame ek glow karta hua pedon ka jhund tha...

behad patle branches aur stem se bane ped the humare saamne jinke leafs aam ke patton ki tarah the par unki breadth kuch 3 c.m jitni dikh rahi thi aur length lambi thi...

wo pura pedon ko jhund,us jhund ka har patta,stem aur branch tez roshni se jagmaga raha tha...

drishya toh adhbhudh tha par bas ye gift kaise hai,ye samajh me nahi aa raha tha....

anyways,sochne ka bhi koi matlab toh tha nahi..jo bhi ganit hai,wo toh WHIZZES ya WHIZZDERS ke through clear ho hi jaana tha isiliye ek baar un pedon ko dekh hum sabki nazar wapas WHIZZES aur WHIZZDERS par theher gayi jispar...

EDWINA-hume pata hai ki aap sab kya soch rahe hain..??yahi naa ki ye pedon ke jhund GIFT kaise hui...??

toh wo aise ki naa toh ye ped normal hai aur naahi inse nikalne waala glow...

in pedon ko EMBRACER kehte hain aur ye glow jo inse nikal raha hai,ye asal me ANGELS ke EMOTIONS ki shakti AURA se bana hai aur jo bhi in pedon ke direct connection me aata ha,usse in pedon me dikh rahe patton ke through emotions ki power me enhancement milti hai...

ab ye thi kaam ki baat jisse sun sabhi SAVENTS khush ho gaye,but jaisa ki maine kaha tha ki there are no free lunches in life...

u got to pay for every bit you eat,toh is tark ka bhi use hona tha is GIFT ko haasil karne ke liye jiske baare me ab batane waali thi WHIZZ PETRA....

PETRA-but ye gift aap sabko yunhi nahi milega..iski bhi keemat hai,badi nahi,par hai zaroor...

ROVEL-darasal ye ped inke sampark me aane waale se ek sawal puchti hai aur jab in pedon ke AURA ko unke sawal ka sahi jawab milta hai,toh hi wo jawab dene waale ko GIFT deti hain..

sawal common aur ek hi hota hai..??jisse har puche jaane waale ko apne apne hisaab se jawab dena hota hai...

REGIS-right...aur jawab ko naapne ki bhi catagory hai...jawab kitna sahi hai,isse ye jhaadiyan teen tarikon se batati hai...

agar bataye gaye jawab ko sun in pedon se nikalti roshniyan dheere dheere blink karni lage toh uska matlab hai ki answer QUITE GOOD hai wahin agar jawab sunane ke baad blinking speed se hone lage toh uska matlab hai ki the answer is ABSOLUTELY RIGHT....

par agar jawab sunane ke baad in pedon ka glow double ho jaaye toh iska matlab hai ki answer PERFECT hai....

and let me tell you,aap is test ko aaj try kar rahe hain...par aapse pehle hum STELLARS aur GROOMERS ke saare WHIZZES aur WHIZZDERS is test ko try kar chuke hain par abhi tak kisi ke bhi jawab ko in emotions ke AURA ne PERFECT nahi maana hai....

SAPIUS-par hume ummid hai ki aap me koi naa koi aisa jawab zaroor dega jisse ye AURA PERFECT maanegi...

EDWINA-aur ab baat karte hain ki kyun is activity ka naam THE GIFT rakha gaya hai...

darasal har quite right jawab ke baad in emotions ki AURA se ek ray nikal jawab dene waale ke andar samayengi...

aur aisa hote hi ek kick milegi us SAVENT ko..aur wo kick ye hogi ki us SAVENT ke REFINER ko pure 1 minute ka forward trigger mil jaayega..

kehne ka matlab hai ki agar aapme se kisine ab tak apne REFINER activation process ke waqt 1 minute tak apne CEREBRATION process ko paused rakha hai, toh is gift ke milne se wo time 2 minute ka ho jaayega jiska matlab hai ki wo SAVENT apne REFINER proccess ke average power ko automatically activate kar lega..

thik waise hi agar koi SAVENT 4 minute tak apne timing ko badha paaya hai toh is gift ke saath uske REFINER ka complete power trigger ho jaayega...

aur agar answer ABSOLUTELY RIGHT hua toh aisa hone par REFINER ka jo bhi next trigger point hoga,wo activate ho jaayega aur saath hi 1 extra percent us answer holder ka SOUL AMPLIFY ho jaayega....

