• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KHUD KE PYSCICAL WEAKNESS KO DOOR KARNE KE LIYE PAUSED CEREBRATION MODE ME BAITHTHI HAIN WAHIN DUSRI TARAF SNOW LEOPARD RAAZ KI JAAN CHAAR NIMRODS SE BACHATA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

UPDATE-127

PLACE-ASTER

ISKA MATLAB MERA BACCHA NAHI BACH PAAYEGA..???

mere kaano me ye rudaan se bhari awaaz padi...

subah ka waqt hai...kal raat un lambe chowde jaanwar jaise dikhne waale aadmiyon ke thappad padne ke baad jab mai behosh hua tha,uske baad abhi kahin jaakar mujhe hosh aaya tha...

par aankh khulte hi apne aas paas ka nazara dekh hairan reh gaya mai..

aur woh isiliye kyunki mai is waqt ussi ghar ke hall me tha jahan se kal mujhe us ladki ne jisse uske baba ERRAPEL kehkar bula rahe the,ne uthakar bahar feka tha...

saath hi mujhe kal un logon ke maarne se jo chot lagi thi,woh bhi puri gayab ho chuki thi..

in saari chizon ke baare me mai soch hi raha tha ki tabhi us anjaani rudaan se bhari awaaz ne mujhe apni soch se bahar laaya jiske baad mai uthkar hall se bahar ki taraf chal pada par jab hall se bahar aaya toh dekha ki is waqt cottage ke saamne porch ke bahar bohot se log khade the...

aur un sabse aage thi ek aurat jiske aage neeche zamin par leta tha ek chota sa ladka jo peela sa padh gaya tha....

ussi ladke ke haath ko pakad woh aurat lagatar roye jaa rahi thi...

wahin us ladke ki dusri taraf baithi thi ERRAPEL... wahi ladki jisne mujhe kal apne ghar se bahar nikala tha...

jahan us waqt saamne baithi aurat aur uske piche logon ke face par dukh aur dard ke bhaav the wahin ERRAPEL behadh shaant baithi thi aur phir...

ERRAPEL-shaant ho jaaiye...

AURAT-kaise shaant ho jaaun mai...???mere baache ko FRAILY ne kaat liya hai..

(NOTE:-FRAILY...ek behadh hi zehrila insect jo yahan GALEN ke barfile zamin ke andar paaye jaate hain..waise toh inki taadad kam hai par inki moujudgi hi bohot bade khatre ka sabab hain...

ye FRAILY insect agar kisiko kaat le toh uska sharir zeher k asar se bahar se toh peela hone lagta hi hai par asli badlaw andar se aata hai...andar se is insect ka zeher BRAIN aur HEART ko dheere dheere puri tarah se khatm kar deta hai..)

khair,apni baat ko aage badhate hue...

AURAT-isse FRAILY insect ke zeher se bachane waale is pure ilaake me sirf tumhare baba hi the..

aur tum keh rahi ho ki woh guzar gaye hain...ab mere bacche ka kya hoga,kaun bachayega isse...???

apni baat bol aur zoron se rone lagi woh aurat jispar...

ERRAPEL-kuch nahi hoga aapke bete ko..???

apni baat bol ERRAPEL ne ek shishi nikali jisme bas ek katra laal dravya dikh raha tha..

ye laal dravya aur kuch nahi balki ERRAPEL ka khun tha jisme healing ability thi...

us shishi ko nikal ERRAPEL ne uska knob khola aur us behosh pade ladke ke mooh ko khol us khoon numa dravya ko usme udel diya..

par itna hi kaafi nahi tha...kyunki us ladke ko FRAILY insect kaafi der pehle kaat chuka tha jiski wajah se uska heart aur brain,dono galne shuru ho chuke the isiliye us ladke ko puri tarah se theek karne ke liye ek aur process bhi zaroori tha...

aur isiliye dravya ko udelne ke baad ERRAPEL ne apna haath us ladke ke sir par rakha aur man hi man....

ERRAPEL-

APIBATI

ABSORB

is SPELL ko uccharit kiya usne aur uske aisa karte hi ek invisible ray nikli uske haathon se aur us ladke ke sharir me sama gayi aur aisa hone ke kuch der baad woh ray un saare gale hue parts ko theek karte hue bahar nikli aur wapas ERRAPEL ke haathon se hote hue usne sama gayi aur jab aisa hua toh..

