• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION KA FINAL CHALLENGE SHURU HO CHUKA HAI JAHAN EK TARAF ACCHUTA NE VALDIS KO SABAK SIKHA DIYA HAI, DUSRI TARAF BRAWNY AUR SLUNDER KA MORANA AUR ANWIR SE FIGHT CHAALU HAI WAHIN TEESRI TARAF RAAZ NE MABBA SE USKI HAASIL KI HUI KAALI SHAKTIYAN CHHIN KI HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-103


PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE MAZE



FINAL PART ( FINAL SEGMENT)





BRAWNY/SLUNDER VS ANWIR/MORANA






RAKHT VIMUTEN

BLOOD SLOW DOWN




apne haath par ek halka sa cut kar apne khoon ko nikal usse masalte hue BRAWNY aur SLUNDER ko dekhkar is pure BLACK ENERGY ke SPELL ko uccharit kiya MORANA ne jisse sun halke hairan ho gaye the BRAWNY aur SLUNDER....

reason...

jo SPELL MORANA ne bola tha,woh banned tha CHOSENS me..

waise toh har WICKED ko is SPELL ke baare me pata hota hai par 100 me se koi ek behadh strong WICKED hi aisa hota hai jo is SPELL ko successfully use me laane ke layak hota hai aur jo spell uccharan ke baad BRAWNY aur SLUNDER feel kar rahe the,usse unhe pata chal gaya tha ki woh SPELL kaa kar raha hai...

BRAWNY aur SLUNDER dono ke hi rakht pravah me dheemapan aa gaya tha...

jiska matlab tha ki un dono ke brains me khun dheeme jaane laga tha aur jiski gati guzarte palon ke saath aur kam hone waali thi..

iski wajah se un dono ko apne sir me halka bhaaripan bhi mehsoos hone laga tha aur woh dono ye bhi jaante the ki agar aisa kuch der tak aur chalta raha toh unke brains ko hamrage ka khatra ho jaayega aur isiliye..


SWATOH...

RELEASE...


apne andar jhaankte hue is SPELL jo socha bhar un dono ne jiske baad un dono ke GOD GIFTS unke hearts me chamakne lage jisse release hua ek AURA jisne un dono ke khoon ko chhu liya aur aisa hote hi MORANA ka bola SPELL kat gaya...

SLUNDER aur BRAWNY,dono hi normal ho chuke the aur aisa hote hi unhone dekha ki ANWIR ke haathon me ek BLACK SOUL SPEAR chamakne laga hai jiska matlab tha ki woh us SPEAR se unke sharir ko bhedh un dono ke SOUL ko caged karna chahta hai..


SWOOBBHHH....


tezi se aur puri taakat se feka us SPEAR ko ANWIR ne BRAWNY ki taraf par tabhi...


GHAMNIKE JAALAM...

CHANGE INTO A SNARE....


BRAWNY ke man me soche gaye is SPELL ki wajah se woh SPEAR aadhe door se hi double speed pakad wapas mood gaya aur agle hi pal ek bade se SNARE jaal me badal usne ANWIR ko jakad liya..

aisa hote dekh hairan toh tha ANWIR par saath hi us SNARE se nikalne ke liye woh taakat lagane laga par tabhi...

BLACK ENERGY ko consume karta hua woh snare WHITE ENERGY ke kano se bhar gaya jiske baad ANWIR joki us snare ko pakad todne ki koshish kar raha tha,usse ek jhatka laga aur woh neeche gir gaya..

wahin dusri taraf MORANA ne jab apne SPELL ko nishprabhavit hote dekha toh...


VARNADHE KRITYATEM

SOUL POWER DESTRUCTION


MORANA ka ye SPELL uske first SPELL se bohot zyada taakatwar aur distructive tha..

iske asar se MORANA ke sharir ke andar uske soul shakti se parmanu bomb jaise kan banane lage jinme ek aisa radiation tha jiske bahar nikalte hi opponent ka SOUL hinder hota tha..

radiation ke asar se dheere dheere opponent ka pura soul hi zakhmi ho SPELL bolne waale ka gulam ho jaata tha...

MORANA ke SPELL uccharan karte hi BRAWNY aur SLUNDER,dono hi samajh gaye ki us SPELL ko kaatne ke liye unhe apne SOUL force ko release karna hoga par agar aisa hua toh MORANA aur un dono ke SOUL RADIATION aapas me takrayenge jisse un dono ko toh kuch nahi hoga, MORANA ki power ki wajah se shayad woh bhi bach jaaye par ANWIR turant jal kar raakh ho jaayega...

but filhal un dono ko koi aur option dikh nahi raha tha aur isiliye unhone apni sochi ek maatr yukti ko use me laane ke liye SPELL uccharan karne ki thaani par woh aisa karte ki tabhi...


RELAX GUYZ....EXTREME SPELLS KI ZAROORAT NAHI HAI...APNI GOD GIFTED AURA'S SE MORANA KE SEENE PAR WAAR KARO...


BRAWNY aur SLUNDER ke haathon me energy sparks dikhne lage the ki tabhi unke kaano me ye meri awaaz gunji aur meri baat sun dono hi ek dusre ko dekhne lage..

is waqt dono ke hi aankhon me hairani saaf dikh rahi thi...

reason....

ek taraf maine un dono se extreme SPELLS usne naa karne ko kaha tha aur dusri taraf maine unhe unke GIFTS ke AURA'S se waar karne ko kaha tha jo kisi bhi extreme SPELLS se 100 guna zyada dangerous tha...

par hairani ke baawjud mere faislon par behes woh dono kar sakte the nahi aur abhi toh bilkul bhi nahi isiliye...

jaisa maine kaha,un dono ne kiya..

isse pehle ki MORANA joki abhi apni aankhen band kar apne SOUL POWER ko DESTRUCTION level par pahunchane me lagi hui thi, BRAWNY aur SLUNDER ne apne GIFTS ki AURA ko release kar diya aur jab aisa hua toh....

do invisible par behadh hi strong AURA'S un dono ke sharir se nikal aage badh gayi..

wahin MORANA ne bhi apne taraf ek bohot hi ghaatak force ko aate mehsoos kar liya tha aur isiliye usne apne SOUL DESTRUCTION ENERGY RAY ko turant release kar diya par isse pehle ki woh RAY uske sharir se bahar niklati, SLUNDER aur BRAWNY ki AURA'S ne usse uske seene ke thik beech me hit kar diya aur aisa hote hi...

AHHHHH....BOOM.....

pehle MORANA ke mooh se ek dardnaak cheekh nikli aur saath hi uska sharir hawa me piche ki taraf ucchal gaya par neeche naa gir beech hawa me hi rook gaya..

is beech AURA'S ke usse hit karte hi ek behadh strong energy force usse nikal aage badhi aur SLUNDER aur BRAWNY se takrayi jiske parinaam swaroop woh dono bhi halka piche hote hue neeche gir gaye par saath hi woh dono turant khade bhi ho gaye...

wahin MORANA jiska sharir hawa me thehra hua tha,uspar behoshi chhaane lagi thi par woh behosh ho nahi paa rahi thi...

reason...

uske poore sharir ko tez jhatke lag rahe the jiski wajah woh unconscious nahi ho paa rahi thi...

aur in sabke beech JAAL me phase ANWIR ko toh jo ho raha tha,woh samajh me hi nahi aa raha tha...

khair,kuch der tak jhatke lagte rahe MORANA ke body ko jiski wajah se ek nayi energy usse nikal upar uthi aur gayab ho gayi aur aisa hote hi usse jhatke lagne band ho gaye jiske baad..

DHAMMM...

MORANA ka sharir neeche gir gaya jiske saath hi woh behosh bhi ho gayi aur iska matlab tha ki she was KNOCKED OUT....

aisa hote dekh BRAWNY aur SLUNDER ke chehre par ek muskaan aa gayi aur..


BRAWNY-hamara task bhi pura hua...

SLUNDER-hmm... chale yahan se...!!

BRAWNY-chal...


ye bol BRAWNY aur SLUNDER palatne ko hue par tabhi muskurate hue SLUNDER ki nazar ANWIR par padi jiske chehre par hairani aur sawal,dono hi bhaav dikh rahe the...

hairani MORANA jaisi strong SAVENT ke knock out hone ki aur sawal ye ki bina usse knock out kiye SLUNDER aur BRAWNY jaane ki baat kar rahe the...

palaththe hue SLUNDER ne ANWIR ke bhaav ko dekh bhi liya tha aur samajh bhi liya tha aur isiliye woh wapas uski taraf palta aur...


SLUNDER-tu toh bhul gaya par WOH kuch nahi bhulta...uspar tera ek udhaar baaki hai...

aur tera hisaab WAHI karega..


ye bol SLUNDER aur uske saath BRAWNY wapas palat nikal gaye..

wahin ANWIR SLUNDER ki baaton ka matlab samajhne ki koshish ne laga hua tha par usse zyada dimag lagane ki zaroorat padi nahi kyunki agle hi pal jawab uske saamne tha...



galatfehmi mat paalna ki tujhe zinda CHHOD DUNGA MAI....

woh hawa jisse tu saans leta hai,uska rookh bhi MOD DUNGA MAI...

sharir toh teri kategi hi par itna kaafi nahi...

jism ke saath saath teri rooh ko bhi NICHOD DUNGA MAI...

YE LINES YAAD HAI ANWIR...



ek behadh sard awaaz gunj si uthi ANWIR ke kaano me jiske impact se hi haalat kharab ho chuki thi uski aur is beech...

parath dar parath WHITE ray ke kan banane lage ANWIR ke saamne jiske beech se prakat hua mai..

aakhon me apne shikar ko dekh chamak,chehre par darindagi bhari smile aur uske upar shaant chehra..

ye sab dekh ANWIR ki haalat aur kharab hi gayi..uska mooh bhi jaise sil sa gaya tha..

khair,prakat ho mai uske theek saamne pahuncha aur...


MAI-tere diya udhaar sudh samet loutane ka waqt aa gaya hai..

par ek afsos aaj bhi reh hi jaayega...apni kahi baat ko puri tarah implify nahi kar sakta hai..

jaan se tujhe nahi maar sakta mai...

par koi baat nahi, saansein aisi chalengi teri ki zindagi tujhe teri dushman aur mout woh befawa mehbooba lagegi jisne dhoka diya hoga tujhe...


apni baat bol maine apna haath left se right swipe sa kiya aur mere aisa karte hi ANWIR jis JAAL me phasa tga,woh gayab ho gaya...

khud ko azaad dekh ANWIR joki mere paas hi tha,usne ek punch maarna chaaha mere naak par lekin uska punch mere naak se thik ek inch door hi rook gaya..

usse laga jaise kisi ne uske punch ko rok diya hai...

wahin ANWIR ke humle ko dekh...


MAI-SPELL attacks me woh maza kahan jo pyscical assault me hai...

yaad hai ye dialogue jo mujhe maarne se pehle tune kaha tha...

chal, aaj RAAZ bhi aazma kar dekhe zara,teri us dialogue ki haqiqat...


THABBB,THABBB,GHABBBB,GHABBH,KADAKKK, KADAKKK,KADAKKK,KADAKK.....
AAAAHHHHHHHH.....AHHHHHHH..

lightning speed ke saath chale mere haath jiski wajah se pehle toh ANWIR ke dono jabde,phir naak aur phir peth aur andar ki athdi ka kaam kharab ho gaya aur uske baad bade sadhe hue and andaz me maine uske dono haath aur dono pair par aise punches maare jisse wahan ki haddiyon toot gayi....

aur aisa hote hi dardnaakh cheekh ke beech neeche gir pada ANWIR..

is waqt usse dard itna ho raha tha ki uske asar se woh kabhi bhi behosh hokar challenge se bahar ho sakta tha par aisa ho,usse pehle mujhe usse kiya waade ka antim bhaag pura karna tha aur isiliye..


MAI-khade ho jaa ANWIR...


mere aisa kehte hi ANWIR ka sharir apne aap harkat me aaya aur woh tedhe pair liye khada hua..

meri shaktiyon ke asar se woh neeche gir nahi raha tha aur toote pairon par pad rahe pressure ki wahah se uske mooh se cheekh bhi nikal rahi thi aur aankhon se aansu bhi baras rahe the jinke beech woh mujhe rehem maangne ke andaz se dekh raha tha aur uske us expressions ko dekh mere chehre par smile naach uthi aur...


MAI- ye jo tere chehre par rehem ki guhar hai naa,ye mujhe tere saath saath tere ghar waalon ko bhi punish karne ke liye excite kar rahi hai...

majburi naa hoti toh abhi tere pure pariwaar ko tere hi saamne aisi mout deta ki kudrat ko bhi zindagi se nafrat ho jaati...

tere har chaahne waale ke sharir ke har ang ko,khun ke har katre ko,aatma ke har kone ko nichod deta mai...


aaj bohot din baad mere andar ka woh jaanwar jo sahi galat nahi dekhta,bahar aaya tha jise sun aur mehsoos kar rooh kaamp uthi ANWIR ki aur behadh dheeme aur ladkhadati awaaz me nikle uske mooh se bol...


ANWIR-youu arrre aaa DEVILLL RAAAZZZZ.....


ANWIR ki baat sun mere face ki smile aur badh gayi...


MAI-indeed i am...a DEVIL waiting to get unleashed....

khair, tere family ke saath naa sahi,par apni dilli khwahish tujhse toh puri kar hi sakta hun naa...

ye bol mai aage badh thik uske saamne khada hua, apna right hand uske seene par rakha aur....


AATMAM VINASHAKAM

SOUL DESTRUCTION

AAHHHHH...AHHHHHHHHHHH


mere mooh se SPELL uccharit hote hi ANWIR ke mooh se ek ek dehla dene waali cheekh nikli...

reason....

mere SPELL ke asar se uska soul uske andar hi jalne laga tha jiska impact uske baaki ke teeno AMPLIFICATION modes par bhi bohot zyada ho raha tha...

usse aisa lag raha tha ki jaise koi usse andar se nichod raha hai..

saaf shabdon me kahun toh jo haal ek aatma ka hell me pahunchne ke baad hota hai,woh ANWIR ka SOUL jeete jee mehsoos kar raha tha..

ye ek anant agni thi jiske prabhav se uska SOUL hamesha ke liye jalne bhi waala tha aur uske sharir ke andar bhi rehne waala tha..

par SOUL toh us behisaab dard ko jhel bhi le,par baaki ke AMPLIFICATION modes joki manushya ke jeeven tak hi zinda rehte hain,woh us taklif ko nahi jhel paaye aur natija...

kuch hi palon me ANWIR ka BRAIN aur BODY dead ho chuke the aur BLOOD aadha se zyada sukh chuka tha..

zinda bachi thi toh bas SOUL aur heart jo baaki ke bache BLOOD ke through behadh dheeme dheeme dhadak raha tha jiski wajah se ek living dead situation me pahunch neeche gir gaya ANWIR jiske agle hi pal uske ye third challenge aur saath hi woh zindagi jisse wakayi zindagi kaha jaata hai,khatm ho chuki thi....




ALFREEN VS MAHI



KAHAN CHALE GAYE YE SAB...!!!!


us ped ke trunk se bahar nikal idhar udhar dekhte hue kahi ye baat ALFREEN ne..

HIDA ne usse kamsekam 10 minute us trunk ke andar chhupe rehne ke liye bola tha par ALFREEN kareeb 15 minute baad usse bahar nikli thi par bahar nikalte hi usse koi bhi nazar nahi aaya...

kisi ko bhi aas paas naa dekh ALFREEN aage badh gayi par usse aage badhte hue abhi 1 minute bhi nahi hua tha ki tabhi uske kadam ekdum se rook gaye...

reason..

usse saamne se MAHI aati hui dikhayi di...

MAHI ne bhi usse dekh liya tha aur woh bhi apni jagah rook gayi thi...

dono ki hi nazar ek dusre ko ghur rahi thi...waise bhi ab dono me dosti jaisa kuch tha nahi aur saath hi is competition me dono hi ek dusre ki pratidwandi thi jo aur ussi haisiyat se abhi woh ek dusre ke saamne thi...

aur isiliye aankhon hi aankhon me dono ne hi ek dusre ko challenge sa
kiya aur phir....


ATUDATI...


ATTACK SPELL sabse pehle MAHI ne bola jisse KHANDAM SPELL ke saath block kar diya ALFREEN ne..

aur issike saath un dono ke beech alag alag attack aur block SPELLS ka daur shuru ho gaya..

MAHI AMPLIFICATION aur REFINER powers ke maamle me ALFREEN se strong thi aut isiliye uske attack SPELLS ALFREEN par zyada impact kar rahe the jisse badi mushkil se sambhal paa rahi thi ALFREEN par mushkil hone ke baawjud ALFREEN kaafi ache se saamna kar rahi thi MAHI ka...

issi beech MAHI ke brain me basi BLACK ENERGY thodi thodi hulchul karne lagi thi par MAHI khudko pure control me rakh ALFREEN par normal spells se humla kar rahi thi..

par jab usne ye dekha ki ALFREEN uske har attack SPELL ko kaat rahi hai toh usne kuch aur karne ki sochi...



MADIYA DWARAM...

MAGIC DOOR..


pehle challenge me lagatar istemal kiya gaya SPELL use kiya MAHI ne jiske asar se ALFREEN ke thik piche ek MAGIC DOOR open ho gaya..

wahin ALFREEN ko bhi apne piche kuch prakat hone ka abhaas ho gaya tha aur jab usne MAHI ko gayab hote dekha toh woh uska khel samajh gayi..

aur MAGIC DOOR banane ke baad jab MAHI gayab hokar ussi door ke through prakat hui toh usne dekha ki ALFREEN ab apni jagah par nahi hai..

MAHI ki hi tarah ALFREEN bhi gayab hokar jahan pehle MAHI khadi thi,wahan pahunch chuki thi...

ye dekh MAHI toh shaant thi par uske andar basa BLACK ENERGY ab thoda zyada ufaan maarne laga aur isiliye is baar jab MAHI ne ek baar phirse ALFREEN par attack ray se waar kiya toh MAHI ke naa chaahte hue bhi us ray ke saath BLACK ENERGY ki shakti ke kuch kan bhi bahar nikal us ray ke saath ek constant beam ka roop dhar aage badh gaye..

aisa hone se aaj bohot din baad MAHI ke brain me phirse dard uth gaya tha..

wahin attack ray ko apni taraf aata dekh ALFREEN ne bhi apne aage BLOCK ray ko prakat kiya par is baar jab us ray se MAHI ka ray takraya toh ALFREEN ko tez jhatka laga..

ray ke block hone ke baad bhi usne ALFREEN ke pure sharir ko hila diya tha..

haath aage kar MAHI ke ray ko rok rahi thi ALFREEN par usse rokte hue bhi woh ghistaththe hue piche ki taraf khisakti jaa rahi thi..

woh apni puri jaan laga us attack ray ke beam ko rok rahi thi par har guzarte waqt ke saath us ray ke prabhav se uske sharir me dard uth raha tha aur saath hi uske senses bhi dheele padte jaa rahe the...

ALFREEN samajh chuki thi ki woh zyada der nahi tikne waali par phir bhi pure jasbe ke saath woh lagi hui thi...

wahin jab MAHI ke andar panap rahe BLACK ENERGY ne dekha ki ALFREEN ab bhi dati hui hai toh usne kuch extra kan us beam me beech chhode jo behadh tezi se aage badhe..

in extra kano me itni taakat thi ki jaise hi ye ALFREEN ko lagte, ALFREEN naa sirf behosh ho jaati,par saath hi uski ye behoshi challenge khatm hone ke baad bhi kaafi time tak kaayam rehti..

aur aisa hone hi waala tha ki tabhi...


KRRR.....

MAHI aur ALFREEN ke beech bane is constant ray beam ko ek naye ray ne beech se hi kaat liya jiske baad MAHI aur ALFREEN,dono hi neeche gir gaye..

par jahan MAHI girne ke baad turant uth gayi wahin ALFREEN ke senses ab bas kuch hi palon ke mehman the aur isiliye woh waise hi neeche giri rahi aur ussi position me uski nazar us disha ki taraf ghumi jahan se woh nayi ray aayi thi aur wahan dekhte hi uske face par ek smile aa gayi..

reason...

saamne mai khada tha..mujhe muskurate hue dekhne ke baad ALFREEN ki aankhen dheere dheere band ho gayi aur aisa hote hi woh mere saamne se aur is MAZE se gayab ho gayi..

wahin MAHI uthne ke baad mujhe hi dekh rahi thi...

aur usse maalum tha ki ALFREEN ki hi tarah ab usse mujhse bhi ladhna hoga par jahan ye baat uska dil maan nahi raha tha wahin uska BRAIN jisme black energy tha aur jisne mujhe mehsoos karte hi tezi se ucchalna shuru kar diya tha, woh MAHI ko mujhpar humla karne ke liye uksa raha tha..

dil aur dimag ke beech ki jung me MAHI ke chehre par tanaav dikhne laga jiska abhipraya samajh chuka tha mai aur isiliye...


