- 5,987
- 18,029
- 174
Last edited:
Update 113
The Hell is heaven
Recap: In the previous update humne padha tha Nithya, Arjun ko apna humsafar banane mein safal rahi thi, Sara aur Shivangi ko apni maa Seetha mil gayi thi jahan dono ko ye pata chala tha ki sabhi ke pichhe Manikchand aur uska bhai Motichand tha. Kajal aur Arjun ne Seetha se kaha tha ki dono uske pati Vikram ke bare mein aage pata kar lenge.
Now Next: >>>
Seetha: Arjun beta dhyan se Manikchand apne fayde aur jeet ke liye kuchh() bhi kar sakta hai, wo apni jeet aur khushi ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai.
Arjun: Ha nani main apna khayal rakhunga aap chinta na karen.
Raveena: Nithya jao Kajal aur Sara ke liye bhojan garm kar yahan le aao.
“Ji, ji abhi layi sasu maa”.
“Ye, ye aapko sasu maa kyon bol rahi hai didi, Kajal ne hairan hote huye Raveena se puchh liya??”
“Kyunki ye aapki bahu ban chuki hai hai Kajal ji, Shivangi ne Kajal ki baat ka jawab diya, ha par kaise huye ye apne bete Arjun se puchh lena.”
Kajal: Hmmm! Okay!
[[Some Moments Later]]
Jab Kajal aur Sara ne bhojan kar liya toh Kajal ke phone ki ghanti baji. Kajal ne phone apne purse se nikal kar dekha toh Rashmika ki call hai.
Kajal: Hello Rashmika.
Rashmika: Didi ek bad news hai.
Kajal: Kya hua Rashmika??
Rashmika: Raghav ka phone number kal evening se switch off aa raha hai, lagta hai usne apna sim card aur mobile dono destroy kar diya hai aur kuchh bada plan kar raha hai hamare khilaaf, lagta hai humne Raghav ko bina punishment ke chhod kar galti kar di hai.
Kajal: Okay! Tum Shruti ki help le lo, samajh rahi ho na what I want to tell.
Rashmika: Yeah, got it. Bye.
[[Call Disconnected]]
Arjun: Kya hua chachi koi pareshani hai kya??
Kajal: Lagta hai Raghav ka dimag thikane nahi laga hai, okay hum es bare mein baad mein baat karte hain pahle Manikchand ke bare() mein baat karte hain.
Arjun: Sabse pahla sawal Manikchand ne dadaji ki hatya kyun karai, jab dono families ke bich achha() rishta hai???
Kajal: Sabse pehli baat tumhare dadaji ki maut ko 28 years ho gaya tha jab Akhil sirf 2 years ka tha.
Kriti: Ek aur baat aaj se lagbhag 28 years pahle Manikchand state Karnataka ke CM tha.
Arjun: Yeah, right par usne sirf dadaji ki hatya CM banne ke liye nahi karai hai.
Kajal: Aisa tum kaise bol sakte ho jabki Manikchand ki bahu Kalpana ke according usne tumhare dadaji ki hatya CM banne ke liye kiya tha??
Arjun: Nahi chachi yadi aisa hota toh wo abhi dad ko CM banne ke liye help nahi karta balki dad ko bhi jaan se marne ki koshish karta, jabki dad ke according wo dad ki political party ko ek bahut badi fund deta hai election mein.
Nithya: Lekin sawal ye hai ki wo fund kyon deta hai abhi bhi jab usne polity ko hi *chhod() diya hai???
Kajal: Good question.
Kriti: Ye koi tab kar sakta hai jab use kuchh indirectly profit ho.
Arjun: Right mam par kya profit mil raha hai Manikchand ko??
Kajal: Maybe ki wo koi illegal business run kar raha ho aur winning party ka supporter hone ke karan use koi indirect profit mil raha ho jisse Manikchand apne illegal business ko run kar pa raha ho.
Arjun: Yes right chachi par what???
Kriti: Phir sabse pahle Manikchand ke businesses bare mein *janna’ padega wo kya kar raha hai hai.
Arjun: Is kaam mein 3 log hamari help kar sakte hain. Pahla Rashmika mausi, dusra Ranjith bhaiya aur tisra Kalpana aunty.
Kajal: Right! Phir tum Kalpana Ji se Manikchand ke businesses ke bare mein pata karo, main Rashmika aur Ranjith ko apni taraf se pata karne ke liye bol deti hoon.
Arjun: Okay chachi!
***
_______
Saturday
Amika Home
Time - 3: 17pm||
Jab se Anu ko pata chala tha ki uske husband Priyanshu wapas India laut raha hai tab se Anu ka chehra kisi murjhaya hua rose ki tarah ho gaya tha, har pal wo ye sochti rehti thi ki kya wo Priyanshu ke apne karib aane se rok payegi yadi yes toh kaise.
Anu kai dino se apne es sawal ka jawab khoj rahi thi par use koi rasta nahi mil raha tha ki woh kaise Priyanshu ko khud ke karib aane se roke aur abhi bhi Anu apne kamre mein apne bed par baithi thi aur yahi soch rahi thi.
Twinkle ne kai dino se Anu ka utra hua face dekha tha, Twinkle ne kai baar apne bahu ko kuch sochte huye dekha tha aur wo ab apna mann bana kar Anu ke kamre ki aur chal padi.
Twinkle, Anu ke kamre mein enter hui toh usne paya ki Anu kuchh' soch rahi hai. Anu apne soch mein itna gum thi ki use apni sasu maa ke room mein enter hona pata hi nahi chala. Anu ki soch mein badha tab aayi jab use apne ear mein apni saas Twinkle ki baat sunai padi.
Twinkle: Kya soch rahi ho Anu beti, main dekh rahi hoon ki tum kuch dino se udas rehti ho aur kuch sochti rehti ho??
Anu(Stammering): K- kuchh nahi maa ji.
Twinkle: Phir tum kis khayal mein khoyi huyi thi ki tumhe mere aane ka pata hi nahi chala??
Anu: Wo maa ji, main soch rahi thi ki Arjun aaj apne mom ke paas chala gaya hai toh aaj evening mein training lene mein maja nahi aayega, Arjun aas paas rahta hai toh training mein jyada mann laga rahta hai.
Twinkle: Achha kahin meri bahu ko apne hi saviour se pyar toh nahi ho gaya hai??
Arjun: Nahi mom par ha() Arjun mere liye sabse special hai, Arjun ki jagah koi nahi le sakta hai.
Twinkle: Hmmm, okay. Par tum ye batao tum kuchh() dino se udas-udas kyun rehti ho jab se tumne suna hai ki Priyanshu wapas India aa raha hai?? Arey apne husband ke wapas aane se sabhi khush hote hain aur tum dukhi ho rahi ho, kahin apni first night ki soch soch kar ghabrahat toh nahi feel kar rahi ho??
Anu: Aisi koi baat nahi hai maa, main bilkul theek hoon aur khush hoon.
Twinkle: Phir ek good news hai tumhare liye.
Anu: Kya good news hai mom??
Twinkle: Priyanshu kuchh() hi der mein ghar par hoga *smiles*.
*Badamp*
[Anu ki bechaini badhne lagi, mathe par pasine ki bunde aane lagi, heart beat fast chalne lagi. Ek hi sath Anu ke mind mein itne sare bhav aane laga ki use kuchh samajh hi nahi aane laga ki uska mind kya soch raha hai.]
[Oh no! Abhi Arjun bhi nahi hai aur Amika bhi nahi hai jisse main koi baat kar sakun, Anu ne mann hi mann socha.]
Twinkle: Kya hua Anu tum theek toh ho na??
Anu(Stammering): Ha, ha, ha, main-main bil- bilkul theek hoon.
Twinkle: Why are you shivering then??
(Tum itni kaanp kyon rahi ho jaise tumhe thand lag rahi hai??)
Anu aage kuchh bol pati ki usse pahle hi Amika room mein enter ho gayi jisse Anu ne rahat ki saans li aur mann hi mann Amika ko dhanyawad di.
Amika: Mom aap thoda bahar jaye mujhe bhabhi se kuchh akele mein important baat karni hai.
Twinkle: Hmmm! Theek hai.
(Twinkle, Anu ke kamre se bahar nikal kar apne kamre mein chali gayi.)
Anu: Mujhe bahut darr lag raha hai Amika aaj tumhare bhaiya aa rahe hain, mujhe bacha lo Amika.
Amika: Aap pehle khud ko normal kijiye bhabhi dekho toh kaise aap kaanp rahi hai aur mathe se pasina nikal raha hai.
Anu: Wo sab chhodo Amika mujhe koi idea do main kaise tumhare bhai ko rok paungi apne kareeb aane se.
Amika: Aap apne mom ke paas chali jao jab tak bhaiya yahan rahenge.
Anu: Nahi, nahi koi aur idea do ye nahi chalega isse tumhari maa ko bura lagega yadi main apni mom ke paas gayi toh.
Amika: Phir ek hi solution hai bhabhi.
Anu: Kya??
Amika: Tum bol dena ki tumhara menstrual cycle chal raha hai isse aap easily seven(7) days tak bhaiya ko rok payengi.
Anu: Phir uske baad.
Amika: Uske baad main koi aur idea soch lungi bass tab tak aap khud ko shant rakhiye okay.
Anu: Okay and thanks.
*Ding dong*
[Abhi ye dono baat kar hi rahe the ki Amika ke ghar ka doorbell baja.]
Oh no! Lagta hai tumhare bhaiya aa gaye Amika, ab tum hi mujhe bacha sakti ho.
“Bhabhi, bhabhi, bhabhi relax main sab kuchh handle kar lungi aur jo maine aapse kaha hai bas us par focus kijiye.”
Anu: Pakka na??
Amika: Ha ha god promise, trust me, I will take care of everything. Chaliye bahar jakar door kholte hain.
Jab tak Anu aur Amika door kholti tab tak Twinkle door khol() chuki thi.
Amika, Twinkle aur Anu teeno ki najar apne samne khadi Priyanshu, Priyanshi aur Priya par gaya.
(Anu, Amika aur Twinkle teeno hi Priya ki khubsurti mein kho gayi. Teeno hi Priya ko aise dekhne lage jaise wo teeno() kisi ke sammohan mein ho aur Priya teeno ko hi apne chhote chhote aankhon se smile karte huye dekh rahi thi.)
“Kya hua aap sab ko aise kyun dekh rahi hain??”
(Teeno ke kaan mein Priyanshu ki aawaz aayi jisse teeno apne hosh mein aa gaye.)
Priyanshi ne Twinkle ko jhuk kar pranam kiya, pranam maa.
“Sada khush raho beti, Twinkle ne Priyanshi ko ashirwad diya, jabki wo ab bhi Priya ko hi dekh rahi thi.”
(Twinkle ke muh se khud hi nikal gaya.)
Priyanshu: Maa andar aane dogi ya bahar hi rakhne ka mann hai hum logo ko??
Twinkle: Get inside.
***
[Some Moments Later]
Sabhi andar aakar hall mein hi baith gaye.
Twinkle: Ye dono kaun hai Priyanshu beta??
Priyanshu: Mom ye aapki bahu Priyanshi aur ye aapki granddaughter Priya hai.
(Priyanshu ne jab se airport par apna kadam rakha tha uske mann mein sirf yahi chal raha tha jitna jaldi ho sake wo sabhi ko Priya aur Priyanshi ke bare mein sab sach sach bata dega.)
[Jaise hi teeno ko Priyanshu ki baat samajh aayi Twinkle ke chehre par gusse ka bhav aa gaya, jabki Anu aur Amika ke face chamak utha jo ab tak murjhaya hua tha.]
(Wahin Priyanshu aur Priyanshi, Twinkle ke face dekh kar unke mann mein darr ka janm hone laga toh wahin “Priya* ke face par ab bhi smile barkrar thi jo pahle thi.)
Twinkle: Ye! Ye! Ye tumne kya kar diya Priyanshu, tumhare patni ke hote huye tumne dusri shadi kar li, tum bhi apne pita ke hi jaise nikle. Tum dono mein koi bhi difference nahi hai. Yadi tumne shadi kar hi liya tha toh tumhe bhi apne papa ki tarah yahan aane ki koi jarurat nahi thi. Nikal jao es ghar se hum sabko tumhari koi jarurat nahi hai. Jaise tumhare papa ne meri life ko hell bana kar rakh diya hai usi tarah tumne bhi Anu ki life hell(nark) bana diya.
Priyanshu: Mom ek baar mujhe explain karne ka mauka toh do, main aapko sab sach sach batata hoon??
Twinkle: I said get out of here. Mujhe tumhari ab koi jarurat nahi hai, mujhe tumhari koi bhi argument nahi sunna hai.
*Dadi maa*
[Sabhi ke kaan mein Priya ki pyari si sound sunai diya.]
(Jo Twinkle kuchh der pahle Priya ki khubsurti mein khoyi huyi thi wahi Twinkle ke face par ab Priya ke liye koi pyar nahi dikh raha tha.)
“Nahi hoon main tumhari dadi maa, Twinkle ne jor se gusse bhare swar mein Priya se kaha.”
[Yadi Priya ki jagah koi aur ladki hoti toh Twinkle ki gusse bhari aawaz se darr jati’ par Priya ab bhi smile kar rahi thi.]
*Hehehe*
Priya: Ek baar mujhe chhoti maa se akele mein baat karne dijiye phir aapko jo karna hai kar lena dadi maa, aapko koi bhi kuchh nahi kahega I promise, *smiles*.
(Anu apne liye chhoti maa sunkar Anu ko aisa laga jaise wo sach mein hi Priya ki maa ho, maa shabd ne Anu ke dil mein jo dukh, darr aur peeda tha sab ek sath hi dur ho gaya.)
“Chalo mere kamre mein.”
[Anu ke muh se khud hi nikal gaya aur Anu, Priya ka hath pakad kar apne kamre ki aur badh gayi.]
_____
_______
Anu Room
Some Moments Later
Anu aur Priya dono Anu ke bed par baithi thi. Anu ab bhi Priya ko aise dekh rahi thi jaise wo sach mein hi Priya ki maa ho.
Priya: Chhoti maa aap khush ho na?? Aap jo chahti thi wo ho gaya, ab aap ka Arjun hamesha hamesha ke liye aap ka ho gaya.
Anu: Kya matlab hai tumhara main kuchh samjhi nahi aur tum Arjun ko kaise janti ho??
*Hehehe*
Priya(Smiles): Main Arjun ko utna janti hoon jitna abhi wo khud ke bare mein bhi nahi janta hai ya phir aap aisa bol sakti hain ki Arjun ko mujhse jyada koi bhi nahi janta hai, koi bhi nahi.
Anu(Shocked): What??? How can it be possible??
Priya: I will give you an answer to this question later, before that you give me an answer to one question.
Anu: What is your question??
Priya: Aap mujhe dekh kar kya feel karti hain chhoti maa??
Anu: Hmmmm! Tumhe dekh kar aisa lagta hai jaise main tumhe janti hoon.
Priya: Kya hum kabhi pahle mile hain??
Anu: Nope.
(Anu ne disagreement mein apna head hila diya.)
Priya: Phir aapko aisa kyon feel hua ki aap mujhe janti hain??
Anu: I don't know par mera dil keh raha hai ki tumhara mujhse koi deep connection hai.
Priya: No worries. Ab main aapke sawal ka jawab de deti hoon ki main Arjun ke bare mein kaise sabse jyada janti hoon.
Anu: Ha, ha batao batao main bhi apne saviour ke bare mein janne ke liye bahut hi excited hoon.
Priya: Look into my eyes.
[(Anu, Priya ki aankhon mein dekhne lagi.)]
Priya: Kya dikh raha hai aapko meri aankhon mein chhoti maa??
Anu: Ek bahut hi sundar jheel ke kinare char(4) log baithe hain.
Priya: Kaun kaun hai wo charo jara dhyan se dekhiye aur bataiye??
Anu: Wo charo Arjun, Rohan, Rashi aur ek ladki hai jise main nahi janti hoon.
*What the hell*
Ye kya hai, ye sab tumhari aankhon mein mujhe kyon dikh raha hai, kaun, kaun ho tum??
[Anu ne darr se apni nazar Priya ki aankhon se hata liya.]
Priya: Ek sath itne sare sawal chhoti maa. Sabse pahle aap darna band kar dijiye. Maine aapko apni chhoti maa kaha hai aur koi bhi beti apni maa ko koi bhi hurt nahi karti hai.
Anu: Hmmm. Theek hai par mujhe ye batao kaun ho tum aur ye sab mujhe tumhari aankhon mein kyon dikh raha hai??
(Anu ne khud ko thoda sa shant karte huye ek baar phir se wahi sawal puchh liya.)
Priya: Chhoti maa main aapko simple way mein explain karti hoon. Main aapki sabhi problem ka solution hoon. Meri wajah se aap hamesha hamesha ke liye apne saviour Arjun ki ban kar reh paogi. Arjun ke bina mera koi existence nahi hai aur mere bina Arjun ek comman man hai, yadi main Arjun ke sath hoon toh Arjun se jyada intelligent, handsome aur powerful koi nahi hai. Yadi main Arjun ke sath hoon toh wo sabhi ka king hai aur meri bhi aur yadi main Arjun ke sath nahi toh wo sirf ek comman man hai jaise abhi hai.
Anu: Ye tum kya bol rahi ho mujhe kuchh() samajh nahi aa raha hai, Priya??
Priya: Aap ye samajh lijiye aapne abhi jo meri aankhon mein dekha tha wo Plutonium planet ka scene tha, jahan ka king Arjun hai par kisi karan vash wo planet earth pa aa gaya hai. Planet earth par aane se pahle usne apni shabbi powers ko khud se alag kar diya tha, main Arjun ki wahi energy hoon *jisse’ Arjun ko power milti hai.
Anu: Believe karna kathin hai par mere paas believe karne ke alawa koi option nahi hai.
Priya: Good. Ab Arjun aapka hamesha hamesha ke liye ho chuka hai, ab aapko Amika bua ke sath mil kar koi bhi plan banane ki koi jarurat nahi hai *smiles*. Aap samajh rahi hain na main aapko kya hint dena chahti ho??
“Ahhhhh! Tumne toh meri sabhi problem ko ek sath solve kar diya Priya, tum meri life mein ek angel ki tarah aayi ho.”
[Anu ne Priya ko apne gale se laga liya, ahhhh Anu ko aisa feel hua jaise Anu ne Arjun ko hi gale laga liya ho.]
*Tap* *tap* *tap*
[Anu ki aankhon se aansu ki dhara nikal padi.]
Priya: Ab khud ko shant kijiye chhoti maa, ab aapki mann ki sabhi uljhan dur ho chuki hai aur meri mom aur dad ko maaf kar dijiye dono ki koi galti nahi hai. Paristhithi ne dono ko ek kar diya jaise paristhiti ne hi aaj aapko hamesha hamesha ke liye Arjun ka bana diya hai.
[Priya ne Anu ki aankhon se beh rahe aansu saaf karte huye kaha.]
Anu: Hmmm.
Priya: Bahar chale phir chhoti maa. Waise mujhe mere Arjun se mila dijiye.
Anu: Ha chalte hain par tum abhi Arjun se nahi mil sakti ho, lekin ek sawal mere mann mein aa raha hai.
Priya: *Puchh’ lijiye chhoti maa main aapki prashn se anbhigya nahi hoon phir bhi puch lijiye.
Anu: Jab tum mere aur Arjun ke bare mein sab kuchh() janti ho, mere aur Amika* ki baat janti ho phir Arjun ke bare mein tumhe kaise pata nahi hai ki wo kahan hai??
Priya: Kyonki main Arjun se directly hi milna chahti hoon isliye maine 2 days se Arjun kahan hai aur kya kar raha hai maine koi dhyan nahi diya hai.
Anu: Okay! Got it. Wait ke baad direct milne se tumhe jyada khushi hogi. Ab bahar chale.
Priya: Ha par mera ye secret raaz hi rahe jab sahi samay aayega, main khud hi sabhi ko batati rahungi.
Anu: Okay! Aur koi baat??
Priya: Nahi.
***
_______
_________
Anu aur Priya sabhi ke paas wapas aa gaye.
Anu: Mom.
Twinkle: Yes.
Anu: Mom, aap apne bete par believe kijiye usne koi galti nahi kiya hai ye main feel kar pa rahi hoon. Aap Priyanshu aur Priyanshi ko maaf kar dijiye.
Twinkle: Tum ye kya bol rahi ho Anu beti *isne’ tumhari life *hell* bana kar rakh di hai aur tum dono ki side le rahi ho, dono ko maaf karne ke liye bol rahi ho kyun, ye bhi apne baap ke hi jaisa nikla???
Anu: Aap dono ko ek baar apni baat rakhne ka mauka toh dijiye maa ji kya pata aap ka vichar badal jaye, hum kisi ko aise hi dosh nahi de sakte hain jab tak wo galat prove nahi ho jata hai, sabhi ko ek chance milni chahiye apni baat rakhne ka.
Twinkle: Okay! Par agar ye dono khud ko sahi prove karne mein safal nahi huye toh dono ko ghar chhod kar jana hoga hamesha hamesha ke liye.
Priyanshu: Amika tum Priya ko lekar andar kamre mein jao.
(Amika apne bhai ki baat nahi manna chahti thi par Anu ka ishara pakar Priya ka hath pakad kar apne kamre ki aur badh chali.)
___
______
Twinkle: Ab bolo kya baat hai??
Priyanshu: Mom Priya kuchh() saal pahle America apne mom aur dad ke sath ghumne ke liye aayi thi, accident mein iske mata pita ki maut ho gayi. Priya ko maine rote huye lachar awastha mein paya tha ye bilkul tuti huyi akeli thi, isliye maine ise apne paas rakh liya tha. Hum dono ‘kab* kareeb aa gaye hume pata hi nahi chala. Main India aaya hua tha aur aapne meri shadi fix kar di thi aur main aapko mana nahi kar paya. Pahle hi dad aapko chhod kar chale gaye the aur agar maine shadi se aapko mana kiya hota toh ek baar phir se aapka dil tut jata. Main wapas America jakar Priyanshi ko samjha deta ki meri shadi ho gayi hai par suhagraat wale din hi isne khabar di ki isne* ek girl ko janm diya hai, main apni beti Priya ke pyar mein sab kuch bhul gaya aur Anu aur aap sabhi ke sath injustice karta gaya. Ho sake toh hum dono ko maaf kar dijiye maa.
Priyanshi(sniff): Ha maa ji inka koi dosh nahi hai sara dosh mera hi hai jo maine aapke bete ko aap sabhi se dur kar diya, hic* hic* I am sorry.
Anu: Ha maa ji dono ko maaf kar dijiye aur apni granddaughter Priya ko dekhiye aap bhi uske pyar mein sab kuchh bhul jayengi, pata nahi uske pyar mein kya jadu hai usse baat kar hi meri sab tension dur ho gayi jo main itne dino se pareshan thi.
Twinkle: Main dono ko maaf kar bhi doon par main tumhare maa aur baap ko kya jawab dungi ki mere bete ne ek biwi ke hote huye dusri shadi kar li, ye galat hai Anu main dono ko maaf nahi kar sakti hoon??
Priyanshi(sniff): Koi baat nahi maa ji hum dono aap se yahi expect() kar rahe the ki aap hum dono ko kabhi bhi maaf nahi karenge, *sniff* hum dono sirf ek koshish karna chahte the. Jab ye job par chale jate the toh main aur Priya room mein akele hote the, socha aapke paas aane par aap hume maaf kar denge, *crying*.
Anu: Mom dono ko maaf kar dijiye mere liye please, main apne ghar walon se baat kar lungi, phir aap ye kaise bhul gayi ki hum sabke pyare Arjun ne bhi 2 shadi kiya hai.
Priyanshi: Ye Arjun kaun hai?? Kya ye wahi Arjun hai jisse meri beti Priya milna chahti hai, pata hai maa ji ek baccha sabse pahle *maa* shabd bolta hai par meri beti Priya ne sabse pahla *shabd* Arjun bola tha, pata nahi meri beti Priya ka kya rishta hai Arjun se???
Anu: Ye sahi bol rahi hai maa dono ko maaf kar dijiye aur dono ko ek chance dijiye, mujhe aapke bete se koi shikayat nahi hai.
Twinkle: Yadi tumhare ghar walon ko koi problem nahi hogi tabhi main dono ko maaf karungi.
Anu: Thik hai maa ji main apne ghar par sabhi se baat kar lungi tab tak dono ko maaf kar dijiye.
Twinkle: Okay. Main sirf tumhare liye dono ko maaf kar rahi hoon.
Priyanshu: Mujhe maaf kar do Anu main tumhara doshi hoon, tum mujhe jo saja dogi mujhe manjur hai.
Anu: Koi baat nahi mujhe aapse koi shikayat nahi hai par ha main aapse kuchh() baat karna chahti hoon.
Priyanshu: Okay. Bolo??
Anu: Private baat.
_____
Priyanshu: Bolo kya baat hai Anu??
Anu: Hum dono ke bich kabhi bhi physical relationship nahi hoga, Priya hi meri beti hogi usne mujhe *chhoti’ maa kaha hai, main Priya ko ek maa ka pyar dungi.
Priyanshu: Ha koi baat nahi mujhe sweekar hai. I promise ki main kabhi bhi tumse koi shikayat nahi karunga aur mere liye bhi achha hai ki main kisi ek ke sath *loyal* reh paunga.
[Anu ke face par smile aa gayi, usne Arjun se jo kaha tha woh sach ho gayi ab wo apne saviour Arjun ki hamesha hamesha ke liye ho chuki thi.]
Anu: Okay! Main Amika aur mom se baat kar lungi aap nischint rahe.
Priyanshu: Thank you! Thank you very much Anu, tum kisi devi ki tarah ho jisne mujhe itni easily maaf kar diya.
Anu: It's okay aur ‘ha, hamare bich jo baat huyi hai aap apni wife ko bata sakte hain isse use bhi achha lagega.
Priyanshu: Okay and once again thanks.
Anu: Chaliye koi baat nahi ye sabhi cheeze life ka part hai.
___
Anu: Mom dono ko maaf kar dijiye, galti sabse hoti hai par dono ne apni galti ko sweekar kiya hai ye inke mann ki pavitrata(purity) ko dikha raha hai.
Twinkle: Okay.
(Twinkle ne khada hokar apni dono bahen phaila di, Twinkle ka ishara pakar Priyanshu aur Priyanshi dono Twinkle ke gale lag gaye.)
“Kya main aapko maa bula sakti hoon– Priyanshi ne Twinkle se alag hote huye kaha.”
Twinkle: Ha par tum mere sath reh paogi ya nahi ye Anu ki parivar ke decision par depend karta hai.
Priyanshi: Okay koi baat nahi.
_____
________
Raat ke dinner ke baad Priyanshu aur Priyanshi ek kamre mein so gaye, Amika apni mom Twinkle ke sath soyi hui thi, jabki Priya aur Anu ek kamre mein so rahi thi.
[(Anu Room)]
Anu: Priya.
Priya: Ha chhoti maa.
Anu: Wo ladki kaun hai jo Arjun, Rashi aur Rohan ke sath thi jise maine tumhari aankhon mein dekha tha??
Priya: Aapko kya lagta hai chhoti maa??
Anu: Pata nahi par uske face ke chamak mein bahut tez tha.
Priya: Chaliye aapko ek hint deti hoon chhoti maa wo ladki kaun hai.
Anu: Ok batao??
Priya: Wo ladki wahi hai jiske karan Arjun ke life mein sab kuchh ho raha hai, wo ladki wahi hai jiske karan Arjun *cyanide* poison khakar bhi jeevit bach gaya, wo ladki wahi hai jiske karan Arjun itni achhi fight kar sakta hai, wo ladki wahi hai jo Arjun ke bare mein sabse jyada janti hai, wo ladki wahi hai jisse sundar koi ladki nahi hai, wo ladki wahi hai jisse Arjun aur aap sabhi ek baar dekhna chahti hain.
Anu: Bas bas main sab kuchh samajh gayi.
Priya: Okay.
Anu: Lekin tumne mujhse kuchh der pahle kaha tha ki tum Arjun ko sabse jyada janti ho phir wo ladki Arjun ke bare mein sabse jyada kaise janti hai??
Priya: Ha dono baten sach hai chhoti maa.
Anu: How can it be possible??
Priya: Aap aise samajh lijiye chhoti maa, wo ladki aur Arjun ek dusre ko pura karte hain aur main Arjun ki energy hoon.
Anu: Okay! Uska kya naam hai aur maine jo scenery tumhari aankhon mein dekha tha wo kya hai, Rohan aur Rashi dono kya kar rahe the scene mein??
Priya: Wo planet Plutonium ka scene hai aur aap bhi Plutonium ki ek member ho jo Arjun se beintehaa pyar karti hai. Rahi baat Rohan aur Rashi ki toh aap itna samajh lijiye Rohan, Rashi, Arjun aur wo ladki charo janam janam ke friends hain.
Anu: Yeah! Main Arjun se beintehaa pyar karne lagi hoon aur tumhara sath hona aisa lagta hai jaise main Arjun ke sath hi so rahi hoon.
Priya: Aur koi sawal aapke mann mein aa raha hai toh puchh lijiye.
Anu: Nahi mujhe neend aa rahi hai.
Priya: Arey chhoti maa par Arjun kab aayega mujhe usse milna hai??
Anu: Call karti hoon puchh lo tum khud hi.
Priya: Nahi abhi nahi, abhi wo apne mom ya kisi ke sath busy hoga, main uske responsibility ke bich nahi aaungi.
Anu: Kitni samjhdar ho tum itni chhoti umar mein hi??
Priya: Achha meri koi age nahi hai chhoti maa, ye sirf earth ke liye maine apna roop dharan kiya hai.
Anu: Samajh gayi lagta hai main tumhari chhoti maa nahi balki tum meri bedi maa ho.
[(Hehehe)]
Priya: Nahi aap hi meri chhoti maa ho ab mujhe apni bahon mein sula’ lijiye jaise badi maa sulati hai.
Anu: Aa jao.
[Anu aur Priya dono ek dusre se lipat kar so gayi. Ye wahi samay tha jab Arjun apni mom Raveena ke sath soya hua tha. Jab Arjun apne mom ke ghar ke liye nikla tha usi samay Priya ki flight Kempegowda airport par land hui thi. Jaise jaise car ghar ki aur badh rahi thi Priya ke face ki chamak badhti hi ja rahi thi. Priyanshu aur Priyanshi dono ne aaj se pahle Priya ko itna khush kabhi nahi dekha tha. Dono ne Priya se kai baar puchha par Priya ne koi jawab nahi diya tha.]
***
_______
_________
Saturday
Kriti Home
Time- 8:05 pm
One Day Ago|||
Kriti ke ghar ke bahar ek shaks ek lady se baat kar raha tha.
Shaks: Ji devi ji Arjun babu yahan kyon aata rahta hai hamesha, kahin uska kisi ke sath galat chakkar toh nahi pad gaya hai bahut bhola hai mera Arjun kisi ke bhi jaal mein aasani se aa jata hai??
Ji ji wo Arjun apne Shivangi beti ka husband hai aur Kriti bitiya se shadi hone wali hai, bahut achha ladka hai lagta hai aapko pata nahi hai kya, pata nahi aapko kaise pata nahi hai??
Shaks: Par Arjun abhi padh raha hai phir Arjun ki shadi kaise ho gayi usne mujhe bataya nahi bahut galat kiya Arjun ne main Arjun se baat nahi karunga use kabhi maaf nahi karunga???
“Arey! Arey wo mahashay Arjun aur Shivangi beti ka accidentally shadi ho gaya kisi ko samajhne ka mauka hi nahi mila, pata nahi kisne Shivangi beti par hamla kiya tha kide pade us harami ko, lady ne shaks ko pura story batate huye kaha.”
Shaks: Ha bahut galat hua mere Arjun ke sath.
Ha ab kya kar sakte hain par jo hua achha hua, Ranjan bete ki maut hui aur idhar Shivangi beti vidhwa hone se pahle hi suhagan ban gayi.
Shaks: Ji Ji devi ji aapka bahut bahut shukriya aapne sach bata diya aur ha aap ye baat kisi ko bata mat dena warna Arjun ko lagega maine us par nazar rakhi hai.
“Ji thik hai kisi ko nahi bataungi.”
Shaks: Thik hai phir chalta hoon ek baar phir se aap ka bahut bahut dhanyawad.”
“Ji iski koi baat nahi hai.”
***
(Put your hands up, hilna bhi mat.)
Lady ghar ke andar gayi aur wo shaks apni car mein baithne hi wala tha ki kisi ne pichhe se uski gardan par revolverer taan diya.
“K- kaun ho tum mujhse kya chahte ho??”
(Kuchh nahi jaisa main bol raha hoon waisa karte raho— car ko kisi sunsan area mein le chalo mujhe tumse bas kuch sawal puchna hai.)
“Thik hai, shaks ne car ke andar dakhil hote huye kaha, anjaan shaks abhi bhi uske gardan par revolverer taan kar uske bagal mein baitha hua tha.”
_____
[25 Minutes Later]
“Ab bolo mujhse kya chahte ho tum??”
(Bas kuchh sawal ke jawab aur ha mujhe sirf sach janna hai.)
“Ha thik hai pucho, shaks ne vyakti se kaha.”
(Tum Arjun ke bare mein chhan bin kyun kar rahe the jabki tum Arjun ko jante tak nahi??)
“Mujhe kisi ne ye kaam karne ke liye kaha tha.”
(Kisne??)
“Yadi maine bata diya toh wo log meri jaan le lenge agar unhe pata chala toh.”
(Yadi nahi bataya toh tum abhi mare jaoge, tumhare paas koi option nahi hai isliye achhe se soch lo kya karna hai.)
“Kya musibat hai dono taraf se maut hai. Ji thik hai mujhe Manikchand ne Shivangi aur Arjun ke bare mein pata karne ke liye kaha tha.”
(Kaun Manikchand??)
“Ji wo hamare ex-CM”
(Kyon??)
“Pata nahi isse jyada mujhe kuch pata nahi hai, mujhe sirf itni hi information lane ke liye kaha gaya tha.”
(Thik hai tum ja sakte ho ab tum free ho aur tension ki koi jarurat nahi hai mujhe bhi Arjun se apna purana badla lena hai.)
“Kya musibat thi shala aage *kuwan(well) aur peeche khai.
(Shaks ke jate hi vyakti ke face par smile aa gayi.)
(Jo- jo meri barbadi ka karan hai sabhi ek ek kar marenge aur sabse pahle Samantha ko marna hoga.)
***
_______________________________________________________________________
That's all for this episode. I hope ki aap sabko pasand aayega. Be happy till the next update comes. The update consists of more than 5.2 k words.
Priya Interesting character hai magar Dhruv ki dulhan, ye toh impossible hai. khair aap story padhte jao aapko khud pata chal jayega.Wow bohat hi interesting character hai priya agar story ke ant me is character ka manvi roop dharti per rehta hai to apne Dhurv ki dulhaniya mil gayi hai sabko.
Ab abhi tak maine 13 months mein 164 updates de chuka hoon iske bawajood ki main ek student hoon, ab kisi bhi writer ka koi personal work aa jata hai toh update mein delay hona swabhabik hai.Bohat khoob story hai bhai magar characters bohat zada hai to confusion ho jaata hai aur aisi story me problem yah hota hai ki ek bhi update delay ho jaye to story per se pakad choot jati hai
Sabhi character ko equal jagah nahi diya ja sakta hai, kyunki sabka apna apna role hota hai, role ke hisab se hi kisi ko jyada toh kisi ko kam importance diya jayega story mein.zada character ki wajah se ya phir ek taraf zada cover ho gaya to bohat character chut jatey hai.
Wo isliye kyunki ho sakta hai wo story ki timeline ko design nahi kar pate hain, characters ka role decide nahi kar pate hain. Meri story ki sabhi characters ka role maine pahle se hi design kar diya hai, isliye mera confuse hone ka sawal hi paida nahi hota hai. yadi ye story main complete nahi kar pata hoon toh sabse jyada mujhe hi bura lagne wala hai, kyunki maine bahut time diya hai story par. Pahle bahut sare logo ke reply aate the har update mein 30+ likes tha aur abhi sirf 20 ke kareeb ja raha hai phir bhi main update time se pahle de raha hoon, isse jyada main kuchh nahi bol sakta hoon.Zadater dekha hai insect stories me log character bohat zada kar detay hai jis wajah se kai log story ke sath insaf na kar ke story ko beech me chod detay hai co woh khud confuse ho jatey hai
Kyunki maine har characters ka role kya hone wala hai wo fix kar diya hai usme koi bhi badlaav nahi hone wala hai. Dhanyawad apna side rakhne ke liye!!!!but aapne abhi tak bohat acche se story ko lekar chaley hai aur bohat khubsurat dhang se pesh kia hai aur chotey badey points ko explain kia hai properly. Maza aa gaya bhai.
De raha hoon brother thodi der mein, 5.5k likh chuka hoon.Waiting for next update
Sala Raghav kuttey ki dum nikl jo kabhi seedhi nahi ho sakti hai aur yahi kutta panti uski maut ka karan banne wali hai shayad ab uska ant nazdeek hai. Priya ka character intresting hi nahi bohat bohat interesting hai maza aaya.Update 114
✿Assembly✿
Recap: In the previous update humne padha tha ki ek aur jahan Anu ko Arjun ko hamesha hamesha ke liye pane ka rasta mil gaya tha wahin dusri aur Raghav ne apna phone aur() sim dono destroy kar diya tha.
Now Next: >>>
Kriti Hone
Time- 12:15 pm
Kriti ke ghar ke bahar ek police car aakar ruki jisme se Trisha bahar nikli. Trisha ki nazar jab ghar par padi toh ghar bahar se band tha. Trisha ne Leela ko call laga diya.
(Leela picks up the call.)
Leela: Hello mom.
Trisha: Where are you aur baki sab kahan hain??
Leela: Mom, main Arjun ke ghar par hoon aur mausi bhi yahin() hain(). Shivangi bhabhi aur Kriti didi Arjun ke sath gaye hain sabhi se milne ke liye Arjun ke mom ke paas.
Trisha: Main yahan ghar ke bahar hoon jaldi se ghar aa jao.
Leela: Okay mom abhi aati hoon.
[Call Disconnected]
***
Leela: Rashmika mausi mom ghar par aayi hui hai(), mujhe aur mausi ko ghar drop kar dijiye mujhe car drive karni nahi aati hai.
Rashmika: Sorry Leela main thoda busy hoon abhi. Tum ek kaam karo tum Shruti, Ranjith, Rohit ya phir Shreya ko le ja sakti ho.
Leela: Okay mausi.
[Some Minutes Later]
Rohit ne Leela aur Sithara ko drop kar diya.
Leela: Kya baat hai mom aap yahan achanak kaise aa gayi??
Trisha: Ha ab meri posting yahin par ho gayi hai.
*Wow*
“Ye toh bahut achhi khabar hai mom ki ab aap mere sath rahne wali ho, kab aayi aap??”
(Leela ne apni mom Trisha ko gale se lagate huye kaha.)
Sithara: Ghar chal kar baat kare ya phir tum dono maa aur beti ko yahin par sari baat karni hai??
Leela: Sorry mausi main apne excitement mein sab kuchh bhul gayi ki mom kab se bahar hi khadi hai.
***
Leela: Mom aapke liye bhi ek good news hai.
Trisha: Kya good news hai Leela??
“Shivangi beti ki mom mil gayi hai, Sithara ne Leela ki jagah jawab diya.”
Trisha: Ye toh sach mein bahut acchi news hai didi.
Leela: Ha mom par kash Shivangi bhabhi ke dad ka bhi pata chal jaye toh kitna achha hota.
Sithara: Leela jao chhoti() ke liye kuchh() bana kar le aao baten toh hoti rahegi.
Leela: Abhi layi mausi.
__________
____________
Ramya Home
Sunday - 2:25 pm
Jab se Samantha ne Ramya ko bataya tha ki Nithya ne apne jeevan sathi ke liye Arjun ko chuna tha tab se Ramya pareshan nazar aa rahi thi, Ramya ke mann mein apni beti Nithya ko lekar tarah tarah ke sawal chal rahe the, jo na toh Pavitra se chhupa() tha aur na hi Samantha se chhupa() hua tha.
Dopahar ke bhojan ke baad Ramya apne kamre mein apni aankh band kar abhi bhi apni beti Nithya aur Arjun ke bare mein hi soch rahi thi.
“Kya baat hai didi, kya soch rahi ho - Pavitra ne kamre ke andar pravesh karte huye kaha??”
Ramya: K-kuchh nahi Pavitra, aao baitho mere paas.
Pavitra: Ye kisi se chhupa nahi hai didi ki jab se aapko Arjun aur Nithya ke bare mein pata chala hai tab se hi aap kuchh soch soch kar pareshan hain, aise pareshan hone ka koi matlab nahi hai didi, jo bhi aapke mann mein hai mujhse share kar lijiye, kya pata main aapki() koi help kar sakti hoon.
“Kya Nithya, Arjun ke sath khush reh payegi?? Arjun ki already ek shadi ho chuki hai aur ek Kriti se hone wali hai– Ramya ne ek deep breathing lete huye apne mann ki baat apni bahan Pavitra se boli.”
“Yadi Arjun ki shadi nahi hui hoti toh definitely Arjun hamari Nithya ke liye best choice hota par chunki Arjun ki already ek shadi ho chuki hai aur ek hone wali hai, isliye kuchh() kehna thoda kathin hai par ha Arjun hamari Nithya ko khush rakh payega ye meri soch hai par aap Nithya ki maa hain aur aapko Nithya ka achha-bura sochne ka pura hak hai, aap Arjun ki koi test le sakte hain ya phir Nithya se baat kar sakti hain ki wo Arjun ke sath khush reh payegi ya nahi.”
Ramya: I agree with you that Arjun is undoubtedly the best choice for our Nithya but how will we give an answer to this society??
Pavitra: Didi ye society sirf apne bare mein sochta hai, aaj bahut kam aise log hain jo dusre ki khushi par khush hote hain, isliye aap ye society ki chinta na karen aap apni Nithya ke bare mein sochiye aap kya karna chahti hain.
“Exactly sasu maa- Samantha ne kamre mein parvesh karte huye kaha.”
Samantha: Pavitra aunty aap thodi der ke liye bahar ja sakti hain, main mom se kuchh private baat karna chahti hoon.
Pavitra: Okay!
(Pavitra kamre se bahar nikal gayi.)
Samantha: Mom, believe me, Arjun is a perfect guy for Nithya. She feels special for Arjun. Dil aur behaviour se toh Arjun sabhi ko abhi bhi khush rakhta hai baki Arjun ki height aur personality ekdum kadak hai wo hamari Nithya ko physically bhi khush rakh payega *smiles*, aap samajh rahi hai na main kya bolna chah rahi hoon.
Ramya: Ha, ha tum jo bolna chah rahi ho main bahut achhe se samajh rahi hoon, aisi gandi gandi khayal tumhare mann mein hi aa sakta hai.
*Hahaha*
Samantha: I agree with you. Agar ab bhi aapko believe nahi hai toh aap Arjun ka *test drive* kar lijiye waise bhi abhi dono padh rahe hain shaadi toh bahut baad” mein honi hai. Sach kehti hoon aapko bahut maza aayega Arjun ka drive karke.
Ramya: Tum phir se shuru ho gayi, maine tumse kaha tha na ki main ye sab Arjun ke sath nahi karna chahti hoon aur mujhe nahi lagta hai ab main kisi ke sath kar paungi kyonki ab mujhe koi achha() *banda* nahi milne wala hai.
Samantha: Achha aap ye bataye ki Arjun sabhi ko happiness deta hai ya nahi??
Ramya: Deta hai, ye bhi koi puchne wali baat hai.
Samantha: Matlab aap agree karti hain ki wo Nithya ko mentally khush rakhega??
Ramya: Yeah!!
Samantha: Aur mujhe believe hai ki jaise uski personality aur physique hai, Arjun hamari Nithya ko physically bhi satisfy rakh payega aur phir aap ye kaise bhul rahi hain ki uski family sirf prem karna janti hai.
Ramya: Okay! Phir bhi mujhe Arjun se kuchh personally baat karni hai.
Samantha: Kahin aap Arjun se ye to nahi *puchhne’ wali hain() ki wo aapki beti ko physically khush rakh payega ya nahi??
|Hehehe|
(Isse pahle ki Ramya koi jawab de pati Samantha apne face par smile liye hasti hui kamre se bahar nikal gayi.)
_____
______
Arjun, Kriti, Shivangi aur Kajal charo(4) 3:05 pm ko hi Pearl City se sabhi se bida lekar diamond City ke liye nikal gaye the jabki Sara apni maa Seetha ke paas hi reh gayi thi.
Kajal aur Shivangi ek car mein thi jabki Arjun aur Kriti ek car mein thi. Kriti car drive kar rahi thi jabki Arjun bagal mein baitha hua tha aur aage kya karna hai soch raha tha.
***
[Kriti Car]
Arjun ka phone ring hua. Arjun ne apne pocket se phone nikal kar dekha toh Anu ka call tha. Arjun ne apne face par smile late huye call receive kiya.
Arjun: Hello Anu!!
Anu: Where are you my saviour??
Arjun: I am on the way, I am coming.
Anu: Kya tum mere ghar aa sakte ho apne ghar jane se pahle??
Arjun: Okay! I am coming. It will take some time.
Anu: No worries. I am waiting for you and there is someone who wants to meet you.
Arjun: Who??
Anu: Surprise.
Arjun: Okay! Okay!!! Let's see.
Anu: You won't be disappointed, bye saviour.
[Call Disconnected]
____
_______
Sunday
Amika Home
Time- 5:45 pm
2 hours and 40 minutes ke baad Arjun ki car Amika ke ghar ke bahar aakar ruki.
Arjun aur Kriti dono car se utar kar Amika ke ghar ke gate ki aur badh gaye.
*Ding dong*
Chunki ghar andar se band tha isliye Arjun ne callbell bajayi. Priya ne ghar ka door open kiya aur apne samne khade shaks ko dekh kar uska chehra surya ki prakash ki tarah khil utha par Priya ne khud par niyantran kar liya.
“Aap kaun hain aur kisse milna hai?? Ek chhoti si bachi ne apne face par smile late huye Arjun se puchha.”
(Arjun jahan chhoti ladki ki aankh ko gaur se dekh kar apne past mein chala gaya jabki Kriti chhoti ladki ki sundarta mein kho gayi, ye kahna bilkul bhi galat nahi hoga ki aaj se pahle Kriti ne kabhi bhi itni sundar aur cute ladki apne life mein kabhi bhi nahi dekhi thi. Aur ladki ki sabse hairan karne wali baat thi uski aankh jo black, white, blue and green sabhi colour ki dikhai de rahi thi jo kisi ajooba se kam nahi thi.)
Arjun: Main Arjun hoon par tum kaun ho, isse pahle maine tumhe yahan kabhi bhi nahi dekha hai aur na hi tum aas paas ki ho aur na hi Amika ki koi rishtedar ho, par mujhe tumhari aankhen kisi ki yaad dila rahi hai??
“Kiski yaad dila rahi hai Arjun??”
(Arjun ke sawal ka jawab dene ke bajay viprit(opposite) ladki ne Arjun se ek sawal daag diya.
[Badi badtameez ladki hai apne se bade vyakti ko naam se bulati hai, arey bhaiya ya uncle bolna chahiye tha na Kriti ne mann hi mann socha.]
Arjun: Wo meri ek college friend thi.
“Achha friend ya girlfriend thi Arjun??”
(Ye kya ye ladki abhi se hi girlfriend ki baat kar rahi hai aur mujhe 12th ke baad hi girlfriend aur boyfriend ki baat pata chali thi, Kriti ne khud hi mann *hi’ mann socha aur khud hi has padi.)
Arjun: Nahi sirf friend thi, par tum kaun ho aur mujhse itne sawal kyun kar rahi ho??
“Main es ghar ki queen hoon aur yadi tumhe ghar ke andar aana hai toh mere sabhi sawal ke jawab dene honge, kya pata tum koi chor ya apradhi ho aur sabhi ko hurt karne aaye ho.”
[Oh my god, kya ladki hai ye abhi se hi dadi amma jaisi baat kar rahi hai, Kriti ne mann hi *mann* socha aur andar hi andar ek baar phir se has padi.]
Arjun: Main kisi ko koi hurt nahi karna chahta aur tum andar jakar Anu ya Amika ko bula do.
“Nahi! Bilkul nahi pahle mere sabhi sawal ka jawab do phir andar aa jana.”
Arjun: Agar maine tumhare sawal ka jawab nahi diya toh??
“Tum ghar ke andar aana ke liye phir bhool hi jao, tum ek kadam bhi ghar ke andar apna pag nahi rakh paoge.”
Arjun: Achha.
“Bilkul.”
(Ladki ne apne face par smile late huye kaha.)
Arjun: Accha! Phir puchh lo jo puchha hai.
“Us ladki ka kya naam hai jiski aankh tumhe meri aankh jaisi lag rahi hai??”
(Dekho toh kitni badtameez ladki hai mere love ko tum bol rahi hai, Kriti ne mann hi mann socha par phir se ek baar shant reh gayi.)
Arjun: Hmmm! Uska naam hai Srinidhi.
“Okay! Aur mujhe sabhi Priya kahte hain, tum mujhe Priya bol sakte ho samajh gaye Arjun.”
Arjun: Haan! Haan samajh gaya ki abhi tak main jisse baat kar raha hoon us cute si ladki ka naam Priya hai.
Priya: Smart boy. Mere sangat(company) mein rahoge toh aur bhi jyada intelligent ho jaoge, isliye mere sath raha karna.
*Hahaha*
[Es baar Arjun aur Kriti dono hi khil khilakar has pade.]
Arjun: Achha tumhari age kitni hai??
Priya: No personal questions, you stupid Arjun. Tumhe abhi tak pata nahi hai ki ladki se uski() age(umar) nahi pucha karte hain—huh.
Arjun: Par tum toh kab se mujhse sawal par sawal kiye ja rahe ho, phir main kyun nahi puch sakta hoon??
Priya: Kyunki tum mere ghar aaye ho isliye jawab toh tumhe dena hi padega you stupid Arjun, kitne buddhu ladke ho tum, mera sath raho dekho main kaise tumhe smart boy bana deti hoon.
Arjun: Okay! Okay main samajh gaya.
(Baap re kya ladki hai ye, Kriti ke mann mein aawaaz aaya.)
Priya: Kya samajh gaye you stupid boy??
Arjun: Yahi ki main tumse nahi jeet sakta hoon, ab kisi ko ghar se bula do mujhe Anu ne yahan bulaya hai milne ke liye.
Priya: Kyun milna chahte ho meri chhoti maa se, tum meri chhoti maa ke koi rishtedar toh ho nahi, kahin tum meri chhoti maa ko hurt toh nahi karne aaye ho, mujhe meri chhoti maa ne tumhare bare mein kuchh bhi nahi bataya hai, phir main tum par kaise believe kar sakti hoon ki tum meri chhoti maa ko jante ho??
Arjun: Dekho ab tum mujhe irritate kar rahi ho aur mujhe gussa bhi aa raha hai.
Priya: Achha! Tumhe gussa bhi aata hai. Mujhe lagta tha ki kisi ko ek chhoti ladki ke sawal par gussa nahi aata hai. Very bad, very bad, gussa human ke brain ko disturb karta hai aur kabhi kabhi brain ki veins rupture ho jati hai jisse *brain hemorrhage* ho jati hai, isliye calm down yourself, okay you stupid boy.
(Oh my god yeh ladki toh abhi hi brain hemorrhage ke vishay mein janti hai jabki ye abhi school bhi nahi gayi hai lagta hai, Kriti ke mann mein khayal aaya aur Priya se khud ko impress hone se na rok payi.)
Arjun: Okay, samajh gaya mujhe ghar ke andar aane ke liye kya karna hoga??
Priya: Mere sawal ka jawab dete jao jab mere sawal khatam ho jayega tum ghar ke andar aa sakte ho.
Arjun(Sad): Thik hai puchho.
Priya: Ye samne wali ladki tumhari wife hai ya girlfriend??
Arjun: Abhi tumne kuchh() der pehle kaha tha no personal questions phir mujhse ye personal question kyun puchh() rahi ho??
Priya: Maine kaha tum mujhse nahi() ‘puchh* sakte ho maine ye nahi kaha tha ki main nahi puch sakti() hoon you stupid boy.
Arjun: Okay ye meri girlfriend hai Kriti.
Priya: Mast jodi hai. Lagta hai ye tumse bahut jyada pyar karti hai. Main tum dono ko ashirwad deti hoon ki tumhari jodi amar rahegi.
(Dekho toh kaisi ladki hai khud hi bitti bhar ki hai aur hum dono ko ashirwad de rahi hai. Kriti ne ek baar phir se mann hi mann socha par achha hai kitna pyara aashirwad diya hai isne.)
“Priya ab bahut ho gaya tumhe jo karna tha tum kar chuki ho.”
[Anu jo door ke pichhe se hi sab kuchh sun rahi thi bahar aate huye boli.]
Priya: Thik hai chhoti maa aapko apne saviour ka bada khayal hai aur aapne mere bare mein socha hi nahi ki mujhe kitni peeda hui hai.
Anu: Sorry Priya. Aao Arjun andar aao, aap bhi andar aa jaye Kriti ji.
***
Arjun, Kriti, Anu aur Priya charo(4) Anu ke room mein baith gaye baki sabhi bahar gaye huye the.
Arjun: Anu tumne kaha tha ki tum koi surprise dene wali ho aur koi mujhse milna chahta hai, kya ye wahi surprise hai, kya Priya hi mujhse milna chahti thi??
Anu: Yup!! How was the surprise??
Arjun: Accha tha par ye kaun hai aur tumhe chhoti maa kyun bol rahi hai??
Anu: Ye Amika ke bhai Priyanshu ki beti hai, kal hi USA se aayi hai isliye main iski chhoti maa hoon.
Arjun: Anu jab ye mujhse milna chahti thi phir mujhe itna pareshan kyon kiya usne??
Anu: Ab ye tum isse hi puchh lo mujhe iske bare mein kuchh nahi pata hai.
Arjun: Priya tumne mujhe pareshan kyon kiya??
Priya: Tumhe jyada bura laga kya Arjun??
Arjun: Jyada nahi par thoda sa bura toh laga.
Priya: Phir mujhe ek baar apne gale se laga lo Arjun tumhari narajgi dur ho jayegi.
Arjun: Achha phir aao mere gale se lag jao.
(Arjun ne apni dono bahen khol di aur Priya jakar Arjun ke gale lag gayi.)
[Jaise hi Priya, Arjun ke gale se lagi Arjun ko aisa feel hua jaise wo apni hi soul(aatma) se mil raha ho, Arjun ko Priya ki touch mein waisi hi feel aane lagi jaise Arjun ko Srinidhi ki touch se milta tha par Arjun ne kabhi bhi Srinidhi ko apne gale se nahi lagaya tha. Arjun ke andar khushi ka sanchar hone laga uska mann khushi se kisi dipak ki tarah prakasit ho utha.]
“Ye, ye kaise ho sakta hai, mujhe tumhari aankh Srinidhi ki tarah dikhai deti hai, tumhara touch bhi Srinidhi ke jaisa hai, Priya kya tum meri Srinidhi ho??”
Priya: Nahi main Srinidhi nahi balki Priya hoon apni chhoti maa ki Priya. Ha yadi tum mujhe bol do ki main tumhari Priya hoon toh main tumhari Priya bhi ban sakti hoon. Aur ek baat main tumhe Arjun hi bolungi.
Arjun ne khud se Priya ko alag kar Priya ki aankh mein dekhne laga par afsos Arjun ko kuchh nahi mila.
Arjun: Koi baat nahi tum mujhe Arjun bula sakti ho.
Kriti: Aur mujhe kya kahogi Priya??
Priya: Aapko Arjun kya bolta hai??
Kriti: Kabhi Kriti, kabhi mam, toh kabhi my love, toh kabhi janu.
Priya: Phir main bhi aapko kabhi janu, kabhi my love, kabhi mam, toh kabhi Kriti bolungi, aapko koi problem toh nahi hai??
Kriti: Nahi tumhe jo mann kare mujhe bula sakti ho.
Arjun: Okay Anu hum chalte hain.
Anu: Ruko thodi der Amika, Priyanshu, mom aur Priya ki mom ko aa jane do sabhi se mil kar jana.
Arjun: Nahi abhi late ho raha hai.
Priya: Dono ko jane dijiye chhoti maa, hum milte rahenge.
Arjun: Bilkul.
Anu: Okay my saviour aap dono ja sakte hain.
(Arjun aur Kriti ghar se nikal gaye.)
Anu: Priya tum Arjun se milne ke liye itna utawala ho rahi thi phir tumne Arjun ko itna pareshan kyon kiya??
Priya: Ab usne mujhe khud se dur rakh kar mujhe jitni peeda di hai ye uske samne kuch bhi nahi tha chhoti maa, Arjun se main lagbhag 3 years and one month dur rahi hoon.
Anu: Ye kaise possible hai Priya, Arjun ki age lagbhag 20 years hone wali hai phir tum Arjun se 20 years baad mil rahi ho phir tumne 3 years and one month kyon kaha??
Priya: Aapne jo kaha wo bhi sach hai aur maine jo kaha wo bhi sach hai chhoti maa.
Anu: Ek sath dono baten kaise sach ho sakti hai Priya??
Priya: Bilkul ho sakti hai chhoti maa.
Anu: Kaise??
Priya: Kyunki() sabhi planets ki apni apni timeline hoti hai chhoti maa.
Anu: I got it. Jaise Venus, Jupiter, Mars and other planets ki timeline alag alag hai waise hi.
Priya: Exactly.
Anu: Priya ek baat batao Arjun bol raha ki tumhari aankhein Srinidhi ke jaisi hai, kya ye sach hai??
Priya: Nahi chhoti() maa sirf meri aankhein hi nahi balki main puri ki puri Srinidhi hoon, par chunki Arjun ne Srinidhi ko chhote roop mein nahi dekha hai isliye main chehre se Arjun ko Srinidhi ke jaisi nahi lagi.
Anu: Matlab tum puri Srinidhi ho??
Priya: Sirf chehre se par main Srinidhi nahi hoon and you know that very well.
Anu: Yeah! I know, you are the energy source of Arjun.
***
___
—------
Monday
Vikramaditya College
Ramya mam cabin,
Lunch break par Arjun, Ramya mam ke cabin par chala gaya.
“May I come in mam??
(Arjun ne gate ko knock karte huye kaha jisse Ramya ka dhyan Arjun ki aur chali jaye.)
Ramya: Get inside and sit down.
Arjun: Mam boliye kya baat hai aur aap kuchh() pareshan lag rahi hain koi pareshani hai kya??
Ramya: Wo main Nithya aur tumhare liye thoda pareshan hoon Arjun.
Arjun: Koi karan mam??
Ramya: Mujhe doubt hai ki Nithya tumhare sath khush reh payegi ya nahi.
Arjun: Mam, main aapko ek promise karta hoon jis din meri wajah se Nithya ki aankh mein ek boond bhi aansu aaya wahi din Arjun es dharti ko chhod kar chala jayega, phir bhi yadi aapko mujh par bharosa na ho toh aap jab chahe Nithya ka rishta mujhse tod sakti hain.
Ramya ko Arjun ki aankh mein sirf sach hi dikhai diya jo es baat ki gawahi de raha tha ki wo Nithya ko apni jaan se bhi jyada khush rakhega. Apni khushi se pahle Nithya ki khushi ka khayal rakhega.
Ramya: Mujhe tumhari baat se mere mann ki chinta dur hui. Par ek last sawal hai.
Arjun: Puchh() lijiye mam.
Ramya: Tum Kriti, Shivangi aur Nithya kisse sabse jyada pyar karte ho??
Arjun: Kissi se nahi.
Ramya(shocked): Ye kaisa jawab hai Arjun??
Arjun: Mam yahi sach hai. Meri life mein jo bhi hai main sabhi se equally love karta hoon. Phir chahe ho Dhruv ho, chacha ho, mausa ji ho ya phir koi aur. Aur agar sach kahun toh main jitna sabhi se prem karta hoon utna hi aapse() bhi prem karta hoon mam, kyunki main aapko bhi sabhi ke jaisa hi apna family consider karta hoon.
Ramya(Blushes): Hmmmm. I am satisfied now with your answer, you may leave now.
[Arjun cabin se bahar chala gaya jabki Ramya ke dil ki chinta dur karta chala gaya. Ramya mann hi’ mann () ye soch kar muskura padi ki Samantha, Pavitra aur Paritosh sabhi ne sahi kaha tha ki Arjun bilkul sahi choice hai Nithya ke liye. Ramya ka face chamak utha.]
—----
[At College Canteen]
Arjun ka pura group Krithi, Rashi, Nivetha, Amit aur Rohan sabhi ek sath canteen mein baithe the Arjun bhi unke samne jakar Rashi ke bagal mein baith gaya.
Krithi: Bhai tumhe Ramya mam ne kyun bulaya tha??
Arjun: Wo janna chahti thi ki main uski beti Nithya ko khush rakh paunga ya nahi.
Rohan: Kya matlab hai es baat ka Arjun??
Arjun: Nithya ne mujhe apna dulha bana liya hai, isliye Ramya mam janna chahti thi main Nithya ko khush rakh paunga ya nahi.
*Hahaha*
(Sabhi ek sath Arjun ki baat par has pade.)
Krithi: Kyun mazak kar rahe bhai tumhari already ek shadi ho chuki hai aur ek Kriti mam se hone wali phir wo tumhe apna jeevan sathi kaise chun sakti hai??
Rashi: Ye bilkul possible hai Krithi didi, sab ladki Arjun ko apne premi ke roop mein dekhna chahti hain and I am damn sure ki usne Arjun ko pane ke liye koi na koi bada kand jarur kiya hoga. Nithya, Leela ki tarah apne prem ko sacrifice karne ke bajay apna prem pane ke liye koi game khel gayi hogi warna wo Arjun ko nahi pa sakti thi.
Arjun: Tumne bilkul sahi guess kiya my hottie friend, tum mujhe better samajhne lagi ho.
Krithi: Bhai congratulations.
Rohan: Congratulations.
Nivetha: Congratulations devar ji.
Rashi: Congratulations Arjun.
Arjun: Thanks everybody.
Amit: Par chhote bhai tum ek sath 3 women ko kaise khush rakh paoge??
Arjun(silence): ……..
“Wo teen nahi balki 30 ko bhi ek sath khush rakh sakta hai, Nivetha ne dhire se Amit ke kaan mein kaha, you know maine tumhe kabhi bataya nahi Arjun ne mujhe birthday party wali night ko ek hi baar mein 2 hours se jyada der tak kiya tha. Meri() halat kisi memne ki tarah ho gayi thi par sach kahoon toh jannat ka maza mil gaya tha.”
[Amit ka face ascharya se bhar gaya aur Amit apni badi badi aankhon se Arjun ko dekhne laga wo Nivetha ki baat par believe nahi kar paya par afsos ki uske paas believe karne ke alawa aur koi option nahi tha.]
Arjun: Aise kya dekh rahe ho bhaiya jaise aap mujhe pahli baar dekh rahe ho??
Amit(Stammering): K-kuchh() nahi chhote bhai.
Arjun: Hmmmm.
“Arjun mubarak ho ek aur kadak maal tumhari ho gayi-Rashi ne dhire se Arjun ke kaan mein boli.”
Arjun: Yup!
(Arjun whispers in Rashi’s ear and smiles.)
Rohan: Kya baat ho rahi hai tum dono mein??
Rashi: Something private.
{Rohan ne aage kuchh() na kaha par Rohan ko samajh aa gaya ki dono kuchh() naughty baat kar rahe honge.}
Krithi: Bhai chale class ka time ho raha hai.
Arjun: Hmmmm.
(Sabhi apne apne class chale gaye.)
***
Previous Day
Manikchand Home
Sunday - 8:17 AM(θ‿θ)
Manikchand, Ballu, Kallu aur teeno ke sath ek aur shaks Manikchand ke kamre mein tha.
Ballu: Kya khabar hai be Hariya, kuchh() pata chala Arjun ke bare mein ki wo kyon Shivangi ke ghar jata rahta hai??
Hariya: Ha Arjun ki shadi hui hai Shivangi se.
“Ye kya bakwas kar rahe ho, subah subah pi kar aaye ho kya??”
(Sabhi ke kaan mein Manikchand ke gusse se bhari aawaz sunayi diya.)
Hariya: Nahi, nahi maalik bilkul nahi, main apni maa ki kasam khakar() kehta hoon main sach bol raha hoon malik.
Ballu: Chup be tum kisi ki bhi jhooti kasam kha sakte ho ab sidhe sidhe sach batao.
Hariya: Main aap sab se jhoot kaise bol sakta hoon, mujhe apni jaan bahut pyari hai.
Kallu: Ye thik bol raha hai malik ye jhoot bol sakta hai bilkul bol sakta hai par hum logo se nahi.
Manikchand: Par ye kaise ho gaya??
Abhi koi aur kuchh* bol pata ki Manikchand ka phone baj utha.
[[Phone Calls]]
Manikchand: Bolo kya baat hai??
Guard: Koi aapse milne aaya hai, wo khud ko ek doctor bata raha hai aur uska naam Raghav hai, wo bol raha hai ki wo aapse mil kar kuchh() jaruri baat karna chahta hai.
Manikchand: Andar bhejo use.
Guard: Ji malik.
[Call Disconnected.]
***
Manikchand: Bolo kya bolna chahte ho doctor??
Raghav: Main aap ki help kar sakta hoon mantri ji.
Manikchand: Kis kaam mein doctor??
Raghav: Main aapko Arjun ke bare mein jaruri information de sakta hoon.
Manikchand: Bolo doctor kya information hai tumhare paas??
Raghav: Pahli baat aap Shivangi ko jaan se marna chahte hain ye toh mujhe samajh aa gaya hai aur aapne hi Shivangi par attack kiya tha right??
Manikchand: Ye tum kaise bol sakte ho doctor??
Raghav: Kyon ki jab *aapne’ attack karwaya tha mera ek aadmi jiska naam Daniel hai wo Arjun ko marne ke liye Arjun ke pichhe tha.
Manikchand: Tum Arjun ko kyun marna chahte ho??
Raghav: Ye mera personal matter hai mantri ji.
Manikchand: Okay! Maine hi hamla karwaya tha, ab bolo kya information hai tumhare paas??
Raghav: Aapki attack mein Arjun ki accidentally Shivangi se shadi ho gayi thi aur itna hi nahi Shivangi ka pahla husband Ranjan mar chuka hai.
Manikchand: Oh ye baat hai itna sab kand ho chuka hai aur mujhe pata hi nahi chala hai.
Raghav: Aur bhi bahut sari baten aapko janni hai Arjun ke bare mein.
Manikchand: Bolo??
Raghav: Itna hi nahi information ye hai ki Arjun ne *world ke best underground fighter *Williams* ko maar diya hai, usne mere 3 log Daniel, Jack aur Morgan ko bhi maar diya hai and interesting baat ye hai ki teeno hi fighters the.
Manikchand: Aur koi information??
Raghav: Yes! Arjun cyanide poison pikar bhi jinda bach gaya.
Manikchand: How can it be possible, doctor??
Raghav: Yahi sach hai mantri ji.
Manikchand: Aur koi information??
Raghav: Aap itna samajh lijiye ki Arjun ko marna bahut kathin hoga wo 2 baar Daniel ke bullet ko escape kar chuka hai jabki Arjun ne Daniel ko dekha bhi nahi tha, aap samajh rahe hain na main aapko kya hint karna chahta hoon.
Manikchand: Matlab Arjun ko shoot karna bahut mushkil kaam hai.
Raghav: Aap bilkul sahi samajh rahe hain mantri ji.
Manikchand: Aap mujhse kya chahte ho doctor??
Raghav: Help.
Manikchand: Kaisi help??
Raghav: Arjun ki wajah se mera, meri biwi Shruti se divorce hua hai aur divorce karane mein main role nibhai hai Samantha ne isliye main sabse pahle use hi marna chahta hoon.
Manikchand: Okay doctor itni sari information ke badle mein main aapka kaam kar dunga.
Raghav: Thik hai mantri ji ab main chalta hoon.
Manikchand: Ek confirmation chahiye doctor.
Raghav: Kya??
Manikchand: Kya Samantha, Ramya madam ki bahu hai jo es state ki sabse best advocate mein se ek hai??
Raghav: Yes mantri ji.
Ballu: Malik phir mujhe Samantha ko marne ka chance dijiye. Ramya madam ne meri beizzati ki hai mera badla bhi pura ho jayega.
Manikchand: Thik hai par dhyan se.
Ballu: Ji malik.
Raghav: Thik hai phir main chalta hoon.
Manikchand: Okay doctor.
