• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Bhai vj4u this is called a mind blowing, fabulous & out of the box update, what a terrifying revelation you had done, that Florian & Mariya are the parents of RAAZ (never expected that twist), it will be really very interesting to watch, how MAHI will manage to save RAAZ's life.....

brother vj4u congratulations for 900+ Page's, may you cross 2000+ Page's with lot's of interesting and shocking updates.

Looking forward for more wonder updates.... ✌✌

#Respect&Peace
thanks mate..yup, lot's of surprises are yet to unfold..hope you will like each one of them..be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Yᴇ ᴋʏᴀ ʜᴏ ʀᴀʜᴀ ʜᴇ ᴠᴊ ʙʜᴀɪ
ɪᴛɴᴀ ʙᴀᴅᴀ ʀᴀᴀᴢ ᴋʜᴜʟ ɢᴀʏᴀ ʀᴀᴀᴢ
ᴋᴀ

ᴍᴀʀɪʏ ᴏʀ ғʟᴏʀᴇᴇɴ ᴋᴀ ʙᴇᴛ ʀᴀᴀᴢ ʜᴇ
ʏᴇ sᴜʙ sᴇ ʙᴀᴅɪ ᴍɪsᴀɪʟ ᴄʜᴏᴏᴅɪ ʜᴇ ᴀᴀᴘɴᴇ ʙʜᴀɪ

ᴇᴋ sᴇ ʙᴀᴅ ᴋᴀʀ ᴇᴋ ʀᴀᴀᴢ ᴊᴏ ʜᴀᴍɴᴇ sᴏᴄʜᴇ ʙɪ ɴᴀʜɪ ᴛᴇ ᴡᴏ sᴀᴍʙᴇ ᴀᴀʀᴀʜᴇ ʜᴇ

ʙʜɪ ᴊᴜʙ ᴍᴀʀɪᴀ ᴏʀ ғʟᴏʀᴇᴇɴ ᴋᴏ ᴘᴀᴛᴀ ᴄʜᴀʟᴇɢᴀ ᴛᴜʙ ᴜɴᴋᴀ ᴋʏᴀ ʀᴇᴀᴄᴛɪᴏɴ ʜᴏɢᴀ
ᴀʟғʀᴇɴ ᴋᴀ ʀᴇᴀᴄᴛɪᴏɴ ᴋʏᴀ ʜᴏɢᴀ

ᴀᴀᴊ ʀᴀᴀᴢ ᴋᴏ ᴘᴀᴛᴀ ᴄʜᴀʟ ɢᴀʏᴀ ᴋᴇ ᴡᴏ ᴇᴋ ʀᴏʙᴏᴏᴛ ɴᴀʜɪ .

ᴠᴏʙɪ ᴋɪsɪ ᴋɪ sᴀɴᴛᴀɴ ʜᴇ
ᴏʀ ᴜsᴋᴇ ᴍᴏᴍ ᴅᴀᴅ ʙɪ ʜᴇ
.ɢᴀᴊᴀʙ ʙʜᴀɪ ɢᴀᴊᴀʙ
ɪs sᴛᴏʀʏ ᴋᴀ sᴀʙsᴇ ᴀʟᴀ ᴅᴀʀᴊᴇ ᴋᴀ ᴜᴘᴅᴀᴛᴇ ʜᴇ ᴠᴊ ʙʜᴀɪ ..

ᴇᴋ sᴀʟᴜᴛ ʙᴀɴᴛᴀ ʜᴇ ᴠᴊ ʙʜᴀɪ ᴀᴘᴋᴇ ʟɪʏᴇ
❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎❤︎
☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎☻︎
☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎☺︎︎
♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎♥︎
thanks for appreciating brother...saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......















AAPKA APNA V...J....
 

Kingsingh

Enigma's fan
883
3,702
123
😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭
Yeh kya tha bhai ek anath bache ko uske maa baap mile bi to iss shart ke sath ki vo khud apne hatho se unke pran lega. Bhai ye kya kar diya aapne , Browny, Hida, Acchuta aur Slunder ka to chalo phir bi theek tha par apne maa baap ko marna, ye to Raaz ke liye sabse badi saza hogj aur ab Alfreen bi uski jaan ki dushman ban jayegi . Ab VIDEOUS ko to khud kuch karne ki jarurat hi nahi padegi . Ander se toota hua Raaz ab insaare dosto se kaise ladega , aur kya hi sambhal payegi Mahi Raaz ko.
Waiting for the next update.
 

23n24

Member
432
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS APNE DEVOTEES KE SAATH MILKAR ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KO RAAZ KE KHILAAF KAR DETA HAI JISKI WAJAH SE WOH CHAARON HI RAAZ KO MAARNE KA FAISLA KARTE HAIN.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-119



PLACE-HEAVEN



RAAZ AUR MAHI,DONO KA WAQT AA CHUKA HAI....

RAAZ AISI HAALAT ME NAHI RAHEGA KI APNA VIVEK SAMBHAL SAKE, ISILIYE AAGE KYA KARNA HAI,YE TUMPAR HAI..

AUR TUM ACHI TARAH SE JAANTI HO KI TUMHE KYA KARNA HAI....


LORD OF ANGELS ke aage jhuki hui thi is waqt griffin jisse kahi usne ye baat jispar..


GRIFFIN-agar LORD ki ijazat ho toh kya mai ek sawal puch sakti hun...???

VIKRAM-pucho....!!!??

GRIFFIN-kya is baat ki sambhavana nahi hai ki VIDEOUS ke waar se RAAZ aur MAHI ka hi anth ho jaaye...!!!

VIKRAM-bilkul hai...asal me aisa hone ki sambhavna zyada hai...

par is khel ko iske sabse ehem aur antim charan tak agar pahunchana
hai toh ye jokhim uthana hi padega...

agar RAAZ aur MAHI bach gaye toh ye kahani chalti rahegi par agar khatm ho gaye toh ye kahani aur hamara varchasva,dono hi saath me khatm honge...


bohot badi baat keh di thi VIKRAM ne,par GRIFFIN dekh rahi thi ki itni badi baat bolte waqt bhi VIKRAM ke face par halki si bhi shikan nahi thi..

naa koi doubt,naa pareshani...bilkul shaant aur chamakta hua chehra jiske piche aashiyana banaye hue tha bramhaand ka har RAAZ....





PLACE-UNKNOWN






YE KAISI JAGAH HAI,AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCH GAYA....!!!!


halki dhundh se ghiri jagah ko chaaron taraf nazaren ghuma kar dekhte hue kahi thi ye baat maine...

ek behadh khaali jagah jahan door door tak chaaye dhundh ko chhod naa toh kuch nazar aa raha tha,aur naahi kisi bhi chiz ki awaaz sunayi de rahi thi,wahan khada tha mai..

kaafi der tak is nayi aur ajeebogarib situation ko samajhne ki koshish karta raha mai par phir jab kuch bhi samajh me nahi aaya toh maine aage badhne ki sochi aur apne kadam saamne ki taraf badha diye....

par tabhi....

kadam aage badhate hi mere dil me ek ajeeb si harkat hui jiske agle hi pal mere dimag me ek disha ki taraf badhne ki baat uth gayi aur mere kadam apne aap hi dimag dwara bataye us raaste ki taraf badh gaye...

jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,waise waise mujhe aisa lag raha tha jaise mai apne anjaane manzil ke kareeb pahunch raha hun aur phir achanak se mere pair rook gaye...

reason.....

dhundh ke beech mujhse kuch door ek round sa gate dikh raha tha jaise koi bada sa safe..

ek pal us safe jaise gate ko dekh mai uski taraf badh gaya aur thik uske aage pahunch khada ho gaya..

us safe numa gate me koi handle yaa koi opening substance nahi tha isiliye usse kholne ke iraade se maine apna haath aage badhaya aur us gate ko push karne ke liye usse touch kiya aur mere aisa karte hi mujhe laga ek jhatka..

ye jhatka bhi mujhe mere heart se hi laga tha...woh haath jisse mai us gate numa safe ko push karne waala tha,usse apne heart ke upar jahan is waqt jhunjhuni si ho rahi thi,wahan dekhte hue halka rub kiya maine aur phir jab meri nazar wapas saamne us round gate ki taraf gayi toh man hi man mai chownka...

reason....

us round gate ke jiss hisse ko touch kiya tha maine,wahan kuch akshar ubhar aaye the jo the....


"THE PAN-OUT VAULT"


ab ye kya nayi bala hai,ye toh nahi jaanta tha mai,par ye jo bhi hai,mere safar ka hissa hai,iska andaza tha mujhe aur isiliye taaki ye vault khul jaaye,yaa phir ye kahun toot jaaye aur mai iske andar jaa sakun,maine apne moothi bhinche aur apne AMPLIFICATION taakat ke pure zor ko apne moothi me laate hue ek zor ka punch maara maine us vault ko par, result kuch bhi nahi nikla...

tootna toh door ki baat hai,woh vault aur uska woh hissa jisme punch maara tha maine,woh shake tak nahi hua aur ye dekh maine apne emotions ki shakti se punch karne ki sochi..

aur jaise hi apne emotions ki shakti ke ek bade bhaag ko apne moothi me laate hue maine us vault ko punch maara toh...

AHHHH.....

ek tez jhatka laga mujhe aur meri neend toot gayi....

mai jhat se apne bed par uth kar baith gaya aur lambi lambi saansein lene laga..

aur kuch der baad jab mai halka sa normal hua toh ek saath do chizen ghumi mere dimag me..

pehli...

jo bhi maine dekha,woh ek sapna tha..

dusri...

bhale hi mere dekha drishya sapna tha,par jo bhi maine dekha tha,woh bilkul sach tha aur iska suboot tha mera heart jahan mujhe lage jhatke ki wajah se abhi bhi sensetion ho rahi thi..

aur is dusre sach ki jaan mere jabde bheench gaye aur woh isiliye kyunki meri kaam ki chiz jo dekhi thi maine aur bina us cheez ke RAAZ ko jaane khwab toot gaya tha mera...

maine ek baar phirse us jagah par jaane ki sochi... bhale bhi jo bhi maine dekha tha woh ek sapna tha,par us jagah ki chavi abhi mere dimag me puri clear thi jiske zariye mai us jagah par dobara jaa sakta tha aur isiliye apni aankh band kar maine us jagah ka dhyan lagana shuru kiya par tabhi...


ROOK JAAO RAAZ, TUM US VAULT KE ANDAR AKELE NAHI JAA SAKTE,AUR NAAHI ABHI WAHAN JAANE KA WAQT AAYA HAI....

UTHO, INSTITUTION JI TARAF JAO,AAJ BOHOT BADA DIN HAI TUMHARE LIYE...


ek awaaz gunj uthi mere HEART se jisse sun naa sirf aankhen khul gayi meri par saath hi badi bhi ho gayi...

MAI-ab ye kaisi maya hai...???

ye awaazein suni hui hain meri par halki kam khanak ke saath...

kuch toh hai jo saamne hai par dikh nahi raha..parde ke piche bhi parda hai aur parde ke aage bhi....

kaafi der tak alag alag ganit lagane ke baad mai bed se uth gaya aur fresh hone bathroom ki taraf nikal pada bina is taraf dhyan diye ki us AWAAZ ko sun naa sirf mere HEART me ho rahi sensetion turant gayab ho gayi thi,balki aisa pehli baar hua tha ki maine sirf ek AWAAZ ko sun uski kahi baat bina kisi hil hujut ke maan bhi li thi...

ek aur chiz bhi hui thi us awaaz ko sun mere andar jispar filhal toh dhyan nahi gaya tha mera par bohot jald jaane waala tha....



(NOTE:-ACCHUTA, SLUNDER KO VIDEOUS KE THROUGH APNE MOM DAD KE BAARE ME PATA CHALNA,HIDA AUR BRAWNY KE SAATH JO HUA,ABHI RAAZ KO AAYA SAPNA,YE SAB EK HI WAQT ME GHATNE WAALI GHATNA HAI..)






PLACE-CHOSENS





SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....


institution ke garden me ek khaali bench par baithi MAHI ke man me SOVES SHAILA ki kahi bas ek yahi baat lagatar gunj rahi thi..

aur ye sirf abhi ka haal nahi tha.. balki us din THE GREAT HALL me injured hokar behosh hone ke baad jab MAHI ko healing room me hosh aaya toh....





A SMALL FLASHBACK:-




SHAILA-how can a girl with your caliber can act so stupid MAHI..!!!


ek jhidkan si di SHAILA ne MAHI ko jisse sun pehle toh MAHI ka sir neeche ho gaya aur phir....


MAHI-woh actually SOVES...woh challenge ke waqt RAAZ ki taraf...

SHAILA-invisible weapons aa rahe the aur tum lage laga ki woh weapons RAAZ ko hit kar denge...

common MAHI...you say you love RAAZ..aur uski potential ka zara bhi andaza nahi hai tumhe...!!!!

tumhe sach me lagta hai ki aise normal waaron se,attack se RAAZ ko khatra ho sakta hai aur woh bhi life ka...

MAHI,protective hona galat nahi hai par over react karna kahi se bhi sahi nahi hai..you will endup being embarrassed infront of everyone and most importantly RAAZ...


MAHI ki baat ko beech me kaaththe hue kahi apni baat SHAILA ne jispar ek pal khaamosh rehne ke baad....


MAHI-toh mai kya karun WHIZZ...???sach jaankar bhi mai yunhi haath par haath rakh baithe toh nahi reh sakti naa...!!!

SHAILA-iske awala koi chara bhi nahi hai tumhare paas...

MAHI-please SOVES..aap toh itne powerful hain...aapko baaton se pata chalta hai ki RAAZ ke us RAAZ ke baare me aap pehle se jaanti thi...

kya aap RAAZ ki madad nahi kar sakti...!!???

SHAILA-kahani sirf utni hi nahi hoti MAHI jitni nazaron ke saamne dikhti hai...asli kahani woh hoti hai jo parde ke piche chalti hai...

RAAZ ki kahani bhi aisi hi hai..jo dikh raha hai,usse kahin zyada gehri aur chuppi hui...

us kahani me mai kuch nahi kar sakti...


SHAILA ki baat sun chehra bilkul murjha sa gaya MAHI ka...us dil me har pal badh raha dard bhi saaf dikhne laga tha uske face par jisse SHAILA bhi achi tarah samajh rahi thi aur isiliye....


SHAILA-ek choti si help kar sakti hun mai tumhari...meri ek baat ko dhyan se suno,isse RAAZ ko tum bacha sakogi yaa nahi,ye toh certain kiya nahi jaa sakta par haan,jab bhi RAAZ wakayi khatre me hoga,toh us khatre me uske saath khadi zaroor reh paogi tum...


MAHI-itna hi kaafi hai WHIZZ....


MAHI ke murjhaye chehre par SHAILA ki baat sun achanak hi ummid se bhari khushi dikhne lagi thi jisse dekh....


SHAILA-SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....





FLASHBACK ENDS:-




MAHI-aisa kaun hoga jisse RAAZ ko khudpar waar karne ki ummid bilkul nahi hogi.....

HEY GUYZZ,WHATS UP...????


abhi MAHI apne sochon me goom hi thi ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jisse sun jab usne us aayi awaaz ki disha me dekha jahan is waqt do girl WICKED SAVENTS khade the jinhe abhi abhi MORANA ne join kiya tha aur ussine woh baat kahi thi..

jahan MORANA aur uske friends aapsi baaton me busy ho gaye wahin ek baar MORANA ko dekh MAHI wapas apni soch me goom hone ko hui par tabhi MORANA ki ek friend ke mooh se kuch sun MAHI ka dhyan wapas unki taraf divert ho gaya....


WICKED 1-yaar MORANA,ek baat toh bata...tu us RAAZ ke liye serious hai kya...????

WICKED 2-waise banda hai toh serious hone laayak yaar..

MORANA,yaar no offense but mujhe toh usse dekhte hi kayi baar orgasm ho chuka hai...


us WICKED bandi ki baat sun jahan uski friend has padi wahin MORANA ne bas smile kiya aur....

MORANA-usme offense kya yaar..???natural feeling hai,aa gayi toh aa gayi...


MORANA ki baat sun uske dono friends toh has diye par unki baat sun MAHI ka para chadh gaya tha...

beete dino me MAHI ne kayi baar MORANA aur RAAZ ko saath me dekha tha aur us waqt kuch aise moments bhi aaye jab MORANA ka RAAZ ko lekar concern dekh MAHI ko laga ki woh wakayi RAAZ ke liye serious hai...

par abhi MORANA ke friends ki baat sun aur us baat par MORANA ka reaction dekh uska dimag ghum gaya..

saath hi MORANA ne pyar waale sawal ko bhi dodge kar diya tha..

ab ye maana jaata hai ki kuch baatein ladkiyan jo apne b.f se bhi nahi bol paati,woh secrets unke friends ke beech open kar deti hain par MORANA ne puchne par bhi aisa nahi kiya aur isiliye SHAILA ne jo baat kahi thi,uska ek sira ab MAHI ki MORANA ki taraf jaate dikha aur isiliye woh turant uthi aur uski taraf chal padi aur uske paas pahunch..


MAHI-MORANA...


apne peeche se aayi awaaz ko sun MORANA palti aur apne saamne MAHI ko dekh usse ignore kar woh wapas palatne ko hui par tabhi..


MAHI-tumne apni friend ko jawab nahi diya MORANA...do you really love RAAZ....???

MORANA-and why do you care ki mai RAAZ se pyar karti hun yaa nahi...????

MAHI-just answer the bloody question MORANA...

MORANA-and you just mind your fucking business MAHI....

mai RAAZ se pyar karun yaa usse dhoka dun, isse tumhe koi lena dena nahi hona chahiye..


DHOKA....jaise hi ye shabd nikla MORANA ke mooh se toh MAHI ka dimag jhanjhana utha aur uski puri body ghusse se kaampne lagi..

issi mode par tezi se aage badhi MAHI..is waqt uske dimag aur puri body uske control me nahi thi..

ek strong AURA nikal raha tha uske saare sharir se jisse uske paas aate hi MORANA ne bhi feel kar liya aur woh tezi se piche moodi par tab tak naa sirf MAHI uske behadh kareeb pahunch gayi thi balki uska ek haath jisme is waqt hadh se zyada urja ka prabhav beh raha tha,woh bhi MORANA ke gale se bas ek inch door tak pahunch gaya tha...

MORANA ne feel kar liya tha ki MAHI ke body aur uske haath se joki usse chhune hi waala tha, uske touch hote hi uski haalat kharab hone waali hai aur aisa ho bhi jaata ki tabhi...


AHHHH.....DHAAPP...

ye dard bhari karah MORANA ke nahi balki MAHI ke mooh se nikli..

reason....

MAHI ka haath MORANA ke gale ko touch hota ki tabhi bilji se tez speed ikhtiyaar karte hue ek dusra haath aage badha aur MAHI ke badhte hue haath ko pakad peeche kheenchte hue usse dhakel diya jisse MAHI piche ki taraf jaakar giri...

neeche girte hi woh turant wapas uthi aur ghusse se saamne ki taraf palti par aisa hote hi uska ghussa bilkul shaant ho gaya...

reason...

saamne mai jo khada tha...maine hi usse piche dhakela tha...

khair, jaise hi MAHI wapas khadi hui aur mujhe dekha toh...


MAI-MAHI..jo advice MORANA ne di,uspar dhyan do aur amal karo..

just mind your own fucking business.....

MAHI-but RAAZ ye...

MAI-enough MAHI....just go away....


MAHI ki baat kaat apni baat kahi maine jisse uski aankhon me dard aur hatasha,saath me dikhne lagi aur apne kandhe jhukate hue woh piche palti aur ek disha ki taraf badh gayi....

wahin is beech jabse maine MAHI ke haathon ko pakadkar kheecha tha,tabse subah us anjaani awaaz ko sun jo feeling mere man me jaagi thi,us feeling ne ek nayi urja ka roop le liya tha aur is waqt woh urja mere andar do alag alag hisso me yaa phir ye kahun ki do AMPLIFICATION modes me jaakar rook gayi thi....

ek mode tha mera HEART aur dusra mode tha mera SOUL...aur aisa hote hi mere ye dono modes me ek whiteness joki purity ka chinh thi,failne lagi thi...

par ye change temporary tha jo mai jaan chuka tha par mere liye itna hi kaafi bhi tha aur faaydemand bhi...

reason...


"shabdon ka spashtikaran DIL aur AATMA ki SHAKTI se hi hoga"....

UNEARTH THE IMMORTALS ki book ke dusre bhaag jisme mere baare me ENOCHIAN code language me likha hua tha,usse samajhne ke liye yahi sharth thi..

aur us sharth ko pura karne ke liye mujhe apne HEART aur SOUL ka pure AURA un aksharon par daalna tha aur jo temporary change abhi mere andar aaya tha, usse aisa ho sakta tha par waqt kam tha aur isiliye..


MAI-kaam hai mujhe....gotta go....


MORANA ko dekh ye baat kahi maine jiske agle hi pal mai gayab ho chuka tha....

wahin wapas mood MAHI jo aage badhi toh garden ke dusre hisse me ek ped ke neeche pahunchkar rook gayi...

meri baaton se dukhi toh thi MAHI par saath hi mere liye uski fikr kam bilkul nahi hui thi...

woh aage kya kare,ye soch hi rahi thi ki tabhi...


KAISI HO MAHI....!!!???


is jaani pechaani awaaz ko sun MAHI ka jhuka hua sir ek jhatke me uth gaya aur aisa karte hi uske saamne jo khadi thi,usse dekh itne waqt ke baad MAHI ka dil khush ho gaya...


MAHI- GRIFFIN.....


ye bol MAHI turant aage badhi aur GRIFFIN ke lambe gale me apni baahein daalne ko hui par aisa karte waqt uske haath aar paar ho gaye...

GRIFFIN spirit mode me yahan aayi thi jispar aakhon me sawal liye jab dekha MAHI ne GRIFFIN ko toh..


GRIFFIN-mai solid form me yahan nahi aa sakti thi MAHI...is jagah par aise bohot se negetive energies hain jo mere solid form ko sense kar sakte hain aur unka aisa karna naa toh mere liye acha hoga aur naahi tumhare liye....

MAHI-khatra aur mujhe..!!!par maine kisika kya bigada hai jo mujhpar yahan khatra hoga..

aur tum toh yahan first time aa rahi ho....!!!fir tumhari kisise kya dushmani bhala..???

GRIFFIN-kuch logon ka astitva matra hi dusro ke liye khatra hota hai MAHI..

khair,abhi detailing ka waqt nahi hai par bohot jald meri kahi baaton ke RAAZ se parda hat jaayega..


RAAZ...ek yahi toh shabd tha,naam tha jisse MAHI sirf sunti nahi thi,balki feel karti thi..

aur abhi bhi wahi hua... GRIFFIN ki baaton me jaise hi RAAZ shabd aaya,toh GRIFFIN ko apne saamne dekh jo ab tak khush dikh rahi thi MAHI,wahin ab uske sundar chehre par udaasi ke kaali ghata ek baar phir se chaane lagi jisse dekh...


GRIFFIN-kya baat hai..???maine RAAZ kaha,aur tum udaas ho gayi...

kya ye naam itna impact karta hai tumpar...!!!!

MAHI-asal sawal hai kyun...???kyun ye shabd RAAZ itna impact karta hai mujhpar..???

jis shaksh ka ye naam hai,usse toh parwah hi nahi meri...parwah toh door ki baat hai,usse toh mere existence se hi jaise koi matlab nahi hai..

har baar insult karta hai meri..aur mai phir bhi pata nahi kyun,uski taraf kheenchi chali jaati hun...!!!

uski har problem apni lagti hai mujhe...pata hai GRIFFIN,uspar jaan ka khatra hai aur ye baat ussike through pata chali hai mujhe,aur jabse woh baat pata chali hai,tabse aisa lagta hai jaise uski nahi,balki meri jaan khatre me hain...

pata nahi koi baat jo usse judi ho, itna asar kyun karta hai mujhpar..!!!

sabse ajeeb bast ye hai ki woh hamare PHASE ka sabse strong SAVENT hai.. har cheez me number one...

khatarnaak se khatarnaak hamle sense kar leta hai..

hard se hard attack bhi araam se dodge kar leta hai..

aise me bhi jab usse lagta hai ki woh nahi bachega toh phir mai usse kaise bacha sakti hun...!!!

GRIFFIN-woh isiliye MAHI kyunki tumne pehle bhi RAAZ ki jaan bachayi hai...infact agar aaj RAAZ zinda hai toh usme sabse bada haath tumhara hai....


ab ye ek naya revelation hua tha MAHI ke saamne jisse sun uske hairani ki seema nahi rahi...


MAHI-meri wajah se RAAZ zinda hai..???ye kya bol rahi ho tum....???

GRIFFIN-bohot si baatein hai jo filhal parde me hai MAHI...par jaisa ki maine bataya ki bohot jald woh chuppe RAAZ tumhare saame unfold honge...

filhal ke liye ye samajh lo ki RAAZ agar aaj tak zinda hai toh uski kaaran tum ho...

MAHI-toh kya jis mout ke baare me RAAZ jaanta hai,usse bhi mai rok sakti hun...!!!

GRIFFIN-rok toh nahi sakti par haan,taal zaroor sakti ho...aur isiliye hi mai yahan aayi hun...

MAHI-mai samjhi nahi...???

GRIFFIN-aaj RAAZ ke upar mout ka saaya mandra raha hai MAHI jisse bachna uske liye next to impossible hai...


GRIFFIN ki baat sun MAHI ka dimag hi ghum gaya..ek pal me hi uske chehre ke aage RAAZ ka chehra aa chuka tha jisse mehsoos kar uska haal behaal ho gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


GRIFFIN-par tum RAAZ ke taraf badhti mout ko kamsekam aaj ke liye toh taal hi sakti ho..sirf tum....

MAHI-RAAZ ko bachane ke liye mai kuch bhi karungi....please batao mujhe,kya hone waala hai aaj,aur mujhe kya karna hoga...!!!???

GRIFFIN-kya hone waala hai,ye toh tumhe us chiz ke hote waqt hi pata chalega...

isiliye aaj tumhe har pal RAAZ par nazar rakhni hai..par haan,saamne se nahi,door se..

kyunki tumhe bhi pata hai ki agar RAAZ ne tumhe apne aas paas dekha toh woh wahan se gayab ho jaayega...

STAVAH SPELL ke istamal se tum ye badi asaani se kar sakti ho...

par let me warn you MAHI,RAAZ ko bachana asaan nahi hoga...

aisa bhi ho sakta hai,infact chances is baat ke zyada hain ki RAAZ ko bachane ke chakkar me uske saath tumhari bhi jaan chali jaaye...


GRIFFIN ki baat par yaa phir ye kahun ki uski warning ko sun ek smile aa gayi MAHI ke face par aur....


MAHI-"ishq pe MAREN,ya ishq me MAREN...

ishq agar saath hai,toh bhala hum kyun DAREN...!!!





PLACE-RAAZ ABODE






PUSTAK PRAKATAM....



mere is SPELL ko uccharit karte hi mere book shelf ke ek khaali jagah par roshni hui jiske agle hi pal woh UNEARTH THE IMMORTALS book us roshni ke beech prakat hui....

is book ko is tarah hi chhupaya tha maine jo ab mere saamne prakat ho chuki thi...

book ko pakad usse khola maine aur woh bhaag jisme mere baare me likha hua tha,us jagah ko open kar us page jahan ENOCHIAN code likha hua tha,uske upar apna haath rakha maine aur...



HRIDAYAM AATMAM AURAVA SAMEVASHE.....

HEART SOUL AURA MIX ENERGY....



aankh band kar apne HEART aur SOUL ke AURA ko joki MAHI ke touch se naa sirf hilne lagi thi,par saath hi in dono hi AURA'S me ek purity aa chuki thi, SPELL bola maine..

khair,apni aankhen band kar jaise hi maine SPELL ko uccharit kiya toh mere andar se mere HEART aur SOUL ke pure AURA'S tezi se mere hatheli ki taraf aaye jiske agle hi pal meri hatheli aur book ke beech ek tez roshni chamki aur jab aisa hua toh mere hatheli me ek jhatka laga jiski wajah se maine apna haath wapas kheench liya..

wahin roshni joki mere HEART aur SOUL ki AURA thi,uske prabhav se woh ENOCHIAN language me likhe code hilne lage aur dekhte hi dekhte us page ki puri banawat badal gayi....

jahan kuch der pehle tak ENOCHIAN language me code bhare pade the,wahin ab us pure page me chamakte hue kewal do words likhe hue the..


TOUCH ME....


yahi likha hua tha us page me jisse padh maine apna haath us likhawat ke upar rakh diya aur mere aisa karte hi...

mere chaaron taraf ek tez roshni faile gayi jiski wajah se meri aakhen band ho gayi...

par kuch der baad jab maine apni aankhen kholi toh hairan reh gaya..

reason...

is waqt mai ek ajeeb se jagah par tha aur tez raftaar se aage badh raha tha..

par sabse shocking baat ye thi ki mai is waqt human form me nahi balki ek dot ki shape liye hue tha...

aur mere aaju baaju anginat white dots the jo mere saath tezi se aage badh rahe the..

par dheere dheere un anginat dots ki raftar aur shayad unki life khatm hone lagi thi....

kuch hi waqt me mere aas paas bas kuch ho dota bache the par dheere dheere in sabki bhi raftar aur life khatm ho gayi....

ab sirf mai tezi se aage badh raha tha aur phir kuch der baad mujhe laal colour ki sperical chiz dikhi jisse mai takra gaya...

mera khud par filhal koi control nahi tha..

mai bas dekh paa raha tha ki us sperical chiz se takrane ke baad meri movement rooki zaroor par puri tarah nahi..

mai joki abhi ek dot ki tarah tha,usne us sperical chiz ko push kiya jiska natija ye nikla hi us sperical cheez se hote hue mai uske dusri taraf pahunch gaya jahan sirf laal hi laal dikh raha tha..

us laal jagah par aakar mai float karne laga tha...

meri samajh me toh kuch aa nahi raha tha par maine sab waqt par chhodna hi behtar samjha..

aur tabhi....

mujhe aisa laga jaise mai us ande ke andurni satah ke saath milkar ek ho raha hun...

abhi ye attachment hue kuch hi der hua tha ki tabhi mujhe laga jhatka..

reason....

maine khudme ek badlwaav feel kiya tha..achanak se hi mere aankh,kaan naak,mooh pair,aur ungliyan banane lagi thi...

abhi ye ho hi raha tha ki tabhi mujhe apni heart beat sunayi di aur saath hi mujhe aisa laga jaise mere naye naye fefde ban rahe hain jiski wajah se mai saans lene laga tha...

aur phir hui ek nayi cheez...ek aisi cheez jiski wajah se mujhe saara ganit clear hone laga..

aur woh nayi cheez thi mere brain ke banana aur jab aisa hua toh mere sochne samajhne ki shakti jaise achanak se hi wapas aa gayi aur aisa hote hi jo abhi tak ho raha tha,woh process meri samajh me bhi aa gaya aur mere naye bane dimag me us process ka naam bhi gunj utha..


FERTILIZATION....


mai is waqt kisike GARBH me tha aur sperm se bache banane ki vidhi mere saath ghat rahi thi jisse mai feel kar raha tha...

yahan ye baat mere dimag me clear hui aur wahan mera us garbh me ek purn bacche ke banane ka process chaalu tha...

mera sharir pura banane laga tha,aur phir meri swaans ki nali aur baaki organs bhi banane lage the...

chehra,kidney aur brain mera pura viksit ho chuka tha...

aur phir aaya woh waqt jab mera sir janm lene waali nali ki taraf ghum gaya..

aisa hone par mai samajh gaya ki janm ka waqt ho chuka hai par tabhi...

ek ejeeb chiz hui...

us kokh ke andar jahan mai tha,ek tez roshni faili jiske baad mai wahan se gayab hone laga..

aur thik ussi waqt jahan mai tha,wahan us kokh me meri hi jagah ek dusra baccha prakat hua par woh baccha mara hua tha...

wahin mai us garbh se gayab hokar jab bahar aaya toh mera sharir ek urja me badal gaya aur jiske baad us urja ke bhi chaar hisse ho gaye aur woh chaar hisse chaar alag alag PLANETS me jaakar rook gaye..

ye planets wahi the jahan se mai purn hua tha...

RENAISS,ANGIS,ANNJAYA aur ZEAL...

in short...RAAZ.....

aur jaise hi ye hua toh us UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me ek baar phirse roshni hui jiske baad mai usse nikal kar bahar aa gaya...

par ab mai pure pasine se bheega hua tha... zindagi me pehli baar haath mere kaanp rahe the...

dimag mera uncertain tha,dil mera aise dhadak raha tha jaise mai milo doud kar aaya hun..

aur in sabke beech gunja mere dimag me woh sawal jo is situation me gunjna chahiye tha..


MAI-kya tha ye sab..!!!mai toh sirf ek urja hun..phir mai kisike GARBH me kaise pal sakta hun...???

abhi mere dimag me ye sawal gunja hi tha ki tabhi mere haath me pakde book ke ek page me chalchitra chalne laga..

ye chalchitra wahi vidhi thi jo maine abhi abhi dekhi thi.. sperm ka ande me jaana,phir us sperm aur ande ke milan se fertilization process shuru hona...

aur aisa hote hote jab woh baccha joki mai tha,us garbh me puri tarah ban gaya toh woh chalchitra us garbh se nikal bahar ki taraf jaane laga..

aisa hote waqt dusre page par kuch lines bhi banane lage the..

pasine se bheega mai is waqt un dono hi pages ko ek saath dekh raha tha..

ek page me is waqt do logon ke chehre the aur dusre page par mera un do logon ke saath connection jisse padh zindagi me pehli baar mere dono aankhon ke kinaaron se aansu nikalne lage aur apni bhari hui aankhon se mai un lines ko baar baar,lagatar padhta chala gaya jahan likha hua tha ki...



maana ki tu bhavnaon ke samandar me bhi kabhi NARM NAHI HUA...

aag me kitni hi tapish kyun naa ho,tu kabhi usme jalkar BHASM NAHI HUA....

par naa toh tu bhaavna hin urja hai, naahi koi anaath....

tu FLORIN aur MARIA ka woh PUTR hai, jiska kabhi JANM NAHI HUA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V...J.....
Wonderful fantastic jabardast update
 

DAIVIK-RAJ

ANKIT-RAJ
1,442
3,830
144
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......
















AAPKA APNA V...J....
Nice mind blowing update brother
 

Jamesleon

“Failure is not a person, it’s an event.”
542
2,129
124
Bᴜs ɪᴛɴᴀ ʜɪ ᴋᴀʜᴜɢᴀ ᴠᴊ ʙʜᴀɪ

ᴀᴀᴊ ᴋᴀ ᴜᴘᴅᴀᴛᴇ ᴘᴀᴅʜ ᴋᴀʀ

ᴋᴀsᴍ sᴇ ᴍᴇʀɪ ᴀɴᴋʜᴏ ᴍᴇ sᴇ
ᴀɴsᴜ ɴɪᴋᴀʟ ɴᴇ ᴋᴏ ʀᴏᴋ ɴᴀʜɪ ᴘᴀʏᴀ


ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴛʜᴇ
ɢʀᴇᴀᴛ ᴡʀɪᴛᴇʀ


vj4u bro

✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
✩✩✩✩✩✩✩✩
☆☆☆☆
✯✯





 
Last edited:

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
OMG ....ye kya tha bhai....ek pal phle apne maa - papa ka pta chala or unhe apne apne bacche ka........or agle hi pal unhe hamesa ke liye alg hona pda........ab AL kya kregi bhai.......kya wo bhi raaz ke khilaf ho jayegi........or videous ka esa konsa wada tha jo raaz ko apne hi maa - baap ko marna pda........aapne to kahani ko alg hi level pr pahucha diya bhai.........
 

Raguhalkal

Not Activated
1,421
4,257
143
ye scene bhai usse matlub 1 part thoda alag hai fir bi same hai ki

khud apne mom dad ko marna

Pichhle paath mein bhi aise hi hua tha Vikram ko Apne mum dad ko maarna Pada

Aur ismein Bhi Apne mom-dad Ko maar raha hai raaz

yaha me raaz ko hero nahi samaj raha hu fir bi mera or raaz ka attitude ek hai so....

wo jo bi karta wo uske liye sahi lagta teek mere ko bi aisa hi lagta hai

the point is

ITIHAAS DOHRA RAHA HAI
 
Top