MAI-ye ek challenge hai MAHI... isiliye zyada sochon mat and hit me...

aur haan,apni puri shakti se waar karna hai tumhe mujhpar.. puri shakti..samajh rahi ho naa...??


Puri shakti se mera jo matlab tha,woh samajh chuki thi MAHI..woh jaan gayi thi ki mai usse uske andar base BLACK ENERGY ki shakti ko bhi unleash karne ke liye keh raha hun..

mere aisa kehne ka kaaran toh nahi jaan paayi MAHI par phir bhi usne wahi kiya,jo kaha maine...

BLACK ENERGY ko jisse woh ab tak control karne ki koshish kar rahi thi,usse control hata liya usne apna aur aisa hote hi uske brain me base BLACK ENERGY ne usse uska pura control le liya jiske baad MAHI ka haath apne aap hi meri taraf uth gaya aur aisa hote hi ek behadh hi deadly BLACK ENERGY se labalab attack ray nikla us haath se aur tezi se meri taraf badha aur aisa hote hi maine bhi apna haath aage kar diya..

woh ray sidhe aakar mere haathon se takraya jisse bade aaram se roke rakha tha maine...

aur jab MAHI ke andar nihit BLACK ENERGY ne mehsoos kiya ki mujhe uski shakti se koi asar nahi ho raha hai toh usne apni puri taakat us ray beam me release kar di jisse bhi maine badi aaram se roke rakha..

jahan mai ray block kar araam se khada tha wahin MAHI BLACK ENERGY ke full power release karne se mentally kaafi thak gayi thi..

woh toh neehe hi gir jaati par BLACK ENERGY ne hi usse apni shakti se khade kar rakha tha..

khair,ye sab kuch der tak chalta raha aur shayad aage bhi aisa hi chalta rehta ki tabhi..

SOOBH......

mujhe apne piche se ek behadh strong BLACK ENERGY ki ray apni taraf aati feel hui aur isiliye isse pehle ki woh ray mujhe chhuti mai tezi se side ho gaya jisse ki MAHI ka attack ray aage badh gaya aur aage badh woh us ray se takraya jo mere piche se meri taraf badh raha tha aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui..

pehli....

MAHI ka attack ray khatm hokar gayab ho gaya...

dusri..

MAHI turant neeche gir gayi aur girte hi behosh ho gayi jiska matlab tha ki woh bhi is challenge se bahar ho chuki thi..

aur in sabke beech khada tha mai jo side hatne aur MAHI ke behosh ho gayab hone ke baad piche palta toh paaya ki mujhse thodi door mere saamne khada tha VIDEOUS.....




HIDA VS MABBA




PEHLI BAAR MABBA KISIKE AAGE BEBAS HUI HAI HIDA...SIRF ISILIYE BAKSH DETI HUN MAI TUJHE...

CHALI JAA YAHAN SE,TERI JHUTI AKAD AUR BATTAMIZI KE LIYE MAAF KAR DUNGI MAI TUJHE...


MABBA ki baat sun HIDA ke face par ek smile naach uthi aur...


HIDA-haash..acha hua ki teri gardan aur ATTITUDE me akad lout aayi warna mai todti kisse...???

aur rahi baat teri pehli baar bebas hone ki toh woh waqt tera half yaerly exam tha,final toh ab hone waala hai...

taakat ke guroor me chur jab koi apne se kamzor ko taklif deta hai,sirf maze aur self satisfaction ke liye jab koi kisi mazloom par waar karta hai,toh us kamzor aur mazloom par kya guzarti hai,ye amplified version ke saath mehsoos karwaungi mai tujhe...


HIDA ki baat sun MABBA ke andar ban raha ghusse ka jwalamukhi phat gaya aur jab aisa hua toh...


MABBA-fine..ab dekh kya haal karti hun maiiiiiii.......


aage ki baat niklane se pehle hi MABBA ka sharir hawa me ucchal gaya tha..

reason..

HIDA ne apna haath aur attack AURA zamin ki taraf kiya jahan MABBA khadi thi,jiske baad woh jagah ukhadkar apne upar khade MABBA ko saath lete hue hawa me ud si gayi..

is achanak hue waar ke liye taiyar nahi thi MABBA isiliye hawa me udta hua uska sharir kaafi upar uth chuka tha par phir usne khudko hawa me hi shaant kar liya...

aankhon me angare liye woh HIDA ko ghurne lagi thi..

saath hi HIDA ke us waar aur us waar ki taakat se halki hairan bhi hui thi woh..

khair,hawa me hi khade khade...


SWANITOH GARDHAVA

WIND CAGE


MABBA ke is SPELL uccharit karte hi HIDA ke chaaron taraf behad tez hawa chalne lagi..

us hawa me lohe si solidity thi jo kisi cage ki tarah HIDA ko khudme rokne waali thi..

par MABBA ke is waar se halki si smile naach uthi HIDA ke face me aur...


KHANDAM SWACHAM

BLOCK CLEANER...


man me soche HIDA ke is SPELL se uske aage do invisible strong energy rays prakat hui jinhone uske aage chal rahi wind ko do hisso me kar hata diya aur aisa hote hi uske beech se hote hue HIDA aage badh gayi..

wahin apne pehle SPELL ko uccharit karne ke baad MABBA ussi wind ko jo HIDA ko ghere hue thi, ek paash me badalkar HIDA ka gala ghotne waali thi par woh aisa karti,usse pehle hi HIDA uske SPELL numa chakravyuh se bahar aa chuki thi jisse dekh MABBA bohot zyada chownk uthi thi..

wahin cage se bahar nikal..


HIDA- 2 aur mouke deti hun mai tujhe MABBA...try kar le.. teesre ke baad chouwtha waar mera hoga jisse jhel nahi paayegi tu..


HIDA ke is baat yaa phir ye kahun ki challenge ko sun behadh krodh me apna haath uske aage kar


ANGAM VIBHAJANAM

BODY CUT


MABBA ka ye SPELL kaafi deadly tha jiske uccharit hote hi bohot se invisible par dhaardhaar blades uske aage ban tivr gati se HIDA ki taraf badh chale..

MABBA HIDA ke sharir ke har bhaag ko tukdo me baatna chahti thi aur woh dhaardhar blades uske issi mansha ko pura karne ke liye aage badh chuke the par isse pehle ki woh blades HIDA tak pahunchte...


RUVATAH PRAVAH

REVERSE THE IMPACT


HIDA ke SPELL sochte hi uski taraf badh rahe spells ki disha ghum gayi aur woh dugni raftaar ke saath MABBA ki taraf badh gaye aur isse pehle ki MABBA un blades ko sense kar paati,woh uske paas pahunch chuke the par tabhi...

MABBA ko nuksaan pahunchane se pehle hi woh blades khatm ho gaye jisse mehsoos kar MABBA hairani se HIDA ko dekhne lagi jispar..


HIDA-maine kaha tha aur ki do mouke aur dungi tujhe.

mouke khatm hone se pehle koi nuksaan nahi hoga tujhe par haan,mouke khatm hote hi koi tujhe hone waale nuksaan se bacha bhi nahi paayega...

aakhri mouka hai,give it your best shot...


pehli baar HIDA ke aage halki nervous dikhne lagi thi MABBA par phir khudko shaant kar apni aankhen band ki usne aur...


SAMASTAM RIHATUKAM VINASHAKAM

COMPLETE AMPLIFICATION DESTRUCTION


apne pure AMPLIFICATION aur REFINER powers ko ek kar uccharit kiya is SPELL ko MABBA ne jiske baad uske pure sharir se yaa phir ye kahun ki chaaron AMPLIFICATION modes se ek maarak shatki kunj nikal HIDA ki taraf badh gaya jisse mehsoos kar HIDA ne bhi apni aankhen band ki aur...


RIHATUKAM AURAVA STHUNE

AMPLIFICATION AURA HIT


HIDA ke uccharit SPELL se uske bhi andar se uski AMPLIFICATION AURA release hui aur tezi se aage badh MABBA ke AMPLIFICATION powers se takra gayi aur aisa hote hi MABBA ki powers ek jhatke me khatm ho gayi...

waise toh is takraav se pysically MABBA ko kuch nahi hua par HIDA aur uske AMPLIFICATION power aur AURA ke takraane se usse HIDA ki shakti ka halka sa abhaas ho gaya jisse mehsoos kar uski aankhen badi ho gayi thi..

wahin MABBA ke SPELL ko kaat..


HIDA-time up MABBA...now it's my turn...


apni baat bolte hue hi man hi man...


KSHATI VIMUKHE

PAIJ SENSOR..


ek chota sa par hadh se zyada powerful SPELL socha HIDA ne aur uske aisa karte hi..

MABBA ki badi aankhen jaise fath si gayi..

reason....

uske brain me ek saath un saare SAVENTS aur logon ki tadap gunjne aur mehsoos hone lagi jinpar MABBA ne atyachaar kiya tha..

un pidit logon ki sankhya aur unhe feel hua dard aur humiliation itna zyada tha ki MABBA ka brain itna dabav jhel nahi paaya aur usne us dard ko MABBA ke baaki ke teen AMPLIFICATION modes ki taraf transfer karna shuru kar diya aur jab aisa hua toh...


AHHH..AGHHRRR....AHHHH...NAHIII....

alag alag awaaz aur zor se NAHI bol MABBA ka pura sharir tadapne laga aur woh neech gir kisi mirgi patient ki tarah tadapne lagi..

kuch der tak aisa hota raha par jab us asahaniya dard ko naa jhel paa MABBA ke senses band hohne lage toh achanak se hi woh saara dard gayab ho gaya yaa fir ye kahun ki HIDA ne us dard ko gayab kar diya jiske agle hi pal MABBA ka sharir hawa me lehrata hua jhool sa raha tha..

bhale hi MABBA behosh nahi hui thi,par haalat uski kisi bejaan insaan jaisi hi thi abhi par ye toh sirf trailer tha..

picture toh usse ab dekhni thi aur isiliye....



KANKALAM BHAGDATE

SKELETON WITHDRAW



HIDA ne apna haath aage kar bohot zor se is SPELL ko bola aur uske aisa karte hi ek second ki khaamoshi ke baad...

AAAAAHHHHHHHHAAAAHHHHHHH...


ek praan ghatak cheekh nikal gayi MABBA ke mooh se...

reason...


HIDA ke uccharit SPELL ne apna kaam kar diya tha...

MABBA ke jism me darar padni shuru ho gayi thi aur kuch hi palon me uske sharir ko faadte hue uska pura skeleton bahar aa gaya tha..

us skeleton ke beech MABBA ka dhadakta hua dil bhi tha jo kisi bhi waqt rook sakta tha par aisa ho,usse pehle hi...


SHAKTIYEM BANDHAM

POWER ROPE


HIDA ke soche SPELL se WHITE ENERGY se bana ek dhardhar rope us kankal ke chaaron taraf lapeta gaya jisse naa sirf woh kankaal bandh gaya par saath hi saath us rope ke dhardhar rays se usme halke ched bhi ho gaye aur jab aisa ho gaya toh HIDA ne us skeleton ko MABBA ke sharir ke andar bhej us sharir ko pehle jaisa kar diya..

wahin MABBA ka sharir joki us SKELETON ke bahar nikalne se murda ho gaya tha,apne haddiyon aur dil ke wapas khudme samane se uske pran wapas aa chuke the par jab aisa hua toh...

us dhaardhar rays ki wajah se joki uske haddiyon ko penetrate kar rahe the,ek behadh tez chikh nikli MABBA ke mooh se aur woh neeche zamin par gir firse tadapne lagi...

ye tadap mout se hazar kuna kashtdayi thi jisse jhel nahi paa rahi thi MABBA..

aankhon me daya ki guhar liye woh neeche zamin me tadapte hue HIDA ki taraf palti par aaj HIDA ki aankhon me koi rehem nahi thi..

itne saalon ka frustration aaj MABBA ki cheekhon ke saath jaise sukoon me badal raha tha..

wahin aise hi kuch der tak tadapte hue MABBA ke senses jawab dene lage aur is baar HIDA ne bhi MABBA ko behosh hone diya..

isiliye kuch der aur tadapte rehne ke baad MABBA ki aankhen band ho gayi aur issike saath woh sirf is challenge se hi nahi balki asli duniya se bhi partially out ho chuki thi...




RAAZ VS VIDEOUS




TEENO CHALLENGES ME AB TAK KE PERFORMANCES AUR ABHI PICHE SE HUE WAAR SE BACHNE KE LIYE REFLEXES PHASE 2 SAVENTS KE HISAAB SE KUCH ZYADA HI TEZ NAHI HAIN...!!!!


muskurat ke saath mujhe dekhte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jiske baad bhi mai bas usse shanti se khada dekhta raha jispar...


VIDEOUS-waise koi badi hairani bhi nahi hai..ab THE PROHIBITED ARCHIVE me chhupi shakti jiske saath DHANUR ke powers bhi moujud the,unhe haasil karne ke baad itni taakat ka hona toh banta hi hai...


ek gehri muskaan ke saath mere RAAZ ko unfold karte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jiske baad...


MAI-kaise pata chala tujhe...???

VIDEOUS-naam RAAZ hone ka matlab ye nahi hai ki tu VIDEOUS se kuch chhupa sakta hai aur khaas kar ussiki duniya me....

CHOSENS ki ek jagah jo hokar bhi gayab hai,aur jo VIDEOUS bhi sense nahi kar paa raha hai..

is baat ka toh ek hi matlab ho sakta hai ki us jagah ko tere liye chhupaya gaya hai...

aur phir jab normal form me badalne ke kuch waqt baad tere performences me achanak se positive changes aane lage,toh mai samajh gaya ki woh us chhupi hui jagah ne khudko tere saamne ujagar kar diya hai...

MAI-waise aloukik shaktiyon ko temporary khatm karne ke piche ka ek prayojan tera bhi toh yahi tha naa ki woh chhupi hui jagah mere through bahar aa jaaye taaki koi bhi angle tujhse bacha naa reh paaye...

VIDEOUS-not bad RAAZ...andaza toh sahi lag gaya tera...

MAI-andaze tu lagata hai VIDEOUS, RAAZ facts batata hai..jaise ki purane successful WICKEDS ki powers copy kar unhe sangrah me rakha tune aur ab woh saari shaktiyan teri dhamniyon me doud rahi hain...

hain naa ye fact...???!!!


mere is revelation ko sun ek pal ke liye VIDEOUS ke chehre ki smile gayab hui par phir woh smile wapas aa gayi aur...


VIDEOUS-very good...waise ye taarif tere liye nahi hai,is CHOSENS ke sabse purane jaankar DHANUR ke liye hai..

kyunki i am sure,ek wahi hai jo purane se purane SAVENTS ki shaktiyon ko sense kar sakta hai aur jinke through tujhe ye RAAZ pata chala hai...

par actually,taarif ka thoda sa hakhdar toh tu bhi hai hi...

kyunki ye jaante hue bhi ki BLACK ENERGY se bhari shaktiyon se bhara hua hun mai,tu yun nidar hokar khada hua hai mere aage...

but RAAZ.... himmat dikhane aur bewakufi dikhane me bas halka sa hi fark hota hai aur filhal jo tu dikha raha hai,woh himmat nahi bewakufi hai...

tujhe wakayi lagta hai ki PROHIBITED ARCHIVE se haasil kiye chand ancient magic skills se tu mujhe hara sakta hai...

bilkul nahi...meri dhamniyon me beh rahi shakti aaj bhi mortal world me sabse shaktishaali hai jiske aage mai kisi ko bhi hara sakta hun,jhuka sakta hun...

aur is kisi me tu bhi aata hai... isiliye agar waqt se pehle khatm nahi hona chahta, hamare us battle se pehle jisse dono FATHERS ki niyati bhi judi hai, sharminda nahi hona chahta toh jhuk jaa mere aage..

aaj ke liye baksh dunga tujhe...

MAI-pata hai tujhme aur mujhme sabse bada fark kya hai...???

tu chahta hai ki saara bramhaand tere aage jhuke aur meri khawish ki
pure bramhaand me aisi koi taakat naa ho,jo mujhe jhuka sake...

aur filhal faisla ye karna hai ki teri chaahat me zyada dum hai yaa phir meri khawahish me...

VIDEOUS-ab tu yah chahta hai toh yahi sahi...waise bhi teri khudke liye paali galatfehmi door karne me zyada waqt lagega nahi..

MAI-galatfehmi kaun paal raha hai,ye toh pata chal hi jaana hai par haan,ek baat sahi hai teri ki galatfehmi kisi ki bhi ho,khatm hone me zyada waqt lagega nahi....



SOOBHH.....

SOOBH.....

BOOMMMM BOOMMMMMMM


apni baat khatm karte hi mere right hand se ek devastating attack beam nikal VIDEOUS ki taraf chal di jiske jawab me VIDEOUS ne bhi same beam mere beam ke upar chhodi...

hum dono ki hi beam aadhe raaste me ek dusre se takrayi jisse lagatar tez dhamake hone lage...

hum dono ki hi shakti se jo heat pressure release ho raha tha,woh bohot zyada tha jiski wajah se aas paas ke ped poudhe aur neeche beechi ghaans jal kar raakh ho jaa rahi thi..

khair,ek haath se beam release kar VIDEOUS ne apna dusra haath apne mooh ke paas kiya aur flying kiss dene ke andaz me usne ek phoonk maari aur uske aisa karte hi ek behad deadly poison gaadhe grey colour ke dhuen ka roop dhar uske mooh se bahar nikal tezi se meri taraf badhi..

wahin VIDEOUS ke is second attack ko dekh maine bhi apne left hand ko ek ray me upar niche kiya aur mere aisa karte hi us poisonous dhuen ke theek upar baadal ban gaye jisse musladhar baarish hone lagi.

us baarish ke paani me force itna zyada tha ki uske impact se woh dhuan niche dabne laga aur kuch hi palon me neeche ghaans me gir woh dhuan khatm ho gata jiske baad baarish hona bhi band ho gayi..

aur jab aisa hua toh uske agle hi pal...



APRATAKSHIT VAJRAGHATAM

UNPREDICTABLE LIGHTNING

GADDADGADGAD....




mere man me soche is spell ke baad ek hi time me alag alag disha se behadh taakatwar bijli paida hone lagi jo sidhe VIDEOUS ke sharir se jaakar takraye..

aisa hone ki wajah se VIDEOUS ke kapde halke halke jalne lage aur saath hi uska balance bhi bigadne laga par phir bhi usne naa toh apni position chhodi aur naa hi uske right hand se nikalte beam me koi change aaya...

par taklif toh usse ho rahi thi aur isiliye..


VAJRA KHANDAM

LIGHTNING BLOCK


uske mooh se ye SPELL uccharit hua jiske baad uske chaaron taraf ek invisible SHIELD numa cover ban gaya jisse takrakar meri create ki gayi lightning rookne lagi..

khair, apne cover ko banane ke baad...


NAAG PAASHAM

SNAKE CAGE

ADINAH SHAKTIYEM


pehla SPELL mooh se aur dusra SPELL man me uccharit kiya VIDEOUS ne jiske asar se ek saath do chizen hui....

pehle SPELL se mere chaaron taraf bohot saare deadly snakes pragat hue aur ek ghere me badalne lage..

pehla ghera banane ke baad baaki shakes ek ladder ko tarah neeche ke ghere waale saanpo ke upar dusra ghera banane lage...

ye proccess kaafi speed se jo raha tha..

wahin dusra SPELL jisse VIDEOUS ne man hi man socha tha,usse uske attack beam ki strength 10 guna tak badh gayi jiski wajah se mai kuch 3 metre tak piche khisak gaya tha aur jab aisa hua toh...

