• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Meri Zindagi

Prince Charles

Well-Known Member
2,525
3,434
159
Update 08

kuch dair tak sab chhup-chhap aansu bahate rahe...wahin main itne samay mein sab ke liye coffee aur snacks le aaya kyunki kissi ne subah se kuch nahi khaya tha...sabke khaana khaane ke baad maine baat phir se shuru ki...

main- sheetal tumhari family ka kya huwa...

sheetal- mere mata-pita ye sab bardasht nahi kar paaye kyunki me unki iklauti beti thi isiliye wo bhi marr gaye...

main- ab tumhari family me kaun hai...

sheetal- bas wo log hi bacche hai jo bas kehne ke liye hi rishtedar hai baaki kuch nahi...

main- pinki tum bhi batado apni dastaan taaki hum phir koyi faisla kar sake...

pinki ki kahaani...

mere maa-baap bacchpan mein hi ek car accident me marr gaye the...

uske baad mere nanaji ne mujhe paala kyunki papa ka bahut bada business tha isiliye sab jalte the papa se...

mere dada-dadi bhi bahut pehle hi marr gaye the...saath hi saari property mere naam kar di thi...

mere mama ki family mein wo unki patni aur do betiyaan thi...

bacchpan se hi mami aur unki dono betiyaan mujhse jalti thi...

bacchpan me mujhe bas mere nana ji ka pyaar mila lekin wo bhi jaldi hi marr gaye tab meri umar bas **thi...

main uss din bahut royi par mujhe sambhaalne waala koyi nahi tha...

mama ki dono betiyaan mujhse badi thi lekin thodi saanwali thi isiliye jab bhi koyi rishta aata ladke waale mujhe pasand kar lete jispe mami aur gussa ho jaati...

jab bhi aisa hota uss din wo mujhe bahut maarte aur kayi baar mujhe jala bhi dete...

par aise ki koyi baahar wala na dekh sake...phir wo din aaya jisne meri jindagi ko aur bhayanak bana diya...

uss din me baahar ja rahi thi ki maine mama-mami ki baatein suni jinhe sun ke mere honsh hi udd gaye...

mami- ab kya karna hai dono ki shaadi kaise hogi kuch karo...

mama- ab main kya kar sakta hoon jitna kar sakta tha utna to kar hi raha hoon...agar tumhari betiyaan kissi ko pasand nahi aati to isme main kya karun...

mami- ye sab uss kalmuhi ka kiya dhara hai agar wo na hoti to meri betiyon ki ab tak shaadi ho chuki hoti...

mama- ye kya keh rahi ho tum uski zindagi to tum logon ne barbaad kar rakhi hai wo kya kissi ka kuch bura karegi...

mami- haan hum hi hai jo sab karte hai wo to bahut najuk hai...accha ab meri baat suno ek rishta mila hai meri behan keh rahi thi ki khandaan bahut accha hai...

hamaari beti raaj karegi bas ek hi baat hai ki unko unke bade bete jo ki do bacchon ka baap bhi hai uski bhi dubaara shaadi karani hai lekin uski shaadi nahi ho rahi...

mama- jab kuch ho nahi sakta to phir iske baare mein baat hi kyun kar rahi ho...

mami- tum na puri baat pehle sun liya karo phir apna munh khola karo...

mama- bolo kyaa bolna tha...

mami- main socch rahi hoon ki uss pinki ki shaadi bade bhai se aur hamari beti ki chhote bhai se kara dete hai...

mama- tum paagal to nahi ho gayi na wo 15-20 saal bada hai pinki se aur abhi uski umar hi kya hai...

mami- tum na kabhi apni betiyon ke baare mein mat socchna sirf uske baare mein hi sochte rehna...jo maine keh diya so keh diya main aaj hi apni behan ko haan bolne ko bol dungi...

main- ye sab mere liye kissi bhuchaal se kam nahi tha...pura din main yahi socchti rahi ki kya karun kyunki main aise hi apni jindagi barbaad hote nahi dekh sakti thi...

pura din socchne ke baad mujhe bas ek hi rasta dikha ki main wahan se bhaag jaun...

maine waise hi kiya lekin shayad kismat ko kuch aur hi manjoor tha jiski wajah se main inke changul mein fas gayi...

uske baad to mujhe harr roj drugs di jaati jab tak main maani nahi...

jab maan gayi tab mujhe logon ko kaise khush karna hai ye sikhaya jaane laga...

back to present...

pinki- bas main ab harr din iske liye bhagwaan ka shukriya adaa kar rahi hoon ki main aaj bhi kunwari hoon...

meri boli bhi jaldi hi lagne wali thi lekin tumne mujhe wahan se bacha liya...

ye keh ke wo wahan se uthi aur mere gale lagke mujhe chumne lagi...

jab kuch der chumne ke baad use ehsaas huwa ki aur bhi log wahan hai to wo sharma gayi...
 
