• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259

Update 15

Woh kehkar Aisha apney pita ko khinch kar andar chali gayi. Vijay heyraan baahar khara rehgaya aur apni maa aur behnon ko dekh kar roney laga. Uss ki behen ne uss ko gale se lagaya aur kaha, “Tum udaas mat ho bhaiya sab thik hojayega.”

Leki thik kahan kuch hona tha, thodi der ke baad, Vinod chacha baahar phir aya aur bahot hi ghussey mein kaha, “ Tum sab ghaur se sunon, aaj ke baad koyi bhi tumharey yahan se mere yaha nahin ayega, na Pooja, na ANU, NA AUR KOYI BHI, AUR NAHI MERE BACHCHEY TUMHAREY YAHAN JAYEINGUEY.” Ye sab uss ne Vijay ke maa se kaha. Phir andar jaakar wapas aya, hath mein telephone ki taga tha, aur kaha, “Main ne apna telephone bhi disconnect kardiya, number badalwa dunga, aur tumharey yahan mera number nahin hoga. Aur Aisha ki sim card bhi jala di main ne koyi bhi contact nahin rahega inn donon ke beech ab.Aur Vijay, bara mard bantey ho nah? To agar sachcha mard ho to tum bhi apna sim badal do aur naya sim lag lo aur kabhi bhi Aisha ko who naya number nahin dena, kar saktey ho mardon wali ye kaam tum?”

Vijay laachaar khada tha aur uss ke enkhon se ensoo beh rahe the…. Paagal ki tarah who apney chacha ko dekh raha ha, bilkool bebus tha kyunke Aisha hi uss ke taraf nahin thi aur baahar bhi nahin nikal rahi thi.

Vijay zor se Aisha ka naam phukara. Woh nahin ayi. Phir se phukara, par Aisha nahin nikli. Tab Vijay ne apney chacha ko zor se dhaka de kar Aisha ke ghar ke andar gaya, aur Aisha ki kamrey ko kholney ki koshish ki. Darwaza andar se lock tha. Aisha ka bhai aur behen maa bhi wahin kharey the, phoir Vinod chacha tab tak andar aya aur ek lakri se Vijay ke peeth par zor se mara, Vijay ko chot lagi aur apney peeth par haath laga kar wahin baith gaya, aur saans lene ko machal raha tha… aur rotey huwe zor se Aisha ka naam phukara, phir bhi Aisha ne darwaza nahin khola. Baahar se Anirud chacha andar daakhil huwa aur Vijay ko bahon mein liya aur wapas chalney ko kaha. Sab kharey dekh rahey the…. To Vijay ne Anirud chacha se girgiraya ke “bus ek aakhri baar Aisha ko baahar bulwado” Vijay ko zor se chot lagi thi peeth par aur ussko saans lene mein taklif ho rahi thi. Anirud chacha ne Aisha ko awaaz di aur hukm di ke woh baahar ayein. Aish Anirud chacha ko bada pita maanti thi to who nikli. Who bhi ro rahi thi, par jab ussne Vijay ko nichey para dekhi to ro ro kar boli, “Tum yahan kabhi mat aana ab. Hamara ab koyi rishta nahin raha. Nahin samjha tumney? Chaley jawo yaha se main tumhara koyi nahin aur main tumko dekhna bhi nahin chahti. Ab mujhey tumhare shakal se nafrat hai. Chaley jawo yahan se.”

Vijay ne zor laga kar khada honey ki koshish ki, aur Aisha ke kandhon ko pakar kar kaha, “Achcha? To mujhey di huwi unn wadon ka kia huwa? Meri patni banney ka vachand bhi to diya that tum ne? woh torr dali? Kia hai yeh sab Aisha. Meri Aisha, bolo? Kia ho raha hai? Achanak yeh keise ho sakta hai? Hamara rishta kia hai yeh tum ne nahin bataya apney papa ko? Tum ne to kaha tha sub thik ho jayega…ab kyun eisa keh rahi ho?”

Itney mein Vinod chacha phir se chilaaya, “Bus ab bahot ho chukka, niklo yahan se ab.”

Vijay ke honth se khoon behraha tha, kaan ke nichey se bhi khoon nikal raha tha jab ghunsey se Vinod se larayi kar raha tha, aur Vinod ki enkhon ke nickey se khoon nikal raha tha, wahan Vijay ka ghunsa para tha. Anirud chacha ne Vijay ko wapas chalney ko kaha. To Vijay ne Aisha ko zor se bahon mein liya sub ke saamney aur dhirey se kaha, “Achcha Aisha agar yeh hamari aakhri mulakaat hai to, mujhey hamari har roz ki tarah kiss karo, maathey par, gaalon par aur hothon par.” Aisha ne rotey rotey huwe Vijay ko jaldi se teenon jagah par kiss kiya aur Vijay ne bhi wohi kiya aur bahot zor se Aisha ko apni bahon mein jakra raha, tab tak Vinod ne aakar donon ko alag kiya aur Anirud chacha Vijay ko baahar legaya.

Baahar nikaltey hi Vijay behosh gir para. Uss ko gehra chot laga tha jab Vinod ne ek motey lakri se us ski peeth par mara tha.

Ussko hospital lejaya gaya. Aisha ko jab pata chala ke who hospital mein admit huwa hai to who roti rahi aur apni takdeer ko kosti rahi…..

Xray ke baad pata chala ke Vijay ke dil ko zor ka Dhaka laga kissi cheez se takraaney ke baad, lekin ghabraney ki koyi baat nahin thi, ussko araam ki zaroorat thi. To 3 din ke liye doctor ne uss ko observation mein rakha.


Jab Vijay ke pita kaam se wapas aya sham ko aur sab vakiyaat janney ke baad uss mein aur Vinod mein phir bahot larayi huwi. Aur Vijay ka baap bhi bol para ke, “Aaj ke baad na main na mere gahr se koyi bhi tumharey dwar par muthney ko bhi na ayega. Aur nahi koyi tumharey yahan se mere yahan ayega.”

Anirud chacha ne kaha, “yeh kiss ki nazar lag gayi hamarey khushhaal pariwaar ko. Hum sab itney saalon se itni muhabat se reh rahe the. Main ne to hamesha se soch rakha tha ke Vijay aur Aisha, donon ki shadi ki jayegi, to ab yeh kia ho raha hai?”