FFFHOOKHHHH....

mere just piche se ye awaaz aayi joki saanpo ki thi jo ghera banate hue bhi mujhe dasne ki koshish kar rahe the..

ek taraf attack beam ki strength aur uska pressure aur dusri taraf un saanpo ka ghera jisme pure BLACK ENERGY nihit thi jo agar apna pura ghera complete kar leti toh usse unke andar vaas kar rahe BLACK ENERGY ka zeher nikal mere sharir pat lagta jisse mai automatically behosh ho jaata..

khair,piche sarakne ke baad maine bas apne right hand ko halka jhatka diya jisse mere ENERGY beam ki taakat bhi kaafi badh gayi aur saath hi saath maine apne pair ko zamin par zor se maara aur jab maine aisa kiya toh mere pair ke energy force se aas paas ki puri zamin kaamp gayi jiski wajah se woh saare saanp kayi feet hawa me uth gaye..

aisa hote hi woh saanp joki mere aur VIDEOUS ke beam ghere ki chapet me aaye,woh toh turant jal kar raakh gaye aur jo bache the,unke liye maine socha ek SPELL...


PAKSHIYEM GHAATAM

EAGLE ATTACK


mere is SPELL ko sochte hi achanak se hi beech hawa me bohot se eagle prakat hue jinhone isse pehle ki woh saare saanp wapas zameen par gire,unhe khaa liya aur aisa kar gayab ho gaye..

wahin apne double attack ko yun zaaya hota dekh aur mujhe ab tak apne saamne mazbooti se tike dekh VIDEOUS ke jabde sakhti se aapas me bheench gaye aur...


VIDEOUS-DEHEM PRATADAM

BODY TEAR


apne energy beam ki power ko aur badhate hue is naye SPELL ko uccharit kiya VIDEOUS ne.

ye uska mujhpar bola gaya pehla praanghaatak SPELL tha jisse behadh tez invisible lava nikal meri taraf badh gaya...

khair,is praanghaatak aakraman ko dekh meri bhi aankhon me halki intensity dikhne lagi aur uske agle hi pal mere aankhon se do extreme energy light nikal mere aur VIDEOUS ke beech waali zamen se jaa takraye aur aisa hote hi woh jagah fath gayi aur us khaali jagah me lava ka chota sa pond ban gaya..

itna hi nahi,us lava ke pond me behadh strong gravitational pull tha jisne uske upar se nikalte us invisible laava ko bhi naa sirf sense kar liya balki usse apne me kheench bhi liya...

aur aisa hote hi woh lava ka pond gayab ho chuka tha..

apne itne taakatwar SPELL ko zaaya hota dekh VIDEOUS ki ankhon me bhi surkhi dikhne lagi aur hile uske honth..


VIDEOUS-bas bohot hua....

MAI-bilkul..wakayi bohot hua...tere SPELLS ko toh tod diya maine,ab tere ATTITUDE ko todne ki baari hai..


meri baat sun VIDEOUS ne apna dusra haath bhi aage kiya aur...


SHATRU VINASHAKAM

ENEMY DESTRUCTION


jaise hi VIDEOUS ne is SPELL ko uccharit kiya,toh uske dusre haath se ek invincible killing BLACK ENERGY se labalabh bhari hui beam nikal meri taraf lapki aur mere right hand par aa lagi aur aisa hote hi..

AGGGGHHHHHH.....

ek dard aur zidh se mili hui gurrahat nikli mere mooh se..

reason....

jaise hi VIDEOUS ki ray mere haath par padi jahan pehle se hi ek beam hit kar rahi thi toh,mai ek jhatke me ghisaththe hue kareeb 20 metre tak piche chala gaya..

saath hi us beam se release ho rahe heat ke tarango ki wajah se mere kapde bhi kaafi jagah fathne lage the..

piche ki taraf dhakka khata hua kuch pal apne aap ko ho rahi taklif ke saath abhyasth kiya maine aur phir meri nazar padi VIDEOUS par jiski aakhon me mujhe ho rahi taklif ko dekh ek chamak aa gayi thi...

us chamak ko dekh mere face par bhi ek halki si smile aa gayi jiske baad maine shuru kiya apni shakti ka asli pradarshan...

aankh band kar mai apne hi andar behta chala gaya aur jab aisa hua toh maine release kiya mere emotions power ko aur jab aisa hua toh...

DHAKKHHHHH.....

ek jhatke me piche ki taraf udta chala gaya VIDEOUS aur kareeb 50 metre tak udne ke baad neeche zamin par aaya..

haalaki zamin par aane ke baad bhi woh neeche gira nahi tha par uski haalat dekhne jaisi thi..

uske dono haath jinse abhi bhi beams nikal rahe the,woh mere beam ke pressure se kaampne lage the.. uske sharir ka adha se zyada kapda fath chuka tha aur apne zindagi me pehli baar uske face par dard ki lakeeren saaf dikh rahi thi jisse woh chhupane ki naakamiyab koshish kar raha tha...

par ye sirf tab tak hi tha jab tak mai apni jagah par khada hua tha...

apne emotions power ko release karne ke baad ek pal ruk maine apne apne kadam aage badhaye aur jab maine aisa kiya toh mere powers ka pressure bhi badhne laga jiska impact VIDEOUS ke chehre par saaf dikhne laga tha..

chehra uska halka halka kaampne laga tha aur jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,uske pair ghistaththe hue piche jaa rahe the...

AAAAAAAAAAAAAA.....

ek gurrahat se bhari awaaz nikalne lagi VIDEOUS ki jo praman thi ki woh apni puri taakat laga khudko piche jaane se rokne ki koshish kar raha tha jisme woh kaamiyab nahi ho paa raha tha..

har guzarte pal aur aage badhte hue mere kadam ke saath VIDEOUS ki pyscical energy uska saath chhod rahi thi aur ab woh ye samajh gaya tha ki woh is battle me haarne waala hai but having said that,jo asaani se haar maan jaaye,woh VIDEOUS nahi..

bhale hi imandari se ho yaa fir chhal se, VIDEOUS ko bas apni jeet se matlab hota tha aur isiliye issi tark ko saabit karne ke liye usne apni aankhen band ki aur kuch naam pukare aur uske aisa karte hi uske side me teen kaale dhuen banane lage aur kuch hi palon me woh dhuen apne swaroop me the..


THE THREE DEVOTEES...

apne teeno shaktishali gulamo ko bulaya tha VIDEOUS ne apni madad ke liye aur isiliye prakat hone ke agle hi pal woh teeno wapas dhuen mle badal ek dusre ke saath merge ho gaye..

aisa kar un teeno ne khudko VIDEOUS ke dono haathon me lapeth sa liya aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui..


pehli.. VIDEOUS normal ho gaya...uske facial expressions change ho chuke the..teeno DEVOTEES ki powers joki ab uske dono haathon me thi,shakti ke is aseem vridhi ki wajah se uske chehre ki smile wapas lout aayi thi..

dusri...uske haathon se nikalne waali power beams ki taakat 10 guna tak badh chuki thi aur issike saath table turn hi chuka tha...

kuch der pehle jo haal VIDEOUS ka tha,ab wahi haal mera ho raha tha..

kapde mere garm hokar halke halke jalne lage the aut kadam ab mere piche ki taraf fisalte hue jaane lage the..

aur aisa hote dekh...


VIDEOUS-haar maan jaa RAAZ...ab tu jeet nahi sakta...

sir is waqt neeche tha mera aur excessive power use karne ki wajah se kaamp raha tha par jab VIDEOUS ne mujhe haar maanane ke liye kaha toh waise hi kaampte hue maine apna sir upar uthaya,uski aankhon me dekha aur...


MAI-baazi tere haath me hai phir bhi jeetne ki bheek maang raha hai...

par afsos aaj mere paas chhute nahi hain tere liye...


ye bol maine apni aaankhen band ki aur agle hi pal maine apne andar chuppe GOD GIFTS ke AURA ko feel kar unhe bahar aane ki permission de di aur jab aisa hua toh..

BOOMMMMM....


behadh tezi se ek invincible power force mere andar se nikal mere hathon me jagmaga rahe beam ke saath mil aage badhi aur sidhe VIDEOUS ke haathon se takrayi aur aisa hote hi uske haathon se lipte woh kaalr dhuen joki uske teeno DEVOTEES the,unke andar ek dhamaka hua aur woh VIDEOUS ke haathon se chhitak kar apne asli swaroop me aate hue door jaa gire..

wahin VIDEOUS ki toh haalat hi kharab ho chuki thi...

uske sharir ke upari vastra lagbhagh pure hi fath gaye jinke andar uski shaktishaali body bhi lagatar fathne lagi..


haan fathne ke baad uske body heal bhi ho rahi thi par heal se zyada tezi se naye cuts padh rahe the uski body par jisse asahaniya pida uthne lagi thi VIDEOUS ke sharir par..

par is dard ke beech VIDEOUS ke chehre par zamane bhar ki hairani thi jisse woh mujhe dekhte hue dekh raha tha..

mere is nayi release ki hui shakti ko saaf mehsoos kiya tha usne aur yahi uski hairat ki wajah thi..

saath hi saath har guzarte hue pal ke saath apne pure zor ko lagane ke baawjud bhi uske ghutne mudne lage the...

wahin door chhitakne ke baad teeno DEVOTEES ko wapas khade hone tak me dikkat ho rahi thi..

is beech VIDEOUS ke ghutne pure mood chuke the jiski wajah se woh pehle toh zameen par baith gaya par phir turant hi shakti ke abhaav aur mere rays ke prabhav se neeche gir pada...

jahan ek taraf ab VIDEOUS ki haalat itni buri ho chuki thi ki woh apne haath pair bhi nahi hila sakta tha wahin dusri taraf is haalat me aane ke baad bhi mere release kiye gaye power ki wajah se woh behosh bhi nahi ho paa raha tha..

aur jab teeno DEVOTEES ne apne master ki ye haalat dekhi toh woh jaan gaye ki agar aisa hi kuch der aur hota raha toh VIDEOUS ek aise mental state me pahunch jaayega jahan se wapas aane me usse kaafi waqt lagega aur isiliye..


1ST DEVOTEE-rook jaao RAAZ... tum jeet chuke ho.. release kar do master ko apne power beam se..

2ND DEVOTEE-haan RAAZ..ye tumhare aur master ke beech ki nirnayak ladhayi nahi hai..isme tum inhe maar nahi sakte...

3RD DEVOTEE-agar tumne apna assault nahi roka toh master khatm toh honge nahi par haan,aise state me zaroor pahunch jaayenge jahan se unhe wapas aane me kaafi waqt lag jaayega..

isse tumhe toh koi faayda hoga nahi par jab bhi LORD loutenge,baaki sabko bohot nuksaan ho jaayega.

1ST DEVOTEE-haan RAAZ... mat bhulo ki ye kahani hamare LORD ke hisaab se hi chalegi...

aur agar inhe zyada aghaath pahuncha toh ye is kahani ke niyam phir se badal denge jisse sabse zyada nuksaan tumhe hi hoga...


is waqt meri nazar un teeno DEVOTEES par hi thi jinki zubaan se dhamki nikal rahi thi par aankhon me apne master ke liye dar saaf dikh raha tha aur mujhe ye dar ACHA LAGA...

isiliye chehre par muskaan liye maine apne haath ko niche kar liya jiske baad VIDEOUS ke sharir par meri power beam padni band ho gayi..

jahan ye dekh teeno DEVOTEES ne raahat ki saans li wahin VIDEOUS ke sharir me abhi bhi mere waar ki wajah se halke halke jhakte lag rahe the..

uske saare cuts kaafi speedily thik ho rahe the aur mujhe maalum tha ki jaise hi uska sharir pura thik hoga,uska mind shaant hokar usse behosh kar dega..

bas kuch hi seconds bache the VIDEOUS ko behosh hone me isiliye mai uski taraf badh gaya..

aur mujhe apne master ki taraf badhta dekh teeno DEVOTEES ke chehre par ek baar phirse tention dikhne lagi..

aur isiliye woh teeno latte patte khade hue aur VIDEOUS ke paas jaakar khade ho gaye aur..


1ST-stop RAAZ...

MAI-nahi toh...


meri baat sun mooh se kuch nikal hi nahi paaya un teeno ka...

wahin un teeno ke chehre par aayi bebasi ko dekh...


HAHAHAHAHA.....


ek baar zor se hasa mai aur phir un teeno ko dekh hile mere honth...


MAI-daro mat.....



maine toh bas dikh rahi gandagi ko SAAF KIYA....

chuppi kamzori ko be-pardaaye LIHAAF KIYA.....

tumhari dhamki me chhupa dar acha laga mujhe, isiliye.....

jao,aaj tumhare BAAP ko uske BAAP ne MAAF KIYA.....














AAJ KE LIYE ITNA HI.....













AAPKA APNA V....J.....
Zabardast update dost
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION KE FINAL SEGMENT ME JAHAN EK TARAF BRAWNY, SLUNDER,ANWIR AUR MORANA KO HARA DETE HAIN,DUSRI TARAF HIDA MABBA KO HARA DETI HAI, TEESRI TARAF MAHI ALFREEN KO HARANE KE BAAD EK ANJAAN RAY KE LAGNE SE KHUD BHI BEHOSH HOKAR COMPETITION SE BAHAR HO JAATI HAI WAHIN CHOWTHI TARAF RAAZ AUR VIDEOUS KE FIRST FACE OFF ME RAAZ VIDEOUS KO HARA DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-104



PLANET- ELYSIAN


PLACE-STADIUM





UNBELIEVABLE.... ABSOLUTELY BRILLIANT......CHOSENS KE 25 THOUSAND YEARS KE ITIHAS KA YE BEST EXERTION RAHA HAI...


kaafi der tak pin drop silence rehne ke baad ye pehli baat thi joki EXERTION ke sutradhaar matlab REGIS ke mooh se nikli thi...

chaliye,aage badhne se pehle is pin drop silence ka RAAZ jaan lete hain..

waise reason kaafi normal aur jaayaz hai...

VIDEOUS ke behosh hote hi woh bhi gayab ho competition se bahar ho chuka tha aur ussike saath RAAZ and company ke liye ye competition bhi khtam ho chuka tha jiske baad...

MIDDLE GROUND....ek saath uccharit kiya tha ye shabd maine aur mere doston ne jiske baad hum sabhi wapas stadium me pahunch chuke the par jab hum as winners pahunche,toh normally aise mouke par jo taaliyan aur hooting bajti hai,woh nahi baji..

reason...

baaki sabhi SAVENTS joki EXERTION se behosh hokar out hue the,woh sab toh hosh me aakar normally khade hue the par un sab participants me 6 logon ab bhi behosh the...

VALDIS,MAHI,MABBA ANWIR MORANA AUR VIDEOUS...

par jahan VALDIS MAHI aur MORANA bas behosh hi lag rahe the,wahin VIDEOUS ki haalat thodi kharab thi...

uske kapde bohot jagah se phat gaye the aur uske sharir se mere SPELLS ke asar se ab bhi dhuan nikal raha tha...

haan uski healing process on thi par mere GOD GIFT powers ke release aur usse touch hone ki wajah se naa sirf woh process kaafi slow ho chuki thi balki saath hi VIDEOUS ke behosh chehre par bhi dard ki lakeeren saaf dekhi jaa sakti thi...

aur ANWIR ki haalat bhi dekhne layak thi..

woh tha toh behosh par dekhne se aisa lag raha tha maano mar chuka ho...

aankhen puri band nahi hui thi aur jo aankhon ka halka hissa khula hua tha,woh kisi murde ki tarah palta hua tha....

wahin sabse buri haalat thi MABBA ki... skeleton ke bahar nikal wapas jism ke andar jaane ki wajah se uske dono haath piche ki taraf ghume hue the..

neeche zamin par pade hone ke baad bhi uski kamar upar ki taraf uthi hui thi maano neeche koi adrishya takiya rakha gaya ho...

gardan bhi aise thedhi hui thi jaise kisine uski gardan tod di ho...

pure sharir ke alag alag bhaagon se khun rees raha tha jaa jo iske kapdon se hote hue khule bhaagon se bahar nika raha tha..

honth ke side se mirgi patient ki tarah jhaag nikal rahi thi aur behosh hone ke baawjud uska sharir halka halka kaamp raha tha...

uski waisi haalat dekh wahan khade sab naa sirf dar gaye the balki unhe andaza ho gaya tha ki usse kis level ka pain jhela hoga...

kuch WICKEDS bhi the wahan moujud the jo ANWIR aur unki favourite WHIZZ MABBA ki haalat dekh dar gaye the...

aur yahi sab dekh WHIZZES, WHIZZDERS aur stands me baithe sabhi parents shocked aur dar se gaye the...

wahin teeno SOVES jaante the ki jab tak ye behosh SAVENTS aur MABBA yunhi stadium me rahenge tab tak parents normal nahi ho paayenge aur isiliye...

MAHI, VIDEOUS, ANWIR aur MORANA ki bodies ko unhone unke ABODES me gayab kar pahuncha diya aur MABBA ki body apne aap gayab ho gayi jisse dekh woh teeno samajh gaye the ki ye kaam uski behen ne kiya hai...

khair,un 6 logon ke gayab hone ke baad us chhayi hui khamoshi ko ab REGIS tod chuke the aur isiliye apni baat ko aage badhate hue

REGIS-jo results aaye hain,waisa kuch kabhi hoga,woh kisine kabhi bhi nahi socha tha...

aisa pehli baar hua hai ki STELLARS kisi competition me first toh door ki baat hai, second tak nahi aa paaye hain wahin WEAKLINGS PHASE 2 ke sabse bade competition EXERTION me first aaye hain aur woh bhi ek lambe margin se...

brilliant....

aur ab mai chahunga ki hamare teeno SOVEREIGN'S WEAKLINGS ko is competition ke CHAMPIONS declare kar unhe winners TROPHY apne haathon se den...


jahan REGIS ki baat sun teeno SOVES stage par aakar khade ho gaye jiske beech abhi ek bohot badi si chamchamati trophy rakhi hui thi wahin REGIS ne jo bhi kaha,usse sun stands me sabhi parents aur yahan ground me khade saare SAVENTS clap karne lage the.

in SAVENTS me ACCHUTA aur SLUNDER bhi shaamil the joki aaj second position me the par phir bhi bohot khush nazar aa rahe the..

khair,us TROPHY ke paas pahunch....


SHAILA-WEAKLINGS...aapke performance ki taarif me jitne shabd kahe jaa sakte the, REGIS pehle hi keh chuke hain..

waise bhi EXERTION jaise deadly competition me naa sirf survive karna balki itne strong opponents ko harate hue bina kisi pyscical damage ke saath yahan khada hona bohot badi baat hai...

you really are CHAMPIONS...aur jab mai champion keh rahi hun toh ye shabd sirf WEAKLINGS ke liye hi nahi balki GROOMERS se bhaag liye ACCHUTA aur SLUNDER ke liye bhi hai kyunki in dono ne bhi naa sirf pure competition me behatarin perform kiya hai par saath hi KNOCK OUT challenge ko apne catagory me bas in dono ne hi successfully paar kiya hai...

aur isiliye prize ke hakhdaar ye dono bhi hain...

so all the members of WEAKLINGS and with them ACCHUTA, SLUNDER, come on stage....


jahan SHAILA ki baat sun baaki sab behadh khush dikh rahe the wahin ALFREEN halka sharminda feel kar rahi thi kyunki hamare catagory me bas ek wahi thi jiska performance baaki members jitna strong nahi tha...

yahi reason tha ki SHAILA ke bulane par baaki sab toh stage ki taraf badh gaye par ALFREEN apni iagah par hi sir jhukaye khadi rahi jisse dekh mai uske paas gaya aur...


MAI-ALFREEN....haar ho yaa jeet...ye matter nahi karta ki kaise hui hai...matter bas result karta hai..

aur result yahi hai ki tum winner ho...that sit...admit it,feel it & own it...

chalen..!!!


haath uski taraf badhate hue kahi maine ye baat jisse sun muskurate hue dekha usne mujhe aur mera haath pakad stage ki taraf badh chali..

ye sab stands par baithe FLORIN aur MARIA bhi dekh rahe the aur is waqt unke face par garv aur aankhon me khushi ke aansu the..

waise khushi ke aansuon ka stock un dono ke baaju mai baithe BRAWNY ke parents NAOMI aur SHALTON ke paas bhi tha jo is waqt behadh garv ke saath apne bete ko stage me ek winner ki tarah khade hote dekh rahe the aur ye khushi aur garv us waqt chaar guna aur badh gayi jab mere aur ALFREEN ke stage me chadhne ke baad hum sabne us TROPHY ko lift kiya...

jahan mai trophy ko hold kar normally hi khada raha wahin kuch der baad jab ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko unki khushi bardasht nahi hui toh un teeno ne trophy ko thaame hue idhar udhar zoron se hilte hue ek tarah ka dance hi shuru kar diya tha jisse dekh sabki hasi nikal gayi thi....

khair, taaliyon aur hooting ke beech kuch der wahin stage me khade rehne ke baad hum sab neeche utarne hi waale the ki tabhi...


