• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aapka sabse favourite female character?

  • Kajal

    Votes: 169 59.9%
  • Rashmika

    Votes: 90 31.9%
  • Anu

    Votes: 35 12.4%
  • Kriti

    Votes: 54 19.1%
  • Krithi

    Votes: 35 12.4%
  • Rashi

    Votes: 35 12.4%
  • Anupama

    Votes: 31 11.0%
  • Sriya

    Votes: 33 11.7%
  • Shivangi

    Votes: 26 9.2%
  • Divya

    Votes: 21 7.4%
  • Shreya

    Votes: 25 8.9%
  • Nadhiya

    Votes: 25 8.9%
  • Ravina

    Votes: 78 27.7%
  • Nayanthara

    Votes: 28 9.9%
  • Anushka

    Votes: 24 8.5%
  • Trisha, Sri Leela, Hansika, Pooja, Amala, Twinkle

    Votes: 24 8.5%
  • Seetha, Pavitra, Diviya, Keerthy

    Votes: 16 5.7%
  • Ko

    Votes: 7 2.5%
  • Ii

    Votes: 7 2.5%

  • Total voters
    282

PS10

Active Member
728
1,210
124
Update 124
Last Breath

Recap: In the previous update humne padha tha ki Priya ne Manikchand ko ye bata diya tha ki uski maut Arjun ke hathon hone wali hai jabki dusri aur Vishal ne Mahendra ki problem ko solve karne ke liye ek plan socha tha.

Now Next:>>>

[[Manikchand Home, Tuesday]]

Kalpana aur Dhanush jab evening ko apne office se ghar pahuche toh apne ghar ke bahar jagah jagah bikhre huye guns dekh kar shock reh gaye.

Ek pal dono ko laga Arjun ne Manikchand ka game over kar diya hai, par dono ko jald hi samajh aa gaya ki ye jhooth() hai, kyunki agar aisa hua hota toh gate ke bahar security guards pahle hi dono ko ye khabar de chuke hote aur Arjun se bhi dono ko ye information mil chuki hoti.

Dono apne pumping(dhadakte) dil ke sath ghar ke andar dakhil ho gaye. Manikchand, Mohan aur Mohan ke 20 log sabhi hall mein baithe the, sabka muh utra hua tha, dekhne se aisa lag raha tha jaise sabhi kisi sadme mein ho, sabke face par saaf saaf *darr* jhalak raha tha.

Sabhi apni *darr* aur bechaini mein itna khoye huye the* ki kisi ko bhi Kalpana aur Dhanush ka room ke andar dakhil hone ka pata hi nahi chala.

“Kya hua hai aap sabhi ko?? Aap sab kis khayal mein dube huye hain??”

[Kalpana ki aawaz se sabhi behoshi ki halat se bahar aa gaye aur sabne Kalpana ki aur dekha. Sabke mann mein ek hi khayal aaya. Ye hume barbad karna chahti hai aur dekho kaise bholi banne ka natak kar rahi hai kamini kahini ki.]

Yadi Manikchand ko pahle pata hota ki uski sabhi information ko Kalpana aur Dhanush ne leak kiya hai toh wo dono ko ab tak jaan se maar chuka hota. Par Manikchand aisa na kar saka, Manikchand ke mind mein ab bhi Priya ki wo baat gunj rahi thi.

[Manikchand jis chaku se tum Kalpana aur Dhanush par prahar karoge wo chaku tumhe hi dard degi par tumhe maut nahi aayegi, jis aag se tum dono ko jalana chahoge wo aag tumhe hi ghav degi lekin tumhe maut nahi aayegi. Manikchand Priya ki baat ko ignore nahi kar sakta tha use samajh aa gaya tha ki Priya ne jo kaha hai sach kaha hai aur usne Priya ka wo roop dekha tha jo kisi ne aaj tak nahi dekha tha.]

Kalpana: Papaji kis khayal mein dube huye hain, kya aapne Arjun ko marne ki puri taiyari kar li hai, kya plan banaya hai aapne??

[Sali kutiya mere sath double game khel rahi hai, Manikchand ne mann hi* mann aaj apni bahu ko pahli baar gali diya, use pata tha ki wo Kalpana ko gali dene ke alawa aur kuchh() nahi kar sakta hai. Manikchand jaisa bhi tha par usne kabhi bhi apni bahu Kalpana ke liye galat vichar apne mann mein nahi laya tha, par aaj wo apni hi bahu ko gali de raha tha par kuchh() kar nahi pa raha tha. Yahi sach hai jo log kamzor hote hain wo gali dete hain aur jo log strong hote hain unhe gali dene ki jarurat nahi hoti hai wo direct saja dete hain.]

Kalpana: Kya hua papaji aap kahan kho gaye, maine puchha() kya aapne Arjun ko marne ki taiyari kar liya hai???

