• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,694
304

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA BRAWNY KI TRAINING SHURU KAR CHUKI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ THE GIFT NAAM KI ACTIVITY ME SABSE ZYADA EXCEL KARTA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)

UPDATE-86

PLANET-ELYSIAN

PLACE-FORBIDDEN FOREST

(THE DAY CONTINOUS)

CHINTA AUR CHITA ME BAS EK MAATRA KA FARK HOTA HAI.... ISILIYE JITNA HO SAKE,IS CHINTA NUMI BHAAV SE DOOR REHNA CHAHIYE...

KYUNKI HO SAKTA HAI KI YE CHINTA TUMHARE SHARIR KO NAA MAAR PAAYE,PAR ISKE ASAR SE TUMHARI EKAAGRATA,TUMHARA FOCUS, TUMHARA LAKSHYA ZAROOR MAR JAAYEGA....

ye baat maine kahi thi ALFREEN se,jo pehle toh yun achanak meri awaaz sunkar thodi hadbadayi,par fir mujhe dekh aur meri baat sun ek fika sa muskurahat apne chehre par laaya usne....

first ACTIVITY khatm ho chuki thi jisme mere performance yaa fir ye kahun ki jo baat maine kahi thi,uspar taarifon ke kaside padhne ke baad saare WHIZZES aur WHIZZDERS humare aaj ke second activity spot,joki kareeb 1 km aur andar tha,us taraf badh gaye aur unke piche ho liye hum aur issi dauran ALFREEN ko akela aage badhte dekh mai uske paas pahuncha aur ye saari baatein kahin...

wahin meri baat sun smile dene ke baad....

ALFREEN-congrats RAAZ....MIRACLE par tumhara defination wakayi out of the box aur behatarin tha...

CHAMATAR shabd ka aisa bhi koi defination ho sakta hai,ye thought mere dimag me kabhi nahi aaya tha...

topic ko change karte hue kahi ye baat ALFREEN ne jispar...

RAAZ-thought agar sahi ho toh usse apne life me implify kar lena chahiye...

ALFREEN-agreed....

RAAZ-defination ka last part toh yaad hi hoga tumhe...har galti ke baad jab saza milti hai toh insaan GOD ki taraf jhukta hai aur apne saza ko maaf karne aur solution paane ke liye pray karta hai...

is line ke hisab se iska pehla bhaag face kar chuki ho tum...galti bhi kar li,aur shayad saza bhi mil chuki hai tumhe...

toh ab bacha last segment...GOD se maafi ki arzi....its time ki tum wo bhi kar hi lo..

ALFREEN-aur ye kahan karun mai...???yahan toh koi holy place bhi nahi hai....

MAI-dil me agar shraddha ho toh har jagah paakh hai...aur inspiration ke liye mai toh saamne hun hi...

ALFREEN-tum, tum kya GOD ho tumhare saamne pray karun mai...????

MAI-GOD kya khud aakar madad karenge tumhari....he will send his ANGEL, right...!! mujhe wahi angel maan lo...

ALFREEN-tum aur ANGEL....???

MAI-oh common yaar,maine kaha maan lo...aur waise toh,maan lo toh patthar bhi bhagwan hain aur naa maano toh har ishwar bhi patthar..

meri baat sun aage badhte hue ALFREEN ke kadam rook gaye aur woh mujhe dhyan se dekhne lagi aur fir...

ALFREEN-u are more deep then anybody can imagine.....

MAI-jo meri taarif ko justify kar saken,waise shabd abhi ijaad nahi hue hain,isiliye ye part rehne do...

aur apni woh baat kaho jisne tumhari aankhon ki chamak kam kar di hai...

chalo shuruat mai hi kar deta hun...kuch problem ho gayi hai tumhare,MABEL aur MAHI ke beech,right...!!!

meri baat se hairan hui ALFREEN aur...

ALFREEN-how do you know...???

MAI-simple hai... CHOSENS se yahan aane waale vehicle me tum un dono se alag baithkar aayi ho..

beech beech me tumne MABEL se baat karne ki koshish bhi ki but usne avoid kiya tumhe....

yahan tumhare performance ke baad jab tumhara first REFINER average power tak activate hua,toh sabne tumhe congrats kaha siwaye
MABEL aur ALFREEN ke....

toh itna kuch kaafi hai mere khayal se jo maine kaha tha,us natije par pahunchne ke liye...!!!

ALFREEN-tumne itna kuch note kiya,kyun...???

