• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Emperor Virat

HARD BOY
427
2,009
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GALON PAHUNCH CHUKA HAIN WAHIN DUSRI TARAF MAHI BHI ASTER PAHUNCH CHUKI HAI JAHAN MASTER URF MADDOX USSE AUR FALLON KO UNKE SAARE RAAZ BATATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



MEGA UPDATE-124



PLANET-GALEN


PLACE-ERRAPEL'S COTTEGE







YAKIN NAHI HOTA KI DIGVIJAY SE HORUS TAK KA SAFAR JIS GHADI KE INTAZAR ME TAY KIYA THA,WOH AAKHIR AA HI GAYI....


behosh pade RAAZ ko dekhte hue kahi thi ye baat DIGVIJAY urf HORUS ne jispar RAAZ ke sirane par uska haath pakde baithi ERRAPEL muskura uthi aur....


ERRAPEL-finally..DIGVIJAY.....toh ye naam tha aapka apne past life me...


ERRAPEL ke is baat par HORUS muskura uthe aur....


HORUS-tumhe kaha toh tha ki jis din mere moksh ka dwar mere saamne hoga,us din apne past life ka naam tumhe bata dunga,toh bata diya...


MOKSH....ek aisa shabd jo har tarah se positive hota hai par abhi HORUS ne jab is shabd ka istamal kiya toh ERRAPEL ka chehra jisme muskaan thi,woh udaasi me badal gayi jisse dekh...


HORUS-ERRAPEL meri bacchi....jo hone waala hai,uske baare toh tumhe shuru se pata hai,phir ye udaasi kyun...!!!

tumhe toh khush hona chahiye ki tumhare BABA ka itna lamba intezar ab aakhirkaar khatm hone hi waala hai....

ek reh chuke DEVIL ke liye wapas manushya yoni me janm lena aur apna kartavya pura karte hue is yoni ko chhod MOKSH ko prapt karna,swarg ko prapt karna,ye woh asambhav aashirwad hai jo mujhe mila hai...

aaj meri dono jeeye hue zindagi ka sabse khaas din hai isiliye apne baba ki is khushi me khush raho...

aur waise bhi,ye mat bhulo ki meri hi tarah tumhari niyati bhi ek alag hi syahi se likhi gayi hai jisse mitkar bhi amar ho jaana hai...

jo shaksh tumhare saamne behosh pada hua hai,jiska haath tumne isiliye thaama hai taaki jab tak iska upchaar naa ho jaaye, iski saansein
chalti rahe,tum iska woh BHAAG ho jiske bina iski shakti puri nahi ho sakti...


HORUS ki baat sun ERAPPEL ke face par ek feeki si muskaan aa gayi aur..


ERRAPEL-BHAAVNA....ANGELS EMOTION....yahi SHAKTI hun naa mai iski...

woh shakti jo iske AMPLIFICATION aur REFINER powers ko ek karke isse super powerful banayegi...

woh shakti jo isse iske MOM ANJALI ke SERAPHIM ANGELS ke roop se mila hai aur ussise mujhe apna ya roop joki iske behen ka hai,pradan hua hai...


(NOTE:-aapko yaad hoga guyzz ki update 106 me jab DHANUR aur RAAZ aakhri baar aamne saamne the,tab RAAZ ne ye kaha tha ki usse apne emotions power ka aakhri 10 percent feel hi nahi ho raha...usse aisa lag raha hai jaise woh 10 percent emotions uske andar hai hi nahi...woh sach keh raha tha...woh 10 percent emotions joki uske baaki ke 90 percent emotions power se kayi guna zyada shaktishaali thi,wahi power hai ERRAPEL joki RAAZ ko uski mom ANJALI ne apni shakti se diya hai...ek aisi shakti jo agar puri tarah trigger ho gayi toh VIDEOUS ke har chakravyuh ko todne ka maada rakhti hai)


ERRAPEL-par pata hai sabse ajeeb baat kya hai..?? logon me EMOTIONS hote hain..mai toh khud hi ek emotion hun... har kisike taklif mujhe apni si lagti hai..

par aaj,abhi jab ye shaksh jisse mera wajood hai,mere saamne yun khoon se latpath behosh pada hai,toh mujhe isse,iske is haal par bura lagna toh door ki baat hai,koi humdardi tak nahi ho rahi..