Manikchand: Nahi.

[(Manikchand ne bahut hi dhire se bade vichitra dhang se uttar diya aur mann mein khud se bola, sali yadi maine tumhe bata diya ki main Arjun ke liye kya plan bana raha hoon toh tum pakka Arjun ko ye information de dogi. Ab Manikchand ko sab samajh aa gaya tha ki kyun Kalpana usse sab plans ke bare mein puchh() leti thi jo wo Arjun ke khilaf use karna chahta tha.))]

Kalpana: Papaji dinner ke liye kya banau??

Manikchand: Kuchh() nahi hum sabko bhukh nahi hai hum sabhi ne bahar bhojan kar liya hai, tum dono pati patni apne liye bhojan khud bana lo aur kha kar so jao.

[Manikchand ne ek baar phir se bade hi vichitra dhang se kaha jo Kalpana ko bura laga, kyunki uska sasur jaisa bhi tha kabhi bhi Kalpana se koi galat tone mein baat nahi kiya tha par aaj usne 2 baar bahut hi vichitra tarike se jawab diya tha.]

“Kya hua aap aise kyun bol rahe hain??? Aap kabhi bahar nahi khate hain phir aapne aaj bahar bhojan kaise kar liya??”

Manikchand: Tumhe ek baar mein baat samajh nahi aati hai kya, maine kaha na hum sabhi ne bahar bhojan kar liya hai.

[Par sach toh yahi tha ki Manikchand itna *darr* hua tha ki bhojan ke bare mein wo bhul hi chuka tha use reh reh kar Priya ki wo baat yaad aa rahi thi ki uski maut Arjun ke hath se jaldi hi hone wali hai.]

[Manikchand ne itni jor se bola ki ek baar ko Kalpana *darr* gayi ki aaj inhe kya ho gaya hai, ye aise kyun behave kar rahe hain.]

“Hmmmm, thik hai jaisi aapki marzi.”

[Kalpana itna bol kar apne kamre ki aur chali gayi aur sath hi Dhanush bhi chal pada.]

------

Kalpana aur Dhanush dono apne kamre mein dinner ke baad soye huye the.

Kalpana: Aaj papaji ko kya hua hai, kahin unhe hum dono par doubt toh nahi ho gaya hai???

Dhanush: Nahi ye possible nahi hai, yadi unhe pata hota ki unki barbadi mein hum dono ka hath hai toh abhi tak ve hum dono ko jaan se maar chuke hote.

Kalpana: Ha ye bhi sahi kaha aapne.

Dhanush: Love, main jaldi hi’’ ye game() se nijat pana chahta hoon.

Kalpana: Main bhi.

Dhanush: Arjun ko call karo.

Kalpana: Okay!!

[[Kalpana connects to Arjun]]

((Arjun jo apne kamre mein soya hua tha aur apni hone wali biwi Nithya se WhatsApp chat kar raha tha, chat ko bich mein hi chhod diya.))

Arjun: Hello aunty.

Kalpana: Hello beta.

Arjun: Boliye aunty kya baat hai jo aapne itni raat ko call kiya hai???

Kalpana: Arjun beta aaj Manikchand ka behaviour kuchh() badla badla sa lag raha tha, aisa lag raha tha jaise wo kisi cheez se bahut pareshan aur dara(scared) hua ho.

Arjun: Apni maut ke bare mein soch soch kar *darr* gaya’ hoga bechara.

Kalpana: Nahi aaj unhone pahli baar mujhse() galat tone mein baat kiya, aisa laga jaise wo mujhse baat nahi karna chahta hai.

Arjun: Koi baat nahi aunty bas Friday tak aur apne sasur ko jhel lijiye. Saturday ko main Manikchand ko upar bhej dunga phir aap unse() hamesha hamesha ke liye nijat pa lengi.

Kalpana: Mera ashirwad sada tumhare sath hai Arjun beta.

Arjun: Thank you aunty aap na hoti toh main Manikchand ka sach kabhi nahi jaan pata. Aap ek aisi pavitra aatma ho jisko es dharti ki jarurat hai. Aapki jitni bhi tarif ki jaye utna hi kam hai. Aapki mahanta(greatness) sabse alag hai aunty jo sach ke liye aap apni hi family ke against chali gayi. Kash sabhi aapke jaisa hote toh ye dharti par paap bahut kam hota.

Kalpana: Kya baat hai aaj tum apni Kalpana aunty ki bahut tarif kar rahe ho??? Yadi mujhe line maar rahe ho toh sambhal jao hero, main already shadi shuda hoon aur apne husband ke liye loyal hoon.

Arjun: Nahi aunty main sirf aapko sach bol raha tha aur mere mann mein kuchh() nahi hai.

Kalpana: Okay! Main tumhari tarif ko accept karti hoon. Bye, good night Arjun beta.

