Tony stark
Active Member
- 963
- 4,462
- 123
Enigma sir,Aap sabhi se dil se kshama chahta hu jo main apna vada poora na kar saka sahi samay par update na de kar. Wajah tak batane ka samay nahi mila is liye ye sandesh ab de raha hu.
Mere 2 bete hamesha meri zindagi ke us andhere se mujhe bahar rakhte rahe jaha sirf bheed, fareb, dukh aur akelapan he tha. Har saal 3 mahine Mai akele bitata tha aur sharab se bahar nikalne me meri madad karne ke liye mere pyaar ne mujhe ye 2 hafte ka nanha sa rottweiler bhent kia tha 2012 me. Zindagi apni jaisi bhi rahi khaya na khaya, soye ya daud-bhag karte rahe lekin apni dhadkan ka ye aakhiri tohfa waisa he pyaar aur badlaav meri zindagi me laya jaisa wo laai thi kabhi.
Subah 5 baje chehre ko choom kar uthana, fir ghanto mere sath ghoomna khelna aur ek kamjor sharir me dhire dhire urja ka sanchar karna Rambo ne shuru kia tha.
Gaadi shaam k 5 baje fir se ghar aane ki wajah wahi tha jo jaane kaise hamesha pehle he ghar ki khidki se mooh nikale mera swagat karta milta. Uske sath rehkar fir se apne akelepan ko maine bhulana shuru kar dia tha. Sharaab cigarette ki jagah rasoi me dono ka khana banana jyada atcha lagta tha.
Aaj woh drishya najro ke samne he lagta hai jab 2014 me mujhe hospital bharti kia gaya tha lungs me problem ki wajah se. 5 din baad mere ghar wapis aane pe he usne niwala khaya tha.
Hamesha bister pe mere dil ki taraf sone wala Rambo ek baar fir se ghar ko adhurepan me chhod gaya.
Uske jaane ke baad Frank bhi sadme hai jo shayad mere se jyada Rambo ka humsaya raha. Frank ki halat me aaj sudhar hai lekin filhal hospital rahega kal subah tak.
Kam se kam himmat rahegi ki ye wajah toh hai mere pas fir se ghar aane ki.
Thoda samay dijiye, main rukne wala vyakti nahi hu aur na he kamjor dil. Bas kabhi kabhi jivan ke kathor satya ka samna karna padta hai.
Yaha likh kar thoda dil halka karne ki cheshta hai.
Sabhi ko pyaar aur Aasha rakhta hu ki intjaar karenge aap log.
?
IS DUKH KI GHADI ME HUM SAB AAPKE SATH HAIN, MAAFI CHAHTA HUN HUM ME SE KISI KO BHI AAPKE IS DUKH KA GYAN NAHI THA, AGAR MAZAK ME KUCH GALAT COMMENT KAR DIYA HO TO CHHOTA BHAI SAMAJH KAR MAAF KAR DIJIYEGA
YE KAHANI SIRF EK KAHANI NAHI HAI, YE WO ZARIA HAI JO HUM JAISE KITNE BHAION KO AAPAS ME JODE RAKHTA HAI, HUM YAHAN AA KE EK DUSRE SE BAATE KAR LETE HAIN, AUR APNI BHAWANAO KO VYAKT KAR LETE HAIN, YE KOI CHHOTI BAAT NAHI HAI
AAP APNA KHAYAL RAKHEN, KAHANI KI CHINTA NA KAREN BAS AGAR HO SAKE TO BICH BICH ME APNE HAAL CHAL KI JANKARI DE DEN
HUM SAB HUMESA AAPKE SATH HAIN...
Last edited:
