• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

23n24

Member
432
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ EK BAAR PHIRSE EMOTIONAL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF MAHI AUR GRIFFIN BOULEVARD KE TEESRI AUR AAKHRI CHUNOUTI JOKI MAYAVI VIDEOUS HAI,USKE SAMNE KHADE HAIN...

AB AAGE:-

CHAPTER-3

( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE )

UPDATE-129

PLACE-INSIDE BOULEVARD

KAISI HO MAHI....????

us cloud cover se nikle mayavi VIDEOUS ke mooh se nikli ye baat jisse sun chup hi rahi MAHI jispar...

VIDEOUS-kya baat hai..???itni khamosh...!!!jiski wajah se tum is kahani ka hissa ho, ussi se berukhi...!!!

MAHI-tum sach nahi ho...

VIDEOUS-sahi kaha...tumhare hi PITAH dwara rachi ek maaya hun mai..

par saath hi mai woh jhooth hun jiska asar mere is roop ke asli sach ka hai...

mujhe paar karte hi tum SHIELD cross kar paaogii,but trust me,ye asaan nahi hone waala...

jaanti ho kyun..???

tumhare PITAH ki ek baat bohot achi hai...woh bhedbhaav nahi karte...naa hi cheezen asaan karte hain,bhale hi saamne unki beti hi kyun naa hon...???

dekho naa,sirf ek maaya hun mai,par nirman mera waisa hi kiya hai unhone jaisa asli VIDEOUS ka hai...

aur itna toh tum ab tak jaan hi gayi hogi ki VIDEOUS ka dimag kitna tez aur khatarnaak hai...

aur agar nahi samjhi ho, toh ab samajh jaaogi...

toh chalo, apni chunouti sun aur samajh lo...

kyunki tumne abhi tak apni aloukikta haasil nahi ki hai, isiliye tum aur tumhara ye ansh GRIFFIN mujhse ek pyscical battle karoge....

aisa karte waqt mere piche aur tum dono ke saamne lagi ye SHIELD khul jaayegi...

par pura khulne ke baad phir kaafi dheere dheere kisi darwaze ki tarah
ye SHIELD band bhi ho jaayegi...

is SHIELD ke band hone se pehle isse paar kar GALEN pahunchne ke MAHI tumhare paas kul do raaste hain...

pehla,mujhe harao aur aage badh jaao...

dusra tarika kaafi interesting hai aur mera favourite bhi....

agar SHIELD ke band hone se pehle tum mujhe naa bhi hara paayi toh bhi mujhse hokar tum aage badh sakti ho...

par uske liye tumhe apne is ansh GRIFFIN ko maarna hoga...

MAHI-what...???mai aisa kabhi nahi karungi...

shock hote hue kahi ye baat MAHI ne jispar..

VIDEOUS-tumhari marzi... par agar tumne aisa nahi kiya toh phir ye jagah puri tarah nasht ho jaayegi aur tum wapas ASTER pahunch jaaogi..

aur agar aisa ho gaya toh tum RAAZ tak kabhi nahi pahunch paaogi...

iska matlab jaanti ho naa tum...!!!

agar tum RAAZ tak nahi pahunchi toh uski memory kabhi nahi loutegi..

result,woh wahin GALEN me hi hamesha ke liye kaid hokar reh jaayega aur bina lade hi VIDEOUS jeet jaayega...

mayavi VIDEOUS ki baat sun tention me aa gayi thi MAHI jisse feel kar..

GRIFFIN-MAHI..negetive kyun ho rahi hai...???tumhe aage jaakar isse bohot zyada bade imtihaan dene hain...

isiliye panick karna chhodo aur focus karo..tumhe har haal me is chunouti ko paar karte hue GALEN pahunchna hai...

GRIFFIN ki baat sunane ke baad bhi MAHI kuch der yunhi ashaant man se khadi rahi par phir khudko relax kar..

MAHI-mai taiyar hun....

VIDEOUS-great.... toh shuru karte hain...

apni baat bolte bolte apne haathon ko tezi se lehrate hue MAHI aur GRIFFIN ki taraf tezi se aage badha VIDEOUS aur....

DHAAKKK....

VIDEOUS ke apne haathon ko ghumane se ek behadh hi strong push force generate hui jiske asar se piche ki taraf udte hue gire dono MAHI aur GRIFFIN par girte hi woh dono turant khade bhi ho gaye ho aur...

MAHI-tumne toh kaha tha ki ye ek pyscical battle hogi...!!!

VIDEOUS-aur ye wahi hai..jis force se tum dono gire ho,woh mere haathon ki taakat se hi generate hui hai...

ab chote baccho ki tarah complaint karna band karo and get on with it...

VIDEOUS ki baat khatm bhi nahi hui thi ki tabhi GRIFFIN zigzag pattern me chhalang maarti hui uski taraf tezi se badhi..

wahin MAHI bhi tezi se aage badhi..

aage badhte hue MAHI dekh rahi thi ki jaisa us mayavi VIDEOUS ne kaha tha,wahi ho raha hai..

VIDEOUS ke peeche open ho chuki SHIELD ab dheere dheere wapas band ho rahi hai....

ye dekhte hue MAHI VIDEOUS ke kareeb pahunch chuki thi...wahin GRIFFIN bhi zigzag pattern lete hue VIDEOUS ke upar chhalang laga chuki thi...

aur jab usne aisa kiya toh theek ussi waqt MAHI VIDEOUS ke neeche se slide karti hui uske dusri taraf nikalne lagi..

ye ek sochi samjhi strategy thi jo apas me jude hue hone ki wajah se MAHI aur GRIFFIN ne apne apne dimag me hi bana li thi...

plan unka simple tha.. GRIFFIN VIDEOUS par challang lagate hue upar se attack karne waali thi aur theek ussi waqt MAHI neeche se slide karte hue aage badhne waali thi..

ek hi time me hue is attack numa harkat ki wajah se VIDEOUS kisi ek ko hi dodge de paayega aur ussi waqt dusra usse paar karte hue SHIELD ke paar chala jaayega..

resulting,WIN...

ye plan tha un dono ka par woh dono bhul gayi ki saamne mayavi hi sahi par VIDEOUS khada tha...

jaise hi un dono ne neeche aur upar,dono taraf se ek saath attack kiya toh VIDEOUS muskura utha...

apne pair par pressure daalte hue VIDEOUS ne khudko ek halka sa jhatka diya jiski wajah se uska sharir hawa me tezi se circulate hokar ghum gaya..

yunhi ghumte hue VIDEOUS ne apna ek haath upar aur dusra haath neeche kiya jiske baad uske upar waale haath me GRIFFIN ki lambi si gardan aur neeche waale haath me MAHI ki gardan aa gayi...

aisa hote hi usne un dono ko wapas jahan se dono chale the,us taraf jhatka diye...

MAHI aur GRIFFIN,dono ko kuch samajh aata usse pehle hi woh dono wapas apne pichli position me pahunchkar gir chuke the...

VIDEOUS-koshish achi thi,plan bhi par speed behadh kam...

anyways is baar kuch alag try karte hain..

apni baat bol VIDEOUS ne apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi uske haath ke beech se kul do SWORD bahar nikli jisme se ek ko toh usne khud pakad li aur dusri jaakar giri MAHI ke aage jiske baad...

VIDEOUS-uthao talwar MAHI and don't just try to hit me,hit me..aur GRIFFIN,distract me taaki tumhari MISTRESS ka waar mujhe lag paaye...

VIDEOUS ki baat sun MAHI ne ek baar MAHI ki taraf dekha aur phir khudko tedha karte hue side jump maar VIDEOUS ki taraf ucchal padi...

wahin uske aisa karte hie MAHI ki body bhi teer ki tarah aage hawa me ud si gayi..

abhi scene kuch aisa tha ki GRIFFIN ke tedhe hone ko wajah se VIDEOUS ka saamne ka view blocked tha..

wahin VIDEOUS ke paas pahunchte hi GRIFFIN ke pair neeche zamin par gaye jiske baad woh khudko jhatka dete hue upar hawa me uth gayi..

ye sab hote waqt MAHI joki ek teer ka shape liye aur apni talwar aage kiya hawa me aage badh rahi thi,woh GRIFFIN ke behadh paas pahunch chuki thi...

aur jab GRIFFIN upar ucchli toh usse cross karte hue MAHI aur uske aage ki hui talwar VIDEOUS ke just saamne pahunch chuki thi par isse pehle ki woh talwar VIDEOUS ke chest ko bhedh paati, VIDEOUS ne apni talwar apne chest ke beecho beech waale area ke theek aage rakh di aur uske aisa karte hi..

TANNNN...

MAHI ke talwar ki nok VIDEOUS ke talwar ke beecho beech takrayi jiske baad...

VIDEOUS ka haath bijli se bhi tez move kiya aur aisa hote hi usne ek behadh tez attack kiya MAHI ke sword par aur jab aisa hua toh talwar ke saath saath MAHI ka haath tak jhanjhana utha aur woh kuch kadam piche hath gayi..

MAHI ab tak samajh chuki thi ki uske saamne khada mayavi VIDEOUS bhi filhal usse bohot zyada strong hai, pysically bhi aur mentally bhi...

saath hi uske chehre par dar aur pareshani bhi dikhne lagi thi..

reason...

VIDEOUS ke piche laga shield band hone hi waala tha..kuch seconds aur,jiske baad woh raasta hamesha ke liye band ho jaane waala tha..

MAHI ke chehre par aayi pareshani aur uski wajah uske baaju me khadi GRIFFIN se bhi chuppe nahi the aur isiliye kuch faisla kiya usne..

GRIFFIN-MAHI...ek idea hai..apne talwar ko strongly hold karo..waise hi jaise ek strong block me kiya jaata hai..

GRIFFIN ki baat aur idea samajh toh nahi MAHI ko par kyunki abhi waqt bohot kam bacha tha, isiliye bina koi sawal kiye usne waisa hi kaha jaisa GRIFFIN ne kaha..

MAHI ne strongly apne talwar ko pakad liya par aisa kar woh aage kya karna hai,ye GRIFFIN se puch paati ki tabhi kuch aisa hua jo usne socha nahi tha..

GRIFFIN-sorry MAHI...

GRIFFIN ki baat ka matlab MAHI samajh paati ki tabhi...

KHACCHHHHH....GRIFFINNNN.....

ek tez cheekh nikli MAHI ke mooh se...

reason....

GRIFFIN bijli ki tezi se aage badhi aur usne apne gardan ko MAHI ke strong grip ke beech pakde talwar ki dhaar par push kar diya jiske agle hi pal uski gardan kat chuki thi....

is scene ko dekh naa sirf MAHI ki cheekh nikli aur uski aankhen pathra si gayi, balki saath hi saath kyunki GRIFFIN uska hi ansh tha, isiliye uske is kadam se pyscically bhi MAHI ke sharir ko ek tez jhatka laga jiske prabhav se woh neeche gir gayi...

uske sharir me jaise jaan hi nahi bachi thi aur ussi condition me woh GRIFFIN ke kate hue sir ko dekh rahi thi...

wahin iske saamne khada VIDEOUS is scene ko dekh naa sirf hasne laga balki saath hi saath kyunki MAHI ne sharth puri kar di thi,isiliye uski body bhi spirit form me badalne lagi aur aisa hote waqt...

VIDEOUS-congrats MAHI...tumne apna aakhri hurdle paar kiya...ab maatam manana chhodo aur utho..

dekho, GRIFFIN ki kurbani ki wajah se band hota SHIELD ek baar phirse khul chuka hai...

par BOULEVARD jahan tum ho,ye ek chhupa hua raasta hai aur isiliye ye SHIELD hamesha ke liye khula nahi reh sakta...

ye bohot jald wapas band ho jaayega...isiliye utho...sunya ko ghurna chhodo aur jo beet gaya,usse bhul jaao..

jo dikh raha hai,usse samjho,aur haalat ka saamna karo...

yunhi pathrayi aankhon se VIDEOUS ko joki spirit form me badalne ke baad ab dheere dheere gayab hota jaa raha tha,usse dekhe jaa rahi thi MAHI aur aisa karte waqt uska dimag joki fused haalat me tha, usne bhi dobara kaam karna shuru kar diya tha..

but problem ye thi ki mayavi VIDEOUS ke gayab hone ke baad uske piche laga SHIELD jo filhal toh khula tha,but unlike last time,is baar tezi se band ho raha tha..

infact ab tak wo darwaza 90 percent tak band ho chuka tha aur isiliye ek baar GRIFFIN ke kate sir ko dard bhari nazaron se dekh MAHI SHIELD ki taraf badh gayi par shield tak woh pahunche,isse pehle hi woh SHIELD lagbhag puri band ho chuki thi jisse dekh MAHI ki usse paar karne ki ummid lagbhag khatm ho gayi par tabhi...

MAHI ne dekha ki us 99 percent band ho chuke SHIELD ke beech ek panja aakar tik gaya tha..itna hi nahi,us panje ne us SHIELD ko jhatka sa diya jiske baad woh shield halki si aur khul gayi aur jab aisa hua toh ek bada sa sir us darwaaze numa SHIELD ke beech aakar ek halt ki tarah tik gaya....

ye sir aur kisika nahi balki WOOGER ka tha joki shuruat se hi GALEN ke us area me jahan us BOULEVARD ka exit tha,jisse usne MAHI ke dimag me jhaank kar dekh liya tha,wahan khada tha aur phir jab usne dekha ki woh SHIELD band ho raha hai,toh us shield ko band hone se pehle hi woh uske beech me ek stopper ki tarah aakar khada ho gaya tha..

khair,MAHI WOOGER ko dekh hi rahi thi ki..