Kissi ke paas koyi jawaab nahin tha…….

Hospital mein Vijay sirf Aisha ke baarey mein soch raha tha. Uss ne socha ke agar Aisha chahti to woh sab chor chaar kar Vijay ke saath aasakti thi. Aisha ne eisa kyun kiya? Kyun achanak badal gayi who? Vijay jeise thik hona hi nahin chahta tha. Aisha ke baghair uss ka zinda rehna uss ko manzoor hi nahin tha…. Who sochta tha ke ussi waqt agar ussko ek zeher ka shisha milta to woh ussi waqt who zeher kha leta…. Marna chahta tha woh……. Raat bhar rota raha…unn dinon ko yaad karta tha jab who donon kitney khush the ek dusrey ke saath…..

Dusrey din, jab doctor Vijay ki moayena ke liye aya to uss ne Vijay se kaha, “Tum bahot stress le rahe ho…agar eisa chalta raha to tumharey dil ko takliff hogi, wahan chot pohncha hai, khoon bhi jama hai wahan, tumko normal hona chahiye, nahin to blood clot ho sakta hai aur khatra bahr sakta hai….. main injection deta hoon uss khoon ko clotting se bachaney ke liye, tum bilkool kissi tarah ki pareshani ko apney dimaagh se nikaldo, nahin to thik honey mein mushkil hogi”

Vijay ne apney aap se kaha, ‘ dil ko to gehri chot ponhchi hi hai…dil to andar se ghayal hai …. Dil ko to Aisha ne apney baap se ziada chot diya hai, chacha wala chot to seh sakta hoon, lekin Aisha ki di huwi chot nahin saha jata…’ yeh sochkar who roney laga…. Doctor ne kaha agar royega to andar bahot takliff hogi……. Par who keise apney aap ko rok sakta tha, bahot gehra zakham jo liya tha andar……..


To be continued……………………
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 16

Teen din bad Vijay hospital se discharded huwa aur wapas apney ghar ko aya. Who bilkool thik ho chukka tha uss chacha ki di huwi chot se lekin Aisha ki taraf se di huwi chot uss ke dil par ziada bhai tha. Who bahot pareshaan tha aur uss ka dimagh jeise khali tha aur sar dard ho raha tha ussey.


Apney kamrey mein se woh Aisha ki kamrey ke taraf ghanton dekhta rehta, iss umeed se k eek baar Aisha usko dekhey, lekin Aisha ki kamrey ki parda khincha huwa tha aur who bilkool nazar nahin arahi thi. Vijay sirf sad songs sun raha tha aur gunguna bhi raha tha….. ek dum dard-e-dil liye ghutan si mehsoos kar raha tha woh.

Hospital mein uss me Aisha ko bahot miss kiya tha aur us ki nazar har waqt hospital ki darwaze par rehta ke kab Aisha uss ko dekhney ke liye aye….. kitni fark hogayi thi bus chand dinon mein,m Vijay ko yaad aya ke keise Aisha daud kar uss ke paas ati thi jab bhi uss ko kuch hota tha, aur uss ne uss din o yaad kiya jab unn larkon se larayi karkey keise woh ghayal huwa tha aur Aisha uss ka dekh bhaal kartey uss ke paas so gayi thi….. Vijay soch raha tha kia woh din phir ayeinguey uss ke zindagi mein ?


Sabhi puraney yadein Aisha ke saath bitaye huwe Vijay ke enkhon se saamney arahe the, aur usske dimagh mein hulchul si machi huwi thi unn yaadon ko lekar, aur bahot ghutan ho rahi thi. Uss kolag raha tha usski sansein ruk jayegi, gehri sansein le raha tha aur apni enkhon ko Aish ki kamrey par jamaya huwa tha, yaadon mein khoya.


Usska bada Anirud chacha uss ko dekhney ke liye aya, aur Vijay ro para uss se kehtey huwe ke woh Aisha ko nahin bhool payega aur chacha se binati ki ke woh kuch karein uss ke liye. Anirud chacha majboor tha aur ussney Vijay ko tassali di ke woh Vijay ke liye ziada khub surat aur achci ladki dhundega. Lekin Vijay kissi aur ladki ke baarey mein sochna bhi nahin chahta tha.

Kuch der Anirud chacha ke janey ke baad Rajesh ki patni, Kaajal ayi Vijay se milney. Woh donon hum umar the aur aap logon ko yaad hoga ke Aisha jalti thi jab Vijay Kaajal se batein karta tha….. Vijay apney kamrey mein tha aur jeise hi Kaajal andar gayi to Vijay uss ko dekh ke roney laga…Kaajal ne Vijay ko bahon mein liya aur ek bachchey ki tarah uss kar sar sehlaatey huwi kaha, “Kyun bachchon ki tarah ro rahe ho, ab bus bhi karo, sub thik hojaega.” Viajay ne rotey huwe kaha, « Nahin Kaajal ab kuch bhi thik nahin hoga mujey lagta hai, tum kuch karo nah. Aisha se tum kuch kaho na, tum uss se mere liye baat karo na. Mera to wahan jana mana hai, mere pariwaar ka kissi bhi sadaya ko wahan jana mana hai, to main Pooja se bhi to nahin keh sakta ke woh Aisha se kuch kahein ab to bus sirf tum ho, kuch karo na kaajal. » Vijay apney khirki ke paas kharey ho kar Kaajal ko dikhaya ke uss khirki ke paas se woh Aisha ko dekha karta hai, Vjay ne kaha, « Kaajal tum jawo abhi issi waqt Aisha ke yahan aur uss se kaho ke main uss ko dekhna chahta hoon, uss se apney
khirki ke paas aney ke liye kaho. Jawo na please. » Kaajal Vijay ko uss haal mein nahin dekh sakti thi, uss ne phir se Vjay ko zor se apni baahon mein liya, Vijay ka sar Kaajal ki chaati par tha aur ussko Kaajal ki dharkanein sunayi de raha tha…Kajal Vijay ko bahot chahti thi, aur pehley ek din uss ne Vijay se kaha tha, « Tum ko mers pati hona chahiye tha. Tum bahot achchey ho aur hum donon ke khayalaat bahot miltey hein, aur tum mein who sab adayein hai jo main ek ladka mein chahti thi…” yeh unn dinon ki baat hai jab, Kaajal ko uss ghar mein Rajesh ke pariwaar ke saath khul milney mein mushkil ho rahi thi. Uss waqt Vijay ne Kaajal ko bahot support kiya tha. Kaajal ke mann mein Vijay ke liye hamesah se ek kamzori thi, agar uss ka bus chalta to who Rajesh ko chor kar Vijay se shadi kar leti, who itna chahti thi Vijay ko lekin kabhi kaha nahin tha. Kaajal ko Vijay ko bahon mein liye bahot achcha lag raha tha, aur who chahti thi ke who ussko weise hi liye rahe…..

