Update 23 How Abhi Faced It
Subha usski maa ne tang khincha tha Abhi ka yeh keh kar ke Ruhi apni nani ke yahan hai, kia ek baar phir Ruhi ki maa ne jaan bujh kar khidki band kiya Abhi se sharaarat karne ke liye? Kia andar se maa beti sab dekh aur sun rahe hein?! Kia Ruhi ne apni maa ko sab bata diya jo Abhi ne khat mein likha hai? Bina awaaz ke Ruhi ne kia kaha tha Abhi se?
Abhi kaam karne chala gaya kyunke lunchtime end ho gaya tha magar nah khidki khuli aur naa hi Ruhi dikhi. Abhi ka dimaaghi haalat bahot kharab tha uss waqt. Ghussa bhi kar raha tha aur kaam sahi se nahin ho raha tha uss se. bus ke baahar ke panels par aluminium sheet measurement se kaat kar rivet se chipkana tha, din bhar ka kaam tha, shaam tak wohi karna tha, pehla hi sheet kata to ghalat kata, kum tha, ek sheet waste hue. Aur Saeed ne kaha,
“Agar Mehboob ko pata chala ke yeh sheet kharab hua to naraaz hoga iss sheet ko chhupado kahin!”
Abhi ne ghusse mein reply kiya,
“Kaun si badi baat hai? Kate hue sheet ko dusri jagah istemaal kiya jaa sakta hai, kayi jagahon par uss se bhi chhota dimension ke liye kaatna hai to uss bigre hue hisse se kaat lenge not a big deal!”
Tony Abhi ka help kar raha tha. Jab sheets ko kaatna tha to kissi ek ko dusre taraf sheet ko pakarna padta tha. aur kata jaata tha ek tin kaatne wale kainchi se jissko Tin Snip kehte hei wo aisa hota hai jaise iss tasveer mein hai:
Ab yeh saare kaam thik Ruhi ke kitchen ke saamne karna hota tha, wo blank space hai nah sketch mein uss hisse mein yeh sab kaam kiya jaata tha. to har baar jab Abhi tin kaatne jaata to kitchen ke andar dekhta magar wo khaali tha koyi bhi nahin tha kitchen ke andar, magar Abhi ko ek ummed thi ke 3 bajne ke baad ruhi ko kitchen mein ana hi padega pakaane ke liye aur tab se shaam 6 baje tak to kitchen mein hi rehti hai, so abhi uss waqt ka intezaar karta raha kaam karte hue.
Kate hue tin ko laakar bus ki panel par sahi se dabaa kar hole dril karna hota, aur uss hole mein rivet pop kiya jata tha. River Tony pop kar raha tha jabke Abhi tin ko sahi disha mein laga raha tha taake wo hille nahin bilkool. Ek panel ke tin ko chipkaane ke liye kareeb 25 holes drills karne hote the aur utna hi rivet lagana padta tha. to ek sheet ko kaat kar, wapas aakar panel par chipkaane mein koyi 30 mins lag raha tha…. Abhi ne jaan bujh kar slow kiya aur 45 se 50 mins liya ek sheet ko chipkaane ke liye taake Ruhi ko kitchen mein aane ke time Abhi ko ussko dekhne aur baat karne ka mauka mile.
Shaam 3 baje tak Abhi ne apne kaam ko slow chalaya….. aur jab 3 baja aur Ruhi kitchen ki chaukath par nazar aayi bus ke taraf dekhte hue, to Abhi gaya aluminium sheet kaatne…. Abhi ka dil phir bhi khush hua ke pehla chiz jo Ruhi ne kiya wo tha direct bus mein dekhna, matlab Abhi ko dhundna ya usske taraf dekhna.
To Abhi aur Tony gaye thik Ruhi ke kitchen ke saamne, Ruhi wahin khadi rahi jab Abhi ko uss taraf aate hue dekha. Ruhi ke chehre mein dekhte hue hi abhi wahan rakhe aluminium sheet par baitha, koyi 14 sheet rakhe hue the niche kuch blocks par. Ruhi ke chehre par ek muskan saji hui thi aur usski aankhon mein ek chamak dikh rahi thi, khush thi. Magar Abhi heyraan tha ke aaj mili nahin aur aise behave kar rahi hai jaise sab kuch normal hai.
