• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FALLON KO PATA CHALTA HAI KI ASTER ME REHNE WAALE LOG ASAL ME SPIRITS HAIN WAHIN DUSRI TARAF HORUS URF DIGVIJAY RAAZ KO HOSH ME LAANE WAALE COGNIZANT LEAF KO LENE NIKAL JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

MEGA UPDATE-125

PLANET-GALEN

PLACE- THE GALEN MOUNTAIN

TOH YE HAIN COGNIZANT LEAFS...

kaale colour ke ek ped jinme peele colour ki pattiyan lagi hui thi,unhe dekhte hue kahi thi ye baat HORUS urf DIGVIJAY ne...

is waqt us COGNIZANT pedh se ek behadh hi lubhavani khushbu aa rahi thi jo kisiko bhi apni taraf aakarshit karne me saksham thi...

par HORUS jaante the ki ye kushbu asal me mout ka woh khinchaw hai jo sabko apni taraf aakarshit karta hai...

HORUS dekh rahe the ki COGNIZANT LEAFS ke kuch bhaag halke ubhre hue dikh rahe the..

ye bhaag asal me COGNIZANT WORMS the jo LEAFS ke saath jude hue the aur jo koi bhi un LEAFS ko todta,woh WORMS joki ek dead curse ki tarah the,woh us leaf ko todne waale ke sharir se chipak jaate aur apne deadly poison ko us vyakti ke pure sharir ke transfer karte hue usse ek slow aur unbearable pain waali mout dete...

ye saari baat HORUS jaante th par yahi toh unki niyati thi jisse woh bhaag nahi sakte the..

apne pichle human life me itne gunah unke naam the ki unke praayaschit ke liye ye dard unhe sehna hi tha...

aur isiliye ek lambi saans chhodte hue unhone apna haath aage badhaya aur ek jhatke me kuch COGNIZANT LEAFS ko tod liya aur jab unhone aisa kiya toh un saare LEAFS se chipke WORMS turant unke saare sharir par chhad gaye aur aisa hote hi...

AHHHHHHH...

ek zordar cheekh nikal gayi HORUS ke mooh se jiske baad woh ek jhatke me apne ghutno par aa gaye...

sharir par chadhte hi un COGNIZANT WORMS ne apna kaam shuru kar diya tha..

tezab jaisi apni poison un sabne HORUS ke sharir me transfer karni shuru kar di thi jisse uthne waale aseem dard ko jhelne ki koshish karte hue HORUS wapas kisi tarah apne pairon par khade hue aur ladkhadate kadmo se apne ghar ki taraf badh gaye...

PLACE-ASTER

YE TOH SPIRITS HAIN...

saamne hazaron laakhon black transparent spirits jinke beech waale hisse me halki si whiteness chamak rahi thi,usse dekhte hue kahi ye baat FALLON ne jispar...

MASTER-ye sab wahi spirits hain jo pehle kabhi DEVILS hua karte the aur salvation ke liye jinhone ZEAL me wapas janm liya tha...

wahan marne ke baad se hi ye saare spirits yahan ASTER me aakar rooke hue hain....

MAHI-par kyun...???inhe diya kaam toh pura ho chuka hai...toh phir DAD ke waade ke hisaab se inhe ab tak salvation kyun nahi mili..

DAD... pehli baar zindagi me istamal kiya tha is shabd ka MAHI ne aur aisa karte waqt usne is shabd ke maayne ko puri tarah feel bhi kiya..

wahin MAHI ke sawal ko sun...

MADDOX-kyunki inka ek ehem kaam abhi bacha hua hai...

FALLON-kaisa kaam...????

tumne in saare spirits ke centre point par gour kiya hai, dekho wahan kuch whitish chamak raha hai...

woh ek LUSTRAL BEAM hai....

kyunki in sabki ZEAL me mout inke karm revive hue the,ye sab ek complete soul changing procedure se guzre the, isiliye salvation ke saath saath as a gift in sabko ye LUSTRAL BEAM bhi mila tha..

par ye gift inhe apne use ke liye nahi balki kisi aur use ke liye provide kiya gaya tha...

aur ye sab ab tak yahan salvation ka wait karte hue isiliye rooke hain,kyunki inhe ye LUSTRAL BEAM tumhe dena tha MAHI...

MAHI-mujhe...!!par mere ye BEAM kis kaam ki...???