Lekin ussko pata tha ke Vijay weisa ladka nahin tha aur kabhi bhi uss ko uss nazar se nahin dekhta tha. Lekin Kaajal ne bahot baar raat ko Rajesh ke saath ishk kartey waqt Vijay ko khayaalon mein laaya tha aur mehsoos kiya tha ke who Vijay ke saath hum bistar ho rahi hai…lekin ye batein sirf Kaajal ki dimagh mein thi, Vijay ki nahin….


To Vijay ne phir ilteja kiya ke who Aisha ke yahan jayein aur kuch karein. Kaajal ne Vjay ko bataya ke jab who hospital mein tha to uss ka kutta bahot shor kar raha tha kyun ke koyi ussko kholney ko nahin tha… to der raat ko Aisha uss ko kholney ke liye ayi thi. Vijay ko heiraani huwi yeh jaankar aur pucha ke kia Vinod chacha ne ussko aney diya? Kajal ne jawaab diya ke Tiger shor karta tha to Aish ke kamrey mein bji shor pohonchta tha to uss ko bhi taklif huwi hogi issi liye shayad kissi ne mana nahin kiya…baaki aur koyi bhi to Tiger ko nahin chhu sakta nah, tum ne Aish ko Tiger se bahot dosti karwaya tha, to who sirf tumko aur Aisha ko paas aney deta hai….

Jab Kaajal chali gayi Aisha ke yahan to jaldi se Vijay apney kuttey Tigare ke paas gaya aur uss ko tham kar uss se batein ki, “Kyun re Tiger, Aish tujhey kholne ayi thi? Hmmm? Kia kaha ussney tujhse? Keisi thi who? Kia who udaas thi? Mere barey mein kuch kaha ussney? Uss ko kia gham thi ke main hospital mein tha? Bol re Tiger, kuch bol yaar…” Tiger machal raha tha aur bahot khush tha Viajy ko apney paas paa kar…. Lekin who wafadaar jaanwar agar kuch kehta bhi to keise? Uss ko Aisha ki feelings ka pata to hoga lekin kudrat ki karishma dekho ke kuch keh bhi nahin sakta tha woh……

Kuch der baad, Vijay apney kamrey mein waapas gaya aur phir khirki ke paas khara hogaya aur Kajal ki aney ki raah dekhta raha…. Woh sochta tha ke iss waqt kia keh rahi hogi Aisha se. Kia Aisha khirki ke paas ayegi? Vijay ki nazrein Aisha ke kamrey ki khirki par jami huwi thi aur aur woh intezaar kar raha tha ke Aisha khirki ke parde ko hatayegi aur uss ko dard bhari nazron se dekhegi…… woh dekhta raha, dekhta raha, intezaar karta raha, lekin parda nahin hata…………


To be continued……………………
 
Last edited:

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 15

Woh kehkar Aisha apney pita ko khinch kar andar chali gayi. Vijay heyraan baahar khara rehgaya aur apni maa aur behnon ko dekh kar roney laga. Uss ki behen ne uss ko gale se lagaya aur kaha, “Tum udaas mat ho bhaiya sab thik hojayega.”

Leki thik kahan kuch hona tha, thodi der ke baad, Vinod chacha baahar phir aya aur bahot hi ghussey mein kaha, “ Tum sab ghaur se sunon, aaj ke baad koyi bhi tumharey yahan se mere yaha nahin ayega, na Pooja, na ANU, NA AUR KOYI BHI, AUR NAHI MERE BACHCHEY TUMHAREY YAHAN JAYEINGUEY.” Ye sab uss ne Vijay ke maa se kaha. Phir andar jaakar wapas aya, hath mein telephone ki taga tha, aur kaha, “Main ne apna telephone bhi disconnect kardiya, number badalwa dunga, aur tumharey yahan mera number nahin hoga. Aur Aisha ki sim card bhi jala di main ne koyi bhi contact nahin rahega inn donon ke beech ab.Aur Vijay, bara mard bantey ho nah? To agar sachcha mard ho to tum bhi apna sim badal do aur naya sim lag lo aur kabhi bhi Aisha ko who naya number nahin dena, kar saktey ho mardon wali ye kaam tum?”

Vijay laachaar khada tha aur uss ke enkhon se ensoo beh rahe the…. Paagal ki tarah who apney chacha ko dekh raha ha, bilkool bebus tha kyunke Aisha hi uss ke taraf nahin thi aur baahar bhi nahin nikal rahi thi.

Vijay zor se Aisha ka naam phukara. Woh nahin ayi. Phir se phukara, par Aisha nahin nikli. Tab Vijay ne apney chacha ko zor se dhaka de kar Aisha ke ghar ke andar gaya, aur Aisha ki kamrey ko kholney ki koshish ki. Darwaza andar se lock tha. Aisha ka bhai aur behen maa bhi wahin kharey the, phoir Vinod chacha tab tak andar aya aur ek lakri se Vijay ke peeth par zor se mara, Vijay ko chot lagi aur apney peeth par haath laga kar wahin baith gaya, aur saans lene ko machal raha tha… aur rotey huwe zor se Aisha ka naam phukara, phir bhi Aisha ne darwaza nahin khola. Baahar se Anirud chacha andar daakhil huwa aur Vijay ko bahon mein liya aur wapas chalney ko kaha. Sab kharey dekh rahey the…. To Vijay ne Anirud chacha se girgiraya ke “bus ek aakhri baar Aisha ko baahar bulwado” Vijay ko zor se chot lagi thi peeth par aur ussko saans lene mein taklif ho rahi thi. Anirud chacha ne Aisha ko awaaz di aur hukm di ke woh baahar ayein. Aish Anirud chacha ko bada pita maanti thi to who nikli. Who bhi ro rahi thi, par jab ussne Vijay ko nichey para dekhi to ro ro kar boli, “Tum yahan kabhi mat aana ab. Hamara ab koyi rishta nahin raha. Nahin samjha tumney? Chaley jawo yaha se main tumhara koyi nahin aur main tumko dekhna bhi nahin chahti. Ab mujhey tumhare shakal se nafrat hai. Chaley jawo yahan se.”

