• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
To finally intermission ho gya story ka...aur kya hua kaise hua kyu hua kb hua sb kuchh pta chl hi gya...par...yaha pr videous over confident bhi ho gya jaha wo soch rha h ki uski jeet ho gyi h wo to kshanik waqt ke liye hi h kyuki koi apni niyati ki taraf badh chuka h...jahan se uska safar khud ko jaanne aur khud ko shaktishali bnane ka hoga wahi kisi ka safar khud ko hi paane ka hoga jo wo abhi huye hadso ke karan khud ko hi bhula baitha h apne daiyatva ko bhula baitha h apna santulan kho chuka h kya bakai me wo sahi marg pakdega jb use hosh aayega ki wo kon h kya hua h uske sath ya fir marg bhatak kr iss sansaar ke liye ek yamdoot bn jaayega...ye dekhna dilchasp hoga wahi jab alfreen behoshi se jaagegi tb uska haal bhi dekhne layak hone wala h..uske alawa un charo ki kya halat hone wali h aur videous aur uske upashak unhe kaise tadpate h khaskar mabba ye to aur bhi kafi khtrnak hone wala h...aur ant me jb last level genious videous ko hua iss kuchh pal ki jeet ke baadka ghamand tutega to uska kya haal hone wala h ye sbhi sawalo ke jwab jaanne ka intzaar rhega ab ..itne kuchh din moj lijiye aap bhi brother kyuki ab kahani me nye kirdaaro ka role play hone wala h jo srf introduction tk hi seemit rhe h abhi tk aur khud ko nikharne me lge hue the ab waqt h un sabhi ke bahar aane ka
...isliye wapsi ka ghor intzaar h aakhiri adhyaay ke sath brother...
 
Last edited:

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO DEVOTEES KO RAAZ KE ANDAR SE KISI AUR KA EMOTION FEEL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF ANYLIZER ME RAAZ AUR MAHI,DONO HI APNE APNE REFINER PROCCESS ME AA RAHI PROBLEMS KE BAARE ME JAANTE HAIN...


AB AAGE:-


CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)


UPDATE-80



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S



GROOMERS CLASS:-





REFINER ACTIVATION CHALLENGE.......DAY 12



OK SO SAVENTS,BEFORE STARTING TODAY'S CLASS,EK ANOUNCEMENT HAI,SUNIYE....


class me enter karne ke baad EDWINA ne ye baat kahi jisse sun sabhi SAVENTS uski taraf dekhne lag gaye jispar.....


EDWINA-aap sabko yaad toh hoga hi ki is PHASE me ek extra activity add hui hai jisme teeno hi catagory ke SAVENTS FORBIDDEN FOREST me 2 din aur 2 raat rehne waale hain..

SAB-yes WHIZZ...

EDWINA-wahan basic magical aur metaphisycal chizon se aap apne abilities nikharenge...

ye do din aapke liye bohot hi interesting toh honge hi,par saath hi un activities se release hone waale pressure ki wajah se aap sabke liye ye do din kaafi exhausting bhi honge....

FORBIDDEN FOREST me aap sabki ye do dino ke practical ACTIVITIES parso se shuru honge...

and as i said that kyunki ye do din jo ki parso aur the day after that hain,aapke liye kaafi exhausting hone waale hain isiliye kal class nahi lagegi...

aap sabhi ko ek din ka off diya jaa raha hai...kal aap sab apni body ko pura relax kijiye...


WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS kaafi khush ho gaye the..

reason do hain...pehli toh FORBIDDEN FOREST me ek tarah ki camping ki excitement aur dusri ye ki REFINER proccess se release hone waali pressure ki wajah se unke bodies ache karne lage the aur isiliye un sabki bodies ko ek break ki zaroorat waise bhi thi joki unhe mil chuki thi...

jahan baaki SAVENTS EDWINA ki baat sun khush ho rahe the wahin uski kahi baat mere liye ek challenge ki tarah thi...

aur wo aise ki maine khudko challenge kiya hua tha ki ek mahine ke andar hi mai apne REFINER ke complete power ko activate karke rahunga...

aur FORBIDDEN FOREST ki added activitiy ki wajah se is mahine ke aakhri din kal ka tha....

par EDWINA WHIZZ ki announcement se ab wo aakhri din aaj ka ho gaya tha....

iska matlab tha ki anyhow mujhe aaj hi complete power tak pahunchna tha jisse mai filhal 30 seconds door tha...

us din ANYLIZER se mujhe apne REFINER ki movement ko read karne me madad toh mili thi par saath hi next day se ek extra problem bhi mujhe gift me mila tha...

aur wo ye ki REFINER ACTIVATION proccess ke dauarn un movements ko bhi apne brain se mujhe jodna hota tha jiski wajah se REFINER mere brain me lagatar attack karte the...

result..paused CEREBRATION me bhi mujhe chakkar aane lagte the..

aisa lag raha tha jaise mere andar panap rahe dusro ke EMOTIONS kisi bhi haal me mujhe kaamiyab nahi hone dena chahte the..

par jo dusri ki chahaton par kurbaan ho,wo RAAZ nahi...mai bhi puri dhithatha ke saath laga hua tha aur ussi zidh ka natija tha ki mai bas 30 seconds hi door tha apne target se..

but thanks to EDWINA,time limit ke ghatne se ab ye target apne aap bada ho gaya tha...

khair, announcement ho chuka tha, isiliye hum sab apni apni jagah par baith chuke the,band ho chuka tha hum sabka CEREBRATION aur shuru ho chuki thi proccess...


SAMPURN AANANDITAM...


man hi man uccharit kar is SPELL ko lag gaya mai teehri maar aur added brain pressure ko jhelne me...

wahi jabdon ko bheenche rehna,wahin teehri taklif,wahin brain pressure...

in teeno hi odds ko jhelte hue REFINERS ki movements ki calculation kar raha tha mai...

jaisa ki ANYLIZER me maine dekha tha,mere andar ghum rahe REFINER mere chaaron AMPLIFICATION modes se takra rahe the,wo bhi continously do se teen baar...

mai yahi dekh aur samajh raha tha ki kis mode par REFINER kis waqt chot kar raha tha aur uske according apne us mode par mera focus zyada ho raha tha...

aur issi tarah taklifon ke pahad ko jhelte hue mere proccess ka waqt badhta gaya aur....

5,4,3,2,1.....

baaki SAVENTS ki toh aankhen khul hi chuki thi aur is countdown ke khatm hote hi jab 4 aankhen khuli toh...


ROVEL-congrats ACCHUTA, SLUNDER....


finally aap dono ne apne apne REFINER ke averege power ko activate kar liya hai...

jahan ROVEL ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke chehre par smile aur garv dono dikhne lage wahin unki achievement dekh baaki SAVENTS ne unki badhayi ke roop me desk bajate hue hooting ki...

ROVEL ke baad PETRA aur EDWINA ne bhi ACCHUTA aur SLUNDER ko badhayi thi jispar thanks bol wo dono meri taraf palte kyunki un dono ki is achievement ka reason kahin na kahin kuch hadh tak mai bhi tha...

aur wo isiliye kyunki kaafi dino se mai un dono ko lagatar unki REFINER activate karne ke liye alag alag tarikon se provoke karta aa raha tha..

maine underperformance ko lekar kaafi insult bhi ki thi un dono ki jisse chupchaap sunte aaye the wo..

par kal finally maine unke andar aag jala hi di...kal maine unse kaha ki agar kal ko unke kisi family member ki insult ANWIR aur MORANA karen,toh kya wo capable hain us insult ka jawab dene ke liye..

meri is baat ne un dono ko andar tak hila diya tha aur result aaj sabke saamne hai..

khair,mujhe thanks kehne ke liye palte wo dono meri taraf par kyunki mera proccess abhi bhi chalu tha, isiliye wo dono rook gaye..

wahin hamesha ki tarah aaj meri body lagatar shake nahi kar rahi thi...

REFINER ke attack timing ke ganit ko samajhne ki wajah se meri body thodi control me thi par phir bhi rook rook kar mai jhatke zaroor khaa raha tha...

aur issi tarah jhatke khaate khaate...


EDWINA-amazing yaar... sirf 30 seconds reh gaye hain RAAZ ke REFINER ko complete power milne se...and i think he will achieve this feat today..

ROVEL/PTERA-hope so...


teeno WHIZZES,WHIZZDERS aur unke saath sabhi SAVENTS aankhon me curiousity liye meri taraf dekh rahe the aur tabhi..


KHONNNN....

khaansi ke saath ek jhatka laga mujhe jiske baad khoon ki ek ulti si hui mere mooh se jisse dekh hadbada se gaye ACCHUTA aur SLUNDER aur unke saath puri class...

ACCHUTA turant badha meri taraf par tabhi..


EDWINA-wait....sirf dus seconds hi baaki hain RAAZ ki process puri hone me..dont ruin his hardwork...


EDWINA ki baat sun khudko control kiya ACCHUTA ne aur man hi man pray karte hue dekhne laga meri taraf...

wahin jab mai itne pain ke baad bhi paused CEREBRATION me hi raha toh mere andar ghumte REFINER ne khudko chaar bhaagon me baat liya tha aur ek saath mere chaaron AMPLIFICATION modes par attack kar rahe the aur yahi reason tha mere mooh se nikle khoon ka...

par phir bhi mai kisi tarah data hua tha...ab sirf 5 seconds hi bache the mere target ko pura hone me par tabhi.....

double force se mere chaaron AMPLIFICATION modes par attack kiya REFINER ne jiske baad..


KHON,KHON.....

ek saath do baar khoon ki ulti hui mere mooh se jisse dekh dar se gaye ACCHUTA, SLUNDER aur baaki ki class..

wahin is khoon bhari khaasi ke saath mera brain bhi collapse hone laga tha aur yahi kaaran tha ki meri body neeche ludhakne lagi thi par isse pehle ki ye hota....

aankh khul gayi meri.....

reason..


TASK COMPLETED.....


finally maine apne REFINER ke complete power ko activate kar liya tha aur isiliye mere aankh khulte hi, badi zor se taali bajayi EDWINA ne....

waise hooting toh sabhi kar rahe the par EDWINA ki clapping sabse loud thi..

hadh se zyada khush dikh rahi thi wo...aisa dedication unhone pehle kabhi nahi dekha tha aur jab aise dedication ko appropriate result milta hai toh taarif aur khushi honi hi chahiye...

wahin in sab se alag ACCHUTA aur SLUNDER the jo khush toh the hi par meri haalat jo bohot kharab dikh rahi thi,usse dekh chintit bhi the jisse dekh..


MAI-mai thik hun....


kamzori ki wajah se halke ladkhadate hue kahi maine ye baat jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ko meri lharab haalat ka pura andaza jo chuka tha..

wahin kuch der tak meri achievement par khush hone ke baad....