MADDOX-tumhare nahi,ye BEAM RAAZ ke kaam aayegi..kaise,ye mat puchna,sahi waqt aane par usse aur tumhe apne aap pata chal jaayega....

is BEAM ko tumhe filhal ke liye apne andar store karke rakhna hai aur phir jab tum RAAZ se milogi,toh uske sir par haath rakh isse uske andar transfer kar dena...

haan,par usse pehle tumhari cheez joki uske andar hai aur usse lagatar taklif deti aa rahi hai,usse zaroor uske andar se nikal lena...

MADDOX ki is baat par buri tarah chownki MAHI...uski koi cheez RAAZ ke paas hai jo usse lagatar taklif deti aa rahi hai, aisa kuch toh usne socha hi nahi tha aur isiliye....

MAHI-meri chiz RAAZ ke paas hai aur usse pain pahuncha rahi hai..!!ye kya keh rahe hain aap..???

MADDOX-woh ladhayi yaad hai jo kuch samay pehle tumhare aur MORANA ke beech hui thi jisme MORANA tumpar lagatar waar karti jaa rahi thi jiski wajah se tumhe bohot zyada pain ho raha tha..

kabhi socha hai ki us waqt achanak aisa kya ho gaya tha ki uske waar ke beech tumhare bina waar kiye hi MORANA kaise behosh ho gayi thi...???

MADDOX ki kahi baat sach thi..us waqt MAHI RAAZ ke berukhi ki wajah se itni sad thi ki uska is baat par dhyan hi nahi gaya tha..

par ab usse yaad aa raha tha woh scene jisme RAAZ ke beech me aane ke baad aur MORANA ke uspar lagatar chhod rahe beam ke beech apni ray involve kar ladhayi rokne ke baad se hi usne RAAZ ki body ko weak hote dekha tha..

MAHI ye sab soch rahi thi aur MADDOX uske soch ko bhaamp chuke the aur isiliye....

MADDOX-bhale hi tumhara ANGEL FORM yahan FALLON ke roop me moujud hai,par tumhare heart ke andar tumhare heavenly kan har waqt moujud rehte hain..

aur us ladhayi me jab tumhara sharir us ho rahe pain ko jhelne ki aakhri hadh tak pahuncha toh tumhare HEART ke andar samaye un HEAVENLY kano ne apne power ko release kar diya...

woh powers ek invisible ray ka roop lete hue MORANA ke chhode beam ke andar behkar ussiki taraf jaane lage..

agar woh ray MORANA ko lag jaata toh woh wahin jal kar raakh ho jaati...

saath hi us ray ka AURA har taraf faile jaata jiski wajah se waqt se pehle hi VIDEOUS ko tumhare baare me pata chal jaata..

but kyunki fortunately RAAZ wahan moujud tha, toh usne tumhare un invisible rays ko naa sirf MORANA ki taraf badhte hue feel kar liya balki sahi waqt rehte usne apni REFINER powers ki ray ko us beam ke beech chhod diya aur tumhare rays ko khudke sokh liya..

phir bhi MORANA par us ray ke AURA ka ek halka sa bhaag impact kar hi gaya jiski wajah se woh behosh ho gayi..

aur RAAZ, apne andar tumhare HEAVENLY power ke particles ko sametne se aur woh bhi tab,jab uske paas uski aloukik shaktiyan moujud nahi thi,woh andar hi andar hadh se zyada weak ho gaya...

haan,guzarte waqt ke saath jaise jaise uske REFINER powers aur strong hote gaye, tumhare power particles ko woh sambhalne ke laayak ho gaye par kyunki RAAZ filhal completely mortal hai isiliye woh saare particles uske heart se nikalkar uske brain me chale gaye hain...

abhi tak toh RAAZ pysically aur khaaskar mentally behadh strong tha,par ab aisa nahi hai..

isiliye woh particles zaroor uske upar koi naa koi side effects paida karenge..

( NOTE:-this is the reason behind RAAZ memory loss)

isiliye uske paas pahunchte hi apne particles usse le lena aur ussi waqt LUSTRAL BEAM uske andar transfer kar dena..

par ek baat ka dhyan rakhna ki aisa karte waqt RAAZ aur uska dimag shaant rahe..

brain ki instability us procedure me khatra paida kar sakti hai...

MADDOX ki baat ko dhyan se sun aur samajhte hue haan me sir hilaya MAHI ne jiske baad MADDOX ne usse woh SPELLS bataya jisse uske particles RAAZ ke dimag se extract kiye jaayenge aur LUSTRAL BEAM uske andar samayi jaa sakegi...

saari baatein clear ho chuki thi aur ab baari thi main cheezon ke hone ki..woh cheezen jinki wajah se MAHI yahan ASTER me thi, FALLON ka astitv bachaya gaya tha aur MADDOX ne itna lamba intazar kiya tha....