MAI-ab genius hone ke fayde hain toh nuksaan bhi hain..naa dikhne waali cheezen bhi anjaane me hi sahi,dikh jaati hai...

toh ab bhi koi sawal baaki hai yaa fir situation sahi ho jaaye,iske liye wakayi GOD se help maangogi....???

ALFREEN-haan,jaise maine help maanga aur turant meri problem solve ho jayegi,kyun...???

MAI-arre,pehla step toh lo,phir dekho,wo kadam tumhe tumhari manzil ke paas pahunchta hai yaa nahi....!!!!

meri baat sun ALFREEN ne aankhen band ki aur...

ALFREEN-please GOD.....mere aur MABEL ke beech ki misunderstanding khatm kar do...

ye pray kar jab ALFREEN ne apni aakhen kholi toh hairan ho gayi...

reason...

mai saamne nahi tha..mujhe gayab dekh jab usne apne nazar right ki taraf ki toh mai usse aage jaata hua dikha jisse dekh ek muskaan tair gayi uske chehre par aur...

ALFREEN-pagal hai ye...

muskurate hue hi ye baat kahi usne aur thik ussi waqt mai uski taraf palta aur jab maine usse muskurate hue dekha toh...

MAI-dekha,pray karte hi uska asar hona shuru ho gaya naa...!!!

ALFREEN-matlab,kaisa asar.....???

MAI-aaj dil se pehli baar hasi ho tum...

jahan ye bol mai bhi muskura diya aur wapas palat aage badh gaya wahin meri baat sun ALFREEN ki smile bhi badh gayi aur woh waise hi muskurate hue woh bhi aage badhne lagi...

khair,abhi mai thoda hi aage badha tha ki...

KYA BAAT HAI, NORMAL KYA HUE,BILKUL HUMANS KI TARAH BEHAVIOR BHI HONE LAGA TUMHARA....!!!!

mere baaju me aakar mere saath chalte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jispar....

MAI-ab sharir maanav ka mila hai,toh harkatein bhi ussiki tarah hongi naa....!!!!

VIDEOUS-hmmm.. aur jo jawab tumne diya tha,wo bhi is human body ki den thi kya...????

MAI-woh den nahi suboot tha ki jab kisi challenge ka saamna RAAZ se ho,toh us challenge ko haarna hi padta hai...

aur uske saath haarte woh sabhi hain jinka mukabla RAAZ se hota hai..

VIDEOUS-jashn manao RAAZ....tumhare liye ye lamha wakayi keemti hai...

kyunki is normal SAVENT aur human form me hi sahi, kamsekam tum mere barabar toh aa paaye...

kyunki iske alawa tum aisa kabhi nahi kar paaoge...jis din humara saamna hoga,jis din humari asli shaktiyan takrayengi,tumhare is sharir ke saath tumhari aatma tak ko fanaa kar dunga mai...

VIDEOUS ki baat sun mai rooka,uski taraf ghuma aur...

MAI-us din ek pact tumhare kehne par humne kiya tha,chalo,aaj ek pact mere kehne par hum karte hain...!!!

VIDEOUS-is khel me meri har baat tumhe maanani hi hai aur isiliye hi tumne us pact ko maana tha...

but having said that,chalo,sun lete hain tumhara bhi pact...

agar rakhne layak laga,toh rakh bhi lenge...

MAI-jis din bhi humara aamna saamna hua,hum dono apni asli shaktiyon ke saath ek dusre se takraye,us din agar mai bach gaya toh ek chiz,jo bhi mai chahun,wo yahan CHOSENS me hogi....

meri baat sun uske andar ke chippe ganit ko samajhne ki koshish me lag gaya VIDEOUS par jab usse samajh me nahi aaya toh uske dimag ne meri baat ko counter karne ka ganit banaya aur aisa hote hi...

VIDEOUS-thik hai..maan leta hun tumhari baat magar meri bhi ek shart hai...

aur wo ye hai ki jab bhi hum dono takrayenge,us din,us waqt agar tum apne ghutno par aa gaye,agar tumhare sharir me itni shakti hi nahi bachi ki tum agla waar kar paao,us waqt bhaagoge nahi tum..

us samay jab mai tumhare upar apna aakhri waar karun toh tum usse bachne ke liye naahi gayab hoge aur naahi us waar ko rokne ki koshish karoge....

phir bhi agar tum us waar se bach gaye toh wo ek chiz jo tum CHOSENS me karna chahte ho,wo kar sakte ho....