EDWINA-RAAZ... REFINER ke COMPLETE POWER ko activate kar tumne apne SOUL ko bhi 4 percent tak AMPLIFY kar liya hai....

isiliye,you have upgraded yourself as a new STELLAR....

tumhare FLAT me aaj tumhara aakhri din hai..kal se,you will move to your new self earned ABODE....

aur most importantly,parso tum ek GROOMER ke hisaab se nahi balki ek STELLAR ki authority ke saath us prestigious group ke new member ki haisiyat se FORBIDDEN FOREST jaaoge...

badi excitement aur garv ke saath kahi ye baat EDWINA ne jisse sun mai normal hi raha.....

anyways, ye sab toh common tha jo hona hi tha,main aur important baat ye thi ki ab maine wo taakat haasil kar ki thi jiske baad meri ye REFINER ki problem khatm hone waali thi...

aankhen halki halki bojhil ho rahi thi meri,sharir me jaan nahi bacha tha,par in sabke beech ek satisfaction tha mere andar aur ussi satisfaction ko khudme samete maine man me kaha..


MAI-apne problem ka solution lene mai aa raha hun LORD OF ANGELS.....





STELLAR'S CLASS:-




SAMPURN AANANDITAM

SAMPURN ANTARDUKHAM



jahan ek taraf MAHI aur baaki ki puri class HAPPY REFINER ko trigger karne me lagi hui thi,wahin VIDEOUS apne second REFINER SAD ko ACTIVATE karne ki koshish me laga tha....

ANYLIZER jaane ka wakayi faayda hua tha MAHI ko kyunki us din ke baad se uski per day growth me kaafi izafa hua tha aur yahi reason tha ki kal MAHI bas 10 seconds chuk gayi thi apne REFINER ke complete power ko activate karne me par aa usse aur uske saath teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko bhi ummid thi ki wo bache 10 seconds MAHI aaj zaroor cross karegi..

wahin dusri taraf tha VIDEOUS jisne apne second REFINER ke average power tak ko activate kar liya tha aur ab complete power ki taraf badh raha tha..

teesri taraf the ALFREEN aur MABEL jo apni puri jaan laga rahe the aaj taaki kamsekam apne first REFINER ko activate kar paayen aur aaj finally aisa ho bhi gaya..

par ALFREEN ka nahi,balki MABEL ka....

ALFREEN ki aankhen 1 minute 30 seconds me hi khul gayi thi par MABEL ne pure do minute tak alne CEREBRATION process ko pause rakh apne REFINER ke averege power ko activate kar hi liya jiske baad teeno WHIZZ, WHIZZDERS aur ALFREEN ne usse badhayi thi...

MABEL ko badhayi dene ke daur chal hi raha tha ki tabhi....

VIDEOUS ki aankhen khul gayi..woh bas 1 minute hi door tha ab apne second REFINER ki full power se...

aankh khulne ke baad VIDEOUS apne performance ka man hi man aaklan kar hi raha tha ki MAHI ki anakhen khul gayi but not before activating her REFINERS COMPLETE POWER jisse dekh...


MABBA-well done MAHI... finally tumne bhi apne REFINER ko uski complete power tak activate kar hi liya...


jahan MABBA ke baad baaki sabhi ne MAHI ko congratulate kiya wahin MAHI ki best friends MABEL aur ALFREEN ne bhi usse congrats kiya par formally..

wo khushi aur excitement nahi tha unke badhayi me jo pehle hua karta tha...

reason toh pata hi hai sabko...us din ALFREEN ko jo kuch bhi MAHI ne kaha,uske baad in dono me doori aa gayi thi aur MABEL ne bhi MAHI se baat karna kam kar diya tha..

ab bacche toh hain nahi ye sab ki katti katti khelen...

baat karte the ye par bohot formally aur casually...

naa MAHI ne us din ke apne bartaav ke liye ALFREEN se maafi maangi aur naahi ALFREEN aur MABEL ne us baare me kuch kaha usse...

khair,aaj ki class khatm hone ka waqt ho chuka tha....

GROOMERS CLASS ki tarah yahan bhi class ke start me hi kal off hone ki baat bata di gayi thi isiliye sabhi kaafi relaxed the....

par in sabke beech thi MABBA jo relaxed hone ke saath saath excited bhi thi kyunki kal ke baad jo suraj nikalne waala tha,wo uske apmaan ke badle ka din tha....

aur isiliye...


MABBA-ek din aur...relax kar le RAAZ..zaroori bhi hai ye...kyunki mai nahi chahti ki jo tera haal hone waala hai,usse pehle tere sharir me thakaan rahe...

sukoon ki chaadar odhe body ki chamdi udhedene ka maza hi kuch aur hota hai....





PLACE-SHEELA'S ABODE





AAO AAO RAAZ....WELCOME..MUJHE PATA THA, TUM ZAROOR AAOGE....


mere main door ke andar ghuste hi saamne hall me baithi SHAILA ne kahi ye baat...

raat ka waqt hai.. institution se aane ke baad kamzori ki wajah se din bhar sota hi raha tha mai...

par kuch der pehle jab meri neend tooti toh mai turant yahan SHAILA ke ABODE ke liye nikal gaya....

khair, SHAILA ki baat sun.....


MAI-toh,kab jaana hai mujhe...????


point par aate hue kahi ye baat maine jispar..


SHAILA-pehle ye batao kahan jaana hai...???

MAI-wahin,jahan aapke LORD rehte hain..HEAVEN....

SHAILA-HEAVEN kyun..???

MAI-tour pe...dekho,ye ghuma firakar baat karna pasand nahi hai mujhe...tumne kaha tha ki meri EMOTION se uthne waale lagatar pain ka ilaaj LORD OF ANGELS ke paas hai....

SHAILA-excatly yahi kaha tha maine....par ek baat batao,tumhe ANGELS emotion pain de rahe hain yaa fir HUMAN emotion...

MAI-human..

SHAILA-toh fir iska ilaaj heaven me basa ANGEL kaise karega...???

tumhara ilaaj LORD OF ANGELS hi karenge,par naahi wo ye heaven me karenge aur naahi as LORD karenge,balki wo ye as a HUMAN karenge but with the power of LORD....

MAI-matlab...kya wo phirse human form me paida hue hain...???

SHAILA-nahi..unka janm ek baar hi hua tha aur ye equation change nahi hoga...

MAI-SHAILA...,say something that makes sense....


meri baat sun muskurayi SHAILA aur....


SHAILA-tumhe us daur me jaana hoga,jab LORD OF ANGELS human the,wo VIKRAM the...

2025 me....

aur ye tum kar paaoge...

MAI-PARIVARTAK se.....


SHAILA ki baat ka mukhya bhaag pura kiya maine jispar...


SHAILA-sahi jawab....PARIVARTAK ki madad se tum LORD OF ANGEL ke human time me travel karoge...

par PARIVARTAK yantra ko lene tumhe sabse pehle YELUPTUS jaana hoga jahan SAMAY SANCHALAKON tumhe us PARIVARTAK ke dwara us time zone me bhejenge...


MAI-hang on...SAMAY SANCHALAK...par ZEAL me jo maya bhram maine dekha tha,uske hisaab se toh PARIVARTAK SAMAY SANCHALAKON ki aisi property hai jisse wo kabhi kisiko nahi dete..

phir wo mujhe kyun uska istemal karne denge...???

SHAILA-correction....CREATURE OF JUDGEMENT waale test me tumhe maya bhram dikhaya gaya tha par jo tumne SAMAY SANCHALAKON ke saath experience kiya tha, wo sach tha jo ussi PARIVARTAK ke through possible ho paaya tha..

kyunki us ghatna se us waqt ka koi bhi kaam hinder nahi hua tha, isiliye tumhara wo safar sach tha...

aur us safar me PARIVARTAK dete waqt tumne ek waada liya SAMAY SANCHALAKON se...wo waada toh yaad hi hoga tumhe...

MAI-haan,agar kabhi mujhe jo ki us waqt LORD the, unhe yaa fir unse jude kisiko bhi PARIVARTAK ki zaroorat padi toh wo usse de denge...

SHAILA-exactly..ab bhala LORD ki kahi baat SAMAY SANCHALAK kaise kaat sakte hain...

aur finally dekho,LORD ki baat puri hone ka wo waqt aa hi gaya..LORD na sahi,unki rachna ko zaroorat padh gayi PARIVARTAK ki.....

MAI-agar wo sab sach tha,toh mai wakayi ghus nahi sakta YELUPTUS me....

kyunki mere through LORD ne YELUPTUS ke chaaron taraf shield lagayi thi taaki koi bhi negetive energy waala banda ghus nayi paaye wahan...

SHAILA-HIDA ka AURA aur uske saath ACCHUTA, SLUNDER ke mom dad ke EMOTIONS jo filhal tumhare REFINERS ko temporary trigger kar rahe hain,wo kab kaam aayenge...

wo dono hi chiz pure hain aur apne pehle REFINER ko haasil karne ki wajah se wo EMOTIONS aur AURA tumse aur zyada jud chuke hain...

bas un dono ke mishran ko ek baar aur use kar touch karna SHIELD ko,usse sirf tumhara wo bhaag sense hoga jo LORD ki urja se bana hai....

MAI-cool...shuru karen phir...

SHAILA-haalat dekho apni RAAZ...bhale hi wo shield tumhe ghusne dega,par AURA aur emotion ke ek saath use lene par tumhari haalat bohot kharab ho jaayegi..

isiliye waisa karte waqt tumhara fit hona zaroori hai jo filhal tum nahi ho..

ghar jaao,3,4 sheeshi kaadhe ke piyo,strap tapes lagao aur so jaao...

safar kal karna....waise bhi kal INSTITUTION off hai,toh koi problem hogi nahi...

MAI-aur parso..???parso FORBIDDEN FOREST jaana hai toh kya meri absense se koi problem nahi hogi...

SHAILA-main baat toh reh hi gayi... time loss bilkul nahi hoga..

jis second tum VIKRAM ki duniya ke liye nikloge,ussi waqt wapas bhi loutoge...

matlab tumhara jaana bhi kal ka hai,aur wapas aana bhi kal ka hai...


saari baat ho chuki thi aur ab rookne ka koi matlab tha nahi isiliye mai wapas palat apne flat ke liye nikal gaya...

wahin mujhe jaata dekh...



SHAILA-


jinhone tujhe banaya,kal wo
tere SAATH HONGE....

par uske baad bohot ajeeb
tere HAALAT HONGE....

ki tera ab tak ka har faisla BHAAV RAHIT tha....

par tab kya hoga,jab tere andar bhi JAZBAAT HONGE.....










AAJ KE LIYE ITNA HI.....











AAPKA APNA V....J......
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI AUR RAAZ APNE APNE FIRST REFINER KE COMPLETE POWER TAK ACTIVATE KAR LETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SHAILA KE THROUGH RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI USSE APNE PROBLEM KE SOLUTION KE LIYE VIKRAM KE PAAS 2025 ME JAB WO EK HUMAN THA,JAANA PADEGA.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-81



PLANET-ELYSIAN


PLACE-SHAILA'S ABODE





SO ,YOU ARE READY......?????



SHAILA, AKSHAANT aur MOKALSAR,teeno ne kahi ye baat ek saath mujhe jispar maine apne sir haan me hilaya aur mere aisa karte hi....

wo teeno ne hi apne ANGEL ki shaktiyon ko jaagrut kar apne apne haath aage kiye...


