• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 33


In Bus


Tour ke liye bus ready tha…Karib 25 students and 5 college staffs the iss tour me jaane ke liye…Laghbhag sabhi students baith gaye the bus me…Sirf kuch baaki ke students ke liye bus wait kar raha tha.

Kuch hi der me Nisha bhi bus me aa gayi…Aur aate hi apne aankho ke saamne usne jo najara dekha usse dekh ke uska chehra latak gaya aur saath hi chehre me gussa ya fir jealousy ke kuch bhaaw bhi dikhne laga.

Iss baar bhi vajah pehle ki tarah hi tha…Aaj fir Atul aur Kajal saath baithe the wo bhi bus ke front row me…Aur bus me aate hi uska darshan dono se ho gaya.

Bas ye dekhte hi Nisha ka mood off ho gaya…Kisi tarah Hi, Hello karke wo piche chali gayi…Aur ek do seat piche baithi Anjali ko apni taraf muskuraata dekh uska gussa aur bhi badh gaya.

Jab Nisha Anjali ke paas pahunchi tab,

Anjali:- Ajay…Please tum picche chale jaao…Nisha ko last me baithne me dikkat hoga.

Jaise hi Ajay ne ye baat suna ek pal ke liye wo chaunk gaya…Kisi bade jhatka se kam nahi tha uske liye ye…15 minute pehle kitna khush tha wo Anjali ke saath baithne ki vajah se…Kitna kuch soch liya tha usne iss safar ke baare me…Ye 15 minute me Anjali ke saath kya baatein karega, kaise usko impress karega sab kuch soch liya tha usne…Lekin uski futi kismat…Anjali ki ek hi request ne uske saare khwaab tod diye.

Ajay bhi na chaahte hue utth gaya aur piche chala gaya lekin apne kismat ko kosna nahi bhula.

Ajay:- Meri futi
kismat…Saala har baar aise mauka me hi dhokha deta hai.

Abb wo kar bhi kya sakta tha…Munh latka kar chala gaya wo picche baithne…Anjali bhi Ajay ki haalat par man hi man muskura rahi thi.

Nisha:- Tu ye apna peela daant kyu dikha rahi hai?

Kajal ka gussa Nisha ne Anjali par utaar diya.

Anjali:- Kya peela? Aaj subah hi to colgate se brush kiya tha…Shaayad date expired ho gaya hoga…Tour se waapas jaane ke baad check karti hu.

Anjali ki iss jawaab se Nisha aur bhi jyada chhidh gayi…Chhidhte hue usne kaha.

Nisha:- Dekh abhi mera majaak ka mood nahi hai…Behtar yahi hai ki tu apna bakwas band kar aur chup ho jaa.

Anjali:- Lekin mai bol kaha rahi hu…Wo to tune hi mujhse sawaal puccha tha.

Nisha:- To abb mai hi keh rahi hu chup ho jaa aur mera dimaag aur kharaab mat kar.

Nisha Anjali ki har baat se chhidhte jaa rahi thi.

Anjali:- Accha accha … Thik hai…Abb kuch nahi bolungi.

Fir Anjali ka munh to band ho jaata hai lekin aankhein nahi…Wo apni najro se Nisha ki najarein ki piccha karti hai.

Nisha lagatar Atul aur Kajal ko dekhe jaa rahi thi…Uski aankhein aur chehre ki rang hi bata raha tha ki usse dono ka saath baithna accha nahi lag raha tha.

Ek do baar koshish kiya usne dono se najar hataane ka…Lekin kuch hi der me apne aap chala jaata…Aur fir chehre me wo hi gussa bhare bhaaw.

Anjali:- Abb maan kyu nahi leti…Tujhe Atul se pyar ho gaya hai.

Anjali ne bahut dhire se kaha taaki uski baat sirf Nisha hi sun sake…Anjali ki baat sunne ke baad Nisha ne Anjali ko ghurte hue dekha.

Anjali:- Accha accha abb kuch nahi bolungi…Aise ghur mat.