Vijay ne zor laga kar khada honey ki koshish ki, aur Aisha ke kandhon ko pakar kar kaha, “Achcha? To mujhey di huwi unn wadon ka kia huwa? Meri patni banney ka vachand bhi to diya that tum ne? woh torr dali? Kia hai yeh sab Aisha. Meri Aisha, bolo? Kia ho raha hai? Achanak yeh keise ho sakta hai? Hamara rishta kia hai yeh tum ne nahin bataya apney papa ko? Tum ne to kaha tha sub thik ho jayega…ab kyun eisa keh rahi ho?”

Itney mein Vinod chacha phir se chilaaya, “Bus ab bahot ho chukka, niklo yahan se ab.”

Vijay ke honth se khoon behraha tha, kaan ke nichey se bhi khoon nikal raha tha jab ghunsey se Vinod se larayi kar raha tha, aur Vinod ki enkhon ke nickey se khoon nikal raha tha, wahan Vijay ka ghunsa para tha. Anirud chacha ne Vijay ko wapas chalney ko kaha. To Vijay ne Aisha ko zor se bahon mein liya sub ke saamney aur dhirey se kaha, “Achcha Aisha agar yeh hamari aakhri mulakaat hai to, mujhey hamari har roz ki tarah kiss karo, maathey par, gaalon par aur hothon par.” Aisha ne rotey rotey huwe Vijay ko jaldi se teenon jagah par kiss kiya aur Vijay ne bhi wohi kiya aur bahot zor se Aisha ko apni bahon mein jakra raha, tab tak Vinod ne aakar donon ko alag kiya aur Anirud chacha Vijay ko baahar legaya.

Baahar nikaltey hi Vijay behosh gir para. Uss ko gehra chot laga tha jab Vinod ne ek motey lakri se us ski peeth par mara tha.

Ussko hospital lejaya gaya. Aisha ko jab pata chala ke who hospital mein admit huwa hai to who roti rahi aur apni takdeer ko kosti rahi…..

Xray ke baad pata chala ke Vijay ke dil ko zor ka Dhaka laga kissi cheez se takraaney ke baad, lekin ghabraney ki koyi baat nahin thi, ussko araam ki zaroorat thi. To 3 din ke liye doctor ne uss ko observation mein rakha.


Jab Vijay ke pita kaam se wapas aya sham ko aur sab vakiyaat janney ke baad uss mein aur Vinod mein phir bahot larayi huwi. Aur Vijay ka baap bhi bol para ke, “Aaj ke baad na main na mere gahr se koyi bhi tumharey dwar par muthney ko bhi na ayega. Aur nahi koyi tumharey yahan se mere yahan ayega.”

Anirud chacha ne kaha, “yeh kiss ki nazar lag gayi hamarey khushhaal pariwaar ko. Hum sab itney saalon se itni muhabat se reh rahe the. Main ne to hamesha se soch rakha tha ke Vijay aur Aisha, donon ki shadi ki jayegi, to ab yeh kia ho raha hai?”

Kissi ke paas koyi jawaab nahin tha…….

Hospital mein Vijay sirf Aisha ke baarey mein soch raha tha. Uss ne socha ke agar Aisha chahti to woh sab chor chaar kar Vijay ke saath aasakti thi. Aisha ne eisa kyun kiya? Kyun achanak badal gayi who? Vijay jeise thik hona hi nahin chahta tha. Aisha ke baghair uss ka zinda rehna uss ko manzoor hi nahin tha…. Who sochta tha ke ussi waqt agar ussko ek zeher ka shisha milta to woh ussi waqt who zeher kha leta…. Marna chahta tha woh……. Raat bhar rota raha…unn dinon ko yaad karta tha jab who donon kitney khush the ek dusrey ke saath…..

Dusrey din, jab doctor Vijay ki moayena ke liye aya to uss ne Vijay se kaha, “Tum bahot stress le rahe ho…agar eisa chalta raha to tumharey dil ko takliff hogi, wahan chot pohncha hai, khoon bhi jama hai wahan, tumko normal hona chahiye, nahin to blood clot ho sakta hai aur khatra bahr sakta hai….. main injection deta hoon uss khoon ko clotting se bachaney ke liye, tum bilkool kissi tarah ki pareshani ko apney dimaagh se nikaldo, nahin to thik honey mein mushkil hogi”

Vijay ne apney aap se kaha, ‘ dil ko to gehri chot ponhchi hi hai…dil to andar se ghayal hai …. Dil ko to Aisha ne apney baap se ziada chot diya hai, chacha wala chot to seh sakta hoon, lekin Aisha ki di huwi chot nahin saha jata…’ yeh sochkar who roney laga…. Doctor ne kaha agar royega to andar bahot takliff hogi……. Par who keise apney aap ko rok sakta tha, bahot gehra zakham jo liya tha andar……..


To be continued……………………
ye kis ki nazar lag gyi do pyar krne walo ko
jo alag hona pda
big question is aisha ne vijay ka sath kyu nhi diya
 
  • Like
Reactions: Casinar

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 17



Uss din jab Kaajal Aisha ke yahan se wapas aya to Vijay ne poocha kia kaha Aisha ne to Kaajal ne jawab diya, “Vijay tum ab uss ko bhool hi jawo to achcha hoga yaar” Vijay ne phir bhi kaha ke woh kahein ke Aisha ne kia kaha. To Kaajal boli, “Uss ne buss itna kaha ke ab usska tumse koyi wasta nahin.” Vijay ye sunkar bilkool khamosh baith gaya apney bistar par apney sar ko haathon mein liye huwe. Kaajal kitna kuch kehti rahi lekin Vijay kissi aur dunya mein khoya huwa tha. Aakhir Kaajal ko wapas lawtna para.

Vijay ghanton tak apney kamrey mein bandh tha. Usski donon behnein uss ko dekhney ko gaye kayi baar, woh buss leta huwa tha bistar par aur bilkool ghamgeen chehra tha usska.