SATWATUSHENAHA MAGRAM

THE DIVINE WAY


is pure WHITE ENERGY aur sirf ANGELS ko diye adhikar waale SPELL ko uccharit kiya un teeno ne...

reason...

jo SPELL abhi bola gaya tha,us SPELL se wo DOOR khulta tha jiske dusri taraf YELUPTUS tha.

ek aisa PLANET jo jeeven daayi hone ke baad bhi living PLANETS ki ginti me nahi aata..

kyunki GOD ne ye planet sirf SAMAY SANCHALAKON ke liye hi banayi hai...

ek aisi jagah jisme jeevent hone ke baawjud BLACK ENERGY ka ek kan bhi nahi hai...

ek aisi jagah jahan VIDEOUS tak ko ghusna toh door,us PLANET ke path par pair rakhna bhi allowed nahi hai...

universe ke ek aise bhaag me bana hai ye PLANET jisse koi BLACK ENERGY ka maha shaktishaali dhaarak bhi detect nahi kar sakta...

ye adhikar sirf ANGELS ko mila hai..yahi wajah thi ki apne ANGEL power ko activate kar jaise hi un teeno ne ye SPELL bola,unke haath se gaadhi WHITE ENERGY se bani ray nikal saamne padne lagi jiske kuch seconds baad hi us ray ke beech ek bada sa raasta ban gaya jiske doosri taraf YELUPTUS ka vaayu mandal dikh raha tha......

apna kaam khatm kar teeno ne hi apne apne haath niche kiye aur...


AKSHAANT-hamara kaam ho gaya...ab tumhara baari....


AKSHAANT ki baat sun mai is door ki taraf badha ki tha ki...


SHAILA-rooko RAAZ....kuch bhul rahe ho tum...is darwaze ke dusri taraf YELUPTUS ka vaayu mandal hai jisme LORD OF ANGEL ki SHIELD lagi hui hai....

isiliye iski hadh ko chhune se pehle HIDA ke AURA ko aur ACCHUTA aur SLUNDER ke mom dad ke emotion ko activate karo..

apni body ki outer layer par rakho un dono ko... uske baad hi is darwaze ko paar kar paaoge tum....


SHAILA ki baat khatm hone se pehle hi maine apni aankhen band kar li thi jiske baad meri band aankhon ke saamne aaya HIDA ka AURA aur saath hi ACCHUTA,SLUNDER ke emotions se bhari energy jisse maine feel karna shuru kiya aur mere aisa karne ke agle hi pal....

ghutno par aa gaya mai....

reason.. dard ki ek behad hi tez leher doud uthi mere andar....

ye pain REFINER proccess se bhi zyada tha aur wo isiliye kyunki is waqt mera CEREBRATION process paused nahi tha..

bina us process ke ye pain unbearable tha..

khudko control me rakhne ki zid ki wajah se sir kamkapa raha tha mera..

ek baar gayi meri nazar teeno SOVEREIGN'S par jo bas apni jagah par chupchaap khade muskura rahe the..

khair,mai jaanta tha ki ye dard mujhe jhelna hi hai isiliye kisi tarah apni energy bator mai khada hua aur dheere dheere aage badha..

kuch 10 kadam ka safar tha ye jo mujhe 10 km jitna door lag raha tha..

2 kadam hi chale honge maine ki tabhi ek tees uthi mere BRAIN se lekar pair tak jiske baad mai ek baar firse neeche baith gaya...

apni saanson ki dor ko kisi tarah gati me rakh maine saamne dekha jahan wo door khula hua tha...

dard ko zabt karte hue ek baar aankhen zor se bheenchi maine aur fir dobara aankhen khol,ek lambi saans le mai utha,teen kadam tezi se aage badhaye aur fir uske agle hi pal apni puri jaan laga us door ki taraf jump laga di maine aur fir agle hi pal...

ek second...jaise hi meri body us door ki sarhad par pahunchi,bas ek second ke liye meri body chipak si gayi us jagah par..

jaisa ki SHAILA ne bataya tha ki door ki dusri taraf SHIELD thi toh mere us SHIELD ki hadh ko chhute hi wo active ho gayi...

mujhe khud se chipka usne mere sharir ke outer layer ko scan sa kiya aur jab ye scanning puri hui toh....


ZOOBBBBB........

kheench liya mujhe SHIELD ne apne andar....aisa hote dekh muskura uthe teeno SOVEREIGN'S aur fir unhone wo door band kar di...

wahin SHIELD ke kheenchte hi mai YELUPTUS ke vaayu mandal ke andar pahunch chuka tha..

aur aisa hone par meri body tezi se wahan ke akaash se zamin ki aur girne lagi...

waise toh demonstration ke din udne ka hunar sikh liya tha maine par us kaam ko bina kisi problem karne ke liye REFINER ka SOUL se merge hona zaroori hai..

par is waqt toh us REFINER ka base, matlab ACCHUTA aur SLUNDER ke mom dad emotions mere body ke outer layer par the aur jab tak mai YELUPTUS me hun,tab tak yahi mere life source bhi the...

toh bottom line ye tha ki mai filhal naa toh ud sakta tha aur naahi koi aur meta physical activity karne ke laayak tha...

in saare ganit ke beech meri body tezi se neeche girti chali jaa rahi thi..

ab toh mujhe neeche ke zamin bhi saaf dikhne lagi thi...kuch 500 feet hi reh gaye the us zamin ke saath mere body contact ko aur agar aisa ho jaata toh mai VIKRAM ko kya,kabhi apne aap ko hi nahi dekh paane waala tha..

khair,jaise hi mai ground impact se 100 feet upar pahuncha,maine apni aankhen band kar li aur fir.....

kaayde se kuch 2 seconds me hi mujhe neeche zamin se takra jaana tha,par jab 10 seconds guzarne ke baad bhi aisa nahi hua toh maine apni aakhen kholi aur aisa karte hi maine dekha ki...

mai zamin se kuch 6 feet upar hi hawa me latka hua hun...

neeche dekhne ke baad jab maine sir sidha kiya toh dekha ki mere saamne kuch door par bohot se log white robe me khade mujhe dekh muskura rahe the...

par unhe dekh mere normal expressions change nahi hue kyunki zeal test ke waqt mai dekh chuka tha in sabko....

mere saamne khade the SAMAY SANCHALAK.....






PLACE-WEAKLINGS STAY






COMMON DAD,FAST..???ITNA SLOW BHI BHALA KOI DAUDTA HAI KYA.....!!!!


apne dad ko peeche chhodte hue kahi ye baat BRAWNY ne jispar haste hue SHALTON ne apni speed badha di par bhala ek SAVENT se koi aam insaan jeet bhi sakta hai kya..???

apne quater ke saamne pahunch jab BRAWNY ne palat kar dekha toh paaya ki uske dad kaaafi piche reh gaye hain....


subah ka waqt hai.... BRAWNY aur uske dad SHALTON morning jog par nikle the jisme BRAWNY ki jog toh khtam ho chuki thi par SHALTON latte patte haaf haaf kar daudte hue thodi der ke baad BRAWNY ke paas pahunche aur fir apni saanson ko durust karne lag gaye...


BRAWNY-kya dad...??itne slow...aap wakayi buddhe ho gaye ho....

SHALTON-haan beta.... SAVENT hai tu... tujhe toh ye sab easy hi lagega...agar meri tarah normal hota toh meri umar me meri aadhi speed se bhi nahi bhaag paata tu..

BRAWNY-chalo,life me ek galatfehmi toh honi hi chahiye...aap ki ye hai toh yahi sahi....


jahan apni baat kehkar has diya baat keh has diya BRAWNY wahin apne bete ko haste dekh man hi man kaafi khush hue SHALTON...

ye hasi bohot kam naseeb hui thi BRAWNY ko uske ab tak ke life me...

wahin dusri taraf apne bete ko haste dekh....


NAOMI-kya baat hai beta.....????aaj kal bohot khush rehte ho... class me performance achi hone lag gayi hai kya...????


quater se bahar aa BRAWNY ke sir par pyar se haath fer kahi ye maat NAOMI ne jispar...


BRAWNY-ye kya baat hui..??kya mujhe sirf tabhi khush rehna chahiye jab meri performance thik ho....???

NAOMI-beta,mai toh chahti hun ki teri zindagi ka har pal khushiyon ke jhule ke beech guzre....

gam ki ek ghadi bhi tere naseeb par apni chhaya naa daal sake...

par pehle kabhi tujhe har waqt itna khush dekha nahi hai naa, isiliye pucha maine...???

BRAWNY-kyunki pehle mai galat tha...har waqt performance pressure ko soch udaas rehta tha..

par ab maine soch liya hai ki performance pressure kabhi nahi lunga...

aakhir life ka kya bharosa...?? isiliye jitne bhi pal GOD ne likhe hain,usme hamesha khush rehna chahta hun mai...

NAOMI-chup kar...kuch bhi bolta hai....GOD ne tujhe pal nahi balki anginat saalon ki zindagi se nawaza hai...

isiliye ye life ki uncertainty ke baare me sochna chhod aur bas yunhi hamesha khush raha kar...

BRAWNY-done....

NAOMI-chalo fir...nashta bana diya hai maine,garam rehte khaa lo...

BRAWNY-aap log chaliye,mai aa raha hun....


BRAWNY ki baat sun NAOMI aur SHALTON quater ke andar chale gaye..

wahin apne mata pitah ko piche se jaata dekh muskurahat ka wo jhootha mukhouta,jo ab tak BRAWNY ne odh rakha tha, usse utarte hue...


BRAWNY-sorry mom... sorry dad.....mai jaanta hun ki jo mai karne waala hun,uske kiye aap log mujhe kabhi maaf nahi kar paayenge...

par is zillat bhari zindagi ko aur nahi jhel sakta mai.... itne dino se is hasi aur khushi ke jhute mukhoute ko maine bas isiliye odha tha taaki mere us haste hue chehre ko yaad kar sukoon rahe aap dono ke dil me....

par apni aatma ke sukoon ke liye usse is sharir se alag karna hoga mujhe...

bas ek hi dua hai us upar waale se ki agar reincarnation jaisa kuch hota hai,toh agle janm me bhi mai aap dono ka beta ban kar hi janmu aur us janm me aap dono ka sir meri wajah se jhuke nahi,balki fakr se utha rahe...hamesha....

ye aakhri din aur aakhri peher ji lun aap dono ke saaye me..

fir aap dono ke chehron aur pyar ko mehsoos karte hue hamesha ke liye band kar lunga mai apni aankhen.....






PLANET-YELUPTUS


PLACE-THE GARDEN






KAISE HO RAAZ....?????


mere saamne khade SAMAY SANCHALAKON me se ek ne pucha mujhse jispar....

MAI-agar naam maalum hai mera toh mai yahan kyun aaya hun,us kaaran ko bhi jaante hoge tum sab....????


dard abhi bhi utna hi ho raha tha mujhe,par us asahaniya dard ko naa dikhate hue kahi ye baat maine jispar....


1ST-bilkul....jis waqt tumne hamare grah ke vaayu mandal ka sparsh kiya,tumse judi har baat pata chal gayi thi hume....

MAI-toh fir laao PARIVARTAK....

2ND-adbhudh manobal ke swami ho tum RAAZ...is waqt tum jis pida se grast ho,usse bhi jaante hai hum...

par itne dard me bhi tumhare chehre par shikan nahi hai...

tum wakayi me us kaarya aur ohde ke yogya jo jisse LORD ne tumhe diya hai....

MAI-mujhe taarif nahi sunani apni..itna batao ki jo chahiye mujhe,
wo yunhi de doge ki uske liye bhi mujhe koi test dena hoga....