WOOGER-jaldi karo MAHI..mai zyada der tak isse rok kar nahi rakh sakta...

WOOGER ki baat sun MAHI tezi se aage badhi aur uske upar se cross forward air summersalt maarte hue SHIELD ke dusri taraf matlab GALEN ki dharti par pahunch gayi aur aisa hote hi WOOGER ne bhi us SHIELD se apni chehre ko piche kheench liya aur uske aisa karte hi SHIELD aur woh BOULEVARD naam ke raasta band hokar ek baar phirse gayab ho gaya...

INSIDE BOULEVARD:-

WOOGER ke sir piche karne se jaise hi shield wapas band hui aur BOULEVARD phirse adrishya hua toh ek baar phirse gayab hue woh MAYAVI VIDEOUS apni pehle waali jagah par prakat hue..

par ye kya,is waqt woh ek naye ROOP me the aur face par thi unki ek behatarin muskaan..

nazar unki shield ki taraf hi thi aur aisa lag raha tha maano unki aankhen us band SHIELD ke dusri taraf bhi araam se dekh paa rahi thi..

khair,kuch der tak muskurate rehne ke baad..

PROUD OF YOU KIDDO...

ye baat bol WOH gayab ho gaye...

PLANET-GALEN

PLACE- THE MYSTIC FOREST

WOOGER-udaas kyun ho..???

apne sir ko bahar nikalne ke baad jab WOOGER palta toh MAHI ko neeche baitha paaya..

is waqt MAHI kaafi udaas dikh rahi thi jisse dekh kahi ye baat WOOGER ne jispar...

MAHI-GRIFFIN nahi rahi...

WOOGER-accha.. toh phir woh tumhare saamne kaun hai..??? GRIFFIN ka bhoot...!!!

WOOGER ki baat sun MAHI ka sir ek jhatke me upar hua aur aisa hote hi usse laga jhatka..par is baar laga jhatka khushi se bhara hua tha..

REASON....

MAHI ke saamne GRIFFIN jo khadi thi aur woh bhi zinda..

GRIFFIN ko dekh MAHI turant uski taraf badhi aur uske gardan ke ird gird apni baahein lapet li..

kuch der tak yunhi emotional rehne ke baad MAHI GRIFFIN se alag hui aur...

MAHI-tum zinda ho....???kaise..???i mean tumne toh mere saamne hi apni jaan le li thi...

GRIFFIN-woh mai nahi thi MAHI..woh ek maaya tha jisse BOULEVARD me tumhare saath rehne ke liye racha gaya tha...

mai toh ASTER se sidhe yahan GALEN pahunchi thi...

MAHI-mai samjhi nahi...waisa karne ki kya zaroorat padh gayi thi...??aur WOOGER,jab tum GRIFFIN ko directly yahan GALEN me laa sakte the toh mujhe kyun nahi...???

WOOGER-mai GRIFFIN ko yahan nahi laaya..jo PATH GUIDE maine create kiya tha,woh tum dono ko BOULEVARD bhejne ke liye hi tha but kisine GRIFFIN ko directly GALEN me hi entry dilwa di aur uski jagah iske ek CLONE ko tumhare saath bheja...

GRIFFIN-aur ye isiliye kiya gaya MAHI kyunki BOULEVARD ek pure WHITE ENERGY se bani hui jagah hai aur kyunki mai tumhari urja se bani hun, isiliye waisi jagah par automatically meri shaktiyan badh jaati hai..

aise me mujhe BOULEVARD ke saare hurdles aur unse nibatne ke tarike apne aap pata chal jaate..

phir usme challenge kaisa..?? isiliye woh MAYAVI VIDEOUS jinse tum aur mera clone ladh rahe the, unhone pehle hi mujhe yahan bhej diya taaki woh tumhari aakhri rookawat ban tumhe ache se dekh saken...

MAHI-mujhe ache se dekh saken..??kyun..???

GRIFFIN-woh MAYAVI VIDEOUS aur koi nahi balki tumhare PITAH the MAHI...the one & only LORD OF ANGELS....

GRIFFIN ki baat sun trance me chali gayi thi MAHI...

stabdh si chupchaap woh khadi reh gayi thi...jinse dheron shikayat karna,ladhna,gale lag rona, pehli baar milne par ye saari chizen karna chahti thi MAHI,woh aisa kuch bhi kar nahi paayi thi....

woh toh apne PITAH ko pehchan bhi nahi paayi..itna hi nahi,apne pitah se hui pehli mulakat me woh unhi se yudh kar baithi thi...

jahan ye sab soch rahi thi MAHI wahin apni baat ko aage badhate hue..

GRIFFIN-waise ek sawal mera bhi hai tumse WOOGER...kya tum isiliye humare saath nahi aaye the taaki yahan rehkar SHIELD ko bahar se band hone se rok sako...

WOOGER-mere MASTER ki yaadasht ko supress kiya hai tumhari MISTRESS ne...

toh jab tak ye apni energy ke kan mere MASTER se nikal nahi leti,isse bachana majboori hai meri....

kahan ye sochkar khush ho rahi thi GRIFFIN ki WOOGER ne unki dil se madad ki thi par ye bhi usne apne matlab ke liye kiya tha,ye jaankar uska mood off ho gaya..

wahin WOOGER ki baat sun MAHI bhi apni sochon se bahar aa gayi thi isiliye..

MAHI-phir der kis baat ki..?? chalo,tumhare MASTER ke dimag se mere shaktiyon ke particles extract kar unki yaadasht wapas laate hain...

waise hain kahan woh janab abhi...!!!

WOOGER-mere peeche aao...

jahan apni baat bol WOOGER
ek disha ki taraf badh gaya wahin MAHI aur GRIFFIN bhi uske piche ho li...

PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE

YE RAAZ PHIR GAYAB HO GAYA HAI...PATA NAHI KYUN ITNA GHUMTA REHTA HAI YE...???

apni baat bol ERRAPEL ne khudko RAAZ se joda aur aisa karne par jab usse RAAZ ki location mili jisse woh halki ghabra si gayi..

reason..

aa toh RAAZ uske ghar ki taraf hi tha par tha woh is waqt ussi area me jahan kuch din pehle NIMRODS ne usse pakda tha..

ye sab jaan ERRAPEL aanan faanan me tezi se apne cottage se nikalte hue sidhiyon se neeche utri par tabhi..

ALFREEN.....

ek awaaz ne uske kadam turant rok diye the...

aur jaise hi woh us pukare gaye naam ke disha me palti toh paaya ki ek khubsurat si ladki usse hi dekh rahi hai...

ye ladki aur koi nahi MAHI thi jisse ERRAPEL dekhte hi pehchaan gayi thi...

kaise..??

kyunki ek toh MAHI ki asli pehchaan...LORD OF ANGELS ka ansh..

aur dusri baat MAHI ka RAAZ ke liye pyar..

ab ERRAPEL toh bani hi RAAZ ke emotions power se thi,toh aise me RAAZ ko jo sabse zyada dil se pasand karta tha,usse jaanana, pehchaanana toh uske liye kaafi asaan tha...

wahin MAHI jo pehle hi ERRAPEL ki asliyat se waakif thi,par us sach ko jaanane ke baad bhi usne usse ALFREEN isiliye kaha tha kyunki ERRAPEL hubahu ALFREEN ki xerox jo thi...

is beech ERRAPEL ke dimag se RAAZ aur uski location jaise gayab hi ho gayi thi...

kuch pal yunhi ek dusre ko dekhte rehne ke baad ERRAPEL aur MAHI, dono ek dusre ke paas aayi aur..

ERRAPEL-mai ALFREEN nahi,

MAHI-ERRAPEL ho..jaanti hun...woh kya hai naa ki itna dino baad apni best friend ke face ko dekha toh ussika ka naam nikal gaya..

MAHI ki baat sun muskurayi ERRAPEL aur...

ERRAPEL-isne bataya mere baare me...!!!

WOOGER ki taraf joki is waqt GRIFFIN ki hi tarah invisible state me tha,uski taraf ishara karte hue kahi ye baat ERRAPEL ne jispar..

MAHI-tum RAAZ ka woh hissa ho(EMOTIONS)jisme mai khudko dekhna chahti hun..phir bhala kaise naa pehchaanu tumhe..!!!!

MAHI ki baat par ERRAPEL muskura di jiske baad...

MAHI-waise tum WOOGER ko iske invisible state me bhi dekh sakti ho....???

ERRAPEL-RAAZ ka hi toh urja hai ye...isse kisi bhi form ne pehchaan sakti hun mai...

waise tum invisible kyun ho..???

WOOGER-MASTER ki memory louti nahi hai.. toh aise me mujhe dekhna unke liye sahi nahi hoga...dar jaayenge woh..

ERRAPEL-arre waah...RAAZ ki urja hone ke baad bhi hoshiyar ho tum...!!!

WOOGER-MASTER ka hissa hone ke baad bhi bewakuf ho tum toh aise me bharpaayi
toh mujhe hi karni padegi naa..

WOOGER ki baat sun jahan MAHI halke se muskura uthi wahin ERRAPEL ne usse ghoor kar dekha par WOOGER ko is baat se naa koi fark padna tha,naahi pada par isse pehle ki koi aur kuch kehta...

WOOGER-MASTER aa rahe hain...

WOOGER ki baat sun kisi aur ko toh zyada kuch laga nahi par MAHI ke dil ki dhadkan badh gayi..

uski nazar bhi us taraf hi thi jahan se is waqt RAAZ usse aata hua dikhayi diya..

aur aisa hote hi uske kadam apne aap RAAZ ki taraf badh gaye...

ERRAPEL, GRIFFIN dono hi MAHI ke dilli haalat se waakif the, isiliye woh apni jagah par shaant hi khade rahe par MAHI ko apne MASTER ki taraf badhta dekh WOOGER halka sa has pada aur...

WOOGER-MAHI ko directly MASTER ke saamne nahi jaana chahiye tha...

ERRAPEL) GRIFFIN-matlab...!!!

WOOGER-khud dekh lo...

saamne MAHI ki taraf ishara karte hue joki RAAZ ke kareeb pahunch hi chuki thi,kahi ye baat WOOGER ne..

wahin jab ghumte hue mai wapas ERRAPEL ke cottage ke kareeb pahuncha toh maine ek anjaani ladki ko apni taraf aata hua dekha...

door thi filhal woh mujhse isiliye chehra uska clear nahi tha par jaise jaise mai aage badhta gaya,uska chehra mujhe saaf dikhne laga...

waise toh anjaan hi tha us ladki ka chehra mere liye par pata nahi kyun,usse dekhte hi mere dimag me ek negetive harkat hone lagi...

us ladki se mere BRAIN ko ek pehchaani si AURA feel hone lagi par jab aisa hua toh mujhe aisa lagne laga jaise mere andar koi aur hai jo mere dimag ko capture kar raha hai...

is beech woh ladki mere behadh kareeb aa gayi thi aur jab aisa hua toh mera brain completely blank ho gaya aur....

DHAKKKHH.... UMMM....UMMMMM...

MAHI ke kareeb aate hi RAAZ ne uski gardan pakad li aur usse hawa me utha liya...

RAAZ ki grip itni strong thi ki MAHI usse chhut nahi paa rahi thi aur saath hi saath uska dum bhi badi tezi se ghutne laga..

wahin jab is scene ko ERRAPEL aur GRIFFIN ne dekha toh woh dono naa sirf WOOGER ki kahi baat ka matlab samjhe balki hadbadate hue tezi se RAAZ aur MAHI ki taraf badh chale...

ERRAPEL toh bas saamne chal rahe scene ko dekh pareshan thi par GRIFFIN ko RAAZ ki harkat par ghussa aa gaya tha aur woh usse sabak sikhane ke liye invisible mode me hi challang lagane waali thi par tabhi...

WOOGER ne GRIFFIN par challang laga di jiske agle hi pal uski lambi gardan WOOGER ke bade se panje ke neeche thi...

wahin ERRAPEL bhi jaise hi RAAZ ke paas pahunchi toh...

WOOGER-agar MASTER ko tune touch kiya toh phir kuch aur touch karne ke liye zinda nahi bachegi tu....

chand saansein bachi hai teri,unhe bache hi rehne de..

aur tu,hilna band kar warna kuch der pehle jaise BOULEVARD me tere clone ka sir dhadh se alag hua tha,ab tera ho jaayega...

WOOGER ki baat sun GRIFFIN ka chattpatana bhi band ho gaya aur ERRAPEL ka aage badhna bhi..

par ERRAPEL ne apni aankhen zaroor band ki aur apne EMOTIONS ki ek strong urja RAAZ ke taraf uda di...

wahin in sabke beech MAHI ki aankhein palatne lagi thi aur usse is haalat me pahunchane waale RAAZ ke face par koi expressions nahi the...

MAHI ki saansein kabhi bhi band ho sakti thi par tabhi...

ERRAPEL ka release kiya EMOTIONS AURA sidhe jaakar RAAZ ke brain se takraya jiske baad RAAZ ko laga jhatka aur uske haathon ki grip dheeli hone lag gayi..

kuch hi seconds me MAHI uske haathon se chhut chuki thi aur RAAZ neeche girkar behosh ho chuka tha...

KHHHONNNN...KHHONNNNN....

kaafi der tak khaanste hue apne saanson ko durust karti rahi MAHI..

ERRAPEL bhi uske peeth ko halke halke sehla rahi thi...

WOOGER ne apna panja GRIFFIN ke gardan se hata diya tha jiska baad woh khadi hokar usse hi ghure jaa rahi thi..

khair, WOOGER aage badha aur apne energy se RAAZ ko hawa me utha usse apne bade se peeth me ladh cottage ke andar usse letane ke liye le gaya aur usse sofe me hi letakar woh wapas aa gaya..

itni der me MAHI kaafi hadh tak theek ho gayi thi aur isiliye...

