• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 68 At Navina’s House

“Badi mummy? Wo kaun hoti hai? Itne dinon se kyun nahin mili wo mujhe? Aur wo yahan kyun rehti hai? Hamaare saath kyun nahin rehti?!”

Abhi ke samajh mein agaya ke ab bahot sare sawaalon ka jawaab bana kar dena hoga Aruhi ko aur teenon ghar ke darwaze ke taraf bahdne lage jahan Navina apni khubsurat smile se sabko receive karne ko wait kar rahi thi.


Ab aaguey….

Navina aur Shweta kyunke ek dusre ko jaante the iss liye Shweta ko ziada takliff nahin hui Navina se milne mein…. Navina ne apne bahon ko khol kar receive kiya Shweta ko, usske donon gaal par kiss kiye, aur piche Aruhi Abhi ke goad mein se dekh rahi thi Navina ko usski mummy se gale milte hue to bachi samajh gayi ke koyi apna hi hoga, aur jab Shweta Navina se mil liye tab Abhi ne Aruhi ko Navina ke goad mein diya, aur Navina ne bade pyar se Aruhi ko apne goad mein leke usske chehre par seinkron puppiyan kiye. Wo dekh kar Shweta ke aankhen bhar aayi. Aruhi ke samajh mein nahin araha tha ke Navina hai kaun, uss se aaj pehli baar mili thi bachi soch rahi hogi ke itne dinon tak kyun nahin mili thi uss se….

Sab ghar ke andar gaye…. Abhi ka ghar bada tha, to lounge bhi itna bada tha, itni lights the ghar ke andar, Roshni hi Roshni, sab bahot acha lag raha tha aur ek raiz ka ghar lag to raha tha, kyun nah ho bhai, Abhi raiz to tha hi, apni mehnat se bana hua raiz tha, kissi ka haq nahin mara tha, khud ki kamaayi se bana tha raiz wo…. Aruhi ne chaaron taraf dekhte hue kaafi zor se Navina ke goad se kaha,

“Mummy, itna bada ghar? Yeh to fairy tales mein jo prince aur princess ke mehel hote hein weisa ghar hai, kitni khubsurat hai…wo wahan jo ghode ka poster hai mujhe wahan jaa kar dekhna hai….”

Navina Aruhi ko liye hue uss horse ki bade poster tak legayi, tab tak Shweta ne piche se Abhi ka haath ko pinch kiya aur dhire se kaha,

“Mujhe bahot awkward feel ho rahi hai, main kia baat karungi unn se… ghabrahat ho rahi hai mujhe!”

Abhi ne buss Shweta ko “husssssshhhh” kiya.

Navina Aruhi ko wo ghode ki painting ke paas leja kar uss se kuch baatein kar rahi thi…wo jaise Abhi aur Shweta ko ek saath free chorr rahi thi… ussko to pata tha donon ke baare mein magar Shweta ko nahin pata tha ke Navina ko sab pata hai donon ke baare mein.

Jab Navina uss painting ke paas khadi thi Aruhi ke saath to mudhkar Abhi se kaha,

“Aap Shweta ko ghar ghuma lao, upar dikhaa do chaaron taraf, aur piche swimming pool bhi dikha do, tab tak main Aruhi ke saath khelti hoon thoda.”

Aisa feel ho raha tha ke Abhi apni girlfriend ke saath ghar aya hai aur Navina usski maa hai aur apne bete ko usski girlfriend ko ghar dikhaane ko keh rahi thi.

Abhi Shweta ko upar legaya. Navina niche hi rahi Aruhi ke saath. Upar jaise donon Navina se door ho gaye, jhat se Sweta ne Abhi ko baahon mein bhar liya aur usske gardan ko chhumte hue kaha,

“Dekho main kaamp rahi hoon bahot hi ajeeb feel ho raha hai mujhe, agar unnko hum donon ke baare mein pata chala to?!”

Abhi ne wapas Shweta ko kiss karte hue kaha,

“Main hoon nah? Tum kyun fikar karti ho, Navina kuch nahin kahegi, ussko Aruhi ki Khushi jo mil gayi hai…chalo baaki ke rooms aur mera study dikhata hoon tumko…udhar Navina ki study room hai iss taraf mera hai, aur udhar special IT department hai iss ghar ka hehehehe!!”

Aur bedroom tak donon reach hue to Abhi ne Shweta ko jakra aur bed par push kiya aur usske upar chadh gaya….

Shweta bahot ghabra rahi thi to Abhi ko push karte hue kaha,

“Ofo ap paagal ho kia aap ki wife hai ghar mein aur aap mujh par chadh rahe ho uff… hatto nah!!”

Abhi ko maza araha tha Shweta ke wo nakhrein bilkool Ruhi jaise the…. Abhi ne Zor se Shweta ko bed ke upar daba kar ussko kiss kiya apne haath se usski boobs ko dabaate hue, aur apne tang ko Shweta ke tangon ke beech karna chah raha tha magar Shweta ne apne donon taangon ko ek saath daba liya tha jiss se Abhi apne tang ko usske tangon ke beech nahin kar paa raha tha, to Abhi ne ek haath se Shweta ke tangon ke beech kiya… aur Shweta ne tab apne tangon ko alag kiya aur Abhi ka tang Shweta ke donon jaanghon ke beech hua jissko Shweta ne kaske apne donon tangon ke bech dabaate hue Abhi ke kiss ko respond kiya….

Shweta ne kiss ko rokte hue kaha,

“Ab chalo bhi kia sochegi wo?!”

Abhi: “yaar tum Qayamat lag rahi thi paani mein uss swimming suit mein, kia body hai tumhari, ussi waqt tumko dabochne ko mann kar raha tha…. tumko khaa jaane ko mann kar raha tha…”

Shweta: “Really? Aap mujhe dekh rahe the? Aap ko to sirf Aruhi dikh rahi thi main ne socha tha!!”

Abhi: “Are meri jaan tum mere saamne raho aur mujhe dikhe bhi nahin? Wo to bachi ko khush karna tha varna tumko chorrta main bhala!”

Shweta ne ussko push karte hue muskuraate hue uthi aur apne kapde aur baal ko thik karte hue almari ki aine mein khud ko dekha, Abhi se naak modte hue aur dhire se kaha,

“Ab chaliye bhi I don’t want her to ask questions!! Please chaliye nah!”

Abhi: “she won’t ask any question, she has let us free herself, she wants us to be all alone did not you see!”

Shweta: “What? You mean she knows about us?!”

Abhi: “No just kidding sweetheart!”

Abhi Shweta ko batana chahta tha magar nahin bataya ke Navina ko sab pata hai.

Donon swimming pool ke paas ek dusre ko baahon mein bhare kuch der khade rahe aur Shweta ne kaha,

“Iss pool mein swim karna kitna acha lagega hmmm? Aap aksar iss mein relax karte honge nah?”

Abhi: “hmm khaas kar raat ko heated water mein swim karta hoon, it’s a pleasure!”

Shweta ne bade bade aankhon se almost chillaate hue kaha,

“What? Garam paani bhi hai? Aap garam paani mein swim karte ho? wo to din bhar ka thakaan door ho jaega!! How I would love to swim in it Abhi!”

Abhi ne ussko chumte hue kaha,

“okay kissi din tumko launga ghar par tab jee bhar ke swim karna.”

Shweta: “How is that possible? Navina maam rahenge ghar par!”

Abhi: “jab wo college mein hogi tab launga tumko!”

Shweta: “ofo main bhi teacher hoon bhool gaye kia??!”

Abhi: “Are to uss din tum leave le lena simple!”

To Shweta ne muskuraate hue kaha,

“hmmm yessss!”

Tab Abhi ne kaha,

“Aur agar main tumhare aur Aruhi ke liye ek aisa ghar banwa doon to?!”

Shweta ne utre hue chehre se kaha,

“humko aisa sapna nah dikhao Abhi please!”

Abhi: “Aur uss ghar mein Ruhi bhi rahe tumhare saath to?!”

Shweta: “kia?? You mean Ruhi di? Errr mamma?!”

Abhi: “yessssss, I will buy or build a house for you three, sweetheart!”

Shweta: “Oh no… tab aap aur main kaise milenge uss ghar mein agar Ruhi di bhi ussi ghar mein hogi to?”

Abhi: “uss ghar mein meri beti hogi to mera wahan kabhi bhi aana laazmi hoga nah? to Ruhi ko kyun eitraz hogi?!”

Shweta: “Are nah that is not what I mean, hum donon uss ghar mein ek saath, Ruhi di ke hote hue? Shall we make love in her presence in the house?!”

Abhi: “hmmmm yeh nahi socha main ne!! To Ruhi ke liye ek alag sa ghar lunga chhota sa hi sahi, aur uss mein ek maid hogi usski dekh bhaal karne ke liye aur tum bhi aksar ya har roz milogi uss se… usski dekh bhaal bhi karogi got it? Aur Aruhi bhi apni nani se aksar milne jaegi, wahan rahegi bhi!”

Shweta:”okay yes yes yes my dear, mujhe Khushi iss baat ki hogi ke main aur aap akele ek ghar mein, jab aap aoge to mere saath ek raat guzaroge, aur Aruhi ko lagega ke usski mummy aur papa apne kamre mein hein… won’t that be nice?!”

Abhi: “hmmm yeah…. By next year tumko naya ghar mil jaega… aur we will start a new life, but I will have to share 3 homes! Mar jaunga main to 3 gharon ko ek saath sambhaalte hue! Hahahaha!”

Shweta: “hmm kiss ke paas ziada rahoge aap?!”

Abhi: “Navina ke paas obviously…. This is my real house. I will stay here the most. Navina will always be my priority, yeh hamesha yaad rakhna tum…. Usske baghair main aaj yeh nahin hota jo abhi hoon…. Wo nahin hoti to pata nahin main aaj kahan hota, ho sakta hai ke apne life mein aaj itna bada ghar bhi nahin hota mera, ho sakta hai Navina meri life mein nahin aati to mera garage bhi nahin hota….. kuch bhi nahin hota agar Navina mujhe nahin milti to!! She is my angel, farishta hai wo meri life ki!”

To be continued….
nice update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 69 The Next Morning

Abhi: “Navina ke paas obviously…. This is my real house. I will stay here the most. Navina will always be my priority, yeh hamesha yaad rakhna tum…. Usske baghair main aaj yeh nahin hota jo abhi hoon…. Wo nahin hoti to pata nahin main aaj kahan hota, ho sakta hai ke apne life mein aaj itna bada ghar bhi nahin hota mera, ho sakta hai navina meri life mein nahin aati to mera garage bhi nahin hota….. kuch bhi nahin hota agar Navina mujhe nahin milti to!! She is my angel, farishta hai wo meri life ki!”



Ab aaguey….

Navina itni achi thi ke Aruhi usske saath itni ghul mil gayi jaise wo sach mein usski ek aur maa thi. Aruhi usske saath rehna chahti thi. Wapas ghar nahin jaana chahti thi. Dinner kiya bhi to Navina ke saath, kitchen ke saare kaam jab Navina karne gayi to Shweta usski help karne gayi to Aruhi bhi saath rahi apni maa ke nahin balke Navina ke saath.

Raat ke 11 baj gaye the aur tab tak Aruhi Navina ke goad mein thi, jab Shweta ne uss se jaane ke liye kaha to Aruhi ne bina jhijak ke kaha,

“Nahin aaj main badi mummy ke saath rahungi, usske paas soungi main.”

Shweta ko jaise ek khatra dikha. Ye khatra ke usski beti chhiin jaegi. Shweta ko dikh gaya ke Navina mein maamta bhara hua tha…. wo thi to teacher/lecturer, life bhar ussko bachon se paala pada hai aur usske saare students Navina ko behad pyar karte hein… unn students mein se seinkron ussko maa bulate the, Navina ke students mein se kayi ladkiyan aaj maa ban chuke hein aur ab bhi milte hein to Navina ko maa bulaate hein…. Navina hai hi aisi sirf pyar karti hai, pyar baantti hai sabke saath

Shweta ko darr tha ke kahin aisa nah ho ke maa hote hue bhi wo ek din bina aulad ke nah reh jaaye….. iss bare mein ek kone mein jaa kar Shweta ne Abhi se baat kiye…. Tab Abhi ne Shweta ko samjhaya ke agar Navina ke maamta mein se thoda pyar Aruhi ko mil jata hai to harj kia hai, usski biological maa to Shweta hi rahegi, bahot samjhaane ke baad Shweta maan gayi ke aaj Aruhi Navina ke saath reh sakti hai….

To decide hua ke Shweta bhi aaj abhi ke ghar hi rahegi….. magar Shweta apni ghar jaana chahti thi, apni mummy matlab wohi Ruhi ki chahi ke ghar….

Tab Navina ne Abhi ko ek taraf bula kar kaha ke wo chala jaaye aaj Shweta ke saath rahe raat bhar, aur kal subha aakar Aruhi ko lejaaye…. Magar Abhi ne Navina se kaha ke behtar hoga ke aaj Shweta yahin ruk jati… to dhire se Navina ne kaha,

“okay you go to sleep with her I don’t mind, mujhe Aruhi mil gayi main bahot khush hoon Aruhi will sleep in your place on my bed tonight!”

To Abhi gaya Shweta ko manaane ke wo aaj raat ko ussi ke ghar ruk jaaye…. Aur Shweta maan gayi…. Aruhi ko neendh aane lagi thi, to Navina ussko lekar apni bedroom mein chali gayi… ussko Abhi ka ek tshirt pehnaya gaya ek nighdress bana kar…. Aur Navina ne Shweta ko apni ek nighdress diya pehenne ke liye…..

Abhi Shweta ko ek dusre room mein legaya…. Shweta ko nahin pata tha ke Abhi ussi ke saath soega…. Wo chahunk gayi jab Abhi ko undress hote dekha….. wo nahin maan rahi thi…. Well usska mann to bahot tha ke Abhi ke saath love making kare magar ussne bilkool nahin socha tha ke Navina ke hote hue usske ghar mein yeh mumkin hoga…..

Iss raat ko Abhi to normal tha magar Shweta ne daarte hue love making kiya Abhi ke saath…. Abhi iss liye normal tha, bilkool josh mein tha, kyunke wo apne ghar mein tha aur Navina ki razamandi thi, magar Shweta iss liye darr rahi thi kyunke ussko darr tha ke Navina ko pata nah chal jaaye ke Abhi usske saat usske bed par hai…. Ishk farmaate waqt Shweta kaamp rahi thi aur dheemi dheemi awaaz mein baar baar keh rahi thi,

“uff jaldi karo, mujhe darr lag raha hai, aap ki wife sun legi, kia hoga agar ussko pata chala to, ofo mere saare kapde mat utaro, agar ussne kamra achanak open kiya to mujhe kapde pehhene ka mauka hi nahin milega…. Uff chhorro nah buss karo I am scared Abhi… kia kar rahe ho aap… ab buss bhi karo nah…..”

Shweta itni darrti, tadapti jaa rahi thi ke Abhi ko aur bhi ziada maza araha tha sab karne mein….

********************************************************************

Subha ko Navina pehle uth gayi thi, kitchen mein busy thi breakfast tayyaar karne mein….. kitchen mein plates aur cups ki awaaz se Shweta ki neendh tuti, to ghabraate hue Abhi ko jagaya aur kaha,

“Aap ki wife jaag gayi hai aap jaldi se niklo…. Dekho please ussko khabar nahin hona chahiye ke aap mere paas soye the raat bhar…. Bolo aap ab kia karoge kaise nikloge yahan se?!”

Abhi ne ubaasi lete hue kaha,

“Don’t worry darling, kitchen to niche hai nah, hum to upar hein main nikal lunga ussko pata bhi nahin chalega… aur tab main tumhare door knock karne aunga tumko uthaane ke liye okay? Stop worrying sweetheart.”

Aur Abhi ne wohi kiya…. Kuch der baad Shweta ke darwaze ko knock kiya aur oochi awaaz mein kaha,

“hello Shweta it’s time to wake up…. Chalo aao tumko dikhata hon kidhar toothbrush, toothpaste etc rakhe hue hein….”

Niche se Navina Abhi ko dekh kar usske saath hanss rahi thi….

Kuch der baad Aruhi aur Shweta ne jaldi se breakfat liye aur abhi unn donon ko pehle unnke ghar chorrne gaya. Wahan se Ab Shweta ki zimedaari thi tayyaar hona aur Aruhi ko tayyaar karke school bhejna. Ahi wapas aya aur Navina ko lekar college chorrne gaya, phir ussko time mila Navina ko chorr kar wapas Shweta ke jaakar unn donon ko lekar Aruhi ko usske school chorra aur Shweta ko usski school.

Shweta bahot khush thi. School jaate waqt Shweta ne Abhi ko raaste bhar usske baahon ke niche haath daal kar apne sar ko usske kaandhe par rakhe hue gayi.

Aur baat katte hue ussne kaha,

“Aruhi kaha ke usski badi maa bahot hi achi hai aur usske paas har weekend bitaane jaegi.”

Abhi khush hua aur kaha,

“That’s great. Main bhi yehi chahta tha. Uss tarah se Navina weekends mein busy rahegi Aruhi ke saath and we can have time to spend together won’t you be happy sweetheart?”

Shweta ne khushi se haan kaha aur kaha,

“Socha nahin tha itna sab kuch ho jaega aur sab itna asaan bhi hoga…. Mujhe aisa kyun lag raha hai ke Navina hum donon ke baare mein jaanti hai? Does not she know about us Abhi?!”

Abhi: “Do you think if she would have known she would be quiet and accepted that I sleep with you?”

Shweta: “No, but she is so kind that I feel that she is aware but does not want to hurt us by letting us know that she is aware of our relationship.”

Abhi: “Do you want me to ask her?”

Shweta: “Are you mad? Yeh koyi puchne ki baat hai?!”

Abhi: “Then stop thinking about it.!”

Abhi ne Shweta ko school chorrne ke baad garage gaya aur apne working uniform mein bus mein kaam karne gaya…. Haan ab tamaam workers ke uniform hote the, dark blue colour ki , har ek worker ko har saal ek pair shoes, gloves aur 2 set of uniforms deta tha Abhi.

Abhi ko aaj bhi bus mein kaam karna passand tha. Har roz to nahin karta tha, magar jab bhi free rehta zaroor apne uniform mein garage mein paaya jata tha kissi bus mein weld karte hue ya kabhi alluminium sheets chipkaate hue….. aur kabhi kissi naye bande ko kaam seekhata Abhi.

Abhi ne plan kiya tha ke Aruhi aur Shweta ko saath lekar Ruhi se milne jaega, magar ab plan badal raha tha kyunke ussko Ruhi se pehle akele mein milna tha Diaries lene ke liye aur Ruhi se uss baare mein kuch aur baat karne ke liye usske baad Shweta aur Aruhi ko lekar jata wahan.

To Abhi ne Ruhi ko usski mobile par phone kiya…. 25 saalon mein aaj pehli baar dono ek dusre se baat karne jaa rahe the phone par.

Jaise Ruhi ne Abhi ki awaaz suni usska rona shuru ho gaya…. Iss liye ro rahi thi ke puri diaries padh liya tha aur itna royi thi har ek din ko diaries mein padhte hue aur Abhi ko miss karte aur uss par saare sitam karte hue dekh kar itna royi thi ke kal se usski aankhen sujhe hue the, aur upar se Abhi ke jawaab likh rahi thi….

Abhi ne ussko bataya ke jiss surprise ko wo dene wala tha kal nahin dega balke do din ke baad surprise dega ussko, kal sirf diaries aur usska jawab wapas lene ko aega.

Ruhi ne kaha ussko koyi surprise nahin chahiye ussko sirf abhi wapas chahiye…. Aur phone par hi rote hue Ruhi Abhi se maafi maangne lagi uss par der mahinon tak zulm karne ke liye, usske dil ko dukhaane ke liye, ussko utna tadpaane ke liye….

Abhi ne kaha ke kal batein karenge magar Ruhi bolti jaa rahi thi,

“Abhi mujhe isska ehsaas bilkool nahin tha unn dinon ke aap ko itna dukh de rahi thi main, diaries padhne ke baad ek ek baat saaf saamne dikh rahe the mujhe, ap ne ek ek pal ko itni clear likhe hein ke mujhe laga 1986 wapas agaya hai ya main wahan pahunch gayi hoon, Abhi main sach mein unn saare palon ko phir se jiya hoon aap ke diaries padhte hue, Abhi pease mujhe maaf kar dijiye, main ne aap par bahot zulam kiye the unn dinon please forgive me Abhi, mujhe issi liye upar wale ne sazaa di hai ke main aaj abahij ho chuki hoon, aap ke sacha aur saaf dil ko main ne bahot thess pahunchaye hein…..”

Abhi ke aankhen bhar aaye aur kaam ka bahana karte hue call ko end kiya aur kaha kal uss se milne aa raha hai.

To be continued…………
superb update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 70 Ruhi And The Diaries

Ruhi ne jab diaries padna shuru kiya to bahot khush hui. Usske dil mein kuch aise ehsaas jaage jo pichle 25 saalon mein jaise Ruhi ne dafna diye the… unn dinon ko yaad to karti thi magar sab ab ussko dhundla nazar ata tha, magar Abhi ki daries ne saare dhundlepan ko mita diye, jaise ke baarish mein ek car ke windshield par paani padhne se saaf nahin dikhaayi deta, Ruhi ke andar wo yaadein uss tarah the aur Abhi ki diaries ne ek wiper ka kaam kiya sab saaf kar diya aur sab kuch saaf dikhne laga dobara Ruhi ko…..

Padhna shuru kiya to kuch aise chizein maloom hui Ruhi ko jisska ussko tab pata bhi nahin tha wo ussko aaj pata chala…..

Jaise shuru mein Abhi ne likha tha ke ek aurat (Ruhi ki maa) ne Ruhi ka naam phukaarte hue ussko bus dekhne ko bulaya, aur kiss tarah se Abhi bechain wait karne laga tha ke kab wo Ruhi naam wali ladki kitchen ke chaukath par aaye bus ko dekhne ke liye taake Abhi uss ladki ko dekh sake….. yeh to first din ko hua tha jab Abhi wahan pehli baar gaya tha aur iss baat ke baare mein Ruhi ko bilkool bhi pata nahin tha yeh ussko aaj 25 saal baad pata chala diaries mein padhne ke baad…. Yeh part padhte hue Ruhi ko bahot acha laga ke aate hi Abhi ne ussko dekhne ke liye itna utavla ho gaya tha, Abhi ko usska naam sute hi pyar ho gaya tha, bina ussko dekhe, sirf usski awaaz sunke, kitchen ke andar se Ruhi jawaab de rahi thi aur usski awaaz Abhi ke kaanon tak jaa raha tha aur Abhi uss awaaz ki maalkin ko dekhne ke liye wait kar raha tha…. yeh padh kar Ruhi ko itna acha laga ke usska mann kiya ke wo din dobara wapas aaye aur wo ek bar firse, ussi taraf kitchen mein pakaaye aur usski maa ussko bulaaye Mehboob ka bus dekhne ke liye aur Ruhi wapas aaye stairs par dekhne ke liye taake Abhi ussko dekh sake….

Sochne ki baat hai ke Ruhi ko yeh padhte hue kaise feel ho raha hoga…. Ussko pata bhi nahin tha ke koyi ussko dekhne ke liye intezaar kar raha tha aur wo kitchen mein pakaane mein vyast thi…

Dairies to English mein likha hai Abhi ne magar yahan paathakon ke liye Hinglish mein sab hoga aur wohi hoga jo aap sab ne updates mein padhe hein pehle…… revive those days.....

Ab aap sab paathakon ko buss yun samajhna hai ke jaise Ruhi iss kahani ke update 1 se lekar update 46 tak padh rahi hai…. Khud ussne jo kuch kiya Abhi ke saath, Abhi ne jitney pal bhi guzaare uss aangan mein sab Ruhi padh rahi hai…. Kitna waqt Ruhi ne Abhi ke saath guzara, kitna Abhi tadpa, kitna Ruhi ke taraf se ikraar ya inkaar dikhaayi diya…. Yeh sab Ruhi ne padha…

Aur ab kyunke Ruhi ne kaha tha ke Abhi ko iss baar likh kar reply karegi, to yaaro….. aisa samjho ke Ruhi ne unn tamaan updates par apna review likha… kuch aisa hi samajhna hoga kyunke jo kuch iss kahani mein Update 1 se update 46 tak likha gaya hai wo sab Abhi ke unn diaries mein hein jo Ruhi ko Abhi ne diya!

Bahot saare aise events the jissko padhte hue Ruhi ko bahot achcha lag raha tha, muskura rahi thi, hanssti jaa rahi thi, jaise ke update 5 mein THE FIRST DAY OF WORK mein yeh part Ruhi ne padhne ke baad Ruhi ne yeh likha as reply to Abhi….

Reply karne ke liye Ruhi ne a writing pad kharida… ussi mein diaries ke replies likhne lagi Ruhi… to yeh part padha Ruhi ne:



{Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi……. Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye….


Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai…..

Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor….. Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare…. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt… }


Ruhi ne yeh padhne ke baad likha:

“Mujhe nahin pata tha aap pehle din se mujh mein itna interest le rahe the Abhi. Yeh sab padh kar bahot hi acha laga mujhe, wo puraane din wapas agaye. Kitna acha likhte ho aap. Aap ne meri aangan ko kitna achah describe kiya hai, mere ghar ko, kitchen ko, washing stone aur taps, sabko itne details mein likha hai? Main ne khud kabhi unn jizon ko nahin describe kiya jaise aap ne kiye hein. Aaj to wo sab baaki nahin hai Abhi magar aap ne sab likh kar unn chizon ko ab tak zinda rakha hai, its very very beautiful, you made me go back to those days Abhi….. Rahi baat aap ko mujhe kitchen mein pakaate hue dekhna aur yeh sochna ke kia kabhi aap mere haath ki pakaaye hue kha paoge, to Abhi wo wish to puri hui thi nah aap ki at least? Main ne aap ko lunch par invite kiya tha aur khud apne haath se pakaaya hua khilaya tha aap ko…. Hai nah Abhi? Dekha aap ne first day of work ko jo wish kiya tha wo puri hui thi Abhi! Aur rahi mujhe pakate waqt piche se aakar jakarne ki baat… Abhi aap ne first day ko hi yeh sab soch liya tha? Really? Kaash main wapas unn dinon mein jaa sakti to aap ko zaroor mauka deti mujhe aakar piche se kitchen mein jakarne ke liye….”

Aur dhire dhire aise hi Ruhi padhti gayi… aur yeh read kiya to Ruhi ne :

{Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par. }


Ruhi ne jawaab mein likha,

“Aap pehle din se hi mujhko itna dhund rahe the Abhi, I was not aware at all Abhi, pata hota to zaroor aap ke saamne aati main… kaash mujhe tab aap ka pyar ka pata chala hota Abhi…. Main hi andhi thi Abhi….”

Ruhi ne padha kaam ke dusre din ki events ko Abhi ne kuch aisa likha tha:

{ Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.}


Ruhi ne reply likha:

Haan Abhi yeh din mujhe bahot achchi tarah se yaad hai. Yaad hai main kitni zor se hanssi thi kyunke main ne turant realise kiya tha ke kitne log hein aaj aangan mein aur main aise hanss rahi hoon…. Abhi aap mujhe kitchen mein pakaate hue bhi describe kiye ho!!kitna acha likha hai aap ne sab kuch Abhi, yahan tak ke main ek lakdi wale spoon use kar rahi thi yeh bhi likha hai aap ne Abhi? Aap washroom se apne doston ke piche chhup chhup kar mujhko dekh rahe the isska bhi pata nahin tha mujhko Abhi, magar haan main ne bhi aap ko dekha tha ekaat baar udhar yeh sach hai…. Aap ne mere chehre ko, mere sar ke baal ko, mere honthon ko, mere muskurahat ko sab ko itni achi tarike se kaise describe kiya hai Abhi? Aap ne mujhko tabhi kyun nahin diya tha yeh sab padhne ke liye Abhi? Agar main yeh sab uss waqt padhti to aap par fida main ho jaati Abhi… Itna admire karte the aap mujhe Abhi, I regret so much that I was really blind not to see all that at that time Abhi."


Ruhi ne aaguey read kiya:

{Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!}

Ruhi ne reply likha:

“haan Abhi yeh mujhe bilkool yaad hai. It was the first time I looked well at you. Wo aap ka dusre din tha work ka yes I remember. Haan main hanssi thi pata hai kyun hanssi thi main, main kaafi der se aap ko baal banaate hue dekh rahi thi aur soch rahi thi ke ladke bhi aine ke saamne itna time lete hein, aap apne look ka care karte the, apne aap ko aine mein dekhe jaa rahe the aur baal banaate jaa rahe the, aur yahan ab main samjhi ke wo sab aap mere liye kar rahe the, mujhko impress karne ke liye ya mere saamne acha dikhne ke liye aap itna tayyaar ho rahe the, awwww Abhi….. love you so much, I miss those days so so much Abhi…. Wo pehli baar tha ke main bhi aap ko utna karib se dekha tha aur sach bataun aap mujhe bahot achche lage the uss din, aur usssi din ke baad main ne bhi aap ko dekhna shuru kiya tha kyunke meri samajh mein agaya tha ke aap mere taraf kitna dekh rahe ho….”

{Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka}

Ruhi ne reply likha:

“Abhi sach hai jab tak aap chal kar wahan se nahin gaye meri nazar aap par hi tikke rahe the, you are right… aur hey Abhi aap ne apne aap ko bhi describe kiya hai…. Aap ko aksar uss Blue Jean aur white Shirt mein visualie karti hoon Abhi aaj bhi….”

Jab Ruhi ne yeh read kiya:

{“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”


Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.}



Ruhi ne likha:

“Ek Sapna hi likh rahe the aap Abhi, wo sapna hi ban kar reh gaya, agar main ne saath diya hota to aap ka wo sapna zaroor pura hota Abhi. I am very sorry abhi for not making your dream come true. Abhi I would have loved to receive you at my place and you sit by my side and we would be watching TV together like you have written…”

Aaguey read kiya ruhi ne:

{ Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..}

Ruhi ne likha:

“Abhi main iss din ko aksar sochti hoon. Yeh mujhko bahot achi tarah se yaad hai jaise yeh kal hi hua tha. AAp ne uss din mujhko pehli baar good morning kaha tha aur main ne reply nahin kiya tha aura ap ne isska shikayat bhi kiya tha mujhse…. Bilkool yaad hai sab mujhe…. Abhi baat yeh thi ke yahan ham sheher mein nahin hein nah yahan kissi ko bhi wo aadat thi hi nahin ke koyi kissi ko good morning kare ya koyi usska reply de, aap to sheher ke paas se ho to aap ko good morning, good evening ya afternoon karne ki aadat thi, yahan par koyi nahin karta hai issi liye meri samajh mein nahin aya tha ke aap ko kia jawaab doon issi liye main ne uss din aap ko koyi jawaab nahin diya tha aur sharminda bhi feel kiya tha main ne…. aap ne mere nightdress ko bhi describe kiya hai Abhi…. Mujhe khud yaad nahin wo kaun si wala nightdress thi….”


{“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”}

Yeh padh ke ruhi ne likha, I AM SORRY ABHI.

Aur aaguey read kiya ruhi ne:


{ Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”}

Ruhi ne jawaab likha:

“Abhi aaj bata doon aap ko ke main khaas kar aap ke liye hi wahan ziada aya karti thi, aap mujhe ache lagne lage the, aap se baat karne ka mera bhi mann kar raha tha, haan mujhe pata chal gaya tha ke aap sirf mujhko dekhte rehte ho, aur mujhko dhundte ho har baar, aur aap shaayd hichkichate the mujhse baat karne mein to main ne uss din khud socha ke aap se kuch kahun to dekha aap cigarette pee rahe the, to ussi ke bare mein kaha tha aap se…. Thanks for describing me brooming my terrace Abhi, loved it.”

Dosto yeh update lamba chalega.. may be


Or updates mein sab end hoga, tab Abhi aega milne Ruhi se….

To be continued….. (3303 words)
superb update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 71 Ruhi And The Diaries II

Ruhi ne jawaab likha:

“Abhi aaj bata doon aap ko ke main khaas kar aap ke liye hi wahan ziada aya karti thi, aap mujhe ache lagne lage the, aap se baat karne ka mera bi mann kar raha tha, haan mujhe pata chal gaya tha kea ap sirf mujhko dekhte rehte ho, aur mujhko dhundte ho har baar, aura ap shaayd hichkichate the mujhse baat karne mein to main ne uss din khud socha kea ap se kuch kahun to dekha aap cigarette pee rahe the, to ussi ke bare mein kaha tha aap se…. Thanks for describing me brooming my terrace Abhi, loved it.”


Ab aguey….

Ruhi ne diaries padhna jaari rakha:

{ To Saeed bhai chala gaya Tubes ke taraf aur Abhi wapas Ruhi ko dekha aur kaha,

“sunon please, ek baat puchni hai!”

Ruhi do kadam Abhi ke taraf muskuraati hui aayi aur pucha,

“kia? Cigarrte kyun nahin pina yeh puchoge aap?”

Abhi ne hansste hue kaha,

“are nahin puchna yeh hai ke aap ko main ne kuch der pehle good morning kaha to aap ne jawaab kyun nahin diya?!”

Ruhi heyrani se Abhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“What? Aap ne kab mujhse baat kiye, baat to main ne aap se kiya abhi abhi?!”

Abhi: “are yaar, jab tum garden se roses pick kar rahi thi aur main araha tha tab tumko good morning kaha tha nah?!”

Ruhi: “Really? Main ne to kuch nahin suna, sorry then, very good morning to you too and do have a nice day.”

Abhi bahot khush hua aur kaha,

“wow that’s great then, same to you my dear!”}


Ruhi ne yeh padh kar hansste hue reply likha:

“hmmmm Main ne jhoot kaha tha ke main ne nahin suna tha, kuch der pehle reason diya nah ke kyun main ne reply nahin kiya tha, magar aap ne iss conversation ko bahot khubsurat tarike se likha hai, main muskuraate hue padhti gayi…”


{Ruhi ne niche dekhte hue dhire se kaha,

“I am not your ‘dear’ aur aap to acha English bol lete ho to eisa kaam kyun karte ho aap?!”

Abhi: “Why? Iss kaam mein kia buraayi hai bhala?”

Ruhi: “meri mummy kehti hai yeh kaam sahi nahin hai kyunke iss mein future nahin hai!”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur Ruhi ko jawaab diya,

“tumhari mummy ghalat kehti hai, this job is a perfect one.”}


Ruhi ne yahan reply yeh likha:

“Abhi, aap ghaur kijiyega, yahan main ne kaha MUMMY kehti hai yeh kaam sahi nahin, yeh mera kehna nahin tha Abhi….. aur aap ne bilkool sahi jawaab diya tha ke meri MUMMY GHALAT kehti hai”


Aur ruhi aaguey badhti gayi padhte hue:

{ Abhi phir kaam par lag gaya. Kaam karte waqt of course baar baar Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha.

Koyi ek ghante tak abhi ko time hi nahin mila Ruhi ko dekhne ki magar Abhi ko pata nahin tha ke Ruhi apne ghar ke andar se khirki ke paas parde ke kone se Abhi ko wo kaam karte dekh rahi thi aur usski maa bhi dekh rahi thi Abhi ko uss lohe ko form dene ke liye kiss taraah hatoda maar raha tha. Ab wo loha Tony se sambhala nahin jaa raha tha kyun ke jab Abhi uss par hathoda maar raha tha to Tony ke haath mein shock lag raha tha iss liye kayi baar loha uss ke haath se chuth gira, aur ek baar loha jab Tony ke haath se chhuta to wo end wapas Abhi ke thik chehre ke paas laut kar ruka aur jhat se Abhi ne kuch kadam piche liya varna ussko gehra choat lag jata. Ruhi ne wo sab dekha aur usski aah nikli jiss waqt wo loha wapas Abhi ke chehre ke paas gaye to….

Kyunke jab loha bounce hokar gira ek ajeeb sa shor hua aur Tony zor se abhi ka naam chillaya ussko warn karne ke liye to Saeed, Vinay, Mehboob, Ruhi ka dada, Ruhi ki maa sab turant baahar aaye dekhne ko ke kia hua…..

Haath mein wo bada sa hatoda liye jiss action se upar chalaang laga kar Abhi kuda tha uss lohe se bachne ke liye, phir jiss jagah jaa kar Abhi land hua tha haath mein hathode sameth wo ek heroic action tha jissko Ruhi ne admire kiya. Hero lag raha tha Abhi uss action ko karte hue. Aur jahan land hua tha Abhi uss chalaang ke baad wo Ruhi ki terrace par tha, aur thik ussi jagah se ruhi Abhi ko jhaank rahi thi. Aur ussne turant khirki ki parde ko hatta kar abhi se kaha,

“Bahot dangerous hai yeh kaam, aap bahot khatarnaak tarike se abhi hurt ho sakte the, mujhko bahot darr laga jab main ne uss lohe ko aap ke sar ke taraf udh kar aate hue dekha to, mujhe laga ke aap ko lag gayi…. Aap bahot flexible body ke malik ho gymnastic karte ho kia aap? Aap wahan se kaise, jaise udhkar yahan pahunche?!”

Abhi ko bahot hi acha laga Ruhi ko wo sab kehte hue sun kar aur jawaab diya ke garage mein ek sophisticated machine hai jo lohe ko modta hai, yahan kuch nahin hai iss liye haath se karna pad raha hai varna kaam bilkool dangerous nahin hai…. Phir bhi Ruhi ki maa ne bhi join kiya Ruhi ko aur kaha ke dangerous hai yeh kaam.

Ruhi ne abhi se kaha baad mein :

“be very careful please, I am feeling scared!” }


Ye sab padhne ke baad Ruhi ne likha:

“Abhi uss din main sach mein bahot darr gayi thi, mujhe laga tha ke aap ke chehre par wo loha zor se lag gayi thi, aap ka handsome chehra bigar jata Abhi…. Haan aap mujhe bahot hi ziada handsome lagne lage the Abhi…. Jitney log kaam kar rahe the hamare aangan mein you were the most handsome, charismatic and very attractive young man…. Aap mein kuch tha jo dusron ko apne taraf attract karta tha, aap ki ek bahot hi strong personality hai Abhi, tab bhi tha ab bhi hai…. Ek to aap ka ooncha kad, upar se aap ki bolne aur dekhne ka andaz, aap ki smile, aap ki seriousness, aap ke chehre mein aisa kuch hai jo aapki personality ko bahot hi strong banata hai…. Hamare aangan mein ek aap hi the jiss se har koyi prabhaavit hota tha, ghar mein aap ke naam ka zikr hota tha jab sab log chale jaate the…. koyi saeed ki group ko nahin sab Abhi ki group ka naam lete jab bhi bus banaane wale ke baat karte the… Iss aangan mein aap main subject of talk hote the aksar…. Mahboob se lekar Rahima, Farzina, Manoj, Mahesh sab aap ka naam lete jab bhi kaam ki baat hoti thi….. Aur yeh to main ne aap se kaha hi tha ke hamare aangan mein jitna Abhi ka naam goonjta tha kabhi kissi aur ka naam nahin sunaayi diya meri life mein is aagan mein goonjte hue Abhi…. Aap chale gaye the to sanaata chhah gaya tha, main tarasti thi ke koyi chamatkaar ho jaaye aur koyi zor se ABHI ka naam ek baar to phukaar de!!.... mere kaan mein yeh awaaz ajaate ke ‘ABHI udhar dekho uss tin ko chipkana hai, ABHI zara uss lohe ko mod kar laado, ABHI kidhar ho idhar mera help karne aao, ABHI ek cigarette do mujhe…. ABHI … ABHI…. ABHI….. Iss naam se hi mujhe pyar ho gaya tha, iss naam ko sunne ke liye main tarasti reh gayi aap ke jaane ke baad, sapnon mein seikron baar aap ka naam kissi ko phukaarte hue sunkar jaagi hoon pichle 25 saalon mein Abhi….

Aap ko acha laga tha ke main ne care kiya tha aap ke liye uss roz yeh jaan kar acha laga abhi, magar ussi din se yeh confirm bhi ho gaya tha ke jo kaam aap karte ho wo bahot dangerous hai, yeh mummy ke taraf se aur bhi ziada serious ho gaya tha udhar nani ke ghar walon ke taraf se aur bhi aag mein tel daalne wali baat hua karta tha…. baad mein samjhaungi….”

Ruhi ne aaguey yeh padha:

{ Der ghante beet gaye aur ek do baar Abhi ne dekha ke ghar ke piche se ek do baar Ruhi ne ussko dekha weld karte hue. Buss jhank rahi thi phir ghar ke piche ho jaati thi, same time apni maa se baat kar rahi thi….. Abhi ko pyas laga aur dekha ke nal hai to ek khali botal lekar gaya paani bharne, ussi bahane Ruhi se ek do baat kar leta, magar usska plan fail hua kyunke tap number one tha yahin bus ke paas, to kyun karib ke tap ko chorr kar piche wale tap mein paani bharne jata?! Phir bhi pani lene se pehle Ruhi ki maa se permission liya ke kia uss nal se paani le sakta hai…. Jiss waqt Ruhi ki maa Abhi ko reply kar rahi thi, Ruhi saamne aayi Abhi ko dekhne ke usski maa se kia keh raha tha wo. Muskura rahi thi aur jab abhi pani bharne laga botal mein to Ruhi ne kaha,

“pani maangte nahin hein, buss le lete hein, agli baar puchna nahin buss nal kholna aur bhar lena okay?!”

Abhi ne muskuraate hue thanks kaha, thik tabhi Ruhi ki maa ne Ruhi se kuch kaha, aur turant Ruhi ne Abhi se kaha,

“Hello? Juice piyoge? Thoda sa juice bana doon kia?!”

Yehi bat keh rahi thi Ruhi se usski maa ke kyun nah thoda sa juice de diya jaaye unn logon ko…

Magar Abhi ne Ruhi se muskuraate hue kaha,

“suno dear, juice sahi hai magar ek problem ho jaega!”

Ruhi heyrani se Abhi ko dekhte hue pucha,

“What? Juice se kia problem ho jaega bhala?”

To Abhi ne kaha,

“juice piyunga to cigarrete pine ka mann karega kyunke juice sweet hoga nah? tab tum kahogi ke cigarrte pina acha nahin!”

Abhi ki reply sunkar Ruhi ki maa zor se hanss padi, aur Ruhi ne munh banaate hue kaha,

“to phir thik nahin nahin banaugi juice mat pina cigarrete phir!”}


Ruhi ne reply likha:

“Hmmm aap ko bahana chahiye tha cigarette pine ke liye… yeh sab 100% yaad ha mujhe Abhi kyun ke teesre ya chauthe din ke baad main khud aap se impress ho chuki thi aur aap ko dekhne lagi thi aur jaise aap mujhe dekhte rehte the main bhi aap ko dekhti rehti thi, jaise aap mujhe dhudte rehte the mujhe pata hota tha ke aap ko sirf bus ke taraf ke dekhna hota hai aap ko dekhne ke liye…. Mujhe hanssi aayi yeh read karke ke aap mere paas aana chahte the magar nal aap ke paas hi tha jabke aap dusri nal ke paas ana chahte the jahana main thi hihihihihi!..... waise ek baat kahun Abhi? Kabhi kabhi mujhe aap ko cherrne aur tang karne mein mujhe acha lagta tha…. aap cute jo lagne lage the mujhe… aap se bahot cherr chaani karne ko mann karta tha mujhe….


Aur aaguey padha ruhi ne:


{ Abhi ke chehre mein ek udaasi chaah gayi thi, jo shayad Ruhi ne note kiya, Abhi lagataar ussko dekhe jaa raha tha aur Ruhi uncomfortable feel karne lagi…. Ruhi ne phir Abhi ko dekha aur haath ke ishaare se pucha kia hua to Abhi ne naah mein sar hillaya matlab kuch bhi nahin kaha….. phir Abhi ne dekha ke Ruhi ki maa taar par kapde sukhne ke liye taang rahi thi to jaldi sse Abhi bina kuch soche samjhe Ruhi ke taraf gaya…


Abhi ko apne taraf aate dekh kar Ruhi ka chehra laal ho gaya jaise ussko pata tha Abhi uss se kia kehne araha hai, Ruhi kabhi apni maa ko dekhti to kabhi bus mein dusre logon ko kaam karte dekhti phir Abhi ko dekhti… wo kuch ghabra si gayi….

Abhi Ruhi ke bilkool karib pahuncha aur dheemi awaaz mein, aashikana andaz mein pucha,

“Tumhari life mein koyi hai? Please sach batana? Agar hai to be jhijhak batado please.”

Ruhi hanss padi, chehra laal to hua hi tha aur Abhi ki baat sun kar wo hanssne lagi phir pucha,

“iss sawaal ka ek sawaal se jawaab doon?!”

Abhi usski hanssi ko admire karne laga, kitni khubsurat dikhti hai Ruhi hansste hue. Phir Abhi ne kaha,

“okay wohi sahi bolo to!”

Ruhi ne hansste hue hi pucha,

“yeh sawaal kyun? Jaan sakti hoon?!”

Abhi ne bilkool heyraan hote hue kaha,

“Areeee?! Kamaal hai, yeh koyi jawaab hai? Sawaal bhi nahin fit baithta ab…. Mera sawaal to sawaal hi reh gaya nah?!”

Ruhi ki maa donon ko muskuraate hue dekh rahi thi kapde taar par taangte hue.

Abhi ne phir dhire se kaha,

“please batao nah mere liye ye bahot important hai bolo nah please.”

Ruhi ne intelligently jawaab diya,

“kaise important ho sakta hai bhala? Hum ek dusre ko jaante bhi nahin, abhi do din hue ek dusre se baat kiye hue to kia important ho sakta hai do dinon mein? Mujhe nahin yakeen ke kuch bhi important hai abhi, I don’t believe you!”

Abhi ne socha wo bhi sahi tha.

Ruhi ab blush karne lagi aur apne jeeb ko apne upper lip ke andar se honth ko fullaya, phir muskuraayi Abhi ke chehre mein dekhte hue….. donon ek dusre ke aankhon ki gehraayi mein dekh rahe the… Abhi ne note kiya ke Ruhi ki nazrein usske chehre ko chaaro taraf dekh rahe the, usski peshaani ko dekha usski nazar ne, phir usske gaal ko dekha, tab usske chehre ko dekha tab usske aankhon mein wapas dekha….. aur Abhi ne kaha,

“samajhdaar ko ishara kaafi hai, mujhe jo kehna tha so main ne keh diya, aaguey tumhari marzi miss Ruhi”

Yeh keh kar Abhi mudhne wala tha wapas bus ke paas jaane ke liye magar Ruhi ne ussko yeh kehkar roka,

“bilkool nahin, aap ne kuch bhi kaha nahin, aap ne ek sawaal kiya tha mujhse, kuch kehne aur sawaal karne mein antar hote hein mister Abhi!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

“mera sawaal hi ishara tha meri baat ka, uss sawaal se ishara mil gaya hoga, samajhdaar to ho tum, to ishara kaafi hai tumko hehehehe!”

Aur Abhi jaane laga wapas, to Ruhi hanssne lagi aur kaha,

“bahot honshiyaar samajhte ho aap apne aap ko nah Abhi?!”

Tab tak Abhi bus ke paas reach ho chuka tha aur mudhkar Ruhi se kaha,

“samajhta nahin hoon Miss Ruhi, main HOON. Honshiyaar hoon main!”

Ruhi ussko dekhti rahi kaafi der tak hansste hue. Apni jagah se baar baar Abhi muskuraate hue Ruhi ko dekhe jaa raha tha weld karte hue, aur Ruhi bhi ab bade pyar se Abhi ko dekhti jaa rahi thi…….}


Yeh sab Ruhi ne do ya teen baar padha reply likhne se pehle… padhte hue kayi baar muskuraayi aur aakhir mein hanss padi, phir udaas ho gayi… phir se muskaayi aur yeh likha:

“Abhi main heyraan hoon yeh padh kar ke aap mujhko kiss tarah se perfectly describe karte ho, it is really amazing! I am shocked Abhi, aap sach mein koyi writer ho kia? Kaise iss tarah se mujhko, meri adaon ko, mere chehre ke hav bhaav ko describe kar lete ho Abhi? You are just incredible! Main blush karne lagi thi, apne jeeb ko apne upper lip ko fula kar phir main muskuraayi aap ke chehre mein dekhte hue….. uff itna mujhko observe karte the aap Abhi? Oh my God!

Abhi main hanss padi thi to aap meri hanssi ko admire karne lage the, aap kia kia admire nahin karte the mujh mein Abhi? Aur kyun itna admire karte the aap mujhe abhi? Main to kuch bhi nahin thi, main bahot mamooli chiz thi Abhi, daag thi mujh mein jo aap ko nahin dikh raha tha, phir bhi aap mujhko admire karte the…. Ek jagah aap ne likha ke aap ne note kiya ke meri nazrein aap ke chehre par chaaron taraf dekh rahe the, aap ke peshaani se lekar aap ki aankhon ko naak ko pure chehre ko…. Aap ko bata doon Abhi ussi din main ne aap ke eyebrows ko ghaur se dekha tha, kitna khubsurat hai, jaise peel kiye hue hein, jaise ladkiyan peel off karte hein aap ke eyebrows natural mein weise hein…. Aap ke baal dekh rahi thi kitne baal the aap ke full kale aur thick the aap ke baal, mujhe bahot passand the, sirf aap ke honth cigarette pine se thoda blackish hue the agar aap cigarette nahin pite to pinkish hote aap ke honth bhi…. Wohi sab dekh rahi thi main aap ke chehre mein Abhi uss din…

Aur Abhi jo sawal aap ne kiya tha usska jawaab main ne aap ko tod mod kar diya tha usski vajah ab to aap samajh chuke honge ke kyun main sahi jawaab nahin de paayi thi aap ko? Kaise aap ko bataati ke koyi nahin meri life mein Abhi jab main ek bache ki maa thi? Mujhko majbooran jawaab ko modna hi para tha abhi, forgive me again please. ------ Aur haan Abhi you were RIGHT. AAP SACH MEIN BAHOT BAHOT HI HONSHIYAAR THE AUR HO YOU ARE VERY INTELLIGENT, MUCH MORE THAN I AM!”

Ruhi ne aaguey read kiya:

{ Maa: “Aur phir wo chala gaya kia?!”

Ruhi: “nahin bahot tez hai wo sach mein, padha likha lagta hai, English bhi acha bolta hai maa, ussne mujhe kaha ke samajhdar ko ishara kafi hai, aur kaha ke main samajhdar to hoon so samajh jaungi ke ussne ye sawaal kyun kiya mujhse, sach mein honshiyaar hai khud bhi kaha ussne hehehehe!”

Maa ne Ruhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“to ab tu kia karegi? Bata? Kia wo pasand hai tujhe?”

Ruhi ne ek gehri saans lete hue Abhi ke taraf dekha, phir apni maa ke chehre mein ek ajeeb si sikanjh chehre par laate hue kaha,

“pata nahin maa, pata nahin mujhe, kitna handsome hai, hai nah maa? Padha likha bhi hai aur strong hai, kitna lamba hai maa!! Main kia karun maa?!”

Maa ne bhi ek gehri saans liye aur kaha,

“Mujhe kia pata mujhse kyun puch rahi hai, tu bol kia karna hai ab?!”

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

“Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi….”}


Ruhi ne reply likha:

“Abhi ab to aap samajh gaye honge nah ke kiss baare mein maa mujhse baat kar rahi thi? Yehi ke main kia karungi? Aap ko nahin pata tha ke main ek bachi ki maa thi, aap mujhe ek kunwari ladki samajh rahe the, maa ko pata tha ke mujhe to kisi se shaadi karne ka haq hi nahin yehi kehti aayi thi wo mujhse jiss din se main ne Shweta ko janam diya tha. umar bhar mujhe ghar mein bandh kar rakhna chahti thi. Ya kaha tha ke kissi aadher aadmi hi milega mujhse shaadi karne wala kyunke main ek maa hoon, single mother….. ya to phir maa ne ek hi raasta rakha tha jo mere liye safe thi wo tha France ki Amit. Maa kehti ke pardes mein tu hogi usske saath foreign mein rehne wale virginity ko koyi ehmiyat nahin dete ussne bhi gori ladkiyon ke saath khub gulcharre udaaye honge to tera virgin nah hona usske liye koyi important nahin hoga….. magar yahan ke ladke to weisa nahin hein yeh maa ka sochna tha…. issi liye wo puch rahi thi ke ab main kia karungi… aap ko kaise bataungi ke main ghalat hoon, ke mujh mein ek daag hai, ek dhabba lag chuka hai mujh par…. aap naye the, jawaan the, handsome the mujhko ek kunwari ladki samajhte the…. Mere liye kitna mushkil tha wo sab face karna aur aap ko sab batana ….. it was not easy Abhi….”

Itna likhne ke baad Ruhi rone lagi apni kismet par…..


Ruhi ne aaguey read kiya:

{ Jab Abhi tayyar ho gaya, change kar liya, hair brush kar liya aur kitchen mein dekha to sirf Ruhi ki mummy thi wahan Ruhi nahin thi, Abhi udaas ho gaya aur socha ke kitchen ke stair par ja kar uss se puche ke Ruhi kidhar hai….

Phir abhi ne socha ke kia Ruhi kahin ghar ke andar se ussko dekh to nahin rahi? Kia ussne jaan bujh kar weisa kiya taake dekh sake ke Abhi ussko dhundta hai ya nahin? To Abhi ghar ke andar dekhne laga, khidkiyon ke paas dekhne laga ke koyi pardah hille, magar kuch nahin dikha aur aakhir mein ussko nikalna pada washroom se. Saeed bhai usska wait kar raha tha bus ke paas.}

Ruhi ne reply likha:

“Abhi aaj mujhe bilkool bhi yaad nahin ke main uss shaam ko kia kar rahi thi, aur kyun aap ke jaane ke waqt wahan nahin thi…. Nahin Abhi main uss din andar se aap ko nahin dekkh rahi thi… ya to main so gayi hogi, ya read kar rahi hogi…. Bilkool yaad nahin…. Pata hai main kabhi baithe baithe 10/15 mins ke liye gehri neendh mein chali jaati hoon…. May be it was that on that day…..”

Aaguey read kiya Ruhi ne:

{ Wahan se ghar jaate waqt bus mein sirf Ruhi ke baare mein sochta gaya, ussko ek ghutan si feel hone laga tha, ek bhaaripan jaisa tha usske seene par, ek bojh feel ho raha tha usse, sirf iss liye ke Ruhi nazar nahin aayi aaj shaam ko. Ruhi ko dil mein basaaye, mann mein bithaaye safar kiya Abhi ne ghar tak.

Aur apni special diary mein sab likhne laga aaj ke din ke baare mein. Khud muskuraate hue likh raha tha ke kiss tarah se aaj Ruhi se baatein hui, kiss tarah uss se puchne gaya tha ke kia usski life mein koyi hai, aur Ruhi ka jawaab bhi likha sab kuch ek ek pal ko likha Abhi ne…….

Sab kuch likhne ke baad bahot der tak sochta raha ke kyun aaj shaam ko Ruhi nazar nahin aayi, yeh baat Abhi ko bahot disturb karne laga tha.

Raat der tak neendh nahin arahe the Abhi ko. Ussko sirf Ruhi nazar arahi thi har jagah. Sote, jaagte, uthte, baithte sirf Ruhi bassa hua tha Abhi ke khayaalon mein, bade mushkil se aankh lagi aur ussko laga ke buss kuch minaton mein subha ho gayi.}


Reply:

“I am very sorry ke aap ko udaas hokar wapas jaana pada tha Abhi, ek din main bhi soch rahi thi aap raat din mere baare mein sochte honge, aur jab aap ne bata diya tha ke har shaam ko aap ke saamne rahun jaate waqt tabse main samajh gayi thi ke aap bus mein jaate waqt raste bhar sirf mujhko sochte hue jaate honge… magar is din ke liye forgive me Abhi…

Aap ne diary mein jaakar sab likha aur main aaj 25 saal baad wo sab padh rahi hoon abhi! Kamaal hai nah?!.....

Aap raat ko so nahin paate the Abhi sirf mere baare mein sochte rehte the oh how nice of you, but aap ki health kharaab ho sakte the Abhi!!?”


Aaguey padha Ruhi ne:

{ Aur wo washroom reach hua. Ruhi ke kitchen mein dekha, khaali tha kitchen. Koyi nahin tha wahan. Subha ke 6 baje the. Kaam to 7 baje start hota hai aur 6 baje Abhi wahan pahunch gaya tha, sirf aur sirf Ruhi ke liye. Log so rahe the aur Abhi kaam ke site par aa chuka tha.

Ab Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi ussko apne achche kapdon mein dekhti iss se pehle ke wo kaam karne wala purana kapda pehenta. Abhi subha subha fresh tha, dhoop mein jhulsa hua nahin tha, usska skin fresh tha, shave kiya tha aane se pehle, aftershave lagaya tha, thoda perfume bhi lagaya tha shirt par; ek Wrangler Blue Jeans aur ek safed shirt pehna hua tha. ek pair of khubsurat sport shoes mein tha… To chahta tha ke Ruhi ke saamne weise pesh aaye, taake wo Ruhi ko acha dikhe. Abhi yeh bhi soch kar early aya tha ke 6 se 7 baje tak pura ek ghanta hoga usske paas Ruhi se baat karne ko agar wo saamne aati to…. Magar wo dikh hi nahin rahi thi. Sab se pehla sawaal abhi ko yeh karna tha Ruhi se ke kal shaam ko wo kidhar thi, kyun saamne nahin aayi, aur aaj Abhi Ruhi se yeh request karne wala tha ke aaj se har shaam ko jab usska wapas jaane ka time aaye to Ruhi usske saamne rahe, kitchen ke stairs par present rahe taake Abhi ussko goodbye keh sake, ussko wave kar sake. Yeh kehna tha Abhi ko Ruhi se aaj. Magar wo dikhe tab nah?!}


Reply:

“Abhi aap itne savere aap kaam par ajaate the, thik se sote bhi nahin the sirf mere khaatir, nice of you but bad for your health…. You were too much in love Abhi, but at that time I was not in love with you….. yes, I liked you a lot but was not in love because my mind and heart were elsewhere thinking of lots of things regarding Shweta and my situation and position, so I had no time to fall in love like you did with me Abhi!.....

Abhi aap mere saamne ache kapdon mein rehna chahte the, aap chahte the ke main aap ko unn kapdon mein dekhun jiss se ap travel karke aate ho hmmm, samajhti hoon…. But Abhi, mere liye wo koyi maene nahin rakhta tha… mujhe aap ko unn gande kaam karne waale kapdon mein hi dekhna passand tha…. aap ke kapdon se nahin aap se lagao tha mujhe, aap impress karna chahte the okay, but I was already impressed by the way you were!....

Abhi yeh aap ke liye….. yun samajhiye ke aap ne yeh sab mujhse kaha hai……..


Waqt karta jo wafa aap hamare hote

Hum bhi auron ki tarah aap ko pyare hote


Apni taqdeer mein pehle hi se kuch to gham hai

Apni taqdeer mein pehle hi se kuch to gham hai

Aur kuch aap ki fitrat mein wafaa bhi kum hai

Varna jeeti hui baazi to nah haare hote

Waqt karta jo wafa aap hamare hote….

Hum bhi pyase hein yeh saaki ko bata bhi nah sake

Hum bhi pyase hein yeh saaki ko bata bhi nah sake

Saamne jaam tha aur jam utha bhi nah sake

Kaash hum ghairat -e-mehfil ke nah maare hote

Waqt karta jo wafa….


Dum ghuta jaata hai seene mein, phir bhi zinda hein

Dum ghuta jaata hai seene mein, phir bhi zinda hein

Tumse kia hum to zindagi se bhi sharminda hein

Marr hi jaate nah jo yadon ke sahare hote

Waqt karta jo wafa aap hamaare hote

Hum bhi auron ki tarah aap ko pyare hote

Waqt karta jo wafa.


Ab rone lagi hoon yeh likh kar…..”


To be continued…(4512 words)
fabulous update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 72 Replies Of Ruhi

Ruhi ne Abhi ke diaries padhte hue replies likhna jaari rakha. Aur jiss din usski mummy ussko akeli chorr kar usske nani ke yahan gayi thi Rui ne likha:

“Uss din mummy ne mujhe jaan bujh kar akela chorra tha aap se mujhko baat karne ke liye. Kuch din uss se pehle mummy mujhse puch rahi thi ke kab tak main aap ko dhoke mein rakhungi, mujhe aap ko sab bata dena chahiye iss se pehle ke aap aur aaguey badho. Aur assal mein mummy ne yeh kaha tha ke wo Nani ke paas jaa kar uss Amit ka khabar lekar aegi kyunke Amit ne mere Nani ke ghar par hi mere liye yeh khabar bheja tha ke wo wapas aega to mera haath mangega mere parents se. mere nani se kaha tha mujhko rokne ke liye ke main kissi aur ki proposal ko accept nahin karun. Meri mummy ko wohi ek rishta mere liye thik laga tha varna mujhko kissi adher shadi shuda aadmi ke saath shadi karna tha kyunke main ek bache ki maa thi. Kissi adher aadmi jisski patni marr gayi ho ya divorce ho gaya ho etc. Yahan par mere liye weise hi rishte aate varna ek wohi France wala Rishta mummy ko sahi laga tha.

To jiss din mummy ne mujhse kaha ke nani ke yahan jaa kar Amit ke baare mein puchega kab wo araha hai etc tab main ne munh fulla liya tha, iss liye mummy ne pucha mera kia irada hai tab main ne aap ka naam liya tha to ussne kaha ke kab aap se baat karungi, kab aap ko bataungi apne baare mein. Tabhi mumy ne decide kiya ke wo nani ke yahan jaegi aur main aap ko lunch par invite karun aur baat karun aap se.

Abhi uss din main ita khush thi aap ke saat ke mujhe aap se wo baat kehkar mood nahin kharaab karna tha. aap itne loving the, mujhse itna pyar kar rahe the, mujh par itna pyar nichavar kar rahe the ke mujhe laga wo baat kehkar main sab kharaab kar dungi issi liye mujhse kuch kaha nahin gaya jitna kaha tha uss se ziada.

Haan Abhi main ne uss black skirt aur white blouse ko aap ke liye hi pehna tha uss roz, aap kitne dinon se mujhko uss mein dekhna chahte the nah? aap ne mujhe usse pehene ko kayi baar kaha tha, jabse aap ne hamare aangan mein kaam karne lage the ek hi baar aap ne mujhe uss mein dekha tha, main aap ko hot lagi thi aap ne kaha tha, aur aap ne likha hai ke kia main ne jaan bujh kar uss dress ko pehna tha aap ke liye, kia main aap ko rijha rahi thi…. The answer is YES Abhi.

Jaise aap mujhko acha dikhna passand karte the obviously main bhi aap ko acha dikhna passand karti thi Abhi…. Normally ladkiyan to ziada sajti sanvarti hai nah apne boyfriend ya apne lover ko khubsurat aur acha dikhne ke liye? To main ne aap ko invite kiya tha, main host thi so I should be looking nice nah? Aur aap ki choice ki dress pehni thi main ne sirf aap ke liye, aap ko khush karne ke liye….

Haan yeh bhi pata tha mujhe ke uss mein main sexy dikhti hoon, main khud ko aine mein dekhti hoon uss dress mein to khud ko pata chalta hai ke kaisi dikhti hoon uss mein…. Issi liye ussko ziada nain pehenti thi, magar aap ke liye pehni thi uss roz…. Magar iss iraade se nahin ke koyi sexual feeling ho, nahin balke sirf iss liye ke aap ko acha dikhun, aap mujhko passand karo.

Haan main yeh bhi jaanti thi ke kuch der pehle main ne nahaya tha aur mere baal bheege hue the, paani ki boondein bhi tapak rahe the baalon se…. wo bhi aap ke liye hi tha…. mujhe yeh bhi pata tha kea ap ko wo passand aega…. Bahot novel padhti hoon nah? to ideas udhar se aate hein (lol)…. Aur phir aap mujhko itna observe karte the mujhko itna sar se paon tak dekhte rehte the ke mujhko yakeen tha aap ko zaroor dikhega ke mere baal bheege hue hein kyunke milne se pehle aap se keh diya tha nah ke nahane jaungi….

Ab aap ne describe kiya ke main kaisi dikh rahi thi aap ko aur aap ke feelings kia ho rahe the…. Aap akarshit ho rahe the sexually yeh mujhe pata nahin tha aur mera irada bhi wo nahin tha Abhi….

Uss romantic lunch ko main kabhi nahin bhoolungi Abhi. Jiss tarah se aap ne mere haath se ek niwala khilaane ko kaha tha, aur main ne apne niwale ko aap ne munh mein dala tha… that was very romantic for me…. Main ne life mein kissi ladke ko apnaa niwala kabhi nahin khilaya hai you were the only one Abhi! Aur aap ne wo sab exacly weisa hi likha aur describe kiya hai ke padhte waqt mujhko lag raha tha main sab kuch dekh rahi hoon aur feel kar rahi hoon… I was smiling reading all that Abhi.

Aap ne kaha tha agar main uss din aap ko andar nahin aane deti to aap mujhe goad mein utha ke andar laate, to main ne pucha tha ke kia aap mujhko utha sakte ho aur jiss tarah aap ne mujhe goad mein uthaya tha Abhi…wo bhi kissi aadmi ne mujhe kabhi nahin uthayatha aaj tak aap ke ilawa…. Aap ne wo dobara kiya kal mujhko wheelchair se utha kar sofe par rakha tha weise hi…. Magar uss din was the first time someone lifted me up in his arms that way…. I can never forget those moments Abhi. Thank you very much for making me feel special on that day Abhi. Kal jab aap ne mujhe wheel chair se utha kar sofe par rakha to mujhe normal feel hua, aisa laga wo aap ka haq tha mujhe uss tarah sse uthana aur rakhna…. Jaise ke wo weisa hi hona chahiye tha…..

Uss din aap ne mujhko bed par leytaya tha Abhi aur mere ankle ko kiss kiya tha aur main ne jhat se tang upar uthaya tha aur aap ke naak mein lag gayi thi….. And Abhi let me tell you one thing today… Abhi you are a very good kisser. No one ever kissed me that way ever in my life till date. We were lying over the bed, you made me pull the curtains and over the curtain cloth I had put two heavy books so that the curtain won’t move out with the wind and you had started kissing me…… I shivered still loved your touches very much.

Yeh kaha tha aap ne:

{ “Ruhi jiss din main ne tumko iss skirt aur blouse mein dekha tha ussi waqt apne ghutnon ke bal aakar tumhare tangon ko baahon mein bharke chumne ka mann kiya tha aaj wohi karne jaa raha hoon….”}

Main chhup ho gayi thi aur aap ke honton ko feel karti gayi thi saath saath aap ka haath mere skirt ke niche mere jaanghon ke upar chalta jaa raha tha….. main uth baithi thi aap ke haath ko rokte hue aur aap ne kaha tha:

{“I wish to explore you sweetheart, want to see deep inside you, want to feel you, wish to see how the colour of your skin changes under your skirt, please let me do!”}

Abhi, you had licked my nipple on that day…… do you know how I had felt? Had you thought what was going on within me? Mujh par kia beet rahi thi kaise samjhaun aap ko main….. main khud ko agar nahin sambhaalti to shaayad uss din behtar hota…. Mujhe aap ko rokna nahin chahiye tha…. I should have let you go ahead….. I regret having stopped you on that day Abhi….. your touches made me tremble, my whole body was on fire, I needed it as much as you, no one ever aroused me ever that way in my life. You were the only man who made me feel the need of making love….. I wanted it but had to control myself Abhi…… I was afraid also because I had erred in the past in my teenage so could not let same mistake happen again, that is Why I had to stop you. Despite that you kept on asking again and again to let you do I had to refuse…. Sorry Abhi!

Aur uss din ko aap se sirf itna keh paayi thi ke kia agar main ne koyi ghalati kiya hai to kia aap mujhko maaf karoge…. Iss se ziada nahin keh paayi thi, rone lagi thi aur aap ko mummy se puchne ko kaha tha……

I had spoiled the lovely moments we were having by asking you that on that day. It was not the appropriate time to ask that. Sorry again Abhi.

Dusre din aap ka pehla love letter mila tha mujhe Abhi jissko main ne aaj tak sambhaal kar rakha hua hai. Ap ne uss mein ikraar kiya tha kea ap mujhse behad pyar karte ho aur. Sunbha 3.30 ko likha tha aap nen uss khat ko aur subha 4 baje sone gaye the aap aur kuch der baad savera ho gaya tha aur yahan chale aaye the early in the morning hamesaha ki tarah.

Abhi uss din aap ka khat padhi main ne aur bahut royi thi, kyunke ek din pahle jab mummy nani ke ghar se wapas aayi thi to bahot kuch bhua tha jo aap ko nahin bataya gaya tha.

Mehboob ka bahot bada haath tha mummy ke saath milkar mujhko jhukaane mein. Main Mehboob se darrti thi. Kyunke main ne pehle ghalatiyan kiye the aur papa desh mein nahin tha aur ussko hum sab ka khayal rakhne ke liye keh gaya tha to Mehboob mujh par nazar rakhta tha meri uss ek ghalatti ke liye aur mummy se kehta rehta ke mujh par kadi nazar rakhna chahiye kahin baahar nahin jaane dena chahiye, kissi se milne nahin dena chahiye, wo nahinchahta tha ke main koyi aur weisa kadam uthaaun. Wo samajhta tha ke main Gaurav se pyar karti hoon aur usske saath kabhi bhaag jaungi, mujhko bahot sunata tha wo aksar… aur meri aadat thi hi nahin kissi bade ko jawaab dena aur wo pita ki tarah hi the to main khamosh rehti thi, magar mumy aur wo mujhko aise treat karte the jaise main ek bahot bada gunehgaar hoon.

Aur main khud ko guhengaar samajhne lagi thi, main khud dab kar rehna passand karne lagi thi, main samajhti thi ke mujhko jo gunah hua hai usski wohi saza thi keg har walon ke baton ko maanun aur wohi karun jo wo log kahe….

Aap se milne se pehle main pichle 6/7 saalon tak mummy aur Mehboob ke saare baton ko maanti ayi thi. Main teenager se adult ho bhi gayi tab bhi unn donon ke baton ko maanti thi. Wo sab karti thi jo weh log kehte the…. Jab main ne silaayi seekhna chaha to Mehbob nahin razi tha ke main jaun uss sheher mein silaayi seekhne… ussne mummy se kaha tha main phir bhatak jaungi, kuch ghalat karungi….

Magar mummy khud mujhe lekar gayi thi pehli baar udhar aur udhar ka supermarket wala chacha ke jaan pehchaan wali thi silaayi seekhane wali aur ussko mujh par nazar rakhne ko kaha gaya tha…..

Mehboob bhi bus driver/owner tha to aksar ussi ke bus se aati jaati thi aur himmat bhi nahin hoti ke kissi aur ke taraf dekhun ya kissi se baat karun…. Main unn logon ke vishwaas jeetna chahti thi kuch ghalat nah karke iss liye seedha silaayi seekhne jaati aur seedha ghar wapas aati….

Jiss din aap ne pucha tha ke kidhar silaayi seekhne jaati hoon to aap ko bataate bataate ruk gayi thi usska reason yehi tha.. ke agar aap ko bata diya to kissi din aap mujhse milne ajaate aur idhar sabko pata chalta to Mehboob aur mummy kehte ke dekho firse wohi tamasha kar rahi hai Ruhi!! Buss issi liye aap ko nahin bataya tha ke kidhar jaati thi silaayi seekhne Abhi. Ab aap batao agar main bataati aap ko to aap mujhse milne aate nah hai ke nahin? Pakka aate aap mujhe pata hai!..... magar aap ke chale jaane ke baad 5th January ke baad main sochne lagi kaash main ne aap ko bata diya hota, to aap uss date ke baad mujhse milne to aate…. Kyunke uss date ke baad sirf aur 3 Saturdays ko gayi thi wahan phir jaana chorr diya!!

Haan to jab mummy nani ke yahan se wapas aayi thi uss roz wo seedhe Mehboob se mili aur kaha ke udhar Amit ne phone kiya tha nani ke ghar aur mere baare mein pucha tha, kaha tha ke 4 mahine baad wapas araha hai aur mujhse shaadi karke lejayega mujhko apne saath!

Mehboob aur mummy ne mujhko bahot sunaya uss raat ko…. Din mein aap se mili aur jitna khush thi utna hi royi uss raat ko mummy ke aane ke baad. Mehboob aur mummy ne milkar mujhko samjhaya ke mujhko ab aap se door rehna chahiye aur Amit ke saath shaadi karke chale jaana chahiye….

To be continued…. (2306 words)
superb update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
DOUBLE MEGA UPDATES OF OVER 6 K WORDS
Update 73 Replies Of Ruhi 2

Mehboob aur mummy ne mujhko bahot sunaya uss raat ko…. Din mein aap se mili aur jitna khush thi utna hi royi uss raat ko mummy ke aane ke baad. Mehboob aur mummy ne milkar mujhko samjhaya ke mujhko ab aap se door rehna chahiye aur Amit ke saath shaadi karke chale jaana chahiye….

Ab aaguey….

Ruhi ne llikhna Jaari rakha….

“Abhi magar ek baat thi jo aap ko unn dinon bilkool samajh mein nahin aya tha, wo yeh ke Mehboob mujhko istemaal kar raha tha aap se apne bus ke kaam niklawaane ke liye.

Yaad hai jiss din aap aur Saeed mein ladaayi hui thi, to Mehboob ne hi mujhe aap ko ek taraf lejaane ko kaha tha aap ko shant karne ke liye? That day was our first kiss day. Main aap ko ghar ke piche wale kone mein legayi thi….. Ussi din ko jab aap ghar wapas chale gaye the to Mehbob aya tha hamare yahan aur maa ke samne uss ne mujhe aap se meethi meethi baat karne ko, aap ko apne pyar mein uljhaane ko kaha tha, maa se bhi ussne kaha mujhko aap ke karib jaane dene ke liye, maa bhi mili hui thi Mehboob ke saath aap ko baandhne rakhne ke liye meri muhabat mein, donon ko pata chal chuka tha ke aap ko mujh se pyar ho gaya hai, Saeed ne shayad mehbob se keh diya tha ke aap aksar absent rehte ho, Mondays ho kaam par nahin aate ho to Mehboob ne kaha tha ke usska kaam delay hoga agar aap absent rahe to, kyunke aap sabse fast kaam karte the, Saeed se bhi ziada kaam karte the aap, to Mehboob ko aap ki zaroorat thi to ussne mujhse help maanga tha ke main aap ko lubhaoon, ke aap se baat karun ke main aap ko rijhaun taake aap har roz kaam par aaye!......... Magar Abhi main weisa kuch karna nahin chaahti thi, buss aap se batein karti thi, aap ke karib aati thi aur jiss din pehli bar aap ne mujhse kaha tha ke aap ke jaane ke waqt main kitchen ke chaukath par rahun uss din ko main ne Mehboob se keh diya tha ke aap ne weisa kaha hai, to wo khush hua tha aur uss ne bhi mujhko wohi karne ko kaha, ussne kaha dekho wo jaate hue tumko mudh kar dekhega, aashik hai to khush kardo, yahan khade rehne se tumhara kia jaata hai….

Abhi aap ko lubhaate lubhaate main khud aap se pyar kar baithi thi, aap mein kuch tha jo yahan kissi mein nahin tha, main Mehboob ke liye aap ko nahin rokti thi, main aap ko apne khud ke liye rokne lagi thi, jiss raat ko aap ko rehne ke liye kaha tha wo meri apni marzi thi, wo main chahti thi halaan ke Mehboob ko pata tha ke aap hamare ghar ruke hue ho aur aap samajh rahe the ke ussko nahin pata tha, ussko aur Rahima donon ko pata tha ke aap uss raat ko hamare yahan ruke ho….

Aap ko yeh bhi nahin pata ke Manoj ghussa hua tha aap ke rukne se jab aap nahane chale gaye the… aur ussi waqt Mehboob ne Manoj ko samjhaya tha ke Aap ko kuch nah kahein yeh uss ke kehne se meri maa ne aap ko rukne ko kaha…. Assal mein main ne aap ko roka tha uss raat ko. Dusre din Mehboob aur manoj mein behez hui thi iss baat ko lekar, manoj Mehboob se oonchi awaaz mein baat kiya tha aur ussko kaha tha ke agar aap ko ghar par rokna hai to wo aap ko apne ghar men rokein hamare yahan nahin.

Abhi aap ne yeh likha hai apne diary mein


{“I am waiting for that day when Ruhi will be here on this bed together with me and I will make her read all this. She will then read and know what I was going through the days I worked in her yard. Those were the most beautiful days of my life which I will never forget. I met love, I met the one I was waiting for, I met my soul mate in that yard. And I am grateful to God and my job. If I was not doing this job I would never have gone there, would have never known her, would have never met her….”}

To answer this Abhi I have to say that I have been the most unfortunate person to have lost you and your true love. You loved me so dearly with all your heart, you longed for me, you wanted me, but my love was fake in the beginning, I was playing with you for the sake of Mehboob, I was retaining you, but when I started liking you and wanted to be with you it seemed to be late, still I did try but they were stronger than me; my mother and Mehboob, they were the ones pulling the string, I was a mere puppet! …. You met love, you met your soul mate you have written but I did not deserve your true love Abhi, because YOUR love was sincere and TRUE whereas mine was fake… that is why the God whom you thanked, did not allow that to happen because the God knew I was fake and did not deserve your love!

Mere papa:

Aap ne pucha tha uss din jab papa ka phone aya tha ke wo kaisa inssaan hai. Main ne aap ko bataya tha ke wo makhan hai…. Sach mein wo weisa hi hai… uss ghar mein papa patni hai aur maa pati hai…..

Mere papa ek aisa insaan hai jo bachpan se jhuka raha hai… bahut khamosh, usski awaaz tak thik se sunaayi nahin dete…. Meri dadi ne bataya tha mujhe ke papa to itna Sharmila tha ke shaadi bhi nahin karna chahta tha…. he was too shy a peron.

Baad mein dada dadi ne usski shaadi karwa diye to maa mil gayi ussko aur jald hi maa ko pata chal gaya ke wo kaisa insaan hai so she started dominating papa and she had always been the head of the family not papa… papa was always too cool, silent, never raised his voice and mummy took advantage of his silence to dominate him….. papa was a person who could never take a decision, so his wife always decided and she ruled over him all her life. He is a very nice person indeed, but too cool and silent for a woman like my mother. My mother should never have been his wife.

Abhi jab maa nani ke yahan se wo news lekar aayi ke Amit 4 mahine baad ane wala hai mujh se shaadi karke mujhe apne saath lejaane ke liye, to sach kahun to mujhe wo chaka chaund, foreign desh, France, Paris, plane se safar karna, amir desh mein rehna yeh sab of course bahot assar kiya tha mujh par… aap ke aane se pehle main ussi sapne mein jine lagi thi ke mujhe France jana hai, koyi Amit hai jo mujhe shaadi karke le jaega apne saath. Mujhe laga tha kudrat ne mere liye wohi decide kiya hai, issi liye mujhse wo ghalati hui thi teenage mein kyunke mujhe uss ghalati ko yahan chorr kar chale jana hai….

Shweta:

Aap se ek baat kahun….. jaise jaise Shweta badi hoti gayi mujhe uss se nafrat hone lagi….. main uss se door rehne lagi thi, iss liye ke usski vajah se mere future mein baadha padne lage the.. mujhe koyi proposal nahin aate the, mujhe kissi adher aadmi se shaadi karni padti sirf Shweta ki existence ki vajah se…. baby thi tab uss se lagao tha, jab wo 2 saal ki hui to main uss se bilkool door hone lagi… Shweta se main ne jaan bujh kar cut off kar liya tha, wo aati to thi magar ziada tar meri maa aur Manoj ya Mahesh ke saath rehti thi, bahot kum mere saath kyunke ussko pata chal chuka tha main ussko passand nahin karti….. Shweta ko mujhse koyi sneh ya pyar nahin mila tha kyunke main uss se nafrat jo karne lagi thi aur wo Shweta ko dikhne laga tha…. kabhi kabhi to wo school vacation mein 2 hafton ke liye rehne aati thi aur unn do hafton mein ek din bhi main ne ussko gale nahin lagaya… do hafton mein ek ya do din uss se baat kiye main ne…. sirf jab aap yahan the tab main uss ke saath thoda khelti thi taake aap ko koyi shak nah ho!! varna Shweta se mai hamesha door rahi…… usski ek vajah aur thi, ke main desh chorr kar door jaane wali thi to uss se bichadne par mujhe dukh nah ho iss liye bhi door rahi thi uss se….. shweta ko bachpan se pata tha ke main ussko passand nahin karti thi…. Yeh wo jaanti thi.

Aur jab Shweta 18 ki hui aur ussko pata chala ke ussko janam dene wali maa main hoon to ussne mujhe wo sab yaad dilaya ke main kiss tarah uss se door rehti aur uss se nafrat karti thi… Shweta ek alag hi bachi thi, ussko bachpan ke saare baat yaad hein aaj bhi… ussko aap bhi yaad ho bahot achi tarah, wo kewal unn dinon 6/7 ki thi magar ussko sab bilkool saaf yaad hai… Shweta ki brain ajeeb hai usski intelligence fast kaam karti hai ussko sab kuch yaad rehta hai…. Wo 3 saal ki thi to kia hua tha ussko saaf yaad hai aur bata deti hai… mere sheher wale chaha heyraan tha ek din ussne bataya tha ke shweta ko wo kissi ke ghar legaya tha kissi kaam se jab Shweta 3 saal ki thi, uss aadmi ke ghar mein ek jhumar tha aur ek wall clock jo bajta tha… Shweta jab 12 saal ki thi to ek din uss wall clock aur jhumar ke baare mein puch rahi thhi mere chacha se aur uss aadmi ka hulya bilkool clear describe kiya tha uss ne….. Shweta ko bachpan se adult wale feelings hote the, ussko sab kuch 100% pata chalta tha ke kia ho raha hai……

Pata hai aap ko? Jiss din aap mere chachi ke ghar mujhe dhundte hue aaye the to Shweta wahin thi nah… aap ke jaane ke baad Shweta mujhse naraaz hui thi aur mujhe gandi kaha tha uss ne… ek badi adult ki tarah danta tha mujhko Shweta ne. main dang reh gayi thi. Mujhse kaha tha ke aap kaisa insaan ho, Abhi aap se itna pyar karta hai aur aap yahan andar baithi rahi ussko yahan se chiilla kar jawaab nahin de sakti thi? Wo ro raha tha aap ke liye aur aap ko kuch nahin hua? Aap ke feelings hi nahin hai, stone hearted ho aap. Kaash Abhi mujhse se pyar karta aur main aap ki jagah hota to ussko kabhi nahin jaane deta uss se zaroor shaadi karti main…… ek 6/7 saal ki ladki aise baatein keh sakti hai? Mujhe jhatka laga tha Shweta ki baat se uss roz…..

Aur jab ussko pata chal gaya ke main usski maa hoon, mujhse yahan jhagadne aayi thi tab bhi aap ko mention kiya tha uss ne…. kaha tha ke bhagwaan ne mujhe issi liye sazaa diya kyunke main ne aap ka dil dukhaya tha…..wo sab jo hua tha usske bachpan mein sab yaad tha ussko 18 saal ki hui tab bhi… aap ko bahot passand karti hai usski baton se laga tha mujhe tab bhi keh gayi thi ke aap usse milo to wo aap se shaadi kar legi…. Main ne ussko bataya ke aap shadi shuda ho already to wo maan nahin rahi thi keh rahi thi ke main jhoot bol rahi hoon… aur mujhse kaha ke ussi din se wo aap se pyar karne lagi thi jiss din aap ko mere liye rote dekha tha usske yahan.. aap se sach mein bahot pyar karti hai…. Kyun nah ho aap ho hi pyar ke kaabil… usko aap ka pyar dikh gaya tha Abhi mujhe nahin dikha tha kitni andhi thi main?! January 1987 mein jab wo aayi thi hamare yahan New year ke mauke par to aap ko dhund rahi thi, jab usskko pata chala tha ke aap ab yahan kabhi nahin aoge kaam khatam ho gaya to bahot royi thi, mujhse puchne aayi thi ke ab kaise wo aap se mil paegi? Aap kidhar rehte ho ussko aap ke yahan lejaane ko kaha tha mujhe!!! Mujhe bhi rula diya tha ussne aap ki yaad dila kar…. Main uss se kehne wali thi ke aap 4/5 ya 7th ko aane wale the, magar shukar hai ke nahin kaha kyunke agar wo hoti aur usske saamne Manoj ne aap ko weise nikala hota to kia guzarti uss par?

Magar ussko baad mein sab pata chal hi gaya aakhir…. Kuch mahine baad wo mujhse bahot naraaz hui thi ke kyun main ne aap ko nahin roka tha jab manoj ne aap ko ghar se nikala tha. pata hai Shweta ne kia kaha tha Abhi? Ussne kaha tha ke agar wo Ruhi hoti to ghar se turant bhaag kar aap ke piche jaati aur iss ghar ko chorr kar hamesha ke liye aap ke sath chali jaati…. Uss umar mein Shweta ka wo kehna tha aap ke liye!!! Wo bahot hi intelligent thi. Ek adult wali brain thi usske paas bachpan se hi. Sach pucho to mere dil mein aap ke liye ziada pyar Shweta ne jagaayi thi Abhi…. Ek baat kahuna ap se? jab 18 ki hone ke baad Shweta aap ke liye ro kar mujhse keh rahi thi ke wo aap se shadi karegi to mere dimaagh mein yeh baat ayi tha ke agar aap ne shaadi nahin kiya hota to main aap ko Shweta se shadi karne ko kehti… aap sirf 15 saal uss se bade ho, handsome to ho hi wo 18 ki thi 20 ki hoti tab aap 35 ke hote to ziada farak dikhta hi nahin, kyunke wo aap ko itna chahti thi main ne aap ka Rishta Shweta se bhi soch liya tha….. main jo nahin kar paayi thi, jo kami main ne chorra tha aap ki life mein wo kami apni beti se puri karwati main aap ke liye….. aap bhi ussko bahot passand karte the nah Abhi? Hmmm? Mujhe yaad hai, aap ne kaha tha wo bilkool meri tarah dikhti thi aap ko, aur ek baat kahun? Wo sach mein meri tarah hi hai…. Magar mujhse hazaar guna ziada intelligent, honshiyaar hai, daring hai, aap ki aur usski khub banti… aap ko uss se zaroor milna chahiye, mujhe yakeen hai ke uss se milkar aap bahot khush honge aur wo to uchal padegi…

Main kia keh rahi thi aur kia kehne lagi….. shweta yaad agayi bich mein ….. haan to uss din ke baad mummy aur Mehboob ne ab mujhe aap se doorie rakhne ko kaha kyunke Amit ane wala tha…. issi liye uss din ke baad main aap se distance banaane lagi thi magar ussi din aap ko mujhe apna love letter bhi dena tha jiss ne mujhe pighla diya tha aur main kashmakash mein pad gayi thi ke ab main kia karun!!!

Jiss din shaam ko main Mahesh, Farzina aur ek cousin ke saath baith kar aap ko suna rahi thi ke aap kia samajhte ho ke main aap se shaadi karungi, wo sab aap ko discourage karne ke liye tha, aap ko khud se door karne ke liye tha, aap ke dil mein mere liye nafrat paida karne ke liye tha magar aap ka pyar mazbut tha aur aap mujhse phir bhi aur bhi ziada pyar karte gaye, aap ka pyar ghatta nahin badhta gayaa mere liye aur main bebuss lachaar ulajhti gayi ke kia karun….. Aap aur Amit mein se mujhe ek ko chunna tha main samajh nahin paa rahi thi ke kia karun…. Mummy aur Mehboob ka kehna tha ke aap mujhse nafrat karoge jab aap ko pata chalega ke main ek bachi ki maa hoon…. Tabhi main ne decide kiya ke aap ko ab batana hoga…. Magar sirf itna bata paayi ke I am not a virgin aur aap ne to keh hi diya ke chaahe main ek bachchi ki maa hoon tab bhi aap mujhse shaadi karne ke liye tayaar ho….

Wo kehne se pehle main ne maa aur Mehboob se shart lagaayi thi ke aap mujhse phir bhi nafrat nahin karoge, aur uss roz maa ke saamne jab khidki ke paas aap rone ke karib the aur main aap se ziada rone lagi thi, aur aap ne mummy se piche ka darwaza kholne ko kaha tha, to main ne khola tha…. kia aap ko yaad hai uss roz uss se pehle Mehboob aur Rahima ne aap se kia kaha tha?

Rahima ne kaha tha ke aap hamare yahan rehne wale ho aur Mehboob ne kaha tha ke achchi baat hai subha ko jaldi kaam shuru kar doge? Yaad hai Abhi? Ussi din; din mein meri shart lagi thi mummy aur Mehboob se ke aap mujhse nafrat nahin karoge sab jaanne ke baad bhi…. Aur issi liye Mehboob ko pata tha ke aap se mujhe wo sab kehna hai shart ke anusaar mujhe pata lagana hai ke agar aap ko mere baare mein pata chala to aap kia karoge….

Aur uss raat ko main ne aap ko apne ghar roka tha yeh jaane ke baad ke aap phir bhi mujhse shaadi karoge chahe main ek bachchi ki maa bhi hui…. Mujhe wo kehne ki zaroorat hi nahin padi, aap ne wo keh bhi diya phir bhi main ne aap se stupidly pucha tha ke what if I am not a virgin…. Mujhe yehi kehna tha kyunke main ne wohi puchne ko plan kiya tha….. uss din aap ne mera dil jeet liya tha aur main shart bhi jeet gayi thi…. Mummy tabhi disappoint ho gayi thi issi liye aap ko ghar par rehne diya tha…. jab aap nahane gaye the to meri uss se baat hui thi Manoj se baat hone ke baad. Main ne mummy se kaha tha ke main shart jeet gayi aur Abhi mujhse phir bhi shaadi karne ke liye tayyaar hai chahhe main ek bachchi ki maa bhi hoon tab bhi suna aap ne!..... uss raat ko to mummy ne kuch nahin kaha tha uss raat wo aap ke favour mein thi magar dusre din Mehboob aur ussne phir baat kiye the aur weh donon Amit ke favour mein the.

Abhi uss raat ko main aap se humbistar hona chahti thi…. Pata hai kyun? Iss liye ke aap uss din mujhse wo karna chahte the jiss din lunch karne aaye the tab main ne aap ko mana kiya tha iss liye uss raat ko aap ko compensate karna chahti thi….. jab aap ne mujhe baahon mein bharke kiss kiya tha to meri rooh kaamp gayi thi….. main ne teenage mein jo sex kiya tha tab kuch sexual feeling kuch bhi nahin hua tha, magar uss raat aap ke saath real sexual feeling kia hota hai tab pata chala tha, arousal kia hota hai, envy aur desire kia hota hai tab pata chala tha, usski gehraayi se ehsaas hui thi aur usski zaroorat bhi feel hui thi… aap ne itni badi baat keh diye the ke aap ko apna tan, mann sab dene ka mann kar raha tha mujhe, uss raat ko real love aur sexual pleasure feel karne ko man kar raha tha mera, aap ko chorrne ko bilkool mann nahin kar raha tha, mann kar raha tha ke raat bhar aap mere saath sote. Mere baahon mein rehte raat bhar…. Magar uss raat ko aap ajeeb the, uss raat ko aap wo nahin chahte the jo main chaahti thi….. Abhi agar uss raat ko aap ne mere saath sex kar liya hota to main ussi raat ko decide kar liya tha kabhi bhi Amit ko accept nahin karti, main uss raat ko tan aur mann se aap ki ho jaati….

Magar dusre din ko sab gadbad hone laga tha Abhi…. Main to aap ke liye rehna chahti thi magar mummy aur Mehboob bilkool nahin chahte the… weh donon mujhse tab kehne lage the ke aap ke parents kabhi nahin accept karenge ke bachi wali ladki ke saath apne bete ki shaadi karaayen…. Aap ke parents kabhi nahin accept karte ye sab keh keh kar unn donon ne mere dimaagh chaat liye the ke main bhi tang aagayi thi aur Amit ko priority dene lagi aur aap se dobara doorie rakhne lagi thi….

Issi liye aap ko mere response controversial lage honge ke main ne aap se ek baar kaha tha ke haan Amit hai phir kaha tha ke sab jhoot hai, meri virginity ki vajah se main jhoot bol rahi thi aur phir wapas kaha tha ke haan Amit hai…..

Aur phir mera jana hua ta Nani ke ghar…. Dar assal, nani, maasi aur mama logon ne uss roz mummy se kaha tha mujhe lekar wahan aane ke liye. Aur Abhi jab main wahan gayi thi to mera itna brainwashing kiya gaya tha ke kia bataun… uff…. Mujhe almost paagal bana diya tha sab ne wahan…. Amit ki itni taarif karte the sab ke jaise wo koyi raja maharajah hai… usski sister aur mother ko bulaya gaya tha mujhse milne ke liye, mujhko hausla dilaane ke liye ke Amit mere lite perfect choice hai…. Mujhko Amit ki photis dikhaaye gaye the, France mein Eifel tower ke paas ke usski tasveerein aur Paris mein pata nahin kiss kiss jagah mein usski li hui pics dikhaaye gaye the…. Mujhko jaise force kiya jaa raha tha ke main ussi ko chose karun aap ko nahin…. Waha sabko pata chal chuka tha ke aap mujhko chahte ho aur main duvidha mein hoon ke Amit ko select karun ya aap ko…..

Aur Nani aur mama ne mujhse aur mummy se kayi baar kaha ke wahan par jitney bhi log wo kaam karte hein jo aap karte ho most of the time sab ke sab bekaar rehte hein, unn ke paas kaam nahin hota, to sab kehte ke aap bhi weisa hi rahoge shaadi ke baad aur mera bura haal hoga aap ke saath.. mere 3 mama hein wahan aur 2 maasi… sabke sab mujhe convince kiye ke aap ko drop karun, aap se pyar nah karun aur Amit ko select karun….

Abhi sab bade the, mere apne the, main kia karti? Badon ko sunna padta hai nah…. main nahin kehti ke main ne argue nahin kiya, bahot argue kiya sabse kaha ke aap mujhse tab bhi shaadi karne ko tayyar ho halaan ke meri ek beti hai, aap mujhse sach mein pyar karte ho main khud gawah hoon yeh sab kaha main ne unn sabse…. Maa ne bhi kaha sab se ke aap dhit ho aap mujhko pagalon ki tarah pyar karte ho…. mummy kabhi kabhi aap ka side le rahi thi keh rahi thi ke kaise bhi ho aap to saamne ho, aap dikh rahe ho aur saaf dikhta hai ke aap kitna pyar karte ho mujhse… magar mama logon ne mummy ko danta yeh kehte hue ke apni khud ki beti ko kunwe mein dhakelna chahti ho?

Mujhko wahan se convince karke bheja gaya tha ke main aap se door ho jaun…. Issi liye nani ke ghar se wapas ane ke baad main aap se aur bhi door ho gayi thi….. magar jis din aayi thi ussi din aap ko main ne pehli baar I LOVE YOU kaha tha….wo sirf iss liye ke mujhe pata tha ab wo aap ko kabhi nahin keh paungi, kyunke mujhko to Amit ke saath jana hoga iss liye socha ek baar to keh doon…..

Phir usske baad har roz aap se thoda thoda door hoti gayi mai aap ko ghar ke andar se chhup chhup kar dekhti thi, bahot dukh hota tha aap ki haalat dekh kar, magar aap seeti bajaate, mujhe bulaate, main andar roti dil pat patthar rakh kar roti, kabhi aa bhi jaati thi, magar mummy dantti, Mehboob mujhko mote mote aankhon se dekhti, wapaas andar jaane ko ishara karta wo…. Main ghut ghut ke rehti thi ghar ke andar…..

To be continued immediately in the next post
superb update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 74 Replies Of Ruhi 3

Aur papa aya… ussi raat ko sab phir nani ke ghar gaye the yaad hai nah? phir wohi baat… wahan iss liye gaye the ke papa se wo log ab kahe ke mujhe aap se door rakhe aap ki proposal ko wo accept nah kare… papa to thehre yes man wo kia kaarta jo kuch ussko bolne ko kaha gaya wohi kaha ussne….

Aur aap ki kaam ki last day aane wala tha.. to nani ke yahan sabne mummy aur papa se kaha ke mujhko wahan se hatta diya jaaye taake last day ko main wahan rahun hi nahin aur aap kuch keh nah sake kissi se…. mujhko to pata tha ke aap papa se mera haath mangne wale ho, magar nani ke ghar yeh bhi pata chal gaya tha ke papa aap ko refuse karega kyunke nani ke ghar se ussko yehi order mila…..

To uss din ko main jaane wali thi issi liye farzina se khabar bheja tha aap ke paas ke main jaane wali hoon apni behen ke saath…. Mujhe pata tha mere jaane se pehle aap zaroor baat karne aoge mujhse… aur jab main kanghi kar rahi thi to aap ko khidki se issi liye dekh rahi thi jaane ke liye ke aap ko pata chala bhi ke nahin…. Aur aap aaye the khidki ke paas jaise main expect kar rahi thi…..

Uss roz main bahot ajeeb thi nah? yehi likha hai aap ne apni diary mein… padha main ne….. haan main thi bahot strange… apne dil par yun samajh lijiye ke main ne ek pahaad rakha hua tha aap se uss tarah se behave karne ke liye…. Ghar par mujhko maa, papa, didi, Mehboob, mere behnoy sab mujh par chadh rahe the ke main bilkool nah rowun aur aap se bold pesh aaun, yeh dikhaun ke aap se bilkool pyar nahin karti…. Magar sabko, didi aur bro in law ko bhi pata tha ke main aap se kitna pyar karne lagi thi… main bahot royi thi uss din jaane se pehle… didi se puchna…. Main itni royi thi ke mere dum ghutne lage the, main saans nahin le paa rahi thi yahan tak ke brother in law ne kaha tha ke meri aur aap ki shaadi kar diya jaaye…

Jab aap khidki se baat kar rahe the, to ek aadmi tha jiska dil ro raha tha aap ko dekh kar wo meri didi ka husband tha…. wo aap ke pyar ko samajhta tha.. sab wahan milkar aap ko discourage karne ke liye aaye hue the…. Jab aap ne papa ko bulwaya to ussne kaha ke wo mujhe lekar apne sath lejaane wale hein mujhko pata tha ke aap ko bilkool bhi yakeen nahin tha aap ko pata tha ke wo jhoot tha, mujhe sab pata tha, phir bhi mujhko wohi bolna pada tha kyunke papa wohi kehne wala tha aap se.. aur jab aap ne kaha tha ke aap mera intezaar akroge aur didi ne pucha ke kab tak wait karoge to aap ne kaha tha zindagi bhar mujhe itna zor se rone ka mann kiya tha uss waqt ke samajh mein nahin aya tha ke kia karun….. tab papa ne aap se kaha tha ke Amit ko zubaan de chuke hein matlab aap ko kissi kimat par yeh kehna tha ke NAHIN -NO. NAHIN HO SAKTA AAP KI SHAADI RUHI SE….. yehi kehna aur batana tha aap ko…. AAP KA DIL TODNA THA, AAP KE DIL PAR EK KHANJAR CHALAANA THA, AAP KE DIL SE KHOON BAHANA THA…AUR SAARE ILZAAM MUJHKO APNE UPAR LENA THA…. AAP KE DIL KE TUKDE MAIN NE KIYE, AAP KO DHOKA MAIN NE DIYA, AAP SE DAGHA MEIN NE KIYA…SAB MUJHKO APNE UPAR LEKAR WAHAN SE JAANA THA AUR WAPAS TAB ANA THA JAB AAP YAHAN HONGE HI NAHIN…..AAP SE MAAFI MAANGNE KA BHI ADHIKAAR NAHIN THA MERE PAAS…. Samajhlo ke mere kaandhe par bandook rakh kar aap ke dil par seinron goliyan chalaya gaya tha aur mujhe sab dekhte hue hanssna tha…. yehi kiya gaya tha aap ke saath uss din Abhi aur haan main sab dekhti rahi unn sab ka saath deti rahi main bhi……

Iss sab ka gehra ehsaas mujhe tab hua jiss din aap Shweta ke ghar ro rahe the meri chachi se sab kehte hue….. main khamoshi se ro rahi thi aap ko sunte hue…. Phir bhi main ne aap ko nahin roka chachi ka khayal karte hue ke wo aap ke saamne jhooti nah kehlaaye….

Aur haan uss roz jab main jaa rahi thi aur aap bus ke piche ke darwaaze se kud kar mujhko baahon mein bhar ke kiss karne aaye the uss ek pal ko main bhool gayi thi ke main main hoon…. Main ro rahi thi aap ki haalat dekh kar bus mein…. Mujhe aap ko chorr kar jaane ko bilkool bhi mann nahi tha, mujhe pata tha ke uss din ke baad uss aangan mein aap phir kabhi nahin dikhoge… mujhe yakeen tha ke uss raat ko aap ne kissi bhi time ko kaam end kiya mujhse zaroor miloge, mujhe uss waqt ka intezaar tha, magar main khud aap ko chorr kar jaa rahi thi…. To jis waqt aap ne mujhko baahon mein thaama main bilkool pighal gayi aur sab kuch bhool kar aap ke kiss ko respond kiya, goli maar diya tha sabko main ne uss ek pal ko Abhi kyunke ek last kiss aap ko karna banta tha…. aap ko yaad hai maa ko main ne kaise jawaab diya tha ke haan shooting chal rahi hai film ki….. I did not care at all at that moment… mujh mein ek ajib si shakti aayi thi jiss pal ko aap ne mujhko baahon mein liya tha sabke saamne open mein…. Aap ki daring ki daat deri hoon Abhi. You are a TRUE MAN!.... magar jab main jaane lagi thi aap ko tut kar niche baith kar rote hue dekh kar mera kaleja fatt raha tha Abhi, mujhko turant laut kar wapas aane ka mann kar raha tha, didi ne mera haath pakar kar khiincha tha mujhe chalne ke liye….. aur main chali gayi thi Abhi aap ko ussi haal mein chorr kar…..

Wahan se didi ke ghar jaane tak 22 kms hein main unn 22 kms tak roti gayi…. Roti rahi raat bhar aap ko yaad karte hue…. Kab nendh aayi pata hi nahin chala…..

Phir aayi wo din jab aap meri chachi ke ghar aaye aur main ghar wapas aayi thi 29th ya 30th ko… aap ka new year card mila tha jiss mein aap ne kaha ha ke aap 3, 4 ya 5th ko aoge…. Mujhe ek sukoon sa feel hua tha….. aap ko bhool nahin paa rahi thi.. mera aangan suna tha, aap ki seeti sunne ko kaan taras rahe the main baar baar kitchen se uss jagah dekh rahi thi jahan buss hua karta tha, jiss jiss jagah aap dikhaayi dete the main unn jagahon par dekhti rehti iss umeed se ke aap ek baar dikh jao mujhe…. Mere aangan mein jitna Abhi ka naam goonjhte hue sunaayi deta tha ab unta hi sannata hua karta tha…. kuch bhi acha nahin lagta tha… main washing stone par kapde dhoti to aap feel hote the lagta tha aap achanak piche se ajaoge, aap ki aahat ka ehsaas hota tha, kitab padhti khidki se tek lagaaye to aap nazar aate the baahar… kabhi kabhi lagta meri aankhen mujhko dkhoka de rahe hein, aap ko aisa feel karti ke aap ke saanson ka bhi ehsaas hone lagta mujhe…. Abhi TAB MUJHE EHSAAS HUA KE MAIN AAP SE KITNA PYAR KARTI HOON AUR AAP KO KITNA MISS KAR RAHI HOON…. Aap ne jo khat likha tha new year card ke saath uss mein mujhe ek bahot bada umeed dikhaayi diya… aap ne uss mein likha tha ke aap mujhse, mere papa se phir haath mange aoge phir uske baad apne parents ke saath aoge mujhe dekhne tab mangni tey hogi….. par main ne tab bhi ek bahot badi ghalati kar diya tha abhi…. Main ne mummy ko wo sab bata diya tha… mujhe mummy ko nahin batana chahiye tha, tab wo mujhe nahin rokti mera munh nahin dabaati, main achanak uss din aap ke saamne aajati aur papa ke saamne kehti ke haan mujhe aap Manzoor ho to papa kabhi inkaar nahin karta…..

Aap ne kayi baar uss khat mein kaha tha mujhe ke aap ko mera saath chahiye, mujhe wahan maujood hona chahiye, mujhko bhi baat karna chahite apne papa se, mujhe kehna chahiye ke haan main aap se pyar karti hoon…. Abhi MAIN NE WOHI NAHIN KIYA ABHI…..

Baaki main aap ko bata chuki hoon ke uss roz kia hua tha main kyun nahin nikal paayi thi……

Jab aap ko nikala gaya tha ghar se phir kia kiya tha main ne wo bata chuki hoon aap ko…..

Tab realise hua ke kho diya main ne aap ko, tab pata chala aur ehsaas hua aap ka pyar kitna keemti tha, tab samajh mein aya kia khoya hai main ne aur faisla kiya ke sabko sabak dekar rahungi, aur jo taakat mujh mein tab nahin thi jab aap yahan the wo taaqat tab aayi mujh mein inn sab ke saamna karne ki.

Main ek jwala ban chuki thi, mujhe rokne ko tab kissi mein himmat nahin thi, nah maa nah baap nah Mehboob nah Manoj. Main ne manoj ko kayi thapad mara tha yeh nahin bataya tha aap ko. Tabhi se uss se baat karna bandh kiya tha aur 5 saal baad usske shadi ke din uss se baad karna dobara shuru kiya tha wo bhi kabhi kabhi.

Aap ki dairy padh kar pata chala uss roz, 5th January ko ussi bus stop par aap ne apne tute hue dil se kaha tha ke kutte ki maut naseeb nah ho jaye ussko ussi jagah aur exactly wohi hua tha usske saath ussi jagah mara tha wo.

Maa aur Mehboob ko kia sazaa mili thi wo aap ko zubaani bataungi jab diary lene aoge tab.

Ek maze ki baat bata doon aap ko ke Amit aane wala tha mere nani, mama aur mamiyon ke saath mujhe dekhne April mein ussi saal jiss saal mein aap ko ghar sen ikala gaya tha…. sirf 3 mahine guzre the mere bawaal machaane ke baad aur sab darr rahe the mujhko batana ke wo aane wala hai…. Ek din pehle ek mama aya mujhko samjhane ke ussko receive kar liya jaaye… mujhe aap ka badla lena tha ghar walon se to main ne mama se kaha thik hai aane do Amit ko.

Wo aya bhi to kiss din Abhi? Aap ke birthday ke din aya wo mujhe dekhne aur haath maange uss se shaadi ke liye. 12th April tha, main aap ki yaad mein doobi thi jab nani, mama, aur do mamiyan aye hamare ghar, ussi jagah jahan se aap ko nikala gaya tha. sab ghar par the kyunke wo ane wala tha. papa wapas nahin gaye the tab tak ussi ke liye.

Abhi ussko main ne wo sunaya, wo haal kiya, aise aise galiyan diye ussko, bilkool jo aap ke saath kiya tha Manoj ne, Manoj ke saamne ussi tarah dhitkaar kar nikala unn sabko main ne ghar se….. nani aur mama mamiyan ko bhi sunaya aur kaha ke khabardaar phir kabhi mere liye kissi ko bhi iss dwar par laya to kutte ki tarah maar ke nikalungi…… Amit aisa gaya ke aaj tak usske baare mein khabar nahin mili,aur uss din ke baad main aaj tak nani ke ghar nahin gayi, marr bhi gayi wo bhi aur unn mein se ek mama bhi aur ek mami bhi…..

Here you go Abhi jo kehna tha keh diya aap ko, ab samajh mein nahin ata kia kehne ko bhooli hoon…. Jo miss kiya aap ko bataane ko wo aap puch lena jab miloge to bata dungi….

Mujhe pata hai wo din wapas nahin aane wale, weh pal nahin laut kar aane wale, buss aap dobara mile isske liye apni taqdeer ka shuriya ada karti hoon, yeh sab kehna tha aap se keh diya dil ka ek bojh halka hua, aap ko jo kehna tha, jo likha tha aap ne unn dinon wo mujh tak pahunchana tha wo aap ne bhi kar diya aap ka bhi bojh halka hua hoga.

Ab araam se mar sakungi marne ka time aega to, saare shikwe gile door hue umeed hai aap ko aur koyi shikaayat nahin rahega ab.baaki jo bhi kiya aap ke saath unn sab ke liye maafi maangti hoon, aap ke sacha pyar ko thukraya usski sazaa bhugat chuki hoon aur bhugat rahi bhi hoon, agar aap ne kahin mujhko bhi bad duah diye ho to wapas le lena please mujh par rehem karna Abhi bahot seh chuki hon aur nahin seh paungi.

Thank you very much for coming in my life and teaching me what is TRUE LOVE. I LEARNED THAT FROM YOU ONLY ABHI. AND THANK YOU FOR MAKING THOSE TWO AND A HALF MONTHS YOU WORKED HERE TO BE MEMORABLE FOR ME WHICH I WILL CHERISH ALL MY LIFE. WILL NEVER FORGET THOSE DAYS. I STILL REMEMBER EACH AND EVERY MOMENT AS YOU HAVE WRITTEN IN YOUR DIARIES…. I COPIED ALMOST ALL THOSE MOMENTS BACK IN A NEW COPYBOOK FROM YOUR DIARY TO KEEP FOR MYSELF. I LOVED YOU LATE BUT DID LOVE YOU VERY MUCH ABHI. MUCH LATER I REALISED HOW MUCH I HAD ALWAYS LOVED YOU. I KNOW ITS TOO LATE NOW. YOU LOVED ME FROM YOUR SOUL, YOU ONCE WROTE OUR SOULS WERE CONNECTED, YOU WERE RIGHT BUT I WAS WRONG NOT TO RECOGNISE MY OWN SOULT AT THE RIGHT TIME.

Signed:

Ruhi Nunhuck.

To be continued….
(6505 words from both updates)
in replies me ruhi ne apna dil nikal kr rakh diya hai shabd nhi hai hai mere pass inko appreciate karne ke liye
.jabardast update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 75 Abhi Meets Ruhi Again

Jiss din ko Abhi ko Ruhi ke ghar jaana tha ussne Navina ko bata diya ke wo Ruhi se mil chuka hai ussko diaries bhi de diya hai aur ab wapas lene jaa raha hai. Navina heyraan hui kyunke ussko bhi Ruhi se milna tha to Navina ne sawaal kiye ke kab mile kaise mile etc aur Abhi ne sab bataya jiss din ussko university nahin lene aya tha wahin se baat kiya tha aur tab Shweta se milne gaya tha uss se puchne ke kyun ussne nahin bataya ke wo Ruhi ko beti thi.

Matlab ab Navina ko bhi sab confirmation mil gayi ke Shweta Ruhi ki hi beti hai jaise ussne socha tha.

Navina ne Abhi se ek ajeeb baat kaha. Navina ne pehle Abhi ko baithne ko kaha kyunke ussko kuch important baat karni thi. Donon lounge mein sofe par baith aur Navina ne kaha,

“Aap ko Shweta se shaadi kar lena chahiye!”

Abhi chahunk kar khada ho gaya zor se “WHAT” kehte hue.

Navina ne ussko dobara baithne ko kaha, aur ussko samjhaya,

“Dekho, wo akeli hai, aap donon ke bich sexual relationship to ho hi rahe hein jisska mujhe koyi problem nahin, to shaadi hi kyun nahin kar lete? Main yeh Aruhi ke liye keh rahi hoon… wo badi hoti jaegi to sochegi ke tum kaise usske pita ho aur kyun do gharon mein rehte ho, inn sabka uss par ghalat assar ho sakta hai…. Shaadi kar loge Shweta se to kum se kum Aruhi ko itna to pata hoga ke usski papa ke do wives hein aur iss liye usski do mothers hein…. Haan shaadi kehne ko keh rahi hoon iss ghar mein laane ko nahin…. Usske liye alag ghar banwa lo, aur jab chaho wahan rehna jab chaho yahan! Jaise Aruhi inn do gharon mein pali badhegi ussi tarah tum bhi udhar idhar aate jaate rehna. Kabhi Aruhi ko mere paas rehne dena ekaat din aur tum Shweta ke yahan reh jana……”

Abhi ka yeh sab sunkar jaise dimaagh blank ho gaya. Ussko pata tha ke Shweta to bahot hi khush hogi agar uss se abhi ne shaadi kiya to….. magar abhi ab ruhi ke baare mein sochne laga tha aur Navina se kaha;

“Tum ek important chiz bilkool bhool gayi ho….. usske baare mein nahin socha tumne?!”

Navina heyraan hote hue pucha,

“what? Kia bhuli hoon?!”

Abhi: “Ruhi! Ussko nahin pata chalega ke main ne usski beti se shaadi kiya hai? Wo usski maa hai… aur wo meri premika THI!!”

Navina: “Abhi shukar hai tumhare aur Ruhi ke beech koyi sexual relationship nahin hua tha kabhi varna tumko Shweta se shaadi karna bilkool bhi allowed nahin hota, magar abhi ho sakta hai, moral values par bhi normal hai, legally bhi allowed hai…. Sunon ek kaam karo, mujhko kab Ruhi se milwaoge, kaha tha nah aap se ke kabhi uss se milo to mujhe milwana uss se? Ussko thanks Karna hai mujhe.”

Abhi: “Tum ne yeh shaadi wali baat kehkar mere dimaagh ko sun kar diya…. Dekho mera dil zoron se dhadakne laga hai…. Shweta to bahot khush hogi magar Ruhi kia sochegi…. Main to ussko yeh surprise dene wala hoon ke main ne Aruhi ko adopt kiya hai….. ab shaadi ki baat suni ussne to??!! Oh no, It’s not okay I feel!!”

Navina: “agar ussko pata hi nah chale to? Aur jab ussko pata chalega ke aap ne usske poti ko goad liya to ussko shak to hoga hi ke tum donon ke beech kuch zaroor hai…..!”

Abhi: “do you think so? Ussko shak hoga? Kaise?!”

Navina: “uss se kia kahoge ke kyun aap ne Aruhi ko Adopt kiya? Shweta kaise mili aap ko, kab se donon itne close hue ke Aruhi ko adopt bhi kar liya aap ne?!”

Abhi: “main yehi surprise to dunga nah Ruhi ko ke main pichle 7 saalon se Shweta se mil chuka hoon aur Aruhi ko bhi jaanta hoon ussko badhte hue dekha hai main ne…..”

Navina: “Tabhi Ruhi ko sab samajh mein ajaega Abhi, she is a woman who loved you nah? But where is she? She is not married? She must have her husband and kids nah?!”

Tab Abhi ne Ruhi ke baare mein sab kuch jitna jaanta tha bataya Navina ko. Ussko bahot afsos hua Ruhi ke baare mein jaan ke. Usske baad Navina ne ziada kuch nahin kaha buss itna kaha ke Shweta se ussko shadi karni hi chahiye.

Abhi chala gaya Ruhi se milne. Jaane se pehle phone karke bata diya Ruhi ko ke wo araha hai diaries lene. Ruhi ne Abhi ke taang khinchte hue kaha,

“Acha aap sirf diaries wapas lene aa rahe ho mujhse milne nahin?!”

Wahan pahunchne par kehne ki zaroorat nahin donon ke rona dhona phir shuru hua…. Abhi Ruhi ke jawaab padhte hue rone laga, aur Ruhi Abhi ko rote dekh kar rone lagi…. Ghanton baad donon chhup hue….

Abhi ne kaha,

“Bahot ro liye hum ne…. ab rona bandh… jitna jiss jiss ko jhelna tha jhel liye donon ne hai nah? Tum assal mein mujhse se ziada takliff mein rahi dekh sakta hoon samajh sakta hoon…. Tum akeli rahi, mujhe to Navina mil gayi mujhe sambhaalne ke liye, mera dekh bhaal karne ke liye, wo nahin aati meri zindagi mein to pata nahin main aaj kia hota….”

Ruhi ne kaha,

“Abhi jaise ek bojh utar gaya seene se nah? kia aap ko bhi weisa feel ho raha hai?”

Abhi: “Exactly yes!! Itne dinon se main khud se kehta raha ke kab yeh donon diaries tum tak pahuncha paunga, kab padhogi ke main tumse kitna pyar karta tha, kab tum sab samajh paogi…. Main marne se pehle tumko donon diaries dena hi dena chahta tha…. aur aaj ek sukoon feel hua sach mein…. Ek bojh utar gaya seene se yes you are right…. Yes true!”

Donon kuch der khamosh rah ek dusre ko dekhte hue aur Abhi ne pucha,

“Tum apni mummy aur Mehboob ke baare mein kuch kehne wali thi nah?”

Ruhi ne tab kaha,

“Hold me please Abhi”

Abhi ne turant Ruhi ko apne baahon mein bhar liya. Bahot kaske liya Ruhi ussne apne baahon mein, aur usske seene se lag kar Ruhi ne kaha,

“Itni mazbut baahein mili thi mujhe aur main ne innko thukraya, kitni bewakuf thi main Abhi? Kitne baar aap ne mujhe aise baahon mein liya tha phir bhi mujhe kyun tab pehchaan nahin hui thi ke yehi wo baahein hein jinn mein main apni umar guzaar sakti hoon, yehi wo baahein hein jo mujhe umar bhar araam de sakte the, yehi wo seena hai jiss par main zindagi bhar apna sar rakh kar araam haasil kar sakti thi, tab kyun mujhko isska ehsaas nahin hua tha Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke sar par haath ferrte hue jawaab diya,

“Yehi ghalati to kiya tha tumne nah, ke Amit aur wahan ke chaka chaund aur amiri ko socha tha aur upar se tumko tumhari maa aur Mehboob influence karte rehte the, issi liye tumne mujhko paa kar bhi kho diya…. Ghalati tumhari hai bhi aur nahin bhi… Uss waqt agar tumne mujhko sab bata diya hota to main pakka tumko convince kar leta, main tumhare iss bheje mein baat achchi tarah se daal deta ke hum donon ek dusre ke liye bane hein, hamaare rooh ek dusre se judh chuke the magar ussko alag tum ne kia Ruhi aur kissi ne nahin, tum wo bold decision nahin le paayi jab lena chahiye tha… tumne decision tab liya jab tumne dekha mujhko kaise zalil karke yahan se nikaala gaya… tab tumne decide kiya sabko sabak seekhaane ki…. Magar tab bhi tum mujhko approach kar sakti thi, mujhko ek khat likh deti main dauda chala aata tumhaare paas….

Main uss din yahan se jaane ke baad kayi mahinon tak tadapta raha tumhare liye, tabhi diaries ko likha apne daily diaries se inn par sab copy kiya aur Rahima ko dene aaya…… tab bhi tum agar chahti to mujhse mil sakti thi… tum uss din ghar mein hi thi nah? tumhare papa ne mujh se haath uthaya tha, shaayad wo samjha tha main tumhare liye aya hoon phir se….. mere chale jaane ke baad aayi thi tum diaries lene Rahima se, to jiss waqt main Rahima ke yahan tha tabhi kyun nahin nikli thi tum? Ussi waqt ussi taxi mein mere saath chali aati… tumne tab to sab se munh ferr hi liya tha nah? Manoj se baat nahin karti thi nah? ghar mein kuch nahin karti thi nah tab? Apni maa ko bhi sunaati rehti thi nah tab? To at least tab kyun nahin nikli thi tum Ruhi?!”

Ruhi rone lagi, aur rote hue Abhi ke seene se satt kar kaha,

“Main tab badal gayi thi, ghussa bhara hua tha mujh mein, uss din jab aap aaye the dunya mein aag laga dene ka mann kar raha tha mera, uss din main ne aap ke aane se pehle bahot bahot ghussa kiya tha ghar mein, plate tode the kitchen mein, thik taxi jab aangan mein aaye tab main apni kamre mein kuch kapdon main aag lagaya tha, sab jal rahe the aur mummy papa dhadpadaate aaye the paani daalne unn kapdon par, tabhi taxi ruki thi aur main ne jhanka tha baahar to aap ko dekh kar mere dil ke dhadkanen jaise ruk gaye the… main rone lagi thi, maa ne bhi aap ko Rahima ke ghar jaate hue dekha tha aur uss din mujhse kaha tha,

“jaa wo aya hai jaa chali jaa usske saath, bhaag ja usske saath tab tere kaleje mein thandak padegi”

Aur main ne maa ko jawaab yeh diya tha,

“kyun chali jaun? Main tujhko issi ghar mein rehkar teri kaal banungi, tujhko ahiste ahiste marna dekhna hai mujhe, tujhko dhire dhire saare chizon ka ehesaas dilana hai mujhe tum sab ko abhi aur bahot kuch jhelna hai, mujhe tum sabko bahot kuch dikhana hai abhi… main aur 50 saal iss ghar mein rehkar tadpaane wali hoon tum sab ko? Main kyun jaaun jab ussko aap sab ne beizat karke iss ghar se nikala tha aur main ne kuch nahin kiya tha, kiss munh se usske saamne jaungi main? Mujhe munh chhupana hai uss se, sharam aati hai mujhe ab usske saamne jaane ke liye kaise jaaun main usske saamne kiss munh se jaun usske saamne main?!”

Yeh sab sunke Abhi ne Ruhi ke maathe ko chuma aur Ruhi ne aur kaha,

“main jiss tarah se behave kar rahi thi unn dinon sab samajh rahe the mere upar koyi aatma agayi hai, Ojha ke paas le gaye the mujhe, phir doctor ke paas, doctor ne phsychiatric medecines diye the aur kaha tha ke agar aisi hi rahi to breakdown ho sakta hai paagal ho jaungi sach mein aur mental asylum mein bharrti hona padega…. Mujhko paagal ka tag de diya gaya tha iss ghar mein mere behaviour ki vajah se hihihihihi……. Yeh sab aap ke diaries dene ke 3 mahine baad hua tha….. aur jab doctor ne mujhse wo sab kaha tab main ne socha ke mujhko ab sambhlna chahiye aur control mein rehna chahiye….. ghar mein apne kone mein rehti thi, ek bhi kaam nahin karti, TV dekhti, books read karti aur apni room mein ghussi rehti…. Kayi saalon tak weisi hi rahi… maa baat karti to ussko ghusse mein jawaab deti aur kehti ke mujhse baat nah karen…. Sirf Mahesh se thik se baat karti aur kissi se bhi nahin… maa kapde dhone jaati aur bulaati to ussko gaali deti…. Sirf apne kapdon ko dhoti thi, aur kissi ki nahin, kitchen mein ek kaam bhi nahin karti thi, sab maa karti, main khaati thi hehehehe!! Bahot buri ban gayi thi main…. Saalon tak ghussa bhara hua tha mujh mein…”

“Aur normal kab hue tum?” Abhi ne pucha.

Ruhi: “NAHIN HUI!! UNN LOGON KE SAATH NORMAL HUI HI NAHIN MAIN, KHAAS KAR MAA KE SAATH TO AAJ TAK NAHIN HUI NORMAL…….. Manoj ke liye ladki dekhne gaye sab, main nahin gayi, Manoj binati karte thak gaya mujhe chalne ke liye magar pata hai main ne ussko kia jawaab diya tha? 5 saal baad uss se baat kiya tha uss din aur jawaab mein uss se kaha ‘kitna acha hoga ke tujhe bhi kutte ki tarah wo log ghar se laat maar kar nikaale jaise tumne Abhi ko nikala tha, main kyun jaungi? Kia tum ne mere Abhi ko accept kiya tha? jaise tu ladki dekhne ja raha hai wo bhi aya tha, tab tumne kia kiya tha?!”

Abhi: “kaash jiss din main aya tha tab tumne uss se wo sab kaha hota!!”

Ruhi: “Tab main bahot achchi, obedient beti thi iss ghar ki nah? aap ke jaane ke baad main sabki baap bani thi hehehehe, sab kuch aap ke badaulat hi hua, main strong bhi hui to aap ki vajah se…. meri life mein aap ne bahot changes laaye, positivity bhi laaye buss aap nahin mile mujhe!”

Abhi: “phir kia kehna tha tumhare mummy aur Mehboob ke baare mein?”

