Mitra mai achchhe lekhako ki bahut kadar karta hu aur khashkar prem par adharit kathao ka adhayan karne ko prayasrat rahta hu aapki kahani me mujhe apsayu ka kirdar kafi pasand aaya h
Mazak karne ki manahi nahi h mitra bas darta hu ki kahi kisi ko apne kathan se prabhavit na kar du.
Esliye fir se love you bhai
Update padha achchha laga aaj sanchi ki savedna ka abhas hua ki vo apne kiye par sharminda hai kintu ek baat kahna chahunga ki jo ye sanchi kah gai ki mai to ye chahti thi ki apsayu mujhse vasna matra ki purti kar le Ese uska gussa smajh Kar mai ye karke kahi dur chali jaungi.
Kya apna hero itna hi bekar hai ki vo matra vasna purti ke liye sanchi se judav mahsoos karta tha aur kya vo sanchi ko swayam se dur jane de sakta hai.
Aapke mazak ke uplakshya me chand lineS
Hum tum bhole piya jag hai julmi,
Preet ko paap kahte adharmi,
Sabse na kahio Ye baata Dilo ki,
Jag sune to julam hoi jaye.
Nishdin mai karu teri puja,
Naino me nhi aaye koi duja,
Mano kasam gar jhooth kahe hum,
Ye chadhati jwani bhasam hoi jaye.
Jab tak hai jwani tab tak hai jmana,
Chahe jise ji bhar ke sata lo,
Yaad rakhio tab koi na chahe,
Jab ye jwani khatam hoi jaye.
Humari atariya pe aaja re swariya dekha dekhi balam hoi jaye.