Shaam tak woh weise hi bandh raha ghar ke andar. Aur raat ko achaanak baahar gaya. Kaha ke club ja raha hai. Usski maa ne socha chalo thik hai kuch doston ke saath baahar rahega to behtar hoga uss ke liye.


Chaar ghantey baad woh wapas aya to nashey mein dhuth tha. Aur ro raha tha. Zubaan se kia baatein keh raha tha kuch samajh mein nahin araha tha, kyunke uss ne kuch ziada pi rakhi tha. Usski behen uska woh haal dekh kar roney lagi. Pooja Vijay ko bahot pyar karta tha. Donon behnon mein Pooja Vijay ke ziada kareeb tha aur, woh uss ke dekh bhaal mein lag gayi. Dant bhi rahi thi ke “itna kyun piya, piney se kia Aisha tumharey paas ajayegi?” Aur usski dant par Vijay hans raha tha. Pooja ne Vijay ko bistar par letaya, uss ke kapde nikale, pyjamah pehnayi, aur bistar ko arrange kar ke Vijay ko sulaya uss ne, bilkool jeise ek maa apney bête ko dekhti hai. Thori der baad Vijay ne ulti karna shuru kiya…. Pooja ne sab saaf kiya aur ek tub ko uss ke sirhaney rakha taake agar woh phir ulti kare to uss tub mein karey. Aur Pooja ne thori tel lekar Vijay ke sar par lagaya aur maalish ki kyunke uss ko pata tha ke uss ka sar dard kar raha hoga, iss liye pata tha kyunkey naye saal ke dawraan ek baar Vijay ne eise hi piya tha aur tab uss ka sar bahot dukha tha aur Pooja ne uss ka khayaal eise hi rakha tha.


Beech raat mein Vijay utha tha jab sab so rahe the aur apney light ko on aur off kiya tha 7 baar jeise woh har raat ko karta tha Aisha ke liye…yeh kartey waqt woh ensoo bhari enkhon se Aisha ke kamrey ki taraf dekh raha tha aur sochta tha ke kaash Aisha dekhe aur light on off karke jawaab de!!! Lekin eisa kuch bhi nah huwa aur Vijay ko tanha, akela sona para….. lekin tab neendh kahan….woh jaagta raha subha tak…. Subha chaar bajey woh uth kar Tiger ke paas gaya, uss ko khol diya chain se aur jaaney ko kaha…. Tiger nahin ja raha tha balkey Vijay ke saath khel raha tha aur zor se bhonk raha tha….. ab Aisha ka kamra to bilkool uss taraf tha, jeise ke main ne pehley bataya hai ke Vijay aur Aisha ke kamron ke bilkool beech mein Tiger ka chota sa ghar hai. To Tiger jab bhi bhonkta hai to Aisha ko bilkool sunayi deta hai. To ab jab woh itna zor se subha subha bhonk raha tha to ye nishchint tha ke Aisha ko sunayi degi…. Aur Vijay usski kamrey ki taraf dekh raha tha…. Bilkool subha tha, aur abhi abhi thora sa ujala ho hi raha tha…. Tab thori der ke baad, Vijay ne dekha ke, Aisha ki kamrey ki parda thora sa hata, aur Vijay ne dekha ke apni enkhon ko masaltey huwe Aisha usski taraf aur Tiger ki taraf dekh rahi thi. Jeise hi ussne Vijay ko dekha to jaldi hi uss ne parda wapas khinch liya, uss ne shayad socha tha ke Tiger yunhi bhonk raha hai, uss ne bilkool nahin socha hoga ke Vijay utney saverey jag gaya hoga kyunke Vijay to bahot der uthta tha, woh to Aisha uss ko har subha uthaney ko jati thi….. To Vijay ki dil bus thora sa khush huwa Aisha ki ek choti si jhalak dekh kar, par, bahot dukh huwa uss ko yeh dekh kar ke kiss tarah uss ko dekhney par Aisha ne parda khinchli…. Vikay ko ek bhaari cheez jeise usske dil par rakha ho, eisa lag raha tha ussko… sans lene mein takliff ho rahi thi…roney ko dil kar raha tha…. Uss ko bilkool samajh mein nahin araha tha ke woh kia karein……


Ussne Tiger ko janey ke liye kaha…. Tiger nahin ja raha tha…to Vijay ko ghussa aya aur ek danda lekar uss ne Tiger ko mara zor zor se…. Tiger chilaya aur dadtey huwe wahan se bhaga….. Ab har roz khulney ke baad Tiger ki aadat thi ke woh jaakar Aisha ke khirki ke paas, bhonkta tha, teen chaar baar, jeise ussko jagata ho…har roz woh weisa karta tha, aur Vijay aur Aisha ko ye pata tha…. Iss ke baarey mein sabhi family members ne pehley hi baat ki thi ke Tiger sirf Vijay aur Aisha ko maanta hai…. To phir weisa hi kiya Tiger ne, woh Aisha ke khirki ke paas kharey hohar zor se bhonka, aur Vijay uss ko dekh raha tha, iss umeed se ke Aisha phir se parda hatayegi aur Tiger ko kuch kahegi…… aur yeh sochkar ke woh wahan hai Aisha nahin dekhe gi, iss liye Vijat pichey hat gaya ye dekhney ke liye ke, kia Aisha Tiger se kuch kahegi bhi….Vijay chhupa huwa tha ek peyr ke pichey aur intezaar kar raha tha….. Tiger bhonk raha tha Aisha ke khirki ke nichey aur apna sar upar uthaye huwe Aisha ke khirki ko dekh raha tha, jeise ke woh ek insaan ho aur kuch batein kar raha ho ghar ke andar waley insaan se…lagta tha ke woh keh raha ho,”Khirki kholo, main yahan hoon, subha hogayi”….. Vijay ussko, bheeguey huwe enkhon se dekh raha tha…aur Aisha ne khirki kholi, parda hataya, Vijay ke kamrey ki taraf dekha ke kahin woh dekh to nahin raha….jab uss ne dekha ke koyi nahin hai, to Aisha ne Tiger se kaha,”Kia hai? Kyun bhonk raha hai? Main jaag gayi hoon, chal bhaag yahan se…” aur Tiger wahan se chala gaya…..