MAHI-ye kya hua tha RAAZ ko...??usne mujhpar attack kyun kiya..???

WOOGER-PITAH ki jaaydad hi nahi,bacchon ko unke karm ke nateeje bhi virasat me milte hain.

MAHI-matlab..???

WOOGER-tum ye bhul gayi thi ki MASTER ke brain me tumhari ANGEL PARTICLES moujud hain jinhone unke devilish side aur energy ko rok ke rakha hua hai..

par tumhe dekh aur tumse aa rahe tumhare PITAH ke vibe ko MASTER bhuli hui memory ke dabe hue ghusse ne pehchaan liya jiski wajah se woh devilish energy kisi tarah tumhare particles ko dhakka dete hue bahar aa gayi..

nateeja,hum sabne dekha aur tumne mehsoos kiya...

MAHI-toh kya mai jab bhi RAAZ ke saamne jaaungi,toh aisa hi hoga...!!!

WOOGER-short circuit baar baar nahi hota...is ERRAPEL ne jo AURA release kiya tha,uski wajah se MASTER ka negetive aur devilish side wapas supress ho chuka hai aur ab jab tak MASTER ki memory loutkar nahi aati,woh daba hua hi rahega...

GRIFFIN-jo tumhari jaan lene waala tha,tum usse uski yaadasht loutane yahan aayi ho...!!!!

bade negetive andaz me kahi ye baat GRIFFIN ne jispar..

MAHI-uske maa baap mare hain GRIFFIN..woh bhi ussi ke haathon..

aur kahin naa kahin aisa hone ke piche mere pitah ka haath toh hai hi...

wajah bhale hi universe ke liye profitable ho par ek bete ke liye toh uske maa baap hi pure universe hote hain aur RAAZ ka woh universe ussike haathon khatm kiya gaya hai...

agar mujhe taklif dekar hi uski taklif kam hoti hai,toh yahi sahi....

ye bol MAHI palti aur RAAZ ke paas jaane ke liye cottage ki taraf badh gayi...

jahan WOOGER aur GRIFFIN bhi uske saath hi the wahin ERRAPEL MAHI ki baat ko sun kuch der sochti rahi par phir...

ERRAPEL-agar RAAZ baaki sabko taklif pahunchane waala hai toh aisa karne ka result usse bhi chukana hoga...

ERRAPEL tumhe tumhari puri EMOTIONS ki shakti kab tak degi, RAAZ ye tay karega tumhara ATTITUDE..

PLACE-THE FROZEN LAKE

YE RAAZ WAHAN KYA KAR RAHA HAI...????

MAHI ne pucha tha ye sawal ERRAPEL se...

reason....

jame hue LAKE ke kinare ek bade se pedh ka ot liye doobte hue suraj ko dekh raha tha RAAZ...

jab RAAZ ke hosh me aane ka waqt aaya toh WOOGER ne ye baat MAHI ko bata di thi,jiske baad woh woh dusre kamre me chali gayi thi..

tab se lekar abhi tak MAHI dobara RAAZ ke saamne nahi gayi thi...

aur abhi bhi door se RAAZ ko dekhte hue pucha tha ye sawal MAHI ne jispar...

ERRAPEL-ye har shaam wahan jaakar baith jaata hai aur us jame hue jheel aur doobte suraj ko dekh koi dhun gungunaate rehta hai..

MAHI-dhun..as in song k tune.. really...!!!wow..!!!mai sunana chahti hun...par uske saamne jaana..!!!!

WOOGER-jaa sakti ho unke saamne..jo hona tha,woh ho chuka..ab waisa kuch nahi hoga..

infact, filhal toh jo kuch ghante pehle hua,uske liye MASTER sharminda bhi hain...

WOOGER ki baat sun MAHI RAAZ ki taraf badh chali aur kuch hi der me woh theek uske peeche thi aur jab aisa hua toh...

HM HMM HM,HM HMM HM,HMM HM HMM HM...

HM HMM HM,HM,HM,HMMHM HMM HM.....

ye dhun padi MAHI ke kaano me jisse sun..

MAHI-nice tune...

is naye awaaz ko sun mai piche palta aur aisa karte hi mere saamne wahi chehra tha jiske gale ko najaane kyun par kuch der pehle daba diya tha maine aur jiski wajah se mujhe andar hi andar bohot zyada guilt feel ho raha tha...

aur ab jab woh ladki saamne thi,toh mai usse nazarein nahi mila paa raha tha..

shayad woh ladki bhi mere manobhaav samajh gayi thi isiliye..

MAHI-relax RAAZ..jo tumne kiya,woh ek flow of the moment tha...

aur waisa hone ka ek valid reason bhi tha...

MAI-kya tum mere bhule hue past ka koi galat pehlu ho jiski wajah se maine woh kiya jo kiya...

MAHI-mai us ped ka phal hun jisne tumse tumhari chhaya chhin li...

RAAZ-mai samjha nahi...

MAHI-samjhi toh mai bhi nahi hun..par shayad kuch naa samajh paana hi hum dono ki niyati hai..

MAI-par bina samjhe tark ka koi arth nahi hota..

MAHI-aur kabhi kabhi arth toh hota hai par usse darshaane ke liye tark nahi hota...

hum dono ka case kuch waisa hi hai...

MAI-kya hum dost hain...????

MAHI-shayad haan...

MAI-yaa shayad nahi...

MAHI-aur woh bhala kyun...???

MAI-agar rishton me bhi exclamation mark lagne lage toh woh rishte hote hi nahi...

MAHI-rishte do tarfa hote hai RAAZ...ek maane aur dusra nahi toh aise me full stop nahi, exclamation hi lagana padta hai....

MAHI ki baat par mai halka sa muskura diya jisse dekh...

MAHI-kya hua..??

MAI-tumhari baaton ko sun aisa lagta hai jaise humare case me exclamation mark maine hi lagaya hai...

meri baat sun MAHI bhi muskura uthi jiske baad...

MAHI-waise jab tumne mujhe dekha tha toh guilt mehsoos kiya tha par abhi tak tumne sorry nahi kaha...

MAI-sorry....

MAHI-apology not excepted..

us ladki ke yun kehne par maine kuch kaha nahi,bas nazarein saamne kar li jispar...

MAHI-waise ek tarika hai jisse mai tumhe maaf kar sakti hun...

MAI-batao phir...

MAHI-mai jab aayi toh tum koi dhun gunguna rahe the..us dhun ke bol gaado,mai maaf kar dungi....

MAI-ajeeb baat hai...subah dimag shaant tha mera, par tumhe dekhte hi bechaini hone lag gayi thi par abhi dil bechain tha,par tumhe dekha toh shaant ho gaya...

MAHI-is baat ka meri farmaish se kya lena dena..???

MAI-dil ko jab sukoon aata hai naa,toh har dhun ko alfaaz mil hi jaate hain...

mujhe bhi mil gaya...

MAHI-really...???toh sunao phir....

MAI-rehne do..udaas ho jaaogi...

MAHI-kabhi kabhi udaasi khushi se zyada sukoon deti hai..

MAI-naam kya hai tumhara...???

MAHI-MAHI....

MAI-sach kaha tha tumne... aakhen tumhari udaas hai par naam sukoon se bhara hai...

MAHI-compliment ho gayi ho toh gaana ho jaaye...

MAI-

aaj phir shaame tanhaayi jaagi....
aaj phir ek aansu GIRA GIRA HAI...(2)

baarish naa bhigaayi zamee ko,(2)
ek aansu se aaj ye GILA HAI...
.
.

dard itni uthi hai SEENE ME...
mushkil ho rahi hai JEENE ME...

ro rokar magar JEE RAHA HUN...
khudke aansu me aaj PEE RAHA HUN...

dil me aaj uth raha ek NASHA HAI,
tujhko chaah ke bas gum hi MILA HAI....
.
.

aaj phir, aaj phir,haan aaj phir shaame tanhaayi jaagi....
aaj phir ek aansu GIRA HAI.....

baarish naa bhigaayi zamee ko,(2)
ek aansu se aaj ye GILA HAI...

(COPYRIGHT V..J)

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V....J......
As always speechless amazing update.
 
Asif khan

Well-Known Member
6,212
18,512
188
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KI PYSICAL POWER REGAIN HO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF ERRAPEL EK BACCHE KI JAAN BACHATI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE &THE PERFECT EPILOGUE)

UPDATE-128

PLACE-ASTER

TUM DONO PLEASE LADNA BAND KAROGE AB....!!!!

kisi na kisi baat par lagatar zubani ladh rahe WOOGER aur GRIFFIN se kahi thi ye baat MAHI ne...

apni power regain karte waqt kuch glimpses dikhe the MAHI ko jisse dekh usse aage kya karna hai,ye pata chal chuka tha....

unhi sab chizon ke baare me soch rahi thi MAHI par WOOGER aur GRIFFIN ke beech tu tu mai mai ki wajah se woh theek se concentrate nahi kar paa rahi aur isiliye usne woh kaha jo kaha jisse sun...

GRIFFIN-mai nahi ladh rahi MAHI..ye WOOGER meri har baat ko galat bata raha hai aur lagatar mujhe pinch kar raha hai...

WOOGER-haan sahi kaha...sab mai hi kar raha hun,tum toh doodh ki dhuli hui ho....

bhale meri baaton me joki mujhse aur mere MASTER se related hain,unme apni muft ki raaye aur naak ghusaye jaa rahi ho par phir bhi galat tum nahi ho,galat toh tumhare saath ho raha hai....

WOOGER ke vyang ko sun jahan ek taraf muskura uthi MAHI wahin GRIFFIN ka mooh ban gaya jiske baad..

GRIFFIN-haan toh jab tum aur tumahare MASTER galat baat bologe yaa galat faisle loge toh mai bolungi hi naa..!!!

WOOGER-pata hai woh do key words joki missing hai tumhare sentence se,woh kya hain..???

hamari zindagi...

hamari zindagi ke faisle..ab woh sahi ho ya galat,tum kaun hoti ho unpar comment kar apni raay dene waali...

hum upar aasman se kude ya neeche khaayi me,humari marzi,tumhe apni ye badi si gardan us faisle ke beech daalne ki zaroorat nahi...

WOOGER ki baat sun GRIFFIN kuch kehti ki tabhi MAHI has di jisse sun GRIFFIN ke saath saath WOOGER ka dhyan bhi uski taraf gaya jiske baad GRIFFIN toh shaant hi rahi par WOOGER...

WOOGER-MAHI,jo baat maine GRIFFIN se kahi hai,woh tum par bhi applicable hoti hai...MASTER ke baare me ek baat jaan lo..woh wahi karte hain,jo unka dil karta hai..is baat se fark nahi padta ki woh cheez sahi hai yaa galat..

saath hi saath kabhi bhi unhe kisi bhi cheez me raay mat dena,naa hi unke faisle par comment karna...

isse aise samajhte hain ki maan lo woh kuch karne waale hon par us chiz ko woh karen,usse pehle hi agar tumne ussi chiz ko karne ki baat unse keh di,toh bhale hi woh chiz unke liye kitni hi important kyun naa ho,sirf tumhare kehne ki wajah se woh phir us kaam ko nahi karenge...

GRIFFIN-arre ye kya baat hui..???aisa thodi naa hota hai..

WOOGER-kisne kaha,tumne..sabse pehle toh tum ye jaan lo ki tum kya sochti hi,woh toh matter hi nahi karta..

par agar phir bhi interfere karna hai,toh theek,kar ke dekh lena..galti ko naya aakaar dekar gunah bana denge MASTER jiski zimmedar tum hogi...

MAHI,woh kitne hi galat kyun naa ho,par unhe tokna mat..unhe khud apni galti ka realization ho jaaye,yahi tarika hai unhe us form me pahunchane ka jiske baare me MADDOX ne tumse kaha tha..

yaad rahe,hawa ka rookh moda jaa sakta hai,tufaan ka nahi aur naahi uske beech se nikla jaa sakta hai..

behtari issi me hai ki yaa toh uske raaste se hi hath jaao,yaa phir uski chapet ke aage ya piche bina usse touch kiye badhte jaao...

MAHI-mai samajh rahi hun WOOGER aur fikr mat karo,naa mai RAAZ ke kisi bhi action par chaahe woh kitna hi galat kyun naa ho, retaliate karungi, aur naahi interfere...

mai jaanti hun ki jab tak uska dard,uska ghussa pura bahar nahi aa jaata,woh brainly DEVIL aur heartly ANGEL me convert nahi ho paayega...

but filhal ye batao ki RAAZ ke paas GALEN pahunche kaise...???

WOOGER-naam kaise pata chala tumhe us planet ka jahan is waqt MASTER hain...!!!!

MAHI-thik waise hi jaise mujhe ye maalum hai ki abhi kuch der pehle jo tum aur GRIFFIN ladh rahe the,woh asal ne meri madad ke liye hi tha...

tum dono ko hi pata tha ki mai us waqt pyscically kaafi kamzor thi aur us state me mai apne target tak nahi pahunch sakti...

tum dono ko ye bhi pata tha ki tumhari forced aur opposing powers se bhi woh energy wave release ho sakti thi jisse mere andar chuppe mere dono forms ke power mujhe dikh sakte the aur isiliye to help me,tum dono ek dusre se takraaye the..

am i right or am i right....!!!

muskura kar kahi ye saari baat MAHI ne jispar WOOGER toh shaant hi raha par GRIFFIN MAHI ki analyzation ko sun khush ho gayi...

aur ho bhi kyun naa..aaj usse MAHI me uske pitah ke dimag ki jhalak jo dikhayi di thi aur aisa hona is kahani ek liye behadh zaroori tha..

aakhir,takkar jo VIDEOUS jaise shaatir khiladi se thi jo player ke saath saath khud woh game bhi tha jisme woh sab khel rahe the...

khair,MAHI ke baat ko sun..