AHHHH.......

ERRAPEL ke mooh se ek dard bhari aah nikal gayi..

reason...

jo SPELL ERRAPEL ne bola tha,uske asar se us ray ne ladke ke parts ko theek toh kar diya,par saath hi woh tadap,woh dard jo us ladke ne saha tha,usse bhi absorb kar liya..

aisa kar jab woh ray wapas ERRAPEL ke andar samayi toh ERRAPEL ko bhi us ladke ne jo pain mehsoos kiya tha,woh feel hone laga...

wahin pehle us laal dravya ko us ladke ke mooh ne udelna,phir uske maathe par haath rakh kuch budbudana,ye sab dekh us ladke ki maa aur uske saath aaye log hairan ho hi rahe the ki tabhi ERRAPEL ke mooh se dard bhari aah sun unki hairani aur badh gayi..

par woh usse kuch kehte yaa puch paate ki tabhi..

AHHHH...

ek aur dard bhari karah un sabke kaano me padi par is karah ko sun un sabke chehre par khushi ki leher loud gayi...

aur woh isiliye kyunki ye karah us behosh pade ladke ke hosh me aane ki thi jisne naa sirf ab apni aankhen khol di thi balki uske sharir par chadha peelapan bhi lagbhagh gayab bhi ho chuka tha...

apne bete ko hosh me aata dekh baaki sab kuch bhul baithi woh aurat aur uske saath aaye log...

us aurat ne apne bete ko jhat se apni godh me utha liya aur uske pure chehre ko chumne lagi....

baaki saare logon ne bhi us ladke ke sir par pyar se haath fera jiske baad woh sab ERRAPEL ke taraf palte jo ab kaafi hadh tak theek ho chuki thi aur...

1ST person-hume toh maalum hi nahi tha ki HORUS ki beti bhi unki tarah gunwaan hai...

ab hume koi chinta nahi...humare aur humare logon ke rogon ke upchaar ke liye yahan tum jo ho....

(NOTE:-HORUS kabhi bhi ERRAPEL ko kisi ke saamne zyada disclose nahi karte the aur isiliye hi koi bhi uske baare me zyada jaanta nahi tha.)

khair,us aadmi ki baat ko aage badhate hue..

AURAT-GOD tumhe khush rakhe beta...aur tumhare baba ki aatma ko shaanti de...tumhara jitna dhanyawaad karun utna kam hoga beta...

apne bete ki jaan ki keemat toh nahi laga sakti mai,par phir bhi,ye rakhlo..

apni baat keh kuch GOLD DIME usne ERRAPEL ki taraf badha diye jisse ek feeki muskaan ke saath aur bina kuch kahe ERRAPEL ne apne paas rakh liye...

ye hone ke baad woh aurat aur uske saath aaye log wapas palat chale gaye jiske baad ERRAPEL piche palti aur aisa hote hi uski nazar padi door par khade mujhpar..

wahin jab ERRAPEL ne mujhe dekha toh uski kal ki kahi baat aur harkat wapas yaad aayi mujhe aur isiliye mai apni nazarein usse churane laga..

meri is harkat aur aisa karne ka reason samajh rahi thi ERRAPEL aur isiliye woh chalti hui mere samne aakar khadi hui aur...

ERRAPEL-kal raat jo bhi maine kaha tha,uske liye sorry....woh baba ke condition ki wajah se woh sab mere mooh se nikal gaya...

MAI-kya khudki taklif dusron ka bhi dard banana chahiye...???

behadh maasumiyat se pucha tha maine ye sawal jispar ERRAPEL ek tak mujhe dekhne lagi aur phir....

ERRAPEL-jab khudko taklif ho rahi ho,tab aksar dusron ka dard dikhayi nahi deta...

MAI-waise hi jaise un aunty ko tumhara dard nahi dikhayi diya,haina..???

ek baar phirse badi saadgi se bhar ye sawal kar baitha tha mai jisse sun aakhon me hairani liye ERRAPEL dekhne lagi mujhe aur phir...

ERRAPEL-kehna kya chahte ho...???