Vijay ko lagta tha barson baad uss ney Aisha ki awaaz suni… woh awaaz jiss se woh bahot passand karta tha, woh awaaz jiss ki taarif woh har roz karta tha, woh awaaz jiss ke suntey hi uss ka dil khushi se jhoom uthta tha, aaj woh uss awaz ko chup kar sunn raha tha…….


To be continued…………………
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 18



Vijay kaafi der tak Aisha ki khayalon mein dooba raha. Unn dinon ki yadein uss ke dimagh mein ghum rahe the aur yaadon ki kashmakash ne ussko bechain kiya huwa tha. Upar se Aisha ki awaaz usske kanon mein goonjh rahi thi…… Vijay ne socha ‘ab to kutta bhi mujhse behtar hai, kuttey se baat ki AISHA NE LEKIN MUJHSE NAHIN!’


Vijay ko bilkool chain nahin tha Aisha ki berukhi se. Woh sochta tha ke donon ko kum se kum ek baar to milna chahiye aur kuch faisley leni chahiye, kuch batein karni bahot zaroori tha uss ke liye. Eisa Vijay ka sochna tha. Lekin kia Aisha eisa sochta tha? Kaun janey…..


Ghamgiin chahra liye woh ghar ke andar gaya aur Pooja ne kaha,”Arey wah bhai, aaj to tum mujhse pehley uth gaye! Kia baat hai?” Vijay ne ek jhooti muskaan mein kaha, “Nahin bus woh Tiger ko kholney gaya tha, aur kal ke liye I am sorry Pooja” Pooja hanstey huwe boli, “Koyi baat nahin bhai, tumko serve karney mein bahot peace milta hai mujhey, lekin utna ziada mat pina please. Achcha nahin lagta bhai. Okay?”


Shower leney ke baad jab Vijay kitchen mein gaya breakfast ke liye to usski maa ne kaha, “University jana hai ab …kia lejawoge bread mein Vijay?” Vijay ko jab University ka naam sunayi diya to dil mein ek ghabrahat si huwi, yeh sochkar ke Aisha saath nahin jaegi…. Phir uss ne socha ke shayad uss ne apne papa se baat ki ho aur uss ka papa hi ussko chorney ko jaega, aur wapas lene ko bhi jaega….apney dil mein Vijay yehi pray kar raha tha ke eisa hi ho, to kum se kum campus mein to woh Aish se baatein kar sakega…..


Aakhir woh tayaar huwa aur University janey ke liye ghar se nikla Tiger ko bandhney ke baad. Jab Tiger ko bandh raha tha to usski nazar sirf Aisha ki khirki par tha aur dekha ke Aisha ki khirki khuli huwi to thi magar parda khincha huwa tha…hawa se parda andar jaa raha tha, lekin koyi andar dikhayi nahin di….

Aur jab Vijay jaa raha tha, to Rhanveer lane mein se murkar pichey Aisha ke ghar ke taraf baar baar dekh raha tha, ke kahin Aisha na nikley jaaney ke liye… lekin eisa kuch bhi nahin huwa aur woh udaas chala gaya….


Raastey mein chaltey waqt ussko ajeeb sa lag raha tha kyunke woh kabhi bhi akela to nahin jata tha nah… aur raastey mein log bhi ussko dekh raha tha kyunke saarey mohaley mein yeh maloom ho gaya tha ke Aisha aur Vijay ki separation ho gayi hai….. sab log jo unn donon ko pyar bhari nazron se dekha kartey the ab udaasi ke saath dekhtey the, aur jo log buri nazar se dekhtey the ab khushi ki nazar se dekhney lage…. Jeise ke woh gunde log jiss ne Aisha ko chera tha, weh to bahot khush the ke ab Vijay akela hai…unn ki nazron mein to Aisha ek female object hai, aur woh log to sirf lust ki nazar se donon ko dekhtey the aur sochtey the ke inn donon ke beech sirf affair tha, yeh to nahin jaantey the ke donon sach much kitna pyar kartey the…. Aur weise logon ko dil ke dard ke baarey mein kuch bhi pata na tha….. woh log Aisha se sirf sex ki umeed rakhtey the aur weh log ab yeh sochtey the ke ab jo Vijay alag ho gaya hai to unn logon ko Aisha sex ke liye haasil hoga…. Unn logon ne taanaa mara Vijay par jab Vijay bus stop par khara tha bus ke liye… lekin Vijay chup raha aur ek taraf dekhta raha….. jab tak bus bahin aya weh log tarah tarah ki batein suna rahey the Vijay ko galiyan ke saath…Aisha ka naam bhi le rahe the, lekin phir bhi Vijay apna knoon pita raha aur kuch bhi nahin kaha aur bus aya to chala bhi gaya…


Jab University ponhcha to aur bhi bahot dukh huwa Vijay ko….. har koyi uss se poochta ke Aisha kahan hai, kyun woh nahin ayi…. Woh jawab dete dete thak gaya, roya bhi doston ko apna haal sunatey sunatey…. Course ko follow nahin kar pata tha, sirf Aisha ki yadein satati thi… woh bahot bechain tha, gham ke andherey mein ghira huwa tha…. Break mein campus mein har woh jagah jahan woh Aisha ke saath baithta tha, Vijay ki nazron ko kaatta tha…. Uss ko sirf Aisha dikhayi de rahi thi har ladki mein…. Charon taraf campus mein Aisha ki yadein bassi huwi thi…peyr ke nichey, bench par, cafe mein, gym mein, har jagah sirf Aisha bassi hui tha….aur Vijay ko jeise chakkar sa aya aur, enkhon ke saamney andhera sa chaya, aur woh girr para……


Doston ne ussko uthaya aur ek peyr ke nichey araam karney ke liye letaya, aur paani chirkey usske chehrey par……. jab uss ko hosh aya to woh roney laga aur kaha ke woh ab course nahin follow kar paega……


Ussne kaha ke woh wapas ghar ja raha hai aur wahan se chal para….. ghar kahan gaya woh ek bar mein gaya aur pina shuru kiya, thora beer, thora rum piya aur bus lekar wapas mohaley mein ponhcha…. Ghar janey se pehley woh jewelry dukaan ke paas ek restaurant tha, wahan gaya aur pina chaalu rakha…… woh pita gaya, pita gaya…. Sham hogaya, phir raat honey ko ayi, aur tab tak to Vijay bilkool nashey mein dhuth tha….. Raat ko 8 bajey wahan se nikla aur larkharatey huwe ghar ponhcha……