AKSHAANT-one minute SAVENTS...aap sabka performance sirf ek TROPHY deserve nahi karta balki aap sabki hi tarah kuch extra ordinary gifts bhi deserve karta hai jo ab aapko milega isiliye fall in line....


AKSHAANT ki baat aur gift ke baare me sun sabhi behadh excitement ke saath ek dusre ke left right me khade hote hue ek line alignment kar chuke the aur aisa hone ke baad teeno SOVES right end ki taraf jahan BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER khade the, unke saamne jaakar khade ho gaye aur apne apne haath unke aage kar diya aur unke aisa karte hi unke hatheliyon par ek ek DECANTER aa gaya jisse unhone un teeno ki taraf kar diya...

(DECANTAR-3 inchi perfume ki transparent shishi.is DECANTER me fark bas itna tha ki iske upari bhaag me sprayer ki jagah knob tha)


khair,DECANTAR ko apne haathon me thaam woh teeno aakhon me sawal liye teeno SOVES ko dekhne late jispar...


SHAILA-is DECANTAR ke andar ka perfume sirf ek baar hi bahar nikal sakta hai...

saath hi iske andar ek ek note hai jo tum teeno se related hai...


SHAILA ki baat sun woh teeno us DECANTAR ke knob ko kholne lage par aisa karte waqt unhe aascharya hua..

reason...

woh knob ghuma hi nahi..unhone taakat bhi lagayi par natija same raha jisse dekh jab unhone teeno SOVES ko dekha toh...


MOKALSAR-is DECANTAR ka knob sirf tabhi khulega jab iske khulne ka sahi waqt aayega...


ye bol MOKALSAR baaju me taraf gaye jahan HIDA khadi thi...


MOKALSAR-aaj aapne jo performance di hai,usse aapne saabit kar diya ki PHASE 2 me tumse behtar koi WHIZZ nahi hai..

isiliye like your SAVENT BRAWNY,aap ab se WEAKLINGS ki nahi balki STELLARS ki WHIZZ hain...

ye baat MOKALSAR ne zor se kahi thi jo ground me khade sabhi SAVENTS ne bhi suni aur anouncement ko sun woh sabhi kaafi khush hokar HIDA ke naam ki chanting karne lage..

pehle MOKALSAR ki anouncement aur ab apne naam ka chant sun HIDA kaafi emotional hone lagi thi par kisi tarah woh khud ko sambhaale hue thi...

khair, MOKALSAR jab HIDA ke saamne khade the tab AKSHAANT unhe cross karte hue ALFREEN ke paas jaakar khade ho chuke the aur jaise hi MOKALSAR ki baat khatm hui toh unhone ALFREEN ke aage apna haath kar kar diya jisme is waqt ek average size ka FLASK tha jiske andar paani jaisa hi liquid bhara hua tha jisse thaam jab ALFREEN ne AKSHAANT ki taraf dekha toh...


AKSHAANT- jab paani bhi tumhari pyaas naa bujha paaye tab iske andar ka paani tumhe rahat pahunchayega...

isse sambhal kar rakhna...


AKSHAANT ki baat ka matlab toh ALFREEN nahi samajh paayi par phir bhi usne haan me apna sir hila diya..


issi beech SHAILA mere saamne khadi ho mujhe muskurate hue dekh rahi thi aur fir jaise hi AKSHAANT ki baat khatm hui toh unhone apna haath saamne ki taraf lehraya aur unke aisa karte hi unke aur mere beech hawa me hi ek 3 inch ka red metal box aa gaya jisse garm bhaamp sa nikal raha tha..

us bhaamp ko mehsoos kar hi hum sab samajh gaye the ki ye metal box kitna garam hoga...

khair,jaise hi box hawa me prakat hua toh..


SHAILA-tumhare sarvshrestha performance ke liye inaam hai ye RAAZ...

hold karo isse...


jahan SHAILA ki baat sun hairan ho gaye sabhi wahin maine bina kuch soche us box ko pakad liya...

par shocking baat ye thi ki mujhe woh boz bas maamuli sa hi garam lag raha tha..

khair,mere box ko pakadte hi...


SHAILA-is box ko tumhare alawa koi nahi chhu sakta..

agar koi kosish kare toh uska haath jal kar raakh ho jaayega...

anyways, is box ke andar jo bhi chiz hai,usse akele me dekhna par woh kis kaam aa sakti hai,woh tumhe figure out karna hai....

SHAILA ki baat par haan me sir hilaya maine jiske baad ek baar phirse hum sab ko badhayi dete hue SOVES ne aaj ka day off ghoshit kar diya...

aisa hote hi hum sab stage se neeche utre..

jahan stage se utar haathon me TROPHY ko pakad BRAWNY sidhe apne parents ki taraf badh gaya wahin ALFREEN bhi apne mom dad ke paas chali gayi....

usne mujhe bhi chalne ko kaha tha par maine baad me milne ka bol usse jaane diya....

aur is beech BRAWNY apne mom dad ke paas pahunch gaya jispar...


SHALTON-proud of you son....


apne bete ko gale se lagate hue kahi ye baat SHALTON ne..

SHALTON ke baad NAOMI ne bhi pehle apne bete ka maatha chuma aur phir usse apne seene se laga liya...

aaj najaane kitne arse ke baad dil se khush the SHALTON aur NAOMI aur woh khushi unke chehre par saaf dikh rahi thi aur us khushi ko unka beta BRAWNY bhi mehsoos kar behadh khush ho gaya tha..

khair,kuch pal baad jab BRAWNY apni mom dad se alag hua toh usne apne haathon me pakdi trophy un dono ke aage kar di jisse behadh garv ke saath un dono ne thaam liya...


GARV...yahi toh woh expressions the jo najaane kab se BRAWNY apne liye apne mom dad ke face par dekhna chahta tha aur aaj jab uski ye khwahish puri hui toh usne nazar ghumate hue meri taraf dekha..

is waqt uski aankhon me mere liye bohot zyada samman tha aur ye feeling SHALTON aur NAOMI se bhi chhupi naa reh paayi aur isiliye...


NAOMI-beta ek baat puchun...???


NAOMI ki awaaz sun BRAWNY apne mom dad ki taraf palta aur apni mom ko dekh woh unke sawal ko bhi samajh gaya...


BRAWNY-RAAZ ke baare me puchna chahte hain naa aap dono...???


BRAWNY ke sawal par haan me sir hilaya un dono ne jiske baad...


BRAWNY- mom dad..i know ki jo kuch bhi usne aap dono ke saath kiya,uske liye aap dono ke hi man me uske liye bohot kadwahat hai aur aisa hi kuch kuch waqt pehle tak mere man me bhi tha..

par ajeeb baat ye hai ki RAAZ bhi yahi chahta tha ki mera man uske liye ghusse ki aakhri hadh tak bhar jaaye aur isiliye hi usne aap dono ke saath bura vyavahar kiya tha...


BRAWNY ki baat sun uske mom dad chownke aur..


SHALTON-matlab...!!!!

BRAWNY-details toh mujhe bhi nahi pata par jitna jaanta hun,bata deta hun..

darasal kuch SAVENTS me special talent hota hai jisse bahar laane ka tarika bhi kaafi unique hota hai..

mere maamle me mere chuppe kaabiliyat ko bahar nikalne ka tarika anger aur frustration tha..

aisa frustration jiske aage life bhi choti lage..

RAAZ ye baat jaanta tha...aur mere pichle PHASE se is PHASE ke safar ko dekh usse is baat ka bhi andaza ho gaya tha ki life and death level ka frustration mujhe meri insult hone se nahi niklega..

waisa karne ke liye bas ek hi tarika tha aur woh tarika tha aap dono ki insult..

ek aisi insult jo mere bardasht ke bahar ho aur aisa hua bhi...

aap dono ke insult se mere andar ka rage mere hidden talent ko saath dhakelte hue bahar aa gaya...

aur phir RAAZ ne hi us talent ko nurture karne me meri madad ki jiska result aaj aapke saamne hai...


RAAZ ko unke bete ke andar chuppe talent aur us talent ko bahar nikalne ka tarika kaise pata chala,ye sawal SHALTON aur NAOMI,dono ke hi man me aaya tha par phir jiska naam hi RAAZ ho,uske baare me RAAZ janana asaan toh tha nahi...

aur saath hi jo baat sabse important thi,woh thi BRAWNY ki tarakki isiliye saare sawalon ko dimag se jhatak SHALTON aur NAOMI apne bete ki kaamiyabi par uske saath milkar khush hone lage....

wahin same waqt par jab ALFREEN aur BRAWNY apne apne parents ke paas gaye, toh mai apne ABODE ke liye nikalne hi waala tha ki tabhi....


RAAZZZZ....????


mere naam ko ek unsure sawal ki tarah pukara mere piche se kisi ne jisse sun jab mai piche palta toh mere saamne first PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS OPHILIA, VIOLET,NOX aur OMMIN khade the..

darasal PHASE 2 ki activities aur life style PHASE 1 ke WHIZZES aur WHIZZDERS ko pata nahi chalta hai..

pichle PHASE me mere gayab hone aur phir PHASE khatm hone ke baad mera zikr tak unme se kisike saamne nahi hua tha...

par EXERTION se pehle in chaaron ki mulakat EDWINA se hui thi jinhone PHASE ke baare me batate waqt baaton
hi baaton me mere zikr kar diya jisse sun woh chaaron hairan ho gaye..

aur uske upar mere is PHASE ke achievements ko sun toh unhe yakin hi nahi hua tha aur isiliye aaj woh chaaron yahan mujhse milne aaye hue the..

PHASE 2 me bhale hi aaj EXERTION tha par PHASE 1 me toh regular classes chaalu the isiliye apni classes khatm karne ke baad woh chaaron yahan aaye the aur us waqt hamara knock out challenge on tha...

competition ke baad stage me jab unhone mujhe dekha yaa phir ye kahun ki mere badle hue swaroop se rubaroo hue toh unhe laga jhatka..

aur phir jab mujhe trophy mila aur SHAILA ne mere performance ki taarif ki toh un chaaron ke ek baar phirse bohot zyada shock laga..

aankhon se sab dekhne ke baad bhi woh unsure se the aur isiliye mere paas aane ke baad bhi ek unsure awaaz ke saath mera naam pukara tha OPHILIA ne...

jisse sun jab mai unki taraf palta toh unke sawal ki hairani unke aur baaki teeno ke face par bhi dikhne lagi..

reason...

ab hairan toh hona hi tha...kahan pichle PHASE ka woh dubla patla saawla dabbu sa ladka aur kahan woh ladka jo is waqt un sabke saamne tha joki us purane RAAZ ka complete contrast tha...

khair,un chaaron ko dekh ek smile aa gayi mere chehre par aur...


MAI-mujhe mera naam bata rahi hain yaa phir puch rahi hain...???


pehle mera badla hua roop,uske baad mera smile karna,joki last PHASE me maine kabhi nahi kiya tha,ye sab dekh unka doubt aur gehra hone laga tha par meri awaaz sun aur usse pehchaan jaise unke mere RAAZ hone ka 90 percent doubt chala gaya tha...

aur isiliye....


OPHILIA-tum batao..itna change toh sirf magic se hi ho sakta hai koi toh aise me doubt toh hoga hi naa...

dimag toh maan bhi le par dil nahi maan raha ki tum wahi RAAZ ko jisse hum jaante the...!!!!

MAI-hahaha...ek kaam kijiye...apni aankhon se meri taswir kheench uske reel ko dil me utaar lijiye...

jo dhadkan khudke ehsaas ko chhupane lage toh dil ko yakin ho hi jaayega ki taswir ka maalik RAAZ hi hai...


ek baar phirse meri baat sun aankhen badi aur mooh khul gaya tha un chaaron ka...

jahan aaj se pehle jab bhi un chaaron ne mere mooh se kuch suna tha toh woh katu vaani hi hua karti thi wahin aaj bol mere shayraana the aur lehza ashiqana...

itna mitha bhi bolunga mai kabhi,ye socha nahi tha un chaaron ne..

haan par tab me aur ab me ek baat common bhi thi aur woh ye ki tab meri kahi kadwi baaton ka bhi jawab un sabke paas nahi hota tha aur ab mere diye mithe tark ka bhi tod nahi tha unke dimag me..

khair,hum paanchon me se koi baat ko aage badhata ki tabhi...


RAAZ....!!!!!


ek baar phirse mere piche se kisine pukara mujhe par is baar is awaaz me narmi yaa hairani nahi balki ek guraahat thi jisse maine toh sirf suna tha par mere saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne jab mere piche khade shaksh ko dekha toh naa sirf woh sab hairan hua balki un chaaron ki haalat bhi kharab ho chuki thi..

wahin un sabke facial expressions dekh mere face par phirse ek smile naach uthi aur mai dheere se palta piche aur dekha ki mere saamne kuch door par kaale labaade me dhaki ek behadh white skin ki milkiyat liye lady khadi hai...

kareeb 5.10 inch lambi behadh khubsoorat lady jiske chehre par ghamand aur rubaabh saaf jhalak raha tha...

aur apne teekhe nain naksh aur badi kaali gehri aankhon ke saath woh mujhe hi ghoor rahi thi..

khair,jaise hi mai us lady ki taraf palta toh ek pal aur unhone mujhe ghoora par phir unki nazar mere piche khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS par gayi joki ek ishara tha jisse un chaaron ne turant samajh liya aur agle hi pal woh sab wahan se gayab ho chuke the aur jab aisa ho gaya toh us lady ki anzar wapas mujhpar aakar tik gayi aur tabhi...


MAI-chehre par naarazgi par aankhon me dard, har pal badalte bhaavon ke beech ek thehri hui fikrmandi...

aisa toh tab hi hota hai jab koi apna yaa toh mar gaya ho yaa phir mout jaisi haalat me ho aur saamne woh banda khada ho jisne us apne ko us haalat me pahunchaya hai..

aur agar mera ye calculation sahi hai jo hamesha hota hi hai toh aap SEBIL hain, MABBA ki SISTER....


meri baaton ko sun ek pal us lady ke aankhon me zalzala sa aaya par phir khudko normal kar woh chalte hue mere paas aayi aur thik mere saamne aakar khadi ho gayi...

shaant aankhon ke piche se uski mere liye umad rahi nafrat jhaank rahi thi jisse dekh meri smile aur gehri ho gayi..

wahin kuch der mujhe dekhne ke baad...


SEBIL- tumhara calculation toh wakayi sahi hai par life me pehli baar SEBIL se kisiki taakat ko toulne me galti hui hai jiska natija uski behen ne bhugta hai...

par haan,mai ye bhi nahi maan sakti ki ek PHASE 2 ka SAVENT MABBA jaisi strong sorcerer ko naa sirf maat de de par saath hi usse us condition me pahuncha de jisme woh abhi hai...

EARTH PLANET se aaya ek anath ladka jo achanak se hi PHASE 1 me gayab ho gaya tha aur phir jab louta toh uski puri kaaya hi badal gayi...

is kaaya palat ke piche chuppe RAAZ yaa phir background ko bina jaane MABBA bhid gayi tujhse aur yahi uski galti thi...

par uski hi tarah tune bhi same galti kar di... MABBA se bhidne se pehle tujhe uske piche kaun khada hai,ye ache se jaan aur samajh lena chahiye tha...

woh rishte me behen thi meri par rakha maine usse apni bacchi ki tarah tha jiske jism par halki si kharoch bhi bardasht nahi thi mujhe aur tune toh usse ek tadapti mout si zindagi de di...

uske sharir ke baahri ghaav ke saath usse hamesha ke liye tadapne waale andruni zakhm bhi diye hain tune....

aur ye kar tune apne liye jeeteji HELL chun liya hai ladke...

tere sharir aur aatma ke har hisse ka khandan kar dungi mai...aisi haalat ho jaayegi teri ki taklif shabd ko bhi bepanaha taklif mehsoos hone lagegi....

kuch waqt jee le tu DHANG se,phir toh sukoon ko nikal jaana hi hai tere ANG ANG se....


apni baat keh us baat ke asar se meri aankhon me dikhne waale khouf ko dhundne lagi SEBIL par jo bhaav mujhme hai hi nahi woh bhala nazar kahan se aaye..

khair, SEBIL ki baat sun ab maine uski aankhon me jhaanka aur...


MAI-RAAZ...is naam ke piche ka ek RAAZ ye bhi hai ki tu jis HELL ki baat kar rahi hai,woh bhi is naam ko sun apna thikana badal leti hai...


mujhse takrakar hi teri behen ne apni bigdi HAALAT kar li...

aur sikhne ki jagah tune bhi uski tarah mujhse BAGAWAT kar li...


par isme teri bhi kya galti...ab kutte ki tedhi dum ke baare me duniya jaanti hai aur misaal deti hai,bas kutta hi hai jo apni is bewakufi se anjaan hai....

aur jis waqt ki tu baat kar rahi hai, woh mere liye nahi balki tere liye ek vardan ki tarah hai...

apne mastishk ke chakshayu ko khol man ki aankhon se apni behen ki haalat ko dekh aur tay kar apni niyati...

agar is dauran buddhi brasht karne waala sarp naa dase tujhe toh apni raah par chalte rehna par agar chutiyape ki goli hazam kar li tune toh aa jaana hamari gali...

vaada hai RAAZ ka,swagat me koi kami nahi rahegi...

par haan,mera raasta kaatne se pehle apni shakti ka aakhri kan tak ikattha kar lena kyunki...



tera kade se kada waar bhi RAAZ ke liye NARAM HI HOGA.....

par mera waar jhelne ka DUM tujhme KAM HI HOGA......

aage badhe pair piche hath sakte hain.....

par jo meri taraf chali tu,toh woh teri zindagi ka AAKHRI KADAM HI HOGA.....














AAJ KE LIYE ITNA HI......














AAPKA APNA V....J......
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO SOVES RAAZ AND FRIENDS KO UN SABKE EXERTION ME BEHTARIN PRADARSHAN KE LIYE TROPHY AUR HAR EK KO INDIVIDUAL GIFTS DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR SEBIL EK DUSRE SE PEHLI BAAR MILTE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-105



PLANET-GALEN


PLACE-CELESTE MOUNTAIN







YE BABA BHI MUJHE KAHAN KAHAN BHEJTE REHTE HAIN HAIN....???


BABA BHEJTE HAIN....!!!!!JADIBUTIYON AUR DUSRI HEALING SUBSTANCES KA NAAM SUNTE HI TERA MAN KHUDBAKHUD KHEENCHATA HAI USKE MILNE WAALI JAGAH KI TARAF...

AUR YAHAN BHI USSIKE LIYE AAYI HAI TU....


khudse hi sawal aur shikayat kar aur phir khudhi se hi khudko jawab dete hue kahi ye saari baat ek ladki ne...

subah ka waqt hai...aur is waqt woh ladki sir se lekar pair tak alag alag kapdon ke layers se dhaki hui thi...

reason...

CELESTE naam ke jis pahad me woh is waqt chal rahi thi,ye ek barfila pahad tha jisme filhal is waqt behad thandi hawayein chal rahi thi..

zyada uncha pahad nahi tha ye,par haan,lambayi iski kayi kelometres tak faili hui thi aur pichle 1 ghante se lagatar chalte rehne ke baad bhi yahan par padne waali sardi ki wajah se us ladki ke sharir me zyada garmi nahi chadh paayi thi...

ek LINER BALACLAVA joki sir se lekar gardan ka ka innerwear hota hai aur behad garm bhi,usse pehna hue tha us ladki ne...

sharir par bhi teen layers chadhaye hue the usne jisme sabse upar tha PUFFY JACKET jo filhal gale tak bandh tha..

fur ke hand gloves aur pairon me insulated winter boots pehne woh ladki badi tezi se us barf se dhake mountain par chadhi jaa rahi thi ki tabhi...