MAI-DEAL.....!!!!

ye bol maine apna haath aage badhaya, jiske baad....

VIDEOUS-DEAL.....

BACK TO BRAWNY & HIDA......

YE KYA KAR RAHI HAIN WHIZZ HIDA...????

behad dheere khudse kahi thi ye baat BRAWNY ne...

reason....

is waqt HIDA aur BRAWNY FOREST ke ek behad hi ghane bhaag me the...

is jagah par pahunch HIDA ne BRAWNY ko us jagah se alag alag pedon ke stems with leaf laane ke liye bola,aur jab is kaam ko kar BRAWNY louta toh usne HIDA ko paalthi maar neeche ghaas ke upar baithe paaya...

par wo paused CEREBRATION process me nahi baithi thi balki waise baith wo kuch aur hi kar rahi thi...

is waqt unka left hand unke seene ke upar tha aur dusra haath zig zag hawa me ghum raha tha aur uske aisa karne se ek strong energy force bhi release ho rahi thi jisse BRAWNY ne bhi mehsoos kiya tha aur isiliye hi usne khudse dheere se ye sawal pucha tha par iske baawjud iski awaaz ki tarango ko HIDA ke kaano ne catch kar liya aur isiliye....

HIDA- TRIKAYAPALOTHANA...matlab sense the usefuls....is kriya ko anjaam de rahi hun mai...

ye bol HIDA ne apni aankhen kholi aur BRAWNY ki taraf ghum gayi jispar....

BRAWNY-TRIKAYAPALOTHANA...ye kya hota hai...???

HIDA-tumhari wo inherited GIFT, SENSING DANGER ke antargat aati ye hai kriya...

isse sahi se istemal kar paane se ek nishchit doori me hone waali saari choti si choti wo gatividhiyan jinse hume nuksaan pahunch sakta hai,usse hum sense kar lete hain....

saath hi har woh cheez jisse hume faayda ho sakta hai,uske baare me bhi jaankari deti hai hume ye kriya....

BRAWNY-wow...par nishchit doori matlab, exactly kitne door tak sense kiya jaa sakta hai....???

HIDA-ye toh is kriya karne waale ke determination ke upar hai...par tumhe isme bhi ek advantage hai...

aur wo aise ki jahan baaki sab is kriya ko apne 50 percent focus ke saath karne par jitni door tak khatre ko sense kar paayenge,utna tum apne inherited gift ki wajah se 10 percent focus me hi kar loge...

BRAWNY-aur ye stems aur branches,inka kya kaam hai abhi...???

HIDA-jaisa ki maine kaha ki wo chizen jinse hume faayda ho sakta hai,woh bhi batati hai kriya,ussike demonstration ke liye hain ye saare stems aur leaf...

mere saamne baitho aur in stems ko hamare beech rakho....

HIDA ke kahe anusar apne aur uske beech un stems ko rakh BRAWNY baith gaya jiske baad...

HIDA-ab apni aankhen band kar apne antarman me jhaank apni DANGER SENSING ability ki urja par focus karo...

tumhare aisa karte hi jab wo energy chamke,tab TRIKAYAPALOTHANA shabd ko uccharit karna...

tumhare aisa karte hi tumhari wo inherited shakti khudko bahar nikalegi aur jab aisa hoga toh apne seene ke upar apna ek haath rakh dena....

tumhare aisa karte hi us energy ka bas ek bhaag chaaron disha me bat aage badh jaayega aur dusra bhaag yahin tumhare chaaron taraf ghumne lagega...

aur tab apne dusre haath se us energy ko sense kar unhe apne saamne laakar rokte hue tumhe usse aage rakhe stems ki taraf dhakelna hai...

is pure process ke dauran tumhe apna man aur dimag bohot bhari lagenge aur woh bhaar har beethete waqt ke saath badhega bhi...

tumhe us bhaar ko sehte hue is kriya ko karna hai..jitna strong tumhara determination hoga,utna zyada tumhara focus hoga aur utna hi behatar tumhe result milega...

ready...????

BRAWNY-ready...

ye bol jaisa HIDA ne kaha, BRAWNY karta gaya...