HORUS-woh isiliye kyunki tum ek ANGELS EMOTIONS HO aur filhal jo shaksh tumhare saamne hai,woh out and out DEVIL hai..

abhi,is waqt, behoshi ke haalat me bhi iske EMOTIONS devilish hain...

isiliye abhi isse ek pure negetive AURA generate ho raha hai jo tumhare contrast hai...

yahi wajah thi ki GALEN ke upar lagi shield joki tumhari hi shakti se bani hai,usne pehle isse jhatke diye the aur andar enter karne se restrict kar diya tha..

sirf iske khoon ki wajah se joki pure hai,ye yahan enter kar paaya hai....

filhal tum dono ke beech itne odds hain toh aise me tumhe isse napasand karna normal baat hai...


apni baat keh ek pal ke liye rooke HORUS aur aage badhte hue thik RAAZ ke saamne pahunch khade hue aur...


HORUS-RAAZ......ab tak bohot se hurdles cross kiye hain tumne par tumhara sabse bada hurdle tum khud ho jisse paar kiye bina naa ye kahani apne anjaam tak pahunch sakti hai aur naa tumhari niyati...

DEVIL aur ANGEL ka koi mel nahi par tum is bramhaand ke ekloute aise shaksh ho jisse in do contrasting poles ko naa sirf kareeb lana hai,balki inhe ek karna hai...

ek saath ek hi pal me tumhe DEVIL bhi banana hai aur ANGEL bhi...

tab jaakar ERRAPEL naam ka emotion trigger hoga aur tumhe accept karega...

aur aisa hone ke baad hi tumhe tumhari SWORD wapas mil sakti hai....

aisa pehli baar hoga jab ek shaksh KABHI ANGEL hoga toh kabhi DEVIL.....


aankhen band kar apne safar ko aur pichli zindagi me jab woh DIGVIJAY the,apni galtiyon ko yaad kar ye aakhri baat kahi HORUS ne jiske baad unhone apni aankhen kholi aur main door ke bahar nazar ghumayi jahan is waqt andhera chhaane laga tha aur ye dekh...


HORUS-raat hone waali hai ERRAPEL..COGNIZENT LEAF jisse ye thik honge,usse laane ka samay ho gaya hai putri,mujhe jaana hoga...


HORUS ki baat sun aakhein dabdaba gayi ERRAPEL ki...

reason...

COGNIZANT LEAF....ek pure aur DIVINE LEAF hai ye par saath hi CURSED bhi..

kaise,ye toh HORUS ne nahi bataya tha ERRAPEL ko par itna zaroor bataya tha ki COGNIZANT LEAFS ko todne waale ko ek deadly curse lag jaata hai jiske asar se uska marna tay ho jaata hai..

but RAAZ ko sirf issi LEAF se hosh me laaya jaa sakta hai aur isiliye isse laana anivaarya hai..

but aisa karne ka matlab tha ki woh kurbaani jo HORUS urf DIGVIJAY ko deni thi,woh tay thi aur isiliye hi ERRAPEL ki aankhein dabdaba gayi thi..

RAAZ ka haath woh chhod nahi sakti thi isiliye apni jagah baithe hue hi nami bhari aankhon se apne baba ko woh dekhne lagi jispar HORUS khud aage badhe aur ERRAPEL ke sir ko apne seene se laga liya....

unke aisa karte hi ERRAPEL ke aansu badh gaye jisse mehsoos kar...


HORUS-tujhe meri zindagi me laa LORDS ne mujhe marne se pehle hi MOKSH de diya beti...

par ab mera kartavya mujhe bula raha hai.. apne aansuon se mujhe kamzor mat kar....

mera toh ye janm hi marne ke liye hua tha...jab niyati hi mout ho toh phir usk waqt aane par afsos kaisa...???

RAAZ ka haath mat chhodna....mai jaldi lotunga...


apni baat bol HORUS ERRAPEL se alag hue aur turant palaththe hue bina ek baar bhi wapas peeche dekhe cottage se bahar nikal gaye...

wahin unke jaane ke baad ERRAPEL bohot der tak cottage ke main door ko hi dekhti rahi par phir uski nazar wapas RAAZ ki taraf palti aur...


ERRAPEL-bohot logon ki jaan gayi hai RAAZ sirf isiliye taaki tum apni kahani puri kar sako...

i hope ki it's all worthied... U ARE WORTHIED....!!!!!






PLACE-ASTER





ITNA SAB BATA DIYA AAPNE MASTER...HAR JAGAH,HAR WAQT,HAR PLANNING KE BAARE ME BATA DIYA...

PAR JAHAN HUM HAIN,WAHAN BASE LOGON KE BAARE ME KUCH NAHI BATAYA....???


