lekhak ji ke liye mere 2 shabd
Enigma bhiya .. aaj ke update ke liye .. muzhe ek baat khatak rahi hai .. aur wo iss liye .. kyonki muzhe aisa aabhaas hua hai ki uss kirdaar ke intro ko aapne bahut jaldbaazi mein aur rudely aur beman se likha hai .. Vinod Sharma.
kyonki jis tarah se Vinod sharma ki ghar mein entry hui aur usne aate he Arjun se itne galat alfaazo ka prayog kiya .. matlab aisa kaise possible hai .. jara sochne wali baat hai .. Arjun ko sadak par ghoomta anjaan shaksh nahi tha .. yaha gaur farmane wali baat hai ki anzaane mein agar Vinod sharma ne ye shabd Arjun ke liye proyog kiye hote to samjh aata .. magar yaha Vinod sharma apne Tauji yaani ki Rameshwar ji ke ghar mein aaya tha .. aur use ye bakhobi pata hai ki uske 2 bhatije iss ghar mein rehte hai .. aur Arjun ki personality bhi aisi nahi hai ki wo koi kaamgaar nazar aaye .. hat-ta katta jawan sundar ladka hai .. kapde bhi theek-thaak he pehne honge .. jab ghar par itne logo ka aana jana laga hua hai .. to koi kitna bhi badd-dimag aur badtameez aadmi ho wo is tarah kisi bhi anzaan shaksh se nahi bolta .. khaas kar jab saamne Arjun jaisa jawan ladka khada ho .. yaha to bilkul aisa laga ki aapne Vinod sharma ko pehle pal se he bura dikhane ka thana hua tha .. Vinod sharma ke kirdaar ko neech aur nirankush dikhana mein bahut jaldbaazi dikhayi hai .. aur bhi plausible tareeke ho sakte the Vinod sharma ke kirdaar par prakash daalne ke liye .. Shankar/Narinder ji ki aapsi baat ke maadhyam se bhi Vinod ke kirdaar se paathako ko avgat karaya jaa sakta tha .. ye bilkul waisa he tha jaise ki aapne Lalita ji ka Arjun ke saath shuruaat mein dikhaya tha .. yaha aaj padh kar aisa laga ki aap is kahani ko jaldi se niptana chahte hai ya iss particualar scene aur kirdaar par jyaada samay nahi dena chahte the to seedha usko iss tarah sabke saamne pesh kar diya .. Madhulata ke kirdaar par aapne kaafi samay liya .. beshak Vinod sharma ka kirdaar utna bada aur ehem na ho .. par nyay to har ek kirdaar ke saath hona chahiye .. pehle ke mukable aaj kal ghatna par aapka jyaada dhyaan rehta hai .. par saath mein kirdaar bhi utna he jaroori hota hai .. nahi to kahani mein sahi taalmel nahi ban pata .. kabhi-kabhi muzhe bhi aisa prateet hua ki aap bhi thoda beman se likh rahe hai .. peeche ke kucch update mein wo pehle wali baat nazar nahi aayi .. jo ek aatmiyata si hoti hai .. aap likh rahe ho .. accha likh rahe ho .. shabdo par pakad bhi acchi hai .. par wo kehte hai na .. ki aatma ka judaav sa nahi ho paa raha .. padh to main bhi raha hu .. par pichle kucch updates se kahani mere dil par wo chot nahi kar paa rahi .. jiske liye main yaha padhne ke liye lalayit rehta tha .. mere ye shabd aur pratikirya aapko hatotsahit karne ke liye nahi hai .. balke ek sacche pathak ke apne najariye se hai .. jo maine mehsoos kiya wo aapko saaf-saaf khol kar bata diya ...
baaki to aap likhne mein expert ho he chuke ho .. jo kamiya peshi pehle hoti thi .. wo ab muzhe jyaada nazar nahi aati .. ek-do hoti hai magar wo discuss karne layak nahi hoti .. itna to ho he jaata hai .. jab first hand writing kar rahe ho .. bina second person ke revison bina .. isi liye maine aaj kal jyaada likhta nahi .. aur update ki he baato ko puneh-puneh apne shabdo mein likhne se kya faayda .. kucch actually likhne layak ho to jarur mention karna chahiye .. kucch kabhi aage kami peshi lagegi to wo bhi ujagar karunga ...