SAPIUS-ab agar baat karen PERFECT ANSWER ki toh aisa hone par GIFT bhi badi milegi..

aur wo aise ki for e.g MAHI...MAHI ne filhal apne FIRST REFINER ko completely activate kar liya hai par usse aage wo bilkul nahi badhi hai...

saath hi filhal woh 8 percent AMPLIFICATION par hai....

toh aise me agar uska jawab perfect hua toh usse ek nahi do nahi balki 3 GIFT milenge...

pehli gift ye hogi ki uske second REFINER ka complete power activate ho jaayega..

dusri gift hogi AMPLIFICATION percentage me 2 percentage ka izafa..

uska SOUL automatically 10 percent par pahunch jaayega..

aur third GIFT kaafi alag kism ki hai..aur wo ye ki jaisa ki aap sabko pata hai ki REFINERS activation ke through hi hard se hard metaphisycal activities ko kiya jaa sakta hai..

aur REFINERS ko power dete hain humare emotions..jitna zyada humare emotions stable hokar hamare soul se merge hote jaayenge,utna hamari metaphysical capabilities badhti chali jaayengi..

aur third gift yahi hai...5 to 10 percent stability in emotions....

got it....

pehle SAPIUS aur fir EDWINA ki baat sun sabhi SAVENTS kuch zyada hi excited dikhne lage the...

ye toh wakayi ek bohot hi naayab gift tha jisse paakar hum sabhi ko apne apne metaphysical capabilities ko nikharne me kaafi madad milne waali thi....

wahin mai bhi SAPIUS ki aakhri baat sunkar man hi man kaafi khush tha...

emotions me stability woh bhi 5 se 10 percent tak wakayi bohot badi baat thi...

mai ye sab soch hi raha tha ki tabhi...

MAHI-afsos,itne saare aur valuable gifts,par tum kuch bhi haasil nahi kar paoge....

mere baaju me aa ye baat kahi MAHI ne jispar...

MAI-jab result bata diya hai toh reason bhi bata do...

MAHI-oh common yaar....ye test emotions ka hai...matlab simple hai,sawal jo bhi hoga,wo naa toh scientific hoga, metaphysical based hoga aur naahi koi aur practical logic waala hoga...

emotions trigger hota ho jisse,sawal waisa hi hoga naa...aur tumhare paas sab kuch ho sakta hai par emotions,i dont think ki is chiz ka ek percent bhi tumhare andar moujud ho sakta hai...

MAI-tumme toh hai naa emotions...laga lo uska zor,shayad kamsekam is baar jeet jaao mujhse...

jahan meri baat sun kuch kaha nahi MAHI ne aur bas saamne apne task area ki taraf dekhne lagi wahin MAHI ko chup toh kara diya tha maine,par baat toh sahi thi is bandi ki...

kyunki bhale hi ab mere andar mere emotions hon,par unhe kabhi logon ke through use me toh laaya hi nahi hai maine kabhi...

toh aise me agar in EMOTIONS ke AURA ne koi sentiment se bhara sawal puch liya toh pakka looser ka tag lag jaana tha mere maathe par..

but,ab kar bhi kya sakte hain,jo hoga dekha jaayega,it tark ko soch mai bhi saamne dekhne laga aur tabhi...

EDWINA-so now....is time for your first task...aap sa ek ek kar in prdon ke beech aayenge..uske baad ka proccess aap sabko apne aap pata chal jaayega...

so shuru karte hai..

EDWINA ki baat ke baad hum sabhi ek ke baad ek hokar khade hone lage..

jahan baaki sabhi is test ko dene ke liye jitna ho sake aage khada hona chahte the,wahin ye pehli baar tha jab mai jitna ho sake,piche khada hona chahta tha par mai aisa kar paata usse pehle...