FALLON ne kahi thi ye baat jiske baad MASTER urf MADDOX kuch kehte ki usse pehle MAHI,jo jab se yahan aayi thi, tabhi se is jagah ko aur yahan ke environment ko lekar curious thi,uski jigyasa ne bhi sawal ka roop le liya aur..


MAHI-waise ye jagah hai kya...???i mean mai ek portal se ek underground tunnel ke through yahan pahunchi hun..

jis SHIELD ko cross kar mai yahan aayi hun,woh SHIELD aasman ke beech tha par woh aasman mujhe fake lag raha tha...

aur us SHIELD ke dusri taraf ye jagah hai jo kisi endless CAVE ki tarah hai, jiske exit ki taraf bas ek super glittering ujala dikh raha hai aur yahan is gufa ke andar bina kisi light ke bhi ek ajeeb sa ujala faila hua hai..

i mean i know ki magic se ye sab possible hai par pata nahi kyun ye ujala mujhe magic hokar bhi natural sa lag raha hai...

aur sabse hatke hai yahan ka atmosphere...ek ajeeb si garmi jisse kisi nakli thandak se suppress kiya gaya hai,aisa feel kar rahi hun mai..

in short,ye jagah kisi puzzle ki tarah hai...


MAHI ke sawal ko sun MASTER ke saath FALLON ne bhi smile kiya jiske baad..


MASTER-jab rachna LORD OF ANGELS matlab tunhare PITAH ki ho,toh chizen apne aap puzzle ban jaati hain....

bits and pieces me jo kayi saare sawal tumne kiye hain,un sabke liye sirf ek jawab kaafi hai...

aur jawab hai ASTER..is jagah ka naam,iski pehchaan..

jaanti ho ASTER kya hai..???

MAHI-a rocky planet..???


pathar se bane zamin,infact har jagah par faile chattan numa pattharon ko dekh kahi ye baat MAHI ne jispar pehle toh MADDOX muskuraye par uske baad....


MASTER-ASTER is not a planet.. it's a STAR....


MASTER ki baat sun shocked ho gayi MAHI aur...


MAHI-what...???STAR..!!!like a SUN.....

MASTER-haan....

MAHI-but how's that possible..i mean,thik hai ki ye pathrili jagah ek star ke andar hai...

par ek star ke molecular cloud me run kar rahe gas particles aur unki heat,ye is jagah ko magically thanda kar bhi den toh ye bas temporary hi hoga...

permanent stability possible nahi hai...

MADDOX-hahaha...tum humans bhi naa..

metaphysical worlds me padhne aur jeene ke baad bhi science aur uske logics ke base se hi sab decide kar lete ho..

fine then..tumhare science ke hisaab se hi jawab deta hun...

NEBULA,PROTOSTAR,MAIN SEQUENCE STAR,RED GIANT...

yahi chaar phases aur life stages hote hain naa star ke..!!!


MADDOX ki baat sun halki shock hui MAHI par phir haan me sir hilaya usne jispar....


MASTER-hum jis star me hain,woh filhal RED GIANT stage ko paar kar chuka hai..

infact jab ASTER bana tha,tabhi woh us stage ko paar kar chuka tha..

RED GIANT stage ke baad ek star ke khatm hone ka procedure shuru hota hai jisme sabse pehle aata hai
THE FUSION OF HEAVIER ELEMENTS....

(NOTE:-ye star ki life stages waali baat scientificly sach hai guyzz..socha pura imaginary rakhne se acha thoda reality ka bhi touch de dun...)


MASTER-ye jo fusion waala part hai naa,tumhare PITAH ne issime modification karke is jagah ko banaya hai..

jo garmi ke beech fake thand tum feel kar rahi ho,ye neeche pathar jo cold hain,ye bhi ussi modification ka natija hain...

star jab puri tarah khatm hokar ICY stage par pahunchta hain,toh uske minus temperature ko RED GIANT stage ke baad ki garmi se mila diya hai tumhare father ne jiski wajah se har second is star ki aur us artificial thand ke beech ladhayi hoti hai,jiska natija hai woh garmi se mili hui thand jo tum mehsoos kar rahi ho....

aur rahi baat us underground tunnel jaise portal ki jisse hokar tum yahan pahunchi hi,usse bhi tumhare PITAH ne CHOSENS se yahan pahunchne ke liye banaya tha..

woh bhi sirf one shot..dobara aisa nahi kiya jaa sakta...


