• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Badshah Khan

Active Member
1,511
3,681
159
Just awesome vj4u bhai
Ab dekhna to ban ta RAAZ 3 version kyunki ab tak to do dekh chuke hai
Kitni taqlif pahunchayega inhe RAAZ in sab se phir bhi nipatle par maik question is ALFREEN uska samna RAAZ kaise karega kyunki VIDEOUS usey to RAAZ ke samne layega kaise bhi jab RAAZ wapas ayega ab ALFREEN ko to sachayi bhi nahi pata uski aur RAAZ ki
Dekhte hai agey kya kya hota hai
 
Naik

Well-Known Member
20,250
75,333
258
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS KO HEAVEN'S GATE PAR RONIT ANJALI VIKRAM AUR ASMODEUS SE BOHOT SAARE RAAZ PATA CHALTE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

MEGA UPDATE-123

PLANET-ELYSIAN

PLACE-OUTSIDE CHOSENS

PRANAVERNA SAMBHIGAM

BOOMMMMM.....

SPELL uccharit hote hi SPELL ke centre point me ek tez dhamaka hua..

ek aisa dhamaka jisne pure ELYSIAN ko hila diya...

wahin dhamake ke saath hi ek gaadhi GREY colour ki light tezi se har taraf failti chali gayi aur dekhte hi dekhte us light ne pure CHOSENS ke borders ko khudme lapet sa liya..

aur jab us light ka circle pura hua toh woh gayab ho gayi aur saath hi gayab ho gaya is SPELL se generate karne waale light ka sutr....

PLACE-CHOSENS GARDEN

(ACTUALLY WHAT HAPPENED AFTER VIDEOUS CHANTED THE SPELL)

ANSHAM.........URJAHAM......... SAMPURN........VINASHAKAM.....

MAARGAM BHAAGYAM

ROAD TO DESTINY

jaise hi VIDEOUS ne apna SPELL bola,uske agle hi pal MAHI ne apne REFINER aur AMPLIFICATION power ko ek karte hue GRIFFIN ke bataye SPELL ko uccharit kiya aur jab usne aisa kiya toh ek saath do chizen hui...

pehli....

isse pehle ki VIDEOUS ke chanted spell ki ray usse aur RAAZ ko lagti,un dono ke aage ek unbreakable kawach ban gaya jisme un dono ko hi bodies ki urja thi...

ye isiliye hua kyunki jo SPELL VIDEOUS ne uccharit kiya tha,uska apni manzil yaa phir us manzil jaisi shakti par asar hona zaroori tha...

agar aisa nahi hota toh us SPELL ke asar se pura CHOSENS aur yahan ka har living creature khatm ho jaata...

khair, VIDEOUS ke SPELL se generated ray ussi kawach par padi jo dheere dheere VIDEOUS ke ray ke padne se tootne lagi....

par issi beech hui ek dusri cheez...aur woh ye ki RAAZ aur MAHI ke just peeche do bade bade portal khul gaye jinhone MAHI aur RAAZ ko apni taraf kheenchna shuru kar diya..

MAHI ne RAAZ ko khudse sataye rakha tha par jaise hi portals ne un dono ko kheenchna shuru kiya toh woh dono ek dusre se alag hone lage...

MAHI ne puri koshish ki taaki woh RAAZ se alag naa ho par us magnetic force ki taakat bohot zyada thi..

us force ne dono ko alag kar hi diya jiske baad woh dono unke piche bane un dono portals me se ek ek portal me samane lage..

VIDEOUS ki ray aur uske saath MAHI ki uccharit SPELL se paida hui roshniyan bohot zyada thi jiski wajah se vision bilkul hi dhundla sa tha par tab bhi MAHI ne khudko ek portal me aur RAAZ ko ek dusre portal me samate dekh liya jisse dekh...

MAHI-RAAAAZZZZZZ........

RAAZ ke naam ki cheekh ke saath MAHI apne portal ke andar samati hui tezi se girne lagi..

same cheez RAAZ ke saath bhi ho raha tha....bas fark sirf itna tha ki jahan MAHI apne portal ki gehraiyon me girti hui hosh me thi wahin RAAZ behosh ho chuka tha..

itna hi nahi,jaise jaise us khaayi numa portal ka end nazdik aa raha tha,waise waise uski heart beat kam hoti jaa rahi thi....

wahi dusri taraf MAHI ko ek ajeeb si unbearable heat feel ho rahi thi par us heat ke beech usse aisa lag raha tha maano jaise us garmi me sukoon feel karne ke liye kisine hawa chalayi ho...

par us ajeeb se condition me bhi MAHI ke dimag aur dil dono me hi sirf RAAZ aur aaj jo bhi hua,woh sab hi ghum raha tha...

woh apni soch me is kadar khoyi hui thi ki usse ehsaas hi nahi tha ki woh abhi ek anjaane khaayi me gir rahi hai aur saath hi guzarte waqt ke saath us portal numa khayi ka dead end aur dusra sira aane hi waala hai...

KRRRRRRRRRR........
KRRRRRRRRRR........

ek saath do jagah se ye awaazein nikli..

pehli jagah thi MAHI ke portal ka aakhri sira aur dusri jagah thi RAAZ ke portal ka aakhri sira..

darasal in dono hi jagahon par ek kawach laga hua tha jisse takraya tha girta hua MAHI aur RAAZ ka sharir..

but yahan bhi ek difference tha...

aur woh ye ki jahan ek taraf MAHI liye woh kawach ek soft cusion ki tarah tha jisse takrate hi uska sharir pehle toh jhul sa gaya par phir us SHIELD ne jaise MAHI ko pehchaan liya aur usse araam se paas hone diya jiske baad MAHI ka sharir us kawach ke dusri taraf nikal gaya wahin dusri taraf RAAZ ka sharir jaise hi us kawach se takraya toh uske pure sharir me current ke behadh tez jhatke lagne lage..

ye current itna zyada strong tha ki RAAZ jaise strong bande ka sharir bhi halka halka jalne laga...

saath hi saath uski heart beat jo guzarte waqt ke saath kam hote jaa rahi thi,woh us jhatke ki wajah se ek hi second me dus guna tak tez ho gayi par uske baad ek baar phirse slow ho gayi joki naa dhadakne ke barabar thi...

KHONNN....

behoshi ke aalam me bhi un lag rahe jhatkon ki wahah se khaans utha RAAZ jiske baad uske mooh ne ek baar me dher saara khoon bahar nikal diya par jab aisa hua toh hua ek chamatkar....

aur woh ye ki RAAZ ke mooh se nikla khoon jaise hi upar jaane ke baad wapas neeche gira aur RAAZ ke ird gird bane kawach se takraya toh us kawach se nikalta current ek second me hi naa sirf shaant ho gaya balki uske agle hi pal usne RAAZ ke liye raasta khol diya aur jab aisa hua toh MAHI ki hi tarah RAAZ ka body bhi kawach kw dusri taraf badh chala jiske kuch der baad...

DHAPPPP....
DHAPPPP....

RAAZ aur MAHI,un dono ke hi bodies do,do strong haathon ke grip me jaakar gire.....

SWAGAT HAI MAHI.....

SWAGAT HAI RAAZ.....

A FEW MOMENTS BACK:-

PLACE-ASTER

WOH PAL AA GAYA FALLON JISKA INTAZAR MERI NIYATI SADIYON SE KAR RAHI HAI AUR TUMHARI NIYATI,USKI TOH NEEV HI IS PAL KE BISAAT PAR RAKHI GAYI HAI.....

aankhon me vyagrata, chehre par anthhin chamak jo aaj se pehle MASTER ke face par kabhi nahi dikhi thi,usse bade aascharya ke saath dekh rahi thi FALLON..

aur uske upar jo baatein abhi MASTER ne kahi thi,woh baatein waise toh FALLON ke upar se nikli thi,par phir bhi un naa samajh me aane waali baaton ko sunkar woh bhi us anjaane shaksh ko dekhne aur milne ke liye adhir ho gayi thi...

apne MASTER ki hi tarah jo is waqt uske saath ASTER ki sarhad ke andar khade upar ki taraf dekh rahe the the,woh bhi dekhne lagi..

woh jagah jahan is waqt FALLON aur uske MASTER dekh rahe the,ye woh khaali si par abhedya jagah thi jisse ASTER ke andar aane ke liye ek surakshit PORTAL bana tha,aur is portal ka nirman khud LORD OF ANGELS ne kiya tha..

khair,abhi us spot ko dekhte un dono ko kuch hi pal beeta tha ki tabhi achanak se us spot me upar ki taraf se aakar kuch fasa par agle hi pal us spot ko,us sheild ko cross karte hue woh KUCH sidha unki taraf aane laga aur jab aisa hua toh MASTER ne apne dono haath aage kar liye jiske agle hi pal woh KUCH joki ek insaan tha,unke haathon me aakar theher gaya...

jahan aisa hone ke baad woh shaksh jiski filhal aankhen band thi,usne apni aankhen kholi aur aisa karte hi uski aankhen khudme sawal liye MASTER ko dekhne lagi wahin us shaksh ke face ko dekh FALLON ko laga jhatka...

reason.....

woh shaksh jo is waqt MASTER ke dono haathon me tha,uska face,infact uski puri roop rekha FALLON jaisi thi..

is waqt FALLON MASTER ke haathon me ek aur FALLON ko dekh rahi thi..

aankhon me hairat liye woh mantramugdha si apne jaisi ek ladki ko dekh hi rahi thi ki tabhi MASTER ke awaaz se uski tandra tooti....