MAI-un aunty ko apne behosh pade bete ke roop me apni taklif toh dikh rahi thi par tumhare baba guzar gaye,woh dard nazar nahi aaya..

tumhara sach, tumhari taklif jaanane ke baad bhi woh apne hi dard ki duhayi deti rahi...

aur phir jab tumne unke bete ko theek kiya jiske baad tumhe taklif bhi hui,us dard ko bhi un sabne us ladke ke hosh me aane ki khushi me bhula diya..

jab woh aurat tumhe woh chamakti cheez de rahi thi,tab ek feeki muskaan aayi thi tumhare chehre par...

woh muskaan maine abhi jo bhi kaha,ussi wajah se thi naa...!!!!

ektak bina palke jhapkaye dekh rahi thi mujhe ERRAPEL...aur isme uski bhi koi galti nahi thi...

ek cold hearted emotionless ladke ke mooh se emotions se labrez itni deep analyzation sunane ki ummid kabhi nahi ki thi usne...

yunhi khadi mujhe ghure jaa rahi thi ERRAPEL jisse dekh mujhe awkward laga aur isiliye...

MAI-kya maine kuch galat kaha...???

ERRAPEL-jao,jakar fresh ho jaao...mai tumhare liye kapde nikal deti hun...

MAI-kuch puchun...???

ERRAPEL-pucho....!!!

MAI-mai kaun hun...??? mera naam kya hai..??mujhe apne baare me kyun kuch yaad nahi...????

ERRAPEL-abhi ke liye itna jaan lo ki tumhara naam RAAZ hai...baaki baatein sahi waqt par tumhe khud yaad aa jaayegi...

ERRAPEL ki baat sun is baar mere chehre par ek feeki si muskaan naach uthi jisse dekh...

ERRAPEL-kya hua..?? muskura kyun rahe ho...???

MAI-bas yunhi..kal tum keh rahi thi ki jo kuch bhi ho raha hai, uska kaaran mai hun...aur aaj mere baare me bataya bhi toh sirf mera naam...

par shayad itna hi kaafi hai...

RAAZ....yahi naam bataya na tumne mera...jab naam hi RAAZ hai toh baaton ka, haalaton ka chhupna toh laazmi hi hai...

khair,jis sahi waqt ki baat tum kar rahi ho,ummid hai ki us waqt ke aane par bhale hi mujhe taklif ho jaaye, par mujhse kisiko koi taklif naa ho...

kitne bholapan se keh diya tha is baat ko RAAZ ne bina ye jaane ki...

khudhi ko bhule hue logon ki kismat sunta KAB HAI...!!!

RAAZ ki TAKLIF hi toh dusron ke dard ka hone waala SABAB HAI....!!!!

PLACE-ASTER

KITNI MAASUMIYAT,KITNA BHOLAPAN JHALAKTA HAI MAHI KE CHEHRE SE...

PAUSED CEREBRATION me baithi MAHI ko dekhte hue kahi thi ye baat GRIFFIN ne jisse sunane ke baad bhi chup hi raha WOOGER...

wahin apni baat ko aage badhate hue..

GRIFFIN-itni saadgi ke baawjud bhi apne zindagi ke shuruat se hi kitna kuch saha hai isne...

mata pitah hone ke baawjud ek virane jungle me akeli pali badhi ye...wahan,us jungle me dost ke naam par sirf jaanwar hi the iske saathi..

par phir bhi kabhi shikan tak nahi dekhi iske chehre par maine...

CHOSENS pahunchi toh zindagi kuch behtar zaroor hui...iske lagatar sikhne ki bhook ko jaise ek bhandara sa mil gaya wahan and most importantly, hamesha akeli rehne waali MAHI ko naye dost mile gaye...

finally khush rehne lagi ye par us khushi par bhi grahan lag hi gaya..

aur woh grahan lagaya tumhare MASTER RAAZ ne...

uske pyar me kya padi MAHI,uski saari khushi jaise achanak se hi gayab ho gayi...

sirf dard hi dard jhelna isne usse dil lagakar..

WOOGER ko ghurte hue kahi ye baat GRIFFIN ne jisse sunane kw baad bhi WOOGER aise baitha raha jaise usne kuch suna hi nahi yaa phir jaise usse GRIFFIN ki kisi bhi baat se koi fark nahi padta...

wahin kuch der tak yunhi WOOGER ko ghurte rehne ke baad..