SAPIUS-VIDEOUS,MAHI,RAAZ...kyunki abhi aap teeno hi baaki sabhi SAVENTS se aage hain, isiliye aap teeno alag khade honge..

aur aapki top positions ki wajah se aapka performance last me hoga taaki sawal ko jaan aur us sawal par baaki sabke jawab ko sun aap teeno ko extra waqt mile,apne jawab ko dene me...

ab yahi toh mai chahta tha is abhi,waqt......

SAPIUS ke kahe mutabik mai aage badha aur MAHI aur VIDEOUS joki pehle hi ek jagah khade the,unke baaju me jaakar khada ho gaya...

wahin ab tak baaki SAVENTS ki bhi line formation puri ho chuki thi aur isiliye jisme sabse aage khada tha humara ACCHUTA jisne kaise bhi karkar wo position haasil ki thi...

aur isiliye...

EDWINA-ok then, ACCHUTA.. chaliye shuru kijiye.

WHIZZ ke bolte hi ACCHUTA aage badha aur aage badhte hue jaise hi usne un pedon ke lambe aur ujle pattiyon ko chhua toh....

wo saari lambi pattiyan kheenchane lagi aur dekhte hi dekhte un pattiyon ne ek rassi ki tarah ACCHUTA ke upari sharir ko puri tarah se lapet liya aur jab aisa hua toh...

un pedon ke aage ki pattiyan hawa me uthne lagi aur hawa me uth un pattiyon ne alag alag tarah ki movements hone lagi...

pehle toh un movements ko naa hi ACCHUTA samajh paaya tha aur naahi piche khade SAVENTS..

par jaise jaise un patttiyon ki movements ne apna shape lena khatm kiya toh ACCHUTA aur uske saath sabhi SAVENTS ki ankhen badi ho gayi...

reason....

wo saari pattiyan asal me do lines ki formation ne bani thi jisme unhone khudse hi 4 words likhe the....

aur yahi chaar words the humare is activity ka question...

WHAT IS TRUE MIRACLE.... ??

ASLI CHAMATKAR KYA HAI.... ??

yahi sentence ya fir ye kahun ki question banaya tha khudko akaar dete hue un pattiyon ne jisse dekh ek pal ek liye toh sabhi hairan hue par fir turant sabhi apni apni calculation me lag gaye....

par filhal jo calculation sabse important thi,wo thi ACCHUTA ki kyunki roshni ke us ghere me abhi woh khada tha aur isiliye...

ACCHUTA- MIRACLE ya CHAMATAR us magic ko kehte hain jiske istemal se un logon ki duniya ko positive banaya jaaye jo jinhe depression aur negetiveness ne ghera hua hai...

ACCHUTA ke jawab ke turant baad un puri jhaadiyon me halki aur dheeme blinking hone lagi jiska matlab tha ki uska answer QUITE RIGHT hai aur aisa hone par ek ray nikal ACCHUTA me sama gayi jiska matlab tha ki ab uska REFINER joki exact average power tak hi activate hua tha,usme ek minute ka izafa ho chuka hai..

aisa hote dekh sabhi SAVENTS kaafi excited ho gaye the....

khair,GIFT dene ke baad un patti numa rassiyon ne ACCHUTA ko chhod diya jiske baad wo khushi khushi ek dusri jagah jaakar khada ho gaya aur uske baad number aaya SLUNDER ka jiske saath bhi ACCHUTA ki tarah hi proccess hua jiske baad aaya wo waqt jab usse jawab dena tha jispar...

SLUNDER-har wo taakat jisse extreme anxiety ke baad bhi control me rakha jaaye,wo MIRACLE hota hai....

SLUNDER ka jawab bhi quite right ke catagory me hi aaya..lights dheere dheere blink hui jiske baad usse bhi us urja ne ek ray di jiske andar samate hi SLUNDER ki REFINER timing ek minute tak badh gayi...

ALFREEN-maamuli se achanak khaas ho jaana..ye pata chalna ki hamara existence GOD ka GIFT hai,yahi MIRACLE hai....