Ghar mein maa, baap se kaha , “Aaj ke baad mera university jana bandh! Bahot parhaayi karli main ne, ab ghunda gardi karunga, piyunga aur jiyunga…..” usske maa, baap ko usske haalat ka pata tha to unhon ne uss ko kuch nahin kaha, Pooja to ro rahi thi usska haal dekh kar… Vijay ne pooja ke kandhon par haath rakh kar hanstey huwe bilkool nashey ki haalat mein kaha, “Ari Pooja, tu kyun ro rahi hai ri? Tujhey kaun sa gham hai? Hmm? Tera kaun alag huwa hai tum se re? hey Pooja, kabhi kissi se pyar mat karna hein? Suna nah? Kabhi bhi pyar mat karna, bahot buri cheez hai yeh pyar..dekho, mujhko dekho, sharabi bana diya saala iss pyar ne..hahahahaha!!” Pooja aur zor zor se roney lagi…..


Vijay aguey barha, larkharatey huwe…deewaar ko thamtey huwe, kabhi ek peir idhar parta to kabhi ek peir udhar, kuch pata nahin tha ke woh keise chal raha hai….. woh baahar gaya Tiger ke ghar ke paas, aur zor se kaha, “Arey Tiger mere yaar, mera dost, wafadaar dost, I am sorry..(uss ka zubaan bhi larkhara raha tha, bilkool saaf nahin bol raha tha) I am sorry tujhey kholney mein der ki main ne yaar, chal yaar, aja, kholta hoon tujhey…jaa….” Kuttey ko khol diya, Tiger ne poonch hilaya khushi ke maarey, zor se chalang lagaya, apni do aguey wala paon Vijay ke kandhey tak ponchaya, aur Vijay ki gaalon ko lick kiya aur daudtey chala gaya…Vijay kuch der khara raha, aur Aisha ke khirki ki taraf dekhta raha…. Aur wahin deewaar par peeth laga kar khara huwa yeh gana zor zor se ganaa shuru kiya:


Koyi humdum na raha, koyi sahara na raha

hum kissike na rahe koyi hamara na rahaa

koyi humdum na raha koyi sahara ha raha


Shaam tanhayi ki hai, ayegi manzil keise...

Shaam tanhayi ki hai, ayegi manzil keise

Jo mujhe raah dikhaye, wohi taara na rahaa

Koyi humdaun na rahaa, koyi sahara na raha...


(Beech mein ruka roya, naak se behtey paani ko poncha,

Phir gaaney ko continue kiya Aisha ko sunatey huwe….)


Ey nazaaro na hasso, mil na sakunga tumse

Ey nazaaro na hasso, mil na sakunga tumse

Woh mere ho na sake, main bhi tumhara na raha(yahan bhi khub roya)

Koyi humdum na rahaa, koyi sahara na rahaa


Kia batawoon main kahan, yunhi chala jataa hoon

Kia batawoon main kahan, yunhi chala jataa hoon

Jo mujhe phir se bulale, woh ishara na raha (yahan bhi roya)

koyi humdam na rahaa, koyi sahara na rahaa

hum kissi ke na rahe, koyi hamara na raha.


To be continued……………………………
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259

Update 19



Ab agley din se Vijay ne sach much University jana bandh kar diya. Subha ko utha to sir phat raha tha dard se, Pooja se ussne nimboo paani mangwaya aur piya, phir bhi sar ka dard weise ke weisa hi tha….


Vijay ki maa ne uss se baat ki ke yeh aakhri saal hai usska university ka, to patience lekar yeh baaki ke 8 mahinon ko finish karlein…lekin Vijay kuch sunna nahin chahta tha aur naha dho kar kahin chala gaya saverey saverey.


Ghar par usski maa aur Pooja bahot pareshan the ke woh phir se pee kar ayega ya kahin kuch kar baithega…raat ko jab woh ro ro kar gana gaa raha tha to Pooja andar bahot ro rahi thi. Pooja ne apni maa se kaha ke woh Aisha se baat karney jayegi lekin usski maa ne ussko mana kiya. Aur kaha ke woh Vijay ke liye ek ladki dhundegi. Pooja ne kaha ke Vijay kabhi bhi kissi aur ko apna nahin banayega, woh apney bhai ko achchi tarah se jaanti thi. Woh janti thi ke Vijay Aisha se sachcha pyar karta hai aur kabhi bhi kissi aur ko pyar nahin kar payega.


Lekin usski maa ka kehna tha ke Vijay ki zindagi mein agar koyi dusri ladki ayegi to woh Aisha ko bhuladega. Lekin Pooja ne kaha ke kabhi bhi eisa nahin hoga, agar kissi khubsurti ki rani ko bhi agar Vijay ke liye laya jaye to bhi woh Aisha ko nahin bhoolega, aur kissi rani ko bhi pyar nahin kar payega.


Pooja bilkool thik kehti thi. Vijay sach mein kissi ko bhi kabhi bhi apna nahin payega kyun ke uss ke liye Aisha hi uss ka sab kuch tha. Usska pyar sachcha tha aur uss ke dil mein koyi aur bhi nahin bass sakti thi. Pooja sach mein apney bhai ko bahot achchi tarah se janti thi.


Vijay sheher mein thoda ghumney ke baad din ke barah bajney ke baad bina kuch khaye piye, jewelry ker pass waley restaurant mein gaya aur pina shuru kiya…. Usski nazron ke saamney sirf Aisha ki tasveer dikhayi de rahi thi…. Woh pitey pitey gungunaney laga aur roney laga restaurant mein hi…. Log ussko dekh kar hans rahe the…. Restaurant ki maalik ne ussko baahar janey ko kaha kyunke aur bhi customers the wahan, awratein bhi the, aur Vijay uss mahaul ko bigaar raha tha rokar…. To uss ko baahar nikaal diya gaya…. Woh ab baahar raastey mein rotey huwe gana gaa raha tha din daharey…. Mohaley ke logon ne dekha aur uss ke ghar tak khabar pohonch gaya…. Pooja aur usski maa main road par nikley uss ko dekhney ke liye….


