• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
bohot umda review diya hai aapne brother..jaan kar acha laga ki aap update ke har pehlu ko sirf padh hi nahi rahe,balki feel bhi kar rahe ho..

ek writer ke taur par ye meri lekhni ko milne waala sabse bada prize hai..

so thanks aur yunhi saath bane rahiye..
Thnks brother for your appreciation aur rhi baat feeel krne ki aapki story ko to ye kamaal aapka h ki hm sbhi usko feel kr pa rhe h so all credit goes to you..hm to bss koshish kr rhe h ki aapke update ko bss apni trf se achhe se appreciate kr ske..baki to kbhi koi kmi rhti h ya hm kuchh miss krte h to aap hr dfa uske correction ke liye mojud hote hi ho.. To thnks to you for motivate us
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FALLON KE MASTER FALLON SE AUR KADA ABHYAS KARNE KO KEHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR VIDEOUS KE BEECH EK PACT HOTA HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-67



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLAR'S PARK





GOOD MORNING UNCLE...GOOD MORNING AUNTY.....


subah ka waqt hai....FLORIN aur MARIA,dono hi har morning ki tarah colony me bane jogger's park me aaj bhi walk ke liye aaye the...

dono halki streching kar hi rahe the ki tabhi unke piche se ye awaaz aati thi jisse sun jab wo dono palte toh apne saamne ek khubsoorat par anjaan ladke ko khada paaya jisne abhi abhi unhe greet kiya tha aur filhal un dono ko hi dekh kar muskura raha tha....


MARIA-good morning beta...but have we met before..???maaf karna humne aapko pehchana nahi...

LADKA-dont say sorry aunty..jab hum isse pehle mile hi nahi hain toh fir aap dono mujhe kaise pehchante..??

aap dono ne bhale hi mujhe nahi dekha hai par maine aap dono ko ek do baar ALFREEN ke saath dekha jisse mujhe andaza ho gaya tha ki aap uske parents hain....


waise myself VIDEOUS...mai aapki beti ALFREEN ka PHASEMATE bhi hun aur friend bhi...


dhyan se sun rahe the FLORIN aur MARIA VIDEOUS ko yaa fir ye kahin ki uske haav bhaav,baat karne ke tarike ko aur ye sab notice kar unhe VIDEOUS bilkul RAAZ ki tarah lag raha tha aur yahi wajah thi ki pehli baar VIDEOUS se milkar bhi wo unhe apna laga....

aur upar se jab VIDEOUS ne ye kaha ki wo ALFREEN ka friend hai toh unki khushi badh gayi....


FLORIN-nice to meet you young man....


puri garm joshi se haath milaya FLORIN ne VIDEOUS ka aur...


FLORIN-par beta humne tumhe pehle yahan nahi dekha...

VIDEOUS-actually uncle mai normally park ke dusri taraf exercise karta hun...

ab ye park itna bada hai ki ek side waalon ko dusri side ka pata hi nahi chalta...

MARIA-haan,ye toh hai...humare planet me bhi hum morning walk ke liye wahan ke ek park me jaate the par jahan us park ke hum 10 rounds araam se maar lete the wahin is park ke 3 lagana bhi mushkil hota hai...

FLORIN-apni baat karo..mai toh yahan bhi 10 rounds laga leta hun....

MARIA-acha..aur ye kab kiya aapne...??maine toh 5 rounds se zyada aapko lagate nahi dekha...

FLORIN-tumne nahi dekha matlab maine rounds nahi lagaye..

ye kya baat hui bhala...???

aur waise bhi, tum thakan ki wajah se dhyan nahi de paati ho...ab umar bhi toh ho gayi hai naa tumhari....


FLORIN aksar MARIA ko chidhane ke liye unki umar ki baat karte the jisse wo chidh bhi jaaya karti thi...

abhi bhi yahi hua tha.. FLORIN ki baat sun MARIA kuch kehne hi waali thi ki tabhi...


VIDEOUS-this is not fare uncle...aunty bhala kis angle se old dikhti hain...

wo jo saying hai naa,ki age is just a number...aunty ko dekhkar mujhe lagta hai jisne bhi wo saying kahi hai,aunty ko dekhkar hi kahi hogi...


VIDEOUS ki baat sun jahan FLORIN halka muskura diye wahin MARIA khush ho gayi aur...


MARIA-charming!!!i like it...infact most of the girls like guys like you...

aur aap,sikhiye kuch is bacche se...

FLORIN-ab sikh kar bhi kya faayda..??aise lines bol toh lun par try karne ke liye bhi toh koi chahiye naa...!!!

MARIA-kya kaha...??budhape me jawani chaddne lagi hai kya...????

FLORIN-budhapa....!!!!bhaagne ka stamina khudka gir gaya hai aur old mujhe keh rahi ho...

MARIA-aisi baat hai...toh fir chalo,ho jaaye mukabla...maarte hain chakkar...dekhte hain ki kaun pehle thak kar rukta hai...????

FLORIN-challenge accepted....


jahan pure josh ke saath FLORIN ne ye baat kahi wahin VIDEOUS,jo kaafi der se in dono ki nok jhonk dekh raha tha,wo FLORIN ki baat sun..

VIDEOUS-kya mai bhi aap dono ke saath join kar sakta hun...??waise bhi meri morning jog abhi baaki hai...

MARIA-sure son...the more,the merrier.... let's go..


ye bol MARIA aur FLORIN ne halki streching ki aur fir shuru hui un teeno ki jog....

jog karte waqt baat karne se saans jaldi foolti hai isiliye FLORIN aur MARIA mooh band kar doud rahe the...

VIDEOUS ne bhi jog ke beech kuch nahi kaha aur un dono ke saath doudta raha....

5,10,15,20,25 aur fir 30 minutes ho gaye the in teeno ko daudte hue...

FLORIN aur MARIA,dono ke chehre par hi kaafi thakan dikhne laga tha par fir bhi dono me se koi haar maanane ke liye taiyar nahi tha...

ye dono shuru se hi aise the..waise toh dono hi do jism ek jaan the par jab baat competition ki aati thi toh compromise karna nahi aata tha dono ko...

aur is tarah kuch 10 minute aur nikal gaye jiske baad in dono ke chere par accessive thakan dikhne lagi thi jisse dekh VIDEOUS turant dono ke aage aaya aur...


VIDEOUS-time out guyzzz...yaar aap dono bhale hi naa thake hon,par mai thak gaya isiliye kamsekam mere liye ab ye challenge khatm kijiye.....

no body wins.. it's a draw....


dono ke aage aa ulta doudte hue kahi thi ye baat VIDEOUS ne jisse sun dono hi rook gaye....

thakan ki wajah se kuch der laga un dono ko normal hone me par jab un dono ki saans normal hui toh dono ne ek dusre ko dekha aur....

HAHAHAHA......


ek zordar hasi nikal gayi FLORIN aur MARIA ki apni hi bachkani harkat aur zidh par...

ek dusre ko side hug kar dono hi apne saamne VIDEOUS ki taraf palte aur...


DONO-thanks beta...

VIDEOUS-thanks!!!!!wo kisliye...???

FLORIN-hum dono ko hi winner bana khudko harane ke liye...

tum ek SAVENT ho...thik waise jaise meri beti hai aur ek SAVENT ko agar 2,3 ghante tez bhi douda diya jaaye tab bhi wo nahi thakta..

fir tum toh hamari hi tarah dheere dheere doud rahe the....

MARIA-exactly..tumne apni haar, hume jo thakan lag rahi thi,usse khatm karne ke liye maani....so thank you for that...

VIDEOUS-ye baat toh sach hai uncle,aunty ki ek SAVENT aise bohot se kaam kar sakta hai jo normal log nahi kar sakte...

but ye sirf usse diya ek gift hai...par aap dono ne jo ki completely normal hain,is umar me bhi itna stamina rakhna,its commendable..

apni taarif sun MARIA aur FLORIN,dono bas muskura diye...


MARIA-waise aaj thoda late ho gaya hai... AL ke institute jaane ka time bhi ho chuka hai..

hume chalna chahiye warna wo khudse toh breakfast karne se rahi...

FLORIN-thik hai..beta VIDEOUS,aap bhi chalo hamare saath...aaj breakfast hamare yahan karna,hume accha lagega...

VIDEOUS-i would love to uncle but aap bhul rahe hain ki ALFREEN ki tarah mujhe bhi institute jana hota hai aur mai bhi late ho chuka hun..

toh isiliye aaj nahi aa paaunga..but next time,pakka...

FLORIN-alright than....hum chalte hain..u take care of yourself son...


apni baat keh FLORIN aur unke saath MARIA, dono palatne hi waale the ki...


VIDEOUS-uncle...i am really honoured to meet you guyzz..can i give you a hug...???


jahan VIDEOUS ki baat sun FLORIN ke chehre par ek muskaan tair gayi wahin MARIA....???


MARIA-ab ye toh galat baat hai..hug sirf uncle ko,aunty ko nahi..???

VIDEOUS-honoured me aap dono se milkar hua hun...toh hug bhi dono se hi chahunga naa...


VIDEOUS ki baat sun pehle FLORIN aage badhe aur usse gale se laga liya aur aisa karte waqt unhe wahi feeling aayi jo RAAZ ko gale lagate hue aati thi....

wahin FLORIN ke baad MARIA ne bhi VIDEOUS ko hug kiya aur unhe bhi FLORIN ki hi tarah VIDEOUS se RAAZ ki vibes aayi thi...

yahi wajah thi ki dono hi pure dil se gale lage the VIDEOUS ke....

gale lagne ke baad ek baar firse bye bol apne ABODE ke liye nikal gaye FLORIN aur MARIA....

aur jaate waqt....


FLORIN-chehra alag,banda alag..par pata nahi kyun par ye ladka mujhe RAAZ jaisa lag raha tha...

MARIA-arre waah..what a coincidence..mujhe bhi same feeling aayi thi...


jahan apne raaste nikle FLORIN aur MARIA ye saari baatein kar rahe the wahin apni jagah khada VIDEOUS jisse sab sunayi de raha tha,wo....


VIDEOUS-RAAZ toh nahi hun mai par mujhme RAAZ zaroor hai...dekhte hain,kya gool khilate hain ye RAAZ....!!!






PLACE-WEAKLING CLASS






RAAZ.... BAS EK PERCENT AMPLIFICATION AUR...USKE BAAD TUM BHI ACCHUTA AUR SLUNDER KI HI TARAH GROOMERS CATAGORY KE LIYE QUALIFY KAR LOGE....



aaj class shuru karne ke thodi der baad meri CHOSENS ke hisaab se first percent AMPLIFICATION puri ho gayi thi...

mere sharir se nikle tez prakash ne is baat par mohor lagayi thi jisse dekh HIDA ne ye saari baatein kahin thi....

wahin mere baaju me baithe BRAWNY ki koshish hamesha ki tarah naakam ho gayi thi jiski wajah se uske chehre par maayusi saaf dikh rahi thi....

aur uske expressions HIDA se bhi chuppe nahi the aur isiliye.....


HIDA-nirash mat ho BRAWNY...success har kisko turant mil jaaye,ye zaroori nahi...koi turant aage badh jaata hai toh kisiki raftaar slow hoti hai...

tum bas apne focus ko aur strong karo.....aaj nahi toh kal tumhara SOUL trigger ho hi jaayega....


BRAWNY ko housla dete hue kahi ye baat HIDA ne jispar na toh uske chehre ke bhaav badle aur naahi man ke...

reason...

ek saying hai ki, it's not about the advice... it's about the person who is giving that advice ...

important sirf advice nahi hoti..us advice ko de kaun raha hai,ye baat advice se zyada maayne rakhti hai...

agar saamne ek champion khada ho,toh uske bina bole hi sirf uske ATTITUDE ko,andaz ko, performance ko dekh kar log motivate ho jaate hain wahin agar saamne khada banda khudki personal life me ek looser ho toh fir fark nahi padta ki apna gala faad wo kitni hi positive baatein kyun naa kare,sunane waale ke liye woh saari baatein mahaz baatein hi rehti hai....

aisa hi kuch abhi BRAWNY ke maamle me bhi tha...wo khud ek WEAKLING tha...uske aas paas ka saara mahoul negetive aur hopeless tha...

uske baaju me khada SAVENT usse koi matlab nahi rakhta tha...saamne khadi WHIZZ khud kaafi underconfident rehti thi...

unka khud ka experience bohot negetive tha toh fir aise me BRAWNY bhala kaise khudko motivate karta....

isiliye jo WHIZZ ne kaha,usse usne ek kaan se sunkar dusre se nikal diya...

par try toh dobara karna hi tha isiliye ek lambi saans chhod BRAWNY dobara apne SOUL ko trigger karne ke process me lag gaya...

wahin kyunki class shuru hue zyada waqt hua nahi tha, isiliye maine bhi SOUL AMPLIFICATION ke process ko repeat karne ke liye dobara apni aankhen band kar li thi...

waise toh ek baar soul AMPLIFY hone ke baad sharir me itni jaan bachti nahi thi ki same day dobara is process ko dohraya jaaye par mere aisa karne ke baad bhi HIDA ko naa toh zyada aascharya hua aur naahi usne mujhe roka kyunki bhale hi wo meri asliyat nahi jaanti thi par itna toh unhe andaza ho gaya tha ki mai sadharan ya fir baaki SAVENTS ki tarah bilkul nahi hun...

kuch aisa hai mujhme jo baakiyon se alag hai aur isiliye hi wo shaant hokar mujhe dekhti rahi...

par bhale hi mujhe dobara AMPLIFICATION try karne par HIDA hairan nahi hui thi,par jab mere AMPLIFICATION process me baithne ke kuch der baad ek baar firse mera sharir roshni se naha gaya,aisa hote dekh unki aankhen hairat se badi ho gayi...

ab hairani ki baat toh thi hi...aisa CHOSENS me pehli baar ho raha tha ki kisi SAVENT ne ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya tha....

aur sabse badi baat ye thi ki wo SAVENT STELLAR yaa fir GROOMER bhi nahi balki ek WEAKLING tha...


MAI-kya hua WHIZZ???itni hairan kyun dikh rahi hain aap...???


aankh khulne ke baad jab maine apne saamne HIDA ko mujhe aankh faade ghurte paaya toh maine ye baat kahi jispar...


HIDA-unbelievable....aisa pehle kabhi nahi hua hai ki kisi SAVENT ne ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kar liya ho....

par tumne,jo ko ek WEAKLING hai,ye kar dikhaya...tumhe andaza bhi nahi hai ki ye kitni badi baat hai....

ab kal se tum bhi ACCHUTA aur SLUNDER ki tarah GROOMER kehlaoge...


ye saari baatein HIDA ke zuban se nikal rahi thi but at the same time unke man me bhi kuch baatein ho rahi thi...

aur wo baatein thi ye...


HIDA man me-ab mujhe pura yakin ho gaya hai ki jo us din tumne mujhse kaha tha,agar mai uska matlab samajh jaaun toh meri ghutan bhari zindagi khatm ho jaayegi...

tum ek ANGEL ho jo mujhe mile us LOOSER tag se azaad karayega.....

aur ab kuch bhi ho jaaye,mai tumhari baat ka matlab
pata karke hi rahungi...


wahan unki man aur zuban ki baat khatm hui aur yahan....


MAI-andaza accuracy nahi darshata..aur jis kaam me accuracy naa ho,wo mai karta bhi nahi.....


jahan meri baat sun HIDA bas halki si muskura di wahin BRAWNY jo ki mere do baar SOUL ko AMPLIFY karne se hairan tha,par saath hi uske man ke ek hisse me apne aap wahi chiz aane lagi thi jiske baare me maine thodi der pehle bataya tha..

motivation...wo motivation jo HIDA ke lagatar cheer up karne par bhi nahi jaaga tha,wo bas mere achievement ko dekhkar jaagne laga tha..

BRAWNY jo itne dino se lagatar ek frustrated mentality ke saath jee raha tha,achanak uske andar ek nayi sfurti aur positiveness ghar karne laga tha....

khair,mere do baar SOUL AMPLIFICATION ke process ko repeat karne aur result dene se hamare class ka waqt kuch der pehle hi khatm ho chuka tha aur isiliye...


HIDA-aaj ki class khatm hoti hai...kal mlite hai..


ye bol HIDA aage badh gayi aur unke nikalne ke kuch seconds baad mai bhi muda aur hall se nikalne laga...

wahin nayi sfutri se bhara BRAWNY mujhse baat karna chahta tha par usse samajh nahi aa raha tha ki wo ye kaise kare kyunki usse pata tha ki naa toh mujhe zyada baat karna pasand hai aur naahi mai uske saath friendly hun...

par baat toh usse karni hi thi aur isiliye jab usne mujhse baat karne ke liye saamne dekha toh paaya ki mai kaafi aage nikal chuka hun..

ye dekh wo bhi tezi se meri taraf badha aur thik mere piche pahunch....


BRAWNY-RAAZ.....ek minute...can i have a word with you...???


maine THE GREAT HALL ke gate ko cross kiya hi tha ki tabhi mujhe apne piche se BRAWNY ki awaaz aayi jisse sun mai piche palta...


BRAWNY-hey RAAZ.. what's up..???


halke uncomfortable tarike se gesture kiya tha BRAWNY ne mujhse...


MAI-matlab ki baat kar....


mera rawaiya aur tone dono hi thode harsh the jisse sun aur samajh wo halka hadbada gaya par fir..


BRAWNY-nahi wo aise hi.... actually kuch puchna tha mujhe tumse....

MAI-puri baat ek baar me bolna sikh BRAWNY...??aadhi adhuri baatein sehen nahi hoti mujhse...


halke gurrate hue kahi thi maine ye baat jisse sun naa sirf BRAWNY sehem gaya balki jo usne mujhse puchna tha,wo bhi bhul gaya...


BRAWNY-nahi wo,acha jaane do...fir kabhi baat karenge...

MAI-toh kya sirf whats up bolne ke liye roka tha tune mujhe....saale,kis level ka looser hai tu....naa toh class me thik,naahi bahar...

shakal hamesha aisi banayi hoti hai jaise abhi abhi bheek maanga ho par bheek mila nahi ho...

itni hi faththi hai teri toh hamesha apne maa baap ke ga***d me hi ghuse raha kar...

yahan bahar duniya me tujh jaise chutiye ki koi zaroorat nahi...

hath.....

THAPPP....



apni baat keh maine hakka dhakka diya BRAWNY ko jiski wajah se wo piche gir gaya par tabhi....


RAAZ......YE KAISI WAAHIYAD AUR NEGETIVE BAATEIN KAR RAHE HO TUM....???


mere right taraf se aayi thi ye awaaz jo ki kisi aur ki nahi balki MAHI ki thi....

darasal day off hone ke baad jab STELLARS class se bahar nikle toh MAHI ne ALFREEN aur MABEL se washroom jaane ki baat kahi...

jahan MAHI wash room chali gayi wahin ALFREEN aur MABEL institution ke bahar gate par uska intazar kar rahe the....

washroom class ke aage hi tha jahan se ho jab wahan se nikal MAHI hall se bahar aayi toh uski nazar mujhpar aur BRAWNY par padi aur saath hi usne sunli wo saari baatein jo maine abhi abhi BRAWNY se kahi thi...

meri baatein sun usse bohot bura kag raha tha aur jab aakhir me maine BRAWNY ko dhakka maarkar gira diya toh usse bardasht nahi hua aur wo turant apni baat chillate hue hamari taraf badhi...

paas aa usne BRAWNY ko sahara dekar uthaya aur....


MAHI-ye kya ghatiya baatein kar rahe the tum isse...???jaante hue bhi ki ye thoda underconfident hai,halka dara hua sa rehta hak,isse motivate karne ki jagah tum isse itni negetive aur gandi baatein kar rahe ho...

maine toh socha tha ki tum waise nahi ho jaisa pehle khudko dikhate the par mai galat thi..tumhari soch toh hadh se zyada giri hui hai....


ek saans me bolti chali gayi thi MAHI ye saari baatein jisse sun..


MAI-filhal toh gira hua ye tha..par uthne ke liye bhi isse tumhari zaroorat padi...aur aisa kar isne meri har kahi baat par sach ki muhar laga di....

MAHI-muhar sirf ek sach par laga hai aur wo ye ki tum ek ghatiya insaan ho....

aur jo baatein tumne isse kahi hain,uske liye tum abhi issi waqt isse maafi maangoge aur agar tumne aisa nahi kiya toh jaise tumne isse humiliate kiya hai,waisa hi kuch mai tumhare saath karungi....


ghusse se halke halke kaampte hue kahi ye baat MAHI ne jispar....


MAI-mai dar gaya...khair,maafi toh mai maang lun par soch lo.. meri maafi aksar logon ko hazam nahi hoti...

MAHI-apni bakwas oneliner apne paas rakho aur maango maafi BRAWNY se...


MAHI ki baat sun mai BRAWNY ki taraf badh aur thik uske saamne khada hua aur...


CHATAAKH......

MAI-ye tha mera SORRY....



mera haath thappad ka roop liye pada BRAWNY par aur aisa hote hi...

BRAWNY toh BRAWNY,mere thappad ke impact se uske baaju me khadi MAHI bhi hadbada gayi thi..

toh hua ye ki jaise hi maine BRAWNY ko thappad maara toh uske chehre ke saath puri body hil gayi....

uske body ko ek tez jhatka laga aur wo sidha apne baaju me khadi MAHI se takraya...