1ST-apni aloukik shaktiyon ka tyag kar sadharan tarah se baaki SAVENTS ki tarah par unse kayi guna adhik dard sehte hue har kaarya karte aaye ho tum...

itni pariksha kaafi hai....kayi sadiyon pehle LORD ne kaha tha humse ki jab bhi unhe ya unse jude kisiko bhi PARIVARTAK ki zaroorat hogi,hum usse wo denge aur dekho,wo waqt aa hi gaya....

par jis dard ko tum jhel rahe ho,uske saath ye samay chakra ka safar tum kar nahi paaoge isiliye...


aage kuch kaha nahi us SAMAY SANCHALAK ne.....usne bas apne dono haath aage kiye aur mere sir par rakh diye...

uske aisa karte hi uske haath se WHITE ENERGY ki ek ray nikli jiske agle hi pal mera sara dard chala gaya...


1ST-ab taiyar ho tum....


ye bol usne apna haath mere sir se hataya aur aisa hone ke baad...

sabhi SAMAY SANCHALAKON ke chest ke upar ek tez roshni chamki jiske agle hi pal,un sabke aur mere beech hawa me prakat hua PARIVARTAK aur aisa hone par....


2ND-PARIVARTAK ke beech jo hari mani hai,uspar apni koi bhi ungli rakho aur aisa karne ke baad apne man me wo waqt,aur wo vyakti jisse tumhe milna hai,uske baare me socho....


jaisa us SAMAY SANCHALAK ne kaha,maine kiya...apne right hand ke index finger ko us hari mani ke upar jo ki us PARIVARTAK ke beech me tha,rakha maine aur apne man me jaisa SHAILA ne kaha tha,2025 ke baare me socha aur fir uske vaad VIKRAM ka chehra joki test ke time maine dekha tha,usse yaad kiya....

aur mere aisa karte hi PARIVARTAK ne dheere dheere chamakna shuru kiya aur fir dekhte hi dekhte wo chamak badhte badhte itni badh gayi ki aas paas sab kuch dikhna band ho gaya par phir kuch der baad wo chamak kam hone lagi aur jab wo roshni puri tarah gayab hui toh....

mai bhi gayab ho chuka tha...

wo roshni asal me us transportation ki tarah thi jiski kiranon ne mujhe khudme baandh PARIVARTAK ke andar kheench liya tha....

SAMAY SANCHALAKON ke liye toh wo roshni khatm ho chuki thi,par mere liye nahi..

PARIVARTAK ke andar sama us tez roshni ke samandar me nahata hua mai aage badh raha tha...

har guzarte pal ke saath mera sir bhaari ho raha tha aur fir dheere dheere ye bhaaripan itna badh gaya ki mai behosh ho gaya....





PLANET-EARTH



PLACE-MUMBAI






WELCOME TO MUMBAI........


apne kapdo ko jhadaate hue saamne lage board jispar mere kahe shabd likhe hue the,ko dekhte hue maine ye baat kahi..

kuch seconds pehle jab mujhe hosh aaya toh maine khudko road ke side me ek jhaadiyon ke beech gira paaya...

mumbai ka board dekhkar itna toh mujhe samajh aa gaya tha ki VIKRAM yahin rehta hai par jahan mai khada hun,ek highway par, specifically dekha jaaye toh ye uska thikana ho nahi sakta....

toh sawal ye tha ki,mai YELUPTUS se yahan kyun pahuncha...???

apne aap se ye saari baatien kar mai road par aakar sidhe chalne laga...

mai dekh raha tha ki earth ke jis hisse ROMANIA ke CLUJ NAPOCA se mai tha,wahan ke highway ke hisaab se ye highway 10 times zyada polluted hai..

khair,INDIA ke baare me kaafi kuch padha tha maine apne school ki library me jis wajah se mujhe zyada hairani nahi hui...

par phir bhi hairan toh mai tha,aur wo isiliye kyunki mujhe samajh nahi aa raha tha ki meri manzil hai toh hai kahan...??

ab chalte hue mujhe kuch 10 minutes ho gaye the par abhi tak mujhe kuch samajh me nahi aaya tha par tabhi....

filhal ek CROSS HIGHWAY point par mai pahuncha hi tha ki tabhi mere brain ne mujhe left road par chalne ka indication diya jiske baad mai us taraf mood gaya....

yunhi idhar udhar dekhte hue mai aage badh raha tha..ab tak mai kuch 30 minutes tak chal chuka tha...

aur fir achanak apne left me maine ek ajeeb chiz dekhi....

maine dekha ki higway se kareeb 100 metres andar ek bohot hi badi si jagah me thodi thodi door me 4 RELIGIOUS BUILDINGS bani hui thi....

ab jaisa ki maine kaha ki india ke baare me maine padha tha aur ye mai jaanta tha ki yahan bohot se religion's ko maana jaata hai toh fir aise me RELIGIOUS BUILDINGS ka dikhna toh ajeeb ho sakta tha nahi..

ajeeb ye tha ki ye chaaron buildings alag alag religions ki thi jo bilkul aas paas bani hui thi...

khair,INDIA me har dharm ek saath shaan se saans leti hai,ye suna tha maine isiliye zyada naa soch mai aage badh gaya....

par zyada aage badhna pada nahi mujhe kyunki thoda aage jaate hi ek baar fir mere brain ne mujhe left mudne ka indication diya...

ye indication ussi raaste ki taraf tha jahan wo chaaron religious buildings thi...

khair,apne brain ki sun mai us raaste par ho liya...

last builing ke side se hote hue ek raasta jaa raha tha,jahan jaane ke liye indicate kiya tha mere brain ne..

aur jab maine us raaste par apne kadam badhaye aur us building ko paar kar aage badha toh dekha ki kuch 100 metres aage ek aur badi si building thi..

par ye building religious nahi thi..

us building ke gate par bade bade aksharon me likha tha MINAKSHI ORPHANAGE (VIKRAM'S MOM)

mera brain mujhe ussi building ki taraf ishara kar raha tha isiliye mai us aur chal pada aur jab mai us orphanage ki gate ke paas pahuncha...

gate khua hua tha aur guard dikh nahi raha tha isiliye mai andar ghus gaya...

gate ke andar ghus maine dekha ki ye wakayi ek bohot bada ORPHANAGE tha...

idhar udhar dekhte hue achanak meri nazar ek jagah theher gayi....

mujhse kuch door right par ek park bana tha jahan kuch disabled bache baithe kuch kuch kar rahe the...

par meri nazar ke theherne ka kaaran tha us jagah par ek bache ke saath baitha white kurte paijame me ek banda....

jisse dekh mere chehre par smile aa gayi...

reason...VIKRAM....ye banda wahi tha jisse milne mai yahan aaya tha...

VIKRAM ko dekh mai uski taraf badh gaya...


MAI-VIKRAM....


VIKRAM ke thoda piche pahunch rooka mai aur usse awaaz di jisse sun wo meri taraf palta....

real duniya me pehli baar aamna saamna ho raha tha mera aur mere raichaita tha..

khair,kuch pal wahin baithe baithe mujhe dekh VIKRAM ne us bache ke jiske pair disabled the,uske sir par haath fera aur fir uth meri taraf aaya...

par jaise jaise wo mere kareeb aa raha tha,waise waise uske facial expressions badal rahe the...

aur fir wo mere saamne aakar khada hua,kuch pal meri aankhon me dekha aur...


VIKRAM-mere piche aao....


ye bol wo aage badh gaya aur gir uske piche ho liya mai..

par ye equation zyada der tak chala nahi kyunki kuch hi palon me mai VIKRAM ke piche nahi balki uske saath chal raha tha..

wahin mujhe apne baaju me chalta paa jab usne mujhe dekha toh...


MAI-mujhe kisike piche chalna pasand nahi...


HAHAHAHA.....

meri baat sun zordar hasi nikli VIKRAM ke mooh se par usne kuch kaha nahi aur bas chalta raha....

park se nikal, orphanage ke corridor se hote hue hum aage badhe par is dauran VIKRAM ki chaal halki slow ho gayi thi aur fir achanak...

maine apne baaju me dekha toh paaya ki VIKRAM wahan nahi tha..

isiliye mai wapas muda aur thoda piche aaya toh dekha ki VIKRAM wahan left ki taraf gallery me mood ek jagah khada ho mujhe dekh muskura raha tha...

aur jab mai uske paas pahuncha toh...


VIKRAM-dikhta wahi hai jo nazaron ke aage ho... zaroorat se zyada aage jaana kabhi kabhi nuksaan pahuncha sakta hai...

khaas kar tab,jab saamna kisi aise ke saath ho jiske saath tum ek aise safar par nikle ho jiski har chaal uski naapi hui hai...

naapi hui chaalon ko kaata nahi jaa sakta..bas samajhkar apni chaal bhi waisi hi ki jaa sakti hai...

taaki jeet ho naa ho,par kamsekam haarna bhi naa pade....

aao....


gyan ka bhandar mere aage khol ek room ke andar chale gaya VIKRAM...

ye ek bada sa hall tha jisse shayad yahan ke baccho ke morning prayers aur curricular activities ke liye banaya gaya tha...

hall ke beech pahunch rook meri taraf palta VIKRAM aur...


VIKRAM-jab park me mai tumhari taraf badha toh tumhare kuch visuals dikhe mujhe....

mujhe aisa laga jaise jaanta hun mai tumhe...kaun ho tum...???

MAI-naam RAAZ hai mera...mai future se aaya hun....madad chahiye mujhe tumhari...


meri baat sunkar bhi chowkna nahi tha VIKRAM...


VIKRAM-madad maangne waali tone nahi hai tumhari... lagta hai jude hue ho tum mujhse....

MAI-mujhe tumne hi banaya hai....

VIKRAM-kis zariye se pahuche ho yahan tum...???

MAI-PARIVARTAK...


meri baat sun kuch pal dekha VIKRAM ne mujhe aur fir...


VIKRAM-kis ungli se chhua tha PARIVARTAK ko...


maine apne right index finger ko aage kiya jiske baad VIKRAM ne bhi apne index finger ko meri us finger se touch kiya aur aisa hota hi....

hum dono ko ek tez jhatka laga....

par jahan us jhatke ko naa seh paane se mai neech gir behosh ho gaya wahin VIKRAM ki puri body ke chaaron taraf roshni fail gayi jiske baad uski body hawa me uthne lagi aur fir jab wo neeche aaya toh uske getup change ho chuka tha...

ek baar firse ban chuka tha wo normal human se LORD OF ANGEL...

apne safed robe me khada VIKRAM mujhe dekh raha tha...abhi hue uske transformation ke waqt usse mere aur puri kahani ke baare me sab kuch pata chal chuka tha..

aur isiliye...


VIKRAM-utho RAAZ...


mere brain me jaise gunji thi VIKRAM ki awaaz jiski wajah se meri aankhen jhat se khul gayi aur mai uth kar khada ho gaya....

mai dekh raha tha ki ab mere saamne kuch der pehle tak ki tarah koi human nahi balki LORD OF ANGELS khada tha jiska matlab tha ki ab mujhe kuch bhi kehne ki zaroorat nahi thi..

wahin kuch der mujhe dekh...