aur main aaj kal jyaada likhta nahi uska tatpriye aap negative sense mein mat nikalna .. review ka matlab story ko chhapna ya explain karna nahi .. balke usme sudhaar karna hai .. pehle bhi main lambe - lambe review likhta tha to main hamesha he kha par kya hona chahiye tha aur kaise behtar rehta ya kis kirdaar ko kaise charitarth karna behtar rehta ya fir kahani mein koi situation ka kya art nikalta hai ya kya sambhaavnaye paida hone wali hai .. main unhi par baat karta tha .. yaha maine itna aapki kahani ko padh kar he likhna shuru kiya tha .. yaha muzhe Incest padhne mein maza aata hai aur ye mera ek kink hai .. so i enjoy it .. aur iss topic se related regular life mein jyaada literation available nahi hai aur agar hai bhi to usko itna khullam khula nahi enjoy kar sakte for obvious reasons .. baaki adultery / erotica / thriller / romance se related literature par to regular liabararies mein bhi padhne ke liye kucch na kuch mil he jaata hai ...
waise aapse iss baare mein kya kehna .. aapne to ghaat-ghaat ka pani piya hua hai .. waise bahut din ho gaye the aapse jyaada baat nahi ho pa rahi thi .. bakchodi ke ilawa .. ab yaha aa bhi bahut log gaye hai .. jo ek acchi baat hai lekhak ke najariye se .. magar ek particular paathak ke najariye se wo pehle wali aatmiyata nahi rahi .. jaise kisi bhi maa ka apne pehle bacche par se dusri aulaad ho jaane par utna dhyaan aur samay nahi de paane ki stitihi khadi ho jaati hai waise he aapke bhi saath hai .. jis-se ki muzhe koi shikayat bhi nahi hai .. par kabhi-kabhi muzhe wo pehle wala one on one jo samwaad hota tha wo ab nahi ho pata .. i miss that .. par chalo ab kahani bhi to pehle ki tarah itni saral aur seedhi nahi rahi .. isme bhi to ab bahut badlaav aa chuka hai ...
aur mere bade bhai .. ye kahani ko aage badhane mein itni jaldi na dikhao .. pata nahi iske peeche aapki kya mansha hai .. ya ye sirf mera andesha hai ya fir muzhe mukhalta hua hai .. jo laga bata diya .. ye aapki behtari ke liye hai .. Quality over content hona chahiye .. ispar hum dono pehle bhi baat kar chuke hai .. 72000 ki limit pakadna jaroori nahi .. 40000 hazar bhi bahut hote hai .. magar jaldi mat dikhao .. time lagta hai to lo .. jaroori nahi ki har 2 din mein he update aaye .. hafte mein 4 ke bajaye 3 ya fir 2 bhi aayenge to chalega .. magar dum hona chahiye .. ki sala wo wali halat ho jaaye ki naye update ki chahat mein neend he udd jaaye .. aapko apna jaadu kayam rakhne ke liye thodi mehnat karni padegi .. jaise chitrkaari mein jaan jhok dete ho .. waise he yaha thoda he nahi balke poora dil lagao .. aapki kahani mein hilane ke liye nahi padhta .. balki isko padhte hue mera dil aur dimaag hil jaata hai .. uska maza hai .. aur love scenes beshak chhote kar do par aur jo chhoti-chhoti si situations hai unko pura khol kar likho ...
muzhe iski kami bahut dino se khal rahi thi .. muzhe laga ki itne log review likh rahe hai to wo aapki kami peshi ko dur karte rahenge .. magar yaha muzhe kucch abhaav sa nazar aaya .. to muzse raha nahi gaya .. aur ek aaj kal aapka dhyaan comments ke reply gossips mein jyaada hone laga hai .. shayad ye bhi kaaran hai kahani ke saath poorn nyaay nahi ho paa raha .. aaj ka update post kariye .. fir agle update likhne se pehle .. meri baato par thande dimaag se vicchar karna .. agar aap wakai mein kitab likhne ki socch rahe ho to yaha jitna vistaar se suksham najariye se sab baato par dhyaan rakhte hue aage badhoge to Pyaar - 100 baar ke saaf-suthre sanskaran mein bhi apne aap sudhar hota jaayega ...
Poorn Viram