TRIKAYAPALOTHANA spell ko uccharit karte hi uske andar se uski inherited shakti ki urja bahar nikal gayi jiske baad BRAWNY ne apna left haath apne chest ke upar rakha aur uske aisa karte hi us urja ka ek bhaag chaaron dishaon me aage badh gaya....

jab wo urja chaaron dishaon me aage badhi toh us pure maarg me jitne bhi ghaans,ped aur anya cheezen aayi,wo sab BRAWNY ke dimag me ek film ki tarah dikhne lagi thi....

wahin us urja ka dusra bhaag BRAWNY ke chaaron taraf ghumne laga jisse apne haathon ko ghumakar dhakelte hue usne apne saamne laaya aur jab aisa hua toh usne us urja ko saamne rakhe stems ki taraf dhakel diya...

par is pure dauran BRAWNY ka man aur sir dono itne bhaari ho gaye the ki uski wajah se usse bohot zyada thakaan aur kamzori mehsoos hone lagi aur yahi wajah thi ki jaise hi urja ke us bhaag ne saamne rakhe stems ko chhua, BRAWNY ki ankhen khul gayi aur jab aisa hua toh uski urja ke dono bhaag wapas aa uske andar sama gaye...

lambi lambi saansein lete BRAWNY
ko kuch pal lage normal hone me aur jab woh normal hua aur saamne dekha toh ek nayi hairani ne usse gher liya...

darasal,kuch der pehle jo usne apne saamne stems aur unme lage pattein rakhe the,unme se bohot se stems gayab the aur bas ek ya do hi ab wahan moujud the..

un bache hue stems ko dekh jab aankhon me sawal liye BRAWNY ne HIDA ko dekha toh...

HIDA-maine kaha tha naa ki jo chizen hamare kaam ki hoti hain,unke baare me bhi batata hai ye kriya....

toh ye jo stems yahan ab bhi hain,ye humare koi naa koi kaam ke hain aur jo stems gayab hain,unke kisi kaam ka na hone ki wajah se us urja ne unhe fek diya....

acha ye batao,tumhari urja ke dusra bhaag,kitna aage tak gaya tha...???wapas aate hi us urja ki doori ko tumhare mastishk ne naap hi liya hoga.???

BRAWNY-haan,kareeb 100 metre tak hi jaa paayi thi meri urja...

HIDA-woh bhi sirf kuch seconds me..jitne der tak tumne apna focus rakha,utni der agar kisi aur ne ye kiya hota toh uski urja 20 metre bhi paar nahi kar paati par tumhari urja ne kamsekam 5 guna tak zyada cover kiya hai...

BRAWNY-haan,par ye kriya kaafi exhausting hai....

HIDA-sirf tab tak jab tak tumhara mastishk aur antarman us bojh ke aadi nahi ho jaate...ek baar aisa ho gaya toh tum bina kisi pareshani kayi kms door tak bhi har khatre ko bina thake sense kar paaoge..

par filhal tumhari thakan mitane ke liye tumhe apne dusre GIFT physical pressure ko use me laana hoga..

BRAWNY-mai samjha nahi...

HIDA-arre ye jo stems aur patti hai naa,isse apne haathon ke bal se maslo,in dono se nikle ras ko peene se tumhari thakan khatm ho jaayegi....

HIDA ki baat ka anusaran karte hue BRAWNY ne apne left hand ki hatheli ko katora shape dete hue apne dusre haath se pehle stems aur phir patte ko masla aur uske aiaa karte hi uske dusre hatheli par ras tapakne laga jiske baad usne usse pi liya...

HIDA ne sahi hi kaha tha...us ras ko peene ke kuch minutes baad hi BRAWNY wapas fresh feel karne laga jisse dekh...

HIDA-badhiya...sirf yahan FORBIDDEN FOREST me karne waali hamari aaj ki activities ho chuki hai...

aur ab baaki ka pura waqt tum apni dono hi gifted shaktiyon ko apne SOUL ke saath merge karne me bitaoge...

process mai bata chuki hun tumhe isiliye chalo,shuru ho jaao....

HIDA ki baat sun ek baar fir paalthi maar kar baith gaya BRAWNY aur aisa karne ke agle hi pal paused ho chuka tha uska CEREBRATION aur shuru ho chuki thi uski process wahin BRAWNY ke hi saamne HIDA bhi ussiki tarah same process karne me lag gayi thi....

BACK TO STELLARS & GROOMERS

TOH YAHAN HONI HAI AAP SABKI SECOND ACTIVITY,THE FAULT CORRECTOR.....

kareeb 50 metre tak faile ek circle shaped jagah ko jo thik hamare pichle task waali jagah EMBRACER ki hi tarah glow kar raha tha,uski taraf point karte hue kahi thi ye baat ROVEL ne...

ye activity spot,FAULT CORRECTOR,hum sabse kareeb 20 metres door thi,par is ke baawjud hume is jagah se nikalti energy waves saaf mehsoos ho rahi thi....

khair,ROVEL ki baat ko aage badhate hue...

