• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Who do you think was the hottest female character. Any 2

  • Esha

  • Angelina Silva

  • Vandana Rathi

  • Aradhna

  • Nisha

  • Deepika mam

  • Ajmeri bai :laugh:

  • Madhulika

  • Vìbha

  • Pandey ji ki laundiya :D


Results are only viewable after voting.

MrXpro

Aapka Dost..😁
24
74
13
Yug Purush bhai...
Mai bahut hi khafa hu aapse.....
Akhir maine aapko padha hi kyu?
Kuchh dino me aapne kahani ke jis estar se parichay karaya uske baad pakka yakin h ab bahut sari kahaniya mai nhi padh paunga.


Arman...Armaan..

Arman...Armaan..


Hafte bhar se is naam ne pta nhi kya jadoo kr diya h...
Din ki jhapki lu to Arman,
Raat me bhi Arman..
pta nhi kyu us shakhsiyat se kabhi akarshit hota hu,kabhi grina krta hu,kabhi usse kuchh sikhna chahta to kabhi dar bhi jata hu..
Kabhi kisi kahani ka koi patra itna rochak kaise banaya ja sakta h...Hats off to You brother!!🙏🙏

Aur kahani ke bare me bolne,prasansa krne k liya shabd nhi mil rhe....akhir ye to khud Shree Armaan ji bhi shayad best tarike se na kr paye...😁
Fir harshit1890 bhai ke reviews dekhe aur unki itni behtareen kosis ki mukt kanth se prasansa krta hu.
Yug Purush bhai mujhe is kahani se parichay harshit ji ki Haveli~The night is dark ne karwaya aur jab maine ise padhne ki zurrat ki to aapki chetawani mili fir 8th Semester ko pahle padha aur bahut sangin zurm se khud ko bacha liya🤓.
Pdf download krne k baad kholte hi 500+ page dekhkr hi dayi-mayi ho gayi meri to....pr itne se kaha man bharta h Shri Arman ji ka aur is baar double dayi-mayi ho gyi 800+ page dekhte hi😂😂.
Pr padhna to padta hi, Shri Arman ji ab hum jaise 3-d insano ko kaha chhodte.....is tarah 8th semester ke dher saare past aur thode se present ki naiya pr sawar nikl pade agle safar ko, kisi behtareen romanchak safar ki aas me....fir dimag ke taro ko jhanjhana kr rakh dene wale is behtareen×100😉 samandhar me utarte hi lga bahut sari chize teji se ban aur bigad rahi h,bahut kuchh pichhe chhut rha h,sab kuchh ghumavdar h ya ghum rha h.......matlab ki puri dayi-mahtari krk rakh di Avtari Arman ji ne.
Aur ab jaisa ki iske aur bhi part aane baki h..tb tk apne hosho-hawaas sametne ki kosis shuru kr diya hu......

(waise bhi Xf pr sirf Haveli aur do-char pic hi dekhne aaya krta tha...jo silsila एक नया संसार se shuru huwa tha aur bahut simit bhi tha.......Pr ab lagta h SGP bhai pr puri nazar rakhni padegi....mai to daso disao me CCTV lagwane ki soch rha hu😁)
---------------------------------------------------------
 
Last edited:

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
Yug Purush bhai...
Mai bahut hi khafa hu aapse.....
Akhir maine aapko padha hi kyu?
Kuchh dino me aapne kahani ke jis estar se parichay karaya uske baad pakka yakin h ab bahut sari kahaniya mai nhi padh paunga.


Arman...Armaan..

Arman...Armaan..