Abhi ne measuring tape ka ek end Tony ko pakarne ko kaha aur apne pencil se measure ke hisaab se mark kar raha tha sheets par aur Ruhi ko baar baar dekhe jaa raha tha to Tony ne kaha,
“Bhai kahin koyi mistake mat kar dena firse, mujhe cross check karne do ke aap ne sahi measurement par mark dala hai ya nahin aap ka dhyan udhar ziada hai abhi….”
Abhi ne hansste hue tape Tony ko diya aur ussko khud measurement mark karne ko kaha, aur line khinchne ko bhi kaha jahan jahan tin snipper chalana hai tab tak wo ishare se Ruhi se baat karta raha. Ruhi ne sone ka ishara karke Abhi ko samjhaya ke wo so gayi thi, tab Abhi ko yaad aya ke raat bhar wo soyi nahin thi kal, issi liye ussne kidki band karke so gayi thi, abhi abhi uthi hai.
Abhi ne phir pucha ke khat ka jawaab likha ya nahin? To Ruhi ne na mein sar hillaya hansste hue. Tony baar baar sar utha kar Tuhi aur Abhi ko dekh raha tha to Abhi ne uss se kaha,
“Abe tu kyun ab humko dekh raha hai? Tu markings kar nah!”
Phir Abhi baitha apne tangon par tin snip se sheet kaatne ke liye, shuru hi kiya tha ke Manoj Shweta ko lekar aangan mein aate hue dikha….. Aur Shweta Manoj ka haath chhura kar bhaagte hue seedhe Abhi par jhapki aur usske kaandhon par apni choti choti baazuwon ko lapet kar zorr se “Abhhhiiiiii” chilaate hue ussko gale lagaaya aur kayi puppiyan diya Abhi ko. Ek hafte baad Shweta wapas aayi thi aaj. Aisa lag raha tha Abhi ki beti apne papa ko pyar kar rahi thi….. Ruhi aur Manoj donon kitchen ke stairs par khade hansste hue dekh rahe the Shweta ko. Phir Manoj andar chala gaya aur Ruhi ne kaha,
“Shwetu, tu mujhse milne nahin aayi seedhe Abhi ke goad mein chali gayi, main teri kuch nahin lagti, Abhi sab kuch hai ab?!”
Tab tak Abhi ne Shweta ko goad mein utha kar khada ho gaya tha aur Ruhi ke taraf dekhte muskura raha tha, aur Shweta ne Ruhi ko jawaab diya,
“Aap to upar the aur Abhi niche baitha hua tha, yeh itna ooncha hai ke issko puppy dene ke liye innko jhukne ko bolna padta hai tab puppy de sakte hein to aaj innko niche dekha, to chali gayi usske goad mein aap jealous ho rahe ho kia?!”
Sab Shweta ki masoom baton ko sunkar hanssne lage, khud Ruhi zor se hansi aur Shweta ko reply kiya,
“haan main jealous hoon kyunke tumse pehle Abhi ko main jaanti hoon”
Shweta ne apne naazuk ungli ko daanton mein dabaya aur Abhi se dhire se kaha,
“Wo aap ko pehle se jaanti hai?!”
Abhi ne bhi ussko dhire se kaha,
“haan jaanti to hai, magar hum aap se bahuuuuuuut ziada pyar karte hein, Ruhi se utna nahin karte!”
Shweta ne “hihihihihihi” kiya phir Abhi ke kaan mein kaha,
“ab agar ussko pata chala ke aap mujhse bahuuuuuuut pyar karte ho tab aur ziada jealous hogi nah hihihihihi”
Abhi ne apne shak ko mitana chaha aur Ruhi ko weise hi goad mein lekar bus ke taraf chalta gaya usske kaan mein baat karte hue. Abhi ko uss bachi mein Ruhi ki bachpan dikh raha tha, wohi naak naksha, wohi Aankhen, wohi Muskaan, to apni shak ko mitaane ke liye Abhi ne Shweta ke kaan mein kaha,
“kiss ne aap ko kaha jhut muth ke Ruhi ko didi bulaane ko? Wo to mummy hai nah aap ki?!”
Ruhi ne jawaab nahin diya buss daanton mein apni ungli dabaayi. To Abhi ne Shweta se sawaal jaari rakha,
“achah batao aap rehte kahan ho aap ki address pata hai aap ko?”