PETRA-is jagah ke naam se aap sabne andaza is jagah ke speciality guess kar hi li hogi...

is jagah par ye jo roshni dikh rahi hai,woh darasal EMOTIONS ki nurturing energy hai....

jaise hi koi is roshni ke daayre me aata hai,toh uske agle hi pal uske man me uski ab tak ke REFINER activation process me ki gayi saari mehnat,aur us mehnat me hone waali kami ke baare me pata chal jaata hai...

EDWINA-ab is statement se aapko ye lag raha hoga ki ye sab toh ANLYZER me bhi hota hai toh fir isme alag kya hai....????

toh jawab ye hai ki haan,ye jagah alag hai,bohot alag hai aur wo isiliye kyunki ANYLIZER me aap sirf apne saare gatividhiyon ko dekh bhar sakte hain par yahan is jagah FAULT CORRECTOR me aap naa sirf apni kamiyon ko dekh paayenge,aapke emotions se bhari energy ka woh pravah jo har REFINER activation process ke dauran aapke pure sharir me ghumta hsi,usse uski har misplaced jagah se uski sahi disha me divert bhi kar paayenge,jisse ki future classes me aapki us proccess me aapko results jaldi milne lagenge...

aur yahan ek advantage ye bhi hai ki apne emotions ki energy ko dekhne ke liye aapko apne cerebration process ko pause karne ki zaroorat nahi hai...

aap sabke normally ankhen band karne se hi aap sab apne antar man se jud jaayenge....

WHIZZ ki baaton se hum sab jaan gaye the ki ye ek wakayi kamal ki jagah thi....

har REFINER activation process ke dauran us emotion ki energy bohot tezi se body ke andar ghumti hai aur jab jab us movement me us energy ka takraw humare AMPLIFICATION modes se hota hai,toh uski disha kabhi kabhi badal jaati hai resulting accessive pain aur saath hi energy ACTIVATION me deri hoti hai....

toh is tarah hamari ye upcoming activity wakayi kamal ki thi...

amyways,is jagah ki khubi ko describe karne ke baad...

SAPIUS-okay then,kyunki ye ghera bada hai,isiliye isme at a time kaafi log enter kar sakte hain par taaki aap sabko kaafi space mile isiliye ye task aap sab 2 baar me pura karenge..

aap me se aadhe pehle is ghere me enter karenge aur uske baad baaki bache aadhe SAVENTS ki baari aayegi...

toh shuru karen,aadhe SAVENTS ek line fomat karenge aur ek ke baad wo sab is ghere me enter karenge..

SAPIUS ki baat sun sabhi first group ka hissa banane ke liye tezi se line formation ne lag gaye the,par mai shaant hi khada tha kyunki baari pehle aaye baad me, result toh same hi hona tha...

khair,MAHI,VIDEOUS,VALDIS aur MABEL ko issi first group ka hissa banana tha,isiliye wo sab sabse pehle line formation me aage badhe the,wahin mai aur mere saath ACCHUTA, SLUNDER aur ALFREEN ko first attempt me koi dilchaspi nahi thi isiliye hum sab apni jagah par hi khade rahe...

is beech ek baar maihe gour kiya tha ki MABEL ne ek baar ALFREEN ki taraf dekha tha par jab ALFREEN ki nazar uspar padi toh usne apni nazaren ghuma ki thi...

anyways,line formation ho chuka tha jiske baad wo sabhi SAVENTS ek ke baad ek us FAULT CORRECTOR jagah ki roshni me chale gaye aur aisa hone par un sabne apne antarman me jhaank naa sirf apne emotions ki energy ko dekha,uski movement aur disha ko samjha par saath hi saath us enegy ke movement ke jis disha par unhe shak hua, usse sirf soch maatr se hi unhone thik kar liya...

pehle group ke baad baari aayi humare group ki jisme humne bhi wahi kiya ko first group ne kiya tha par in sabke beech bas ek mai hi tha jisse kuch bhi sahi karne ki zaroorat padi hi nahi...

reason.....

last activity me jab mere emotions ki stability badho thi,toh aisa karte waqt usne meri inner energy movement ki disha khud hi thik kar di thi...

khair,ye activity bhi puri ho gayi thi aur woh bhi last activity se bilkul ulat ek dum shaanti se without any test...

par abhi ek aur activity baaki thi aur uske saath saath ek aur test bhi...