MASTER-SWAGAT HAI MAHI......

PLANET-GALEN

PLACE-OUTSIDE ERRAPEL'S COTTAGE

KRKRKRKR.....

upar aasman me dekhti hui ERRAPEL aur uski BABA ko aankhon ke saamne shield se lage jhatke aur current dikh rahe the..

aur un current ka reason tha ek SHAKHS jo shield se takra raha tha...

kuch der tak yunhi hote rehne ke baad achanak se hi us shaksh ki body us SHIELD ko bhedhte hue neeche girne lagi..

us body ki disha exact ERRAPEL aur uske BABA hi the aur isiliye ERRAPEL ke BABA ne apna haath thik waise hi aage kar faila diya jaisa ASTER me MASTER ne kiya tha aur unke aisa karne ke kuch hi seconds baad us shaksh ki body joki badi tezi se neeche gir rahi tho,woh sidhe unke failaye haathon se takrayi jispar unhone bade araam se usse catch kar liya...

is waqt us shaksh ko dekh joki is waqt behoshi ke aalam me nirjiv sa khoon se latpath tha,BABA ke face aur aankhon me bhi waisi hi chamak thi, jaisi FALLON ke MASTER ki thi MAHI ko dekh...

wahin unke baaju me khadi ERRAPEL,jo kisi jaanwar ko bhi taklif me dekh tadap uththi thi,woh aaj khun se sane behosh pade RAAZ ko bade normally dekh rahi thi aur yunhi dekhte hue kuch soch usne RAAZ ke neeche latke haath ko chhu liya aur jaise hi ye hua toh..

HAAAANNNNNNN....

tez saans lete hue ek jhatke me khul gayi meri aankhen...

mere ankhon ke aage bhi khoon ki bunde thi jinke beech se maine apne tedhe latke chehre ko halka sa uthaya aur jab maine aisa kiya toh jo face mere aankhon ke saamne aaya(ERRAPEL)usse dekh mujhko laga ek jhatka aur mere mooh se apne aap us shaksh ka jisne mera haath chhua tha,naam nikal gaya...

MAI-ALFREEN....

bas ek naam bolte bolte hi meri saari energy wapas consume si ho gayi thi...

mai wapas behosh hone laga tha par behosh hote hote bhi mujhe ye ehsaas tha ki is waqt mai kisike haathon me hun isiliye apne face ko sidhe kiya maine aur aisa hote hi meri band ho rahi aankhon ke beech ek dhundla sa hi sahi par jaana pehchaanana face aaya jisse mai saakshat dekh toh pehli baar raha tha,par jaanta pehle se tha...

par meri aankhen aur saath hi mera dimag jaise coma me jaane laga tha aur isiliye mai wapas behosh hone laga par aisa puri tarike se ho paata,usse pehle mere kaano me padi ye awaaz...

BABA-SWAGAT HAI RAAZ.....

BACK TO ASTER:-

KAUN HAI AAP DONO....!!!!AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCHI....!!!!

RAAZ...!!!? RAAZ KAHAN HAI..????AUR TUM....!!!TUMNE MERA BHESH KYUN LIYA HUA HAI...???

MASTER ki godh me land karne ke agle hi pal MAHI ek jhatke me neeche utri aur neeche utarte hi FALLON ke roop me khudko dekhte hue aashakht bhari nazaron se ek ke baad ek kayi sawal kar diye usne...

jahan MAHI ke sawal ko sun bas muskura rahe the MASTER wahin FALLON toh uski awaaz sun ek baar phirse hairan ho gayi thi aur woh isiliye kyunki MAHI ki awaaz bhi hubahu FALLON ki hi tarah thi...

MASTER MAHI ke saath saath chupchaap khadi FALLON ke manobhaav ko bhi achi tarah jaante the aur isiliye...

MASTER-sabse pehle shaant ho jaao MAHI...

aur ye bhi jaan lo ki hum tumhare shatru nahi balki mitr hai..hum tumhare safar ke woh padhav hai jahan se tumhe tumhare astitv aur tumhare manzil,dono ka hi drishya saaf ho jaayega...

rahi baat RAAZ ki, toh jaise MAARGAM BHAAGYAM SPELL ko uccharit kar tum yahan pahunch gayi,thik waise hi RAAZ bhi uske liye nirdharit kiye gaye jagah par pahunch chuka hai..

aur sahi samay par tum bhi uske paas pahunch jaaogi....

apne dwara uccharit kiye gaye MAARGAM BHAAGYAM SPELL ka naam us anjaan shaksh ke mooh se sun ek pal ke liye hairan hui thi MAHI par phir us SPELL ki hi wajah se woh yahan pahunchi thi,ye soch shaant bhi ho gayi woh...

par is beech FALLON ke chehre par hairani aur sawalon ki rekha,dono hi bane rahe the jisse dekh...

MASTER-FALLON... khudse, is jagah se aur mujhse jude tumhare saare sawalon ke jawab aaj tumhe
bhi mil jayenge...

waise ye kehna thik hoga ki MAHI ke satya ke saath hi tumhara satya bhi apne aap hi ujagar ho jaayega...

aur MAHI,isne tumhara bhesh aur roop ka anawaran nahi odha hai,balki ye iska asli roop hai..

haan,ye keh sakte hain ki ye roop bhi tumhari wajah se hi hai par filhal yahi iski asliyat hai...

MASTER ki baat waise samajh toh naa FALLON ko aayi aur naahi MAHI ko,par haan, hairangi dono ki hi badh chuki thi...

FALLON toh ab bhi chup hi rahi par MAHI joki andar hi andar kaafi adheer ho chuki thi, MASTER ki baat sun...

MAHI-mere sach ke saath ye kaise judi hui hai...???

meri tarah kisika dikhna wakayi hairani ki baat hai par dikhne ke saath judna,ye kaisa tark hai..??

kya iska aur mera koi rishta hai...???

aur aap...???are we also connected..???

agar wakayi aapko mere baare me aur mere dimag me jo sawal ghum rahe hain,unke baare sab pata hai toh please mujhe bataiye..

pehle hi aaj jo institution me hua,uske baare me soch sochkar mera dimag ghum raha hai...

woh VIDEOUS...hai kaun woh..???aur uski meri aur RAAZ se kaisi dushmani hai...???

aaj usne kaha ki mai SERAPHIM ANGELS ki beti hun aur RAAZ MARIA aunty aur FLORIN uncle ka beta hai...???

hows that even possible...???and the most shocking thing ye ki RAAZ ne khud un dono ko maar diya...kyun..???

aur in sab ke baare me GRIFFIN ko pata tha,aur usne mujhe RAAZ ki side lene ko kaha..

MORANA...jisse mai RAAZ ke liye negetive samajh rahi thi,aakhir me usne hi hum dono ke liye apni jaan de di...

marne se pehle usne waisa hi reaction diya jaisa GRIFFIN ne mujhe bataya tha...

iska matlab hai ki jo bhi chal raha tha yaa hai,usme MORANA bhi shuru se shamil hai...

uske baad GRIFFIN ne ek aisa SPELL uccharit karne ko diya jiske prabhav se mai yahan pahunch gayi aur RAAZ kahin aur....

aur yahan mujhe mile aap dono..

aap aur aapke round round baaton ne aaj ke pure confusing din ke confusion ko next level tak pahuncha diya hai...

MASTER-tabhi maine kaha shaant ho jaao...chalo,tum batao,pehle kya jaanana chahogi...????

apne aur RAAZ ke baare me yaa phir mere,is jagah ke aur tum yahan kyun ho,iske baare me...!!!

MAHI-apne aur RAAZ ke baare me...

FALLON-MASTER aapne kaha tha ki aaj mujhe bhi apne sawalon ke jawab milenge..!!!

itne der se chup khadi FALLON ke mooh se pehli baar sawal nikla tha jisse sun MASTER uski taraf mude aur....

