Kya Dev ko is pratiyogita ka vijeta ghoshit kar diya jayega? Rajguru aur Bhaumik ji kyun Dev ka bhavishya thik se nahin dekh pa rahe they ? Kyun Rajguru ko Dev ke roop mein uske apne hi pita ki tabahi dikh rahi thi? Kyun Bhaumik ji ko jo bhi dhyan mein dikha woh badal gaya ? Ya phir woh jo bhi dekhte they woh adhura dikhta tha? Is waqt Sattavik kya kar raha hai? Kasturi aur Abhijeet ka pehle se affair chal raha tha? Kya Dev aur Kasturi ke beech jo hua woh sab Abhijeet ki saazish thi? Kya unki is saazish mein Kasturi ke mata pita aur bahan Sugandha bhi shaamil they? Kya unhein is sab ke baare mein kuchh pata bhi hai ki nahin? Kya Dev apni maa aur bahan ko diye hue vachanon ko poora kar paayega? Sab uski jeet se nakhush hain.....toh ab woh log Dev ke saath kya chaal chalenge? Aur Pratap Niharika aur Riva ko paane ke liye kya shadyantra rachega? Kya woh Pratap Singh Riva ko paane mein kabhi kamyaab ho paayega ya Dev Riva ko bacha lega? Kahin Ansh ki bahan Roshani Dev ki bahan Riva ya Akshara ka punarjanm toh nahin na? Dekhte hain ab kya hoga? Kaise Dev apne upar hue har zulm har sitam ka badla le paayega? Kya woh Abhijeet aur Kasturi ko unke kiye dhokhe ki saza de paayega? Aur kaise hoga yeh sab?