MADDOX-ab samay aa gaya hai FALLON tumhara MAHI me vilin ho jaane ka...

MAHI tumne FALLON ka bhi pura safar dekh aur jaan liya hai..woh safar tumhe isiliye dikhaya gaya hai taaki FALLON ke hone ka asli maksad tum pehchaan sako...

kyunki aisa hona is pure khel ke liye sabse zaroori hai...tumhari uttpatti aur FALLON ki journey ke tumhe dikhaye gaye pal interconnected hain...

isiliye RAAZ ko uske us ATTITUDE tak pahunchane ke saath saath jisse uska dimag DEVIL ka aur dil ANGEL ka banega, us interlinked aur connected CHEEZ ke baare me sochna aur usse figure out karte hue uspar kaam karna hi tumhara main maksad hai...

ye do cheezen hi is kahani ko uske sahi anjaam tak pahunchayegi...

taklifen bohot aayengi,par jab woh aayen toh khud ko bas itna yaad dilate rehne ki tum VIKRAM JAIRAJ SINGH ki beti hai...

us shaksh ki beti jiske aage har koi bhale woh chaahe yaa naa chahe, natmastak hokar hi rehta hai..

logon me ATTITUDE hota hai,par tum uska khoon ho jo khud sir se pair tak ATTITUDE hai...

jo kabhi uska dushman tha,aaj wahi VIKRAM ka gungaan pure dil se kar raha tha.. VIKRAM ki shaksiyat ka isse bada example aur bhala kya ho sakta tha..

aur ye baat MAHI bhi samajh rahi thi aur isiliye usse khudpar VIKRAM ki beti hone par garv ho raha tha..

khair,apni baat ko aage badhate hue...

MADDOX-MAHI,FALLON, ek dusre ka haath pakdo....

MADDOX ki baat sun MAHI ne apne dono haath aage kar diye jisse FALLON ne thaam liya jiske baad...

MADDOX-MAHI,aankhen band kar apne saare REFINERS power ko release kar do..

aur FALLON jab MAHI aisa karegi toh uski puri body shine karne lagegi...

jab aisa ho tab tumhe SAMNIVEZA....is SPELL ko uccharit karna hai...

aisa karte hi tum apne origin, matlab MAHI ke andar sama jaaogi...

MAHI,yaad rahe ki FALLON tumhara ANGEL FORM hai joki bohot zyada shaktishaali hai..

par tum abhi sirf ek ANGEL hi nahi balki human bhi ho...

aur naturally ek ANGEL aur human ka koi link yaa jod nahi hota...

isiliye jaise hi FALLON tumhare andar tumhare heart ke ek taraf samayegi toh tumhara human power dusri taraf khisak jaayega...

aur aisa hote hi tumhare ANGELS aur HUMAN power ke beech ek stopper ban jaayega jo tumhare true potential ko bahar aane se rokega..

us potential ko bahar laane ka,apni puri capability ko joki bohot zyada hai,use karne ka tumhare paas sirf ek hi tarika hoga..

aur woh ye hai ki tumhe apne dono powers, ANGEL aur HUMAN ko ek karna hoga...

strong AMPLIFICATION aur REFINER process,alag alag tasks aur challenges joki extreme level ke honge,usse aisa kar paana possible hoga...

and as we speak,jahan se tum yahan pahunchi ho,wahan is waqt jo ho raha hai,uske hisaab se tasks aur challenges ki kami nahi hone waali hai tumhe...

anyways,shuru karen...!!!!

MADDOX ki baat par dono me se kisine bhi kuch kaha nahi,bas ek dusre ko dekh MAHI aur FALLON dono ne hi ek dusre ka haath thaame rakha..

MAHI ne apni aankhen band kar li jiske baad usne apne sabhi REFINERS ko completely release kar diya aur uske aisa karte hi uski puri body tez glow karne lagi..

wahin jab FALLON ne aisa hote dekha toh usne bhi apni aankhen band ki aur...

SAMNIVEZA

INCLUSION

is SPELL ko uccharit kiya usne aur uske aisa karte hi uski body bhi MAHI ke body ki tarah chamakne lagi..

par saath hi uski body dheere dheere dhuen me badalti hui MAHI ke pure sharir ko khudme lapeththe hue uske dil ke hisse ke just upar ikattha hone lagi aur dekhte hi dekhte woh dhuan joki FALLON thi,woh MAHI ke heart me sama gayi...