MADDOX ki baat sun MAHI apne dad ke dimag ki kaayal ho chuki thi..

kitni baarikh se baarikh chiz ka calculation bhi kaafi accurately time kiya tha VIKRAM ne,ye jaan impress hona toh banta hi tha...

khair, jahan MAHI apni sochon me goom thi,wahin FALLON jiske sawal ka jawab abhi baaki tha,usne wapas MASTER se sawal kiya....


FALLON-aapne mere sawal ka jawab nahi diya MASTER...???

woh log jo yahan neeche ki taraf rehte hain,kaun hai woh sab....???

kya mai unhe ek baar dekh sakti hun....???


jahan ye sun aur jaan ki yahan aur bhi log hain,MAHI bhi in naye logon se milne aur unke baare me jaanane le kiye excited ho gayi thi wahin FALLON ke sawal ko sun MASTER muskuraye aur...


MASTER-zaroor FALLON...ab jab MAHI yahan hai toh tum un sabse bilkul mil sakti ho..


yahan MASTER ne apni baat khatm ki hi thi ki tabhi unke piche se ek ke baad ek kayi hazaar ki taadad me bheed dikhne lagi jisse dekh FALLON aur MAHI,dono ki hi hairani ka thikana nahi raha...

reason.....

jo bheed woh dono dekh rahi thi,ye wahi the jo ASTER ke nechle bhaag me rehte aaye the,jinhe barson se kaafi door se hi sahi,par FALLON regularly dekhti aayi thi par aaj jab woh saare FALLON ke saamne the,toh unhe dekh usse aur uske saath khadi MAHI ko laga jhatka joki normal bhi tha aur woh isiliye kyunki unke saamne khadi hazaaron yaa phir shayad laakhon ki bheed humans ki nahi thi,SPIRITS ki thi....





PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS GARDEN





(AFTER VIDEOUS & HIS PEOPLE LEFT)




AHHHHH......AHHHHHH.....AHHHHHH...AHHHHH.....

ek tez karah ke saath ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA neeche zamin se uthe aur khade ho gaye...

pehle toh waar karte waqt return me woh anjaan ray ka un sabpar padna jisse woh sab asahaniya dard ko jhelte hue behosh ho gaye aur phir baad me VIDEOUS dwara un sabki GOD GIFT capabilities ko baandh dena,in dono hi attacks ki wajah se un chaaron ka sir ghum raha tha..

saath hi woh sab khudko andar se powerless bhi feel kar rahe the...

WEAKLINGS se shuru hua un chaaron ka safar aaj wapas ussi condition me lout aaya tha jisse mehsoos kar kaafi udaas the woh chaaron..

par sabse zyada taklif ho rahi thi unhe MAHI aur RAAZ ke khatm hone ki baat ko jaankar..

RAAZ.....jisne ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko maar diya,jiski wajah se woh dono usse aaj yahan maarne hi aaye the,aur ab jab aisa ho chuka tha toh unhe bilkul bhi khushi nahi ho rahi thi...

kyunki kuch bhi ho,woh dono RAAZ ke un ehsaano ko nahi bhula paa rahe the the jo usne un dono par kiya tha..

bhale hi RAAZ apne matlab ke liye un dono ke saath tha,par ACCHUTA aur SLUNDER ne toh usse apne dil se apna dost aur brother from another mother maana tha,jo ab VIDEOUS ke according unke beech nahi raha tha...

same cheez BRAWNY aur HIDA ke liye bhi applicable thi...

aaj un dono ne RAAZ ka jo bhi negetive roop dekha tha,usse dekhne ke baad bhi woh dono is baat ko nahi jhhutla sakte the ki CHOSENS me un dono ki jo respectable position bani thi,uska reason bhi RAAZ hi tha..

BRAWNY ko toh suicide karne jaisi neechli manosthithi se ubhaarte hue RAAZ ne usse CHOSENS ka one the best SAVENT banaya tha..

aur HIDA,uski toh zindagi hi mout se badtar thi,jisse RAAZ ne naa sirf theek kiya balki usse itna layak bana diya ki jahan pehle har koi usse bully karta tha wahin ab koi bhi usse panga lene se pehle 100 times sochne par majboor jo jaaye..

MAHI.... BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki one the best friends..

aur HIDA ki one of the favourite SAVENT joki VIDEOUS ke according ab RAAZ ke saath hi khatm ho chuki thi...

is baat ne in chaaron ko andar hi andar aur tod diya tha...

RAAZ aur MAHI,in dono ke hi baare me ye chaaron soch hi rahe the ki tabhi....

