• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Tawaif

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated -3



Sadanand ek tak Runaa ki or dekh rhe the...kuchh bol nhi rhe the..mano kuchh yaad aa gya ho unhe...Runaa ka bhi whi haal tha........lekin ek naagwari thi Runa ke chhre par..aisa lag rha tha ki ateet ke kuchh aise panne uski aankho ke saamne aagye the jinhe wo kabhi dubara padhna nhi chahti thi. Jaise hi sadanand ko ahsaas hua sabki maujudagi ka, apne aap ko sambhaal liya unhone...... "Jao sab log" sadaanand ki aawaz sunte hi sare naukar wha se chale gaye.....Babulaal bhi uthkar apne jabde ko sambhalata dheere dheere bahar chalaa gya. Kamre me ab sirf Runa, Sadababu,kohinoor ,Alok aur Sophi rah gaye the.Lailaa chali gayi par Runa nhi gayi.kyu?? ye to sirf Runa hi jaane. "Le jao ise yhaa se......"Sadanand apne gusse par kabu paane ki kosis karte huye fufkaar rhe the. "kahin nhi jayegi ye...Tab tak nhi , jab tak mai nhi kahunga........." Alok ek baar fir se apne baap ki khilafat par utar aaya.


Mai jaungi !!!, chaliye Runa baji........" is baar bahut der se sara tamasaha dekh rhi kohinoor bol padi. " Tum kahin nhi jaogi........." Alok ne ghoor kar use dekha. "Tawaif hu mai Alok babu......." ek dard umad aaaya kohinoor ke chehre par. "kajal ?" Alok kuchh kahne hi wala thi ki kohinoor cheekh padi. "kohinoor naam hai mera..........kajal nhi hun mai....." Alok sann rah gya is baar....kuchh nhi bola.....bolta bhi to kya. Sadanand Runaa se nazre nhi milaa rhe the...lekin gussa unke chehre se saaf saf jhalak rha tha. Alok ko samajh me nhi aa rha tha ki wo kya bole.....chupchap lachar sa kajal ko dekh rha tha. kuchh pal ke liye sab log khamosh ho gaye aur Sadanand ne is khamoshi ko toda......... "Lailaa ko bulao" unhone ne kaha...par koi tas se mas na hua...naukar to unke wha the nhi aur jo the wo abhi unke hukm ki tameel nhi karne wale the......khud hi jor jor se aawazen lagaane lage Laila ko........... Laila nhi aayi to jhunjhlaa kar hi bahar ki badhe aur jaate jaate........ "Le jao Runaa Bai ise yhaa se..kahi aisa na ho ki........."bas kuchh kahte kahte ruk gaye aur daant peeste huye bahar chale gaye.


Runaa ne kohinoor ko hath pakdaa aur chal di......kohinoor ne ek baar bhi Alok ki or nhi dekha....uske chehre par ek udasi thi..ek bebasi. Wo bahar chali gayi.... .Runaa ne jate jaate Alok ki or dekha aur aankho hi aankho me use shant rahne ka ishara kiya. Alok khada dekhta rha...Ek baar fir se majboor. Runa us se kuchh kahna chahti thi shayad par kohinoor ke saamne shayad nhi. Runaa pichhle darwaaze se bahar aayi to dekha kuchh door par khadi Lailaa Sadanand se baat kar rhi thi aur baar baar haan me sar hilaa rhi thi. Wo chuchaap Kohinoor ke saath jakar Car me baith gayi...Kohinoor ke chehre par ek dard tha...ek pachhtawaa tha. Wo aankhe munde seat ki back se lagi baithi thi..aankho se ek ek karke dheere dheere aansu uske gore gore galo par ludhak rhe the. Achanak Runaa ki nazar usi darwaaze se bahar aate Sophi par padi...kuchh kaundha uske dimaag me... "Kohinoor me abhi aayi..wo mai apna purse bhool gayi andar........."Runa ne kaha . "jee baaji" Kohinoor bina aankhe khole hi boli. Runa teji se bahar nikali aur sabse nazre bachate huye Sophi ke paas pahuchi.Is se pahle sophi kuchh samajh paati Runa ne use chup rahne ka ishara kiya aur uska haath pakad kar darwaaze se andar ho gayi. " Wo ladkaa kahaa hai?? andar hi hai ??wo..wo thik hai na...??" Runaa fikrmandi se puchh rhi thi. " Who...?? kaun ..Alok " Sophi ne dheere se kahaa. "Haan...." Runaa ne itna hi kaha.....ki bahar se Lailaa ki aawaze aane lagi.....

O Runaaa?kahaa mar gayiiii" "suno mai jaa rhi hun...us ladke se kahnaa bahut jald kohinoor milegi us se..kuchh waqt lag sakta hai lekin milegi jaroor....kahnaa ki bahut majboor hai Kohinoor...kahnaa ki ......samjhaa dena use..." jaldi jaldi itnaa hi bol payi Runa aur bahar nikal gayi.Shayad jo karne aayi thi wo kar bhi na payi.par wo kisi bhi tarah se Laila ke shak ke dayre me nhi aana chahti thi. Sophi uski baaten to shayad hi samjh payi ho lekin uske haav bhav aur uske kahne ka matalab khoob samajh gayi thi. "kahaa mar gayi thi tu " Runa ko dekhte hi Lailaa ne daanta. "Jee wo purse bhool gayi thi apna andar" "To kaha hai purse ??" "w..wo..wo thodi na milega..kisi naukar ke haath lag gya hoga... vaise bhi shakl se to sare chor hi lag rhe hain.." Runa bolte bolte car me ghus gayi. Lailaa bhi Car me baith gayi....aur car chal di. Lailaa bade dhyaan se kohinnor ko dekh rhi thi.......jo kuchh hua tha use poora to nhi pta chal paya tha ...lekin


kohinoor ke liye Alok ne uska gala dabaya tha ,ye achchi tarah yaad tha....bhala kaise bhool jati. "Sali tu cheej kya hai re....aaye haaye rajaaaa !!!! jamaana to dekho..Tawaif ki mohabbat me ek shareefjada sala apne baap se lad gaya......ha ha ha.....achcha ek baat bta.... aiii bata na !! ...kya chakkar hai ....itni si der me kya jaadu foonk diya....pahle ka yaraana lagta hai....saali mai to tujhe badi shareef samjhti thi....khair mujhe kya ...Sadababu se jyada keemat kaun dega teri........aur mujhe to bas noto se matlab hai......." Lailaa chatkaare le lekar bol rhi thi...zahir hai use kisi bade maal ki umeed dilayi gayi thi...Kohinoor chup chap aansu bahaye ja rhi thi aur Runa ekdam shant thi ..mano apne mauke ka intzaar kar rhi ho........apne waqt ka intzaar kar rhi ho. Bahut kuchh chal rha tha uske dimaag me ...kuchh ateet ke bare me kuchh bhavishya ke bare me.......kuchh buri yaaden, kuchh achchhe sapne. Car ek bade se bangle ke saamne jakar ruki.......wha nhi jahaa Lailaa bai ka kotha tha. "Aaj raat hum yhin rukenge....." Lailaa ne kaha aur haweli ke andar chal di. Runa ko kya aitraaz hona tha..Tawaif ki to zindagi hi yahi hoti hai...koi kotha ya fir har raat nya bangalaa...."Ghar" kaha hota hai unke naseeb me. Raat ke 12 baj rhe the aur Runa , Laila ke samne baithi thi Bangle me . Runa Sadanand ko dekhkar chauki thi, ye Laila ne dekha tha..Lailaa ne puchha to usne kah diyaa ki uske dhandhe me aane ke baad , Sadnand kuchh suru ke customer me se tha.Lailaa ko bhi pta hi tha ki Tawaifon ki kisi se bhi pahchaan bas jism ke saude tak hi hoti hai..usne bhi jyada nhi puchha.


Runa, ek kaam hai tujh se ..." "jee kahiye" "Sadaa babu ne kaha hai ki kohinoor ko kuchh dino ke liye is shahar se htana hai..jab tak unka beta yha hai ...fir wo kohinoor ka koi bandobast kar denge........." Laila bole ja rhi thi. "jee" Runa ka dimaag bahut teji se kaam kar rha tha. "to mai chahti hun ki tu use lekar apne gaav chali jaa.....bade log hain..yha rahegi aur us launde ke hatthe chadh gayi to jaane Sadababu kya karenge..samajh rhi hai na tu......" "jee"Runaa ne bas itna hi kaha. "kal ka tera aur uska ticket karwaa deti hun......aur sun use kuchh mat batana ....use yahi pata chalna chahiye ki wo ladka iske saath raat gujarna chah rha tha aur uske baap ko ye pasand nhi tha....aur isiliye use kuchh din ke liye shahar se door bheja ja rha hai...kyuki baat ek bade aadmi ki hai..neta ki hai...agar baat khul gayi to teri aur meri dono ki khaal utar jayegi...bahut zaalim hote hai ye khaadi wale." Lailaa apni aadat ke veeprit kafi sanjeedagi se baat kar rhi thi......Use khud nhi pata tha ki Alok kaise janta hai kohinoor ko...aur kohinoor kaise janti hai use...vaise bhi wo jaankar kya karti..use koi dilchaspi nhi thi..use to bas kohinoor ke roop me ek tijori mili thi jiski sahi keemat use milni thi.


Bechari Laila Runa ko wo samjhaa rhi thi jo wo abhi tak khud na samjhi thi.daulat ka parda padaa tha aankho par, isiliye Alok ki tadap bhool gayi thi.vaise aur kar bhi kya sakti thi wo, jo kaha gya tha use wo karna tha aur iski keemat use mil rahi thi...is se jyada use matalab nhi tha kisi cheej se. Uski nazar me Kohinoor bhi ek Tawaif thi aur agar alok ke saath uska koi rishta tha bhi to bas ek Tawaif ka apne aashiq se hone wala rishta ...aur Laila ko achchhe se pta tha aise rishton ki umr bahut lambi nhi hoti...sirf tab tak jab tak us se achchhi Twaif kisi kothe par na aa jaye.yahi uska anubhav tha aur yhi uski apni soch thi. "jee bahut behtar...aisaa hi hoga.." Runa ne ek baar fir bas itna hi kahaa. "Ek baat bataa..ye sala sadaa ka Laundaa paagal hai kya...........mera gala dabane lagaa.....abe sala kya shadi karegaa us se......ek Tawaif se..aaj tak to kisi shareefzade ne ki nhi....ye saala ameeron ke chochale na.......are Amreeka se aaya hai na...........chhod Rajjaaaaa.........apni samajh me kahaa aane wala hain..........apne ko to rokde se matlab aur wo apun ko mil rha hai........."Laila bol to Runa se rahi thi ...lekin sari baaten khud se hi kiye jaa rhi thi. Runa man hi man khuda ka shukriya adaa kar rhi thi..shukr tha ki uske saath Kohinoor ko bhej rhi thi lailaa.Usne soch liya tha ki ek baar pahle kohinoor se baat ho jaye , sari sachchayi pata chal jaye......fir wo ek kosis jarur karegi,agar us kosis ki jarurat lagi use to. Dusre din dophar ke 2 baje ki train se kohinoor aur Runa , Runa ke ke gaav ko rawana ho gaye .Unke saath Lailaa ka ek khas aadmi bhi tha -Jumman . khub lamba chauda , kala robila chehra, laal aankhe...kurta aur lungi pahne huye.......kisi daanav ke jaisa.......thodi door par baitha apni cheel si najro se Runa aur kohinoor ko ghoor rha tha. Train apni raftaar se manjil ki or badhi ja rhi thi....Runa ke god me sar rakh kar leti Kohinoor kal se bilkul khamosh thi..bas haan hu me har baat ka zawab de rhi thi.kal se usne kuchh bhi nhi khaya tha..Rah rahkar dard ki ek lahar si daud jati thi uske seene me.Aankhe nam thi aur lab khamosh..bas dil me yadon ka ek tufaan tha,jo tham hi nhi rha tha.

Train me jyada bheed nhi thi.....Jumman ki seat pichhe thi aur Runa aur kohinoor ki aamne saamne.... raat ho chuki thi...sabne kuchh thoda bahut khaya....aur Kohinoor ek baar fir Runa ki god me late gayi...jummna ke hone se dono koi baat nhi kar rhi thi. Thodi der baat jumman uthkar apni seat par chala gya sone....ab un dono ke aas paas ki sare seaten khali thi...Runa ne ek nazar jumman par dali...kuchh hi der me uske kharraton ki aawzen aane lagi.........aur vaise bhi wo dusri or chalaa gya tha to ab wo unki baaten sun payegi aisa lagbhag asambhav hi tha.kam se kam Runa aur Kohinoor ko to yhi lag rha tha ki jumman so gya .aur vaise bhi kal se Runa ke dil me haichal machi huyi thi ...sawalo ka ek ambaar tha uske man me.ab us se sabr nhi ho rha tha..... "kohinoore" Runa bade pyar se uske balo me hath pherte huye boli. "hmmm" kohinoor halke se boli.. "kaun hai ye Ladka, wo tujhe Kajal bula rha tha...kaise janta hai wo tere bare me ???........" Runa ne ek saath wo sab kuchh puchha, jo wo kal se hi puchhna chah rhi thi. kohinoor ne aankhe kholi aur suni suni najro se use dekhne lagi....mano puchh rhi ho ki kya fark padta hai ab......usne to khud hi Alok ko dutkaar diya tha kal...khud kah diyaa tha ki kya haq hai uspar ...fir ab kyu....?? "Batao kohinoor kaun hai ye ladka ?? " "Nhi baaji....please ab mat puchhiye .......mai bahut sharminda hun...kal jaane kaise ek kamjor lamhe ka shikaar ho gayi use achanak apne saamne pakar mai...agar mujhe pata hota ki yha wo hoga to mai kabhi naa aati........kabhi bhi nhi....." kohinoor ki aawaz me ek pachhtawa tha.


Pta to mujhe bhi nhi tha ki wha kaun milega, nhi to mai bhi naa aati." ek sapne ke se aalam me Runa ne kaha. "Khair wo sab baten fir kabhi, abhi meri baat sun.......badi kismat wali hai tu ki tujhe koi chahne wala hai......uski najro se chahat jhalak rhi thi ...ek Tawaif ki zindagi me wo pal nhi aata jab koi uski khatir apno ke khilaf ho jaye. ..use to bas khareeda jaata hai , becha jata hai aur ekdusre se baanta jata hai...apnaya nhi jata.....lekin us ladke ki aankho me kuchh aur hi tha.......muhabbat thi...dekh mujhe bata sakuchh......Shayad mai kuchh kar pau tere liye...ek chhoti si kosis ......." Runa ne uska chehra apni or karke uski aankho me dekhte huye kaha......... "Aisa kyu hota hai baaji ek Tawaif ke saath.....na uske paas manjhi ki khubsoort yaaden hoti hain na aane wale din ke suhaane sapne....kyu itna andhera hota hai uski zindagi me....kyu jab dil rota hai tab bhi use hasna padta hai............Baji ! koi kyu nhi badal deta is duniyaa ki ye riwayte .........kyu bna di jati hai koi masoom kaajal ek Kohinoor........ " kohinoor ki aankhe chhalak padi aur wo Runa ke saath apni manjhi ke galiyaro me dubti chlai gayii....... Is baat se bekhabar ki do aankhe aur do kaan unki har baat ,har harkat dekh aur sun rhe the.......Jumman isi khel ka to shatir khiladi tha. "Runa baji, meri zindagi me chand din khusiyo ke bhi the ...jinhe yaad karke ab mujhe sabse jyada takleef hoti hai.......kajal ..haan yhi naam tha mera , mere college me........" kohinoor apne yado ke safar par le chali Runa ko.
 