Anjali ki munh fir band ho gaya…Lekin Nisha ka Atul aur Kajal ko dekhna aur Anjali ka Nisha ko dekhna aur dur baithe Ajay ka kabhi kabhi Anjali ko dekh lena chalta hi raha.

Anjali:- Der mat kar…Warna Kajal naam ki chhidiya kahi tere Atul ko le kar kahi udd na jaaye.

Anjali ne fir muskuraate hue dhire se Nisha ki kaan me kaha.

Aur har baar ki tarah Nisha ne fir Kajal ko ghur kar dekha lekin kuch hi pal me Anjali ki baato se uske dil me ek anjaana sa dar baith gaya…Lekin usne apne iss dar ko apne chehre me aane nahi diya.

Anjali:- Aise mat ghur yaar…Iss baar pakka kuch nahi bolungi.

Fir Anjali chup ho gayi.


Aur last me baitha Ajay apne man me khud se hi baatein kar raha tha.

Ajay:- ( In his mind) Ye kya ho raha hai mujhe…Itna dar kyu lag raha hai…Aaj se pehle aise dar ka ehsas to kabhi nahi hua…Jab bhi Anjali ko propose karne ka sochta hu alag hi dar dil aur dimaag me aa jaata hai…Kahi usne mere pyar ko inkaar kar diya to…Nahi nahi mujhe aise pessimistic bhi nahi hona chaahiye…Ek baar propose to karke hi rahunga…Wo jarur accept karegi.

Lekin aisa mujh me hai bhi kya jo wo bhi mujhse pyar kare…Usse to mera past aur present sab kuch pata hai…Aur future uske saath gujaarna chaahta hu jo sahaayad mumkin nahi…Saala abb mujhe apne hi past se nafrat ho raha hai…Kya jarurat tha wo sab karne ki…Atul ki tarah accha baccha bhi to ban sakta tha.

Abb mera ye past mera future decide kar raha hai aur mujhe apne past se hi nafrat hone laga hai…Abb bhale hi mai badal gaya hu lekin agar Anjali ke liye mai pehle wala Ajay hi raha to wo mere pyar ko kabhi nahi apnaayegi.

Abb khud ko thoda aur time dekar Anjali ke saamne hero bhi nahi ban sakta…Time hi nahi hai mere paas. Anjali ki baato se dar lag raha hai abb…Wo canteen wali baat…Atul aur uski Jodi…Nahi…Aisa nahi hai…Lekin Atul ki jagah koi aur…

Aaj kal jamaana bahut teji se chal raha hai…Agar koi aur aa gaya aur teji se Anjali ko pata liya to mai haath malta reh jaaunga…Mere paas jyada vakt nahi hai…Ye pyar ka maamla hai…Naa hi jald baazi thik hai aur naa hi deri…Timing ki jarurat hai aur wo hi mere kismat me bhi nahi hai.

Khair abb aur deri nahi karunga…Bol dunga issi tour me Anjali ko apne dil ki haal…Abb iss dar ke saath aur jee bhi nahi sakta.

Lekin itna aasan bhi nahi hai…Agar 2, 4 ko peetna hota to aaram se peet deta lekin ye pyar aur propose aur bhi khatarnaak hai…Chaaku aur bat ka itna dar nahi lagta jitna pyar me inkaar hone ka khayal se lag raha hai.

Ye kya soch raha hu mai…Fir wo hi chaaku, bat aur gunda gardi…Nahi…Abb bhul kar bhi ye nahi sochunga…Abb badal gaya hu aur dobaara picche nahi mudunga…Abb bas ek accha mauka ka intejaar hai…Fir Anjali ko propose kar dunga aur baaki ke faisla upar wale aur Anjali par chhod dunga.



Kuch aise hi khayal me Ajay pareshaan ho raha tha...Aur ye dua karte jaa raha tha apne man me ki kaash uske pyar ko Anjali accept kar le.