Arjun: Good night aunty. Uncle ke sath maze karte rahiye.

(Arjun ne muskurate huye call cut kar diya.)

[[Call Disconnected]]

Kalpana: Kyun ji maza nahi karna hai aapko mere sath??? Suna() na Arjun ne kya kaha??

Dhanush: Ha ha maine sab sun liya. Agar tumhare jaisi biwi sath ho toh kise mann nahi karega. Par darling tumhe toh pata hai ki humne kitne varsho se kuchh() bhi nahi kiya hai aur ab mann() bhi nahi karta hai.

Kalpana: Ha ha mujhe pata hai aur mujhe bhi mann nahi karta hai. Sex se jyada hum dono ko dusre ki peeda takleef deti hai aur wahi hum pichhle() 15 years se kar rahe hain().

Dhanush: Good night ab so jate hain.

Kalpana: Good night darling.

[(Dono husband and wife ek dusre ke sath hi so gaye.)]

______

Arjun Room
Time- 10:25 pm

Arjun ne phir se Nithya ko message kiya par udhar se koi reply nahi aaya.

Jab 5 minutes aur beet gaya toh Arjun ne Nithya ko call laga diya par Nithya ne call receive nahi kiya. Arjun ne 5 times call kiya par Nithya ne ek baar bhi call pick nahi kiya.

Arjun ne Nithya ko ek text message likh kar send kar diya. Yadi tumne mera call receive nahi kiya toh main tumse 6 days tak baat nahi karunga.

Jaise hi Nithya ne ye message padha udhar se Nithya ka call aa gaya.

[[Phone Conversations]]

Arjun: Hello.

Nithya: Ha bolo.

Arjun: Arey Kalpana aunty ka call aa gaya tha isliye main tumhare messages* ka reply nahi kar paya.

Nithya: Okay sorry.

Arjun: Koi baat nahi lekin tum gussa kyon ho gayi thi???

images

Nithya: Mujhe laga tum mujhse baat karte karte excite hokar khud ko shant karne ke liye bathroom chale gaye.

Arjun: Arey pagal aisa sochti ho tum mere bare mein, mujhe ye karne ki koi jarurat nahi hai.

Nithya: Sorry mujhe aisa laga tha isliye mujhe gussa aa gaya tha.

Arjun: Phir se kabhi bina sach jane gussa mat ho jana.

Nithya: Baby tumhe kiss karne ka mann kar raha hai.

Arjun: Achha() kahan par??

Nithya: Lips par.

Arjun: Meri photo ko kiss kar lo jaise ek ladki mere photo ko apne seene se laga kar roti hai.

Nithya: Kaun Kriti didi kya???

Arjun: Nope.

Nithya: Phir kaun hai wo chudail(witch) jo tum par apna hak jata rahi hai, bolo main uski jaan le lungi??

Arjun: Arey, arey aise kaise uski jaan le logi??? Uska pyar mere liye bahut hi anmol hai Nithya. Wo mujhse sacche dil se prem karti hai par mujhse kuchh() bhi nahi mangti hai.

Nithya: Ye kaisa pyar hai uska???

Arjun: Aisa hi pyar wo mujhse karti hai par kabhi accept nahi karti hai.

Nithya: Kaun hai woh ladki???

Arjun: Hai ek pagal si deewani jisne khud ko mere pyar mein aise rang liya hai ki wo apne hisse ki sabhi khushi mujhe de dena chahti hai aur mere hisse ki sabhi dukh ko apne upar le lena chahti hai.

Nithya: Uska prem bada vichitra hai tumhare liye baby. Main khud ko uske samne chhota feel kar rahi hoon.

Arjun: Nahi janu aisa kabhi sochna bhi mat mujhe sabhi ka prem anmol lagta hai.

Nithya: Thank you.

Arjun: Kiss kar liya mere photo ko??

Nithya: Nahi.

Arjun: Kyun???

Nithya: Jab tum yahan aaoge ya main tumhare paas jaungi tab direct kiss karungi.

Arjun: Phir call disconnect kar doon ya aur baat karni hai??

Nithya: Nahi ab mujhe neend aa rahi hai. Divya nani ke sath practice kar kar bahut thak jati hoon, pahle toh sirf evening mein hi practice karti thi par jab se Divya nani yahan shift hui hai tab se subah aur sham dono time karna padta hai.

Arjun: Ye toh achhi() baat hai jaldi hi tumhari training complete ho jayegi.

Nithya: Ha par halat kharab ho jati hai. Janu ab mujhe neend aa rahi hai ab so jate hain tumhe bhi subah college jana hai.

Arjun: Okay! Good night, sweet dreams and tight hugs. Phir se baat hogi.

Nithya: Good night, sweet dreams and big hugs. Jaldi hi baat hogi.