PLACE- A CAVERN OF FORBIDDEN FOREST

RAHOTARA VARTIYAM AURAVANAM

HIDA THE ACTUAL AURA

FORBIDDEN FOREST ke sabse densiest area me ek badi si gufa thi,jiske andar apne kaale labade se dhak is SPELL ko uccharit kar rahe the saathon WICKEDS....

reason.....

is SPELL ke prabhav se body ki asli AURA jisse har kisiko detect kiya jaa sakta hai,wo completely chhup jaata hai aur usko jagah sirf BLACK ENERGY ki tarange hi sense ki jaa sakti hai...

aur abhi wahi proccess chalu bhi tha aur uska asar bhi dikhne laga tha..

WICKEDS ke SPELL uccharan se unke sharir ke chaaron taraf ek black energy ke parat ghumne lagi thi jo bohot hi dheere dheere unki body se chipak unki original identify ko chhupate chali jaa rahi thi aur ye sab wo isiliye kar rahe tge kyunki yahan FORBIDDEN FOREST me RAAZ par in logon ne jis tarah ka humla plan kiya tha,usse karne ke baad woh kisi ki bhi nazar me aana nahi chahte the..

kyunki bhale hi ye sach hai ki CHOSENS me bullying allowed hai,kisiko bohot zyada mental aur physical assault dena bhi galat nahi maana jaata par iske baawjud black energy ka istemal kar kisiko aisa aghaat pahunchana jisse uski zindagi mout jaisi ho jaaye,ye allowed nahi hai par karna toh yahi tha in sabko aur isiliye hi pure focus ke saath wo saathon lage hue the is kaarya ko pura karne me wahin unke saamne baithi MABBA ke chehre par ek devilish aur vijayi muskaan ka combination naach raha tha aur man me chal rahi thi ye baatein...

MABBA-tu ek example banega RAAZ....wo example jiske baad koi bhi MABBA ke saamne awaaz uthane ke baare me sochega tak nahi...

bas ek hi din hai tere paas,jee le jitna jeena hai,uske baad toh teri zindagi mout se bhi badtar hone waali hai...

BACK TO STELLARS & GROOMERS

AB BAARI HAI AAP SABKE AAJ KE AAKHRI ACTIVITY KI JISKA NAAM HAI THE FIRST THREE SWALLOW..

apne aaj ke second test ke baad jab hum sab ek saath ikattha hue tab hamare saamne khade REGIS ne kahi ye baat jiske baad EDWINA ne apna haath lehraya aur uske aisa karte hi uske saamne ek bada sa page khul gaya..

ye page FORBIDDEN FOREST par likhi kitab ka hi ek panna tha jo is waqt ek bade size me hum sabke saamne tha..

khair,,us page ko prakat kar...

EDWINA-is page ki identity toh aap sab samajh hi gaye honge...

FORBIDDEN FOREST ke book ka ek panna hai ye...dhyan se dekhiye isse....

is page par jo ye lambi red line gayi hui hai,iska ek sira yahin ka hai jahan hum sab khade hain,aur dusra hisse hai us bhaag ka jahan aap sabko jaana hai...

THE INTRIGUED FRUIT....yahi hai us jagah ka naam jahan ye tedhi medhi line gayi hai aur jahan abhi aapko jaana hai...

aur is red line ke baaju me jo 10 blue lines dikh rahi hain,ye us jagah ka jahan aapko jaana hai,uska short cut hai....

ye puri jagah ghane pedon ke patton ka border hai aur un patton ke saath hi latakthe hai line se teen alag alag fruits....

ye fruits kaafi maatra me un pedo me paaye jaate hai.....

in fruits ka hi haam hai THE INTRIGUED FRUIT....

aur ye naam isse isiliye mila hai kyunki iske sewan se aapke emotions numa REFINERS ka koi bhi ek bhaag kuch samay ke liye trigger ho jaata hai...

baaki dono activities ki tarah in fruits ke ras ko swallow karne se koi permenent faayda toh hoga nahi but haan,aap me se kisi ek ko ek khitab zaroor milega,aur wo khitab hoga,SAVENT OF THE DAY ka....

toh karna aap sabko ye hai ki is red line ko yaa fir iske aaju baaju bane baaki ke 10 shortcuts ko apne dhyan me baitha un shortcuts ka istemal kar sabse pehle us pointed jagah par pahunchna hai aur wahan pahunch ped par lage un teeno fruits ko todna hai,aur bas task complete..