MASTER-kaha toh maine ye bhi tha ki MAHI ke satya ke saath hi tumhara satya bhi apne aap hi ujagar ho jaayega...

mere piche aao dono...

jahan apni baat keh MASTER ek disha ki taraf badh gaye wahin ek baar ek dusre ko dekh FALLON aur MAHI bhi unke piche jo li...

us pathrili anthin jagah ko jisse alag alag aur bade bade compartment ki tarah bana tha,usse dekhte hue MAHI aage badh rahi thi...

is beech usse ek ajeeb si feeling bhi aa rahi thi....

us dhaki hui jagah me bhi MAHI ke sharir me khuli dhoop waali garmi lag rahi thi par saath hi usse aisa lag raha tha jaise koi invisible AURA wahan faila hua tha jo us garmi ko badhne se rok raha tha...

aisi ajeeb garmi aur usse control karne waale AURA ko MAHI ne kabhi feel nahi kiya tha...

khair,MASTER chalte hue ek bohot hi vishalkay compartment ki taraf badh rahe the..

MAHI aur uske saath FALLON bhi joki kabhi is jagah ke is part ki taraf nahi aayi thi,kaafi excitement ke saath dekh rahi thi us compartment ke andar se aa rahi tez roshni ko...

par jahan MAHI ko us roshni se kuch feel nahi ho raha tha,wahin iske ulat FALLON ki body us roshni ki taraf automatically kheenchi chali jaa rahi thi..

usse aisa lag raha tha jaise us aa rahi roshni aur uske shroth se uska koi connection hai..

apni apni soch ke beech jab FALLON aur MAHI MASTER ke piche us compartment me ghusse toh un dono ko us roshni ka shroth dikha...

ek bada sa LIGHT SHOWER joki us bade aur kareeb 500 feet unche compartment ke beecho beech khada har taraf roshni faila raha tha..

dekh kar us LIGHT SHOWER ko aisa lag raha tha maano woh koi water fall ho...

khair, mantramugdha se FALLON aur MAHI us LIGHT SHOWER ko dekh rahe the ki tabhi..

MASTER-jaante ho ye LIGHT SHOWER asal me kya hai...???ye ek ANGELS AURA hai....

aur woh bhi itna shaktishali ki agar is AURA ki light kisi nirjeev planet par padh jaaye toh wahan life formation start ho jaayega...

MASTER ki baat sun FALLON aur MAHI hairan jo gaye par asal hairani toh un dono ko ab honi thi..

apni baat ko aage badhate hue...

MASTER-jaante ho ye ANGEL'S AURA kiska hai...!!!! tumhara FALLON....

tez jhatka laga tha FALLON ko MASTER ki baat sunkar..usse samajh me nahi aaya ki woh kaise react kare...!!!

wahin ek baar muskurate hue FALLON aur MAHI ko dekha MASTER ne aur..

MASTER-ab tum dono ko koi sawal puchne ki zaroorat nahi hai..tumse aur RAAZ se juda woh sawal jo MAHI tumse connected hai,uska jawab issi AURA me hai...

jaao,aur khade ho jaao is LIGHT SHOWER ke neeche..sab pata chal jaayega....

MASTER ki baat samajh toh ab bhi nahi aa rahi thi FALLON aur MAHI ko,par ab jab unhone keh diya tha ki us LIGHT SHOWER me un dono ko unke sawalon ke jawab mil jaane the isiliye bina baat aage badhaye woh dono us LIGHT SHOWER ki taraf badh gaye....

aisa karte waqt jahan MAHI normal hi thi wahin FALLON ko us LIGHT SHOWER se magnet waali feeling aa rahi thi jo usse apni taraf kheench rahi thi..

khair,kuch hi seconda me woh dono us LIGHT SHOWER ke paas the..

uske theek saamne pahunch un dono ke ek baar ek dusre ko dekha aur aisa karte waqt unhe aisa laga jaise woh aayna dekh rahe hain..

ek dusre ko dekh un dono ne wapas saamne ka rookh kiya aur apne kadam us LIGHT SHOWER ki daayre ke andar daal diye..

agle hi second woh dono us LIGHT SHOWER ke andar the aur jab aisa hua toh...

FALLON aur MAHI ke beech us LIGHT SHOWER ki roshni se ek bridge sa ban gaya jisse woh dono ek dusre se jud gayi aur aisa hote hi un dono ki aankhen band ho gayi jiske baad unki band aankhon ke aage dikhne laga ek sa drishya jisme sabse banane laga do logon ka chitr.....

LORD OF ANGELS,VIKRAM aur AVANTIKA...

jaise hi ye do face unhe dikhayi diye,uske agle hi pal un dono ko waisa hi kuch drishya dikhne laga jaisa RAAZ ko UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me MARIA urf ANJALI ki kokh me apne aap ko bante waqt dikh raha tha...

bas ek difference tha... jahan RAAZ
pura banane ke baad ANJALI ki kokh se extract kiya gaya tha,wahin MAHI ka sharir jab aadha hi bana tha,tabse hi usse womb se gayab kar diya gaya tha...

jahan is waqt MAHI apni uttpatti dekh rahi thi,wahin FALLON ko MAHI ke pure sharir ke upar aur andar ek alag hi energy feel ho rahi thi..

thik us LIGHT SHOWER jaisi energy jiske andar woh abhi thi..par kamal ki baat ye thi ki usse us energy me apna astitv bante dikh raha tha..

khair,VIKRAM kaun hain, AVANTIKA se uska kya rishta hai,ye sab dikhne laga tha MAHI ko jisse dekh uski band aankhon se bhi ashru behne lage the..

phir aaya woh samay jab uske aur FALLON ke kaano me GOD ki awaaz padi..(first update)

aur uske birth ko kaise roka gaya,aur ab kaise usse wapas earth me ek bacchi ke roop me loutna hai,ye sab GOD ke awaaz ke saath un dono ko pata chalta gaya..

jab GOD ye baat bata rahe the,tab MAHI ko unpar aur GOD par ghussa aa raha tha...

koi bhi plan kyun naa ho,par uske liye usse bali ka bakra bana diya gaya tha,ye feeling janm le rahi thi MAHI ke dil me par tabhi usne dekha apni MAA AVANTIKA ka chehra dekha jo bilkul ussiki tarah tha..

par is waqt us khubsoorat chehre par dard tha...aankhon me nami thi jo unke dil ka haal bayan kar rahi thi...

wahin AVANTIKA ke baaju me khade VIKRAM ki aankhen toh saaf thi par dard unme AVANTIKA se bhi gehra tha jisse bhaamp gayi MAHI aur aisa hote hi uske dil me panap rahi negetiveness ek second me gayab ho gayi..

ab usme apne jeeven daataon ko dekhne ki khushi bhar thi..

khair,MAHI aur FALLON dekh rahe the ki kaise MAHI ek urja ke roop me VIKRAM, AVANTIKA, ALESSANDRA aur ASMODEUS ke saamne prakat hui aur uske theek baaju me ussiki tarah ek dusri urja bhi prakat hui...

RAAZ.....

jaise hi RAAZ ki urja MAHI ki urja ke paas aayi toh MAHI ko RAAZ aur VIDEOUS,dono ki hi saari asliyat pata chal gayi...

saath hi ANJALI, RONIT aur unke human reincarnated form MARIA aur FLORIN ki bhi...

aur aisa hote hi kaise RAAZ un dono ka beta hai,ye ganit MAHI ke dimag me clear ho gaya...

thodi hi sahi,par RAAZ aur uski kahani milti julti thi,ye jaankar MAHI ko bura bhi laga aur RAAZ par pyar bhi aaya...

khair,FALLON aur MAHI ne dekha ki woh dono urja un chaaron ke saamne se gayab hote hue EARTH ki taraf badh gayi thi...

par EARTH ke atmosphere ne enter karte hi un dono urjaon ne apna raasta ek dusre se alag kar liya..

jahan RAAZ ki urja ROMANIA,CLUJ NAPOCA ke HOIA FOREST ki taraf badh gayi wahin MAHI ki URJA ALASKA ke TONGASS NATIONAL FOREST ki taraf rookh kar chuki thi...

par is waqt MAHI aur FALLON un dono ki urjaon ke safar ko dekh paa rahe the..

woh dekh rahe the ki RAAZ aur MAHI, dono ki urja apne apne jagah par pahunchkar rook gayi aur aisa hone ke kuch pal baad MAHI ki urja se ek ray nikli jo sidhe wahan pahunchi jahan RAAZ ki urja thi...

us jagah pahunchkar MAHI ki urja sidhe jaakar RAAZ ki urja se jud gayi aur aisa hone ke baad uski aur RAAZ ki urja neeche zamin par utarne lagi..

neeche aane ke baad jahan ek taraf RAAZ ki urja kuch der tak ufanti rahi jiski wajah se us urja ke kuch kan door chhitke jisse paida hua WOOGER wahin same haal par kuch modification ke saath MAHI ki urja ke saath bhi ghat raha tha...