FALLON joki MAHI ka ANGELS form thi,woh wapas usme sama chuki thi...

jahan aisa hote hi MAHI ka sir bhaari hone laga tha wahin kuch door us bade se compartment me itne samay tak rooke hue LIGHT SHOWER urf ANGELS AURA me kampan hone lagi jiske baad woh pura shower apni jagah ko chhodte hue bahar nikla aur MAHI ke paas pahunch usme samane laga...

jab ek baccha paida hota hai,tab agar uska operation kiya jaaye toh usse pata bhi nahi chalta par same cheez agar uske bade hone ke baad ho toh uspar aisa hone ka bohot zyada asar padta hai..

waisa hi kuch abhi MAHI ke saath ho raha tha....

bachpan se ab tak woh woh ek normal human ki tarah rahi thi par ab achanak woh ek ANGEL me aur woh bhi ANGELS LORD ki beti ke roop me badal rahi thi..

ye bohot badi baat thi jisse naa toh MAHI ka brain circulate kar paa raha tha aur naahi uska dil jahan FALLON aur ab AURA sama rahi thi..

MAHI ko is waqt unbearable pain ho raha tha jiski wajah se naa sirf uske senses weak padte jaa rahe the balki saath hi uska brain aur heart dono dead hote chale jaa rahe the..

aur abhi toh ek cheez honi baaki thi...

aur woh ye ki jaise hi woh LIGHT SHOWER MAHI ke andar samaya toh uske agle hi pal wahan moujud saare SPIRITS ke paas jo LUSTRAL BEAM thi,woh unse nikal pehle unke saamne ikattha hui aur phir aage badhte hue MAHI ke andar sama gayi aur jab aisa hua toh MAHI ke khade khade hi already behosh ho chuke sharir ko laga ek tez jhatka jiske baad woh neeche gir gayi...

har guzarte pal ke saath MAHI ki behoshi uski MOUT me convert ho rahi thi par aisa hote dekh bhi MADDOX ke chehre par ek smile thi....

reason...

issi ghadi ka toh unhe sadiyon se intezar tha...yahi woh pal tha jiske baad unhe moksh mil jaana tha...

muskurate hue neeche baithe MADDOX aur apna haath MAHI ke sir par rakh apni aankhen band ki unhone aur...

JIVANAM YAVAJJIVA

LIFE FOR LIFE

jaise hi MADDOX ne SPELL uccharit kiya toh uske agle hi pal unka pure sharir se unka life source nikal MAHI ke band hote dil aur dimag me sama gaya aur aisa hote hi MAHI ki naa ke barabar chal rahi heart beat pehle toh ekdum se tez hui aur phir normal ho gayi...

abhi bhi behosh hi thi MAHI jisse dekh muskuraye MADDOX aur aisa karte hue hi unki body ray me badal gayab ho gayi....

MADDOX ne toh apna kaam kar diya tha,par behosh padi MAHI ki urja filhal uncontrollable mode me pahunch chuki thi jiski wajah se woh saari urja MAHI ke sharir se nikal ASTER ki sarhad ko bhedete hue bahar nikalne lagi aur agar aisa puri tarah ho jaata toh VIDEOUS ko MAHI ki location mil jaati...

aur phir game over ho jaana tha....

khair,woh saari urja ASTER se bahar nikalti ki tabhi wahan prakat hui GRIFFIN aur usne woh saari urja khud me ikattha karna shuru kar diya...

par kyunki GRIFFIN ka life source khud MAHI thi jo filhal behosh thi aur weak bhi,isiliye GRIFFIN bhi kamzor thi..

yahi reason tha ki us urja ko sametthe hue woh haanfte hue neeche baithne lagi...

kamzori ki wajah se GRIFFIN bhi behosh hone waali thi par tabhi....

WOOGER prakat hua uske saamne.. RAAZ ki buri haalat ki wajah se WOOGER bhi kamzor tha par itna nahi ki GRIFFIN ko stability naa de paaye...

prakat hote hi usne apna panja GRIFFIN ke upar rakh diya aur aisa hote hi woh urja GRIFFIN aur WOOGER me aadhi aadhi bant gayi..

wahin jaise hi GRIFFIN ne WOOGER ko saamne dekha jisne uski madad ki toh..

GRIFFIN-thanks WOOGER....

WOOGER-aadat daal lo... bohot baar bolna baaki hai...

WOOGER ki baat par ghur kar dekha GRIFFIN ne usse par us ghoorne ka WOOGER par koi asar nahi pada jisse dekh...

GRIFFIN-hmmp...bilkul apne MASTER ki tarah hai.. completely full of ATTITUDE...

PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE

BHAADDDD..........(update-117)

main door kuch zyada hi zor se khula aur uske beech se HORUS lambi lambi saansein leta hua hall me enter hua jahan is waqt ERRAPEL thik waise hi nirjeev sa behosh pade RAAZ ka haath pakde baithi hui thi..