REGIS-aur isiliye taaki koi bhed bhaav naa ho,ye doud aapko apne AMPLIFICATION power se nahi balki apne normal SAVENT speed se pura karna hai..

in shortcuts ko zariya bana,jo bhi un fruits tak pehle pahunchega,wo jeet jaayega....

jo sabse pehle apne target point par pahunche, sirf wahi un teeno fruits ko todega..

ek aur baat,aap sabka second test competition based nahi tha par aap sabke first test me RAAZ jeeta hua hai, isiliye ek advantage usse zaroor mila hua hai...

aur saath hi MAHI aur VIDEOUS,ye dono bhi us test me second aaye the, isiliye,inhe bhi advantage hai...

ab agar is test me RAAZ phirse jeet jaata hai,toh woh clear winner ban jaayega,par agar is test me VIDEOUS yaa fir MAHI jeet jaate hain,toh woh RAAZ ke barabar ho jayega aur aise me hoga un dono ke beech ek SWALLOW competition jisme jeetne waala banega SAVENT OF THE DAY...

REGIS ki baat sun MAHI aur uske saath hi khade VIDEOUS ne mujhe ghoor kar dekha maano keh rahe hon ki is baar tu nahi jeetega..

unke is expression par bas muskura utha mai..

khair,saari baatein clear ho chuki thi aur isiliye...

ROVEL-okey then..ek baar is map ko dekh saare short cuts ache se samajh lijiye....uske baad race start hogi....

ROVEL ki baat sun hum sabne ek baar us map ko aur uske har raaste ko apne dimag me baitha liya jiske baad...

PETRA-ok then....lets begin...

ON YOURS MARKS,GET SET,GO.....

wahan PETRA ke mooh se GO nikla,aur yahan hum sabke body kisi spring ki tarah aage ki taraf ucchle aur kuch seconds me hi hum WHIZZES aur WHIZZDERS ki nazar se gayab ho chuke the..

jahan hume pahunchna tha,uski doori humse kareen 20 km thi jisse apne SAVENT speed se hi hum kareeb 10 minute me hi cover kar sakte the aur shortcuts use karne par ye timing 1 minute se 2 minute tak kam ho jaani thi,ab chahiye tha sabse best short cut lena...

khair,ek point tak bhaagne ke baad hum sabhi apne soche hue short cuts ki taraf mood gaye par jab aisa hua toh ek ajeeb ittefaq hua aur woh ye ki VIDEOUS ne bhi wahi shortcut liya tha,jo maine liya tha..

but mera focus apni manzil par tha aur isiliye mai bas apne dhoon me doudne laga tha par tabhi.....

ek moti di tehni jo neeche padi thi,usse bina apne speed me fark laaye VIDEOUS ne mere pairon ke taraf fekh di...

wo tehni pakka mujhe lag jaati par jabse maine VIDEOUS ko apni disha me hi mudte dekha tha,tabse maine BRAWNY ke danger sensing capability ki AURA ko apne chaaron taraf lapet liya tha aur yahi wajah thi ki jaise hi VIDEOUS ne us tehni ko meri taraf feka,us AURA ne naa sirf mujhe khatre ka abhaas karaya balki uske agle hi pal meri body hawa me thodi aur upar ucchalte hue aage badhi jiski wajah se wo tehni mere pairon ke neeche se hote hue dusri taraf chalo gayi...

par zyada upar ucchalne ki wajah se mere speed me ek minor dheemapan aaya tha jiski wajah se ab VIDEOUS mujhse kuch 2 metre aage doud raha tha...

wahin doudte doudte mujhe ek katili badi si dandi dikhi jisse maine utha liya par usse VIDEOUS ki taraf feka nahi kyunki mujhe maalum tha ki VIDEOUS aisa hi kuch expect kar raha hoga..

khair,tezi se aage badhte hue wo waqt aaya jab hume ek right turn lena tha aur jab humne us turn ke liye body halki twist ki toh...

SOOBH....

maine tezi se feka us katili dandi ko VIDEOUS ke chehre ki taraf jisse ghumte hue bhi sense kiya VIDEOUS ne aur neeche jhuk gaya...