Aur dusri taraf Nisha ka bhi haal kuch thik nahi tha…Wo abhi bhi Atul aur Kajal ko hi dekhe jaa rahi thi…Usne observe kiya ki Atul Kajal ke saath bhi ussi tarah se baat kar raha hai jaise uske saath kar raha hai…Bich bich me Atul jab bhi Kajal ke saath hans hans kar baat karta Nisha ko bahut gussa aa jaata tha…Abb to wo ye bhi compare karne lagi thi ki Atul kiske saath acche se baat karta hai…Khud ko to wo yahi jawaab de rahi thi ki Atul usse hi acche se baatein karta hai aur usko Kajal se jyada accha dost manta hai lekin uski iss jawaab ko uski aankhein jhutha saabit kar raha tha.

Kuch issi tarah bus ke safar me shaam ho gaya.

Pure safar sirf Atul aur Kajal ke liye hi accha raha…Dono ne saath me bahut baatein aur masti bhi kiya…Nisha dono ko dekh kar gussa hote jaa rahi thi…Ajay apne soch me pareshaan tha…Aur Anjali Ajay aur Nisha ki haalat ka maje le rahi thi.

Shaam ke 6:00 pm me sabhi apne destination pahunche…Waha pahunchte pahunchte shaam ho gaya tha aur sabhi thak gaye the to college staffs ne decide kiya ki sabhi kal se hi ghumne jaayenge…Aaj hotel me hi rest karenge.

Kuch der baad sabhi apne apne room me pahunch gaye.

Room me jaane ke baad Nisha apne bed me lait gayi…Uska mood to pehle hi bigad gaya tha…Aur mood fresh karne ki koshish me usne mobile khola…Mobile kholte hi usse Atul fb me online dikha…Atul ko online dekh kar usse accha to laga lekin gusse ki vajah se ignore kar diya…Aur wo news feed dekhne lagi.

Kuch hi der baad Atul ka message aaya.

Atul:- Hi.

Lekin Nisha ne gusse me fir se ignore kar diya aur mobile off karke chhat me ghumne chali gayi.

Karib aadha se ek ghanta chhat me ghumne ke baad jab usne fir mobile on kiya to usse hairaani hua…Atul abhi bhi online tha…Hairaani iss liye ki usne Atul ko pehle itni der tak kabhi online nahi dekha tha.

Chhat me ghum kar fresh hone ke baad uska mood bhi abb pehle se behtar tha…Iss baar usne reply kar hi diya.

Nisha:- Hello.

Kuch der baad Atul ka message aaya.

Atul:- Hello…Lekin itni der baad message ka reply?

Nisha:- Wo kuch jaruri kaam aa gaya tha bich me issliye.

Atul:- Ohh…Mujhe laga kahi Madam mujh se kisi baat ke liye naraaj to nahi hai aur ignore kar rahi hai.

Atul ki iss baat se Nisha ne apne man me kaha.

Nisha:- (In her mind) Gussa…Itna gussa to shaayad hi kabhi mujhe aaya hoga…Tum se pyar karne lagi hu issi liye bhaaw khaa rahe ho na…Dekh lungi tumhe.

Nisha ne iss soch ke saath pehli baar maan liya ki wo Atul se pyar karne lagi hai.

Lekin message me usne kuch aur hi likha.

Nisha:- Nahi…Mai sir se kaise naraaj ho sakti hu.

Fir dono ke bich kuch der tak aise hi chatting chalta raha…Abb Nisha ko bhi Atul se baat karne me accha lagne laga aur wo ye bhul bhi gayi ki wo kuch der pehle Atul se naraaj thi.

Lekin Nisha ne ye bhi notice kiya ki Atul thoda late reply de raha tha.

Nisha:- Tum bahut slow typing karte ho…Bahut late reply aata hai tumhaara.

Lekin dusri taraf se jo reply aaya uska ummeed Nisha ne kiya hi nahi tha.

Atul:- Nahi aisi baat nahi hai…Kajal se bhi chatting kar raha hu to thoda time lag raha hai…Issi vajah se reply me thoda time lag raha hai.

Atul ki iss baat se Nisha ko aur bhi gussa aa gaya…Gusse me iss baar usne mobile bed me fenk diya.
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Superb Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Mbindas

Active Member
1,937
4,121
158
Very nice update bhai
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top