GRRRRR.......

ek ajeeb si awaaz ne us ladki ke tezi se badhte kadamo ko jaise ek jhatke me rok liya tha..

par uske pairon ke rukne ka kaaran awaaz nahi balki us awaaz ke piche jhalak raha dard tha jisse sun kar ansuna nahi kar paayi woh ladki aur uske kadam turant hi apne left ki taraf mood gaye jahan se woh awaaz aayi thi...

tezi se aage badhti hui woh ladki kuch aage hi gayi thi ki tabhi uske kadam ek baar phirse rook gaye..

reason...

usse thode hi aage ek bohot bada sa SNOW LEOPARD barf me gira pada hua tha...

ye ek gigantic WHITE LEOPARD tha jo kareeb 10 feet lamba aur 6 feet upar ki taraf utha hua tha...

is waqt uske pet se thoda neeche ek spere jaisa bada hathiyar ghusa hua tha jiski wajah se woh chhatpata tha hua barf par gira apni antim saansein le raha tha...

us spear ko dekh woh ladki saara maajra samajh gayi....

darasal mountain ke dusri taraf yahan se kareeb 10 km door ek shikari kabila rehta tha aur uske hi logon ne joki bohot hi khatarnaak aur daksh shikari hote hain, us leopard par humla kar uske andar ye spear ghusaya tha..

par yahan ke leopard bade se bade ghaav ko jhelte hue bhi kaafi der tak tezi se doud sakte hain aur isiliye hi ye leopard yahan tak pahunch paaya tha aur jab usse laga ki woh un shikariyon ki pohonch se door nikal aaya hai toh apne dard ka izhar karte hue jisse us ladki ne bhi suna tha,neeche gir gaya....

khair,uski aisi haalat dekh kar us ladki ko bohot bura laga aur usne turant apne kadam us leopard ki taraf badha diye..

wahin dheere dheere band hoti hui aankhon ke beech jab us leaopard ne kisi shaksh ko apni taraf aate dekha toh us bigdi haalat me bhi darane ke udeshya se halka sa gurra utha jisse sun us ladki ke chehre par smile aa gayi...

woh ruki nahi aur kuch hi palon me woh us leopard ke saamne baithi uske sir ko sehlane lagi...

us leaopard ko abhi bhi apne saamne baithe shaksh me ek dushman hi nazar aa raha tha jo uski buri haalat ka faayda uthane aaya hua tha..

yahi wahah thi ki us ladki ke usse chunne se woh apni bachi hui jaan aur shakti ko laga hilne dulne laga...

woh ladki bhi us leaopard ke dar ko samajh chuki thi aur isiliye...


LADKI-shhhh......daro mat shaant ho jaao....mai dushman nahi dost hun...mera naam ERRAPEL hai....


jaise hi us ladki ne naam bataya,woh leopard bilkul shaant ho gaya.uska chhatpatana band ho gaya aur woh tukoor tukoor apne saamne baithi ladki ko yun dekhne laga jaise usse barso se jaanta ho...

us leopard ki is harkat par ERRAPEL bhi halki muskura di jispar...


OOONNNN......


ek ejeeb si awaaz nikaal wo leopard ERRAPEL ke pair me apna sir ragadne laga maano keh raha ho ki usse bohot dard ho raha hai....

uski is harkat par ERRAPEL par uspar behadh pyarbbhi aaya aur uski is kashtdayi situation par daya bhi aayi aur...


ERRAPEL-toh tum mujhe jaante ho..fikr mat karo...kuch nahi hoga tumhe....

kuch hi palon me puri tarah thik ho jaaoge tum...

ye bol ERRAPEL ne apne PUFFY JACKET ki chain ko khola aur aisa kar usne apne haath andar daal ek choti sa pocket bag,jo usne apne jacket ke andar rakha hua tha,usse bahar nikala...

ERRAPEL ne us pocket bag ke chain ko bhi khola aur uske andar se do choti choti jadibuti nikali..

ek haath me dono jadi buti ko pakadte hue usne apne dusre haath se us spear ko pakda aur...


ERAPPEL-thoda sa dard hoga dost....jhel lena...


ye bol ek jhatke se u spear ko bahar kheench liya ERRAPEL ne aur uske aisa karte hi dk saath do chizen hui...

pehli....

ek dakar si nikli us LEOPARD ke mooh se joki saboot tha uske asahaniya dard ka aur dusri....

woh khoon jo us spear ki wajah se rooka hua tha, spear ke nikalte hi bhalbhala ke wahan jama khoon bahar nikalne laga...

wahin spear ko nikaalne par jaise hi leaopard ne dakar maari aur uska mooh khula toh ERRAPEL ne ek jadibuti ko turant uske mooh me daal diya aur aisa karne ke agle hi pal usne dusri jadibuti ko uske pet ke us bhaag me jahan se khoon nikal raha tha,uspar malna shuru kar diya...

us jadibuti ko zakhm par malte hue ERRAPEL kuch mantra budbudane lagi thi...

usse aisa karte hue kuch hi seconds beete the ki tabhi uske haathon ke neeche bane zakhm me ek white roshni ujagar hone lagi...

same roshni us leopard ke mooh se hote hue uske andar bhi jagmane lagi jahan pehli jadibuti gayi thi....

kuch pal yunhi enchant karne ke baad ERRAPEL ka mooh band hua aur woh khadi ho gayi..

abhi usse khade hue 30 second bhi nahi hua tha ki tabhi us LEOPARD ke saare ghaav us second jadibuti aur usse utpann roshni rupi urja se puri tarah bhar gaye aur saath hi saath jo pehli jadbuti uske mooh se hote hue uske andar gayi thi,usne bhi apna kaam kar diya tha...

jo blood loss us LEOPARD ko hua tha,woh wapas bhar gaya tha aur saath hi us spear ke nok me mile zeher ka bhi prabhav khatm ho chuka tha...

ek nayi urja bhar chuki thi us LEOPARD me aur isiliye woh jhat se apne chaaron pairon par khada ho chuka tha..

khade hote hi us leopard ne apna sir ERRAPEL ke kadmo me jhuka diya jisse dekh muskura uthi ERRAPEL aur...


ERRAPEL-ab tum pehle se zyada shaktishaali ho dost....saath hi jadibutiyon ki atirikt urja ki wajah se tumhare sharir ka bahari khaal aur saath hi anduri self heal ki shakti bohot zyada badh gayi hai...

ab koi bhaala aur aam shashtra tumhe aghaat nahi pahuncha paayenge....

par ye nayi shakti tumhe isiliye mili hai taaki tumhe nuksaan naa pahunchne...

isiliye nahi taaki tum kisi par akaran humla kar apna shakti pradarshan karo...

agar aisa kuch kiya toh mai khud tumhe maar dungi..


behad aaram se kahi thi ye saari baat ERRAPEL ne par uski is nirmal awaaz me bhi ek aisi dridhta aur sacchayi thi jisse sun aur samajh bhi gaya woh LEOPARD...

yahi wajah thi ki ERRAPEL ki baat khatm hote hi uske boots ko chaatkar jaise haami bhari us LEOPARD ne...


ERRAPEL-ab tum jaao dost..mujhe bhi kahin jaana hai aur mai pehle hi der ho chuki hun...


ERRAPEL ki baat sun ek baar phirse uske boots ko chaat woh LEOPARD tezi se ek disha ki taraf chala gaya...

LEOPARD ke jaate hi ERRAPEL ne bhi apne kadam apne manzil ki taraf badhaye hi the ki tabhi...


ERRAPEL.....KAHAN HO TUM....???GHAR LOUTO TURANT....


ERRAPEL ke kaano ne gunji ye awaaz jo thi uske baba ki..

kareeb 5 km door se pukari gayi ye awaaz sun li thi ERRAPEL ne...

khair,apne baba ki awaaz sun....


ERRAPEL-ye baba bhi naa..ek pal chain nahi rehta inhe...abhi toh aur najaane kitne door jaana hai aur ye wapas bula rahe hain mujhe...

par ab baba ne awaaz de di hai toh ghar jaana hi padega...ek kaam karti hun,kal thodi aur subah niklungi ghar se taaki waqt par apne kaam ki jadibuti haasil kar ghar bhi pahunch jaaun...

ye sab soch ERRAPEL ke kadam wapas apne ghar ki disha ki taraf mood gaye....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-MAHI'S ABODE






HOW ARE YOU FEELING NOW MISTRESS....????


MAHI jiski just kuch seconds pehle hi behoshi tuti thi aur woh apne bed par uth kar baithi thi,uske saamne khadi ELUSORY ne usse ye sawal kiya tha...

kuch ghante pehle behoshi ki haalat me jaise hi MAHI ki body yahan uske ABODE me prakat hui toh uski ELUSORY usse turant HEALING ROOM me le gayi jahan ye baat pakki ho gayi ki MAHI bas behosh hai aur kuch der me uski sense wapas aa jaayegi..

ELUSORY ne usse wapas uske room ke bed par leta diya tha jiske baad abhi usse hosh aaya tha....

aur filhal uska sir behadh halka lag raha tha...

khair, ELUSORY ke sawal ko sun...


MAHI-ya i am feeling good...

ELUSORY-MASTER RAAZ aapse milne aaye hain aur abhi hall me baithe hue hain...kya aap unse milna chahengi...???


ELUSORY ki baat sun MAHI jo abhi apna sir neeche kiye hue EXERTION ke waqt yaa phir ye kahun ki RAAZ ke saath compete karte waqt jo feel kar rahi thi,uske baare me hi soch rahi thi tabhi ELUSORY ne ye baat kahi jisse sun bina kuch kahe woh turant apne bed se utri aur hall ki taraf badh gayi....


MAHI-RAAZ...


hall me mai baithe hi hua tha ki tabhi MAHI ki awaaz sun mera chehra uski taraf ghuma aur...


MAI-how are you feeling now....??

MAHI-i am good... great actually...and all thanks to you...tumne apna promise pura kiya...

tumne kaha tha ki EXERTION ke baad mai puri tarah theek ho jaaungi aur wakayi mai ho gayi...

MAI-kisne kaha ki tum thik ho gayi ho....??


meri baat sun halki chownki MAHI aur...


MAHI-matlab...!!!kya mai thik nahi hui...???par i am feeling perfectly ok now...

itne dino me pehli baar mera dimag pura halka lag raha hai...

MAI-woh isiliye kyunki exertion me jo ray tumhe lagi thi,uski wajah se tumhare brain me basi BLACK ENERGY behosh ho gayi hai...

par hai woh ab bhi tumhare andar hi...


meri baat sun pehle toh halki maayus hui MAHI par phir kuch soch...


MAHI-phir mai thik kaise ho paaungi aur mujhe pata kaise chalega ki mai thik ho gayi..???

kyunki tum keh rahe ho ki mere andar ab bhi BLACK ENERGY hai lekin feel toh mai waisa hi kar rahi hun jaisa un books ko padhne se pehle karti thi...

MAI-kya relaxation ke saath koi guilt feel ho raha hai tumhe...!!!!

MAHI-guilt!!nahi..aur is baat ka guilt...???

MAI-jab thik ho jaaogi toh guilt bhi hoga aur us guilt ka reason bhi pata chal jaayega...

MAHI-pata nahi tum kya kya bolte rehte ho...?samajh hi nahi aata...

EXERTION se pehle bhi tumne kaha tha ki competition ke waqt mai tumse baat naa karun par iska reason nahi bataya...

aur abhi kuch der pehle tumne kaha ki mere brain me basi BLACK ENERGY behosh ho gayi hai...

par ye kaise hua,ye nahi bataya...???

MAI-kyunki tumne pucha nahi....

MAHI-jaise mai puchti aur tum bata dete...!!!!

MAI-EXERTION se shuru karte hain...baat naa karne ki baat maine isiliye kahi thi kyunki competition me competitors ko apne dushman ko tarah samajhta hai BLACK ENERGY..

aise me us competition me tumhara mujhse normally baat karna usse acha nahi lagta aur woh tumhe pain deta....

aur rahi baat tumhare andar base us BLACK ENERGY ke behosh hone ki toh tumhe ye toh yaad hi hoga ki tumhare behosh hone ka kaaran ek ray ka tumhe hit karna tha..

wo ray VIDEOUS ki thi jo usne mujhe target kar chhodi thi par lag woh tumhe gayi..

ab VIDEOUS bhi wahi books padhta hai jisse padhkar tumhare andar woh negetive energy rook gayi hai isiliye uske waar se bhi ussi black energy ke kan nikle the aur jab woh kan tumhe lage toh tumhare saath us BLACK ENERGY se bhare ray ne apne hi tarah ke ray ko hit kiya aur issi wajah se tumhare saath tumhare brain se chipki ENERGY bhi behosh ho gayi hai...

simple...

MAHI-ohhh...par tumne ye nahi bataya ki ye mujhme se bahar kaise niklegi..???

MAI-negetivity ko sirf positivity hi door kar sakti hai...

ek negetive stuff chant karne se brain pierce hua hai tumhara,jo sirf kisi positive stuff ke intake se hi wapas pehle jaisa ho sakta hai...

MAHI-positive stuff..!!!woh bhi CHOSENS me..tum bhul rahe ho ki CHOSENS me positive aur negetive jaisa kuch bhi nahi hai...

lMAI-postive aur negetive chizen nahi sirf dekhne ka nazariya hota hai MAHI.. anyways,har bande ki beeti journey me uske future ke raaste ko banane ka hint zaroor hota hai,bas jhaankne aur samajhne ki der hai..

aankhen band karo apni aur maaro reverse gear...dekho,koi medicine guzre raaste me gir toh nahi gayi..!!!


meri baat sun ek pal mujhe dekh MAHI nr apni aankhen band ki jiske agle hi pal uske dimag me beete lamho ke flashes chalne lage..

EXERTION se hote hue woh piche jaane lagi aur dekhte hi dekhte woh
dekhte dekhte woh pahunchi FORBIDDEN FOREST ke 2 din waale adventure tour par aur jab aisa hua toh ek jhatke me uski aankhen khul gayi aur aisa hote hi usse laga shock..

reason...

main palat kar jaa raha tha aur mujhe yun jaata dekh..


MAHI-RAAZ mujhe..

MAI-jawab mil gaya hai..pata hai mujhe...


uski baat ko maine pura kiya jisse sun woh ek baar phirse chownki aur..


MAHI-tumhe kaise pata...???


ab tak mai exit door tak pahunch chuka tha par MAHI ke is sawal par wahin rook bina palte...


MAI-jisse jawab ke liye sawal ki zaroorat ho,woh RAAZ nahi...


jahan ye bol mai gate se bahar nikal gaya wahin meri baat sun MAHI halki muskurayi aur..


MAHI-kuch bhi bolta hai ye ladka...


ye bol MAHI ki nazar apne right ki taraf sofe ke aage rakhe table par gayi jahan dekh woh ek baar phirse chownk gayi aur turant us table par rakhe chiz joki ek patli si book thi,usse utha liya aur usse utha woh hairan bhi dikh rahi thi aur khush bhi..


MAHI-FINDING RADHA.....


yahi tha woh book ka naam jo is waqt MAHI ke haath me tha aur issi book se ho related tha woh jawab jo MAHI ko aankh band karte hue mila tha..

darasal FORBIDDEN FOREST me SAVENT OF THE DAY ko jeetne ke liye RAAZ ne jo RADHA KRISHNA ka example diya tha,us example se hi MAHI ke andar basa BLACK ENERGY sabse zyada unstable hua tha..

MAHI ko us waqt aisa kag raha tha jaise uske BRAIN me kuch hai jo RADHA KRISHNA ki kahani nahi sunana chahti jisse MAHI samajh gayi thi ki ye do naam hi usse BLACK ENERGY se nijaat dila sakte hain...

us book ko haath me pakad halki muskurayi MAHI aur..


MAHI-jisse jawab ke liye sawal ki zaroorat ho,woh RAAZ nahi...


jaane se pehle mere kahe aakhri lines dohraye MAHI ne aur...


MAHI-ye ladka wakayi apne naam ki hi tarah hai..ek RAAZ....





PLACE-VIDEOUS ABODE





AANKHON ME ITNI SHARMINDAGI KYUN...????


hosh me aane ke baad ye pehle shabd nikle VIDEOUS ke mooh se jisse sunane ke baad bhi teeno DEVOTEES chup chaap sir jhukaye baithe rahe jispar...


VIDEOUS-jeet ki neev agar haar ke imarat ke neeche bhi rakhi jaaye toh us haar ki taakat jeet se kayi guna zyada hoti hai....


VIDEOUS ki baat sun teeno DEVOTEES ke jhuke hue sir ek jhatke me upar uth gaye jinme ab sharmindagi ki jagah sawal dikhne laga tha jisse dekh...


VIDEOUS-sabse pehle mere ek sawal ka jawab do....

aaj mai kisse haara hun....???

1ST DEVOTEE-RAAZ se...


halke dar ke saath jhijhakte hue kahi ye baat us DEVOTEE ne jispar pehle toh VIDEOUS muskuraya par phir...


VIDEOUS-galat....mai RAAZ se nahi balki apne dono FATHERS se haara hun...


VIDEOUS ki baat se halke hairan ho...


TEENO-matlab..???

VIDEOUS-matab RAAZ ke aage aaj mai bas isiliye tik nahi paaya kyunki iska intazam badi chaalaki se aur ek behtarin plan ke saath mere dono FATHERS ne bohot pehle hi implant kiya tha...


VIDEOUS ki baat ka matlab ab bhi RAAZ hi tha un teeno DEVOTEES ke liye aur isiliye unke facial expressions pehle se hi the jisse dekh VIDEOUS ne apni baat age badhayi...


VIDEOUS-shakti ke maamle me RAAZ mere aage nahi tik sakta,ye baat bohot ache se pata thi mere dono FATHERS ko aur woh dono ye bhi jaante the ki woh RAAZ ko directly extra shakti nahi de sakte isiliye unhone ek dusra tarika dhund liya..

WEAKLINGS SAVENTS ke andar unhone shakti ke alag alag hisso ko ikattha kiya taaki RAAZ unke zariye us taakat ko extract kar sake...

unhe ye bhi pata tha ki sirf WEAKLINGS hi aisi catagory hai jispar mai kabhi dhyan nahi dunga isiliye unka plan kaamiyab zaroor hoga aur hua bhi...

behadh salike se aur mere naak ke neeche se RAAZ ne un WEAKLINGS ki shaktiyon ko khud me samet liya....

MASTER STROKE.....


jahan apni baat keh muskurane laga tha VIDEOUS wahin VIKRAM aur ASMODEUS ki planning ko jaan halke ghusse ho gaye teeno DEVOTEES aur...


1ST DEVOTEE-aadesh den LORD...hum un sabhi WEAKLINGS ko jinki wajah se aaj aapki haar hui hai,abhi khatm kar dete hain..

VIDEOUS-waah,kya josh hai...waise behosh toh mujhe RAAZ ne kiya tha,usse maarne ki baat nahi nikli tumhare mooh se...


VIDEOUS ke vyang ko samajh hadbada gaye teeno DEVOTEES jispar..


VIDEOUS-hmm..aukaad se bahar hai naa woh masla...arre murkhon,jinhe khatm karne ki baat tum kar rahe ho,woh sab apni baanti hui shaktiyon ki wajah se RAAZ ke saath jude hue hain...

agar unhe chot pahunchi toh RAAZ ko khabar ho jaayegi aur RAAZ ko khabar matlab tumhari kabar..

ek baat aur,GOD GIFT shaktiyan jo un WEAKLINGS se RAAZ ko mili hai,uska aadha hissa ab bhi unme hi hai aur isiliye unhe maarna asaan nahi hai kamsekam tab tak toh nahi jab tak RAAZ zinda hai...

aur waise mai chahta bhi nahi ki un sabko kuch ho..un sabko toh bohot sambhaal kar rakhna hai mujhe...


ek devilish smile naach uthi thi VIDEOUS ke face par ye baat kehte hue jisse sun...


TEENO-hum samjhe nahi....????!!!!

VIDEOUS-samajne waali baat ye hai ki jab saamna buddhi se ho, toh jawab bhi buddhi se hi diya jaata hai...

FATHERS ne apni chaal chal di aur ab meri baari,par meri chaal se mujhe afsos bas is baat ka reh jaayega ki mai RAAZ ko khatm nahi kar paaunga...


VIDEOUS ki baat sun bohot zyada hi shocked ho gaye the uske teeno DEVOTEES..

ab jis bande ko khatm karna hi VIDEOUS ka lakshya hai,usse woh khatm nahi karega,ye sun shock toh hona hi tha un teeno ko aur isiliye..


2ND DEVOTEE-aap RAAZ ko khatm nahi karenge toh apne FATHERS ko kaise haraayenge...???

VIDEOUS-tum teeno wakayi bwwakuf ho yaar...lines toh theek se sun liya karo..

maine kaha mai usse khatm nahi kar paaunga,ye toh nahi kaha ki woh khtam hi nahi hoga...

jin WEAKLINGS ko FATHERS ne RAAZ ke shakti kunj ki tarah chuna hai,jin WEAKLINGS ke zariye aaj RAAZ ne mujhe shikast di hai,ab wahi WEAKLINGS RAAZ KO MAARENGE.....


VIDEOUS ne jo faisla liya,woh kaise hoga,ye toh teeno DEVOTEES nahi jaante the par VIDEOUS ki planning fail nahi ho sakti,ye woh teeno bohot ache se jaante the aur isiliye unke chehre par bhi muskaan naach gayi aur...


3RD DEVOTEE-hamare liye kya aadesh hai...???

VIDEOUS-zyada nahi,bas nazar rakho un WEAKLINGS par...


jahan VIDEOUS ki baat sun ek baar uske aage sir jhukakar gayab ho gaye teeno DEVOTEES wahin unke jaane ke baad apne chehre ki muskaan barkarar rakhte hue..


VIDEOUS-FATHERS... tikdam toh bohot sahi lagaya aapne aur ye zaroori bhi tha kyunki...




ek VIDEOUS aap sab par akela BHAARI HAI.......

RAAZ,aaj tune jo kiya woh tera mujhpar UDHAARI HAI....

baazi bhale tune jeet li hai aaj magar......????!!

jung jeetne ki ab,meri BAARI HAI..........















AAJ KE LIYE ITNA HI.....
















AAPKA APNA V...J......
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ERRAPEL NAAM KI LADKI EK SNOW LEOPARD KI JAAN BACHATI HAI,DUSRI TARAF RAAZ MAHI KE GHAR FINDING RADHA NAAM KI BOOK CHHOD KAR JAATA HAI,WAHIN TEESRE TARAF RAAZ KO KHATM KARNE KA EK NAYA PLAN VIDEOUS BANATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-106



PLANET-ELYSIAN


PLACE-MAHI'S ABODE





AAHHHHHH.........




ye teesri baar tha jab dard sehen naa hone ki wajah dard bhari karah nikli thi MAHI ke mooh se....

par ek baar phirse kisi tarah khudko sayammit kar MAHI ne apni aankhen apne haathon me pakdi chiz par gada di jo thi THE FINDING RADHA ki woh book jo kuch der pehle RAAZ uske paas chhodkar gaya tha....

kareeb aadhe ghante pehle MAHI ne is patli si kitab ko padhna shuru kiya tha jisme RADHA aur KRISHNA ke pehli mulakat se hote hue unki puri kahani ke baare me likha gaya tha...

par jaise hi MAHI ne us book ko padhna shuru bhar kiya toh uske dimag ko laga jhatka joki BLACK ENERGY ke hosh me aane ki wajah se laga tha aur aisa hone ka kaaran bhi woh positive vibe thi jo us book ko padhna shuru karte hi MAHI ke aankhon se hote hue uske brain me pahunchi thi aur aisa hote hi wahan moujud BLACK ENERGY ke kano ko bijli ka jhakta sa laga aur woh hosh me aane lagi...

par aisa kuch hoga,is baat ka andaza MAHI ko bhi tha isiliye jhatka lagne ke baad bhi usne padhna band nahi kiya balki pure focus ke saath woh aage padhti rahi aur uske aisa karne se uske andar moujud BLACK ENERGY ke kano me vibrations hone shuru ho gaye jisse MAHI ke BRAIN me tez pain uthne laga..

uski aankhen bhaari hone lagi thi aur senses dull... har guzarte pal ke saath MAHI ki haalat kharab ho rahi thi par apne zidh aur strong will power ki wajah se tarah woh us book ko padhne me lagi rahi...

aur abhi third baar dard se cheekhne ke baad bhi kuch der tak lambi lambi saansein lene ke baad MAHI ki aankhen dobara us book par gadh chuki thi...

waise in saari negetive cheezon me ek positive cheez ye thi ki kyunki woh book patla tha, isiliye MAHI ne ab tak uska lagbhag 90 percent part padh liya tha...

aur ab woh baaki ka bacha 10 percent bhaag joki kul 4 pages hi the,usse padhne waali thi aur isiliye next page palatne ke liye usne present page par ungli phirayi par tabhi....

MAHI page palat nahi paayi...

reason...

baaki ke chaaron page ek dusre se chipak se gaye the aur isiliye...

MAHI ne apne thook se apni ungli halki lubricate kar chipke page ko halka rub karte hue kholne ki koshish ki jisse woh pehla chipka page baaki pages se halka sa alag hua aur aisa hote dekh MAHI ne process repeat kiya aur aise hone par second attempt me woh pehla chipka page khul gaya jiske baad MAHI ki nazar us page ke upar ki heading par gayi jispar likha tha...


MAHI-RADHA/KRISHNA MEET IN HEAVEN...


heading padh kar MAHI thodi excited ho gayi aur turant uski nazar neeche ki taraf gayi jahan RADHA KRISHNA ki heavens meet ka kissa likha hua tha...


THE STORY:-


Krishna aur Radha swarg me vicharan kar rahe the ki tabhi woh dono ek dusre ke samne aa gaye...

jahan ek taraf shree KRISHNA thode vichlit ho gaye wahin RADHA prasann ho gayi.

KRISHNA sakpakaye, RADHA muskurayi...

isse pehle ki KRISHNA kuch kehte, RADHA bol uthi,kaise ho DWARKADHISH.....???

jo RADHA KRISHNA ko KANHA KANHA kehkar bulaya karti thi, uske mooh se unke liye DWARKADHISH ka sambodhan KRISHNA ko bheetar tak ghayal kar gaya...

fir bhi khudko sambhalte hue KRISHNA bole RADHA se...

“ mai toh aaj bhi tumhare liye wahi KANHA hun jo pehle tha,tum toh mujhe DWARKADHISH naa kaho..:"!

chalo,baiththe hai..kuch tum apni sunao,kuch mai apni batata hun..sach kehta hun RADHA,jab bhi tumhari yaad aati thi,aankhen aanuson se bheeg jaati thi...



...................



iske saath first page khatm ho chuka tha jisse padh shree KRISHNA ki baatein sun halki sad dikhne lagi thi MAHI..

khair,baaki ke teeno pages ab bhi aapas me chipke hue the jisse wapas thook se lubricate kiya MAHI ne aur second page ko baaki dono pages se alag kiya aur aisa kar usne aage padhna shuru kiya...


BACK TO STORY:-


shree KRISHNA ki baat sun RADHA boli, mere saath aisa kuch bhi nahi hua,naa toh tumhari kabhi yaad aayi aur naahi kabhi koi aansu baha..

kyunki hum tumhe kabhi bhule hi kahan the jo tum yaad aate,in aankhon me toh tum sada hi rehte ho...

kahin aansuon ke saath nikal naa jao isiliye rote bhi nahi the...

khair,prem ke alag hone par tumne kya khoya,zara aaj iska aayna dekhlo,kuch kadwe sach aur prashn sun paao toh sunaoun aapko...???

kya tumne kabhi socha ki is tarakki me tum kitna picchad gaye..???

yamuna ke meethi paani se zinadgi shuru ki aur samandar k khaare paani tak pahunch gaye...

ek ungli par chalne waale sudarshan chakra par bharosa kar liya aur dus ungliyon par chalne waale baansuri ko bhul gaye..!!!

KANHA jab tum prem se jude the toh jo ungli govardhan parwat uthkar logon ko vinaash se bachati thi,prem se alag hone par ussi ungli ne kya kya rang dikhaya....???

wahi ungli sudarshan chakra uthakar vinash ke kaam aane lagi thi.....


...................



second page khatm ho chuka tha aur issike saath aage padhne ke liye MAHI kaafi adheer dikhne lagi thi...

aur in sabme ek baat se uska dhyan hath gaya tha aur woh ye ki ab uske sir me pain nahi ho raha tha balki uski jagah ab uska sir bhaari hone laga tha....

ayways,same procedure repeat karte hue MAHI ne third aur fourth page ko ek dusre se alag kiya aur aage padhne lagi.....



LAST TWO SEGMENTS OF THE STORY:-



KANHA aur DWARKADHISH me kya fark hota hai bataun..???

agar tum KANHA hote toh tum sudama ke ghar jate,sudama tumhare ghar nahi aate...

yudh aur prem me yahi toh fark hota hai,yudh me aap mitakar jeeththe hai aur prem me aap mitkar jeeththe hain...

KANHA,prem me duba hua aadmi,dukhi toh reh sakta hai par kisiko dukh nahi deta...

aap toh bohot se kalaaon ke swami ho,doordrashta ho,GEETA jaise granth ke daata ho,par aapne ye kaisa nirnay kiya aur apni puri sena kauravon ko saump di,aur apne aapko paandavo ke saath kar liya....

sena toh aapki praja thi aur RAJA toh paalak hota hai,unka rakshak hota hai...aap jaisa mahan gyani us rath ko chala raha tha,jis rath par ARJUN baith aap hi ki praja ko maar raha tha...apni praja ko marta dekh aapme karuna nahi jaagi....???

kyun, kyunki aap prem se shunya ho chuke the...



LAST PAGE:-



aaj dharti par jaakar dekho apni DWARKADHISH waali chavi ko dhunte reh jaaoge...

har ghar,har mandir me mere saath hi khade nazar aaoge...


aaj bhi mai maanti hun ki log aapki likhi hui GEETA ke gyan ki baatein karte hain,unke mahatv ki baat karte hain magar dharti ke log yudh waale DWARKADHISH par nahi balki prem waale KANHA par bharosa karte hain..

aur geeta mai toh kahin par bhi mera naam tak nahi lekin phir bhi ussi GEETA ke samapan par log RAADHE RAADHE karte hain....


.................



is aakhri line ko man me nahi balki ek smile ke saath mooh kholte hue padha MAHI ne jiske baad uske dimag ka bhaaripan is kadar badh gaya ki ek baar phirse behoshi ki godh me so chuki thi woh is baat se anjaan ki RAAZ ne bina saamne rahe jaisa ki usse batayi paheli me kaha gaya tha, apna waada pura kar diya tha..

MAHI ka BRAIN VIDEOUS ke teeno DEVOTEES ki BLACK ENERGY se puri tarah azaad ho chuka tha...







PLACE-RAAZ ABODE






HAASHH....MAN ITNA PRAFULLIT KABHI NAHI HUA MERA JITNA ABHI HO RAHA HAI...

LAAKHON SAALON KE BAAD AAJ KAHIN JAAKAR MERE MOKSHA KA SAMAY AA HI GAYA...


mere sharir se bahar nikal MOKALSAR ya fir ye kahun ki unki spirit ne behadh khushi ke saath ye shabd kahe the...

wahin mai shanti se unhe dekh raha tha.. khair chaaron taraf sir ghumate hue kahi thi ye baat unhone jiske baat unki nazar mujhpar aakar tiki aur...


DHANUR-kuch hi din ka saath tha hamara par itne kam waqt me hi ek rishta sa ban gaya hai tumse...

agar koi afos hai bhi is mayavi jagat se jaane ka toh woh tumse alag hona hai mitr...

MAI-ek saath do galti kar rahe ho... pehli,moksha ke kagaar par asfos karne jaisi baatein achi nahi lagti DHANUR...

aur dusri galti RAAZ se lagaav...RAAZ zeher hai, aur zeher se lagaav mout se rishtedaari hai....

anyways,ek ajeeb baat notice ki hai maine aur kyunki aap mere andar the,toh aapne bhi ye gaur kiya hoga ki mere EMOTIONS power 100 percent tak trigger nahi ho sakte kyunki us power ka aakhri 10 pratishat bhaav mai feel hi nahi kar paa raha....

aisa lag raha hai jaise woh bhaag hai hi nahi...


DHANUR-apne EMOTIONS power ko trigger karte waqt kuch aur bhi mehsoos kiya tha tumne, right...!!!

MAI-hmm...jaise koi external force mujhe bula rahi hai..

DHANUR-mere apne raichaita ke paas aur tumhara us force ke paas jaane ka waqt aa chuka hai RAAZ....

jo hai,uska istamal karna hai tumhe...turant toh nahi par sahi waqt par jo nahi hai,woh bhi mil jaayega tumhe....

VIJAYI BHAVA....


ye bol ek pal mujhe muskurakar dekhne ke baad DHANUR ka spirit ek tez WHITE roshni ke beech gayab ho gaya...

wahin DHANUR ke jaane ke baad ek pal ke liye mere dimag me unki kahi baatein ghumi jiske baad mai bhi gayab ho chuka tha us jagah ke liye jahan se us unknown energy force ko feel kiya tha maine....





PLACE-FORBIDDEN FOREST




STAVAHA

RELEASE



apne search AURA ko release kiya maine jiske baad mere sharir seek invisible AURA tezi se bahar nikal aage badh gayi aur aisa hone ke kuch pal baad hi mujhe ek jagah se tez vibrations aane lage..

ye vibrations ek tarah ka knot tha jo mujhe khudme baandh apni taraf kheench raha tha...

aur aisa hote hi mai samajh gaya ki ye knot aur vibrations ussi jagah se aur ussi chiz se aa aa rahe hain jo mere EMOTIONS power ko trigger karte waqt maine feel kiya tha aur ye jaan mai us ho rahi vibrations waali jagah ki taraf badh gaya...

waise chahta toh mai gayab hokar directly bhi apne destination par pahunch sakta tha par mai us power ko jisse vibrations ho rahi thi,usse thik se samajhna chahta tha aur isiliye hi mai araam se chalte hue uski taraf badh raha tha..

aur yunhi chalte hue kuch hi der me mai jungle ke uttari bhaag ke madhya me tha jahan mujhse kareeb 100 metres door halka halka kuch chamak raha tha aur ussi chamak rahe vastu ke aas paas se ek behadh tez strong power force feel kar paa raha tha mai jisse feel kar meri aankhen sochne waali andaz me choti ho chali thi..

reason...

mujhe woh energy force behadh jaana pehchaana lag raha tha...

khair,yahan khade khade toh kuch hona tha nahi isiliye mai us chamak rahi vastu ki taraf badh chala aur kuch hi der me mai us vastu ke saamne tha jisse dekh...


MAI-BLACK DRAGON HIBISCUS FLOWER.....

(flower ki photo ke liye Google kar liyo)


MAI-ye toh EARTH me ugne waala flower hai,ye yahan kaise..???


apne saamne dark red velvety bade se flower ko dekh kahi thi maine ye baat joki filhal toh band tha aur uske chaaron taraf se ek thin white ray nikal raha tha jisse ek saath teen alag alag energy source mai feel kar paa raha tha...

un teen energy sources se 2 source toh mere liye unknown hi the par bacha ek force mere liye kaafi familiar tha..

par us force ka AURA kaafi halka sa feel kar paa raha tha mai aur usse thik se samajhne ke liye mujhe us flower ke layers ko open karna tha joki obviously sidhe tarike se toh ho sakta tha nahi isiliye apna haath us flower ke paas kar mai usse nikalne waale teeno energy ko feel karte hue apni aankhen band kar aage kya karna hai,uske baare me sochne laga....

un teeno energies ko feel karte hue ek baat jo maine note ki thi,woh ye thi ki woh energy force jisse mai resemblance kar paa raha tha,ussi ki wajah se hi mere saamne rakha BLACK DRAGON HIBISCUS band tha aur ye baat jaante hi mere dimag me DHANUR ke kahe woh aakhri shabd jaise gunj se uthe....


JO HAI,USKA ISTAMAL KARNA HAI TUMHE....


is soch ke dimag me gunjte hi maine apna haath aage kiya aur apne andar hi andar maine apne saare EMOTIONS power ko ek jagah ikattha karna shuru kar diya aur jab aisa ho gaya toh..


STAVAH....

RELEASE...



us power ko apne haathon ke through joki is waqt saamne rakhe flower ko ghere hue tha, release kar diya maine aur aisa hote hi woh pura area tez roshni se naha sa gaya..

raat ka waqt tha ye par FORBIDDEN FOREST subah me badal chuka tha...

khair,jaise hi mere haathon se mere EMOTIONS power bahar nikal us BLACK DRAGON HIBISCUS flower par pade toh dheere dheere uske outer layers me hulchul honi shuru hui aur phir woh layers open hone shuru ho gaye....

kuch hi palon me woh saare layers open ho chuke the jiske baad maine apne power ka pravah khudme samet liya..

par mere aisa karne ke baad bhi pura FORBIDDEN FOREST ab bhi roshni se jagmaga raha tha..

reason...

flowers ke layers open hote hi uske andar rakhi pehli chiz se joki ek cover jaisa tha, usse tez prakash nikal raha tha jisse dekh mai hairan ho gaya tha..

aur meri hairangi ke piche reason ye tha ki us cover se jo energy nikal rahi thi,woh aur kisiki nahi balki meri thi..

meri wahi ALOUKIK energy jo is waqt me mere andar chuppe meri sword me kaid thi...

matlab is flower ko meri hi aloukik shakti se cover kiya gaya tha...


(NOTE:-yaad hoga aap logon ko ki RAAZ ne jo VIDEOUS ko push kar ke giraya tha,us push ki shakti ko khudme samet VIDEOUS ne yahan flower ke saath kuch kiya tha..us kaam ko karne ke baad usne RAAZ ki hi aloukik shaktiyon se is flower ko cover kar diya tha....)


khair,meri shaktiyon ko cover banakar kuch chuppaya gaya tha,iska matlab tha ki zaroor is cover ke neeche kuch bohot important tha..

aur isiliye maine us urja rupi cover ki taraf apna haath badhaya aur aisa kar jaise hi maine us urja ko chhua,toh mere andar chuppe meri SWORD ne us urja roopi cover ko sokh kar meri aloukik shaktiyon ke saath ikattha kar liya..

cover hath chuka tha aur aisa hone ke baad jaise hi meri nazar wapas us opened flower ko padi toh maine dekha ki ab ek naya cover mere saamne the...

is waqt mere saamne tha ek bada sa paardarshi kaanch tha jiske neeche ek bhure rang ki cheez rakhi hui thi...

us paardarshi kaanch se ek push energy feel kar paa raha tha mai jiska matlab tha ki woh uski taraf badhne waali cheez ko rok rahi thi...

khair, apne EMOTIONS power ko apne haath me laa us paardarshi kaanch ko chhua maine aur mere aisa karte hi us paardarshi kaanch ki asliyat,uska naam mere dimag me gunj utha..

ESPRIT CRYSTAL....

yahi tha us paardarshi kaanch ka naam jo mere usse chhute hi ek SHIELD me badal uske neeche rakhe bhure cheez ke andar sama chuka tha......

aur woh bhuri chiz thi ek book jiske upar uska naam likha hua tha jo tha...


"UNEARTH THE IMMORTALS".....



us book ko us flower ke andar se nikaal haath me thaama maine aur usse khol diya aur jab maine aisa kiya toh mujhe laga jhatka..

reason...

book ke naam ko padh mujhe laga tha ki ye book mere aur VIDEOUS ke liye hogi par aisa tha nahi..

gehri aankhon ke saath mai us book ke first page ko dekh raha tha aur soch raha tha ki....





kisse khabar ki ye NIRMAAN hai yaa TABAHI HAI....

pata nahi kis kisse ki ye kitab de rahi mujhe GAWAHI HAI....

meri soch ke daayre se bahar jaa rahi hai ab ye kahani,

ki ek IMMORTAL toh mai hi hun,par dusra VIDEOUS nahi balki MAHI HAI.....














AAJ KE LIYE ITNA HI....















AAPKA APNA V...J....
Zabardast update dost
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI FINDING RADHA NAAM KI BOOK PADHTE HUE BEHOSH JO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF DHANUR KE JAANE KE BAAD RAAZ FORBIDDEN FOREST PAHUNCHTA HAI JAHAN USSE BLACK DRAGON HIBISCUS FLOWER KE ANDAR EK BOOK MILTI HAI JISKA NAAM UNEARTH THE IMMORTALS HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-107



PLACE-SOMEWHERE IN SPACE






ARBON LIGHT YEARS,HAZARON GALAXIES GHUM CHUKA HUN,PAR ABHI TAK US FALLON KO DHUND NAHI PAAYA HUN...