“Mummy ko breast cancer hui, papa S.Arabia se wapas aaye phir kabhi nahin gaye. 1994 ki baat hai. Manoj ki shaadi ho chuki thi, uss se ekaat baat kar leti thi, aur usski biwi se banti thi meri. usski biwi ko sab kuch bata diya tha khud manoj ne aap ke aur mere baare mein…. Baad mein Mahesh ki shaadi hui to ussne bhi meri aur aap ki kahani bata diye apni wife ko…. Donon bahuwon ko meri muhabat ki dastaan pata hai…. Iss liye bataaye donon bhaiyon ne kyunke weh sawaal karte nah ke ghar mein ek behen kyu baithi hai bina shaadi kiye…. To manoj ki wife ko bahot hamdardi hui mujhse sab jaan kar aap ke aur mere baare mein aur uss se achi dosti hui… maa ko breast cancer hua tab wo rote hue mujhse maafi maange main ne ussko maaf NAHIN KIYA AUR BAAT BHI NAHIN KI BUSS ITNA KAHA KE WO APNI SAZAA bhugat rahi hai bhagwaan ne ussko sazaa diya hai….

Usski breast ko operate kiya gaya, ek breast nikala gaya 2 mahine tak hospital mein rahi , main ek din bhi ussko dekhne nahin gayi…wapas aayi to roti rahi bed par main bilkool dekhne nahin gai ussko….. main ussko dusre kamre se sunaati yeh sab kehkar,

“paise ki bhooki kitna paisa feinka operation ke liye? Mere papa ke sab paise khaa gayi tu? Ek boob gaya hai aur bhi jaega tu maregi nahin jeeti rahegi magar tadapte hue jiyegi”….. main usski dushman bah gayi thi…. Aur usski cancer aaj tak thik nahin hua… saalon baad dusri boob mein bhi cancer feyla, fir se wohi daudna, chemo therapy, radio therapy… usska dard se tarapna… chillaana, saare baal jhad gaye the phir uge phir jhade….. uss din yahan aayi thi to aap ne notice nahi kiya kitni patli lakdi jaisi ho gayi hai? Thik se chal nahin paati hai… aaj bhi therapy baaki hai usski…kabhi mahinon bhar hospital mein rehti hai.. kissi waqt bhi tapak sakti hai….. usski yehi sazaa milna tha zinda rehna aur sehna…seh rahi hai aur mujhko chain aur sukoon aa raha hai…..”

Abhi ne Ruhi ka sar sehlaate hue kaha,

“chorro jaane do, tumhari maa hai maaf kardo… jaane do ab…. Just forget and forgo!”

Ruhi Abhi ke seene se alag hote hue kaha,

“NEVER ABHI, I WILL NEVER FORGET AND NEVER LET GO…. WO MARR BHI JAYE TO MUJHE KOYI DUKH NAHIN HOGA ABHI!”

Abhi: “Itni karwahat thik bhi nahin sweetheart….. ab bhool bhi jao nah!”

Ruhi: “25 Saal se main iss ghar mein baithi hoon bhool jaun? Aaj mere bache hote aap ke saath. Ek ghar hota, mera pati hota main kitni khush hoti wo sab bhool jaun? Sab kuch usski vajah se hua? Kabhi nahin bhoolungi main Abhi kabhi nahin!!”

Abhi chhup ho gaya….. phir pucha ke Mehboob ko kia hua.

Ruhi zor se hanssi aur kaha,

“hhahahaha kutte ho heart attack aya tha 2 Baar…. Hospitalize hua tha wo bhi… kumzor ho gaya… heart ka operation hua, wo bhi mujhse maafi mangne aya tha main ne maaf nahin kiya ro raha tha main ne kaha jitna Abhi ko aur mujhko rulaya hai uss se hazaar guna ziada tujhe bhi rona hai… usske dil ke andar ek koyi electronic apparatus hai varna wo kabhi bhi tapak sakta hai….. kabhi bhi farfaraane lagta hai sab ussko utha kar jaldi se hospital lejaate hein….. ek din hospital jaate hue hi marega wo kutta!!”

Abhi ko Ruhi ki wo ghussa, wo karwahat un donon ke liye samajh mein araha tha… aur ussne aur kuch nahin kaha Ruhi ko buss ussko aur zor se apne baahon mein bhar ke ussko chuma ussko cool karne ke liye.

Aur kuch der baad Ruhi ne kaha,

“Achah chorro yeh sab Abhi, aap ab mujhe yeh batao kaun sa surprise dene wale the aap mujhe?!

To be continued….
(2901 Words)
superb update
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 76 Abhi Tells Ruhi About Shweta

Aur kuch der baad Ruhi ne kaha,

“Achah chorro yeh sab Abhi, aap ab mujhe yeh batao kaun sa surprise dene wale the aap mujhe?!


Navina ki baat yaad karke Abhi sochne par majboor ho gaya ke Ruhi ko bataye ya nahin Shweta ke baare mein. Thoda sochne ke baad ussne socha bata hi dete hein jo hona hai wohi hoga, to Abhi ne Ruhi ke chehre mein muskurate hue dekha aur kaha,

“Tumko zaroor Khushi hogi jaan kar jo main tumko bataane jaa raha hoon, umeed hai ke naraaz nahin hogi tum ke last time aya tha tab kyun nahin bataya….”

Ruhi ne jab Abhi ko muskuraate hue dekha to kaha,

“jab se aaye ho pehli baar aap ko muskuraate hue dekh rahi hoon, jab yahan haam karte the to aap kitne khush dikha karte the, taras gayi thi aap ki muskurahat dekhne ke liye, bahot ro liye aap ne, ab muskurakar kuch kehne wale ho aap to zaroor Khushi ki baat hogi varna aap itne khush nahin dikhte, chaliye bataiye kia baat hai.”

Abhi ne Ruhi ko sofe par bithaya aur kaha,

“baat Shweta ki hai Ruhi!”

Ruhi ke chehre mein donon Khushi aur heyraani ke bhaav dikhe aur Abhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“Shweta? Kia aap uss se mile ho? koyi buri khabar to nahin nah?!”

Abhi ne halke se hansste hue kaha,

“Are bilkool bhi buri khabar nahin, thehro samjhata hoon tumhein….. main pichle 7 saalon se Shweta se milta aya hoon Ruhi…. Aruhi ko bhi bahot achi tarah se jaanta hoon aur wo bhi mujhe apna maanti hai, bahot pyar hai mujhe Aruhi se bhi….”

Ruhi ne badi badi aankhon se Abhi ko dekhte hue kaha,

“What? Aap mil chuke ho Shweta se? kab kaise? Main ek din soch rahi thi ke aap uss se to mil sakte ho agar mujhse nahin mile to, aap batao nah kaise wo mili ap ko? Kahan?”

Abhi ne Ruhi ke haathon ko apne donon haathon mein lekar, usski aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

“Ek din achaanak se mil gayi mujhe, main ne ussko pehchana hi nahin, 18 saal baad dekha tha usse. Main kaam ke silsiley mein university gaya tha aur kissi ne mujhe piche se phukara, main ne mudhke dekha to ek ladki mujhko muskuraate hue dekh rahi thi, main ne ussko nahin pehchana halaan ke surat thodi jaani pehchaani si lagi, to ussne kaha thehro aap ko phir se weise bulaati hoon jaise bachpan mein bulaati thi aur ussne kaha, ‘Abhiiiiiiiiiii’ to mere sharir kaamp uthe, mere aankhen bhar aaye yeh jaan kar ke wo Shweta hai…… apne baahon ko khol diya aur wo meri baahon mein agayi…… hum donon rone lage ek dusre se 18 saal baad mil kar…..”

Yeh sunkar Ruhi ke aankhen bhi bhar aaye aur rote aur hansste hue ek saath kaha,

“Kaisi thi wo? Aur ab kaisi hai? Mujhse to pichle 10 ya 12 saal se nahin mili, shadi kiya tha tab mujhe Mahesh legaya tha chachi ke ghar, tab dekhi thi ussko…. Wo to jab 18 ki thi thi aur pata chala tha ussko ke main usski janam dene wali maa hoon to aayi mujhse khub ladaayi kiye aur usske baad ek din bhi nahin aayi mujhse milne… kaha tha nah jaise main apni maa ko treat karti hoon waise hi meri beti bhi mujhko treat karti hai, meri taqdeer hi aisi hai, aur ho bhi kyun nah, main hi to nafrat karne lagi thi nah uss se bachpan mein aur ussko sab pata tha….. to ussko bahot thess pahuncha ke main usski real maa hokar uss se nafrat karti rahi to ussne nafrat ke badle mujhko nafrat hi diya wapas….. 2 saal shaadi ke baad suna ke ussne uss doctor se divorce le liya aur chachi ke ghar wapas chali gayi rehne, kaam karne wale ladkiyon ke saath yehi problem hai, paisa kamaane lagte hein to husband acha nahin lagta, freedom chahiye hote hein aaj kal ke ladkiyon ko….. akeli rehti hai aur Aruhi ko paal rahi hai, kamaati hai nah issi liye aisi hogi!”

Abhi: “Chalo tumko yeh sab pata to hai, main ne socha tumko khabar nahin mila hoga usska….. haan main usski divorce se ek saal ya kuch mahine pehle hi mila tha, Aruhi tab shayad 18 mahine ki thi aur tab Shweta shayad 24 ki thi… usske baad hum aksar milne lage the, Navina bhi ussko jaanti hai, aur Aruhi ko bhi….. Dar assal Shweta ek part time course follow kar rahi thi university mein aur Shweta Navina ki student bhi thi…. Ajeeb coincidence hai ke mere aur Navina donon ke taraf se Shweta se milan hue….. hai nah?!”

Ruhi kuch sochne lagi, khush dikh rahi thi, magar soch mein kuch der doobi rahi, tab kaha,

“Wo aap se bahot ziada pyar karti thi, ab bhi karti hogi hai nah? aap ne pichli baar nahin bataya mujhe jab main ne aap se Shweta ke baare mein kaha tha….. kia aap mujhse chhupana chahte the ke ap uss se mil chuke ho?!”

Abhi ne jawaab diya,

“Are nahin kyun chhupana chahta tha? Tum usske khilaaf bol rahi thi nah? iss liye main chhup raha aur tab mujhe kahan pata tha ke wo tumhari beti hai? Mujhko uss ne bhi bilkool 7 saalon mein ek baar bhi nahin bataya tha ke wo tumhari beti hai, iss liye mujhe jhatka laga tha jab tumne wo baat bataayi thi pichli baar… iss liye tumse tab kuch nahin kaha tha….. aur tumse milne ke baad main uss se mila usski ghalat faimi door kiya tumko lekar aur ab main ussko aur Aruhi ko lekar aunga tumse milwane yehi surprise dena hai tumko….. kaho kab laun yahan donon maa beti ko?!”

“Ruhi ke Khushi se aankhen bhar aaye aur pucha,

“Really wo aegi mujhse milne? Aruhi ke saath? Aap ke saath? Wo maan gayi aane ke liye aap ke saath? Chamatkaar ho gayi yeh to! Kaise manaaya aap ne ussko?! Thank you Abhi? Yeh kaise hua? Aap kaise aksar milne lage Abhi batao mujhe wo khush to hai nah? phir se kyun shaadi nahin ki? Aur kyun uss doctor se divorce le liya sab batao nah mujhe Abhi!”

Abhi: “arey mobile ka zamana hai nah jab hum mile to ussne mera number liya main ne usski aur social network par, whatsap par contact mein rahe to milte rahe nah….. iss mein kaun si badi baat hai aaj kal communicate karne ke liye kitne tarike hote hein nah…..”

Ruhi: “haan jab main aap ko jaanti thi tab kahan tha aise technology ke hum ek dusre se communicate kar sakte!! Waqt waqt ki baat hai nah Abhi”

Abhi: “tha comunictae karne ke tarike, tunme nahin communicate kiya tha, mera address tha tumhare paas, unn dinon hum letter writing se communicate karte the to tum agar chahti to mujhko likh sakti thi, tum ne communicate nahin kiya tha mujhe…. Phone lag gaye the nah ek saal hamare bicharne ke baad mujhko phone bhi kar sakti thi, kabhi directory mein mera naam nahin dekha tha kia? Zaroor dekha hoga tumne, main ne phone lagte hi sabse pehle tumhare papa ke naam ka phone number dhunda tha aur mila bhi tha 1987 ye 1988 mein… to tumko bhi mera number dikha hoga kyunke mere ghar ka phone mere hi naam par registered hua tha….!!!

Ruhi: “haan Abhi dekha tha, pata tha… magar haan sahi keh rahe ho main ne hi nahin communicate kiya tha aap ko you are right….”

Abhi ne tab Ruhi ke haathon ko apne haath mein zor se dabaate hue kaha,

“Tumhi kehti rehti ho nah ke Shweta mujhse bachpan se pyar karti thi, to socho jab mujhse mili to kitna khush hui hogi? Kitna acha laga hoga ussko? Ussne jaise ek khoya hua chiz paa liya itni khush thi wo aur mujhse baar baar milna chahti thi…. Haan uss doctor se usski nahin bani, uss se pyar hi nahin karti thi kehti thi mujhe, doctor usska khayal bilkool nahin rakhta tha aur nah bachi ka khayaal rakhta tha usske liye buss usska kaam aur usske patients, yehi usski priority hua karte the, to Shweta tang agayi…. Aur bina mujhe bataaye pata nahin kab divorce le liya, usske bahot mahine baad mujhko bataya ke ab wapas tumhare chachi ke ghar rehti hai, tab mujhe pata chala ke doctor ko chorr diya ussne…..”

Ruhi ghaur se sun rahi thi tab pucha,

“To phir se kyun shaadi nahin kiya ussne? Kitni khubsurat hai, kitni achchi hai, ussko to ladkon ke line lagte honge proposal ke!”

Abhi ka chehre laal hua aur kaha,

“Wo ab tumhi puchna uss se nah! mujhe kia pata kyun nahin ki shaadi ussne, buss itna kaha ke dobara wo experience nahin karna chahti!”

Ruhi ne tab pucha,

“Aur Aruhi, dekha nah mera naam apni beti ke naam ke saath joda hai ussne aur mujhse ladaayi karne aayi thi magar mera naam rakha apni beti ke naam ke saath hahahaha, kaisi dikhti hai Aruhi ab 7/8 saal ki ho gayi hogi nah? aap se banti hai usski aap ne kaha? Khubsurat hogi wo bhi nah? main ne usski bachpan dekha hi nahin aap ne dekha nah? kuch batao to Abhi!”

Abhi: “Bahot cute hai, weise hi jaise Shweta thi bachpan mein, bahot intelligent bhi hai… samajh lo mujhse ussko baap ka pyar mila, mujhe baap hi samajhti hai… bahot pyar karti hai mujhe aur main bhi behad chahta hoon ussko….Navina se bhi khub ghul mil gayi hai ati hai hamare yahan kabhi kabhi….”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein, usske aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

“Abhi aap ka koyi pichle janam ka Rishta hai mujhse kia? Aap meri family se kitna close ho jaate ho? meri beti se aur usski beti ke itna close ho gaye aur mujhse kitne door rahe? Aap ko kudrat ne bheja hai hamare liye kia Abhi? 25 saal pehle aap Shweta se mile the, wo aap se behad pyar karne lagi, jab aap mujhse door hue to wo aap ko miss karti thi, aap ke liye roti thi, jab badi hui to aap se shaadi tak karna chahti thi.... kaise aap ke saath close hui wo Abhi? Wo to aap se behad pyar karti thi, aap ko chahti thi jaise hum donon ek dusre ko chahte the!! Aap ko usski nazron mein pyar nahin dikha apne liye Abhi? Aap ko kabhi nahin laga ke wo aap ko chahti hai?.... wait wait wait…. Abhi ussne kahin aap ki khatir to doctor se divorce to nahin liya nah?! hmm?!”

Abhi hadbadaane laga tha ab…. Ussko dikh gaya ke Ruhi ko shak hone laga to baat ko rokne ke liye Abhi ne bus itna kaha,

“What are you talking now? Kaha nah kyun doctor ko chorra? Aur baaki jo bhi puchna hai tum ussi se puch lena bolo kal lekar aaun donon ko? Weise Navina bhi tumse milna chahti hai…ussko bhi saath lekar aunga, kia khayal hai? Thik rahega kal?!”

Ruhi ne bhare hue aankhon mein kaha,

“Anytime Abhi, any time.. tum buss lekar aao sabko main sab se milna chahti hoon, magar Abhi main nah lunch nah dinner bana paungi…. Inn donon waqt mein mat ana please….”

Abhi: “Are kyun fikar karti ho, inn sab ke liye koyi fikar nahin, tumko bhi lechalunga kabhi apne ghar aur wahan sab lunch ya dinner karenge…. Aur mera yakeen karo ek din tum khud dinner ya lunch paka kar hum sab ko khilaogi!”

Ruhi: “Wo kaise Abhi? I can’t even stand!”

Abhi: “Why? Do you think from the wheelchair you will not be able to cook? You very well can do that…. Just someone must be there to help you or assist you…. Weise hua kia hai tumko? What is your health problem? Kyun nahin chal paati ya khada nahin ho paati ho? wo batao mujhe ab!”

Ruhi: “shuru ek sciatica issue se hua tha , baad mein pata chala spinal issues hein, bahot saare doctaron ke paas gayi, bahot ilaaj karwaya, it remais the same, rather it became worse… main ek laathi se chal paati thi pichle 5 saalon se ab wo bhi nahin kar paati… kamar mein taaqat hi nahin body ko sambhalne ke liye!”

Abhi: “Sirf medical ke taraf checkup karwaya? Ayurvedic massage ya medication kiya kabhi?!

Ruhi: Ayurvedic? No. never, sirf hospital aur physiotherapy kiya kayi saalon tak….”

Abhi: “Okay I will try something to help you I bet ke tum wapas khada ho paogi aur chalogi bhi…. Dekh lena!!”

To be continued……………
(2105 words)
jabardast update
 
Top