HORUS jabse gaye the,tabse hi ERRAPEL ki aankhen ro rokar laal si ho gayi thi,chehre par dar aur dard, dono hi bhaav ek saath tairte aa rahe the,par ab apne BABA ko wapas apne saamne dekh itni der me pehli baar naa sirf usne chain ki saans li balki uske face me chhaye woh dar aur dard ke bhaav jaise ek jhatke me chhat se gaye the aur ab unki jagah khushi ne le li thi...

aur ussi khushi ko apne alfaazon me darshate hue..

ERRAPEL-aap aa gaye baba...mera dil kehta tha ki chaahe kuch bhi ho jaaye,aap zaroor wapas lout aayenge..

apni beti ki baat par muskurate hue
HORUS aage badhe aur thik ERRAPEL ke paas pahunch unhone apne haath aage kar diye jahan is waqt kuch peeli colour ki pattiyan thi jinhe dekh ERRAPEL samajh gayi ki yahi woh COGNIZANT LEAF hai jinhe lene uske baba gaye hue the...

ek pal un leafs ko dekh ERRAPEL ne unhe apne baba ke haath se le liya aur tabhi....

AHHHH....HAMMM....

ek dard bhari karah ke saath HORUS apne ghutno par aa gaye jisse dekh ERRAPEL hadbada bhi gayi aur dar bhi...

par woh kuch keh paati ki tabhi kuch aisa hua ki uski aankhen dar,dard aur khouf ki wajah se aur badi ho gayi...

HORUS ke sharir ka pura kapda khoon se naha sa gaya...

aisa lag raha tha maano HORUS ke body pores phat se gaye hain aur unse khoon ris raha ho...

ye dekh darte hue ERRAPEL apne baba ko chhune ko hui par tabhi..

HORUS-nahi beta...mujhe chhuna mat..verna meri jaisi haalat teri bhi ho jaayegi...

dard se bhari awaaz me ye baatein kisi tarah bol HORUS ne apne upari vastron ko jo khoon ke risne ki wajah se laal hone ke saath hi kamzor bhi ho gaye the,unhe pakad kar halka sa kheencha aur unke aisa karte hi chrrr ki awaaz ke saath woh kapda jo kisi kurte ki tarah tha par sweater ki tarah mota,wo faththe hue unke sharir se alag ho gaya aur jab aisa hua toh ERRAPEL ki aankhen badi ho gayi...

reason..

is waqt HORUS ke chest aur shoulder areas me bade bade keede lage hue the jo waise toh peele the par is waqt HORUS ke khoon se laal ho gaye the...

aur saath hi chest aur shoulders ke jis jis bhaag me woh keede chipke hue the,wahan se halka halka dhuan bhi nikal raha tha..

ye sab dekh dimag hi boukhla gaya tha ERRAPEL ka aur...

ERRAPEL-ye sab kya hai baba...???ye kaise kide hain...??inhe nikaliye naa...

ye bol ERRAPEL ne apna haath apne baba ke chest ki taraf badhaya par tabhi apni puri takat laga jo waise kam hi bachi thi, HORUS thoda piche hue aur...

HORUS-nahi ERRAPEL...inhe chhune ki galti kabhi mat karna..khaas kar tab jab tumne pehle hi COGNIZANT leaf ko chuu liya hai...

in keedo ka naam COGNIZANT WORMS hai..ye wahi shraap hain jo COGNIZANT LEAF ko todne waale ko lagte hain....

COGNIZANT LEAF ko chhune aur haasil karne ka mool hain ye keede jo ab mujhe lag chuke hain jo meri mout ke baad hi ab mujhse alag honge..

aur waise bhi,ye jo dhuan dekh rahi ho,ye inka zeher hai jo ab mere saare sharir me fail chuka hai,mai ab bas chand saanson ka hi mehmaan hun meri bacchi..

aakhri shabd kehte hue neeche zamin par gir chuke the HORUS....

unke sharir ki kampan unka dard aur taklif saaf bayan kar rahi thi aur us dard se hone waali aatmik taklif ko khudme samete hue baithkar ro rahi thi ERRAPEL..

jo hua hai,woh hona hi tha,ye pata tha usse par apne baba ko apni aankhon ke saamne marta hua dekh taklif toh honi hi thi usse...

khair,apni beti ko rota dekh..

HORUS-apni niyati se koi nahi bhaag sakta beti...aur meri haalat par rone ke bajaye tumhe toh garv hona chahiye ki tumhare baba ko saunpa daayitv unhone pura kiya...

