• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Boby

Well-Known Member
2,720
12,965
159
UPDATE - 83



Tabhi waha poonam aati hae. – are dev aap kab aaye?



Deva – bas abhi hi aaya kaki ne bataya ke tum naha rahi ho. To intjar karne laga.



Poonam – intjar aur mera? Hmmmmmmm lagta hae koi bahot bada kam atka hae jo mere bina aap bhi nahi kar pa rahe hae.



Deva – ha poonam aesa hi kuchh hae. par tum taiyar ho jao. Fir batata hu.



Poonam – ok dev mae abhi aayi.



Fir poonam andar jakar taiyar hone lagti hae. idhar padma deva ke liye chay lekar aa jati hae aur deva ke samne rakh deti hae. ab bhi dono ek duje se kuch kah nahi pa rahe the. Aakhir deva hi bola.





Deva – kaki wo sagai ke liye aapko jo jo chahiye aap list bana lijiyega. To shahar chal k e le aayege.



Padma - ha deva shahar to jana hi padega kharidari ke liye. Mae bhi yahi soch rahi thi. Lekin mujhe intjar tha ke gopal (padma ka beta) aur meri bahu sudha bhi aajate to saath hi chalte.



Deva – to kab aa rahe hae wo?



Padma - shayad kal ya parso me aajyege.



Deva – chalo ye achhi khabar sunai aapne. Waese jo jaese hota hae use hone dena chahiye. Jyada sochne me samay gavana bhi sahi nahi hota.



Itna kah kar deva padma ki ankho me dekhta hae aur padma bhi jhatke se najar utha kar deva ki ankho me dekhne lagti hae , ke deva ne kis chaturai se baat badal kar apne man ki baat kah di.



Padma – bat sochne ki nahi deva. Kai bar jarurat hote hue bhi insane ko apno ki khushi ke liye apni khushiya tyagni padti hae. koi maa bap. Bachho ki khushi chhinkar kabhi khud khush nahi hote.



Deva – lekin agar bachho ki khushiya unhe mile aur maa bap bhi khush rahe tab to koi pareshani hi nahi na.



Padma - ek aurat apni khushi poori kar sakti hae lekin ek maa ya ek saas ko apni khushi se pahle bahot kuch sohna hota hae. aur us soch ka nateeja bhi yahi nikalta hae ki bachho se bad kar kuchh nahi.



Deva – mae soch ke badalne ka intjar karuga.



Padma – koi fayda nahi. Kisi kamjor pal me kisi ke bahak jane ka matlab ye nahi hota ki wo bah hi jayega. Kabhi kabhi intjar jindagi se jyada lambe hote hae. jindagi khatam ho jati hae intjar nahi.



Poonam – kis ka intjar maa?



Padma -wo…wo…. Kisi ka nahi beti aur tu andar kab gayi?



Poonam - mae to abhi andar gayi aap shayad tab kitchen me thi. Par ye aap bat mat paltao kis ke intjar ki bat ho rahi thi aur kaun kar raha hae intjar aur kis ko?



Deva – are poonam kaki to tumare bhai ki bate kar rahi thi. Ke abhi uske aane ka mood hua hae. varna kabhi kabhi intjar khatam hi nahi hota.



Poonam – are maa tu bhi na kuchh bhi sochti hae. sachhe man se kuchh bhi chaho to jaroor milta hae. aur tumhe bhi to khush rahne ka huq hae na. ab bhai aur bhabhi aayege yaha to tumhe har khushi milegi ab koi intjar nahi.



Deva – mae bhi to yahi kah raha tha ke har khushi pe inka huq hae. ye hi nahi maan rahi.



Poonam – ye meri maa hae itni asani se kaese man jayegi. Par chinta mat karo man jayegi thoda samay lagega.



Padma to unki bate sun kar kabhi pareshan ho rahi thi kabhi muskra rahi thi. Ke poonam anjane me hi use deva ki baho me dhakel rahi hae.



Deva – achha chalo ab bate bahot ho gayi abhi bahot kuch set karna hae. aur kuchh bate bhi karni hae. sagai ko lekar.



Poonam – to chalna kaha hae yahi baeth kar set karte hae.



Deva – shreemati ji. Mujhe yaha bat karne me koi dikkat nahi lekin wo pagal sand hae waha ghar pe aur use to tum janti hi ho. Uske samne baate karni hae.



Padma seene pe hath rakh kar - haye ram sand? Kaun sa sand?



Poonam hans kar – are ma dev to rudra ki baat kar rahe hae. aap bhi na. mae thodi der me aa jaugi ma. chalo dev ghar pe hi chalte hae.