MAHI asavadhan thi aur isiliye wo us takkar se bach nahi paayi aur us tez takkar ki wajah se neeche gir gayi...

wahin mere thappad padte hi BRAWNY ka sense gayab hone lag gaya tha..usse apne kaan ke paas kuch gila gila laga tha par isse pehle ki wo us gilepan ko samajhta,wo niche gir behosh ho chuka tha...

in sabke beech BRAWNY ke takkar se niche giri MAHI ko pehle toh jo hua,usse samajh me hi nahi aaya par fir kuch seconds baad wo ek jhatke se uthi...

par ab thodi der ho chuki thi...jahan ek taraf mai wapas mood nikal gaya tha wahin dusri taraf BRAWNY behosh ho chuka tha...

meri harkat par behad ghussa aaya MAHI ko aur wo meri taraf badhne hi waali thi ki tabhi uski nazar side me gire hue BRAWNY par gayi aur uski haalat dekh MAHI ko uspar taras aa gaya...

BRAWNY ke left kaan ke niche se khoon ki ek moti si dhaar nikal rahi thi aur saath hi uske ussi taraf ka gaal bhi fat gaya tha aur wahan se bhi khoon rees raha tha...

BRAWNY completely senseless tha aur usse aisi haalat me ek pal ke liye bhi chhodna MAHI ne sahi nahi samjha..

ek baar mujhe piche se ghusse me ghur MAHI ne turant BRAWNY ko sahara dekar uthaya liya...

MAHI ek top SAVENT thi jiske liye ek male bande ko uthana bhi maamuli baat thi..

BRAWNY ko utha saamne gate ke badle side me bane ek sanakre par short cut raaste se jisse chariot parking me jaldi pahuncha jaa sakta tha, MAHI aage badh gayi aur kuch hi der me wo apne CHARIOT ke saamne thi....


institution ke gate me ALFREEN aur MABEL uska wait kar rahi thi,but filhal uske paas unhe inform karne ka waqt tha nahi aur isiliye MAHI ne turant BRAWNY ko apne chariot ke piche seat me daala aur turant apne ABODE ke liye nikal gayi.....




PLACE-WEAKLINGS STAY





RAAAAAAAZZZZZZZ......


shaam ka waqt hai...mai apne quater me baitha hi hua tha ki tabhi koi mere quater ke entrace me aate hue zor se mera naam lekar chikha jisse sun mere chehre par ek halki smile aa gayi...

ye koi aur koi nahi balki SHALTON tha, BRAWNY ka baap jo mere saamne khada tha...

nathune fuli hui thi uski...ghusse ke maare zor zor se saans le ghur raha tha wo mujhe..

aur tabhi uske piche se prakat si hui uski wife NAOMI jiske aankhon me mere liye ghussa,nafrat aur saath hi nami bhi thi....

khair,abhi SHALTON meri taraf aage badhta ki tabhi..


BRAWNY-dad,leave it..maine kaha naa ki i am fine...please chaliye yahan se...


apne dad ke haath ko kheenchne ki naakamiyab koshish karte hue kahi ye baat BRAWNY ne...

is waqt uske left side ke pure chehre par transparent pattiyan chadhi hui thi...

scene aage badhane se pehle aayiye jaan lijiye ki ab tak kya kya ho chuka hai...


darasal MAHI BRAWNY ko apne ABODE isiliye le gayi thi kyunki har STELLAR ke ABODE me ek self healing room bhi hota tha jisme agar yahan institution me metaphysical activities ko try karte waqt chot lag jaaye,toh uska us room ke magical healing rays se turant ilaaj ho jaata tha par kyunki is kriya me instant ilaaj ho jaata tha isiliye isme pain bhi hota tha aur wo pain sirf ek STELLAR hi jhel sakta tha...

aur BRAWNY ka sharir kamzor tha isiliye MAHI ne usse apne ELUSORY ki madad se us room me lejaakar manual healing ways se jo ki ek ELUSORY ko ache se aati thi, BRAWNY ka ilaaj kar diya tha...

jo pattiyan abhi BRAWNY ke chehre par lagi thi,unse uske saare zakhm kuch ghanton me hi ninty percent tak kam ho jaane the..

ilaaj karwakar bina kuch kahe BRAWNY chup chaap MAHI ke ghar se apne quater ke liye nikal gaya tha...

MAHI ne usse apne CHARIOT me chhodne ki baat bohot baar kahi par wo maana nahi..

par jab wo ghar aaya aur SHALTON aur NAOMI ne uski haalat dekhi toh unhe laga jhatka....

kaafi baar uski us haalat ke baare me puchne ke baad bhi jab BRAWNY ne kuch nahi kaha toh NAOMI ne usse apni kasam de di aur aisa hone par jaise jaise BRAWNY aaj ki saari baat batata gaya,uske parents ka mere prati ghussa badhta gaya aur BRAWNY ki puri baat sunte hi SHALTON aur NAOMI,dono turant mujhe confront karne ke liye mere quater ki taraf badh chale...

raaste bhar BRAWNY unhe aisa karne ke liye mana karta raha par bhala parents apne bacche ke kasoorwaar ko yunhi jaane den,aisa kaise ho sakta hai...???

toh ye thi ab tak ki daastan..ab aage...


BRAWNY-dad,mom please chaliye yahan se...???


apne bete ki baat ko nazarandaaz kar SHALTON turant aage badhe aur...


SHALTON-teri himmat kaise hui mere bete par haath uthane ki...bata mujhe...kya galti ki thi isne jo tune is maasoom ko itni buri tarah maara...


meri shirt ke girebaan ko pakad ye baat kahi SHALTON ne jispar...


MAI-mere bina ijazat koi mujhe awaaz de,mujhe roke,ye meri nazar me bohot bada gunah hai...

aur tune toh mere girehbaan par haath daal diya...ACHA NAHI LAGA MUJHE.....

SHALTON-toh,kya karega tu..???mujhe bhi maarega...

KADAKKK.....


AHHHHHHHHHHHHH....


SHALTON ke dono haath jinse usne mera girehbaan pakda hua tha,maine unhe pakda aur uske agle hi pal un dono haathon ke joint bone toot chuke the...

aur aisa hote hi gala phaad kar chillaya SHALTON...


haath uske mood chuke the aur ussi haalat me apne ghutno par aa gaya tha SHALTON..


jahan apne pati ki haalat dekh kar jadh si ho gayi thi NAOMI wahin BRAWNY jo ab tak bas request mode par tha,uska apne pitah ki haalat dekh khoon ubal gaya aur...


BRAWNY- RAAAAAZZZZ...mai nahi chhodunga tujhe....

ye bol aage badha BRAWNY par tabhi....


DHAKK......


meri ek laat padi uske seene ke beech jiske impact se piche ki taraf udta hua quater se bahar jaa gira BRAWNY....

itna hi nahi,hard satah par ek jhatke se gira tha wo jiski wajah se uske sir ke pichla bhaag zameen se takraya tha aur aisa hone par ek baar firse uske senses jaane lage...


wahin apne bete ka haal dekh NAOMI jaise neend se jaagi aur gurrate hue meri taraf palti hi thi ki..


AHHHH.......


maine uske piche ke baal pakad hawa me utha diya usse aur apne dusre haath se SHALTON,jo ki zamin par baitha dard se karah tha,uske gale ko dusre haath se pakad usko bhi hawa me utha dono ko le apne quater se bahar nikla aur NAOMI ke baal aur SHALTON ke gale ko jhatak unke bacche ke paas fek diya maine...

NAOMI ko uske baalon ko zor se pakad jo maine usse uthaya tha,uski wajah se usse beintahan dard hua tha aur jab maine usse zamin par feka toh uske left shoulder me moch aa gayi jisse uski haalat aur kharab ho gayi....

WAHIN dard ki adhikta se SHALTON toh behosh hi ho gaya tha...

aur in dono ke beech pada tha BRAWNY jiski aankhen bhi bhaari hone lagi thi jiska matlab tha ki wo bhi behosh hone ke kagaar par tha...

ek nazar apne saamne daal jahan is waqt meri bike jo mere GROOMERS ki entry ki wajah se mujhe mili thi,usse dekh mai BRAWNY ke thik saamne baitha aur...


MAI-

jahan natija mile,
zor wahin LAGANA CHAHIYE....

kismat bohot kutti chiz hai,soch samajh kar AAZMANA CHAHIYE...

khudko bacha naa saka,koi baat nahi,


par maa baap bhi pit gaye,
tujhe toh MAR JAANA CHAHIYE...











AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J......
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIDEOUS FLORIN AUR MARIA SE PEHLI BAAR MILTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ BRAWNY AUR USKE SAATH USKE PARENTS KO BHI MAARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-68




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



GROOMERS CLASS:-





KNOCK.... KNOCK.... KNOCK.....


subah ka waqt hai..GROOMERS class ke door par knock hua tha jisse sun class ke andar moujud teeno WHIZZ,WHIZZDER aur unke saath sabhi SAVENTS ki nazar bhi door par gayi jahan is waqt mai khada tha...

mujhe GROOMERS ke kapdo me khade ya fir ye kahun ki mujhe dekh jahan ek jhatke me ACCHUTA aur SLUNDER khade ho gaye wahin class ke baaki SAVENTS ki nazar bhi mujh par theher si gayi thi..

WEAKLINGS ki muddy shirt me bhi meri personality kam nahi dikhti thi toh fir aise me is waqt jo robe maine pehna tha,usme mai baakiyon se kayi guna zyada aakarshak lag raha tha aur ye appreciation mujhe wahan moujud har female SAVENTS ki aankhon me bakhubi dikh raha tha...

khair,mujhe dekh....


EDWINA-aao RAAZ...congrats for the upgradation...waise tum deserve karte the ye promotion...

SAVENTS,aapko jaankar hairani hogi ki RAAZ aisa pehla SAVENT hai jisne ek hi din me apne SOUL ko do baar AMPLIFY kiya hai...

in a way ye keh sakte hain ki isne ek hi din me khudko upgrade kiya hai....


meri achievement ko sun jahan baaki sabhi SAVENTS hairan ho rahe the wahin ACCHUTA aur SLUNDER ko toh ye sab normal hi laga tha..

wo dono toh issi baat se khush the ki unke according unka friend unki class me aa gaya tha...

WHIZZ EDWINA ke baad WHIZZDER ROVEL aur WHIZZ PETRA ne bhi mujhe congratulate kiya aur fir baithne ko kaha..

ACCHUTA aur SLUNDER toh jaise issi baat ka intazar kar rahe the...

jaise hi mai aage badha,un dono ne hi mujhe unke saath baithne ka ishara kiya jiske baad mai un dono ke beech jaakar baith gaya...


EDWINA-RAAZ... WHIZZ HIDA ne tumhe SPELLAR aur REFINER ke baare me toh bataya hi hoga...

MAI-haan...

EDWINA-WEAKLINGS aur GROOMER'S ke SPELLARS aur REFINERS me fark hota hai...

hamari catagory me SPELLARS me
kul teen pipes hote hain jinki SPELLS ko jhelne ki shamata zyada hoti hai...

aur saath hi REFINERS ki sankhya bhi zyada hoti hai...jahan WEAKLINGS class me aap sirf ek hi REFINER ko trigger karne ki koshish kar rahe the wahin is class me aap kul teen REFINERS ko trigger karenge....

HAPPY SAD AND ANGRY....

jinke spells hain....

SAMPURN AANANDITAM...

SAMPURN ANTARDUKHAM

SAMPURN KRODHAM....

in teeno RIFINER SPELLS ko aapko use me laana sikhna hai...


PETRA-ye bohot achi baat hai ki aapne ACCHUTA aur SLUNDER ki tarah session ke shuruat me hi khudko upgrade kar liya hai kyunki abhi tak kisi bhi SAVENT ne kisi bhi REFINER ko trigger nahi kiya hai...

REFINER ko maamuli darje tak refine karne ke liye aapko kul 2 minute tak paused CEREBRATION me rehkar apne REFINER ko man hi man uccharit karna hoga..

agar aapne aisa kar diya toh aapke SPELLS ka level low se average pahunch jaayega....

complete power ke liye yahi process 5 minutes tak karna padta hai...

toh shuru karen....???

SAB-yes WHIZZ....

ACCHUTA-arre yaar..fir g***d fatne waali hai....saala is AANANDITAM REFINER ki toh...saala ek baar jaan aa jaaye is REFINER me...

itna bajaunga iski ga***d me ki fir kabhi pareshan nahi karega...

pichle 2 din se has has kar atdi sukhne ko aa gayi hai....

SLUNDER -abbe chup.. WHIZZ ne sun liya toh teri ga***d sooj jaani hai...

ACCHUTA-bhai jab ga***d faththi hai naa,toh uska ek side reaction ga***d ko suja bhi deta hai..aur kitna sujayegi ye...

SLUNDER-apni bakwas band kar aur concertration pura task me laga...


SLUNDER ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi...


MAI-issi class me chipke reh second hand ka tag lagaye rehna toh focus mat kar...

par agar khudko strong bana VALDIS aur uske jaiso se takkar lena hai toh fir atdi sukhe yaa fir saans ki nali...har obstacle ko paar karna hi padega...

ACCHUTA-yahi toh baat hai...kam bolta hai par zabardast bolta hai...yaar,kuch bhi bol...teri har baat kaan se hokar dil me utarti hai....

aur logic bhi to the point hota hai..kaun si nabs kab dabani hai,ache se maalum hota hai tujhe...

ROVEL-SAVENTS...personal talks baad me bhi ho sakti hain,filhal class me concentrate karen...???


koi kuch kehta ki usse pehle hi ROVEL ki awaaz humare kaano me padi jiske baad baatein khatm aur kaam chalu ho gaya...

jahan baaki sabhi SAVENTS apni apni aankhen band kar REFINER ko man me uccharit kar uske effect se zor zor se hasne lag gaye the wahin has mai bhi raha tha par ye hasi fake thi..

reason...

filhal toh mujhe SPELL ko power dene ke liye kisi REFINER ki zaroorat thi nahi par kal ke baad aisa hone wala nahi tha...

parso se mai bhi ek normal SAVENT tha jisse un sabhi taklifon we guzarna tha jisse hokar ek SAVENT apne mukaam haasil karta hai...

par isme mere liye ek bohot badi problem thi... EMOTIONS...

wahi emotions jinse REFINERS bane the...jab wo EMOTIONS ek shakti ray me badal SOUL se connect hote the,tab SOUL ke through un emotions ke SPELL ko shakti milti thi...

par mujhme toh unme se koi bhi EMOTIONS the nahi....fir aise me bina meri aloukik shaktiyon ke kaise karunga mai apne SPELLS ko refine....

sawal mushkil tha par jawab maine already khoj liya tha..

par us jawab ko filhal mai khudme try nahi kar sakta tha....

aur wo isiliye kyunki ek toh mera vyaktiv,mera ATTITUDE mujhe aisa karne ki ijazat nahi deta tha par agar fir bhi,ek temporary base par in emotions ko try bhar karne ke liye mai inka istamal kar bhi leta toh parso se,jab mere paas wo authority nahi hogi jisse mai kuch bhi kar sakta hun,meri ye harkat ek alag hi shakti ka roop le backfire kar mujhe ek mout jaisi neend me sula degi....

waise same condition VIDEOUS ke saath bhi hai but mujhe pata hai ki jab ye normal hone ka plan uska hai toh aisa hone ke baad aani waali pareshani ka solution usne bohot pehle hi nikaal liya hoga...

khair,yahi wajah thi meri fake hasi ki aur aisa mai ye tab tak karta raha jab tak saare SAVENTS ne lagatar hasne se pet me uth rahe marod ki wajah se give nahi kar diya..

class khatm ho chuki thi aur isiliye teeno WHIZZES aur WHIZZDER class se nikal gaye aur jab aisa hua toh...


ACCHUTA-pata nahi bhai,kab hoga merge ye pehla REFINER SOUL se aur mukti milegi is dard se...

MAI-hota kuch nahi hai ACCHUTA...
karna padta hai...


meri baat par ACCHUTA kuch kahe usse pehle...


SLUNDER-arre chhodo naa yaar..jab hoga tab hoga..filhal toh i am very happy ki hum teeno wapas ek hi class me aa gaye hain...

pata hai RAAZ,hum bhale hi apartment me shift ho chuke the, life style sahi ho chuki thi par jab us din tune hume apne dost ka darja diya toh quater se nikalne ke baad bhi ek khaalipan lagta tha...

par ab tu aa gaya hai toh ab fullon dhamal karenge...


apne aadat ke ulat bilkul ACCHUTA ki tarah apni excitement dikha raha tha SLUNDER jiski baat sun...


ACCHUTA-satyavachan....aur pata hai RAAZ,do din ho gaye hume GROOMERS bane...

chaaron LUXURY GATEWAYS mile hain hume jinse hum pura PHASE explore kar sakte hain par abhi tak humne kiya nahi hai...

aaj shaam ka plan bana tha aur ab jab tu bhi saath hai toh fullon dhaamal karenge...

MAI-dhamal baad me karna..pehle ghar chalte hain....


ye bol jahan mai aage badh gaya wahin mere baad wo dono bhi mere piche ho liye aur raaste bhar dono ki patar patar on mode me hi rahi...






PLACE-HEAVEN





YE PARESHANI BHI CHIZ AJEEB HAI...

JAB BHI TERE CHEHRE PAR AATI HAI,TUJHE AUR KHUBSOORAT BANA JAATI HAI...


AVANTIKA ke chehre par dikh rahi pareshani ki silwaton ko dekh kahi thi ye baat VIKRAM ne jispar AVANTIKA ne turant khudko normal kar liya par wo ye bhul gayi thi uske saamne khade shaksh se kuch bhi chuppana mumkin nahi...


VIKRAM-kya baat hai..humari jaan humse hi RAAZ rakhne lagi....!!!

jaanbujh kar RAAZ shabd ka istemal kiya tha VIKRAM ne aur uske aisa karte hi ek baar firse AVANTIKA ke chehre par tanaav dikhne laga tha jisse dekh VIKRAM muskura diya...


AVANTIKA-aapko toh sab pata hai toh fir ye sawal kyun..???

VIKRAM-pata toh aapko bhi sabkuch hai toh fir ye tanaav kyun...???

AVANTIKA-theory aur practical me fark hota hai V.J...jo RAAZ kar raha hai uska bhale hi mujhe andaza tha par ab jab wo saari chizen wakayi ho rahi hain aur mai unhe dekh rahi hun toh khud ko pareshan hone se rok nahi paa rahi...

aur uske upar VIDEOUS... RAAZ ko harane ke chakkar me wo kuch bhi kar sakta hai....aur sabse badi baat toh ye hai ki RAAZ uski chaalon ko pehle se counter nahi karne waala....

VIKRAM-VIDEOUS toh shuru se hi upar hai AV..acha ek sawal ka jawab do...ANSH aur URJA me kya fark hai...???

AVANTIKA-ye kaise sawal hai..???

ansh matlab PART hota hai, khud ka ek PORTION aur URJA matlab ENERGY....

VIKRAM-elaborate aur differentiate karo dono ko with example...

AVANTIKA-ansh inheritance jaisa hota hai jo ki ek compulsion hai..

isme zor nahi chalta... example ke taur par aap aur ASMODEUS jo ki GOD ke ansh hai...aap dono hi unke inheritance hain jisse aap khudbhi chaahen toh deny nahi kar sakte...

wahin URJA ek POWER OF ATTORNEY ki tarah hai jisse yaa toh ek waqt ke baad artificially apne man se kisiko diya jata hai aur fir kisi aur reason ki wajah se ye POWER kisi bahar waale ke haath lag jaati hai..

aur iska best example hai RAAZ aur VIDEOUS...

jahan ek taraf VIDEOUS ko aapki aur aapke bhai ki shaktiyan ek lottery ki tarah mil gayi wahin dusri taraf RAAZ ko wo shaktiyan aapne aur ASMODEUS ne apni marzi se di...

VIKRAM-not bad AV... example acha tha... difference toh tumne bata diya ab similarity batao..???

AVANTIKA-similarity....!!!wo mujhe nahi pata par ek baat batao...ye saari baatein abhi kyun...???

VIKRAM-batata hun..par pehle similarity jaan lo....

ANSH ho yaa fir URJA,dono ke hi growth ne waqt lagta hai...jab mera janm hua tha,tabse hi mere andar har wo aloukik shakti thi jo mere father GOD ne pradan ki thi..

wahi shakti jo ASMODEUS ko bhi GOD ne apne bete ki haisiyat se di thi...

par kya mai us waqt ASMODEUS se takkar le sakta tha...kya mai usse jeet sakta tha....

bilkul nahi... ASMODEUS mujhe asaani se hara deta...aur ye isiliye tha kyunki ASMODEUS ki utappati mere janm se karodon saal pehle ki thi..

wo shaktiyan jo GOD ne usse di thi, ASMODEUS ne un shaktiyon ko waqt ke saath AMPLIFY kiya tha..nurture kiya tha..

AV,karm ache ho yaa bure,ye nishchit hai ki agar mehnat ki jaaye toh uska fal milne se GOD bhi rok nahi sakte...

bhale hi fir us fal ka natija negetive hi kyun naa ho...

ASMODEUS ne mehnet ki thi, bohot mehnat ki thi aur yahi kaaran tha ki us waqt wo mujhse kayi guna zyada shaktishaali tha...

thik ussi tarah jab RAAZ ko uski puri shakti mili jo ki hum dono bhaiyon ki urja hai,tab uski taakat utni hi thi jitni VIDEOUS ki utappati ke waqt uski thi...

par us waqt me aur abhi ke waqt me bohot lambe samay ka antaral hai...

itne waqt me BANISHMENT me rehne ke baawjud VIDEOUS ne apni shaktiyon ko AMPLIFY kiya hai,badhaya hai aur us shakti ke AURA ko RAAZ ne tabhi mehsoos kar liya tha jab wo pehli baar VIDEOUS ke saamne aaya tha...

