• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Mai to hamesha se aapki stories ka fan raha Hun, jo feel jo Dard jo pyar aapki lekhni me dekne Ko milti hai, Usme kho jata Hun.....

Nice update.....
Thanks Killar bhai for your support and such a nice comment...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 
  • Like
Reactions: killar_back

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 59

Ajay:- Pair (Leg) kaha hai tera? Aisa birthday celebration sala jindagi me kabhi nahi hua.

Ajay:- Ha hans le...Hans Hans...Udaa le majaak.

Atul abhi bhi hanse jaa raha tha.

Ajay:- Aisa wishes sala aaj pehli baar mila.

Ajay thoda gussa me bola.

Atul:- Thaa na unique?

Ajay:- Unique...Majaak tha wish ke naam par.

Atul:- Aisa kyu laga tujhe?

Ajay:- Ek to sabhi department ke lecturer ke darshan ho gaye...Unhe dekh kar aise hi mere haalat kharaab ho gaya tha...Aur baaki ke kaam unke wish ne kar diya.

From Anatomy..."Happy Birthday Ajay...Best wishes for you...Yahi ummeed karta hu ki tum practical muscle ke naam naa sahi artery aur vein pehchaane ki koshish karo."

Issi tarah sab department ne wishes kiya aur sab ne suggestion bhi diya.

Biochemistry...Practical ke vakt test tubes mat fodo.

Microbiology...Mai hu issi liye kuch nahi kehta hu...Maaf kar deta hu mistakes ko...Lekin bacteria maaf nahi karega...Ek baar infection ho gaya to tum jaante hi ho...Microbiology ke practical me koi majaak nahi."

Physiology:- At least 12 tak ka knowledge hi sahi...Kuch to padh lo.

Pharmacology:- Capsule aur tablet to pehchaan lo.

Pathology:- Bahut improvement chahiye...Atleast Microscope me living cell aur necrotic cell pehchaano.

Aur last me Ravi.

Ravi:- Tujhse to baat bhi nahi karna chaahta...Birthday hai to chal wish kar hi deta hu...Exam me just pass hi sahi ho jaa.

(To Atul) Itna bekaar hu kya mai...Itna majaak...Sala sabko sahi vakt mila mera majaak udaane ka.

Gussa aur bejjati me Ajay ka aankh laal ho gaya tha...Atul thoda muskura kar.

Atul:- My dear stupid friend...Baat ka galat matlab kaise nikaale ye tujhse sikhna chaahiye.

Teachers ne kya kaha ye to tune suna...Lekin unki baat ka tarika nahi samajh paaya...Sabhi majaak me keh rahe thhe.

Sabhi jaante hai tu talent hai...Dimaag hai...Lekin padhta nahi...Wo jaante hai tu jarur padhega aur accha student banega...Agar nahi to aaj tak sabhi department ke chakkar kaat raha hota.

Unki wishes me kitni sacchai hai tujhe ye dikha bhi nahi...Bas masti majaak ke liye unhone aisa kaha...Lekin unhe ye kya pata tha ki tu ye baat seriously lega.

Ajay ek baar fir soch me pad gaya.

Atul:- Abhi nahi samjhega...Dimaag thanda ho jaaye na tab sochna...Aur ha positively.

Ajay:- Accha to wo Ravi?

Atul:- Uski baat chhod na...Wo to sala hai hi bewkuf...Usne pass hone ki challenge kiya tha na...Tu usse bhi accha kar ke dikha de.

Ajay:- Lekin kaise?

Atul:- Jyada late hua hi nahi hai...Abhi se padhna start kar...Sab catch kar lega.

Ajay sirf soch hi raha tha.

Atul:- Talented hai yaar tu...Issi liye sabhi teachers ko vishwas hai tujh par...Aur tujhe time de rahe hai...Tujhe bhi to pata hai kab aur kaise padhna hai...Mujhe bhi vishwas hai...Agar late hua padhne me to laat maar kar padhaunga.

Abhi tak tujhe padhne ke liye kaha nahi...Kyuki mai tera potential jaanta hu...Kuch hi months to hue hai college join kiye...Enjoy kar le...Abb to jindagi bhar padhna hi hai.

Ajay abhi bhi kuch bol nahi raha tha...Sirf soch hi raha tha.

After some times.

Ajay:- Thanks yaar.

Atul:- Aur wo kis liye?

Ajay:- Sach me unique birthday tha...Pehle Anjali ka propose....Aur sabhi dosto ke saath celebration...Aur teachers ka wishes...Sach me yaar bahut masti majaak chal raha tha...Wo to mai hi serious ho gaya aur mood spoil ho gaya.

Atul:- Itni jaldi soch badal gaya?

Ajay:- Sab najariye ki baat hai...Abb sab samajh me aa raha hai.

Atul:- 10:00 pm baja hai...Aaj ka din me 2 hrs baaki hai...Ye tera din hai...Enjoy kar...Munh ko sada hua karela banane se koi faaidaa nahi...Enjoy man.