ERRAPEL-garv aur dard kabhi kabhi ek saath dil me jagah bana lete hai baba....har mousam me hone waala badlav pehle hi maalum hota hai par jab woh mausam sach me aata hai aur us badlaw ko sharir chhuta hai,toh us kriya ki pratikriya hoti hi hai...

apni beti ki baat sun us beinteha dard ke beech bhi halka sa muskura uthe HORUS aur..

HORUS-waqt kam bacha hai ERRAPEL..meri saasein band hone se pehle agar in COGNIZANT LEAFS ko ras me badal RAAZ ko nahi pilaya tumne,toh mere sharir me lipte hue worms us leaf ki sugandh sungh tum par chhad jaayenge aur inse bacha nahi jaa sakta...

isiliye jaldi karo.. waise bhi antim baar apni aankhon ko band karne se pehle ek baar mai inhe hosh me dekhna chahta hun....

woh tumhare saamne pade flask ko sidha karo aur ek ek kar in saare leafs ko uske upar rakh ragdo...ye leafs ras me badalkar us flask me ikkatha jo jaayenge...

aankhen abhi bhi num thi ERRAPEL ki par aise waqt me bhi jab uske baba apni antim saans le rahe the,apne kartavya se mooh nahi mod sakti thi woh..

aur isiliye flask ko jo uske side me hi rakha hua tha,apne saamne rakh ek ek kar un COGNIZANT LEAFS ko ragadne lagi ERRAPEL....

ek haath me RAAZ ka haath jisse uske hosh me aane tak usse thaame rakhna tha, dusre haath me COGNIZANT LEAF jisse ragad apne kartavya ko nibhana tha, aur aankhon me apne baba ko unki maut ke darwaze par pahunchte dekhna tha,ek saath in teen alag alag situations ko ek saath handle kar rahi thi ERRAPEL...

wahin ab HORUS ki haalat kaafi kharab ho chuki thi..kisi bhi waqt unki saanson ki dor rook sakti thi par aise waqt me bhi unke face par ek sukoon tha..

aur ussi sukoon ke saath ERRAPEL ko dekhte hue..

HORUS-meri life me aane ke liye thanks beti...tune meri zindagi aur aur ab mout ko bhi saarthak banaya hai...

apne baba ki baat chupchaap aansu bahate hue suni ERRAPEL ne aur is beech usne saare leafs ko ras me badal flask me daal diya tha aur aisa hote hi usne turant us flask ko uthaya aur RAAZ ke dono gaalon ko pakad usse pichkaya jisse uska mooh halka sa khul gaya aur aisa hote hi ERRAPEL ne us flask ko uske mooh me sata dheere dheere ulta diya..

pura COGNIZANT LEAFS ke ras ko RAAZ ke mooh me udelne ke baad ERRAPEL usse alag hui aur itne der me pehli baar usne RAAZ ke haath ko chhoda aur apne baba ke paas pahunch kar khadi ho gayi..

wahin apni mout ke antim padhav par pahunchne ke baad bhi is waqt HORUS ke chehre par excitement saaf dikhne lagi thi...

unka dil jo ab tak khoon ke adhik beh jaane se kaafi dheere dheere beat kar raha tha,uski speed bhi achanak badh gayi thi...

is beech jaise hi RAAZ ke mooh se hota hua woh COGNIZANT LEAFS ka ras uske pure sharir aur mainly uske soul me pahuncha toh wahan ek vibration honi shuru hui...

ab tak andhere me dooba uske soul me achanak ek halki si roshni ne janm liya jo har guzarte second ke saath badhti chali gayi aur phir jaise hi woh roshni puri tarah se us ghar me joki RAAZ ka SOUL tha,bhar gayi toh...

ek jhatke me khuli uski aankhen aur woh uthkar baith gaya..

pathrayi aakhon se kuch pal sunya ko ghurne ke baad jaise achanak se dimag me jhanaka hua RAAZ ka aur woh apne present me wapas aaya..

present me wapas aate hi usne dekha ki woh abhi ek hall jaise kamre me hai....

par ye drishya yaa phir ye kahun ki ye hall uske liye anjana tha..

infact abhi toh RAAZ ke liye sabkuch hi anjaana sa tha..

aankhon me sawal liye RAAZ ka sir us taraf ghuma jahan neeche khun se latpath HORUS pade hue the aur unke hi paas ek khubsoorat si ladki khadi thi..

woh dono mujhe hi dekh rahe the jispar..

RAAZ-kaun hain aap dono...aur.........

MAI.... KAUN.....HUN.....!!!!!!...