WOOGER-apni shakti ke saath GALEN ki chavi tumhare andar isiliye dikhayi thi maine taaki tum us puri jagah ko aur most importantly,us planet ke upar lage kawach ko dekh aur samajh sako..

kyunki MASTER us PLANET ke andar hain isiliye mai toh wahan aaram se jaa sakta hun par tum dono ke liye ye bohot zyada mushkil hone waala hai...

kyunki tumhari dono hi shaktiyon ke forms abhi apni jagah se zara sa bhi nahi hile hain, isiliye directly tum us kawach ko todne me filhal saksham nahi ho...

MAHI-manzil bhale ek ho,par us manzil tak pahunchne ke raaste bohot se hote hain...

GALEN par pahunchne ka sidha raasta bhale hi hamare liye ban hai par woh raasta jahan se universe ke bohot se jagahon ke darwaze khul sakte hain,woh option toh open hi hai...

THE BOULEVARD....

wahan se hum GALEN pahunch sakte hain...

(BOULEVARD...ye naam bhi un cheezon me se ek thi jisse MAHI ne paused CEREBRATION process ke waqt apne ANGEL aur HUMAN form ki taakat dekhne ke baad mehsoos kiya tha...)

MAHI ne jo naam liya tha,uske baare me naa toh GRIFFIN ko kuch pata tha aur naahi WOOGER ko aur isiliye...

GRIFFIN-BOULEVARD..!!!ye kya chiz hai..!!!

MAHI-BOULEVARD ek chuppi hui pathway hai jahan se GALEN pahuncha jaa sakta hai....

GRIFFIN-really...!!par tumhe kaise pata us jagah ke baare me...???

MAHI-bas itna samajh lo ki FALLON ke mujhme samane se jo faayde mujhe hue hain,unme se hi ye bhi ek hai...

WOOGER-touch my head MAHI...mujhe dekhni hai ye jagah...

WOOGER ki baat par bina kuch puche MAHI ne apna haath uske sir par rakh diya aur uske aisa karte hi WOOGER ke dimag me BOULEVARD naam ki jagah ka scene clear ho gaya jiske baad...

WOOGER-human world me jo BOULEVARD hote hain,unse different hai ye jagah...

trees ki jagah kuch magical barriers lage hue hain is jagah....ye route successfully cross kar paana kaafi tough ho sakta hai..

MAHI-aur isiliye hi is route se jaana aur bhi zyada important hai...kyunki mere liye apne dono strengths ko close laate hue unhe ek karne ka sabse acha tarika tough challenges hi hai..

aise situations me hi meri abilities nikhrengi...

WOOGER-thik hai phir...MAHI, GRIFFIN ke upar baith jaao..mai tum dono ko BOULEVARD ke saamne pahuncha deta hun....

GRIFFIN-pahuncha deta hun matlab...???tum bhi toh hamare saath chaloge naa...

WOOGER-mai kyun saath chalun jab mujhe GALEN ne direct entry mil sakti hai...!!!

GRIFFIN-dekha MAHI..kitna selfish ha ye...

WOOGER-apni safety ke baare me sochna selfishness nahi samajhdari hoti hai..par tumhare jaisi emotional fool ko ye baat samajh me aayegi nahi aur naahi tumhe samjhane me mujhe apna time waste karna hai....

WOOGER ki baat par GRIFFIN kuch kehti ki tabhi..

MAHI-ok enough now...thik hai WOOGER,ab mulakat sidhe GALEN me hi hogi...

apni baat bolte hue GRIFFIN par chadh gayi MAHI jiske baad...

FUUUUUU......

ek tez foonk maari WOOGER ne jiske baad MAHI aur GRIFFIN ke chaaron taraf ek chota sa tornado ban gaya

ye tornado asal me ek PATH GUIDE tha jo sirf chuppe hue jagahon par logon ko drop karta tha..

khair,har guzarte pal ke saath woh tornado unke paas aane laga aur phir dekhte hi dekhte MAHI aur GRIFFIN,dono hi us tornado ke giraft me aa gaye jiske baad woh tornado unhe apne andar samate hue gayab ho gaya...

MAHI aur GRIFFIN gayab ho chuke the jiske baad WOOGER bhi apni manzil ki taraf jaane ke liye gayab ho gaya....

PLANET-GALEN

PLACE-GALEN MARKET

YE LADKA KAHAN BHATAKTE REHTA HAI....???EK JAGAH PAANV HI NAHI TIKTE ISKE...!!!!

GALEN market se hote hui ek open colony ki taraf badhte hue kahi ye baat ERRAPEL ne...

reason...

RAAZ....kuch der pehle apne cottage aur aas paas ke har jagah par RAAZ ko dhundne ke baad jab woh ERRAPEL ko kahin nahi mila toh aakhirkaar usse ek baar phir apne aur uske connection AURA ke through RAAZ ko dhundna pada aur jab usne aisa kiya toh paaya ki woh is waqt GALEN market ki taraf gaya hua hai..

anjaan jagah thi upar se yaadasht ki batti gul..aise me RAAZ ka yun market me akele ghuma sahi nahi tha aur isiliye ERRAPEL turant jahan woh tha,us disha ki taraf badh chali thi...

market se hote hue jab woh us colony ki taraf badhi jahan RAAZ gaya tha toh kuch door jaate hi naa sirf uske paanv achanak se hi rook gaye balki saath hi usse saamne ka nazara dekh hairani bhi hui...

toh baat darasal ye thi jahan is waqt ERRAPEL thi,uske thode door hi ek tree ki ot liye RAAZ khada apne saamne bane ek garden me kisiko dekh raha tha..

ye kisi aur koi nahi wahi aurat thi do din pehle apne bache ko theek karwane ke liye ERRAPEL ke ghar aayi thi...

is waqt woh aurat apne us chote se bete ke saath khel rahi thi...

us din apne bete ko kho hi diya tha us aurat ne,yahi wajah thi ki is waqt woh apne bacche ke saath khelte hue usse lagatar chume bhi jaa rahi thi..

khair, ERRAPEL ke hairan hone ka reason ye tha ki saamne garden me chal rahe scene ko dekh RAAZ ke aankhon me aansu the..

par kamal ki baat ye thi ki uska chehra bilkul normal tha..rone ki wajah se chehre par aane waala khinchaw,aisa kuch bhi nahi dikh raha tha RAAZ ke face par..

woh normally hi khada tha,bas uski aankhon se paani lagatar nikle jaa raha tha..

kuch der tak ye dekhti rahi ERRAPEL par phir woh RAAZ ki taraf badh gayi aur uske paas pahunchi..

HMM HMM HMM,HMM HMM HMM HMM HMM HMM HMMMMM,HMM HMM HMM HMM HMM HMM M HMMM HMM....

RAAZ ke paas pahunchte hi ERRAPEL ne suni ye dhun jo RAAZ gungunate hue saamne lady aur uske bache ko dekh raha tha...

kaafi sunaapan, khaalipan aur dard tha us dhun me jisse kuch der tak dhyan se sunti aur feel karti rahi ERRAPEL..

par phir kuch der tak us dhun ko sunte rehne ke baad ERRAPEL ne uske kandhe par haath rakha aur aisa hote hi RAAZ jaise ek trance se bahar aaya aur hadbadate hue piche palta..

ERRAPEL ko apne saamne dekh woh shaant bhi ho gaya aur usne apne aansu bhi jhat se saaf kar diye....

par aankhen uski abhi bhi kuch bhari hi thi jisse kuch der tak lagatar dekhne ke baad...

ERRAPEL-kya baat hai..???aankhen kyun bhari hai tumhari...??aur ye chupke us lady aur uske bache ko kyun dekh rahe ho tum...???

MAI-pata nahi kyun apne aap hi aankhen bhar gayi...!!!mai toh market ghumne nikla tha,wahan mujhe us din subah jo tumhare ghar aayi thi, woh lady market me apne bacche ke saath dikhi..

woh apne bache ko toys dila rahi thi..

un dono ko dekh mera dil kiya ki unhe hi dekhta rahun...

isiliye unke piche yahan tak aa gaya aur unhe dekhne laga..

us bacche ko uski mom k saath khelta dekh dil bhaari se ho gaya aur aankhen bhar aayi...

par sach me,aisa hone ka reason mujhe bhi nahi pata...!!!!

ERRAPEL-shayad tumhare dil ko tumhari MAA ki yaad aa gayi..???

MAI-MAA.....

bas itna hi nikal paaya mere mooh se jiske baad mera dil tadap sa gaya..

ERRAPEL mere manobhaav ko ache se samajh rahi thi isiliye usne turant baat ko badla aur..

ERRAPEL-chalen yaa phir din bhar yahin khade rehne ka iraada hai...!!!

MAI-chalo....

ye bol ek baar un maa bete ko dekh mai ERRAPEL ke saath aage badh gaya..

MAI-tumhe kaise pata chala ki mai yahan hun..???

ERRAPEL-kuch kaam se aayi thi mai yahan,tumpar bas nazar padh gayi...

MAI-oh...

ERRAPEL-waise ek baat batao...mai jab tumhare paas aayi toh maine tumhe ek dhun gungunate hue suna...kis gaane ki dhun thi woh...???

MAI-pata nahi...un maa bete ko dekha toh woh dhun apne aap mere dimag me banane lagi....

(NOTE-doston,college me ek gaana likha tha maine...abhi RAAZ ki jo condition hai,usme woh gaana kaafi suit karta hai.. next update me RAAZ ke through us gaane ka mukhda aur first antra aapke saamne hoga)

ERRAPEL-dhun bani hai toh gaana bhi bana hi hoga....

MAI-shayad,par woh bol abhi tak mere dimag aur zuban par nahi chadhe hain...

tumhe ajeeb lag rahi hongi naa meri baatein...!!!saari ki saari aadhi adhuri....

ERRAPEL-baatein dhaage ki tarah hoti hai..shuruat ek sire se hoti hai par kabhi kabhi dusra sira mil nahi paata..

par iska ye matlab toh nahi ki dusra sira hai hi nahi...bas shayad us sire tak pahunchne ka waqt nahi aaya hai..!!!!

MAI-aur agar waqt aane se pehle dhaaga hi toot gaya toh..!!!!

ERRAPEL-toh kya..???toota dhaaga bhi toh ek naya sira banakar hi alag hota hai naa...!!!!

aur ye acha bhi hai, naye sire par pahunchne ka faasla bhi kam jayega..

baat bas dekhne ke NAZARIYE ki hai RAAZ...sab kuch apni sahi jagah par baith hi jaata hai, chahiye toh bas ek sahi aur positive NAZARIYA,ek behtarin ATTITUDE...

PLACE-BOULEVARD

YEH KAISI JAGAH HAI...????

trees ke patle patle branches jaise dikhne waale cloud covers ke beech bane ek tunnel ko dekhte hue kahi thi ye baat GRIFFIN ne....

PATH GUIDE TORNADO ke through MAHI aur GRIFFIN jis jagah par pahunch is waqt khade hue the,woh jagah bhi kaafi alag tarah ki thi...

5 se 6 feet bade pathar joki hawa me float karte hue us tunnel me jaane ke liye joki wahi BOULEVARD tha jiske through woh dono GALEN pahunchne waale the,is waqt khade hue the...

ek aur ajeeb aur kamal ki baat ye thi ki us pure BOULEVARD ka view joki kareeb 2 km lamba tha,puri taraf se clear aur bright tha..

itna lamba tunnel hone ke baawjud us BOULEVARD ka pura view MAHI aur GRIFFIN,un dono ke hi aankhon me aise dikh raha tha maano kisine unki aankhon ke aage invisible binocular glasses laga diye hon..

behatrin MAGIC...khair,

jahan is waqt GRIFFIN sirf us tunnel ko dekh rahi thi,wahin MAHI ki nazar un patle cloud covers aur saath hi jispar woh khade the,aur aage badhte hue bhi khada hona tha,woh floating patthar,unpar tiki hui thi..

woh bade gaur se in dono hi jagahon ko dekh kuch soche jaa rahi thi...

aur kuch der baad jab GRIFFIN ki nazar MAHI par padi toh usne bhi is baat par gaur kiya aur...

GRIFFIN-kya dekh rahi ho MAHI...??

MAHI-un saare cloud covers ko dhyan se dekho GRIFFIN...un sab ka shape toh ek jaisa hi hai par phir bhi unme se teen covers thode alag hain...

baaki saare cloud covers ekdum shaant hain..lekin left ki taraf bicche cloud covers me se third number ka cover dekho,woh halka halka beech me shake kar raha hai..

theek ussiki tarah ussi line me aage ki taraf do aur cloud covers hain,jo waise hi shake kar rahe hain..

aur right ki taraf jo last cloud cover
hai woh bhi halka halka shake kar raha hai...

MAHI ki baat sun GRIFFIN ne bhi dhyan se un cloud covers ko dekha aur aisa karte hi usne paaya ki MAHI bilkul sahi keh rahi hai..

jahan baaki cloud covers stable the,wahin MAHI ke bataye covers halka halka shake kar rahe the...

jahan GRIFFIN ye sab dekh rahi thi, wahin apni baat ko continue karte hue...