ACCHUTA,SLUNDER aur BRAWNY ki jebon me halki kampan mehsoos
hui jisse feel naa sirf woh teeno apni sochon se bahar aaye balki jab un teeno ne apni apni jeb me haath daal us kampan paida karne waali chiz ko bahar nikala toh hairan ho gaye...

reason...

woh kampan paida karne waali cheez aur kuch nahi balki wahi DECENTER thi jo unhe EXERTION me apne behatarin performance ke liye SOVEREIGN'S se as a gift mili thi....(UPDATE 104)

par un teeno ke asal hairani ka sabab ye tha ki unhe mile DECENTER ka knob jisse woh teen chaah kar bhi khol nahi paaye the,is waqt dheela hokar 90 percent khula hua tha...

ye dekh unhe SOVES ki kahi woh baat yaad gayi jisme unhe bataya gaya tha ki is DECENTER ka knob tabhi khulega jab aisa karne ka sahi waqt aayega...

aur ab jab knob apne aap hi khulne ki kagaar par tha, toh iska matlab tha ki woh waqt aa chuka hai...

us baat ko yaad kar ek dusre ko hairani se dekhte hue un teeno ne us knob ko jo bas khulne ke kagar par hi atka hua tha,open karne ka faisla kiya aur apna apna haath uski taraf badhate hue usse khol diya aur jab aisa hua toh....

SMMMMMM.....

us DECANTER ke andar ki perfume ek jhatke me wahan se nikal un teeno ke naak me sama gayi...

aur un teeno ke saath BRAWNY ke side me khadi ye sab dekhti HIDA ke naak me bhi woh khushbu sama gayi jiske baad un chaaro ko apne andar kuch ikattha hota hua sa mehsoos hua..

ye feeling kuch der tak hui,uske baad khatm ho gayi..

par us khushboo ke andar samaate hi jo weakness apne power ke seal hone par woh chaaron feel kar rahe the,woh kaafi hadh tak kam ho gayi thi...

khair,jahan ye sab hote waqt HIDA ka pura dhyan apne andar us khusboo ke store hone par tha wahin dusri taraf BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki nazar apne haathon me pakde DECENTER par hi thi jahan is waqt uske andar rakha kaagaz uske nob ki nok par aakar atak chuka tha...

ACCHUTA aur SLUNDER ke DECENTER me rakha kagaz red colour ka tha jabki BRAWNY waala kagaz normal white...

khair,ek dusre ko dekh un teeno ne hi apne apne DECENTER me fasa kaagaz nikal liya aur uske layers open kiye aur jab aisa hua toh..


PUFF ME....

LIGHT ME.....

BRAWNY waale paper me PUFF ME likha hua tha aur ACCHUTA, SLUNDER waale paper me LIGHT ME...

PHOOOO....

jaisa paper me likha tha, BRAWNY ne waisa hi kiya..usne apne paper par phoonk maari aur jab usne aisa kiya toh...

woh paper ek dhuen me badal BRAWNY aur HIDA ke theek saamne hawa me jhoolne laga..

hawa me jhoolte hue us dhuen ne rectangular shape le liya aur aisa hote hi woh dhuan badal gaya ek DRISHYAM me jiske andar chalne lage ek saath do scenes jisse dekh aankhen badi ho gayi un chaaron ki...

reason...

is waqt un chaaron ke saamne is dhuen ke andar chal rahe DRISHYAM me wahi scenes chal raha tha jinki wajah se HIDA aur BRAWNY RAAZ par bhadke the aur usse maarne ka faisla kiya tha..

ek scene me RAAZ ne jo REGIS ko torture kiya tha,woh scene chal raha tha aur dusre scene me RAAZ ne jo NAOMI ke saath badsuluki ki thi,woh scene chal raha tha..

par un chaaron ki aankhein badi hone ka reason ye tha ki RAAZ ki jagah par un dono scene me dusre log the jo ye sab kar rahe the..

jo bande us scene me RAAZ ki jagah dikh rahe the,unhe kuch der pehle un chaaron ne hi VIDEOUS ke paas khade dekha tha...

aur ye yaad karte hi HIDA aur BRAWNY ka dimag pura clear ho gaya..woh jaan gaye ki unke saath game khela gaya ha jisme RAAZ ko unka apradhi dikhakar pesh kiya gaya...

aur is sach se rubaroo hote hi HIDA aur BRAWNY dono hi apne apne ghutno par aa gaye...

aansu ki ek moti parat un dono ke hi aankhon se girne lagi..

wahin is scene ko dekh aur sacchayi ko samajh ab ACCHUTA aur SLUNDER ka bhi dimag kharab ho gaya tha..

ek anjaane dar ne unke dil me ghar kar liya tha aur us dar ko door karne ka ek hi tarika tha..