Hafte bhar se is naam ne pta nhi kya jadoo kr diya h...
Din ki jhapki lu to Arman,
Raat me bhi Arman..
pta nhi kyu us shakhsiyat se kabhi akarshit hota hu,kabhi grina krta hu,kabhi usse kuchh sikhna chahta to kabhi dar bhi jata hu..
Kabhi kisi kahani ka koi patra itna rochak kaise banaya ja sakta h...Hats of to You brother!!🙏🙏

Aur kahani ke bare me bolne,prasansa krne k liya shabd nhi mil rhe....akhir ye to khud Shree Armaan ji bhi shayad best tarike se na kr paye...😁
Fir harshit1890 bhai ke reviews dekhe aur unki itni behtareen kosis ki mukt kanth se prasansa krta hu.
Yug Purush bhai mujhe is kahani se parichay harshit ji ki Haveli~The night is dark ne karwaya aur jab maine ise padhne ki zurrat ki to aapki chetawani mili fir 8th Semester ko pahle padha aur bahut sangin zurm se khud ko bacha liya🤓.
Pdf download krne k baad kholte hi 500+ page dekhkr hi dayi-mayi ho gayi meri to....pr itne se kaha man bharta h Shri Arman ji ka aur is baar double dayi-mayi ho gyi 800+ page dekhte hi😂😂.
Pr padhna to padta hi, Shri Arman ji ab hum jaise 3-d insano ko kaha chhodte.....is tarah 8th semester ke dher saare past aur thode se present ki naiya pr sawar nikl pade agle safar ko, kisi behtareen romanchak safar ki aas me....fir dimag ke taro ko jhanjhana kr rakh dene wale is behtareen×100😉 samandhar me utarte hi lga bahut sari chize teji se ban aur bigad rahi h,bahut kuchh pichhe chhut rha h,sab kuchh ghumavdar h ya ghum rha h.......matlab ki puri dayi-mahtari krk rakh di Avtari Arman ji ne.
Aur ab jaisa ki iske aur bhi part aane baki h..tb tk apne hosho-hawaas sametne ki kosis shuru kr diya hu......

(waise bhi Xf pr sirf Haveli aur do-char pic hi dekhne aaya krta tha...jo silsila एक नया संसार se shuru huwa tha aur bahut simit bhi tha.......Pr ab lagta h SGP bhai pr puri nazar rakhni padegi....mai to daso disao me CCTV lagwane ki soch rha hu😁)
---------------------------------------------------------
:superb: its always a treat for the writer to see someone's first ever post on his story. I hope you will be active and will encourage other writers as well. You have good quality of doing it :D
Baki kya hai... Chalta rahgea .:D
Thanks again Mr X. :hug:
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,516
173
Yug Purush Sir hats off to your writing skills. Dil se shukriya in 2 behtareen kahaniyon ke liye. Jitna bhi kahu aapki lekhani ke liye shabd Kam he rahenge.
8th semester Maine jab padni shuru ki toh poora din nikal gaya tha aur phir agla bhi.
Kahani beshak armaan ki thi aur ye pramukh character hai bhi khaas lekin jaane kyun Esha se Pyaar he ho gaya. Arun aur Jaishree Pandey ne jitna Dil lagaya utna he behtareen vivran Vibha, Deepika, Gautam aur Varun ka dikha.
Kahani likhne ka andaaj itna badhiya hai ki Bhu jaisa vyakti bhi apni chhap chhod he gaya. Dukh hua toh Aradhna ke sath sath Esha ke liye bhi hua.
Aatmakmi padhne laga toh ummeed thi ki Esha se mulakaat hogi. Kya pata bikhre Armaan fir buland ho Kar mil jaaye. Par waisa na hone par bhi Kahani utni he behtareen rahi. Mastishk kitna jatil hai aur Jo bhi aapne dikhaya hai usme jiwan ke wo pehlu shamil hai Jin par sadharan dimaag dhyaan nahi dete.
Vastavikta Kya hai? Kya sapne, jatil soch aur Jo bhi najro ke saamne hai ye sabkuch alag hai ya ek blend? Itna asaan nahi hai samajhna aur upar se jab 4th dimension shaamil ho Jaye toh? Ardh chetan, purna-chetan aur durgaami mastishk srijanta ko padhna apne aap me he ek khaas ehsaas tha.

Haan fifth dimension apne aap me he ek durlabh vishaya hai jis par baat karne ki samajh main Nahi rakhta. Aur his tarah aapne 1.0 se 4.0 darshaye, kaafi anokha aur majedar anubhav Raha. Kisi bhi insaan ke charitra me Bahu ayaam hona durlabh hai lekin hota toh ye hai he. MPD se thoda alag lekin utna he jatil.

Kabhi kabhi khudke likhe kirdaar sach lagte hai aur unse aap milte bhi ho toh balance nahi bana paate. Kyonki unhe dekhna aur gehrai se likhna aapke hath hota hai par jab unse aapka parichaya ho aur wo bhi ek pehle se banaye hue kirdaar ke Roop me toh hilna vaajib hai. Jaisa Nisha wale mamle me laga. Armaan ne dohre kirdaar ka saamna Kiya sirf apne jatil dimaag ki wajah se.

Aur sabse khatarnaak toh wo drishya jisme Kahani ko purn Kiya 😅

Us par kuch bhi nahi keh Kar main kahani ka rehasya barkaraar he rakhunga sir lekin ek number 🙏.

Sir itne vishleshan aur vykhyaan ke sath Jo aapne ye upanyaas roopi Kahani likhi hai, main natmastak hu.
Dhanyavaad
Aapka pankha,
Enigma 🙏
 
Last edited:

MrXpro

Aapka Dost..😁
24
74
13
:superb: its always a treat for the writer to see someone's first ever post on his story. I hope you will be active and will encourage other writers as well. You have good quality of doing it :D
Baki kya hai... Chalta rahgea .:D
Thanks again Mr X. :hug:
Bhai soch rha hu agar koi Web Series ATMAKAMI naam se kabhi bn paye to kitna mind blowing hoga..h na..🤗.
Hope kisi aise sakhs tk ye behtareen kahani pahuch jaye jo jyada modifications bhi na kre aur bahut se logo ki mulakat Shri Arman ji se karwa bhi paye......aur India ki abhi tk ki best series ka khitab bhi Shri Arman ji ke hi khate me hi aayega..😀😀
Kyunki mujhe lagta h Thriller, Suspense, Romance, Action, Fantasy....matlab ki har kisi ke liye kuchh na kuchh zaroor milega.😋
 
  • Love
Reactions: Yug Purush

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
Bhai soch rha hu agar koi Web Series ATMAKAMI naam se kabhi bn paye to kitna mind blowing hoga..h na..🤗.
Hope kisi aise sakhs tk ye behtareen kahani pahuch jaye jo jyada modifications bhi na kre aur bahut se logo ki mulakat Shri Arman ji se karwa bhi paye......aur India ki abhi tk ki best series ka khitab bhi Shri Arman ji ke hi khate me hi aayega..😀😀
Kyunki mujhe lagta h Thriller, Suspense, Romance, Action, Fantasy....matlab ki har kisi ke liye kuchh na kuchh zaroor milega.😋
ATMAKAMI se pahle 8th sem ki banani padegi na yar. Waise 8th sem se hee parallel universe wala touch rhta toh maza aata :idea:
:thanks::dost:

Yug Purush Sir hats off to your writing skills. Dil se shukriya in 2 behtareen kahaniyon ke liye. Jitna bhi kahu aapki lekhani ke liye shabd Kam he rahenge.
8th semester Maine jab padni shuru ki toh poora din nikal gaya tha aur phir agla bhi.
Kahani beshak armaan ki thi aur ye pramukh character hai bhi khaas lekin jaane kyun Esha se Pyaar he ho gaya. Arun aur Jaishree Pandey ne jitna Dil lagaya utna he behtareen vivran Vibha, Deepika, Gautam aur Varun ka dikha.
Kahani likhne ka andaaj itna badhiya hai ki Bhu jaisa vyakti bhi apni chhap chhod he gaya. Dukh hua toh Aradhna ke sath sath Esha ke liye bhi hua.
Aatmakmi padhne laga toh ummeed thi ki Esha se mulakaat hogi. Kya pata bikhre Armaan fir buland ho Kar mil jaaye. Par waisa na hone par bhi Kahani utni he behtareen rahi. Mastishk kitna jatil hai aur Jo bhi aapne dikhaya hai usme jiwan ke wo pehlu shamil hai Jin par sadharan dimaag dhyaan nahi dete.
Vastavikta Kya hai? Kya sapne, jatil soch aur Jo bhi najro ke saamne hai ye sabkuch alag hai ya ek blend? Itna asaan nahi hai samajhna aur upar se jab 4th dimension shaamil ho Jaye toh? Ardh chetan, purna-chetan aur durgaami mastishk srijanta ko padhna apne aap me he ek khaas ehsaas tha.

Haan fifth dimension apne aap me he ek durlabh vishaya hai jis par baat karne ki samajh main Nahi rakhta. Aur his tarah aapne 1.0 se 4.0 darshaye, kaafi anokha aur majedar anubhav Raha. Kisi bhi insaan ke charitra me Bahu ayaam hona durlabh hai lekin hota toh ye hai he. MPD se thoda alag lekin utna he jatil.

Kabhi kabhi khudke likhe kirdaar sach lagte hai aur unse aap milte bhi ho toh balance nahi bana paate. Kyonki unhe dekhna aur gehrai se likhna aapke hath hota hai par jab unse aapka parichaya ho aur wo bhi ek pehle se banaye hue kirdaar ke Roop me toh hilna vaajib hai. Jaisa Nisha wale mamle me laga. Armaan ne dohre kirdaar ka saamna Kiya sirf apne jatil dimaag ki wajah se.

Aur sabse khatarnaak toh wo drishya jisme Kahani ko purn Kiya 😅

Us par kuch bhi nahi keh Kar main kahani ka rehasya barkaraar he rakhunga sir lekin ek number 🙏.

Sir itne vishleshan aur vykhyaan ke sath Jo aapne ye upanyaas roopi Kahani likhi hai, main natmastak hu.
Dhanyavaad
Aapka pankha,
Enigma 🙏
:thankyou: bhai... 8th sem toh 8 saal pahle ki baat hai, toh kya andaz tha , pata nahi.. dobara kabhi maine padha bhi nahi.. pdf bhi kisi dusare ne bana ke di thi... :D par tareef kar rahe ho toh acha hee hoga :D
ATMAKAMI ke review toh aise diye ho , jaisa khud story :hmm2: do baar padha samajhne ke liye... ATMAKAMI ki filhal bottom line yahi hai ki Arman sach me parallel universe me shift hua. Atleast this way, thoda happy ending ho jayega. Yadi 3rd part likha toh alag baat hai hai :p: ki change karunga.
:thanks: again for reading :hug:
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Enigma

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
Yug Purush ,,The Immortal ..kaha hai pdf aur kis page se padhna hai ?? yaha kuch mil nahi raha please thoda detail me batao
 
  • Like
Reactions: DARK WOLFKING

DARK WOLFKING

Supreme
15,545
31,865
244
gajab ka turning point kahani me 🤔🤔..rp ne faansi laga li aur arun train me katkar marr gaya 😔😔..aur atharva ne kaha ki arman nagpur me mental hospital me hai 🤔🤔..
to kya jab arman nagpur me tha aur apni college life varun ko bata raha tha wo bas uski soch thi 🤔🤔..kya jis tarah varun nishant nikla waise hi arun bhi nakli ho ..
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,149
22,192
229
gajab ka turning point kahani me 🤔🤔..rp ne faansi laga li aur arun train me katkar marr gaya 😔😔..aur atharva ne kaha ki arman nagpur me mental hospital me hai 🤔🤔..
to kya jab arman nagpur me tha aur apni college life varun ko bata raha tha wo bas uski soch thi 🤔🤔..kya jis tarah varun nishant nikla waise hi arun bhi nakli ho ..
Welcome to Goa, Singham :lotpot:
Abhi kya , abhi toh aur baki hai :evilgrin:
 
Last edited:
Top