VIDEOUS us hamle se bach toh gaya par aisa karne ki wajah se uski speed halki kam hui,natija,ab mai aur wo phirse barabari par doudne lage the...

jo shortcut hum dono ne liya tha,wo hamari manzil ke raaston me se one of the best short cut tha aur yahi wajah thi ki hum dono hi us THE INTRIGUED FRUIT naam ki jagah par shayad sabse pehle pahunchne waale the..

air finally doudte hue woh waqt bhi aaya jab hume apni manzil dikhne lagi..

apni puri jaan lagakar doudne lage the hum dono aur yahi kaaran tha ki sirf kuch hi seconds me hum us THE INTRIGUED FRUIT naam ki jagah par pahunch chuke the par jab aisa hua toh...

MAI-SHITTT....

dheere se nikla mere mooh se ye shabd...

reason...

MAHI wahan pehle se moujud thi jo humse bas 5 seconds pehle hi wahan pahunchi par aisa naa hua hota agar VIDEOUS ne beech doud me mera raasta rokne ki koshish nahi ki hoti...

khair,ab jo ho gaya tha,woh ho gaya tha...

jahan us ped ke neeche VIDEOUS aur mai,hum dono hi us shaant khade the wahin MAHI ne un teen FRUITS ko toda,meri taraf palti aur...

MAHI-kya hua champ,haar kaise gaye tum...!!!! bohot bura lag raha hoga naa...

MAI-mujhe bura lage naa lage,tujhe toh acha lag raha hai naa..jee le in palon ko, bohot rare naseeb honge tujhe aise pal...

ye bol mai VIDEOUS ki tarad palta aur...

MAI-mera raasta rok kya mila tujhe...mere saath khud bhi haar gaya tu...

VIDEOUS-koi aur jeete,mujhe usse koi matlab nahi..tu haar gaya,itna bohot hai mere liye..

MAI-mai nahi hum haar gaye...aur agar tujhe harane ke liye aaj ki tarah firse mujhe haarna bhi pade naa,toh aisi haar par sau jeet kurbaan...

yahan hum dheere dheere baat kar hi rahe the ki itne me baaki ke sabhi SAVENTS bhi humare paas pahunch chuke the aur MAHI ke haath me teeno fruits dekh sabhi samajh gaye ki MAHI is task me jeet chuki hai..

sabhi usse congrats keh hi rahe the ki itne me paanchon WHIZZES aur WHIZZDERS hamare saamne prakat hue aur..

REGIS-weldone MAHI..ye task tum jeet gayi..humne competition ka ye bhaag jahan tum sabse pehle pahunchi ho,dekha hai...

tumhare baad RAAZ aur VIDEOUS, dono hi is task me ek saath second aaye hain jiska matlab hai ki SAVENT OF THE DAY ke liye tum aur RAAZ,dono hi barabar points par ho...

aur isiliye ab raat ko tumhare aur RAAZ ke beech ek chota sa but kaafi interesting competition hoga,jisme jo bhi jeetega,wahi SAVENT OF THE DAY banega.....

RAAZ,tum bhi apne liye teeno fruits tod lo... competition ke waqt zaroorat padegi inki tumhe..

REGIS ki baat sun sabhi kaafi excited dikhne lage the..sabhi apne apne speculations lagane lage the ki hum dono me kaun jeetega ye khitab...

wahin REGIS ki baat ko aage badhate hue...

SAPIUS-aaj ke jeetne bhi aise task the jinse aapko aapke apne REFINER activation process me madad mil sakti hai,woh ho chuke hain..

and now it's for some fun activities....aur isiliye humara next stop hai THE MAGICAL FOUNTAIN jo yahan se zyada door nahi hai..

so let's walk there guyzzz..

ye bol SAPIUS aur unke saath baaki sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS aage badh gaye aur unhe follow kar sabhi SAVENTS bhi nikalne lage..

maine bhi apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi mere kandhon par ek haath aaya joki MAHI ka tha...

aur jab mai uski taraf palta toh....

MAHI-is task ki hi tarah raat ka competition bhi mai hi jeetungi...

dheere par bohot hi confident se bhari hui awaaz me kahi ye baat MAHI ne jispar mai pehle toh muskuraya aur

MAI-OVER CONFIDENCE.....

bas yahi aadat toh teri bohot BURI HAI.....

mujhe maat de sake,iske liye bohot tay karni tujhe abhi DOORI HAI....

par sochne me kya jaata hai,sochti reh,

waise bhi jeene ke liye ek galatfehmi ZAROORI HAI.....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V....J.......
 
:reading:
 
Top