LIGHT ME...

woh karna jo us paper me likha gaya tha...

ab bhale hi un chaaron ki extra ordinary capabilities bandh gayi thi,par ek SAVENT ke liye normal fire magic karna toh koi badi baat thi nahi isiliye...

JWALA PRAKATAM

FIRE APPEAR

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi apne apne kaagaz ko rub karte hue kahi ye baat jiske agle hi pal un dono papers me aag lag gayi..

par ACCHUTA aur SLUNDER ko ye dekhkar hairani hui ki jahan HIDA aur BRAWNY ke paper ne dhuen me badalne ke baad rectangular shape lena shuru kar diya tha,wahin un dono ke papers me aisa nahi hua..

aag lagne par jalkar unke papers bhi dhuan ban gaye par woh dhuan gayab ho gaya..

wahin jo paper jalne ke baad kaala bankar neeche zamin par gir gaya,woh girte hi transparent hokar roop lene laga..

dekhte hi dekhte us transparency me ek naya roop banane laga jo jab pura hua toh ACCHUTA aur SLUNDER dono ki hi haalat kharab ho gayi...

un dono ke aankhon ke aansu bhi tez nikalne lage...

reason..

is waqt un dono ke saamne unke MOM DAD ke spirits khade the jinhe dekh woh dono tezi se aage badhe aur unhe gale lagane ki koshish ki par woh aisa kar nahi paaye...

ab bhala spirit ko bhi koi chhu sakta hai kya..!!!

khair,jahan apne mom dad ko saamne dekh aur unhe naa chhu paane ki wajah se woh dono hadh se zyada nirash dikhne lage the wahin apne bacchon ko dekh unke mom dad ke spirits bohot khush dikh rahe the..

HIDA aur BRAWNY bhi un chaar spirits ko dekh apni taklif kuch pal ke liye bhul aankhen faade unhe dekh rahe the..

kuch pal tak apne bacchon ko dekhne ke baad...


ACCHUTAS DAD-handsome ho gaye hamare bacche...


ACCHUTA ke dad ki spirit ki baat sun ek feeki si smile di ACCHUTA ne jispar..


ACCHUTAS MOTHER-udaas mat ho mere bacche..kyunki isse sach nahi badlega...

waise bhi,hum jahan bhi hain,khush hain...ye after life human life se kayi guna sukoon deh hai..

SLUNDER-mom dad, uncle aunty,kya RAAZ ne hi aap chaaron ko maara hai..???

SLUNDERS MOTHER-haan...


SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun un dono ke face ka aur dil ka dard aur badh gaya jisse dekh aur mehsoos kar..


SLUNDERS FATHER-janana nahi chaahoge ki usne aisa kyun kiya..???

SLUNDER-kya isse kuch fark padega pitaji...???

SLUNDERS FATHER-tumhe kabhi fark naa pade, isiliye hi toh RAAZ ne hume maara....


jis taklif se RAAZ abhi guzar raha hai,tum dono ko us taklif se bachaya hai usne....

SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun un dono ki dabadayi hui aankhon me sawal dikhne laga jispar...


SLUNDERS MOM-woh vegitative state toh yaad hai naa tum dono ki jisme hum sab behosh pade the aur RAAZ ne hume usse bahar nikala tha...

ACCHUTA/SLUNDER-haan,par sirf apne faayde ke liye...

SLUNDERS MOM-ek baat batao..kya jis waqt RAAZ ne hum sabko us state se nikala tha,tab kya woh tum logon ka dost tha...???

ACCHUTA-nahi..

SLUNDERS MOM-toh phir sirf humare liye ek anjaan insaan hume bhala kyun thik karta..

aisa toh koi bhi tabhi karega naa jab isme uska bhi koi faayda ho...toh phir RAAZ ne bhi waisa sochkar kuch galat toh nahi kiya...


SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun kuch kehte nahi bana un dono se..

wahin apni baat ko continue karte hue..


SLUNDERS MOM-usne aisa kiya toh beshak isme uska faayda tha par nuksaan toh humara bhi nahi tha...

haan par ek nuksaan tha jo pehle hi hume ho chuka tha aur uska reason tum dono the...


SLUNDERS MOM ke spirit ki is baat ko sun jhatka laga un dono ko aur..


SLUNDER-nuksaan hua tha woh bhi pehle se..!!aur us nuksaan ka reason hum dono the...!!!!hum kuch samjhe nahi....

ACCHUTAS FATHER-tum dono ko jo GOD GIFTS mile hain,tumhare parents hone ki wajah se us gift ke kuch kan humari life source ke saath jud gaye the...

par kyunki hum normal human beings the, isiliye humari bodies un GOD GIFTS ke particles ko accept karne ke laayak nahi thi..

jis waqt RAAZ ne SPELL bolkar hum sabko theek kiya,tab usse pata thi..

woh ye bhi jaanta tha ki jis din tum dono ke GOD GIFT powers puri tarah se trigger ho jaayenge aur tum unko use me laana seekh jaaoge,toh un GOD GIFTS shaktiyon ke kan jo hum chaaron me hain,woh humse nikalkar tum dono me sama jaayenge..

par aisa hote waqt woh kan joki humare life source se jude hue the,woh us source ko khatm kar dete..

matlab hum mar jaate..aur is cheez ko roka bhi nahi jaa sakta tha..saath hi saath usne humare planets ko bhi isiliye hi khaali karaya tha kyunki un planets me bhi tum dono ki shakti ke kan the aur tumhare power trigger karne ke baad unka life source bhi khatm ho jaata aur aisa hote hi hamare bekasoor log bhi mar jaate..

RAAZ ye saari baatein jaanta tha..

usse ye bhi pata tha ki agar hum un particles ke nikalne par marte, toh tumme samane ke baad woh particles humari mout ka sach tum dono ke saamne disclose kar dete..

ab tum dono batao,kya tum dono ye seh paate ki anjaane me hi sahi,par tum dono ki wajah se hum, tumhare parents mare hain...!!!

SLUNDER-ye kya keh rahe hain aap...??ye kaise sach ho sakta hai..??i mean agar GOD GIFT POWER ka aisa koi side effect hota toh BRAWNY par bhi ye laagu hota..!!!

par aisa toh kuch nahi hua..iske apne power haasil aur trigger karne ke baad bhi uncle aur aunty pure theek hain...

SLUNDERS FATHER-woh isiliye kyunki uska planet jis star system ka hissa hai,wahan se koi aur SAVENT paida nahi hua hai..

par tum dono ek hi star system se ho..kabhi socha hai tum dono ne ki tum dono ko hi itne contrasting GOD GIFTS kaise mile..???

ACCHUTA, tumhare paas maarak shakti ka ARROW hai aur SLUNDER tumhare paas iske ulat bramhaand ka sabse strong shield hai..

tum dono ke GIFTS ek dusre saath milkar aur khatarnaak hote hain...

par saath hi saath itne strong attack aur defense powers ke ek star system me hone ki wajah se us star system ka balance bhi hinder karte hain..

aur wahi hamare saath ho raha tha..us disbalance ko temporarily thik rakhne ke chalte tum dono ke power particles humare andar transfer hue aur isiliye taaki hamara star system aage bhi thik rahe, isiliye humara marna tay tha...

aisa hone par hi woh particles hume chhodkar tum dono me samaate aur sab normal reh paata...


pehle ACCHUTA ke father aur phir SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun toh kaan se dhuan nikalne laga tha uska aur SLUNDER ka..

kaise react karen,ye samajh hi nahi aa raha tha un dono ko...

wahin ACCHUTA ke father ki spirit ki baat ko aage badhate hue...


ACCHUTAS MOTHER-aur isiliye taaki apne hi mom dad ko maarne ki taklif tum dono ko na sehni pade,usne hum chaaron ki iaan le li...

aur un kano se unki yaadon ko mitakar tum dono ko sounp diya..

par dekho toh kismat ka khel, dusro ko jis dard se bachaya usne,aaj khud us d
ard ko jhelna pada usse...

ACCHUTAS MOTHER ke spirit ki ye baat sun naa sirf ACCHUTA aur SLUNDER apne dukh se bahar aaye,balki unke saath khade is hairat angez kahani ko sunane waale BRAWNY aur HIDA ke dimag me bhi ek sawal click kiya aur...


HIDA-kis dard ki baat kar rahi hain aap...??kuch der pehle uncle (SLUNDERS FATHER) ne bhi kaha tha ki jis taklif se RAAZ guzar raha hai,us taklif se in dono ko bachaya hai usne...

what does that mean...???


HIDA ke sawal par un chaaron ne kuch kaha nahi balki apna apna haath aage badha diya jiske baad un chaaron ke haath se rays nikal ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY par padi aur aisa hote hi in chaaron ki aankhen band ho gayi..

band aankhon ke beech in chaaron ko RAAZ, MAHI aur is kahani ke sabhi important facts dikhne lage jisse dekh chaaron ki band aankhon ne vismay bhi naachne laga aur aaj jo RAAZ ke saath hua,usse jo kurbaani deni padi,usse jaan bohot dukh bhi hua..

ab kahin jaakar woh chaaron samjhe ki aaj jab woh RAAZ ko maarne aaye toh uski haalat itni kharab kyun lag rahi thi..

un chaaron ko khud par sharm aane lagi ki apne friend ki itni kharab situation me uska saath dene ke bajaye woh uski jaan lene ke iraade se aaye the..

saari sacchayi jaan aankh khul gayi un chaaron ki par gardan sharm se jhuk gayi jisse dekh..


SLUNDERS MOM-jo hua,woh hona tay tha baccho, isiliye embarrass aur dukhi feel karne ki koi zaroorat nahi hai...

SLUNDER-kaise dukhi nahi honge mom....jisne humare hisse ke paap bhi apne kandhon par ddhoye,usse hi maarne nikle the hum...

ACCHUTA-aur ab toh usse kabhi maafi bhi nahi maang sakenge..

ACCHUTAS MOTHER-kisne kaha...!!! RAAZ zinda hai bacchon..aur saath me MAHI bhi...


ACCHUTAS mother ke spirit ki baat sun un chaaron ke chehre me itne der me pehli baar khushi dikhi thi jiske baad...


SLUNDER-sach...!!!RAAZ aur MAHI zinda hain...!!!

SLUNDERS FATHER-haan woh dono zinda hai aur sahi waqt par yahan wapas bhi loutenge..


SLUNDERS father ke spirit ki baat sun behadh khush ho gaye the woh chaaron.. wahin apni baat ko continue karte hue...


SLUNDERS FATHER-RAAZ aur MAHI zinda hai,ye baat bhale hi khush karne waali hai par aane waala waqt tum sabke liye bohot zyada taklifon se ghira hua hai...

aaj bhale hi tum chaaron ke waar par RAAZ khamosh raha,usne jawab nahi diya par jab woh wapas aayega toh aisa kuch nahi hoga...

tum chaaron ko hi uske ghusse ko jhelna hoga..aur ye tum sabke liye bohot taklif deh hoga...

aur isiliye hi tum sabke andar DECENTER ka scent gaya hai..

us scent ki wajah se kisi bhi negetive aur black energy ke waar se hone waali taklif ko sehen kar paaoge tum...

RAAZ ab tak tum sabke liye ek ANGEL saabit hua hai,par jab woh wapas loutega toh wahi ANGEL tumhare liye DEVIL hoga...

woh andar se toota hua hai bacchon,aur jab tak woh toota hua hissa wapas jud nahi jaata,woh baaki sabko todta chala jaayega...

haan,tum sabki hi tarah jab woh yahan aayega toh woh bhi kamzor hoga..

yahan ke best SAVENTS se jeetne ki shakti nahi hogi usme par sanak uski pagalpan ki hadh ko paar karne waali hogi...

tum sabko uske pagalpan ko jhelna hai..uske har dard ka hissa tum sabko bhi jhelna hai..

tumhara dard usse sukoon dega,aur uske sukoon ke liye tumhe us dard ko dawa samajhkar peena hai...

yahi tarika hai usse waisa banaane ka,jaise uske liye banana zaroori hai...

ye ladhayi beshak uski hai,par iska hissa tum sab bhi ho aur jaante ho kyun...!!! kyunki....



har baazi jeeti jaa sakti hai,sacche doston ka saath JAB HO....

un doston ka zindagi me aana jab FAISLA-E-RAB HO.....

waise toh taakat bohot hai RAAZ ke paas magar,

uski sabse badi taakat,uska sabse bada GOD GIFT TUM SAB HO.....

















AAJ KE LIYE ITNA HI....



















AAPKA APNA V....J.....
Awesome update bhai 👏 👍 👌
 

Raguhalkal

Not Activated
1,421
4,257
143
isko me matlub is update ko me kannada me comment doonga google pe jaake translate kardena bhai


ಮಾತಿನಲ್ಲಿ ಹೇಳಲಾರೆನು

ರೇಖೆಯಲ್ಲಿ ಗೀಚಲಾರೆನು

ಆದರೂನು ಹೇಳದೇನೆ ಉಳಿಯಲಾರೆನು

isko translate karo or samjo

jub dekho hame google karne ko bolte ho ab tum karo google

google baba ki jai
 
Top