PLANET-ELYSIAN

PLACE-ALFREEN'S ABODE

(6 HOURS AFTER RAAZ KILLED HIS PARENTS)

NAHI...NAHI....NAHI.....NAHI.....

aankhon ke aansu sukh kar unke kinaaron par sukhe parat ki shakl le chuke the..

zuban ko jaise lakwa hi maar chuka tha par DIL.... dil ke har kone par jo hua,usse yaad karte hue lagatar bas NAHI shabd hi nikal raha tha..

jahan behosh hokar neeche giri thi,wahin diwar ki oth liye is waqt ALFREEN pathrayi aakhon se andar sofe ki taraf jahan abhi bhi FLORIN aur MARIA ki raakh padi hui thi,usse dekh rahi thi...

dimag ne toh kaam karna pura band hi kar diya tha..bas ek dil hi tha jo naam maatra ke liye dhadakte hue ALFREEN ke zinda hone ki gawahi de raha tha....

hosh me aane ke baad se hi ALFREEN yunhi issi position ne baithi thi..shaam dhal chuki thi par ALFREEN ko kisi bhi chiz ka koi hosh nahi tha....

ghutne mod kar baithi thi ALFREEN jiski wajah se uske pehne lower ki right taraf ke pocket se ek kaagaz dheere dheere nikalta hua uski side me jaa gira....

ye wahi kagaz tha jisme CHOSENS ke 25 thousand purani parampara ke anusaar paheli likhi hui thi jisse solve karne waale ko AGATHOKAK naam ki upadhi milne waali thi...(update 24)

us kagaz ko hamesha ALFREEN apne jeb me hi rakhti aur baaki sabhi SAVENTS ki tarah jab woh bhi akeli rehti thi,tab us kaagaz me likhe paheli ko solve karne ki koshish karti thi...

anyways,jaise hi woh kaagaz neeche gira toh ussi waqt itne dwr se ALFREEN ki pathrayi aakhen ek baar phirse dabdaba gayi..

par is baar ke aansu me sirf dard hi nahi tha,balki jo hua,usse yaad kar dard ke saath RAAZ ke liye nafrat bhi bhara pada tha..

aansuon ki wajah se ankhen puri dhundli ho chuki thi ALFREEN ki aur aisa hone par sofe ka view jisme uske mom dad ka bacha ansh,unka raakh rakha hua tha,woh dikhna band ho gaya ALFREEN ko aur isiliye apne right hand se apne aansuon ko pochte hue ALFREEN ne apna haath neeche floor par rakh diya...

par jab usne aisa kiya toh uska haath jisme uske aansu lage hue the,neeche floor se lagne ke bajaye uske upar rakhe kagaz par jaakar tik gaya aur jab aisa hua toh ALFREEN ke aansu us kaagaz par lag gaye...

jahan ALFREEN is baat se anjaan thi wahin woh aansu us folded paper ke upari satah se hote hue uske andruni bhaag me samate chale gaye aur aisa hote hue jab woh aansu kagaz ke andar waale bhaag me likhe shabdon par, paheli par pade toh...

AHHHHH......

ek saath do chizen hui..

pehli...

ALFREEN ke pure sharir me ek jhatka sa laga jiske baad uske dimag me kuch palon ke liye beete saare lamhe mit se gaye...

dusri..

woh paper jisme paheli likhi hui thi,woh khul gayi aur khulte hue sidhe ALFREEN ke chehre ke saamne aakar rook gayi...

TU KHUD EK SAWAL HAI,
AUR TERA JAWAB MUJHME HAI...

PADH MUJHE US SYAHI SE,
JO HAR WAQT TUJHME HAI...

jhatke ke asar se ALFREEN ki badi ho chuki aankhon ne paheli ke ye shabd padhe jiske baad uska right haath apne aap hi uske left kalayi ke upar pahuncha aur...

RAKHT PRAKATAM...

BLOOD APPEAR....

apne kalayi ki skin ko chhute hue is SPELL ko uccharit kiya ALFREEN ne aur uske aisa karte hi us area me ek halka sa cut padh gaya jisse khoon bahar aane laga..

ALFREEN ne apne khoon ko apni ungliyon par liya aur apne ussi khoon lage haath ko aage badhate hue paheli ke upar mal diya..

saath hi saath aisa karte hue uske mooh se nikla..

ALFREEN-MY BLOOD....

SAHI JAWAB.....

ALFREEN ki harkat aur MY BLOOD ko bolte hi us paper ke aage hawa me ye line bante chala gaya aur jab aisa hua toh....

AHHHHHHHHHHHH...........

ek baar phirse ek zordar cheekh nikal padi ALFREEN ke mooh se..

reason...