VIKRAM-ek baat batao RAAZ..... ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko maarne ki kya zaroorat thi...???

maana ki ACCHUTA aur SLUNDER ki GOD GIFTED shaktiyon ka halka sa bhaag unke parents hone ki wajah se un chaaron me tha,aur kyunki wo chaaron SAVENTS nahi the isiliye apni marzi se wo shakti tumhe nahi de sakte the,aur naahi chaaron ke sense me rehte tum un shaktiyon ko extract kar sakte the,par fir bhi, jaisa DORIAN aur GASTON ne kiya tha,tum bhi toh unke parents ko us PERSITANT VEGITATIVE STATE me daal kar us shakti ko extract kar sakte the naa..!!!

MAI-us state par rehne me aur marne me kya fark hai..infact maut zyada behtar option hai usse toh...

kyunki us state me rehne ka matlab
hai body ka dead rehna,par kyunki wo complete death nahi hoti, isiliye soul body ke andar hi chattpatate rehti,wo bhi hamesha ke liye...

kyunki ussi shakti ki wajah se jinhe mujhe unke andar se nikalna tha,wo chaaron kisi bhi reason se us state se bahar nahi aa sakte the....

VIKRAM-par wo faisla kar tumne un chaaron ko toh mukti de di par khudke liye pareshani mol le li...

us shakti ne khudke saath un chaaron ke emotions ko bhi kheench tumhare andar mila diya hai...

aur ab wo shakti un emotions ko tumhare pain points par lagatar push kar rahi hai aur natija, continous extreme pain....

MAI-isiliye toh mai tumhare paas aaya hun....nahi chahiye mujhe ye emotions.....khatm karo inhe...

VIKRAM-bina emotions ke tum apni duniya me survive nahi kar paaoge....kyunki without emotions,tum apne SOUL ko REFINERS ke saath merge kar AMPLIFY nahi kar sakte....

MAI-toh fir kya ilaaj hai iska...???

VIKRAM-taklif tumhe isiliye ho rahi hai kyunki ye emotions tumhare nahi hain..

you need your own emotions....

MAI-what....!!!no...mujhe nahi chahiye ye humans ke stupid emotions....

VIKRAM-fir toh ek hi chiz kar sakte hi tum...???

MAI-kya..???

VIKRAM-fuck off...


VIKRAM ki baat sun mai usko ghurne laga jispar...


VIKRAM-teri choice nahi puchi maine...teri taklif ka compulsory aur ek maatra ijaaj aur tarika hai ye..

MAI-fine... karna kya hoga...???

VIKRAM-yahan aate waqt kuch rare dekha tha tumne...???

MAI-wo chaar religious buildings...!!!!

VIKRAM-buildings...!!!khuda ke dar ko imarat nahi kehte bacche...

naam se batao,kya dekha tha tumne...

MAI-MANDIR,MAZJID,GURUDWARA aur CHURCH....

VIKRAM-tumhari problem ka solution inhi chaaron jagahon ke choukhat par hai....

MAI-what...!!kaise..!!!

VIKRAM-tumhe apne emotions ke saath exactly kya problem ho rahi hai...???

MAI-mere emotions ka mere chaaron AMPLIFICATION modes ke saath merge naa ho paana...

VIKRAM-kya coincidence hain naa, AMPLIFICATION modes bhi chaar hain aur jahan inke solution hain,wo jagah bhi chaar hain....

MAI-say something that makes sense...???agar mere emotions hi mera solution hai,toh wo solution hai kahan...??

bhale hi emotions ko filhal maine merge karna sikha nahi hai,par the problem is ki agar wo hai toh fir kyun wo abhi tak mujhe dikha nahi hai..

i mean,kaam toh uska inhi chaaron AMPLIFICATION modes ke beech hai..

toh kaise abhi tak in chaaron ne se kisi ke beech bhi is emotion ko feel nahi kiya hai...

VIKRAM-address galat ho toh fir banda sahi thikane par pahunche kaise..???

jin chaar AMPLIFICATION modes ke beech tu apne emotions ko dhund raha hai, uska thikana us AMPLIFICATION mode me hai jo bhale hi khud magic karne ki taakat nahi rakhti, par har magic ka janm wahin se hota hai...

HEART.....

MAI-heart...!!!par mera heart bas beat karne ke liye bana hai,iska aur koi role nahi aur naahi tumne mujhe aisa banaya hai ki emotions jinka ki jaise tumne kaha,heart thikana hota hai,wo usme paida ho saken..

VIKRAM-tabhi toh tumhe un chaar daron par jaana hai jahan har kahani khudko firse likh sakti hai..
jahan ghor andhere ke beech bhi roshni dikh sakti hai....

jahan laachari apni har kami mita sakti hai...jahan dil ehsaas ko saans lena sikha sakti hai...

ab chalen....


VIKRAM ki baat puri hote hote hi hum dono antardhyan ho chuke the aur fir jo agla drishya mere aankhon ke saamne tha,wo tha MANDIR ka...

wahin MANDIR jisse aate waqt maine dekha tha...

khair, VIKRAM ki baat abhi bhi mere zehen me thi aur isiliye....


MAI-agar in emotions ko mujhme daalna hi tha,toh fir tumne mujhe aisa banaya kyun hi kyun...???


VIKRAM-

ye kahani shuru ho sake, isiliye
mujhe tujhe aisa BANANA PADA...

wo daav jo pehle kabhi nahi khela gaya,
mujhe wo daav AAZMANA PADA...

par ye choukhat mod hai har kahani ka,

dekh,tere andar ke DEVIL ko ANGEL banaane ke liye bhi aakhir issi darwaze par AANA PADA....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....











AAPKA APNA V...J......
Awesome update bro
 

Emperor Virat

HARD BOY
427
2,009
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ VIDEOUS KE SHARTH KI WAJAH SE APNE MOM DAD KO MAAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER, HIDA AUR BRAWNY RAAZ KO MAARNE KI KOSHISH KAR RAHE HAIN JISME MAHI RAAZ KA SAATH DE RAHI HAI..


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-121


PART-2



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS GARDEN





chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar,ho sakta hai woh sab sach bhi nikle...

aur agar woh wakayi GALATH HO,tab bhi aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....



GRIFFIN ki kahi ye pehli baat jaise achanak hi ghum si gayi thi MAHI ke dimag me jiske baad jab usne saamne dekha toh chownk gayi..

reason...

is waqt meri body hawa me uthi hui thi aur mere seene ke beeche se ek talwar nikal mere upar ghum rahi thi..

us talwar ke beech se ek behadh hi shaktishaali urja nikal upar akaash me jaa rahi thi..

us urja me MAHI ne woh taakat mehsoos ki jo ab se pehle usne kabhi nahi ki thi..

usne ye bhi feel kiya ki sword ne us urja ko khudke daayre me sameta hua tha..agar woh aisa nahi karti toh woh urja sab kuch khatm kar deti...


(NOTE:-GRIFFIN aur WOOGER ke beech ka pact toh yaad hi hoga aapko guyzz...ye urja RAAZ ki aloukik shaktiyan thi jo ab FLORIN aur MARIA ko maarkar woh kho chuka tha)


anyways,jab woh saari urja mujhse nikal gayi toh ek baar tezi se chamki woh SWORD aur mai neeche gir gaya..

sword ke chamakne se MAHI ki aankhein kuch pal ke liye band ho gayi thi par phir jab usne aankhein kholi toh hairan ho gayi...

reason...

RAAZ sofe ke paas nahi tha...woh is waqt ussike paas khada ALFREEN ko dekh raha tha...

naa udaasi,naa khushi,naa dard,naa talash..ek ajeeb si khamoshi dikh rahi thi MAHI ko RAAZ ki aankhon me..

ek aisi khamoshi jo tufaan roopi sarvanash ke aane se pehle hoti hai...

kuch pal unhi khamosh aankhon se ALFREEN ko dekhte rehne ke baad RAAZ aage badh gaya...

pehli baar MAHI ne RAAZ ke kandho ko chalte waqt jhuka hua dekha tha..

aisa lag raha tha jaise woh apna sab kuch khokar,barbaad hokar ek anjaan safar par nikal gaya ho...

aur aisa hi toh tha...pathrayi aur bojhil aakhon ke sahare mere kadam yunhi kisi anjaan thikaane ki taraf chal pade the...

zinda hone ka ehsaas toh apne mom dad ke chita ke saath hi jala diya tha maine aur unki raakh ko khudme mal khudko bhi ek zinda murda maan liya tha...

bas,taange thi jo bina jawab diye chali jaa rahi thi,aur mere mare hue aatma ke wazan ko dhote hue mere sharir ko bhi apne saath chalaye jaa rahi thi..

mera lakshya,meri utpatti ka kaaran, uddeshya,sab kuch puri tarah se bhool chuka tha mai...

mujhe ab bramhaand ke rehne naa rehne, manushya jaati par VIDEOUS naam ke khatre,kisi se koi matlab nahi reh gaya tha..

infact,dil ke kisi kone me ab mai khud ye chahne laga tha ki ye bramhaand barbaad ho jaaye...

har jeevit prani,ussi dard se guzre jisse abhi mai guzar raha tha...

nirdosh logon ke khoon se nahane ki talab uth gayi thi meri aatma ko..

ek madhoshi ki haalat me netro wale andhe ki tarah mai aage badhta hi jaa raha tha ki tabhi....


DHAAKHHHH....

ek behadh strong energy aakar lagi mere peeth par jisse mai udte hue mooh ke bal thode aage jaakar gira....

par girne ke agle hi pal kisi sharabi ki tarah ladkhadate hue wapas khada bhi ho chuka tha mai..

par aisa hone ke baad mai wapas jis direction me gira tha,ussi taraf badh gaya bina palat kar dekhe ki kisne maara tha mujhe..

wahin mujhe jaata dekh jisne mujhpar waar kiya tha,woh apni jagah se gayab hokar mere saamne prakat hua yaa phir ye kahun ki prakat hue....

ye aur koi nahi balki ACCHUTA, SLUNDER,HIDA aur BRAWNY the jo apni jalti hui aankhon se mujhe dekh rahe the...

toh hua yun ki jab ACCHUTA aur SLUNDER
wapas CHOSENS pahunche toh apne dil me jalte aag ko liye woh sidhe mere ABODE me aaye jahan pehle se hi BRAWNY aur HIDA moujud the...

ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh un dono ne maine unke saath kya kiya hai, woh bata diya aur same cheez ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi ki jiske baad woh chaaron STAVAH SPELL ke help se mujhe dhoondte hue yahan pahunche the..

khair,kuch pal mujhe yunhi ghurte rehne ke baad..


ACCHUTA/SLUNDER-sirf ek baat bata..??kya wakayi tune hum dono ke mom dad ko maara hai..????

BRAWNY-meri mom ki izzat se khelne waala kya wakayi tu hi tha..???

HIDA-REGIS ke saath jo hua,jo usse kaha gaya,kya woh tune hi kiya aur kaha tha...