Last edited:

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Update-4


Mai bachpan se hi padhne me achchhi thi aur swabhav ki shant…….logo se jyada ghulna milna mujhe nhi aata tha...shayad iski vajah meri parvarish aur mera pariwarik akelapan tha……..Bachpan se hi mai apne Nana ke yha rahi ...meri Mummi shahar me rahti thi ...Papa ke bare me jyada pata nhi hai..shivay iske ki wo bachpan me hi gujar gaye the.Bas itna hi bataya tha maa ne….chhoti thi to is se jyada puchha nhi, badi huyi to maa ko kabhi batane ki fursat nhi mili…ya shayad….".. Bolte bolte kajal ki aankhe bhar aayi.Runa shant bhav se sun rhi thi...mano uski apni hi kahani ho. kaajal ne ek lambi saans li aur fir bolna suru kiya........... "Bachpan se apne mummy papa ke bare me taane sunte sunte mujhe khud ke vajood se nafarat si ho gayi thi……log alag alag baaten karte the.....lekin mera man nhi manta tha….…mujhe hmesa lagta jarur mummy ki koi majboori hogi jo main unse door hun…..lekin thi to bachchi hi, kabhi kabhi sochti thi ki jab kisi ko meri jaroorat hi nhi thi to kyu mai duniyaa me layi gayi thi…?? Na jyada kisi se bolna , naa kahi aana jana......meri duniyaa mere vajood ke charo or simat si gayi thi. Ghar ke saare kaam karti aur fir baki ka waqt apni kiatabo ko gale se lagaa leti.....wo kabhi koi taana ,koi ulahna nhi deti thi...meri kitabe meri dost banti gayi aur shayad yhi vajah thi ki mai padhne me kaafi zaheen thi.lekin bachpan kya hota hai maine jana nhi. “Ek geet hai runa baji, mujhe bada pasand tha……abhi bhi pasand hai.” Kaajal ne kisi chhote bachche ki tarah Runa ke haatho ko sahlaate huye kaha. “kaun sa??”Runa ne puchha.


Maine maa ko dekha hai, maa ka pyar nhi dekha……..suna hai aapne ???” kahte kahte kajal ka gala bhar aaya “Nhi suna….aage bataa” Runa ka bhi whi haal tha, bas itna hi boli. "Runa baji, maa baap ke pyaar na mil paane ka khalipan meri zinadagi me ek nasoor ban gaya....kabhi maine bachpan ke wo khusiyon wali din nhi dekhe...khair………., jab tak Nana the sab kuchh thik tha..mummy bhi kabhi kabhi aati thi..Nana kuchh puchhte to bas itna hi kahti thi ki shahar me naukari ke liye kosis kar rhi hu...mummy ka sochna bhi shayad thik tha.Unhe shayad pata tha ki Nana ke na hone par ,mai ya wo ,kabhi nanihaal me nhi rah payenge...aur unka sochna bevajah nhi tha." "Mai bahut chhoti thi jab Nana ka dehaant ho gya....mai khoob royi ....bilkul toot gayi......Nana ke rahte ek sahara tha...ek aasara tha......mere Nana mujhe bahut pyar karte the……unke baad nanihaal me mama mami ne rahne nhi diya.....Maa ne mujhe boarding school bhej diya....shayad unhe koi naukri mil gayi thi.....Mumbai me…maine puchha to unhone kuchh nam bhi bataya tha post ka..mujhe yaad nhi rha….." ...Fir ek pal ko ruki kajal, do ghoont pani piya aur ek gahri saans lekar fir bolne lagi. "Mera nanihaal Bengal ke ek chhote se gaon me tha aur mera borading school wha kolkata me..........boarding school me maine jee lagakar padhna suru kar diya...sabkuchh pichhe chhodkar.........maa kabhi kabhi aati thi.......lekin mujhe maa se bhi koi khas lagav nhi tha..........maa ke saath mai kabhi jyada rhi hi nhi thi.....ya shayad meri ma hi mujhse door


rahi thi....mujhe nhi pta kya vajah thi.....haan, paise mahine ke maihne mere paas aate the........" "Fir borading se mai college me aa gayi aur girls hostel me rahne lagi........mai 18 saal ki ho chuki thi....zindagi ka ek aisa padaav jab har ladki ki aankhe sunhre satrangi sapne sajone lagati hain.....lekin mere sapne bahut chhote the..........padhayi poori karna aur ek chhoti si naukri...mere sapno ki tabeer is se jyada ho paye, aisa hausla kabhi kar hi nhi payi mai.........aur na koi aisa tha jo mere sapne ki udaan ko pankh deta. ….mai badi ho gayi thi .........shayad apni umar se jyada badi ho gayi thi.......lekin mere andar ka khalipan nhi gaya.......... meri maa ka mere paas na hona mujhe khalne lagaa tha ab...." "College ke pahla saal khatm ho chuka tha...result bhi aa gya tha...maine college top kiya tha…..claas me chup chup si rahne wali mai, back benchar me shumaar, mujhe koi jaanta hi nhi tha.......lekin result ke aane ke baad se bahut highlight ho gayi thi mai...............meri kismat ek nya mod le rhi thi...achchha ya bura mujhe khud nhi pata tha......" "college me mujhe Sammanit kiya gay tha us din.......mujhe khusi nhi huyi thi ye kahna shayda galat hoga............khair, meri khusi me shamil hone wala mera koi apna nhi tha....maa se kabhi kabhar baat ho jati thi.lekin bas as a formailty..aisa nhi tha ki meri maa mujhe pyar nhi karti thi...lekin shayad kabhi us pyaar ka ahsaas wo nhi dila payi mujhe....tab tak nhi jab tak unki maut na ho gayi." kajal ki aankhe ek baar fir se bhar aayi……..Runa chuchap sun rhi thi. Train apni raftaar se daud rhi thi..........kajal bhi aaj apne dil ka sara dard kah dena chahti thi....wo dard jo kisi keede ke jaise use andar hi andar khaye ja rha tha.



Usne fir se bolna suru kiya........... "Dheere dheere college me mere ek do dost bane........mujhse dosti ki koi khas vajah nhi thi……… ..shiway meri jahaanat ke.......study me achhch hona kuchh logo ke liye shayad college me bhi mayne rakhta tha...Aise hi dosto me thi Anjali...........Sadanand chauhaan ki beti….." kajal ne Runa ki aankho me dekha. Sadanand ka naam lete hi , Runa ke chehre ko dekhar aisa lag rha tha ki uske man me koi uthal puthal machi huyi thi. "kya hua Runa baaji" kajal ne badi masoomiyat se puchha...... "kuchh nhi meri bachchi ..bas yehi soch rhi hu ki har Tawif ki kahani itni ek si kyu hoti hai......khair, bata aage ......usi ke jariye us launde se teri mulakat huyi hogi ??...." "Jee.Alok se ..haan Runa baaji Alok naam hai unka........meri mulakat pahli baar college me huyi thi wo Anjali ko chhodane aaye the........pahli baar college ke bahar hi hi hello huyi.." "kolkata me Alok aur Anjali rahkar padhai karte the...unki family Mumbai me rahti thi...Vaise un dono ke alawa bas uske papa hi the family me.....kafi rayeesh log the...ek achcha khasa flat le rakha tha Alok ne...Alok jab bhi milte mujhe ek alag hi nazar se dekhte the...aur jab kabhi galti se meri nazar pad jati to bas halka se muskura dete.......mai samajh nhi pati ki kya karu, lekin maine kabhi khud se kadam unki or nhi badhaye..........." kajal mano safai pesh karte huye boli..haan..ek Tawaif ko ye safai deni hi padti hai...us par ilzaam jo hota hai ameerzadon , shareefzado ko faans lene ka.


Lekin Runa baji Alok ek behad achhche insaan the.....i mean hain…..suljhe huye ...zindagi se bharpoor………..hasmukh.....aur mujhe bhi achchhe lagte the."pahli baar ek halki si sharm ki laali kajal ke galo pe chamak gayi.....usne bolna jari rakha. "Hum teeno aksar ek sath bahar aane jane lage.......Alok ke papa kolkata nhi aate the...mera to koi aanewala tha nhi……..Maa kabhi aati to 2-4 ghante me chali jati.......ab mai khus rahne lagi thi ...Anjali aur Alok ke saath ne ek aur hi duniyaa dikha di thi mujhe.........Anjali ek bahut achchi dost thi ...ek aisi dost jispar mai khud se jyada yakeen karti thi...aur Alok???...abhi tak is uljhan me thi ki is rishte ko kya naam du.........jo naam tha us rishte ka wo mai accept nhi kar paa rhi thi.......dil dar rha tha ki kahi apni udaan se uncha sapna na dekh baithu.....jiske tute huye tukde aankho ko chubhne lage..........haan baji, khata kar di thi is dil ne....un dilkash aankho ki bhasa ye dil samajh gaya tha....mujhe muhabbat ho gayi thi....ek khamosh muhabbat…” ”Ek aisi khamosh muhbbat jiska gala bhi mai badi khamoshi se ghot deti, lekin kismat ko to mera majak bnana tha..aisa kar na saki..yhi meri khata thi ki maine usi pal un dono ka saath nhi chhod diya…nhi chhod payi baaji…sehraa ke pyase ko pani ki ek boond mil jaye to wo kaise chhod de…………mai bhi bachpan se isi thode se apnepan ko tarsi thi..mai nhi chhod payi….…mujhe to muhabbat ka samundar mil gaya tha…..haan, ye nhi pata tha ki ye samundar mujhe dubo dega." kajal ki chehre ki udasi aur gahari ho gayi , par usne khud ko sambhala aur bolna jaari rakha. "Anjali meri class mate thi aur hum dono aksar college sath hi jate the...Alok hmse ek saal senior the lekin wo dusre college me the..........Alok apni car me hum dono ko college chhodate huye khud ke college jate the......mai hamesa Alok.


se door bhagti thi..kabhi koi mauka nhi deti kisi bhi baat ka.....Aur fir ek din jab mai anjali ke ghar pahuchi.........."kajal ke aankho ke saamne sare purane manjar ubhar aaye.....uske pyar aur dard ki kahani. Anjali jise mai pyar se "Anju" kahti thi apne room me bistar par leti thi........."kya hua Anju..........?? Tu abhi tak taiyaar nhi huyi........college nhi chalna kya......" "Nhi yaar........tabiyat thodi thik nhi lag rhi...........Please tu chali jaa ..nhi to lecture miss ho jayega....tera rahega to mai bhi kar lungi.."pata nhi kyu mujhe lag rha tha ki Anju jhooth bol rhi hai....lekin aisi koi badi baat bhi nhi thi..mai bahar aane lagi. "Sun ,bhai ke saath chali jaa naa...."Anju ne pichhe se kaha. Mere dil dhakk se rah gaya..aaj tak mai kabhi akeli Alok ke saath kahi nhi gayi thi...Maine saaf saaf mana kar diya aur jaldi jaldi wha se nikal gayi.dar tha ki kahi Alok se saamna na ho jaye.Mai muhbbat se bhag rhi thi Baji, wo muhabbat jo har roj jane kaise khud hi badhti ja rhi thi.......shayad Alok ki sharafat ka bada haath tha isme …ya fir shayad unke apnepan ka ..ya shayad mere akelepan ka……….mujhe nhi pata.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated-5


Class khatm karke mai bahar nikli hi thi ki kisi ne aawaz lagayi.......... "Kajal........." maine palat kar dekha, Alok apni bike se take lagaaye khade the...aaj bike se ..shayad akele the isliye. Mai whi thoda sa hatkar khadi ho gayi...himmat nhi ho rhi thi ki unki or jau..wo khud chalte huye mere paas aa gaye.......... "wo..woo.....claass khatm ho gayi....???."Alok bhi shayad mujhse pahli baar akele me baat karne me jhijhak rhe the. "jee, aap yha...??.."Maine bas itna hi kaha. "Haan wo maine socha ki aap ko leta chalu colleg se..to......?? " "par aaj anju nhi aayi……..batay nhi usne..??" pahli bbar mai mujhe kisi ko chedane me majaa aa rha tha. "jee..ba..bataya usne.. tabhi to mai aapko lene......."Alok ke muh se achanak nikal gaya...aur fir jaise achanak break laga diya unhone……….mujhe hasi aa rhi thi.....maine bhi jyada paresaan karna thik nhi samjhaa ,…..hasi ko control karte huye boli....... "mujhe lene ?.....ok..chaliye" aur pahli baar mai halk sa muskura di……..

Alok ek tak mujhe dekhte rah gaye, mujhe bada ajeeb lag rha tha..."chalen??" maine thode jor se kaha. "aaw...haan...please aaiye......" Alok ke saath unki bike par baithe, aaj jindagi me pahli baar mujhe mahfooj hone ka ahsaas ho rha tha...jaane kyu?? hum dono hi shant the Alok ne bike ki speed kafi kam rakhi thi ..aur mai us se thoda dur hatkar baithi thi. "Aap itni chup kyu hain aaj......" Alok ne baat suru ki. "jee...nhi to..wo Anju ki tabiyat thik hai ab ?? .......mera matlab jab aap aaye to ??" Mai bhi ulte seedhe sawaal puchh rhi thi. "haan ....thik to thi..kahi bahar gayi hai shayad...kyu kuchh hua tha kya use..."Alok ne kahaa. Mujhe bada ajeeb laga......mujhse to bola ki tabiyat thik nhi....aur ab bahar gayi...fir mujhe laga ki kya pata Alok se chhupana chahti ho........mai chup ho gayi. "jee wo yu hi aaj colege nhi aayi to ...." maine bas itna hi kaha.

Achanak ek mod par bike thodi si lahrayi to maine jaldi se Alok ke kandhe par hath rakh diya....ek sukoon mila tha mujhe......ek ahsaas ki mai besahaara nhi hu......ek meethi si hook dil me uthi..........kash ye sahara umar bhar ka sahara ban jaye to zindagi kitni khubsoorat ho jaye. "kajal jee, kahi coffe peeye kya...aaj jane kyu bada man kar rha hai...." Alok ne kaha. "jee bas thodi der me aap apne ghar pahuch jayenge.......jarur pee lijiyega......." Maine kaha. "Are...ghar par kaun coffee banayega...wo anjali ki bachchi?? are wo to coffe ka kaadha bana deti hai.........aur fir aap kaha hongi ghar par..." Alok ne is baar pichhe mud kar dekhte huye kaha, ek sharart thi un aankho me. "aap please aage dekhiye.......kahin bike thok di to...mujhe abhi nhi marna...." mai zindagi me pahli baar shayad itne betakullafi se kisi se baat kar rhi thi. jawab me Alok jor se hasne lage... "to ek coffe ho jaye...haan kar dijiye naa" Is baar mai mna nhi kar paayi.......... yhi sab meri khatayen thi baji !! jinki saja mujhe mil rhi hai…kyu na manaa kar diya unhe maine……??..kyu na mnaa kar diya …..??” kajal ka bas chalta to wo shayad apne ateet ke har panne ko jala deti. Runa use dekhti rahi, kya khata hai is masoom si bachchi ki…...........isme kya galat hai use samjh me nhi aa rha tha…lekin kajal ko sab apna kasoor lag rha tha.....Sabkuchh.