MAHI-ab jahan hum khade hain,is patthar ko dekhi..behadh fine aur halki likhawat me ispar 1 likha hua hai jo ek pal ke liye gayab ho raha hai aur phir dheere se ubar raha hai..

theek issiki tarah un dono pattharon ko dekho..unme bhi same halki numbering imprint ho rahi hai..

fark sirf itna hai ki humare waale pathar par 1 likhaya hua aa raha hai,wahin un dono pattharon me 2 aur 3 ke imprints ban rahe hain...

pehle apne patthar aur phir aage bane do pattharon ki taraf ishara karte hue kahi ye baat MAHI ne jisse dekh GRIFFIN samajh gayi ki MAHI sahi keh rahi hai aur isiliye..

GRIFFIN-different cloud covers ki ginti aur waise hi baakiyon se alag pattharon ki counting same hai..

ye koi coincidence nahi ho sakta...???

MAHI-hmm..

aisa kehte hue MAHI neeche ghutno ke bal baithi aur jaise hi patthar par 1 imprint bana, toh usne us imprint par haath rakh diya aur uske aisa karte hi us pure patthar me halki kampan hui jiske baad woh imprint jisse MAHI ne chhua tha,woh choti hote chale gayi jiske baad us area se un cloud covers ka roop liye hi ek chota sa crystal patthar prakat hua jisse MAHI ne utha liya...

GRIFFIN bhi ye sab dekh rahi thi aur isiliye...

GRIFFIN-ab ye kya maya hai...???

MAHI-pata nahi..but jaldi hi pata chal jaayega...

ye bol MAHI ne us chote se crystal patthar ko apni jeb me daal liya aur..

MAHI-chalo,aage badhte hain..

ye bol MAHI aur GRIFFIN challang lagate hue un floating pattharon se hote hue BOULEVARD naam ke tunnel ki taraf badhne lage..

is beech un do pattharon par jisme 2 aur 3 ki marking thi,unhe bhi MAHI ne jhuk ko touch kiya tha aur uske waisa karne par un dono pattharon me bhi wahi hua jo pehle patthar me hua tha..

MAHI ki jeb me is waqt kul 3 crystal patthar the jinhe liye hue woh BOULEVARD tunnel ki sarhad par khadi thi..

MAHI-GRIFFIN...yahan se hume thoda carefully aage badhna hoga...khaas kar un cloud covers ke paas jo halke shake kar rahe hain...

GRIFFIN-theek hai...

bade nape tule andaz se aur puri satarkta banaye hue woh dono aage badhne lagi par jitne bhi normal cloud covers the,unke beech se guzarne ke dauran kuch hua nahi par jaise hi woh first cloud cover jo halka halka shake lar raha tha,MAHI aur GRIFFIN uske kareeb pahunche toh...

BOOM........

ek tez dhamaka hua us cloud cover me jiske baad..

MAHI-HOLY SHIT....

chillate hue kahi ye baat MAHI ne...

reason....

jo dhamaka us cloud cover se hue,usse paida hua tha SOLAR WIND STORM....

ek aisa tornado jo sirf space me hi banta hai...(FACT)

MAHI aur GRIFFIN naa sirf us WINDSTORM ko pehchaan gayi thi balki uski chapet me bhi aa gayi thi...

us WIND STORM ne unhe apni chapet me lete hue tezi se gol gol ghumana shuru kar diya tha..

is WIND STORM ki intensity itni zyada thi ki usse bachna toh door,MAHI usme theek se saans bhi nahi le paa rahi thi..

wahin GRIFFIN joki space me bhi araam se safar kar leti thi,woh bhi us super powerful SOLAR WIND STORM me fas kar khudko bebas feel karne lagi...

har guzarte pal ke saath MAHI ki aankhein bhaari hone lagi thi..agar aisa hi kuch der aur chalta raha toh uska aur GRIFFIN ka bachna impossible ho jaane waala tha..

par in saare negetives me ek positive baat ye thi kyunki MAHI ek SAVENT thi,and that to a very good one isiliye bhale hi uska conscious brain weak padte chale jaa raha tha,par uska subconscious brain completely active tha aur isiliye dimag ke us bhaag ne pura command automatically apne control me le liya aur aisa hote hi MAHI ko diya ek idea...

MAHI ka haath apne aap hi uske jeb me gaya jisme se usne us chote se patthar ko bahar nikala jispar 1 marking ki hui thi..

par jahan pehle us patthar me sirf one nazar aa raha tha,wahin is SOLAR WIND STORM ke daayre me aane ki wajah se us patthar ke andar is waqt kuch aur bana hua tha jo pura clear nahi tha aur isiliye MAHI ne us crystal ki tarah ke patthar ko press karna shuru kar diya jiske wajah se woh toot gaya aur aisa hote hi us patthar ke andar bani cheez MAHI ke haathon me chipak gayi...

ye cheez aur kuch nahi living PLANET ki mitti thi aur jaise hi is baat ka MAHI ko realization hua toh usse solution bhi mil gaya..

toh baat ye thi ki is waqt MAHI aur GRIFFIN fase the ek SOLAR WIND STORM ke andar jo sirf space me activate hoti hai,PLANET par nahi...

planet jisme human baste the..kehne ka matlab hai ki is problem ka solution tha MAHI ka HUMAN FORM ENERGY SOURCE....

waise toh filhal ye ENERGY SOURCE activate nahi tha,par temporary active karne ka zariya is waqt MAHI ke haathon ne hi tha..woh MITTI ke kan jisme se MAHI ko behadh strong earthly power feel ho rahi thi aur isiliye usne us mitti ko apne heart ke upar rub kiya par aisa karne ke saath hi woh PAUSED CEREBRATION me chali gayi thi...

jaise hi PAUSED CEREBRATION ke waqt usne us MITTI ko khud ke heart ke upar rub kiya toh uske asar se ek pal ke liye MAHI ka HUMAN FORM ENERGY SOURCE activate ho gaya aur aisa hote hi MAHI se ek strong ENERGY BEAM bahar nikli aur aisa hote hi woh SOLAR WIND STORM gayab ho gaya jiske baad MAHI aur GRIFFIN,dono hi neeche zamin par gir gaye...

lambi lambi saanson ke beech khade hote hue khud ko durust kiya
un dono ne jiske baad...

GRIFFIN-thank GOD MAHI ki tumhe sahi waqt par sahi idea click ho gaya...

MAHI-hmm, let's move forward..

is baar beena zyada dar ke MAHI aur GRIFFIN aage badhe the aur woh isiliye kyunki woh dono jaan gaye the ki khatra unhe bas un shaking cloud cover waali jagah par hi hai..

khair,chalte hue woh dono us second cloud cover ke paas pahunche joki unka agla hurdle tha..

MAHI-ready...

GRIFFIN-yup...

khudko taiyar karte hue jaise hi MAHI aur GRIFFIN ne apna agla kadam us cloud cover ke daayre me rakha toh..

SSSSSCHRRRRRRR....

ek ajeeb si awaaz ke saath ek bada sa blockage,ek diwaar ban gaya MAHI aur GRIFFIN ke raaste me..

aur ye diwar bana tha FIRE se,AAG se aur jisme suraj se bhi zyada intensity thi..

haan,MAHI aur GRIFFIN, dono ko hi us aag ki intensity ne jalaya nahi tha par us aag ki garmi se un dono ko ek ajeeb si manhusiyat feel hone lagi thi..

unhe aisa laga raha tha jaise woh dono zindagi me kabhi khush nahi reh paayengi..

aisa lagne ka reason MAHI ko toh samajh me nahi aaya par GRIFFIN..!!!

usse us aag ki aur usse paida hone waali negetive feeling ke baare me pata chal chuka tha aur us reason ko jaan uski aankhen bhi badi ho gayi thi...

GRIFFIN-ye AAG...!!!ye toh HELL'S FIRE HAI....

NARK KI AAG.....

MAHI-WHAT...!!!!

GRIFFIN-haan,par ye yahan kaise..??but most importantly,iske aanch se bacha nahi jaa sakta,par phir bhi hum normally kaise khade reh paa rahe hain...!!!!

GRIFFIN ki baat sun MAHI ke dimag me kuch click kiya aur usne turant apne jeb me haath daal woh dusra crystal rupi patthar nikala aur..

MAHI-shayad iski wajah se...

apni baat bolte hue MAHI ne us crystal stone ko apne haathon me hi crush kar diya aur uske aisa karte hi us patthar ke andar se ek behadh strong ANGEL NIMBI(GLORY RAY) nikal hawa me theher gayi...

par jab aisa hua toh...

AHHHHH....

ye cheekh MAHI aur GRIFFIN,dono ke hi mooh se nikal gaya..

reason...

us ANGEL NIMBI ke bahar aate hi saamne jal raha HELLS FIRE hadh se zyada bhadak gaya jiske baad uski lapte aur zyada badh gayi aur jab aisa hua toh usse ek behadh hi powerful ENERGY DURESS nikli jiske impact ke chapet me aa gaye MAHI aur GRIFFIN..

aisa hone par un dono ko pyscically chot toh nahi aayi par un dono ka saara internal part jadh se hil gaya....

ek tez jhatka sa laga un dono ko jiski wajah se woh dono hi udte hue piche jaakar gire..

par sabse bada impact pada tha MAHI ke heart me base uske ANGEL FORM ENERGY SOURCE ko...

HELLS FIRE ko feel karte hi woh source uncontrollable ho gayi aur jaise hi ye hua toh...

MAHI ka sharir hawa me uth gaya aur tezi se idhar udhar jhatka khaate hue roam karne laga...

GRIFFIN kuch kar sakti thi nahi kyunki woh jaanti thi ki MAHI ke saath ho rahi ghatna uske ANGELS FORM ENERGY SOURCE ki wajah se hai jisse woh control nahi kar sakti...

wahin ENERGY SOURCE ke unstable hone se MAHI apne SOUL tak se distract ho chuki thi..

ek hosh waali coma jaisi state me pahunch chuki thi woh jisse bahar nikalne ka koi tarika usse nazar nahi aa raha tha par tabhi...

APNI TAAKAT BHI APNE HISAAB SE TABHI CHALTI HAI JAB US TAAKAT KA DHAARAK USKE LAAYAK HO...

AUR TUM LAAYAK HO MERI BACCHI....BAS KHUDPAR DOUBT KARNA BAND KARO & OWN YOUR POWER...

VIKRAM JAIRAJ SINGH ki awaaz gunj uthi MAHI ke dil aur dimag me..

pehli baar suni thi apne PITAH ki awaaz MAHI ne par sunkar aisa laga jaise har woh hawa jo aaj tak uske kaano ko chhu kar gayi hai,usme usne is awaaz ko aur is awaaz ke piche chuppe apne liye beinteha pyar ko mehsoos kiya hai usne..

MAHI-DAD......

bas itna hi bol paayi MAHI...dono aankhon ke kinaron se aansu ki ek patli si dhaar nikal padi uski..

situation uski abhi waise hi unstable thi...hawa me uska sharir abhi bhi jhatke khaa raha tha...

uske andar basa uska ANGELS FORM ENERGY SOURCE abhi bhi bhadka hua tha par in saare odds ke baawjud bas uske PITAH ke awaaz bhar ne MAHI ko ek aisa sukoon de diya tha jiske sahare woh ab bade se bade khatre ko bhi araam se jhel bhi sakti thi aur usse nipat bhi sakti thi..

aur yahi wajah thi kuch pal ke emotional feel ke baad MAHI ki aankhon me ek ajeeb sa confidence dikhne laga jiske baad usne apne andar jhaanka aur pure adhikar ke saath..

STOP.....

itna hi bola MAHI ne jiske baad ek obedient bacche ki tarah uske andar bhadka hua ENERGY SOURCE ek second me hi shaant ho gaya aur aisa hote hi MAHI ka sharir behadh araam se niche zamin par aa gaya..

aisa hote hi MAHI aage badhi aur us ANGEL NIMBI ko joki abhi bhi bade araam se hawa me aahiste aahiste float kar raha tha,usse thaama aur zor se saamne ufaan maarte HELL'S FIRE ki taraf phek diya aur jab woh ANGEL NIMBI HELL'S FIRE se takraya toh uske agle hi pal woh FIRE gayab ho gaya...

raasta clear ho chuka tha jiske baad..

MAHI-chalen...!!!

GRIFFIN se kahi ye baat MAHI ne joki is waqt bade garv ke saath MAHI ko dekh rahi thi aur uski baat sun woh uske paas aayi aur apne sir ko MAHI ke chehre par sehlaate hue apne pyaar zaahir kiya...

MAHI ne bhi bade pyar se uski gardan ko sehlaya jiske baad woh dono aage badh gaye..

anyways,do hurdles paar ho gaye the aur ab ek aakhri hurdle baaki tha...

aur jab lagbhag pure tunnel ka raasta paar karte hue MAHI aur GRIFFIN uske aakhri hadh par aaye jahan ek shield numa diwar bani hui thi aur uske theek pehle tha woh cloud cover jo halka halka shake kar raha tha toh us cloud cover ko dekh aakhein sochne waale andaz me choti ho gayi MAHI ki..

aur woh isiliye kyunki jahan ab tak ke saare cloud cover pure white the,wahin ye cloud cover joki uska aakhri hurdle tha,woh bhi waise toh white hi tha par uske beech halki GREYISH colour bhi chamak rahi thi...

ab is naye change ke piche ka RAAZ toh uske saamne aane par hi pata chalna tha aur isiliye MAHI ne apne kadam us cloud cover ke radar ke andar rakh diye aur jab aisa hua toh uski aur uske saath hi khadi GRIFFIN ki aankhen badi bhi ho gayi aur halki nervous bhi..

reason...

jaise hi MAHI aur GRIFFIN ne apne kadam aage badhaye toh us aakhri hurdle roopi cloud cover ne ek naya roop lena shuru kiya aur jab woh roop pura hua toh...

ye aakhri challenge pichle dono challenges se kahin zyada BADA THA....

roop bana tha uska jisne RAAZ ke dil me taklifon ka teer GADA THA....

maza aane waala tha bohot,kyunki

ANGEL'S LORD ki BETI ke saamne is waqt,mayavi hi sahi par VIDEOUS KHADA THA...

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V....J....
Boht hi zabardast awesome interesting shandar update
 
ankuraggar

New Member
97
238
34
VJ bhai.... ultimate story, pichli wali se bhi behtreen koi words ni iske liye. Hats Off

Aapse inspire hoke maine bhi do stores chalu ki hai jinke name hai:

1. Invincible - Too strong too defeat (Running - 4 update given)
2. Emperor's Domination (Running - 4 update given)

Mai chahunga ki aap inhe padhe aur apne comment de aur saath hi meri in dono stories ko viewers and reviewers mein promote krawaye agar aapko pasand aaye ye to.....

Aur ek request hai ki aap meri in dono stories ko follow jarur kre taki jb bhi update aaye inhe padh krr aap apne views and comment de

Thanks bhai!
 
Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,872
21,052
188
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ EK BAAR PHIRSE EMOTIONAL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF MAHI AUR GRIFFIN BOULEVARD KE TEESRI AUR AAKHRI CHUNOUTI JOKI MAYAVI VIDEOUS HAI,USKE SAMNE KHADE HAIN...

AB AAGE:-

CHAPTER-3

( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE )

UPDATE-129

PLACE-INSIDE BOULEVARD

KAISI HO MAHI....????

us cloud cover se nikle mayavi VIDEOUS ke mooh se nikli ye baat jisse sun chup hi rahi MAHI jispar...

VIDEOUS-kya baat hai..???itni khamosh...!!!jiski wajah se tum is kahani ka hissa ho, ussi se berukhi...!!!

MAHI-tum sach nahi ho...

VIDEOUS-sahi kaha...tumhare hi PITAH dwara rachi ek maaya hun mai..

par saath hi mai woh jhooth hun jiska asar mere is roop ke asli sach ka hai...

mujhe paar karte hi tum SHIELD cross kar paaogii,but trust me,ye asaan nahi hone waala...

jaanti ho kyun..???

tumhare PITAH ki ek baat bohot achi hai...woh bhedbhaav nahi karte...naa hi cheezen asaan karte hain,bhale hi saamne unki beti hi kyun naa hon...???

dekho naa,sirf ek maaya hun mai,par nirman mera waisa hi kiya hai unhone jaisa asli VIDEOUS ka hai...

aur itna toh tum ab tak jaan hi gayi hogi ki VIDEOUS ka dimag kitna tez aur khatarnaak hai...

aur agar nahi samjhi ho, toh ab samajh jaaogi...

toh chalo, apni chunouti sun aur samajh lo...

kyunki tumne abhi tak apni aloukikta haasil nahi ki hai, isiliye tum aur tumhara ye ansh GRIFFIN mujhse ek pyscical battle karoge....

aisa karte waqt mere piche aur tum dono ke saamne lagi ye SHIELD khul jaayegi...

par pura khulne ke baad phir kaafi dheere dheere kisi darwaze ki tarah
ye SHIELD band bhi ho jaayegi...

is SHIELD ke band hone se pehle isse paar kar GALEN pahunchne ke MAHI tumhare paas kul do raaste hain...

pehla,mujhe harao aur aage badh jaao...

dusra tarika kaafi interesting hai aur mera favourite bhi....

agar SHIELD ke band hone se pehle tum mujhe naa bhi hara paayi toh bhi mujhse hokar tum aage badh sakti ho...

par uske liye tumhe apne is ansh GRIFFIN ko maarna hoga...

MAHI-what...???mai aisa kabhi nahi karungi...

shock hote hue kahi ye baat MAHI ne jispar..

VIDEOUS-tumhari marzi... par agar tumne aisa nahi kiya toh phir ye jagah puri tarah nasht ho jaayegi aur tum wapas ASTER pahunch jaaogi..

aur agar aisa ho gaya toh tum RAAZ tak kabhi nahi pahunch paaogi...

iska matlab jaanti ho naa tum...!!!

agar tum RAAZ tak nahi pahunchi toh uski memory kabhi nahi loutegi..

result,woh wahin GALEN me hi hamesha ke liye kaid hokar reh jaayega aur bina lade hi VIDEOUS jeet jaayega...

mayavi VIDEOUS ki baat sun tention me aa gayi thi MAHI jisse feel kar..

GRIFFIN-MAHI..negetive kyun ho rahi hai...???tumhe aage jaakar isse bohot zyada bade imtihaan dene hain...

isiliye panick karna chhodo aur focus karo..tumhe har haal me is chunouti ko paar karte hue GALEN pahunchna hai...

GRIFFIN ki baat sunane ke baad bhi MAHI kuch der yunhi ashaant man se khadi rahi par phir khudko relax kar..

MAHI-mai taiyar hun....

VIDEOUS-great.... toh shuru karte hain...

apni baat bolte bolte apne haathon ko tezi se lehrate hue MAHI aur GRIFFIN ki taraf tezi se aage badha VIDEOUS aur....

DHAAKKK....

VIDEOUS ke apne haathon ko ghumane se ek behadh hi strong push force generate hui jiske asar se piche ki taraf udte hue gire dono MAHI aur GRIFFIN par girte hi woh dono turant khade bhi ho gaye ho aur...

MAHI-tumne toh kaha tha ki ye ek pyscical battle hogi...!!!

VIDEOUS-aur ye wahi hai..jis force se tum dono gire ho,woh mere haathon ki taakat se hi generate hui hai...

ab chote baccho ki tarah complaint karna band karo and get on with it...

VIDEOUS ki baat khatm bhi nahi hui thi ki tabhi GRIFFIN zigzag pattern me chhalang maarti hui uski taraf tezi se badhi..

wahin MAHI bhi tezi se aage badhi..

aage badhte hue MAHI dekh rahi thi ki jaisa us mayavi VIDEOUS ne kaha tha,wahi ho raha hai..

VIDEOUS ke peeche open ho chuki SHIELD ab dheere dheere wapas band ho rahi hai....

ye dekhte hue MAHI VIDEOUS ke kareeb pahunch chuki thi...wahin GRIFFIN bhi zigzag pattern lete hue VIDEOUS ke upar chhalang laga chuki thi...

aur jab usne aisa kiya toh theek ussi waqt MAHI VIDEOUS ke neeche se slide karti hui uske dusri taraf nikalne lagi..

ye ek sochi samjhi strategy thi jo apas me jude hue hone ki wajah se MAHI aur GRIFFIN ne apne apne dimag me hi bana li thi...

plan unka simple tha.. GRIFFIN VIDEOUS par challang lagate hue upar se attack karne waali thi aur theek ussi waqt MAHI neeche se slide karte hue aage badhne waali thi..

ek hi time me hue is attack numa harkat ki wajah se VIDEOUS kisi ek ko hi dodge de paayega aur ussi waqt dusra usse paar karte hue SHIELD ke paar chala jaayega..

resulting,WIN...

ye plan tha un dono ka par woh dono bhul gayi ki saamne mayavi hi sahi par VIDEOUS khada tha...

jaise hi un dono ne neeche aur upar,dono taraf se ek saath attack kiya toh VIDEOUS muskura utha...

apne pair par pressure daalte hue VIDEOUS ne khudko ek halka sa jhatka diya jiski wajah se uska sharir hawa me tezi se circulate hokar ghum gaya..

yunhi ghumte hue VIDEOUS ne apna ek haath upar aur dusra haath neeche kiya jiske baad uske upar waale haath me GRIFFIN ki lambi si gardan aur neeche waale haath me MAHI ki gardan aa gayi...

aisa hote hi usne un dono ko wapas jahan se dono chale the,us taraf jhatka diye...

MAHI aur GRIFFIN,dono ko kuch samajh aata usse pehle hi woh dono wapas apne pichli position me pahunchkar gir chuke the...

VIDEOUS-koshish achi thi,plan bhi par speed behadh kam...

anyways is baar kuch alag try karte hain..

apni baat bol VIDEOUS ne apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi uske haath ke beech se kul do SWORD bahar nikli jisme se ek ko toh usne khud pakad li aur dusri jaakar giri MAHI ke aage jiske baad...

VIDEOUS-uthao talwar MAHI and don't just try to hit me,hit me..aur GRIFFIN,distract me taaki tumhari MISTRESS ka waar mujhe lag paaye...

VIDEOUS ki baat sun MAHI ne ek baar MAHI ki taraf dekha aur phir khudko tedha karte hue side jump maar VIDEOUS ki taraf ucchal padi...

wahin uske aisa karte hie MAHI ki body bhi teer ki tarah aage hawa me ud si gayi..

abhi scene kuch aisa tha ki GRIFFIN ke tedhe hone ko wajah se VIDEOUS ka saamne ka view blocked tha..

wahin VIDEOUS ke paas pahunchte hi GRIFFIN ke pair neeche zamin par gaye jiske baad woh khudko jhatka dete hue upar hawa me uth gayi..

ye sab hote waqt MAHI joki ek teer ka shape liye aur apni talwar aage kiya hawa me aage badh rahi thi,woh GRIFFIN ke behadh paas pahunch chuki thi...

aur jab GRIFFIN upar ucchli toh usse cross karte hue MAHI aur uske aage ki hui talwar VIDEOUS ke just saamne pahunch chuki thi par isse pehle ki woh talwar VIDEOUS ke chest ko bhedh paati, VIDEOUS ne apni talwar apne chest ke beecho beech waale area ke theek aage rakh di aur uske aisa karte hi..

TANNNN...

MAHI ke talwar ki nok VIDEOUS ke talwar ke beecho beech takrayi jiske baad...

VIDEOUS ka haath bijli se bhi tez move kiya aur aisa hote hi usne ek behadh tez attack kiya MAHI ke sword par aur jab aisa hua toh talwar ke saath saath MAHI ka haath tak jhanjhana utha aur woh kuch kadam piche hath gayi..

MAHI ab tak samajh chuki thi ki uske saamne khada mayavi VIDEOUS bhi filhal usse bohot zyada strong hai, pysically bhi aur mentally bhi...

saath hi uske chehre par dar aur pareshani bhi dikhne lagi thi..

reason...

VIDEOUS ke piche laga shield band hone hi waala tha..kuch seconds aur,jiske baad woh raasta hamesha ke liye band ho jaane waala tha..

MAHI ke chehre par aayi pareshani aur uski wajah uske baaju me khadi GRIFFIN se bhi chuppe nahi the aur isiliye kuch faisla kiya usne..

GRIFFIN-MAHI...ek idea hai..apne talwar ko strongly hold karo..waise hi jaise ek strong block me kiya jaata hai..

GRIFFIN ki baat aur idea samajh toh nahi MAHI ko par kyunki abhi waqt bohot kam bacha tha, isiliye bina koi sawal kiye usne waisa hi kaha jaisa GRIFFIN ne kaha..

MAHI ne strongly apne talwar ko pakad liya par aisa kar woh aage kya karna hai,ye GRIFFIN se puch paati ki tabhi kuch aisa hua jo usne socha nahi tha..

GRIFFIN-sorry MAHI...

GRIFFIN ki baat ka matlab MAHI samajh paati ki tabhi...

KHACCHHHHH....GRIFFINNNN.....

ek tez cheekh nikli MAHI ke mooh se...

reason....

GRIFFIN bijli ki tezi se aage badhi aur usne apne gardan ko MAHI ke strong grip ke beech pakde talwar ki dhaar par push kar diya jiske agle hi pal uski gardan kat chuki thi....

is scene ko dekh naa sirf MAHI ki cheekh nikli aur uski aankhen pathra si gayi, balki saath hi saath kyunki GRIFFIN uska hi ansh tha, isiliye uske is kadam se pyscically bhi MAHI ke sharir ko ek tez jhatka laga jiske prabhav se woh neeche gir gayi...

uske sharir me jaise jaan hi nahi bachi thi aur ussi condition me woh GRIFFIN ke kate hue sir ko dekh rahi thi...

wahin iske saamne khada VIDEOUS is scene ko dekh naa sirf hasne laga balki saath hi saath kyunki MAHI ne sharth puri kar di thi,isiliye uski body bhi spirit form me badalne lagi aur aisa hote waqt...

VIDEOUS-congrats MAHI...tumne apna aakhri hurdle paar kiya...ab maatam manana chhodo aur utho..

dekho, GRIFFIN ki kurbani ki wajah se band hota SHIELD ek baar phirse khul chuka hai...

par BOULEVARD jahan tum ho,ye ek chhupa hua raasta hai aur isiliye ye SHIELD hamesha ke liye khula nahi reh sakta...

ye bohot jald wapas band ho jaayega...isiliye utho...sunya ko ghurna chhodo aur jo beet gaya,usse bhul jaao..

jo dikh raha hai,usse samjho,aur haalat ka saamna karo...

yunhi pathrayi aankhon se VIDEOUS ko joki spirit form me badalne ke baad ab dheere dheere gayab hota jaa raha tha,usse dekhe jaa rahi thi MAHI aur aisa karte waqt uska dimag joki fused haalat me tha, usne bhi dobara kaam karna shuru kar diya tha..

but problem ye thi ki mayavi VIDEOUS ke gayab hone ke baad uske piche laga SHIELD jo filhal toh khula tha,but unlike last time,is baar tezi se band ho raha tha..

infact ab tak wo darwaza 90 percent tak band ho chuka tha aur isiliye ek baar GRIFFIN ke kate sir ko dard bhari nazaron se dekh MAHI SHIELD ki taraf badh gayi par shield tak woh pahunche,isse pehle hi woh SHIELD lagbhag puri band ho chuki thi jisse dekh MAHI ki usse paar karne ki ummid lagbhag khatm ho gayi par tabhi...

MAHI ne dekha ki us 99 percent band ho chuke SHIELD ke beech ek panja aakar tik gaya tha..itna hi nahi,us panje ne us SHIELD ko jhatka sa diya jiske baad woh shield halki si aur khul gayi aur jab aisa hua toh ek bada sa sir us darwaaze numa SHIELD ke beech aakar ek halt ki tarah tik gaya....

ye sir aur kisika nahi balki WOOGER ka tha joki shuruat se hi GALEN ke us area me jahan us BOULEVARD ka exit tha,jisse usne MAHI ke dimag me jhaank kar dekh liya tha,wahan khada tha aur phir jab usne dekha ki woh SHIELD band ho raha hai,toh us shield ko band hone se pehle hi woh uske beech me ek stopper ki tarah aakar khada ho gaya tha..

khair,MAHI WOOGER ko dekh hi rahi thi ki..

WOOGER-jaldi karo MAHI..mai zyada der tak isse rok kar nahi rakh sakta...

WOOGER ki baat sun MAHI tezi se aage badhi aur uske upar se cross forward air summersalt maarte hue SHIELD ke dusri taraf matlab GALEN ki dharti par pahunch gayi aur aisa hote hi WOOGER ne bhi us SHIELD se apni chehre ko piche kheench liya aur uske aisa karte hi SHIELD aur woh BOULEVARD naam ke raasta band hokar ek baar phirse gayab ho gaya...

INSIDE BOULEVARD:-

WOOGER ke sir piche karne se jaise hi shield wapas band hui aur BOULEVARD phirse adrishya hua toh ek baar phirse gayab hue woh MAYAVI VIDEOUS apni pehle waali jagah par prakat hue..

par ye kya,is waqt woh ek naye ROOP me the aur face par thi unki ek behatarin muskaan..

nazar unki shield ki taraf hi thi aur aisa lag raha tha maano unki aankhen us band SHIELD ke dusri taraf bhi araam se dekh paa rahi thi..

khair,kuch der tak muskurate rehne ke baad..

PROUD OF YOU KIDDO...

ye baat bol WOH gayab ho gaye...

PLANET-GALEN

PLACE- THE MYSTIC FOREST

WOOGER-udaas kyun ho..???

apne sir ko bahar nikalne ke baad jab WOOGER palta toh MAHI ko neeche baitha paaya..

is waqt MAHI kaafi udaas dikh rahi thi jisse dekh kahi ye baat WOOGER ne jispar...

MAHI-GRIFFIN nahi rahi...

WOOGER-accha.. toh phir woh tumhare saamne kaun hai..??? GRIFFIN ka bhoot...!!!

WOOGER ki baat sun MAHI ka sir ek jhatke me upar hua aur aisa hote hi usse laga jhatka..par is baar laga jhatka khushi se bhara hua tha..

REASON....

MAHI ke saamne GRIFFIN jo khadi thi aur woh bhi zinda..

GRIFFIN ko dekh MAHI turant uski taraf badhi aur uske gardan ke ird gird apni baahein lapet li..

kuch der tak yunhi emotional rehne ke baad MAHI GRIFFIN se alag hui aur...

MAHI-tum zinda ho....???kaise..???i mean tumne toh mere saamne hi apni jaan le li thi...

GRIFFIN-woh mai nahi thi MAHI..woh ek maaya tha jisse BOULEVARD me tumhare saath rehne ke liye racha gaya tha...

mai toh ASTER se sidhe yahan GALEN pahunchi thi...

MAHI-mai samjhi nahi...waisa karne ki kya zaroorat padh gayi thi...??aur WOOGER,jab tum GRIFFIN ko directly yahan GALEN me laa sakte the toh mujhe kyun nahi...???

WOOGER-mai GRIFFIN ko yahan nahi laaya..jo PATH GUIDE maine create kiya tha,woh tum dono ko BOULEVARD bhejne ke liye hi tha but kisine GRIFFIN ko directly GALEN me hi entry dilwa di aur uski jagah iske ek CLONE ko tumhare saath bheja...

GRIFFIN-aur ye isiliye kiya gaya MAHI kyunki BOULEVARD ek pure WHITE ENERGY se bani hui jagah hai aur kyunki mai tumhari urja se bani hun, isiliye waisi jagah par automatically meri shaktiyan badh jaati hai..

aise me mujhe BOULEVARD ke saare hurdles aur unse nibatne ke tarike apne aap pata chal jaate..

phir usme challenge kaisa..?? isiliye woh MAYAVI VIDEOUS jinse tum aur mera clone ladh rahe the, unhone pehle hi mujhe yahan bhej diya taaki woh tumhari aakhri rookawat ban tumhe ache se dekh saken...

MAHI-mujhe ache se dekh saken..??kyun..???

GRIFFIN-woh MAYAVI VIDEOUS aur koi nahi balki tumhare PITAH the MAHI...the one & only LORD OF ANGELS....

GRIFFIN ki baat sun trance me chali gayi thi MAHI...

stabdh si chupchaap woh khadi reh gayi thi...jinse dheron shikayat karna,ladhna,gale lag rona, pehli baar milne par ye saari chizen karna chahti thi MAHI,woh aisa kuch bhi kar nahi paayi thi....

woh toh apne PITAH ko pehchan bhi nahi paayi..itna hi nahi,apne pitah se hui pehli mulakat me woh unhi se yudh kar baithi thi...

jahan ye sab soch rahi thi MAHI wahin apni baat ko aage badhate hue..

GRIFFIN-waise ek sawal mera bhi hai tumse WOOGER...kya tum isiliye humare saath nahi aaye the taaki yahan rehkar SHIELD ko bahar se band hone se rok sako...

WOOGER-mere MASTER ki yaadasht ko supress kiya hai tumhari MISTRESS ne...

toh jab tak ye apni energy ke kan mere MASTER se nikal nahi leti,isse bachana majboori hai meri....

kahan ye sochkar khush ho rahi thi GRIFFIN ki WOOGER ne unki dil se madad ki thi par ye bhi usne apne matlab ke liye kiya tha,ye jaankar uska mood off ho gaya..

wahin WOOGER ki baat sun MAHI bhi apni sochon se bahar aa gayi thi isiliye..

MAHI-phir der kis baat ki..?? chalo,tumhare MASTER ke dimag se mere shaktiyon ke particles extract kar unki yaadasht wapas laate hain...

waise hain kahan woh janab abhi...!!!

WOOGER-mere peeche aao...

jahan apni baat bol WOOGER
ek disha ki taraf badh gaya wahin MAHI aur GRIFFIN bhi uske piche ho li...

PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE

YE RAAZ PHIR GAYAB HO GAYA HAI...PATA NAHI KYUN ITNA GHUMTA REHTA HAI YE...???

apni baat bol ERRAPEL ne khudko RAAZ se joda aur aisa karne par jab usse RAAZ ki location mili jisse woh halki ghabra si gayi..

reason..

aa toh RAAZ uske ghar ki taraf hi tha par tha woh is waqt ussi area me jahan kuch din pehle NIMRODS ne usse pakda tha..

ye sab jaan ERRAPEL aanan faanan me tezi se apne cottage se nikalte hue sidhiyon se neeche utri par tabhi..

ALFREEN.....

ek awaaz ne uske kadam turant rok diye the...

aur jaise hi woh us pukare gaye naam ke disha me palti toh paaya ki ek khubsurat si ladki usse hi dekh rahi hai...

ye ladki aur koi nahi MAHI thi jisse ERRAPEL dekhte hi pehchaan gayi thi...

kaise..??

kyunki ek toh MAHI ki asli pehchaan...LORD OF ANGELS ka ansh..

aur dusri baat MAHI ka RAAZ ke liye pyar..

ab ERRAPEL toh bani hi RAAZ ke emotions power se thi,toh aise me RAAZ ko jo sabse zyada dil se pasand karta tha,usse jaanana, pehchaanana toh uske liye kaafi asaan tha...

wahin MAHI jo pehle hi ERRAPEL ki asliyat se waakif thi,par us sach ko jaanane ke baad bhi usne usse ALFREEN isiliye kaha tha kyunki ERRAPEL hubahu ALFREEN ki xerox jo thi...

is beech ERRAPEL ke dimag se RAAZ aur uski location jaise gayab hi ho gayi thi...

kuch pal yunhi ek dusre ko dekhte rehne ke baad ERRAPEL aur MAHI, dono ek dusre ke paas aayi aur..

ERRAPEL-mai ALFREEN nahi,

MAHI-ERRAPEL ho..jaanti hun...woh kya hai naa ki itna dino baad apni best friend ke face ko dekha toh ussika ka naam nikal gaya..

MAHI ki baat sun muskurayi ERRAPEL aur...

ERRAPEL-isne bataya mere baare me...!!!

WOOGER ki taraf joki is waqt GRIFFIN ki hi tarah invisible state me tha,uski taraf ishara karte hue kahi ye baat ERRAPEL ne jispar..

MAHI-tum RAAZ ka woh hissa ho(EMOTIONS)jisme mai khudko dekhna chahti hun..phir bhala kaise naa pehchaanu tumhe..!!!!

MAHI ki baat par ERRAPEL muskura di jiske baad...

MAHI-waise tum WOOGER ko iske invisible state me bhi dekh sakti ho....???

ERRAPEL-RAAZ ka hi toh urja hai ye...isse kisi bhi form ne pehchaan sakti hun mai...

waise tum invisible kyun ho..???

WOOGER-MASTER ki memory louti nahi hai.. toh aise me mujhe dekhna unke liye sahi nahi hoga...dar jaayenge woh..

ERRAPEL-arre waah...RAAZ ki urja hone ke baad bhi hoshiyar ho tum...!!!

WOOGER-MASTER ka hissa hone ke baad bhi bewakuf ho tum toh aise me bharpaayi
toh mujhe hi karni padegi naa..

WOOGER ki baat sun jahan MAHI halke se muskura uthi wahin ERRAPEL ne usse ghoor kar dekha par WOOGER ko is baat se naa koi fark padna tha,naahi pada par isse pehle ki koi aur kuch kehta...

WOOGER-MASTER aa rahe hain...

WOOGER ki baat sun kisi aur ko toh zyada kuch laga nahi par MAHI ke dil ki dhadkan badh gayi..

uski nazar bhi us taraf hi thi jahan se is waqt RAAZ usse aata hua dikhayi diya..

aur aisa hote hi uske kadam apne aap RAAZ ki taraf badh gaye...

ERRAPEL, GRIFFIN dono hi MAHI ke dilli haalat se waakif the, isiliye woh apni jagah par shaant hi khade rahe par MAHI ko apne MASTER ki taraf badhta dekh WOOGER halka sa has pada aur...

WOOGER-MAHI ko directly MASTER ke saamne nahi jaana chahiye tha...

ERRAPEL) GRIFFIN-matlab...!!!

WOOGER-khud dekh lo...

saamne MAHI ki taraf ishara karte hue joki RAAZ ke kareeb pahunch hi chuki thi,kahi ye baat WOOGER ne..

wahin jab ghumte hue mai wapas ERRAPEL ke cottage ke kareeb pahuncha toh maine ek anjaani ladki ko apni taraf aata hua dekha...

door thi filhal woh mujhse isiliye chehra uska clear nahi tha par jaise jaise mai aage badhta gaya,uska chehra mujhe saaf dikhne laga...

waise toh anjaan hi tha us ladki ka chehra mere liye par pata nahi kyun,usse dekhte hi mere dimag me ek negetive harkat hone lagi...

us ladki se mere BRAIN ko ek pehchaani si AURA feel hone lagi par jab aisa hua toh mujhe aisa lagne laga jaise mere andar koi aur hai jo mere dimag ko capture kar raha hai...

is beech woh ladki mere behadh kareeb aa gayi thi aur jab aisa hua toh mera brain completely blank ho gaya aur....

DHAKKKHH.... UMMM....UMMMMM...

MAHI ke kareeb aate hi RAAZ ne uski gardan pakad li aur usse hawa me utha liya...

RAAZ ki grip itni strong thi ki MAHI usse chhut nahi paa rahi thi aur saath hi saath uska dum bhi badi tezi se ghutne laga..

wahin jab is scene ko ERRAPEL aur GRIFFIN ne dekha toh woh dono naa sirf WOOGER ki kahi baat ka matlab samjhe balki hadbadate hue tezi se RAAZ aur MAHI ki taraf badh chale...

ERRAPEL toh bas saamne chal rahe scene ko dekh pareshan thi par GRIFFIN ko RAAZ ki harkat par ghussa aa gaya tha aur woh usse sabak sikhane ke liye invisible mode me hi challang lagane waali thi par tabhi...

WOOGER ne GRIFFIN par challang laga di jiske agle hi pal uski lambi gardan WOOGER ke bade se panje ke neeche thi...

wahin ERRAPEL bhi jaise hi RAAZ ke paas pahunchi toh...

WOOGER-agar MASTER ko tune touch kiya toh phir kuch aur touch karne ke liye zinda nahi bachegi tu....

chand saansein bachi hai teri,unhe bache hi rehne de..

aur tu,hilna band kar warna kuch der pehle jaise BOULEVARD me tere clone ka sir dhadh se alag hua tha,ab tera ho jaayega...