MAI-mujhe jo bhi karna tha,maine kar diya..sawal toh ye hai ki tum chaaron kya karna chahte ho...???

maarna chahte ho mujhe...maar do... but just make sure ki mai mar hi jaaun...


meri baaton se ghussa badh gaya tha un chaaron ka...apne ghusse aur aap beeti me woh chaaron hi meri aankhon me dikh raha dard nahi dekh paaye...

yahi wajah thi ki meri baat khtam hote hi un chaaron ke haathon me ek ek behadh strong energy rays dikhne lagi thi jisse un chaaron ne mere chest par waar kiya aur mai ek baar phirse kayi feet piche hawa me udta hua jaakar gira par girne ke baad wapas lehrate hue khada bhi ho gaya..

mujhe yun araam se khada hota dekh un chaaron ne ek ke baad ek kayi khataranak pain aur body break SPELLS bole jinke rays ne mujhe hit toh kiya par nuksaan zyada pahuncha nahi paaye..

ab baat ye thi ki bhale hi ab mere paas apni aloukik shaktiyan nahi thi,par SAVENT power toh thi..

aur mere AMPLIFICATION aur REFINER powers hadh se zyada strong bhi the aur un chaaron ke mukable zyada nurtured bhi...

yahi wajah thi ki un chaaron ke waar mere kapdon ko toh jala rahe the,mere body me halke halke cuts bhi padhte jaa rahe the par naa toh mere mooh se woh dard bhari cheekhen nikal rahi thi jo woh chaaron nikalna chaah rahe the aur naahi woh mujhe zyada der tak neeche gira paa rahe the...

aur isiliye un chaaron ne mujhpar apni shaktiyon ko ek kar hamla karne ki sochi par woh ye process shuru karte ki tabhi...


ARE YOU OUT OF YOUR MIND GUYZZ...KYA KAR RAHE HO TUM CHAARON...????


MAHI jo mere ghar se nikalne ke baad bhi kuch pal tak statue bani rahi thi,jab woh sense me aayi toh usse yaad aaya ki aaj meri jaan khatre me hain...

usne behosh ALFREEN ko room me letaya aur phir meri talash me mere piche aayi par yahan ka nazara dekh uska dimag hi ghum gaya jispar kahi thi usne un chaaron se ye baat jispar....


ACCHUTA-stay away MAHI..tum nahi jaanti ki ye kitna ghatiya insaan hai..

isne mere aur SLUNDER je mom dad ko jaan se maar diya..


jahan ye kehte waqt ACCHUTA ke aur uske saath SLUNDER ke aankhon se aansu chhalak gaye wahin MAHI ke liye ye ek naya jhatka tha jisse puri tarah hil gayi woh...

par kisi tarah khudko sambhal...


MAHI-ye kya bol rahe ho ACCHUTA...!!! i am sure ki tumhe galat fehmi hui hai..

SLUNDER-galat fehmi hui hai nahi thi..ye galat fehmi ki ye ghatiya insaan hume apna dost maanta hai..

par aisa kabhi bhi tha hi nahi..hum iske liye bas istemaal waali vastu hain aur kuch nahi...

humne apni aankhon se woh drishya dekha hai jisme iske kehne par iske ansh ne hamare mom dad ko khudhi ko shoot karne ke liye bebas kar diya tha...

BRAWNY-ye sirf apne baare me sochne waala neech hai MAHI..aaj isne meri mom ki asmat lootne ki koshish ki...

HIDA-iski nazar toh mere sharir par bhi hai..ye mujhe apni property samajhta hai jisse ye jab chaahe,jaise chaahe bhog sakta hai..


SLUNDER,ACCHUTA aur phir HIDA, BRAWNY...in chaaron ki hi baaton ko sun aur un baaton me chhalak rahi sacchayi ko mehsoos kar honth hi sil gaye the MAHI ke par phir bhi is waqt uske dimag me GRIFFIN ki aakhir me kahi gayi un teen baaton me se pehli baat gunj rahi thi..

RAAZ sahi ho yaa galat,aaj tumhe har haal me sirf RAAZ ka hi saath dena hai...

GRIFFIN ki kahi is baat ko yaad karte hi MAHI ne baaki saari sochon ko apne dimag se nikala aur turant RAAZ ke paas pahunch gayi jo is waqt bhi apne me nahi tha..

sunya ko ghurta hua woh kisi zinda murde ki tarah khada tha..

khair,RAAZ ke saamne khadi ho gayi MAHI aur...


MAHI-hum is baare me baad me baat karenge guyzz..filhal,leave...

halke kadak awaaz me kahi ye baat MAHI ne jisse sun pehle se ghuma un chaaron ka dimag aur ghum gaya aur..


ACCHUTA-sahi hai..humne iske gunah tere saamne rakh diye, phir bhi tu issiki side le rahi hai..

fine...hum toh isse khatm kiye bina nahi jaa rahe..aur ab tere paas do options hain..

ek..yaa toh chupchaap yahan se chali jaa...

dusra...tujhe bhi RAAZ ke saath marna hoga...

MAHI-RAAZ ko toh mai chhodungi nahi...haan,iske liye marne ko mai taiyar hun...


MAHI ki baat sun ek baar usse ghusse se ghoor ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY ne ek dusre ka haath pakda aur aisa kar woh chaaron apni shaktiyon ko ek karne lage..

MAHI bhi is baat se anjaan nahi thi par uske iraade adig the..woh apni jagah par hi khadi rahi...

wahin jaise hi un chaaron ki distructive powers ikatthit hui toh...


GINADHAVUHE....

RELEASE...

apna apna haath aage kar un chaaron ne hi apni energies ek saath release kar di jo sidhe jaakar RAAZ ke saamne khadi MAHI se takrayi...

aur aisa hote hi ek dardnaak cheekh ke saath MAHI ka sharir piche ki taraf ghisatne laga par phir bhi MAHI ne khudko un rays ke radar se door nahi kiya...

haddiyon tak pain feel kar rahi thi MAHI is waqt jiske kaaran uska pura sharir kaanp raha tha...

aankhon se lagatar aansu chhalakne lage uske aur un padh rahe rays ki garmahat se usse apna khoon tak jalta hua sa mehsoos hone laga..

MAHI ko apna anth dikhne laga tha..usse laga ki woh ab nahi bachegi par tabhi....

jaise hi un rays ki jalan MAHI ke khoon se hote hue uske dil ko touch hui toh wahan ek tez sensation ne janm liya..

aur us sensation ke paida hote hi MAHI ke dhamniyon me ek urja ne janm liya jo ek jhakte me uske sharir se bahar aayi aur un rays se jo uski body ko hit kar rahe the,unko touch ho gayi aur jab aisa hua toh..

AHHHHHHH.....

ek,do yaa teen nahi,balki chaar cheekhen ek saath hawa me gunj uthi joki ACCHUTA,SLUNDER,HIDA aur BRAWNY ki thi...

MAHI ke sharir se nikli energy ne bas un chaaron ki energies ko chhua tha, aur aisa hote hi woh chaaron andar tak kaamp gaye aur agle hi pal woh sab behosh ho chuke the...

par unke behosh hone ke baad bhi MAHI ke sharir ke andar se nikli energy unke paas jaane ko hui par ye baat MAHI ke unconscious brain ne read kar li aur saath hi us energy ko aisa naa karne ka hukm diya jiske baad woh energy wapas MAHI ke andar chali gayi...

jo bhi hua,MAHI ko uske baare me kuch bhi pata nahi chala..woh toh bas apne body me ho rahe aseem pain se nijaat paakar thodi relaxed ho gayi thi..

aur aisa hote hi pehle usne saamne dekha jahan uske chaaron friends behosh pade hue the..

unhe ek baar dekh MAHI ki nazar piche ki taraf gayi jahan RAAZ tha par wahan nazar jaate hi usse shock laga..

reason....

uske chaaron friends ki hi tarah RAAZ bhi behosh pada tha aur iska reason bhi MAHI ki woh energy thi jiske AURA ke impact se ye hua tha...

MAHI jhat se RAAZ ki taraf badhi aur uske paas pahunch uske sir ko apni godh me lekar uske gaalon ko thapthapate hue..


MAHI-RAAZ...RAAZ..please aakhein kholo...


halke bharraye awaaz me MAHI ne kahi ye baat jispar RAAZ ki toh aakhen nahi khuli par ek nayi awaaz ne MAHI ka dhyan apni taraf zaroor mod diya....


YE KAISE GOD GIFTED LOG HAIN JO KHUD ATTACK KARTE HAIN AUR KHUDHI BEHOSH HO JAATE HAIN...!!!!


VIDEOUS ki thi ye awaaz jo is waqt ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ke paas khada tha aur usne un chaaron par nazar ghumate hue is baat ko kahi thi..

par uske saamne RAAZ ke sir ko apni godh me liye baithi MAHI ko toh samajh hi nahi aa raha tha ki VIDEOUS yahan kya karne aaya hai aur woh kya baatein kar raha hai..???

khair,apni baat ko aage badhate hue...


VIDEOUS-waise,isme inka bhi kya kasoor..ab SERAPHIM ANGELS ke ansh ko nuksaan pahunchane ki koshish karenge toh nateeja toh bhugatna hi padega...


VIDEOUS ki baat sun aankhon me sawal liye usse dekhne lagi MAHI jispar...

VIDEOUS-zyada mat socho MAHI.. jinka zikr kiya hai maine, tumhari aur is RAAZ ki soul bohot jald unke paas pahunchne waali hai..

tab araam se saara sach jaan lena..filhal bas itna jaan lo ki jo kuch bhi ho raha hai,uska ek maatr kaaran mai hun.

aur jis shaksh ka sir tumhari godh me hai,uski uttpatti mujhe khatm karne ke liye hui hai aur mera ek maatra lakshya hai,isse khatm karna...

jo ab mai karne waala hun... aur haan, unfortunately tum bhi ussi radar me ho..tumhe bhi RAAZ ke saath marna hoga....


VIDEOUS kya bol raha tha,MAHI ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha,par itna toh woh bilkul samajh rahi thi ki VIDEOUS jhuth nahi bol raha...

aur isiliye woh andar hi andar kaafi tensed ho chuki thi..

wahin apni baat ko aage badhate hue....


VIDEOUS-anyways,isse yunhi behoshi me maarkar iski aur apni insult nahi kar sakta mai...

RAAZ......uth jaa mere bhai..???dekh,tera bhai tujhse milne aaya hai....


apni baat kehte hue VIDEOUS ne apna haath lehraya aur uske aisa karte hi uske haathon se ek ray nikal mere sir me sama gayi aur aisa hote hi mere sharir ko ek jhatka laga aur meri aankhen khul gayi..

aankh khulte hi jab maine khudko MAHI ki godh me paaya toh usko dekh phirse ek pal ke liye apni aankhen band kar li...

par is beech itne waqt me pehli baar mere sense ne kaam kiya tha jiska reason ye tha ki maine VIDEOUS ko apne paas feel kiya aur isiliye...

maine apna ek haath zameen par maara aur mere aisa karte hi meri body bilkul ek sidhi lakdi ki tarah uththi chali gayi aur agli hi pal mai VIDEOUS ko dekh raha tha..

wahin mujhe khudko ghurta dekh..