ANSH ho ya fir URJA..shakti ko badhane me waqt lagta hi hai par jitna waqt VIDEOUS ne khudko nurture karne ke liye liya hai,utna RAAZ nahi le sakta....

aur issi kaaran usse support chahiye..aisa support jo bhale hi aankhon ko naa dikh raha ho,par uski moujudgi mehsoos ki jaa sakti ho...

achi baat ye hai ki RAAZ ko us support ke baare me dheere dheere hi sahi pata chal raha hai par jo baat RAAZ ke liye acchi hai, unfortunately kaho,ya kismat,wo baat kisi aur ke liye achi nahi ho sakti..

par yahi is kahani ki niyati hai...isse badla nahi jaa sakta...kyunki RAAZ ke saamne VIDEOUS hai..

aur VIDEOUS us LOHE ki tarah hai jisse sirf dusra LOHA hi kaat sakta hai..

aur wo LOHA RAAZ nahi hai,wo ATTITUDE hai jo RAAZ me hai...wo ATTITUDE jo VIDEOUS ke aayne ke samaan hai...

ACCHAYI,REHEMDILI,MAAFI,APNAPAN,TYAG...agar inme se ek bhi emotion ne RAAZ ke andar permanent ghar kiya,toh uske agle hi pal
wo bhi khatm ho jaayega aur uske saath ye kahani bhi..

isiliye chinta mukt hokar kahani ka maza lijiye..aur ye mat bhuliye ki jab bhi koi chiz apni hadh paar karti hai,toh us chiz ko lagam dene ke liye koi naa koi bedi taiyar rehti hi hai...

VIKRAM ki is aakhri baat ko sun AVANTIKA ka murjaya chehra achanak hi chamak utha aur...

AVANTIKA-ye main mudde ki baat aap aakhir me hi kyun karte hain...???chaliye,bataiye,kaun si lagam taiyar kar rakhi hai aapne...???

VIKRAM-lagaam taiyar toh bohot pehle hi kar li thi...bas usse kheenchne ka,lagane ka waqt ab aaya hai....ab wo lagam kya aur kaise lagega,ye khud dekh lo.....






PLACE-SOME WHERE IN UNIVERSE




PEHLE PATA HOTA KI TUM YUNHI SAAMNE AA JAAOGI TOH TUMHE DHUNDNE ME WAQT ZAAYA NAHI KARTA MAI.....


ye baat kahi thi WOOGER ne....

reason....

ek urja me badal badi tezi se WOOGER bramhanad ke beecho beech chala jaa raha tha ki tabhi usne apne saamne ek badi si shield ko mehsoos kiya aur aisa mehsoos karte hi wo turant rook gaya..

WOOGER ke rookne ke agle hi pal wo SHIELD gayab ho gayi aur jahan wo SHIELD thi,wahan ek naya aakar banane laga jo kisi jaanwar ka tha aur us jaanwar ke apne pure form me aate hi WOOGER ne ye baat kahi thi jispar...


ANIMAL-kabse jaante ho mere baare me....??

WOOGER-jabse tum jaanti ho apne baare me GRIFFIN.....


GRIFFIN...wo behad badi aur vishalkaay janwar thi jo is waqt WOOGER ke saamne khadi thi....

GRIFFIN ka structure behad alag,ajeeb aur darawana tha...jahan uski puri body ek LIONESS ki tarah thi wahin uska mooh ek CHEEL,ek EAGLE ki tarah tha par chowda tha aur saath hi kisi eagle ki hi tarah uske pankh bhi the....

(NOTE:-doston,apne man se GRIFFIN ko describe nahi kiya hai maine, ancient greek mythology ke mutabik issi naam ka jaanwar inhi features ke saath kabhi hua karta tha)

khair, WOOGER ki baat sun...


GRIFFIN-par kaise jaante ho tum mere baare me aur kyun dhund rahe the tum mujhe...???

WOOGER-kamal karti ho GRIFFIN....mere MASTER ki shakti se utpatti hui thi meri aur tumhari mistress MAHI se tumhari....

(JI HAAN DOSTON,GRIFFIN HI HAI WO ANIMAL JISNE BACHPAN SE HI MAHI KA TONGASS NATIONAL FOREST ME KHAYAL RAKHA THA)


interlinked hai hum fir kaise nahi jaaunga mai tumhare baare me....???

najaane kab se dhundte aa raha hun mai tumhe....aur dekho, finally aaj tum khud mere saamne ho...

GRIFFIN-bataya nahi tumne ki kyun dhoond rahe the tum mujhe...???

WOOGER-jawab tumhe pata hai GRIFFIN....mujhe naam aur pata chahiye us shaksh ka jiski utpatti mere MASTER aur tumhari MISTRESS ke saath hui thi...

jisse mere us tak pahunchne se pehle hi gayab kar diya gaya tha....

GRIFFIN-usse gayab isiliye kar diya gaya tha kyunki agar tum us tak pahunchte toh apni zaroorat haasil kar maar dete tum usse...

WOOGER-marna toh usse hai hi..agar us waqt hi mar jaati toh kya fark pad jaata...

GRIFFIN-fal khaane ke liye ped nahi kaata jaata...par afsos itni simple si baat tum kabhi nahi samajh paaoge....

WOOGER-mujhe wo ped khana hai jisne meri matlab ke fal ko khudme ugane ki himmat ki....

baat ko kheencho mat GRIFFIN...agar kuch aur waqt tak saans leti rehna chahti ho toh naam aur pata batao uska...

ek baat aur,tum aa toh gayi ho mere saamne ,par jaa tab tak nahi sakti jab tak mai naa chahun...


WOOGER ke aisa kehte hi GRIFFIN ke chaaron taraf ek invisible cage ban gaya tha jisse naa sirf GRIFFIN ne mehsoos kar liya tha balki wo ye bhi jaan gayi thi ki wo us cage ko tod nahi paayegi...

GRIFFIN-WOOGER...apne MASTER ki wajah se taakat toh bohot hai tumme par akal kahan bech aaye tum...???

kya mujhe ye baat pata nahi hai ki filhal mai tumhara mukabala nahi kar sakti...aur ye janane ke baad bhi agar mai tumhare saamne khud aayi hun toh maine aisa kuch soch kar hi kiya hoga naa...

ye mat bhoolo ki sirf mai hun jo tumhe kuch bhi bata sakti hun...agar mai khatm hui,toh tumhe kuch pata nahi chalega.....


GRIFFIN ki baat khatm hote hi uske chaaron taraf laga cage bhi khatm ho gaya....


WOOGER-kya chahti ho...???

GRIFFIN-kaaran jaanana chahti hun....wo kaaran jiski wajah se tumne ACCHUTA aur SLUNDER ke bekasoor MAATA PITAH ko maar diya...

WOOGER-correction dear....maine nahi maara unhe..unhone khud apni jaan li thi...

GRIFFIN-bandookh chalane waala haath bhale koi bhi ho,par us bandhook ko un haathon me pahunchane waala hi asli kasoorwaar hota hai..

aur tumne toh shart hi aisi rakhi thi ki us waqt unhe apni zindagi mout se choti hi lagi thi...ab bina baat ghumaye kaaran bataoge yaa fir mai jaaun...???


ek lambi saans chhodi WOOGER ne aur fir wo bohot si baatein jo ho chuki hain aur jinhe hona hai,with reason batata chala gaya GRIFFIN ko jisse sun....


GRIFFIN-tumhare MASTER ab kisi bhi SAVENT ko aur unse related kisi bhi vyakti ko nahi maarenge....

agar unhone maara toh unki wo shakti jiske balbute wo VIDEOUS ko takkar de sakte hain,khatm ho jaayegi...

agar ye waada karo toh mai tumhe us shaksh ka naam bataungi aur uska chehra dikhaungi jiski talash tumhe hai...

WOOGER-apni aukad se zyada demand nahi kar rahi ho tum...

GRIFFIN-meri aukaad kya hai,ye sahi waqt aane par pata chal jaayega tumhe....filhal maine jo shart rakhi hai,kya tum raazi ho usse....!!!


GRIFFIN ki baat par kuch seconds dekhta raha WOOGER usse aur fir...


WOOGER-tumne kaha sirf naam bataogi aur chehra dikhaogi....itni badi kurbaani sirf ek naam aur chehre ke badle,kuch zyada nahi ho gaya....

itne bade bramhand me sirf ek naam aur chehre ke dum par kisiko dhundna reth ke dher me sui dhundne jaisa hai...

GRIFFIN-naam aur chehra,kisi raah chalte ko nahi,mai tumhe bata rahi hun..aur sirf naam aur chehre ke zariye kisiko kaise dhunda jaata hai,itna hunar toh hai hi tumme...

haan,usme waqt toh lagega hi,par itni mehnat toh kar hi loge tum...

WOOGER-mere MASTER ke paas ALOUKIK shaktiyan hain..aur aisi shaktiyan khatm nahi hoti GRIFFIN...

haan, mai tumse ye waada kar sakta hun ki agar mere MASTER ne kisi SAVENT yaa usse jude kisi shaksh ko maara toh wo shaktiyan mere MASTER ka tyag kar dengi...


WOOGER ki baat sun GRIFFIN ki aankhen sochne ke andaz me choti ho gayi...

usse maalum tha ki WOOGER jhut nahi bol raha hai.. ALOUKIK shaktiyan wakayi khatm nahi hoti bas unka thikana badal jaata hai toh aise me RAAZ ki shaktiyon ko bas usse alag hi kiya jaa sakta hai...

uske dimag me ye baat bhi aayi ki RAAZ waada tod kisiko maarkar aisa risk lega nahi kyunki ek baar aisi shaktiyan alag hui toh unhe wapas paana next to impossible hai aur agar aisa kisi tarah ho bhi jaaye toh usse pehle hi VIDEOUS apne ek maatr dushman ko khatm kar dega jiska matlab tha game over....

saare ganit lagane ke baad....


GRIFFIN-manzoor hai....par iski kya guarantee ki RAAZ apne waade se nahi mukrega...!!!

WOOGER-hadh me raho GRIFFIN..mat bhulo ki tumhare saamne WOOGER khada hai...

is bramhaand ka sabse khatarnaak CREATURE....

mujhe ya mere MASTER ko kuch bhi karne ke liye jhuthi aad lene ki zaroorat nahi hai...

agar MASTER ka dil kare toh tumhari MISTRESS ko ek pal nahi lagega apni aakhri saans ke safar tak pahunchne ke liye... isiliye dont tempt me....


gurrate hue kahi thi ye saari baat WOOGER ne jisse sun andar hi andar hil gayi thi GRIFFIN...


GRIFFIN-thik hai...mai jaa rahi hun..aur mere gayab hoti hi tumhe naam aur chehra,dono pata chal jaayega...


aisa bolne ke agle hi pal gayab ho gayi GRIFFIN aur uske gayab hote hi jahan wo khadi thi,wahan dhuen se ek chehra banane laga tha aur us chehre ke thik neeche ek naam aane laga tha jiske pure hote hi...


WOOGER-


tera naam mere kaano me ab
GUNJTA RAHEGA.....

ye WOOGER tere chehre ko ab har jagah DHUNDTA RAHEGA....

baazi chaalu hai,
GAME ON HAI...

mai aa raha hun wahan,
jahan chuppi hui tu......FALLON hai......










AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J....
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GROOMERS CLASS KO JOIN KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF WOOGER GRIFFIN SE EK DEAL KE TAHAT FALLON KA NAAM AUR CHEHRA JAAN JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)


UPDATE-69


PLANET-ELYSIAN

PLACE-WEAKLING STAY





KNOCK.....KNOCK..... KNOCK......

door toh hota hai nahi WEAKLINGS quater me...ek wooden halt jaisi cheez khud ped kaat kar banayi thi SHALTON ne aur usse hi quater ke darwaze ki jagah laga diya tha..

ussi wooden halt ko knock kiya tha abhi abhi MAHI ne....

shaam ka waqt hai.... institution se aane ke kuch der baad hi MAHI apne CHARIOT me baith uske gps system me WEAKLINGS STAY ka adress daal yahan pahunchi thi...

aana toh wo kal hi chahti par uske BRAWNY ke liye shortcut maarkar ABODE chale jaane ke baad ALFREEN aur MABEL jo gate par uska intazar kar rahe the,wo wapas aayi aur unhone usse INSTITUTION ke kayi jagahon par dhunda par jab wo nahi mili toh wo dono INSTITUTION se nikal uske ABODE chale gaye jahan MAHI unhe mil gayi....

jab un dono ne MAHI se yun akele aane ka kaaran pucha toh usne un dono se jhuth keh diya ki SOVEREIGN'S ne usse bulaya tha....

par fir un dono ne MAHI ke ghar hi lunch kiya aur lunch ke baad bhi wahin rooki rahi jis wajah se MAHI kal yahan nahi aa paayi thi..

par aaj INSTITUTION se aate hi lunch kar wo turant apne CHARIOT me baith WEAKLINGS STAY ki taraf nikal gayi....

aur yahan pahunch yahan ke pehle quater ki us wooden halt par knock kiya tha usne...

wahin knock ki awaaz sun andar apne pati ke sirahane NAOMI uthi aur darwaze ki taraf chal padi......


MAHI-namaste aunty....


NAOMI ke apne saamne aate hi greet kiya MAHI ne jispar...


NAOMI-namaste....ji aap...???

MAHI-mera naam MAHI hai....mai..

NAOMI-oh,toh tum ho MAHI....


MAHI ki baat beech me hi kaatkar khushi se MAHI ka naam leti hui NAOMI aage badhi aur MAHI ke gale lag gayi...

NAOMI ke is sudden reaction se pehle toh MAHI halki hairan hui par fir usse andaza ho gaya ki zaroor ye BRAWNY ka hi quater hai aur saamne khadi lady ko BRAWNY ne uske baare me bataya hoga...


NAOMI-mai BRAWNY ki maa hun...thanks beta....aapne jo kuch bhi mere bete ke liye kiya uske liye mai hamesha aapki ehsaanmand rahungi...

MAHI-please aunty ,thanks mat boliye....mai wahi kiya hai jo mujhe karna chahiye tha aur jo mere bas me bhi tha...aur please aap badi hain mujhse,mujhe aap tum kehkar hi pukariye..mujhe acha lagega...


MAHI ki baat sun bade pyar se haath fera uske sir par NAOMI ne....


NAOMI-aao beta andar aao....


ye bol ek taraf hatkar side diya NAOMI ne MAHI ko jiske baad MAHI quater ke andar daakhil hui...

aur andar daakhil ho quater ki haalat dekh usse bohot bura feel hua BRAWNY aur uske parents ke liye...

wahin andar ghus jab MAHI ki nazar saamne khatiya par lete aadmi par padi toh woh us aadmi ki haalat dekh halki chownki...

reason..

saamne SHALTON us khatiya par lete hue the..unke dono haath halke halke mude hue the jisse uth rahe asahaniya dard ko zabt karne ki naakamiyab koshish karte hue SHALTON ke mooh se rook rook kar karah foot rahi thi..

wahin unke khatiye ke baaju me neeche baitha BRAWNY apne baap ki haalat par aansu bahaye jaa raha tha...

apne saamne khadi MAHI ko dekh BRAWNY ne turant apne aansu poche aur zabardasti muskurane ki koshish karne laga...

quater ki jarjar haalat se zyada kharab BRAWNY ke pitah ki haalat lag rahi thi jisse dekh MAHI ko unpar behad daya aayi...


MAHI-namaste uncle...mai MAHI...mai bhi BRAWNY ki hi tarah ek SAVENT hun...


MAHI ki baat sun dard me bhi halka sa muskura diye SHALTON jispar...


MAHI- BRAWNY,uncle ke haath ko kya hua...???


MAHI ke sawal par BRAWNY kuch kehta ki usse pehle...


NAOMI-us ladke ne tod diye inke haath jisne kal BRAWNY ko maara tha....


BRAWNY RAAZ ka naam nahi lena chahta tha.. RAAZ ka wo roop,aur wo beraham ATTITUDE dekh wo samajh gaya tha ki usse jitna door raho,utna sahi hai par teer kaman se nikal chuka tha...

usse kuch kehne se pehle hi uski maaa ne sach ugal diya tha...

wahin NAOMI ki baat sun hairani se palti unki taraf MAHI par piche palat jab uski nazar NAOMI ke chehre par padi toh usse aage kuch puchne ki zaroorat padi hi nahi....

reason..

is waqt NAOMI ke chehre par dukh,nafrat,tadap,bebasi sabhi bhaav clear dikh rahe the jisse dekh wo samajh gayi thi ki RAAZ ne hi ye sab kiya hai...

NAOMI ki baat sun aur unke facial expressions ko dekh MAHI ka chehra aur uska dil RAAZ ke liye nafrat se bhar gaya tha aur usne tay kar liya ki wo RAAZ ko nahi chhodegi...

wahin MAHI ke expressions ko dekh uske dil me chal rahi baaton ko guess kar liya BRAWNY ne aur isiliye...


BRAWNY-please MAHI..meri request hai tumse ki tum RAAZ se behes ya ladhayi mat karna...


BRAWNY ki baat par MAHI kuch kehne ko hui par tabhi...


BRAWNY-please MAHI...tumhe bhi pata hai ki ye INSTITUTION normal nahi hai aur naahi yahan ke rules...

yahan good,bad jaisa kuch nahi hai....kamzoron ko bully karna toh jaise yahan compulsory hai....

toh aise me kis kis se bachaogi tum mujhe...aur jahan tak baat RAAZ ki hai,toh MAHI, mere liye yaa fir kisike liye bhi please tum usse mat bhidna....

usse ulajhna sahi nahi hai....


BRAWNY ki is aakhri baat ko sun hairan ho gayi MAHI aur hona bhi chahiye... MAHI apne PHASE ki best SAVENT thi...sabse strong thi aur ye baat BRAWNY bhi jaanta tha fir bhi wo usse aisa keh raha tha toh aise me hairani toh hogi hai..

aur MAHI ki is hairani ko BRAWNY bhi samajh gaya tha isiliye....


BRAWNY-mai jaanta hun ki tum kya soch rahi ho MAHI..par yakin maano mera,mai sach keh raha hun...

RAAZ se ulajhne ka result kabhi bhi sahi nahi ho sakta...maine uski aankhon me dekha hai...ek khamosh paagal darinda hai wo...

jiski taakat ka shayad andaza bhi nahi lagaya jaa sakta....mujhe maalum hai ki tum abhi is PHASE ki sabse strong SAVENT ho..

first PHASE me SOUL ko 8 percent AMPLIFICATION karna bohot badi baat hai...tum se pehle toh aisa kisine kiya hi nahi...

par jaise tum aisi pehli ho jisne first PHASE me apne SOUL ko 8 percent tak AMPLIFY kiya hai thik waise hi RAAZ aisa pehla SAVENT hai jisne ek hi din me 2 baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya hai...

zara socho,agar last PHASE me usne actively classes me participate kiya hota toh kya wo tumse aage nahi hota...

tumhe lag raha hoga ki jisne mera mooh suja diya, mere pitah ka hath tod diya,mai uski tarafdaari kyun kar raha hun...

ye tarafdaari nahi hai MAHI,sach hai..aur sach se bhaagna sabse badi bewakufi hoti hai...

aisa nahi hai ki tum usse maar nahi sakti..mai jaanta ki tum ye kar logi..par uske baad kya...

tumne meri treatment ki,yahan mera haal dekhne aayi,isse pata chalta hai ki you have a good SOUL..

but RAAZ ka SOUL dark hai.. bohot dark...agar tumne usse hara bhi diya,usse maar diya toh bhi tum ye ek limit me hi karogi...

par maine mehsoos kiya hai uski aankhon me uski intensity ko...he is a DEVIL....

maar khaane me baad wo chup nahi baithega...he will make himself strong enough to handle you...

aur jab aisa hoga then he will come back for you...aur wo jab aayega toh sirf tumhe nuksaan nahi pahunchayega...

wo har us shaksh ko taklif dega jo tumhare kareeb honge...wo mujhe aur meri family ko bhi nahi chhodega...

so,why to set a base for self destruction...jaane do MAHI,leave it...


BRAWNY ki har baat bade dhyan se sun rahi thi MAHI....usse bhi ye jaankar bohot hairani hui ki RAAZ ne ek hi din me 2 baar apne SOUL ko AMPLIFY kiya hai...

usse pata tha ki aisa karna is not a joke...khud usne bhi pichle PHASE me aisa karne ki sochi thi par har AMPLIFICATION ke baad body me itni shakti tak nahi hoti ki dobara apne CEREBRATION ko pause tak kiya jaa sake toh aise SOUL AMPLIFY karna toh bohot door ki baat hai...

par RAAZ ne aisa kiya hai...is baat se usse RAAZ ki us raat kahi hui wo baat yaad aa gayi ki jab usne kaha tha ki uska competition MAHI, ALFREEN se hai hi nahi...

waise darti toh MAHI kisi bhi haalat me kisise thi nahi.... BRAWNY ki baat sunane ke baad bhi usse RAAZ se dar toh laga nahi tha par haan, BRAWNY ki wo baat jisme usne kaha ki wo sirf usse nahi balki uske chahne waalon ko bhi nuksaan pahunchayega,wo baat sochne waali thi...

khair, BRAWNY ki baat sun....


MAHI-itni intellectual,deep aur door ki soch hai tumhari then how come ki tum abhi tak apne SOUL ko trigger nahi kar paaye ho...

mujhe lagta hai bas confidence ki kami hai tumme..usse jagao,then sky is just the limit for u
my friend...

jahan MAHI ki baat sun BRAWNY bas muskura diya wahin apne bete ki taarif sun NAOMI aur SHALTON behad khush hue...


NAOMI-beta,aap baitho..i will make some tea for you...

MAHI-no thanks AUNTY...i am good... mujhe jaana chahiye,mere friends mere ABODE me aate hi honge..

par jaane se pehle, ELUSORY....


MAHI ke naam pukarte hi ELUSORY uske saamne prakat ho gaya jisse dekh MAHI toh normal hi rahi but NAOMI, aur SHALTON,dono hi us ajeebo gareeb praani ko dekhkar hairan ho gaye the...


MAHI-ye ek ELUSORY hai..har STELLAR ki dekhbhal ke liye allot hota hai ye...kal BRAWNY ka ilaaj issi ne kiya tha..

ELUSORY,kya tum uncle ke haath ko thik kar sakte ho...???


MAHI ki baat sun ELUSORY SHALTON ki taraf badha aur aisa hote dekh SHALTON halka ghabra gaye the...


MAHI-relax uncle..isse ek doctor ki tarah samjhiye...


SHALTON ke paas pahunch unke halke mude haath ko touch kiya ELUSORY ne aur....


ELUSORY-inke elbow joint bone diaplace ho gaye hain...inhe sahi jagah baitha strap tape laga dene se within a week ye theek ho jaayenge...


ELUSORY ki baat sun MAHI kuch kehti,usse pehle hi...


NAOMI-kya sach me...toh fir jo karna pade karo par please inhe theek kar do...

MAHI-relax aunty...uncle bilkul theek ho jaayenge..


apni baat keh MAHI ne ELUSORY ko dekh haan me sir hilaya...


ab ELUSORY MAHI ka personal slave tha aur isiliye NAOMI ki baat sunane le baad bhi wo chupchaap khada MAHI ke approval ka wait kar raha tha aur jab MAHI ne haan kaha toh uske agle hi pal..


KDAKKKK....AHHHHHH....


ELUSORY ne un joint bones ko jo displaced the,unhe ek jhatke me unki sahi jagah baitha diya aur uske aisa karte hi SHALTON ki cheekh gunj uthi thi...


ELUSORY-relax....aapke bones apni sahi jagah par aa chuke hain ab bas unme strap tapes laga dun,fir mera kaam khatm...

apni baat keh ELUSORY ne apne hatheli aage ki aur uske aisa karte hi wahan strap tapes aa gayi jiske baad ELUSORY ne wo transparent strap tapes salike se SHALTON ke effected areas par laga diya...

kuch hi seconds me ye kaam ho gaya tha jiske baad....


ELUSORY-done...aapka pain kuch minutes me hi kam ho jaayega par fir bhi kuch dino tak apne haathon me pressure kam dijiyega....

anything else MISTRESS....???

MAHI-thanks ELUSORY....tum jaa sakti ho....


MAHI ki baat sun apne sir ko halka sa jhuka ELUSORY gayab ho gaya aur aisa hone ke baad...


MAHI-ok uncle,aunty....i will take your leave now..


MAHI ki baat khatm hi hui thi ki NAOMI aankhon me aansu aur haathon ko jod uske saamne khadi ho gayi jisse dekh...


MAHI-please aunty..aisa mat kijiye...jo mere bas me tha,maine bas utna hi kiya....

SHALTON-bas me har kisike kuch naa kuch hota hi hai beta... par har koi tumhare jaisa hota nahi hai...

MAHI-duniya ko jaise dekhenge uncle,wo waise hi lagegi...bohot negetives hain aas paas,par focus agar positives me rakha jaaye toh life smooth ho jaati hai...


apni baat keh NAOMI,SHALTON aur BRAWNY ko bye bol nikal gayi MAHI par jaane se pehle uske kahe aakhri shabd sun muskura uthe wo teeno....





PLACE-THE MEET





OH....MY.....GOD......


ek saath kayi ladkiyon ke mooh se aur bohot si ladkiyon ke man me gunj uthi ye baat....

reason.....

THE MEET naam ki is jagah par just abhi abhi ACCHUTA aur SLUNDER ke saath kadam rakha tha maine...

simple slim fit black tshirt aur blue denims me tha mai par i guess itna hi kaafi tha...

shaam ka waqt hai...kal institution se jaane ke baad thoda late nikle the hum teeno PHASE exploration ke liye issi liye waqt ki kami ko dhyan me rakh kal sirf shopping ki thi humne aur dusri jagah par jaane ka plan aaj ka banaya tha aur plan ke mutabhik aaj hum yahan hain,THE MEET me....

THE MEET...ye ek indoor sports aur get togethers ke liye perfect jagah hai...

youngsters ki bheed hone ke baawjud zyada shor nahi hota yahan aur isiliye hi humne yaa fir mai ye kahun ki SLUNDER ne zor dekar is jagah ko suggest kiya tha...

anyways, bandiyan mujhe taad rahi thi,par expressions ACCHUTA de raha tha....


ACCHUTA-bhai,ye toh jannat hai yaar...kasam se,yahin bas jaana hai maine...

SLUNDER-haan ball boy ki noukri par lag jaa..teri personality ko suit bhi karega...

ACCHUTA-bas, khol diya apne mooh ka gutter...saale,wo position tujhe suit karta hai mujhe nahi...

apna thikana toh in bandiyon ki aankhen hain, jinme doob gothe khaunga mai...

SLUNDER-saale kitna dillusional hai tu..ye saari bandiyon RAAZ ko dekh rahi hai,teri sadi hui shakal ko nahi...

ACCHUTA-abbe baap ko mat samjha saale..pata hai mujhe ki in sabki aankhen isse hi scan kar rahi hain...

par bhai,khaana kitna hi tasty ho,khaane ka ek limit toh hota hi hai naa..... RAAZ ka bhi hoga..uske baad toh apna hi number hai...

SLUNDER-chhii,kitni gandi soch hai teri..ladkiyon ko tu khaana keh raha hai...???

ACCHUTA-abbe khaane se pet bharta hai..par in bandiyon ko dekhne se toh mera dil,meri aatma tak bhar jaa rahi hai...

MAI-ye saari bakwas karne ke liye yahan aane ki kya zaroorat thi....???flat me kar lete toh kharcha bach jaata..


SLUNDER ke jawab se pehle maine apni baat kahi jisse sun..


ACCHUTA-haan bhai,tujhe toh hamari baatein bakwas hi lagengi...

saari khubsoorati upar waale ne tujhe gift kar di hai, options ki kami nahi hai tere paas..jisko bhi dekhega,usse teri ho jaani hai..

impression jamane ki mehnat,kisiko is chehre ke saath apna banane ki zehmat toh hum jaiso ke liye hi hai....


aakhri baat halki serious hokar kahi thi ACCHUTA ne jispar...


MAI-chehre toh kayi hain,jo KHUBSOORAT hain.....

par ishq agar surat se ho,toh ye ishara hai ki ROOH TABAAH ho chuki hai...


simple aur straight baat kahi thi maine par is baat ko sun ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen badi ho gayi...

unke nazar se maine kaafi gehri baat kahi thi...

khair,un dono ko surprised chhod mai bowling alley ki taraf chal pada aur mere piche piche wo dono bhi aane lage....

is dauran zyadatar bandiyan jinki nazar kuch der pehle mujhpar hi thi,ab wo sab apne groups me busy ho gaye the par ab bhi kuch ki nazar mujhpar hi thi aur in KUCH me se se ek thi MORANA jo jabse mai aaya tha,mujhe hi checkout kar rahi thi aur isiliye...


MORANA-mai aati hun...


uske baaju mai baithe ANWIR se ye keh MORANA meri taraf badh gayi...

MORANA ko mujhe checkout karna,ye baat uske baaju mai baithe ANWIR se chhupi nahi thi aur wo mujhse hi milne nikli thi,iska bhi usse andaza tha par filhal wo shaant hi raha....

khair,yahan mai bowling alley par pahunch chuka tha aur saath hi mere piche pahunch chuke the ACCHUTA aur SLUNDER aur jab unki nazar alley par gayi toh...


SLUNDER-what the fuck....???ye kaisi bowling hai...????


alley ko dekhte hi ye baat nikli SLUNDER ke mooh se...

reason....

yahan ki bowling alley normal bowling se alag thi....

jahan normal bowling me 10 bowling pins ek saath lage rehte hain wahin yahan maamla alag tha..

yahan bhi waise toh 10 pins hi the par un pins ki rakhawat bohot different thi...

zigsag position me woh saare pins alag one by one rakhe hue the... bowling alley ki lambayi aur chowdayi bhi normal alley se zyada thi....

SLUNDER ke baad jab ACCHUTA ki nazar hamare side me lage bowling rules ke paper par gayi toh...


ACCHUTA-ab ye kya chutiyaapa hai...???saala iske toh niyam bhi alag hain....


ACCHUTA ke baad jab SLUNDER ki nazar us rule par jo ki sirf ek hi tha,uspar gayi toh wo bhi haran hua..

aur wo isiliye kyunki niyam is bowling ka ye tha ki jahan normal bowling me kul do chances milte the wahin isme sirf ek hi chance milta tha...

ek toh pins ki ajeeb positions aur uske upar sirf ek chance....ye dono hi chizen is game ko aur tough kar rahi thi...

anyways, ACCHUTA aur SLUNDER ke reactions ko dekh....


MAI-tum dono baar baar bhul jaate ho kya ki tum SAVENTS ho... chizen, competition agar tough nahi hui toh fir SAVENT hone ka kya matlab...


CHIZEN TOUGH HO NAA HO, ATTITUDE TOUGH HONA CHAHIYE... AND I HOPE KI TUMME WO HAI...


ACCHUTA ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun jab wo dono palte toh unki aankhen badi ho gayi...

unke saamne ek bohot hi khubsoorat bandi khadi thi jo chalte hue aage badhi aur un dono ko cross kar mere saamne aakar khadi ho gayi....


MORANA-hye... MORANA.....


haath aage badhte hue meri aankhon me dekh kahi ye baat MORANA ne jispar maine bhi uska haath mila liya aur....


MAI-RAAZ.....


mere haathon ki sakhti ko mehsoos kar...


MORANA-strong touch...waise aisa kya chhupaya hai tumne ki naam bhi RAAZ rakhna pada....!!!!

MAI-bata diya toh fir chhupane ka kya faayda....???waise ek RAAZ toh tumhare naam me bhi hai..

MORANA-matlab....!!!

MAI-tumhara naam,MORANA.... GODDESS OF DEATH hota hai iska matlab.....RAAZ hi toh hua naa ye..i am sure zyada logon ko nahi pata hoga ye....

(SLAVIC MYTHOLOGY KE ANUSAAR)


MORANA-zyada..!!!tum pehle ho jisne ye figure out kiya hai and i must say i am impressed....

ek hi PLANET se ek hi batch me ek saath teen SAVENTS ka ek saath aana jinme se ek tum the,fir achanak mid PHASE se gayab ho jaana,fir by default WEAKLINGS me select hona,aur fir ek hi din me do baar apne SOUL ko AMPLIFY kar GROOMERS me select hona,ab samajh aa raha hai ki kyun tum mujhe first time dikhte hi alag lage the....

MAI-impressed toh mai hun.mere baare me kaafi kuch jaanti hi tum...

MORANA-well i have my sources..aur jo chiz MORANA ko pasand ho,uske baare me sab kuch jaanane ka haq sirf MORANA ko hi hai...

MAI-CHIZZ...!!!mai koi chiz nahi hun MORANA....mai wo RAAZ hun jiske chhupe rehne se mout milti hai aur khul jaane se zindagi chali jaati hai...

MORANA-agar mai kahun ki mai is RAAZ par marna chahti hun toh...!!


behad lusty tarike se meri aankhon me jhaank MORANA ne kahi thi ye baat jisse mere saath piche se kaan lagaye ACCHUTA aur SLUNDER bhi sun rahe the...


ACCHUTA-bhai.... RAAZ ka iman dole naa dole,mera sab kuch dol gaya hai...

kasam se,jitne seducing way me ye RAAZ se baat kar rahi hai,agar uska 1 percent bhi ye mujhpar apply kar de toh khushi khushi mar jaaunga mai...

SLUNDER-haan,teri khushi dikh bhi rahi hai tere pant me....


SLUNDER ki baat sun ACCHUTA ki nazar turant apne neeche gayi jahan is waqt halka erection saaf dikh raha tha jisse turant adjust karte hue...


ACCHUTA-abbe saale,itni hot ladki khadi hai saamne aur tu mere pant par nazar gadaye hai...saare purze toh thik hai naa....


wahan ACCHUTA aur SLUNDER apni behes me lag gaye the aur yahan apni baat keh mere haathon ko jo ab bhi MORANA ne chhoda nahi tha,usse halka aur dabate hue wo mujhe dekhe jaa rahi thi...

kuch der tak MORANA ko dekh mai kuch kehne ko hua par tabhi...


HYE RAAZ......


ACCHUTA aur SLUNDER ke piche se ye awaaz aayi thi joki MABEL ki thi jisse sun meri nazar ke saath MORANA ka sir bhi us awaaz ki taraf ghuma...

hamare saamne MABEL ke saath ALFREEN aur MAHI khade the....

kuch der pehle THE MEET me enter karte hi nazar ghumati hui MABEL ne mujhe dekha tha...

kyunki MORANA ka sir meri taraf tha isiliye usse usne nahi pehchaanana tha...

meri taraf point kar usne ALFREEN, MAHI aur VALDIS ko mujhe dikhaya aur meri taraf aane lagi aur MABEL ke saath ALFREEN aur MAHI bhi meri taraf badh gaye the...

MAHI toh mujhse baat karna nahi chahti thi par agar wo nahi aati toh usse ALFREEN aur MABEL ko jhute reasons dene padte aur isiliye wo bhi unke saath holi...

aur VALDIS,usse toh mujhe dekh ghussa aa gaya tha par kar wo kuch filhal sakta tha nahi isiliye washroom ka bol wo dusri taraf chal diya tha...

khair,jahan MORANA ko dekh MABEL, ALFREEN aur MAHI,un teeno ke chehron par hi naapasandi ke bhaav dikhne lage wahin MORANA ko bhi unhe dekhna acha nahi laga.....

par MORANA jaanti thi ki bhale hi filhal meri catagory MAHI, ALFREEN aur MABEL se alag thi,par the toh hum PHASE MATES..

uske upar MAHI,ALFREEN aur mai toh ek hi PLANET se the toh aise me usse mere saamne un teeno se bhidna yaa unhe taunt karna thik nahi laga isiliye usne wahan se filhal jaane ki sochi par jo yunhi chali jaaye toh fir wo MORANA toh ho nahi sakti aur isiliye...


MORANA-ok RAAZ...it was very lovely to finally meet you...but filhal mujhe jaana hai...khair,ab toh mulakatein hoti hi rahengi....


aakhir baat keh MORANA aage badhi aur.....


MUAAH.....


apne honth se halka sa signature kar diya usne mera gaal par jiske baad ek baar aur halka sa daba usne mere haathon ko chhoda aur ek nazar un teeno girls par daal jo mujhe aur MORANA ko aankhen faade dekh rahe the,ek look de,wo chali gayi aur uske jaate hi...


ALFREEN-lagta hai pops ko batana padega ki unka ye ladka bada ho gaya hai aur ab tumhara ghar basane ka waqt aa gaya hai....

MAI-tumhare is sade joke par hasun yaa sharmaun,ye bhi bata do...

MABEL-RAAZ...tum MORANA ko kabse jaante ho...???

MAI-paanch minute se...

MAB-what...???

MAI-arre first time mila hun...

MABEL-aur first meeting me hi usne tumhe kiss bhi kar diya...

MAI-kyun...???kya hamari first meeting me maine tumhare haathon ko nahi chuma tha...???


mere counter sawal ko sun halki hadbada gayi MABEL...


ALFREEN-but RAAZ..??she is not a good girl....

MAHI dheere se-toh ye kaun sa accha hai....


MAHI ne dheere se kahi ye baat jisse samajh naa paane ki wajah se....


ALFREEN-kya kaha...???

MAHI-maine kaha ki it's his life yaar....jisse chaahe pasand kare...

ALFREEN-arre,aise kaise...???tujhe bhi pata hai ki she is not a nice girl...

MAI-girls,ye faaltu ke discussions band karo aur Chalo,lets bowl....

ACCHUTA, SLUNDER....wahan kya kar rahe ho,yahan aao....


ACCHUTA aur SLUNDER jo MORANA ka mujhe kiss karne ko ab bhi digest karne me lage hue the,meri awaaz se jaisi unki tandra tuti aur wo dono mere paas aa gaye...

mere topic change karne se girls ka aadha dhyan toh MORANA waale baat se hath hi gaya tha,baaki ka adha mere ACCHUTA aur SLUNDER ke unse intro karane ke baad hath gaya...

intro ke dauran bowling area me jahan mai ek bowl lekar khada tha,wahan apni bowl lene pahunchi MAHI toh....


MAI-baat wahi karni chahiye jisse dobara puche jaane par badalna naa pade...


meri baat sun chownki MAHI...usse andaza ho gaya tha ki mai uski ussi baat ke baare me keh raha hun jo pehle usne dheere se kahi thi par fir ALFREEN ke puchne se usne baat ko badal diya tha....

usse is baat par hairani ho rahi thi ki jo baat uske baaju me khadi ALFREEN sun nahi paayi thi usse mai jo halka door khada tha, kaise sun liya tha...???!!!

khair, jawab toh usse dena hi tha aur isiliye...


MAHI-sawal agar sidhe tumne pucha hota toh jawab mera kabhi nahi badalta...

par unfortunately,sawal ALFREEN ka tha..ussi ALFREEN ka jiske maa baap tumhe apna beta maante hai...

aur agar ALFREEN ke through bhi unhe tumhare asli chehre ke baare me pata chal gaya toh unhe bohot bura lagega aur yahi nahi chahti mai...

MAI-tumhare chahne naa chahne se koi fark padta hi nahi hai...jo hona hai,wo toh hoga hi...

sahi,galat,acha bura se upar uthne ka hunar nahi hai tumme...aur bina us hunar ke tumhari awaaz aur us awaaz se nikli kisi bhi baat ka koi saar nahi....

lakshya agar clear naa ho,toh nishana kitna bhi clear kyun naa ho,wo thik se lagega nahi par agar laskhya behte paani ki tarah saaf hai, toh nishana lagane ki zaroorat hi nahi...

KHADGGGH.....


apni baat keh bina saamne bowling alley ko dekhe apne haath me pakdi bowl ko feka maine us alley me jiske baad wo bowl zig zag pattern me ghumta hua ek ke baad ek pure 10 pins se takraya aur

TNNNNN....


score board par ek bada sa X ban gaya jiska matlab tha STRIKE.....


jahan mere perfect shot ko dekh ALFREEN aur MABEL ne clap kiya,aur unka saath diya ACCHUTA aur SLUNDER ne wahin MAHI ki aankhen hairat se badi hi gayi....


reason....

jis score ko haasil karne ke liye usse bohot focus ke saath bowl karna padta tha usse maine bina dekhe hi achieve kar liya tha...

aur aisa hote dekh uske dimag me meri kuch seconds pehle kahi baat gunj uthi ki....

AGAR LAKSHYA BEHTE PAANI KI TARAH SAAF HO,TOH NISHANA LAGANE KI ZAROORAT HI NAHI....





PLACE-FORBIDDEN FOREST....





SIR NEECHE KYUN JHUKE HUE HAIN TUM TEENO KE.....????


THE THREE DEVOTEES.....

yahi kehlate the wo teeno jo is waqt VIDEOUS ke saamne sir neeche jhukaye khade the aur unki issi harkat ko dekh sawal pucha tha VIDEOUS ne....

THE THREE DEVOTEES....VIDEOUS ke andar panapte BLACK ENERGY se bane burayi ke teen aise pratik hain jinki rachna VIDEOUS ne aaj se 25 hazar saal pehle ki thi...

kyun,ye aage pata chalega....

VIDEOUS ke sawal ko sun....


1ST DEVOTEE-aapke aadesh par wo kaam jo is INSTITUTION ki shuruat se nirantar hum karte aaye hain,pehli baar aisa hua hai ki hum us kaam ko karne me asafal rahe hain...

aur isse zyada sharm ki baat aur kya ho sakti hai...???

VIDEOUS-sharm auraton ka gehna hota hai...ye gehna hum jaise paapiyon par acha nahi lagega isiliye isse utar kar fek do...

aur rahi baat tumhare kaarya me viphal hone ki toh MAHI baaki SAVENTS se alag hai.....

kuch hai usme jo usse har manupalation se bachata hai... isiliye hi tum teeno ka AURA uspar nahi chhad saka...toh us baare me sochna chhodo....


(NOTE:-yaad hoga aapko doston ki MAHI ke SOUL trigger hone ke baad raat ko uske ABODE me koi uske dimag me ghusne ki koshish kar raha tha..wo koi ye teeno hi the...)

apni baat kehne ke baad VIDEOUS ki nazar apne second DEVOTEE ki taraf gayi jiske chehre par bhi sawal the aur isiliye...


VIDEOUS-us din RAAZ ne mujhe dhakka dekar gira diya tha,aur mai gir bhi gaya tha,aisa kaise ho gaya...???yahi janana chahte ho...???


us dusre DEVOTEE ko dekh kahi ye baat VIDEOUS ne jispar...


2ND DEVOTEE-maaf kijiyega LORD....mai ye sab sochna nahi chahta tha par baar baar wo drishya mere dimag me ghumte rehta hai...

VIDEOUS-ek baat hamesha yaad rakhna... VIDEOUS ka shatru VIDEOUS se sirf tabhi aage jaa sakta hai jab khud VIDEOUS aisa chahta ho...


RAAZ ne mujhe giraya nahi tha,maine usse khudko girane diya tha...

tumne sirf wahi dekha jo wahan moujud baakiyon ne dekha tha..wahi samjha jitna mai samjhana chahta tha...

jo tumhari aankhen nahi dekh paayin,tumhari buddhi nahi samajh paayi wo hai ye....


apni baat keh VIDEOUS ne apne dono haath aage kiye aur jab aisa hua toh....


uske right haath me ek behad strong urja banane lagi aur left me prakat hua ESPRIT CRYSTAL...

URJA aur ESPRIT CRYSTAL ke haathon me prakat hote hi VIDEOUS ne kuch baatein batayi jisse sun teeno DEVOTEES man hi man apne LORD ki buddhi ke aage natmastakh ho gaye...

wo BLACK ENERGY jisse un teeno ka astitv tha,wo bhi ek baar firse VIDEOUS ki kaayal ho gayi....

khair,puri baat bata...


VIDEOUS-mai kriya aarambh kar raha hun.....apni puri shakti ke upyog se mujhe chaaron taraf lapeto....

jo kriya VIDEOUS karne wala tha, usme RAAZ se related bhi chiz thi jisse VIDEOUS ke upyog me laate hi usse pata chal jaana tha isiliye VIDEOUS ne apne DEVOTEES ko chakkar lagane ko kaha tha kyunki un teeno ke aisa karne se har urja aur uski shakti ek ghere me bandh jaati aur kisiko kuch pata nahi chalta....

VIDEOUS ke aisa kehte hi SOUL FORM me khudko badal wo teeno DEVOTEES hi ek dusre se jud VIDEOUS ke chaaron taraf tezi se ghumne lage aur jab aisa hua toh...


SAMPLAVAYATI SHAKTIYEM.....


apni aankhen band kar apne dono haathon ko paas laate hue is DARK SPELL ko uccharit kiya VIDEOUS ne jiske baad ek behad strong force uske haathon me banane lagi...

ye force itni zyada thi ki teeno DEVOTEES jo is waqt VIDEOUS ke chaaron taraf light speed se ghum rahe the,wo bhi thartharane lage the...

unki formation dagmane lagi thi jisse wo apni puri shakti nichod tutne se rok rahe the...

itna hi nahi, SPELL bolte hue jaise jaise VIDEOUS ke dono haath paas aa rahe the,waise waise VIDEOUS ke jabde sakht hote jaa rahe the...

usse apne dono hi haathon me behad bhaar mehsoos ho raha tha jisse kisi tarah sambhale hue SPELL uccharit kar wo paas laaye jaa raha tha..

kuch seconds yunhi chala par fir....

wo URJA aur ASPRIT CRYSTAL judkar ek ho gaye aur aisa hote hi VIDEOUS ne un dono ke mishran ko apne saamne rakhi ek CHEEZ ke upar kar diya aur aisa hote hi us CHIZ ne saharsh us CRYSTEL ko khudme samet liya...

kriya khtam ho chuki thi aur aisa hote hi teeno DEVOTEES ka naa sirf ghumna rook gaya balki...


DHAMMM...DHAMMM...DHAMMM


ek ke baad ek teeno zamin par gire aur behosh ho gaye aur aisa hote dekh muskura utha VIDEOUS aur....



VIDEOUS-


tohfa taiyar hai,sahi waqt par
tujhe DUNGA...

kisne socha tha ki kahani ka aisa
bhaag bhi mai LIKHUNGA.....

jitna dil kare,aage badhta jaa tu,


baazi tu jeet,kyunki JUNG sirf
mai JEETUNGA....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J.....
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MORANA RAAZ ME INTEREST DIKHATI HAI WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS ESPRIT CRYSTAL KE SAATH EK URJA KO MIX KAR KISI CHEEZ ME DAALTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-70



PLACE-ASTER




EK BAAT PUCH SAKTI HUN MASTER.....????


apne training area me pahunch jo ki ek artificial ground tha, FALLON ne puchi ye baat apne MASTER se...


MASTER-yahi naa ki aaj 3 saal ho gaye tumhari training ko...par jahan yahan ke saare students ek saath practice karte hain fir tumhari training kyun ab bhi sabse alag aur akele me rakhi jaati hai....!!!

FALLON-iske baare me toh aapne mujhe pehle bhi bataya hua hai MASTER ki mai baakiyon se alag hun aur meri training bhi dusro se alag hai isiliye hi meri training bhi sabse alag rakhi jaati hai..

par training ke baad ka waqt....uska kya...????mere umar ke itne saare students hain yahan. par kisise baat karna,dosti karna toh door mujhe kisise milne ki permission bhi nahi hai...

hamesha door se hi dekha hai maine sabko....aisa kyun...???kya ye bhi meri training ka ek hissa hai....!!!

MASTER-ek tarike se haan...ye bhi tumhare training ka ek hissa hai...kaise,iske jawab ka abhi waqt nahi aaya hai...

haan,ek dusri cheez ka waqt zaroor aa gaya hai.... aur wo hai us kala ko sikhne ka waqt jo tumhari training ka antim charan hai...


apni MASTER ki baat sun FALLON bohot excited dikhne lagi...

reason...

uske MASTER hamesha usse ye kehte the ki uski training ek khaas maksad ke liye ho rahi hai..aisa maksad jisse bramhand ki niyati judi hui hai...

isiliye apne sharir aur apni aatma ko strong banao kyunki aisa hone ke baad hi tumhari training ka aakhri charan aarambh hoga...

wo charan jisse tumhari utpatti ka udeshya saarthak banega....

aur abhi jo uske MASTER ne kaha tha,uska arth tha ki wo waqt aa chuka tha aur isiliye....


FALLON-mai taiyar hun MASTER..

MASTER-galat..tum bilkul taiyar nahi ho...par taiyar ho jaao, isiliye hum ye kar rahe hain..

is training me agar tum safal rahi toh wo do log jinse kuch dino pehle bhindat hui thi,un jaise kayi hazaron par bhi tum bhaari padogi...


apne MASTER ki baat sun chownki FALLON... DORIAN aur GASTON,jinki baat MASTER ne abhi ki thi, FALLON ne un dono ki hi shakti ko mehsoos kiya tha jo ki bohot zyada thi..

par ab uske MASTER keh rahe the ki uski aakhri training ko agar wo pura kar le toh utne shaktishaali SORCERERS jaise hazaron par bhi wo akeli hi bhaari padh sakti hai...

aur MASTER ki is baat se FALLON ko ye andaza bhi ho gaya tha ki uski training kitni hard hone waali hai...

wo ye sochne lag gayi ki pata nahi is hone waali training me usse kitni physically aur mentally mehnat karni hogi....!!!

khair,in saari baaton ke beech ek aur baat bhi thi jo FALLON ke dimag me ghumi thi aur isiliye...


FALLON-MASTER, wo dono SORCERERS SPIRAM me mujhe bandi banakar jiske paas le jaana chahte the,kya mai uske jitni taakatwar ho jaaungi...


FALLON ki baat sun halke muskura diye uske MASTER aur....


MASTER-uski jitni toh nahi par haan,uske aas paas zaroor pahunch jaaogi.....

FALLON-ohh.....


bas itna hi nikla FALLON ke mooh se...

reason....

usse andaza ho chala tha ki hazaron DORIAN aur GASTON ko maarne ki shamata rakhne ke baad bhi agar wo us shaksh ko pura takkar nahi de sakti jisne unhe bheja tha, toh kitna shaktishaali hoga wo SHAKSH...

FALLON ki soch uske MASTER se chuppi nahi reh paayi thi aur isiliye...


MASTER-us SHAKSH ke baare me tumhe zyada sochne ki zaroorat nahi hai FALLON.......kyunki tum kabhi bhi uske saamne nahi jaane waali ho...

par haan,TUM WO PYADA ZAROOR BANOGI JISKE ZARIYE USKI SABSE BADI CHAAL PALAT JAAYEGI....

FALLON-mai samjhi nahi MASTER....???

MASTER-sahi waqt aane do,samajh jaaogi...filhal saari baaton ko dimag nikalo aur apne naye training par concentrate karo...

toh shuru karen....!!!

FALLON-yes MASTER....


ek baar firse josh se bhar kahi ye baat FALLON ne jispar...


MASTER-mai ek hi baar bolunga...isiliye baat dhyan se suanana...

karna tumhe kuch bohot zyada nahi hai....tumhe bas is ground ki khubhiyon ko dhyan me rakh yahan khade khade ya fir baithe baithe yaa fir lete lete,jaisa bhi tumhara dil kare,us position me yahan ASTER me moujud har shaksh ko,including me ek saath utha kar fekna hai...

itna hi nahi,sabko uthane ke baad jab wo sab neeche girne lagenge,toh unke girne ki gati ko bhi tumhe niyantrit karna hai...


apni baat kehne ke baad bina ek pal rooke MASTER chale gaye....

wahin FALLON,jo apne MASTER ke diye gaye task ko sun khade khade hi ek mini coma me chali gayi thi, kuch der baad jab usse hosh aaya toh usne khudko wahan us ARTIFICIAL GROUND me akela paaya..


FALLON-ground ki khubi ko dhyan me rakh yahan khade khade,baithe baithe yaa fir lete pure ASTER ke me base students ko utha kar fekna hai...

wtf...ab ye kaisi training hai yaar....??and how's this even possible...

pure ASTER me hazar se zyada log hain aur uske MASTER jo in hazaron ke akele hi barabar hain...

aur ye ground..isme toh khubhi hi khubhi hai.. artificial hai ye.. training ke liye jo bhi chahiye, automatically provide kar deti hai ye jagah par ye khubhi is task me kaise fit baiththi hai...!!!


jahan ek taraf gehri soch me khoyi hui thi FALLON wahin dusri taraf us jagah se nikalne ke baad thoda aage jaa ek pedh ke piche chhup FALLON ke haav bhaav dekh rahe the uske MASTER aur...


MASTER-jo itne bade khel ke sabse bade daaw ko palat de,wo baazi asaan kaise ho sakti hai FALLON...???

socho....tumhe sochne hi hoga..is kahani ka wo hissa ho tum jiske bina wo anth jiski ummid hai mere dono LORDS ko,wo sambhav hi nahi hai.....






PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE MOP MOUNTAIN





PATA HAI,THE THREE SOVEREIGN'S KI SHAKTI SE JAB YE PURI JAGAH BAN RAHI THI,TAB CHOSENS KE BAAD US SHAKTI KA SABSE ZYADA ASAR FORBIDDEN FOREST KE IS AAKHRI CHHOR PAR HUA THA AUR USSI NATIJE KA ASAR HAI YE PAHAD,YE MOUNTAIN....

AUR ISILIYE HI IS PAHAD KA NAAM THE MOP MOUNTAIN RAKHA GAYA THA.....


early morning,jab SUN ne apna sir halka uthana shuru hi kiya tha,tab ka waqt hai hai ye....

waade ke mutabik jahan VIDEOUS kuch der pehle hi yahan pahuncha tha wahin mai just abhi abhi yahan thik VIDEOUS se kuch door prakat hua tha...

aur mere aate hi VIDEOUS,jo yahan ugge jungli phool ko dekh raha tha,usne ye saari baatein kahi thi jispar...


MAI-kya baat hai...tu toh yahan ke tour guide ke liye perfect choice hai...


meri baat sun yaa fir ye kahun ki taunt ko samajh muskura utha VIDEOUS aur....


VIDEOUS-taane toh ladkiyan deti hain.. tune ye hunar kaise sikh liya...???

MAI-taano ka gender nahi pata tha naa mujhe ab tak...


HAHAHAHAHA....

VIDEOUS-yaar,teri berukhi bhi hasa deti hai mujhe....

MAI-itne saare niyam,classes shuru karwaye tune CHOSENS me...

saath hi charitra avlokan ki ek class bhi agar laga deta toh meri baaton ko sun mujhe anylize karne ki zaroorat nahi padti tujhe....

VIDEOUS-pata hai, tujhme tere raichaita ke koi aur goon ho naa ho,
par baat karne ka hunar khub inherit kiya hai tune VIKRAM se...

MAI-taarif kar raha hai yaa afsos jata raha hai..kyunki tujhme toh ye hunar bhi nahi hai...

VIDEOUS-ek lambe samay ke liye wo shakti jiske binah par tu kisise kuch bhi keh deta aaya hai,wo zabt hone waali hai..

toh bache kuch lamhe bol le dil khol kar...kyunki uske baad tere har negetive baat ka,action ka reaction dard aur tadap ke saath milega tujhe...

MAI-ye shaktiyan mujhe kuch waqt pehle hi mili hain...jab mujhe mere baare me pata bhi nahi tha,tab nahi dabi meri awaaz toh ab jab mujhe maalum hai ki mai kaun hun,lagta hai tujhe ki mai dabunga...

kisi dard aur uske tadap me itni taakat nahi ki wo RAAZ ko daba de...

kyunki meri shaktiyan chhini sakti hain,par mera ATTITUDE nahi...

VIDEOUS-yaar,insaani bhaawnaon se pare hain hum.par fir bhi,teri har baat sun khush hone ki bhaavna jaagti hai mere andar...

aur isiliye,inaam ke taur par mai tujhe kuch deta hun...

aur wo kuch hai mouka...agar humari shaktiyan hum apne apne tarikon se chhupayen,toh bina shart ka maan rakhe apni iccha se jab chahen unhe wapas paa sakte hain....

toh isiliye acha ye hoga ki hum dono hi apni shaktiyan kisi ek jagah par rakhen jahan se bina ek dusre ki sehmati ke usse nikal naa paayen...

aur mera tumhe diya mouka ye hai ki wo jagah tumhare choice ki hogi..

iska ek faayda ye bhi hai ki tumhe is baat ki chinta nahi hogi ki is pact me kahin meri koi chaal toh nahi.....


is pure universe me agar koi aisi jagah hai jahan meri aur mere saath VIDEOUS ki aloukik shaktiyon ko bhi merge kar ek saath rakha jaa sake toh wo hai meri SWORD....aur isiliye..


MAI-hum dono ki shakti mere SWORD me rahegi...

VIDEOUS-waah..ungli kya di,tune toh mera gala hi pakad liya..teri SWORD par sirf tera hakh hai...

fir aise me agar mai apni shakti usme daal dun toh bina teri marzi ke wo toh mujhe meri shakti wapas karne se rahi...

MAI-aisa nahi hoga....meri SWORD teri shakti ko sirf rakh sakti hai aur wi bhi tab tak jab tu chaahe..

kyunki meri SWORD tere jeete ji bina tujhe touch kiye teri shakti rok nahi sakti..

tere liye wo bas ek locker ki tarah ka kaam karegi..

jis din pact khatm hua,locker open ho jaayega aur teri shaktiyan automatically tere paas pahunch jaayengi...


meri baat ko sun khch der tak mujhe dekh...


VIDEOUS-thik hai....shuru karte hain...


VIDEOUS ke aisa bolte hi mere seene ke beecho beech ek roshni koundhi jiske agle hi pal mere andar se prakat hui meri SWORD jo baahar aate hi upar hawa me ghumti hui gayi aur fir tezi se neeche ki taraf aa..

KHACCHH....

mere aur VIDEOUS ke theek beecho beech zamin par gadh gayi...

zamin par gadhte hi SWORD se ek tez power release hui jisse pura mountain ek pal ke liye kaamp gaya...


VIDEOUS-sidhe sidhe nikal kar nahi rakh sakta tha saamne..faaltu ka showoff...

MAI-is pure kahani me yahi toh ek HERO hai...aur jab hum jaise VILLAINS ki entry me showoff tha toh fir toh ye HERO ki entry thi...

thoda hatke toh banta hai....

VIDEOUS-tu aur tere logic....chal shuru kar...

MAI-abbe khana khaa rahe hain kya...???shuru kar...ye meri SWORD hai..tu apna kaam shuru kar..mujhe toh sochna hai aur jo chahunga,ye kar degi mere liye..


VIDEOUS-VIMUKTI SAMYOGA SHAKTIYEM

RELEASE AND MERGE MY POWER



apna haath SWORD ki taraf kar uccharit kiya ye SPELL VIDEOUS ne jiske agle hi pal...

hamare aas paas ka pura mahoul tez roshni se naha gaya..itna hi nahi,mujhe ek behad hi strong force,urja mehsoos hui..

ek aisi force jiske aage agar mere alawa koi aur hota toh ek second me uski haddiyan tak gal gayi hoti...

khair, kuch seconds lage,par fir VIDEOUS ki saari ALOUKIK shaktiyan mere SWORD me sama gayi aur aisa hote hi maahoul normal ho gaya par ye normal mahoul ek pal ke liye hi tha kyunki agle hi pal...

maine bhi apne man ko jo ki SWORD se connected tha,apni shaktiyan rakhne ki baat kahi jiske baad ek baar firse pura mahoul tez roshni se naha gaya...

aur aise hi sirf kuch hi palon me hum dono ki hi ALOUKIK shaktiyan mere SWORD ne apne paas rakh li thi....

process complete hote hi SWORD wapas mere andar sama chuki thi aur jab aisa hua toh ek jhatka laga mujhe...

mere jabde halke kaampne ko hue par maine nano seconds me hi khudko contol kar liya tha...


VIDEOUS-the game is on RAAZ..ab normal way me milte hain INSTITUTION par....

muskurate hue kahi ye baat VIDEOUS ne aur jiske agle hi pal uske teeno DEVOTEES uske side me prakat hue jo teekhi nazaron se mujhe dekh rahe...


VIDEOUS-inhe toh jaante hi hoge...mere DEVOTEES..par ghabrana mat..hamari shart ke beech inko istemaal nahi karunga mai..pact tutega nahi..wo toh kya hai naa ki ab meri wo shaktiyan toh filhal rahi nahi jinse mai yunhi apne man mutabik gayab ho jaaun...

toh isiliye inhe help ke liye bulaya hai...tum kaho toh tumhe bhi tumhare apartment chhod aaun..

ab itna ehsaan toh kar hi sakta hun tumpar..


VIDEOUS ki baat sunane ke baad bhi jab maine kuch nahi kaha toh ek baar firse muskura utha VIDEOUS jiske agle hi pal wo teeno DEVOTEES usse lekar gayab ho gaye aur aisa hote hi...


OKKHHH..OKHHHHH.....

do baar khaansa maine jiske baad ab tak mere mooh ke band hone se uske andar rooki hui khoon ki dhaar bahar chalak padi...

mai turant apne ghutno par aa gaya tha...

meri puri body bohot zoron se kaampne lagi thi...aur ab mooh ke saath saath,mere aankhon ke side se aur kaan se bhi ek patli khoon ki dhaar nikalne lagi thi...

hadh se zyada dard ho raha tha mujhe jisse thartharate hue control karne ki naakam koshish kar raha tha mai aur fir aakhir me jab mujhse control nahi hua toh wahin gir pada mai jiske kuch der baad dheere dheere meri aankhen band hone lagi aur finally behosh ho chuka tha mai....

aur tabhi....

ek baar firse pura mahoul roshni se naha gaya aur jab wo roshni ghati toh mere saamne khadi thi SHAILA...

jisne kuch pal mujhe dekha aur fir neeche jhuk mujhe chhu liya aur aisa hote hi mai aur wo gayab ho chuke the..





PLACE-THE CHOSENS


GROOMERS CLASS:-



ACCHUTA,SLUNDER,WHERE'S RAAZ....!!!!


class me nazar ghumane ke baad jab RAAZ nahi dikha tab WHIZZ EDWINA ne puchi thi ye baat un dono ne jispar....


ACCHUTA-hume nahi pata WHIZZ....

EDWINA-tum teeno ke apartments ek hi wing me hai naa...kya tum teeno saath nahi aate...???

SLUNDER-nahi WHIZZ..wo actually kal raat usne kaha tha ki aaj morning me usse kuch kaam hai toh wo thoda late ho jaayega isiliye hum nahi aaye saath...


WHIZZ EDWINA aage kuch kehti ki tabhi unki class me ek note udta hua aaya jisse padhne ke baad...


EDWINA-ok SAVENTS.. let's start the class..


ye bol baaki dono WHIZZ aur WHIZZDER ke saath usne class shuru ki jisme aaj bhi koi alag natija nikla nahi...

SAVENTS aaj bhi apne REFINER ko activate karne ke process me 10 seconds se aage nahi jaa paaye..

khair,kaafi der tak alag alag tariko se try karne ke baad SAVENTS ki energy bhi khtam ho gayi aur uske saath class bhi jiske baad sabhi SAVENTS thake haare bahar nikalne lage aur tabhi...


EDWINA-ACCHUTA, SLUNDER..one second....


WHIZZ ke bulate hi wo dono unke saamne jaakar khade ho gaye...


EDWINA-class ke shuruwat me wo jo note aaya tha..wo RAAZ se related tha... actually,uski tabiyat sahi nahi hai isiliye hi wo aaj class nahi kar paaya..

tum dono bhi uske aas paas hi rehte ho..agar time mile toh uske paas ho aana..usse acha lagega..


RAAZ ki health ka sun ACCHUTA aur SLUNDER ki thakan jaise gayab hi ho gayi...


ACCHUTA-thanks for informing WHIZZ...


ye bol wo dono turant hi class se apni parking jahan unki bikes thi,bhaage aur wahan se double speed me nikle apartment ki taraf...




PLACE-GROOMERS STAY:-



TUM YAHAN KYA KAR RAHI HO...??AUR YE KYA PILAYA HAI MUJHE TUMNE....???


dheere dheere aankh khuli meri aur aisa hote hi maine dekha ki apne apartment ke bed par leta hua hun mai...

hadh se zyada kamzor feel kar raha tha mai is waqt...dard toh ab bhi tha mujhe par kam tha....

ek kadwi feeling aayi mujhe apne mooh ke andar jisse samajhne ki koshish karte hue jab meri nazar apne right par gayi toh wahan moujud sofa me baithe hua dekha maine SHAILA ko jiske baad ye sawal puche the maine jispar...

SHAILA-jab VIDEOUS wapas aane ke liye apne intezam saath rakh sakta hai,toh fir tumne aisa kyun nahi kiya tha...???

MAI-mujhe kisiki madad ko zaroorat nahi...

SHAILA-kya wakayi....


SHAILA ki baat sun kamzor aankhon se hi sahi,maine usse ghoor kar dekha jisse...


SHAILA-ghoorne ka koi faayda hai nahi waise...tum bhul rahe ho ki ab tum pehle jaise nahi rahe...baaki SAVENTS ki tarah hi tum bhi ab common ho...

MAI-sher ghayal bhi ho toh bhi uska gidadon se koi mukabala nahi hota..

waise tumne bataya nahi ki kya pilaya hai tumne mujhe....


SHAILA-kaadha hai ye..kisi zamane me jab tumhare raichaita LORD OF ANGELS insaan hua karte the aur unki haalat kharab hoti thi,tab unki training ke waqt unke guru unhe ye diya karte the..

(NOTE:-guys ATTITUDE 1 me baba vishakht ne VIKRAM ko uski training ke waqt jo kaadha diya tha(update 18)..wahi kaadha hai ye...)


SHAILA-ab jo kaadha tumhare raichaita par asar kar sakta hai,wo tumpar toh karega hi...

par ye kaadha tumhari haalat ko bas temporary hi thik karega...iske permanent ilaaj ke liye tumhe apne SOUL ko 4 percent AMPLIFY aur saath hi kamsekam kisi ek REFINER par master karna padega...

waise tumhe pata toh hoga hi ki jo jo tumhare saath kuch der pehle hua,uska kaaran kya tha...???

ACHHUTA aur SLUNDER ke MAATA PITAH ko maarne ke baad unke aakhri waqt me unke mastishk aur hriday me uth rahe har vichar se nikalne waale emotions,jisse tumne aise hi kisi waqt ke liye apne andar sanjo kar rakha tha,ussi ka side effect hai ye....

tum dono ko hi agar koi agaath pahuncha sakta hai,toh wo hain human emotions....

jinka tumhari shakti ke saath koi connection nahi hai....jab tak tum asadharan the,tumhare paas tumhari ALOUKIK shaktiyan thi,tab tak tum in emotions ke saath khel sakte the..

inhe bina khudpar haawi hone diye inka istemaal kar sakte the par ab aisa nahi hai...

tumhari shaktiyan jo ab bhi tumhare andar hain,unhe ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ke emotions jo tumhare paas hain,pasand nahi aa rahe aur wo inhe oppose kar rahi hai aur result,tumhari haalat kharab hai...


MAI-par VIDEOUS par iska asar nahi hua...???

SHAILA-kyuki VIDEOUS ki utpatti aaj se laakhon saal pehle ki hai..saath hi uski shakti sirf LORDS ki urja se nahi balki BLACK ENERGY se bhi bani hai..

BLACK ENERGY jiski sabse badi khasiyat hai human emotions ko manupalate karna...

VIDEOUS ne BANISHMENT ke waqt hazaron saal sirf issi manupalation ko sikhne me lagaya hai aur yahi kaaran hai ki bina apni ALOUKIK shaktiyon ke bhi wo emotions ka istemal kar sakta hai..

taklif usse bhi hogi par usne usse handle karna sikh liya hai...


KNOCK KNOCK KNOCK....

SHAILA baat ko aage badhati ki tabhi front door par knock hua jisse sun...


SHAILA-tumhare DOST hain darwaze par...


dost shabd ko taunt ki tarah kaha tha SHAILA ne jiske baad door apne aap yaa fir ye kahun ki SHAILA ke through khul gaya aur jab aisa hua toh....

BHAAD.....

pure force se dhakela un dono ne darwaze ko aur turant bhaagte hue se andar daakhil hue par isse pehle ki wo kuch kehte,unki nazar SHAILA par par gayi jiske baad wo dono jahan tak pahunche the,wahin rook gaye...

un dono ki nazar pehle SHAILA par aur fir bed par lete mujhpar gayi...

mere chehre par kamzori aur halki taklif saaf dikh rahi thi jisse dekh wo ek saath kayi saare sawalon ke teer mujhpar chhodna chahte the par SHAILA ki moujudgi me ye mumkin nahi tha...

wahin SHAILA bhi un dono ka mere liye concern feel kar paa rahi thi aur isiliye....


SHAILA-relax SAVENTS.. RAAZ thik hai..SOUL ko ek saath do baar AMPLIFY karne ki wajah se uske body me weakness aa gayi hai..kuch ghanto me thik ho jaayega wo...

ACCHUTA-par SOVEREIGN...wo AMPLIFICATION toh RAAZ ne 2 din pehle kiya tha.. toh fir aaj kaise uska effect hua...???

SHAILA-baat BODY ki nahi SOUL ki hai SAVENT..uske kaam karne ke tarike alag hote hain...

but the good news is ki RAAZ thik hai aur kuch time ke baad uski kamzori chali jaayegi...

filhal aap dono apne apartments me jaayiye, freshen up...aur fir aayiye..tab tak mai hun yahan..


ye ek indirect order tha jisse ACCHUTA aur SLUNDER dono hi samajh gaye the aur isiliye...


ACCHUTA/SLUNDER-sure SOVEREIGN...


ye bol ek baar mujhe dekh wo dono apartment se chale gaye jiske baad....


SHAILA-DOSTI...kitni adhbhudh feeling hai naa is shabd me....???


SHAILA ke is sawal,yaa fir ye kahun tark se bhare taunt ko bakhubhi samajh raha tha mai..par filhal jis haalat me mai tha aur jo zindagi meri ab hone waali thi,uspar SHAILA ka ye vyang suit karta tha isiliye mai chup raha...


SHAILA- ye wo shabd hai jiske maayne se tum ab tak anjaan the...par ab tumhe is shabd ki gehrayi me utarna hoga..

har kaam ko waise hi anjaam dena hoga jaisa baaki SAVENTS dete hain...

par,jahan ab tak tumhare liye har wo kaam asaan tha jo baaki SAVENTS ke liye mushkil,ab uska ulta hoga...

har task jo tum perform karoge,usme tumhe baaki sabse 10 guna zyada effort lagana hoga tab jaakar shayad kahin tum kaamiyab ho paaoge...

baaki SAVENTS ko sirf har metaphysical activity ke asar se hone waale dard ko aur mushkilon ko jhelna hota hai,par tumhe apne andar chhupi us aseemit shakti se bhi ladna hoga jo un ACTIVITIES me kaam aane waale emotions ko flow hone se rokengi aur aisa karne ke liye wo tumhe, unke dhaarak,unke maalik ko mout jaisi dard dengi...

in sab cheezon ko jhel tumhe aage badhna hai...

ab tak tumhara mukabla sirf VIDEOUS se tha,par ab baaki SAVENTS se bhi hoga aur unke saath hi khud se bhi hoga...

har wo emotions jo tumhare liye koi maayne nahi rakhte the,unhe apnane ka hunar tumhe sikhna hoga...

jis dard se tum aaj guzre ho,ussi dard se tumhe apne har activity ke baad guzarna hoga..

temporary ilaaj wo kaadha hai jiska swad tumhare mooh me aur stock andar store room me rakha hua hai..

4 percent AMPLIFICATION aur saath hi kisi ek REFINER par control...

permanent ilaaj uske baad hi possible hai... toh all the best...

jeetna tumhe padega hi kyunki agar aisa nahi hua toh tum khel khatm hone se pehle hi haar jaaoge...

ye bol gayab hone ko hui SHAILA par tabhi...



MAI-

EMOTIONS.....


wo shabd jinse meri shaktiyan
NAARAAZ HAI....

ye kisi khel ka madhyantar nahi,
balki khel ka AGHAAS HAI....

meri taakat door hui hai mujhse,mere TEVER nahi...

aur TEVAR hi hai wo ATTITUDE,
jisse bana ye RAAZ HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V...J.....
Awesome update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MASTER FALLON KE SAAMNE EK BOHOT HI PECHIDA TASK RAKHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS AUR RAAZ APNI ALOUKIK SHAKTIYAN RAAZ KE SWORD ME CHUPPA DETE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-71



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-






VIDEOUS....TUMNE APNE FIRST REFINER KI AVERAGE POWER KO TRIGGER KAR LIYA HAI..ISILIYE I THINK TUMHARI SPELLS PRACTICE KI CLASS SHURU KAR DENI CHAHIYE...

PURI NAHI TOH KAMSEKAM THODI BOHOT MAGIC TOH TUM KARNA SIKH HI JAAOGE....

class shuru hote hi REGIS ne VIDEOUS se kahi thi ye baat jisse sun...


VIDEOUS-sorry WHIZZDER... par average power borrowing jaisi hoti hai jo sirf loosers ki suit karti hai....

and i like to own things...yaa toh mujhe complete power chahiye yaa fir kuch bhi nahi chahiye...

isiliye, SPELLS aur magic try karne se pehle mai apne first REFINER ki puri power ko activate karna chahunga...


VIDEOUS ki baat sun saare SAVENTS uski baaton ke baare me gossip karne lage the par in SAVENTS me MAHI nahi thi....

aksar jab aap sabse aage hote hain aur aise me koi aur khudko best hone ke liye self nominate kar deta hai toh aise me halka sa ego hurt ho hi jaata hai par MAHI ke case me iska ulta tha..

wo VIDEOUS ki baat sun khush ho gayi thi kyunki uski baat se MAHI ko lagne laga tha ki unlike PHASE 1,is PHASE me usse koi tagda competition dene waala hai...

par is beech jahan VIDEOUS ki baat yaa fir ye kahun ki uska ATTITUDE REGIS aur SAPIUS ko impress nahi kar paaya wahin MABBA VIDEOUS ke jawab se bohot khush hui thi...

aur isiliye...


MABBA-i like what you said VIDEOUS...par dekhna ye hai ki kya tumhari baatein sirf baatein hain yaa fir you can back up your words..


MABBA ki baat yaa fir ye kahun ki unke challenge ko sun VIDEOUS bas halka muskura diya....


SAPIUS-ok then.. REFINER activation process shuru kijiye...


SAPIUS ke bolte hi sabhi SAVENTS ki CEREBRATION process pause ho chuki thi aur aisa hote uccharit hua un sabke man me pehla REFINER SPELL.....

SAMPURN AANANDITAM.....

jiske baad hua sabme pain aur hasi ka samagam....

aur isiliye sirf 10 se 15 seconds ke andar aadhi se zyadi class ki aankhen khul chuki thi.

25 second hote hote VALDIS ki aur 40 seconds ke andar MABEL aur ALFREEN ki bhi aankhen khul gayi...

par MAHI aur VIDEOUS ki ankhen ab bhi band thi....


MAHI....jiska focus aaj kuch zyada hi strong lag raha tha,usne kuch hi seconds me 1 minute ke paused CEREBRATION ka waqt pura kar liya...

jahan ye hota dekh teeno WHIZZ aur WHIZZDERS khush ho rahe the, wahin MAHI ki haalat kharab hone lagi thi...

ek minute cross hote hi uske andar ek halki si rosni dikhne lagi thi jiske kareeb usse jaana tha..

wo roshni hi wo REFINER power thi jiske kareeb jaate hi MAHI ki bhi average power ACTIVATE ho jaati par ye achieve karna bohot hard tha...

jaise jaise MAHI us roshni ke kareeb jaa rahi thi,usse aisa lag raha tha jaise koi uske aatma ko hasa hasa kar aur at the same time tadpa tadpa kar maar raha hai aur isiliye.....

aankhen khul gayi MAHI ki jiske baad...SHIT.......

khudpar bhadakte hue kaha MAHI ne ye par fir...


MABBA-congrats MAHI...aaj tume 1 minute 30 seconds tak apne CEREBRATION ko paused rakha...

aur ye bohot badi baat hai...sirf 30 seconds aur and i am sure ki tum ye kar logi....

bohot jald tum bhi VIDEOUS.......


ye naam lete hue MABBA ki gardan class ke aakhir ki taraf ghumi jahan aaj VIDEOUS baitha tha aur aisa hote hi unke aage ki baat unke andar hi reh gayi...

wahin MABBA ko yun achanak chup hota dekh dono WHIZZDERS aur saath hi sabhi SAVENTS bhi MABBA ki jis tara nazar thi,wahan dekhne lage aur aisa hote hi un sabki aankhen bhi badi ho gayi...

reason.....

VIDEOUS ki aankhen abhi bhi band thi aur apne jabde bheenche dard ko sehte hue wo laga hua tha...

MAHI ne dedh minute tak apne CEREBRATION ko pause rakha tha aur uske baad MABBA ki kuch der ki gayi baatein jiska matlab tha ki VIDEOUS apne hi purane record ko todte hue 2 minute cross kar chuka tha.....

wahin VIDEOUS.....jo aaj pehli baar bina apni ALOUKIK shaktiyon ke tha, wo SAVENT ko hone waale aseem dard aur uske andar hone waale har wo manupalation jiski wajah se uska task adhura reh jaata tha,usse feel kar paa raha tha...

and it was damn tough for him....bhale hi human emotions se uthne waale pain par master kar liya tha usne,par at the moment, REFINER jo ki khud ek strong emotion tha,usse uthne waale dard ko sehna bohot mushkil tha uske liye...

baaki SAVENTS ko REFINER aur SOUL se jo pain feel hota tha,usse zyada feel ho raha tha VIDEOUS ko jisse jhelte hue wo laga hua tha par ab ye sab uske liye bhi bohot zyada hone laga tha...

dard ki adhikta se uski band aankhon ke side se paani nikalne laga tha...

jabde ek dusre se itni sakhti ae bhidne lage the maano ek dusre se panja lada rahe hon...

pura chehra tharthara raha tha VIDEOUS ka aur jab ye thartharahat hadh se zyada badhne lagi toh..


UMMMMMMMM...AAAHHHHHHHHH.........


pehle ek lamba groan aur uske baad ek cheekh ke saath aankh khul gayi VIDEOUS ki jiske baad...


CHATAAAKHHH.....


khudke gaal par hi ek tez tamacha maar diya VIDEOUS ne jispar sabhi SAVENTS shocked ho gaye...


REGIS-hey hey hey..relax boy...hota hai...tumne pure 3 minute tak apne CEREBRATION ko paused rakha tha...

itni kam waqt me itni der tak pehle kabhi kisine aisa nahi kiya hai...so you should be proud of yourself....

VIDEOUS-khud se jhuth bolne ki aadat nahi hai mujhe....haar kitne hi kam margin se kyun naa hui ho,haar haar hoti hai...

aur ek request hai WHIZZDER aapse..dobara kabhi mujhe kisi aur ka example mat dijiyega...

pehle kisne kya kiya hai,kitne waqt me kiya hai,kaun kitna laayak hai,kiski hadh kahan tak pahunchi hai,i dont give a shit about it....

aap log jo bhi examples dete hain,wo mujhe ek line ki tarah lagti hai..

wo line jisme SAVENTS khade hote hain but i dont stand in anybody's line...

MY PATH IS RAW AND I OWN MY DESTINATION....


aankhen,kaan aur baaki jo bhi phat sakta tha,wo sab faade sun rahe the sab VIDEOUS ko...

VIDEOUS ki baaton me ek authority thi,ek aisa boldness tha jisne sabhi ko clean bowled kar diya tha...

wahin ye sari baatein VIDEOUS ne REGIS ke aankhon me jhaank kar kahi thi jiski intensity feel kar andar tak hil gaya tha REGIS...

REGIS hi kya, MABBA aur SAPIUS bhi VIDEOUS ki baat sun ek trance jaisi haalat me chale gaye the..

jab VIDEOUS bol raha tha tab unhe aisa laga tha jaise wo SAVENT hain aur VIDEOUS unka WHIZZDER....

par in sabke beech VIDEOUS ki haalat ajeeb hi thi...bhale hi as a SAVENT,usne aaj jo lagatar 3 minute tak paused CEREBRATION rakha tha,wo extraordinary tha,par uski nazar me aaj pehli wo haara tha..

aur isiliye,apni baat bol wo rooka nahi,turant class se nikal gaya...

waise class khatm karne ka waqt bhi lagbhag ho hi gaya tha isiliye VIDEOUS ke nikalte hi MABBA ne class khatm kiya aur dono WHIZZDERS ke saath nikal gayi....


MABEL-ye VIDEOUS kuch zyada hi overconfident nahi ho raha...???

MAHI-agar overconfidence se uske jaisi performance hoti hai toh mujhe lagta hai ki sabhi ko overconfident hona chahiye...

ALFREEN-wo sab toh theek hai par aaj uska ATTITUDE kuch alag lag raha tha,haina..???

MAHI-mujhe lagta hai ki wo aaj thaan kar aaya tha ki anyhow wo apne first REFINER ke full power ko active kar hi lega aur kyunki aisa nahi hua, isiliye wo thoda hyper ho gaya...

MABEL-hyper...pagal lag raha tha wo mujhe aaj..khudhi ko thappad maar raha tha...

MAHI-toh galat kya hai...??yahan toh log bina saamne waale ki galti ke usse maarte hain,toh fir VIDEOUS ne toh sirf khudko hi maara tha...


mere baare me soch kahi thi ye baat MAHI ne jispar...


ALFREEN-kiski baat kar rahi hai..??kaun kisko maarta hai...??


ALFREEN ki baat sun MAHI ko realize hua ki usne galat jagah ye baat bol di hai aur isiliye...


MAHI-arre ek general baat bol rahi hun...kitne kisse sune hain ab tak yahan ke baare me ki powerful SAVENTS kamzor SAVENTS ko bully karte hain,unhe maarte hain...

wahi example diya maine..

MABEL-haan ye toh hai...par chhodo naa yaar ye sab baatein...tum log bhi kaun si baaten lekar baith gaye ho...

MAHI-waah,topic khud hi uthati hai aur fir ilzam humpar daalti hai..rook toh zara...


ye bol lapki MAHI MABEL ki taraf par MABEL bhi turant parking ki taraf bhaag li aur uske piche bhaage MAHI aur ALFREEN....

wahin class se sabse pehle nikle VIDEOUS ne pehle toh apne ABODE jaane ki sochi par phir uske dimag me ghuma mera thobda aur aisa hote hi uske kadam aur direction change ho gaye aur wo chal pada GROOMERS class ki taraf....





GROOMERS CLASS:-




HOW ARE U FEELING TODAY,RAAZ.....???


class me enter karte hi jab WHIZZ EDWINA ki nazar mujhpar padi toh pucha unhone mujhse ye sawal jispar...


MAI-i am good WHIZZ....

ROVEL-agar chaho toh aaj ka din bhi break le sakte ho... REFINER TRIGGER karne me soul AMPLIFICATION ka use zyada hota hai toh aise me tumhari condition bigad sakti hai....


ROVEL ki baat par mai kuch kahun usse pehle hi....


ACCHUTA-haan bhai...tu rest le le.... puri taraf sahi lage,tabhi class start kariyo..


dheere se mere kaan ke paas aakar kahi ye baat ACCHUTA ne jispar maine usse ghur kar dekha par jahan mere ghurne se pehle wo dar jaaya karta tha,ab aisa kuch bhi nahi hua tha...

infact kal SHAILA ke jaane ke kuch der baad hi ACCHUTA aur SLUNDER,wo dono hi mere apartment me aa gaye the aur tabhi se ye haal hai...

kal aate hi dono ne mujhpar dheron sawal ki bombardment kar di thi...

dono ko ye samajh nahi aa raha tha ki mujhe bhala kaise kuch ho sakta hai jispar maine sahi waqt aane par bata dene ki baat kahi thi...

jiske baad meri health se related toh un dono ne koi baat nahi ki par fir din bhar wo dono mere aaspaas hi rahe...

unke lagatar mere liye concern ko dekh mere andar kuch ghumne laga tha jisse mujhe behad taklif ho rahi thi..

mai jaanta tha ki wo human emotions hai jo situation ke according mujhe mehsoos hona chahte hain aur meri SWORD me chhupi meri ALOUKIK shaktiyan un emotions se takrakar mujhe dard de rahi hain par mai kar bhi kya sakta tha...

har thodi der me SHAILA ka diya wo kaadha jo usne bohot si choti choti shishiyon me bhar diya tha,mai peeta raha tha...

par excessive dose ki wajah se mujhe shaam hote hote hi neend aa gayi thi jo aaj subah hi khuli thi...

par mere uthne ke kuch der baad hi ek baar firse ACCHUTA aur SLUNDER dono mere apartment me tapak pade the aur tab se lekar ab tak mujhe alag alag tariko se rest lene ke liye pinch kar chuke the ye dono...

abhi bhi apni baat keh sadi hui shakal liye mujhe dekh raha tha ACCHUTA jispar ek baar usse ghur maine nazar saamne ROVEL ki taraf ki aur...


MAI-i am completely fit WHIZZDER...

PETRA-allright than...shuru karo fir...

remember,aage badhne ke liye,apne apne metaphysical capabilities ko agle step par lejaane ke liye kamsekam kisi ek REFINER ko activate karna bohot zaroori hai....

bhale hi average power growth jo ki 2 minute par hota hai,wahin tak kyun naa ho,par hona zaroori hai...