SLUNDER ke baad aayi thi ALFREEN ki baari jiska jawab toh waise acha hi tha par ab bhi wo lights halki hi blink hui jiske baad wo ray numa shakti ALFREEN ke andar sama gayi par aisa hote hi jo turant kaam me aaye,wo gift mila ALFREEN ko...

aur wo aise ki usne abhi tak apne REFINER activation process me kul 2 minute hi bitaye the par ab GIFT ki wajah se us timing me ek extra minute bhi add ho gaya jiska matlab tha ki ALFREEN ka first REFINER average power tak trigger ho chuka tha...

ALFREEN ko is baat ka ehsaas bhi ho chuka tha aur uske saath saath WHIZZES aur WHIZZDERS ko bhi aur isiliye unhone sabhi SAVENTS ko ye baat batayi jiske baad jab ALFREEN un pattiyon se azaad ho louti toh sabhi ne usse congratulate kiye siwaye MAHI aur MABEL ne....

is baat se ALFREEN ko bohot bura laga par bina koi extra reaction diye wo bhi ACCHUTA aur SLUNDER ke baaju me jaakar khadi ho gayi....

ALFREEN ke baad khada tha ek SAVENT jiske baad khadi thi MABEL aur uske piche tha VALDIS jinke answer bhi ACCHUTA aur SLUNDER ke level ke hi the aur yahi wajah thi ki un sabke answers se bhi quite right ke hisab se GIFTS mile...

in paanchon ke baad sabhi SAVENTS ne apne apne answers diye par kisika bhi answer ABSOLUTELY RIGHT YA PERFECT ANSWER ki catagory ko touch nahi kar paaya..

sabhi ke answers quite right hi rahe aur un sabko GIFTS bhi ussike hisaab se hi mile par ek achi baat ye hui ki ALFREEN ki hi tarah bohot se STELLARS ki REFINER ACTIVATION PROCCESS ki timing 2 minute touch ho chuki thi jisme VALDIS bhi shamil tha aur ab 1 minute ke extra time gift ki wajah se un sabke first REFINER ka averege power activate ho chuka tha...

aur is mile GIFT se sabhi khush dikh rahe the.....

khair,ab baari thi the big three ke performance ki aur isiliye sabse pehle aage badha VIDEOUS aur jaise hi usse un pattiyon ne lapeta toh...

VIDEOUS-MIRACLE hote nahi hain..unhe create kiya jaata hai..

jaise ki jab koi apni doordarshita aur ekaagrata se kisi sarvshaktimaan tak ko jhuka apni baat manwa le,toh woh hai MIRACLE jo hua nahi,balki apni tez buddhi se create kiya gaya hai....

VIDEOUS ke jawab se kaafi impress hue the sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS aur unke saath impress hue thi wo EMBRACER naam ki jhaadiyan aur wo aise ki VIDEOUS ke jawab dete hi unme tezi se blinking shuru ho gayi thi jiska matkab tha ki VIDEOUS ka jawab ABSOLUTELY RIGHT tha aur isiliye tez tez blink karne ke baad jab wo roshni normal hui toh usse ek baar firse ek ray nikal VIDEOUS me sama gayi jiska matlab tha ki VIDEOUS ka SOUL joki second REFINER ke average power tak activate hone ki wajah se 5 percent par tha,woh ab 6 percent ho chuka tha aur saath hi uska second REFINER joki average power tak activate tha,wo bhi ab COMPLETE POWER TAK ACTIVATE ho chuka tha....

GIFT dene ke baad jab pedon hati toh chehre par ek vijayi smile liye VIDEOUS muda aur baaki SAVENTS jinki performance ho chuki thi,us taraf badh gaya..

aur saath hi raaste me me mujhe ek look bhi nahi dena bhula tha woh.

khair, VIDEOUS ki baad aayi baari MAHI ki aur jab aisa hua toh...