Runa ne uske gaal par bah aaye aansuon ko ponchh diya….kajal aage bolne lagi……… “Coffee shop me baithe,Alok mujhe dekhe ja rhe the aur mai pareshan ho rhi thi........ "Ab mai kabhi aapke saath nhi aaungi" maine paresaan hokar kaha. "kyu" "Aise hi........" Mai chup ho gayi...thodi der Alok bhi chup rahe........ Aankhe to Alok ki bahut kuchh kah rhi thi par hoth shayad abhi bhi himmat nhi juta paa rhe the... wo pahli baar tha jab hum dono saath bahar rhe the. kuchn halki fulki baaten hoti rahi uske baad lekin hum dono me se kisi ne kuchh kaha nhi..jo ekdusre se kahna tha. Wapas aate samay meri nazar Anjali par padi.......kisi ladke ke saath thi….maine Alok ko nhi bataya….socha pahle Anjali se baat karungi…..puchhungi kaun hai wo. Us din ke baad aksar Alok mujhse akele milne ke bahane dundhte ..mujhe bhi achchha lagta tha...thodi thodi bhanak to Anju ko bhi lag gayi thi aur usne mujhe chhedna bhi suru kar diya tha….Mai na chahte huye bhi Alok ki or khichi chali jaa rhi thi …..Dil gustakhi par utar aaya tha. Anju se us ladke ke bare me puchha to wo taal gayi..bas itna hi kaha ki waqt aane par sab bta degi. Mai bhi chup ho gayi.


Mai aur Alok ab bahar milte to khub sari baten karte..Muhabbat to karte the lekin na kabhi lafjo me ijhaar hua tha na ikraar... aur na hi kabhi hmne apni maryada laanghne ki kosis ki .ek dost ke jaise hi Alok rahte the.har pal mere liye kuchh bhi kar jane ko taiyaar. apne saare dard mano bhool gayi thi.mai khus rahne lagi thi ..bahut khus. Alok ko aaj USA jana tha... sirf ek hafte ke liye......mai subah se hi udaas thi....phone bhi nhi tha mere pas..Alok ne ek baar dena chaha tha ,maine mnaa kar diya tha lene se....aaj lag rha tha ki kash le liya hota...Alok ke papa aaye huye the.........to mai wha nhi jana chah rhi thi..jaane kyu dar lagta tha...sirf Anju aur Alok hi the jinke saath mai has bol leti thi..baaki sari duniyaa ke liye mai whi udaas si kajal thi ...aur mujhe shayad koi fark bhi nhi padta tha . Alok sham ko chale gaye........mai chahkar bhi mil na payi unse............man bahut udaas ho rha tha, lekin fir dil ko samjha liya tha ki sirf ek hafte ki hi to baat hai. Mai apne hostel ke room me baithi thi.......wardon ne aakar kaha ki bahar koi mujhse milne aaya hai. Maine apne kapde thik kiye aur bahar chal di...mujhse kaun milne aa sakta hai ??? “Jee..??” bahar khade ek anjaan vyakti se maine puchha. “Aap hi hain Miss Kajal ? ” usne puchhaa. “j..jeee..aappp…..??” Mai confuse hote huye boli . “Mujhe Sadanand sahab ne bheja hai…Alok babu ke pita jee…aap se milna chahte hain… main unka driver hu….” Us


vyakti ne kaha. Mujhe kuchh samajh me nhi aaya kya bolu…lekin aisi koi vajah bhi nhi thi ki mai mna karu…maine use 2 min rukne ko kaha aur andar chali gayi…. Thodi der baad mai us driver ke saath Car me Alok ke ghar pahuchi …man me bure bure khyaal aa rhe the…koi gunaah nhi kiya tha maine, fir bhi jane kyu khud ko hi mujrim lag rhi thi, shayad mujh jaise ek aam ladki ka un unche tabke ke logo se talluk rakhna hi ek gunaah tha. Kisi tarah se mai apne aap ko samete sambhale ek ek kadam ginti ghar ke andar chalti gayi…kal tak jis ghar me jaate mera man khusi se bhar jata tha aaj usi ghar me jaate huye ek dar sa lag rha tha. Mai bheetar gayi..ghar par shayad anju bhi nhi thi……darwaja halka sa khola aur andar jhankaa samne sofe par Alok ke papa baithe the…pahli baar mil rhi thi …haan ek do bar photo dekha tha…chehre se hi rob jhalak rha tha. “aa jao” unki tej aawaz kano me padi to rha saha hosh bhi hwa ho gya. “ Namaste Uncle…” Mai andar pahuchi aur aage badhkar unke pair chhune chahe.. “thik hai thik hai…”Wo khade ho gaye. “Janti ho Alok kaun hai…??” ajeeb sawal tha, y shayad m thik se samajh nhi payi thi.


jee”?? maine na samjhne ke andaaz me dheere se kaha. “Mera beta Alok……….. Janti ho na use……” unka har shabd ek hathode ke tarah dimaag ki nase hila de rha tha. “jee” maine bas itna hi kaha. “Mai Sadanand Chauhaan….aur wo mera beta hai..karodo ki property ka ek lauta waris…hmm..Tumhe to sab pta hi hoga…tabhi to ye jaal bichhaya hai…..bolo kya kahna chahogi……..” Aakhir whi iljaam mujhpar lag gya tha jis se mai bachna chahti thi. Jaane kaha se mwre andar itani himmat aa gayi……shayad mere nirdosh man ko ye arop bardasht nhi hua tha……… “kuchh nhi kahna chahungi…….kyuki mujhe nhi lagta ki mujhe aapko koi bhi safai dene ki jarurat hai…kya hak hai mujh par iljaam lagane ka………..kaun si daulat loot li hai maine aapki…….puchh lijiye apne bete se aur apni beti se..aaj tak ek dhelaa nhi liya hai maine……..aap bade log hain , pata hai mujhe…....lekin yu bebuniyad iljaam mat............”Meri baat muh me hi rah gayi , Alok ke papa chilla uthe………. “Aur kya umeed ki ja sakti hai ek Tawaif ki Beti se.......phaansana….ye to pesha hai tum logo ka ”


Sadanand ke sabd mere kaleje par bijli ban kar gire….aisa laga jaise duniyaa ke is mele me aaj mai bikul bemol ho gayi. Begunaah hote huye bhi mujh par har aarop sabit ho gya tha.Mai mano but ban gayi thi. Sadanand ne meri maa ko hi nhi mujhe bhi Tawaif kah diya tha. Tanhayi ke sehraa me jhulse apne paavo ke liye sheetal chhaya ki talash me nikli kajal aaj ek aisi aag me jal rhi thi jisne uski shaksiyat ko raakh kar diyaa tha.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated-6

Meri aankho ke saamne mano andhera chhaa gayaa .....meri maa ek Tawaif !!......mai cheekh uthi... "Nhiiiii...jhooth bol rhe ho aap........meri maa aisi nhi ho sakti ...jhoothe ho aap..."mai cheekh rhi thi aur Sadanand meri halat se mje le rhe the. "mai yha nhi rahta ..lekin iska ye matlab nhi ki mujhe pata nhi rhta ki mere bachche kaise hain kya kar rhe hain, kis se mil rhe hain.....


Babulaal........!!!" sadanand ne aawaz lagayi. " haan sahab" bahar se ek daudta hua aaya unki aawaz par...... " Dekho ye hai , maine ise sirf yha isiliye rakha hai ki mere bachcho ko koi takleef na ho....unhe nhi pata hota lekin mujhe har roj pata chalta rhta hai unki har harkat ke baare me.......kaha jaate hain kis se milte hain.......

.jab se tumhara Alok se milna julana badha tabhi maine tumhare bare me sab pata lagaane lag gya...mere bete se mujhe aisi umeed nhi tha ki wo itni low class ladki ko pasand karega...”


kajal ne Runa ki or dekha , Runa ne aankho aankho me hi puchha kya hua......... "Baji , us din unki baato se saaf jahir tha ki unhe is baat se koi problem nhi thi ki unka beta ya beti kisi se pyaar karte hain , balki unke liye galat ye tha ki wo ladki unke status ki nhi thi........ jaane kyu unhe ye ahsaas ni hua ki wo hamari muhabbat ke baare me isliye jaan paaye kyuki hmari muhabbat me paap nhi tha..............


.hm kuchh chupana chahte hi nhi the....Anjali ke bare me to kuchh nhi kaha baji ,haan shayad wo ladka unke standard ka tha...khair ," kajal fir aage batane lagi....... Sadanand ne bahut kuchh kaha baji, bolte gaye, mai sunti rahi............... “Mai samajh gayaa ki tum koi bahut hi chalak ladki ho...aur fir tumahre bare me pata lagwaya........


mera shaq sach saabit hua...jitna socha us se jyada ghatiyaa nikli tum.........kya nam bataya hai re iski maa ka........." sadananad bade maje se puchh rhe the. "Malik naam to nhi yaad.....par khabar pakki hai......." wo sahmaa se bola... "koi baat nhi........ Tawaif ka kya naam??....Tawaif hai itna hi kaafi hai.......ja tu !!” “haan,



to ab bolo kya kahna chahogi......" sadanand jaane kya kya bol rha tha lekin mujhe aur kuchh samjh nhi aa rha tha ...shiway is baat ke ki meri maa Ek Tawaif hai...mera vajood aaj mujhe aur gandaa lagne laga tha...mai ek Tawaif ki beti thi aur shayad isiliye mujhe pata nhi tha ki mera baap kaun hai. "kahogi kya....tumhara sach jo saamne aa gya...." Sadanand ko meri halat par shayad bahut khusi mil rhi thi.............mai jor jor se rone lagi..........


kyu??kyu kiya maa tumne aisa......kyu???? aaj mujhe apne maa se nafarat ho rhi thi. "Dafa ho jao yha se....aur kabhi Alok ke aas paas bhi nazar mat aana, warna fir kabhi nazar nhi aaogi......." Sadanand ki aawaz se mai ekdm saham gayi,....teji se daudati huyi main gate se bahar nikli aur pagalo ke jaise sadak par bhagne lagi.....



Alok se door hone ka gam to tha hi lekin apne vajood pr ek badnuma daag lag jaane ka dard shayad us se kahi jyada tha.shayda mai apneaap se bhag rhi thi ya shayad apni muhabbat se. Kuchh dur hi aayi thi...mai sadak par gir padi , aankho ke aansu ruk nhi rahe the...Alok ka saath chhin gya tha, mujh se meri pahli muhbbat chhin gayi thi.....mujhse to meri pahchan hi chhin gayi thi .....ek nayi pahchaan mili thi.."Twaif ki beti" ...ek aisi pahchaan jo maut se bhi badtar thi. Maine soch liya thi ki ab nhi jiyungi .......



us samay mai galat karti sahi karti, mujhe kuchh hosh nhi tha........jaha sadak par mai giri thi whi bagal me ek pull tha jiske niche nadi bah rhi thi...maine apne aansu pochhe daudakr pull par chadh gayi..nadi me chhalang lagayi hi thi ki kisi ne pichhe se pakadkar mujhe khinch liya.......... Mai us aadmi ke saath sadak par gir padi....... "mujhe mar jaane do please...mar jaane do......kya ab mai apni marzi se mar bhi nhi sakti........kaun ho tum.........???."




mai paaglo ki tarah ro rhi thi aur us se chhutne ki kosis kar rhi thi. wo lagatar mujhe shant hone ko kah rha tha aur aakhir paresaan hokar ek jordaar thappad mere galo par jad diya....chehra jaise sunn ho gya....mere aansu ruk gaye...... maine nazar uthkar uski or dekha... wo koi 50-60 saal ka aadmi thi..dubla patla sa......maila se dhoti kurta pahne......mai pahle kabhi us se nhi miil thi, maine sawaliya nazro se dekha use..mano us se puchh rhi ho ki ab mere marne par bhi duniyawalo ko aitraaj hai kya??

ek baar meri baat sun lo ...bhagwaan ke liye.." wo bade apnepan se bola... Mai kuchh nhi bolli...ekbaar fir se aankho se aansu bahne lage.........mai chuchap uski or dekhti rahi.. “Aao pahle yha se chalo ...chalo beti......."usne mujhe pakad kar uthaya, maine bhi soch liya marne ki itni bhi kya jaldi , sun leti hu kya kahna hai inhe, wo bhi mujhse??



Thodi door aakar ek sadak ki kinare ke bade se ped ki niche mai baith gayi.wo shakhse kahi se pani ki ek botal le aaya.......maine uske israar karne par doo ghoont pani piya......... "boliye kya kahna chahte hain...hain kaun aap??"mai badi mushkil se itna hi bol paayi. "Sadanand ka admi hun beti......Babulaal ke saath tumhari maa ke bare me pata lagaane ka kaam maine hi kiya tha........Mumabi me hai tumhari maa......"usne mujhe ek kothe kaa naam bataya.,aadha hi bol paya......... "chale jao yhaa se.......tum aayo ho mere hamdard ban ne...sadanand ke kutte....................chale jao is se pahle mai........." mai buri tarah bhadak uthi uski baat sunkar.wo chuchap lachaar sa whi khada rha.


jao yha se....mar gayi meri maa, koi nahi hai mera........” mai fir se rone lagi. "Mai to chala hi jaunga beti, lekin ek baat kah kar jaunga.........koi aurat apni khusi se Tawaif nhi banti, jism bechne ka dhandha wo sirf aur sirf majboori me karti hai..tab jab duniyaa ke sare raste uske liye band ho jaate hain........aur janti ho ek Tawaif ki zindagi me sab se takleef wala din kaun sa hota hai.........." mai suni suni nazaro se use dekhti rahi.......... “Wo din sabse takleeef deta hai jab uski apni aulaad use tawaif kahti hai..



jab uski aulaad us se apne baap ka naam puchhti hai.........” us din budhe vyakti ki baate mujhe achchi nhi lag rhi thi, lekin aaj mujhe lagta hai ki kitna sachcha tha wo. Mai kuchh nhi boli.......... “Tum soch rhi hogi ki mai ye sab kyu bata rha hu, maine sadaa babu ki sari baaten suni jo unhone tumse kahi..........mujhe samajh me aa gya tha ki aaj tak tumhe apni maa ki asaliyat nhi pata thi............aur tumhara dard mujhse dekha nhi gaya.....jaane anjaane mai bhi tumhari is barbadi ka hissa ban gya..maaf karna beti mai bhi majboor tha....” wo budha sachmuch dukhi lag rha tha...ek pal ko ruka fir bolne laga.......... “mujhe to bas yha kolkata railway station par ek aurat ke pichhe lagaya gya aur uska pata lagaane ko kaha gya....sadaa babu rajneeti wale hain, aksar aise kaam mujhse karwaya jaata tha......lekin mujhe nhi pata tha ki is baar ek masoom si.

bachchi unka nishaana hai......” “...jis haal me tum unke ghar se nikli, mujhe lag rha tha ki tum aisi hi koi galti karogi ......isiliye tumhaare pichhe aaya...” “to kya karu mai..........kya karu.........???? hai kaun mera duniyaa me.........kis ke liye jiyu??...........jo taane mai bachhpan se sun rhi thi ab wo aur tej ho jayenge.....meri muhabbat chhin gayi ........m..meri pahchan kho gayi hai..” mai bilakh bilkah kar rone lagi , ek baar fir se aaj mai akeli ho gayi thi..bahut akeli. “Mai janta hu tum par kya beet rahi hai....fir bhi kahunga ho sake to jakar ek baar apni maa se mil lena...

baar mile to nhi marungi. Mai apne hostel ke gate par pahuchkar palati,us budhe ne mujhe us kothe ka naam aur adress ek baar fir se bataya, “Mujhe maaf karna beti, khus raho........” bas itna hi kaha usne aur teji se palat gya......mai jab tak wo dikha use dekhti rahi aur fir wapas palatkar hostel ke andar chal di...... Maine ek hand bag me ek do kapde rakhe aur nikal padi mumbai ke liye ...apni maa se milne. Mumabi pahuchakar maine kis tarah se kothe ke bare me pata kiya………...wo sab ab mai nhi doharana chahti baji, haan par ye ahsaas ho gya ki kisi ladki ke liye ek kothe ka pata puchhna hi apne aap me ek kahani hai...


khair, mai jab wha pahuchi to mujhe pata chalaa ki meri maa hospital me hai. Bhari man se Mai hospital pahuchi............ “Meri maa mar chuki thi baaji, sirf ek khat mere naam chhodakar.....aur kuchh paise” “jaane kyu mujhe koi dukh nhi ho rha tha maa ke marne ka........tab tak nhi jab tak us khat ko nhi padha tha..........” Kajal dheere dheere sab bataye jaa rhi thi, us khat ko mano padh rhi thi, uski aankhe jal thal ho rhi thi.........Runa ki aankho me bhi aansu aa gaye the.