[[Call Disconnected]]

[Dono premi jode jaldi hi neend ki haseen duniya mein chale gaye.]

___

Wednesday
Party President Office

Mahendra, Vishal aur kuchh() state cabinet ministers Mahendra ke party president office mein baithe huye the.

Mahendra: Vishal ke paas kuchh() plans hain yadi aap sab ready *hain() sunne ke liye toh wo kuchh() bolna chahta hai.

Home Minister: Okay! Boliye Vishal tumhare paas kya plans hain, yadi tumhare plans hamare state Karnataka ke logo ke liye profitable(labhkari) hoga toh hum jarur aapke plans ko execute karenge??

Vishal: Okay. Main aap sabke bich 2 plans rakhna chahta hoon. Pahla ye ki jo hamare party ke senior leader HARSHAD AGARWAL ne sapna dekha tha state ko ek carbon free state banane ka hume() uspe kaam karna chahiye isse() log aur environment(paryavaran) dono healthy rahega jisse log bahut sare bimari ki chapet mein aane se surakshit rahenge.

*Clap* *clap*

Pure party president office mein clapping(taliyan) ka shor gunj utha.

Home Minister: Main Vishal ke plans se agree karta hoon.

Main bhi, main bhi aur sabhi cabinet ministers ne Vishal ke proposal ko apna green signal de diya.

Mahendra: Aur tumhara dusra plan kya hai Vishal???

Vishal: Ye plan shayad aap logo ko jyada pasand na aaye lekin aap sab mujh par bharosa kijiye, yadi ye plan successful raha toh state aur yahan ke logo ko bahut fayda hone wala hai.

Home Minister: Okay bolo hum sab tumhare dusre plan ko bhi sunna chahte hain.

Vishal: Mera dusra proposal hai hume election mein apni publicity online karna chahiye.

Party President: Ye thoda difficult hai agree karna par hum sab tumhare plan ko aur vistar(details) se sunna chahenge iske kya kya fayde hain().

Vishal: Election ke time direct publicity karne se bahut sare paise(money) kharch hote hain, logo ko bahut sari pareshani ka samna karna padta hai. Yadi hum direct online tv channels, radio, facebook aur dusre online platforms ke through logo ko apni manifesto ko bata de toh election mein jo bahut badi expenditure hoti hai usse bacha ja sakta hai. Wahi expenditure kam hone par bahut sare profit hone wale hain jisme sabse important hai corruption kam ho jayega. Hume kisi par election mein depend nahi hona padega.

*Clap* *clap* *clap*

Ek baar phir se pure party president office mein sabhi ke clapping(taliyan) ka shor gunj utha.

Home Minister: Okay, Vishal. We agree with your plans. In the upcoming election, we will go by your plans.

Mahendra: Kisi ko koi objection hai Vishal ke proposal se toh wo abhi apni baat rakh sakta hai???

Party President: Nahi hum sabko Vishal ke proposal se koi objection nahi hai. Vishal ne kuchh() innovative ideas laya hai, hum uske plans par hi work karenge. Yadi ye plans work karta hai toh state aur log dono ko bahut hi fayda hone wala hai aur sabse badi baat hume kisi dusre par fund ke liye depend nahi hona padega, jiske karan hum Manikchand jaise corrupted insaan ke khilaf karwai kar sakte hain. The meeting is dismissed for today.

____

Saturday
Time- 10:05 pm
Manikchand Home

Priya ka Manikchand ke ghar jane ka jo reasons() the wo pura ho chuka tha. Pahla wo Manikchand ko ye batana chahti thi ki uske hote huye koi bhi Arjun ki family ka koi nuksan nahi kar payega aur dusra Manikchand ke dil mein mrityu ka darr paida karna chahti thi.

Priya ne ye kaam bakhubi kar diya tha. Manikchand ke dil mein itna *darr* paida ho gaya tha ki woh raat ke andhere mein bahar nikalne se bhi *darr* jata tha. Manikchand ko apni shadow(parchai) se bhi *darr* lag raha tha. Manikchand na thik se kha pa raha tha aur na hi thik se raat mein so pa raha tha. Manikchand bas yahi sochta rahta tha ki jaldi hi wo Arjun ke hathon marne wala hai. Wo daily yahi sochta rahta tha ki aaj wo Arjun ke hathon mara jaayega.

Manikchand ke raat ki neend aur din ki chain dono hi gayab ho chuki thi. Wo’ pal pal apni maut ko apne karib dekh raha tha. Yahi hota hai jab kisi insan ko apni maut ke bare mein pata chal jata hai.

Ek aur *Kans* ne apni maut ko talne ki bharpur koshish ki par safal na raha wahin() dusri aur Manikchand itna darr gaya tha ki wo Arjun ke khilaf koi kadam bhi nahi utha pa raha tha.

Manikchand ko reh reh kar apne sabhi galat kaam yaad aa rahe the jo wo apne jeevan bhar karta aaya tha. Aaj Saturday tha aur Manikchand aaj bhi yahi soch raha tha ki aaj uska antim din hai.

Par Mohan mein thodi si himmat baki tha wo Manikchand ki suraksha karna chahta tha, isliye wo apne 20 logo ke sath hamesha Manikchand ke sath hi rehta tha.

----

Arjun, Rohan aur Rohit teeno Manikchand par aakhiri vaar karne ke liye ready the. Teeno ne apne paas teen teen guns aur teen teen chaku(knives) rakh liya tha. Kyonki() thand(cold) ka din tha isliye teeno ne apna pura face cover kar liya tha, sath hi sath teeno ne gloves pahan liya tha sirf teeno ki aankh dikh raha tha.

Arjun: Chachi ye Manikchand ke khilaf hamari last fight hone wali hai.

images-1

Kajal: Manikchand ke dwara kiye gaye har zulm ki saza dekar aana.

Arjun(Ahem): Sure chachi.

Arjun, Rohan aur Rohit teeno ek hi car se Manikchand aur unke sathiyon ka hunt(shikar) karne ke liye nikle. Jab teeno Manikchand ke ghar ke nazdik pahuche toh time 11:15 pm ho chuka tha.

Bahar gate ke paas 2 security guards pahra* de rahe the. Dhanush ne security guards ko order de rakha tha ki aaj raat 3 mask men aane wale hain unlog ke liye gate khol dena. Dhanush aur Kalpana dono apne farmhouse chale gaye the.

Dono security guards ne 3 mask men ko dekh kar gate khol diya.

Teeno hi dhire dhire kadmon ke sath chal kar ghar ke compound mein pravesh kar gaye.

Raat kafi ho chuki thi kintu Mohan ke aadmi jage huye the aur apne sath ek gun rakhe huye the. Mohan ke aadmi 5, 5 ke group mein ek sath the.

Ghar ke sabhi lights on the, isliye Mohan ke logo ko jaise hi teeno par nazar padi. Chhat ke upar se hi apni apni gun se bullets fire karne lage.

Aaj bhi teeno wahi tactics follow kar rahe’ the jo teeno ne Manikchand ke farmhouse par kiya tha. Arjun aur Rohan aage aage badh rahe the aur Rohit dono ke pichhe() pichhe() se dono ko backup dene wala tha. Teeno V shape mein aage badh rahe the.

Jaise hi terrace se bullets fire hui Arjun aur Rohan dono bullets ko aage reh kar barbad kar rahe the jabki Rohit sabhi par nishana laga raha tha.

2 minutes mein hi Rohit, Arjun aur Rohan ki gun se nikli bullets ne Mohan ke 5 aadmiyon ko dher kar diya.

Bullets ki awaz sunkar Mohan ke aur 5 aadmi teeno ke side aa gaye.

*Bang* *bang*

Sabhi ne apni apni gun ki puri bullets ko fire kar diya par Arjun aur Rohan dono sabhi ki bullets ko waste karte chale gaye aur baki ka kaam Rohit, Rohan aur Arjun ki guns* se nikli bullets ne kar diya. Teeno ki bullets ne aur 5 aadmi ko *dher’ kar diya.

Ab Mohan ke alawa sirf uske 10 aadmi hi bach gaye the jabki udhar Manikchand bullets ki aawaz sunkar aur bhi jyada *darr* gaya. Manikchand ko samajh aa gaya ki aaj uska last breath(antim saans) hai.

Agle 5 minutes mein Mohan ke jo 10 aadmi bache huye the wo bhi Rohit, Rohan aur Arjun ke gun ka shikar ho gaye.

Ab sirf king(Manikchand) aur uska commander(Mohan) hi bache huye the.

Arjun: Ab koi bhi shoot nahi karega.

Rohan: Mohan ko mere hawale kar do aur tum Manikchand ke paas jao.

“Okay, Arjun ne apne right thumb upar ki aur dikha kar *yes* ka signal de diya.”

Teeno ne apni apni gun ko kamar par rakh liya.

Mohan ki bhi bullets samapt ho chuki thi wo chhat se stairs(sidhiyan) se niche ki aur badhne laga.

Kuchh() hi der mein Mohan aakar Rohan ke samne khada ho gaya jabki Arjun aur Rohit dono pichhe() hat gaye.

[[Rohan vs Mohan]]

Rohan aur Mohan dono aamne samne the. Aaj Rohan ki ye pahli fight thi kisi ke sath, wo thoda nervous feel kar raha tha aur sabse badi baat Rohan ne abhi bahut kam sikha tha. Lekin jitna bhi tha Rohan ki defence techniques kafi strong ho gayi thi.

Rohan ne decide kar rakha tha yadi wo kisi se fight mein ulajh() gaya toh wo apne enemy ke vaar ko dodge aur escape karega aur apne enemy ko tired karega aur last mein prahar karega.

Jaise hi Mohan ne Rohan par apni right kick ka vaar Rohan ki chest par karna chaha, Rohan ne apni body ko left turn lekar thoda pichhe ki aur khisak gaya.

Mohan ki kick Rohan tak pahuch hi nahi payi. Agle hi pal Mohan ne khud ko adjust kar apne jeans ki right pocket ke paas se ek chaku nikal kar tezi se Rohan ki neck(gardan) par aim(nishana) laga kar phenk diya jise badi aasani se Rohan ne apne head ko tilt kar jane diya jo sidhe Arjun ki aur badh rahi thi. Arjun ne knife ko apne head ko back ki aur dodge kar jane diya.

Mohan ke chaku ka vaar khali(bekar) jane par Mohan gusse se laal ho utha aur wo Rohan par apna right kick de mara par es baar dono ke bich distance kafi kam thi, isliye Rohan ne Mohan ki kick ko apne left hand se apne joint ko 90° angle par fold kar block kar liya aur thik usse pahle ki Mohan khud ko sambhal pata Rohan ka ek right hand ka punch uske seene par padi.

Isse pahle ki Mohan khud ko sambhal kar phir se Rohan par koi prahar karta.

*Slice*

Rohan ne apni knife(chaku) ka vaar sidha Mohan ki throat(gala) par kar diya. Blood ki tez dhara Mohan ke larynx(kanth) se nikalna start ho gaya aur kuchh() hi der mein Mohan ne tadap tadap kar apna dum tod diya.

Floor pura red dikh raha tha. Rohan ne palat kar dono ki aur dekha dono ne apne right thumb se Rohan ko thumbs-up ka ishara kiya, dono ye bolna chah rahe the* ki tumne achha() kaam kiya hai.

Rohan: Ab Manikchand ki bari hai.

Arjun, Rohan aur Rohit teeno Manikchand ki aur badhne lage jo apne sabhi aadmiyon ki maut dekh kar *darr* se kanp raha tha. Isliye kehte hain ladai khud ke dum par lada jana chahiye. Yadi khud nahi lad sakte ho toh aap dusre se ye aasha(hope) nahi kar sakte ho ki koi hamesha tumhari raksha karega.

[Jaisa ki Ukraine aur Russia ke sath hua. Ukraine ki help ke liye koi bhi aage nahi aaya.]

Manikchand hamesha kisi ke dum par hi hamesha logo ke dil mein *darr* aur dehshat paida karta aaya tha lekin jab Kallu, Ballu aur Mohan teeno hi use chhod kar chale gaye toh wo khud ko bahut hi lachar mahsus kar raha tha.

Manikchand ke boss ne pahle hi apna hath khada kar diya thi ki wo Arjun ke khilaf fight mein uski koi bhi help nahi karega.

Aaj Manikchand bilkul akela tha uski family mein uska apna hi beta Dhanush aur bahu Kalpana dono uske khilaf ho gaye the. Sagar aur Salman pahle hi yahan nahi the.

Manikchand apne sabhi paap ko yaad kar raha thi ki Arjun, Rohan aur Rohit teeno Manikchand ke paas pahuch gaye.

“Nahi! Nahi!!! Mujhe jaan se mat maro main apne jeevan bhar ki sabhi kamai tumhe de dunga– please mujhe *chhod() do Arjun beta. Mere paas *itna’ paisa hai ki tum aur tumhari puri family jeevan bhar kha sakti hai.”

*Hahaha*

“Kya baat hai apni maut ko khud ke karib dekh kar apne maut ki bhikh maang rahe ho, par kya karu tumhare paap(din) itni jyada hai ki main tumhe sirf maut de sakta hoon??”

[Samay bhi ajeeb hota hai pahle Manikchand se log apne jeevan ki bhikh mangte the lekin aaj wo apni maut ki bhikh maang raha tha.]

Nahi! Nahi aisa mat karo Arjun beta. Maine tumhare baap ko apne gaud(lap) mein khilaya hai.

*Slap*

Ek tez thappad Manikchand ke gaal par pada. Manikchand ko ek hi baar mein apne sabhi paap yaad aa gaya.

Arjun: Tumne jis bacche ko apne gaud(lap) mein khilaya usi bache se tumne uska baap chhin liya. Mujhe aur Dhruv ko kabhi ek dadaji ka pyar nahi mila. Meri maa aur Kajal chachi ko kabhi ek sasur ka prem nahi mila, chachaji ko apne pita ka chehra yaad bhi nahi aata hai aur tum mujhse mafi ki umeed karte ho. Kabhi nahi, kabhi nahi, main tumhe waisa hi maut dunga jaise tumne mere dadaji ko diya tha.

Arjun: Bolo kya kiya tha tumlog ne mere dadaji ke sath???

Manikchand: Maine kuchh() nahi kiya tha wo Kallu aur Ballu ne kiya tha.

Arjun: Kya kiya tha dono ne???

Manikchand: Dono ne, dono ne…..

Arjun: Dono ne kya kiya tha???

Manikchand: Dono ne tumhare dadaji ki hatya ki thi aur usko car accident ka naam de diya tha.

*Smother*

Agle hi pal Arjun ne Manikchand ka gala ''ghot'' kar maar diya. Manikchand apni last breath bhi thik se na le paya.

Manikchand ko apne karmo ki saza mili. Vikram, Harshad Agarwal aur jo 25 log Manikchand ke 24 years se bandi the* unhe aur unki family ko justice mila. Shivangi ki pratigya pura hua. Arjun ka badla pura hua. Arjun ne jo Kalpana aunty se promise kiya tha wo pura hua. Kai begunah log jo Manikchand ka shikar huye the sabko Manikchand se nijat mil gaya. Ek papi ka end(khatma) ho gaya.

Arjun: Rohit bhaiya aap iske car ko lekar jaiye aur car ko kisi ghati mein drop kar dijiye.

Rohit: Chalo Rohan.

[Rohit aur Rohan dono Manikchand ki lash ko dispatch karne chale gaye jabki Arjun apni car lekar dono ke pichhe pichhe chal pada.]

_____

Saturday
Shreya Home
Time- 10:25 pm

Ek aur jahan Arjun, Rohan aur Rohit teeno Manikchand ko khatam karne ke liye nikle the wahin dusri aur Shreya ka labour pain hona start ho gaya.

Jaldi hi Kajal, Madhuri, Shruti aur Ranjith, Shreya ko hospital lekar chale gaye.

Ek aur jab Arjun ne Manikchand ko uske jeevan se mukt kiya toh wahin dusri aur Shreya ne ek sundar si ladki ko janm diya.

Shruti ne sabko bahar aakar ye khabar diya ki bacchi aur Shreya dono safe(surakshit) hain.

Kajal: Mubarak ho Ranjith, pita banne ki bahut bahut badhai ho.

Ranjith: Thank you bhabhi.

images-3

Madhuri: Shruti beti kya hum Shreya aur bacchi se mil sakte hain???

images-2

Shruti: Ha hum Shreya ko general ward mein thodi der mein shift kar denge. Normal delivery hui hai isliye pareshani ki koi baat nahi hai, maa aur baby dono healthy hain. Shruti ke ye bol sabke face par smile le aayi.

[[Some Moments Later]]

Shruti ki instructions par Shreya ko general ward mein shift kar diya gaya jo pahle ICU mein thi. Sabhi charo aur se Shreya aur bachi ko nihar rahe the. Bachi ki thik se aankh nahi khuli thi.

Ranjith khud ko sambhal na paya aur uski aankh se 2 boond aansu tapak gaya. Ranjith ke dil mein kabhi ye feelings nahi aayi ki wo Arjun aur Shreya ki santan hai. Shreya ne Ranjith ko kabhi inferior(chhota) feel hone hi nahi diya.

Jaise hi Shreya pregnant hui thi usne apne husband Ranjith se promise kar diya ki wo ek hi bacche se santust hai aur wo phir kabhi Arjun se physical relationship nahi banayegi, halanki Ranjith aur Madhuri ne Shreya ko permission de rakhi thi ki yadi wo chahe toh Arjun ke sath physical relationship bana sakti hai.

Kajal: Ranjith dekho iski aankh, nak aur chehra sab kuchh() Shreya ke jaisa hai.

Ranjith: Ha bhabhi aap bilkul sahi bol rahi hain(), meri pyari beti bilkul apne maa par gayi hai. Ye apni maa ki beti hai.

Madhuri: Sahi kaha ye bhi apne maa ke hi jaisi sundar hai.

Ranjith: Ha par isme Arjun ka koi gun(quality) hoga ya nahi??

Shruti: Arey bilkul hoga devar ji. Waise Arjun ki kaun si quality chahiye tumhe apni beti mein???

Ranjith abhi kuchh() bolne hi wala thi ki Anu aur Priya ne kamre mein pravesh kiya.

Kajal: Anu tum dono yahan itni raat ko kaise aa gayi???

Anu: Ranjith ji ne WhatsApp group par post dala ki unhe beti hui hai, hum dono jage huye the jaise hi humne message padha hum milne ke liye aa gaye.

[Par sach toh ye tha ki Priya ne Anu ko raat mein sone hi nahi diya tha ye bolkar ki chhoti maa hospital se khushkhabri aane wali hai aur mujhe aapko hospital lekar chalna hai.]

Ranjith: Thank you Anu ji ki aap hamari khushi mein shamil hui.

“Arey arey ye toh bahut sundar si gudiya hai, dekho toh kaise mujhe dekh kar smile kar rahi hai, lagta hai ye mujhe apna dost samajhti hai– Priya ne chhoti(little) si *bacchi(baby) ke gaal ko apne nanhe nanhe hatho se puch-karte huye kaha.”

Kajal: Arey kya baat hai Priya tumhare aane se dekho ye sahi mein smile kar rahi hai, lagta hai tumhare sundar chehre ne iska mann moh liya hai???

Priya: Arey nahi chachi ye mera chehra nahi balki mujhe dekh kar khush ho rahi hai.

images-4

Anu: Priya tumhe aisa kyun lagta hai??

Priya: Kyunki ye mujhe apna dost samjhti hai na, hehehe.

Anu: Tumhe kaise pata???

Priya ne koi jawab nahi balki baby girl se thoda dur ho gayi jaise hi Priya baby girl se dur hui, baby girl rone lagi.

Kajal, Madhuri, Shruti aur Shreya sabhi ne use chup karane ki koshish ki par wo shant hone ka naam hi nahi le rahi thi.

[[4 Minutes Later]]

*Hehehe*

Anu: Priya yahan ye sab pareshan hain aur tum has* rahi ho???

Priya: Maine pahle hi kaha tha ye mujhe dekh kar smile kar rahi hai. Aap sabne mujhe proof manga isliye main isse dur ho gayi aur ye rone lagi.

Kajal: Priya hume ab bhi believe nahi ho raha hai ki ye tumhe dekh kar smile kar rahi hai.

*Hehehe*

Priya: Meri Angel shant ho jao apni dost ki baat maan kar smile kar do.

Priya ne itna bola ki baby girl phir se smile karne lagi jo thik se apni aankh bhi nahi khol pa rahi thi par jitna aankh khula tha usse wo Priya ko dekh pa rahi thi.

images-5

Shreya: Priya tumne meri baby ka naam bhi rakh diya???

Priya: Achha() hai na???

Ranjith: Priya ye naam achha() hi nahi balki bahut achha() hai. Ye hamari life mein ek angel ban kar aayi hai aur hume maa baap hone ka gaurav pradan kiya hai, isliye aaj se iska naam *Angel* hoga.

Madhuri: Priya tum jitni sundar ho tumne meri granddaughter ka utna hi beautiful naam rakha hai.

*Hehehe*

Priya: Aur ye meri tarah intelligent bhi hogi.

Madhuri: Ha ye bahut intelligent hogi tumhari friend jo banne wali hai.

Kajal: Ranjith kya tumne Arjun ko call kar bata diya???

Ranjith: Shayad usne phone silent mode par rakha hai busy hoga call pick nahi kar raha hai. Maine 2, 3 baar call kiya tha usko.

Kajal: Koi baat nahi jab wo free hoga call kar lega.

*Ring* *ring*

Ranjith ka phone ring hua jo Arjun ka call tha.

[[Phone Conversations]]

Arjun: Hello bhaiya.

Ranjith: Tum sab thik ho na???

Arjun: Ha’ hum sabne Manikchand ka game over kar diya hai aur wapas ghar aa rahe hain.

Ranjith: Okay! Shreya ne beti ko janm diya hai. Tum sab Shruti ji ki hospital aa jao.

Arjun: Okay! Hum sab aa rahe hain.

[[Call Disconnected]]

Arjun ki aankh bhi waise hi nam ho gayi jaise Ranjith ka ho gaya tha.

Rohan: Kya hua Arjun tumhari aankh mein ye aansu kyun??

Arjun: Ye khushi ke aansu hain Rohan. Shreya bhabhi ne ek girl ko janm diya hai.

[Rohan ne mann hi* mann kaha baap banne ki mubarak ho Arjun.]

Arjun sidhe hospital ke liye nikal gaya. Jab Arjun hospital pahucha toh time Sunday ka 4:03 AM ho chuki thi.

Rohan apne ghar chala gaya ye bolkar ki wo subah ghar par hi milne aayega sath hi Rohit bhi ghar par hi ruk gaya.

Arjun jaise hi Shreya ke ward mein dakhil hua, sabhi Arjun ko safe dekh kar sabhi ke face par smile aur bhi jyada badh gayi. Aaj Arjun ki family ke liye double celebration ka din tha.

Ek aur Arjun ke ek dushman ka khatma hua toh dusri aur Arjun ki family mein ek nayi *Angel* ka janm hua.

***

_____________________________________________________________________

That's all for this episode. The update comprises 5.4k words. Enjoy this episode till the next update comes.

Nice update
 
Raja maurya

Well-Known Member
5,115
10,886
188

Fantastic update Bhai
 
Top