VIDEOUS-tutututututu.....ye kya ho gaya RAAZ...!!!!ye kya ho gaya..!!!!meri tarah acha khaasa urja tha tu,par dekh,kuch hi palon me tere astitva ki haqiqat hi badal gayi....

insan hone ke ehsaas bhar se tere emotions jaag gaye,aur jinki wajah se jaage,tujhe unhe apne haathon se maarna pada...

khair, VIDEOUS se takkar lene ki saza itni toh honi hi chahiye thi...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi mai ek jhatke se uski taraf aage badha..

meri speed light jitni tez thi..agar VIDEOUS kuch der pehle ki tarah tak sirf apne SAVENTS power ke saath mere saamne hota toh mujhe dekh tak nahi paata,par ab aisa tha nahi..

mere saamne khada VIDEOUS ab apne purane form me tha..apne aloukik shaktiyon se bhara hua..

aur aise me usse dodge dena impossible tha..yahi wajah thi ki mere aage badhte hi usne apna ek haath aage kiya aur uske aisa karte hi mai apni jagah par jadh sa ho gaya..

ek adrishya impenetrable shield,ek diwar mere saamne khadi ho gayi thi jisse takrakar mai apni jagah par hi reh gaya...

wahin us adrishya shield se mere takraate hi VIDEOUS ke haath me bhi ek tez kampan hui jisse feel kar...


VIDEOUS man me-damn....this guy is really tough...bina apni aloukik shaktiyon ke bhi kaafi strong hai ye...

i am impressed....


apne man me is baat ko sochne ke baad...


VIDEOUS-ek aur try RAAZ...

us adrishya diwaar se takrakar mera pura sharir jhanjhana gaya tha..

waise bhi mai is waqt pyscically aur mentally,dono hi tarah se unstable tha aur isiliye...


MAI-bina bakwas kiye khtam kar mujhe VIDEOUS aur saath hi is khel ko...

VIDEOUS-kya baat hai..jisne tujhse tere hi maa baap ko marwa diya,usse maarne ki jagah uske haathon marne ki baat kar raha hai tu...???


VIDEOUS ki is baat ko sun RAAZ ke peeche khadi MAHI ki aankhen badi ho gayi...

FLORIN aur MARIA mere mom dad hain aur unki mout ke piche VIDEOUS ka haath hai,ye uske liye ab tak ka sabse bada shock tha..

par kisi bhi revelation ke piche ka logic aur reason woh jaanti thi nahi, isiliye uski koi bhi soch kisi nateeje par pahunch nahi sakti thi..

woh bas mujhe aur VIDEOUS ko bolte sun sakti thi,aur woh wahi kar rahi thi..

khair, VIDEOUS ki baat sun...


MAI-tune mere hi haathon mere mom dad ko zaroor marwaya,par ye mouka tujhe kisne diya..???

usne jisne mujhe banaya hai...meri utpatti ka kaaran tujhe khatm karna tha..

par iske liye woh do BHAI itna gir gaye ki baaki kisiki jaan ki parwah hi nahi ki..

apni jeet ke liye un dono ne ek aisa rasta chuna jisse mai paida hone se pehle hi apne mom dad se alag ho gaya,phir manushya se urja ban gaya aur phir jab is jhooth ke saath ki mai sirf urja hun,jisse sirf ek maksad ke liye banaya gaya hai,jee raha tha mai,ek book ke through mera sach mere saamne aaya..

aur aisa hote hi mujhe hi unhe maarna pada...

tujhe khatm karne ke chakkar me un dono ne mujhe hi jeete jee khatm kar diya..

aur ab mai chahta hun ki jo aaj mai mehsoos kar raha hun,waisa hi woh dono bhi karen...

un dono ne jo kiya,uske liye unka ek maatra tark ye hoga ki pure bramhand ke bhavishya ke liye do jaan ka souda galat nahi..

par ek tark mera bhi hai...aur woh ye ki mere mom dad ke balidaan ki keemat agar pure bramhaand ko khatm hokar chukana pade,toh ye souda bura nahi...


VIDEOUS cheekhte hue-hahahahahaha...........suna aap dono ne....aapka banaya woh hathiyar jiska nishana mai tha,uska rookh badal gaya...

meri gardan par chalne waala talwar, uske hi gardan par chal gaya...

aap dono ne lagatar chaalen chali,aur un chaalon ke badle maine sirf ek chali,aur us chaal se mai ye jung jeet gaya.....

VIDEOUS....THE LAST LEVEL GENIUS.....

RAAZ yaar...aaj dil khush kar diya tune...aur isiliye,idea thoda change..

socha tha ki bohot dardnaak mout dunga tujhe..par ab nahi..jo pehle hi mar chuka hi,usse kaise tadpaun...

bohot asaan mout dunga mai tujhe..tujhe pata bhi nahi chalega,aur teri aatma tere sharir se hamesha ke liye alag ho jaayegi...


VIDEOUS ki baat khatm hote hote uske haathon me chingari dikhne lagi thi jisse dekh mai toh shaant hi khada raha par MAHI jo VIDEOUS aur meri baaton ko samajhne ki asambhav koshish kar rahi thi,woh turant harkat me aayi...

MAHI aage badhte hue mere aage aakar khadi ho gayi aur..


MAHI-to reach RAAZ....you gotta go through me...

VIDEOUS-ofcourse i will honey...RAAZ ke saath tumhe bhi marna hoga..yahi tumhari niyati hai MAHI...


apni baat bolte bolte VIDEOUS ne apne dono haathon ko aage kiya hi tha ki tabhi....


DHAPPP........

IN DONO SE PEHLE,YOU HAVE TO GO THROUGH ME....


mere aur MAHI ke beech hawa se neeche utre shaksh ne kahi ye baat jisse dekh MAHI ka dimag chakra gaya tha...

aur reason bhi obvious hi tha...uske,mere aur saamne khade VIDEOUS ke beech MORANA jo khadi thi....

RAAZ ke liye toh samajh bhi aata hai,par MORANA ne in dono se pehle kaha tha, matlab sirf RAAZ nahi balki woh yahan MAHI ke liye bhi aayi thi,ab is baat se MAHI ko jhakta lagna toh laazmi tha hi...

khair,jaise him MORANA humare beech aayi toh usse dekh aur uski baat sun...


VIDEOUS-MORANA... meri bacchi..ye kya kar rahi hai tu...!!!mai koi SAVENT nahi hun jisse takkar lene tu beech me kood padi hai...

ek naye bramhaand ka nirman hone waala hai..aur tu us bramhand ke bhagwan ke saamne khadi hai...

MORANA,meri bacchi,tere is SAVENT carrier ke growth se mai wakayi bohot khush hun...

apne PHASE ke BLACK ENERGY ki flag bearer hai tu...meri duniya me mai tujhe ek bohot hi uncha ohda dene waala hun..

par us duniya ki shuruat ke liye, VIDEOUS ke chaanv me palne waale bramhaand ke liye,jo yahan abhi ho raha hai,uska hona anivaarya hai...

isiliye anjaane me hi sai,murkhta mat karo.. aur jaao yahan se..ek bohot ujwal bhavishya tumhara intazar kar raha hai..

aur mai, VIDEOUS,tum aur tumhari tarah KAALI SHAKTIYON ke samast upasakon aur dharakon ke liye us ujwal bhavishya ka nirman karne jaa raha hun...

jao yahan se...

MORANA-bakwas ho gayi ho toh ladh len... jaise tere paas zyada waqt nahi hai,mere paas bhi nahi hai...

VIDEOUS-ladh len...!!!! VIDEOUS ke saamne khadi hai tu ladki ...ladh le shabd bolkar tu mera anadar kar rahi...


VIDEOUS hai bole,usse pehle hi MORANA ne uspar ek behadh hi strong energy blast kar diya par woh blast ray VIDEOUS ko chhune se pehle hi mood gaya aur sidhe jaakar wapas MORANA ko hi pada....

apni kaafi energy sametkar kiya tha waar MORANA ne VIDEOUS par,yahi wajah thi ki jab uska waar ussipar wapas aakar laga toh ek tez cheekh ke saath woh piche ki taraf udti hui gayi aur MAHI se takrayi aur us collision se MAHI sidhe mujhse aakar lagi..

wahin mujhse hue collision ki wajah se MAHI ka sharir mujhse lipat gaya tha par isse pehle ki woh mujhse alag ho paati..


MORANA-TRUST ME.... IT'S TIME...


neeche giri hui MORANA ne MAHI ki taraf sir ghuma ye is baat ko fusfusaya tha jisse sun shocked ho gayi MAHI..

REASON...


GRIFFIN-jab RAAZ ka antim waqt aayega aur meri di gayi pehli hidayat ke tahat agar tum uske saath rahi toh,jo bhi tumse TRUST ME,ITS TIME kahe,toh uspar bharosa karte hue tumhe RAAZ ke sharir ko khudse lagaye rakhna hai...

you should me attached...

un teen instructions me se dusra instruction tha ye jisse sun MAHI mujhse alag toh hui par usne mera haath thaame rakha aur jab ye MORANA ne dekha toh uske face par ek smile naach uthi aur agle hi pal woh khadi ho gayi jisse dekh..


VIDEOUS-you should have stayed down MORANA... upar se tumne mera kaafi waqt bhi zaaya kar diya hai,that you are not worthy of...

isiliye, you too are going to die...


apni baat kehte hue VIDEOUS ke haathon me ek killing ray dikhne lagi jisse dekh MORANA ne ek baar palat kar mujhe dekha toh..


MORANA-khel khel me sach me tujhse pyar ho gaya tha RAAZ... anyways,abhi tu hosh me nahi hai,par jab hoga,toh apne lakshya prapti ke saath mere anth ka hisaab le lena...


ye bol MORANA ne ek baar MAHI ko dekha aur uske aisa karte hi MAHI ke aankhon me aansu aa gaye...

reason..


GRIFFIN-tumhare aur RAAZ ko bachane ke liye jab tumhare aur tumhe maarne waale ke beech khada shaksh tumhe ek baar dekhega toh samajh jaana ki uska antim waqt aa chuka hai....

ye us aakhri hidayat ki aadhi baat thi jisse yaad kar MAHI ki aankhen bheegi thi..

wahin dusri taraf killing ray ko apne hatheli par create karne ke baad us hatheli ko saamne ki taraf halka sa jhatka diya ray ne aur uske aisa karte hi...

AHHHHH.....


MORANA ke pure sharir me aag lag chuki thi...aag me jhulaste MORANA ke sharir ko nam aankhon se MAHI dekh hi rahi thi ki tabhi usse MORANA ke sharir se ek patli si layar piche ki taraf se jahan woh aur mai khade the,nikalti dikhayi di jo sidhe hum dono ke paas aate hue humare sharir se chipak invisible ho gayi...


GRIFFIN-uske marne ke dauran kuch feel karogi tum....aur jab tum dono ko maarne ke liye tumhara dushman SPELL bole tab tumhe bhi ek SPELL bola hai...

"MAARGAM BHAAGYAM"

ROAD TO DESTINY....


ye us aakhri hidayat ka bacha bhaag tha jo MAHI ke dimag me ghum gaya tha..

aur is dauran MORANA ka sharir jal kar raakh ho chuka tha aur aisa hote hi...


VIDEOUS-alvida kehne se pehle kuch aur baatein karne ka bhi dil tha mera par unfortunately MORANA ne tum dono ka woh waqt absorb kar liya..

so,that means,we have reached the end of the line..bye guyzz...its was really nice playing with you...