GRIFFIN-ek baat batao..kis baat ka ghamand hai tumhare RAAZ ko...haan,ye sach hai ki uski niyati me aakhir me mitna hi likha hai par jab is sach ko jaanane ke baad bhi MAHI usse pyar karti hai toh woh kyun nahi kar sakta...!!!

kyun usse MAHI ka dard nahi dikhta..???kya MAHI ki khushi ke liye woh uska saath nahi de sakta..???

ATTITUDE...bas yahi bhara pada hai tumhare MASTER ke andar...

aakhir samajhta kya hai woh apne aap ko...??? agar woh dono LORDS ko URJA hai toh MAHI LORD OF ANGELS ka ansh hai...unki beti hai....

ohde me, position me kahin zyada aage hai woh RAAZ se par dekho iska ATTITUDE...unlike RAAZ kitni saral aur sweet hai ye...

WOOGER-aur meethe ka hi toh shoukh nahi hai mere MASTER ko....

apne bade se sir ko left right jhatakte hue kahi ye baat WOOGER ne jisse sun ghusse se bhar kuch kehne hi waali thi GRIFFIN par woh kuch kehti usse pehle hi..

WOOGER-SHHHHHH.....

jitna bola hai,jitni raay di hai,bas utne ka hi feed back le lo...

zyada bologi toh jawab bhi zyada milenge aur zyada dose bardasht nahi kar paayogi tum...

jahan WOOGER ki baat sun khulte khulte mooh band ho gaya GRIFFIN
ka wahin apni baat ko continue karte hue....

WOOGER-shuruat se shuru karte hain... kya kaha tha tumne,MAHI shuru se akeli pali badhi...

ek baat batao,MAHI ke chakkar me earth aur wahan ke logon ko, unki life style ko toh dekha hi hoga tumne...

sadak kinare chote chote bachhon ko jinhe bhaasha bhi thik se bolna nahi aaya ho, toote plastic aur dusre waste materials ko uthate hue dekha hi hoga tumne...!!!

kya kabhi unhe waisa karte hue dukhi dekha hai tumne...nahi... adaptation..yahi humans ka sabse bada plus point hai jisse woh chote aur maasum bache khudpar implify kar lete hain..

jab woh normal aur sadharan bacche waisa karne ka hunar jaante hain toh MAHI toh ek SAVENT hai...

infact ek SAVENT se kahin aage hai woh..ek human ANGEL hai MAHI..toh uske liye aisa karna kaun si badi baat thi...!!!

GRIFFIN,bhook lagi ho par khaana saamne naa ho toh banda kisi tarah khud ki sudha ko control kar hi leta hai..

par patience tab jawab de jaati hai jab bhook bhi tagdi lagi ho aur khaana saamne pada ho par aap usse khaa nahi sakte...

aisa hi kuch mere MASTER ke saath hua hai..tumhari MISTRESS toh shuru se hi akeli thi,aaj bhi hai,par mere MASTER ki life ko analyse karo aur phir bolo...

hamesha maa baap saamne rahe par zindagi anathon ki guzaari...

aur phir apne hi MAA BAAP ka maarna pada unhe...tum imagine bhi nahi kar sakti us dard ko jo mere MASTER ne waisa karte waqt feel kiya hai...

bolo MAHI ko aisa kuch karne ke liye,uske baad baat karenge.. dekhenge ki kitni stability aur pyar bachta hai iske andar...

aur kya kaha tha tumne..???kis baat ka ghamand hai mere MASTER ke andar...!!!

aur ohde ke hisaab se tumhari MISTRESS aage aur badi hai mere MASTER se..

agar itni hi aage hai ye toh bolo naa isse ki bramhand ke sabse bade khatre VIDEOUS se ladhe aur usse khatm kare...

kar sakti hai ye...??arre jiske naam ka sahara lekar tumne isse mere MASTER se upar bataya,woh tak aisa nahi kar sakte..

phir kahan se badi ho gayi ye...!!!

jab ye pyar kar sakti hai toh tumhare MASTER kyun nahi kar sakte...???yahi kaha tha naa tumne....!!!