MAHI ki urja se bhi kuch urja ki bunde alag hui jisse paida hui GRIFFIN par saath hi ek aur urja thi joki MAHI ki puri urja ka 90 pratishat thi,woh bhi MAHI se alag hui aur aisa hote hi MAHI human form me saamne thi..

khair,MAHI se alag hote hi woh urja kuch pal MAHI ke chaaron taraf ghumti rahi par phir ek jhatke me woh upar uthi aur ek disha ki taraf tezi se badh gayi..

ye disha thi ASTER ki....ye sab dekh MAHI toh normal thi par FALLON nahi...

reason....

woh urja jo MAHI se alag ho ASTER ki taraf badh rahi thi, FALLON ko us urja se khudki feeling aa rahi thi...

khair,woh urja thoda aur aage badhi aur phir achanak se gayab hote hue ASTER ke environment me thik ussi jagah par prakat hui jahan kuch der pehle MAHI prakat hui thi..

us waqt bhi MASTER waise hi khade dikhe jaise aaj khade the..

woh URJA theek unke saamne aakar rooki aur dheere dheere neeche us chattani satah ki taraf jaane lagi..

aur aisa hote waqt us urja se ek AURA nikla aur sidhe issi compartment me jahan MAHI, FALLON aur MASTER moujud hain,
aakar LIGHT SHOWER ka roop le liya aur jab aisa hua toh MASTER ke saamne waali urja ne bhi MAHI ki tarah thik ussike roop me human form le liya...

ye choti si bacchi thi FALLON joki asal me MAHI ka ANGEL FORM thi jisse usse isiliye alag kiya gaya tha taaki VIDEOUS yaa koi bhi MAHI ki asliyat naa jaan paaye...

aur jis LIGHT SHOWER ke neeche ye dono khade the,ye tha woh ANGEL AURA jo isiliye FALLON se alag hua tha kyunki ye AURA sirf ANGEL ka nahi balki PARMESHWAR PUTRA ki beti ka AURA tha joki purely DIVINE tha jo agar apne maalik yaa phir ye kahun ki maalkin (FALLON)ke paas rehta toh is AURA ka power pure universe me fail jaata jisse FALLON ki asliyat janana kisi bhi powerful sorcerer aur khaaskar VIDEOUS ke liye maamuli baat hoti...

MAHI aur FALLON ke saamne unki puri sacchayi aa chuki thi..

kuch aur chizen bhi thi jo MAHI ne dekhi thi aur FALLON joki uska ANGEL FORM thi,uske baare me jaana tha aur woh jaankar woh bohot hairan hui thi..

saara drishya aur sach jaan chuki thi MAHI aur FALLON aur isiliye un dono ki hi aankhen khul gayi aur woh dono us LIGHT SHOWER se bahar aakar MASTER ke saamne khadi ho gayi...

jahan saara sach jaanane ke baad jo hua,kya woh sahi tha,aage kya karna hai,aise hi bohot saare sawalon aur soch ne MAHI ke dimag me ghar kar liya tha wahin isse ulat FALLON ka dimag,uska chitt pura shaant ho chuka tha....

apni asliyat jaan yaa phir ye kahun ki is sach ko jaan ki uska toh apna koi wajud hi nahi tha,woh toh uske side me khadi ladki ka woh part thi jisse usse bachane ke liye usse ab tak alag rakha gaya tha,FALLON bhala kuch sochti bhi toh kya...!!!

ab usse samajh aa raha tha ki kyun uske manobhaav normal mortals se alag the aur kyun MASTER usse kisise bhi close hone yaa baat karne nahi dete the...

jis karm ka future nahi,uska present banakar bhi kyaa faayda...

par is neutral mindset ke baad bhi ek sawal tha jo FALLON ke dimag me ghum raha tha aur isiliye...

FALLON-saari baatein jaan li,par ek baat nahi....

aap kaun hain..is kahani me aapka kya role hai...???

FALLON ka ye sawal toh MAHI ke dimag me bhi tha isiliye uske ye sawal puchte hi uski aankhen bhi MASTER par atak gayi...

wahin FALLON ke sawal ko sun ek smile naach uthi MASTER ke honthon par jiske baad..

MASTER-mai is kahani me apne swarth se hun...

mai hi kya, WOH SHAKSH jinke paas abhi RAAZ hai,woh bhi is kahani me apne swarth se jude hue hain..

waise ek shaksh aur bhi hai jo apne swarth se is kahani me thi par ab uska swarth,uska maksad pura ho chuka hai..

FALLON-kaisa swarth,kaia maksad..???

MAHI-aur kiska maksad pura ho chuka hai..???

MASTER-jisne jaan di tumhare aur RAAZ ke liye...MORANA....

MASTER ki baat sun shocked ho gayi MAHI..apne baare me jaante waqt aur uske baad se hi MORANA uske dimag se nikal chuki thi par ab MASTER ki baat sun ye naam aur usne aaj jo kiya,woh sab wapas uske zehen me zinda ho chuka tha aur isiliye...

MAHI-mai samjhi nahi...

MASTER-ek drishyam jai..dekho usse..sab samajh jaaogi...

ye bol MASTER ne apna haath lehraya aur unke aisa karte hi unke saamne ek bada aa drishyam dikhne laga...

ye drishyam aur kuch nahi ussi CEBASTRAL WORLD ka tha jahan VIKRAM aur ASMODEUS gaye the aur scene bhi wahi tha jo HEAVENS GATE par VIDEOUS ne dekha tha..

MAHI aur FALLON ne us pure scene ko dekha...

pure drishyam ke dauran MAHI aur FALLON ki nazar toh apne PITAH VIKRAM se hat hi nahi paa rahi thi..

apne PITAH ka aisa urjavan vyaktiv dekh mantramugdha ho gayi thi woh dono...

aur woh scene jab apne bhai ko taklif me dekh VIKRAM CEBASTRAL WORLD ki aatmaon par bhadka tha,
usse dekh MAHI ko apne pitah par behadh pyar bhi aaya aur garv bhi mehsoos hua...

khair,us scene me jab VIKRAM ne un aatmaon ko ye kaha ki unhe woh mukti dilayega,aur jisse sun woh sab behadh khush ho gaye the uske baad...

FLASHBACK SCENE:-

VIKRAM-ZEAL me baaki sab aatmayen human form me reincarnate hongi aur marengi ziway tum teeno ke...

woh teen jo portal band karne ke liye gaye the,unse kahi thi ye baat jisse sun woh teeno dar bhi gaye aur udaas bhi ho gaye par tabhi..

VIKRAM-fikr mat karo... tum teeno zaroor moksh ki prapti karoge par abhi nahi...

tumhare gunah bohot bade hain isiliye unke praayaschit ka maarg bhi alag hoga..

tum teeno ki baari baad me aayegi...

tab tak,intazar karo....

FLASHBACK ENDS:-

is scene ke baad drishyam gayab ho gaya aur aisa hone ke baad...

MASTER-tab LORDS ka plan sirf RAAZ ke liye tha..par jab uski utpatti ke waqt GOD ke through unhe tumhare baare me pata chala toh unhone plan ko thoda twist kiya...

ASTER asal me tumhare liye nahi balki jaise aaj tum yahan pahunchi,aisi hi condition ke according RAAZ ke liye banayi gayi thi jahan mere saath WOH bhi hone waala tha,jiske paas abhi RAAZ hai...

par plan ko change karte hue tumhare aur most importantly, tumhare is ANGEL FORM FALLON ke liye is jagah ko aur mujhe yahan rakha gaya aur RAAZ ke liye ek dusri jagah aur mere saathi ko niyukt kiya gaya..

(NOTE-aapko yaad hoga guyzz ki update 1 me jab GOD ne VIKRAM, AVANTIKA, ALESANDRA aur ASMODEUS ke saamne MAHI ki baat open ki toh RAAZ kuch sochne me busy ho gaya tha.. woh yahi sab modification kar raha tha jo abhi ho raha hai)

apne PITAH ke dimag ko jaan aur unki planning ke baare sun dimag hil gaya tha MAHI ka..

aur uske saath khadi FALLON ko MASTER ki kahi woh baat jisme unhone LORD OF ANGELS ke dimag ki taarif me kahi thi,woh yaad aa gaya tha..

par in sabme MASTER aur unke saathiyon ki identity toh ab bhi RAAZ hi thi aur isiliye...

MAHI/FALLON-par abhi tak aapne ye nahi bataya ki aap,jo guzri, MORANA aur jo RAAZ ke saath hain,woh hain kaun..!!!

ek saath kahi MAHI aur uske ANGEL FORM ne ye baat jiske baad un dono ki nazar pehle ek dusre par aur uske baad MASTER par tik gayi...

wahin un dono ki common sawal par pehle hase MASTER aur phir...

MASTER-

jo sangeet ki dwani nikaal de,VIKRAM ki talwar me woh LAY HAI....

hum jaise paapiyon ko bhi moksh milega,agar LORD ne ye chaha hai,toh ye hona TAY HAI....

