• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Bhai ye story ko thoda present me bhi aage badhao jisase inke mukhya patron me interest bana rahe. Abhi to inka future pata hone ki wajah se utna interest nahi lag raha hai. Dono hero aur heroin bahut hi achche hai per present me story aage badhegi to inko ek naya shade milega aur kahani interesting bhi lagegi ke dono kaise milenge. Aur atul ka uski bahan aur maa se reletion bhi batao kaisa hai.
Story bahut badhiya hai.
Thanks Chinturocky bhai for your support and review. Bas kuch updates aur fir story past aur present dono me chalta rahega...Aise hi saath bane rahiye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 32


After a Month


Padhaai, dosti aur masti me ye 1 month kaise beet gaya pata hi nahi chala…Itne vakt me jyada badlaaw to nahi aaya tha fir bhi thoda badlaaw aur jaan pehchaan aur badh gaya tha sabhi dosto me.

Jab Anjali ne Nisha ko bataya tha ki wo Atul se pyar karne lagi hai tab se uska Atul ko dekhne ka aur baat karne ka tarika me bhi bahut badlaaw aa gaya tha…Wo abb pehle ki tarah khul kar baat bhi nahi kar paa rahi thi Atul se jaise pehle karti thi…Pehle jab dono sirf dost the to haalat kuch aur tha lekin abb Nisha ke liye Atul sirf dost hi nahi tha…Jo bhi baat karti soch samajh kar karti thi…Aur wo abhi bhi Atul ko acche se samajhne ki koshish karti.

Aur dusri taraf Atul…Uska daily routine hi abb ban gaya tha…Ghar aur lecture ke vakt padhaai aur college ke free time me dosto se baatein aur masti…Jab bhi wo baat karta tha sabhi se acche se baatein karta, dosto ka tension aur pareshaani dur karne ki har koshish karta…Sabhi ko study me help aur kabhi kabhi group study bhi.

Friend circle me Atul sabhi ke aur bhi close aa gaya tha…Nisha se bhi wo aur khul kar baatein karne laga tha lekin abhi tak uske dil me pyar jaise shabd koi jagah nahi bana paaya tha…College me aa kar do hi baat sikha tha usne…Ek padhaai aur dusra dosto ke saath masti.

Kajal bhi sabhi ke aur karib aa gayi thi…Atul ke saath aur bhi jyada…Kabhi wo Atul ke aur paas aane ki koshish karti to kabhi dur…Sabhi ko uss par shak bhi hone laga tha uske feelings ko lekar sabse jyada Nisha ko…Lekin koi kuch nahi keh raha tha…Atul iss baat se puri tarah anjaan tha aur usse iss baat se jyada matlab bhi nahi tha.

Dusri taraf Ajay aur Anjali…Ajay ki haalat par sabhi ko hansi aa raha tha…Bechaara har ek koshish kar raha tha Anjali ko impress karne ki…Lekin dar aur nervousness me wo kuch aisa kar deta ki bechaare par sabhi ko hansi aa jaata tha.

Aur fir Ravi…Apne beizzati ke baad to usne abhi tak kuch kiya nahi tha…Lekin bhula bhi nahi tha…Lekin har din aur har pal Atul aur uske dosto ke liye uska nafrat badhta hi jaa raha tha.

In Canteen


Ajay:- Suna hai next week se 3 days ka college tour hai…Itne vakt baad college walo ne kuch to kiya hamaare batch ke liye.

Ajay bahut khus ho kar bola.

Anjali:- Ha bahut din baad life ko enjoy karne ka mauka milega…Warna padhaai me hi mera dum ghutne laga tha.

Kajal:- Wo to aage bhi ghutne wala hai…Sirf 3 days ka hi tour hai…Uske baad aage fir se college aur padhaai me hi saari jindagi beet jaayega.

Nisha:- Lekin ye 3 din bhi kam nahi hai…Agar inn 3 dino ke har ek pal jiyenge to yahi pal yaad gaar lamhe ban jaayega…Inhi lamho ki yaadon me hi bahut vakt gujaar sakte hai…Aur aise tour aage bhi to aayega…Hame masti ke har ek pal ko enjoy karna chaahiye…Aur dekhna ham sabhi dost mil kar bahut masti karenge.

Ajay:- Kisne kaha sabhi dost mil kar masti karenge.

Ajay ki iss baat par sabhi Ajay ko hairaani se dekhne lage.