Shweta ne apni sheher ka naam bataya Abhi ko, tab Abhi ne pucha,
“Aap apne papa ke ghar rehti ho?”
Shweta ne haan mein sar hillaya, phir Abhi ne pucha,
“aap ke papa ka kia naam hai, aur surname bhi batao, aur aap ka surname?!”
Ruhi ki surname “Nunhuck” hai, to Abhi jaanna chahta tha ke agar Shweta usski chacha ki beti to Shweta ki surname bhi wohi hogi nah…. aur Shweta ne jawaab diya,
“mere papa ka naam hai Anirud Nunkuck, aur mera Shweta Nunhuck”
Abhi ne ek gehri saans liya aur pucha,
“Aap ki mummy bhi rehti hai nah saath uss ghar mein?”
Shweta ne jawaab diya,
“haan hamare saath hi rehti hai, mummy nurse hai hospital jaati hai roz.”
Abhi ne kaha,
“hmmm to phir Ruhi aap ki badi didi hi hui nah baby!”
Shweta ne apni muthi kholke usse dolte hue kaha,
“haan wo badi didi hi hai meri”
Abhi ne ek gehra saans liya, ussko kabhi shak hota tha ke Shweta Ruhi ki beti hai aur yehi secret chhupa rahi thi Ruhi uss se aur issi baat ko apni ghalati batana chahti thi aisa Abhi ko laga tha, ab Shweta ne confirm kar diya tha ke wo Ruhi ki chacha ki beti thi.
Phir bhi Abhi ne ek sawaal aur kiya Shweta se,
“aap ka koyi aur bhai behen hein kia wahan ghar par? bada bhai ya badi behen ya chhota bhai ya chhoti behen?!”
Shweta ne apni masoom aur Ruhi ki jaisi awaaz mein kaha,
“main akeli hoon mera koyi bhai aur behen nahin hai!”
Abhi ke mann mein dobara shak ne ghar kiya, Ruhi ke chacha aur chachi ke koyi aulaad nahin iss liye Shweta ko apne naam dekar adopt kiya hoga….. Abhi iss liye aisa sochne laga kyunke wo sheher wala chacha Ruhi ka bada chacha tha, aur uss age mein itni chhoti Shweta ki umar ki bachi hona kuch ajeeb lag raha tha….
Tab tak Manoj apne camera ke saath ghar se nikla aur Shweta se kaha,
“chal tujhe Amitabh Bachchan ki shooting dikhaunga aaj chal Shwetu!”
Aur Manoj Shweta ko lekar chala gaya, aur kitchen ke chaukath se Ruhi ne oonchi awaaz mein Shweta se kaha,
“mujhe ek puppy bhi nahin diya, mujhse mili bhi nahin, Abhi ke goad mein chipki rahi aur bina mile jaane lagi shooting dekhne, mat aana mere paas Shweta!”
Shweta main road ke taraf jaate hue Ruhi ko wave kiye ja rahi thi hansste hue….
Aur Ruhi ki maa bhi nikli stairs par Shweta aur Manoj ko jaate hue dekhne, phir Abhi gayi Ruhi ke kitchen ke chaukath ke paas aur usski maa ke saamne kaha,
“Tum kyun nahin chali gayi shooting dekhne apne bhai ke saath?”
Ruhi ne Abhii se hansste hue kaha,
“main ne kissi aur ke saath jaane ko socha hai magar wo busy hai sirf kaam kaam kaam karta rehta hai!!
Yeh reply sunkar andar se Abhi ka dil khush to hua magar Ruhi ko jawaab diya Abhi ne,
“sirf kaam hi karta wo; to kal do ghante tumhare saath nahin hota aur aaj aadha ghanta tumhare kapde dhone wale pathar par baith kar wait nahin karta!”
Ruhi ki maa ne hansste hue kaha,
“le! Ab de jawaab ussko, wo itna tez hai ke tujhe hara dega hamesha sawaal jawaab mein tujhse bahot ziada tez hai Abhi”
Ruhi ne muskuraate hue kaha,
“hmm very intelligent boy with witty replies always… aap se baat karna asaan nahin hai nah Abhi?!”
To be continued in the next update immediately
Last edited: