Alok
Well-Known Member
- 11,769
- 28,675
- 258
Click anywhere to continue browsing...
Bahut jabardast update Riya ji hero ki sari behne ab uski achai dekh paa rahi hai aur ab wo bhi hero ke liye bura nahi soch rahi hai aur Niharika aur Guru ji hu aise insan hai jo hero ko jeetana chahte hai jabki baki sabhi inke khilaaf Sajish kar rahe haiUPDATE-6
Agali pratiyogita se phele sabhi bhojan karne me vyast the, dusre rajayo ke raja rajkumar yaha ki rajkumariyo se baat chit karne me lage hue the, jiska moka lagta wo apna prabhaw jamane me laga hua tha, wahi pratap singh niharika ke aas pas ghum rha tha, waise to sabhi ka dhayan niharika per hi tha lekin kisi ki himmat nhi ho rhi thi, lekin pratap singh ko farak nhi pad rha tha, use bas niharika chhahiye thi,
Pratap singh- kaisi hain maharani
Niharika- main thik hu maharaj, aapko humare rajay ka swagat pasand to aaya na
Pratap singh- pasand to bahut aaya h, man karta h apne sath le jau
Niharika- ji main kuch samjhi nhi
Pratap singh- mera matlab h, man karta h yahi reh jau,
Niharika- ye to humari khushkismati h, ho sakta h jaldi hi dono pariwaro ka sambandh jud jaye, to fir aap yaha kabhi bhi aa sakte hain,
Pratap singh- main bhi yahi soch rha hu, tabhi ka intejar kr rha hu,
Pratap dohri baat kar rha tha, jabki niharika sidhe sawbhav me baat kar rhi thi, in dono ko baat karte hue bhawar singh ne dekh liya, bhawar singh jalan aur gusse me bhadak gaya, aur usme ghee ka kaam kiya kamya ne,
Kamya- bhaiya ye niharika pratap singh ke aas pas kuch jyada hi ghum rhi h, pratap singh ko to aap jante hi hain wo kaisa insan h, agar uski najar aapki patni per pad gai to wo kuch bhi kar jayega, aur ye niharika uske sath hi has has kr baat kar rhi h, kahi koi yojna too nhi bana rhi ye,
Bhawar singh gusse me niharika ki taraf gaya, bhawar singh ko us taraf aata dekh najane pratap singh ko kya hua wo waha se hat gaya, bhawar singh ka gussa aur badh gaya, uske dimag me shak paida ho gaya, wo niharika ke pas pahucha
Bhawar singh- niharika ye pratap singh tumhare pas kya kar rha tha,
Niharika- kuch nhi maharaj, bas yaha ki tareef kr rha tha,
Bhawar singh- tumhe badi khushi ho rhi thi tareef sunkr
Niharika- humare mhemaan khush hain isme hume to khush hona chahiye na,
Bhawar singh jyada baat kar pata tab tak kamya waha aa gai, aur bhawar singh ko pratiyogita ki baat karne ke liye le gai,
Niharika asmanjas si me khadi reh gai,
Charo rajkumaro ko abhi tak kisi se milne ki anumati nhi thi, wo agali pratiyogita ke iintejar me the, tino bhaiyo ko to pata tha agali pratiyogita kya h, un tino ke chere per chinta saaf dikh rhi thi, lekin dev aaram se baitha hua tha, use dar hi nhi tha kya hone wala h,
Kuch der baad rajguru ne sandesh bhej diya ki charo rajkumar teyar rhe pratiyogita shuru hone wali h,
Rajguru ne fir se sabka dhayan apni taraf kiya, aur agali pratiyogita ke bare me btaya jo thi yukti matlab chalaki.
tino rajkumar ek ek karke maidan me gaye aur apni prtiyogita khel kr bahar aa gaye, uske baad gaya dev sabse aakhir me, wo jaise maidan me pahcuha aur apne charo taraf dekha to dev ek dum ghabra gaya kyoki unke samne 5 janwar kahde the, ek tha sher dusri taraf tha magarmach tisri taraf tha ghoda aur chothi taraf tha hathi, aur bich me thi 1 bakri, charo janwao ke piche the darwaje, rajkumar ko apni budhi ke bal per waha se bahar niklna tha,
Maidan uchi uchi deewaro se ghira hua tha waha se bahar niklna asan nhi tha, unke upper log baithe hue dekh rhe the,
Rajguru ne sabhi ko prtiyogita ke bare me bata diya,
Suraj jwala aur abhijeet ko to pata tha waha kya hona h, isliye wo tino phele se teyari karke waha gaye the is hisab se bahar nikal gaye, lekin dev ko koi jankari nhi thi, wo kuch der khada rha, fir wo ghode ki taraf gaya lekin ghoda ne uske kareeb aate hi uchalna shuru kr diya, dev samjhgaya ye jungali ghoda h sawari nhi karne dega, aur raste se hatega bhi nhi, hathi ko apni jagah se hatana bhi asan nhi tha, magarmach aur sher ke to pas jana bhi namumkin tha,
Dev bakri ke pas gaya aur bakri ko khol liya, sabhi ko samjh aa gaya ki kya hone wala h kyoki isse phele tino rajkumaro ne bhi yahi kiya tha, suraj ne bakri ko khola aur magarmach ke pas le gaya, magarmach ke samne bakri ko kar diya magarmch bakri ki taraf bahda to surej ne magarmch ko khol diya aur khud uske piche se nikal gaya,
Wahi jwala ne khud ko bahadur dikhane ke liye bakri ko sher ke samne dala aur sher ko khol diya aur khud darwaje se nikal gaya, abhijeet ne bhi bakri ko magarmach ke samne dala aur waha se nikal gaya,
Niyam ye tha ki bina jawar ko khole darwaje se bahar nhi nikal sakte the,
Jab dev ne bakri ko khola to sab samjh gaye ki dev bhi yahi karega kyoki tarka bhi ye hi tha, lekin dev ne bakri ko magarmach ke pas nhi kiya usse thoda dur rakha, magarach bakri ki taraf badha to dev ne piche se jakar magarmach ko khol diya, magarmach teji se bakri ki taraf gaya lekin dev usse phele dod kr bakri ke pas pahuch gaya aur bakri jo dar kr bhagne lagi thi use pakad liya aur magarmach se dur le gaya, magarmach ne dev ke picha kiya lekin dev usse dur bhag rha tha, dev ko moka mil gaya ki bahar niklne ka wo jaise hi bakri ko lekar darwaje per pahucha to usne dekha magarmach ghode ki taraf ja rha h, aur ghoda bandha hua, wo apni jaan bachane ke liye bas apni jagah per kud sakta h, aur magarmach aajad h,
Dev ek pal ke liye ruka aur darwaja khol kr bakri ko bahar bhaga diya aur khud wapas aa gaya, sabhi log aashchara se dekhne lage, lekin bhomik ji ke chere per ek muskan thi, unhone garav se idhar udhar dekha,
Dev dodta hua ghode ke najdeek pahucha, ghoda dara hua tha, wo kisi ko najdeen nhi aane de rha tha, dev ghode ke najdeek pahcuha ghoda dar kr piche hua tabhi waha magarmach bhi aa gaya, dev ne turant ghode ki rashi khol di, jisse ghoda uchalta hua bhaga, magarmach dev ki taraf bhaga lekin dev jaldi se ghode ki rassi pakad kr uske sath bhagne laga, magarmach jaise hi mud kr unke piche gaya dev ne rassi chodi aur darwaje ki taraf bhaga aur darwaja khol diya, aur khada ho gaya,
Sabhi logo ko laga dev ab bahar aa jayega lekin wo khada rha, darwaja khula dekh ghoda bhi uski taraf aa gaya dev ne use bhi bahar nikal diya aur khud darwaje se bahar nikal kr darwaja band kr diya,
Sabhi ne taliya baja kr dev k bahaduri ka swagat kiya,
Pratiyogita samapt ho chuki thi, raajguru fir se apni jagah pahuch gaye,
Raaj guru – is partiyogita me bhi charo rajkumar safal rhe, lekin tino rajkumaro ne jo apni jaan bachan ke liye kiya usse do jane chali gai,
Tino rajkumar chonk gaye, 2 jaane kaise,
Rajguru- unhone bakri ka sahara lekar magar ko khol diya, jo bakri ke baad sidha ghode ke pas jayega aur kuch der ghoda khud ko bacha sakta h lekin jaldi hi magar ka shikar ho jayega, lekin devdut ne apni budhi aur bahaduri se apne sath sath baki dono jaane bhi bacha li, us bakri ki bhi jo kewal waha rajkumar ki raksha ke liye bandhi thi aur us ghode ki bhi,
Yahi ek sachhe yodha aur raja ki phechan hoti h jo apni jaan se phele bejubano aur parja ki soche,
Pratap singh bich me bol pada,
Pratap singh- raajguru wo magar khula hua h, wo us hathi aur sher ko bhi to kha sakta h,
Raajguru- is hisab se to tino rajkumaro ne 4 jane le li, lekin aisa nhi h, shayad un tino rajkuamro ne aisa na socha ho ki kon jiyega kon marega lekin devdut ne aisa socha, kyoki magar hathi se nhi lad sakta, hathi use mar dega aur sher se to khud hathi bhi nhi ladta, magar sher ke pas jayega bhi nhi kyoki ye pani nhi h, pani ke ander magar un dono per humla kar sakta tha lekin khule maidan me nhi,
Rajguru ki baat per taliyo ki gadgadahat hone lagi, khud bhawar singh tali bajane se nhi reh saka, lekin amrawati somitra kamya suraj jwala aur abhijeet gusse me pagal hue ja rhe the,
Rajguru khud hairat me the, ye kya ho gaya, ye kaise ho sakta h, bhomik ji rajguru ke pas aaye,
Bhomik ji- kya hua bhaiya aap chintit hain,
Rajguru- ye sahi nhi ho rha h, is ladke ko bachpan se kuch nhi sikhaya gaya, bas vidya di gai h baki kuch nhi fir bhi ye sabse aage h,
Bhomik ji- aap shayad bhul rhe hain vidya se jyada shaktishali kuch nhi hota, har mushkil ka jawab hota h vidya me,
Rajguru- agar ye jeet gaya to anarth ho jayega,
Bhomik ji- aisa kyo bhaiya aap kuch chupa rhe hain mujhse, aap is ladke se itna darte kyo hain, itna masoom h ye ladka,
Rajguru- udhar dekho, (rajguru ne amrawati somitra aur kamya ki taraf ishara kiya,) wo tino apne apne bete ko yuvraaj banana chahhti hain, iske liye unhone is pratiyogita ke sare charan phele hi pata kar liye the, fir bhi unke bete haar rhe hain, wo tino sajiso ki maharani hain, agar unke bete yuvraaj nhi bane to wo sab tabah kar sakti hain,
Bhomik ji- unke dar se kisi galat insan ko yuvraaj bana denge aap
Rajguru- tumhe kya lagta h bhawar singh achha insan h, nhi wo bahut bura h lekin humara dharam rajay ko bachana h, main kisi trha se is rajay ko bachata aa rha hu, lekin ab sajishe bahut badh gai hain, aur jaisa main dekh rha hu ek vidhvansh aa rha h is rajay ki taraf, mujhe dar h kahi ye wahi samay na ho, agar devdut yuvraaj bana to ye log use marwa dengi, aur sath me niharika ko bhi, jo hota dikh rha h,
Bhomik ji- isiliye un dono ki kundali me kuch nhi dikhta kyoki unki jeevan rekha hi nhi h,
Rajguru- lekin maine unki mratyu nhi dekhi, unki kundali me unki mratyu ka koi yog nhi banta, aisa lagta h jaise unki kundali koi aur hi apne hisab se likh rha h,
Bhomik ji- bhaiya is sansar me kitna bhi gyan aa jaye lekin koi bhagwaan ke faislo ko nhi samjh sakta, shayad ye hi niyati ho, jo ho rha h hone dijiye, bich me badha mat baniye,
Rajguru- main nhi chahta is ladke ko kuch ho, lekin isse is rajay ka vidhvansh juda hua h,
Tabhi waha bhawar singh aa gaye, rajguru ne bhomik ji ko waha se bhej diya,
Bhawar singh- rajguru devdut ne ye sab kaise kr liya, humari ummed ke pare ye kaise ho gaya, kya wo yuvraaj ban jayega, kya wahi hone ja rha h jiska dar tha,
Rajguru- mujhe nhi pata maharaj, lekin kuch thik nhi lag rha, waise abhi do pratiyogita bachi hui hain, agar baki rajkumaro me se koi un dono me jeet jata h, aur devdut har jata h to aisa kuch nhi hoga,
Bhawar singh- wo harna chahiye rajguru,
Raat me mahal ke kamro me bahut se log alag alag jagah ek hi baat per charcha kar rhe the, ki dev ne ye sab kaise kiya,
Amrawati- suraj tu kaise har sakta h,
Suraj- maa main to wahi kar rha hu jiski teyari ki thi lekin wo haramkhor devdut na jane kaise kuch nai tarkeeb laga rha h,
Amrawati- wo yuvraaj nhi banna chahiye, agar wo yuvraaj bana to sab tabah ho jayega,
Suraj- tabah ho jayega, kaise tabah ho jayega.
Amrawati- tu ye sab chod bas kisi trha use hara
Suraj- aap chinta mat kijiye, maine sab intejam kiye hue hain,
Wahi kamya apne kamre me thi abhijeet ke sath
Kamya- main is devdut ko barbaad kar dungi, iska aisa hasher karungi ye apni mot ke liye tadpega,
Abhijeet- maa wo ye sab kaise kar gaya, mujhe yakeen nhi ho rha
Kamya- chup ho ja tu nalayak, tu hamehsa ayashi me hi laga rhe, wo suraj bhi tujhse jeet gaya, kabhi thik se apne guru ki baato per dhayan diya hota to aaj ye haar na dekhni padti,
Abhijeet chup ho gaya, kamya gusse me idhar udhar ghumne lagi,
Somitra apne kamre me- ab waqt aa gaya h,
Jwala- kaisa waqt maa,
Somitra- sab pata chal jayega, bahut samay se intejar tha mujhe is samay ka,
Jwala- kya hone wala h maa
Somitra- vinash
Idhar charo rajkumariya ek hi kamre me baithi hui thi,
Akshara- aaj to dev ne kamal hi kar diya, dono partiyogita me vijeta rha, kisi ko umeed nhi thi wo aisa kar payega,
Riva- sahi bol rhi h, maine kabhi socha bhi nhi tha dev ke pas itni budhi h, bilkul nasamjh sa lagta h, lekin dekho aaj kaisa karnama kar dikhaya,
Amita- sach me yaar aaj to kamal hi kr diya usne, suraj ko bhi hara diya,
Somiya- mujhe kuch aachha sa mhesus nhi ho rha dil bahut ghabra rha h, jis ladke se meri shadi ki baat ho rhi h mujhe uski harkate achhi nhi lag rhi,
Akshara- ye sabhi raja rajkumar ek jaise hi hote hain, sabhi kitni gandi tarike se dekh rhe the hume,
Riva- aur wo pratap singh, mujhe to usse dar lag rha h,
Amita- mujhe mardo ki najre achhi lagti thi lekin aaj aisa lag rha tha jaise main ek numaish ki chij hu, mujhe pata h mujhe kiske gale me vermala dalni h fir bhi main logo ke liye tamsha sa bani hui thi,
Riva- aaj jo bhi ho rha tha usme ek baat to samjh aai gai ki hum ladkiya khud ko kitna bhi takatwar dikha de lekin hum bas in mardo ke liye unhe khush karne aur rajniti karne ka saman hain, aaj kisi ki najro me chupi achhai ka ahsas ho rha h, saaf najre kitna sakoon de sakti hain,
Somiya - kiski baat kar hri ho tum
Akshara- sirf ek hi h jiski najro me hamesha sachhai aur safai dekhi h, wo h dev, kyo riva sahi kaha na
Riva- ha sahi kaha, suraj jwala aur abhijeet ki najaro me bhi maine khud ke liye gandagi hawas dekhi h, lekin dev ki najro me kabhi kisi ke liye kuch galat nhi dekha,
Charo bheno ne jab samaj ka asli chera dekha to unhe dev ki achhai ka anubhav hua, duniya me har aurat takatwar ki taraf aakarshit hoti h, lekin jab use jeevan sathi chunna hota h to wo hamehsa achha aur sachha insan hi dhundti h, aur ab wo apne pati ke roop me dev jaisi achhai wala insan dhund rhi thi, lekin dev to akela tha is duniya me aur wo bhi unka bhai tha,
Idhar dev niharika ke pas baitha hua tha,
Niharika- aaj tune mera sir garav se ucha kar diya beta,
Dev- maine kuch nhi kiya maa, main to wahi kar rha tha jo aapse sikha h, ye sab gyan mujhe aapse hi to mila h, aacharya ji ke baad aapne hi mujhe sab sikhaya h,
Niharika- lekin tere jitne se koi khush nhi h, agar tu baki do pratiyogita bhi jeet gaya to
Dev- to kya main khud yuvraaj banne se mana kar dunga, main to bas aapke samman ke liye ye partiyogita khel rha hu, aaj maine sabki najro me samman dekha maa, bas wahi samman chahiye mujhe, isse jyada mai kuch nhi chata,
Niharika ne dev ko gale se laga liya,
Agali subha sabhi waise hi maidan me pahuch gaye, rajguru ji apni jagah khade the, sabhi ka swagat kiya gaya, pratap singh waha aate hi niharika ko dhundne laga, niharika sabse piche baithi thi, pratap singh ki najar bar bar niharika per ja rhi thi, kamya ne bhawar singh ka dhayan pratap singh per karwaya,
Bhawar singh ka matha fir se chadh gaya tha, wo khud niharika ke pas nhi jata tha lekin koi aur use dekh le ye use bardast nhi tha,
Rajguru ne pratiyogita ki shuruaat karwai, ye pratiyogita thi shahanshakti ki, isme charo rajkumaro ko ek hi jagah per khade rhena tha, jameen me char lakdi ki balliya gadi hui thi, jinhe pakad kr khada hona tha, aur jab tak koi ek na reh jaye tab tak khade rhena tha, tab tak na bhojan milega na hi pani, wo kitne samay tak khade reh sakte the, aur waha aane wali samshyao ko kab tak jhel sakte the, aur kisi ko baithne ki bhi anumati nhi thi,
Charo rajkumar waha aa gaye aur apni apni jagah per kahde ho gaye, charo nange pair the, niche rait thi, kuch der to sab aaram se khade rhe lekin ek jagah per khade rehna aasan kaam nhi tha, jaise jaise garmi badhne lagi, pani ki pyas bhi badhne lagi, niche se rait garam hone lagi thi, aur usme jo chitiya ghum rhi thi wo rajkumaro ke shareer per chadhne lagi thi, pairo me dard hone laga tha, baki sab log aaram se baithe the bhojan kar rhe the, wahi pratap singh niharika ke aas pas hi ghum rha tha, jisse bhawar singh gusse me aag babula ho rha tha,
Kamya bhawar singh ke aas pas hi ghum rhi thi, wo bar bar bhawar singh ko pratap singh aur niharika ke bare me bhadka rhi thi,
Kamya- bhaiya ye aurat aapki ijjat per daag lagwayegi,
Bhawar singh- kamya ise yaha se le jao,
Kamya- yaha se le jane se iska kya hoga, ye is rajay me hi rhene layak nhi h,
Bhawar singh- filhal ise le jao, aur mujhe lagta h is pratap singh ke mujhe apni beti ki shadi nhi karni chhaiye,
Kamya- bhaiya pratap singh se dushmani humare liye thik nhi h, is niharika ki wajah se hum usse dushmani kyo le,
Bhawar singh chup ho gaya,
Kamya- mujhe kuch sajish ka dar lag rha h
Bhawar singh – kaisi sajish
Kamya- idhar ye niharika pratap singh se yarana badha rhi h, aur udhar iska beta devdut jise koi gyan nhi tha, koi yudh kala nhi sikhai gai wo kitne aaram se pratiyogita jeet rha h, kahi ye sab is niharika ne pratap singh ke sath milkr humare aadmiyo ko dhan ka lalach dekr pratiyogita ke bare us devdut ko phele se hi sab to nhi bata diya, islye wo jeet rha h,
Bhawar singh ke dimag me chinta ubharne lage,
Kamya itna bol kr waha se nikal gai, bahwar singh ka dhayan dev per gaya jo badi hi shanti se maidan me khada tha, jabki baki tino rajkumaro ko badi takleef ho rhi thi, niche garam rait pair jala rhi thi, upper se kadi dhup shareer jala rhi thi, shareer per chitiya raing rhi thi, bhook aur pyas se takleef badh rhi thi, aur sham hote hote sabse phele suraj ne haar maan li uske baad jwala ne fir abhijeet ne, aur dev akhir tak maidan me khada rha,
Rajguru ne dev ko vijeta ghoshit kiya, pura rajay achambhit tha, jise sabse kamjor samjha ja rha tha usne tino rajkumaro ko hara diya tha, pura rajay khushi se taliya baja rha tha, jabki amrawati somita aur kamya gusse me mari ja rhi thi, bawar singh bhi chintit the,
Raat me charo rajkumaro ka ilaj kiya ja rha tha, dev ki halat bhi kafi kharab ho gai thi, lekin wo sahan kr rha tha aur yahi is pratiyogita ka niyam tha kon jyada sahan kar sakta h,
Raat me amrawati somitra aur kamya ke kamre me bhuchal aaya hua tha, wo chije idhar udhar faink rhi thi,
Amrawati ke kamre me
Suraj- maa shant ho jaiye, humare pas moka h, kal shakti pradarshan hoga, aur aap janti h mujhse takatwar yaha koi nhi h,
Amrawati- tu nhi samjhta bete, wo devdut yuvraaj nhi banna chahiye,
Suraj- maa wo yuvraaj nhi banega, lekin aap itna pareshan kyo ho usse, wo humara kya bigad lega,
Amrawati- main pichle 19 saalo se isi dar me hu ki kya hoga,
Suraj- main samjha nhi maa
Amrawati- jab jab is is mahal me kisi ladke ne janam liya h, maine apne ek prohit se sabki janam kundali dikhai h, aur jab jwala paida hua tha to uske bhagya me na yuvraaj pad h na hi raja banna likha tha, fir ye abhijeet paida hua to uski kundali me bhi wahi tha, lekin jab ye devdut paida hua to prohit ji bhi ghabra gaye the, unhone kaha tha iska janam bahut hi vishesh karya ke liye hua h, iske bhagya me raja banna likha h, jab ye raja banega to isse bada koi raja nhi ho sakega,
Suraj- hum ise raja banne hi nhi denge,
Amrawati- jab yaha ke rajguru ne iski kundali dekhi to unhone kaha tha ye raja bhawar singh ke liye jeevan me vidhvansh layega, unke hisab se ye kabhi raja nhi banega,
Suraj- do bhagya kaise ho sakte hain,
Amarawati- in dono ki baato me ek khas baat thi,
Suraj- wo kya
Amarawati- jo bhi hoga wo iski 18 se 19 saal ki umar ke bich me hoga,
Suraj- aur ye usi umar me h is waqt,
Amarwati- ha
Suraj- aap chinta mat karo, ye shadi hone do main ise raste se hata dunga, maine sab yojna banai hui hain,
Wahi dusre kamre me somitra aur jwala bhi isi mudde per baat kr rhe the,
Jwala- main is devdut ko jaan se maar dunga,
Somitra- ise marna hi hoga, warna iske liye jo bhavishyawani hui thi wo sach ho jayegi,
Jwala- konsi bhawishyavani maa
Somitra- mere pita ke rajguru ne dev ke liye bhaivya wani ki thi ki ye bahut bada yodha banega, isse jeet pana namumkin hoga, isliye maine mharaj ko bhela fusla kr ise kabhi yudh kala hi sikhne nhi di, lekin ye bina kuch sikhe hi pratiyogita jeet rha h, unhone kaha tha agar ise 18 se 19 saal ke bich tak rok diya to thik warna ye nhi rukega,
Aur humare rajguru bolte hain h ye maharaj ke liye thik nhi h,
Jwala- main ise kal hi maar dunga, iska ant nikat aa chukka h, main ise kuch banne hi nhi dunga,
Idhar kamya bhi isi udhed bun me lagi hui thi,
Kamya- abhijeet agar tujhe raja banna h to sabse phele is dev ko raste se hatana hoga,
Abhijeet- maa uska dar nhi h wo to darpok h, suraj aur jwala humare raste me aayenge, dev pratiyogita jit kr bhi kuch nhi kar sakega,
Kamya- tu nhi janta beta, ye ladka jaisa dikhta h waisa h nhi, iske ander kuch alag hi h, humare pas ek hi moka hoga ise raste se hatane ka, agar wo moka hath se nikal gaya to sab barbaad ho jayega
Abhijeet- kaisa moka
Kamya- jab ye paida hua tha to maine iski kundali ek tantrik se dikhwai thi, usne btaya tha ki agar ladka jinda rha to sab kuch tahas nahas kar dega, 18 saal se 19 saal ke bich me agar ise maar diya to thik warna ise koi nhi maar payega, iski mratyu sirf 18 se 19 saal ke bich me ho sakti h, na usse phele aur na uske baad,
Abhijeet- aisa kaise ho sakta h, ek insan hi to h jab chaho mar do,
Kamya- main pichle 18 saalo se ise marne ki koshish kar rhi hu, iske khane me lagatar thoda thoda jahar milati aa rhi hu taki ye bimar hokr mar jaye aur kisi ko shak na ho, ye aaj tak bimar bhi nhi pada, maine bahut bar ise marne ki koshish ki h lekin maar nhi pai, lekin ab jo halat chal rhe hain us hisab se aisa lag rha h wo samay aa gaya h, yahi samay h jab ise marna sahi hoga, warna ye hum sbako tabah kar dega,
Aisi hi charcha bhawar singh aur rajguru ke bich bhi chal rhi thi,
Bhawar singh- kya lagta h raj guru
Rajguru- maharaj mujhe lagta h samay aa gaya h,
Bhawar singh- lekin main ye sab karunga kaise
Rajguru- kuch to karna hi hoga,
Aa gaya ji updateBesabari se intezaar kar rahe hai next update ka riya singh ji....
Aa gaya ji update
De diya ji updateRiya ji update kab doge