Super lovely

Active Member
866
898
93

Nice
 
  • Like
Reactions: Prince Charles

Prince Charles

Well-Known Member
2,525
3,434
159
Update 09

phir bhi pinki mere paas hi baithi rahi...ab ye to teh tha ki hum sab yahin rehne waale the...

par jitne log utne kaam to ye teh karna tha ki kaun kyaa kaam karega...

main- ab bolo tum log yahan rehke kya kar sakti ho...

tina- hum wo sab karne ko taiyaar hai jo tum bolo...

main- tina me ghar ke kammo ki baat kar raha hoon...

sheetal- khana me bahut acha bana sakti hoon...

phir ye teh hua ki tina ko ghar ki safaayi ka, sheetal ko khane ka aur pinki ko ghar ka dhyaan rakhne ka kaam diya jaaye...jabki main aur rajesh ghar ke bhari kaam karenge...

ghar me khane aur baaki ka samaan kum tha to maine teeno ko breakfast ke baad samaan ki list banane ko kaha...uske baad wo teeno apna-apna kaam karne lagi...

tab-tak main aur rajesh garage ki safaayi karne lage kyunki aaj hume uss shed se sab samaan lana tha...

breakfast jab ban gaya to sheetal ne sabko bula liya aur phir sabne saath baith kar breakfast kiya...

uske baad wo log teen list banane lage aur jab wo ban gayi to aapas mein discuss karke final list bana li...

phir pinki ko kanchan ke paas chhod ke hum mera mini truck lekar shed pahunch gaye aur saara samaan usme load kar diya...

aate waqt main mini truck chala raha tha...jabki wo log baaki gadiyon ke lekar aa rahe the...

jaise hi hum sab aaram se pahunch gaye mujhe sukoon mila...

humaare aate hi pinki bhi humare paas aa gayi aur tab shuru hua asli kaam jo tha sab cheezon ko uske hisaab se rakhna...

apne kapdon aur baaki istemaal mein aane waale samaan ko wo kamre mein rakh aayi...

ab baari thi weapons, drugs aur paison ki to maine garage ke andar jo karma tha use khol kar sab bags ko usme rakh diya...

kul 4 bags mein paise, 6 mein hathiyaar aur 2 bags mein drugs the...

ye sab karne mein sab thak gaye the to hum sab araam karne rooms mein chale gaye...

ab tak shaam ho chuki thi aur kanchan ko bhi honsh aa gaya tha lekin drugs ki wajah se wo abhi bhi kamzor thi isiliye khana khila kar wapas use araam karne diya...

phir main pinki ke saath jakar saara samaan le aaya tab-tak tina sabhi kamre jinme hum rehte the unki safaayi kar chuki thi aur sheetal dinner bana chuki thi...

uske baad sabne dinner kiya aur sone chale gaye...ye raat bhi aise hi beet gayi...

agli subah uth ke sabne fresh hokar breakfast kiya...aaj rajesh ko apne department ko report karna tha...

wo wahan chala gaya aur main charon ko mere ek mall mein naye kapde dilane le gaya...

wo itne bade mall mein kabhi aayi nahi thi to wo bahut hi achambhit hokar sab kuch dekh rahi thi...

phir main unhe ladies section mein le gaya aur wo log kuch dresses lekar changing rooms mein chali gayi...

jab bahar aayi to...ek taraf jahan ye log khushi-khushi shopping kar rahe hai...

wahin dusri aur ek khabar ne pure shehar ko hila daala tha...

khabar thi ek pariwaar ke sabhi logon ka achanak hi gayab ho jaana...

ek taraf jahan police ke bhi iss baat se honsh ude huye the...

wahin dusri taraf sarkaar pe media aur logon ka pressure bhad raha tha...

koyi kuch keh raha tha to koyi kuch lekin koyi tha jo iss khabar ko sunke khush tha...

dekhte hai kaun hai ye jo pure shahar ke chintit hone pe bhi khush hai...
 
Top