MAHI-apni aankhen aisi jagah par kholna,jahan jeene ki ummid tak naa ho par aise situation me bhi naa sirf survive karna,balki life me is kadar excel karna ki har kisi ko piche chhod sabse aage nikal jaana,wo MIRACLE hai....

jaise hi MAHI ne apna jawab diya toh VIDEOUS ke waqt ki hi tarah MAHI ke time par bhi roshni tezi se blink karne lagi jisse jahan ek taraf MAHI aur uske saath baaki sab bhi kaafi khush the,wahin maine ab tak ye gour kiya tha ki ye EMBRACER bande ki life aur uske struggle ko bhi jawab ke waqt anylize karta hai..

yahi kaaran tha ki VIDEOUS aur MAHI,kyunki in dono ki life baakiyon se alag rahi hai, isiliye EMBRACER ne unke jawab aur us jawab ke authenticity ko bhi dhyan me rakha hai..

khair kyunki MAHI ka jawab ABSOLUTELY RIGHT tha, isiliye usse bhi ek nahi do gift mile the..

pehli,uska SOUL ab 9 percent AMPLIFY ho chuka tha aur saath hi uske second REFINER ka averege power bhi ACTIVATE ho chuka tha...

process ke baad MAHI madam bhi VIDEOUS ki hi tarah mujhe ek look deti hui nikli jisse dekh..

MAI man me-ye EMBRACER shakti toh badha raha hai,par saath hi ATTITUDE me bhi chutiyapa insert kar raha hai kya.???

issi soch ke saath mai aage badha par is soch ke khatm hote hi ek nayi soch ne janm liya mere andar...

aur woh ye ki ab mai kya karun...???kyunki jahan tak mai samjha hun,fake aur ratte jawab accept nahi karne waala tha ye EMBRACER....

khair,dekha jaayega waali tark ko aage kar mai bhi aage badha aur un peadon ko chhu liya maine aur aisa hote hi un peado ne lapetna shuru kiya mujhe par aise hote waqt ek ajeeb si gudgudi mehsoos hone lagi mujhe..

is movement ko samajhne ke liye aankhen band kar li maine aur jhaanka apne andar aur jab maine aisa kiya toh maine dekha ki ye mere emotions the jo waise toh meri heart ke aas paas the par ab unme ek thirkan aayi hui thi maano woh mere heart waale area ko capture karna chah rahe hon...

ye dekh mujhe hairani hui par saath hi ek sawal bhi utha mere andar ki aisa abhi hi kyun...???

in pattiyon ke mujhe lapetne ke waqt hi aisa hua tha jiska bhale hi mai maksad nahi samajh paa raha tha par itna toh pakka tha ki ye movement is EMBRACER ki wajah se hi hai aur isiliye man hi man maine apne emotions ko swikriti di aage badhne ki aur aisa hote hi...

mere emotions ki urja ne mere HEART ko khudme lapet kiya aur tabhi....

ek saath teen drishya dikhe mujhe...

1st drishya-ek TEENAGER ka tha..

2nd drishya-ek married women ka..

aur third drishya tha unhi chaar holy places ka jahan mujhe mere emotions mile the..is waqt wahan kayi log pray kar rahe the....

aur is teesre drishya ko dekhte hi ek baat ne strike kiya mujhe...woh baat jisse maine completely nazar andaz kar diya tha...

aur wo baat ye thi ki bhale hi meri rachna PARMESHWAR ke dono putron ne ki hai,ye bhi sach hai ki mere emotions bhi unhone hi chhupayen the mere andar par ek sach ye bhi hai ki in emotions ko bahar VIKRAM ya ASMODEUS ne nahi,balki unke pitah GOD ne nikala hai...

indirectly hi sahi,mere emotions par pehla sparsh THE ONE AND ONLY ALMIGHTY ka tha...

ALMIGHTY GOD,jinke kadamo se saare emotions ke pravah ki shurat hoti hai...

aur is khayal ke aate hi aankh khul gayi meri...ab tak un pattiyon ne gher liya tha mujhe...

wahin mere piche khade sabhi badi excitement se mere answer ka wait kar rahe the...

par in sabke beech MAHI aur VIDEOUS hi do aise shaksh the,jinhe pura yakin tha ki is test aur puche gaye sawal me mera kuch nahi ho paayega....

khair,aankh khol maine ek baar us puri AURA se bhari roshan hue jagah ko dekha aur aisa kar ek baar firse meri aankhen band ho gayi..

aankh band kar ek baar firse maine un teeno drishyon ko dobara dekha yaa fir ye kahun un drishyon ke lamhon ko jiya aur fir hile mere honth....