ANSHAM........ URJAHAM........SAMPURN VINASHAKAM....


apne dono haathon ko meri aur MAHI ki taraf kar uccharit kiya VIDEOUS ne is SPELL ko aur uske aisa karte hi uske dono haathon se uski puri taakat ki complete energy joki uske khudke urja aur BLACK ENERGY ki taakat ka mishran thi,bahar nikal hum dono par padi aur aisa hote hi...

pura ELYSIAN ek tez roshni me naha gaya..

infact, ELYSIAN ka core aur upar uske atmosphere ki aakhri hadh tak hilne lagi....

baat choti toh thi nahi... GOD'S SON ki urja ko khatm kar raha tha VIDEOUS...aur aisa karne ke liye usse apna sab kuch jhonk dena tha aur woh yahi kar raha tha...

lagatar apne dono hathon ko hum dono ki taraf kar woh apni puri shakti se hume pal pal khatm kar raha tha..

kuch pal beete aur phir uske haathon se nikalne waale urja ki shakti jab badhne lagi aur uska pressure jaise jaise kam hone laga toh VIDEOUS samajh gaya ki hum dono khatm ho rahe hain...

dekhte hi dekhte kuch hi pal me uske haathon ki urja se nikalne waali roshni surya ke tej ke saaman badh chuki thi aur phir achanak...

BOOMMMM.........

ek zordar awaaz ke saath woh urja wapas VIDEOUS ke andar chali gayi...

aisa hote hi VIDEOUS jisne apni puri shakti drain kar di thi,apne ghutno par aa gaya..

lambi lambi saansein le raha tha woh is waqt par saath hi uske face par ek vijayi smile bhi chamak rahi thi..

reason....

jahan mai aur MAHI the,wahan ab hum dono ke sharir se bana raakh jisse ab bhi hamari urja halki halki nikal rahi thi,hawa me dheere dheere vilin ho rahi thi....

aur jaise hi woh raakh puri tarah vilin hui toh....

ek saath do chizen hui...

pehli... VIDEOUS jiski ENERGY restore ho chuki thi,woh apni jagah par wapas khada ho gaya...

aur dusri...

GADGADGADGAD.....

pure ELYSIAN ke aasman me kaale baadal chaa gaye, tez bijli kadakne lagi jiske agle hi pal pura ELYSIAN tez paani ke bundo me nahane laga...

aur is baarish ko VIDEOUS apni baahein pasare mehsoos karne laga..

is beech uske teeno DEVOTEES,DORIAN aur GASTON jinke saath VIDEOUS ke dono primes bhi the,saath hi woh anjaan GAFFER,ye sab apne apne kaale labadon me prakat hue aur VIDEOUS ke aage jhuk gaye...

waise ek aur chiz bhi hui thi..aur woh ye ki tez baarish ke bundo ki wajah se wahin behosh pade ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY bhi hosh me aa gaye..

hosh me aate hi woh chaaron yahan wahan dekhne lage par RAAZ aur MAHI ko talash rahi unki aankhon ke aage kuch nakabposh log aur unke beech khade VIDEOUS ke alawa aur koi naa tha...

tez musladhar baarish ke beech MAHI ki energy rays ke takrane ki wajah se kamzor ho chuki aankhen aur aadhe khuli aankhon se woh chaaron situation ko samajhne ki koshish kar hi rahe the ki..


VIDEOUS-zyada sochon mat...bas itna jaan lo ki jis maksad ke tahat tum chaaron yahan aaye the,woh maine pura kar diya hai..

RAAZ aur MAHI,dono hi ab nahi rahe....


VIDEOUS ki kahi baat par woh chaaron kaise react karen,ye unhe samajh me hi nahi aaya..

haan,ye sach tha ki woh chaaron khud RAAZ ko maarna chahte the,par ab jab aisa ho chuka tha tab bhi woh sab andar se khush nahi the..

aur us ajeeb si feeling ko MAHI ke khatm hone ki khabar ne udaasi aur pain me bhi badal diya tha..

khair,apni baat ko aage badhate hue..


VIDEOUS-GOD GIFTS SAVENTS....tum chaaron ko mila ye vardaan ab tum sabke liye avishap me badalne waala hai...

do options hain...

kyunki tum sabke shaktiyon me GOD ki urja ka AURA hai,jiski wajah se tumhare dilo ko,maansikta ko, ATTITUDE ko badla nahi jaa sakta, isiliye tum chaaron ko maar diya jaaye..

par ye option boring hai, isiliye tum chaaron par dusra option laagu kiya jaayega...


apni baat khatm karte hue VIDEOUS ne un charon ki taraf apna haath kiya aur uske aisa karte hi..

AHHHHHHHHH....

un charon ke hi mooh se ek saath tez cheekh nikal gayi...

reason...

VIDEOUS ne un charaon ke GOD GIFTS AURA ko unke hi andar seal kar diya tha jisse unke ragon me behti unki extra shaktiyan jo un charon ko baakiyon se alag aur aage karti thi,unme vikaar aa gaya jisse un sabko hadh se zyada taklif hui aur woh chaaron ek baar phirse behosh ho gaye...


VIDEOUS-sabko pesh karo...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi unke saamne moujud uske saare disciples gayab ho gaye aur kuch hi palon me woh sab CHOSENS me basne waale har shaksh ko saath liye VIDEOUS ke saamne haazir ho chuke the..

TEENO SOVEREIGN'S bhi in sabme moujud the aur is waqt sabse aage khade the...

wahin khudko achanak se hi ek nayi jagah par dekh saare CHOSENS waasi kaafi hairan the par saath hi un sabko VIDEOUS ki aseemit urja jisse ab usne khula chhod diya tha,woh bhi feel ho rahi thi aur isiliye usse halki ghabrahat ke saath sabhi dekh rahe the..

SEBIL jaisi powerful WHIZZ joki teeno SOVEREIGN'S ke left me hi khadi thi,woh bhi is waqt VIDEOUS ke sharir se nikalte unidentified but hadh se zyada strong urja ko feel ghabrane lagi thi..

khair,sabko apne saamne dekh VIDEOUS ne apni ungli teeno SOVEREIGN'S ki taraf ki aur...


VIDEOUS-your services are no longer required...you three are terminated...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi teeno SOVEREIGN'S bina kuch kahe gayab ho gaye jisse dekh wahan moujud sabki hairani aur badh chuki thi..

waise wahan moujud saare log kaale dil waale WICKEDS aur unki tarah ke ATTITUDE waale hi the,jinhe waise bhi teeno SOVEREIGN'S jinse pure WHITE ENERGY feel hoti thi,pasand nahi the,isiliye woh un teeno ke aise, chupchap chale jaane se man hi man kaafi khush bhi the..

khair,teeno SOVEREIGN'S ke jaate hi VIDEOUS ne apna woh AURA jisme uski haqiqat thi, release kar di jisne jaise hi wahan moujud har shaksh ko touch kiya toh unhe VIDEOUS ki sacchayi pata chali aur aisa hote hi woh sab ek jhatke me apne pairon par aa gaye...

waise apne baare me sabko jaankari dete waqt VIDEOUS ne RAAZ ke baare me kisiko kuch pata chalne nahi diya kyunki RAAZ ke ab jaane ke baad woh nahi chaahta ki usse koi yaad bhi kare..

apne saamne sabko ghutno par dekh..


VIDEOUS-mere baccho....

bramhand ke har kone me sirf VIDEOUS aur burayi ka WAAS HOGA...

acchayi,aur acche log jahan bhi honge,abse unka sirf NAASH HOGA....


mere bacchon... CHOSENS banane ka mera sabse ehem maksad tha,mai ye chahta tha ki yahan se burayi ke aise shaktishaali SAVENTS nikle jinhe mai apne is bramhaand rupi riyasat me alag alag daayitv de sakun...

woh din gaye jab universe me basne waale log apni problems ke liye GOD ki taraf rookh karte the,ab se sirf unhi ka hi uddhar hoga,jo VIDEOUS ko apna GOD maanega...

aur aisa karne par sabko majboor karoge tum sab...isiliye, apni apni shaktiyon ke charam ko chhuo,aur mere raj me raj karo....

tumme se jis kisiko koi bhi taklif kyun naa ho,us taklif ko mera naam lekar yaad karna,taklif door ho jaayegi....


VIDEOUS ka aisa bolna tha ki tabhi SEBIL ne man hi man VIDEOUS ka naam liya aur apni behen ko yaad kiya aur uske aisa karte hi usse ek ajeeb si feeling aayi..

darasal MABBA ke saath EXERTION me jo hua tha,uski jo condition thi,us wajah se SEBIL uske AURA ko MABBA ke AURA se jode rakhti thi aur ab jab usne VIDEOUS ke kahe according kaam kiya toh usne MABBA ke AURA me ek spark dikha..

ye spark uski disability khatm karne waali urja thi jiska matlab tha ki MABBA ki body heal ho rahi thi aur is baat ka ehsaas hote hi SEBIL ki nazar VIDEOUS par gayi jo muskurate hue usse hi dekh raha tha...

VIDEOUS ke is ehsaan par SEBIL uske paas jaakar uska shukriya ada karna chahti thi par uski itni himmat nahi thi ki jiski wajah se uska astitv hai,jiski shaktiyon se un sabme shakti ka sanchaar hota hai,uske saamne woh khadi ho sake...

khair, VIDEOUS apni baat keh chuka tha aur ab baari thi uski apni jeet ko unke saamne celebrate karne ki,jisse uska asli mukabla tha jo uske mutabik aaj haar chuke the jiska matlab tha ki ab VIKRAM aur ASMODEUS dono ko apna ohda aur HEAVEN,dono hi VIDEOUS ke hawale karne the aur isiliye VIDEOUS CHOSENS se gayab ho gaya....







PLACE-OUTSIDE HEAVENS GATE.....








FINALLY........ FATHER'S,DEKHIYE, AAPKA LAYAK LADKA AAKHIRKAAR JUNG JEETKAR AAPKE PAAS LOUT HI AAYA....


HEAVENS GATE ke bahar pahuchte hi gunj uthi VIDEOUS ki awaaz chaaron taraf jiske baad HEAVEN ka gate dheere dheere khula aur uske andar se bahar aaye VIKRAM, ASMODEUS, AVANTIKA aur ALESANDRA jinhe dekh...


VIDEOUS-kitna arsa beet gaya aap logon ke yun samaksh hue...

kuch bhi kahiye,aap chaaron ko dekhkar mera dil khush ho gaya...

manushya lok me kaha jaata hai ki ek PITAH apne PUTR ko khudse aage nikalte dekh bohot prassan hota hai...

is tark ke adhaar par toh aaj aap dono ke liye sabse zyada khushi ka din hoga..haina FATHERS....!!!!

toh kya hua agar us khushi ki keemet ab ye pura BRAMHAAND hai jo abse aapke is putr ki milkiyat hai...

HAHAHAHAHAHAHAHAHA......





aapne nahi sambhala,par dekho,aapka ye beta khudhi SAMBHAL GAYA....

jo dekha tha sapna aapne RAAZ ki aankhon se,aaj ussike saath woh sapna bhi JAL GAYA......

aap dono maha buddhijeevi bhi aaj haar hi gaye,

shuru kiya tha aap dono ne jis kahani ko, aaj VIDEOUS ke haathon woh ATTITUDE BADAL GAYA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI......

















AAPKA APNA V...J.....
Mind blowing update bhai.....
 
Top