Wahan to Vijay ki larayi ho rahi thi uss gundon se jinhon ne Vijay ko bura bhala kaha aur kaha ke ab Aisha ko woh log rappe kareinguey… unhon ne kaha ke ab to har roz woh log Aisha se mazaaa karney jatey hein..iss wajay se nashey hi ke haalat mein Vijay ne un logon se larayi ki aur lahu lohaan hogaya…. Nashey mein tha iss liye woh larr nahin paya aur unn logon ne Vijay ki khub pitayi ki, badla liya unn logon ne pichley baar ki, jab Vijay ne unn logon ko pita tha usske….


Jab Pooja ne dekha kuch door se ke larayi horahi hai to woh dawdtey huwe wahan ponhchi, tab woh gundey larkey bhag gaye aur Pooja Vijay ko sahara dekar ghar ki taraf wapas layi… Vijay ke chehrey se bahot khoon beh raha tha, honth, jabra, aur enkh ke nichey ke chamri phat gaye the ghunsey lagney se, aur bahot khoon beh raha tha, yahan tak ke Pooja ke dress mein bhi khoon lag gaye……


Usski maa aur Pooja ne uss ko sambhaltey huwe ghar ke andar legaye. Kaajal ne ghar ke andar se dekha to jaldi se woh bhi Vijay ke yahan gayi… phir thori der baad Vijay ki badi chachi aur usski badi bahu bhi Vijay ke ghar ko gaye, unn logon ka ghar to main road ke nasdik hai nah, to koyi bhi jab Rhanveer lane ki shuru mein khara hota hai to unn ke ghar ke andar se sab dikhayi deta hai, (aap log pehla page par sketch par dekh saktey hein)……. To jab yeh sab log Vijay ke yahan ja rahe the to Aisha ki maa ne notice kiya aur uss ko heirani huwi ke kia huwa jo bade chacha yahan ke saarey log Vijay ke ghar ko jaa rahe hein, to ussne Aisha ko kaha aur donon maa beti Aisha ke kamrey wali khirki se Vijay ke ghar ke taraf dekh rahe the…


Lekin Vijay ke yahan to sab log Lounge mein the, Vijay ko ek sofe par letaya gaya tha aur, Pooja khoon ponch rahi thi, aur patti kar rahi thi….


Aisha ki maa wapas kitchen mein chali gayi aur Aisha ko kaha ke kuch nazar aye to uss ko bulana…Aisha wahin khari rahi apni khirki ke paas aur Tiger ko cherr rahi thi, Tiger uss ko dekh kar apna poonch hila raha tha aur kudd raha tha……


Vijay ne Pooja se kaha ke woh ab apney bistar par jayega, lekin Pooja ne kaha, “Bhai, mujhey lagta hai ke hospital jana chahiye, stitches lagana chahiye, ghaw gehrey hein, khoon ruk nahin raha hai…. Vijay larkharatey huwe utha aur apney kamrey ke taraf janey laga, lekin ussko saaf dikhayi nahin de raha tha kyun ke enkhon par chot lagney ki vajay se enkhen soojh gaye the aur motey ho gaye the…. Woh apney kamrey mein ghustey hi bistar par girr para…. Pooja usske pichey pichey gaya, aur uss ne dekha ke Aisha apni khirki ke paas khari issi taraf dekh rahi hai….to Pooja, Vijay ki khirki ke paas gayi aur Aisha se bahot zor se ghussey mein kaha, “ Ab tumhari kalejey ko thandak ponchi? Khush huwi ab tu? Dekh mere bhai ka kia haalat hogayi hai tumharey waja se…..” Aisha ki samajh mein kuch nahin araha tha aur poocha, “Kia huwa?” Jab Vijay ne Aisha ki awaaz suni to jaldi se bistar se utha, yeh kehtey huwe Pooja ko, “Kiss se batein kar rahi hai tu? Kiss ko itni zor se dant rahi hai tu Pooja? » Tab tak Vijay Khirki ke paas poncha aur usske saamney Aisha khari huwi dikhayi di… Vijay ka bolna bilkool bandh hogaya aur ussko saaf to nazar nahin dikh raha tha, iss liye ek enkh ko bandh karke sirf ek enkh se Aisha ko dekh raha tha, lekin jeise Aisha ne Vijay ke chehrey ko khoon se laal dekha to chonhki aur apni haath ko apni munh par dabakar andar bhaag gayi…


Pooja bahot ghusse mein Aisha ke khirki ke taraf dekhti rahi… Vijay bhi udhar dekhta raha ke shayad woh phir ayegi….. Pooja soch rahi thi ab woh darwaze se baahar nikal kar Vijay ko dekhney ko ayegi… Vijay bhi eisa hi soch raha tha…..


Lekin wahan to Aisha ko bilkool pata nahin tha ke Vijay ghar par hai, woh soch rahi thi ke uss waqt to woh university mein hoga, aur woh khirki ke paas iss liye khari thi ke woh Kissi se puchey ke kia huwa ke bade chacha ke sab log wahan aye hein…. Aur Vijay ko uss haalat mein dekhney ke baad Aisha ne apni maa ko kaha, to woh ayi khirki ke paas Aisha ke kamrey mein….. Vijay ne ussko dekha to larkharatey huwe zubaan mein kaha, « Chachi, Aisha ko bulawo nah please main uss se kuch kehna chahta hoon.. » Chachi ne phukara Aisha ko, ek baar, do baar, teen baar…woh Aisha ka naam phukaarti gayi lekin Aisha nahin ayi…. Pooja ko ziada ghussa aya aur kaha, « Kyun ayegi woh ab ? uss ko khushi ho rahi hogai Vijay ke ye haal dekh kar… » Vijay ne Pooja ke munh par apna haath rakha aur dhirey se kaha, « Shuuuuuut ! chup kar. Meri Aisha ko kuch eisi weisi batein nahin kehna hai, chup kar ! »….. Aur Vijay ki chachi afsos ke saath Vijay ko dard bhari enkhon se dekhta raha…phir Vijay bistar par letgaya….. baaki ke log jo bade chacha ke yaha se aye huwe the, sab kamrey ke andar aye aur khirki se Aisha ki maa se kuch batein karne laguey….. Vijay ko achcha nahin laga aur sab ko janey ke liye kaha….. to sab chale gaye…..


Vijay ne enkhen bandh ki aur uss ko neendh agayi………


To be continued…………………..
 
Top