WOOGER ki baat sun GRIFFIN ka chattpatana bhi band ho gaya aur ERRAPEL ka aage badhna bhi..

par ERRAPEL ne apni aankhen zaroor band ki aur apne EMOTIONS ki ek strong urja RAAZ ke taraf uda di...

wahin in sabke beech MAHI ki aankhein palatne lagi thi aur usse is haalat me pahunchane waale RAAZ ke face par koi expressions nahi the...

MAHI ki saansein kabhi bhi band ho sakti thi par tabhi...

ERRAPEL ka release kiya EMOTIONS AURA sidhe jaakar RAAZ ke brain se takraya jiske baad RAAZ ko laga jhatka aur uske haathon ki grip dheeli hone lag gayi..

kuch hi seconds me MAHI uske haathon se chhut chuki thi aur RAAZ neeche girkar behosh ho chuka tha...

KHHHONNNN...KHHONNNNN....

kaafi der tak khaanste hue apne saanson ko durust karti rahi MAHI..

ERRAPEL bhi uske peeth ko halke halke sehla rahi thi...

WOOGER ne apna panja GRIFFIN ke gardan se hata diya tha jiska baad woh khadi hokar usse hi ghure jaa rahi thi..

khair, WOOGER aage badha aur apne energy se RAAZ ko hawa me utha usse apne bade se peeth me ladh cottage ke andar usse letane ke liye le gaya aur usse sofe me hi letakar woh wapas aa gaya..

itni der me MAHI kaafi hadh tak theek ho gayi thi aur isiliye...

MAHI-ye kya hua tha RAAZ ko...??usne mujhpar attack kyun kiya..???

WOOGER-PITAH ki jaaydad hi nahi,bacchon ko unke karm ke nateeje bhi virasat me milte hain.

MAHI-matlab..???

WOOGER-tum ye bhul gayi thi ki MASTER ke brain me tumhari ANGEL PARTICLES moujud hain jinhone unke devilish side aur energy ko rok ke rakha hua hai..

par tumhe dekh aur tumse aa rahe tumhare PITAH ke vibe ko MASTER bhuli hui memory ke dabe hue ghusse ne pehchaan liya jiski wajah se woh devilish energy kisi tarah tumhare particles ko dhakka dete hue bahar aa gayi..

nateeja,hum sabne dekha aur tumne mehsoos kiya...

MAHI-toh kya mai jab bhi RAAZ ke saamne jaaungi,toh aisa hi hoga...!!!

WOOGER-short circuit baar baar nahi hota...is ERRAPEL ne jo AURA release kiya tha,uski wajah se MASTER ka negetive aur devilish side wapas supress ho chuka hai aur ab jab tak MASTER ki memory loutkar nahi aati,woh daba hua hi rahega...

GRIFFIN-jo tumhari jaan lene waala tha,tum usse uski yaadasht loutane yahan aayi ho...!!!!

bade negetive andaz me kahi ye baat GRIFFIN ne jispar..

MAHI-uske maa baap mare hain GRIFFIN..woh bhi ussi ke haathon..

aur kahin naa kahin aisa hone ke piche mere pitah ka haath toh hai hi...

wajah bhale hi universe ke liye profitable ho par ek bete ke liye toh uske maa baap hi pure universe hote hain aur RAAZ ka woh universe ussike haathon khatm kiya gaya hai...

agar mujhe taklif dekar hi uski taklif kam hoti hai,toh yahi sahi....

ye bol MAHI palti aur RAAZ ke paas jaane ke liye cottage ki taraf badh gayi...

jahan WOOGER aur GRIFFIN bhi uske saath hi the wahin ERRAPEL MAHI ki baat ko sun kuch der sochti rahi par phir...

ERRAPEL-agar RAAZ baaki sabko taklif pahunchane waala hai toh aisa karne ka result usse bhi chukana hoga...

ERRAPEL tumhe tumhari puri EMOTIONS ki shakti kab tak degi, RAAZ ye tay karega tumhara ATTITUDE..

PLACE-THE FROZEN LAKE

YE RAAZ WAHAN KYA KAR RAHA HAI...????

MAHI ne pucha tha ye sawal ERRAPEL se...

reason....

jame hue LAKE ke kinare ek bade se pedh ka ot liye doobte hue suraj ko dekh raha tha RAAZ...

jab RAAZ ke hosh me aane ka waqt aaya toh WOOGER ne ye baat MAHI ko bata di thi,jiske baad woh woh dusre kamre me chali gayi thi..

tab se lekar abhi tak MAHI dobara RAAZ ke saamne nahi gayi thi...

aur abhi bhi door se RAAZ ko dekhte hue pucha tha ye sawal MAHI ne jispar...

ERRAPEL-ye har shaam wahan jaakar baith jaata hai aur us jame hue jheel aur doobte suraj ko dekh koi dhun gungunaate rehta hai..

MAHI-dhun..as in song k tune.. really...!!!wow..!!!mai sunana chahti hun...par uske saamne jaana..!!!!

WOOGER-jaa sakti ho unke saamne..jo hona tha,woh ho chuka..ab waisa kuch nahi hoga..

infact, filhal toh jo kuch ghante pehle hua,uske liye MASTER sharminda bhi hain...

WOOGER ki baat sun MAHI RAAZ ki taraf badh chali aur kuch hi der me woh theek uske peeche thi aur jab aisa hua toh...

HM HMM HM,HM HMM HM,HMM HM HMM HM...

HM HMM HM,HM,HM,HMMHM HMM HM.....

ye dhun padi MAHI ke kaano me jisse sun..

MAHI-nice tune...

is naye awaaz ko sun mai piche palta aur aisa karte hi mere saamne wahi chehra tha jiske gale ko najaane kyun par kuch der pehle daba diya tha maine aur jiski wajah se mujhe andar hi andar bohot zyada guilt feel ho raha tha...

aur ab jab woh ladki saamne thi,toh mai usse nazarein nahi mila paa raha tha..

shayad woh ladki bhi mere manobhaav samajh gayi thi isiliye..

MAHI-relax RAAZ..jo tumne kiya,woh ek flow of the moment tha...

aur waisa hone ka ek valid reason bhi tha...

MAI-kya tum mere bhule hue past ka koi galat pehlu ho jiski wajah se maine woh kiya jo kiya...

MAHI-mai us ped ka phal hun jisne tumse tumhari chhaya chhin li...

RAAZ-mai samjha nahi...

MAHI-samjhi toh mai bhi nahi hun..par shayad kuch naa samajh paana hi hum dono ki niyati hai..

MAI-par bina samjhe tark ka koi arth nahi hota..

MAHI-aur kabhi kabhi arth toh hota hai par usse darshaane ke liye tark nahi hota...

hum dono ka case kuch waisa hi hai...

MAI-kya hum dost hain...????

MAHI-shayad haan...

MAI-yaa shayad nahi...

MAHI-aur woh bhala kyun...???

MAI-agar rishton me bhi exclamation mark lagne lage toh woh rishte hote hi nahi...

MAHI-rishte do tarfa hote hai RAAZ...ek maane aur dusra nahi toh aise me full stop nahi, exclamation hi lagana padta hai....

MAHI ki baat par mai halka sa muskura diya jisse dekh...

MAHI-kya hua..??

MAI-tumhari baaton ko sun aisa lagta hai jaise humare case me exclamation mark maine hi lagaya hai...

meri baat sun MAHI bhi muskura uthi jiske baad...

MAHI-waise jab tumne mujhe dekha tha toh guilt mehsoos kiya tha par abhi tak tumne sorry nahi kaha...

MAI-sorry....

MAHI-apology not excepted..

us ladki ke yun kehne par maine kuch kaha nahi,bas nazarein saamne kar li jispar...

MAHI-waise ek tarika hai jisse mai tumhe maaf kar sakti hun...

MAI-batao phir...

MAHI-mai jab aayi toh tum koi dhun gunguna rahe the..us dhun ke bol gaado,mai maaf kar dungi....

MAI-ajeeb baat hai...subah dimag shaant tha mera, par tumhe dekhte hi bechaini hone lag gayi thi par abhi dil bechain tha,par tumhe dekha toh shaant ho gaya...

MAHI-is baat ka meri farmaish se kya lena dena..???

MAI-dil ko jab sukoon aata hai naa,toh har dhun ko alfaaz mil hi jaate hain...

mujhe bhi mil gaya...

MAHI-really...???toh sunao phir....

MAI-rehne do..udaas ho jaaogi...

MAHI-kabhi kabhi udaasi khushi se zyada sukoon deti hai..

MAI-naam kya hai tumhara...???

MAHI-MAHI....

MAI-sach kaha tha tumne... aakhen tumhari udaas hai par naam sukoon se bhara hai...

MAHI-compliment ho gayi ho toh gaana ho jaaye...

MAI-

aaj phir shaame tanhaayi jaagi....
aaj phir ek aansu GIRA GIRA HAI...(2)

baarish naa bhigaayi zamee ko,(2)
ek aansu se aaj ye GILA HAI...
.
.

dard itni uthi hai SEENE ME...
mushkil ho rahi hai JEENE ME...

ro rokar magar JEE RAHA HUN...
khudke aansu me aaj PEE RAHA HUN...

dil me aaj uth raha ek NASHA HAI,
tujhko chaah ke bas gum hi MILA HAI....
.
.

aaj phir, aaj phir,haan aaj phir shaame tanhaayi jaagi....
aaj phir ek aansu GIRA HAI.....

baarish naa bhigaayi zamee ko,(2)
ek aansu se aaj ye GILA HAI...

(COPYRIGHT V..J)

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V....J......
Marvelous update Bhai superb
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,699
189
VJ bhai.... ultimate story, pichli wali se bhi behtreen koi words ni iske liye. Hats Off

Aapse inspire hoke maine bhi do stores chalu ki hai jinke name hai:

1. Invincible - Too strong too defeat (Running - 4 update given)
2. Emperor's Domination (Running - 4 update given)

Mai chahunga ki aap inhe padhe aur apne comment de aur saath hi meri in dono stories ko viewers and reviewers mein promote krawaye agar aapko pasand aaye ye to.....

Aur ek request hai ki aap meri in dono stories ko follow jarur kre taki jb bhi update aaye inhe padh krr aap apne views and comment de

Thanks bhai!
thanks brother and done..agar mere reviews se aapko madad milti hai toh mai ye zaroor karunga..

all the best for your story
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
hello vj4u bhai ji mai kuch kahna chahunga aapse aaj hathi ko apne bal ka gyan ho na ho lekin bhalu kitna bhi saktisali ho hathi ko utha nahi sakta ok kahne ka matlab hai mahi ab pahle jitni kamjor nai hai aapne khud kaha hai story me kahin ki wo raaz aur videos se kahin jada powerful hai fir baat baat ma aap uska tetuan utha kar usko marne ki haltat ma kar dete ho jabki aapki story me koi point milta hi nahi hamko lekin ye sikayat hai dusri baat par aate hain raaz ne waise hi khud ko itna storog bana liya tha ki wo pure college me sabse saktimaan ho gaya tha professor se lekar videos tak us time me videos ki alokik saktiyan filhaal lock hain to ab Jab wo wapas lautega to kaun usko takkar de payega is baar to wo gussa me bhara hua waise hi aur ghayal sher bahut khatarnaak hota hai yakin na ho bolo
 
Last edited:

brother,dhyan se padhiye aur samajhne ki koshish kijiye..taakat se important baat ye hai ki MAHI VIKRAM aur AVANTIKA ki beti hai...

uski soojh bhuj alag kevel ki hai..ye baat samhiye ki MAHI bhale hi aage jaakar VIDEOUS aur RAAZ dono ko ek saath bhi hara de,par maar woh in dono me se kisiko bhi nahi sakti...

ye hakh usse nahi mila...woh saari baatein analyze karegi aur phir situation ke according faisla legi..

example me kahun toh woh Mahabharat ke SHRI KRISHNA ka role play karegi jo hai toh sabse shaktishaali,par chalega uska sirf dimag hi...

haan jahan zaroorat padegi toh woh ladhne ke liye taiyar bhi rahegi,par woh bhi sirf isiliye taaki RAAZ ka raasta clear ho sake..

ek aur baat,MAHI ka asli power source fallon aur uske heart ke dusri taraf base uske human form power source me hai aur in dono hi parts ne paas aana shuru bhi nahi kiya hai..

anyways,abhi last scene me RAAZ ka ghussa Mahi par nahi,uske baap par tha aur ye baat bhi woh ache se jaanti thi..

RAAZ ka attitude ab filhal aisa hoga ki bramhand jaaye bhaad me,usse kisise koi matlab nahi hoga aur usse zabardasti bhi nahi ki jaa sakti.. aise me agar MAHI usse bhid jaaye toh fir ho gaya kalyan..

rahi baat RAAZ ki toh Brother,uski aloukik shaktiyan lock hai nahi thi..abhi uske paas koi aloukik shakti hai hi nahi..woh ek normal SAVENT hai..

haan,uski normal SAVENT ability jo ki AMPLIFICATION aur REFINER power se banti hai,woh bhi hadh se zyada taakawar aur impactful hai,par ye mat bhuliye ki ERRAPEL joki uski sabse badi taakat hai,woh abhi usse naaraz hai.

aur ERRAPEL RAAZ ki woh takat hai jo agar chaahe toh RAAZ ko puri baazi hara sakti hai.. RAAZ ka uspar koi zor nahi..

bottom line ye hai brother ki kirdaaron ke saath kya ho raha hai,ispar gaur mat kijiye,kyun ho raha hai,ye samjhiye..

maine pehle bhi kaha hai,phir kehta hun ki kirdaron ki value itni nahi hai jitni kahani ki hai..jo jab hona hai,woh tab hi hoga.
having said that,aage kya hoga,ye guess hoga nahi isiliye bas padhte jaaiye.. bohot si unexpected chizen hone waali hain...
 
Top