Anjali:- Kyu? Tum nahi aa rahe ho?

Ajay:- Nahi...Mera matlab mai aa raha hu...Mai keh raha tha ki aage jo baithe hai Atul maharaj unhe dekho…Kuch bol bhi nahi raha hai…Jarur kuch na kuch soch raha hoga tour cancel karne ke liye…Ye 3 din me pura syllabus padh lega…Aur isse accha mauka kaha milega.

Ajay ki baat khatam hone ke baad fir sabhi ka sawaliya najar Atul par pada.

Atul:- Tum log kab se Ajay ke bakwaas par vishwaas karne lage?

Kajal:- To tum bhi chal rahe ho.

Kajal ki baato se hi pata chal raha tha ki wo kitna khush hai…Aur uski itni khushi Nisha ko bahut ajeeb lag raha tha.

Atul:- Bilkul…Mujhe bhi study se break chaahiye…Bahut padh liya…Inn 3 dino ko mai bhi enjoy karunga.

Ajay:- Dekhna baad me iske bag me kapde ki jagah book hi hoga…Iska har nas se waakif hu.

Atul:- Bahut galat tarah se waakif hai.

Ajay:- Ek baat bata…Tu iss tour me kyu jaa raha hai…Ye tour to tera kisi kaam ka nahi hai.

Atul:- Mera kaam ka nahi hai…Matlab?

Ajay:- Matlab ye tour tum jaise pyar na karne walo ke liye nahi hai.

Atul:- Jarur pee kar aaya hai tu aaj…Bakwaas baatein karte hi jaa raha hai…Bhai thodi der soo jaa…Nasha kam ho jaayega.

Nisha:- (To Ajay) Tumhaari baatein mujhe bhi samajh me nahi aaya.

Ajay:- Aise college ke tour me sirf unhi logo ko majaa aata hai jo relation me hote hai…Soch bhai…Ham kisi apne pyar karne wale ke saath aise yaad gaar pal jeene jaa rahe hai…Usme kitna maja aayega.

Aur ek tera life…Kya karega tu waha…Sirf hotel me rahega aur bore hoga to hotel se baahar niklega…Aise me kya maja.

Anjali:- Abb apni bakwaas band bhi karo…Tumhaari baato se to lag raha hai ki tum bakwaas kam aur Atul ko bhadkaane ki koshish jyada kar rahe ho.

Atul:- Yaar har baar ye pyar ko bich me kyu jod deta hai…Teri baato se to aur bhi bakwaas lagne laga hai ye pyar shabd.

Mera hamesha majaak udaane ki koshish karta hai single hone ki vajah se…Tera kitna girl friends hai?

Ajay ne kabhi socha hi nahi tha Atul aise sawaal bhi kar sakta hai…Agar waha koi nahi hota to wo isse majaak me badal deta lekin Anjali bhi saath me hone ki vajah se bechaara ki haalat kharab ho gaya.

Ajay:- Lekin pyar me naastik to nahi hu na…Koi na koi mil hi jaayegi bahut jald.

Ajay ne baat badalte hue kaha.

Anjali:- Dekhti hu kaun milti hai.

Anjali ne apna gussa daba kar kaha…Usse Ajay ka
" Koi na koi mil hi jaayegi bahut jald” bilkul bhi pasand nahi aaya tha.

Ajay:- Atul thodi na hu mai…Agar kisi par acche se try karunga to jarur pat jaayegi…Atul bechara se kabhi koi pategi bhi nahi aur issi tarah single hi reh jaayega.

Ajay ne hanste hue kaha.

Atul:- Bhai tu to mujhe puri tarah underestimate kar raha hai…Ladki pataane ka har ek idea hai mere paas…Lekin interest nahi hai.

Ajay:- Accha aisi baat hai…Ek idea hi bata de.

Atul:- For example:

Aaj kal ki bahut saare ladke ladkiya relation me hoti hai.

Agar aisi ladki par try karna hai to chemical reaction use karna padta hai.

Ajay:- Matlab acid fenkne ka dhamki…Bahut kamina hai yaar tu.

Ajay ki iss baat par Atul ne Ajay ko gusse se ghurte hue kaha.