Fir dev aur poonam ghar ki taraf nikal jate hae. ghar me poonam sabse miti hae. aur dev sabko ikathha kar ke apne room me upar bulata hae. maa babu ji aur padma ke alava waha sabhi the. Dev, poonam, rudra, nilam, gurum, shalaka, nagarjun,



Dev – so ladies and gentleman jaese ke aap sabhi jante hae ke hamari sagai ka shubh muhurat nikla hae. us pe baad me baat karege. Lekin jo kal Naag lok me hua pahle us pe baat kar lete hae. to hua yu ke maene pita maharaj ko yaha aane ke liye kaha aur unhone ye kah kar inkar kar diya ke ye hamare dhartiwasi maa bap ka din hae aur wo baki bato se anjan hae isiliye abhi shai samay nahi hae unka yaha aane ke liye. To wo nahi aayege hamari sagai me. Maene unhe kaha hae ke mae abhi koi vada nahi karta lekin hamare sand mahashay rudra ji aur hamari shreemati poonam ji aur priy nilam ji se bat kar ke hi final hoga jo bhi hoga varna ye teeno mujhe kisi lok me rahne layak nahi chhodege isiliye mae bina kisi faisle ke yaha chala aaya. Ab aap logo ki kya ray hae bataiye kya karna hae? jo aap sabka faisla hoga wo mujhe manjur hoga.



Rudra – yar aese kaese ho sakta hae ke hum me se kisi ke maa bap shamil na ho ye to galat hae.



Nagarjun - mae rudra ki baat se sahmat hu.



Poonam – lekin rudra ye bhi to socho pita maharaj ka kahna apni jagah sahi hae. abhi yaha ke log un sabko jante bhi nahi to un sab ko kaese layege ek naya bakheda shuru ho jayega. Un sab ko milane se pahle inhe sab batana hoga jiska ye sahi samay nahi hae. bate bahot badi hae. aese hi to in sabko samajh me ayegi nahi. Uske liye samay chahiye. Aur abhi to koi hamari kahani sunne ke mood me bhi nahi hae sab sagai ki khushi me busy hae. isiliye mae pita maharaj ki bat se sahmat hu.



Neelam – mae bhi poonam ki hi bat se sahmat hu. Abhi sahi samay nahi. Aur fir apne vivah se pahle ham inhe sab kuchh bata dege . sagai to ek tarah se nag lok aur tilism lok wale hamari kar hi chuke hae na. shadi ke samay sab ikathhe hoge. Par abhi nahi.



Deva – ha bhai gurum halaki tumahra is mamle se koi lena dena nahi lekin tum hum me se ek ho isiliye tum bhi apni salah do.



Gurum – deva bhai apun ko lagta hae ke bhabhi log sahi bol rahi hae. ye right time nahi aur jaldbaji me kisi ko kuchh bhi palle nahi padega. To waha walo ko wahi rahne do aur yaha ka program yahi enjoy karo. Lekin mere dimag me ek baat hae agar aap logo ko pasand aaye to.





Poonam – are gurum tumhe bol dena chahiye aese poocha mat karo.



Gurum - thank you bhabhi. Apun ye kah raha tha ke apun sab log waha chalte hae. abhi to deva bhai ne apne pitaji ko hi sagai ke liye bataya hae baki sab ko bhi bata do. Jahir hae sab mana karege par apna to responsibility hae na batane ka. To waha chal ke sab ko sagai ki baat batai jaye. Dusri baat aap logo ne jo anguthiya pahli sagai me pahni thi wahi anguthiya yaha la kar aur fir se ek dusre ko pahnao usme waha ke mata pita ka ashirwad bhi shamil ho jayega.



Sab log gaur se gurum ko dekhte rahte hae fir sab ek saath khade ho kar taliya bajate hae.



Gurum – kya yar aesa beijjati apun ka kabhi nahi hua.



Rudra – chup be bada aaya beijjati wala. Abe kya dimag paya hae. sala hame to yaad bhi nahi thi wo anguthiya. Par bhai bahot sahi advice hae teri. Kyu deva



Deva – ha bilkul mae gurum se sahmat hu.



Sabhi ek saath – mae bhi.



Deva – to tay raha ke. Hum aaj rat hi chalege aur ye kaam nipta dege. Aur wo manchitra jo hum laye the neel sagar se us ke liye fakeer baba ne bol diya hae ke jab hum chahe swarn mani hasil karne ke liye nikal sakte hae jiske liiye maene sagai ke baad hi kuch karne ka socha hae.



Nagarjun – bilkul thik dev. Us kam ko sagai ke baad karna hi sahi hae.



Deva - ab mudda no. 2……………
 
Top