PATA NAHI KAHAN HOGI WOH AUR KITNA WAQT AUR LAGEGA USSE TALASH KARNE ME....


khudse hi baat karte hue WOOGER ne kahi thi ye baat...

jab se GRIFFIN ne usse uske target ka naam aur face bataya tha tabse hi WOOGER lagatar us chehre ki talash kar raha tha...

abhi bhi jab woh khud toh bramhaand ke ek khaali sthaan par khada tha,par uski search rays tezi se pure bramhaand me ghumte hui har extra strong aur unusual taakat ko jaanchti hui aage badh rahi thi...

khair,kuch der tak apne dimag ke ghode doudane ke baad WOOGER ne wapas space ke ek naye dimension me jaane ki sochi aur aisa woh karne hi waala tha ki tabhi...


SWPPPPPPSHHHH...


ek ajeeb si energy force uske search ray ne feel ki...

ye force behadh kam thi par WOOGER ke strong search rays se woh force bach nahi paayi aur jaise hi us force ke impact ko WOOGER ne feel kiya,uske face par ek smile naach uthi aur agle hi pal woh gayab ho chuka tha....






PLACE-ASTER






RAHASYAM PRAGATAM

SECRET UNFOLD



wapas artificial battle ground ke paas pahunchte hue aakhri baar FALLON ne is SPELL ko uccharit kiya

pichle 3 ghanton se lagatar ASTER ke har us area jahan log moujud hain,wahan invisible hokar is SPELL ko lagatar uccharit karti aa rahi thi FALLON aur ab jaakar kahin uska ye kaam pura ho chuka tha....

waise toh is uccharit ho rahe spell ko asar me laane ke liye ek baar bolna hi kaafi hota hai par jis chiz ko talash FALLON kar rahi thi,woh zamin ke itne andar thi ki uske existence ko jaanane ke liye har thodi door par jaa jaakar usse is SPELL ko uccharit karna padh raha tha..

aur ab jab uska ye kaam pura hua aur woh wapas apni starting point par pahunchi toh...


FALLON- unbelievable....ye kaisa chamatkar hai...is artificial ground ki aur pure aster ke upper suface ki mitti alag hai aur surface ke andar ki mitti alag..

aur ye pura surface ussi andruni mitti ki taakat par khada hai...


(NOTE:-GIRASA AVLOKAN NAAM KA WOH SPELL TOH AAPKO YAAD HI HOGA GUYZ JISKE FAIL HONE KE BAAD BHI FALLON KE FACE PAR SMILE AA GAYI THI..(UPDATE 89)

US SPELL KE ASAR SE HI FALLON KO US ARTIFICIAL GROUND KE ANDAR EK ALAG ENERGY FEEL HUI THI.. ITNE WAQT SE WOH JAISA KI RESEARCH KE BAARE ME USKE MASTER NE KAHA THA,USSI ENERGY KE BAARE ME JOKI EK ALAG KISME KI MITTI SE AA RAHI THI,WOH PATA LAGA RAHI THI AUR AAJ FINALLY WOH KAAMIYAB HO CHUKI THI..)


khair,saare ganit ko samajh...



FALLON-now,finally task time..dekhte hain,meri theory sahi baiththi hai yaa nahi...!!!


us artificial battle ground ke beech me pahunch FALLON neeche baithi,aisa kar usne apne dono haath zamin par lagaye,apni aankhen band ki aur...


BHUMIGATAM AURAVA

UNDERGROUND AURA


FALLON ke SPELL uccharit karte hi uske dono haathon se do strong energy rays nikal zamin ke andar chale gaye aur aisa hote hi..


ZRAYATI SAMBHANDHAM AURAVA

ATTACH SIMILAR AURA'S


is dusre SPELL ko uccharit kiya usne jiske baad uske hathon se jud zamin ke andar gaya woh energy ray tezi se pure ASTER me faile har us chiz se joki ek si thi, directly kahun toh toh mitti jinke dum par ASTER ki zamin tiki hui thi,usse jud gaya aur aisa hote hi ek aakhri baar hile FALLON ke honth....



SESAYATI VAYUYEM

HURL IN THE AIR



aur jaise hi FALLON ke mooh se ye SPELL uccharit hua toh ek saath do chizen huin..

pehli...

SPELL uccharit hone ke agle hi pal ASTER ke zamin ke andar se ek behadh strong energy force release hokar ASTER se bahar nikal gayi..


(NOTE:-ISSI FORCE KO FEEL KIYA THA WOOGER KE SEARCH RAYS NE)


dusri...

ASTER ka pura zamin us SPELL ke chapet me aa gaya jiske agle hi pal wahan moujud har shaksh including MASTER hawa me uth chuke the...

wahin apni energy rays ki wajah se ye sab hota hua FALLON bhi apni band aankhon se dekh rahi thi aur abhi uske face par ek smile naach rahi thi..

khair,hawa me uth jab har shaksh wapas neeche girne laga toh..


DHEEMANE GARWATE

SLOW FALL


is SPELL ko uccharit kiya FALLON ne jiske baad un sabke girne ki gati kaafi slow ho gayi par aisa hote waqt FALLON ko apne pure body me behadh zyada bojh sa feel ho raha tha..

usse aisa lag raha tha jaise har ASTER waasi ka wazan woh uthaye hui hai par phir bhi woh tab tak lagi rahi jab tak saare log araam se wapas zamin me nahi aa gaye..

aisa hote hi FALLON ki aankhen khul gayi...

is waqt aankhri SPELL ke asar se thak kar lambi lambi saansein le rahi thi FALLON par chehre par thakaan ke saath task complete karne ki khushi bhi saaf dikh rahi thi aur tabhi..


BRILLIANT FALLON.. ABSOLUTELY BRILLIANT...KAAFI KAM DURATION ME ITNE HARD TASK KO PURA KAR DIKHAYA TUMNE...


ye awaaz FALLON ke MASTER ki thi jisse sun ek smile ke saath unki taraf palti FALLON par woh kuch kehti ki tabhi....


CHALO KOI TOH HAI JO APNE KIRDAAR SE WAFADAR TOH HUA....

DHUNDNE KI HADH HO GAYI,PAR SHUKR HAI KI AAKHIR ME DIDAR TOH HUA.....


MASTER ke thik piche se aayi thi ye roubdaar awaaz jisse sun jahan ek taraf FALLON chownk si gayi wahin MASTER jinke liye bhi ye awaaz anjaan hi thi,uske baad bhi unke face par ek halki si smile aa gayi maano unhe is awaaz ko abhi sunane ka andaza tha....

aur isiliye woh yunhi apni jagah par bina hile khade hi rahe par unse ulat ab tak jigyasa se bhari FALLON apni jagah se halki right ki taraf sarki aur aisa hote hi us awaaz ka maalik uske aankhon ke saamne tha jisse dekh uski aankhen hairani se badi ho chuki thi aur...


FALLON-kaun ho tum...???


vismay se bhari awaaz ke saath nikli ye awaaz FALLON ke mooh se jiske baad....


WOOGER KEHTE HAIN MUJHE...


FALLON ko dekh ek halki smile ke saath apna naam batate hue WOOGER aage badha aur thik MASTER ke baaju me jaakar khada ho gaya aur aisa hote hi MASTER apne right ki taraf ghume aur WOOGER ko badi khusi se nihaarne lage jispar....


WOOGER- aise kya dekh rahe hain MASTER...???waise tumhe MASTER kehna thoda ajeeb lag raha hai mujhe...

MASTER-hahaha... tum kuch bhi keh sakte ho mujhe...waise tumhari utpatti ke baad se hi tumhe dekhne ki tivr iccha thi mujhe aur aaj jab tum saamne ho toh tumhe dekh bohot acha lag raha hai mujhe...


MASTER ki baat khatm hui hi thi ki...


FALLON-MASTER se tamiz se baat karo WOOGER warna tumhare liye accha nahi hoga...


kahan kuch der pehle WOOGER ko dekh kaafi hairan hui thi FALLON wahin jab WOOGER ne uske MASTER se kaha ki tumhe MASTER kehna ajeeb lag raha hai mujhe, toh us baat ko sun uski hairani ghusse me badal gayi thi aur isiliye usne ye baat kahi jispar...


WOOGER-tamiz ka hunar nahi sikha maine....tum sikha do...


WOOGER ki baat sun FALLON ne apne MASTER ki taraf dekha jo bas muskurate hue shaant khade the jisse unki haan samajh FALLON ne apne haath jhatke aur uske aisa karte hi uske haath uski waist par gaye jiske baad usne apni belt kheench usse lehra diya jisse us belt kaa naa sirf aakar badh gaya balki us se ek behadh strong shock wave nikal WOOGER ki taraf badh chala par aisa hote dekh bhi WOOGER apni jagah par khada hi raha aur..


PHOOOO..


usne hawa me ek halki si phoonk maari jiska impact itna zyada tha ki us phoonk se nikli hawa jab FALLON ke shock wave se takrayi toh uska reverse effect 100 guna tak badhte hue mood gaya aur sidhe jaakar FALLON se takraya jisse ki FALLON udte hue kareeb 50 metre tak jaa giri.

girte hi FALLON ne turant uthne ki koshish ki par us ek hamle se hi uski haalat itni kharab ho gayi thi ki woh turant uth nahi paayi...

kuch waqt lekar dheere dheere khadi hui woh aur aankhon me WOOGER ki taakat ko dekh dher saari hairani liye pehle usne WOOGER ko hi dekha par phir jab uski nazar apne MASTER ki taraf gayi toh...


MASTER-LORD OF ANGEL ke sabse badi rachna ke ansh se bhid rahi thi tum,shukra manao ki saansein ab bhi chal rahi hai tumhari...


WOOGER-waise khwahish meri tumhe khatm karne ki hi thi par ye tumhari kismat hi hai ki tum jis kadi ka hissa ho,usse judi kuch baatein kal hi pata chali hai mere MASTER ko aur us khabar ne hi zinda rakha hai tumhe...

aur tum, self proclaimed MASTER... LORD OF ANGELS ki rachna toh ye FALLON bhi hai,par afsos tum abhi tak iski potential ko thik se badha nahi paaye....


FALLON-MASTER ,hai kaun ye jo lagatar aapki insult kiye jaa raha hai aur aap isse kuch keh bhi nahi rahe...

WOOGER-mai kaun hun,ye abhi abhi bataya hai tumhare is MASTER ne par asal sawal ye hai ki kya tum jaanti ho ki tumhara ye MASTER kaun hai...???


FALLON-mai samjhi nahi...aur inke baare me jaankar kya hi fark padh jaayega..rahenge toh ye mere MASTER hi jo mere pitah tulya bhi hain jinhone mere hunar ko nikhara hai..

WOOGER-woh toh dikh hi raha hai...waise ye sach hai ki iski asliyat jaankar tumhe koi fark padega nahi par mere isse baat karne ke lehze ke piche ka kaaran zaroor pata chal jaayega..

par filhal iska waqt nahi aaya hai...jis din tumhare saamne tumhara sach aayega,us din ye khud tumhe apna sach bata dega par tab tak apni yogyata badhao...

bohot bada daayitv tika hai tumhare kandho par jisme agar tum naakamiyab hui toh naa sirf mere MASTER haarenge,balki woh bhi haar jaayenge jinki rachna ho tum....

khair, waqt hai abhi tumhare paas... speed up your training.... waise bhi,tum is kahani ki ab tak ki ek louti aisi kirdaar ho jo sabse ehem hone ke baad bhi VIDEOUS ke pahunch se bahar hai...

jis jagah par tum ho,isse dhundna toh door,iske baare me soch bhi nahi sakta koi....

ASTER, sirf aap hi aisi jagah ka nirmaan kar sakte the LORD OF ANGELS.....





PLANET-ELYSIAN



PLACE-ALFREEN'S ABODE






WHAT A PLEASENT SURPRISE BETA....???KYA BAAT HAI, AAJ ITNA DINO BAAD JAAKAR TUMHE APNE UNCLE AUNTY KI YAAD AAYI.......!!!!


ye baat kahi thi MARIA ne MAHI se jo is waqt unke ghar me enter hui thi...

subah ka waqt hai..kal shaam book padhte hue behosh hone ke baad aaj early morning MAHI ki behoshi tuti thi aur aisa hone par uska kal shaam bhaari raha sir toh halka ho hi gaya tha par saath hi ek aur chiz bhi hui thi...

aur woh chiz thi GUILT...uthne ke kuch der baad MAHI ke BRAIN ne automatically har us chiz ko process aur analize karna shuru kar diya jo beete kuch mahino me uske saath hua tha yaa fir jo usne kiya tha..

aisa karte waqt MAHI ko woh pal yaad aane lage jab usne apne dono friends ALFREEN aur MABEL ke saath mean behave kiya tha....

usse ALFREEN se class me kahe apne woh kadwe bol yaad aane lage jisse sun ALFREEN ki aankhen bheeg gayi thi par usne un aansuon ko completely nazar andaaz kar diya tha...

aur us din ko yaad kar filhal MAHI ki aankhen bhi bheegne lagi thi..

agar tumhe guilt feel hone lage toh samajh jaana ki tum theek ho chuki jo, RAAZ ki kahi is baat ko yaad kar kahan ek taraf MAHI ko bohot khushi ho rahi thi wahin bhale hi BLACK ENERGY ki wajah se hi sahi,par apne doston ke saath kiye bartaav ke liye usse khud par koft bhi ho raha tha aur yahi wajah thi ki MAHI turant ready hokar sidhe ALFREEN ke ghar aa gayi thi jahan main door se hi usse andar hall me baithe breakfast karte hue ALFREEN, RAAZ aur MABEL dikh gaye the...

wahin MARIA ne usse dekh jis tarah se usse baat kahi thi,usse uska guilt aur badh gaya tha..

reason..

ALFREEN ko us din class me sunaane ke baad woh sirf usse hi nahi balki uske parents se bhi kat gayi thi..

naa toh woh kabhi unke ghar aayi thi aur naahi bahar unse milne ki koshish ki thi..

infact,ek do baar jab MARIA aur FLORIN uske ABODE usse milne gaye the toh wo bas formality nibhate hue unse mili thi aur phir kuch bahana banakar bahar nikal gayi thi...

par aaj bhi jab MAHI MARIA ke saamne aayi thi tab bhi MARIA ka bartaav uske liye waisa hi lag raha tha jaise pehle tha toh phir aise me sharmindagi feel hona toh laazmi si baat hai.

anyways, MAHI se ek pyaari shikayat ki thi MARIA ne jisse sun..


MAHI-sorry aunty....


bas itna hi nikal paaya MAHI ke mooh se jisse bolte waqt MAHI ke tone me taklif saaf mehsoos ki MARIA ne aur isiliye woh jhat se aage badhi aur turant MAHI ko apne gale se laga liya..


MARIA-beta,bhale hi aap log SAVENTS haun...hunar ke maamle me hum aam logon se bohot aage hain aap sab par beta pyaar ke maamle me ek aam insaan ka dil sabse khaas hota hai...

ye hum aam logon ka GOD GIFT hai..aur ye GIFT humne tumhare saath baatna hai...paida nahi kiya toh kya hua, hamari hi bachi ho tum..

hamari sabse samajhdaar bacchi..aur apni bacchi ko naaraz toh dekh sakte hain hum,par udaas nahi..

isiliye cheer up...


MAHI ko side se hug karte hue usse apne saath andar lekar aayi MARIA jiske baad FLORIN joki food table par hi baithe MARIA aur MAHI ko dekh rahe the,woh khade hue aur aage badh MAHI ko gale se laga liya..

pehle MARIA aur ab FLORIN ke gale lag aaj najaane kitne din baad MAHI ko behadh sukoon mil raha tha..

par in sabke beech uski nazar food table par baithe RAAZ, ALFREEN aur MABEL par bhi gayi thi ko bilkul expression less se usse hi dekh rahe the...

ye dekh halki ghabrane lagi thi MAHI....

wahin kuch der MAHI ko gale lagaye rakhne ke baad jab FLORIN usse alag hue toh unhone MAHI ko apne doston ki taraf dekhte paaya aur ye dekh unki nazar unki wife ki taraf gayi jiske baad...


MARIA-MAHI,AL,MABEL,RAAZ...tum sab AL ke room me jao,mai tum sabka breakfast wahin bhijwaati hun...


MARIA ki baat sun ALFREEN, MABEL aur RAAZ chupchaap uthe aur ALFREEN ke room ki taraf chal diye jinke piche halki jhijhak ke saath MAHI bhi chal padi thi...



ALFREENS ROOM:-



PROPOSE KARNE AAYI HO KYA JO ITNI NERVOUS EXPRESSIONS KE SAATH CHUP KHADI HO...???


room me aane ke paanch minute baad bhi jab MAHI sir neeche kar khadi ho par beech beech me sir ALFREEN aur MABEL ko dekhti rahi toh kahi maine ye baat jisse woh uneasyness ka ice jo MAHI ke dil me ghira hua tha,woh thoda kam ho gaya aur...


MAHI-AL,MABEL,layak toh nahi hun par phir bhi sorry guyzz.....


ek baar ALFREEN aur MABEL se nazar mila apni baat kahi MAHI ne par uske baad phirse uska sir neeche ho gaya..

wahin MAHI ki apology ko sun ek dusre ko dekh ALFREEN aur MABEL aage badhi aur MAHI ke saamne aakar khadi ho gayi jispar hamesha hi super confident rehne waali MAHI ke chehre par nervousness dikhne lagi thi...

khair, MAHI ke saamne aa...


ALFREEN-last baar jab hum dono aame saamne the toh tune meri aankhon me dekh meri insult ki thi phir aaj kaise nazarein neechi hain teri....???


ALFREEN ki baat sun MAHI ne apna sir upar kiya jo is waqt aansuon se bheega hua tha..

mooh se toh maang chuki thi aur abhi MAHI ke bheegi hui aankhon me bhi maafi ki hi guhaar thi par us maasum chehre ko dekhne ke baad bhi ALFREEN aur MABEL,dono ka hi face normal hi raha aur woh dono MAHI ke side se hote hue room ke bahar nikal gaye aur aisa hote dekh MAHI ko bura toh bohot laga par khudko is position me laane ke liye zimmedar maan usne kuch kaha nahi...

ALFREEN aur MABEL ke jaane ke baad kuch pal sunya ko ghoor woh bhi piche palatkar room se bahar jaane lagi..

sir jhukaye woh abhi woh room ke door tak hi pahunchi thi ki tabhi....


ALFREEN-kahan madam...????


ALFREEN ki awaaz sun MAHI ne apna jhuka sir turant upar uthaya toh paaya ki uske dono friends door ke dono taraf tike hue khade hain aur muskurate hue usse hi dekh rahe hain..

aankhon me sawal liye woh un dono ko dekhne lagi jispar woh dono hi aage badhe aur dono taraf se MAHI ke gale lag gaye..

jo ho raha tha,woh toh MAHI ke samajh se bahar tha par itna waqt baad apne dono friends ko hug kar uske dil ko jo sukoon mil raha tha,woh uske dimag ke sawalon par bhaari tha isiliye sab kuch bhool MAHI bas us hugging moment ko feel karne me lag gayi..

wahin same haalat ALFREEN aur MABEL ki bhi thi...woh dono bhi MAHI ke waapsi aur usse gale lagane se behadh khush the...

khair,kuch der tak yunhi gale lage rehne ke baad jab woh teeno alag hue toh...


ALFREEN-ab hua naa hisaab barabar....us din tune mujhe daanta tha aur mere aansu dekhne ke baad bhi rooki nahi thi toh maine socha ki mai bhi wahi process repeat karun...


ALFREEN ki baat ko sun MAHI ko ek baar phirse woh din yaad aa gaya tha jab class ne usne ALFREEN ko ulta sidha bol diya tha jisse ALFREEN ke aankhon me aansu aa gaye the jinhe nazar andaaz kar woh class se nikal gayi thi..

aaj jab same cheez ALFREEN ne ki,tab usse ehsaas hua ki us din ALFREEN ko kaise laga hoga..

is realization ke hote hi...


MAHI-i am really sorry AL..

MABEL-sorry ki zaroorat nahi hai MAHI... kyunki maafi tujhe tere yahan aane se pehle hi mil chuki thi...

ALFREEN-haan,jo hua usse bhul jaa MAHI...waise bhi tune jo kiya,woh NEGETIVE ENERGY ke impact ki wajah se kiya tha toh aise me dekha jaaye toh teri galti toh thi hi nahi..

infact,tu toh victim thi us ENERGY ki..


ALFREEN aur MABEL uski condition jaanti thi,ye baat jaan aur unki sun harani se unki taraf dekhne lagi MAHI jispar..