Ajay:- Tera taarif karna accha to nahi lagta...Par aaj kahunga...Sahi me bahut acha dost hai yaar...Padhaai se lekar sab kuch...Har cheej me help karta hai.

Atul:- Wo to mai jaanta hu.

Atul ne bahut hi shaan me kaha.

Ajay:- Abb jyada udd mat.

Atul:- Kyu? Kya karega? Mera pankh kaatega?


Atul kuch kehta usse pehle hi Atul ko phone aata hai...Phone Nisha ka tha.

Aaj pehli baar Atul ko Nisha ke phone ko pick karne baahar jaana pada.
.
.
.
.
.
Atul:- Kaha le jaa rahi ho?

Nisha:- Are chalo na chup chaap...Kitni sawaal karte ho?

Fir Nisha Atul ko ek mall par le jaati hai.

Nisha:- Daro mat...Tumhara pocket khaali nahi karungi.

Fir Nisha 2 ice-creams lekar mall se nikalti hai.

Atul:- Paagal ho kya? Itni raat ko ice cream?

Nisha:- Khaao to?

Atul:- Nahi nahi...Mujhe thand lag raha hai.

Atul thandi hawaa ki vajah se thoda kaamp bhi raha tha.

Fir Nisha ki thodi jidd karne par Atul ice-cream khaane lagta hai.

Fir dono saath chalne lagta hai.

Iss baar Nisha Atul ka haath pakad leti hai.

Nisha ka haath pakadne se Atul ko alag hi jhatka lagta hai...Kabhi wo kisi ladki ke itna kareeb nahi aaya tha...Aur aaj itni raat ko...Thandi thandi mausam...Aur itne sunsaan me dono itne paas chal rahe the...Atul ki dil aur dimaag me tarah tarah ke khayal aane laga tha.

Kabhi wo Nisha ko pyar se dekhta to kabhi apne soch ko jhatak deta.

Fir dono ek field par jaa kar baith jaate hai.

Atul kuch nahi bol raha tha...Kabhi Nisha ko dekhta to kabhi apne dil aur dimaag par kaabu kar leta.

Nisha:- Kya hua?

Atul:- Kkucchhh nahiii?

Nisha:- Kisi soch me ho?

Atul:- Nahiiii.

Atul ke paas bolne ke liye shabd kam ad rahe thhe...Aur Nisha Atul ki haalat par hans rahi thi.

Nisha:- Pucchoge nahi? Yaha kyu laayi hu?

Atul:- Bataaaooo.

Atul ko gussa aane laga tha khud par apni iss bewkoofi par aur apne dil par kaabu naa kar paane ki vajah se.

Nisha:- Kabhi raat me akele ghuma hai?

Atul:- Nahi.

Nisha:- Bas issi liye...Tour aur inn locations ko khubsurati to din me ham dekh hi chuke hai...Lekin raat me?

Raat ki khubsurati bhi alag hai...Dekho na...Chaandni raat...Sunsaan jagah...Thandi mausam...Khaalipan...Aur inn khaalipan me bhi kitna kuch hai...Dil me alag hi sukoon milta hai...Koi pareshaani ho to shaanti milta hai...Aur kissi se baat karne ka maja hi alag hai.

(To Atul) Kyu Dr. Sahab...Sach bol rahi hu na?

Atul:- Ji Dr. Sahiba...Aap kabhi galat bol sakti hai kya?

Nisha:- Kitaab se baahar aaiye kabhi...Aur kudrat ka maja lijiye...Har tarah se...Dekhna jaldi hi aap jindagi ke har rang ko jeena sikh jaayenge...Aur pata chalega ki kudrat ki tarah hamaari jindagi kitni khubsurat hai...Din ho ya raat...Sukh ho ya dukh...Har pal ko jeena chaahiye.

Atul:- Itna bhi padhaaku nahi hu jitna tum sochti hu...Jindagi ko jeeta bhi hu...Lekin tumse milne ke baad pata chala ki jindagi ko kitne acche se jee sakte hai.

Fir Atul Nisha ko dekhta hai...Iss chandni raat me Nisha ki khubsurati aur bhi chamak raha tha...Ek baar fir wo Nisha me khone laga tha...Tarah tarah ke khayal aur sapne bhi aane laga tha.

Atul:- (To himself) Kaash issi tarah Nisha ki saath jindagi bhar milta rahe...To jindagi kitni khubsurat hogi.

Nisha ki pyar ne Atul ko uski soch badalne par majbur kar hi diya...Atul ko bhi uski meethi baaton, adaaon aur pyar bhari saath ke saamne haar maanna hi pada...Pyar hota hi aisa hai...Insaan ko kab aur kaise badal de kuch pata hi nahi chalta.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Bhai ye ajay ka tho thek h lekin atul k sath jyada filmy nahi ban raha :p:
Shayad :D...Ye update likhte vakt full concentrate nahi kar paa raha tha...Koshish karunga aage se aisa naa ho...Saath bane rehna :dost:
 
  • Like
Reactions: Lord Saint
Top