WHIZZ ki baat sun hum sabhi GROOMERS ne apni apni aankh band kar li aur saath hi pause kar liya apna apna CEREBRATION...

aaj pehli baar tha jab maine complete clean way me ek normal SAVENT ki tarah apne CEREBRATION ko pause kiya tha aur ab aage ki kriya me baakiyon ke saath unhiki tarah participate kar raha tha..

waise toh meri shaktiyon ka mere paas naa hona mere liye ek negetive baat thi,par fir bhi mujhe bura nahi lag raha tha...

reason...

wo kehte hain naa ki smooth road never makes a good driver...

bas,itni si hi baat thi...true potential jaanane ka sabse acha tarika hota hai negetive mohoul me jab waqt aapke saath naa ho,tab perform karke dikhana...

ab mere liye ye waqt waisa hi tha....

khair,aankhen aur CEREBRATION band kiye baaki sabhi ki tarah apne SOUL me jhankte hue man hi man uccharit kiya maine....


SAMPURN AANANDITAM....

aur aisa karte hi....

HAHAHAHAHA.......

as expected,spell ke prabhav se hasi chhut gayi meri par jahan pehle ye hasi fake hoti thi wahin ab ye hasi sacchi thi...

pehli baar mai us dard ko,aur us ehsaas ko mehsoos kar raha tha jo yahan ka har SAVENT khudko nurture karne waale SPELL ko bolne ke baad mehsoos karta tha...

zor zor se has rahe the hum sab....par jahan hasi khushi ki wajah se aati thi,wahin humari hasi ke peeche chhupa hua tha dard....

wo dard jo hamara SOUL hume is SPELL ko bolne ke liye ek saza ke taur par de raha tha....

aur jaisa ki hota aaya hai,baaki SAVENTS us dard ko ek saath jhel nahi paaye aur kuch 10 seconds me hi sabki aankhen khul gayi...

par meri aankhen aur mera CEREBRATION ab tak band hi the par ye zyada der tak nahi chalne waala tha...

kyunki baaki SAVENTS ko toh bas apne apne SOUL se pain mil raha th par mujhe toh meri SOUL ke saath meri shaktiyan bhi dard de rahi thi...

aur isiliye kuch seconds aur beetne ke baad mai bhi apni ankhen kholne hi waala tha par tabhi....


PETRA-you know maine suna hai ki STELLAR me jo wo naya SAVENT aaya hai,usne apne first REFINER ko average power tak refine kar diya hai...

EDWINA-haan,ye toh maine bhi suna hai..but it's surprising..kyunki us class me MAHI hai jisne first PHASE me 25 thousand years ka highest AMPLIFICATION record banaya hai...par usse bhi us naye SAVENT ne piche chhod diya hai...

ROVEL-tum ye bhul rahi ho ki bina institution join kiye usne apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kiya hai...

aur ye bohot badi baat hai...mujhe toh lagta hai ki is PHASE me he is going to be the best SAVENT...

EDWINA-hmm...ho sakta hai....waise naam kaafi unique hai uska... VIDEOUS.....


mai paused CEREBRATION process ke beech tha jisme bahar ka kuch bhi sunayi nahi deta par process chahe kuch bhi ho,jis naam ke astitv ko mitane ke liye mera nirmaan hua hai,usse sunane se kuch bhi rok nahi sakta tha mujhe...

aur yahi wajah thi ki meri aankhen khulne se just ek second pehle jab nikla EDWINA ke mooh se ye naam toh aisa hote hi naa sirf meri aankhen khulne se rook gayi balki saath hi meri hasi bhi gayab ho chuki thi....

jabde bheench gaye the mere...aisa karne se mera dard aur badh gaya tha but wo dard us ghusse ke aage kuch nahi tha jo is naam ko sunkar mujhe aata tha...

zinda hun mai..saansein chal rahi hain meri...wajud kayam hai mera...fir us competition me jisme mera naam shaamil hai,VIDEOUS kaise best ho sakta hai...???

champion sirf ek hi hota hai... aur wo champion mai hun....

apne saare aatmbal ko nichod laga hua tha mai apne pehle target ko pura karne me...

par housla apni jagah aur reality apni jagah...meri condition kuch khaas nahi thi,uske upar sirf 2 percent AMPLIFICATION ki wajah se meri body bhi hadh se zyada pressure jo ki is activity me jhelna hota hai,uske liye taiyar nahi thi,aur yahi kaaran tha ek minute hote hote meri band aankhon ke side se aansu nikalne lage the...

itna hi nahi, meri puri body kaampne lagi aur aisa hote hi mere baaju me baithe SLUNDER aur ACCHUTA hadbada gaye....


SLUNDER-oh shit....


thoda zor se kahi thi SLUNDER ne ye baat jisse sun baaki SAVENTS jo aankh khulne ke baad bhi REFINER se uthe dard ko zabt karne me lage hue the,wo palte par saath hi saath teeno WHIZZ aur WHIZZDERS jinka dhyan mujhpar ab tak nahi pada tha, unki nazar bhi mujhpar gayi aur aisa hote hi wo teeno bhi chownk pade...

wo teeno samajh chuke the ki meri filhal weak hone ki wajah se meri body ko ye jhatke lag rahe hain par zyada hairani unhe is baat ki thi ki itne weak condition me hone ke baawjud,itne painful jhatkon ke lagne ke baad bhi mera CEREBRATION process ab tak paused hai..

aakhon me hairani liye wo aur baaki SAVENTS mujhe dekh rahe the...

wahin mere baaju me baithe ACCHUTA aur SLUNDER ne mujhe chhune ke liye haath aage badhaya hi tha ki tabhi..


EDWINA-dont..... REFINER activation ke waqt puri body par ek electrical parat chaddh jaati hai isiliye usse chhuna mat usse warna shock....

OH MY GOD.....


aage ki baat bolte bolte dusre lines nikal gaye EDWINA ke mooh se...

reason...

ab tak jahan mere aankhon ke side se paani beh raha tha, wahin ab ussi jagah se halka halka khoon risne laga tha...

aur ye scene dekh sabhi hadh se zyada chownk gaye the....


ROVEL-yaar,kaisa banda hai ye...???koi itna pain kaise jhel sakta hai....????!!!

PETRA-iske aankhon se jo khun nikal raha hai,iska matlab hai ki iska body puri tarah recover nahi hua hai aur isiliye iska SOUL REFINER ko rok raha hai...

agar kuch aur seconds aisa hi chalta raha toh iska sharir fatna shuru ho jaayega...


EDWINA joki ROVEL aur PETRA ki kahi baaton ko pehle hi jaanti thi,usne bhi ab der karna sahi nahi samjha aur...


HIKSATURAHE VIDYUTATAH

REVERSE THE CURRENT


haath meri taraf kar COMMAND MODE ke tahat is SPELL ko uccharit kiya EDWINA ne aur aisa hote hi uske haathon se ek current ray nikli aur sidhe mere sharir ke chaaron taraf bane REFINER dwara banaye current se takrayi aur jab aisa hua toh...

ek saath do chizen hui...

pehli.....

REFINER ki current gayab ho gayi aur aisa hoti hi meri CEREBRATION process shuru ho gayi aur meri aankhen khul gayi..

dusri.....

AKHHWKKKKK

aankh khulte hi mere jabde jo bheeche hue the,woh ek jhatke me khul gaye aur aisa hone par mere mooh se bhi khoon ki ek ulti si ho gayi...

mai apne aap ko bilkul sambhal nahi saka aur girne ko hua par isse pehle ki aisa hota, ACCHUTA ne mujhe sambhal liya tha...

is waqt teeno WHIZZES,WHIZZDERS aur unke saath sabhi SAVENTS ne mujhe ghera hua tha..

jahan un sabhi ke ankhon me vismay bhara hua tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER bas meri condition par tention liye hue the..

mai lambi lambi saansien le raha tha is waqt aur tabhi...


EDWINA-are you ok RAAZ.....???

MAI-aaj kiya toh kiya...dobara kabhi aisa mat karna...


haafte hue gurra utha mai EDWINA ko dekh jisse sun shock ho gayi EDWINA aur saath hi baaki sab bhi..

par isse pehle ki koi kuch kehta...


MAI-mere liye kya sahi hai,kya galat hai,kya faaydemand hai,kya nuksaan deyi hai,ye mai tay karunga....sirf mai....

isiliye dobara meri chahe jo bhi condition ho,interfere mat karna..


hadh se zyada frustrated tha mai is waqt...kyunki sirf 10 seconds hi bache the un 2 minutes me jiske baad meri REFINER average power ko touch kar jaati..

wahi power jo filhal sirf VIDEOUS ki hi activate hui hai..haan,ye sach tha ki shayad usse pehle hi mere saare sharir ke pores me crack aa jaata aur khoon ke behne se mai behosh ho jaata,par mujhe is baat se fark nahi padta tha...

wahin meri baaton ko sun jahan SAVENTS bas hairan the,wahin WHIZZES aur WHIZZDERS ko meri baatien sahi nahi lagi aur isiliye...


ROVEL-tumhe pata bhi hai ki tum kya bol rahe ho...??? tumhari aankhon ke side se blood nikal raha tha...

jiska matlab tha ki wo process tumhare soul ke saath tumhare brain par bhi acccesive pressure daal raha tha...

agar kuch seconds bhi aur tum same state me rehte naa,toh tumhara brain block ho jaata...

tum mar bhi sakte the...


MAI-WHILE FACING CHALLENGES,IF YOU CANNOT PUT YOUR LIFE AT STAKE ,YOU ARE JUST AS GOOD AS DEAD....


meri baat sun chownke toh sabhi the par baat pate ki thi isiliye kisise kuch kehte bana nahi....

wahin in sabke mujhe yun gher kar khade hone se meri suffocation me izafa ho raha tha isiliye...


MAI-kya class ab bhi baaki hai...???


mere sawal se jaise ek trance se bahar aaye teeno WHIZZES aur WHIZZDER aur...


PETRA-nahi...its over...

MAI-mujhe akela rehna hai...


meri baat sun kuch der mujhe dekh wo teeno class se nikal gaye aur unke baad baaki sabhi SAVENTS bhi chale gaye the siway ACCHUTA aur SLUNDER ke....


MAI-tum dono bhi jaao....

ACCHUTA-par bhai teri haalat thik nahi hai...aise me tujhe akela..

MAI-dude...i dont like to repeat myself..bas itna samajh ki akela rahunga toh jaldi recover ho jaaunga..


meri baat sun ACCHUTA ne SLUNDER ko dekha jisne usse aankhon se hi chalne ka ishara kiya jiske baad wo dono bhi class se chale gaye..

wahin in saare ghatnakramo ke dauran VIDEOUS class ke bahar hi khada tha...

aur jab baaki WHIZZES, WHIZZDERS aur SAVENTS class se nikal rahe the,toh wo ek pillar ke piche chala gaya tha aur jaise hi class khaali hua,wo class ke andar aa gaya...


VIDEOUS-aam hona kitni taklif de sakta hai,haina...???


VIDEOUS ki awaaz sun mera neeche jhuka hua sir upar utha..

mere honth aur uske aas paas ki jagahon par ab bhi khoon laga hua tha jisse apne haath se saaf kiya maine aur...


MAI-kaun si taklif...???meri taklif jo is khoon ki shakal liye dikh rahi hai yaa fir teri taklif jo bhale hi dikh nahi rahi,par asar uska mujhse zyada hai...


meri baat sun halka hairan hua VIDEOUS aur...


VIDEOUS-kehna kya chahta hai...???

MAI-tera aaj ka performance kuch khaas nahi tha,right....!!!

aur tu yahan isiliye aaya hai naa kyunki tu dekhna chahta hai ki normal hone ke baad mera performance tujhe behtar hota hai yaa nahi....

VIDEOUS-aur tujhe aisa kyun laga ki mai issi liye aaya hun...??

MAI-bhale hi mai tera dimag padh nahi sakta,tere man ki baatein jaan nahi sakta par shakl dekh situation ko anylize karne ka hunar bohot acche se aata hai mujhe....

aur aaj pehli baar tere chehre par halka sa hi sahi,par frustration chalak raha hai....

aur ye tabhi possible ho sakta hai jab tu.....haara ho......

VIDEOUS-HAAR aur VIDEOUS ek hi sentence me suit nahi hote RAAZ...

aur jis haar ki tu baat kar raha hai,wo us coma ki tarah hai jisse sentence bas ek pal ke liye atakta hai,rookta nahi...

ye hurdle bhi mai paar kar hi lunga aur jaisa hota aaya hai,wo ek baar fir hoga...mai jeet jaaunga...

MAI-kitna dillusional hai tu..kaun se hamesha ki baat kar raha hai tu...???

chal,tere hi diye example se samjhata hun tujhe...

laakhon saal pehle jab tune apni shartein manwayi thi,wo waqt bhi ussi coma ki tarah tha jisse tere saamne waale sirf atke the,rooke nahi the...

par haan,tujhe hamesha ke liye rokne ki khaatir un DONO ne ek fullstop ka nirman kiya...

aur wo fullstop tere saamne khada hai....tu ussi din haar gaya tha jis din meri utppati hui thi...

VIDEOUS-bohot badi galatfehmi hai tujhe RAAZ...tera sirf naam RAAZ hai,par tere saamne jo khada hai,wo pura ka pura RAAZ hai...

tu jeet jaaye,mujhe pata hai ki iske liye tu bohot si chizen karega par mai naa haarun,iske liye mai pehle hi bohot kuch kar chuka hun...

VIDEOUS ko harane ka khwab dekhna chhod de RAAZ kyunki..



aadhi adhuri kahani
mai LIKHTA nahi....

VIDEOUS khud wo RAAZ hai,
jisse tu samajh SAKTA NAHI....

nichod mujhe jo mere astitv ko mita de,

wo nazar aur jigar tu RAKHTA NAHI....












AAJ KE LIYE ITNA HI......











AAPKA APNA V...J......
Fabulous update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
A
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NORMAL HONE KE BAAD VIDEOUS APNE PEHLE CLASS KE TASK ME FAIL HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KI KOSHISH BHI FAIL HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-72



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS COLONY





HEY MAHI... WHAT'S UP....????


shaam ka waqt hai.... MAHI apne ABODE se kuch door bane ek bohot hi khubsoorat garden me neeche ghaans par baithi uske aas paas jo darjano varieties ke alag alag phool uge hue the,unhe dekh kuch soch hi rahi thi ki tabhi uske piche se awaaz aayi jisse sun jab wo piche palti toh...


MAHI-VIDEOUS,tum yahan...????


thoda surprise hote hue kahi thi ye baat MAHI ne jispar...


VIDEOUS-haan mai..kyun???kya mai yahan nahi aa sakta....!!!!


apni baat kehte hue VIDEOUS MAHI ke paas aa gaya tha aur fir wo bhi MAHI ki hi tarah neeche ghaans par baith gaya....

wahin uske sawal ko sun...


MAHI-well, logically toh nahi..tumhe yahan aane ki zaroorat nahi padni chahiye kyunki tumne bataya tha ki tumhara ABODE pichle lane me hai jo yahan se kareeb ek kilometer door hai...

aur thik aisa garden wahan bhi moujud hai..infact har lane me ek aisa hi hubahu garden bana hai,fir bhi tum apne ABODE ke paas waale garden ko chhod kar yahan aaye ho,toh logically ye galat hi hai naa...

VIDEOUS-fir is lihaz se toh tumhare logics bhi galat hue...kyunki maine kuch dino pehle tumhe bhi mere lane waale garden me dekha tha...


VIDEOUS ki baat sun muskura uthi MAHI aur...


MAHI-haan..mai tumhare lane ke garden me gayi thi..infact me yahan ke har lane me bane gardens me jaa chuki hun...

VIDEOUS-puch sakta hun kyun??

MAHI-puch toh liya....par pehle tum batao ki tum yahan kya kar rahe ho....???

VIDEOUS- curiousity.... jab mujhe pata chala ki yahan hamare STELLAR'S colony ke har lane me ek ek aisa garden banaya gaya hai jahan universe ke har living PLANET me hone waale phool ugte hain toh mera man kiya ki kyun naa check kiya jaaye sabhi garden ek jaise hain yaa fir kisi garden me kuch aisa bhi hai jo baakiyon me nahi hai...

MAHI-no way...arre mai bhi isiliye hi sabhi gardens ko checkout karti rehti hun.. infact yahan ki har jagah aur un jagahon ki history ke baate me janane ki kosish karti hun mai...

VIDEOUS-now that's a coincidence... mujhe bhi hamesha kuch naya janana aur sikhna acha lagta hai....


VIDEOUS ki baat sunkar MAHI muskura di...usse acha laga ye jaankar ki koi toh hai jo uski hi tarah sochta hai....

warna ALFREEN aur MABEL toh kabhi kabhi uski hadh se zyada curious nature ko lekar usse chhidhati rehti hain...

khair, VIDEOUS ki baat sunane ke baad...


MAHI-ek sawal hai jo kaafi time se mai tumse puchna chahti thi....???puchun...???

VIDEOUS-sure..go ahead...

MAHI-jab SOVEREIGN ne tumhe introduce karwaya tha,tab unhone kaha tha ki kuch personal reasons ki wajah se tum last PHASE join nahi kar paaye the..

can i know the reason...???

VIDEOUS-mai apne PLANET me apne parents ke saath ek forest me rehta tha...aur yahan ke hisaab se pichle saal mere parents lapata ho gaye the...

ussi waqt mujhe yahan aane ka bulawa aaya tha par mujhe apne parents ko dhundna tha isiliye mai yahan nahi aana chahta tha...

isiliye SOVEREIGN mujhse milne aaye aur meri problem ko dekh aur samajh unhone kaha ki agar mai chahun toh wahin apne PLANET me hi yahan ke task ki practice kar sakta hun...

unhone mujhe tasks ke baare me bataya aur unhe karne ka tarika bhi samajhya...

saari cheezon ke baare me jaan mai yahan aane ke liye behad excited feel kar raha tha but mujhe apne parents ko bhi dhundna tha, isiliye mai nahi aa paaya...


jahan VIDEOUS ke parents ka sun MAHI ko bura laga wahin ye jaankar ki VIDEOUS bhi ussiki tarah ek forest me pala badha hai,usse acha bhi laga tha..

MAHI-toh fir kya tumhare parents??

VIDEOUS-nahi...i didn't find them....


MAHI ke sawal ko samajh VIDEOUS ne jawab de diya...


MAHI-ohh..really feeling sorry for your loss....

but kya SOVEREIGN ne tumhare mom dad ko khojne ki koshish nahi ki..unke liye toh ye koi badi baat nahi hai...

VIDEOUS-nahi..unhone kaha ki unhe aisa karne ki ijazat nahi hai....

MAHI-thats rediculous...itni shakti hone ka kya faayda jab wo kisike kaam nahi aa sakti...

VIDEOUS-theek hi hai naa..ye bhi ek lesson hi hai ki khudko itna strong banao ki kisiki help leni hi naa pade...

MAHI-i disagree...koi kitna bhi taakatwar kyun naa ho jaayen,par kabhi naa kabhi help ki zaroorat har kisiko padti hai...

VIDEOUS-help bhi do tarike ka hota hai MAHI..ek jo maanga jaaye,aur dusra jo bina maange mil jaaye..

maangna,iska matlab hai weakness aur bina maange mil jaane ka arth hai to be powerful...

aur ye jo dusra tarika hai naa,iske kaam me laane ke liye strong, bohot strong,sabse strong hona padta hai...

always remember MAHI...agar tum sach dheere se bhi bologe toh koi nahi sunega par agar jhooth chilla chilla kar bhi kahoge toh har koi naa sirf sun bhi lega balki us jhooth ko sach maan kar vishwas bhi kar lega....

MAHI-damn man...apni age se bohot zyada badhkar baatein karte ho tum....i am impressed...

VIDEOUS-well thankyou...waise ab kya mai kuch puch sakta hun...???

MAHI-ab itna acha gyan diya hai tumne,toh mana kaise kar sakti hun mai...???


MAHI ki baat sun halka sa muskuraya VIDEOUS aur...


VIDEOUS-mai jab tumhare paas aa raha tha tab maine gour kiya ki tum ek hi jagah par bina palke jhapkayen dekh rahi thi..

aksar aisa tab hota hai jab hum kuch deep sochte hain...??kya soch rahi thi tum...???

MAHI-hmm...haan soch rahi thi mai....mai us reason ko talash rahi thi jis wajah se last PHASE ke mukable is PHASE me meri ability kam padh gayi hai....


HAHAHAHA.....


MAHI ki baat sun hans diya VIDEOUS jisse sun hairani se uski taraf dekhne lagi MAHI aur jab VIDEOUS ki hasi rooki toh..


MAHI-aisi kaun si hidden code chuppi thi meri baat me jisse sun has diye tum...???

VIDEOUS-code...!!!tumhari puri baat hi mazak thi..

MAHI-matlab...!!!!!

VIDEOUS-ek baat batao..agar bike fuel se chalti ho..bike ki average 50 ho toh ek litre fuel me wo kitni door jaayegi...

MAHI-what kind of a question is this..???50 hi jaayegi,aur kya..???

VIDEOUS-par agar distance 100 km ho par fuel ek litre hi daali gayi ho toh kya bike apni destination tak pahunch jaayegi...

MAHI-nahi...

VIDEOUS-par bike aadhe me hi rook jaaye toh kya iska matlab ye hai ki engine ki shamata kam ho gayi...???

MAHI-bilkul nahi...shamata wahi hai,petrol kam pad gaya hai...but what's the connection...???