Atul:- Abey choti soch...Pehle baat to sun le…Chemical reaction matlab pehle single displacement reaction…Pehle to ladki aur dusre ladke ka bond tod de aur khud jaa ke alag bond bana uss ladki ke saath…Aur fir jab tak pyar ka naatak karna hai tab tak karta reh aur fir interst nahi raha to decomposition reaction…Kuch alag try kar aur fir alag ho jaa.

Certified and bahut kaam ka idea hai…Aur aaj kal ka pyar bhi kuch aisa hi hai.

Ajay:- Chhupa rustam aur chalu hai yaar tu.

Ajay ko bhi Atul par hairaani ho raha tha…Usne kabhi socha bhi nahi tha ki Atul aisa logic de sakta hai.

Atul:- Afsos ki aisa nahi hu…Agar hota to ye idea bahut pehle use kar leta…Lekin mujhe koi interst nahi hai pyar, ishq aur mohabbat jaise shabdo me.

Atul ki baat sun kar sabhi thoda hairaan ho gaye the…Koi kuch bolta usse pehle hi Atul ne kaha.

Atul:- Chalo abb…Lunch break bhi khatam ho gaya.

Sabhi apne seat se utth gaye…Anjali ne Ajay ko rukne ka ishaara kiya.

Dusri taraf Ravi bhi Atul ki baato ko dhyan se sun raha tha.

Aur wo khud bhi soch raha tha.

Ravi:- (In his mind) Pehli baar iski baat me koi logic hai…Idea to accha hai aur jarurat padne par use bhi karunga.

Sabhi ke jaane ke baad.

Anjali:- Tum aaj kuch jyada hi bakwaas aur bina matlab ke baat kar rahe the.

Ajay:- Pata hai.

Ajay ne muskura kar kaha.

Anjali:- To fir kyu?

Anjali ne hairaani me puccha.

Ajay:- Atul ko bhi set karne ka soch raha hu…Sabhi ko dekh raha hu sabhi apne gf bf me busy hai…Aur ek hai mera buddhu dost…Wo to marte dum tak bhi single rehne ke liye taiyaar hai…Kuch karna padega warna kunwaara hi mar jaayega.

Anjali:- Bahut fikar hai tumhe Atul ki?

Ajay:- Ha.

Ajay ne muskura kar jawaab diya.

Anjali:- Pehle khud ka to set kar lo.

Anjali ne bhi muskura kar jawaab diya aur saath hi Ajay ka haalat kharaab ho gaya hairaani me.

Ajay:- Kya? Kyu?

Anjali:- To fir tum bhi kunwaare hi mar jaaoge.

Ajay:- Mujhe khud ki parwaah nahi hai…Aur ha Atul sahi kehta tha pyar naam ki chhidiya se jitna dur reh sakte hai rehna chaahiye.

Anjali:- Kya mai tumhaara saath de sakti hu.

Anjali Ajay ko aur bhi jyada pareshaan karne ke mood me thi.

Ajay:- Kaisa saath?

Anjali:- Atul ko set karne ki koshish me…Bataao Atul aur mera jodi kaisa rahega?

Anjali Ajay ki haalat dekh muskura kar boli…Aur Anjali ka aise sawaal se Ajay buri tarah chaunk gaya…Ek pal ke liye to usse apne kaan par vishwas bhi nahi hua…Atul aur Anjali…Ye to usne kabhi apne bure sapne me bhi nahi socha tha.

Anjali:- Itna chaunkne ki jarurat nahi hai…Ye sirf majaak tha…Atul mera accha dost hai…Iske alawa aur kuch nahi.

Anjali ki iss baat ne Ajay ko raahat diya lekin wo abhi bhi kuch bolne ki haalat me nahi tha.

Anjali:- Abb chalo…Pehle hi late ho gaye hai.

Fir Anjali aage badh gayi…Ajay bhi uske picche picche chalne laga…Wo chal to raha tha lekin uska aankh aur dimaag ek dusre ka saath nahi de raha tha…Anjali ki baat ne usse bahut gehri soch me daal gaya tha…Kayi jagah par girte girte bacha, kisi tarah Ajay class me pahuncha.

Tour ki planning ho gaya tha…Aur sabhi ready bhi the iss tour ke liye…Un hone iss tour me socha bhi nahi hoga ki aisa kuch bhi ho sakta hai…Kuch meethi, kuch buri aur kuch khaufnaak yaad unhe milne wala tha iss tour me aur issi ke saath sabhi ke life me aur bhi badlaaw aane wala tha.
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Nice Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top