SAHI JAWAB...ye shabd bante hi wo paper jisme paheli bani hui thi,woh GREY colour ke dhuen numa shakti me badalne laga aur aisa hone ke turant baad woh dhuan sidhe ALFREEN ke naak,mooh kaan aur aankhon se hote hue uske andar samane laga..

aisa hote hi ALFREEN ka sharir hawa me uth gaya aur saath hi usse apne andar ek ajeeb sa badlaw aur taakat feel hone laga par ye badlwaav hadh se zyada painful tha jiski wajah se uske mooh se cheekh nikal gayi thi...

cheekh ke saath saath ek aur cheez bhi ho rahi thi ALFREEN ke saath..

aur woh ye ki uske sharir ke kapde badalne lage the..jaha kuch der pehle tak usne normal casuals pehne hua the wahin ab uske sharir oar ussi grey dhuen se ek GREY robe banane laga tha aur jaise hi us GREY robe ne pura ALFREEN ke sharir ko dhaka,uske andar ho raha badlaw bhi pura ho gaya aur woh neeche zamin par aa gayi..

aankhen band thi is waqt ALFREEN ki..par uska roop naa sirf aur zyada nikhar gaya tha balki uske puri body se ek behadh hi cold AURA generate ho raha tha...

AGATHOKAK....woh prize,woh upaadhi jo ab naa sirf ALFREEN ko mil chuki thi balki woh khud hi ek AGATHOKAK me badal chuki thi..

ALFREEN THE AGATHOKAK..jiska matlab hai "QUEEN OF BOTH BLACK & WHITE ENERGY"....

ye shakti,ye upaadhi,apna ye naya astitv ALFREEN bhi jaan chuki thi...

aur aisa hote hi ek jhatke se uski aankhen khul gayi..

jahan pehle ALFREEN ki kaali gehri aankhen thi,wahin ab unka bhi rang badalkar GREY ho chuka tha...

khair,kuch pal tak apne is naye pehchaan ko feel karti rahi ALFREEN par phir jab ek baar phirse uski nazar saamne sofa par pade apne mom dad ki raakh par gaya toh aakhon me beintahan ghussa liye jiske asar se uske aas paas ki cheezen jalne lagi thi, ALFREEN us sofa ki taraf badhi aur uske saamne pahunch woh halka sa jhuki...

apne ek haath se apni mom ka aur dusre haath se apne dad ke raakh ko apni muthi me pakadte hue woh wapas sidhi hui...

kuch pal un raakh ke particles ko dekhne ke baad thik jaise RAAZ ne kiya tha, ALFREEN ne bhi us raakh ko apne chehre aur kapdo par mal sa liya aur aisa karne ke baad hile uske labh...

ALFREEN-RAAZ.............

gala ghota hai tune hamare VISHWAAS KAA......

galti humari bhi hai,bharosa kiya tha humne tujh jaise DAGABAAZ KAA.....

tune apni chala li,ab meri baari.....

aarambh hai ye ALFREEN ka aur saath hi RAAZ,tere VINAASH KA.....

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V....J......
Bahot bahot shaandaar khoobsurat lajawab mazedaar update bhai
Thanks for lovely and wonderful update
 
Badshah Khan

Active Member
1,511
3,681
159
Great vj4u bhai
Chalo RAAZ bhi ab thik hogaya aur shayad bohut jald hi uski yadash bhi a jayegi and FALLON ka kaam bhi khatam hogaya ab ERRAPEL jo ki ALFREEN ki tarah hai uska kya role hoga dekhte hai
And as expected ALFREEN ab badle ke barey mai hi sonchegi aur to aur wo dono hi shaktiyo ki malkin bangayi
Dekhte hai agey kya hota hai.
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
We saw a glimpse of what was happening to Horus in today's update in a glimpse of the future, even though death would be painful but it would give Horus salvation and do the same with Maddox. After that they will get liberation. :applause:
Maddox's words made us understand everything and eventually Mahi and Fallon became one and Mahi became an angel human. But giving power to raaz and removing the particles from inside that are hurting him is still left and due to this particles memory is gone, wow. :shocked:
The puzzle that no one had yet solved, Alfreen solved it and she became queen, great, she does not know the truth, so she is having trouble, it is not easy to bear the pain of losing parents. :approve:
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

🖤🖤🖤
 
Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143

Wow bhai kya se kya ho raha har kisi ko power mil rahi hain bichare videous ne kya galti kar di jo use hi power nahi mil rahi hai aur agar errapel jo ki raaz ki 10 percent power hain aur agar woh use mil gayi to kya hoga

Waiting for new update
 
Top