MORANA, MASTER,BABA,ye naam,ohde bas chhalaave hain....

jo guzri,woh NISHKAALIKA,mai MADDOX aur jo RAAZ ke saath hai,woh DIGVIJAY HAI....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V....J....
Bahot shaandaar mazedaar lajawab damdaar update brother
Bahot bahot shaandaar
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,171
52,928
173
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GALON PAHUNCH CHUKA HAIN WAHIN DUSRI TARAF MAHI BHI ASTER PAHUNCH CHUKI HAI JAHAN MASTER URF MADDOX USSE AUR FALLON KO UNKE SAARE RAAZ BATATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-2

(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

MEGA UPDATE-124

PLANET-GALEN

PLACE-ERRAPEL'S COTTEGE

YAKIN NAHI HOTA KI DIGVIJAY SE HORUS TAK KA SAFAR JIS GHADI KE INTAZAR ME TAY KIYA THA,WOH AAKHIR AA HI GAYI....

behosh pade RAAZ ko dekhte hue kahi thi ye baat DIGVIJAY urf HORUS ne jispar RAAZ ke sirane par uska haath pakde baithi ERRAPEL muskura uthi aur....

ERRAPEL-finally..DIGVIJAY.....toh ye naam tha aapka apne past life me...

ERRAPEL ke is baat par HORUS muskura uthe aur....

HORUS-tumhe kaha toh tha ki jis din mere moksh ka dwar mere saamne hoga,us din apne past life ka naam tumhe bata dunga,toh bata diya...

MOKSH....ek aisa shabd jo har tarah se positive hota hai par abhi HORUS ne jab is shabd ka istamal kiya toh ERRAPEL ka chehra jisme muskaan thi,woh udaasi me badal gayi jisse dekh...

HORUS-ERRAPEL meri bacchi....jo hone waala hai,uske baare toh tumhe shuru se pata hai,phir ye udaasi kyun...!!!

tumhe toh khush hona chahiye ki tumhare BABA ka itna lamba intezar ab aakhirkaar khatm hone hi waala hai....

ek reh chuke DEVIL ke liye wapas manushya yoni me janm lena aur apna kartavya pura karte hue is yoni ko chhod MOKSH ko prapt karna,swarg ko prapt karna,ye woh asambhav aashirwad hai jo mujhe mila hai...

aaj meri dono jeeye hue zindagi ka sabse khaas din hai isiliye apne baba ki is khushi me khush raho...

aur waise bhi,ye mat bhulo ki meri hi tarah tumhari niyati bhi ek alag hi syahi se likhi gayi hai jisse mitkar bhi amar ho jaana hai...

jo shaksh tumhare saamne behosh pada hua hai,jiska haath tumne isiliye thaama hai taaki jab tak iska upchaar naa ho jaaye, iski saansein
chalti rahe,tum iska woh BHAAG ho jiske bina iski shakti puri nahi ho sakti...

HORUS ki baat sun ERAPPEL ke face par ek feeki si muskaan aa gayi aur..

ERRAPEL-BHAAVNA....ANGELS EMOTION....yahi SHAKTI hun naa mai iski...

woh shakti jo iske AMPLIFICATION aur REFINER powers ko ek karke isse super powerful banayegi...

woh shakti jo isse iske MOM ANJALI ke SERAPHIM ANGELS ke roop se mila hai aur ussise mujhe apna ya roop joki iske behen ka hai,pradan hua hai...

(NOTE:-aapko yaad hoga guyzz ki update 106 me jab DHANUR aur RAAZ aakhri baar aamne saamne the,tab RAAZ ne ye kaha tha ki usse apne emotions power ka aakhri 10 percent feel hi nahi ho raha...usse aisa lag raha hai jaise woh 10 percent emotions uske andar hai hi nahi...woh sach keh raha tha...woh 10 percent emotions joki uske baaki ke 90 percent emotions power se kayi guna zyada shaktishaali thi,wahi power hai ERRAPEL joki RAAZ ko uski mom ANJALI ne apni shakti se diya hai...ek aisi shakti jo agar puri tarah trigger ho gayi toh VIDEOUS ke har chakravyuh ko todne ka maada rakhti hai)

ERRAPEL-par pata hai sabse ajeeb baat kya hai..?? logon me EMOTIONS hote hain..mai toh khud hi ek emotion hun... har kisike taklif mujhe apni si lagti hai..

par aaj,abhi jab ye shaksh jisse mera wajood hai,mere saamne yun khoon se latpath behosh pada hai,toh mujhe isse,iske is haal par bura lagna toh door ki baat hai,koi humdardi tak nahi ho rahi..

HORUS-woh isiliye kyunki tum ek ANGELS EMOTIONS HO aur filhal jo shaksh tumhare saamne hai,woh out and out DEVIL hai..

abhi,is waqt, behoshi ke haalat me bhi iske EMOTIONS devilish hain...

isiliye abhi isse ek pure negetive AURA generate ho raha hai jo tumhare contrast hai...

yahi wajah thi ki GALEN ke upar lagi shield joki tumhari hi shakti se bani hai,usne pehle isse jhatke diye the aur andar enter karne se restrict kar diya tha..

sirf iske khoon ki wajah se joki pure hai,ye yahan enter kar paaya hai....

filhal tum dono ke beech itne odds hain toh aise me tumhe isse napasand karna normal baat hai...

apni baat keh ek pal ke liye rooke HORUS aur aage badhte hue thik RAAZ ke saamne pahunch khade hue aur...

HORUS-RAAZ......ab tak bohot se hurdles cross kiye hain tumne par tumhara sabse bada hurdle tum khud ho jisse paar kiye bina naa ye kahani apne anjaam tak pahunch sakti hai aur naa tumhari niyati...

DEVIL aur ANGEL ka koi mel nahi par tum is bramhaand ke ekloute aise shaksh ho jisse in do contrasting poles ko naa sirf kareeb lana hai,balki inhe ek karna hai...

ek saath ek hi pal me tumhe DEVIL bhi banana hai aur ANGEL bhi...

tab jaakar ERRAPEL naam ka emotion trigger hoga aur tumhe accept karega...

aur aisa hone ke baad hi tumhe tumhari SWORD wapas mil sakti hai....

aisa pehli baar hoga jab ek shaksh KABHI ANGEL hoga toh kabhi DEVIL.....

aankhen band kar apne safar ko aur pichli zindagi me jab woh DIGVIJAY the,apni galtiyon ko yaad kar ye aakhri baat kahi HORUS ne jiske baad unhone apni aankhen kholi aur main door ke bahar nazar ghumayi jahan is waqt andhera chhaane laga tha aur ye dekh...

HORUS-raat hone waali hai ERRAPEL..COGNIZENT LEAF jisse ye thik honge,usse laane ka samay ho gaya hai putri,mujhe jaana hoga...

HORUS ki baat sun aakhein dabdaba gayi ERRAPEL ki...

reason...

COGNIZANT LEAF....ek pure aur DIVINE LEAF hai ye par saath hi CURSED bhi..

kaise,ye toh HORUS ne nahi bataya tha ERRAPEL ko par itna zaroor bataya tha ki COGNIZANT LEAFS ko todne waale ko ek deadly curse lag jaata hai jiske asar se uska marna tay ho jaata hai..

but RAAZ ko sirf issi LEAF se hosh me laaya jaa sakta hai aur isiliye isse laana anivaarya hai..

but aisa karne ka matlab tha ki woh kurbaani jo HORUS urf DIGVIJAY ko deni thi,woh tay thi aur isiliye hi ERRAPEL ki aankhein dabdaba gayi thi..

RAAZ ka haath woh chhod nahi sakti thi isiliye apni jagah baithe hue hi nami bhari aankhon se apne baba ko woh dekhne lagi jispar HORUS khud aage badhe aur ERRAPEL ke sir ko apne seene se laga liya....

unke aisa karte hi ERRAPEL ke aansu badh gaye jisse mehsoos kar...

HORUS-tujhe meri zindagi me laa LORDS ne mujhe marne se pehle hi MOKSH de diya beti...

par ab mera kartavya mujhe bula raha hai.. apne aansuon se mujhe kamzor mat kar....

mera toh ye janm hi marne ke liye hua tha...jab niyati hi mout ho toh phir usk waqt aane par afsos kaisa...???

RAAZ ka haath mat chhodna....mai jaldi lotunga...

apni baat bol HORUS ERRAPEL se alag hue aur turant palaththe hue bina ek baar bhi wapas peeche dekhe cottage se bahar nikal gaye...

wahin unke jaane ke baad ERRAPEL bohot der tak cottage ke main door ko hi dekhti rahi par phir uski nazar wapas RAAZ ki taraf palti aur...

ERRAPEL-bohot logon ki jaan gayi hai RAAZ sirf isiliye taaki tum apni kahani puri kar sako...

i hope ki it's all worthied... U ARE WORTHIED....!!!!!

PLACE-ASTER

ITNA SAB BATA DIYA AAPNE MASTER...HAR JAGAH,HAR WAQT,HAR PLANNING KE BAARE ME BATA DIYA...

PAR JAHAN HUM HAIN,WAHAN BASE LOGON KE BAARE ME KUCH NAHI BATAYA....???

FALLON ne kahi thi ye baat jiske baad MASTER urf MADDOX kuch kehte ki usse pehle MAHI,jo jab se yahan aayi thi, tabhi se is jagah ko aur yahan ke environment ko lekar curious thi,uski jigyasa ne bhi sawal ka roop le liya aur..

MAHI-waise ye jagah hai kya...???i mean mai ek portal se ek underground tunnel ke through yahan pahunchi hun..

jis SHIELD ko cross kar mai yahan aayi hun,woh SHIELD aasman ke beech tha par woh aasman mujhe fake lag raha tha...

aur us SHIELD ke dusri taraf ye jagah hai jo kisi endless CAVE ki tarah hai, jiske exit ki taraf bas ek super glittering ujala dikh raha hai aur yahan is gufa ke andar bina kisi light ke bhi ek ajeeb sa ujala faila hua hai..

i mean i know ki magic se ye sab possible hai par pata nahi kyun ye ujala mujhe magic hokar bhi natural sa lag raha hai...

aur sabse hatke hai yahan ka atmosphere...ek ajeeb si garmi jisse kisi nakli thandak se suppress kiya gaya hai,aisa feel kar rahi hun mai..

in short,ye jagah kisi puzzle ki tarah hai...

MAHI ke sawal ko sun MASTER ke saath FALLON ne bhi smile kiya jiske baad..

MASTER-jab rachna LORD OF ANGELS matlab tunhare PITAH ki ho,toh chizen apne aap puzzle ban jaati hain....

bits and pieces me jo kayi saare sawal tumne kiye hain,un sabke liye sirf ek jawab kaafi hai...

aur jawab hai ASTER..is jagah ka naam,iski pehchaan..

jaanti ho ASTER kya hai..???

MAHI-a rocky planet..???

pathar se bane zamin,infact har jagah par faile chattan numa pattharon ko dekh kahi ye baat MAHI ne jispar pehle toh MADDOX muskuraye par uske baad....

MASTER-ASTER is not a planet.. it's a STAR....

MASTER ki baat sun shocked ho gayi MAHI aur...

MAHI-what...???STAR..!!!like a SUN.....

MASTER-haan....

MAHI-but how's that possible..i mean,thik hai ki ye pathrili jagah ek star ke andar hai...

par ek star ke molecular cloud me run kar rahe gas particles aur unki heat,ye is jagah ko magically thanda kar bhi den toh ye bas temporary hi hoga...

permanent stability possible nahi hai...

MADDOX-hahaha...tum humans bhi naa..

metaphysical worlds me padhne aur jeene ke baad bhi science aur uske logics ke base se hi sab decide kar lete ho..

fine then..tumhare science ke hisaab se hi jawab deta hun...

NEBULA,PROTOSTAR,MAIN SEQUENCE STAR,RED GIANT...

yahi chaar phases aur life stages hote hain naa star ke..!!!

MADDOX ki baat sun halki shock hui MAHI par phir haan me sir hilaya usne jispar....

MASTER-hum jis star me hain,woh filhal RED GIANT stage ko paar kar chuka hai..

infact jab ASTER bana tha,tabhi woh us stage ko paar kar chuka tha..

RED GIANT stage ke baad ek star ke khatm hone ka procedure shuru hota hai jisme sabse pehle aata hai
THE FUSION OF HEAVIER ELEMENTS....

(NOTE:-ye star ki life stages waali baat scientificly sach hai guyzz..socha pura imaginary rakhne se acha thoda reality ka bhi touch de dun...)

MASTER-ye jo fusion waala part hai naa,tumhare PITAH ne issime modification karke is jagah ko banaya hai..

jo garmi ke beech fake thand tum feel kar rahi ho,ye neeche pathar jo cold hain,ye bhi ussi modification ka natija hain...

star jab puri tarah khatm hokar ICY stage par pahunchta hain,toh uske minus temperature ko RED GIANT stage ke baad ki garmi se mila diya hai tumhare father ne jiski wajah se har second is star ki aur us artificial thand ke beech ladhayi hoti hai,jiska natija hai woh garmi se mili hui thand jo tum mehsoos kar rahi ho....

aur rahi baat us underground tunnel jaise portal ki jisse hokar tum yahan pahunchi hi,usse bhi tumhare PITAH ne CHOSENS se yahan pahunchne ke liye banaya tha..

woh bhi sirf one shot..dobara aisa nahi kiya jaa sakta...

MADDOX ki baat sun MAHI apne dad ke dimag ki kaayal ho chuki thi..

kitni baarikh se baarikh chiz ka calculation bhi kaafi accurately time kiya tha VIKRAM ne,ye jaan impress hona toh banta hi tha...

khair, jahan MAHI apni sochon me goom thi,wahin FALLON jiske sawal ka jawab abhi baaki tha,usne wapas MASTER se sawal kiya....

FALLON-aapne mere sawal ka jawab nahi diya MASTER...???

woh log jo yahan neeche ki taraf rehte hain,kaun hai woh sab....???

kya mai unhe ek baar dekh sakti hun....???

jahan ye sun aur jaan ki yahan aur bhi log hain,MAHI bhi in naye logon se milne aur unke baare me jaanane le kiye excited ho gayi thi wahin FALLON ke sawal ko sun MASTER muskuraye aur...

MASTER-zaroor FALLON...ab jab MAHI yahan hai toh tum un sabse bilkul mil sakti ho..

yahan MASTER ne apni baat khatm ki hi thi ki tabhi unke piche se ek ke baad ek kayi hazaar ki taadad me bheed dikhne lagi jisse dekh FALLON aur MAHI,dono ki hi hairani ka thikana nahi raha...

reason.....

jo bheed woh dono dekh rahi thi,ye wahi the jo ASTER ke nechle bhaag me rehte aaye the,jinhe barson se kaafi door se hi sahi,par FALLON regularly dekhti aayi thi par aaj jab woh saare FALLON ke saamne the,toh unhe dekh usse aur uske saath khadi MAHI ko laga jhatka joki normal bhi tha aur woh isiliye kyunki unke saamne khadi hazaaron yaa phir shayad laakhon ki bheed humans ki nahi thi,SPIRITS ki thi....

PLANET-ELYSIAN

PLACE-STELLARS GARDEN

(AFTER VIDEOUS & HIS PEOPLE LEFT)

AHHHHH......AHHHHHH.....AHHHHHH...AHHHHH.....

ek tez karah ke saath ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA neeche zamin se uthe aur khade ho gaye...

pehle toh waar karte waqt return me woh anjaan ray ka un sabpar padna jisse woh sab asahaniya dard ko jhelte hue behosh ho gaye aur phir baad me VIDEOUS dwara un sabki GOD GIFT capabilities ko baandh dena,in dono hi attacks ki wajah se un chaaron ka sir ghum raha tha..

saath hi woh sab khudko andar se powerless bhi feel kar rahe the...

WEAKLINGS se shuru hua un chaaron ka safar aaj wapas ussi condition me lout aaya tha jisse mehsoos kar kaafi udaas the woh chaaron..

par sabse zyada taklif ho rahi thi unhe MAHI aur RAAZ ke khatm hone ki baat ko jaankar..

RAAZ.....jisne ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko maar diya,jiski wajah se woh dono usse aaj yahan maarne hi aaye the,aur ab jab aisa ho chuka tha toh unhe bilkul bhi khushi nahi ho rahi thi...

kyunki kuch bhi ho,woh dono RAAZ ke un ehsaano ko nahi bhula paa rahe the the jo usne un dono par kiya tha..

bhale hi RAAZ apne matlab ke liye un dono ke saath tha,par ACCHUTA aur SLUNDER ne toh usse apne dil se apna dost aur brother from another mother maana tha,jo ab VIDEOUS ke according unke beech nahi raha tha...

same cheez BRAWNY aur HIDA ke liye bhi applicable thi...

aaj un dono ne RAAZ ka jo bhi negetive roop dekha tha,usse dekhne ke baad bhi woh dono is baat ko nahi jhhutla sakte the ki CHOSENS me un dono ki jo respectable position bani thi,uska reason bhi RAAZ hi tha..

BRAWNY ko toh suicide karne jaisi neechli manosthithi se ubhaarte hue RAAZ ne usse CHOSENS ka one the best SAVENT banaya tha..

aur HIDA,uski toh zindagi hi mout se badtar thi,jisse RAAZ ne naa sirf theek kiya balki usse itna layak bana diya ki jahan pehle har koi usse bully karta tha wahin ab koi bhi usse panga lene se pehle 100 times sochne par majboor jo jaaye..

MAHI.... BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki one the best friends..

aur HIDA ki one of the favourite SAVENT joki VIDEOUS ke according ab RAAZ ke saath hi khatm ho chuki thi...

is baat ne in chaaron ko andar hi andar aur tod diya tha...

RAAZ aur MAHI,in dono ke hi baare me ye chaaron soch hi rahe the ki tabhi....

ACCHUTA,SLUNDER aur BRAWNY ki jebon me halki kampan mehsoos
hui jisse feel naa sirf woh teeno apni sochon se bahar aaye balki jab un teeno ne apni apni jeb me haath daal us kampan paida karne waali chiz ko bahar nikala toh hairan ho gaye...

reason...

woh kampan paida karne waali cheez aur kuch nahi balki wahi DECENTER thi jo unhe EXERTION me apne behatarin performance ke liye SOVEREIGN'S se as a gift mili thi....(UPDATE 104)

par un teeno ke asal hairani ka sabab ye tha ki unhe mile DECENTER ka knob jisse woh teen chaah kar bhi khol nahi paaye the,is waqt dheela hokar 90 percent khula hua tha...

ye dekh unhe SOVES ki kahi woh baat yaad gayi jisme unhe bataya gaya tha ki is DECENTER ka knob tabhi khulega jab aisa karne ka sahi waqt aayega...

aur ab jab knob apne aap hi khulne ki kagaar par tha, toh iska matlab tha ki woh waqt aa chuka hai...

us baat ko yaad kar ek dusre ko hairani se dekhte hue un teeno ne us knob ko jo bas khulne ke kagar par hi atka hua tha,open karne ka faisla kiya aur apna apna haath uski taraf badhate hue usse khol diya aur jab aisa hua toh....

SMMMMMM.....

us DECANTER ke andar ki perfume ek jhatke me wahan se nikal un teeno ke naak me sama gayi...

aur un teeno ke saath BRAWNY ke side me khadi ye sab dekhti HIDA ke naak me bhi woh khushbu sama gayi jiske baad un chaaro ko apne andar kuch ikattha hota hua sa mehsoos hua..

ye feeling kuch der tak hui,uske baad khatm ho gayi..

par us khushboo ke andar samaate hi jo weakness apne power ke seal hone par woh chaaron feel kar rahe the,woh kaafi hadh tak kam ho gayi thi...

khair,jahan ye sab hote waqt HIDA ka pura dhyan apne andar us khusboo ke store hone par tha wahin dusri taraf BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki nazar apne haathon me pakde DECENTER par hi thi jahan is waqt uske andar rakha kaagaz uske nob ki nok par aakar atak chuka tha...

ACCHUTA aur SLUNDER ke DECENTER me rakha kagaz red colour ka tha jabki BRAWNY waala kagaz normal white...

khair,ek dusre ko dekh un teeno ne hi apne apne DECENTER me fasa kaagaz nikal liya aur uske layers open kiye aur jab aisa hua toh..

PUFF ME....

LIGHT ME.....

BRAWNY waale paper me PUFF ME likha hua tha aur ACCHUTA, SLUNDER waale paper me LIGHT ME...

PHOOOO....

jaisa paper me likha tha, BRAWNY ne waisa hi kiya..usne apne paper par phoonk maari aur jab usne aisa kiya toh...

woh paper ek dhuen me badal BRAWNY aur HIDA ke theek saamne hawa me jhoolne laga..

hawa me jhoolte hue us dhuen ne rectangular shape le liya aur aisa hote hi woh dhuan badal gaya ek DRISHYAM me jiske andar chalne lage ek saath do scenes jisse dekh aankhen badi ho gayi un chaaron ki...

reason...

is waqt un chaaron ke saamne is dhuen ke andar chal rahe DRISHYAM me wahi scenes chal raha tha jinki wajah se HIDA aur BRAWNY RAAZ par bhadke the aur usse maarne ka faisla kiya tha..

ek scene me RAAZ ne jo REGIS ko torture kiya tha,woh scene chal raha tha aur dusre scene me RAAZ ne jo NAOMI ke saath badsuluki ki thi,woh scene chal raha tha..

par un chaaron ki aankhein badi hone ka reason ye tha ki RAAZ ki jagah par un dono scene me dusre log the jo ye sab kar rahe the..

jo bande us scene me RAAZ ki jagah dikh rahe the,unhe kuch der pehle un chaaron ne hi VIDEOUS ke paas khade dekha tha...

aur ye yaad karte hi HIDA aur BRAWNY ka dimag pura clear ho gaya..woh jaan gaye ki unke saath game khela gaya ha jisme RAAZ ko unka apradhi dikhakar pesh kiya gaya...

aur is sach se rubaroo hote hi HIDA aur BRAWNY dono hi apne apne ghutno par aa gaye...

aansu ki ek moti parat un dono ke hi aankhon se girne lagi..

wahin is scene ko dekh aur sacchayi ko samajh ab ACCHUTA aur SLUNDER ka bhi dimag kharab ho gaya tha..

ek anjaane dar ne unke dil me ghar kar liya tha aur us dar ko door karne ka ek hi tarika tha..

LIGHT ME...

woh karna jo us paper me likha gaya tha...

ab bhale hi un chaaron ki extra ordinary capabilities bandh gayi thi,par ek SAVENT ke liye normal fire magic karna toh koi badi baat thi nahi isiliye...

JWALA PRAKATAM

FIRE APPEAR

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi apne apne kaagaz ko rub karte hue kahi ye baat jiske agle hi pal un dono papers me aag lag gayi..

par ACCHUTA aur SLUNDER ko ye dekhkar hairani hui ki jahan HIDA aur BRAWNY ke paper ne dhuen me badalne ke baad rectangular shape lena shuru kar diya tha,wahin un dono ke papers me aisa nahi hua..

aag lagne par jalkar unke papers bhi dhuan ban gaye par woh dhuan gayab ho gaya..

wahin jo paper jalne ke baad kaala bankar neeche zamin par gir gaya,woh girte hi transparent hokar roop lene laga..

dekhte hi dekhte us transparency me ek naya roop banane laga jo jab pura hua toh ACCHUTA aur SLUNDER dono ki hi haalat kharab ho gayi...

un dono ke aankhon ke aansu bhi tez nikalne lage...

reason..

is waqt un dono ke saamne unke MOM DAD ke spirits khade the jinhe dekh woh dono tezi se aage badhe aur unhe gale lagane ki koshish ki par woh aisa kar nahi paaye...

ab bhala spirit ko bhi koi chhu sakta hai kya..!!!

khair,jahan apne mom dad ko saamne dekh aur unhe naa chhu paane ki wajah se woh dono hadh se zyada nirash dikhne lage the wahin apne bacchon ko dekh unke mom dad ke spirits bohot khush dikh rahe the..

HIDA aur BRAWNY bhi un chaar spirits ko dekh apni taklif kuch pal ke liye bhul aankhen faade unhe dekh rahe the..

kuch pal tak apne bacchon ko dekhne ke baad...

ACCHUTAS DAD-handsome ho gaye hamare bacche...

ACCHUTA ke dad ki spirit ki baat sun ek feeki si smile di ACCHUTA ne jispar..

ACCHUTAS MOTHER-udaas mat ho mere bacche..kyunki isse sach nahi badlega...

waise bhi,hum jahan bhi hain,khush hain...ye after life human life se kayi guna sukoon deh hai..

SLUNDER-mom dad, uncle aunty,kya RAAZ ne hi aap chaaron ko maara hai..???

SLUNDERS MOTHER-haan...

SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun un dono ke face ka aur dil ka dard aur badh gaya jisse dekh aur mehsoos kar..

SLUNDERS FATHER-janana nahi chaahoge ki usne aisa kyun kiya..???

SLUNDER-kya isse kuch fark padega pitaji...???

SLUNDERS FATHER-tumhe kabhi fark naa pade, isiliye hi toh RAAZ ne hume maara....

jis taklif se RAAZ abhi guzar raha hai,tum dono ko us taklif se bachaya hai usne....

SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun un dono ki dabadayi hui aankhon me sawal dikhne laga jispar...

SLUNDERS MOM-woh vegitative state toh yaad hai naa tum dono ki jisme hum sab behosh pade the aur RAAZ ne hume usse bahar nikala tha...

ACCHUTA/SLUNDER-haan,par sirf apne faayde ke liye...

SLUNDERS MOM-ek baat batao..kya jis waqt RAAZ ne hum sabko us state se nikala tha,tab kya woh tum logon ka dost tha...???

ACCHUTA-nahi..

SLUNDERS MOM-toh phir sirf humare liye ek anjaan insaan hume bhala kyun thik karta..

aisa toh koi bhi tabhi karega naa jab isme uska bhi koi faayda ho...toh phir RAAZ ne bhi waisa sochkar kuch galat toh nahi kiya...

SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun kuch kehte nahi bana un dono se..

wahin apni baat ko continue karte hue..

SLUNDERS MOM-usne aisa kiya toh beshak isme uska faayda tha par nuksaan toh humara bhi nahi tha...

haan par ek nuksaan tha jo pehle hi hume ho chuka tha aur uska reason tum dono the...

SLUNDERS MOM ke spirit ki is baat ko sun jhatka laga un dono ko aur..

SLUNDER-nuksaan hua tha woh bhi pehle se..!!aur us nuksaan ka reason hum dono the...!!!!hum kuch samjhe nahi....

ACCHUTAS FATHER-tum dono ko jo GOD GIFTS mile hain,tumhare parents hone ki wajah se us gift ke kuch kan humari life source ke saath jud gaye the...

par kyunki hum normal human beings the, isiliye humari bodies un GOD GIFTS ke particles ko accept karne ke laayak nahi thi..

jis waqt RAAZ ne SPELL bolkar hum sabko theek kiya,tab usse pata thi..

woh ye bhi jaanta tha ki jis din tum dono ke GOD GIFT powers puri tarah se trigger ho jaayenge aur tum unko use me laana seekh jaaoge,toh un GOD GIFTS shaktiyon ke kan jo hum chaaron me hain,woh humse nikalkar tum dono me sama jaayenge..

par aisa hote waqt woh kan joki humare life source se jude hue the,woh us source ko khatm kar dete..

matlab hum mar jaate..aur is cheez ko roka bhi nahi jaa sakta tha..saath hi saath usne humare planets ko bhi isiliye hi khaali karaya tha kyunki un planets me bhi tum dono ki shakti ke kan the aur tumhare power trigger karne ke baad unka life source bhi khatm ho jaata aur aisa hote hi hamare bekasoor log bhi mar jaate..

RAAZ ye saari baatein jaanta tha..

usse ye bhi pata tha ki agar hum un particles ke nikalne par marte, toh tumme samane ke baad woh particles humari mout ka sach tum dono ke saamne disclose kar dete..

ab tum dono batao,kya tum dono ye seh paate ki anjaane me hi sahi,par tum dono ki wajah se hum, tumhare parents mare hain...!!!

SLUNDER-ye kya keh rahe hain aap...??ye kaise sach ho sakta hai..??i mean agar GOD GIFT POWER ka aisa koi side effect hota toh BRAWNY par bhi ye laagu hota..!!!

par aisa toh kuch nahi hua..iske apne power haasil aur trigger karne ke baad bhi uncle aur aunty pure theek hain...

SLUNDERS FATHER-woh isiliye kyunki uska planet jis star system ka hissa hai,wahan se koi aur SAVENT paida nahi hua hai..

par tum dono ek hi star system se ho..kabhi socha hai tum dono ne ki tum dono ko hi itne contrasting GOD GIFTS kaise mile..???

ACCHUTA, tumhare paas maarak shakti ka ARROW hai aur SLUNDER tumhare paas iske ulat bramhaand ka sabse strong shield hai..

tum dono ke GIFTS ek dusre saath milkar aur khatarnaak hote hain...

par saath hi saath itne strong attack aur defense powers ke ek star system me hone ki wajah se us star system ka balance bhi hinder karte hain..

aur wahi hamare saath ho raha tha..us disbalance ko temporarily thik rakhne ke chalte tum dono ke power particles humare andar transfer hue aur isiliye taaki hamara star system aage bhi thik rahe, isiliye humara marna tay tha...

aisa hone par hi woh particles hume chhodkar tum dono me samaate aur sab normal reh paata...

pehle ACCHUTA ke father aur phir SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun toh kaan se dhuan nikalne laga tha uska aur SLUNDER ka..

kaise react karen,ye samajh hi nahi aa raha tha un dono ko...

wahin ACCHUTA ke father ki spirit ki baat ko aage badhate hue...

ACCHUTAS MOTHER-aur isiliye taaki apne hi mom dad ko maarne ki taklif tum dono ko na sehni pade,usne hum chaaron ki iaan le li...

aur un kano se unki yaadon ko mitakar tum dono ko sounp diya..

par dekho toh kismat ka khel, dusro ko jis dard se bachaya usne,aaj khud us d
ard ko jhelna pada usse...

ACCHUTAS MOTHER ke spirit ki ye baat sun naa sirf ACCHUTA aur SLUNDER apne dukh se bahar aaye,balki unke saath khade is hairat angez kahani ko sunane waale BRAWNY aur HIDA ke dimag me bhi ek sawal click kiya aur...

HIDA-kis dard ki baat kar rahi hain aap...??kuch der pehle uncle (SLUNDERS FATHER) ne bhi kaha tha ki jis taklif se RAAZ guzar raha hai,us taklif se in dono ko bachaya hai usne...

what does that mean...???

HIDA ke sawal par un chaaron ne kuch kaha nahi balki apna apna haath aage badha diya jiske baad un chaaron ke haath se rays nikal ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY par padi aur aisa hote hi in chaaron ki aankhen band ho gayi..

band aankhon ke beech in chaaron ko RAAZ, MAHI aur is kahani ke sabhi important facts dikhne lage jisse dekh chaaron ki band aankhon ne vismay bhi naachne laga aur aaj jo RAAZ ke saath hua,usse jo kurbaani deni padi,usse jaan bohot dukh bhi hua..

ab kahin jaakar woh chaaron samjhe ki aaj jab woh RAAZ ko maarne aaye toh uski haalat itni kharab kyun lag rahi thi..

un chaaron ko khud par sharm aane lagi ki apne friend ki itni kharab situation me uska saath dene ke bajaye woh uski jaan lene ke iraade se aaye the..

saari sacchayi jaan aankh khul gayi un chaaron ki par gardan sharm se jhuk gayi jisse dekh..

SLUNDERS MOM-jo hua,woh hona tay tha baccho, isiliye embarrass aur dukhi feel karne ki koi zaroorat nahi hai...

SLUNDER-kaise dukhi nahi honge mom....jisne humare hisse ke paap bhi apne kandhon par ddhoye,usse hi maarne nikle the hum...

ACCHUTA-aur ab toh usse kabhi maafi bhi nahi maang sakenge..

ACCHUTAS MOTHER-kisne kaha...!!! RAAZ zinda hai bacchon..aur saath me MAHI bhi...

ACCHUTAS mother ke spirit ki baat sun un chaaron ke chehre me itne der me pehli baar khushi dikhi thi jiske baad...

SLUNDER-sach...!!!RAAZ aur MAHI zinda hain...!!!

SLUNDERS FATHER-haan woh dono zinda hai aur sahi waqt par yahan wapas bhi loutenge..

SLUNDERS father ke spirit ki baat sun behadh khush ho gaye the woh chaaron.. wahin apni baat ko continue karte hue...

SLUNDERS FATHER-RAAZ aur MAHI zinda hai,ye baat bhale hi khush karne waali hai par aane waala waqt tum sabke liye bohot zyada taklifon se ghira hua hai...

aaj bhale hi tum chaaron ke waar par RAAZ khamosh raha,usne jawab nahi diya par jab woh wapas aayega toh aisa kuch nahi hoga...

tum chaaron ko hi uske ghusse ko jhelna hoga..aur ye tum sabke liye bohot taklif deh hoga...

aur isiliye hi tum sabke andar DECENTER ka scent gaya hai..

us scent ki wajah se kisi bhi negetive aur black energy ke waar se hone waali taklif ko sehen kar paaoge tum...

RAAZ ab tak tum sabke liye ek ANGEL saabit hua hai,par jab woh wapas loutega toh wahi ANGEL tumhare liye DEVIL hoga...

woh andar se toota hua hai bacchon,aur jab tak woh toota hua hissa wapas jud nahi jaata,woh baaki sabko todta chala jaayega...

haan,tum sabki hi tarah jab woh yahan aayega toh woh bhi kamzor hoga..

yahan ke best SAVENTS se jeetne ki shakti nahi hogi usme par sanak uski pagalpan ki hadh ko paar karne waali hogi...

tum sabko uske pagalpan ko jhelna hai..uske har dard ka hissa tum sabko bhi jhelna hai..

tumhara dard usse sukoon dega,aur uske sukoon ke liye tumhe us dard ko dawa samajhkar peena hai...

yahi tarika hai usse waisa banaane ka,jaise uske liye banana zaroori hai...

ye ladhayi beshak uski hai,par iska hissa tum sab bhi ho aur jaante ho kyun...!!! kyunki....

har baazi jeeti jaa sakti hai,sacche doston ka saath JAB HO....

un doston ka zindagi me aana jab FAISLA-E-RAB HO.....

waise toh taakat bohot hai RAAZ ke paas magar,

uski sabse badi taakat,uska sabse bada GOD GIFT TUM SAB HO.....

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V....J.....
jabardast update mitr
 
Superb fantastic mind blowing
Extraordinary excellent update brother
 
Top