maine toh suna hai ki pyar ho jaata hai,phir karne ki baat kahan se aa gayi...???

aur pyar ke badle pyar ki khwahish rakhna pyar nahi soudebaazi ki nishani hai...

par isme tumhari bhi kya galti..aakhir ho toh tum issika ansh..

aur ye uski beti jo koi aur cheez me ho naa hon,par soudebaazi me sabse aage hain...

ab dekho naa,kisi ko khatm karne ki kya hi keemet rakhi unhone...

ek bete ke haathon uske hi maa baap ko marwaya gaya par woh aisa hote dekhte rahe..kuch kiya nahi unhone is akshamya paap ko hone se rokne ke liye..

aur karte bhi kyun...????unki storyline jo kharab ho jaati... planning gadbada jaati...

mahan hone ka jo jhuta mukhouta odhe baithe hain woh,nikal jo jaata...

aur tum chahati ho ki aise dakiyanusi shaksh ki beti se mere MASTER pyar karen...

GRIFFIN-watch your tounge WOOGER...jaante bhi ho,kiske baare me baat kar rahe ho...???

WOOGER-bura laga...!!!jo bhi maine kaha,woh mere MASTER ke bhuli memory ke bade se thought process ka chota hissa hai..

agar itne me hi bura lag gaya tumhe toh socho..jab mere MASTER ki yaaddast wapas aayegi aur dono LORDS ke liye unke andar daba ghussa shabdon ke roop me futega toh kaan se khoon hi naa nikal jaaye tumhari MISTRESS ke...

phir pyar toh door ki baat hai,shayad dekhna bhi pasand naa kare woh mere MASTER ko....

par agar aisa ho jaaye toh hi thik hai...iske saath in dono baap beti ki manhusiyat bhi door ho jaayegi mere MASTER se...

GRRHHHH.....

WOOGER ki kahi aakhri baat ne GRIFFIN ke ufan rahe ghusse ko trigger kar diya jiske baad woh ek ajeeb di gurrahat ke saath kood padi WOOGER ke upar aur aisa kar woh sidhe WOOGER ke body se takrayi jisse jahan WOOGER neeche ludhak gaya wahin ab GRIFFIN ke nukile aur bade naakhuno waale panje uske upar the...

GRIFFIN-ek aur shabd nahi WOOGER...!!!!

warna tumhara anth karne ke liye ek pal bhi nahi lagega mujhe...

AHHH....

abhi GRIFFIN ki baat yaa phir ye kahun ki uski dhamki puri bhi nahi hui thi ki tabhi uske panje ke neeche daba WOOGER gayab ho gaya aur theek uske piche prakat hua aur aisa hote hi usne apne bade sir se GRIFFIN ke back side me hit kar diya jisse woh udti hui thodi aage jaakar giri..

par aisa hone ke agle hi pal woh naa sirf khadi hui par usne turant WOOGER ki taraf bhi chhalang laga di..

wahin WOOGER ne bhi apni jagah se GRIFFIN ki taraf chhalang laga diya tha...

GRIFFIN ki gardan thodi lambi thi wahin WOOGER ki compact aur behadh strong..

apne apne sir ko aage karte hue un dono ne ek dusre ki taraf chhalang lagayi thi jiske agle hi pal..

BOOM......

dono ke sir ek dusre se takraye jisse ek tez power wave paida hua aur har taraf fail gaya...

wahin takrane ke baad WOOGER aur GRIFFIN,dono hi neeche gir gaye the..

takkar ke asar se dono ka hi sir tez ghumne laga tha jisse woh kisi tarah control karne ki koshish kar rahe the..

par is beech ek baat se anjaan the dono..

aur woh ye ki unki takkar ki wajah se jo power wave paida hua tha,uska ek bhaag MAHI ke body se bhi takraya tha jisne anjaane me hi sahi,par MAHI ki madad kar di thi....

kaise??? aayiye,jaan lete hain...

paused CEREBRATION me bathe MAHI ko kaafi waqt ho chuka tha par apne physical weakness ki wajah se woh apne spiritual form ke kareeb nahi pahunch paa rahi thi...

uska ANGEL aur HUMAN form,dono hi uske heart ke left aur right me placed the,par lagatar kaafi der tak khojne ke baad bhi usse un dono bhaagon me kuch bhi feel nahi hua tha...