(Raghav apne face par ek kamini smile liye huye Manikchand ke ghar se nikal pada.)
[Conversation Ends]
***
Monday
Kajal Home
Time - 5:05 PM ✿
Bahar garden mein sabhi apni training ke baad sabhi aage aane wale challenges ke bare mein baat kar rahe the.
Arjun: Listen everybody, jaisa ki aap sabko maine bataya hai mujh par, Kriti mam, Rashmika mausi aur Shivangi ji par Manikchand ne hamla karwaya hai aur Raghav ne apna phone aur sim dono hi destroy kar diya hai isliye hume careful rahna hoga.
Kajal: Right.
Rashmika: Raghav ke liye Arjun, Samantha, Shruti aur Kajal se sabse jyada problem hui, isliye ye charo Raghav ki list mein shamil ‘hain*. Raghav charo ke liye khatra hai, am I right??
Krithi: Yeah right, mausi.
Rashmika: Dusri baat Manikchand se Shivangi aur Kriti ko sabse jyada khatra hai par sabhi ko careful rahna hoga jaisa hume Manikchand ke past(ateet) ke bare mein pata chala hai.
Rohan: Yeah I agree with you.
Kajal: Fine then jab kisi ko lage koi khatre mein hai call Rashmika or Arjun, ek aur baat koi bhi apne watch ko apne wrist se na khole aur apna mobile apne paas rakhe, is it clear??
Rashi: Yes mam.
Arjun: Okay phir aaj ka class khatam hua.
***
Kajal Home
Time- 9:30 pm|
Arjun, Rashmika aur Kajal teeno Arjun ke kamre mein baat kar rahe the.
Rashmika: Ek good news hai.
Arjun: Kya??
Rashmika: Raghav ne ek naya sim card kharida hai aur kal subah Sunday ko 8:45 AM ko uska sim Manikchand ke ghar ke paas locate hua tha.
Arjun: Aapko kaise pata chala mausi ki Raghav ne new sim card kharida hai??
Rashmika: Shruti ne mujhe Raghav ke documents diye aur maine uske documents pe nazar rakha bas.
Arjun: Wow mausi you are just awesome aap kisi ke documents se bhi pata laga sakte hai kisi ke bare mein.
Rashmika: Thanks me later, pahle ye pata karo ki kya Raghav kal Manikchand ke ghar gaya tha usse milne ke liye.
Arjun: Okay my super queen.
[5 Minutes Later]
Arjun: Yes mausi Kalpana aunty ne confirm kar diya hai wo milne ke liye gaya tha.
Kajal: Matlab Raghav ne tumhare bare mein bahut kuchh() Manikchand ko bata diya hoga.
Arjun: Yeah. I know.
Kajal: Rashmika main Shruti ko tumhare hawale chhod rahi hoon uska dhyan rakhna.
Rashmika: Ji didi.
Kajal: Arjun ab Samatha ko protect karna hoga.
Arjun: Main Rohit bhaiya ko ye responsibility de deta hoon.
Kajal: Okay good night, main Dhruv ke paas ja rahi hoon sone ke liye.
Rashmika: Aur main apni sasu maa ke paas ja rahi hoon.
Arjun: Okay. Good night, both of you.
____
_______
Planet Plutonium
Queen Srinidhi apne raj darbar mein apne singhasan(throne) par baithi hui thi aur apne chief mantrigan aur Acharya se kuchh jaruri vartalap kar rahi thi tabhi ek sainik darbar mein dakhil hua.
“Hail of the queen, yadi maharani ki aagya ho toh main kuchh kehna chahta hoon.”
Queen: Permission granted.
“Ji maharani bahar bahut sare log aaye huye hain aur aapse milna chahte hain.”
Queen: Logo ko mujhse milne ke liye kab se permission ki jarurat padne lagi sainik??
“Sorry maharani kshama(pardon), aap abhi jaruri vartalap mein vyast thi isliye humne unhe rok diya iske liye maafi chahta hoon.”
Queen: Okay! Sabhi ko respect ke sath darbar(court) mein laya jaye.
“Ji maharani, aisa hi hoga.”
[Some Moments Later]
Bahut sare mahila aur purush darbar mein dakhil huye.
{Hail of the queen. Hail of the queen– logo ki dhwani darbar mein gunj utha.}
Queen: Aap sabhi ka raj darbar mein swagat hai, boliye aap sab mujhse kyun milna chahte hain??
“Ji, ji maharani hume apne king Arjun ke darshan kara dijiye, hum sab apne king ko dekhne ke liye taras gaye hain.”
Queen: Bas itni si baat. Abhi kara deti hoon.
Logo ke aankhon ke samne Arjun ki chhavi dikhai dene lagi, ye wahi samay tha jab Arjun aur Priya dono baat kar rahe the.
“Ye, ye kya hai maharani ji Arjun toh aapke hi sath hai, court mein ek mahila ne kaha.”
Queen: Wo main nahi hoon.
“Phir ye kaise possible hai ki koi aur aap ka roop dharan kar sakta hai, jabki koi bhi kitna mayavi kyon nahi ho aap ka roop dharan nahi kar sakta hai, ek mantri ne ascharya hokar puchh liya??”
Queen: Aapne bilkul sahi kaha hai koi bhi mera roop dharan nahi kar sakta hai sirf aapke king ko chhod kar.
“Phir ye kaise possible hai kisi ne aap ka roop dharan kar rakha hai jabki wo na toh aap hain aur na hi hamare king, ek dusre mantri ne puchh liya??”
Queen: Ye possible isliye hai kyunki wo Arjun ki energy hai.
“Achha! Ye baat hai tabhi main sochun ki aapke *baal roop* ko kisne dharan kar rakha hai– ek mahila ne kaha.”
“Kitna sundar drishya hai jab hamare king Arjun ki shakti hi uske sath hai, par ye kya wo toh hamare king ko pareshan kar rahi hai, ek vyakti ne kaha??”
Queen: Wo Arjun se thoda naraz hai isliye Arjun ko pareshan kar rahi hai, wo Arjun se lagbhag plutonium planet ke according 1 year dur rahi hai aise itni easily na toh Arjun ko maaf kar sakti hai aur na hi Arjun ko apna satya bata sakti hai.
“Ji, ji maharani ab sab kuchh saaf saaf samajh aa raha hai, kya aur kyon ho raha hai ye sab.”
Queen: Aap log ab ja sakte hain aaj ki sabha yahin samapt hoti hai.
“Ji, ji maharani!”
Sabhi log ke sath mantri gan bhi court se chale gaye. Ab sirf court mein maharani aur Acharya hi bache reh gaye.
Acharya: Putri par abhi tak humne Priya ko kyon nahi dekh paya tha aur mujhe lag raha hai jaise aapne bhi Priya ko aaj hi pahli baar dekha hai.
Queen: Aap sahi keh rahe hain Acharya maine bhi Priya ko aaj pahli baar dekha hai aur hum sabne Priya ko aaj pehli baar isliye* dekha hai, kyonki Priya ki wish ke bina main bhi Priya ko na dekh sakti hoon aur na hi jaan sakti hoon ki wo kya kar rahi hai.
Acharya: Hmmm! Phir mujhe bhi jane ki permission dijiye putri.
Queen: Ji Acharya aap ja sakte hain.
[Acharya ke jate hi Srinidhi ke face par smile aa gayi. Aakhir tum bhi apne king ke paas chali gayi milne ke liye aur tumne mera hi roop dharan kar mujhe phir se apne bachpan ki chhavi dikha di, tum dhanya ho Priya, tumhari jai ho Priya.]
***
________________________________________________________________
That's all for this update. The update comprises 5.8k words. Stay tuned till the next update comes. Till then bye bye friends.
Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai...De raha hoon brother thodi der mein, 5.5k likh chuka hoon.
Bas kuchh der mein de raha hoon, images upload kar raha hoon.Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai...













Update 163 has been posted friends!!!!Besabari se intezaar kar rahe hai next update ka dhalchandarun bhai...
Amazing update
Jabardast update
S
So sad i am felling bad par jab koi chapter ka end nahi hoga to naya shuru nahi hoga
Super excellent fantastic update waiting for next
Nice update....
Bahut hi shaandar update diya hai dhalchandarun bhai....
Nice and lovely update....
Wonderful![]()
Bhaut Hee Romanchak Aur Lazawab Update Diyaa Hee
![]()
![]()
![]()
Keep It Up️
![]()
Shaandar emotional update
Bahut hi shandar update
Nice and superb update....
Nice update....
Abhi tak silent thaa boss but is update ne silence tod diya bohat khoob likh rahey ho maza aa gaya accha science ka revision karwa diya warna professional life me bohat kuch out of mind ho gaya thaa.
Yah update sabse khoobsurat coz koi nahi janta thaa ki Arjun. Badla kaisay lega. Aza aa gaya ab aagey ki update n comments ke ready rahiyega.
Super update
nice update
Waiting for next update
Wow bohat hi interesting character hai priya agar story ke ant me is character ka manvi roop dharti per rehta hai to apne Dhurv ki dulhaniya mil gayi hai sabko. Bohat khoob story hai bhai magar characters bohat zada hai to confusion ho jaata hai aur aisi story me problem yah hota hai ki ek bhi update delay ho jaye to story per se pakad choot jati hai zada character ki wajah se ya phir ek taraf zada cover ho gaya to bohat character chut jatey hai. Zadater dekha hai insect stories me log character bohat zada kar detay hai jis wajah se kai log story ke sath insaf na kar ke story ko beech me chod detay hai co woh khud confuse ho jatey hai but
aapne abhi tak bohat ac he se story ko lekar chaley hai aur bohat khubsurat dhang se pesh kia hai aur chotey badey points ko explain kia hai properly. Maza aa gaya bhai.
Sala Raghav kuttey ki dum nikl jo kabhi seedhi nahi ho sakti hai aur yahi kutta panti uski maut ka karan banne wali hai shayad ab uska ant nazdeek hai. Priya ka character intresting hi nahi bohat bohat interesting hai maza aaya.