VIDEOUS-connection is ki us bike ki hi tarah tumhari efficiency ya shamata kam nahi hui hai,bas tumhe tumhare destination ki doori badh gayi hai...

first PHASE ki doori 50 km ki tarah thi,jahan tumhari bike bina kisi problem ke pahunch gayi par ye PHASE 100 km jitna door hai...

aur isiliye petrol yaani effort zyada lagega madam...


VIDEOUS ki baat sun MAHI ektak uski taraf dekhne lagi....

dekh toh VIDEOUS bhi sakta tha MAHI ko par main baat toh ab karni thi usse aur isiliye...


VIDEOUS-par mujhe nahi lagta ki tum zyada effort laga paaogi...???

MAHI-kyun..???kyun nahi laga paaogi...

VIDEOUS-ek old saying hai ki if u wanna better urself,then be with people who are better than u...

par tum aisa kar paaogi nahi,toh fir growth rate badhne ke chances kahan se honge...???

MAHI-are you mad or what..??tum keh reh ho ki mujhe apne friends ke saath nahi rehna chahiye...???

VIDEOUS-mujhe laga hi tha ki tum aisa hi kuch sochogi..mere bolne ka matlab tha ki jitna waqt tum apne frnz ko,aur apne kareebiyon ko deti ho,tumhe us waqt ko kam karna chahiye...

jitna ho sake utna kam....taaki us waqt ko tum utilize kar sako apne skills ko nikharne me...and if you want any help in that, I'll help you...


VIDEOUS ki kahi baat par MAHI sochne lag gayi thi aur aisa hote dekh...


VIDEOUS-dekho,mujhe nahi lagta ki is baare me zyada sochne ki zaroorat bhi hai..tu achieve something big,we all have to make sacrifices...

haan,agar tum ye soch rahi ho ki agar tumne apne friends ko kam waqt diya toh wo bura maan jayenge toh fir mere hisaab se toh true friends mom dad ki tarah hote hain..

jaise humare ache progress ke liye hamare mom dad hume khudse door boarding tak me bhejne se nahi katrate thik waise hi true friends bhi hamare passion ko aur us passion ke liye hume jo karna hota hai,un saari chizen ko naa sirf samajhte hain balki support bhi karte hain...

example main khud hun....mai jahan se hun,wahan par mera bhi ek jigri dost tha..hum bachpan se hi saath the aur jab usse pata chala ki mai yahan aane waala hun toh woh bohot sad ho gaya tha par phir bhi he supported me...


EXAMPLE.... VIDEOUS ne jo example diya tha,wo us nishane ki tarah tha jo apne spot ko kabhi miss nahi karta,yahi wajah thi ki MAHI ki soch aur gehri hone lagi thi..


MAHI-shaam dhal rahi hai...i think mujhe jaana chahiye..bye....


apni baat keh MAHI uthi aur apni soch ke saath apne ABODE ki taraf nikal gayi...

wahin uske uthkar jaate hi....


VIDEOUS-mai bhale hi tere dimag me jhaank nahi sakta par khel toh sakta hun...

tujhe apne saath mila paaun yaa naa mila paaun,par baakiyon se toh tujhe mai alag kar hi dunga....

teri taakat ki hadh nahi dikhti mujhe par akela kar tujhe mentally kamzor
bana dunga mai....






PLACE-THE BREEZE




WOW MAN....KYA JAGAH HAI YAAR.....


saamne ke scene ko dekh hadh se zyada impressed ho kahi thi ye baat SLUNDER ne....

THE BREEZE....

ye ek arificial SEA SWIMMING POOL zone hai.....

kareeb 20 acre me faila ha ye pool zone...

jisme se 9 acre artificial lehre paida karte sea ne ghera hua hai aur baaki bache 1 acre me snack stalls aur group chill areas bane hue hain...

aur filhal shaam ka waqt hai...unlike STELLARS, GROOMERS ko chaaron LUXURY GATEWAYS milte hain,har gateway ka use wo mahine me sirf do baar hi kar sakte hain...

ETHRIUM ke is mahine ka use ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ bowling club aur poison pub me kar chuke the isiliye aaj unhone BLUE COIN ko use me laane ki sochi aur isiliye hi teeno yahan THE BREEZE naam ke is ARTIFICIAL SEA SWIMMING POOL zone me aaye hain aur yahan ka behatarin nazara dekh SLUNDER ne ye baat kahi thi jispar...


ACCHUTA-bhai,ekdum khari baat boli hai tune.... pehli baar itni khubsoorat machliyon ko paani ke andar nahi,baahar ghumte dekha hai...


chaaron taraf kaafi beautiful girls thi jinhe dekh ACCHUTA ne ye baat kai thi jispar...


SLUNDER-abbe tharki..saale jab dekho ladkiyon ko dekhkar laar tapkata rehta hai..

mai saamne bane us arificial sea pool ki baat kar raha hun...

ACCHUTA-yahi toh fark hai tujhme aur mujhme..

tujhe arificial chizen pasand aati hain aur mujhe,kudrat ki banayi natural khubsoorati bhaati hai...


ACCHUTA ki baat par SLUNDER kuch kahe ki usse pehle hi...


MAI-ek ek thappad kaafi hoga shayad tum dono ke dimag ko aur mooh se har waqt nikalne waale bakwas ko thikane lagane ke liye...


waise toh baat maine normally kahi thi,par jo kahi thi,uske sach hone ke baad ke haal ko feel kar...


ACCHUTA-haan naa bhai,ye saala jab dekho bakwas hi pelta rehta hai..

ab jo karne aayen woh karna chhod baaki sab karega ye..


ye bol bina kuch sune sea pool ki taraf bhaaga ACCHUTA aur uske piche rook bolta hua doud pada SLUNDER...

wahin un dono ke piche chalta hua mai bhi pool ke paas pahunch gaya...


ACCHUTA aur SLUNDER ne ab tak apna top wear utar diya tha aur kood chuke the sea pool me aur unke piche maine bhi apna t-shirt utara aur paani me utar gaya.....

thik ussi waqt humse thodi door...


WOW...NOW THAT'S WHAT I CALL REAL HOTNESS...


ye shabd dheere se hi sahi,par nikle the MORANA ke mooh se jo pool se thodi door right taraf bane ek group rest me apne group ke saath baithi hui thi...

wahin uske baaju me baithe ANWIR ne uski baat thik se suni nahi isiliye..


ANWIR-hmm, what..???kuch kaha kya tune...???

MORANA-nothing..mai pool se aati hun...

ANWIR-arre,abhi toh aaye hain,fir mood ho gaya kya..???

MORANA-asli mood toh abhi hua hai..tu chill kar,mai aa rahi hun..


apni baat keh MORANA pool ki taraf yaa fir ye kahun ki meri taraf chal padi...

wahin MORANA jis taraf gayi,jab ANWIR ne us taraf dekha toh usse pool ke us area me mai dikha jiske baad wo MORANA ke mood me aane ka reason samajh gaya...

wo bhi uthkar MORANA ki taraf aane hi waala tha ki...


BUDDY,THIS IS THE GUY I WAS TALKING ABOUT...


ANWIR ke ek friend ne kahi thi ye baat usse jisse sun ANWIR ki apne dost ke saath khade ladke par nazar gayi aur..


ANWIR-toh tu hai VALDIS.....




MORANA:-



MAI-what are you doing...???


apne peeth par kisike touch ko feel kar jab mai piche palta toh dekha ki MORANA theek mere piche khadi mujhe dekh rahi hai...

aur isiliye maine ye baat kahi jispar....


MORANA-paani thanda hai toh socha ki kuch HOT touch kar lun...


ab MORANA ka haath mere chest par tha jisse mai hathane hi wala tha ki tabhi meri nazar MORANA ke theek piche thodi door baithe ANWIR par gayi jo hume hi dekh raha tha aur filhal uski aankhon me ghussa tha aur ye dekh..

MAI-hotness sirf tumne chhua hai..mehsoos karna baaki hai...

MORANA-toh karado mehsoos....i would love to feel it...


MORANA ki baat khatm hote hi maine uske waist ko pakda,usse kheecha aur uske agle hi pal hum dono pool ke paani ke andar the...

filhal hum 5 feet paani me hi the par kuch aage paani gehra hone waala tha..

mai filhal ulta tha aur MORANA mujhse chipke mere upar..usse issi position me pakad mai paani ke andar hi andar aage badh gaya tha...

meri body ek saamp ki tarah lachakte hue jisse MORANA ki bhi body judi hui thi,usse ragad khaa aage badh rahi thi..


aapko yaad hoga ki EARTH me apne orphanage ke aage ek lake tha jahan mai ghanto baitha karta tha..

ussi lake me maine ye karna sikha tha...is tarah swim karne se thand me bhi ek garmahat mehsoos hoti hai aur kyunki meri body se MORANA ki body constant ragad khaa rahi thi, isiliye filhal is garmahat ko wo feel kar paa rahi thi...

tairte hue maine ek pura circle cross kar liya tha . kyunki paani crystal clear tha aur iske andar bhi dekha jaa sakta tha,isiliye is pure douran MORANA lagatar mujhe dekh rahi thi...

paani ke andar hi andar tairte hue hum wapas wahin pahunch chuke the jahan se ye swimming humne shuru kiya tha aur isiliye paani k baahar aa...


MAI-garmi....mehsoos hui......

MORANA-bohot ache se..par thoda sa aur mehsoos karna reh gaya hai...

MAI-so once more...

MORANA-zaroorat nahi hai..bacha part yahin pura ho jayega..


ye bol apne honth mere honthon ki taraf badha diye MORANA ne....




BACK TO ANWIR:-




VIDEOUS-us raat tune jo un dono
WEAKLINGS looser ke saath kiya tha,wo bataya mujhe isne...

and i like it...wo baat bhi mujhe pasand aayi aur tu bhi.. isiliye aaj se tu hamare group me...the strongest and the most powerful group of CHOSENS...

so welcome to the gang...

VALDIS-thanks brother..maine bhi bohot suna hai aapke group ke baare me and it's an honor to join you guyzz...

ANWIR-aa baith..have a drink...


VALDIS turant ANWIR ke baaju me baith gaya jiske baad ek ek drink ke saath wo apni baaton me lag gaye..

par un baaton ke dauran VALDIS ne gaur kiya ki ANWIR baar baar pool ki taraf dekh raha hai aur jab us direction me uski bhi nazar gayi toh wo chownka kyunki wahan khada tha RAAZ MORANA ke saath aur uske thode aage apne me hi khoye masti kar rahe the ACCHUTA aur SLUNDER....


VALDIS-ye toh wo looser RAAZ hai..ye MORANA ke saath kya kar raha hai...???

ANWIR-tu jaanta hai isse...???

VALDIS-ofcourse..isse hi maarna chahta tha mai us raat par ye nahi aaya toh iske dono doston ko,jo uske thode aage khade hain,unhe maara maine...

ANWIR-toh isse kyun chhod diya..baat me mouka dekh isse bhi baja deta...


ab ANWIR ko VALDIS ye toh bata nahi sakta tha ki wo RAAZ ko maarna toh door,hila bhi nai paaya tha.. impression down ho jaani thi lounde ki toh isiliye....


ANWIR-bohot baar try kiya maine par ye saala kabhi akele me mila hi nahi..har waqt kuch log hote hi the iske saath...

ANWIR-aaj toh akela hi hai...bas wo dono looser dost hi hain saath me...aaj iski bhi marmmat kar de...

VALDIS-karna toh chahta hun brother par ek problem hai..wo kya hai naa ki i like a girl aur wo ladki iski achi friend hai toh agar maine isse maara toh ye usse bata dega aur agar aisa hua toh meri love story shuru hone se pehle hi khatm ho jaayegi....

brother,kya tum ye kar sakte ho..isse mai saamne bhi nahi aaunga aur meri khwahish bhi puri ho jaayegi...

ANWIR-bilkul chote..ab tu hamare group me hain...itna toh banta hai...




BACK TO MORANA:-




MAI-itni bhi kya jaldi hai...honth mile,isse pehle hum thik se mil len toh behtar hoga...


isse pehle ki MORANA ke honth mere honthon ko chhute,maine apne honth ke aage ek ungli rakh di jisse takraye MORANA ke honth..


wahin meri baat sun MORANA ne meri us ungli ko hi chum liya aur...


MORANA-MORANA ko mana kar rahe ho tum...waise toh ye meri khubsoorati ki insult hai par i like tough guyzz...

intezar rahega agli mulakat ka...


ye bol meri wo ungli jo ab bhi mere aur MORANA ke darmayan thi,usse halka sa lick kar palat gayi MORANA....

aur aisa hote hi..


MAI-chalo guyzzz...kaafi late ho gaya hai..


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER jinhone mere aur MORANA ka pura action miss kiya tha,wo meri taraf palte aur fir we were out of the pool....




GROOMERS PARKING:-



ACCHUTA-bhai,maza aa gaya yaar.....

SLUNDER-haan,mujhe toh laga tha ki tu pura time ladkiyon ko taadne me hi nikal dega..

par thank god aisa nahi hua...

ACCHUTA-saale,mai kya bol raha hun aur tu kya bol raha hai...???maza aaya ki nahi,ye bata...

SLUNDER-arre puch mat bhai..bohot maza aaya...


ABHI TOH AUR MAZA AAYEGA LOOSERS....


hamare piche se aayi thi ye awaaz jisse sun jab hum piche palte toh dekha ki kuch 10 bande hamare paas aa rahe the...


ACCHUTA-ab ye kaun hai yaar.saalon ki aankhon me humare liye khunnas dikh raha hai...

SLUNDER-abbe ye PHASE 3 ke WICKEDS hain..pure CHOSENS ke sabse bad group ke bande hain ye...

maine bohot suna hai in logon ke baare me..

ACCHUTA-par humne inka kya bigada hai bhai jo hume aise ghoor rahe hain ye....???

SLUNDER-abbe WICKEDS hain ye..inhe reason nahi chahiye hota kisika kuch bigadne ke liye..

par fir bhi, right side ke dono teeno bando ko dekh..ye teeno wahin hain jinhone us raat VALDIS ka saath diya tha hume maarne ke liye...

ACCHUTA-abbe haan...saalon ne us din gher kar marwaya tha hume..par koi nahi,aaj RAAZ hai humare saath..aaj pelenge inhe...


yahan ye dono baat kar rahe the aur wahan ANWIR aur uske chele chalte hue thik humare saamne aakar khade ho chuke the...

ANWIR thik mere saamne khada meri aankhon me jhaank mujhe ghoor raha tha par jab usse meri aankhon me naa dar dikha naa pareshani toh...


ANWIR-kya baat hai...mujhe toh laga tha ki jab mai tere saamne aaunga toh meri aankhon me dekh teri aankhon me khouf aa jaayega par tu toh bilkul dara nahi....

ACCHUTA-beta dar kya hota hai,ye abhi jaanta nahi tu..abhi tu isse ghur raha hai, agar ye tujhe ghoorne lag gaya naa toh apna lu**d apni hi ga**d me ghusa baithega tu..


ACCHUTA ki baat sun ANWIR kuch kahe ki usse pehle un teeno me se ek jinhone VALDIS ki us raat madad ki thi,wo bol utha...


LADKA-bhai,iski zuban bohot zyada chalti hai..us din bhi ye iske baare me aisi hi baatein kar raha tha ki agar ye wahan hota toh hum kuch nahi kar paate...

ANWIR-acha..itni badi top hai ye...zara dekhen toh....


CHATTAKKHHH......


apni soul ki taakat se maara tha ye thappad ANWIR ne mujhe jiske baad mai ghumte hue piche jaa gira...

thappad ke impact se mere gaal phat chuke the,itna hi nahi mujhe chakkar bhi aa gaya tha jiski wajah se niche girne ke baad mai uth bhi nahi paa raha tha..

wahin ANWIR ke thappad se meri haalat dekh shocked ho gaye ACCHUTA aur SLUNDER..

unhe waise bhi kuch dino se meri haalat dekh mujhpar shak ho raha tha aur abhi jo hua tha,usse dekh inhe yakin ho gaya tha ki something is wrong with me...

khair,wo dono turant mere paas aaye aur..


ACCHUTA-RAAZ...tu thik hai bhai..yaar tujhe ho kya gaya hai..aise aire gaire bhi maar de rahe hain tujhe...


ACHHUTA ki baat sun bhadak gaye ANWIR aur uske saathi...


LADKA 2 -saale teri zubaan bohot chalti hai..teri toh aaj special marramat karunga mai..

ANWIR-ye dono tum sabke. bas is RAAZ ko koi haath nahi lagayega...ye mera shikar hai....

ye bol ANWIR ne apna haath meri taraf kiya aur apne ANGRY REFINER ke tahat SAMPURN KRODHAM spell ke saath ASUKA spell ko merge kar man hi man uccharit kiya ANWIR ne jiske baad uske haathon se ray nikal meri hody par padi aur....

meri puri body dard ki adhikta se vibrate karne lagi....pura sharir kaamp raha tha mera par ANWIR lagatar is pain spell ko mujhpar use karta raha...

wahin ACCHUTA aur SLUNDER par toh ANWIR ke saathiyon ne spell bola hi nahi tha...

wo sab un dono par laath aur ghusse barsane lage the..

ACCHUTA aur SLUNDER ne retaliate karne ki koshish ki par WICKEDS jaise strong bando ke aage unki chalne toh wali thi nahi isiliye kuch hi seconds me unka retaliation kham ho gaya aur aisa hote hi wo dono bhi un sabke punching bags ban chuke the...

pure lahun luhan ho chuke the ACCHUTA aur SLUNDER aur unki haakat dekh..


ANWIR-yaar, taklif bhale tujhe zyada ho rahi hai par jo haalat tere in dono doston ki hain naa,mujhe tujhe bhi us haalat me dekhna hai...


apni baat keh mujhe apne magic se khada kiya ANWIR ne aur aisa hote hi..

DHOOB,DHOOB,DHOOB......


ek ke baad ek kamsekam 50 punches maare mere chehre,chest aur pet me ANWIR ne jiske baad meri haalat ACCHUTA aur SLUNDER se bhi kharab ho chuki thi..

par in sabke beech ek chiz thi jisne ANWIR ko hairani me daala hua tha aur wo ye ki itni maar aur punishment ke baad bhi mere mooh se ek awaaz nahi nikli thi..

ye pura torture maine chupchaap saha tha....khair, ANWIR ke punch se dil bharte hi usne apna magic hata diya jiske baad meri body lehrate hue niche gir gayi...


ACCHUTA aur SLUNDER,wo dono toh pehle hi behosh ho chuke the,aur ab neeche girte hi meri aankhen bhi band ho gayi jiske baad ek baar meri haalat par has ANWIR aur uske saathi wapas jaane ke liye palat gaye....

par un sabne kuch kadam hi aage badhaye the ki tabhi....


MAI-A...N....W.....I......R.......


apni bachi saari taakat batorkar cheekha tha mai jiske baad jab ANWIR palta toh hairan ho gaya...

reason...

mai apni jagah par khade hone ki kohish kar raha tha jisme baar baar mai ladkhada jaa raha tha par finally mai khada ho gaya aur....


MAI-itna toh maar ki mai kamsekam behosh toh ho jaaun....

taaki tujhe jaan se maarte waqt mujhe ye yaad rahe ki kamsekam tune kuch bura kiya tha mere saath...

kyunki abhi tak jo tune kiya hai,wo toh mere liye bas training thi....ab iske liye tujhe jaan se maar dun,toh maza nahi aayega mujhe...


bohot simple way me kahi thi maine ye saari baat par intensity ab bhi meri baaton me pehle jaisi hi thi jisse sun ek pal ke liye hi sahi, ANWIR aur uske saath uske saathi boukhla se gaye the..


ANWIR-kya bakwas kar raha hai tu...training....!!!kaisi training...????

MAI- REFINER activation ke waqt bohot taklif hoti hai...sehen nahi hota wo pain aur task adhure me hi reh jaata hai...

tere spell se jo pain hua tha mujhe,fir tere physical hone se mila pain,wo pain bhi kuch kuch waisa hi tha par dekh bina mooh khole bina behosh hue jhel liya maine sab...

LADKA 2-abbe kya bakwas kiye jaa raha hai...rook teri toh mai...

MAI-na na na na... tujhe ye dono maarenge..meri maar tu seh nahi paayega...

mujhe isne maara hai,aage bhi haath yahi lagayega....mool kisi aur ko,aur byaj kisi aur ko nahi diya jaata..

mool tune diya hai,byaj bhi tu hi de.....waada raha,ek naa ek din sudh samet chuka dunga mai....


hakke halke lehrate hue bol raha tha mai ye saari baatien jisse sun behad ghusse se aage badha ANWIR aur...

ek ke baad kayi punches diye usne mujhe aur fir finally mere sir ko usne apne knee par maara aur aisa hote hi kisi kate ped ki tarah jhoomta hua gira mai...

firse mujhe laath maarne ke liye usne pair aage badhaye hi the ki tabhi.....


LADKA 1-rehne de yaar..aur maara toh mar jaayega...


apne dost ki baat sun ANWIR apne pair wapas kheenchne ko hua par tabhi maine uske pair ko hawa me hi pakad liya...

aankhen bhaari ho chuki thi meri, behoshi mujhpar sawar hone hi waali thi par behosh hote hote mere mooh se nikle aakhri lines...


MAI- mai toh zinda hun par.....



galatfehmi mat paalna ki tujhe,
zinda CHHOD DUNGA MAI....

wo hawa jisse tu saans leta hai,
uska rookh bhi MOD DUNGA MAI...

sharir toh teri kategi hi par itna kaafi nahi,


jism ke saath saath teri rooh ko bhi,
NICHOD DUNGA MAI.....











AAJ KE LIYE ITNA HI......











AAPKA APNA V...J......
Awesome update bro
 
Top