khair,MAHI ka ATTITUDE give up ka toh tha hi nahi isiliye kuch bhi naa dikhne ke baawjud woh apni koshish me lagi rahi....

ek andhakar tha is waqt MAHI ke andar jisme woh bhatakti hui har taraf kisi ujale ki ummid ne dekhe jaa rahi thi par har guzarte pal ke saath uski ummid kam hoti jaa rahi thi par tabhi...

ek external force ne hit kiya MAHI ko...

par PAUSED CEREBRATION me hone ki wajah se uska sharir us force ke khudpar hit karne se unaware hi raha par jaise hi woh force MAHI ke sharir ko bhedate hue uske andar samaya toh..

achanak se hi us andheri jagah jahan MAHI ghum rahi thi,wahan ujala ho gaya jiske baad MAHI ko uske heart left aur right ends me ek saath do super powerful energy
sources dikhayi diye..

left ne MAHI ka HUMAN FORM ENERGY SOURCE joki WOOGER ke power wave ki taakat se dikhayi diya tha wahin right taraf uska ANGEL form GRIFFIN ki power wave ki wajah se dikhne laga tha...

reason....

RAAZ...MAHI ke ANGEL PARTICLES ki wajah se RAAZ ka DEVILISH FORM supress ho chuka tha aur isiliye uska human form jisme us form ki taakat bhi thi,woh bahar thi aur isiliye same change uski urja se bane WOOGER me bhi thoda sa hi sahi par woh portion aa gaya tha..

wahin FALLON ke khudse merge hone ki wajah se MAHI ke andar automatically hi uska ANGEL FORM activate ho chuka tha aur isiliye hi uski urja se bane GRIFFIN me bhi thoda sa hi sahi par woh portion activate ho gaya tha..

aur jab woh dono ek dusre se takraaye toh apne apne respective MASTER aur MISTRESS ka woh human aur angel form power wave ke roop me unse generate hokar MAHI se takraya tha jiske result se woh dono forms joki MAHI ki heart ke left right chhuppe hue the,woh roshni me aa gaye...

khair,un dono hi forms ke roshni me aane ke agle hi pal woh wapas andhere me chale gaye the par aisa hone se pehle apna kaam kar diya tha unhone...

MAHI ki pysical strength wapas lout aayi thi...

iske saath ek aur cheez bhi hui thi...aur woh ye ki jab WOOGER ke body se power wave nikla toh ussi pal GALEN me moujud RAAZ ke sharir se bhi invisible form me wahi wave nikal har taraf fail gaya tha aur jab us wave ne jaakar kisiko chhua toh ek nayi baat pata chali MAHI ko..

aur aisa hote hi aankh khul gayi MAHI ki...

pehle ki tarah pysically fit thi MAHI..haan uski ANGELIC taakat abhi bhi uske andar dafan thi jo uske human form ki power ke saath merge hone ke baad hi usse milne waali thi par isme abhi bohot time aur mehnat lagni thi par filhal ke liye woh part important nahi tha..

abhi jo MAHI ke liye sabse important tha,woh tha RAAZ ke paas pahunchna aur isiliye jaise hi uski aankh khuli toh..

MAHI-

anjaane me hi tumse tumhari yaadasht chhin mai tumhe SATA RAHI HUN....

woh darwaza jiske dusri taraf tum ho,mai wahan JAA RAHI HUN....

jitna sehna tha,seh liye hum,par ab bas.......

hisaab pura hoga,ghabrana mat JAAN,mai tumhare paas AA RAHI HUN.....

AAJ KE LIYE ITNA HI.......

AAPKA APNA V....J.....
Nice update bhai
 
ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
behatrin update bro............kya ab mahi raaz k pass jane wali h.........or uska ye khna ki
hisaab pura hoga,ghabrana mat JAAN,mai tumhare paas AA RAHI HUN.....
se kya mtlb nikalta h............kya eaaz k sath jo hua uska bdla jb raaz lega mahi usme uska sath degi....................
 
Saddemon

Member
177
822
94

Kese bna lete ho last line ko ,shyri ki trh bhut hi bhari bna dete ho shbdo ko ,pathro ki trh 🤔😊...,?👌👌👌👌lajvab
 
Top