ALFREEN-RAAZ...usne aaj subah aate hi hum dono ko tere saath kya ho raha tha,woh sab bata diya tha..

aur woh sab jaan hum dono ki toh haalat hi kharab ho gayi thi..agar tu abhi yahan nahi aati toh hum tere ABODE me aane waale the...

MABEL-but ek baat bata MAHI..itni intelligent hote hue tu itni stupid harkat kaise kar sakti hai..??

i mean tujhe sikhne ki lalak hai,its good,great actually...but kis chiz se sikh rahi hai,iske baare me janana bhi toh zaroori hai naa..

yunhi aankh band karke kisi bhi study mode se sikhne chal padi tu..

sochke dekh,in BLACK ENERGY se grast books ka impact aur kitna negetive padh sakta tha tujhpar..???

ALFREEN-haan MAHI...that was a real stupid decision you took..woh toh acha hai ki RAAZ ne teri condition ko figure out kar liya warna soch, consequences kitne high ho sakte the...


jahan ek taraf ALFREEN aur MABEL ki daant me apne liye fikr dekh MAHI ko bohot acha lag raha tha wahin un dono ki baat me VIDEOUS ka zikr nahi tha,is baat par gour kar MAHI samajh gayi ki RAAZ ne VIDEOUS ke baare me in dono ko kuch nahi bataya hai..

anyways, ALFREEN ki baat sun...


MAHI-sorry guyzz..maine wakayi consequences ke baare me nahi socha tha...but ab aisa kabhi nahi hoga...

MABEL-hum hone bhi nahi denge babes...

ALFREEN-exactly..


ye bol woh dono MAHI ke ek baar phirse gale lag gayi..

kuch seconds yunhi reh jab teeno alag hui toh MAHI ki nazar us direction ki taraf gayi jahan RAAZ khada tha par wahan dekh woh halki chownki....

reason..

RAAZ wahan nahi tha..infact, RAAZ us room me hi nahi tha..woh jaa chuka tha...aur ye dekh....


MAHI-ye RAAZ kahan gaya..???


MAHI ki baat sun ALFREEN ne bhi pure room me nazar ghumayi aur mujhe gayab dekha jispar jahan ek taraf MAHI ki hi tarah MABEL bhi halki hairan hui wahin dusri taraf ALFREEN ke chehre par smile aa gayi aur..


ALFREEN-babes, RAAZ ko emotional talks pasand nahi hain... isiliye hamare conversation shuru hone se pehle hi chala gaya woh....


jahan ALFREEN ki baat sun MABEL ke chehre par smile aa gayi wahin smile toh MAHI ke face par bhi thi,par saath hi uske man me chal rahi thi ek baat aur woh ye ki...


MAHI man me-kya hai ye ladka...????!!!



kab kya kar jaaye,koi JAANTA nahi....

khayal bhi hai,par fikr ko ye PECHAANTA nahi...

ATTITUDE bhi hai aur khadoos bhi.....

dimag kehta hai door reh,par najaane dil ye baat kyun MAANTA nahi.....????














AAJ KE LIYE ITNA HI.....















AAPKA APNA V...J......
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WOOGER FALLON KO DHUNDH HI LETA HAIN WAHIN DUSRI TARAF MAHI ALFREEN AUR MABEL SE MAAFI MAANG LETI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-108




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLARS CLASS:-






NAA MEHNET SE HOGA NAA BHAKTI SE HOGA....

SHABDON KA SPASHTIKARAN DIL AUR AATMA KI SHAKTI SE HOGA....




class abhi shuru nahi hua tha isiliye mai man hi man apni seat par baitha is paheli ke baare me soch raha....

ab ye paheli kahan se aa gayi,ye jaanane ke liye chaliye,ek din aur ek raat reverse maarte hain.....

ua raat ke baad aaj dusra din ho chuka tha UNEARTH THE IMMORTALS naam ki book ko haasil kiye hue mujhe...

wahi book jisme mere aur MAHI ke baare me likha gaya tha...

kareeb 100 pages ki us book ka pehla bhaag joki 50 pages me tha,usme MAHI ke baare me bataya gaya tha aur uske baad ke pages mere hisse ke the..

par jaise hi maine us book ka first page joki MAHI se related tha,usse palatna chaaha toh halka chownk gaya...

reason....

page turn hua hi nahi infact mere waisa karte hi us book ke upar se ek power layer joki wahi SHIELD tha,jo kuch der pehle tak us ESPRIT CRYSTAL ke upar tha aur mere cover uthathe hi,usse hote hue neeche ki taraf jahan woh book thi,uspar chala gaya tha,woh mere saamne hawa me uthkar rook gaya....

aur aisa hote hi us power layer ne dhuen ka roop lena shuru kiya aur dekhte hi dekhte us dhuen me kuch words banane lage joki the,



"AAGE BADHNE SE PEHLE TUJHE EK BAAT JAANANA HOGA...

SHARTH HAI EK JISSE BINA SUNE MAANANA HOGA...

YE KITAB TERE LIYE HAI,TU HI ISSE PADH SAKTA HAI,PAR JO NAA MAANI TUNE SHARTH WAALI BAAT...!!!!!

TOH BINA PADHE,AUR JAANE SACH, TUJHE WAPAS CHALE JAANA HOGA..."


in shabdon ko padhkar mai wakayi hairan ho gaya tha par iska kaaran woh likhe shabd nahi the balki kuch aur tha..

aur woh ye ki jahan us book se mujhe high positive vibe aa rahi thi wahin ye jo dhuen roopi shabd mere aage lehra rahe the,inse mujhe hadh se zyada negetive par super powerful AURA feel ho raha tha jiska sirf ek hi matlab ho sakta tha... VIDEOUS...

ye shabdon ka mayajaal VIDEOUS ne buna tha jiska sirf ek hi matlab ho sakta hai aur woh ye ki usne is book ko yaa fir is FLOWER ko sense kar liya tha..

par kyunki ye sirf mere liye yahan thi, isiliye woh isse open nahi kar paaya hoga..

aur tab usne chali ek nayi chaal..usne apne shakti se is ESPRIT CRYSTAL ke saath merge kar SPECULATION SPELL enchant kiya joki hadh se zyada powerful tha..

SPECULATION SPELL last level spells me se ek hai.. ye ek aisa SPELL hota hai jo turant asar nahi karta balki situation ke according kaam me aata hai...

ab mere liye isse negetive bhala aur kya ho sakta hai..??kyunki agar mai is SPELL ka first part joki sharth ke liye approve karna hai,usse maan leta hun,toh is book me jo bhi hoga, uske according mujhe kaam milega joki mere favour me toh hone se raha...

par agar maine is sharth ko nahi maana toh ye dhuan joki ek unbreakable energy power source bhi hai,woh us UNEARTH THE IMMORTALS book ko destroy kar degi jo mai hone nahi de sakta tha...

ek achi baat bhi thi aur woh ye ki bhale hi sharth ki condition maanane ke baad jo bhi ho, VIDEOUS joki filhal apne IMMORTAL state me nahi hai,usse naa toh us sharth ke baare me pata chalega aur naahi is book me likhe saare RAAZ ke baare me..

situation bohot awkward thi aur mere khilaaf bhi par piche hathne ka option tha nahi mere paas aur isiliye..


MAI-I ACCEPT....


mere aisa kehte hi woh dhuan wapas us book me jaakar gayab ho gaya....

aur aisa hone ke baad ek lambi saans chhod mera haath badha us book ke panno ki taraf jiska first part MAHI par tha aur second mujhpar....

par isme bhi ek hairan kar dene waali baat thi....

aur woh ye ki jahan MAHI ke baare me jo likha hua tha,usse maine asaani se padh liya tha wahin apne baare me likhi kisi bhi baat ko nahi padh paaya tha mai aur iska reason ye tha ki MAHI ke baare me jaankari toh english me hi likhi gayi thi par mere baare me saari baatein likhi thi ENOCHIAN language me...


(NOTE:-YAAD TOH HOGA IS LANGUAGE KE BAARE ME.. ANGELS LANGUAGE)


waise ENOCHIAN language ko padhna mere liye koi badi baat nahi thi par phir bhi mai us book me likhi ENOCHIAN ko nahi padh sakta tha aur iska reason ye tha ki woh likhawat normal ENOCHIAN me nahi balki super high enchantments code ke through likhe lines the joki sirf top position SERAPHIM ANGELS hi likh sakte hain yaa fir ye kahun ki create kar sakte hain...

us code ko decode kar usse normal language me convert karna tha joki asaan nahi tha..

us likhawat ko dekh uspar haath phiraya tha maine aur mere aisa karte hi un likhawaton ke upari bhaag me kuch naya likhane laga tha joki wahi paheli thi jo maine abhi kuch der pehle boli thi..

mai samajh gaya tha ki agar mujhe us ENOCHIAN code language ko break karna hai toh uske liye is paheli me batayi sharth ko pura karna hoga par ye karna bhi asaan nahi tha...

reason...


"shabdon ka spashtikaran DIL aur AATMA ki SHAKTI se hoga"...


is line ka matlab tha ki mujhe apne do main AMPLIFICATION modes SOUL aur HEART ke complete AURA ko us book yaa fir to be precise,un lines par joki mujhse related thi,release karna hoga..

ye part toh asaan tha par actual part ye trick tha hi nahi...asal baat ye thi ki kyunki ye ENOCHIAN SERAPHIM level ka tha, isiliye ispar milawat waale AURA ka asar nahi ho sakta tha..

mujhe apne HEART aur SOUL ke purest form of AURA ko release karna tha jo mere ATTITUDE me kahin bhi nahi tha...

BLACK aur WHITE energy ka mishran thi meri SOUL ki taakat jisse sirf WHITE energy ke AURA ko extract kar apne HEART ke AURA ke saath mix kar bahar laana tha mujhe jo ki tough tha, bohot zyada tough...

aur pichle 1 mahine se mai issi tough part ko solve karne ki koshish kar raha tha....


GOOD MORNING SAVENTS...


mai apni sochon me goom hi tha ki tabhi hum sab SAVENTS ko gesture karte hue hamare teeno WHIZZ aur WHIZZDERS class me enter hui jisse mai apni sochon se bahar aa gaya...

khair,un teeno ko bhi SAVENTS ne greet kiya jiske baad...


HIDA-so class,aaj aap sab kuch interesting sikhne waale hain...

behadh excitement aur khushi ke saath HIDA ne apni baat shuru ki...

aaj HIDA ka as a STELLAR WHIZZ,dusra din tha aur woh is change aur upgradation ko bohot enjoy kar rahi thi...

saath hi kal uske class ke first day se hi usne apne teaching methods se apne dono colleagues aur SAVENTS ko hi acha khaas impress kar diya tha..

usme MABBA jaisa fake ATTITUDE nahi tha aur woh detailings me bohot dhyan deti thi aur ye tarika sabhi ko kaafi acha laga tha..

anyways, apni baat ko aage badhate hue...



HIDA-BHAVATAM PRATIBHAASHAM

EMOTIONS REFECTORS


ye ek multi use SPELL hai jisse bohot si chizen ki jaa sakti hain..

jo chizen is SPELL ko sahi se use me laakar ki jaa sakti hain,unke bhi do levels hain.

pehla normal aur dusra advanced...

aaj aur is PHASE me aap iska normal use sikhenge..

normal level me bhi bohot si interesting chizen aati hai jaise ki opponent power measure, power analysis aur feelings transportation....

is SPELL ko thik se use karne par aap jiska bhi chaahen,uske power ko measure kar sakte hain,wahin apne defense me agar aap chaahen toh apni powers ko limit kar sakte hain saath hi apne man ke kisi bhi bhaav ko jisse bhi chaahen,usse hawaon ke tarangon ke through pahuncha sakte the...

hain naa interesting...!!!

SAB-yes WHIZZ...

MAHI-WHIZZ,just out of curiosity,is SPELL ke advanced level par kya hota hai...??

HIDA- hidden truth revealer, trespassing feelings,power manulpalation...

is SPELL ka advanced level kaafi khatarnaak hai..iske use me aate waqt agar iske AURA ke daayre me aane waala sachet naa ho,toh uska gehra se gehra RAAZ jo shayad usse bhi pata naa ho,woh open hone ke chances hote hain..

par un RAAZ ko jaan bhi wahi sakta hai jiska metaphisycal power extreme level tak pahunch chuka ho jaise ki PHASE 3 ki WHIZZ MARILIZA aur SEBIL...

saath hi isse use kar kisike bhi feelings ko change bhi kiya jaa sakta hai aur saath hi apne opponent ke senses ke saath yun khela jaa sakta hai ki usse khud apni shaktiyan bhram lagne lagengi...


HIDA ki baat sun aur BHAVATAM PRATIBHAASHAM SPELL ke baare me jaan SAVENTS kaafi shocked ho gaye the..

wahin HIDA ki baat ko aage badhate hue...


REGIS-ayways, filhal toh aap sab BHAVATAM PRATIBHAASHAM ke normal level ko hi practice karne waale hain isiliye focus issi par rakhiye aur ab suniye ki aapko karna kya hai...

kyunki ye SPELL emotions se juda hua hai isiliye isme aapke REFINER
POWERS kaam me aayenge...

MEASURE, ANALYSIS, FEELINGS....in teen words ko yaad kar lijiye...

karna aapko ye hai ki apne REFINER power ko apne SOUL ke saath jodte hue jis kisi par bhi aapka man kare,usko smaran kar aapko in teen words me se kisi bhi ek ko yaa fir do ko yaa fir teeno ko man hi man uccharit karna hai..

isse aapke sharir se AURA nikal us vyakti tak pahunchega jisse aapne smaran kiya tha aur jis bhi word ko yaa fir words ko aapne uccharit kiya tha,usse juda kaam ho jaayega yaa feelings ke maamle me sach aapko pata chal jaayega...

MEASURE word se aapko saamne waale ki AMPLIFICATION aur REFINER shaktiyon ki depth ke baare me pata chalega, analysis word se aap us shakti ko khudke shaktiyon ke saath compare kar paayenge aur feelings spell se aap apni koyi bhi baat ya jasbaat saamne paas kar sakte hain...

haan,ek baat aur,aapka SPELL aur words utne hi kaam karenge jitni aapki potential hogi...


SAPIUS-ye toh hua woh tarika jisse aap dusron par use karenge..aur ab
suniye woh tarika jisse aap is process me khudpar use kar sakte hain..

waise tarika sirf ek word ka hi hai..aur woh word hai HIDE...

jahan samne waalon ke ke baare me jaanane ke liye aapko un teen WORDS ka use karna hai,wahin khudke baare me chhupane ke liye aapko bas HIDE word ka use karna hai..

is word ko uccharit karte hi aap apne power measures aur feelings process ke aage ek SHIELD laga sakte hain taaki koi aapke baare me kuch bhi jaa naa sake..

but ye bhi aapke potential par hai..agar aap par spell bolne waale ki shakti aapse zyada hai,toh woh aaoke sheild ko bhedh dega...

understood...


SAB-yes WHIZZDER...


kaafi excitement me kahi ye baat sabme jiske baad..


HIDA-shuru kijiye phir... paused CEREBRATION se hi is kriya ki shuruat ho sakti hai...


HIDA ki baat sun jahan baaki sabne apni aankhen band kar apne apne CEREBRATION process ko paused kar liya wahin ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY RAAZ aur VIDEOUS ko toh is kriya ke liye paused CEREBRATION me jaane ki zaroorat thi hi nahi, isiliye woh waise hi aankh band kar baithe rahe aur sirf HIDE word uccharit kiya...

khair baaki sab toh zoron shoron se BHAVATAM PRATIBHAASHAM SPELL ko use kar rahe the aur inme sabse aage thi MAHI..

usne measure, analysis aur feelings,teeno hi words ko uccharit kar liya tha jisse uske sharir se teen AURA nikal aage badh gayi thi par ek saath teeno words uccharit karne ki wajah se woh kaafi weak bhi ho gayi thi..

anyways, uski AURA'S nikal badhi meri taraf par mujhe chhute hi woh AURAS bina pair ke hi wapas palat gayi..

MAHI ne ye feel kar liya tha par woh haar nahi maani aur firse try kiya par natija wahi nikla..

teen chaar baar try karne ke baad bhi jab woh kaamiyab nahi hui toh maayus hote hue usne dusri taraf rookh kiya..

pehle MABEL aur phir kuch aur SAVENTS se hoti hui uski AURA'S pahunchi ACCHUTA ke paas par uske paas pahunch bhi wahi hua jo mere paas aakar hua tha...

uski AURA block ho gayi.. ACCHUTA ke baad SLUNDER aur phir BRAWNY ke paas jaakar bhi uski AURA'S block hi gayi thi jisse feel kar pehle toh MAHI hairan hui par phir EXERTION competition me un teeno ke performance ko yaad kar usse yaad aaya ki woh teeno bhi bohot zyada strong hain....

ayways,jab MAHI apni koshishon me lagi hui thi tab mai jaisa ki us ENOCHIAN code ko break karne ki sharth thi, apne HEART ke AURA ko apne SOUL ke AURA ke saath milkar ek pure energy form karne me lag gaya

par tabhi....

kyunki is waqt pure class me saare SAVENTS ka AURA faila hua tha, isiliye mere apne process ko start karte hi ek behadh hi light par hadh se zyada strong force mere sharir ke chaaron taraf ban gayi aur jab woh force un saare AURAS se touch hui jisme FEELINGS AURA bhi thi toh ek nayi chiz ho gayi aur woh chiz thi HIDDEN TRUTH REVEALER AURA...

wahi AURA jo BHAVATAM PRATIBHAASHAM ke advanced version me aati thi...

aur ye isiliye hua kyunki jahan ek taraf SAVENTS ki AURA FEELINGS se bani thi joki HIDDEN hoti hai wahin meri AURA us force ki rachna thi jo mere HEART aur SOUL ke purity se bani thi joki pure TRUTH ray thi...

HIDDEN aur TRUTH ka combination ban chuka tha jisse janm hua us advanced AURA ka jisse HIDDEN TRUTH REVEALER kehte hain...

par jaisa hi HIDA ne kaha tha,is AURA ko har koi sense nahi kar sakta par is class me koi tha jisne is AURA ko feel kar liya tha...

aur aisa feel karhe ke kuch der tak toh woh normal hi raha par phir uski aankhen badi ho gayi....

reason..usse apne ab tak ke safar ka sabse bada surprise jo mila tha...

toh hua ye ki mera AURA nikal aage badh gaya par aage badh woh AURA ek jagah rook gaya aur aisa hote hi ek nayi ENERGY ne janm liya..

ye energy asal me truth decoder thi aur jahan se ye truth decoder energy nikli thi,woh jagah thi MAHI ki jiske paas ek nayi energy AURA form ho rahi thi aur ussi AURA ko feel kar shocked hua tha VIDEOUS..

reason...

jo AURA MAHI ke paas se aa rahi thi,woh human nahi thi balki GODLY thi....

infact, VIDEOUS ne us AURA ko pehle bhi kabhi feel kiya tha aur yahi wajah se thi us AURA ko feel karte hue apni aankhen hairat se badi rakh uske mooh se dheere se hi sahi par ek dhamaka nikla..


VIDEOUS-RONIT AUR ANJALI.....

MAHI ke paas RONIT aur ANJALI ka AURA..iska matlab ye un dono ki ansh hai...

shit..itni badi undekhi kaise ho gayi mujhse... toh isiliye ye manulpalate nahi ho rahi thi... SERAPHIM ANGELS ka ansh bhala BLACK ENERGY se itni asaani se kaise haar sakta hai..??

master stroke FATHERS..meri hi duniya me meri hi barbaadi ka samaan implant kar diya aapne aur mai bewakuf bekhabar raha...

absolutely brilliant...but dekhiye,aaj aapke banaye hathiyar RAAZ ne aapke itne bade RAAZ ko unfold kar diya...

aur issike saath aapki chaal khatm...infact chaalon ka chalan hi khtam...aur toh is khel ka anth hoga...


MAHI,MAHI,MAHI.....





CHAHTA toh nahi tha par mujhe ye KARNA HI HOGA....

RAAZ ke saath saath tujhe bhi aag ke dariye me UTARNA HI HOGA....

socha tha sirf khelunga tere saath,par afsos,

is kahani ke anth me tujhe bhi MARNA HI HOGA......
















AAJ KE LIYE ITNA HI......















AAPKA APNA V....J.....
Nice update bro
 
Top