MAI-chamatkar, miracles,meta physical yaa extraordinary cheez nahi hai,balki wo normal chizen hai jo aajke zamaane me extraordinary ban chuki hai..

jawani ke dehliz me kadam rakhta koi ladka ya ladki....matlab ek teenager.....

jab koi teenager DRUGS ko,NASHE ko naa bol VIDYA ko, SHIKSHA ko haan kehta hai.

THAT'S A TRUE MIRACLE....

jab koi married lady apne ghar me subah sabse pehle uththi hai,apne inlaws ko morning ki tea aur vitamins deti hai,apne bache ko school ke liye taiyar karti hai,khud office jaane ke liye taiyar hoti hai,break fast banati hai,apne saare essentials pure kar office jaati hai,office ke saare kaam systematic way se karti hai,fir ghar aati hai,dinner ready karti hai,khudke problems ko side kar apne husband ke mood swings ko jhelte hue unhe confidence deti hai,aur itne hectic schedule ke baawjud bhi jab wo aurat apne bacche ko sahi sanskaar dena nahi bhulti.

THAT'S A TRUE MIRACLE....

humans hazaron laakhon galtiyan karte hain aur jab un galtiyon ki saza unhe milti ha toh wo GOD ki taraf mudte hain aur khudko nahi balki GOD ko yakin dilane ki koshish karte hain ki agar wo unhe maaf kar den,unki saza kisi tarah khatm karwa den toh woh sudhar jaayenge...

ye jaante hue bhi ki wo HUMAN jhooth bol rahe hain,agar saza se woh bach gaye toh kisina kisi tarah woh dobara galti zaroor karenge...

iske baawjud GOD har human ko maaf karte hain.. itni galtiyan lagatar karte rehne ke baad bhi wo unse pyar karte hain...

THAT'S A TRUE MIRACLE....

ye bol mai chup ho gaya par mera toh bas mooh band hua tha,mere piche khade SAVENTS ka toh sab kuch band ho gaya tha..

mai aisa jawab dunga,ya fir ye kahun ki puche gaye sawal ka aisa bhi jawab ho sakta hai,ye soch nahi tha un sabne..

aur in sabme sabse zyada hairan thi MAHI...usse samajh me nahi aa raga tha ki itni deep aur true to heart thinking meri kaise ho sakti hai...???

wahin uske baaju me khada VIDEOUS toh jaise sakte me aa gaya tha..usse meri baatein sirf sunayi hi nahi di thi,balki mera kaha har shabd uske kaano me hathode ki tarah gunja tha..

khair,saanu ki....

apne jawab ko de jab maine apni aankhen kholi toh paaya ki woh pura area tez roshni se naha chuka hai..ye roshni itni zyada thi ki kisko bhi mai nazar nahi aa raha tha par saath hi saath woh sabhi is tez lagatar jal rahe roshni ko dekh iske yun jagmane ka reason jaan gaye the aur isiliye hi jab woh pura area us tez roshni se jagmagaya toh uska kaaran samajh sabke mooh se ek saath nikla...

PERFECT ANSWER.....

haan,ye perfect answer hi tha aur woh isiliye kyunki mujhe apne andar ek behad strong energy ki pravah mehoos ho rahi thi jiska matlab tha ki ab naa sirf mera SOUL 6 percent tak AMPLIFY ho chuka hai aur mera second REFINER bhi COMPLETE POWER TAK ACTIVATE ho chuka hai balki saath saath the most important thing,mere emotions ko bhi 10 percent tak stability mil chuki hai..

waise toh in saari achievements ke waqt pain hota hai par kyunki abhi ye ek GIFT thi, isiliye ek behad sukoon bhara ehsaas ho raha tha mujhe jiski wajah se meri aankhen ek baar firse band hui aur mere labh ek baar fir hile par is baar dheere se....

MAI-

in roshniyon ki chakachowndh ne
jo aaj mujhe GHERA HAI...

ehsaason ki samajh se mukammal hua ye tohfa, diya gaya toh TERA HAI....

ye toh khabar nahi ki kya hone waala hai aage,

par is baat ka sukoon hai,ki kamsekam ye waqt toh sirf MERA HAI....

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V...J.....
mind blowing... Fabulous update...
 
Top