Maine wo paise lene se inkaar inkaar kar diya aur wo khat !!...us poore khat me meri maa ne sirf maafi mangi thi mujhse............kuchh nhi likha tha ki mera baap kaun hai.........wo kothe par kyu gayi........wo tawaif kyu bani.............


kuchh bhi nhi baji, sirf maafi maangi thi......shayad mere sawalo ka jawab meri maa ke paas nhi the.....isiliye bina kuchh bataye hi chali gayi.......” “Us din to maine apni ma ko maaf nhi kiya baji , lekin khud jis din maine pahli baar kothe par kadam rakha..us din maaf kar diya.........” kajal bol kar chup ho gayi thi. Raat ke 2 baj chuke the, Runa bhi khamosh thi... “Tu kothe par kaise pahuchi kajal......jis din tujhe mai pahli baar mili thi us din bhi puchha tha, laila se bhi puchha ............na tune bataya , na usne ...........jaane kyu mujhe lagta nhi ki asli vajah Lailaa ko bhi pta hai......bata....kaise aur kyu aayi tu kothe par............???” “Baji, maaf kijiyega...........lekin ye mai nhi bata sakti......tab bhi maine nhi bataya tha aapko, aur aaj bhi nhi bata sakti..........” kajal ke chehre par ek sakhti aa gayi......... “kajal bata de,,,shayad mai tere liye kuchh kar pau.....bata de meri bachchi.....””


runa use ykeen dilana chah rhi thi. “aapko jo batana tha maine bata diya, mai Alok ko kaise janti hu ye bata diya...aur ye bhi bata deti hu ki uske baad mai alok se kabhi nhi mili.........aur kya batau......ab jo bacha hai use jaankar kuchh hasil nhi hona hai......aur......” kajal kuchh kahte kahte ruk gayi. “aur kyaaa....” Runa ne puchha. “kuchh nhi......ek baat bataiye...........aap kaise janati hain sadanand ko........jaise wo chaunka tha aapko dekhkar, aisa lagta hai wo bhi aapko achchhe se janta hai........” kajal ne ulte Runa se hi sawaal kar diya.

kajal mai waqt aane par sab bata dungi....please mera bharosa kar....tujhe mujhpar bharosa karna hi hoga............bata mujhe......”


Runa ne fir se minnaten ki. “Thik hai runa baji.....hmesa badi bahan mana hai aapko......kar liya aap par aitbaar .......khaiye mere sar ki kasam ki kabhi aap kisi ko nhi batayengi jo mai batane ja rhi hu........aur agar aapne bataya to yaad rakhiyega kohinoor aapko fir kabhi nhi milegi is duniyaa me....boliye manjoor hai........” kajal ki baat se Runa buri tarah kilas gayi. “par agar mai kisi ko bataungi nhi to...............




.dekh tu samajh nhi rhi hai....mai sab tere liye hi kar rhi hu...bata mujhe.....” “Nhi, fir jaane dijiye.........mujhe kuchh nhi chahiye.......mai khus hu........haan ek lamhe ko kamjor pad gayi thi mai.......lekin ab nhi...aap nhi jaanti baaji us ek baat se kitni jindagiyaan barbaad hongi........kuchh nhi kahna aur mujhe........so jaiye........”



kajal ne sari baat hi khatm kar di. “thik hai , nhi bataungi...teri kasam..khuda gawah hai..kabhi nhi kahungi kisi se....ab bata...........” “ Thik hai baji to suniye............” kajal ne fir batana suru kiya............ kajal jo baat sari duniyaa se ab tak chhupati aayi thi ,aaj anjaane me wo jumman tak pahuch rhi thi..............jaane kiski jindagi daav par lag rhi thi.

 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Update-7

Kajal Runa ko sab sach bataye ja rhi thi , idhar Alok ke ghar me sophi kafi paresaan thi.....itni raat ko bhi neend uski aankho se koso door thi..........Alok ne us ghatna ke baad se khud ko ek kamre me band kar liya tha.......sophi kuch kuch to samjh gayi thi lekin ek bar Alok ke muh se wo poori baat jan na chahti thi ki kaun hai wo ladki, kaise janta hai use Alok aur jo kuchh aaj hua wo kyu hua..? Sophi ek baar fir se Alok ke kamre ke darwaaze par khadi thi..jaane kitni baar chechk kar chuki thi wo lekin har baar andar se band hi hota..is baar khula mil gaya....shayad Alok band karna bhool gya tha.........sophi chupke se andar pahuchi aur darwaza band kar diya......kamre ki lights off thi.....Alok ek chair par baitha kisi gahri soch me dooba tha...ya shayad un yado ke bhawar me gum tha....ek haath me ek chhoti glass thi...........wine se bhari...........aur dusre me ek cigrette.....samne rakhe music system par dheeme volume me song chal rha tha...........shayad uske dil ki aawaz.......... "mere dil se door jakar , kaha kho gaye ho tum, khusi ki ye baat hai ki ,khus to ho gaye ho tum...... itna bata do raaj dil ko kyu chhupaya, dil naa milaya.. kyu mera pyaar tumhe raas na aaya, nazar milayi tum ne dil na milaya...........” Sophi ne age badhkar system band kar diya........Alok me palat kar uski or dekha aur aankhe band kar li...... “Aaja sophi......... Sorry yaraa....tu bhi soch rhi hogi kaisa hu main...tujhe bhi kya kya dekhna pada.....kahi nhi ghuma paya tujhe mai....apne hi dard me choor........sorry yaraa........” Alok jaise behoshi ke se aalam me bol rha tha..............bahut pee li thi usne.


Alok ..u ok?? .....itna kyu pee rhe ho......u never drink........now, what happened..........???.....Alok tell me about that girl.........who is she??” “Sophi...come here.......idhar aa yaar........baith yha....” alok ne sophi ko pas bulaya aur uska haath pakadkar apne pass bitha liya. “wo ladkiiiii!.......she is my firstttttt love....u know first love....pahlaa pyar...aur ...aur akhiri bhi.......lekin yaar mujhe chhodkar chali gayi......mai..maiii jab pahli bar USA gaya tha tab......tab se mai use pyaar karta hu........us se bhi pahle se........lekin yaar kabhi kaha nhi...socha tha aate hi bol dunga....fir shadi fir bachche...mast banjani life.........” Alok bahut nashe me the isliye dil ka dard bahar aa rha tha. “Lekin yaar jab mai wapas aaya to wo jaa chuki thi....jaane kahaa?? ..bina kuchh bataye............aur ye bhi bolti gayi ki.......ki..ki....mujhe pyaar nhi karti.........mujhe boli ki bhool jana mujhe........maine kosis kiya use dhundhne ki, par nhi mili.........yaar sophi...tu bata.........kaise bhool jau...itna aasan hai kya bhool jana...........???... nhii mili mujhe.........dil nhi lagata tha yhaa.....USA chala gya mai........lekin ab dekh kismat ka khel.........jab wapas aaya to fir mila diya us se...aur milaya bhi to kis tarah se..”” Alok ne ek aur pack banaya aur gatak gaya........... “yaar,sophi ,...she is my life........my love......lekin mere papa samjhte hi nhi.......maii...maiii darta nhi hu kisi se..........lekin yaar ek baar wo to bol de..........wo to kahe ki haan mai tumse pyaar karti hu........tumhari hu mai..........mai uske liye sari duniyaa se lad jaunga...sari duniyaa chhod dunga.....lekinn.........you know what??? ......awwkkkkk......she loves me..........bahut pyaar karti hai wo mujhse....i know........lekin manti nhi hai yaar..... aur ab to wo kabhi nhi kahegi

aur na hi manegi......” “Use lagta hoga ki uske is roop me dekhkar mai use nhi apnaa paunga..............kitni nadaan hai wo..........use nahi pata ki muhabbat to dil se ki jaati hai....aaj bhi mujhe wo utni hi pavitr lagti hai........chahe ek Tawaif ke roop me hi sahi......aaj bhi uski aankho me wahi pyaar hai mere liye........aaj bhi whi sadapan hai......sophi, she love me.......bahut pyar karti hai...... ..bas kahti nhi hai......achcha ab tu bata.........nhi to kyu kahti ki mai tumse pyaar nhi karti...........bata kyu kahti......maine to us se puchha bhi nhi tha.........jab mai wapas aaya to mujhe uska ek letter mila kuchh dino baad..........sab likha tha usne........mai samajh gya ki wo bhag rhi hai meri muhabbat se.” Alok ka nasha uske dard me ghulta ja rha tha... Wo sophi ke sath baitha apne dil ki saara dard nikal rha tha........ “yes........she loves you........Us ladki ke saath jo lady thi, She told me....usne kahaa ki kohinoor jald hi Alok se milegi...mai bhool gayi thi tumhe batana........” sophi ko ab yaad aayi thi Runa ki baat..... “Usne kaha ??? sach?????...oh, thank u sophi.....mujhe pata tha sophi.......wo jarur mujhse milegi.......”Alok ka chehra pahli baar damak utha ek umeed se.... “Lekin sophi......wo kuchh bolti nhi hai.......kabhi kahe to mujhse.............yar sophi, koi bahut badi baat hai........koi saazish ki gayi hai...mere papa to aisa nhi karenge ...........to fir kisne kiya???......lekin kal jo hua us se saaf lag rha tha ki papa jante hain use......papa kab mile use........aur mujhe kyu nhi bataya ???......puchha maine papa se....lekin gusse me hain na to bataya nhi....pata karunga mai.....kal bhi kosis ki maine pata lagane ki.........par pata chal nhi paya ki wo kaha hai......yaar mai use jaane hi nhi deta.......lekin usne kaha ki wo meri kuchh nhi lagti , sirf ek tawaif hai...........” Alok ki aankhe bhar aayi.......

Ab mai kya karta........isiliye maine socha ki pahle us vajah ka pta chal jaaye jisne kajal ko kohinoor bana diya, aur shayad tabhi mujhe meri kajal mil jaye..........mai kisi bhi keemat par us sach tak pahuchunga........us waqt mujhe laga tha ki shayad sach much mujhe hi galatfahmi huyi thi, use mujhse pyaar nhi tha, lekin ab jeetni bar sochta hu, har baar lagta hai ki had se jyada muhbbat karti hai wo mujh se....haan kahaa nhi usne ,,...mai bhi nhi kah paya......shayda waqt ne mauka hi nhi diya.............us se pahle hi wo chali gayi............wo kyu chali gayi?? kyu aaj ek Twaif ke roop me hai.....kyu mujhse bhaag rhi hai.....in sab bato ki vajah ek hi hai.....aur mujhe wo vajah pata karni hai.........” Alok ki aankho me dard tha ,muhbbat thi, aur ek umeed thi.......is baar wo apne pyar ko paane ke liye kisi bhi had se gujar jaane wala tha ...kyuki is baar uski muhbbat use bediyon me kaid nazar aa rhi thi. Sophi ne uske shano par haath rakha aur Alok uske gale lagkar ro diya......... “is baar mai use nhi jaane dunga sophi....chahe kuchh bhi ho........mai nhi jaane dunga.......” Idhar train me kajal apni baat kahkar chup ho gyi thi......Runa mano but ban gayi thi....Runa ki aankhe lagatar baras rhi thi aur Kajal ke chehre par ek sakhti thi... sadiyon ki udasi thi.........Runa ne kajla ki or dekha , wo chup thi , ek dam chup......Runa ko aisa lag rha tha ki uska sar phat jayega........ Usne khichkar kajal ko apne gale se laga liya.... ..


Jeeti rah meri bachchi..........itni badi kurbani.....ohh mere khudaya.....agar aisi hoti hai “Twaif” to khuda se iltiza karungi ki har janm me mujhe tujh jaise ek beti de........ tujh jaisi kisi Twaif ki maa banaye mujhe........kaise kar diye ye sab meri jaan....kaise............??” “Sab muhabbat hai baji, badi takat hoti hai is muhabbat me ..chhote se chhota insaan bhi badi se badi kurbani de jata hai..........” kajal ne bhi Runa ko jor se gale laga liya......” kajal ke hotho par dard me dubi ek muskaan fail gayi thi. Runa jaise hi kajal ke gale se alag huyi , uski nazar saamne khade jumman ke chehre par padi........ Runa ka chehra fakk pad gayaa..........jumman ka pura chehra aansuo me bhiga hua tha......wo ro rha tha......... ek patthar aaj shayad pighal gya tha............Runa ko apni aankho par yakeen nhi hua.......... “jumman ??Tum ro rhe ho........???”
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated -8 (a=)


Haan Runa Bai , aaj jumman bhi ro diya..........jab se hosh sambhala sirf dukh takleefen jheli.......lekin har takleef mujhe aur majboot banati gayi ya yu kahu ki mujhe aur bura insaan banati gayi.....ghar se bhag aaya mumabi , aur dar badar ki thokaren khakar is kothe par pahuch gya......aaj tak sirf dusro ko rulane wala jumman aaj ro diya.......kaisa kar diya re kohinoor tune ye sab....itni chhoti si tu hai, tera dil kitna bada hai re...........ek Tawaif ne itni badi kurbani de di, lekin duniyaa ko wo nhi dikha, sirf kothe par uske mujre dikhe, kabhi nhi uski aankho ka dard nazar aaya, mujhe bhi to nhi dikha kabhi aaj tak." "Runa bai, insaan bura paida nhi hota, halat use bura bna dete hain....aur sabse bura insaan wo banata hai jiski zindagi me koi maksad nhi hota ,jaise ki mai, aaj tak samajh hi nhi paya ki mai is duniyaa me kyu aaya....do botal sharab, aur do waqt ka khana .....aur kabhi kabhar ek rangeen raat.......yhi maksad raha aaj tak jumman ka." jumman sar juhka kar baitha bol rha tha...kajal aur Runa dono chuchap sun rhi thi. "koi baat nhi jumman...ab to tum azad ho.....ab tum kahi chale jao ...mat jao wha....""...Runa ne kaha. "jumman hmesa aazad rha hai Runa, kisi mai ke laal me himmat hi nhi ki jumman ko kaid karke rakhe...are mai khud us kothe pe rahta hu...jab chahta wha se chala jata...lekin aaj tak kabhi gya nhi...koi vajah hi nhi thi wha se jaane ki.," "to ab...aaj kyu...??" "Runa...... jumman ne aaj tak apni jindagi me koi achcha kaam nhi kiya hai, lekin ek kaam ab jarur karunga.....chahe jaan rhe ya chali jaye...lekin kohinoor ab kothe par nhi jayegi..ab wo kajal ban kar jiyegi.....sirf kajal." "haan jumman, aaj mera dil bhi yhi kah rha hai..........."


Nhi jumman bhai, mujhe jana hoga......jiske liye itni sabkuchh kurbaan kar diya, ab uski khusiyon me aag kyu lagau..........mai whi karungi jo Lailaa bai kahengi....." Kajal ke chehre par bahut dard tha , itna dard ki kaleja fat jaye. Jumman khamosh ho gya...lekin uski aankhe dekhkar lag rha tha ki wo kajal ki baat manne ko taiyaar nhi hai. Train ke us dibbe me ab bilkul khamoshi thi....Runa aur jumman kajal ke agal bagal baithe the...........jab se kajal ne kahani batani suru ki thi kam se kam 10 baar jumman ek mobile par Runa ka phone aa chuka tha...ek do baar usne recieve kiya to aawaz nhi aayi............aur uske baad usne phone uthaya hi nhi.....kajal ki kahani me khoya hua jo tha...........jumman baat ka pakka aur bilkul nidar tha ...isiliye apne sabsbe jaruri kam Lailaa us se hi karwati thi.......lekin aaj kajal ki dastaan ka dard uske seene ko cheer gaya tha.....use nafrat ho rhi thi khud se bhi aur Lailaa se bhi. Bhor ke 4 baj gaye the...train ek chhote se station par ruki kohinoor, Runa aur jumman train se utar gaye....train se jaise hi niche utare ek baar fir se jumman ka phon baj utha............usne Runa aur kajal ko chup rhne ka ishara kiya aur unse thodi door jakar is baar phone utha liya........... "kaha mar gya hai re tu..."phone uthate hi Laila ki tej aawaz uske kano me padi,jumman ke jee me aaya ki jamane bhar ki galiyaan suna de lailaa ko, lekin kuchh soch kar khamosh rha.......... " itna kya bhadak rhi hai..........train me network nhi aa rha tha to apun nhi uthaya phon..........aur socha tha utarte hi tere ko call karke bata dega ki apun idhar pahuch gya hai...........aur sun jumman se tameej se baat karne ka......mere ko jaanti hai na tu............." Jumman ki aawaz bhi dheere dheere garam ho gayi. "kameene......??...chal chhod...han haan chal thik hai.......... achchha sun , jaruri baat hai" Lailaa janti thi ki agar jumman sanak gya to fir kisi ki nhi sunega., wo apne gusse ko control karne ki kosis karte huye boli...


haan bol" "tu un dono par nazar rakhna.............jaane kyu sada babu bahut naraz ho rhe ki maine Runa ke saath kyu bhej diya kajal ko.........wo kah rhe ki Runa kajal ko bahkayegi....vaise to wo kohinoor me meri mutthi me hai lekin fir bhi tu hoshiyaar rahna...wo dono wha se kahi jani nhi chahiye...........hum jadl hi wha pahuch rhe hain ...sada babu ...." Laila ki baat adhuri rah gayi thi ki sadanand ne recievr chhin liya use se. "Dekho jumman, meri baat dhyaan se suno...mai kuchh ghanto me wha pahuchunga, tab tak wo ladki aur Runa wha se jani nhi chahiye....mai tumhe daulat se maalamaal kar dunga.........lekin agar wo dono wha se gayi to samjh lena tum...botiyaa katwa dunga tumhari....."Sadanand bahut gusse me the....aur shayad unhe malum nhi tha ki jumman kitna khiska hua insaan hai Jumman ne sab kuchh sun liya chupchap , bas har lafz ke saath uske chehre ka rang badal rha tha........aaj jindagi me pahli baar jumman ne kisi ka itna bardasht kiya tha.......jumman ke paas kuchh khone ke liye nhi tha, aur shayad isiliye wo kisi se nhi darta tha...ek ki 10 sunnane wala jumman khamoshi se sunta rha.. "jee saab, kahi nhi jayengi ye dono ...aap khud ko takleef kyu dete.....mai hu na...." jumman ek ek sabd ko chabata hua bola. "Nhi tum bas aaj sham tak un dono par nazar rakho, mai pahuchata hu...."sadanand ne itna hi kaha aur phon kat kar diya. Jumman ka chehra gusse se bhabhak rha tha...lekin usne khud par control kiya hua tha........"madh**** ..jumman ko dhamki deta hai" usne phon kat hote hi gali baki. "kya hua jumman, kiska phon tha" Runa uske chehre ke badale tewar dekhkar boli.


Runa baji aapka ghar kitna door hai yha se...." aaj pahli baar jumman ne Runa bai ki jagah runa baji kaha tha...wo uske sawal ka jawab dene ke bajay bas yhi bola. "mushkil se aadhe ghante lagenge...........batau to hua kya....??" "Runa baji, kuchh nhi bas thoda jaldi kijiye.........mujhe bhookh lag rhi...aur is samay to station par kuchh milega bhi nhi..chaliye..." jumman ne badi safai se har baat par parda daal diya aur chhota sa bag uthaya aur chal diya...pichhe pichhe Runa aur kajal. kajal ko bhi itna to samajh me aa gya tha ki baat uske hi baare me ho rhi hai lekin usne puchha nhi ki kya bat ho rhi thi....shayd use yakeen tha ki jumman nhi batayega...... Runa ne bhi kuchh nhi kaha kyuki usne jumman ka shant rahne ke liye chupke se kiya gaya wo ishara dekh liya tha. Idhar Mumabi me, Alok ke ghr par, Sadanand apne aadmiyon ek saath Runa ke gaon ko nikal gaye the…..unka ek aadmi raat me hi nikal gya tha jab pata chala ki Runa ke saath kohinoor gayi hai….lekin abhi tak wo pahucha nhi tha. Sadanad apni khud ki gadi se nikle the …..unke pichhe do gadiyaan aur thi jinme unke hi aadmi bhare the……….laakh kosis ke baad bhi kisi flight ka ticket nhi mil paya tha aur agle 24 ghante me koi flight nhi the……train ka route bahut ghoom kar tha us station tak , aur bas 2-4 ghante ka hi antar hota tha by road aur by train….aur agar train late ho gayi to lagbhag barabar time hi lagta tha……..isliye majboori me unhe apni gadi se hi jana pad rha tha…….lagbhag 15 ghante ka rasta tha wha se Runa ka gaon.


s baat ka khas khyaal rakha gya tha ki Alok ko koi bhanak na lage, use yhi pta tha ki uske papa kisi rally me ja rhe hain..waise bhi use koi khas dilchaspi nhi thi sadanand ke kahi aane jaane me. ************************************************ Lagbhag 20 minute auto me chalne ke baad jumman, runa aur kajal gaon ke bicho bich bane ek chhote se ghar ke darwaze par khade the.......ghar kya tha ab mahaj ek khandahar hi rah gya tha...lekin darwaze par tala laga tha....Runa kabhi kabhi aati thi apne gaon.... abhi bhor hi tha to jyada log nhi dikh rhe tye gaon me. Runa ne aage badhkar tala khola aur sab andar chale gaye...ghar ab khandahr ho chuka tha, lekin dekh kar lag rha tha ki kisi jamane me ek khusiyo ka basera hua karta tha..ek badi se daalaan , ek bada se aangan, teen kamre aur ek kamra upar first floor par.........ek washroom aur ek kitchen room se laga hua hi. Ek handpump lagi huyi thi ...aur whi ek chij thi jo nayi lagi huyi lag rhi thi poore ghar me...shayda jald hi use lagwaya gaya tha. Runa ne bag ko ek kamre me rakha aur kajal ko washroom ke or ishaara kar diya. Jumman us se kya kahana chahta tha wo jan na sabse jyada jarurui tha...jaise hi kajal washroom me ghusi dono ghar se bahar nikal gaye..........


kya baat hai jumman , kiska phone tha" darwaze se bahar nikalte hi Runa ne puchha. "sadanand aur Lailaa the.......Baji wo dono aa rhe hain yha.......wo kohinoor ko is baar nhi chhodenge...ye masoom kuchh samjhti hi nhi...dusri ki zindagi bachane me lagi hai.....is baar wo ise ho sakta hai is mulk se hi bahar bhej de........baji sadanand bahut kamina insaan hai........" "mujh se behtar ye kaun janta hai, khair, batao kya karna hai ??" "Aap sadanand ko kaise janti hain...??? aur Lailaa ne Kohinoor ko aapke saath bhej diya, is baat se use kyu aitraaz ho gya hai?? " jumman ke dimag me bhi bahut saare sawal aa rhe the. "Wo sab baat karne ka waqt abhi nhi hai jumman ...fir kabhi fursat se bataungi.........pahle ye batao wo log kab aa rhe hain..........??" "kaha to hai ki sham tak..lekin jis tarah se wo baat kar rha tha , mujhe lagataa hai ki wo jald hi aa jayenge........"jumman bahut fikrmand lag rha tha. "jumman kya fir se kohinoor unke changul me fas jayegi....? " Runa ka gala bhar aaya. "Nhi baji !!!..jumman ne aaj tak koi achcha kaam nhi kiya...aaj khuda ne mauka diya hai......ek kaam bhi neki ka kar du to shayad mere gunaah wo maaf kar de...is baar Kohinnor ko agar unke haath saup diya to fir kabhi kohinoor ko aap dekh bhi nhi paogi......"


jumman hum kya kar sakte hain, aur fir ye kohinoor bhi nhi manegi........wo kisi bhi haal me Lailaa ke khilaf nhi ja sakti .....tum to jante hi ho........." "Kyu nhi Laila ke khilaaf ja rhi kohinoor" jumman ka dimag kab se is sawal me atka hua tha. "Bevkoofi ki baaten mat karo jumman...........tumhe nhi pata?...are jsike liye itna sabkuchh bardasht kar gayi ab ....use dar hai ki fir se whi sab.........." Runa ki baat adhuri rah gyi , jumman bol pada. "haan baji mai samajh gya..........." kuchh pal dono khamosh rahe.......... "To fir kya karna hai baji..........?" "Tumhi batao jumman.........." "Baji mera bas chale to mai kohinoor ko kabhi wapas mumbai na jane du...kabhi un sabse na milne du..........mera to dil karta hai ki.........ek baat batao..ye launda Alok kaisa ladka hai......kohinoor to bachchi hai......use jyada samajh nhi.......aap batao.........sachmuch muhabbat karta hai kya kajal se...ap to mile ho us se ....kaisa lagta hai........apne baap ki hi tarah aiyaash..........???" "Nhi jumman, itni sahuliyat to hai mere andar ki insaan pahchan saku...haan jawani ke dino me dhokhe khaye kuchh logo ko pahchanne me lekin ab nhi....bahut pyar karta hai wo is kohinoor se........jis tarah se wo sadanand ke khilaaf ho gya tha, saaf lag rha tha ki wo aaj bhi Kohinoor ko bahut chahta hai.........aaj bhi ..."



Baji aaj jindagi me pahli baar kuchh achcha karne ko dil kiya hai...jaan bhi chali jaye to koi gam nhi.........par ek kosis to karunga mai.....aap saath dogi na...." "haan jumman ..mai jarur saath dungi...lekin kohinoor se chhupa kar sab karna hoga ...nhi to wo kabhi manegi nhi...tum samajh rhe ho na..........ab bato kya karna hai.........." "thik hai baji...ek kosis karte hain ...baki jo parwardigar ki marji..........."jumman ne dua me haath upar utha diye. WO runaa ko samjhata chala gya aur Runa haan me sar hilati rahi......wo kuchh kuchh bate kar hi rhe the ki andar se kajal ki aawaz aayi.............. "Runa baji...??" "Aap jaiye runa baji , mai aaya abhi........ek ghante me hum log yha se nikal lenge..........kuchh door par mera gaon hai............lagbhag 2 ghante lagte hai railway station se...wha chal kar rukenge....mujhe nhi lgata ki wha ka pata kisi ke paas bhi hoga...aapke gaon to shayad 6-7 ghante me wo sab pahcuh jayenge plane se aaye to....." Jumman Runa ko samjahta huye bola. "thik hai jumman , mai kohinoor ko taiyaar karti hu....." Andar se fir kohinoor ki aawaz aayi....jumman bahar gaon ki or chal diya.


haan , bas aayi beta........."Runa ne bade pyaar se kaha aur andar aa gyi. "wo mai bahar gayi thi...pados se kuchh saaman lene...........abhi wo pahucha jayegi...jara chay pee lete hain fir baaten karenge...abhi dukane nhi khuli hongi na.........??" "jee" kajal ne bas ina hi kaha...uska chehra bujha hua sa tha...lekin bahut khubsoorat lag rhi thi....Runa ne man hi man balaiyaan le li. "Jumman kah rha tha ki yhi thodi door par uska gaon hai, chalogi ghumne...vaise bhi yha to rhna hi hai...jumman shayad whi se chala jaye ...??" "Thik hai baji, jaisa aap kahe......"kohinoor ko koi dilchaspi nhi thi kahi aane jane me , lekin Runa ka dil rakhne ke liye haan kah diay tha. Thodi der baad ek ladki pados se kuchh saaman de gayi ...Runa ne chulhe me aag jalayi aur chay rakh di pateele me. Wo kisi chirag se nikle jin ki tarah bahut teji se sare kaam kar rhi thi aur kohinoor whi paas me rakhe takht par let gayi...............letate hi uski aankh lag gayi raat bhar jagi thi. Runa ne ek sandook kholi aur usme se kuchh kuchh saman ek chhote se bag me rakhne lagi, use yakeen ho gya tha ki ab kabhi dubara apne is ghar me nhi aa payegi................isliye jo chije uski zindagi me keemati thi unhe wo le jana chahti thi...keemti chije bhi kya hoti hain garibon ki....kuchh purane khat, kuchh purane tohfe, kuchh purani tasweere......kuchh purani yaaden.......aur kuchh purane sapne.



Idhar jumman ne apna phone nikala aur kisi ko call lagyaa ..... “Kaise ho jumman miyaan” dusri or se phon uthate hi kahaa gya. “Oye sheraa, tujhe mera ye number bhi pata chal gya……kamaal hai…..” “jumman babu, bhool gaye apne dhandhe ka vasool, dosto ki khabar bhale na ho..dushmano ki poori jaankari rakhni padtai hai…bol aaj marne ka irada hai kya , mujhe kaise yaad kar liya…bol kaha aa jau tujhe maut dene…..” dusre or jo bhi tha baate badi dhithayi se kar rha tha. “Sheraa, tera hisaab bhi jarur karunga agar jinda rha to…abhi kuchh aur baat hai……” “oye zindaa to tu rahega hi…kyuki tujhe mai marunga …maiii….chal kya yaad rakhega tu bhi ki dushamni ki bhi to kisi mard se……bol kya karna hai……kiski jaan leni hai…….” “sheraa jo kaam bolne ja rha hu…tabhi haan karna agar imaan ka pakaka hona………..bol karega….??” “Oye Saale….r*** ke …Sheraa se bada imaan wala mard akkhi mumbai me nahi hai, janta hai tu bhi..… aur isiliye tune phone bhi khtakaya apun ko …....abhi jyada shaan patti mat kar, chal bol……Sheraa ne jubaan diya tere ko…….jaan chhodke kuchh bhi maang le..kyuki marungaa to tere ko maarke hi.........” “Sheraa, jumman apni akkhi life me pahli baar koi neki wala kaam karne ja rha hai…kisi bhi gurge se bol deta...pann wo sab paise ke liye bikau hain...isiliye tujhe bola.…tere imaan par ykeen hai mujhe..........tujhe dhandhe ki kasam hai dhokha mat dena…..Sun meri baat………..” jumman usko kuchh kuchh bataane laga.....…kuchh bola jise sheraa note karne laga.


Chal ho jayega tera kaam…..jald hi aana ....tere se purana hisaab hai......” Sheraa is baar bas itna hi bola , thode gambhir lahje me. “sheraa , dekh ye tere mere bich ki baat nhi hai…ek masoom ki zindagi daav par lagi hai…aur tu janta hai apun logo ka usool…..tu dhokha to nhi….” Jumman ki baa adhuri rah gayi. “ Saale….behadc***…..abe Sheraa imaan ka saudaa nhi karta…bola na tere ko jaban diya….ja aish kar……..”sheraa ne itna hi kaha uar phone kat kar diya. Jumman ne phone kurte ki jeb me dala aur kheto ke taraf nikal gya...saamne ek masjeed dikhi , jumman ka dil aaj barso ke baad Namaaj adaa karne ko kiya........ Masjid me khada wo hath failaye duayen maang rha tha...... "Aye mrere malik , mujh jaise gunahgaar ko ek manjil dikha di tune...ek maksad de diya....tera shukra hai ....bas ab itni himaat dena ki mere kadam na dagmagaye.....teri razaa tu jaane...bada mashkul safar hai is manjil ka.... ..ek teraa hi aasara hai.............koi aisa karishmaa kar ki zamaana dekhta rah jaaye...........mai sare bure kaam chhod dunga, sare gunaho ki maafi de......madad karna mere maula..............madad mere khuda." jumman ki aankh se ek aansu gira uski dua me uthi hatheli me. Sandook se jaldi jaldi saaman bag me rakhti huyi Runa ke hath se chhutkar ek tasweer jameen par gir padi..........chhannn ki aawaz ke sath tute huye kanch jameen par bikhar gye...kohinoor ki aankh khul gayi..........jaldi se uthkar baith gayi ......aur tasweer par nazar padi to bas dekhti hi rah gayi..........uski aankhe mano jam si gayi us tasweer par.




Jaldi se takht se utarkar tasweer ke pas pahuchi , Runa ke haath se frame lekar dhyaan se dekhne lagi...kohinoor ki aankhe bhar aayi.......... "Ye Mohini hai........" kaha. Runa ne bina kajal ki or dekhe tasweer me baithi do aurato me se ek par anguli rakhte huye "Haan baji !!!!...... Ye Mohini hai......meri maa......" Kohinoor ne bahut sard lahje me kaha....uski baat par mano hazaar vol ka current laga Runa ko...... "Mohini!!! aurrrrr ...........tumhari maa......??????" Runa jaise sakte me a gayi ek pal ko. "ye nhi ho sakta.........khuda itna beraham nhi ho sakta...........nhiii ye nhi ho sakta...."Runa cheekh padi. Kismat bhi kaise kaise khel khelti hai, insan to uske haath ki kathputli hi bankar rah jata hai .
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated- 8 (b)

kya hua Runa baji........aap janti hain meri mummy ko????..haan ye meri mummy hi hain ...boliye na kya hua????...kaise janti hain aapunhe..........kya janti hain......???" kajal bhi chaunk gayi Runa ke is tarah se cheekhne par..... "Yaa mere khudaya.........ye teri kaisi aajmayish hai...aur kitni aajmayishen dega tu is masoom ko...............kya k


iski...haan, kohinoor mai janti hu teri mummy ko...kohioor meri bachchi....." Runa ne khich kar kajal ko apne kaleje se laga liya aur uski aankhe chhalak padi...... "kya hyua Runa baji ..bataiye to sahi......." "mujhe nhi pata tha ki tu Mohini ki beti hai....!!!....kohinoor !! mujhe nhi pata ki tum khus hogi ya nhi ...lekin ek baat hai jo tumhare liye jan'na bahut jaruri hai...tumahare papa ek nihayat shareef aur sachche insaan the.......mera kahne ka matlab ye hai ki tum ye na sochana ki tumhe kisi kothe par...matlab kothe ki paidayish....mujhe maaf karde meri bachchi........mujhe samjh me nhi aa rha kaise tujhe apni baat samjhau......."Runa sachmuch bahut paresaan ho gayi thi. "kohinoor !tumhare papa aur mummy ek hi college me me padhte the.........student union ke leader the....mummy se tumhari takreeban 10 saal bade the...mujhe jyada to nhi batay Mohini ne...lekin itna bataya tha ki muhabbat ki suruwaat mohini ne hi ki thi...aur jald hi dono ki muhabbat parwaan chadhti gayi.........lekin jaisa ki aksar hota hai hamare samaaj me........unki muhabbat kisi ko manjoor nhi thi...na mohini ke ghar walo ko na tumahre papa ke ghar walo ko..........." Runa ko jitna pata tha wo batati ja rhi thi...kohinoor chupchap bade gaur se sun rhi thi us maanjhi ko me jiske baare me use kabhi uski maa ne nhi bataya. "Kohinoor, bahut dard jhela tumahri maa ne............tumhari mummy aur papa ne shadi karli thi kisi mandir me..........lekin kisi ko bataya nhi........kuchh dino baad hi Mohini pregnant ho gayi......tumhare papa jald hi mohini ko lekar us shahr ko chhodkar kahi chale jane wale the aur ye baat kisi ko pata nhi thi.......lekin kismat ko to mohini ka imtehaan lena tha....kohinoor tumahre papa ek hadse ke shikaar ho gaye.......is se pahle ki unki khusyion ka gulshan guljaar hota , kismat ne unki duniyaa veeran kardi...........unka aashiyanaa basne se pahle hi tinka tinka bikhar gaya..



Runa ne khinoor ko aur jor se bhich liya apne saath aur uski aankho se chhalak aaye aansuo ko apne duppate ke paalu se saaf kar diya...... "kya naam tha mere papa ka baji, kya hua tha unhe...kyu chale gaye wo mujhe chhodkar....."` " Neeraj naam tha tumhare papa ka..... Neeraj Chaudhary....mummy ne nhi bataya tumhe???......mujhe nhi pata kyu nhi bataya usne beta..shayad jis bhawar me wo fans gayi thi uske baad use yakeen hi nahi rha ki koi bhi uski baat par aitbaar karega.........shayad use laga ho ki .....khair, jaane do meri bachchi........" "bataiye kya hua tha mere papa ko.........." "Mohini ne mujhe bahut tafseel se nhi bataya kohinoor , fir bhi jo usne bataya aur jo mujhe yaad hai mai bata rhi hu.......Student union ke leader hone ke naate bahut se dushman the tumhare papa ke.......ek baat batau .............jis party ka sadanand leader hai tumhare papa uski party ke opposition wali party ke leader the ...............tumhare papa university se apni study khatm kar chuke the...shayad unhe job bhi mil gayi thi......lekin ek din university ke election me unhe unki party ne bulaya tha.....wo apne party ke candidate ke support me speech de rhe the aur kisi vajah se danga bhadhak gaya ......us dange me tumahre papa bhi maare gaye...........kisne bhadakaya , kis vajah se hua ..kuchh pata na chala........." Runa bolti jaa rhi thi.......... "kohinoor , yahi vajah thi...yahi Vajah thi ki muhabaat ka jahaan aabad karne ke sapne dekhne wali mohini ek kothe par pahcuch gayi.........ek suhagan ki jindagi jeene ke sapne dekhne wali wali Mohini ko ek tawaif ki tarah jeene ki raah chun ni padi......bahut mushkil raah chun li thi usne...............jab wo mujhse aakhiri baar mili to bahut khus thi, mujhe laga ki shaayad uski aazmayish , uska imtehhaan khatm ho gya, lekin mujhe nhi pata thi ki us Mohini ki aajmayish aaj bhi khatm nhi huyi......aaj uski eklauti nishani bhi usi raah par chal padi..." "Mai samjhi nhi...aap saaf saaf kyu nhi batati......" is baar kajal buri tarah jhunjhlaa gayi.....


"Sorry meri jaan, sach to ye hai ki mai kuchh bolne ki halat me hi nhi hu...aaj mujhe nafrat ho rhi hai is duniyaa se bhi aur us khuda se bhi...." "Batati hu " Runa ek pal ko ruki apne aansu saaf kiye aur fir se bolna suru kiya...... "Mujhe ye bataane ki jarurat nhi hai ki tumhari maa par kaisa asar hua hoga tumhare papa ki maut ka........whi hua uska jo kisi bhi pyaar me pagal deewani ladki ka hota..........lekin usne haar nhi mani.....usne tumhe janm diyaa.............tumhare nana ne tumhe apne paas rakha ...lekin mujhe is baare me is se jyada kabhi nhi bataya usne...haan itna bataya tha usne ki ek beti hai meri....shayad tumhe apni maanjhi ke kaale saaye se door rakhna chahti thi...sahayad wo chahti hi nhi thi ki koi jaan paye ki wo tumhari maa hai............." "Tumhare Naana kyu maan gaye , kaise maan gaye mujhe nhi pata meri bachchi.....lekin jaahaa tak ek aurata ka dil kahta hai...unhe bhi apni beti ka dard shayad mahsoos ho gyaa ho...kuchh kah nhi sakti mai is bare me...." "Mohini bahut bahadur thi kohinoor...usne sabkuchh bardasht kar liya ...bas ek baat nhi kar payi..........Neeraj ki maut use hmesa ek saajish lagi........uske dil me ek chot thi....ek dard tha.......hmesa use lagta rha ki Neeraj ko Sadaanand ki party ke bade netao ne marwa diya...........kyuki wo unke liye ek nayaa aur shayad sabse bada khtara banta ja rha tha....Neeraj bahut achcha insaan tha,...log bahut pyaar karte the use...aur shayad jald hi uski party me use koi bada oheda mil jata....yhi dar tha nke man me...........lekin in sab Sadanand ka haath nhi tha........kyuki us samay sadanand ki aukat uski party me kuchh khaas thi nhi....... "


Aap ye sabkuchh kaise janti hain "kajal se raha nhi gaya... "Batati hu,,sab kuchh bataungi........Sadanand us samay apni party me nya nya shamil hua tha...lekin khwaab bade unche the uske......kuchh dino me hi usne apne rang dikhaye aur apni hi party ke khilaaf bolne laga....aur party se alag hokar ek nayi party banane ki baat bhi karne laga............ek baat jo sadanand ke haq me thi ki wo bahut paise wala tha.......rayishi aur ameeri khandaani thi ..aur dheere dheere is paise ne apna rang dikhana suru kiya......Mohini ko sadanad ki shakl me ek mohara nazar aaya.......use khud nhi pata tha ki Mohra to wo ban rhi thi sadanand ke haath ki." "Mohini Sadanad ke jariye apne Neeraj ke hatyaro ka khatm karne chahti thi, lekin use nhi pata tha ki Sadanand use mohra banakar apnaa rasta saaf kar rha tha..........Sadanad ko party me position chahiye thi aur Mohini ko intkaam......yehi shayad unka sauda tha.......... kisi ko nhi chhoda Mohini ne...Mohini ka mayajaal sabko nigal gaya..........wo sare log jo jimmedar the ,sabko keemat chukani padi, apni jaan dekar .........lekin jaise hi sadanad ki haisiyat party me badhi, usne doodh ki makkhi ki tarah nikal fenka apni jindagi se Mohini ko." "apne neeraj ki maut ka intkaam lete huye kab Mohini ek Tawaif ban gayi use khud pata nhi chala........badi bhari keemat chukayi usne apni muhabbat ke intkaam ki........isse jyada shayad mai tumhe bata nhi paungi......aur shayad is se jyada koi beti apni maa ki barbadi sun bhi nhi payegi." Runa ne badi mushkil se aakhiri sabd kahe...dard ki ek lakeer


uske chehre par chha gayi thi. kohinoor ekdam gumsum si baithi sab sun rhi thi... "Kohinoor! Apne Neeraj ki maut ka badlaa to le liya mohini ne...lekin khud ki zindagi barbaad kar li.......par kabhi use is baat ka afsos rha , aisa laga nhi.........haan apni nanhi se beti se alag rahne ka dard jarur tha ,jo aksar tanhayi ki raton me aansu bankar bah jaata tha......" Runa kahkar chup ho gayi thi aur kohinoor ka poora chehra aansuo se bhig gaya tha... "Runa baji ! apni maa ko kabhi achchi aurat nhi samjha tha maine.....hmesa ek shikwa rha tha mere dil me....lekin aaj mujhe meri maa sahi lag rhi hai, har kadam par sahi......aaj mujhe fakr ho rha hai apni maa par aur aaj mujhe yakeen hai ki agar mai bhi apni maa ki jagah hoti to yahi karti" Kohinoor ki aawaz me ek maan tha aur aaj shayad uski Maa ki ruh ko sukoon mil gaya tha.....kyuki aaj uski beti ne use sahi kah diyaa tha.....use maaf kar diya tha.

 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Update-9

kajal Runa ke gale lagi thi aur dono ro rhi thi........kajal ke dil me ek hook si uth rhi thi...aaj use apni maa bahut yaad aa rhi thi....wo maa jise sari umr usne swalo ke ghere me rakha...wo maa jisne khud ko apni masoom bachchi se door rakha...aaj kajal ko apni maa ka dard mashsoos ho rha tha...... uski maa to dard ki moorat thi...na jawani me pati ka saath mila na dhalti umr me aulad ka sukh...sari zindagi apne intkaam ki aag me jhulse hatho ko chhupati rah gayi , wo dard sahti rahi……….ghut'ti rahi...lekin koi bhi aisa nhi rha uske paas jise wo apna kah leti……...jiske kaandhe pa sar rakh kar ro lete. Aaj kajal khud ko bhi kam doshi nhi maan rhi th....kam se kam use to apni maa ka sath dena chahiye tha, wo kyu na samjhi apni maa ke aankho ka khalipan, kyu use apna hi dard sabse jyada mahsoos hota rha.....kajal ke man me in sare sawalo ne uthal puthal macha rakhi thi....aur wo Runa ke gale lagi apne dard ko aansuo me bahaa dena chahti thi……….lekin ye dard kam hone wala dard na tha...umr bhar ka rog tha. "Mai bahut buri hu Runa baji...maine bhi apni maa ke sath whi kiya jo sari duniyaa ne kiya......meri maa ko mai bhi na samjhi...."kajal siskiyon ke bich bolti ja rhi thi. "Nhi meri bachchi, tu to bahut pyari hai....khud ko dosh mat de...halat bure the...aur tu to unhi halat me fans kar rah gayi………...tera koi dosh nhi ." Runa use samjha rhi thi. "Runa baji, aapko ye sab kaise pata hai..kaise janti hain aap meri maa ko...aapne bataya nhi........" kajal ne Runa ki or dekhate huye puchh liya. " bataungi beta ,wo bhi bataungi.....lekin abhi us se jaruri jo kaam hai wo karna hai.......tu abhi bas ye samjh le ki meri kahani bhi kuchh aisi hi hai.....aur isiliye mujhe pta hai....." Runa jaldi se jaldi baat ko khatm karna chahti thi. "Meri maa achchi thi Runa baji, bahut achchi.........."kajal ne bas itna hi kaha ....Runa uske balo me hath ferti use chup karati rahi.



Haan beta,...teri maa bahut achchi thi...aur tu us se bhi achchi hai....jo tune kiya hai wo karne ke liye bahut bada kalejaa chahiye aur muhabbat ka pagalpan......inshaallah ! sab thik ho jayegi...bas ab khuda teri aajmayish khatm kar de........." "Nhi baji…….meri aajmayish khatm nhi honi chahiye…ye to meri muhabbat ki keemat ho jo mai chuka rhi hu……....mai apni muhabbat ko haarne nhi dungi.....Zamana dekhe to sahi ki ek Tawaif ki muhabbat me kitni shiddat hoti hai……………..abhi to aur tamasha bann'na hai is kohinoor ka............." kajal ke aansu sukh gaye mano...wo ek thos lahje me bas itna hi boli ki darwaza kholkar jumman chalaa aaya. Lagbhag aadhe ghante ke baad wo log ek bus me baithe Jumman ke gaon ko rawana ho gaye the...kajal ne thoda bahut puchha lekin Runa use samjha diya ki ab wo yha nhi aayenge............aur Jumman ke gaon se hi jab Laila kahegi shahar wapas chale jayenge.............kajal ne bhi jyada nhi puchha……....kyuki use khud par yakeen tha…………..usne soch liya tha ki jab faisle ki ghadi aa jayegi to use kya karna hai………….....shayad usne bhi khud ko kismat ke hatho chhod diya tha………...haan is baat par koi bahas use bardasht nhi thi ki wo whi karegi jo Lailaa kahegi. Apne man me Jumman aur Runa duaayen maang rhe the,………..Kohinoor ke fir se kajal ban jaane ki dua……...uski kusiyon ki dua……..uski muhabbat ki dua…...lagbhag 3 ghante baad wo log ek chhote se gaon ke ek chhote se kachche ghar me pahuche.

Runa ke anumaaan ke thik vipreet Jumman ne sara intjaam pahle hi karwaa diya tha.....uski najro me aaj jumman ke liye ijjat badhti ja rhi thi………...wo to jo bhi kar rhi thi fir bhi ek vajah thi uski............usne khud ek Tawaif hone ka dard mahsoos kiya tha…...lekin Jumman?...wo to bas insaaniyat ka farz nibhane nikal pada tha.............jaan hatheli par lekar. ************************************************ Idhar Sadanand ke ghar par....... "oye…..abe…...abe kaun ho tum..??..aise kaise andar ghuse chale aa rhe ho ..hain???......."bangle ke Main gate par khada watchman phon par muskura muskura kar baaten kiye ja rha tha jab uski nazar gate se andar ghus chuke majboot kad kathi wali pahlwaan jaise shakhs par padi jo bina kuchh puchhe ,bina kisi ki parwah ke andar chala ja rha tha…………..jaldi se daudkar watchman ne use roka aur badi buri tarah se dant'te huye puchha. Wo shakhs ruk gaya……..watchman uske karib pahucha aur ek baar bharpoor nzar uspar dali………...karib 5,7' kad...majboot gatha hua badan......laal ankhe, gora tantannayaa hua sa chehra..............kala paizama kurta aur gale me moti si chain......shakal se guroor aur gusaa jhalkata hua.....usne watchman ko khaa jane wali nazro se dekha. "Aise kya dekhta hai be…....pata bhi hai ye kiska ghar hai.......chalo niklo yha se...........jaane kaha kaha se aa jate hain............"watchman kuchh jyada hi badtameeji se baat kar rha tha...shayad sadanand ka watchman hone ka asar tha.... "Abe chuhe !!....tujhe pata hai tu kis'se baat kar rha hai.......abe jan jayega to moot nikla jayega tohra........chhod abhi apun thoda jaruri kaam se idhar aaya hai……..tere koo fir kbhi samjhayega....... " palak jhapkate hi Sheraa ka haath use watchman ke muh ko band kar gaya aur jeb se tamncha nikalkar uske sar par de maara…...bechara watchman cheekh bhi na paya aur behosh ho gaya………….Shera ko jo jumman ne bataya tha uske baad use shayad anumaan ho gya tha ki yha ke halaat aise hi hone wale hain……pata tha ki kisi anjaan ko Alok se milne nhi diya jayega............aur



jo usne kiya ye usi ka nateeja tha. Shera ne use ek kone me dalkar paas me padi taat uske upar daal di aur tej tej kadmo se andar ko chal diya………..ghar ke naukro se bachte bchate aakhir 15 min ki jahmat ke baad wo Alok ke kamre me ghusne me kamyaab ho hi gaya. koi 20 minute baad ALok ki gadi hawa ki teji ke saath us bangle se nikli aur kisi ko bhi kuchh soch paane ka mauka milne se pahle hi wo gate se bahar thi..... Driving seat par baithe Alok ki aankhe ratjage aur rone ke karan laal ho gayi thi…..un aankho me sare jamane ka dard umad aaya tha.....aaj kismat ne ek baar fir use mauka diya tha……….aur is baar wo haar nhi man'ne wala tha.............uski chehre ki sakhti bataa rhi thi ki is baar wo nhi juhkega……….chahe koi bhi keemat chukani pade. Chahe kisi bhi had se gujar jana pade………Uske thik bagal me baitha tha Sheraa aur pichhe baithi thi uski dost Sophi "Alok babu , ek baat bolu bura na mano to.............vaise maan bhi jaoge to mera kya ......"Sheraa, shayad akad ka dusraa naam tha. "Nhi shera bhai, bilkul nhi bura manunga...bolo..."Alok ne dheere se kaha. "Tum jao jaha janaa hai.....shayad der ho jave, to bahut der ho jaave...in madam ko Sheraa chod dengaa hawai adde


tak......haan, pan apun gunda hai……sochkar hi bharosa kariyo......" "ALOK ne ek baar uske or dekha aur kuchh na bola..... "Ye thik kah rhe Alok.......you please go...i will manage.......my humble request to you...don"t waste time........." Alok bhi shayad dil se yhi chahta tha….lekin wo sophi ko chhod kar bhi nhi ja sakta tha…………itni door ek uske hi bharose par to aayi thi wo…..…aur aaj jab wo ja rhi thi to kaise akele use jaane deta…….use see-off karne airport jaa rha tha aur wha se jumman ke gaon…….lekin dusri taraf uski muhabbat thi…………aaj uska bas nhi chal rha tha ki wo ud kar apni kajal ke paas pahuch jaye…usne suni suni aankho se sophi ko sirf dekha. “Please jao…..go!!!!...” sophi ne jor dekar kaha aur aakhir Alok maan gya… “Shera bhai , bahut bada ahsaan kiya hai aapne mujhpar……..…jaan rhi to kabhi is ahsaan ka badla jarur chuka dunga………bas ek ahsaan aur kardo, sophi ko chhod do airport tak sahi salaamat…..” Alok ne haath jod diye Shera ke aage. “O hero…apun ko senti mat kar………abhi apun ke paas addhha-pauwaa kuchh nhi hai….chal jaa tu…apun pahucha dega in madm ko…”


Alok ne side me gadi roki………..ek taxi ko rukwaya………shera se hath milaya aur sophi ko gale lagakar us taxi me baitha diya. “ See you soon , Alok” Sophi ne taxi ke chalne se thik pahle kaha. “Pray for my love sophi” Alok ki aankhe dabdabaa gayi. “I will, Kajal tumhe jarur milegi….God bless you” Sophi Shera ke saath airport ko nikal gayi aur Alok gadi me baitha junooni andaaz me jumman ke gaon ko nikal gaya, jahaa uski muhabbat ki kismat ka faislaa hona tha. Airport par Sophi ne Shera ko thank you bola aur apne saaman ko sambhale andar ki or chal di….Shera ne jab dekha ki wo gate se andar ghus gayi to wo bhi wapas chal diya………..aaj zindagi me pahli baar uske dil ko bahut sukoon mila tha…………uske dil me bhi bas yhi dua thi…… “Alok ko uski muhabbat mil jaye…” Sophi kuchh kadam hi andar chali thi ki kisi ne use awaaz di “sophiyaaa!!” Kisi ladki ki awaz thi,Sophi ne palatkar dekha ,uske pichhe thodi door par ek ladki khadi thi……sophi ko chehraa jana pahchana lag rha tha lekin use yaad nhi aa rha tha………...wo whi ruk gayi…ladki bhagti huyi usk or aa gayi…..uske saath me ek ladka tha jise sophi bilkul nhi pahchan rhi thi…….ladka kafi kamjor aur shakl se bimar-bimar lag rha tha



you are sophiya…..Right…???.where is Alok….??…....maine pata kiya wha to pta chala ki tum dono India aaye ho.........mai use do din se lagatar try kar rhi hu………na uska phone lag rha hai na wo kisi bhi communication ka respond kar rha hai…….…kaha hai wo…please batao…it”s urgent…… ?? he is ok na??”ladki bahut ghabrayi huyi aur badhawaas si lag rhi thi. “I m really very sorry…but..maine pahchana nhi ….who are you ??…kabhi dekha to hai tumhe but I can”t recall ”” Sophi ne kaha. “Me…Anjali Alok ki sister…skype par baat huyi thi ek do baar jab tum alok ke saath thi…remember???...batao kaha hai Alok…aur kuchh mat puchhna ….mai baad me sab bataungi,…..”us ladki ne jaldi jaldi se itna hi kaha “oh…yesss…hi Anjali..Alok to……???...come fast…jaldi aao mere sath..wo abhi abhi is shahar se bahar gaya hai…please come………” Sophi kuchh kuchh bataa rhi thi jise sunkar Anjali aur bechain hoti ja rhi thi. Anjali , wo ladka aur Sophi bhagte huye airport se bahar nikle…….Sophi ki najre charo or Shera ko talash kar rhi thi…..usne Alok ka phon bhi try kiya par wo band tha……….Shera bhi kahi nhi dikh rha tha…..whi ek tha jo unhe abhi alok ke pas le ja sakta tha….…Sophi daudati huyi thodi si aur aage badhi………kuchh door par use aakhir Shera dikh hi gaya…………..phone kaan se lagaye aur ek haath me cigrete pakde wo thodi door par khada shayad kisi ka intzaar kar rha tha..



Excuse me….!!!...hellooooo…”Shera ki nazre sophi ki aawaz par uski or uth gayi…….usne phone kat kiya aur bade gaur se un sabko dekhne laga… “Ainnn…tu gayi nhi ??……..aur ye sab kaun aa gye??…….chakkar kya hai madam??” Shera ne aascharya se puchha . “Dekhiye Bhaiya, please aap hme Alok tak le chaliye……..ye bahut urgent hai…….pleassssseeee,,,mai raste me sab bata dungi…………”Anjali ne jaldi se kaha. “Ummmmhuuu…….huh…kaha fansaa diya saale jumman ne,,,…..ok chalo …lekin ab mujhe sab batana padengaa tum sabko…sala apun ka khopdi satak rhi hai ab” Shera bemtalab dusre ke lafde me padne wala shakse nhi tha lekin aaj wo manaa na kar sakaa. “Jee mai sab bata dungi…please……..” “Oye Jgagaa…..sun! meri gadi, thode paise aur kuchh “Samaan” lekar 10 minute me, purane church ke paas mil………….koi sawaal nhi aur late hua to tu janta hai apun ko………” Shera ne phon par itna hi kaha aur bina jawaab sune phon kat kar diya.




Takriban 30 minute baad Sophi, Anjali aur wo ladka Sheraa ke sath uski gadi me Jumman ke gaon ke liye rawana ho gaye. Koyi 8 ghante baad… Subah ho chuki thi…….aur Runa ke ghar par pahuch chuke Sadanadn ka gussa dekhne layak tha. “Laila agar wo ladki nhi mili, aur wo ho gya jo mai nhi chah rha to tera wo hashr karunga…..” sadanand ne Lailaa ko kha jane wali nazro se dekhte huye kaha.. “wo kahi nhi jayegi huzoor………..wo…wo..sab jarur us kameene Jumman ke ghar gaye honge…….ye sab usi ka kiya dhara hai……..aap pata karwaiye jumman ke ghar ka adress……..yhi se kuchh door hai par mujhe thik thik pataa nhi hai……..” Laila ki halat kharab ho rhi thi…badi mushkil se itna bol payi. “kameeni……....ran**…………mai kaise pata krawau..bol “ “wo ..w..wo….wo ek do baar jail gaya hai…shayad udhar se kuchh pata chal sake……” Sadanand ne use ghoora to


Lailaa ki jaan halak me aa gayi… “Tujhe to mai baad me dekhunga…” Sadanand ne daant peeste huye kaha aur apne kisi khas aadmi ko phon karne lage…………. “hello Vermaa sahab………..ek kaam tha….” Aur fir sadanand kuch der tak baat karte rahe . Koi 2 ghante baad ek baar fir se sadanadn Aur uske aadmiyon ki gadiyon ka kafilaa nikla pada…..is baar rukh tha jumman ka ghar. Jaane kismat ko kya manjoor tha……….Alok , Anjali aur Sadanand, sab jumman ke gaon nikal pade the…………...apne apne maksad ke liye……………ek ki jeet dusre ki haar thi………….khun ke rishte me aur muhabbat ke rishte me takrav hone wala tha………….. Dekhna tha kaun kamjor padtaa hai…wo khoon ka rishta ya ye muhabbat ka rishta…..
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Update-10

Runa aur Kajal jumman ke saath uske ghar pahuch chuki thi...dophar ka khana khakar Runa ke saath kajal leti thi ...jumman kuchh kaam hai bolkar kahi bahar gya hua tha.Runa baji, bataiye na aap kaise jaanti hain Alok ke papa ko.....? kajal ne chhat ko ektak dekhte huye puchha. "Koi aisa rishta nhi hai kohinoor jise naam de saku.........bas ye samjh lo ki ek majboor ladki apna sahara dhundhane nikli thi,aur dhokha kha gayi........." Runa ne kuchh sochahte huye kaha. "mai samjhi nhi....." kohinoor boli. " Meri dastaan bhi har tawaif ke jaise hi majboori ki dastaan hai....jis din kothe par ye "Rani" Runa ban gayi us raat meri ijjat ka pahla saudagar Sadanand hi tha...jaanti ho, bade sapne dikhaye the isne mujhe...."Runa apne bare me batatai gayi..... "Mai dilli se hu.......apne pyaar ke saath mumbai bhaag aayi thi..ghar walo ke khilaaf jakar apna sab kuhh use saup diya.....lekin ..." Runa ki aankhe bhar aayi....Maanjhee ki dardanaak yaaden uske seene me shool bankar chubh rhi thi..........Kajal uthkar baith gayi, uske kandhe par hath rakh diya. "Wo bewafa nikla kohinoor...!.dar dar ki thokre khati rahi mai uske saath, har dard har takleef sahne ko taiyaar thi......lekin wo kamjor nikla....uska dil mujhse bhar gya, aur us dil ki muhabbat mar gayi......mere saath jeene marne ki kasme khane wala, marte dam tak saath nibhane ke waade karne wala, char kadam bhi mere saath na chal paya......soyi to mai uski baho me thi, lekin jab need khuli to khud ko ek kothe par paya...us jagah par jaha payal ki jhankar aur table ki taan ke bich ek majboor aurat ki dardnaak cheekh ghut ghut kar dam tod deti hai......haan Kohinoor , mere Deepak ne mujhe bech diya tha...meri pahli muhabbat ne..mer apne Deepak ne." purana jakhm aaj fir se ubhar aaya tha.....Runa ke aansuo me sailaab aa gya tha....par wo ruki nhi, bolti rahi....




Mai bilkul toot gayi thi...jispar aankh moond kar aitbaar kiya tha usi ne khoon ka diya tha mere aitbaar ka...jeene ki koi vajah nhi thi, lekin mar bhi na saki........shayad kuchh karna baki tha is duniyaa me........ghar walo ne pahle hi mara maan liya tha, koi nhi tha jise meri haalat se matlab tha.....pairo me ghunghre bandhe to fir sirf ek Pahchan rah gayiiii- sirf ek Tawaif .." "kuchh din tak apna daaman bachati rahi..lekin kab tak..Sadanand ne bade vaade kiye mujhse...mujhe us jahnnum se nikaalne ka vada, ek nayi zindagi ka vaada,har vaade par ek aur vadaa.........kasmo vaado par aitbaar to khair bahut pahle hi chhod diya tha maine...bas apni barbadi ka tamasha dekhti rahi.....kuchh din baad mujhe us kothe walo ne bech diya....Sadanand to kabhi nhi ayaa fir, lekin yha mai tumhari Maa se mili..Mohini se" Runa ne kajal ki or dekha...dono ki aankho me aansu the. "Mohini ki aankhe badi sundar thi kajal...lekin un aankho me hmesa intkaam nazar aata tha........Mohini hum sabse alag thi...humse jyada bahadur thi.....aur isi liye shayad apna makasad paa saki....Ek din mohini aayi to bahut khus tha...aate hi mjuhe gale lagaa kar boli..--"Aaj jeene ka maksad poora ho gya Runa behan.......ab jaan jab chahe chali jaaye ko malaal nhi rahega........Bas ek maa hone ka farz na nibha payi yehi dard hmesa dasegaa.........apni beti ki gunahgaar hu mai....."



kajal ki aankhe fir se bhar aayi...aaj use lag rha tha ki kash uski maa use ye sab pahle bata deti to wo apni maa ko kabhi akela na chhodati.lekin wo ye bhi samajh rhi thi ki uski maa ne aisa kyu nhi kiya...lekin wah ree kismat...........usi raah par kajal ko le chali jahaa se bachaane ke liye uski maa sara dard akele hi pee gayi thi. kuchh door khada jumman bilkul khamoshi se unki baat sun rha tha..........dheere dheere chalta hua unke paas aya aur thodi door padi charpayi khichkar baith gya......... Runa ek pal ko thithki , uski or dekha aur fir bolna suru kiya...... "Kajal, usi raat Mohini me mujhe apne baare me sab bataya tha..Sadanand aur tumhare papa ke bare me bhi..........lekin agli subah mai jagi to mohini wha nhi thi........shayad tumse milne kolkata gayi thi...aur uske dusre hi din fir se mera sauda hu......mai fir se bechi aur khareedi gayi......mai yha aa gyi...." Runa ne apne aansu ponchhe............kajal ek tak uski or dekhti rahi......aur jumman bhi. Jumman ka chehra bhi gambhir ho gya tha...wo raaten jinhe wo "Rngeen aur haseen " samjhta tha kisi ke liye kitni dardanak hoti thi aaj use ahsaas ho rha tha. Uske liye to jism bechna bhi ek pesha tha, jiske badle ek Twaif paise leti thi.........lekin til til kar kaise ek rooh jakhmi hoti thi ye aaj use samjh aa rha tha. Whi kajal fir se aaj usi soch me doob gayi thi......kaisa hai ye samaaj jo ek jeeti jagti, vidhata ki sabse sundar kriti ko ek "vastu" samjhta hai...ek chij samjhta hai...jise kharidata aur benchataa hai.......uske saath raate to rangeen karta hai lekin us raat ke baad hone wale ujaale me use Tawaif naam ki gaali deta hai...........kaisa hai ye samaaj , kyu aisa hai ye samaaj???. Teeno hi chup the, jaise kuchh bacha hi na thi kahne sunne ko.........teeno hi apni apni socho ke bhawar me doobe huye the.........Bahar gadi ke tayro ke teji se charcharaane ki aawaz par ek saath teeno chaunk pade........jumman ne bhagkar darwaza band kiya aur aankhe khidki se lagaa di.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Shah40

Active Member
1,354
2,154
143
Updated. 11


khidki se aankh lagaye juman gadi ko rukte aur fir usme se nikalte shakhs ko dekhta hai, uske thik pichhe khadi Runa us shakhs ko dekhkar apni khusi chhupa nhi pati. "Alok babu aa gye Jumman , darwaza kholo " Alok ki car jumman ke ghar se thodi door par khadi thi aur car se nikalakar Alok bechaini se idhar udhar dekh rha tha, uski aankho me milan ki tadap saaf jhalak rhi thi. Jumman palat kar Runa ki or dekhta hai , dono ke aankho me chamak thi ,lekin Runa ki baat sun kajal ke chehre ka rang ud chuka tha....... "Ye kya kar rhe ho aap log.....Runa baji aap to sab jaanti ho na...kya fayada hoga meri itne dino ki kurbani ka ??....kya hoga us....." " Har baar kurbani tu hi kyu degi meri bachchi, tune to apni zindagi barbaad kar di us muhabbat ka bharam rakhne ke liye jiske hone ka poora yakeen bhi tujhe nhi....bata kya mai galat kah rhi hu.......??" Runa ek pal ko ruki, Kajal bilkul chup ho gayi , "Kohinoor ! ab tak to itna yakeen nhi tha, lekin aaj mai kah sakti hu ki teri muhabbat ki tadap bevajah nhi hai.......dekh uski aankho ki deewanagi,baawara lag rha hai.... paglo ki tarah bhaga chala aaya hai tere liye....ab waqt aa gya hai ki ek mauka use bhi diya jaaye........tune to saare faisle khud kar liye....tab bhi aur aaj bhi karna chah rhi hai......kya kasoor hai uska ??...bata ?......aisa na kar meri bachchi...ek mauka use bhi de apni muhabbat sabit karne ka...ek baar aazma le apni muhabbat ko........"

Runa Kajal ko samjha rhi thi lekin kajal uski or aise dekhti hai jaise Runa ne koi bachchkani bat kah di ho........halki si hasi aa jati hai kajal ke hotho pe.... "Runa baji ! aapko kya lagta hai ki mujhe Alok ki muhabbat par yakeen nhi tha ??...nhi baji ! aap galat samjhi....ek ladki ki aankhe kabhi ye dhokha nhi kha sakti ...Alok to lakho me ek hain....wo mujhse bahut pyaar krte hain...tab bhi karte the aur aaj bhi, lekin apni sachchai jaankar maine khud ko unke layak hi nhi samjha aur uske baad jo kuchh kiya maine......." kajal ki baat adhoori rah gayi...... unki is bahas ke bich jaane kab jumman bahar nikal chuka tha....Darwaza ek jahtke me khula aur Kajal ke saamne Alok khada tha.......ufffffff!!!! kitni bebasi thi un aankho me.......!! Kajal bhi ek tak Alok ko dekhe jaa rhi thi ...bikhre baal, badhi huyi shave....laal sooji huyi aankhe aur maile se kapde....kajal ki aankhe dabdabaa gayi ...kya haal bana liya tha apna Alok ne...kaha wo college wala chahkata smart sa Alok aur kaha ye muhabbat ki deewanagi me pagal sa Alok...bahut kuchh badal gya tha lekin Dil to aaj bhi whi tha.......Kajal ka dil ro utha Alok ki dasha dekhar.......badi mushkil se khud par kaboo kiya hua tha usne. Dono ek dusre ko dekh rhe the aur Runa unhe...jumman bahar hi rah gaya tha...Runa ne aage badhkar Alok ke kandhe par haath rakha aur bahar nikal gayi. Alok chand pal kajal ko dekhta raha aur fir apne ghutno ke bal girkar tadap tadap kar rone laga..... ab bardasht kar pana Kajal ke bas me na tha..daudakr Alok ko apne seene se laga liya........


Mat roiye Alok... please mat roiye.......mai hu aapke paas .....please mat ro...." Alok ne apna sar upar uthaya......... "kaha ho tum mere paas ??...tum to mujhse bahut door nikal gayi Kajal.........bina kuchh kahe , bina kuchh bataye..koi shikwa hi kar leti...kuchh saja deti koi khata huyi thi to...lekin aisa kyu kiya.........batao.......mujh par yakeen nhi tha ya meri muhabbat par yakeen nhi tha ??? bolo ??kyu chali gayi bina kuchh kahe......" Alok aaj barso se dil me dabe saare sawal kar rha tha kajal se. karta bhi kyu na, haq tha use.. Aur Kajal !!... kadam kadam par majboor, aaj ek baar fir se majboor ..hoth sil gaye the mano. "bolo kajal, kuchh to kaho......kyu kiya aisa tumne....ek baar mujhe kahkar to dekhti..sari duniyaa se takraa jata tumhara Alok.....tum mili bhi to is roop me, kyu hua ye sab.....kaise ban gayi meri kajal kohnoor ??.....bolo please.......bahut dino se ye sawal mujhe andar hi andar khaye ja rha hai ki mera kasoor kya tha , aaj mujhe jawab chahiye kajal...bolo...please chup mat raho...tumhari ye khamoshi meri jaan le legi....??” Alok aaj sab kuchh janna chah rha tha...Lekin kajal abhi bhi kuchh kah nhi rhi thi. Kajal ki aankh se aansu nikle aur uske hotho se sabd...


Alok ,meri mamaa ..ek.....ek.... Tawaif thi meri maa.....!” Kajal ne badi mushkil se ye alfaaz adaa kiye, aur sar jhuka liya..kajal ko shayad lag rha tha ki usne Alok ke sawalo ka jawab de diya...lekin uska ye bharam sirf kuchh pal hi raha.... “ To ???????........Kajal , Tawaif koi aurat apni khusi se nhi bani hogi.....” Alok kajal ki aankho me dekh rha tha, aur wo khubsoorat aankhe sawan ki badli ke jaise barse hi jaa rhi thi.....Alok se bardasht nhi ho rhe the un aankho ke aansu...... “jaane do kajal !!!, agar tum nhi batana chahti to mai wo wajah bhi nhi puchhnga ...tumhari mom kya thi, tum kya ban gayi....kuchh mat batao mujhe...bas ab mere paas chali aao..........aur bardasht nhi kar paunga mai.”Alok ki baat sun Kajal ka dil fir se tadap utha.....kya tha wo , insaan ya koi farishta ?...Kajal use beyakini se dekhni lagi.......itni badi baat kitni aasani se kah gaya tha Alok........kuchh pal beyakini me beete, fir un nigaho me maan tha...apni muhabbat ke liye maan . “Haan kajal, bahut tadapa hu mai is jawab ke liye ki mera kasoor kya tha , kyu gayi tum mujhe chhodakar...lekin aaj aisa lag rha hai ki vajah aisi hai shayad jise kahne me tumhe takleef hogi...aur ye mujhe bardasht nhi.....to nhi jan’na mujhe kuchh bhi........koi vasta nhi mujhe tumhari maajhi se........bas ab mai tumhe jaane nhi dunga. ......Kabhi kah nhi paya , shayad mauka hi nhi mila..aaj kahta hu.....I love You kajal, I love you very much........jaan se jayda chahta hu mai tumhe...deewangi ki had tak, pagalpan ki inteha tak....bas ab meri ho jao.....chalo yha se ..kahi door chal kar ek pyaar ka aashiyaana basa le...chalo mere saath...”Alok ne aaj dil cheerkar rakh diya tha, Kajal ki aankhe baras rhi thi. Kya chahti hai ek ladki?? Yhi ki koi use itna chahe jitna aajtak kisi ne kisi ko na chaha ho...koi ho jo sirf uska ho, uske liye ho....Kajal ne bhi yhi chaha tha...uske aankho me bhi barso yhi khwab palaa tha...lekin aaj jab wo khwab haqiqat ban kar uske saamne aa gya tha, to kajal aage badhkar us haqiqat ko mahsoos nhi kar paa rhi thi....kaisa ajeeb ittefaq tha, jo kabhi uska tasswur hota tha aaj wo haqiqat tha, lekin wo haqiqat hokar bhi ek khwab tha. Kajal ke dil me tees uth rhi thi.......dil ki bagiyaa muhabbat se mahak gayi thi...uske dar par aaj muhabbat ke samundar hilore le rha tha ,..lekin wah ree kismat !!, Kajal ko tanhayi ka andhera hi raas aa rha tha....chah kar bhi wo kuchh kah nhi paa rhi thi...na Alok ko muhabbat ka bharosa de sakti thi, na muhabbat hone se inkaar kar paa rhi thi..karti bhi kaise, nazro ne to pahle hi gustakhi kar di thi...ekraar to najro ne kar hi liya tha, lafzo ki jarurat kaha thi ? Alok uthkar khada ho gya, Kajal but bani rahi...kya kare use kuchh samajh nhi aa rha tha.Alok mano uske jawab ka intzaar kar rha tha aur har beet’te pal ke saath uske dil ki bechaini badhti jaa rhi thi..ab jab har haal me usne Kajal ko apnaa liya tha to Kajal ko uski muhabat par aitbaar kyu nhi aa rha tha, ab kyu paresaan thi kajal, Alok samajh nhi paa rha tha.


hum aapke saath nhi aa sakte Alok..hum aapke layak nhi hain.....”Kajal ne badi mushkil se patthar ka kaleja karke bas itna hi kaha aur Alok ke hatho se apna hath chhuda liya.. “ye failsla karne ka haq sirf mujhe hai...tumhe koi haq nhi ye kahne ka ...samjhi..chalo mere saath ..”Alok ne fir se uska haath pakad liya. “chhodiye !!...please Alok...hum ...hum nhi aa sakte aapke saath........” “nhi aa sakti??...kyu???kyu hi aa sakti?...kyu kar rhi ho aisa...kuchh batati bhi nhi,kuchh manti bhi nhi..kya karu mai batao....kyu kasoor hai mera kajal........”Alok bahut bebas ho gya tha aur us se bhi kahi jyadaa bebas khud ko kajal mahsoos kar rhi thi. Dono hi chup the,dono hi majboor the....darwaze par halki si dastak ke saath Runa chali aayi........


ajal, jaa Alok babu ke saath...chali jaa beta...kismat fir kabhi aisa mauka nhi degi....nikal jaa is daladal se...Sadaa babu kab pahuch jaaye kuchh nhi pata..aur ek baar wo aa gye to...........”Runa ne shayad unki baate sun li thi, aur kajal ko samjhane ki poori kosis kar rhi thi...whi Alok apne baap ka naam sunkar chaunk gaya. “papa,yha aa rhe hain ?...nhi nhi...unki koi rally hai aaj to....wo yha kaise...” “Alok babu ! aap kuchh nhi jaante apne papa ke baare me...lekin uske liye shayad fir kabhi mauka mil jaaye...abhi aap please jaiye yha se.........waqt jayaada nhi hai..”Jumman ne andar aate huye kaha. “aap logo ka ahsaan rahega......bahut bahut shukriyaa.....is ahsaan ka bada mai jaan dekar bhi nhi chuka paunga.......aaiye chale....chalo kajal......”Alok ki baat khatm bhi nhi huyi thi ki ek baar fir se gadi ke tyro ki charrahat se fiza gunj uthi. Ek tawaif ki badkismati itni aasani se uska pichha nhi chhodane wali thi.Jumman ke chehre par pareshani ke bhaaw the, Runa ke chehre par darr ke ,Alok ke chehre par gusse ke aur Kajal ke chehre par dard ke.....shayad abhi aur tamasha ban’na tha uska.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top